• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

Anshu Sharma

Shubham Yadav
2,564
1,370
144
Update 62
Agle din subah Sonal jaldi se uth ke naha ke apne college ke liye taiyaar hojaati hai aur kamre ke bahar aajati hai.

Nandini: Good Morning.

Sonal: Good Morning.

Nandini: So ready for the college.

Sonal: Yess.

Nandini: Dhyaan se jaana aur koi bhi problem ho toh Raj se boldena.

Sonal: Par woh waha thodi naa honge.

Nandini: Tum college jaao sab samaj jaogi.

Sonal wahi khadi sochne lagti hai.

Phir sab dining table mein baithke nashta karne lagte hai. Raj ki nazar baar baar Sonal ke upar jaarahi thi aur usse Sonal ke college ka pehla din yaad aaraha tha.

Thodi der baad sabka nashta complete hojaata hai toh Raj bolta hai.

Raj: Sonal.

Sonal: Jii.

Raj: Chale.

Sonal: Ji chaliye.

Smita: Raj dhyaan rakhna.

Raj: Jiii.

Phir dono nikal padhte hai college ki taraf.

Raaste mein Sonal Raj se puchti hai.

Sonal: Raj.

Raj: Hmm.

Sonal: Ek baat puchu.

Sonal ki baat sunke Raj ko hasi aajati hai.

Sonal: Kyaa hua aap has kyo rahe hai.

Raj: Woh tumhari baat sunke mujhe kuch yaad aagaya. Koi tha jo humesha koi bhi baat bolne ke pehle mujhse permission jarur leta hai. Bas wohi yaad karke hasi aagayi.

Sonal: Achhaa. Kaun tha woh.

Raj: Sonal ki taraf dekh kar. Tha koi bahot khaash. Par meri badkismati usko ab yeh sab yaad nhi hai.

Sonal: Matlabbb.

Raj: Aah kuch nhi choro. Tum bolo kyaa puchna tha.

Sonal: Woh aap kaam kyaa karte hai.

Raj: Kyo shaadi karni hai. Yeh bol woh Sonal ki taraf dekhta hai.

Raj ki baat sunn Sonal ko pata nhi kyaa hota hai woh ekdum se kisi soch mein chali jaati hai aur phir achanak se dard se chillane lagti hai.

Sonal ki chikh sunn ke Raj ko tension hojaati hai aur woh side mein gaadi rokk deta hai.

Raj: Sonal Sonal kyaa huaa. Tum thikk ho naa.

Sonal: Aahh meraa sirr pata nhi achanak se dukhne laga.

Raj: Ghabrate hue. Tumne apni dawaiyan li.

Sonal: Haa li thi.

Raj: Ek kam karo. Apne sir dard ki dawai wapas se lo. Aur wapas ghar chalo.

Sonal: Nhiii. Main thikk hu. Ghar wapas jaane ki jarurat nhi hai.

Raj: Are you suree.

Sonal: Haaa main thikk hu.

Phir bhi Raj ko tension horahi thi par woh control karke gaadi chalane lagta hai.

Thodi der baad Sonal bolti hai.

Sonal: Aapne thodi der pehle kyaa kaha tha.

Raj: Woh toh maine aise hi mazaak kiya tha. Bura laga ho toh I am Sorry.

Sonal: Koi baat nhi. Par agli baar dhyaan rakhiyegaa.

Raj: Hmmm.

Sonal: Waise aapne bola nhi aap kya kaam karte hai.

Raj: Aaj khud dekh lena. Yeh bol car rokh deta hai.

Sonal: Yeh car kyo rokh di.

Raj: Tumhe college jaana tha naa. Toh tumhara college aagaya.

Sonal: Ooo. Thank You.

Raj: Hmmm. Chalo.

Sonal: Aap kaha jaa rahe hai.

Raj: Woh mujhe yaha ke principal se thoda kaam hai. Aur phir yeh mera bhi college hai toh thoda sabse mil bhi leta hu.

Sonal: Ookkk.

Phir dono car se utar se andar jaane lagte hai toh achanak se beech mein hi Payal aur Ishita aajati hai.

Payal aur Ishita: Good Morning.

Raj aur Sonal: Good Morning.

Raj: College ghumm liya.

Dono: Aapko kaise pata.

Raj: Bas tumdono ke rag rag se waakif hu.

Dono hasne lagti hai.

Raj: Tum dono Sonal ko bhi college ghumao. Main principal sir se mil leta hu.

Dono: Thikk hai. Chaliye didi.

Phir dono Sonal ko leke apne raaste le jaate hai. Tabhi Raj Payal ko bulata hai.

Raj: Payal sunna jara.

Payal: Raj ke paas aate hue. Jii bhaiya boliye.

Raj: Sonal ka dhyaan rakhna. Abhi raaste mein achanak uske sir mein dard horaha tha.

Payal: Aap bilkul chinta mat kijiye. Humdono bhabhi ka achhe se dhyaan rakhenge.

Raj: Hmmm. Agar koi problem ho toh mujhe bula lena.

Payal: Jiii.

Phir Raj principal ke office chala jaata hi aur Payal Ishita aue Sonal ke paas.

Ishita aur Payal Sonal ko college ghumane lagti hai aur thodi der baad teeno canteen mein aake baith jaate hai.

Ishita: Didi aapko pata hai Ishant Bhaiya Yash Bhaiya Raj Bhaiya Karan Bhaiya Nandini Bhabhi Shruti bhabhi sabhi nhi issi college se padhai ki hai.

Sonal: Haaa kal hi mujhe bhabhi ne bataya tha. Aur ab humlog bhi isi college se padhenge.

Payal: Waise Raj bhaiya bata rahe the raaste mein aapke sir mein dard horaha tha.

Ishita: Whattt. Toh didi aap aayi kyo. Aaj rest karleti. Abhi kuch din pehle hi toh aapki tabiyat thik hui hai.

Sonal: Aree main thikk hu. Pata nhi kyo achanak se sir dard karne laga. Aur Raj ne meri chugli kardi tumhare saamne. Yeh sab achhi baat nhi. Mere peet pichhe meri baate karna.

Payal: Areee nhii didi. Unhe bas aapki fikar thi isiliye unhone mujhe bas aapka khayal rakhne ke liye bola tha aap galat samaj rahi ho.

Sonal: Phir bhi unhe aisa nhi karna chahiye.

Abhi koi kuch bolta tabhi pure college mein ek announcement hota hai.
All the students gathered at the assembly hall immediately. I repeat All the Students gathered at the assembly hall immediately.

Announcement hote hi saare students assembly hall ki taraf jaane lagte hai.

Ishita: Yeh pehle din hi assembly hall mein kyaa kaam hai.

Sonal: Chalo chalke dekhte hai. Hosakta hai welcome karne ke liye bulaya ho.

Phir yeh teeno bhi baaki sabke saath assembly hall ki taraf jaane lagte hai.

Thodi der mein pura assembly hall students se bharti padha tha. Saamne stage ke upar saare teachers khade the. Aur sablog kuch na kuch baate kar rahe the.

Tabhi stage mein lage podium ke upar principal aate hai aur bolna start karte hai.

Principal: Good Morning to all of you my dear students.
Saare student saamne se Good Morning wish karte hai jisse woh hall kaanp uthta hai.

Principal: I am Professor Kumar the Principal of this college and I welcoming all of you.

Principal ka naam sunke Sonal ko Nandini ki baat yaad aati hai aur woh dheere se bolti hai.

Sonal: Dheere se. Oo toh yeh hai professor Kumar. Par ab toh yeh principal bangaye hai.

Principal: Ab aapsab ko yaha bulane ka main reason. Pichle kuch time se humare mein jo koi Accounts ka teacher nhi hai. Jiski mujhe complaint bhi mili hai. Toh aaj aapsab ki woh problem solve hogyi hai. Iss saal se aapsabko aapka naya Accounts teacher milne wala hai.

Principal ki baat sunke bahot saare students khush hojaate hai aur saath hi kuch students udaas hojaate hai kyoki teacher ke nahi rehne se woh period free hojaata tha par ab waisa nhi hoga.

Principal: So with a big round of applause please Welcome Mr. Raj Kapoor your new Accounts Teacher.
ky bomm phoda h bhai
 
kingkhankar

Well-Known Member
5,952
13,670
188

Very good update.

Twist dena koi aap se sikhe.....
 
Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,259
189
Agle din subah Sonal jaldi se uth ke naha ke apne college ke liye taiyaar hojaati hai aur kamre ke bahar aajati hai.
matlab baaki ke din nahake nahi jaati hai college, :D
aaj nahake jaa rahi hai isliye devilwa specially jikar ki hai ye baat :popcorn:
 
Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,259
189
So aaj se college suru....
waise sonal kaafi hai raj se... ek ti har waqt ghur ghur ke dhekhta rehta hai... upar se aaj chugli kar di.... aur to aur ab ushi college mein professor banke bhi aa gaya...

BTW business office gaya tel lene :roflol:
Well sabhi pehlu mein sabhi arthpoorn baaton, kirdaaro bich huye vaartalaap ko aur gatividhiyo ko ek sathik gati ke sath samete huye hai update ke jariye writer sahab ne shabdon mein khoob roopantaran kiya hai. .

Bahot dilchasp update sath hi kuch arthpoorn aur manmahok kirdaaro ki bhumika...

Khair let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :yourock: :yourock:
 
Top