• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

dhparikh

Well-Known Member
6,553
7,917
173
Update 53
Idher yehteeno police station aate hai aur Karan ke cabin mein chale jaate hai.

Karan: Maine jo CCTV ki footage mangayi thi woh do.

Hawaldar: Jii Sir.

Phir Hawaldaar woh CCTV ki footage laake Karan ko deta hai aur teeno woh footage dekhne lagte hai.

Footage mein Karan dekhta hai Raj aur Sonal jabse uss aashram ke andar gaye the ek gaadi waha khadi thi.

Raj: Bhaiyaa yehi hai woh gaadi.

Yash: Bhaiya iske driving seat pe zoom kijiye shayad driver ka pata chal jaaye.

Karan Driving seat pe zoom karta hai toh dekhta hai ek aadmi gaadi mein baitha hua hai par uski shakal nhi dekh paate kyoki usne apni shakal ko mask aur kaale chashme se dhakka hua tha.

Karan: Saale ne toh apne chehre ko dhakka hua hai kuch samai nhi aaraha hai. Aur aisi jagah khada hai ke gaadi ka number nhi aadha dikh raha hai.

Yash: Aage jaane se shayad dikh jayega.

Thodi der baad jab Raj aur Sonal waha se bahar aate aur phir Sonal wapas andar jaati hai aur apna mobile leke bahar aati hai aur jaise hj road cross karne wali hoti hai tabhi woh gaadi Sonal ko takkar maarke nikal jaati hai.

Yeh scene wapas dekh ke Raj ki halat kharab hojaati hai uske aankho se aansu behne lagte hai.

Raj: Dekha bhaiyaa mere aankho ke saamne meri Sonal ke saath kyaa hogya aur main kuch naa kar saka.

Karan: Usse chorunga nhi Raj. Bahot jald woh pakda jaayega jisne bhi yeh kiya hai.

Raj jaldi se uthta hai aur video ko aage pichhe karke achhe se dekhne lagta hai jisse unko gaadi ka number miljaata hai.

Yash: Chalo gaadi ka number toh mil gaya.

Karan: Haa par mujhe pura yakeen hai gaadi chori ki hogi. Kyoki yeh saare kaam aksar aise hi kiye jaate hai. Phir bhi gaadi ko khojta hu shayad usse kuch mil jaaye.

Phir Karan ek inspector ko bulata hai aur bolta hai.

Karan: RTO se pata karo yeh gaadi kaha hai aur jaao iss gaadi ko iske maalik ke saath yaha utha ke laao jaldi se jaldi.

Inspector: Yes Sir. Yeh bol woh inspector apne kaam mein lag jaata hai.

Karan: Raj itna toh pakka hai yeh sab pehle se plan kiya hua tha aur iske liye jisne bhi yeh kiya hai usko achhe se pata tha tu kaha kaha jaane wala hai usko tere har location ki khabar thi.

Kyaa tune kisi ko apne plans ke baare mein bataya tha yaa kuch aisa dekha ho jo tujhe ajeeb laga ho.

Raj: Bhaiya plan ke baare mein Bhabhi ko bataya tha aur innsab ki taiyaariyon mein maine aisa kuch notice hi nhi kiya.

Karan: Kuch toh miss horaha hai Raj. Dimaag mein jorr de. Soch aisa kuch ajeeb jo pichle kuch dino mein tujhe ajeeb laga ho. Kyaa koi tujhe pareshan kar raha tha koi pichha kar raha tha aisa kuch hua tha.

Raj apne dimaag mein jorr dene lagta hai toh usse yaad aata hai ke kuch din pehle usne ek aadmi ko harjagah dekha tha jaha jaha woh gaya tha par usne woh ignore kiya tha.

Raj: Haaa jisdin main Sonal ke liye surprise plan kar raha tha uss din maine ek aadmi ko har uss jagah notice kiya tha jaha jaha main gaya tha. Par maine uss baat ko itna seriously nhi liya tha.

Yash: Shayaf usi aadmi ne yeh kiya hai. Tujhe kyaa uska chehra yaad hai. Saale ka sketch banake dhund nikalenge.

Raj: Nhii mujhe uska chehra thik se yaad nhi hai. Par agar aur ek baar dekhunga toh shayad pehchan jaunga.

Karan: Tu uss din kaha kaha gaya tha.

Raj: Main uss din ek hotel mein gaya tha Mandir mein gaya tha anaath aashram old age home innsab jagah pe gaya tha par hotel ke andar gaya tha.

Karan: Hotel chall waha se jarur kuch na kuch milega.

Phir teeno waha se hotel ki taraf nikal jaate hai aur thodi der mein hotel aajate hai.

Hotel ka Manager Raj ko dekhte hi uske paas aata hai aur bolne lagta hai.

Manager: Yeh sab kyaa hai Sir. Uss din aapne saare arrangements karwaaye special dinner ready karwaya par aap aaye hi nhi aur naahi phone receive kiyaa.

Karan: Woh sab baad mein dekhenge. Par pehle mujhe aapke hotel ka CCTV footage dekhna hai jis din yeh yaha pe aaya tha.

Manager: Kyaa baat hai Sir. Kuch hua hai kyaa.

Karan: Sab pata chal jaayega. Pehle mujhe footage dikhao.

Manager: Jii Sir. Aaiye.

Phir teeno Manager ke saath server room mein jaate hai.

Manager: Mujhe 3 din pehle ki sham ke waqt ki CCTV footage dikhao.

Operator: Yes Sir.

Phir operator saamne lage Monitor mein 3 din pehle ki sham ke waqt ki CCTV footage dikhata hai.

Karan: Thoda fast forward kar aur uss waqt se start kar jab yeh(Raj) yaha aaya tha aur iske nikalne ke baad stop karna.

Karan ne jaisa bola Operator ne waisa hi kiya.

Karan: Raj dhyaan se dekh kaun tha woh aadmi kyaa yaha pe tujhe dikh raha hai.

Raj dhyaan se monitor mein dekhne lagta hai. Par usse woh aadmi nhi dikhta.

Raj: Bhaiya woh aadmi toh mujhe nhi dikha.

Karan: Tune thikk se dekha naa.

Raj: Jii bhaiyaa.

Karan: Thikk hai. Aage play kar.

Operator waisa hi karta hai.

Raj phir se monitor pe dekhne lagta hai. Tabhi usko dikhta hai ke Raj ke nikalne ke baad ek aadmi andar aata hai aur ek waiter ko pakad ke usko kuch paise deta hai aur Raj ke plan ki information leta hai par unndono ke baat karne ki awaaz sunai nhi deti.

Raj: Bhaiyaaa yeh hai woh aadmi.

Karan: Stop kar. Aur uss aadmi ke upar zoom kar.

Operator waisa hi karta hai. Par uska chehra side se dikh raha tha.

Karan: Tujhe pura yakeen hai yehi hai woh aadmi.

Raj: Haa bhaiyaa.

Karan: Kuch bhi kar par mujhe iss aadmi ka chehra chahiye.

Operator 3-4 angle ka use karke uss aadmi ka chehra monitor pe le aata hai.

Karan: Isse print kar.

Operator uss aadmi ka chehra print kar deta hai.

Yash: Uss waiter ko jara yaha bulana jisne iss aadmi se paise liye the.

Manager: Jii Sir.

Kuch der mein woh waiter waha aajata hai.

Waiter: Aapne bulaya sir.

Yash: Tu idher aa. Aur iss photo dekh. Isse jaanta hai.

Waiter uss photo ko dekhta hai toh usko yaad aajata hai.

Waiter: Haa sir. 3 din pehle yeh sahab aaye the. Inhone mujhse pucha tha ke thodi der pehle yeh(Raj) sahab aaye the woh kyo aaye the. Maine batane se mana kardiya tha toh unhone mujhe bola woh police se hai agar nhi bataya toh jail mein daal denge. Isiliye maine unhe bata diya tha.

Yash: Aur tujhe usne paise kis baat ke diye the.

Waiter: Unhone bola unhe meri aadat achhi lagi ke main kisi ko bhi kisi ko baat nhi batata. Isiliye unhone mujhe inaam diya tha jo sirf 500 the.

Yash: Thikk hai tu jaa. Saala bahot hi chalak aadmi tha.

Karan: Dekhne se toh ek gunda lagta hai. Jaldi hi pakda jaayega.

Raj: Manager kal nhi aa sake uske liye sorry. Aapka jitna bhi bill hua hai boliye main payment kardeta hu.

Manager: Main samaj sakta hu. Jarur koi problem hua hoga.

Phir Raj waha se payment karke nikal jaata hai.

Hotel se bahar aate hi Karan uss photo ko harjagah forward kardeta hai aur uss aadmi ko jald se jald pakadne ko bolta hai. Aur apne kuch khabri ko uski photo bhej deta hai.

Raj: Bhaiyaa ab kyaa karenge.

Karan: Maine iss aadmi ko khojne ke liye apne logo ko laga diya hai jald hi yeh pakda jayegaa. Filhal toh tu Sonal ka dhyaan rakh.

Raj: Hmmm.

Phir sab ghar aajate hai.

Ghar aate hi waha baithe sablog inlogo ko pakad lete hai aur sawaal puchne lagte hai.

Karan aur Yash ne badi mushkil se sabko shant karwate hai.

Karan: Yeh accident pehle se hi kisi ne plan kiya tha.

Meera: Par koi meri Sonal ko kyo maarna chahega. Uski toh kisi se koi dushmani bhi nhi thi.

Payal: Haa Jiju. Bhabhi ka toh college mein bhi koi problem nhi tha. Phir koi kyo unhe maarna chahta tha.

Karan: Yehi chiz toh pata lagana hai. Humhe ek aadmi ki talash hai jo kuch din pehle Raj ka pichha kar raha tha shayad usine yeh kaam kiya hai. Maine uski photo har jagah faila di hai bahot jald woh pakda jayegaa.

Phir sablog shant baith jaate hai.

Raat ko khaane ke waqt Nandini Raj se puchti hai.

Nandini: Raj kuch socha hai Sonal ko kaise yaha rokhna hai. Kyoki jaise hi woh chalna start karegi woh wapas Jaipur jaana chahegi.

Raj: Kuch samaj nhi aaraha bhabhi. Dimaag pura sunn hogya hai.

Smita: Kal puri raat soya nhi hai tu thik se. Aur phir aaj ka pura din bhi aaram nhi kiya. Abhi jaake chup chap so jaa. Dimaag ko aaram milega toh aage kya karna hai yeh samaj bhi aayega.

Meera: Smita thikk keh rahi hai Raj. Tum jao jaake aaram se so jaao. Sonal ki chinta mat karo.

Raj: Sonal ne khaana khaaya.

Nandini: Maine usse khila diya hai dawaaiyan bhi de di hai aur woh so bhi gayi hai. Ab tum thik se khaoo aur jaake so jaao.

Raj: Hmmm.

Phir sablog chup chaap khaane lagte hai.

Dinner ke baad Raj dheere se Sonal ke kamre mein jaata hai toh dekhta hai Sonal gehri neend mein so rahi hai.

Raj Sonal ke paas baith jaata hai aur dheere dheere uske sir ko sehlaane lagta hai.

Raj: Tumhari yeh halat karne wale ko main chorunga nhi Sonal. Bahot jald woh pakda jayega. Meri kismat bhi kitni ghatiya hai. Main jisse bhi pyaar karta hu woh mujhe chor ke chala jaata hai. Pehle Megha se pyaar kiya toh woh mujhe humesha ke liye chor ke chali gayi phir tumse pyaar hua toh tumhi mujhe bhul gayi. Par main haar nhi maanunga. Tum bhul gayi toh kyaa hua. Mujhe toh sab yaad hai naa. Main tumhe kabhi akela nhi chorunga. Harwaqt tumhare saath rahunga. Aur dekhna ekdin tum phirse mujhse pyaar karne lagogi. Yeh bol woh Sonal ko sir ko chum leta hai. Phir waha se bahar aajata hai.

Raj: Mere khayal se abhi kuch din kisi ko Sonal ke saath raat ko rukhna chahiye. Agar usse jarurat padhi toh.

Swati: Tum chinta mat karo Raj. Jab tak Sonal ke pairr thik nhi hojaate uske saath main rahungi. Tum jaao jaa uski ke aaram se so jaao.

Phir Raj apne kamre mein aake fresh hoke sone lagta hai. Par aaj usse ussi ke kamre mein akelapan sa mehsus horaha tha dumm ghutt raha tha.

Raj: Kaha har raat Sonal ke saath baate karte hue uske pure din ke baare mein jaante hue sota tha aur jab tak woh apne pure din ke baare mein bata nhi deti naa khud soti naa mujhe sone deti par ab shayad woh kabhi nhi hogaa. Yehi sab sochte hue Raj sone ki koshish karta hai par tabhi uske dimaag mein ek khayal aata hai aur woh jhatt se apna mobile nikal ke kisi ko kuch msg karta hai aur phir so jaata hai.

Agle din subah sablog Sonal se milke uska haalchaal puchte hai par Raj uske kamre ke andar nhi aaya tha woh bahar se hi chupp ke Sonal ko dekh raha tha. Kyoki woh nhi chahta tha ke kisi bhi reason se uski image Sonal ki nazar mein kharab ho.

Par idher Raj ke naa aane se Sonal ko thoda bura lagta haj aur usko andar hi andar thoda guilty feel bhi hota hai par woh kuch nhi bolti.

Phir sablog apne apne kaam mein lag jaate hai. Raj Ishant aur Yash apne apne office chale jaate hai. Karan police station nikal padhta hai Payal aur Ishita bhi apne college chali jaati hai aur baaki sab bhi apne apne kaam mein lag jaate hai.

Shruti: Mummy ab humhe bhi apne ghar jaana chahiye. Swati yehi rahegi jab tak woh chahe.

Smita: Thikk hai.

Phir thodi der baad Shruti bhi Shristi ko leke apne ghar chali jaati hai. Ishita Ishant aur Yash bhi apne ghar pahonch jaate.

Dopahar ko sablog Sonal ke kamre mein baithe hue the aur usse baate kar rahe the.

Meera: Sonal beta tumne aage kya socha hai.

Sonal: Pata nhi mummy. Kuch samaj nhi aaraha hai.

Smita: Kyaa tum aage padhna chahti ho yaa phir koi job karna chahti ho.

Sonal: Exams dene ke baad toh maine yehi socha tha ke aage padhai bhi karungi. Par shayad ab woh possible nhi hai.

Smita: Woh kyo bhala.

Sonal: Woh itne mahino ka gap hogya hai. Aise mein phir se study start karna....

Smita: Agar tum chahti ho toh aage ki padhai aaram se karo.

Meera: Haa beta. Tum jaisa chahti ho waisa hi hoga. Aur waise bhi tumne apne college se top kiya tha uske liye tumhe yaha ke ek achhe college mein padhne ka mauka mila tha jiske liye tumhare papa bhi maan gaye the. Agar tum chaho toh yaha rehke padh sakti ho.

Smita: Haaa Sonal. Agar tum yaha rehke padhai karti ho toh humhe bahot khushi hogi.

Sonal: Mujhe thoda time chahiye. Main abhi thikk se decide nhi kar paarahi hu.

Meera: Koi baat nhi. Tumhe abhi koi jarurat nhi hai faisla karne ki. Pehle tum thikk hojao. Phir dekhenge kyaa karna hai.

Rajesh aur Ranjeet abhi puri tarah se shant hogye the. Kyoki unhe pata tha khatra unke upar bhi hai. Par woh shant baithne ke saath saath Raj se badla lene ke dusre tarike bhi soch rahe the.
Nice update...
 
  • Like
Reactions: Luffy and Jaguaar

Luffy

Well-Known Member
7,017
29,006
203
Update 54
Idher Karan ne harjagah uss aadmi ki khoj suru kardi thi. Uske khabri bhi jagah jagah uss aadmi ko khojne mein lage hue the.

Karan ko woh gaadi mil gayi thi jisse Sonal ka accident hua thaa.

Karan: Kiski gaadi thi woh. Aur kaha se mili.

Inspector: Sir woh gaadi chori thi ki jiski report bhi likhawayi gayi thi. Aur gaadi humhe jungle ke paas se mili thi. Kisine waha pe hi chorr diya thaa.

Karan: Hmmm. Matlab jisne bhi yeh kiya hai usne puri taiyaari ke saath yeh sab kiya tha. Koi fingerprint mila. Yaa aisa kuch jisse yeh pata chale ki kisne kiya hai yeh sab.

Inspector: Nhii sir. Koi fingerprint nhi mila. Jisne bhi kiya hai usne sjayad golves pehne hue the.

Karan: Hmm. Gaadi ka GPS track kiya kaha kaha gayi thi gaadi.

Inspector: Haa sir check kiya hai. Gaadi kisi bhi aisi jagah nhi gayi hai jisse shak ho. Yeh rahi unn jagah ki list. Yeh bol ek paper Karan ko pakda deta hai.

Karan: Hmmm. Thikkk hai. Uss aadmi ka kuch pata chala.

Inspector: Khojj chal rahi hai sir. Usko jarur pata chal gaya hai ke hum usko khoj rahe hai isiliye shayad woh underground hogaya hai.

Karan: Usko dhundho. Ekbaar agar woh mil gaya toh hum uss insaan ko bhi pakad lenge jiske kehne pe yeh kar raha tha.

Inspector: Sir kyaa aapke bhai ki biwi ka koi dushman tha kyaa.

Karan: Nhiiii. Woh toh yaha kisi ko jaanti bhi nhi thi. Ek stalker tha jisko kuch waqt pehle hi jail hochuki hai. Abhi Karan yeh bolta hai tabhi usko kuch yaad aata hai.

Tumhe yaad hai kuch waqt pehle hum 2 baap beto ki talash kar rahe the jo kahi chupp gaye the.

Inspector: Haa woh Rajesh aur Ranjeet. Lekin woh toh abhi bhi faraar hai.

Karan: Haaaa. Main ek chance le raha hu. Kahi yeh bhi innhone hi toh nhi kiyaaa.

Inspector: Hosakta hai Sir. Par inko dhundenge kaha. Yeh toh tab se hi chupe hue hai.

Karan: Ek kaam karo. Inn sabhi location ke aas paas civil dress mein ghumo aur dekho koi aisi jagah hai kyaa jaha yehlog chupp sakte hai aur haa uss jungle ke aas paas bhi dekho.

Inspector: Thikk hai sir.

Karan: Aur haa jail mein ek aurat hogi jisko maine lagbhag 1 saal pehle arrest kiya tha jhoothe rape case mein jara dekho toh uski saza kab tak hai woh inn baap beto ke saath hi aayi thi.

Inspector: Thikk hai sir main dekh kar bolta hu.

Yeh bol woh inspector waha se chala jaata hai.

Aise hi 2 din guzar jaate hai. Inn 2 dino mein Sonal ki halat mein bahot sudhar aaya tha par woh abhi bhi wheel chair ka hi istemaal kar rahi thi. Par inn 2 dino mein Sonal ke jaagte hue Raj kabhi bhi uske saamne nhi aaya tha woh humesha iske sone ke baad hi aata aur kuch der baate karke chala jaata. Par isse Sonal ko thoda aur guilty feel hota hai kyoki woh usse maafi nhi maang paayi thi.

Idher Karan ke ek khabri ne usko call karke bola ke usne uss aadmi ko dekha hai woh roj raat ko ek bar mein aata hai.

Karan: Tujhe pura yakeen hai ke tune uss aadmi ko hi dekha hai.

Khabri: Haa sahab. Pura 100 takka apun uss aadmi ko hi dekhela hai. Woh 2 raat se 10:30 baje ek bar mein aarela hai.

Karan: Akela aata hai yaa kisi ke saath aata hai.

Khabri: Akela hi aata hai Sahab.

Karan: Thikk hai. Mujhe address bhej aur raat ko udher hi rehna.

Khabri: Jii Sahab.

Raat ko Karan 3 Hawaldaar ko civil dress mein leke uss khabri ke bataye address pe chala jata hai.

Karan: Haa bol kidhar hai woh.

Khabri: Abhi tak aaya nhi hai sahab. Aane wala hi hoga.

Karan: Thikk hai. Tumsab(Hawaldar) yehi alag alag table mein baith jao aur ek jan bahar raho. Aur tu(Khabri) mere saath idher baith.

Phir sab log apne apne jagah mein baith jaate hai.

Thodi der mein ek aadmi andar aata hai jisne apna chehra toh mask se chupaya hua tha par andar aate hi mask hata deta hai.

Khabri: Sahab woh dekho woh aagaya.

Karan: Thikk hai. Tu nikal. Tera paisa tere ko mil jayega.

Khabri: Jii Sahab.

Phir woh khabri waha se nikal jaata hai aur Karan waha baithe 2 Hawaldaar ko ishara karta hai.

Karan ka ishara paate hi dono Hawaldaar uss aadmi ke paas jaake baith jaate hai.

Aadmi: Kyaa hai bee. Kisse puch ke baitha idher. Chal nikal.

Par dono hawaldaar uski baat ko ansuna kardete hai. Jisse uss aadmi ko gussa aajata hai.

Aadmi: Abee nikalte ho yaa du kharcha paani.

Karan: Kharcha Paani toh tujhe main dunga woh bhi sasuraal mein.

Aadmi: Abee ab tu kaun hai be. Mera Saala hai kyaa jo Sasuraal leke jaayega.

Karan: Tera baap hu main. Yeh bol ek thappad maarta hai uss aadmi ko jisse uska saara nasha utar jaata hai. Aur waha baithe aadmi tamasha dekhne lagte hai.

Aadmi: Tu jaanta hai tune kispe haath uthaya hai. Tujhe yehi zinda gaar dunga. Tu jaanta nhi hai apun ko. Yeh bol woh aadmi Karan ko maarne ke liye haath uthata hai toh Karan uska haath pakad ke ek aur jorr dar thappad maarta hai.

Karan: Le chalo saale ko. Bahot garmi hai saale mein. Jail mein achhe se saari garmi ko thanda karunga.

Phir dono hawaldaar uss aadmi ko leke nikal padhte hai. Karan bhi usko jail mein daalke ghar aajata hai aur sidha apne kamre mein jaata hai jaha Nandini Karan ki taraf peeth karke kuch kaam kar rahi thi aur Kartik so raha tha.

Karan sidha jaake Nandini ko pichhe se apni baahon mein leta hai.

Karan: Kyaa kar rahi ho sweetheart. Abhi tak soyi nhi.

Nandini: Aapke ladle ka kapde thik se rakh rahi thi. Aur aaj itna pyaar aaraha hai kyaa baat hai.

Karan: Pyaar toh humesha hi aata hai par tum karne ki kaha deti ho aur agar kabhi chance mil gaya toh yeh shaitaan(Kartik) karne nhi deta.

Nandini: Karan ki taraf palat kar. Achhaa ji. Toh chalo aaj pyaar karte hai. Aaj toh yeh bhi so raha hai.

Abhi Nandini yeh bolti hai ke tabhi usko ek gandh aati hai.

Nandini: Gusse se aur hairani se. Aapne sharab pi hai.

Karan: Shock hoke. Aree marwaogi kya. Dheere bolo. Agar kisi ne sunn liya naa toh iss ghar se daana paani cut hojayega.

Nandini: Matlab sach mein pi hai. Choro mujhee aur niklo room se bahar aur aaj ke baad mujhse yaa mere bete se baat tak nhi karna.

Karan: Aree meri jaan maine aisa kuch nhi kiya hai. Raj ka pichha karne wale ko pakadne ke chakar mein yeh gandh aarahi hai.

Nandini: Matlabbb.

Karan: Matlab uss aadmi ko pakadne ke liye mujhe ek bar mein jaana padha tha toh isiliye tumhe yeh gandh aarahi hai.

Nandini: Matlab woh aadmi pakda gaya.

Karan: Haaa. Ab kal subah usse baatcheet karunga. Filhal toh main apni biwi ki duty mein hu.

Nandini: Pehle jaaiye jaake change kariye. Mera dum ghutt raha hai.

Karan: Haa baba jaata hu. Yeh bol Karan jaldi se jaata hai aur fresh hoke bahar aata hai aur wapas se Nandini ko apni baahon mein le leta hai.

Nandini: Kyaa baat hai aaj toh bahot romantic horahe hai aap.

Karan: Ab jab baahon mein itni khubsoorat biwi ho toh banda apne aap romantic hojaata hai.

Nandini: Achhhaaa jii.

Karan: Haan ji. Yeh bol Karan Nandini ko jaise hi kiss karne jaata hai tabhi Kartik rona suru kardeta hai.

Nandini yeh dekh Karan se alag hoti hai aur jaake Kartik ko sambhalne lagti hai. Karan waha thaga sa khada reh jaata hai.

Nandini: Hogyaa aaj ka pyaar. Ab so jaaiye. Yeh bol hasne lagti hai.

Karan: Saale se baap ki khushi dekhi nhi jaati. Kitna achha bhala mood aur chance dono tha par isko sehan nhi huaa.

Nandini: Heyyy mind your language. Khabardaar mere pyaare se bete ko kuch bola toh.

Karan: Aur tumhara yeh pyaara sa beta jo tumhare pyaare se pati pe julm kar raha hai uska kyaa.

Nandini yeh sunn hasne lagti hai. Phir thodi der aise hi pyaar bhari baate karne ke baad dono so jaate hai.
Superb update
 
parkas

Prime
22,376
51,807
258

Bahut hi shaandar update diya hai bhai...
Nice and beautiful update....
 
ABHISHEK TRIPATHI

Well-Known Member
6,414
28,383
218

Top