• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

kingkhankar

Well-Known Member
5,952
13,666
188
Update 49
Meera wahi darwaze pe khadi rehti hai. Ab uska gussa darr bechaini shant hui thi aur isiliye ab usko Smita aur Raj ke saath kiya behaviour yaad aaraha tha specially Raj ko thappad marna.

Meera: Aankhe nichhe karke haath jod ke. Rajjjj. Pleasee mujhee maaf kardoo. Main Sonal ko leke darr gayi thi aur usi darr ne mujhse woh kaam karwa diya. Maine tumhe thappad mardiyaa. Pleasee mujhee maaf kardooo.

Raj: Meera ke haatho ko pakadte hue. Nhi nhi yeh aap kyaa kar rahi hai. Aap mujhse umar mein bahot badi hai aap meri Sonal ki mummy hai yaani meri bhi mummy hai. Aur aapne jo bhi kaha jo bhi kiya woh gusse aur darr ki wajah se kiya. Aap maafi maang ke mujhe meri hi nazro mein giraa rahi hai. Aur aapne sahi kaha tha meri wajah se hi aaj Sonal ki yeh halat hai.

Meera: Nhii Rajjj. Isme tumhari koi galti nhi hai. Tum toh Sonal ko khush rakhne ke liye usko ghumane le gaye the. Tum apne aap ko dosh mat do. Aur Smita tum bhi mujhe maaf kardo. Gusse mein aur darr mein main bhi naajaane tumhe kya kya bol baithi.

Smita: Nhii Meera. Main samaj sakti hu uss waqt tumhari situation kyaa thi. Main bhi ek maa hu. Tum aise maafi mat maango.

Kuch der baad Sonal ko room mein shift kardiya gaya tha aur sirf Meera hi uske paas baithi hui thi. Raj bahar khada darwaze se Sonal ko dekhe jaa raha tha. Sonal ko waise halat mein dekh ke Raj ki aankho se lagatar aansu beh rahe the. Tabhi Nandini Raj ke paas aati hai.

Nandini: Sonal thikk hojayegi Rajj.

Raj: Aaj iska birthday hai bhabhi. Socha tha aaj isko propose karunga. Isko isk pyaar dunga. Par dekho naa kyaa hogyaa. Agar isse kuch hogya toh main jee nhi paunga bhabhi. Megha ka dukh toh mein jhell gaya bhabhi par Sonal ka nhi jhell paunga.

Nandini: Aisa mat socho Raj. Dekhna bahot jald Sonal thikk hojayegi. Aur phirse tumhare aage pichhe ghumti rahegi.
Raj kuch nhi bolta bas Sonal ko dekhta rehta hai.

Udher ghar mein Shruti aur Savitri ko bhi tension horahi thi. Shruti baar baar hospital call karke Sonal ka haal chaal puch rahi thi. Savitri toh mandir mein baithi Sonal ke liye puja kiye jaa rahi thi.

Kuch 2 ghante baad Sonal ko hosh aane lagta hai yeh dekh kar Nurse jaldi se doctor ko bula ke laati hai.

Doctor jaldi se Sonal ke paas aata hai.

Doctor: Hello Sonal.

Sonal: Behoshi aur kamzoori bhari halat mein. Hello Doctor.

Doctor: Ab kaisa feel horaha hai.

Sonal: Achha lag raha hai. Par sir bahot dukhh raha hai.

Doctor: Woh thikk hojayega. Achha mujhe yeh batao yeh kaun hai jo tumhare bagal mein baithi hai.

Sonal bagal mein nazre ghumati hai toh dekhti hai Meera aankho mein aansu liye usse hi dekh rahi hai.

Sonal: Yeh meri mummy hai.

Doctor: Good. Ab yeh batao tumhe last kyaa yaad hai. Dimaag mein jyaada jorr dene ki koi jarurat nhi hai.

Sonal apni aankhe band karke sochne lagti hai toh usko last ka jo yaad aata hai woh Doctor ko bolti hai.

Sonal: Mujhe last ka bas yehi yaad hai ke main Apne college ka final exam diya hai aur results ka wait kar rahi hu. Uske baad mujhe kuch yaad nhi.

Doctor: Ookk Sonal. Kyaa tumhe uske baad ka kuch bhi yaa nhi hai.

Sonal thoda apne dimaag mein jorr deti hai toh uska sir dard karne lagta hai. Jisse woh chillane lagti hai.

Sonal ko aise chillate dekh Meera darr jaati hai aur rone lagti hai. Nurse jaldi se Sonal ko ek neend ka aur ek pain killer ka injection de deti hai jisse Sonal dheere dheere so jaati hai.

Phir Doctor bahar aata hai.

Doctor: Kyaa unki shaadi hochuki hai.

Raj: Jii haa. Main uska pati hu. Kaisi hai meri Sonal. Woh thikk toh hai naa.

Doctor: Aap mere cabin mein aaiye. Mujhe kuch jaruri baat karni hai.

Deepak: Doctor aisi kyaa baat hai jo aap humsab ke saamne nhi bol paarahe hai. Dekhiye main uska pita hu please mujhe bataiye meri beti kaisi hai.

Doctor: Aaplog mere cabin mein aaiye waha baat karte hai.

Raj Deepak Karan aur Yash Doctor ke Cabin mein chale jaate hai.

Raj: Doctor aakhir aisi kyaa baat hai. Meri Sonal thikk toh hai naa.

Doctor: Dekhiye mujhe jiss baat ka darr tha wohi hua hai. Mrs. Sonal ke dimaag ke internal area mein chott lagi hai aur waha ke nerves mein khoon jam gaya hai. Agar main uss area mein haath deta toh unki jaan bhi jaa sakti thi.
Yeh sunne ke baad waha jaise ek sannata chaa jaata hai. Raj ki aankho se aansu behne lagte hai.

Deepak: Toh iska koi ilaaz nhi hai kya doctor.

Doctor: Jii nhii. Jaisa maine kaha agar maine waha haath diya toh unki jaan jaa sakti hai.

Raj: Nhii Doctorr. Aisa kuch bhi mat kijiyega jisse meri Sonal ki jaan ko khatra ho.

Karan: Abhi Sonal kya condition hai doctor. Woh jo blood jama hua hai woh kaise thikk hoga aur jab tak woh thikk nhi hota toh Sonal ka kyaa hoga.

Doctor: Dekhiye yeh apne aap thikk hoga. Aur isme kitna time lagega yeh bata paana mushkil hai. Aur jab tak woh thikk nhi hota hai tab tak.....

Yash: Tab tak kyaa Doctor.

Doctor: I am sorry to say but tab tak ke liye she will have a memory loss. Aur yeh memory loss ka time period unke College passout hone ke pehle ka hai. Unhone bataya unhe last yehi yaad hai ke woh apne college ke exams khatam karke results ka wait kar rahi hai.

Doctor ki baat ne jaise waha ek dhamaka hi kardiya tha. Aur iss dhamake ka sabse jyaada asar hua tha Raj ke upar. Woh toh jaise sadme mein chala gaya tha.

Deepak Yash Karan sabki nazar Raj ke upar thi. Raj waha jaise pathar bann gaya tha.

Teeno: Rajjjj. Rajjjjjjj.

Karan: Doctor. Dekhiye naa kyaa hua isse. Yeh kuch bol kyo nhi raha hai.

Doctor Raj ko check karta hai aur uske haath mein ek safety pin inject karta hai jiske wajah se Raj hosh mein aata hai.

Doctor: Inko sadma laga tha.

Teeno: Rajj tum thikk hooo.

Raj: Doctor kyaa meri Sonal mujhe bhi bhull gayi hai.

Doctor: Aaplog ekdusre ko kitne time se jaante hai.

Raj: Waise toh bachpan se jaante hai par hum 12 saal se alag the no contact. Abhi 8-9 mahine pehle hi mile hai.

Doctor: Tab toh woh aapko aapke saath shaadi aapke saath bitaye har ek pal ko bhul chuki hai.

Raj: Nhiii aisa nhi hosakta. Meri Sonal mujhe kaise bhul sakti hai. Woh toh mujhse kitna pyaar karti hai woh kuch bhi bhul sakti hai par apne Raj ko nhi bhul sakti.

Doctor: Sambhaliye apne aapko. Ab woh aapko aapke pyaar ko sabkuch bhul chuki hai. Ab woh ekdum waisi bann gayi hai jaise woh aapse milne ke pehle thi.

Karan: Toh doctor hosakta hai woh jab woh humhe dekhe toh yaad aajaye.

Doctor: Ho bhi sakta hai jab woh aaplogo ko dekhe toh woh aaplogo ko aapke naam se pehchan le kyoki aaplog uske bachpan ke relative hai. Par unko aaplogo se apna rishta yaad nhi aayega. Aur jaisa aapne(Raj) kaha woh aapse pyaar karti hai toh ab woh pyaar bhul chuki hai. Ab aap unke liye ek normal insaan hai.

Raj: Meri Sonal kab tak thikk hogi doctor.

Doctor: Yeh bolna mushkil hai. Yeh totally apne aap hoga aur isme kitna time lagega yeh main nhi bol sakta.

Deepak: Agar hum Sonal ko yaad dilane ki koshish kare toh.

Doctor: Aisa galti se bhi mat kijiyega. Isse unke dimaag mein gehra asar hoga jo sidha uss hisse pe attack karega jaha chott lagi hai isse unko brain haemorrhage bhi hosakta hai jo unki jaan bhi le sakta hai.

Raj: Nhii nhii. Main meri Sonal ko kuch nhi hone dunga.
Deepak: Toh ab hum kyaa kare Doctor.

Doctor: Unke liye aaplogo ko 8-9 mahine pehle ki zindagi jeeni hogi. Jaise woh uss samay thi unhe bilkul waisa hi rakhna hoga. Aisa koi kaam nhi karna jisse unke dimaag mein pressure padhe. Uss waqt unke saamne jo log jaise the bilkul waise hi rehna hoga. Uss waqt jo situation thi bilkul waisi situation laani hogi.

Sab: Jii Doctor.

Doctor: Main wapas bolta hu. Unko jabardasti yaad dilane ki koshish naa karee. Baaki aaplogo ki marzi.

Deepak: Ab Sonal ki halat kaisi hai.

Doctor: Woh ab thikk hai. Unke pairon mein fracture hai jiske wajah se unhe kuch din wheelchair ka use karna hoga. Aaplog kal unhe le jaa sakte hai. Aaj raat woh yehi observation mein rahengi.

Deepak: Jiii. Sonal ko hosh kab tak aayega doctor.

Doctor: Abhi toh woh soyegi. Unko hosh ab kal subah hi aayega.

Phir sab doctor ke cabin se bahar aate hai. Raj toh jaise pathar bana hua tha. Usko kuch samaj nhi aaraha tha. Uska pyaar uske aankho ke saamne rahega par usko pehchan nhi paayega yehchiz jaisr Raj ko hazaar maut maar rahi thi.

Yehlog chalte hue Sonal ke room ke paas aate hai toh sablog inhe gher lete hai aur sawaal puchne lagte hai. Par kisi mein itni himmat nhi thi ke woh bolsake.

Meera: Aaplog kuch bolte kyo nhi. Bataiye naa kyaa bola doctor ne. Kaisi hai meri Sonal.

Swati: Haa Yash bataiye naa. Kyaa bola doctor ne. Aur yeh Raj ko kyaa hua hai. Yeh iss tarah kyo behave kar raha hai.

Yash Raj ko ek jagah baitha deta hai aur uske paas baith jaata hai.

Nandini: Karan kyaa baat hai. Kyaa bola doctor ne. Sonal thikk toh hai naa. Aapsab kuch bol kyo nhi rahe hai.

Karan: Nandini woh Sonal actually Sonal ki...

Meera: Sonal ki kyaaaa... Woh thikk toh haii naa. Aapsab bataiyee naa.

Deepak: Sonal ki yaadast chali gayi hai. Woh pichle 8-9 mahino ka sabkuch bhul chuki hai. Usse yeh bhi yaad nhi hai ke uski shaadi hochuki hai.

Deepak ke khulase ne toh waha ek sannata kar diya tha. Sablog jaha the waha jaise jamm gaye the. Sabki aankho se aansu nikalne lage the. Nandini Raj ko dekhe jaa rahi rahi jiske chehre pe waisa hi bhavv tha jaisa Megha ke jaane ke baad tha.

Phir Deepak Doctor ki boli hui harbaat waha batata hai. Jaise jaise Deepak bol raha tha sablogo ke chehre ke bhavv badal rahe thee. Kisi ke aankho mein aansu the toh kisi ke aankho mein sunapan.

Meera: Rote hue. Meri beti ne aisa kaunsa paap kiya tha jiski usse aisi saza mil rahi hai. Usne kabhi kisi ka bura nhi chaha phir uske saath aisa kyoo horaha hai.

Deepak: Meera sambhalo khud ko. Abhi Sonal ko sabse jyaada tumhari jarurat hai. Humhe Sonal ka ab jyaada dhyaan rakhna hogaa. Aur iske liye humhe usse Jaipur lejaana hogaa.

Raj jo itni derr se chup baitha hua tha woh Deepak ki baat sunke bolta hai.

Raj: Meri Sonal kahi nhi jaayegi. Woh yehi mumbai mein apne ghar mein rahegi. Mere saath rahegi.

Deepak: Par beta woh tumsab ko bhul chuki hai. Usse kuch bhi yaad nhi hai.

Raj: Mujhe pata hai woh humhe bhul chuki hai. Aur agar mera pyaar sachha hai toh ekdin Sonal ko sabkuch yaad aayega. Aur iske liye Sonal ko mumbai mein rehna hi hoga. Hum usse jabardasti yaad nhi dila sakte. Par woh khud apne aap yaad karne ki koshish karegi.

Meera: Aur agar isse meri beti ko kuch hogya toh.

Raj: Ab woh meri patni hai. Aur mere rehte ab Sonal ka ek baal bhi baanka nhi hogaa.

Smita: Par Raj woh 8-9 mahine ka bhul chuki hai. Kal ko jab woh bahar niklegi toh tab usse pata chalega ke woh kitne time pichhe hai.

Raj: Woh sab main dekh lunga. Par Sonal yaha mumbai mein mere saath rahegi.

Sablog Raj ko samjhane ki koshish kar rahe the par Raj apni jidd mein raha aur aakhir mein sabko manna hi padha.

Deepak: Agar kalko Sonal puchegi ki uske saath aisa kyaa hua tha jiske wajah se usko 8-9 mahine ka kuch yaad nhi aaraha tha toh hum kyaa bolenge.

Raj: Hum usse sach batayenge ke uska ek accident hogya tha.

Karan: Rajjjj. Tera dimaag toh sahi hai. Tu usse sach batayega jisse uske dimaag mein asar padega.

Raj: Haa. Hum usse batayenge uska ek accident hua tha jiske wajah se woh 8-9 mahine se coma mein thi. Aur aaj usse hosh aaya hai. Isse woh 8-9 mahine ka gap cover hojayegaa. Aur isse uske dimaag mein koi pressure bhi nhi padega.

Sabko Raj ki kahi hui baat sahi lagti hai. Aur sab Sonal ko yehi batane ka faisla karte hai.

Raj: Swati tumhe Sonal ke liye phir se waise banna padega jaise tum shaadi se pehle thi.

Swati: Aankho mein aansu liye. Sonal ke liye main kuch bhi karungi.

Raj: Aarav ghar jaa waha didi ke saath milke ghar ko waisa karde jaisa shaadi ke pehle tha aur jis kamre mein pehle Sonal rehti thi woh kamra saaf karwa de.

Aarav: Jii bhaiya.

Raj: Swati Yash ke saath ghar jaao aur change karlo. Aur aapsab bhi ab ghar chale jaaiye. Yaha itne jan ka rukhna sahi nhi. Main yahi rahunga.

Deepak: Main aur Meera bhi yehi rahenge. Humari yaha jyaada jarurat hai.

Swati: Main bhi yehi rahungi. Main abhi aati hu change karke. Yash chaliyeee.

Yeh bol Swati Yash ke saath nikal jaati hai. Aur Raj wahi chup chaap baitha rehta hai.

Smita: Rajjj.

Raj: Main thikk hu Mummy. Aapsab ab ghar jaaiye. Waha didi aue Dadi akeli hai.

Smita: Apna khayal rakhna Raj.


Phir baaki sab bhi ghar ke liye nikal jaate hai. Hospital mein sirf Deepak Meera Samar aur Raj hi the.
Jabardast twist diya.

Lovely Update...

Jaguaar ke speed mein updates dene ke like thank you Jaguaar
 

RAAZ

Well-Known Member
2,135
5,979
158
Update 27
Agle din Megha apni family ke saath ghumne ke liye nikalti hai. Raj aur baaki sab Megha ko Airport chorne aaye thee.

Raj: Jaldi aana.

Megha: Main toh soch rahi thi 1 mahine ki chutti le lu tumse.

Raj: Agar 3 din se ek din bhi jyaada lagaya naa toh tumhare paas aajaungaa.

Megha: Achhi baat hai aajana. Saath mein enjoy karenge.

Raj: Aur tumhare parents.

Megha: Boldungi hone wala pati hai. Tum bolo toh abhi boldu.

Raj: Aree main hi boldeta hu. Unclee Auntyyy.

Raj ke aise bolne se Megha darr jaati hai.

Uncle: Haa Raj beta bolo.

Raj: Megha ko dekhte hue. Atak atak ke bolta hai. Main bol raha tha ke.

Megha bas naa mein gardan hilaye jaa rahi thi.

Raj: Main bolraha tha dhyaan se jaaiyega. Aur jaldi aaiyegaa.

Uncle: Areee bilkul. Tumlog bhi apna dhyaan rakhnaa.

Megha gusse se Raj ko dekhti hai toh Raj smile kardeta hai.

Phir Sablog Megha se milte hai. Raj bas Megha ko dekhe jaa raha tha jab tak woh andar nhi chali gayi.

Yash: Oyee woh gayi challll.

Raj: Hmmm Challl.

Phir sablog ghar aajate hai.

Agli Subah Nandini Yash Ishant jaldi jaldi daudte hue Kapoor House aate hai.

Nandini: Shruti Raj kaha hai. Woh thik hai naa. Tumne news dekhi.

Yash: Didi boliye naa kaha hai woh. Kaisi halat hai uski.

Shruti: Rote hue. Maine dekha news. Raj ne abhi tak nhi dekha hai. Meri himmat nhi hui uske paas jau.

Nandini: Shruti Sambhalo. Humhe pehle Raj ko sambhalna hogaa. Usko rokhna hoga news dekhne se. Woh pagal hojayegaa agar usse pata chala toh. Yash jaldi jaa uske paas.

Yash jaldi se Raj ke room mein daudta hai. Jaise hi woh Raj ke kamre mein jaata hai toh woh puri tarah se shock hojaata hai.

Yash: Rajjjjjjj. Yeh kyaaa kar raha haiii tuuuu.

Raj: Rote hue. Meghaaaaaaa. Meriiii Meghaaaaaaa yeh bolte hue Raj jor jor se rone lagta haiiii aur apne haath mein blade liye hue thaaa.

Yash jaldi se jaake Raj ke haath se blade le leta hai aur fhek deta hai.

Raj Yash ke gale lagke roye jaa raha thaa. Yash usko chupp karwa raha thaa.

Yash: Chup hojaa Rajjjj. Chupp hojaa.

Raj: Yashhh meri Meghaaaaa nhiii rahiii Yashhhh. Meriii Meghaaaa nhiii rahii.

Tabhi kamre mein Ishant Shruti aur Ishant aate hai.

Shruti: Rote hue. Rajjjjj.

Raj: Didi didi meri Meghaaaaa mujheee chorkee chali gayi didi. Mujhe chor ke chali gayi yeh bol jor jor se rone lagta hai.

Shruti: Nhiii Rajjjjjj mattt roooo. Ghar mein sabko pata chal jayegaa Rajjjj. Chupp hojaaa. Matt rooo. Ishanttttt sambhalo isseee.

Ishant: Rajjjjj. Shanttt hojaaa. Matt rooo. Dekh ghar mein kisi ko kuch nhi pata hai. Agar tu aise royega toh sabko pata chal jayegaaa.

Abhi koi kuch bolta tabhi Nandini ka phone bajta hai.
Nandini: Karan ka call hai.

Karan: Hello Nandini woh Meghaaaa.

Nandini: Rote hue. Maine dekha Karan. Meri behenn. Yeh bolte hue jor jor se rone lagti hai.

Karan: Rajjjjj.

Nandini: Hum uske saath hai ghar mein hai. Usko pata chal chuka hai.

Karan: Main abhi nikal raha hu. Raat tak aajungaa.

Nandini: Nhiii Karan. Hum hai hum sambhal lengee.

Karan: Aree you sureee.

Nandini: Haaaa.

Karan: Koi bhi problem ho mujhe turant call karna. Aur pleasee rona mat. Raj ko sambhalo.

Nandini: Hmmm. Phir call cut hojaata hai.

Yash: Rajjj tujheee kaiseee pata chala.

Raj: Main subah Megha ko call kar raha tha par phone switch off tha. Mujhe laga charge nhi hoga. Par mujhe kya pata tha ab kabhi usse baat nhi hogi meri. Yeh bol phir ro padhta hai woh.

Yash: Rajjjj sambhall khudkooo.

Raj: Tab maine whats app khola toh waha pe ek msg aaya tha aur usme hi woh news tha ke jis flight se Megha gayi thi uska engine mein kharabi ki wajah se woh crash kargaya. Yeh bol aur jor jor rone lagta haiii.

Ishant: Shruti Raj ko ghar mein rakha nhi jayegaa. Warna sabko pata chal jayegaaa. Humhe isko bahar lejaana hogaaa.

Shruti: Par kaiseeee. Raj ki halat abhi waise nhi hai ke isko kahi le jaaya jaaye.

Yash: Didi agar isko ghar mein rakh gaya toh sabko pata chal jayega. Sabko batane mein koi problem nhi hai par batana sahi bhi nhi hai. Aur Raj ko akela nhi choraa jayega. Abhi yeh blade se apna haath kaat taha tha.

Sab: Whattttttttt.

Yash: Haaaa. Agar mujhe aane mein aur thoda late hota toh yeh pata nhi kyaa kar jaata.

Shruti: Yash ki baat sunke Shruti Raj ko 2 thappad lagati hai. Teri himmat kaise hui yeh sab karne ki. Tu bhul gaya usne tujhse aakhri baar kyaa maanga tha.

Raj: I am Sorry Didi. Par main uske bina nhi jee saktaaa. Usne mujhe kaha tha uske baad main apni zindagi achhe se jiyu. Par uske bina kaise jiyuuu.

Shruti: Tujhe jeena hogaa Raj. Tujhe teri Megha ki kasam tu aajke baad aisa kuch nhi karegaa.

Raj: Didiiiiiiii.

Shruti: Tujhe apni zindagi jeeni hogi Raj. Agar tujhe kuch hogyaa toh humara kyaa hogaa. Mummy Papa Dadi badi mummy bade papa Aarav main bhaiya humsab kaisee jeeyengee. Tujhe jeena hogaa Rajjj.

Raj kuch nhi bolta bas aankho mein aansu liye sunta raha.

Present

Karan: Aur tabse lekar aajtak Raj jee toh raha hai par uske andar uski aatma nhi hai. Uski aatma uski Megha usse bahot durr jaachuki hai. Woh sirf humsab ke liye jee raha hai.

Raj ka past sunke sabki aankho mein aansu the. Sabko Raj ke dukh aur dard ka aihsaas horaha tha ke kaise usne kya kya jhela hai kya kya saha hai.

Sonal toh jaise waha patthar ki murat bangayi thi. Swati bas uska haath shakti se pakad rakhi thi. Usko pata tha iss waqt Sonal ke dil mein kya chal raha hai woh kaisa mehsus kar rahi hai.

Ishant: Yashhh dekhh Raj kaha gaya hai.

Yash: Woh wohi gaya hai bhaiyaa jaha harbaar jaata hai. Woh Megha ke ghar hi gaya hai.

Smita: Rote hue. Mere Raj ne itna kuch saha hai. Par usne kabhi humsab ko uske dukh dard ka aihsaas nhi hone diya. Harwaqt ghutt ghutt ke jee raha tha woh.

Shruti: Mummy Raj ka dard humlog kam nhi kar sakte. Usne jo khoya hai uski bharpai hum chah ke bhi nhi kar sakte.

Idher Sonal ke aankho mein aansu toh nhi the par woh andar hi andar jorr jorr se ro rahi thi jo sirf Swati mehsus karsakti thi.

Sonal: Mann Mein. Mere Raj ne itna kuch saha aur mujhe pata tak nhi tha. Mere Raj kisi se itnaa pyaar karte the.
Woh Megha kitni khushnaseeb thi ke Raj usse pyaar karte the. Yeh bolte woh andar hi andar rone lagti hai.

Swati: Mann mein. Hey bhagwann yeh kyaa hogya. Sonal ko ab kaise sambhalungi. Yeh aadhi pagal toh puri tarah se pagal hochuki hogi ab. Ab kyaa hogaa.

Idher koi ek aur bhi tha jiske mann mein isswaqt Sonal ki halat ko leke hi soch chal rahi thi.

Savitri: Ashok Vijay ghar chalo. Yashhhh jaldi se Raj ko leke ghar aa sahi salamat.

Yash: Jii Dadi.

Savitri: Deepak ghar chalke baaki baate hogi.

Deepak: Jii Maa.

Phir sab Kapoor house aate hai. Ishant Shruti aur Ishita bhi unke aate saath hi aate hai. Yash chala jaata hai Raj ko lene.

Ragini: Tumsab logo ne humhe kyo nhi batayi itni badi baat.

Sablog bas muh nichhe karke khade hogye the koi kuch naa bol raha tha.

Vijay: Tumlogo ne yeh galat kiya. Tumhe humhe woh baat batani chahiye thi.

Karan: Sorry Papa. Par hum aaplogo ko tension nhi dena chahte the. Aur uss Raj ki jo halat thi usse aaplogo ko aur tension hoti.

Ashok: Bachho ki takleef durr karne se maa baap ko tension nhi hoti hai. Kal ko tum baap banoge tab samaj aayegaa.

Savitri: Bas karo tumsab. Jo hogya ab usse badla nhi jaa sakta. Ab bas yeh socho Raj ka kya hoga.

Smita: Raj se main baat karungi.

Thodi der mein Yash Raj ko leke aajata hai. Raj ki halat dekh kar sabko pata chal raha tha kitna roya hai woh. Kitni takleef mein hai woh.

Sonal bas ektak Raj ko dekh rahi thi. Uski takleef ko samaj rahi thi. Jisse uska mann aur roye jaa raha tha.

Raj: I am Sorry. Mujhe waise react nhi karna chahiye thaa.
Savitri: Raj apne kamre mein jaa. Aur tumsab bhi apne apne kamre mein jao.

Raj chup chap apne kamre mein chala jaata hai. Aur baaki sab bhi.

Sonal apne room mein aate hi jor jor se rone lagti hai. Itni der se jo dukh usne apne andar rakha tha woh ab rona banke baahar aaraha tha.

Swati: Chuppp hojaa Sonal. Mat ro. Dekh maine tujhe pehle din hi kaha tha. Chupp hojaa.

Sonal: Aisa mere saath hi kyo hua Di. Kyooo. Zindagi mein pehli baar kisi ko pyaar kiya tha par woh kisi aur ko pyaar karte hai aur beintehaan karte hai. Woh Megha kitni lucky thi di jo usse Raj pyaar karte hai. Aur Raj uske jaane ke baad uski yaadon ke sahare kitni takleef mein jee rahe hai di.

Swati: Main jaanti hu Sonal. Par please tu chupp hojaaa.


Sonal Swati ke gale lag ke rone lagti hai. Swati usko bas chup karwa rahi thi.
To us Raaz se parda uth hi Gaya AUR Raj ke upar huay taqdeer ka zulm samne aa Gaya. Lekin ab is chakki me pisegi Sonal bhi aur uski mohabbat bhi. Yahi uski mohabbat ka Asli imtehan hoga yahi pehchaan hogi ki yah uska pyaar Hai ya Attraction yah sirf junoon. Agar pyar Hai to usko Raj ko Azad chorna chahiye phir dekhay Kia hota Hai.
 

park

Well-Known Member
7,934
9,810
173
Update 49
Meera wahi darwaze pe khadi rehti hai. Ab uska gussa darr bechaini shant hui thi aur isiliye ab usko Smita aur Raj ke saath kiya behaviour yaad aaraha tha specially Raj ko thappad marna.

Meera: Aankhe nichhe karke haath jod ke. Rajjjj. Pleasee mujhee maaf kardoo. Main Sonal ko leke darr gayi thi aur usi darr ne mujhse woh kaam karwa diya. Maine tumhe thappad mardiyaa. Pleasee mujhee maaf kardooo.

Raj: Meera ke haatho ko pakadte hue. Nhi nhi yeh aap kyaa kar rahi hai. Aap mujhse umar mein bahot badi hai aap meri Sonal ki mummy hai yaani meri bhi mummy hai. Aur aapne jo bhi kaha jo bhi kiya woh gusse aur darr ki wajah se kiya. Aap maafi maang ke mujhe meri hi nazro mein giraa rahi hai. Aur aapne sahi kaha tha meri wajah se hi aaj Sonal ki yeh halat hai.

Meera: Nhii Rajjj. Isme tumhari koi galti nhi hai. Tum toh Sonal ko khush rakhne ke liye usko ghumane le gaye the. Tum apne aap ko dosh mat do. Aur Smita tum bhi mujhe maaf kardo. Gusse mein aur darr mein main bhi naajaane tumhe kya kya bol baithi.

Smita: Nhii Meera. Main samaj sakti hu uss waqt tumhari situation kyaa thi. Main bhi ek maa hu. Tum aise maafi mat maango.

Kuch der baad Sonal ko room mein shift kardiya gaya tha aur sirf Meera hi uske paas baithi hui thi. Raj bahar khada darwaze se Sonal ko dekhe jaa raha tha. Sonal ko waise halat mein dekh ke Raj ki aankho se lagatar aansu beh rahe the. Tabhi Nandini Raj ke paas aati hai.

Nandini: Sonal thikk hojayegi Rajj.

Raj: Aaj iska birthday hai bhabhi. Socha tha aaj isko propose karunga. Isko isk pyaar dunga. Par dekho naa kyaa hogyaa. Agar isse kuch hogya toh main jee nhi paunga bhabhi. Megha ka dukh toh mein jhell gaya bhabhi par Sonal ka nhi jhell paunga.

Nandini: Aisa mat socho Raj. Dekhna bahot jald Sonal thikk hojayegi. Aur phirse tumhare aage pichhe ghumti rahegi.
Raj kuch nhi bolta bas Sonal ko dekhta rehta hai.

Udher ghar mein Shruti aur Savitri ko bhi tension horahi thi. Shruti baar baar hospital call karke Sonal ka haal chaal puch rahi thi. Savitri toh mandir mein baithi Sonal ke liye puja kiye jaa rahi thi.

Kuch 2 ghante baad Sonal ko hosh aane lagta hai yeh dekh kar Nurse jaldi se doctor ko bula ke laati hai.

Doctor jaldi se Sonal ke paas aata hai.

Doctor: Hello Sonal.

Sonal: Behoshi aur kamzoori bhari halat mein. Hello Doctor.

Doctor: Ab kaisa feel horaha hai.

Sonal: Achha lag raha hai. Par sir bahot dukhh raha hai.

Doctor: Woh thikk hojayega. Achha mujhe yeh batao yeh kaun hai jo tumhare bagal mein baithi hai.

Sonal bagal mein nazre ghumati hai toh dekhti hai Meera aankho mein aansu liye usse hi dekh rahi hai.

Sonal: Yeh meri mummy hai.

Doctor: Good. Ab yeh batao tumhe last kyaa yaad hai. Dimaag mein jyaada jorr dene ki koi jarurat nhi hai.

Sonal apni aankhe band karke sochne lagti hai toh usko last ka jo yaad aata hai woh Doctor ko bolti hai.

Sonal: Mujhe last ka bas yehi yaad hai ke main Apne college ka final exam diya hai aur results ka wait kar rahi hu. Uske baad mujhe kuch yaad nhi.

Doctor: Ookk Sonal. Kyaa tumhe uske baad ka kuch bhi yaa nhi hai.

Sonal thoda apne dimaag mein jorr deti hai toh uska sir dard karne lagta hai. Jisse woh chillane lagti hai.

Sonal ko aise chillate dekh Meera darr jaati hai aur rone lagti hai. Nurse jaldi se Sonal ko ek neend ka aur ek pain killer ka injection de deti hai jisse Sonal dheere dheere so jaati hai.

Phir Doctor bahar aata hai.

Doctor: Kyaa unki shaadi hochuki hai.

Raj: Jii haa. Main uska pati hu. Kaisi hai meri Sonal. Woh thikk toh hai naa.

Doctor: Aap mere cabin mein aaiye. Mujhe kuch jaruri baat karni hai.

Deepak: Doctor aisi kyaa baat hai jo aap humsab ke saamne nhi bol paarahe hai. Dekhiye main uska pita hu please mujhe bataiye meri beti kaisi hai.

Doctor: Aaplog mere cabin mein aaiye waha baat karte hai.

Raj Deepak Karan aur Yash Doctor ke Cabin mein chale jaate hai.

Raj: Doctor aakhir aisi kyaa baat hai. Meri Sonal thikk toh hai naa.

Doctor: Dekhiye mujhe jiss baat ka darr tha wohi hua hai. Mrs. Sonal ke dimaag ke internal area mein chott lagi hai aur waha ke nerves mein khoon jam gaya hai. Agar main uss area mein haath deta toh unki jaan bhi jaa sakti thi.
Yeh sunne ke baad waha jaise ek sannata chaa jaata hai. Raj ki aankho se aansu behne lagte hai.

Deepak: Toh iska koi ilaaz nhi hai kya doctor.

Doctor: Jii nhii. Jaisa maine kaha agar maine waha haath diya toh unki jaan jaa sakti hai.

Raj: Nhii Doctorr. Aisa kuch bhi mat kijiyega jisse meri Sonal ki jaan ko khatra ho.

Karan: Abhi Sonal kya condition hai doctor. Woh jo blood jama hua hai woh kaise thikk hoga aur jab tak woh thikk nhi hota toh Sonal ka kyaa hoga.

Doctor: Dekhiye yeh apne aap thikk hoga. Aur isme kitna time lagega yeh bata paana mushkil hai. Aur jab tak woh thikk nhi hota hai tab tak.....

Yash: Tab tak kyaa Doctor.

Doctor: I am sorry to say but tab tak ke liye she will have a memory loss. Aur yeh memory loss ka time period unke College passout hone ke pehle ka hai. Unhone bataya unhe last yehi yaad hai ke woh apne college ke exams khatam karke results ka wait kar rahi hai.

Doctor ki baat ne jaise waha ek dhamaka hi kardiya tha. Aur iss dhamake ka sabse jyaada asar hua tha Raj ke upar. Woh toh jaise sadme mein chala gaya tha.

Deepak Yash Karan sabki nazar Raj ke upar thi. Raj waha jaise pathar bann gaya tha.

Teeno: Rajjjj. Rajjjjjjj.

Karan: Doctor. Dekhiye naa kyaa hua isse. Yeh kuch bol kyo nhi raha hai.

Doctor Raj ko check karta hai aur uske haath mein ek safety pin inject karta hai jiske wajah se Raj hosh mein aata hai.

Doctor: Inko sadma laga tha.

Teeno: Rajj tum thikk hooo.

Raj: Doctor kyaa meri Sonal mujhe bhi bhull gayi hai.

Doctor: Aaplog ekdusre ko kitne time se jaante hai.

Raj: Waise toh bachpan se jaante hai par hum 12 saal se alag the no contact. Abhi 8-9 mahine pehle hi mile hai.

Doctor: Tab toh woh aapko aapke saath shaadi aapke saath bitaye har ek pal ko bhul chuki hai.

Raj: Nhiii aisa nhi hosakta. Meri Sonal mujhe kaise bhul sakti hai. Woh toh mujhse kitna pyaar karti hai woh kuch bhi bhul sakti hai par apne Raj ko nhi bhul sakti.

Doctor: Sambhaliye apne aapko. Ab woh aapko aapke pyaar ko sabkuch bhul chuki hai. Ab woh ekdum waisi bann gayi hai jaise woh aapse milne ke pehle thi.

Karan: Toh doctor hosakta hai woh jab woh humhe dekhe toh yaad aajaye.

Doctor: Ho bhi sakta hai jab woh aaplogo ko dekhe toh woh aaplogo ko aapke naam se pehchan le kyoki aaplog uske bachpan ke relative hai. Par unko aaplogo se apna rishta yaad nhi aayega. Aur jaisa aapne(Raj) kaha woh aapse pyaar karti hai toh ab woh pyaar bhul chuki hai. Ab aap unke liye ek normal insaan hai.

Raj: Meri Sonal kab tak thikk hogi doctor.

Doctor: Yeh bolna mushkil hai. Yeh totally apne aap hoga aur isme kitna time lagega yeh main nhi bol sakta.

Deepak: Agar hum Sonal ko yaad dilane ki koshish kare toh.

Doctor: Aisa galti se bhi mat kijiyega. Isse unke dimaag mein gehra asar hoga jo sidha uss hisse pe attack karega jaha chott lagi hai isse unko brain haemorrhage bhi hosakta hai jo unki jaan bhi le sakta hai.

Raj: Nhii nhii. Main meri Sonal ko kuch nhi hone dunga.
Deepak: Toh ab hum kyaa kare Doctor.

Doctor: Unke liye aaplogo ko 8-9 mahine pehle ki zindagi jeeni hogi. Jaise woh uss samay thi unhe bilkul waisa hi rakhna hoga. Aisa koi kaam nhi karna jisse unke dimaag mein pressure padhe. Uss waqt unke saamne jo log jaise the bilkul waise hi rehna hoga. Uss waqt jo situation thi bilkul waisi situation laani hogi.

Sab: Jii Doctor.

Doctor: Main wapas bolta hu. Unko jabardasti yaad dilane ki koshish naa karee. Baaki aaplogo ki marzi.

Deepak: Ab Sonal ki halat kaisi hai.

Doctor: Woh ab thikk hai. Unke pairon mein fracture hai jiske wajah se unhe kuch din wheelchair ka use karna hoga. Aaplog kal unhe le jaa sakte hai. Aaj raat woh yehi observation mein rahengi.

Deepak: Jiii. Sonal ko hosh kab tak aayega doctor.

Doctor: Abhi toh woh soyegi. Unko hosh ab kal subah hi aayega.

Phir sab doctor ke cabin se bahar aate hai. Raj toh jaise pathar bana hua tha. Usko kuch samaj nhi aaraha tha. Uska pyaar uske aankho ke saamne rahega par usko pehchan nhi paayega yehchiz jaisr Raj ko hazaar maut maar rahi thi.

Yehlog chalte hue Sonal ke room ke paas aate hai toh sablog inhe gher lete hai aur sawaal puchne lagte hai. Par kisi mein itni himmat nhi thi ke woh bolsake.

Meera: Aaplog kuch bolte kyo nhi. Bataiye naa kyaa bola doctor ne. Kaisi hai meri Sonal.

Swati: Haa Yash bataiye naa. Kyaa bola doctor ne. Aur yeh Raj ko kyaa hua hai. Yeh iss tarah kyo behave kar raha hai.

Yash Raj ko ek jagah baitha deta hai aur uske paas baith jaata hai.

Nandini: Karan kyaa baat hai. Kyaa bola doctor ne. Sonal thikk toh hai naa. Aapsab kuch bol kyo nhi rahe hai.

Karan: Nandini woh Sonal actually Sonal ki...

Meera: Sonal ki kyaaaa... Woh thikk toh haii naa. Aapsab bataiyee naa.

Deepak: Sonal ki yaadast chali gayi hai. Woh pichle 8-9 mahino ka sabkuch bhul chuki hai. Usse yeh bhi yaad nhi hai ke uski shaadi hochuki hai.

Deepak ke khulase ne toh waha ek sannata kar diya tha. Sablog jaha the waha jaise jamm gaye the. Sabki aankho se aansu nikalne lage the. Nandini Raj ko dekhe jaa rahi rahi jiske chehre pe waisa hi bhavv tha jaisa Megha ke jaane ke baad tha.

Phir Deepak Doctor ki boli hui harbaat waha batata hai. Jaise jaise Deepak bol raha tha sablogo ke chehre ke bhavv badal rahe thee. Kisi ke aankho mein aansu the toh kisi ke aankho mein sunapan.

Meera: Rote hue. Meri beti ne aisa kaunsa paap kiya tha jiski usse aisi saza mil rahi hai. Usne kabhi kisi ka bura nhi chaha phir uske saath aisa kyoo horaha hai.

Deepak: Meera sambhalo khud ko. Abhi Sonal ko sabse jyaada tumhari jarurat hai. Humhe Sonal ka ab jyaada dhyaan rakhna hogaa. Aur iske liye humhe usse Jaipur lejaana hogaa.

Raj jo itni derr se chup baitha hua tha woh Deepak ki baat sunke bolta hai.

Raj: Meri Sonal kahi nhi jaayegi. Woh yehi mumbai mein apne ghar mein rahegi. Mere saath rahegi.

Deepak: Par beta woh tumsab ko bhul chuki hai. Usse kuch bhi yaad nhi hai.

Raj: Mujhe pata hai woh humhe bhul chuki hai. Aur agar mera pyaar sachha hai toh ekdin Sonal ko sabkuch yaad aayega. Aur iske liye Sonal ko mumbai mein rehna hi hoga. Hum usse jabardasti yaad nhi dila sakte. Par woh khud apne aap yaad karne ki koshish karegi.

Meera: Aur agar isse meri beti ko kuch hogya toh.

Raj: Ab woh meri patni hai. Aur mere rehte ab Sonal ka ek baal bhi baanka nhi hogaa.

Smita: Par Raj woh 8-9 mahine ka bhul chuki hai. Kal ko jab woh bahar niklegi toh tab usse pata chalega ke woh kitne time pichhe hai.

Raj: Woh sab main dekh lunga. Par Sonal yaha mumbai mein mere saath rahegi.

Sablog Raj ko samjhane ki koshish kar rahe the par Raj apni jidd mein raha aur aakhir mein sabko manna hi padha.

Deepak: Agar kalko Sonal puchegi ki uske saath aisa kyaa hua tha jiske wajah se usko 8-9 mahine ka kuch yaad nhi aaraha tha toh hum kyaa bolenge.

Raj: Hum usse sach batayenge ke uska ek accident hogya tha.

Karan: Rajjjj. Tera dimaag toh sahi hai. Tu usse sach batayega jisse uske dimaag mein asar padega.

Raj: Haa. Hum usse batayenge uska ek accident hua tha jiske wajah se woh 8-9 mahine se coma mein thi. Aur aaj usse hosh aaya hai. Isse woh 8-9 mahine ka gap cover hojayegaa. Aur isse uske dimaag mein koi pressure bhi nhi padega.

Sabko Raj ki kahi hui baat sahi lagti hai. Aur sab Sonal ko yehi batane ka faisla karte hai.

Raj: Swati tumhe Sonal ke liye phir se waise banna padega jaise tum shaadi se pehle thi.

Swati: Aankho mein aansu liye. Sonal ke liye main kuch bhi karungi.

Raj: Aarav ghar jaa waha didi ke saath milke ghar ko waisa karde jaisa shaadi ke pehle tha aur jis kamre mein pehle Sonal rehti thi woh kamra saaf karwa de.

Aarav: Jii bhaiya.

Raj: Swati Yash ke saath ghar jaao aur change karlo. Aur aapsab bhi ab ghar chale jaaiye. Yaha itne jan ka rukhna sahi nhi. Main yahi rahunga.

Deepak: Main aur Meera bhi yehi rahenge. Humari yaha jyaada jarurat hai.

Swati: Main bhi yehi rahungi. Main abhi aati hu change karke. Yash chaliyeee.

Yeh bol Swati Yash ke saath nikal jaati hai. Aur Raj wahi chup chaap baitha rehta hai.

Smita: Rajjj.

Raj: Main thikk hu Mummy. Aapsab ab ghar jaaiye. Waha didi aue Dadi akeli hai.

Smita: Apna khayal rakhna Raj.


Phir baaki sab bhi ghar ke liye nikal jaate hai. Hospital mein sirf Deepak Meera Samar aur Raj hi the.
Nice and superb update...
 

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
Nice update bhai ... Interesting one ... sonal bhul chuki hai sab kuch or use itni jaldi to sab kuch yad aane wala nahi hai .. ab dekhte hai kaise use raj apne pyar ka ehsaas dilata hai ... kahani me naya mod .. dekhte hai ab aage kya hota hai
Thank you
 
  • Like
Reactions: mashish
Top