• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

Bilal jan

My Attitude your problem 🖕 Your attitude my foot
14,955
38,025
258
Update 24
Megha ne apne ghar jaake apne parents se baat karli thi. Unhone permission bhi de di thi.

Megha ne sang sang Shruti ko bhi bata diya tha.

2 din baad Sunday aajata hai. Subah sablog achhe se taiyaar hoke nikalte hai. Yash jaanmuzz ke nhi jaata. Kyoki sab couples the usme yeh jaake kyaa karta. Isiliye isne mana kardiya.

Sablog apne apne partner ke saath ghumte rehte hai. Ishant aur Shruti Karan aur Nandini inndono se puri tarah alag hogye hai. Yehlog apne apne partner ke saath ghum rahe the.

Megha ko bhi Raj ke saath ghumna achha lag raha tha. Woh puri tarah se enjoy kar rahi thi.

Ghumte ghumte yehlog sham ko ek mall mein aate hai jaha movie dekhte hai aur dinner karte hai. Phir apne apne ghar nikal jaate hai.

Pure din mein Megha Raj ko achhe se dekh rahi thi jaan rahi thi. Uska behaviour caring nature baat karne ka salikha comic timing sab Megha ko pasand aaraha tha.

Raj toh Megha ke saath harpal ko achhe se mehsus kar raha tha. Uski harbaat ka har ichha ka achhe se khayal dakh raha tha. Woh toh chah raha tha yeh waqt kabhi khatam hi naa ho

Dekhte dekhte waqt nikalne lagta hai. Raj toh Megha se pyaar karta hi tha par ab Megha bhi Raj ko pasand karne lagi thi. Dono hi ekdusre ke dil ka haal jaante the par bol nhi paa rahe thee.

Nandini: Raj jab tum usse pyaar karte ho. Aur jab yeh jaante ho ke woh bhi tumhe pasand karti hai toh bol kyo nhi dete. Kahi aisa naa ho tum late hojao. Pyaar kiya hai toh boldo. Kyoki ladki kabhi nhi bolegi tumhe hi bolna hoga. Warna kuch log toh darr ke maare bolte hi nhi. Yeh baat Karan ko dekh kar kahi thi.

Ishant: Haa Saale sahab bol do. Maine hi tumhari didi ko bolaa tha himmat karke. Ladkiyan kabhi saamne se pyaar ka izhaar nhi karegi.

Shruti: Maine toh taras khaa kar haa boldiya tha. Warna koi aur milti bhi nhi.

Ishant: Achhha ji. Agar main chahu naa abhi bhi dusri ladki pata sakta hu.

Shruti: Himmat hai toh pata ke dikhao. Tumhari taange todd dungi aur uss kamini ka gala ghoth dungi.

Ishant: Mujhe meri taange bahot pyaari hai. Aur tum Raj. Jab pyaar karte hi toh bol do. Late mat karo.

Raj: 3 din baad Megha ka birthday hai soch raha hu usidin bol du.

Shruti: Superb Idea. Isse achha birthday gift usko mil hi nhi sakta.

Nandini: Bilkul. Usi din usko boldo. Jo hoga dekha jayega. Aur ab pichhe mat hatna.

Yash: Yaani ab mujhe bahot jald dusri bhabhi milegi. Kuch help chahiye ho toh bolnaa.

Raj: Help toh lagegi hi. Main soch raha hu. Dinner surprise plan karu. Aur wahi usko propose karu.

Yash: Greattt. Toh main ek achha sa restaurant book karta hu 3 din baad ke liye.

Ishant: Hum restaurant mein achhe se sab taiyaari karlenge. Humare saale sahab propose karne wale hai. Moment ekdum khaas hona chahiye.

Karan: Toh chalo chalke taiyaari karte hai.

Phir sab nikal padhte hai taiyaari karne.

3 din mein sabne taiyaari karli thi. Ek achha sa hotel book kiya tha jiske top floor mein sirf Raj aur Megha hi rehne wale the. Raj ne ek achha sa dress kharida tha Megha ke liye jo usne Shruti aur Nandini ke haath bhijwaya tha. Aur wahi pehenne ke liye bola gaya tha.

Birthday wale din subah se hi Raj thoda nervous tha aur Megha thodi udaas. Kyoki usko sabne wish kiya tha sirf Raj ne hi nhi kiya tha. Iske liye woh bahot dukhi thi. Shruti aur Nandini dopahar ko hi Megha ko leke ek parlour gaye the jaha usko achhe se ready karwaya aur time se uss hotel ki taraf bhej diya.

Megha jab uss Hotel mein aayi toh waha pehle se hi staff khada tha usne Megha ko receive kiya aur uski aankho mein patti bandh di. Aur usko leke Hotel ke top floor mein gayi.

Waha pura andhera tha kuch dikhai nhi de raha tha.

Megha: Rajjjj kyaa tum yaha ho. Agar ho toh awaaz do. Tumhe pata hai naa mujhe andhere se darr lagta hai.

Megha dheere dheere andar ki taraf jaati rehti hai. Abhi thodi durr hi gayi thi ke achanak se saari lights on hojaati hai aur uske upar foolon ki barsaat hone lagti hai.

Achanak se lights on hone se Megha ko apni aankhe bandh karni padhti hai. Phir jab aankhe kholti hai toh woh dekhti hai saamne Raj khada hai.

Raj: Wish You a very very Happy Birthday Meghaaa.

Megha: Thank You so much Raj. Mujhe subah se sabne wish kiya. Sirf tumne hi nhi kiya tha. Mujhe laga tumhe yaad bhi nhi hai.

Raj: Tumhara birthday ho aur main bhul jau. Yeh toh nhi hosakta. 2 din pehle se iski taiyaari kar raha tha. Tumhe surprise dunga yeh sochke.

Megha: Mujhe sach mein bahot pasand aaya Raj. Once again Thank You. Par yaha koi aur kyo nhi hai.

Raj: Aaj sirf main aur tum. Aur koi nhi.

Megha ka dil yeh sunke ekpal ke jorr se dhadak uthta hai.
Raj: Chalo chalke cake cut karte hai.

Megha dheere dheere chalke waha rakhe table ke paas aati hai. Jaha ek bada sa cake rakha hua tha. Jo Megha ka favourite butter scotch tha.

Megha cake cut karke Raj ko khilati hai. Raj bhi thoda sa cake usko khilata hai. Phir thodi shaitaani karke uske gaal pe bhi laga deta hai.

Megha: Yeh sab karne ki kyaa jarurat thi Raj. Aur woh bhi akele. Baaki sab rehte toh kitna maza aata.

Raj: Mere saath akele rehne mein koi problem hai.

Megha: Bilkul bhi nhi. Tumhare saath rehne mein mujhe bahot achha lagta hai.

Raj uski aankho mein dekhta hai toh Megha nazre nichhe karleti hai. Tabhi achanak phir se lights off hojaati hai jisse Megha ghabra jaati hai.

Megha: Rajj yeh lights ko achanak kyaa hogyaa. Rajjj tum chup kyo ho. Bolo naa. Megha aage badhke Raj ko chune ki koshish karti hai toh Raj waha nhi hota.

Megha: Rajjj kaha ho tum. Rajjjjjj. Megha aur kuch bolti tabhi lights onn hojaati hai jisse uski aankhe phir ekbaar band hoti hai par jab aankhe khulti hai toh Raj thodi duri pe apne ghutne pe baitha hua tha.

Raj: College ka pehla din. Yash ne tumhara intro lene ke liye bulaya tha. Tum dheere dheere aarahi thi. Jaise jaise tum aarahi thi mere dil ki dhadkan badhte jaa rahi thi. Jab tumhari awaaz sunni toh main wahi Madhosh sa hogya. Tumhari awaaz tumhari chehre ke noor ne mera haal bura kar diya. Phir jab tum jaa rahi thi toh tum apne saath mera dil bhi le jaarahi thi.

Canteen mein hum dost bane. Par baat nhi hui. Karta bhi kya. Tumhare saamne kyaa bolu kaise bolu kuch samaj nhi aaraha tha. Phir dheere dheere baate hui. Hum ghumne gaye. Waha tumhare saath bitaya woh pura din meri zindagi ka sabse khushnuma din tha.

Dheere dheere hum best friend bangaye. Par mera pyaar tumhare liye aur badh gaya. Maanta hu thoda bewakoof hu. Kamakal hu. Thoda jyaada bolta hu. Lekin sirf tumhare saamne. Kyaa tum iss bewakoof ko apni zindagi mein apne dil mein jagah dogi. Kyaa zindagi bhar iss dost ki humsafar banogi. Kyaa tum Mrs. Megha Raj Kapoor banogi.

Tum agar naa karogi toh dukhh bahot hoga. Par ek wada rahega tumse. Jab tak zinda rahunga. Tum iss dil mein rahogi. Apni aakhri saans tak tumhe pyaar karta rahunga.

Megha chup chaap khade yeh sab sunn rahi thi. Uske face pe koi reaction nhi tha. Jisse Raj ko tension horahi thi. Usko lag raha tha answer naa hi hoga. Aur thappad parega woh alag.

Megha dheere dheere chalke Raj ke paas aati hai aur khadi hojaati hai. Aur usko ghurne lagti hai. Megha ko ghurte dekh Raj ki halat kharab hojaati hai.

Megha: Stand Up.

Raj usko dekhta rehta hai.

Megha: English nhi aati. Maine kaha khade hojao.

Raj chup chaap khada hojaata hai.

Megha: Tumne sach kaha. Tum bewakoof ho. Kamakal ho. Aur bahot bolte ho.

Raj bas chup chaap nazre nichhe karke sunn raha tha.

Megha: Itni derr se bahot baate ki. Bahot kuch bola. Par woh nhi bola jo bolna chahiye.

Raj Megha ko hairani se dekhta hai.

Megha jhatt se Raj ke gale lag jaati hai. Aur bolne lagti hai.

Megha: I Love You Raj. I Love You so much. Zindagi mein pehli baar maine kisi se pyaar kiya hai. Jiske saath zindagi bitane ke sapne dekhe hai. Woh tum ho Raj. Main tumse bahot pyaar karti hu Raj. Bahot pyaar karti hu.

Raj yeh sunte hi Megha ko kash ke gale laga leta hai. Tumne yeh bolke mera aaj ka din sabse jyaada khushi ka din bana diya hai. Main subah se bahot nervous tha. Bahot dara hua tha. Ke kahi tumko khoo naa du. Tum naa bologi toh kyaa karunga. Kaise tumhe face karunga.

Megha: Itna sab bol rahe ho. Par woh 3 words nhi bol rahe jo main sunna chahti hu.

Raj: I Love You Meghaaa. I love you so muchhhhh.

Megha: I Love You Too Rajjjj. I Love You Tooo.

Dono aise hi gale lage rehte hai.

Tabhi ek awaaz aati hai. Agar tumdono ka hogya ho toh dinner karle. Subah se bhukaa hai yeh insaan.

Dono alag hoke pichhe ghumm ke dekhte hai toh sab waha khade the. Aur Yash cake khaa raha thaa.

Raj aur Megha sabko dekh kar shock hojaate hai. Unhe laga nhi tha yehlog yaha honge.

Raj: Aaplog yaha.

Shruti aur Nandini chalke unke paas aate hai aur bolte hai.
Dono: Hum humari bhabhi se milne aaye hai. Aur waise bhi aaj humari bhabhi ka birthday hai.

Megha yeh sunke sharma jaati hai. Aur nazre jhukaa leti hai.

Dono: Dekho toh ab kaise sharmaa rahi hai.

Shruti aur Nandini Megha ke gale lag jaate hai.

Dono: Congrats and Happy Birthday. Hum bahot khush hai tumhare liye.

Megha: Thanksss.

Ishant aur Karan bhi Raj ke gale lag ke congrats karte hai. Par Yash toh apna cake khaane mein busy thaa.

Raj: Didi aapko langda lula Devar chalegaa.

Shruti: Matlab.

Raj: Matlab main ab aapke Devar ki haddiyan todne jaa raha hu. Yeh bol Raj Yash ki taraf bhagta hai.

Yash: Areee areee kyaaa kar raha hai. Aaram see. Aaj ke din maarpit nhi kartee. Meghaaa samjhaoo naaaa.

Megha: Chorrr dooo Rajjj. Kyoo maar rahee ho.

Raj: Main tumhare liye cake laaya thaa aur iss bhukhar ne sab khaa liyaaa.

Megha: Koi baat nhii Rajjj. Chorr do lag jaayegi tumdono ko.

Yash: Abee chorr dee. Woh dekh waha naya cake padha hai. Woh khaa aur khilaa denaa. Kyoo bachhe ki jaan le raha hai.

Raj Yash ko chorr deta hai. Phir dono gale jaate hai.
Yash: Congrats mere bhaii. Aakhir tujhe woh mil hi gayi.

Raj: Thanks mere bhai. Agar tumlog sang naa hote toh shayad main kabhi aage hi nhi badh paata.

Yash: Chal chal ab jyaada horaha hai. Ab jaldi se cake khaato aur chalo chalke kuch khaate hai. Bahot bhukk lag rahi hai. Tumdono ke chakar mein kab se kuch naa khaaya.

Yash ki baat pe sab has dete hai. Phir Megha ek aur baare cake kaat ti hai. Par issbaar Raj ka haath pakad ke. Phir sabko cake khilati hai sab wapas usko wish karte hai.

Phir sab usi hotel mein badhiya sa dinner karte hai aur ghar aate hai. Aaj Raj bahot khush thaa. Aakhir usko uski Megha jo mil gayi thi.

Raj ko toh khushi ke maare neend hi nhi aarahi thi. Woh apna mobile haath mein leta hai aur Megha ko ek msg karta hai. Kuch der baad reply aata hai.

Raj: Soyi nhi abhi tak.

Megha: Neend hi nhi aarahi hai. Tum nhi soye.

Raj: Mujhe bhi neend nhi aarahi. Kya kar rahi ho.

Megha: Bas kisi ke khayalo mein ghum hu.

Raj: Kaun hai woh khushnaseeb.

Megha: Hai mere college ka topper. Tumse toh bahot achha hai.

Raj: Achha ji.

Megha: Jiiii. Tum kyaa kar rahe ho.

Raj: Main bhi ek husn ki pari ke khayalo mein ghum hu. Jiska aaj birthday tha.

Megha: Kaun hai woh chudail.

Raj: Khabardaar agar meri jaan ko kuch kaha toh. Aur woh toh ek pari hai. Aur tumse toh laakh gunaa achhi aur sundar hai.

Megha: Mujhe toh nhi lagtaa.

Raj: Meri nazar se dekhogi toh pata chalega naa.

Megha: Raj ek baat puchu. Gussa nhi karoge.

Raj: Aree agar tumse gussa hogya toh mere dil ka kyaa hoga.

Megha: Karan Bhaiya aur Nandini didi ke beech hua hai kyaa. Jab dekho woh Nandini Didi Karan Bhaiya se thodi ukhdi hui rehti hai.

Raj: Achha woh. Aree kuch nhi. Dono hi ek dusre se pyaar karte hai. Par bolne se darte hai. Kahi dosti naa toot jaaye iss darr se. Nandini didi chahti hai Karan bhaiya unhe propose kare par woh karte nhi isiliye woh ukhdi hui rehti hai unse.

Megha: Oooo. Mujhe bhi laga tha unke beech kuch toh hai. Kyo naa hum undono ko mila dee.

Raj: Aaj hi hum mile aur tum dusro ki jodi banwa rahi ho. Waaaah kyaaa khub girlfriend mili hai.

Megha: Dekhlo. Aisi girlfriend phir naa milegi. Yeh bol hasne wala emoji send karti hai.

Raj bhi hasne wala emoji send kardeta hai.

Megha: Toh bolo naa.

Raj: Ab jab tumne soch hi liya hai toh thikk hai. Par kaisee karengee.

Megha: Sochte hai kuch.

Raj: Waahhh bina kuch soche hi boldiya.

Megha: Ab boldiya hai toh karke dikhayenge. Aakhir humare bhaiya aur bhabhi ke zindagi ka sawaal hai.

Raj: Achha ji.

Megha: Haan ji.

Phir kuch der aise hi baat karne ke baad dono so jaate hai.

Agle din Raj time se pehle hi college aajata hai. Kyoki aajse woh college mein single nhi tha.

Thodi der mein baakisab bhi aajate hai Megha ko chorr ke.

Raj ki nazar baar baar entry gate ki taraf hi jaarahi thi.
Nandini: Dekho toh koi kitna bechain hai.

Shruti: Kisi ki nazre hi nhi hatt rahi hai entry gate se. Aree aajayegi. Kyo itna bechain horaha hai.

Raj chupp rehna hi behtar samajta hai.

Thodi der baad Megha bhi waha aajati hai. Raj aur Megha ki nazar milti hai toh dono ke chehre pe hi smile aajati hai.

Shruti: Aao aao madam. Koi tumhare intezaar mein kitna besabre hua baitha hua hai pata hai. Itna late karta hai koi.

Nandini: Aur nhi toh kyaa. Agar aur kuch der naa aati toh yeh tumhe lene hi chala jaata.

Megha inki baate sunke thoda sharma jaati hai.

Raj: Nandini Didi ab bas bhi kijiye. Jab aapko aapka pyaar mil jayega naa tab pata chalega.

Megha: Haa. Waise aap woh uss park mein ussdin kiske saath thi. Aapka boyfriend thaa kyaa woh.

Megha ki yeh baat sunke sab uski taraf ghurr ke dekhte hai. Karan ko yeh baat sunke toh jaise 440 ke volt ke jhatke 2 baar lage ho. Woh bas Nandini ko ghurta hai jaise puch raha ho kyaa jo Megha bol rahi hai woh sach hai.

Megha: Areee mujhe kyaa ghurr rahe hai aap sab. Nandini didi bataiye naaa.

Nandini toh jaise khud shock mein thi. Usko toh khud nhi pata tha Megha kyaa bol rahi hai.

Nandini: Mann mein. Yehhh kyaaa bol rahi hai. Aur isne mujhe kab kiske saath kaunse park mein dekhliya. Abbb Karan ko kyaa bolungi. Kaise dekh rahe hai mujhe. Heyy Bhagwan kahi meri naiyaa naa dubb jaaye. Abbb kyaa boluuu.

Abhi Nandini kuch bolti tabhi uske mobile mein ek msg aata hai. Jisse padhke Nandini bolti hai.

Nandini: Achha woh. Areee woh koi boyfriend nhi hai. Bas ek achha dost hai. Bahot din se bol raha tha milte hai milte hai. Toh maine uss din usse waha pe mil liya.

Karan: Kaun thaa woh dost. Kaha rehta hai kyaa naam hai. Aur mujhe kyo nhi bataya uske baare mein. Aur kab mile the.

Karan ke eksaath itne sawaal karne se waha sabhi ko bahot hasi aarahi hoti hai toh Nandini ke jawaab se sab shock bhi thi.

Nandini: Areee shant shantt. Kitne sawaal puchoge. Saans toh lo.

Karan: Saans bhi le lunga. Pehle tum batao. Phir mann mein bolta hai. Uss kamine ki saansein chinn lunga. Saala meri Nandini pe nazar. Bas ekbaar pata chale.

Nandini: Hai mera ek dost Tum nhi jaante usse. Bahot achha dost hai mera.

Karan: Wahi toh puch raha hu. Kaun hai. Kaha rehta hai. Kyaa naam hai.

Nandini: Aree tum kyo itni puchtach karr rahe ho. Maana tum IPS ki taiyaari kar rahe ho.

Karan: Aree main tumhare Best friend hu. Mujhe janne ka haq hai.

Nandini: Best friend ho. Boyfriend nhi. Jab time hoga bata dungi. Ab iss topic pe koi discussion nhi.

Nandini ke aise bolne Karan chupp hojaata hai aur baaki sab bas inhe hi dekhte rehte hai.

Phir class ki bell bajti hai toh sab class ki taraf chall dete hai. Karan bhi bina kuch bole chal deta hai. Par Nandini ko Shruti ne aur Megha ko Nandini ke pakad liya.

Nandini: Khud ka pyaar mil gaya toh mera pyaar kyoo chinn rahi hai. Dekha Karan ka chehra kaisa hogyaa tha. Aisa laga agar woh ladka aajaye toh abhi uska encounter karde.

Shruti: Woh sab baad mein. Pehle tu yeh bata ladka kaun hai. Kaha rehta hai naam kiya hai. Tune bola tha tu meri bhabhi banegi. Phir yeh sab kyaa hai. Kyaa tune bhaiya ko ditch kiya.

Nandini: Ayeee chupp kar IPS ki behen. Aisaa kuch nhi hai. Teri bhabhi main hu banungi. Aur pehle mujhe toh pata chalne de ladka kaun hai aur isne mujhe kab aur kiske saath dekh liya. Upar se msg karke bolti hai woh sab bolo. Abb bolti kyo nhi. Chup kyo khadi hai. Agar mera Karan mujhse durr hua naa toh chorungi nhi tujhe.

Megha jo itni der se inki baate sunn rahi thi woh finally bolti hai.

Megha: Areee shant shant. Hone wale IPS ki hone wali biwi ho toh normal pupil ko toh bolne do. Kab se bole jaa rahi ho.

Nandini: Abhi jo hua hai naa. Uske baad woh IPS banjayega. Par main IPS ki biwi naa ban paungi.

Megha: Maine jo kiya hai naa uske baad aap jald se jald IPS ki biwi banengi.

Nandini: Kaisee.

Megha: Areee dekhiye aap kisi ladke ke saath thi sirf itna sunne se Karan bhaiya pagal hogye hai. Ab unke mann mein aapko khone ka darr badh gaya hai. Ab woh aapko paane ke liye kuch bhi karenge.

Shruti: Baat toh sahi hai. Bhaiya ki aankho mein darr toh dikh raha hai.

Megha: Aur yehi darr unse propose karwayega. Baaki aapke upar hai aap haa bolengi yaa naa bolengi.

Nandini: Haa hi bolungi. Naa bolke khud ki zindagi barbaad thodi karungi. Par agar uss idiot ne kuch aur hi soch liya aur kuch garbar hogyi toh mera kyaa hoga.

Megha: Be positive. Agar waisa kuch hote dikha toh unko sach bata denge. Aur unko dikhane ke liye ladka bhi ready hai mere paas.

Shruti: Tu kya kya soch ke aayi hai.

Megha: Pure raaste yehi planning karte hue aayi hu. Isiliye toh late hogyi.

Nandini: Ladka kaun hai. Kahi woh ladka hi garbar naa karde.

Megha: Meri zindagi aur aapka hone wala devar aapke saath de rahi hu. Garbar ka toh sawaal hi nhi hai.
Dono: Matlab Rajjjjj.

Megha: Haaaa. Usse achha option meri nazar mein toh nhi hai. Aur woh khushi khushi maanega bhi.

Dono: Devii aapke charan kaha hai. Kaha se laati ho aise ideas.

Megha: Bas God Gifted hai. Yeh bol hasne lagti hai.

Shruti aur Nandini bhi hasne lagte hai.


Phir teeno apni apni class mein aate hai.
Lajwab Awesome Superbbbb Speechless update..........
Bohat khob superbbb.....
 
9,453
39,761
218
राज के प्रोपोज करने का अंदाज और तरीका बहुत बढ़िया था । मेघा नाम था उसका । अपने मां बाप की एकलौती बेटी जिसकी मौत एक रोड ऐक्सिडेंट में हो गई थी । बहुत ही बुरा लगा मुझे । खास तौर पर उसके माता-पिता के लिए । किसी भी मां बाप के लिए इससे अधिक दुखदाई कुछ नहीं होता । न जाने वो किस हाल में होंगे !

काफी लम्बा अरसा हो गया उसकी मौत को फिर भी राज के जेहन से उसकी यादें मिटती नहीं । पहला प्यार ऐसा ही होता है । वो जिंदा हो या मृत्यु को प्राप्त हो गई हो , कशिश जिंदगी भर रहती है ।

देखते हैं सोनल उसके गमों को किस कदर कम कर सकती है ! किस तरह से उसे अपना हमसफर मिल सकता है !

विक्की नाम का कांटा तो सोनल के रास्ते से निकल गया लेकिन सिर्फ कुछेक दिनों के लिए ।
ऐसे ही राज के खिलाफ भी कुछ लोग जेल में बैठे बैठे प्लानिंग कर रहे हैं । शायद ये वही लोग हैं जिनकी वजह से उसके मां ने उसे सरेआम बेईज्जत किया था ।

देखते हैं ये लोग सोनल और राज के जिंदगी में क्या तुफान खड़ा करते हैं !

सारे अपडेट्स बहुत ही खूबसूरत थे । एक पारिवारिक स्टोरी है यह ।
आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग अपडेट डेविल भाई ।
 
Last edited:
Top