• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Prime
23,121
46,448
259
Update 53
Idher yehteeno police station aate hai aur Karan ke cabin mein chale jaate hai.

Karan: Maine jo CCTV ki footage mangayi thi woh do.

Hawaldar: Jii Sir.

Phir Hawaldaar woh CCTV ki footage laake Karan ko deta hai aur teeno woh footage dekhne lagte hai.

Footage mein Karan dekhta hai Raj aur Sonal jabse uss aashram ke andar gaye the ek gaadi waha khadi thi.

Raj: Bhaiyaa yehi hai woh gaadi.

Yash: Bhaiya iske driving seat pe zoom kijiye shayad driver ka pata chal jaaye.

Karan Driving seat pe zoom karta hai toh dekhta hai ek aadmi gaadi mein baitha hua hai par uski shakal nhi dekh paate kyoki usne apni shakal ko mask aur kaale chashme se dhakka hua tha.

Karan: Saale ne toh apne chehre ko dhakka hua hai kuch samai nhi aaraha hai. Aur aisi jagah khada hai ke gaadi ka number nhi aadha dikh raha hai.

Yash: Aage jaane se shayad dikh jayega.

Thodi der baad jab Raj aur Sonal waha se bahar aate aur phir Sonal wapas andar jaati hai aur apna mobile leke bahar aati hai aur jaise hj road cross karne wali hoti hai tabhi woh gaadi Sonal ko takkar maarke nikal jaati hai.

Yeh scene wapas dekh ke Raj ki halat kharab hojaati hai uske aankho se aansu behne lagte hai.

Raj: Dekha bhaiyaa mere aankho ke saamne meri Sonal ke saath kyaa hogya aur main kuch naa kar saka.

Karan: Usse chorunga nhi Raj. Bahot jald woh pakda jaayega jisne bhi yeh kiya hai.

Raj jaldi se uthta hai aur video ko aage pichhe karke achhe se dekhne lagta hai jisse unko gaadi ka number miljaata hai.

Yash: Chalo gaadi ka number toh mil gaya.

Karan: Haa par mujhe pura yakeen hai gaadi chori ki hogi. Kyoki yeh saare kaam aksar aise hi kiye jaate hai. Phir bhi gaadi ko khojta hu shayad usse kuch mil jaaye.

Phir Karan ek inspector ko bulata hai aur bolta hai.

Karan: RTO se pata karo yeh gaadi kaha hai aur jaao iss gaadi ko iske maalik ke saath yaha utha ke laao jaldi se jaldi.

Inspector: Yes Sir. Yeh bol woh inspector apne kaam mein lag jaata hai.

Karan: Raj itna toh pakka hai yeh sab pehle se plan kiya hua tha aur iske liye jisne bhi yeh kiya hai usko achhe se pata tha tu kaha kaha jaane wala hai usko tere har location ki khabar thi.

Kyaa tune kisi ko apne plans ke baare mein bataya tha yaa kuch aisa dekha ho jo tujhe ajeeb laga ho.

Raj: Bhaiya plan ke baare mein Bhabhi ko bataya tha aur innsab ki taiyaariyon mein maine aisa kuch notice hi nhi kiya.

Karan: Kuch toh miss horaha hai Raj. Dimaag mein jorr de. Soch aisa kuch ajeeb jo pichle kuch dino mein tujhe ajeeb laga ho. Kyaa koi tujhe pareshan kar raha tha koi pichha kar raha tha aisa kuch hua tha.

Raj apne dimaag mein jorr dene lagta hai toh usse yaad aata hai ke kuch din pehle usne ek aadmi ko harjagah dekha tha jaha jaha woh gaya tha par usne woh ignore kiya tha.

Raj: Haaa jisdin main Sonal ke liye surprise plan kar raha tha uss din maine ek aadmi ko har uss jagah notice kiya tha jaha jaha main gaya tha. Par maine uss baat ko itna seriously nhi liya tha.

Yash: Shayaf usi aadmi ne yeh kiya hai. Tujhe kyaa uska chehra yaad hai. Saale ka sketch banake dhund nikalenge.

Raj: Nhii mujhe uska chehra thik se yaad nhi hai. Par agar aur ek baar dekhunga toh shayad pehchan jaunga.

Karan: Tu uss din kaha kaha gaya tha.

Raj: Main uss din ek hotel mein gaya tha Mandir mein gaya tha anaath aashram old age home innsab jagah pe gaya tha par hotel ke andar gaya tha.

Karan: Hotel chall waha se jarur kuch na kuch milega.

Phir teeno waha se hotel ki taraf nikal jaate hai aur thodi der mein hotel aajate hai.

Hotel ka Manager Raj ko dekhte hi uske paas aata hai aur bolne lagta hai.

Manager: Yeh sab kyaa hai Sir. Uss din aapne saare arrangements karwaaye special dinner ready karwaya par aap aaye hi nhi aur naahi phone receive kiyaa.

Karan: Woh sab baad mein dekhenge. Par pehle mujhe aapke hotel ka CCTV footage dekhna hai jis din yeh yaha pe aaya tha.

Manager: Kyaa baat hai Sir. Kuch hua hai kyaa.

Karan: Sab pata chal jaayega. Pehle mujhe footage dikhao.

Manager: Jii Sir. Aaiye.

Phir teeno Manager ke saath server room mein jaate hai.

Manager: Mujhe 3 din pehle ki sham ke waqt ki CCTV footage dikhao.

Operator: Yes Sir.

Phir operator saamne lage Monitor mein 3 din pehle ki sham ke waqt ki CCTV footage dikhata hai.

Karan: Thoda fast forward kar aur uss waqt se start kar jab yeh(Raj) yaha aaya tha aur iske nikalne ke baad stop karna.

Karan ne jaisa bola Operator ne waisa hi kiya.

Karan: Raj dhyaan se dekh kaun tha woh aadmi kyaa yaha pe tujhe dikh raha hai.

Raj dhyaan se monitor mein dekhne lagta hai. Par usse woh aadmi nhi dikhta.

Raj: Bhaiya woh aadmi toh mujhe nhi dikha.

Karan: Tune thikk se dekha naa.

Raj: Jii bhaiyaa.

Karan: Thikk hai. Aage play kar.

Operator waisa hi karta hai.

Raj phir se monitor pe dekhne lagta hai. Tabhi usko dikhta hai ke Raj ke nikalne ke baad ek aadmi andar aata hai aur ek waiter ko pakad ke usko kuch paise deta hai aur Raj ke plan ki information leta hai par unndono ke baat karne ki awaaz sunai nhi deti.

Raj: Bhaiyaaa yeh hai woh aadmi.

Karan: Stop kar. Aur uss aadmi ke upar zoom kar.

Operator waisa hi karta hai. Par uska chehra side se dikh raha tha.

Karan: Tujhe pura yakeen hai yehi hai woh aadmi.

Raj: Haa bhaiyaa.

Karan: Kuch bhi kar par mujhe iss aadmi ka chehra chahiye.

Operator 3-4 angle ka use karke uss aadmi ka chehra monitor pe le aata hai.

Karan: Isse print kar.

Operator uss aadmi ka chehra print kar deta hai.

Yash: Uss waiter ko jara yaha bulana jisne iss aadmi se paise liye the.

Manager: Jii Sir.

Kuch der mein woh waiter waha aajata hai.

Waiter: Aapne bulaya sir.

Yash: Tu idher aa. Aur iss photo dekh. Isse jaanta hai.

Waiter uss photo ko dekhta hai toh usko yaad aajata hai.

Waiter: Haa sir. 3 din pehle yeh sahab aaye the. Inhone mujhse pucha tha ke thodi der pehle yeh(Raj) sahab aaye the woh kyo aaye the. Maine batane se mana kardiya tha toh unhone mujhe bola woh police se hai agar nhi bataya toh jail mein daal denge. Isiliye maine unhe bata diya tha.

Yash: Aur tujhe usne paise kis baat ke diye the.

Waiter: Unhone bola unhe meri aadat achhi lagi ke main kisi ko bhi kisi ko baat nhi batata. Isiliye unhone mujhe inaam diya tha jo sirf 500 the.

Yash: Thikk hai tu jaa. Saala bahot hi chalak aadmi tha.

Karan: Dekhne se toh ek gunda lagta hai. Jaldi hi pakda jaayega.

Raj: Manager kal nhi aa sake uske liye sorry. Aapka jitna bhi bill hua hai boliye main payment kardeta hu.

Manager: Main samaj sakta hu. Jarur koi problem hua hoga.

Phir Raj waha se payment karke nikal jaata hai.

Hotel se bahar aate hi Karan uss photo ko harjagah forward kardeta hai aur uss aadmi ko jald se jald pakadne ko bolta hai. Aur apne kuch khabri ko uski photo bhej deta hai.

Raj: Bhaiyaa ab kyaa karenge.

Karan: Maine iss aadmi ko khojne ke liye apne logo ko laga diya hai jald hi yeh pakda jayegaa. Filhal toh tu Sonal ka dhyaan rakh.

Raj: Hmmm.

Phir sab ghar aajate hai.

Ghar aate hi waha baithe sablog inlogo ko pakad lete hai aur sawaal puchne lagte hai.

Karan aur Yash ne badi mushkil se sabko shant karwate hai.

Karan: Yeh accident pehle se hi kisi ne plan kiya tha.

Meera: Par koi meri Sonal ko kyo maarna chahega. Uski toh kisi se koi dushmani bhi nhi thi.

Payal: Haa Jiju. Bhabhi ka toh college mein bhi koi problem nhi tha. Phir koi kyo unhe maarna chahta tha.

Karan: Yehi chiz toh pata lagana hai. Humhe ek aadmi ki talash hai jo kuch din pehle Raj ka pichha kar raha tha shayad usine yeh kaam kiya hai. Maine uski photo har jagah faila di hai bahot jald woh pakda jayegaa.

Phir sablog shant baith jaate hai.

Raat ko khaane ke waqt Nandini Raj se puchti hai.

Nandini: Raj kuch socha hai Sonal ko kaise yaha rokhna hai. Kyoki jaise hi woh chalna start karegi woh wapas Jaipur jaana chahegi.

Raj: Kuch samaj nhi aaraha bhabhi. Dimaag pura sunn hogya hai.

Smita: Kal puri raat soya nhi hai tu thik se. Aur phir aaj ka pura din bhi aaram nhi kiya. Abhi jaake chup chap so jaa. Dimaag ko aaram milega toh aage kya karna hai yeh samaj bhi aayega.

Meera: Smita thikk keh rahi hai Raj. Tum jao jaake aaram se so jaao. Sonal ki chinta mat karo.

Raj: Sonal ne khaana khaaya.

Nandini: Maine usse khila diya hai dawaaiyan bhi de di hai aur woh so bhi gayi hai. Ab tum thik se khaoo aur jaake so jaao.

Raj: Hmmm.

Phir sablog chup chaap khaane lagte hai.

Dinner ke baad Raj dheere se Sonal ke kamre mein jaata hai toh dekhta hai Sonal gehri neend mein so rahi hai.

Raj Sonal ke paas baith jaata hai aur dheere dheere uske sir ko sehlaane lagta hai.

Raj: Tumhari yeh halat karne wale ko main chorunga nhi Sonal. Bahot jald woh pakda jayega. Meri kismat bhi kitni ghatiya hai. Main jisse bhi pyaar karta hu woh mujhe chor ke chala jaata hai. Pehle Megha se pyaar kiya toh woh mujhe humesha ke liye chor ke chali gayi phir tumse pyaar hua toh tumhi mujhe bhul gayi. Par main haar nhi maanunga. Tum bhul gayi toh kyaa hua. Mujhe toh sab yaad hai naa. Main tumhe kabhi akela nhi chorunga. Harwaqt tumhare saath rahunga. Aur dekhna ekdin tum phirse mujhse pyaar karne lagogi. Yeh bol woh Sonal ko sir ko chum leta hai. Phir waha se bahar aajata hai.

Raj: Mere khayal se abhi kuch din kisi ko Sonal ke saath raat ko rukhna chahiye. Agar usse jarurat padhi toh.

Swati: Tum chinta mat karo Raj. Jab tak Sonal ke pairr thik nhi hojaate uske saath main rahungi. Tum jaao jaa uski ke aaram se so jaao.

Phir Raj apne kamre mein aake fresh hoke sone lagta hai. Par aaj usse ussi ke kamre mein akelapan sa mehsus horaha tha dumm ghutt raha tha.

Raj: Kaha har raat Sonal ke saath baate karte hue uske pure din ke baare mein jaante hue sota tha aur jab tak woh apne pure din ke baare mein bata nhi deti naa khud soti naa mujhe sone deti par ab shayad woh kabhi nhi hogaa. Yehi sab sochte hue Raj sone ki koshish karta hai par tabhi uske dimaag mein ek khayal aata hai aur woh jhatt se apna mobile nikal ke kisi ko kuch msg karta hai aur phir so jaata hai.

Agle din subah sablog Sonal se milke uska haalchaal puchte hai par Raj uske kamre ke andar nhi aaya tha woh bahar se hi chupp ke Sonal ko dekh raha tha. Kyoki woh nhi chahta tha ke kisi bhi reason se uski image Sonal ki nazar mein kharab ho.

Par idher Raj ke naa aane se Sonal ko thoda bura lagta haj aur usko andar hi andar thoda guilty feel bhi hota hai par woh kuch nhi bolti.

Phir sablog apne apne kaam mein lag jaate hai. Raj Ishant aur Yash apne apne office chale jaate hai. Karan police station nikal padhta hai Payal aur Ishita bhi apne college chali jaati hai aur baaki sab bhi apne apne kaam mein lag jaate hai.

Shruti: Mummy ab humhe bhi apne ghar jaana chahiye. Swati yehi rahegi jab tak woh chahe.

Smita: Thikk hai.

Phir thodi der baad Shruti bhi Shristi ko leke apne ghar chali jaati hai. Ishita Ishant aur Yash bhi apne ghar pahonch jaate.

Dopahar ko sablog Sonal ke kamre mein baithe hue the aur usse baate kar rahe the.

Meera: Sonal beta tumne aage kya socha hai.

Sonal: Pata nhi mummy. Kuch samaj nhi aaraha hai.

Smita: Kyaa tum aage padhna chahti ho yaa phir koi job karna chahti ho.

Sonal: Exams dene ke baad toh maine yehi socha tha ke aage padhai bhi karungi. Par shayad ab woh possible nhi hai.

Smita: Woh kyo bhala.

Sonal: Woh itne mahino ka gap hogya hai. Aise mein phir se study start karna....

Smita: Agar tum chahti ho toh aage ki padhai aaram se karo.

Meera: Haa beta. Tum jaisa chahti ho waisa hi hoga. Aur waise bhi tumne apne college se top kiya tha uske liye tumhe yaha ke ek achhe college mein padhne ka mauka mila tha jiske liye tumhare papa bhi maan gaye the. Agar tum chaho toh yaha rehke padh sakti ho.

Smita: Haaa Sonal. Agar tum yaha rehke padhai karti ho toh humhe bahot khushi hogi.

Sonal: Mujhe thoda time chahiye. Main abhi thikk se decide nhi kar paarahi hu.

Meera: Koi baat nhi. Tumhe abhi koi jarurat nhi hai faisla karne ki. Pehle tum thikk hojao. Phir dekhenge kyaa karna hai.


Rajesh aur Ranjeet abhi puri tarah se shant hogye the. Kyoki unhe pata tha khatra unke upar bhi hai. Par woh shant baithne ke saath saath Raj se badla lene ke dusre tarike bhi soch rahe the.
बहुत ही बेहतरीन महोदय।

तो करन राज और यश को ये तो पता चल गया है कि ये दुर्घटना सामान्य दुर्घटना नहीं है बल्कि किसी को सोची समझी साजिश का परिणाम है। किसी ने बहुत सोच समझकर इस घटना को अंजाम दिया है। करन ने उस व्यक्ति को ढूंढने के लिए अपने विश्वासपात्रों को लगा दिया है। उधर सोनल ने राज को थोड़ी देर के लिए ही सही पर मिस जरूर किया। सोनल को मुम्बई में रोकने के लिए सभी घरवाले लगे हुए है लेकिन देखना ये है कि सोनल क्या निर्णय लेती है।।
 

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
बहुत ही बेहतरीन महोदय।

तो करन राज और यश को ये तो पता चल गया है कि ये दुर्घटना सामान्य दुर्घटना नहीं है बल्कि किसी को सोची समझी साजिश का परिणाम है। किसी ने बहुत सोच समझकर इस घटना को अंजाम दिया है। करन ने उस व्यक्ति को ढूंढने के लिए अपने विश्वासपात्रों को लगा दिया है। उधर सोनल ने राज को थोड़ी देर के लिए ही सही पर मिस जरूर किया। सोनल को मुम्बई में रोकने के लिए सभी घरवाले लगे हुए है लेकिन देखना ये है कि सोनल क्या निर्णय लेती है।।
Thank you
 
  • Like
Reactions: mashish

Lucky..

“ɪ ᴋɴᴏᴡ ᴡʜᴏ ɪ ᴀᴍ, ᴀɴᴅ ɪ ᴀᴍ ᴅᴀᴍɴ ᴘʀᴏᴜᴅ ᴏꜰ ɪᴛ.”
6,637
25,211
204
Update 47
Agle din Sonal ki jab neend khulti hai toh woh dekhti hai uska sir Raj ke seene mein hai aur woh usse chipak ke so rahi hai aur Raj bhi neend mein hi usko apne se chipka ke so raha hai.

Sonal ko jab apni situtation ka aihsaas hota hai toh woh jaldi se Raj se alag hojaati hai.

Sonal: Yeh main aaj kaise so rahi thi. Achha hua Raj so rahe hai warna pata nhi kyaa sochte.

Phir woh jaldi se uthke washroom mein jaake naha leti hai aur Raj ki gift ki hui dress pehen leti hai jo uspe bahot achha lag raha tha. Uske baad woh Raj ke paas jaake usko uthati hai.

Raj: Good Morning and Happy Birthday.

Sonal: Good Morning and Thank You.

Raj: Yeh dress tumpe bahot achhi lag rahi hai.

Sonal: Thank You. Chaliye ab fatafat naha lijiye. Main breakfast taiyaar karti hai.

Raj: Uski koi jarurat nhi hai. Aur aaj tum koi kaam nhi karogi.

Sonal: Aree agar breakfast nhi taiyaar karungi toh khaayenge kyaa.

Raj: Aaj sabkuch tumhare liye special hogaa. Tum nichhe jaao main abhi aata hu. Yeh bol Raj fatafat washroom mein chala jaata hai.

Sonal bhi Raj ke kapde bed mein rakhke nichhe aajati hai. Jaha sablog baithe hue the.

Savitri: Sonal beta yaha aao.

Sonal: Jii Dadi.

Savitri: Janamdin ki bahot bahot shubkaamnaaye. Bhagwan kare teri umar lambi ho aur tujhe duniya ki saari khushi mile.

Sonal: Savitri ke pair chute hue. Thank You Dadi.

Phir sab Sonal ko Birthday wish karte hai aur Sonal sabhi badho ke pair chuke aashirwaad leti hai aur Thank You bolti hai.

Nandini: Raj kaha hai. Abhi tak so raha hai.

Sonal: Nhi bhabhi woh toh uth chuke hai. Bas aate hi honge.

Raj: Aate hi honge nhi aagaya.

Ragini: Chalo sab ab nashta karlo.

Raj: Nhii badi mummy. Main aur Sonal toh aaj bahar jaa rahe hai.

Ragini: Kaha jaa rahe ho. Kam se kam naashta toh karlo.

Raj: Sonal ke liye Surprise hai badi mummy.

Ragini: Ooooo Birthday Special.

Raj: Jiii.

Ragini: Achhi baat hai. Jaao aur sambhal ke jaana.

Raj: Jiii. Sonal chale.

Sonal: Jii.

Nandini: Rukoo. Khaali pet toh bahar jaane dungi nhi. Juice peeke jao.

Yeh bol Nandini bhaag ke jaati hai aur 2 glass juice laati hai. Phir dono juice peeke nikal jaate hai.

Smita: Didi mujhe kuch dino se Raj ka behaviour ajeeb lag raha hai.

Ragini: Matlab.

Smita: Aapne dekha nhi Raj aajkal Sonal ka kuch jyaada hi dhyaan rakh raha hai. Uske saath masti mazaak kar raha hai. Aankho hi aankho mein baate kar raha hai ishare kar raha hai.

Ragini: Yeh toh achhi baat hai na Smita. Hosakta hai Sonal ne Raj ke dil mein apne liye woh khash jagah bana li hai.

Smita: Bhagwaan kare aisa hi ho.

Nandini: Aaplog chinta naa karee. Ab yehlog zindagi mein kabhi bhi alag nhi honge. Sonal ne Raj ke dil mein woh khash jagah bana li hai. Aur aaj Raj Sonal ko propose karne wala hai.

Dono: Sachhhh.

Nandini: Haaa.

Smita: Yeh toh bahot achhi baat hai. Chalo isse Deepak aur Meera ke saamne meri baat reh gayi. Maine Sonal ko apni zimmedaari mein unse maanga tha.

Idher Raj aur Sonal gaadi mein baithke jaa rahe the.

Sonal: Hum kaha jaa rahe hai Raj.

Raj: Sabse pehle toh hum abhi Mandir jaayenge. Phir hum breakfast karenge. Baaki baad mein bataunga.

Yehlog gaadi mein apni hi dhunn mein jaarahe the udher Ranjeet apni gaadi mein inka pichha kar raha tha.

Thodi der baad dono Mandir aajate hai.

Raj: Pandit ji. Aap meri biwi ka janamdin hai. Toh aap aaj iske naam ki puja kardijiye.

Pandit: Bahot hi kam log aise aate hai jo apni biwi ke janamdin ke liye puja karwate hai. Tumhara pati tumse bahot pyaar karta hai beta. Dono humesha saath raho yehi mera aashirwaad hai.

Phir Pandit puja karne lagta hai udher Sonal Pandir ki baato ko sunn ke thoda udaas hojaati hai. Kyoki usko toh yehi lagta hai ke Raj usse pyaar hi nhi karta.

Raj: Kyaa hua Sonal.

Sonal: Kuch nhi Raj.

Raj: Thik hai. Halaki Raj Samaj gaya tha ke Sonal Pandit ki kahi hui baato ko soch rahi hai.

Thodi der mein inki puja hojaati hai toh yeh log bahar aate hai.

Raj: Chalo ab chalke breakfast karte hai.

Sonal: Kaha jaayenge.

Raj: Chalo chal ke dekhlena.

Phir Raj Sonal ko leke uske favourite restaurant mein jaata hai jaha unke liye pehle se hi ek table booked thaa.

Raj: Yeh tumhara favourite restaurant hai naa.

Sonal: Aapko yeh bhi pata hai.

Raj: Filhal toh mujhe tumhare baare mein sab pata hai. Tum bas enjoy karo.

Sonal: Yeh restaurant aapka bhi favourite hai naa. Aapke office mein yehi se aapke liye khaana jaata hai naa.

Raj: Haaa.

Tabhi waha waiter aata hai.

Raj: Order laana start kardijiye.

Waiter: Yes Sir.

Sonal: Par humne toh kuch order kiya hi nhi hai.

Waiter: Ma’am Sir ne 2 din pehle aake hi sab kar diya tha. Yeh bol Waiter waha se chala jaata hai.

Sonal bas Raj ko hi dekhe jaa rahi thi.

Raj: Kyaa dekh rahi ho.

Sonal: Dekh rahi hu kyaa aap wahi Raj hai jisse maine shaadi ki thi.

Raj: Koi shak hai.

Sonal: Aapka behaviour itna kaise badal gaya Raj.

Raj: Sab kisi ke mehnat ka asar hai. Kisi ne mujhe badalne mein majbur kiya.

Sonal aage kuch nhi bolti. Thodi der mein unka breakfast aajata hai. Jisme sabkuch Sonal ki pasand ka thaa.

Sonal: Aapko meri pasand naa pasand Swati di ne batayi hai naa.

Raj: Hairan hoke. Tumhe kaise pata chala.

Sonal: Kyoki mujhe kya pasand hai aur kya naa pasand hai woh Swati di se achha koi nhi jaanta.

Raj: Maine kabhi koshish hi nhi ki tumhare baare mein jaane ki. Isiliye maine Swati se puchha tha. Par ab promise karta hu tumhare baare mein sab pata rahega mujhe. Kabhi nirash nhi karunga.

Sonal: Mujhe aap pe pura yakeen hai.

Raj: Tumhe pasand toh aaya naa.

Sonal: Bahottt.

Raj: Toh start karo.

Sonal: Pehle aap.

Phir Raj khaane ka niwala todke pehle Sonal ko apne haatho se khilata hai. Phir Sonal bhi Raj ko apne haatho se khilati hai.

Sonal ko Raj ka yeh behaviour bahot achha lag raha tha. Usko Swati ki kahi hui baate yaad aarahi thi ke kahi Raj ko usse pyaar toh nhi hogya.

Raj: Kyaa soch rahi ho. Khaana achha nhi laga.

Sonal: Aah nhi khaana bahot achha hai. Sach kahu toh Raj mujhe aapka yeh behaviour bahot ajeeb lag raha hai.

Raj: Aur aisa kyo.

Sonal: Aapka achanak mere liye itna karna mujhe ajeeb lag raha hai. Par khushi bhi bahot horahi hai.

Raj: Main samajta hu Sonal. Shaadi ke itne mahine baad bhi maine kabhi tumhare saath achhe se time spend nhi kiya kabhi tumhe importance nhi di. Uske liye I Am Really Sorry Sonal. Par ab main promise karta hu meri ki hui har galti ko main sudharunga.

Sonal: Aap aise Sorry mat boliye Raj. Mujhe pata hai uss waqt aapki situation kyaa thi. Par mujhe khushi hai ke aap ab pehle ki tarah hogaye hai.

Raj: Ab baato mein time kharab mat karo aur khaana khaao. Sab thanda horaha hai.

Phir dono chup chaap khaane lagte hai. Thodi der mein dono ka khaana hojaata hai. Phir dono bahar aate hai.

Sonal: Ab hum kyaa karenge.

Raj: Chalo chalte hai. Khud dekh lena.

Phir Raj Sonal ko leke ek anath aashram mein aata hai.

Raj: Tum apne har birthday pe inn bachho ke saath time spend karti ho toh iss saal kaise miss hone deta.

Sonal: Thank You so much Raj. Aap sach mein bahot achhe hai.

Phir dono andar jaate hai. Sonal waha aake bahot khush thi jo uske chehre se saaf pata chal raha tha. Sonal waha ke bachho ke saath bachhi banke khelne lagti hai. Raj bas usko haste hue khelte hue dekhta rehta hai.

Waha pe kuch time bitane ke baad dono uss aashram ke office mein aate hai.

Raj: Ma’am yeh humdono ki taraf se iss aashram ko ek chota sa donation. Shayad isse inn bachho ki help hojaaye. Yeh bol woh apne pocket se ek cheque nikal ke de deta hai.

Warden: Aaplog aaye humhe bahot achha laga. Aur iss donation ke liye thank you so much.

Phir dono waha se nikal jaate hai.

Sonal: Aap bahot achhe hai Raj. Aaj mere dil mein aapke liye izzat aur jyaada badh gayi hai.

Raj bas smile kardeta hai.

Phir dono gaadi mein aake baith jaate hai.

Sonal: Rajj ek minute main apna mobile wahi office mein bhul gayi.

Raj: Ruko main laata hu.

Sonal: Aap rukiye main le aati hu. Yeh bol Sonal waha se wapas aashram ke andar aajati hai.

Raj gaadi ke bahar khada hoke Sonal ka intezaar karne lagta hai.

Sonal jaldi se apna mobile leke bahar aati hai. Raj ne car raaste ke dusri taraf park ki thi aur aashram dusre taraf tha.

Sonal raasta cross karne lagti hai. Raj dusri taraf khada hoke Sonal ko dekh raha tha. Par tabhi uski nazar ek gaadi pe padhti hai jo full speed mein Sonal ki taraf aarahi thi. Par Raj Sonal ko kuch bolta yaa karta uske pehle hi woh gaadi Sonal ko takkar maar ke nikal jaati hai.

Takkar lagne se Sonal thodi durr jaake girti hai aur uska sir footpath se bahot jorr se takraata hai.

Raj: Chilate hue aur Sonal ke paas aate hue. Sonalllllllllll.

Sonal raaste mein khoon se lathpatb padhi hui thi usko thoda sa hosh thaa.

Raj: Sonallll Sonallll uthoo Sonallll. Tumhee kuchh nhii hogaaa.

Sonal: Adhmari halat mein. I Am Sorryy Rajjj. Mujhee maaf kardijiye.

Raj: Nhiii nhii Sonalll. Tumhe kuch nhi hogaa. Main abhi hospital leke chalta hu. Yeh bol Raj Sonal ko apni godd mein uthake apni gaadi ke paas laake usko back seat pe sula deta hai aur jaldi se gaadi ko hospital ki taraf bhaga deta hai.

Pichhe Sonal behosh hochuki thi. Pura chehra khoon se sann chuka tha. Raj ka shirt bhi khoon se laal hochuka tha.

Raj gaadi chalate hue baar baar pichhe ghum ke Sonal ko dekh raha tha. Par woh behosh hochuki thi. Woh gaadi chalate hue hi Yash ki call karta hai.

Yash: Kyaa baat hai bhai iss samay mujhe kyo call kar raha hai.

Raj: Yash Yash Sonal ka accident hogya hai main usko leke hospital jaa raha hu. Tu jaldi se hospital aa.

Yash: Whatttttttttt. Kaisee huaaa. Sonal kaisi hai abbb. Woh thikk toh hai naa. Aur kaun se hospital.

Raj: Humare college ke paas wala. Jaldi pahonchhh. Yeh bol Raj phone kaat deta hai.

Yash: Swatiiii Swatiiiii. Kaha ho jaldiii aao.

Swati: Kyaa huaaa kyo chilla rahe ho aap.

Yash: Raj ka call aaya tha Sonal ka accident hogya hai. Jaldi chalo.

Swati: Rote hue. Kyaaaaa. Kaiseee. Kaisi hai meri behenn. Woh thikk toh haii naaa.

Yash: Ro mat. Abhi kuch nhi pata. Filhal jaldi chalo.

Swati: Chaliyee jaldiii.

Phir dono waha se nikalne lagte hai toh Ishant puchta hai.

Ishant: Kyaa huaa kaha jaa rahe ho aur Swati ro kyo rahi hai.

Yash: Bhaiyaa woh Sonal ka accident hogya hai.

Ishant: Kyaaa Kaiseeee.

Yash: Pata nhiii filhal humhe hospital jaana chahiye. Humare college ke paas wala. Yeh bol Yash aur Swati waha se chale jaate hai.

Idher Ishant jaldi se Karan ko call karke sab bata deta hai phir wohlog bhi waha se nikal jaate hai.

Idher Raj Sonal ko leke hospital aachuka tha.

Raj: Sonal ko godd mein uthaye hue. Doctorrr doctorrrrr.

Nurse: Aree kyaa huaa inheee.

Raj: Nurse jaldi se doctor ko bulaye. Meri biwi ka accident hogya hai. Pleaseee jaldi se bulaye.

Nurse bhagg ke jaati hai aur doctor ko bula ke laati hai.

Doctor: Yeh toh police case hai.

Raj: Doctor. Pleaseee pehle aap meri biwi ko dekhe main police bula lunga. Mera bhai inspector hai. Par pehle aap isse dekhiye.

Doctor: Nurse jaldi se OT taiyaar karo. Aur blood bank se blood ka intezaam karo. Ward Boy inhe lekar chalo jaldiii.

Phir Sonal ko OT ke andar le jaaya jaata hai.

Nurse: Aap please yahi rukiye.

Raj wahi khada reh jaata hai aur Sonal ke liye prarthana karne lagta hai.

Tabhi waha Yash aur Swati aajate hai.

Swati: Rajjjjjj. Sonalll kaisi hai. Woh thikk toh haii naa. Kaisi hai meri behennn.

Yash: Rajjj. Kaisi hai Sonal.

Raj: OT mein hai. Yeh bol Raj shant hojaata hai.

Yash: Rajjjjjj.

Raj kuch bhi nhi bolta bas waha khada rehta hai. Yash uske bagal mein baith jaata hai.

Thodi der mein waha baaki ke ghar waale bhi aajate hai. Shruti bachho ke saath ghar mein hi thi Ishita aur Payal ke saath.

Smita: Rajjj. Kaisi hai ab Sonalll. Woh thikk toh haii naa.

Raj Smita ki awaaz sunke uski taraf dekhta hai uski aankho mein aansu aajate hai aur woh Smita ke gale lagke rone lagta hai.

Raj: Rote hue. Meri Sonal ko kuch hoga toh nhi naa Mummy. Agar usse kuch hogya toh main jee nhi paunga. Bahot pyaar karta hu usse. Pehle hi main Megha ko khoo chuka hu. Ab Sonal ko khone ki himmat nhi hai.

Smita: Chupp hojaao Rajjj. Kuch nhi hogaa tumhari Sonal ko. Andar Doctor hai naa. Dekhna woh tumhari Sonal ko jaldi thikk kardenge.

Par Raj toh jaise pagal sa hogaya tha. Abhi usko bas uski Sonal chahiye thi.

Smita jaise taise Raj ko shant karwati hai. Aur waha baithati hai.


Swati bhi waha roye jaa rahi thi. Nandini ki aankho mein bhi aansu thee.
Dard nak update
 

Lucky..

“ɪ ᴋɴᴏᴡ ᴡʜᴏ ɪ ᴀᴍ, ᴀɴᴅ ɪ ᴀᴍ ᴅᴀᴍɴ ᴘʀᴏᴜᴅ ᴏꜰ ɪᴛ.”
6,637
25,211
204
Update 48
Udher Ranjeet jisne Sonal ko takkar maari thi woh uss gaadi ko jungle ke andar rakh kar waha se bhaag jaata hai aur apne chupne ki jagah aajata hai.

Rajesh: Kyaa huaa kaam hua.

Ranjeet: Sonal ka bachna naamumkin hai. Usko aisi takkar maari hai woh ab bach nhi paayegi.

Rajesh: Aur woh gaadi.

Ranjeet: Usko bhi thikane laga diya hai.

Rajesh: Bahot khubb. Isse achha badla nhi hosakta tha. Yeh bol dono hasne lagte hai.

Udher Hospital mein sablog tension mein the.

Ragini: Yash.

Yash: Jii Aunty.

Ragini: Jaipur call kiya.

Jaipur ka naam sunke Swati ka rona aur badh jaata hai.

Swati: Rote hue. Mummy aur Papa ko kaise bataungi Sonal ke baare mein.

Ragini: Batana toh hoga hi beta.

Swati: Mujh mein himmat nhi hai batane ki. Yash aap call kardijiyee.

Yash bhi himmat karke Jaipur call karta hai.

Deepak: Aree Yash beta kaise ho. Swati kaisi hai.

Yash: Papa ji woh actually woh...

Deepak: Kyaa baat hai beta tumhari awaaz se lag raha hai koi pareshani hai. Tumlog thik toh honaa.

Yash: Jii woh actually Sonal ka accident hogya hai. Humlog abhi hospital mein hai. Aaplog yaha aajaiye.

Deepak: Kyaaaaaaa. Kaisee hua. Meri beti thikk toh hai naa.

Yash: Abhi uska operation chal raha hai. Aaplog jaldi se yaha aajaiye.

Deepak: Hum hum abhi aate hai.

Yeh bol phone kaat deta hai.

Deepak: Meera Meera jaldi aao.

Meera: Kyaa hua.

Deepak: Woh Sonal ka accident hogya hai. Humhe abhi Mumbai jaana hogaa.

Meera toh sunte hi sadme mein chali jaati hai. Woh wahi jaise pathar bangayi thi.

Deepak: Meera ke paas aake usko hilate hue. Meeraaa.

Meera: Rote hue. Kaisii hai meri bachhiii. Kaise hua yeh sabbb.

Deepak: Kuch nhi pata. Yash ka call aaya tha jaldi chalo. Yeh bol jab Deepak saamne darwaaze mein nazar daalta hai toh waha Samar khada tha aur woh bhi ro raha thaa.

Samar: Meri Shinchan.

Deepak: Kuch nhi hoga beta tumhari Shinchan ko. Woh bahot jald theek hojayegii.

Phir Deepak kisi ko call karke Mumbai jaane ke liye tickets book karwata hai aur thodi der mein teeno mumbai ke liye nikal jaate hai. Pure raaste Meera bas roye jaa rahi thi.

Idher Mumbai mein Raj ki haalat bhi kharab thi. Usko bhi gehra sadma laga tha. Kaha woh aaj Sonal ko propose karne wala tha aur kaha yeh sab hogyaa woh bhi uski aankho ke saamne.

OT mein Sonal ka operation chal raha tha. Doctor apni taraf se puri koshish kar rahe the. Khoon hadd se jyaada beh jaane se khoon bhi chadaya hua tha.

Kuch 2 ghante ke operation ke baad Doctor bahar aate hai.

Raj: Doctor kaisi hai meri Sonal. Woh woh thik toh hai naaa.

Sab: Haa Doctor boliye naa kaisi hai woh. Thikk toh hai naa wohh.

Doctor: Dekhiye aap sab shant hojaaiye. Humne operation toh kardiya hai. Par patient ki halat achhi nhi hai. Accident ke waqt shayad unka sir jorr se kisi chiz se takraya tha jiske wajah se unhe brain mein internal injury bhi hui hai.

Ashok: Toh aap bade se bade neuro surgeon ko bulaiye. Unse treatment karaiye.

Doctor: Maine already unko call kardiya hai. Woh bas aate hi honge. Par unki fees....

Vijay: Paiso ki koi chinta mat kijiye doctor. Bas aap humari bachhi ko bachha lijiyee.

Doctor: Thikk hai. Doctor ke aate hi hum wapas se operation ki taiyaari karengee. Yeh bol woh doctor waha se chala jaata hai.

Idher Raj aur Swati ne jab Sonal ki condition ke baare mein suna toh unki halat aur bigad jaati hai. Raj ko Karan ne aur Swati ko Yash ne sambhala hua tha.

Karan: Raj accident kaise hua.

Nandini: Karan abhi yeh aap kyaa puch rahe hai.

Karan: Nhi Nandini mujhe puchne do. Raj bata accident kaise hua.

Raj: Humlog anaath aashram se wapas aarahe the. Tab Sonal ne bataya uska mobile waha office mein reh gaya hai toh woh apna mobile laane gayi thi. Aur main gaadi ke bahar uska wait kar raha tha. Main opposite side mein tha aur aashram opposite side mein.

Sonal mobile leke jab road cross kar rahi thi tab maine dekha ek car tezi se uski taraf aarahi thi. Main kuch bolta ya karta uske pehli hi Sonal ka..... Yeh bolte woh ro deta hai.

Karan: Gaadi ka number dekha tha.

Raj: Mera dhyaan nhi gaya tha uss taraf.

Karan: Tu chinta mat kar main uss car wale ko chorunga nhi bahot jald woh Jail mein hogaa.

Thodi der baad waha Deepak Meera aur Samar aajate hai.

Meera: Kaisi hai meri bachhi. Kaha hai woh mujhe abhi dekhna hai usse. Woh thikk toh hai naaa.

Smita: Meeraaa.

Meera: Smitaa kaha hai meri Sonal. Woh thikk toh hai naa. Kaha hai woh. Mujhe milna hau meri bachhi se. Usse jarurat hogi meriii.

Smita: Shant hojao Meera.

Meera: Chillate hue. Aree kaise shant hojauu. Meri bachhi ki jimmedari uthayi thi tumne. Tumne wada kiya tha meri bachhi ko sambhal ke rakhogi. Yeh sambhala hai tumne. Usse yaha hospital mein bhej ke.

Deepak: Meera kyaa bol rahi ho. Isme Bhabhi ki kyaa galti. Iski taraf se main maafi maangta hu bhabhi.

Smita: Main Meera ki halat samaj sakti hu. Aur Meera ne kuch galat bhi nhi kaha. Maine wada kiya tha Sonal ko sambhal ke rakhungi par main woh wada nhi nibha paayi.

Deepak: Abhi kaisi hai woh.

Phir Smita unnlogo ko Sonal ki condition aur accident kaise hua woh batati hai.

Meera yeh sunne ke baad apna aapa kho deti hai aur sidha Raj ke paas jaake usko thappad maar deti hai.

Meera ke iss harqat ne waha khade sabhi ko shock mein daal diya tha. Par Raj ne koi react nhi kiyaa.

Deepak: Meeraaaa. Yeh kyaa kiyaa tumne. Woh Jamai hai humara. Humari Sonal ka pati hai woh. Aur tumne usi pe...

Meera: Mujhe pata hai yeh kaun hai. Aur aaj isi ki wajah se meri bachhi iss haal mein hai. Agar tum usse sambhal nhi sakte the toh usko leke bahar kyo gayee. Main boldeti hu agar meri bachhi ko kuch bhi hua toh main tumhe chorungi nhi.

Raj bas chup chaap waha khada sunta raha. Ab toh usko bhi yehi lag raha tha ke Sonal ki woh halat uski wajah se hi hui hai.

Deepak Meera ko waha se hata leta hai aur sabse specially Raj se maafi maangta hai.

Raj: Aap maafi mat maangiye. Aur kahi na kahi inhone sahi kaha hai. Agar main Sonal ko leke bahar nhi jaata toh aaj Sonal ki yeh halat naa hoti.

Deepak: Beta tum Meera ki baato ko apne dil pe mat lo. Abhi uski mental condition thikk nhi hai isiliye usne woh sab boldiya.

Thodi der baad Sonal ko wapas OT mein le jaaya jaata hai jaha uska wapas Operation start hota hai. Aur bahar sabkoi Bhagwan se prarthana karne lagte hai.

Karan ne kisi ko call karke uss area ki CCTV footage check karne ko bola aur uss car ka pata lagane ko boldiya tha.

Kuch 3 ghante ke operation ke baad doctor bahar aata hai toh sab unke upar jhapat padhte hai.

Karan: Doctor ab kaisi halat hai Sonal ki. Woh thikk toh hai naa.

Doctor: Operation toh kardiya hai hosh aane ke baad hi main kuch keh sakta hu.

Raj: Hosh kab tak aayega.

Doctor: Takreeban 2 ghante baad.

Raj: Kyaa hum mil sakte hai.

Doctor: Nhiii. Abhi bilkul nhi. Mujhe ek chiz ka doubt hai abhi woh unke hosh mein aane ke baad hi pata chalega. Nurse jaise hi inko hosh aaye sabse pehle mujhe bulana. Aur aaplog please abhi unke saamne mat jaaiyega.

Meera: Meri beti thikk toh hai naa. Kam se kam mujhe toh uske paas rehne dijiye. Main maa hu uski. Pleasee doctor.

Doctor: Thikk hai. Sirf aap hi rahengi. Aur koi nhi. Nurse hosh aate hi mujhe inform karna.

Nurse: Jii doctor.

Phir doctor waha se chala jaata hai.

Nurse: Aap thoda wait kijiye. Thodi der mein unko room mein shift karenge phir aap mil lena.


Phir Nurse bhi wapas andar chali jaati hai.
Dard se bhara hua update bhai ankho me anshu aa jaye aisa update likha hai :applause:
 

Werewolf

ʏᴏᴜ ᴍᴀʏ ᴄᴏᴍᴇ ᴛᴏ ʀᴇɢʀᴇᴛ ᴛʀʏɪɴɢ ᴛᴏ ᴍᴀɴɪᴘᴜʟᴀᴛᴇ ᴍᴇ
Supreme
11,416
89,060
259
Update 8
Aarav: Achha hua main nhi gaya. Warna yeh toh mere haath aur pairon ko todd deti.

Samar: Sahi kaha bhai aapne. Dekho pura mall utha laayi aur mere haath pair ka band baja diya.

Shruti: Chinta mat kar beta. Shaadi ki shopping baaki hai. Tab chaloge tum.

Aarav: Dekhte hai.

Phir yehlog sabko apni shopping dikhane lagte hai.

Smita: Rajj ki sherwani toh bahott achhi hui hai. Kisne select ki.

Aarav: Sahi kaha Mummy. Bhaiya ki sherwani sach mein sabse best hai.

Nandini: Choti mummy yeh Sonal ne select ki hai. Sirf Raj ki nhi Karan aur iski bhi isne hi select ki hai.

Aarav: Mere liye. Kaha hai dikhaiye. Maine toh pehle hi le li thi par koi nhi.

Nandini: Yeh rahi.

Aarav: Kyaa baat hai Sonal di. Bahott achhi choice hai aapki. Mujhe bahot pasand aaya. Thank you.

Smita: Sach mein beta. Bahot achhi choice hai tumhari. Humhe bhi bahot pasand aayi yeh sherwani.

Sonal: Khush hoke. Thank You.

Ragini: Nandini innteeno ne kuch nhi liyaa.

Nandini: Liya hai Mummy. Yeh log toh bahot mana kar rahi thi. Par humne jabardasti dilaya.

Smita: Bahot achha kiya.

Meera: Aree humari shopping toh Jaipur mein hi hogyi thi. Bekaar mein dilaya.

Ragini: Koi bekaar mein nhi hai. Aree yeh humare bachhe hai.

Savitri: Chalo ab tumlog jao aaram karo.

Phir yehlog apne apne kamre mein aajate hai.

Sonal room mein aate hi dance karne lagti hai khushi mein.

Sonal: Jab se bhabhi ne bola hai Rajjj single hai tabse mujhe naachne ka mann kar raha tha. Aaj main bahot khush hu. Bahotttt.

Ab toh main Rajjj se aur bhi jyaada pyaar karne lagi hui. Bahot jald unko bhi mujhse pyaar hojayega. Main apni taraf se puri koshish karungi. Inn 2 saalo mein mujhe har koshish karni hogi.


Idher Jaipur mein Vicky roj Sonal ke ghar ka chakkar lagata par waha ghar band milta.

Vicky: Yehlog kaha chale gaye. Sonal ko call karta hu toh busy hi aata hai.(Kyoki Sonal ne Vicky ka number block kardiya thaa). Tabhi waha se unka padosi jaaraha hota hai.

Vicky: Hello Uncle. Main Samar ka dost hu. Uske saath college mein padhta hu. Kyaa aap bata sakte hai wohlog kaha gaye hai.

Aadmi: Aree wohlog toh mumbai gaye hai kisi relative ke yaha.

Vicky: Ooo. Kab tak aayenge.

Aadmi: Yeh toh nhi pata. Phir woh aadmi waha se chala jaata hai.

Vicky: Ooo. Toh yehlog ghumne gaye hai. Dekhte hai kab tak aate hai. Inke aate hi gharwalo se baat karta hu rishte ki.

Aise hi din gujarne lagee dekhte dekhte Sagai ka din aagaya.

Uske ek din pehle Nandini ke ghar wale bhi aagaye. Jisme uski maa papa aur uski behen Payal thi.

Nandini: Mummy Papa Payal kaise hai aaplog.

Nandini Mummy: Hum achhe hai meri bachhi. Tu kaisi hai. Khush toh hai naa.

Nandini: Main yaha bahot khush hu mummy. Mujhe lagta hi nhi hai ke yeh mera sasuraal hai. Mujhe lagta hai main maayke mein hi hu. Yaha sab mujhse bahot pyaar karte hai. Harchiz ko pyaar se samjhane wali dadi hai. 2 maa papa jaise saas sasur behen jaisi nanad hai bhai jaise devar hai.

Nandini mummy: Khushi toh tere chehre se hi jhalak rahi hai. Tu khush hai toh hum bhi khush hai.

Ragini: Aaiye aaiye Samdhi ji Samdhan ji. Kaise hai aap.
Nandini Mummy: Hum achhe hai aap kaisi hai.

Ragini: Hum bhi achhe hai. Jab se yeh pagal yaha aayi hai koi kaam karne hi nhi deti. Sirf aaram karwati hai. Payal kaisi ho tum.

Payal: Achhi hu Aunty. Shruti didi kaha hai.

Nandini: Choti woh toh apne room mein hai chal wahi chalte hai. Mummy Papa aaplog baate kariye.

Yeh bol Nandini Payal ko leke waha se nikal jaati hai.

Nandini ke maa baap usko khush dekh kar bahot khush the aur unke aankho mein khushi ke aansu aagaye.

Nandini Payal ko leke shruti ke paas aati hai jaha pehle se hi sab baithe hue the.

Shruti: Payal tum aagayi. Kaisii hooo.

Payal: Achhi hu. Didi. Aap kaisi hai. Btw congratss. Aakhir aapko aapka pyaar mil raha hai. Yeh baat usne kisi ko dekh kar boli thi. Warna kuch log toh aise hote hai jo itna darte hai ke ghar mein bol hi nhi sakte.

Aarav: Ab unki bhi koi majburi hogi. Jiske wajah se wah darte honge.

Shruti: Areee Payal aisi baat kyo kar rahi ho. Koi pasand aagaya hai kyaa.

Payal: Nhii didi. Mujhe toh aisa koi naa dikha ab tak.

Shruti: Aao baitho. Aur inse milo. Yeh hai Swati yeh Sonal aur yeh Samar. Jaipur se aaye hai.

Payal: Hello.

Teeno: Hiii.

Shruti: Aur yeh hai Payal. Nandini bhabhi ki behen. Aur batao Payal kyaa kar rahi ho aajkal.

Payal: Bas B. Tech final year chal raha hai didi.
Shruti: Waahh. Kaunsi college se.

Payal: Emperial College. Ishu ko pata hai toh.

Nandini: Areee waah. Chalo yeh achha hua. Lo Sonal tumko ek aur saathi mil gayi. Payal Sonal usi college se Interior designing ke upar masters kar rahi hai.

Payal: Ooo. Achhi baat hai.

Nandini: Toh tumko aur Ishu ko iske saath rehna hoga. College mein isko koi problem nhi honi chahiye.

Payal: Don’t worry didi. Hum pura khayal rakhenge.

Aarav: Chaliye bahot kaam hai. Kal sagai hai. Baate karne se kaam nhi hoga.

Payal: Aap jao naa. Aapko kisne roka hai. Jo kaam karne ka hota hai woh toh hota nhi aur badi badi baate.

Nandini: Tum dono aate hi start hogye. Jao tum jaake fresh hojao. Phir baate karna.

Phir Payal chali jaati hai fresh hone.

Phir sagai ka din aajata hai sablog kisi na kisi taiyaari mein lage hue theee.

Beauticians ko ghar hi bula liya gaya tha sabko ready karwane ke liye.

Savitri: Aree abhi tak sagai ki angoothi nhi aayi.

Ragini: Aree haa maa ji. Sabse jaruri chiz hi nhi aayi. Ab kyaa karee.

Savitri: Rajjjj.

Raj: Ji dadi.

Savitri: Raj beta Sagai ki angoothi abhi tak nhi aayi. Tu jaake le aayega.

Raj: Jii dadi. Main abhi le aata hu. Kaunsi shop pe jaana hai.

Ragini: Yeh toh Nandini ko pata hai. Nandini yaha aana.

Nandini: Ji mummy.

Ragini: Beta abhi tak sagai ki angoothi nhi aayi. Tum Raj ko jaldi se address de do. Woh le aayega.

Nandini: Aree mummy angoothi thodi der pehle hi aagayi hai. Mere paas hi hai.

Raj: Lo hogyaa phir toh.

Ragini: Areee. Achhaa huaa. Warna bekaar mein Raj ko jaana hota.

Thodi der baad Ishant Yash aur Ishita aajate hai.

Ishant ko stage pe baithaya jaata hai Ishita upar ladkiyon ke paas chali jaati hai. Yash Raj ke paas aajata hai.

Raj: Aur thoda late se aajata.

Yash: Bhai bhul mat. Main ladke walo ki taraf se hu. Bhaiya ke saath hi naa aunga. Aur dulhe ka bhai hu so give respect. Yeh bol hasne lagta hai.

Raj: Ha ha pata hai. Aur Respect usse di jaati hai jo uske layak ho. Yeh bol Raj hasne lagta hai aur Yash muh bana leta hai.

Thodi der mein saari ladkiyan Shruti ko leke aajati hai.

Guests mein jitne bhi bachelor ladke the sab ladkiyon ko hi dekh rahe theee. Sabki nazre inpe hi tiki hui thi.

Ishant ki nazar Shruti se hatt hi nhi rahi thi. Woh muh khole usko hi dekh raha tha.

Tabhi bagal se Ishita bolti hai.

Ishita: Bhaiya aise kyaa dekh rahe ho. Aapki hi hai.

Ishita ke aise bolne se Ishant jhepp jaata hai aur Shruti sharma jaati hai.

Idher Raj ki nazar jab Sonal pe girti hai toh woh bhi usko hi dekhte rehta hai. Raj toh ek pal ke liye palke jhapkana hi bhul jaata hai.

Sonal lag bhi bahot khubsoorat rahi thi. Silver White colour ka lehengha pehna tha. Ek toh woh pehle se hi gori thi aur upar se ab beauticians ke haath se makeup. Jo uski khubsoorati mein chaar chand laga raha tha.

Sonal jabse neeche aayi thi tabse uski nazar Raj pe hi thi. Jab woh dekhti hai Raj usko hi dekhe jaaraha hai toh woh sharmaa jaati hai.

Usko aisa lag raha tha usko Raj ki nazre chuu rahi hai isiliye woh sharma ke Samar ke pichhe chup jaati hai.
Idher Samar Ishita ko hi dekhe jaa raha tha. Usne bhi yeh notice kiya par kuch bola nhi.

Raj ke nazar se jab Sonal gayab hui tab usko khayal aaya woh abhi kya kar raha tha. Jo Raj ko kaafi ajeeb lagta hai. Isiliye woh waha se apni nazar hata leta hai par Sonal ki nazar Raj ke upar hi thi.

Idher Swati aur Yash ki nazar ekdusre ke upar hi thi. Dono hi jaante the dono ekdusre ko dekh rahe hai. Swati toh sharma ki apni nazre neeche karleti hai par chor nazro se woh Yash ko hi dekh rahi thi. Aur Yash toh bas usko hi ghurr hi raha tha.

Aarav aur Payal ka bhi yehi haal tha. Par Payal ne usko completely ignore kiya hua tha.

Aise hi thodi der mein Sagai ki rashm start hoti hai. Ishant aur Shruti ekdusre ko angoothi pehnaate hai. Aur unko stage pe hi baitha diya jaata hai.

Shruti: Karan bhaiya Raj Yash Aarav. Aaj meri sagai hai. Aaplog dance nhi karenge. Bhabhi Swati Sonal Samar Ishita jao aaplog bhi.

Yash: Aree jarur karenge. Kyo Raj Aarav Samar.

Raj: Nhi mere se nhi hoga. Tumlog karo.

Shruti: Rajj mere liyee. College mein tu kitna achha dance karta tha aur gaata tha. Kya mera bhai mere liye yeh nhi karega.

Aarav: Chaliye naa bhaiyaa.

Raj: Thikkk hai.

Phir yehlog dance karte hai. Raj gaana gaata hai. Swati ne Shruti aur Ishant ko bhi join karwaya.

Smita Raj ko naachta gaata dekh bahot khush thi.

Sirf Smita hi nhi Yash Karan Nandini Shruti Ishant sab Raj ko aise enjoy karte dekh bahot khush thee. Sonal bhi Raj ko hi dekhe jaa rahi thi. Aur usko aise dance aur gaate dekh woh bhi bahot khush thi.

Dekhte dekhte sham khatam hoti hai. Saare guest Shruti aur Ishant ko congratulate kar chale jaate hai.

Ab sirf ghar ke members hi reh gaye the.

Yash: Aaj bahot maza aaya hai naa Rajj.

Raj: Haaa bahot maza aaya. Bahot waqt ke baad itna enjoy kiya hai.

Nandini: Isiliye toh kehti hu Raj. Aise hi apni life enjoy karo.

Raj: Jii bhabhi. Koshish karunga ab aise rehne ki.

Ishant: Achha Papa ab hum chalte hai.

Ashok: Thikk hai beta. Sambhal ke jaana.

Phir Yash Ishant aur Ishita sabka aashirwaad leke nikal jaate hai.

Ragini: Chalo ab tumlog bhi change karlo aur sone jao. Saara din bahot thakawat hui hai.

Phir sab apne apne kamre mein jaake change karke sojaate hai.

Par kuch jan ko neend nhi aayi thi.

Sonal apne bed mein lete hue Raj ke baare mein hi soch rahi thi.

Sonal: Aaj Raj mujhe kaise dekh rahe the. Kitni sharm aarahi thi mujhe. Mera yeh sajna sawarna success raha. Main toh Raj ke liye hi itna ready hui thi taaki woh mujhe dekhe. Aur mera ready hona success raha. Mujhe toh aisa lag raha hai jaise abhi bhi Raj ki nazar mujhe dekh rahi hai.

Yeh sochte hue woh sharma jaati hai. Aur aankhe band karleti hai. Par apni jab apni aankhe band karti hai toh usse Raj dikhai deta hai.

Sonal: Yeh Raj toh mujhe sone hi nhi de rahe hai. Aankhe band karne se hi unka chehra dikh raha hai. Ufff Rajjjj yeh kyaa kardiyaa aapnee.

Phir woh aankhe band karke sone ki koshish karti hai. Thodi der baad usko neend aajati hai.

Idher Raj bhi apni apne bed mein lete hue soch raha tha.

Raj: Yeh aaj kya hua thaa. Main aaj Sonal ko iss tarah kyo dekh raha tha. Kyaa soch rahi hogi woh mere baare mein. Mujhe khud kitna ajeeb lag raha hai. Maine aajtak kisi aur aisa nhi dekha sivaay uske. Phir aaj Sonal ko main aise kyoo dekh raha tha. Nhii yeh galat hai. Mujhe aisa nhi karna chahiye thaa. Raj bhi yehi aab sochte hue so jaata hai.

Idher Shruti toh sogayi thi par uske bagal mein leti Swati ki neend udhh chuki thi.

Swati: Kaisee ghurrr tha woh mujheee. Aur main bhi toh usko hi dekh rahi thi. Dikh bhi toh kitna smart and handsome raha tha. Aur ussdin gaadi mein bhi mujhe hi dekh raha tha. Pehli baar kisi ko dekh kar dil mein aisi feeling aayi hai. Par jo bhi kaho ladka hai bada smart.
Swati bhi Yash ko sochte hue so jaati hai.

Idher 4 jan apni socho mein gumm the.

Ishita: Kaisee ghurr raha thaa woh mujhe. Jab se aayi hu tabse hi mere pichhe hai baat karne ke sirf bahane khoj raha hai. Par kitna cute dikh raha tha.

Payal: Kaise baat karne ke liye pagal hua jaaraha hai. Par main koi baat mhi karungi.

Samar: Yaar kitni sundar thi woh. Aur kitni nautanki karti hai. Baat baat mein masti. Jaise main karta hu. Usko toh dekhte hi dil de baitha. Ab toh usko aur kareeb se janna hai.

Aarav: Abhi bhi bilkul waisi hai jaisa last time dekha tha. Bilkul bhi nhi badli. Jab pehli baar dekha tha tabhi mujhe ghayal kargayi thi. Aur aaj toh jaise maar hi diya aur jabse aayi hai ignore hi kiye jaarahi hai. Ab usko kaun samjhaye. Jab tak Raj bhaiya aur shruti didi ka clear nhi hota main kuch nhi karsakta. Pata nhi kab samjhegi.


Yeh chaar apne socho mein ghumm rehte hue hi so jaate hai.
Hmm! Yaha toh sabhi ko love at first sight huye jaa raha hai. Sonal Raj ki jodi, Samar Ishita ki jodi, aur ab Swati Yash ki jodi. Par love at first sight practically work nahi karta. Wo ek strong attraction rehta hai bas. Infatuation.
Sonal ye bhul rahi hai ki abhi wo Raj se baat tak acche se nahi kari hai fir itna kese pyaar ho sakta hai usse? Usse samajhna chaahiye ki ye ek infatuation hai. Love nahi. Love ki paribhaasha bhala ek jhalak me dekh ke koi kese baya kar sakta hai.

Yahi haal Swati ka hai aur Samar aur Ishita bhi lage pade hai. Ye maamla toh bada hi easily nipat gaya. Mujhe laga tha ki jab Raj itna handsome hai toh obviously koi love triangle banega. Akhir Sonal hi ekmaatr ladki nahi ho sakti Raj se attract hone waali. Par yaha toh maamla badi hi jaldi solve ho gaya. Aur wo bhi teen jagah.

Sagai ho gayi. Ab dekhna hai inn teeno ki jodiya kis hadd tak aage jaati hai. Ye banengi? Ya fir tootengi?

Keep writing! 😁
 
Top