• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

Jaguaar

Prime
17,680
60,210
244
Update 61
Raat ko jab Raj ghar aata hai toh dekhta hai waha sab hai sivaay Deepak ke. Kyoki woh 2 din ke liye Jaipur chala gaya hai.

Raj: Papa Bade Papa mujhe aaplogo se kuch baat karni hai.

Vijay: Haa bolo.

Raj: Akele mein.

Ashok: Kyaa baat hai Raj.

Raj: Thodi jaruri hai.

Vijay: Hmm. Thik hai. Tum pehle khaa lo phir baat karte hai.

Raj bhi chup chaap apne kamre mein chala jaata hai aur thodi der mein fresh hoke nichhe aake dinner karleta hai.

Phir Vijay Ashok aur Raj teeno ghar ke bahar garden mein aajate hai aur tahelte hue baat karne lagte hai.

Vijay: Haaa Raj bolo kyaa baat hai.

Raj: Woh actually maine ek faisla kiya hai.

Ashok: Kaisa faisla.

Phir Raj unndono ko saari baat batata hai aur woh baat bhi batata jo usne subah uss aadmi se ki thi.

Dono Raj ki baat sunke hairaani se Raj ko dekhte rehte hai. Unhe bhi samaj nhi aaraha tha ke woh Raj ko kyaa bole.

Ashok: Raj tum jo bol rahe ho soch samaj ke bol rahe ho naa.

Raj: Haa papa maim jo bhi bol raha hu woh soch samaj ke bol raha hu. Maine bahot soch vichaar karke yeh faisla liya hai.

Vijay: Par yeh karne se kuch hogaa.

Raj: Bade Papa iski koi surety nhi hai ke sab thik hojayega. Par yeh karne se sab kuch naye jaisa hosakta hai.

Vijay: Aur agar nhi hua toh.

Raj: Chup chaap baithe rehne se toh yehi achha hai naa. Aur agar meri kismat ne chaha aur mera pyaar sachha hai toh ekdin jaisa socha hai waisa hojayega.

Ashok: Unhone kyaa kaha.

Raj: Unhone kaha hai soch ke batayenge. Aaplog kyaa kehte hai.

Ashok aur Vijay kuch der sochte hai aur har pehlu pe nazar ghumate hai phir bolte hai.

Dono: Thikk hai jaisa socha hai waisa karo. Hum tumhare saath hai. Bas humhe humara parivaar wapas se pehle jaisa chahiye.

Raj: Thank You. Aur main puri koshish karunga.

Dono: Isme koshish nhi. Apni puri jaan laga do.

Raj: Jiiii.

Dono: Ab chalo chalke so jaao.

Phir teeno andar aajate hai jaha hall mein hi sablog baithe hue the.

Savitri: Hogyi baap bete mein baat.

Raj: Haa Dadi hogyi.

Ragini: Aisi bhi kyaa khaash baat ki jara humhe bhi batao.

Raj: Ek kaam baaki hai woh hojaaye phir bata dunga. Nhi toh aap bade papa se puch lijiyega woh shanti se sab bata denge.

Nandini: Raj tum aisa kyaa kar rahe ho.

Raj: Bas hai kuch khaash. Chaliye Good Night. Aur Aarav kal se office.

Aarav: Jii Bhaiya.

Phir Raj apne kamre mein chala jaata hai par jaane ke pehle ek baar achhe se Sonal ko dekh leta hai.

Phir dheere dheere baaki sab bhi apne kamre mein chale jaate hai.

Ragini: Raj ne aisi kyaa baat ki hai aapdono se.

Phir Vijay Ragini ko saari baat batata hai jisse sunke Ragini bhi ek hi baat bolti hai.

Ragini: Kyaa isse kuch hogaa.

Vijay: Pata nhi. Par koshish karne do. Hosakta hai kaam kar jaaye.

Ragini: Hmm.

Phir sablog so jaate hai.

Agle din subah sabko Raj ki baat ke baare mein pata chal gaya tha sivaay Sonal ko chorr ke.

Nandini: Raj phir se woh karloge.

Raj: Puri koshish karunga bhabhi. Phir Sonal ki taraf dekh kar bolta hai. Aur mujhe karna hi hoga. Warna main bahot kuch khoo dunga.

Raj ki baat ka matlab sablog samaj jaate hai par Sonal ko samaj nhi aata isiliye woh puch baithti hai.

Sonal: Aaplog kyaa baat kar rahe ho. Aur aap(Raj) kyaa khoo denge.

Nandini: Woh kuch nhi. Raj ke office ka ek kaam hai bas usi ke baare mein baat horahi hai.

Sonal: Oooo.

Phir Raj Aarav ke saath apne office nikal jaata hai aur baaki sab apne kaam mein lag jaate hai.

Raj office mein apna kaam kar raha tha tabhi uske paas ek call aata hai.

Raj: Hello.

Saamne se woh aadmi jisse Raj milne gaya tha woh bolta hai.

Aadmi: Raj.

Raj: Jii boliye. Kyaa socha aapne.

Aadmi: Kya tum sach mein yeh karna chahte ho.

Raj: Jiii.

Aadmi: Toh kabse aana chahte ho.

Raj: Khushi se. Matlab aap maan gaye.

Aadmi: Aree tumne pehli baar mujhse koi help maangi hai aur yeh mere liye itni bhi koi badi baat nhi hai.

Raj: Thank You Thank You Thank You so much.

Aadmi: Par ek shart hai.

Raj: Kaisi shart.

Aadmi: Tumhe jo bhi diya jaayega tum woh chup chaap loge. Bhale hi tum apne personal kaam ke liye aarahe ho.

Raj: Par...

Aadmi: Koi par war nhi. Agar manjurr hai toh bolo.

Raj: Thikk hai jaisi aapki marzi.

Phir dono ke beech thodi baate hoti hai jisme woh dono har chiz discuss karlete hai. Aur phone cut hojaata hai.

Yash: Toh tujhe permission mil gayi.

Raj: Haaa.

Yash: Achhi baat hai.

Phir dono apna apna kaam karne lagte hai.

Aise hi 20 din guzar jaate hai. Inn 20 dino mein Sonal ka pairr thikk hochuka tha aur woh pehle ki tarah chalne phirne lagi thi.

Raj ne Sonal ka admission ek college mein karwa diya tha. Par yaha bhi Ishita aur Payal ne apni dosti nibhayi aur Sonal ke saath uske college mein hi admission liya. Dono ka hi bachelor degree hogya tha isiliye dono ne hi master degree ke liye apply kiya. Sonal aur Ishita ne Interior Designing se masters mein aur Payal M.Tech mein. Aarav ab roj office jaata aur thoda bahot kaam bhi karta.

Swati bhi pregnent hogyi thi woh bahot khush thi aur uske liye bhi sab bahot khush the sabse jyaada toh Yash khush tha. Par Swati ko ek baat ka dukh tha ke woh apni iss khushi ke baare mein Sonal ko nhi bata paayi.

Udher Rajesh ne apni biwi aur bete ki maut ke sadme mein mental asylum mein hi suicide karliya tha apne haath ki nas kaat ke.

Deepak Meera aur Samar wapas Jaipur chale gaye the. Kyoki unka ab koi kaam nhi tha Sonal ab thikk thi aur apna college phir se start karne wali thi naye tarike se. Swati bhi Jaipur ka bolke apne ghar aagayi thi. Jaha pe ab woh sirf aur sirf aaram karti thi.

Sonal ke college start hone ke ek din pehle woh apni saari taiyaari kar rahi thi. Tabhi Nandini uske kamre mein aati hai.

Nandini: Kyaa kar rahi ho Sonal.

Sonal: Bas kal college ka pehla din hai toh usi ki taiyaari kar rahi hu.

Nandini: Hmm. Waise tumhe pata hai humlogo ne bhi isi college se apni padhai ki hai.

Sonal: Achhaaaa. Yaani main aaplogo ke college mein jaa rahi hu. Yaani ek tarah se aap meri senior hui.

Nandini: Bilkul. Waha tumhe bahot achha lagega.

Sonal: Toh aap mujhe uss college ke baare mein waha ke teachers ke baare mein kuch bataiye naa.

Nandini: Uss College ke baare mein kyaa hi kehna. Uss college ke wajah se hi toh aaj main aur Karan saath hai wahi humari mulakat hui phir dosti hui aur kab yeh dosti pyaar mein badal gayi pata hi nhi chala. Aur aaj dekho wohi pyaar ki nishani hai humdono ka Kartik.

Waha tumhe shayad Raju bhai milenge. Humare time woh waha peon the. College mein kisi bhi tarah ki help ki jarurat ho toh sidha unse contact karna woh karwa denge.

Waha tumhe shayad professor Kumar milenge. Jo nature se bahot friendly hai par agar ekbaar tum unke radar mein aagayi toh woh bahot strict hai.

Aise hi woh Yash inke radar mein aagaya tha kyoki usne galti se inki gaadi jisse woh apna beta maante the usse thokk diya tha jiske baad unhone iska jeena mushkil kardiya tha. Hardin class meim sabse pehle Yash ki taang khinchte phir aage ki class karwate.

Sonal: Aapki baate sunke toh mera mann aur bhi jyaada exicted hogaya hai. Ab toh mujhse kal ka intezaar bhi nhi horaha hai.

Nandini: Waise tumhe yaha achha toh lag raha hai naa. Koi problem toh nhi hai naa.

Sonal: Nhi bhabhi mujhe yaha achha lag raha hai. Bas kabhi kabhi aisa lagta hai jaise main iss ghar mein pehle bhi aachuki hu. Aur Raj ka jo kamra hai uss kamre ko dekh kar aisa lagta hai jaise main uss kamre ke kone kone se waakif hu. Woh kamra mujhe bilkul apna sa lagta hai.

Nandini: Mann mein. Tumhara kamra tumhe apna sa hi lagega naa. Aur uss kamre ke kone kone se waakif kyo nhi hogi tum aakhir tumne uss kamre ko ek time mein apne haatho se sazaya tha.

Sonal: Kyaa hua bhabhi aap kyaa sochne lagi.

Nandini: Aah kuch nhi. Woh bas tumhara ek weham hoga. Achha tum apne bag ko achhe se pack karlo. Main chalti hu Kartik uth gaya hogaa.

Yeh bol Nandini waha se chali jaati hai.

Sonal bhi apna kaam khatam karke padhne baith jaati hai.
Raat ko Smita Raj ko bolti hai.

Smita: Raj.

Raj: Jiii.

Smita: Kal se Sonal ko college le jaane aur le aane ki jimmedaari tumhari.

Sonal: Aree iski koi jarurat nhi hai. Unhe pareshani hogi phir unka office bhi toh hai. Main akele chali jaungi.

Smita: Bilkul jarurat hai. Tum iss jagah ko thik se jaanti tak nhi ho. Aur abhi kuch din pehle hi tum bed rest se uthi ho aise mein akele kisliye jaana. Aur tum Raj ke office ki bilkul bhi tension mat lo. Iska office samaj lo wahi hai.

Sonal: Matlab.

Smita: Matlab tumhe kal samaj aajayega. Ab tum yeh sab choro aur kal se padhai start horahi hai toh uspe dhyaan do.

Sonal: Jiii.

Raj: Kal subah ready rehna.

Sonal: Thikk hai.

Phir sab sone chale jaate hai.
 
Luffy

Well-Known Member
7,017
29,006
203

Awesome update
 
Anshu Sharma

Shubham Yadav
2,564
1,370
144
Meko lagta h raj sonal ke college me student ban ke to nahi jaye ga but jarur kuch ulta sidha post par jaye ga 😂
 
Top