• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

Lucky..

“ɪ ᴋɴᴏᴡ ᴡʜᴏ ɪ ᴀᴍ, ᴀɴᴅ ɪ ᴀᴍ ᴅᴀᴍɴ ᴘʀᴏᴜᴅ ᴏꜰ ɪᴛ.”
6,637
25,212
204
Update 51
Bahar aate hi Swati rone lagti hai.

Swati: Rote hue. Mujhse Sonal ki yeh halat nhi dekhi jaati.
Yash: Swati sambhalo khud ko. Aise rone se kuch nhi hogaa.

Swati: Kaise sambhalu Yash. Aaj hi usko hosh aaya hai aur woh sawaal puchne lagi hai jiska humare paas koi jawaab nhi hai.

Meera: Swati aise mat ro. Humhe ab Sonal ke saare sawaalo ke jawab taiyaar karne honge. Yeh tum bhi jaanti ho aur hum bhi jaante hai Sonal chup baithne walo mein se nhi hai.

Swati: Jaanti hu Mummy. Aur yehi chiz ka darr hai mujhe. Kahi Sonal ko saamne koi aisi baat naa nikal jaaye jisse usse problem ho.

Meera: Humhe sambhalna hoga. Aur Raj Sonal ke waise behaviour ke liye main tumse maafi maangti hu.

Raj: Aaplog aisa naa bole. Sonal patni hai meri. Uska pura haq hai mujhpar. Usne mujhe jo bhi bola hai woh sab anjaane mein bola hai. Abhi humhe issbaat ke upar dhyaan dena chahiye ke Sonal ko kyaa batana hai aur kaise batana hai.

Phir sablog baithke taiyaari karne lagte hai ke Sonal ko kyaa batana aur kaise batana hai.

Idher Sonal andar room mein Raj ke baare mein hi soch rahi thi.

Sonal: Kaun thaa woh. Aur kaise mujhe touch kar raha tha mere permission ke bina. Jaise main uski biwi hu. Agli baar agar mujhe touch karne ki koshish bhi ki toh maardungi usse.

Sonal ki nazar mein Raj ka impression uss harqat se thoda down hogya tha. Aur ab Sonal Raj ko naa pasand karne lagi thi. Kyoki usko lag raha tha woh jaanmuzz ke usko touch kar raha tha jo usko bilkul bhi pasand nhi hai. Kaha pehli hi nazar mein usko apna sab kuch maan baithi thi aur ab ussi insaan ko woh naa pasand karti hai.

Sonal: Par main yaha hospital mein kaisi aayi. Mujhe kuch yaad kyo nhi hai. Dimaag mein jyaada jorr bhi nhi de sakti doctor ne mana bhi kiya hai. Aur woh aunty woh kitni achhi thi unhone jab mujhe chuaa toh aisa laga jaise meri Mummy ne mujhe chuaa hai.

Par woh sablog kaun the. Papa ne kaha tha wohlog Kapoor Uncle ke gharwale hai. Par main unhe pehchan hi nhi paayi. Kitne saal pehle dekha tha unhe.

Yeh sab sochte hue bhi Sonal ka dhyaan baar baar Raj ke touch ki taraf jaaraha tha jo usse bahot pareshan kar raha tha. Woh yeh accept nhi kar paarahi thi.

Thodi der baad Raj Deepak Karan Nandini doctor se milne jaate hai.

Raj: Doctor kaisi halat hai ab Sonal ki.

Doctor: Woh physically jaldi recover hojayengi. Par mentally kuch keh nhi sakte.

Deepak: Hum usse ghar kab tak le jaasakte hai Doctor.

Doctor: Aaplog chahe toh usse ghar le jaasakte hai. Par jaisa maine kal kaha tha unke dimaag mein jyaada pressure naa padhe uska khayak rakhna hoga.

Raj: Aap bilkul chinta naa karee Hum uska pura khayal rakhenge.

Doctor: Thikk hai. Aur yeh dhyaan rakhiyega ke abhi woh apne pairon mein koi jorr naa de.

Nandini: Aap chinta naa kare. Iska dhyaan main rakhungi ke Sonal ke pairon mein koi jorr naa padhe.

Doctor: Thikk hai toh main discharge paper taiyaar karwata hu. Aaplog unhe ghar le jaaye aur woh medicines time to time dete rahiye.

Raj: Thank You doctor. Kyaa aapka number mil sakta hai agar kabhi koi emergency aagayi toh...

Doctor: Yeah Sure why not. Phir doctor Raj ko apna card de deta hai.

Raj: Thank You Doctor.

Phir sab waha se nikal jaate hai.

Raj: Bhaiya aap Jijaji ke saath milke ghar jaane ki taiyaari kijiye. Bhabhi aap jara Sonal ko ready karwa dijiye. Main Hospital ka bill payment karke discharge paper leke aata hu. Yeh bol Raj chala jaata hai.

Nandini sidha Sonal ke kamre mein jaati hai jaha pehle se hi Savitri Smita Ragini Meera Shruti Payal Ishita aur Swati baithe hue the. Aur inhone apna apna intro Sonal ko de diya tha. Jaise hi Nandini room mein enter karti hai toh Sonal bolti hai.

Sonal: Aap kaha gayi thi bhabhi.

Nandini yeh sunke ek pal hairan rehti hai aur sochti hai ke Sonal ko sab yaad aagaya. Par agle hi pal woh haqiqat mein aajati hai.

Nandini: Main doctor ke paas gayi thi. Unhone chutti de di hai ab chalo ghar chalte hai.

Thodi der baad Raj discharge paper leke andar aata hai tab tak Sonal taiyaar hogyi thi. Sonal ki nazar jaise hi Raj ke upar padhti hai toh usko bahot gussa aajata hai.

Sonal: Tumm. Tumhari himmat kaise hui yaha aane ki. Niklo bahar. Mummy aap isse abhi ke abhi bahar nikaliye.
Sonal ke aise behaviour pe sab log shock hojaate hai. Jo Sonal kabhi Raj se aankhe utha ke baat nhi karti thi woh aaj usse aise baat kar rahi hai.

Smita: Kyaa hua Sonal. Tum isse aise kyo baat kar rahi ho. Tum janti ho yeh kaun hai.

Sonal: Chachi ji yeh ek badtameez insaan hai. Mujhe touch kar raha tha meri permission ke bina. Aur mere haatho ko kas ke pakde hue tha. Shakal se toh shareef hai par harqate bilkul bhi shareef nhi hai. Aur tum abhi tak yehi khade ho. Maine kaha naa niklo bahar.

Sonal ki baat pe sab Raj ko ghurr ke dekhte hai jaise puch rahe ho yehsab kyaa hai.

Smita: Sonal beta shant hojaao. Kyaa tumne isse nhi pehchana. Yeh Raj hai.

Sonal: Raj hai toh main kyaa karu. Naam Raj hone se kya yeh koi mahan bangaya. Aur main kisi Raj ko nhi.......

Abhi Sonal ne itna hi bola tha ke usse kuch yaad aata hai aur woh ghurr ke Raj ko dekhti hai aur usse pehchan ne ki koshish karti hai. Par jab Sonal ne Raj ko ghurr ke dekha toh usko thoda ajeeb lag raha tha aur uske sir mein halka sa dard hua.

Sonal: Aaahhhhh mera Sir.

Sonal ke aise bolne se sabko tension hojaati hai khaash karke Raj ko. Woh Sonal ke paas aana chahta tha par aa nhi paaya.

Swati: Kyaa hua Sonal. Sir dard kar raha hai.

Sonal: Haa di. Halka sa sir dukh raha hai aur ajeeb lag raha hai. Aisa lag raha hai jaise main isse bahot baar mil chuki hu.

Smita: Aree Sonal yeh Raj hai mera beta. Tumdono bachpan mein kitna khelte the. Aur tumne sahi toh kaha tum isse bahot baar milchuki ho. Ab itne saal baad dekh rahi ho upar se tumhare sir mein chot hai isiliye yaad nhi raha hoga aur dard horaha hoga. Tum jyaada jorr mat do apne dimaag mein.

Smita ne baat ko toh sambhal liya tha par Sonal ki baat se Raj ki aankho mein thodi nami aagayi thi.

Sonal jab sunti hai ke Raj kaun hai toh usse thoda sa jhatka lagta hai aur usse thoda sa pachtava hota hai ke usne Raj ke saath thodi badtameezi kardi.

Sonal: Kyaaa yeh Rajjj hai.

Smita: Haaa. Ab kuch yaad aaya.

Sonal: Nazre nichhe kiye hue. I am Sorry. Main aapko pehchan nhi paayi aur naajaane kya kya boldiya.

Raj: Nam aankho se. Tumhe sorry bolne ki koi jarurat nhi hai. Yeh mera bad luck hai ke tum mujhe bhul gayi ho. Yeh bolte hue Raj ki aakho se 2 boond aansu ke nikal jaate hai.

Raj ke bolne ka matlab sabko samaj aagaya tha ke woh kyaa bolna chah raha hai.

Sonal: Main samjhi nhi.

Raj: Choro. Yeh batao tum kaisi ho ab.

Sonal: Abhi thik hai. Bas thoda sir bhaari hai.

Raj: Jaldi thikk hojayega. Chalo ghar chalte hai.

Sonal: Par mere pairr.

Raj: Agar permission ho toh main touch kar sakta hu tumhe.

Sonal: Nazre nichhe karke. Main apne kiye pe sharminda hu. I am sorry.

Raj: Maine kaha naa tumhe sorry bolne ki jarurat nhi hai. Waise bhi galti meri thi mujhe tumhe uss tarah touch nhi karna chahiye tha. Par kya ab main tumhe touch kar sakta hu.

Sonal: Jiii.


Phir Raj Sonal ko apni godd mein utha ke wheel chair mein achhe se baitha deta hai aur phir uski chair ko dhakel ke hospital ke bahar lejaane lagta hai. Baaki sab bhi unke pichhe pichhe chalne lagte hai.
Awesome update bhai...
 

dhparikh

Well-Known Member
6,802
8,141
173
Update 59
Karan goli chalane ke baad Raj ki taraf dekhta hai toh shock hojaata hai. Kyoki waha Reshma apne pet mein haath diye khadi thi jisme se khoon bahe jaaraha tha aur uske aankho mein aansu the. Aur Raj woh side mein khada hua tha. Aur idher Ranjeet khoon mein lathpath zameen pe giraa hua tha aur uske seene se khoon bahe jaaraha tha.

Udher Rajesh jo kabse Hawaldaar ki giraft mein khada tha woh apni aankho ke saamne apni patni aur bete ki aisi halat dekh kar apna maansik santulan khoo baithta hai aur behosh hojaata hai.

Karan: Inspector jaldi se indono ko hospital leke jaao.
Inspector aake check karta hai paata hai Ranjeet marr chuka hai kyoki goli uske seene mein lagi thi.

Inspector: Sir yeh marr chuka hai. Goli seene mein lagi hai.

Karan: Whattttt. Aur yeh Reshma.

Lady Constable: Sir saanse chal rahi hai.

Karan: Jaldi se isko hospital leke jaao.

Phir Inspector Reshma aur Rajesh ko hospital bhejj deta hai.

Karan jaldi se Raj ke paas jaata hai aur usko gale laga leta hai.

Karan: Rajjj tu thikk hai. Tujhe kuch hua toh nhii naa.
Raj: Haa bhaiyaa main bilkul thikk hu.

Karan: Par yeh Reshma kaha se beeche mein aagayi.

Raj: Bhaiya jaise hi Ranjeet goli chalata hai main bachne ke side hojaata hu. Par mujhe nhi pata tha ke Reshma thikk mere pichhe hi khadi hai. Toh mere side hote hi goli Reshma ko jaa lagi.

Karan: Aur jaise hi usne tere upar goli chalayi maine bhi uspe goli chala di.

Raj: Par bhaiya woh marr gaya.

Karan: Tu tension mat le. Main sambhal lungaa. Tu ab aaram se apne office jaa. Main yaha dekh lungaa.

Raj: Sach na bhaiya koi problem nhi hai naa.

Karan: Nhii bhaii koi problem nhi hai. Tu aaram se jaa.

Raj bhi chup chaap waha se nikal jaata hai. Aur idher Karan Ranjeet ki laash ko dekhta rehta hai.

Inspector: Sirrr.

Karan: Hmm.

Inspector: Unko hospital bhej diya hai.

Karan: Hmmm. Ek ambulance bulao aur iski laash bhi bhijwao.

Inspector: Maine bula liya hai sir bas aati hi hogi.

Karan: Hmm.

Thodi der mein ambulance aajati hai aur Ranjeet ki laash ko leke waha se chali jaati hai. Phir Karan bhi waha se sidha hospital chal jata hai.

Karan: Doctor woh aurat kaisi hai ab.

Doctor: I Am Sorry. Par unhone raaste mein hi dum tod diya tha.

Karan: Whatttttt.

Doctor: Haaa. Woh already bahot kamzor thi. Aur phir goli lagne se khoon thoda jyaada beh gaya tha jiske wajah se unhone raaste mein apna dumm tod diya tha.

Karan: Aur woh aadmi.

Doctor: Shock ki wajah se apna dimaagi santulan khoo baithe hai.

Karan: Oooookkkkk.

Doctor: Aap inke parivaar walo ko bula lijiye.

Karan: Doctor yeh sab criminals hai. Aur pura parivaar yehi hospital mein hi hai jisme sirf ab woh aadmi bachha hai.

Doctor: Toh inki laash ka kyaa karna hai.

Karan: Aaplog inka kiryakaram kardijiyega. Aur uss aadmi ka kyaa karna hai.

Doctor: Usko toh mental asylum mein rakhna hoga.

Karan: Thikk hai. Toh kuch der mein hi mental asylum ke aadmi aake usko le jaayenge.

Doctor: Thikk hai.

Phir doctor waha se chala jaata hai.

Karan: Inspector kisi mental asylum mein call karke iska intezaam kar dena.

Inspector: Okk Sir.

Phir Karan aur Inspector bhi waha se nikal jaate hai.
Idher Raj waha se nikal ke sidha apne office aata hai jaha Yash uska kabse wait kar raha tha.

Yash: Abee kaha tha tu. Kitni chinta horhi thi teri. Chal ab bata waha kyaa huaa. Woh kamine pakde gaye yaa nhi.

Raj: Shant hojaa pehle. Phir sab batata hu.

Yash: Main shant hi hu. Tu bata.

Phir Raj waha jo jo hua woh sab batata hai.

Yash: Achha hua saala marr gaya. Ab kabhi bhi tere ya Sonal ya kisi aur ke saath kuch nhi kar payega.

Raj: Hmmm.

Phir dono apna apna kaam karne lagte hai.

Raat ko dinner ke baad jab sab apne kamre mein chale jaate hai toh Sonal apne maa baap ke paas jaati hai.

Sonal: Mummy Papa.

Mummy: Sonalll. Tum yaha. Tumne kyo takleef ki beta. Abhi bhi tumhare pairr thikk nhi hue hai. Koi kaam tha toh humhe bula liya hota.

Sonal: Abhi main thikk hu Mummy. Woh mujhe kuch baat karni thi.

Deepak: Haa beta bolo kyaa baat karni hai.

Sonal: Woh aaplog mujhse kitne time se durrr ho.

Sonal ke sawaal pe pehle dono ekdusre ko dekhte hai phir bolte hai.

Dono: Hum samjhe nhi tum kyaa kehna chahti ho.

Sonal: Main kehna chahti hu ke main agar aaplogo se 2 saal durr rahu toh chalega.

Dono: Matlabbbb.

Sonal: Woh papa aapne pucha thaa naa ke main masters ke liye yaha pe college karna chahti hu yaa nhi.

Deepak: Haaa.

Sonal: Toh aapne mere liye jab yaha pe college choose kiya hi toh kuch soch ke hi kiya hoga. Toh main aapki baat nhi talungi. Agar aaplogo ko koi problem naa ho toh main yaha mumbai se hi masters karungi.

Dono Sonal ki baat sunke bahot khush hote hai par woh khushi dikhate nhi hai.

Meera: Sonal kyaa tum yeh apne mann se bol rahi ho.
Sonal: Mummy Papa ne mere liye jo bhi socha hai woh achha hi socha hoga. Papa ne jab mere liye yaha ke college ko choose kiya hai toh main yehi aage ki padhai karungi.

Deepak: Thikk hai toh main subah hi yaha pe baat karta hu. Par tum yaha pe rehlogi naa.

Sonal: Haa Papa. Yehlog bahot achhe hai. Yeh kuch dino mein innhone mera bahot khayal rakha hai. Ragini Chachi aur Smita Chachi mujhe Mummy jaisa pyaar deti hai. Bhabhi ek badi behen ki tarah mera khayal rakhti hai Aarav Chote bhai ke jaisa mujhe hasata hai mujhe bore nhi hone deta.

Aisa lagta hi nhi hai ke main innlogo se kuch din pehle mili hu. Balki mujhe toh lagta hai main innlogo ko bahot din se janti hu.

Meera: Tab toh achhi baat hai. Ab tum jao aur jaake so jao. Hum kal subah hi baat karenge.

Sonal: Good Night.

Dono: Good Night.

Phir Sonal waha se apne kamre mein aajati hai aur so jaati hai.

Meera: Sonal toh yaha rehne ke liye maan gayi hai.

Deepak: Haa. Achha hua. Warna hum soch rahe the usko kaise manayenge.

Meera: Yaha sablog yeh sunke bahot khush hojayenge.

Deepak: Hmm. Sabse jyaada toh Raj khush hojayega. Mujhe nhi laga tha woh humari Sonal se itna pyaar kar baithega.

Meera: Meri beti ne bahot mehnat ki hai tabhi Raj ke dil uske liye jagah bani hai.

Deepak: Haa. Chalo ab so jaao. Kal subah sabko yeh khabar sunani hai aur aage ki taiyaari bhi karni hai.

Meera: Hmm.


Phir yeh dono bhi so jaate hai.
Nice update...
 

Anshu Sharma

Shubham Yadav
2,564
1,370
144

kingkhankar

Well-Known Member
5,952
13,666
188
Thank you

Ab Raj kahani ka hero hai. Usko kaise marne deta. Agar usko kuch hojaata toh bechari mann ki bholi masoom Sonal ka kyaa hotaa.

Isme physics ka bhajiya kaise tal gaya. Raj ne apni jaan bachane ke liye apne aap ko side karliya aur goli Reshma ko lagyi.

Dheraa kyaa jamayegi woh uska hi toh ghar hai. Ab apne ghar mein koi dheraa thodi jamata hai.

Abhi yaadash aane mein time hai. Tab tak thodi bahot masti hogi.
Yeh physics ka professor kaun ageyi? Lekin jo bhi mast hey!!!!!!! I mean mast explain kar rahi hey.
 
Last edited:
Top