• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
Raj apne hi callege me techer ban gaya.aisa vaisa techar nehi bahut hi strect techar. Sirf sonal ke liye. Ye to gajav ho gaya suna tha pyaar me kya kya na banna padta hai. Aaj padh bhi raj vichara pyaar me adhypak ban gaya.

Ladkiya. Jo kah rahi thi agar sonal ka dumag thikane par hota to un ladkio ke bal khal noch kar unke juban 100kg wala tala laga deti aur warn karti ye mal mera bukd hai ispe njar dala to putliya nikal kar kancha khelungi.

Shandar adbhut atulniya.
Thank you

Strict sirf Sonal ke liye nhi hai sab ke liye hai. Aur ab jab pyaar kiya hai toh uske nakhre bhi toh uthane honge.

Agar Sonal ka dimaag thikane pe hota toh yeh college wala scene aata hi nhi. Aur agar phir bhi aajata toh woh ladkiyan agle din Hospital ke bed mein apni aakhri saansein ginn rahi hoti
 

RAAZ

Well-Known Member
2,143
6,003
158
Update 51
Bahar aate hi Swati rone lagti hai.

Swati: Rote hue. Mujhse Sonal ki yeh halat nhi dekhi jaati.
Yash: Swati sambhalo khud ko. Aise rone se kuch nhi hogaa.

Swati: Kaise sambhalu Yash. Aaj hi usko hosh aaya hai aur woh sawaal puchne lagi hai jiska humare paas koi jawaab nhi hai.

Meera: Swati aise mat ro. Humhe ab Sonal ke saare sawaalo ke jawab taiyaar karne honge. Yeh tum bhi jaanti ho aur hum bhi jaante hai Sonal chup baithne walo mein se nhi hai.

Swati: Jaanti hu Mummy. Aur yehi chiz ka darr hai mujhe. Kahi Sonal ko saamne koi aisi baat naa nikal jaaye jisse usse problem ho.

Meera: Humhe sambhalna hoga. Aur Raj Sonal ke waise behaviour ke liye main tumse maafi maangti hu.

Raj: Aaplog aisa naa bole. Sonal patni hai meri. Uska pura haq hai mujhpar. Usne mujhe jo bhi bola hai woh sab anjaane mein bola hai. Abhi humhe issbaat ke upar dhyaan dena chahiye ke Sonal ko kyaa batana hai aur kaise batana hai.

Phir sablog baithke taiyaari karne lagte hai ke Sonal ko kyaa batana aur kaise batana hai.

Idher Sonal andar room mein Raj ke baare mein hi soch rahi thi.

Sonal: Kaun thaa woh. Aur kaise mujhe touch kar raha tha mere permission ke bina. Jaise main uski biwi hu. Agli baar agar mujhe touch karne ki koshish bhi ki toh maardungi usse.

Sonal ki nazar mein Raj ka impression uss harqat se thoda down hogya tha. Aur ab Sonal Raj ko naa pasand karne lagi thi. Kyoki usko lag raha tha woh jaanmuzz ke usko touch kar raha tha jo usko bilkul bhi pasand nhi hai. Kaha pehli hi nazar mein usko apna sab kuch maan baithi thi aur ab ussi insaan ko woh naa pasand karti hai.

Sonal: Par main yaha hospital mein kaisi aayi. Mujhe kuch yaad kyo nhi hai. Dimaag mein jyaada jorr bhi nhi de sakti doctor ne mana bhi kiya hai. Aur woh aunty woh kitni achhi thi unhone jab mujhe chuaa toh aisa laga jaise meri Mummy ne mujhe chuaa hai.

Par woh sablog kaun the. Papa ne kaha tha wohlog Kapoor Uncle ke gharwale hai. Par main unhe pehchan hi nhi paayi. Kitne saal pehle dekha tha unhe.

Yeh sab sochte hue bhi Sonal ka dhyaan baar baar Raj ke touch ki taraf jaaraha tha jo usse bahot pareshan kar raha tha. Woh yeh accept nhi kar paarahi thi.

Thodi der baad Raj Deepak Karan Nandini doctor se milne jaate hai.

Raj: Doctor kaisi halat hai ab Sonal ki.

Doctor: Woh physically jaldi recover hojayengi. Par mentally kuch keh nhi sakte.

Deepak: Hum usse ghar kab tak le jaasakte hai Doctor.

Doctor: Aaplog chahe toh usse ghar le jaasakte hai. Par jaisa maine kal kaha tha unke dimaag mein jyaada pressure naa padhe uska khayak rakhna hoga.

Raj: Aap bilkul chinta naa karee Hum uska pura khayal rakhenge.

Doctor: Thikk hai. Aur yeh dhyaan rakhiyega ke abhi woh apne pairon mein koi jorr naa de.

Nandini: Aap chinta naa kare. Iska dhyaan main rakhungi ke Sonal ke pairon mein koi jorr naa padhe.

Doctor: Thikk hai toh main discharge paper taiyaar karwata hu. Aaplog unhe ghar le jaaye aur woh medicines time to time dete rahiye.

Raj: Thank You doctor. Kyaa aapka number mil sakta hai agar kabhi koi emergency aagayi toh...

Doctor: Yeah Sure why not. Phir doctor Raj ko apna card de deta hai.

Raj: Thank You Doctor.

Phir sab waha se nikal jaate hai.

Raj: Bhaiya aap Jijaji ke saath milke ghar jaane ki taiyaari kijiye. Bhabhi aap jara Sonal ko ready karwa dijiye. Main Hospital ka bill payment karke discharge paper leke aata hu. Yeh bol Raj chala jaata hai.

Nandini sidha Sonal ke kamre mein jaati hai jaha pehle se hi Savitri Smita Ragini Meera Shruti Payal Ishita aur Swati baithe hue the. Aur inhone apna apna intro Sonal ko de diya tha. Jaise hi Nandini room mein enter karti hai toh Sonal bolti hai.

Sonal: Aap kaha gayi thi bhabhi.

Nandini yeh sunke ek pal hairan rehti hai aur sochti hai ke Sonal ko sab yaad aagaya. Par agle hi pal woh haqiqat mein aajati hai.

Nandini: Main doctor ke paas gayi thi. Unhone chutti de di hai ab chalo ghar chalte hai.

Thodi der baad Raj discharge paper leke andar aata hai tab tak Sonal taiyaar hogyi thi. Sonal ki nazar jaise hi Raj ke upar padhti hai toh usko bahot gussa aajata hai.

Sonal: Tumm. Tumhari himmat kaise hui yaha aane ki. Niklo bahar. Mummy aap isse abhi ke abhi bahar nikaliye.
Sonal ke aise behaviour pe sab log shock hojaate hai. Jo Sonal kabhi Raj se aankhe utha ke baat nhi karti thi woh aaj usse aise baat kar rahi hai.

Smita: Kyaa hua Sonal. Tum isse aise kyo baat kar rahi ho. Tum janti ho yeh kaun hai.

Sonal: Chachi ji yeh ek badtameez insaan hai. Mujhe touch kar raha tha meri permission ke bina. Aur mere haatho ko kas ke pakde hue tha. Shakal se toh shareef hai par harqate bilkul bhi shareef nhi hai. Aur tum abhi tak yehi khade ho. Maine kaha naa niklo bahar.

Sonal ki baat pe sab Raj ko ghurr ke dekhte hai jaise puch rahe ho yehsab kyaa hai.

Smita: Sonal beta shant hojaao. Kyaa tumne isse nhi pehchana. Yeh Raj hai.

Sonal: Raj hai toh main kyaa karu. Naam Raj hone se kya yeh koi mahan bangaya. Aur main kisi Raj ko nhi.......

Abhi Sonal ne itna hi bola tha ke usse kuch yaad aata hai aur woh ghurr ke Raj ko dekhti hai aur usse pehchan ne ki koshish karti hai. Par jab Sonal ne Raj ko ghurr ke dekha toh usko thoda ajeeb lag raha tha aur uske sir mein halka sa dard hua.

Sonal: Aaahhhhh mera Sir.

Sonal ke aise bolne se sabko tension hojaati hai khaash karke Raj ko. Woh Sonal ke paas aana chahta tha par aa nhi paaya.

Swati: Kyaa hua Sonal. Sir dard kar raha hai.

Sonal: Haa di. Halka sa sir dukh raha hai aur ajeeb lag raha hai. Aisa lag raha hai jaise main isse bahot baar mil chuki hu.

Smita: Aree Sonal yeh Raj hai mera beta. Tumdono bachpan mein kitna khelte the. Aur tumne sahi toh kaha tum isse bahot baar milchuki ho. Ab itne saal baad dekh rahi ho upar se tumhare sir mein chot hai isiliye yaad nhi raha hoga aur dard horaha hoga. Tum jyaada jorr mat do apne dimaag mein.

Smita ne baat ko toh sambhal liya tha par Sonal ki baat se Raj ki aankho mein thodi nami aagayi thi.

Sonal jab sunti hai ke Raj kaun hai toh usse thoda sa jhatka lagta hai aur usse thoda sa pachtava hota hai ke usne Raj ke saath thodi badtameezi kardi.

Sonal: Kyaaa yeh Rajjj hai.

Smita: Haaa. Ab kuch yaad aaya.

Sonal: Nazre nichhe kiye hue. I am Sorry. Main aapko pehchan nhi paayi aur naajaane kya kya boldiya.

Raj: Nam aankho se. Tumhe sorry bolne ki koi jarurat nhi hai. Yeh mera bad luck hai ke tum mujhe bhul gayi ho. Yeh bolte hue Raj ki aakho se 2 boond aansu ke nikal jaate hai.

Raj ke bolne ka matlab sabko samaj aagaya tha ke woh kyaa bolna chah raha hai.

Sonal: Main samjhi nhi.

Raj: Choro. Yeh batao tum kaisi ho ab.

Sonal: Abhi thik hai. Bas thoda sir bhaari hai.

Raj: Jaldi thikk hojayega. Chalo ghar chalte hai.

Sonal: Par mere pairr.

Raj: Agar permission ho toh main touch kar sakta hu tumhe.

Sonal: Nazre nichhe karke. Main apne kiye pe sharminda hu. I am sorry.

Raj: Maine kaha naa tumhe sorry bolne ki jarurat nhi hai. Waise bhi galti meri thi mujhe tumhe uss tarah touch nhi karna chahiye tha. Par kya ab main tumhe touch kar sakta hu.

Sonal: Jiii.


Phir Raj Sonal ko apni godd mein utha ke wheel chair mein achhe se baitha deta hai aur phir uski chair ko dhakel ke hospital ke bahar lejaane lagta hai. Baaki sab bhi unke pichhe pichhe chalne lagte hai.
Jaisay hota Hai woh pyaar zada ghera hota hain jis ki shurwat ladai se ho aur is baar waisa hi Hua hain. Lekin Raj beta buhat papad belne padege tujhay. Ab Pata chalega Asli pyar Ka mehtav pehlay to plate me rakh ke mil Gaya thaa is baar earn karna padega tumko. Ab dekhna Hai Rajesh ke sath Kia hota hain Kia woh log grift me aate Hai ya nahi aur ab unka next step Kia hoga.
Last but not least aap zabardast likh rahey ho 3rd story aapke sath continue Kari hain lekin aapka style is time me bohat zabardast Hua hain yeh kahna sahi hoga ki aapka 3.0 version hain yah.
 

park

Well-Known Member
8,044
9,916
173
Update 64
Phir teeno baith ke apna lunch karne lagte hai. Tabhi waha kuch seniors aajate hai aur intro ke naam pe ragging karne lagte hai.

Ishita: Dheere se. Woh dekho seniors. Intro ke naam pe ragging.

Sonal: Apna lunch karo. Unpe jyaada dhyaan mat do.
Dono: Hmmm.

Tabhi unn seniors mein se ek ladke ki nazar inpe padhti hai.

Ladka: Guys woh dekho asli khubsoorati toh waha hai. Chalo waha.

Jab baaki ladko ki nazar inpe padhti hai toh dusre ladke bhi bolne lagte hai.

Ladka 2: Haa bhai sahi kaha. Kyaa khubsoorati hai. Chalo chalke thodi jaan pehchan banate hai.

Phir woh ladke innlogo ke paas aane lagte hai.

Ishita jab dekhti hai ke woh ladke unke paas hi aarahe hai toh woh chupke se Raj ko ek msg karti hai aur likhti hai. Bhaiya Canteen Senior Ragging Help.

Ladka 1: Hiii girls. Can we sit here.

Sonal: Sorry bhaiyaa. Par kyaa aaplog dusri jagah baith jaayenge.

Sonal ke aise uss ladke ko bhaiya bolne se uske dost hasne lagte hai saath hi Ishita aur Payal ki bhi hasi nikal jaati hai.

Ladka 2: Kyaa baat hai. Khubsoorati ke saath dimaag bhi hai. Beauty with brains. Bahot kam dekhne ko milta hai. Chalo ab jaldi se apna intro dena start karo.

Payal: Kyo aap koi professor ho jo hum aapko intro de.
Ladka 3: Lagta hai seniors se baat karne ki tameez nhi hai. Intro toh dena padega.

Sonal: Hum intro dena jaruri nhi samajte. Humhe jaha intro dena tha hum de chuke hai. Agar humara intro janna hai toh jaake professor se pucho woh bata denge.

Ladka 1: Bahot bolti hai. Lagta hai ab inko batana padega asli intro kisse kehte hai.

Tabhi pichhe se awaaz aati hai Jara mujhe bhi batao. Jara main bhi jaanu ke asli intro kisse kehte hai.

Sab uss awaaz ki taraf dekhte hai toh ladko ke chehre ka rang udh jaata hai toh Ishita aur Payal ke chehre mein khushi aajati hai.

Ladka 1: Aree sir aap yaha.

Raj: Haaa main yaha. Kyo nhi aana chahiye thaa.

Ladka 2: Aree nhi sir kaisi baate kar rahe hai. Yeh toh aapka hi college hai.

Raj: Hmm. Haa toh tum(Ladka 1)mujhe batao asli intro kisse kehte hai. Jara mujhe bhi toh pata chale.

Ladka 1: Aree Sir main toh aise hi mazaak kar raha tha.

Raj: Yeh sab excuses kisi aur ke saamne jaake dena. Mere nhi. Tumlogo ki age cross kiye mujhe jyaada time nhi hua hai.

Ladka 2: Sorry Sir.

Raj: Intro lena hai toh kaaiyde se lo. Senior ho iska matlab yeh nhi ke uss position ka galat use karoge. Senior hone ka matlab hota hai Junior ki help karna unke saath apne experiences share karna naaki intro ke naam pe ragging karna.

Sab: We are sorry sir. Hum aage se aisa nhi karenge.
Raj: Hmm. Jaao jaake apna lunch karo.

Phir woh ladke waha se chale jaate hai. Par Raj ke waha pe aane se waha kuch students jama hogye the.

Ishita: Thank You bhaiya. I mean Sir.

Raj: Thikk hai.

Sonal: Waise aapko beech mein aane ki jarurat nhi hai. Hum students hai aur students ko unki problem khud hi solve karni chahiye.

Raj: I Know. Par mujhe bulaya gaya tabhi main aaya. Aur mujhe tumhara attitude pasand aaya aur tumhare sochne ka tareeka bhi.

Sonal: Aur kisne bulaya aapko.

Ishita: Sorry didi. Woh unlogo ko humari taraf aata dekh main darr gayi thi isiliye maine hi.....

Sonal: Ishita agar yeh yaha ke professor nhi hote tab tum kya karti. Tab tum khud unka saamna karti ki nhi. Yeh yaha hai iss baat ka faiyda mat uthao.

Ishita: Sorry Didi. Sorry Sir.

Raj: Koi baat nhi.

Sonal: Waise aapne lunch karliyaa.

Sonal ki baat sunn Raj ko woh dinn yaad aajate hai jab Sonal office mein call karke aise hi lunch ko leke pucha karti thi. Aur woh din yaad aate hi Raj ki aankho mein thodi nami aajati hai.

Raj: Nhi bas jaake karunga. Tumlog apna lunch karo. Main chalta hu. Yeh bol Raj waha se nikal jaata hai.

Phir yeh teeno bhi apna lunch karne lagte hai.

Idher Canteen mein baithe 4 jan bahot derr se inki taraf hi dekh raha the jabse woh ladke uski taraf aaye the.

Woh inke baat karne ke tarike se bahot impress hua thaa. Woh waha baithe hue inko dekhe jaa rahe thee.

Kuch der baad woh uthke innlogo ke paas aate hai.

Ladka 1: Hii I Am Vishal.

Ladki 1: And I am Neha.

Ladka 2: I am Varun.

Ladki 2: I am Soniya.

Teeno inn charo ko dekhte hai par kuch bolti hai.

Neha: Don’t worry hum koi intro lene nhi aaye hai. Humara bhi 1st day hai aaj toh bas dosti karne aaye hai.

Payal: Hiii.

Soniya: Kya hum baith sakte hai.

Sonal: Yeah sure.

Phir charo inke saath baith jaate hai.

Varun: Waise I must say tumhare baat karne ka tareeka bahot kamaal hai. Tumne unn ladko se phir uss Sir se ekdum nidarr hoke baat ki.


Sonal: Thank You.

Neha: Waise tum teeno ne apna naam nahi bataya.
Ishita: Mera naam Ishita hai yeh Payal aur yeh Sonal didi.

Soniya: Hey humara naam kitna match karta hai Sonal Soniya. Lagta hai humari dosti achhi jamegi. So friends. Yeh bol Sonal ki taraf haath badha deti hai.

Sonal: Friends.

Phir baaki sab bhi ekdusre se haath milake friendship karte hai.

Varun: Waise tumsab kaunsa branch se ho.

Payal: Main M.Tech. Aur yeh dono Interior Designing.

Soniya: Greattt. Main Neha aur Varun bhi Interior Designing mein hai aur yeh Vishal M.Tech mein.

Ishita: Chalo achha hai. Waise tum charo kya ekdusre ko jaante ho.

Vishal: Haa humne saath mein hi apna graduation complete kiya hai toh hum 3 saal se ekdusre ko jaante hai. Aur shayd tum teen bhi ek dusre ko jante ho.

Payal: Yeahh hum ek dusre ke relatives hai.

Neha: Oo tabhi Ishita ne Sonal ko didi kaha.

Ishita: Haaa.

Sonal: Chalo chalte hai class ka time hogya hai.


Phir sab apne apne class ki tarah jaane lagte hai.
Nice and superb update...
 
  • Like
Reactions: Luffy and Jaguaar

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
Aaye the senior regging karne lekin vichare ke bin pende wale lote jaise kismat me chhed tha. Vaise chhed tha nehi ishita ne kar diya tha raj ko jo bula liya tha. Phir kiya ek techar ne student ki hi regging le li.badiya hain. Sonal ki nidar aur bebak jababi karvayi se prbhavit hokar char new Student unke dost banne aa gaye. Ye dosti kya rang lati hai kahi raj ke pyaar wale rang me bhang to n mila dega. Khai jo bhi apna jaguaar ji hi jane.

Adbhut atulniya update
Thank you

Ab Raj aur Sonal ka pyaar itna kamzor nhi jo koi bhi aake rang mein bhang dhaal de
 

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
pehle din hi kand ho gaya senior ke sath... lekin raj ko to aana hi tha ... akkhir uski biwi ko ched rahe the wo seniors....
well mamla shaanti se nipat gaya.... warna ek ladayi to honi thi wahan pe... shayad ab raj professor hone ki wajah se ...
dusri taraf sonal ulta do baatein suna di ki students bich yun na aana chahiye... lekin twist ye hai ki sath mein ye bhi puch liya ki....... khana taya kya :roflol: bas babu sona lagana baaki reh gaya tha :roflol:
lo 4 aur kirdaar entry le li story pe... ab inki kya jarurat story oe :dazed:

Well sabhi pehlu mein sabhi arthpoorn baaton, kirdaaro bich huye vaartalaap ko aur gatividhiyo ko ek sathik gati ke sath samete huye hai update ke jariye writer sahab ne shabdon mein khoob roopantaran kiya hai. .

Bahot dilchasp update sath hi kuch arthpoorn aur manmahok kirdaaro ki bhumika...
Khair let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :yourock: :yourock:
Thank you

Ekdum sahi baat ab woh ladke Raj ki biwi ko chedd rahe the toh Raj chup thodi naa baithega.

Sonal ka kehna bhi sahi tha agar Raj waha ka professor nhi hota tab sabkuch unlogo ko hi toh handle karna tha.

Bhale hi yaadash gayi hai par hai toh uski patni hi ab itna toh puch hi sakti hai.

Jarurat thi isiliye maine story mein unko jagah di hai. Aage pata chal jaayega woh kisliye hai yaha pe.
 

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
Fantastic update Jaguaar bro.
Soniya aur varun ne story me entry le liya ...Ragging se engineering days yaad ata he..
Thank you

Sirf Soniya aur Varun ne nhi Vishal aur Neha ne bhi kiya hai
 
Last edited:

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
Bhai bohat hi zabardast likha hain aapne. Jaisay so Al ne Raj ko paney ke liye jatan kiye they ab Bari hain Raj ki apne pyar ko paane ke liye. Ab usay dobara apna maqam sonal ke Dil me aur ya kahu ki dimagh me bethana hoga. Shayad yah doosri unke pyaar ko aur mazboot kar dey. Ab dekhte hain Raj kaisay apne pyar ko Pata hain.
Thank you

Ekdum sahi kaha Yeh dusri dafa wala pyaar inke pyaar ko aur majboot kardegaa.
 
Top