• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

Destiny

Will Change With Time
Prime
3,965
10,660
144
Update 116
Idher Neha jab Raj ke cabin mein aati hai toh Raj apne seat mein baitha hua tha aur bahot gusse mein dikh raha tha.

Neha: Sir aapne bulaya.

Raj: Mann toh kar raha hai isi waqt tumhe 2 thappad maaru. Par main same galti wapas nhi karna chahta. Tumhari himmat kaise hui mere aur Sonal ke pictures notice board pe lagane ki.

Neha: Yehh aap kyaa keh rahe hai Sir. Main aisa karungi. Aapko koi galatfehmi hui hai.

Raj: Koi galat fehmi nhi hui hai. Tumne jis ladke ko apna ID card deke yeh kaam karwaya tha woh abhi jail ki hawa khaa raha hai.

Raj ki baat sunte hi Neha ke paseene chutne lagte hai. Ab uske chehre mein khauf aagaya tha.

Raj: Abhi ke abhi apne maa baap ko bulao.

Neha chup chaap waise hi khadi rehti hai. Yeh dekh Raj ka gussa aur badh jaata hai.

Raj apna phone nikalta hai aur sidha Mr. Jaiswal ko call laga deta hai.

Mr. Jaiswal: Hello.

Raj: Raj Kapoor bol raha hu.

Mr. Jaiswal: Haa Raj beta bolo kaise phone kiya.

Raj: Abhi ke abhi aap aur aunty college aajaiye.

Mr. Jaiswal: Kyaa baat hai beta. Sab thikk hai naa. Neha thikk hai naa.

Raj: Usike aapdono ko bulaya jaa raha hai. Aapki beti ko college se rusticate kiya jaa raha hai. Toh aapdono jaldi se jaldi yaha aajaiye. Yeh bol Raj call cut kardeta hai.

Raj ka action dekh Neha aur jyaada ghabra jaati hai. Usko laga nhi tha ke Raj uske maa baap ko sidha college bulwa lega.

Raj: Tumhe warn kiya tha. Par tum nhi maani. Aur issbaar itni giri hui harqat kardi. Khud ek ladki hoke dusri ladki ko badnaam karne chali thi pure college mein. Tumhe jara si bhi sharm nhi aayi.

Neha: Aur aap jo ek student ke saath kar rahe hai uska kyaa.

Raj: Gusse se chillate hue. Mind your words Neha. Isse pehle main gusse mein kuch kardu apne jabaan ko lagam do. Sonal meri hone wali biwi hai. Uske saath main ghumu dance karu kuch bhi karu tumhe yaa kisi aur ko isse koi lena dena nhi hona chahiye.

Maine tumhe ussdin hi boldiya tha. Tumhare maa baap ko bhi samjha diya tha woh toh samaj gaye par tumko samaj nhi aaya. Now get lost. Tumhare maa baap aayenge tab apni shakal dikhana. Niklo yaha se.

Neha gusse mein waha se nikal jaati hai aur sidha class mein jaake baith jaati hai aur Sonal ko gusse aur nafrat bhari nazro se ghurne lagti hai.

Idher Mr. Jaiswal ko samaj aajata hai ke Neha ne jarur koi kaand kardiya hai jiske wajah Raj bahot jyaada gusse mein tha aur usko rusticate karwa raha hai.

Woh jaldi se apni patni ko call karte hai aur unhe sab batate hai jisse sunke unhe bhi samaj aajata hai.

Mrs. Jaiswal: Mujhe samaj nhi aaraha hai ab kyaa hoga. Ab shayad sabko pata chal jayega. Jis baat ko hum itne saal se sabse chipate aarahe hai ab sabko pata chal jayega.

Mr. Jaiswal: Ab jo hoga dekha jaayega. Pehle jaldi college chalo. Humhe Neha ko sambhalna hoga. Isse pehle kuch aur hojaaye. Tum college pahoncho main bhi pahonch raha hu.

Yeh bol Mr. Jaiswal call cut kardete hai aur sang sang college ke liye nikal jaate hai.

Idher Raj apne cabin mein baitha hua tha aur Neha ki-ki hui harqat ko leke hi soche jaa raha tha.

Raj: Bhagwan ka shukr hai maine samay rehte Sonal se pyaar ka izhaar kardiya warna pata nhi iss harqat ke baad kyaa hojaata. Sonal mujhse dosti tak todd deti aur hosakta hai humesha humesha ke wapas Jaipur chali jaati aur main usse humesha ke kiye shayad khoo deta.

Neha ko uski galti ki saza toh milegi. Issbaar agar usse chordiya gaya toh hosakta hai woh wapas se kuch aisa karde jisko sambhalna aasan naa ho.

Kuch der woh waise hi baithe soche jaa raha tha ke tabhi uske darwaaze pe knock hota hai aur peon andar aata hai.

Peon: Sir. Mr. Jaiswal karke koi aapse milne aaye hai.

Raj: Hmm. Unhe andar bhejo aur Interior Designing ki class se Neha Jaiswal naam ki ladki ko bula do.

Peon: Ji Sir. Yeh bol Peon waha se chala jaata hai Mr. And Mrs. Jaiswal andar aajate hai.

Raj: Aaiye Uncle Aunty baithiye. Main aaplogo ka hi intezaar kar raha tha.

Mr. Jaiswal: Raj beta main jaanta hu. Neha ne jarur kuch aisa kiya hai jo usse nhi karna chahiye tha.

Mrs. Jaiswal: Haa beta. Tum please usse maaf kardo. Agar usse college se nikal diya toh uska pura 1 saal barbaad hojayega. .

Raj: Isbaar Neha ne jo kiya hai uske consequence se mere saath saath kisi aur ki bhi life barbaad hosakti thi. Aur aaplog kehte hai usse maaf kardu. Uncle Aunty sorry for my tone. Par Neha ki yeh galti maaf nhi ki jaa sakti.

Mr. Jaiswal: Aisa kyaa kardiya hai Neha ne. Jiske wajah se tum itna jyaada gussa hogye ho.

Abhi Raj kuch kehta ke door pe knock hota hai aur Neha andar aati hai. Jisse dekhte hi Raj ka chehra gusse se bharr jaata hai.

Raj: Aaplog hi puchlijiye apni beti se ke usne kyaa kiya hai.

Mrs. Jaiswal: Neha kyaa kiya hai tumne. Jo Raj itna jyaada gusse mein hai aur tumhe rusticate kiya jaa raha hai.

Neha: Gusse mein. Maine kuch galat nhi kiya hai. Jo kiya sahi kiya hai. Mera bas chalta toh isse jyaada kuch karti. Uski himmat kaise hui mere raaste ke beech mein aane ki.

Neha ki baat sunke woh teeni apni jagah se uth jaate hai. Mr. And Mrs. Jaiswal ke chehre pe darr aur pareshani saaf samaj aarahii thi.

Raj: Dekhliya aaplogo ne.

Mr. Jaiswal: Neha beta tum bahar jao aur jaake gaadi mein baitho. Aur tum ekdum sahi keh rahi ho. Tumne jo kiya ekdum sahi kiya. Main hu naa. Main yaha sab dekhlunga.

Neha gusse mein eknazar sabko ghurte hue waha se nikal jaati hai aur Raj Mr. Jaiswal ki baat sunke shock hojaata hai.

Jaise hi Neha bahar jaati hai Mr. And Mrs. Jaiswal apne haath jodd lete hai aur maafi maangne lagte hai.

Mr. Jaiswal: Raj Beta Neha ki taraf se hum maafi maangte hai. Usne jo bhi kaha ho usse please mind mat karna.

Mrs. Jaiswal: Haa beta. Woh iss waqt thodi gusse mein hai. Please usse maaf kardo.

Raj: Sorry Uncle Aunty. Par aaplog beti ke pyaar mein andhe bhi hogye hai aur pagal bhi. Woh abhi yaha dhamki deke gayi hai aur aap kehte hai usse maaf kardu.

Mr. Jaiswal: Hum maante hai Neha ki galti ki hai. Par please usse maaf kardo.

Raj issbaar gusse mein aajata hai dono ka behaviour dekh isiliye woh thoda gusse mein bolta hai.

Raj: Gusse mein. Aaplogo ko pata bhi hai je aapki iss beti ne kyaa kiya hai. Usne meri aur Sonal ke kuch private pictures pure college mein lagwa diye hai. Jiske wajah se kitni badnaami hone wali thi humdono ki. Par aisa hua nhi. Aur aapdono kehte hai usse maaf kardu. Aur abhi usne aapdono ke saamne yaha ek tarah se Sonal ko dhamki de di aur phir bhi aap kehte hai usse maaf kardu.

Ab mujhe samaj aaraha hai uski itni himmat kaise hui. Aaplogo ke iss andhe support ki wajah se woh iss tarah bigad gayi hai. Woh jaanti hai woh kuch bhi karegi toh aaplog usse bacha lenge. Uss din aap bol rahe the naa ke mere parents ne mujhe kaise sanskaar diye hai.

Mere parents ne toh mujhe achhe hi sanskaar diye hai. Aaplogo se toh kahi jyaada achhe.

Mr. Jaiswal: Apna sir jhuka hai. Hum majbur hai beta. Humhe apni beti ke liye yeh karna padh raha hai.

Mrs. Jaiswal: Humhe pata hai. Neha ne jo bhi kiya bahot jyaada galat kiya. Par hum majbur hai. Hum chah ke bhi usse kuch nhi bol sakte.

Raj: Aisi kyaa majburi hau aapdono ki ke uske itne ghinone kaam ko bhi aaplog support kar rahe hai.

Mr. Jaiswal: Woh hum nhi bata sakte. Bas itna jaan lo. Neha jaisi dikhti hai waisi nhi hai. Woh baakiyon ke mukable alag hai.

Raj: Usdin bhi aaplog yehi baat bol rahe the ke woh alag hai. Jaisi dikhti hai waisi nhi hai. Idka matlab kyaa hai.

Mrs. Jaiswal: Yeh meri beti ki ek saza hai pichle janam ke gunaaho ki jisse woh iss janam mein bhugat rahi hai. Yeh bol Mrs. Jaiswal ke aankhon se aansu chalak padhte hai.

Raj aage badhke unko ek jagah baith deta hai aur glass mein rakha hua paani unko de deta hai.

Raj: Uncle Aunty. Kyaa baat hai. Neha thikk hai naa.

Mr. Jaiswal: Raj Neha ko Mental disorder ki bimaari hai jo usse bachpan se hai.

Raj: Shock hoke. Whatttt.

Mr. Jaiswal: Haa. Pehle hum bhi tumhare jaise joint family mein rehte the. Par humare mein roj kisi na kisi baat ko leke jhagda hota tha. Chotti chotti baat pe jhagda karna gussa karna hota rehta tha. Aur yeh hardin hota hai.

Aur yehi chiz Neha ke dimaag mein asar karne lagi jiska humhe pata nhi tha. Ekdin parivaar mein kisi baat ko leke jhagda start hogya. Uss waqt Neha 10-12 saal ki thi.

Toh jhagda bahot jyaada badh gaya tha aur yeh chizne Neha ko hadh se jyaada gussa dila diya tha aur issi gusse mein Neha ne apni chachi ke sir mein flower vase todd diya tha jisse unka sir foot gaya tha.

Ussdin ke baad se humhe unlogo se alag hona padha. Par usidin se Neha ki bimaari ne apna rang dikhana suru kardiya tha. Woh baat baat pe gussa karna lagti. Jo chiz usse pasand aajati woh usse kisi bhi halat mein chahiye thi. Agar nhi milti toh gusse mein woh kuch bhi kardeti thi.

Humne ek psychiatrist se consult kiya tab humhe pata chala ke woh roj roj ke jhagde ne Neha ke dimaag mein bahot gehra asar kiya hai aur usse Mental disorder ki bimaari hogyi hai.

Neha jab jab gusse mein hoti hai toh woh kyaa karti hai kisko kyaa bol rahi hai usse kuch nhi pata hota. Jab uska gussa shant hota hai aur woh apne real behaviour mein aati hai tab usse kuch bhi yaad nhi rehta ke kuch waqt pehle usne kya kya kiya tha.

Aur woh gussa tab hi hoti hai jab uski baat naa maani jaaye. Yaa usko koi chiz pasand aajaye aur woh usse naa mile yaa uske saamne koi humari insult karde yaa uski insult karde. Aur bhi bahot reason se usse gussa aasakta hai.

Raj yehsab sunn ke bahot jyaada shock hojaata hai. Usse yakeen karna mushkil horaha tha.

Mrs. Jaiswal: Aur isbaar usko jo chiz pasand aayi hai woh chiz tum ho. Aur isiliye hum ussdin tumhare ghar gaye the rishta lekar.

Mr. Jaiswal: Par issbaar uski yeh jidd kabhi puri nhi hosakti. Aur isi wajah se dheere dheere uska gussa badhte jaa raha hai aur isiliye uska dimaag uske control se bahar horaha hai aur woh kyaa kar rahi hai usse khud nhi pata chal raha hai.

Mrs. Jaiswal: Aur usi wajah se usne tumhare aur Sonal ki pictures ke saath aisa kiya.

Raj: Uncle Aunty main kyaa bolu mujhe samaj nhi aaraha hai. Aaplogo ne mujhe har tarah se block kardiya hai. Iss situation mein Neha ko saza dena completely baseless hoga.

Aaplog usko doctor kyo nhi dikha rahe hai. Kisi achhe se psychiatrist se consult karee.

Mr. Jaiswal: Neha ka treatment chal raha hai beta. Aur usi treatment ki wajah se Neha ki jidd uska gussa bahot control mein aaya hai.

Raj: Toh ab aap hi bataiye main kyaa karu Uncle.

Mr. Jaiswal: Tum bas usse maaf kardo. Aur hosake toh uske saamne Sonal se thoda kam baat karo yaa kam milo. Aur Sonal ko bhi samjha do.

Raj: Thikkk hai uncle. Aap chinta naa kijiye. Main Neha ke saamne Sonal se distance rakhlunga.

Mrs. Jaiswal: Beta ek request hai. Issbaare mein please kisi ko mat batana. Warna sablog meri bachhi ko ek alag hi nazariye se dekhne lagenge.

Raj: Aap chinta mat kijiye Aunty. Issbaare mein kisi ko pata nhi chalega.

Dono: Thank You beta. Aur Sorry bhi. Jo Neha ne kiya aur kaha.

Raj: Aaplog sorry mat boliye. Jo hona tha hogya. Aaplog aaj usse ghar le jaaiye.


Phir dono college se Neha ko leke ghar chale jaate hai aur piche Raj apna sir pakad ke baith jaata hai. Uska dimaag kaam nhi kar raha tha yeh sab sunke. Par kuch der baad woh apna agla class lene chala jaata hai.
राज तो सर पकड़ कर बैठ गया अब लेखक महोदय आप बताइए हम पाठक लोग सर पकड़ कर बैठें या दीवाल पर मारके बाबरा हों जाएं।

ऐसा धमाका कर दिया दिमाग की सारी नसे एक दूसरे से ही भिड़ गया। क्या सोच कर चल रहे थे और किया हों गया नेहा मानसिक बिमारी से पीड़ित हैं और कही न कहीं नेहा की बीमारी उसके ही परिवार वालों की देन हैं। अगर उसके परिवार वाले उसके सामने लड़ाई जगड़ा नहीं करते तो नेहा के विकसित होते दिमाग पर इसका बुरा असर न पड़ता।

अदभुत अतुलनीय लेखन कौशल
 

Destiny

Will Change With Time
Prime
3,965
10,660
144
Update 117
Recess ke time jab Sonal Raj se milne aati hai toh usko kisi soch mein gumm dekh woh uske paas aati hai aur puchti hai.

Sonal: Kyaa baat hai kyaa soch rahe hai aap. Main kab se yaha khadi hu. Aapne dekha tak nhi meri taraf.

Raj: Aah kuch nhi. Aao baitho.

Sonal: Kal aap mujhse bol rahe the ke main aapse kuch nhi chupa sakti. Aur aaj aap mujhse baat chupa rahe hai. Boliye kyaa hua hai.

Raj: Yaha nhi. Ghar jaayenge tab. Yaha nhi bata sakta.

Sonal: Thikkk hai. Waise aap Neha ko lekar yaha kisliye aaye thee. Phir kuch der baad peon bhi usko bulane aagaya tha ke aap bula rahe hai.

Raj: Humari pictures Neha ne hi college mein lagwayi thi.

Sonal yeh sunne ke baad bahot gussa hojaati hai.

Sonal: Kyaaaaa. Uski itni himmat. Issbaar main usse nhi chorungi. Usse iss galti ki saza toh milegi hi. Uski himmat kaise hui yeh ghinona kaam karne ki.

Raj: Sonal shant hojaao. Maine uski mummy papa ko bula kar baat karli hai. Tum apne dimaag mein jyaada pressure matdo.

Sonal: Bhale hi aapne baat karli hai. Par main usse nhi chorungi. Uski himmat kaise hui humari pictures ke saath aisa karne ki.

Raj: Sonal maine kaha naa pleasee shant hojaao. Main tumhe ghar jaate waqt sab bataunga. Par pleasee abhi shant raho. Agar tum jyaada apne dimaag mein pressure dogi toh tumhara sir dukhne lag jayega. Pleasee shantt hojao.

Sonal jaise taise khud ko shant karti hai. Raj usko pani deta hai aur bolta hai.

Raj: Sonal iss baare mein kisi ko kuch mat bolna ke Neha ne hi woh kaam kiya hai pleaseee.

Sonal: Aap uss Neha ko kyo bacha rahe hai.

Raj: Main sab bata dunga. Par yeh sahi jagah nahi hai. Agar yaha kisi ne sunn liya toh achha nhi hoga.

Sonal Raj ko ghurr ke dekhti hai par Raj usko shant rehne ko boldeta hai. Phir Sonal Raj ko uska tiffin deke canteen ki taraf nhi jaati hai.

Chutti ke baad Raj direct college se hi Sonal ko leke nikal jaata hai. College se nikalte hi Sonal Raj pe sawaalo pe bauchaar kardeti hai.

Raj gaadi ko ek jagah rokh deta hai aur phir Sonal ko saari baat bata deta hai jisse sunke Sonal ka muh khula ka khula reh jaata hai. Uske muh se koi shabd hi nhi nikal rahe hai. Woh kyaa bole kyaa kare usse kuch samaj nhi aaraha tha.

Raj: Toh ab tum hi bolo iss mamale mein kyaa Neha ko saza dena thikk hota. Aree usse toh pata bhi nhi hai ke woh kyaa kar rahi hai. Aur phir jis tarah Mr. And Mrs. Jaiswal haath jode khade the mujhse woh dekha nhi gaya.

Sonal: Aapne sahi kiya Raj. Neha ko aisi bimaari hai yeh jaane ke baad bhi agar hum usse saza dete hai toh yeh bahot badi galti hojaati. Par ab hum kyaa karenge.

Raj: Mujhe nhi pata. Main bas itna jaanta hu main tumse durr nhi reh sakta. Tum hi kuch bolo.

Sonal: Mujhe bhi kuch samaj nhi aaraha hai. Filhal toh hum ghar chalte hai uske baad kuch sochte hai.

Phir Raj gaadi ko ghar ki taraf ghuma deta hai.

Idher Neha jab apne ghar pahonchti hai toh woh gusse mein todd phod karne lagti hai. Uske haath jo aata woh usko hi todne lag jaati. Chaahe woh uska mobile ho yaa ghar ka dusra samaan.

Mr. Jaiswal: Neha beta shant hojaao. Aisa mat karo.

Mrs. Jaiswal: Haa beta shantt hojaao. Aisa mat karoo.

Neh: Gusse se chillate hue. Nhii chorungii. Uss Sonal ko nhi chorungii. Uski wajah se Raj sir mere nhi hosakte. Raj sir sirf mere hai. Main unhe paake rahungi. Chahe kuch bhi hojaye.

Aise hi kuch der chillane ke baad woh behosh hojaati hai. Mrs. Jaiswal apni beti ki yeh halat dekh rone lagti hai.

Mr. Jaiswal hosh se kaam lete hue uske doctor ko ghar bula lete hai aur Neha ko uske room mein sula dete hai.

Kuch der mein doctoe ghar aata hai toh Mr. Jaiswal usse sab bata dete hai.

Doctor: Aapne yeh achha kiya jo uss ladke ko sab bata diya. Jisse woh bhi Neha ke saamne sachet rahegaa.

Mr. Jaiswal: Yehi sochke toh maine usse bataya hai. Par Neha jo kar rahi hai woh bhi toh galat hai.

Doctor: Haa yeh sach hai. Par Neha mein sudhar bahot aaya hai. Agar yeh pehle wali Neha hoti toh shayad ab tak bahot kuch hochuka hota. Par abhi tak usne kuch nhi kiya. Iska matlab Neha thikk horahi hai.

Mr. Jaiswal: Main jaanta hu.

Phir Doctor Neha ke kamre mein jaake uska check up karta hai aur usko ek injection laga deta hai aur waha se chala jaata hai.

Udher Sonal apne kamre mein Neha ko leke hi soch rahi thi aur usko bhi yehi sahi lag raha tha jo Mr. Jaiswal ne kaha tha.

Sonal: Yehi sahi hoga ke hum college mein thoda distance maintain karke rahe. Agar isse sab thikk rehta hai toh kya problem hai. Ab humhe yehi karna hoga.

Phir woh Raj ke kamre mein jaati hai aur usse baat karti hai. Raj bhi Sonal ki baat se sehmat tha. Par usne yeh shart rakh di thi ke sirf college ke andar college ke bahar nhi.


Sonal ne bhi uski issbaat ko maan li thi. Phir woh apne kamre mein aajati hai.

अब फिर से दोनों को कॉलेज में पहले वाले हल में रहना होगा। जिससे की नेहा का मानसिक संतुलन और न बिगड़े। वैसे सोनल और राज ने एक अच्छा फैसला किया हैं अब देखते हैं आज किया होता हैं

अदभुत अतुलनीय लेखन कौशल
 
Last edited:

Jaguaar

Prime
17,680
60,210
244
दूसरे की लाइफ में तक झक करने में लोगों को कुछ ज्यादा ही मज़ आता हैं। उन्हे अपनी लाइफ की कोई परवा नहीं रहता न ये ख्याल रहता हैं कि खुद की लाइफ में चल किया रहा हैं।

इस घटना से एक बात तो साफ हों गया मामला कैसा भी हों राज हमेशा सोनल का बचाव करेगा और उस पर कोई दाग नहीं लगने देगा।

नोटिस बोर्ड वाला किस्सा पढ़'के मुझे मेरे स्कूल टाइम का एक किस्सा याद आ गया ऐसे ही एक सरफिरे की कारनामे के करण दो टीचर को हमेशा हमेशा के लिए जॉब छोड़ना पड़ा था।

अदभुत अतुलनीय लेखन कौशल
Thank you

Yehi toh aajkal logo ka kaam hai. Dusre ki life mein taak jhaak karna.

Raj Sonal se pyaar karta hai. Aur pyaar mein apne partner ka saath har situation mein dena hota hai. Aur Raj ne wahi kiya
 

Jaguaar

Prime
17,680
60,210
244
नेहा सोच रहीं थीं उसका किया धरा कभी पकड़ा नहीं जायेगा लेकिन उसे न पता राज का भाई ips है जो पल भार में लडकको ढूंढ लेगा।

करन ने लडक को ढूंढ लिया और उगलवा भी लिया किसने उससे ऐसा घिनौन काम करवाया था। अब नेहा के साथ राज कैस बरताव करेगा।

अदभुत अतुलनीय लेखन कौशल
Thank you
 

Jaguaar

Prime
17,680
60,210
244
राज तो सर पकड़ कर बैठ गया अब लेखक महोदय आप बताइए हम पाठक लोग सर पकड़ कर बैठें या दीवाल पर मारके बाबरा हों जाएं।

ऐसा धमाका कर दिया दिमाग की सारी नसे एक दूसरे से ही भिड़ गया। क्या सोच कर चल रहे थे और किया हों गया नेहा मानसिक बिमारी से पीड़ित हैं और कही न कहीं नेहा की बीमारी उसके ही परिवार वालों की देन हैं। अगर उसके परिवार वाले उसके सामने लड़ाई जगड़ा नहीं करते तो नेहा के विकसित होते दिमाग पर इसका बुरा असर न पड़ता।

अदभुत अतुलनीय लेखन कौशल
Thank you

Sir aapka uske saath ho marzi karo. Dewaar pe maaro ya kulhaadi mein aapki marzi.

Bahot se parivaar wale yehi chiz toh nhi samajte hai. Unhe samajna chahiye ke unke jhagde se mann mutaav se ek bachhe ke dimaag mein kaisa asar padh sakta hai. Par unhe iss baat ko samajne ki fursat kaha hoti hai.
 

Jaguaar

Prime
17,680
60,210
244
अब फिर से दोनों को कॉलेज में पहले वाले हल में रहना होगा। जिससे की नेहा का मानसिक संतुलन और न बिगड़े। वैसे सोनल और राज ने एक अच्छा फैसला किया हैं अब देखते हैं आज किया होता हैं

अदभुत अतुलनीय लेखन कौशल
Thank you
 
Top