• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

Sauravb

Victory 💯
8,091
14,194
174
Update 31
Agle din Subaj hi pandit ji aake baithe hue the.

Savitri: Pandit ji. Mere do poto ki shaadi karwani hai. Koi achha sa muhurat nikaliye.

Pandit ji charo ki kundli milwate hai aur panchang se 15 din baad ka achha muhurat nikalwate hai.

Pandit: 15 din baad shaadi ka bahot achha muhurat hai. Aap chahe toh ussdin shaadi karwa sakte hai. Aur 13 din baad sagai. Nhi toh agle saal hi hoga.

Savitri: Nhi nhi agle saal bahot late hojayega.

Smita: Par Maa ji 15 din mein sab taiyaariyan kaise hongi. Nandini aur Shruti ki halat bhi toh abhi achhi nhi hai.

Nandini: Choti Mummy hum thikk hai.

Ragini: Iss mamle mein tumdono ekdumm chup rahogi. Tumdono akeli jaan nhi ho. Tumhare andar ek aur pal raha hai. Apna nhi toh uska khayal rakho. Aur Smita chinta mat karo. Saari taiyaari hojayegi.

Ishant: Haa Mummy. Aap chinta mat kijiye. Hum sab sambhal lenge.

Smita: Dekhlo jaisa tumlog thikk samjho.

Savitri: Toh 15 din baad ka hi thikk karte hai.

Sab haa mein gardan hila dete hai.

Deepak: Toh Maa hum bhi aaj hi nikalte hai humhe bhi toh taiyaariyan karni hogi.

Savitri: Thikk haiii.

Meera: Kyaa hum Sonal ko saath lejaaye. 15 din baad toh yeh humesha ke liye yehi aajayegi. Kam se kam yeh 15 din humare saath rahe.

Smita: Sonal ki marzi ho toh le jao.

Meera: Sonal chalogi.

Sonal jiska mann toh nhi tha Raj se alag hone ka par phir bhi woh haa boldeti hai aur apni packing karne upar chali jaati hai. Saath mein Swati bhi.

Ishant: Main Yash ko boldeta hu woh aapsab ki tickets karwa dega.

Deepak: Thikk hai.

Phir sablog apne apne kaam mein lag jaate hai.

Dopahar ko Raj aur Yash dono aajate hai office se.

Yash: Yeh aaplogo ki tickets aur 2 ghante baad flight hai.

Deepak: Thank You Beta.

Yash: Aree isme Thank You kaisa.

Ragini: Raj Yash jara innlogo ko Airport chorr aao.

Dono: Jiiii.

Phir dono jaldi se fresh hote hai aur sabko leke Airport chale jaate hai.

Yash: Toh tum jaarahi ho.

Swati: Bas 15 din. Uske baad toh humesha aapke saath hi rehna hai.

Yash: Haaye yeh 15 din pata nhi kaise gujrenge.

Swati: Sabar kijiye. Sabar ka fhal meetha hota hai.

Yash: Bahot mushkil se katenge yeh 15 din.

Swati: Hum intezaar karenge aapka. Jaldi aaiyegaa.

Yash: Bolo toh saath chalu. Shaadi ki taiyaariyon mein madad hojayegi.

Swati: Jii nhiii. Aap yaha ki taiyaariyan dekhe.

Thodi der mein sab Airport aajate hai.

Sonal: Apna khayal rakhiyega.

Raj: Hmmm.

Sonal: Aap khush hai naa.

Raj: Haaa. Khush hu.

Phir sab Airport ke andar jaane lagte hai toh Raj Sonal ko bulata hai.

Raj: Sonal.

Sonal: Jiii.

Sonal: Thikk se jaana. Aur pahonch ke call kardena.

Sonal yeh sunke bahot khush hoti hai. Jiiiii.

Phir wohlog andar chale jaate hai aur yehlog ghar aajate hai.

Vijay: Raj ab shaadi tak office nhi jaaoge.

Raj: Par bade papa shaadi 15 din baad hai. Toh itni jaldi office se chutti kisliye.

Ragini: Kyoo koi problem hai. Aree bhai humhe bhi toh taiyaariyan karni hogi ki nhi.

Raj: Jiii.

Shruti: Mummy main kya bolti hu. Agar main aur Ishant Jaipur chale jaaye toh kaisa rahega. Waha unhe bhi madad hojayegi.

Ishant: Haa Mummy. Waha sirf Samar aur Deepak Uncle hi hai. Woh akele padh jaayenge.

Smita: Socha toh achha hai. Thik hai phir kal tumdono waha chale jaao. Yash aur Ishu yaha humare paas aajayenge.

Shruti: Thikk hai.

Idher Sonal ne jabse mumbai chora tha uska mood off tha.

Swati: Kyaa hua Sonal.

Sonal: Kuch nhi di.

Swati: Main dekh rahi jab se humne Mumbai chora hai tera chehra utra hua hai. Kyaa Mumbai itna pyaara hogya. Yaa mumbai ka koi yaad aaraha hai.

Sonal: Aisa kuch nhi hai di.

Swati: Tum yeh kyo bhul jaati ho Sonal tum mujhse kuch nhi chippa sakti. Raj ki yaad aarahi hai.

Sonal haa mein gardan hila deti hai.

Swati: Pagal sirf 15 din ki toh baat hai. Phir humesha uske saath hi toh rehna hai.

Sonal: Hmmm.

Swati: Waise Mumbai call kiya yaa nhi.

Sonal: Areee baap ree. Main toh bhul hi gayi. Raj ne bola tha pahonch ke call kardena.

Swati: Par tu yaha pahonchi kaha hai. Teri body yaha hai par dil dimaag dono waha pe hi hai. Chal jaldi se call karke bata de.

Sonal jhatt se Raj ko call karti hai.

Raj: Haa Sonal pahonch gayi.

Sonal: Sorry Raj. Main bhul gayi thi call karna.

Raj: Koi baat nhi. Itne samay baad ghar gayi ho toh dimaag se nikal gaya hoga.

Sonal: Aapne dinner kiya.

Raj: Haa karliya.

Sonal: Kiyaa naa.

Raj: Haa karliyaa. Tumne kiya.

Sonal: Nhi bas karungi.

Raj: Hmm Thikk hai. Aaram karo Good Night.

Sonal: Good Night Raj.

Phir call cut hojaata hai.

Agle din subah hi Ishant aur Shurti Jaipur ke liye nikal jaate hai. Deepak Meera aur baakisab inko dekh kar bahot khush the.

Meera: Shruti beta kyaa jarurat thi iss halat mein travel karne ki.

Shruti: Aunty travel aaj nhi toh kuch din baad mujhe karne hi tha. Mere bhai aur devar ki shaadi hai. Aur aap akele kaise sab sambhalti isiliye main aagayi.

Meera: Bahot achha kiya beta. Warna main akele kya kya karti samaj nhi aaraha tha. Card chapwane hai invitation list taiyaar karni hai marriage hall book karna hai kitna kaam hai.

Ishant: Sab hojayegaa. Aap tension naa le. Marriage hall maine kal hi book kardiya tha raat mein. Uski tension nhi hai ab. Aap Shruti Swati aur Sonal milke Invitation list banale. Tab tak main aur Samar jaake invitation card chapwane ke liye de dete hai aur ek hotel bhi book kardenge. Phir sham ko humlog shaadi ki shopping ke liye chalenge.

Deepak: Bahot achhe beta. Tumne toh aate hi saara kaam ka schedule banwa liya. Par yeh hotel kisliye.

Ishant: Uncle Mumbai se jitne bhi log aayenge woh hotel mein hi rahenge. Saare mehmaan aur Baarat bhi wahi se niklegi aur wapas wahi pe jaayegi.

Deepak: Hotel kyo. Humara ghar hai. Yaha pe rahenge sab.

Ishant: Nhi Uncle. Yeh Sonal aur Swati ke maayka hai. Yaha se kaise dono baarat eksaath niklegi.

Deepak: Hmmm. Thikk hai. Par Maa Shruti Nandini Aarav Ishita aur woh Nandini ki behen yehi pe rahenge. Woh hotel mein nhi jaayenge.

Ishant: Thikk hai.

Meera: Chalo ab tumlog kuch khaa lo.

Shruti: Chaliye main aapki madad karti hu.

Meera: Agar kitchen mein pairr rakha toh abhi ke abhi wapas Mumbai bhej dungi. Chup chaap baith ke aaram karo. Koi kaam nhi karogi tum. Yeh bol Meera kitchen mein jaake jaldi se naashta taiyaar karti hai.

Phir yehlog naashta karke apne apne kaam mein lag jaate hai.

Meera: Swati Sonal aao guest ki list bana lete hai.

Swati: Mummy kyaa Khanna Uncle Aunty ko bulayenge.

Meera: Invitation toh dena hogaa.

Swati: Par woh Vickyyyy.

Sonal: Di uski wajah se hum uncle aunty se kyo galat behave karee. Hum unhe invitation jarur denge.

Shruti: Sonal ne sahi kaha Swati. Bhabhi ne mujhe bataya tha college wala case.

Phir yehlog saare mehmaano ki list banane lagte hai.

Idher Samar aur Ishant jaake pehle Hotel ki booking karte hai aur waha pe saari baat bhi karlete hai phir jaake Invitation card chapwane ke liye de dete hai.

Ghar mein Mehmaano list taiyaar hogyi thi. Tab tak Ishant aur Samar bhi ghar aagaye the.

Sham ko sablog milke shaadi ki shopping ke liye jaate hai. Sonal ne apne liye dress lene ki jagah Raj ke liye dress lene start kardiye. Usne shaadi aur sagai ke liye Raj ki sherwaani choose karli.

Sonal: Didi yeh dono maine Raj ke liye select ki hai. Kyaa unhe pasand aayega.

Shruti: Sonalll. Hum yaha tumhari shopping ke liye aaye hai aur tum apni shopping ki jagah uski shopping kar rahi ho.

Sonal: Nhii didi woh toh mujhe bas yeh dikha toh maine bas pasand kiya. Boliye naa kyaa yeh unhe pasand aayega. Yeh wala sagai ke liye aur yeh wala shaadi ke liye.

Shruti: Dono bahot achhe hai. Raj pe bahot achhe lagenge. Ruko main mumbai mein bhi dikhati hu. Yeh bol woh Nandini ko video call karti hai.

Nandini: Haa Shruti bolo.

Shruti: Bhabhi aapki devrani ne apni shopping ki jagah apne hone wale husband ki hi shopping kardali. Mujhe toh pasand aaya. Aap bhi dekhlijiye phir yehi se final kardete hai.

Nandini: Yeh ladki puri tarah pagal hai. Dikhao. Phir Nandini Raj ki sherwaani dekhti hai toh usko bhi bahot pasand aata hai.

Shruti: Toh yeh final kardete hai Raj ke liye.

Nandinj: Haa yehi kardo. Aur Sonal tum apni shopping pe dhyaan do. Yaha pe Raj ke liye bahot jan hai.

Sonal: Jii bhabhi.

Phir call cut hojaata hai.

Shruti: Hone wala pati ka toh hogya. Ab patni ka bhi karle.

Sonal: Sharmaa ke. Hmmm.

Phir Shruti jaake Sonal ki shopping pe nazar deti hai. Aur Raj ke sang match ho aisi dress leti hai.

Idher Ishant ne bhi Shruti ke liye shopping karli thi jiske baare mein Shruti ko pata nhi tha.

Shruti: Chalo tumhara toh hogya. Ab main thoda Ishant ka dekhlu.

Sonal: Jiii.

Shruti Ishant ke paas aati hai toh woh ladies section mein tha.

Shruti: Mister husband aap ladies section mein kyaa kar rahe hai.

Ishant: Apni biwi ki shopping jo lagbhag hochuki hai.

Shruti: Kyaaaaa aapne meri shopping ki.

Ishant: Haaa. Yeh lo.

Shruti: Howww sweet. Phir sabki nazre bachake Ishant ke gaalo mein ek kiss kardeti hai.

Ishant: Agar shopping karne pe aisa inaam milta hai toh main roj karu.

Shruti: Lalach nhi karna chahiye. Yeh bol hasne lagti hai. Ab chaliye aapne meri shopping toh karli main aapki shopping karlu.

Ishant: Chalooo.

Phir Shruti jaake Ishant ki shopping karti hai.

Idher Meera ne Swati ki shopping karwa di thi.

Innsabki shopping hote hote raat hogyi thi. Phir yehlog jaldi se kuch khaa ke ghar aate hai aur sidha apne kamre mein jaake sojaate hai.

Dusre din invitation card aagaye the. Toh list ke hisaab se sabko card dene jaana thaa.

Meera: Main aur Samar Khannas ke paas chale jaate hai. Tumlog baakiyon ke paas chale jaao.

Sab: Thikk hai.

Meera aur Samar phir Khannas ke ghar ke liye nikal jaate hai aur thodi der mein waha pahonch jaate hai.

Mrs. Khanna: Aree aaplog aaiye aaiye. Kaise hai aaplog.

Meera: Hum thik hai aaplog kaise hai.

Mrs. Khanna: Aaiye baithiye.

Yehdono andar aate hai toh Vicky hall mein hi baitha hua tha. Vicky ko dekh kar ekbaar toh Meera aur Samar ko bahot gussa aata par woh shant hojaate hai aur usko complete ignore karte hai. Mrs. Khanna ko bhi samaj aaraha tha.

Mrs. Khanna: Bataiye kaise aana huaa.

Meera: Yeh shaadi ka invitation dene aaye the.

Shaadi ke baare mein sunke Vicky ke kaan khade hojaate hai. Par woh itna react nhi karta kyoki usko laga Swati ki shaadi hogi.

Mrs. Khanna: Shaadi. Kyaa Swati ki shaadi hai.

Meera: Sirf Swati ki shaadi nhi hai sath mein Sonal ki bhi shaadi hai.

Sonal ki shaadi ki baat sunke Vicky ko bahot bada jhatka lagta hai. Woh gusse se inlogo ko dekhne lagta hai jo Samar ne dekh liya.

Mrs. Khanna: Sonal ki shaadi. Kisse aur achanak. Ladka kaun hai kyaa karta hai.

Meera: Hum Mumbai gaye the Swati ke liye ladka dekhne par waha pe Sonal ki hone wali saas ne Sonal ka haath maang liya. Ladka achha hai parivaar humare jaan pehchan ka hai aur sabse badi baat Sonal ki aur uske bhai behen ki marzi thi isiliye rishta fix kardiya.

Mrs. Khanna: Oooo. Chalo bahot achhi baat hai. Hum shaadi mein jarur aayenge. Shaadi kyaa yaha hai yaa Mumbai mein.

Meera: Shaadi yehi hai. Dono behen dekha jaaye toh ek hi ghar mein jaarahi hai. Sonal ki hone wali nanad ka devar hai Swati ke liye.

Mrs. Shaadi: Oooo. Achhi baat hai. Waise ladke kyaa karte hai.

Meera: Ladko ka khud ka business hai. Dono bahot achhe dost hai. Swati ke liye jo ladka chuna hai uska naam hai Yash aur Sonal ke liye Raj.

Raj ka naam sunte hi Vicky ko bahot gussa aata hai aur usko apni beizaati yaad aajati hai.

Vicky: Mann mein. Ooo toh matlab dono ne plan karke inko ready karwaya hai shaadi ke liye. Sonalllll yeh tune achha nhi kiya. Tu agar meri nhi hosakti toh tujhe kisi aur ki bhi nhi hone dungaa. Aur tere uss Raj ka aisa intezaam karunga ke woh pachtayegaa.

Meera: Achha ab hum chalte hai. Aur aaplogo ko shaadi mein jarur aana hai.

Mrs. Khanna: Bilkul aayenge. Aur shaadi mein koi bhi madad ki jarurat ho toh humhe yaad kijiyega.

Meera: Areee nhi nhi Swati ke jeth aur jethani aagayi hai madad ke liye. Aur aate hi saara kaam apne kandho pe le liya hai.

Mrs. Khanna: Ooo achhi baat hai.

Phir Meera aur Samar waha se chale jaate haii. Unke jaate hi Vicky bolta hai.

Vicky: Humlog iss shaadi mein nhi jaayenge.

Mrs. Khanna: Aur woh kisliye.

Vicky: Jiss ladki ki wajah se aapke bete ki beizaati hui aaplog usi ki shaadi mein jaayenge.

Mrs. Khanna: Beizaati tumne khud apni karwaayi hai apni ghatiya harqato se. Mujhe toh laga tha tumhari neech harqat ke baad yehlog humse rishta hi todd denge par iss shaadi mein bulake humhe maaf kiya hai.

Vicky: Gusse mein. Maine kaha naa humlog iss shaadi mein nhi jaayenge.

Mrs. Khanna: Tumhe kisne kaha hai jaane ko. Shaadi mein main aur tumhare papa jaayenge. Aur tum yehi rahoge. Hum nhi chahte waha shaadi mein tumhari wajah se humari aur beizaati ho. Aur agar yaha nhi reh sakte toh shaadi hone tak jaipur ke bahar raho. Waise bhi kaam dhanda toh hai nhi saare din loafer ki tarah ghumte rehte ho.

Vicky apni maa ki jali kati baate sunke aur jyaada gussa hojaata hai uska mann toh kar raha tha jaake abhi Sonal ko maar de. Woh gusse mein waha se nikal jaata hai aur Rajesh ki call karta hai aur shaadi ki baat batata hai.

Vicky: Yeh shaadi nhi honi chahiye. Iss shaadi mein khushiyan nhi maatam honi chahiye.

Rajesh: Aisa hi hogaa. Yeh shaadu uss Raj aur uske parivaar walo ke yaad gaar rahegi. Phir woh Vicky ko ek plan batata hai jisse sunke Vicky jor jor se hasne lagta hai.

Vicky: Bahot badiyaaa. Isse iss Sonal se apni beizaati ka badla bhi le lunga. Par uska woh bhai jo police hai uska kyaa.

Rajesh: Chinta mat karo. Iss kaam ke liye mere paas ek aisa aadmi hai jo agar pakda bhi gaya tab bhi humara kuch nhi bigdega.

Vicky: Bahottt khubbbbb. Phir call cut hojaata hai.


Sonallll tune uss Raj ke liye mujhe beizaat kiya aur mujhe reject kiya tha naa. Ab dekhna tujhe teri shaadi ka main aisa gift dunga jisse tu zindagi bhar yaad rakhegi. Yeh bol jor jor hasne lagta hai.
Shaddi fix ho gayi.vicky to jalke khak go gaya phirse kuch gadbad karega .lekin success milega ya fail hoga wqat batayega.
 

Sauravb

Victory 💯
8,091
14,194
174
Update 33
Nandini: Aap nikaliye room se bahar. Aaj ki raat aap room ke bahar guzarenge.

Karan: Kyaaaaa. Par kyooo. Maineee kyaaa kiyaa.

Nandini: Kyaaa kiyaaa. Aapko nhi pata aapne kyaa kiyaaa. Nikaliye room se bahar.

Karan: Nandini meri pyaari Nandini kyaa huaa. Kyo gussa ho.

Nandini: Mujhe dikha dikha ke aap naach rahe the. Aapko mere bagal mein khada hoke mujhe support karna chahiye tha. Par nhi aapko toh aapki biwi ko pareshan karna tha naa. Isiliye aapki saza yahi hai aaj raat aap bahar guzarenge.

Karan: Nandini ko apne baahon mein leke. Nandini meri pyaari Nandini. Itna gussa nhi karte. Warna humara baby bhi gusse wala hoga. Aur jara socho agar main raat ko bahar raha tha toh sab kyaa sochenge ke IPS Karan Kapoor ki biwi ne usko room se bahar nikal diya. Aur waise bhi yeh humara ghar nhi hai.

Nandini: Choriye mujhe. Aur mujhe apni baaton mein fhasane ki koshish mat kariye.

Karan: Tum toh pehle hi meri baaton mein fhas gayi thi. Tabhi toh aaj hum ek kamre mein hai.

Nandini: Isi baat ka toh faiyda utha rahe hai aap. Thikk hai nhi bhejti kamre ke bahar. Par bed mein nhi sofa mein soyenge aap. Aur mumbai pahonchne tak no touching.

Karan: Thikk hai tumhe touch nhi karunga aur tumhare paas nhi sounga. Par apne bachhe ke bagal mein toh so sakta hu aur usko touch bhi kar sakta hu. Aur isme koi objection nhi chalega tumhara.

Nandini Karan ke counter attack mein puri tarah se fhass chuki thi. Isiliye woh pairr patakte hue bed mein jaake let jaati hai. Karan bhi haste hue let jaata hai.

Idher Ishant ke saath Shruti bhi yehi karti hai par Ishant bhi chalaki se bachh jaata hai.

Idher Swati aur Sonal bahot khush thi dono ki khushi toh jaise kam hi nhi horahi thi. Dono baar baar apni angoothi ko pyaar se dekh rahi thi aur chum rhi thi.

Agle din mehendi aur sangeet ki taiyaariyan start hochuki thi. Sonal aur Swati ko ek jagah baitha kar mehendi lagayi jaa rahi thi.

Sonal ke haatho mein jab Raj ka naam likha jaata hai toh uske aankho mein khushi ke aansu aajate hai jo Swati dekh leti hai.

Swati: Dheere se. Kyaa baat hai Sonal tumhari aankho mein aansu.

Sonal: Yeh toh khushi ke aansu hai di. Raj ka naam mere haatho mein likha hua hai yeh dekh kar mujhe bahot khushi horahi hai. Mujhe nhi pata tha mera pyaar mujhe itni jaldi milegaa.

Swati: Pagal. Yeh toh tera pyaar sachha tha isiliye teri shaadi Raj se horahi hai. Aur apni aankho se aansu poch. Warna agar uss Rajdhani Express ne dekh liya toh bolegi jabardasti shaadi horahi hai.

Swati ki baat pe Sonal ko hasi aajati hai. Sonal ke chehre pe hasi dekh Swati bhi has deti hai.

Idher Yash Raj ke saath khada tha. Yash ke chehre pe toh khushi saaf samaj aarahi thi. Par Raj ka chehra pe koi reaction nhi tha.

Yash: Kyaa baat hai Raj. Kyaa tu khush nhi hai iss shaadi se.

Raj: Aisa kuch nhi hai Yash. Sonal bahot achhi ladki hai. Main bas yehi soch raha hu kyaa woh mere saath khush rahegi.

Yash: Tu jara Sonal ke chehre ko dekh. Dekh kitni khush hai woh iss shaadi se. Aur sach kahu toh Sonal se achhi ladki tujhe nhi mil sakti. Tumdono ekdusre ko samajte ho. Aur sabse badi baat usne tujhe tere past ke saath accept kiya hai. Isiliye ab yehsab sochna chorr aur apne aage ki zindagi ke baare mein soch.

Raj kuch nhi bolta bas Sonal ke haste hue chehre ko dekhta rehta hai. Jab Sonal ki nazar Raj ki taraf jaati hai toh woh dekhti hai Raj usko hi dekh raha hai toh woh ishare se puchti hai kyaa huaa. Raj bas naa mein naa mein gardan hila deta hai.

Dekhte dekhte sham hochuki thi aur Sangeet ka time bhi hogya tha. Par as usual Nandini aur Shruti ke chehre latke hue the.

Ragini: Kyaa hua chehre kyo latke hue hai.

Dono: Toh kyaa karee. Aaplog toh humhe enjoy karne hi nhi de rahe hai. Upar se aaj toh Sangeet hai. Kam se kam aaj toh thoda enjoy karne dijiye.

Ragini: Ab samaj aaya. Toh tumdono ko naachna gaana hai.

Dono: Jiii. Bas thoda saaa. Hum sambhal ke rahenge. Pleaseee maan jaaiye.

Ragini: Thikk hai jaao. Par jyaada nhiii.

Dono yeh sunte hi khushi se uchal padhte hai jisse unhe jhatka lagta hai aur unhe dard hota hai aur woh ek jagah baithh jaate hai aur unki aankho mein aansu bhi aajate hai.

Ragini: Lo paani piyo. Ab samaj aaya kyo hum mana kar rahe hai. Par tumdono ko samaj kaha aata hai. Areee humlog tumlogo ki halat samajte hai. Par tumdono bhi toh dekho kyaa halat hai abhi tumhari. Halki si chukk aur kitna bada nuksaan.

Dono: We are sorry. Ab hum samaj gaye hai. Ab hum koi aisa kaam nhi karenge jisse problem ho and thank you.

Ragini: Aankhe dikha ke. Last mein kyaa bolaa phir se bolnaa.

Dono: Sorry sorry galti hogyi.

Ragini: Hmmm. Chalo ab chup chaap baith ke aaram karo. Dard nhi horaha hai naa.

Dono: Nhiii abhi thikk hai.

Idher Nandini ki Maa durr se yeh dekh rahi thi aur Ragini ko Nandini ki itni parwaah karte dekh itna pyaar karte dekh bahot khush thi. Aakhir ek maa ko toh yehi chahiye ke uske bachhe humesha khush rahe. Aur Nandini ko khush dekh kar uski maa bhi bahot khush thi.

Idher Sangeet ke mahol mein Rashi galti se Aarav ke kareeb jaa rahi thi jo Payal dekh leti hai toh woh gusse aur jalan se Aarav ko apne saath hi rakhti hai usko akela hi nhi chorti hai.

Aarav ko yeh dekh kar bahot hasi aarahi hoti hai par woh apni hasi ko control karleta hai.

Karan aur Ishant issbaar apni biwiyon ko support karte hue unke paas jaake khade hojaate hai jisse Nandini aur Shruti ko achha lagta hai.

Dekhte dekhte Sangeet ka function bhi khatam hojaata hai. Agle din shaadi thi isiliye sablog jaldi so jaate hai. Par kuch logo abhi bhi jaag rahe the aur shaadi ko leke hi baat kar rahe thee.

Vicky: Saari taiyaari hochuki hai naa.

Ranjeet: Haaa saari taiyaari hochuki hai. Humara aadmi Jaipur pahonch gaya hai. Tum usse le jaana. Aur yaad hai naa usse kaise milna hai.

Vicky: Haa mujhe yaad hai.

Ranjeet: Hmmm. Kal uss Raj ko uski shaadi ka aisa tohfa milega jise woh zindagi bhar nhi bhul payegaa.

Vicky: Haaa. Aur uss Sonal ne mujhe thukra ke meri beizaati ki thi naa. Kal uska bhi badla pura hojaayega. Yeh Shaadi ek yaadgaar shaadi banke rahegi.

Phir call cut karke kal ke plan ke baare mein sochte hue sojaata hai.

Agle din subah se hi shaadi ki taiyaariyan start hogyi thi par uske saath saath haldi ki rashm bhi ki jaa rahi thi.
Nandini aur Shruti subah subah hi Hotel aagaye the Raj aur Yash ko haldi lagane ke liye.

Sablog achhe se Raj aur Yash ko haldi laga rahe the aur masti mazaak kar rahe the. Phir wohi haldi Sonal aur Swati ke liye bhijwa di gayi thi jise dono ko laga diya gaya tha.

Dono pehle se hi khubsoorat thi uske upar haldi ka lep lagne ke baad dono ka nikhaar aur badh gaya tha.

Haldi ki rashm ke baad Swati aur Sonal ko beauticians ke saath alag alag kamre mein bhej diya gaya tha taiyaar karwane ke liye. Sonal ne Raj ke liye jo Sherwaani kharidi thi woh bhi bhijwa diya gaya tha.

Yash: Kyaa baat hai Raj tujhe toh kuch shopping karne ki jarurat hi nhi padhi. Sagai se lekar shaadi tak teri saari shopping Sonal ne hi kardi hai.

Raj: Didi ne bola tha usko par woh nhi maani. Warna meri shopping toh bhabhi aur mummy hi karne wale the. Par achha hua isse bhabhi ko jyaada mehnat nhi karni padhi.

Yash: Haa haa. Abhi se biwi ki side le raha hai. Aage pata nhi aur kya kya karega. Yeh bol hasne lagta hai.

Raj: Jyaada mat bol. Warna sabko bata deta hu tera aur Swati ka chakkar pehle se chal raha tha. Phir sambhalte rehna sabke sawaal.

Yash: Aree tu toh gussa hogyaa. Shantt hojaa mere bhai. Ekbaar shaadi hojaaye phir bol dena.

Raj: Dekhte hai.

Yash: Achha. Waise tune ek baat gaur ki. Woh ladka Vicky har function mein kaise tujhe aur Sonal ko gusse se ghurr raha tha.

Raj: Hmm dekha maine. Mumbai mein uske saath jo hua hai uske baad woh shayad direct kuch nhi karega. Aur yaha shaadi mein uske maa baap bhi honge toh indirectly bhi kuch nhi karegaa.

Yash: Naa karee toh achha hai. Warna issbaar toh uski haddiyan hi tutegi.

Raj: Chorr uski baat. Woh bas ek stalker tha jiski saza usse mil chuki hai.

Idher yehdono Vicky ki baat kar rahe the udher Vicky apni planning ke mutabik uss aadmi ke paas chala jaata hai jo Mumbai se aaya hai.

Vicky uss aadmi ko achhe se sab samjha deta hai usko kya karna hai kaise karna hai aur kaam ke baad kaha jaana hai. Woh aadmi bhi sab achhe se samaj leta hai.

Dheere dheere raat hojaati hai aur shaadi ka time bhi horaha thaa. Swati aur Sonal ko achhe se taiyaar kardiya gaya tha.

Swati ne jaha se ek Pink colour ka lehenga pehna tha wahi Sonal ne ek Golden aur red colour mix ka lehenga pehna tha. Dono bahot hi jyaada khubsoorat lag rahi thi upar se beauticians ke haath ka makeup unki khubsoorati pe chaar chaand laga raha tha.

Meera jab apni betiyon ko dekhti hai uski aankho mein aansu aajate hai aur woh chah ke bhi issbaar apne aansu nhi rokh sakti.

Meera: Meri bachhiyan kab itni badi hogayi pata hi nhi chala. Aisa lag raha hai jaise kal hi inka janam hua aur aaj dekho shaadi ke jode mein khadi hai.

Dono: Apni maa ke gale lagte hue. Hum chahe jitni bhi badi hojaaye aapke liye toh chote hi rahenge mummy.

Meera: Apna khayal rakhnaa aur apni mummy ko bhul mat jaanaa.

Dono: Aankho mein aansu liye. Aisaa mat boliye mummy. Hum bhale hi iss ghar se jaa rahe hai par aapke dil mein toh humesha rahenge na. Aapne humhe iss duniya mein laaya. Aap humari mummy hai aapko kaise bhul jayengee.

Darwaze pe khada Deepak bhi yeh dekh raha tha andar hi andar woh bhi ro raha tha par bahar se khud ko sambhale khada tha.

Deepak: Aree chalo chalo udher Hotel se baarat nikal gayi hai wohlog kabhi bhi Marriage hall pahonchte honge.

Dono: Aankho mein aansu liyee. Papaaaa.

Deepak: Haaa beta bolo.

Dono bhaag ke aati hai aur Deepak ke gale lag jaati hai. Deepak jo itni der se khud ko sambhale khada tha uski aankho se bhi aansu nikal jaate hai.

Deepak: Rote nhi betaaa. Aaj se tumdono apne asli ghar jaaogi. Maine toh bas itne saal apni zimmedaari nibhayi hai jo aaj puri hojaayegi.

Dono: Hum aapko bahot miss karenge papa. Aap sabse achhe papa ho. Aapne aaj tak humari har ichha puri ki. Humhe kabhi bhi dukhi nhi hone diya.

Deepak: Apne bachho ki ichha ko puri karna unhe khush rakhna toh ek baap ka farz hota hai. Bas tumdono apne iss baap ko bhull mat jaana. Aur humesha khushh rehnaa.

Dono: Kabhi nhi papa. Kabhi nhiii. Yeh bol dono kuch der Deepak ke gale lagi rehti hai.

Durr khada Samar yeh sab dekh raha tha jiski aankho mein bhi aansu thee.

Sonal: Kazamaaaa. Apni Shinchan ko miss karega naa.
Samar: Rote hue. Main kyo miss karunga. Main toh bahot khush hu aaplogo ke chale jaane se. Ab aaplogo ke hisse ka pyaar bhi mujhe milega. Ab iss ghar mein mera raaj hoga ab yaha meri baate maani jaayengi koi meri shikayat nhi karega koi mujhe daatega nhi.

Dono rote hue apne bhai ke gale lag jaati hai. Samar bhi apni beheno ko kaske gale laga leta hai.

Samar: Rote hue. Mujhe meri Shinchan bahott yaad aayegi. Ab kiske saath main masti karunga. Ab kaun mujhe daatega. Ab kaun meri shikayat mummy papa se karega.

Dono Samar ke aankho se aansu pochte huee. Apna khayal rakhna Samar. Aur Mummy Papa ka bhi dhyaan rakhnaa. Ab tujhe hi iss ghar ko sambhalna hogaa. Sambhalegaa naaa.

Samar rote hue naa mein gardan hila deta hai jisse naa chahte hue bhi dono ke chehre mein ek hasi aajati hai.

Deepak: Chalo ab chalte hai. Baarat kabki nikal chuki hai hai hotel se.

Phir Meera Sonal aur Swati ke aansu pochti hai aur halka sa makeup ka touchup deti hai phir sablog nikal padhte hai Marriage hall ki taraf.

Idher Hotel mein baarat nikalne se pehle sablog Raj aur Yash ke saath masti kar rahe the jisme Raj bhi has raha tha.

Vijay: Aree chalo chalo aur kitna late karoge. Muhurat nikal jayega tumlogo ki masti mein.

Ashok: Haa chalooo ab. Main Deepak ko boldeta hu hum nikal rahe hai. Karan innki ghodi taiyaar hai ki nhi.
Karan: Haa taiyaar hai.

Savitri: Nandini Shurti tumlog mere saath gaadi mein aaogi.

Dono: Par Dadi hum chal sakte hai. Marriage hall paas mein hi toh hai.

Savitri: Nhii bilkul nhi. Chalo chup chaap gaadi mein baitho.

Dono apna sada sa muh banake chup hojaati hai.
Thodi der mein Smita Raj aur Yash ki aarti utarti hai phir sab hotel ke bahar nikal te hai.

Hotel ke bahar hi 2 ghodi aur band baaje waale khade the aur kuch guest bhi.

Ashok: Chalo Raj Yash ghodi mein baitho.

Dono ghodi ki taraf aage badhte hai toh Raj ko Karan aur Yash ko Ishant ghodi mein baithate hai. Yash toh kuch jyaada hi exicted lag raha tha.

Jaise hi Raj aur Yash ghodi mein baithte hai Bandwale na bajana start kardiya.

Savitri Nandini aur Shruti ke saath gaadi mein baith jaate hai aur baaki sab baraati ghodi ke saamne naachte gaate hue nikal padhte hai.

Aarav Payal Ishita Karan Ishant pure joro shoro se naach rahe the. Karan aur Ishant toh gaadi baithi apni biwiyon ko dikha dikha ke naach rahe the. Jisse unko bahot gussa aaraha tha. Par Ragini ne dono ke kaan pakad ke kheenchna start kardiyaa jisse Nandini aur Shruti hasne lagti hai.

Thodi der mein baraat Marriage hall pahonch jaati hai Deepak ne family with guest pehle se waha pahonch chuke the. Sonal aur Swati ko waha pe ek kamre mein baitha diya gaya tha.

Nandini aur Shruti gaadi se utarke Karan aur Ishant ke paas jaake unke pairon mein jorr se maarke aage badh jaati hai dono bas apne pairon ko pakad ke khade rehte hai.

Meera Raj aur Yash ki aarti utarti hai aur dheere se apne haath aage badhati hai par tabhi Karan bolta hai.

Karan: Raj Yash bachkeeee.

Raj aur Yash Karan ke kehne ka matlab samajte uske pehle hi Meera ne Raj aur Yash ki naak pakad ke kheench di aur yeh dekh kar sab hasne lagte hai.

Karan: Isi se bachne ko keh raha tha. Har saas yeh karti hai.

Meera: Thodaa latee hogayee Karan. Pehle se bata dena chahiye thaa. Chalo aao andar aao.

Phir sablog andar aate hai. Raj aur Yash ko stage mein rakhe chair pe baitha diya jaata hai.

Shruti: Tumdono apne jutee sambhal ke rakhna. Sonal aur Swati ki beheno ke haath nhi lagna chahiye. Naak kheenchai mein toh haar gaye ho jutee churai mein jitna hi jitna hai humhe.

Nandini: Haaa sahi kaha. Payal Ishita Aarav Karan Ishant dhyaan rakhna koi bhi inke jutoo ke taraf naa aa paaye chahe kuch bhi hojaaye jutee chori nhi hone chahiyee.


Sab: Yess Bosss. Chinta mat kijiye hum sambhal lenge.
Awesome update.but vicky ki planning sayad shaddi me dukh mahol paida karega.
 

Sauravb

Victory 💯
8,091
14,194
174
Update 34
Idher Sonal aur Swati Raj aur Yash ki ek jhalak dekhne ko bekaraar thee. Par woh dekh nhi sakte the. Unhe toh charo taraf se ghera hua tha.

Udher Vicky bhi apne uss aadmi ke saath shaadi mein aagaya tha par apna chehra chupa rakha tha. Aur usko achhe se samjha diya tha kyaa karna hai aur kab karna hai aur usko ek jagah chorrke woh usse durr hogyaa. Par uski nazar uss aadmi pe hi thi.

Idher Rashi bhi jutee churane ke liye ready thi kuch aur ladkiyon ke saath. Par Aarav Payal aur Ishita ne Raj aur Yash ke jutee chipaa diye the jisse unhe jutee nhi mil rahe thee.

Rashi kisi na kisi bahane se aati aur jutee khojne ki koshish karti par har baar naakam hoti aur yeh dekh waha khade Aarav Payal Ishita hasne lagtee.

Thodi der baad Pandit ke bulane Raj aur Yash ko mandap mein baitha diya jaata hai aur uske thodi der baad Sonal aur Swati ko bulaya jaata hai.

Nandini Shruti Payal Ishita Rashi Sonal aur Swati ko kamre se leke aate hai aur Raj aur Yash ke bagal mein baitha dete hai.

Dono ladkiyon ne ghunghat kiya hua tha.

Yash Swati ka chehra dekhne ke liye thodi mehnat karta hai par naakamiyab rehta hai. Par Raj ne aisi koi harqat nhi ki thi. Woh bas chup chaap baitha hua tha aur jab Sonal aati hai toh ghunghat ke upar se hi ek baar dekhta hai.

Vicky jab Sonal ko dulhan ke getup mein dekhta hai toh dekhte hi reh jaata hai. Uski aankho mein jaise hawas aur khoon dono utar aaya tha.

Vicky: Sonal tune mujhe thukra ke iss Raj ko pasand kiya naa ab dekh aaj tujhe kaise wedding gift deta hu main. Yeh bol woh uss aadmi ko ek ishara karta hai jisse woh aadmi ishare ko samaj mandap ke kareeb jaane lagta hai.

Pandit Shaadi ki rashm start karta hai. Thodi der baad Deepak aur Meera ko kanyadaan karne ke liye bulaya jaata hai.

Deepak aur Meera pehle Swati ka phir Sonal ka Kanyadaan karte hai. Kanyadaan karte waqt Deepak ne toh control kiya hua tha par Meera ki aankho mein aansu beh rahe thee.

Phir pandit fhero ke liye charo ko khade karwate hai. Rashi ne Raj Sonal aur Yash Swati ka gathbandan kiya. Phir fhere start hote hai. Fhero ke baad Sindoor aur Mangalsootra pehnaaya jaata hai.

Jaise hi Raj ne Sonal ko Sindoor aur Mangalsootra pehnaata hai Sonal ke aankho mein khushi ke aansu aajate hai. Aakhir usne jisse chaha tha usko paa liya tha humesha humesha ke liyee.

Idher woh aadmi dheere dheere apne sang laaye gun ko jisme silencer laga hua tha usko bahar nikalta hai aur jaise hi sab aashirwaad ke liye khade hote hai woh gun ko sabki nazro se chupa ke ek jagah pe aim karta hai.

Jaise hi Raj aur Sonal aashirwaad lene ke liye jhukte hai tabhi woh aadmi goli chala deta hai jiska target koi aur nhi Raj tha.

Jaise hi goli chalti hai ek jorr ki chikh nikalti hai sab ghabra jaate hai aur chikhne wale ko dekhte hai toh shockk hojaate hai kyoki chikhne wali koi aur nhi Mrs Khanna thi. Jiske haath khoon se range hue the aankho mein aansu the aur haath pet ke upar the jisme se lagatar khoon beh raha tha. Kyoki Raj ko goli lagne ke pehle hi Mrs. Khanna beech mein aajati hai.

Jaise hi sab Mrs. Khanna ko dekhte hai toh sab unki taraf daud ke jaate hai. Vicky jab dekhta hai goli Raj ki jagah uski maa ko lagi hai toh usko bahot gussa aata hai kyoki uska plan fail hogya tha. Usko apni maa ke goli lagne se koi dukh koi parwaah nhi thi.

Mr.Khanna jaldi se Mrs. Khanna ko pakad lete hai. Karan charo taraf nazar daudata hai toh dekhta hai ek aadmi jo shakal se hi gunda lag raha tha woh main gate ki taraf chupte chupate jaa raha thaa.

Karan jaldi se uske pichhe daudta hai. Karan ko daudte dekh Ishant bhi uske pichhe pichhe daudta hai.

Idher Mrs. Khanna ki halat bigad rahi thi unki aankhe band horahi thi. Sablog bahot jyaada darr gaye thee.

Deepak: Mr. Khanna jaldi se inhe hospital leke chaliye isse pehle derr hojaaye. Samar Aarav jaldi se gaadi nikalo.
Samar aur Aarav jaldi se daud lagate hai gaadi ki taraf.

Sonal: Papa hum bhi jaayengee.

Swati: Haa papa.

Deepak: Nhi beta tumlog yehi raho. Abhi abhi tumlogo ki shaadi hui hai.

Mr. Khanna: Haa betaa. Tumlog yehi raho. Mr. Singh jaldi chaliyee.

Phir Deepak Mr. Khanna Vijay Ashok Mrs. Khanna ko leke hospital bhaagte hai jo behosh hochuki thi.

Vicky toh goli lagte aur apna plan fail hote dekh kar hi gayab hogaya tha. Usko jaise apni maa se koi matlab hi nhi thaa.

Idher Karan aur Ishant uss aadmi ke pichhe bhaag rahe the. Woh aadmi marriage hall se nikal kar apne plan ke mutabik under ground hone wala tha par ho naa saka.

Karan uss aadmi ko pakad leta hai aur usko maarne lagta hai. Woh aadmi bhaagne ki koshish karta hai toh Ishant usko pakad leta hai. Phir Karan usse aadmi ki talashi leta hai toh usko ek gun milti hai.

Karan: Kiske kehne pe aaya tha shaadi mein. Kisko maarne wala tha tu bol. Yeh bol Karan usko ek thappad maarta hai par woh aadmi kuch nhi bolta.

Ishant: Karan lagta hai yeh aise nhi bolega. Isko jail mein daalke dhande maarega tabhi yeh bakega.

Idher woh aadmi toh darr ke maare kaanp raha tha.
Karan apna phone nikal ke waha ke local police ko call karke waha bulata hai. Aur uss aadmi ko behosh kardeta hai uske gardan ki nash daba ke jisse woh bhaag nhi paaye.

Idher Marriage hall mein guest ke beech baate start hogyi thi. Sablog apni apni kahaniyan banane mein lage hue the. Kuch kehte jarur ladkiyon mein se kisi ka koi chakar hoga toh kuch kehte ladko mein se hi kisi ka chakar hoga. Kuch kehte jarur business ko leke dushmani hogi toh kuch aur kahaniyan bana rahe the.

Sonal: Rajjjj pleasee aap hospital jaake dekhiye naa. Mujhe bahot tension horahi hai.

Swati: Haa Yash. Pleasee aap jaaiyeee.

Raj: Yashhh tu yehi rukh innsab ke paas. Main jaata hu Hospital. Tu ek kaam kar innsab ko leke tu ghar chala jaa hotel mein mat jaa.

Yash: Main bhi chalta hu naa.

Raj: Nhii yaha pe bhi jarurat hogi. Main waha jaake Aarav aur Samar ko bhej dunga. Tu innsab ko sambhal ke ghar lejaa.

Yash: Thikk hai.

Raj: Sonal. Pleasee innsab ke saath ghar chali jaao.
Sonal: Aap dhyaan se jaaiyegaa Raj.

Raj: Mummy Badi Mummy. Aaplog chali jaaiye Yash ke saath. Phir guest ki taraf muh karke. Aap sab shaadi mein aaye uske liye bahot bahot Thank You. Ab aapsab pleasee apne apne ghar chale jaaiye.

Sabhi guest kuch na kuch bolte hue nikalne lagte hai. Tabhi waha Karan aur Ishant aajate hai.

Nandini: Karannnnnn.

Karan: Wohhh aadmi pakda gaya hai. Bahot dheet hai kuch bol nhi raha hai. Maine usse abhi ke liye toh local police ke hawale kiya hai. Kal subah uss se milunga.

Raj: Achhi huaaa. Bhaiyaa main Hospital jaa raha hu. Aaplog innsab ko leke ghar jaaiye.

Karan: Nhii Rajj. Tu yaha rahe hum jaate hai. Abhi Sonal ko teri jarurat hogi.

Raj: Bhaiyaa abhi bhabhi ko aapki jyaada jarurat hai. Aap unke saath rahiye. Main nikalta hu. Sonal dhyaan se ghar jaana aur ghabrana nhi.

Sonal: Aap apna khayal rakhiyega.

Ishant: Dadi Mummy Badi Mummy Meera Aunty chaliye ghar chalte hai.

Karan: Aaplog chaliye main yaha ke manager se baat karke hospital aaunga waha meri jarurat padegi.

Nandini: Karan jaldi aaiyega.

Karan: Tum chalo main aata hu.

Phir sablog waha se nikal jaate hai. Idher Manager tension aur darr mein waha khada thaaa.

Karan: Haa toh Manager sahab. Aap batayenge yeh sab kaise hua. Maine kaha tha na security ka pura dhyaan rakhna. Phir wih aadmi gun leke andar kaise aaya. Kyaa aapka security staff duty pe so raha tha.

Manager: Haklaate hue. Mujhe bhi samaj nhi aaraha hai. Aakhir yeh hua kaise. Humare security staff ne har guest ko achhe se check kiya tha. Sabhi ko metal detector se check kiya gaya tha.

Karan: Iska matlab aapke security staff mein se hi kisi ne beimaani ki hai. Mujhe saare ke saare security staff chahiye mere saamne abhi ke abhi.

Manager: Jii sirr.

Phir Manager apne saare security staff ko waha bulata hai toh 14 jan waha aajate hai.

Karan: Kyaa yeh 14 jan hi hai.

Manager: Nhiii Sir. Total 15 jan the.

Karan: Toh woh 1 jan kaha gaya.

Manager: Ramesh kaha hai. Woh kyo nhi aaya. Maine kaha tha naa sabko aana hai.

Manager ke sawaal pe waha khada ek aadmi bolta hai.

Aadmi: Sir. Ramesh toh bahot derrr pehle hi ghar chala gaya. Bahot tension mein lag raha tha. Maine pucha toh bataya tabiyat kharab hai.

Karan: Kitni der pehle gaya hai woh.

Aadmi: Sir Fhero ke waqt hi chala gaya woh. Aur bahot hi jyaada jaldi mein tha.

Karan: Mujhe kal subah tak Ramesh ka address uski photo aur yaha ke saare CCTV ki footage chahiye. Aur tumsab jab tak jaanch puri nhi hoti sehar chorkee bhaagne ki koshish bhi mat karna. Warna jaha dikhe wahi maardungaa.

Sab: Darte huee. Nhii sirrr humm kahii nhii jaayenge.

Manager: Jiii Sirrrr. Main kal subah hi sab deta hu.


Phir Karan waha se nikal jaata hai hospital ke liye.
Vicky ki maa ko goli lagi lekin usko koi parwah he nehni he.shaddi samparn hua lekin villain ab tak pakda nehni gaya.awesome story bhai like your other 3 stories.
 
Top