• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

Punnu

Active Member
1,087
2,144
143
Update 17
Raat ko Raj bhi time se ghar aagaya tha. Dinner ke baad sab apne apne room mein chale jaate hai.

Idher Jaipur mein sablog ghar mein the. Tabhi bell bajti hai. Samar darwaza kholta hai toh shock hojaata hai. Usko yakeen nhi horaha tha.

Deepak: Kaun hai Samar.

Samar: Papa woh Khanna Uncle aur Aunty aaye hai.
Deepak: Kyaaa. Aree unhe andar aane do.

Samar darwaze se hatt jaata hai. Woh andar aate hai. Swati bhi unko dekh kar hairaan hoti hai.

Mr. Khanna aur Mrs. Khanna Deepak aur Meera ke gale lagte hai. Swati aur Samar unse haath jorke namaste karte hai.

Deepak: Aaplog achanak. Achanak yeh surprise.

Mr. Khanna: Bas kuch baat karni thi toh aagaye. Umeed hai aise aane se aaplogo ko bura nhi laga.

Meera: Aree kaisi baat kar rahe hai. Humhe achha laga aaplog aaye.

Mrs. Khanna: Swati aur Samar yaha hai. Sonal kaha hai woh nhi dikh rahi hai.

Deepak: Woh mumbai mein hai. Waha rehke padhai kar rahi hai.

Mr. Khanna: Aree waah. Humara nalayak bhi wahi gaya hai. Sonal kaunse college mein hai.

Deepak: Emperial College mein.

Mrs. Khanna: Vicky bhi wahi gaya hai. Yaani dono bachhe saath hai.

Deepak: Humhe toh pata hi nhi. Achha hai Sonal ko waha ek dost mil gaya.

Meera: Aaplog kuch baat karne wale thee.

Mr. Khanna: Haaa baat toh karna hai par kaise kare samaj nhi aaraha hai.

Deepak: Aisi kya baat hai. Saaf saaf boliye.

Mr. Khanna: Humlog kitne saal se business relation mein hai. Infact humlog achhe dost hai. Humare bachhe bhi achhe dost hai.

Deepak: Haaaa.

Mr. Khanna: Main baat ko gol gol nhi ghumaunga. Main humare iss business relation ko aage badha ke familiar relation karna chahta hu. Main mere Vicky ke liye Sonal ka haath maangta hu. Dono bachpan ke dost hai. Ekdusre ko samajte hai. Toh mere khayaal se humhe dono ko zindagi bhar ke liye saath kardena chahiyee.

Mrs. Khanna: Aur waise bhi maine Sonal ko humesha apni bahu ke roop mein hi dekha hai. Agar Sonal humare ghar aayi toh isse humare ghar ki shobha badegi. Aur humare Vicky ko ek honhar aur sushil ladki milegi.

Pura Singh parivaar hairaan hue baitha thaa. Samar aur Swati toh shock hogaye thee. Unko jiska darr tha wahi huaa. Woh ekdusre ki shakal dekh rahe thee.

Mr. Khanna: Kyaa hua aaplog kya soch rahe hai.

Deepak: Main kya bolu mujhe samaj nhi aaraha hai. Abhi toh uski padhai chal rahi hai.

Mrs. Khanna: Haa toh hum abhi unki sagai kardete hai. Shaadi padhai ke baad karenge.

Swati: Papa Mummy main kuch bol sakti hu.

Deepak: Haa haa bolo. Aakhir tum Sonal ki ek didi ke saath best friend ho. Uske mann ki harbaat jaanti ho. Uske liye tum jo bhi sochogi woh best hi hogaa.

Swati: Papa agar aap maante hai main meri behen ke liye jo sochungi woh best hoga. Toh kyaa main jo bolungi woh aaplog maanenge.

Meera: Tum bolo beta. Humhe pata hai tum aisi koi baat nhi karogi jisse Sonal ka bhala naa ho. Mujhse jyaada toh tumne uska khayal rakha hai.

Swati: Toh Sonal ki badi behen uski best friend hone ke naate main yeh kahungi ke uncle aunty we respect your proposal par mujhe yeh rishta manjur nhi hai.

Samar: Mummy Papa. Maanta hu main shaitaani karta hu. Didi ko pareshan karta hu. Par aap toh jaante ho naa mujhe meri Shinchan se kitna pyaar hai.

Dono haa mein gardan hilate hai.

Samar: Toh mera bhi yehi kehna hai mujhe bhi meri Shinchan ke liye yeh rishta manjur nhi hai.

Mr. And Mrs. Khanna toh shocked the yeh sunke. Woh bolte hai. Par kisliye beta. Dono bachpan se saath hai achhe dost hai. Iss shaadi se tumhari behen humesha tumdono ke nazro ke saamne rahegi.

Swati: Nazro ke saamne rehne se jyaada important hai khush rehna. Aur mujhse jyaada koi nhi jaanta meri behen ki khushi kisme hai. Main yaha tak bolti hu. Mujhse jyaada Mere Mummy Papa ko bhi nhi pata meri behen ki khushi kisme hai uske liye kya best hai. Yeh mujhse jyaada koi nhi jaanta. Uske dil ki harbaat uske bina kahe sirf aur sirf mujhe pata hoti hai.

Mr. Khanna: Aaplog kyaa kehte hai. Yeh toh bachhe hai.

Deepak: Dekhiye. Maanta hu yeh bachhe hai. Par Sonal ke liye agar uske dono bhai behen ne kuch kaha hai toh unke aage main bhi kuch nhi kehta. Kyoki Sonal ke liye jisme yehdono eksaath hote hai woh faisla kabhi bhi galat nhi hota. Sonal ki jaan inme basti hai. Isiliye humhe maaf kariyega. Humhe yeh rishta manjur nhi hai.

Meera: Main ek maa hoke yeh kehti hu Sonal ko Swati ke jitna toh main bhi nhi samajti. Sonal ko janam maine diya hai. Par usko ek maa banke khayal rakha hai Swati ne. Agar Swati ne Sonal ke liye koi decision liya hai toh woh ekdum sahi hai. Humhe maaf karee.

Mr. Khanna: Dekhiye Sonal aapki beti hai. Hum jore nhi denge. Jaisi aapki marzi.

Mrs. Khanna: Haa. Sahi kaha inhone. Humne humesha inn teeno ko apne bachho jaisa maana hai. Sonal jis bhi ghar mein jayegi woh ghar khushiyon se bharr degi.

Meera: Aaplogo ko bura toh nhi laga naa.

Mrs. Khanna: Aree bilkul bhi. Isme bura manne jaisa kyaa hai. Shaadi koi bachho ka khel nhi. Puri zindagi bitani hoti hai. Samjhiye bachho ne humari khushi ke liye shaadi kar bhi li. Par phir woh saari zindagi ghutt ghutt ke jiyenge. Aur aisi shaadi se toh saari zindagi ghar mein rehna behtar hai. Aur jaise Swati ke kaha. Sonal ki khushi jyaada important hai.

Singh family Khanna family ka behaviour dekh sach mein bahot khush thee.

Thodi der baad Khannas chale jaate hai.

Swati: I am Sorry Mummy Papa.

Deepak: Nhii betaaa. Mujhe toh khushi hai ke mere bachhe ekdusre se kitna pyaar karte hai. Unko ekdusre ke liye iss tarah stand lete dekh mujhe bahot khushi hui.

Meera: Haa beta.

Deepak: Par tumne mana kyo kiyaa.

Swati: Papa Sonal ke liye Vicky sahi ladka nhi hai. Woh Vicky gira hua insaan hai.

Samar: Haa papa. Woh harwaqt Didi ko touch karne ke bahane khojta hai. Unhe ghurta hai. Aur woh mumbai bhi didi ke pichhe hi gaya hai. Didi ne aapko yehsab issliye nhi bataya kyoki woh nhi chahti thi aapke aur Khanna Uncle ke beech relation kharab ho. Agar baat haath se aage nikalti toh woh jarur bolti. Aap please didi ko kuch mat boliyegaa.

Deepak: Kyaaaaaaa. Usski itni himmat.

Swati: Shant hojaiye Papa.

Meera: Tabhi woh Vicky yaha humesha aata rehta tha.
Samar: Jiii.

Meera: Woh itna giraa huaa insaan hai. Main toh usse achha samajti thi.

Deepak: Mr. And Mrs. Khanna kitne suljhe hue achhe insan hai aur inke jaise achhe insaan ki aisi giri hui aulad. Main abhi Mr. Khanna se baat karta hu iss Vicky ko main chorunga nhi. Meera Sonal ko call lagao

Samar: Papa please didi se naraz mat hoiyegaa.

Deepak: Don’t worry beta.

Meera Sonal ko call karti hai.

Meera: Kaisi ho betaa.

Sonal: Main achhi hu Mummy. Aap kaisi ho. Baaki sab kaise hai.

Meera: Sab achhe hai lo papa baat kerenge.

Deepak: Kaisa hai mera bachha.

Sonal: Main achhi hu Papa. Aap kaise hai.

Deepak: Teri awaaz sunliya ab achha hu. Aur ab tumhe humare uss business relation ke wajah se chup rehne ki jarurat nhi hai.

Sonal: Papa aap kya bol rahe hai. Main samjhi nhi.

Deepak: Tum samaj gayi ho beta main kyaa bol raha hu. Agar tumhare bolne se business relation khatam hota hai toh hone do. I don’t caree. Aur main Mr. Khanna se iss baare mein baat karunga.

Sonal: Papa aap.....

Deepak: Bas ab issbaare mein bilkul mat socho. Aur mann lagake padhai karo.

Sonal: Thank You Papa. Aap best papa ho. Love You Papa.

Deepak: Love You too bachha.

Swati: Papa mujhe dijiye. Mujhe baat karni hai.

Sonal: Diii yeh sab kyaa thaa.

Swati: Aaj tujhe jiska darr tha woh hogyaa. Vicky ke parents finally aagaye the.

Sonal: Whatttttt.

Swati: Haaaa.

Sonal: Aage kyaa hua di.

Phir Swati Sonal ko saari baat bata deti hai.

Sonal: My Goddd. Mujhe nhi pata thaa itna kuch ho jayegaa. Thank You di. Aap sabse achhi di ho.

Swati: Tu meri behen ke saath saath meri best friend hai. Tere liye kuch bhi. Aur jab tu Raj ko pasand karti hai toh phir koi bhi tumdono ke beech kaise aasakta hai.

Sonal: Thank You so much dii. Loveee youuu.

Swati: Lovee youu too merii behen. Aur bata tere aur Raj ke beech sab kaisa chal raha hai. Baat kuch aage badhi.

Sonal: Di aapko pata hai unhone mujhe bola hai Yash ke baad ek main hi hu jo unki sabse achhi dost hai. Jisse woh baat karte hai. Aur kal main pehli baar unke saath ghumne jaa rahi hu.

Swati: Sachhhiii.

Sonal: Haaa di. Unhone mujhse promise kiya tha woh ek din mujhe personally mandir leke jayengee.

Swati: Mandirrrrrrr. Mujhe laga tumlog beach mein restaurant mein yaa movie dekhne jaoge. Mandirr mein ghumneeee kaun le jaata hai.

Sonal: Di unke saath jaa rahi hu yehi mere liye bahot hai. Bhale hi mandirr jaa rahe hai.

Swati: Hmm achhi baat hai. Enjoy your mandirrr wala dateee. Yeh bol hasne lagti hai.

Sonal: Good Night Diii.

Swati: Good Nightt. Aur mujhe kalke pictures bhejnaa.

Sonal: Aapko kyo chahiye humare private moments.

Swati: Bas aise hi. Jara main bhi dekhu meri behen ki date kaisi hoti hai.

Sonal: No. Byeee thanks and lovee youu.

Swati: Haste huee. Byeee. Love you too.

Phir call cut hojaata hai.

Sonal: Chal Sonal so jaa. Subah jaldi uthna hai. Raj ke saath kal pehli date hai. Yeh bol Sharma jaati hai.


Phir woh so jaati hai.
Behtarren update bhidu
 

Punnu

Active Member
1,087
2,144
143
Update 18
Agle din subah jaldi uth ke achhe se taiyaar hoti hai. Ek sky blue colour ka salwar suit pehnaa thaa. Matching earrings halka sa makeup. Gale mein ek blue colour ka hi pendent thaa. Jisme woh bahot khubsoorat lag rahi thi.

Woh neeche aati hai toh sab usko hi dekhte rehtee hai.

Aarav: Kyaaa baat hai di. Kahi date pe jaa rahi ho. Bahot khubsoorat lag rahi hai aap

Sonal sharma jaati hai.

Nandini: Aarav ne thikk kaha Sonal. Bahot hi jyaada khubsoorat dikh rahi ho. Kahi kisi ki nazar naa lag jaaye. Yeh bol aankh se Kajal ka tika uske kaan ke pichhe laga deti hai.

Sonal: Thank You bhabhi.

Nandini: Waise kaha jaa rahi ho.

Sonal: Woh mujhe naa SiddhiVinayak Mandir jaana tha. Toh Raj ke saath wahi jaa rahi hu.

Aarav: Par Raj bhaiyaa toh chale gayee.

Sonal yeh sunti hai toh uske chehre mein jo duniya bhar ki khushi thi woh gayab hojaati hai aur woh buri tarah udaas hojaati hai. Uski aankhe bhi halki namm hogyi thi.

Tabhi ek awaaz aati hai. Kaun chale gaye Aarav.

Sonal yeh awaaz sunke pichhe ghumti hai toh uske chehre ki woh hasi duniya bhar ki khushi wapas aajati hai. Woh bas Raj ko hi dekhti rehti hai. Raj dikh bhi bahot achha raha tha. White shirt Denim Blue jeans aur jeans jacket aur stylish chashmah. Usko toh jaise sab milgaya. Par tabhi usko kuch yaad aata hai woh gusse se ghurr ke Aarav ko dekhti hai.

Aarav: Haste huee. Sorry sorry diii main toh bas masti kar raha thaa.

Sonal: Tumko toh main baad mein dekhungiii.

Idher Raj jab Sonal ko dekhta hai toh woh dekhta hi reh jaata hai. Woh nazre hi nhi hata paa raha thaa uski nazre toh jaise jamm hi gayi thi. Woh wahi khada Sonal ko dekhta rehta hai.

Nandini: Raj Sonal aao baitho naashta karlo.

Nandini ke bulane se Raj ko hosh aata hai.

Raj: Nhii bhabhi actually mujhe late horaha hai toh nashta bahar karlungaa.

Nandini: Areee par tum toh Sonal ko SiddhiVinayak Mandir le jaarahe ho naa phir kaisaa kaam.

Raj: Haaa par mujhe ek chotta sa kaam hai. Sonal aur main bahar hi naashta kaa lengee. Sonal tumhe koi problem toh nhi hai naa.

Sonal ko toh jaise hawa mein udhne ka mann kar raha tha. Woh jhatt se Naa mein gardan hila deti hai.

Nandini: Achha thikk hai. Par khali pet ghar ke bahar nhi jaate. Sirf juice pi lo. Phir chale jaana. Aao baitho.

Raj bhi mana nhi karta aur jaake sofa mein baith jaata hai. Nandini jaldi se jaake 2 glass juice le aati hai aur dono ko deti hai.

Dono juice peene lagte hai.

Nandini: Raj tumhara kaam kitni der ka hai.

Raj: Mushkil se 15-20 minutes.

Nandini: Good. Toh ek kaam karo Sonal ko sirf SiddhiVinayak mandir hi nhi pura mumbai darshan karwake laao. Isse tumdono ka ghumna hojayegaa.

Sonal: Nhi Nhi bhabhi iski koi jarurat nhi hai.

Nandini: Chupp main baat kar rahi hu naa. Toh bolo Raj.

Raj: Agar Sonal ki marzi ho toh thikk hai.

Sonal toh bahott khushhh thii. Usko toh Raj ke saath akele pura din ghumne ko mil raha tha usko aur kya chahiye.

Nandini: Sonal tumko koi problem hai.

Sonal: Sharma ke. Agar Raj ko problem naa ho toh thikk hai.

Nandini: Greattt toh Raj aaj tumhe main ek responsibility de rahi hu. Tum Sonal ko pehle achha sa breakfast karwaoge. Phir mumbai darshan karwaoge aur achha sa lunch karwaoge aur iska achhe se khayal rakhoge. 1 sec ke liye bhi akela nhi choroge. Aur haa sham ko aate waqt shopping bhi karwake laoge. Samaj gayee. Aur mujhe koi objection nhi chahiye tum dono ki taraf se. Aaj ka tumhara pura Sunday Sonal ke naam. Alright.

Raj: Jii bhabhi.

Nandini: Good. Sonal tum samaj gayi.

Sonal: Jii bhabhii.

Raj: Chaleee.

Sonal: Jiiii.

Nandini: Achhe se jaana aur khub enjoy karna.

Raj aur Sonal gate ke bahar aate toh Sonal daud ke andar aati hai aur Nandini ke gale lagjaati hai aur kaan mein dheere se bolti hai.

Sonal: Thank you Bhabhi.

Nandini: Pagal ladki. Jao jaake khub enjoy karo.

Phir Sonal waha se nikal jaati hai. Raj car mein baitha hua thaa.

Raj: Kya hua kaha gayi thi.

Sonal: Woh bhabhi ne bulaya thaa.

Raj: Ookk. Chaleee.

Sonal: Jiii.

Raj: Toh batao pehle kaha jaana hai.

Sonal: Aap pehle apna kaam khatam karle. Woh jyaada jaruri hai.

Raj: Thikk hai. Waise aaj bahot khubsoorat dikh rahi ho. Yeh dress tumpe bahot achha lag raha hai.

Sonal: Aapko pasand aayaa.

Raj: Haaaa.

Sonal: Khush hoke. Thank Youuuu. Waise aap bhi bahot achhe dikh rahe hai. Khaash kar aapke aankho mein yeh chashmah bahot suit karta hai. Aapki personality se achha match karta hai.

Raj: Thank Youuu.

Thodi der baad Raj aur Sonal ek restaurant ke bahar aate hai.

Raj: Aao Sonal.

Sonal: Aap apna kaam khatam karlijiye. Main yehi pe baithi hu.

Raj: Aree chalo naa. Humara breakfast yehi pe hogaa.

Phir dono hotel ke andar aate hai. Dono saath mein bahot achhe dikh rahe thee.

Raj: Good Morning Mr. Shetty.

Mr. Shetty: Good Morning Mr. Kapoor. Good Morning Mrs. Kapoor.

Sonal apne liye Mrs. Kapoor sunke pehle toh shock hoti hai par phir sharma jaati hai.

Raj: Aah Mr. Shetty. She is not my wife. She is my friend.

Mr. Shetty: Oo. I am Sorry. Mujhe laga aapdono.

Raj: No problem. So can we start the procedure.

Mr. Shetty: Yeah Sure. Please Sit.

Raj: Sonal baitho.

Sonal Raj ke bagal mein baith jaati hai.

Raj thodi der Mr. Shetty se baat karta hai phir Mr. Shetty ek file deta hai Raj ko sign karne ke liye.

Sonal ka dhyaan papers mein jaata hai toh Raj ko sign karne ke rokh deti hai.

Sonal: Raj ek minute Sign mat kariyegaa.

Dono Sonal ko hairaani se dekhte hai.

Sonal: Raj Sign mat kariyegaa.

Raj: Kyaa hua Sonal. Koi problem hai.

Sonal: Raj Paper ko dhyaan se dekhiye isme date 2 mahine purani di hui hai.

Raj paper dekhta hai toh paata hai Sonal thikk bol rahi hai
.
Raj: She is right Mr. Shetty.

Mr. Shetty: I am extremely Sorry. Mr. Kapoor this is completely typing mistake.

Raj: No problem Mr. Shetty. Aap naye papers banwa lijiye.

Mr. Shetty: Yeahh suree. Aur ab aapko aane ki jarurat nhi hai. Mera aadmi khud aapke office aayega yeh deal ke papers leke.

Raj: Okkk.

Mr. Shetty: Once again I am Sorry.

Raj: Its okk Mr. Shetty.

Mr. Shetty: Now I will take your leave Mr. Kapoor. And nice observation Ms. Sonal.

Raj: Yeahh Suree.

Sonal bas smile kardeti hai.

Raj Mr. Shetty ko bahar tak chorne aata hai phir andar aake Sonal ke saamne wale chair mein baith jaata hai.

Raj: Nice Observation Sonal.

Sonal: Thank You Raj.

Raj: Achha chalo batao kyaa khaogi.

Sonal: Kuch bhi manga lijiye.

Raj: Aree aise kaise. Ruko ek minute. Waiterrr.

Waiter: Yes Sir.

Raj: Aapke yaha pe abhi breakfast ke liye sabse best kya hai.

Waiter phir 3-4 dish ke naam bolta hai.

Raj: Ek kaam kijiye aapne jo jo bola sab le aaiye.

Waiter: Sure Sir.

Raj: Aur batao Sonal. Aaj tak tumse thik se kabhi baat hi nhi hui. Itne saal Jaipur mein kyaa kiyaa.

Sonal: Bas school phir college ghar mein mummy ki help karna Swati di aur Samar se masti karna yehi sab karti thi.

Raj: Tumko dekh kar lagta nhi tum masti bhi karti ho. Harwaqt chup chaap rehti ho aur sirf sharmati rehti ho.

Sonal: Woh toh bas aise hi.

Raj: Tum Jaipur se Mumbai aagayi. Gharwalo ki dosto ki yaad nhi aati.

Sonal: Gharwalo ki yaad aati hai toh unse phone mein yaa Video Call mein baat karleti hu. Aur rahi dosto ki baat toh maine kabhi dost banaye hi nhi.

Raj: Strangee.

Sonal: Actually koi bhi aisa nhi tha jisko dost bana saku. Papa ke business relation ke chakar mein ek dost hai. Jo dosti ke layak nhi.

Raj: Matlab.

Sonal: Matlab jabardasti ki dosti. Mujhe woh pasand nhi par papa ke business relation ki wajah se woh hai. Infact woh yaha mumbai mein bhi aagaya hai. Mere pichhe.

Sonal Raj ko sab boldena chahti thi kyoki woh nhi chahti thi woh Raj se kuch bhi chipaaye.

Raj: Ooo stalker.

Sonal: Nhi Stalker nhi. Actually uska kehna hai woh mujhe pasand karta hai. Par mujhe woh bilkul bhi pasand nhi. Harwaqt mujhe touch karna chahta hai mujhe ghurta rehta hai. Papa ko nhi bola kyoki isse shayad unke business relation mein problem hota. Main mumbai aagayi toh woh bhi pichhe pichhe mumbai aagaya.

Par kal papa ne uske papa se saare relation khatam kardiye. So ab koi problem nhi hai. Ab mujhe dosti rakhne mein koi force nhi hai.

Raj: Mujhe dikhana jara uss ladke ko. Aur yaha college mein hai matlab Ishu Payal aur Aarav ko sab pata hai.

Sonal: Aap unko kuch mat boliyegaa. Usko aaye hue 3 din hi hua hai. Aur maine hi unko mana kiya hua tha ke woh kisi ko kuch naa bole. Specially aapko.

Raj: Reason.

Sonal: Shayad aap kuch bura sochte mere baare mein isiliye.

Raj: Seriously Sonal. Hum shayad bachpan mein bhi achhe dost the right. Aur abhi aur bhi achhe dost hai. So tum mujhe bata sakti thi.

Sonal: Aankho mein aansu liyee. I am sorry Raj. Mujhe laga aap galat samjhenge.

Raj: Aree ro kyo rahi ho. Tumna bilkul pagal ho. Aur main tumhe bilkul bhi galat nhi samaj raha. Yeh bol saamne rakhhe napkins se uske aansu poch deta hai.

Aage se aisi koi bhi baat ho toh bejhijak mujhe bata dena. Okkk.

Sonal: Jiii.

Raj: Waisee uss ladke ka naam kya hai.

Sonal: Vickyyy.

Raj: Thikk hai.

Tabhi waiter unka breakfast leke aajata hai.

Raj: Lo breakfast bhi aagaya. Chalo start karo.

Sonal: Pehle aap stary kijiye.

Raj khaana start karta hai uske baad Sonal khaana start karti hai. Iss 1 mahine mein Sonal bhi Smita ki tarah Raj ke khaane ke baad hi khaana khaati thi. Jab tak Raj naa khaale Sonal bhi nhi khaati thi.

Thodi der baad inka breakfast khatam hojaata hai.

Raj: Achha laga.

Sonal: Haaa bahot achha tha.

Raj: Jab bhi main ghar se jaldi nikal jaata hu tab office mein yehi se breakfast jaata hai.

Sonal: Ooo.

Phir Raj bill pay karta aur yehlog waha se car ke paas aate hai.

Sonal: Rajjj.

Raj: Hmmm.

Sonal: Maine aapse ekbaat chipaai hai.

Raj: Kyaaa.

Sonal: Aap promise kijiye gussa nhi karenge aur bura nhi maanenge.

Raj: Aisi kyaa baat hai.

Sonal: Pehle aap promise kijiye.

Raj: Achaa Promiseee.

Sonal: Woh maine Vicky ko galti se bol diya tha main Payal aur Ishita room share karke rehte hai.

Raj: Toh.

Sonal: Toh uske baad usne mujhe Aarav ke saath dekh liya tha.

Raj: Hmmm.

Sonal: Toh woh puchne laga woh kaun hai. Kyoki Jaipur mein kisi ladke se baat tak nhi karti thi. Aur yaha usne mujhe Aarav ke saath car mein dekhliya tha. Agar main Aarav ko bhai batati toh woh puchta main room share karke kyo reh rahi ho. Dost batati toh woh galat matlab nikalta. Isiliye galti se mere muh se nikal gaya Aarav mera hone wala Devar hai. Yeh bol nazre nichhi aur aankhe band karleti hai. I am Sorryyyy. Mujhe maaf kardijiyee.

Raj uski baat sunke usko dekhta rehta hai par koi react nhi karta. Sonal kuch der tak gardan nichi karke khadi rehti hai. Par jab Raj ka koi reaction nhi aata toh woh nazre upar karti hai toh Raj jor jor se hasne lagta hai.

Sonal Raj ko aise haste dekh ekpal toh khush hoti hai par phir sochne lagti hai woh aise kyo has raha hai.

Raj: Haste hue. Sonal Sonal Sonal. Tum puri pagal ho. Ek jhoot chupane ke chakar mein tumhe ek aur jhoot bolna padaa. Aur ab iss jhoot ko chupane ke liye shayad ek aur jhoot.

Sonal nazre nichhi kar leti hai. I am Sorry Raj. Mujhse galti hogyi.

Raj: Tum sach mein pagal ho. Main samaj sakta hu. Uss waqt tumhari kya situation thi. Aur tumne kyo yeh jhoot bola ke Aarav tumhara devar hai. Koi naa ab ab jab jhoot bola hi hai toh iss jhoot ka vahan bhi karna hoga. Par dekhna iss jhoot ko chipane ke liye koi aur jhoot naa bolna pad jaaye.

Sonal: Aap naraz nhi hai maine aapko apna pa...

Raj: Tumne mujhe apna pati bola right.

Sonal: Najre nichhi karke. Haa.

Sonal: Pehle ajeeb laga tha par jab tumhari situation samjhi tab pata chala tumne kyo yeh bola. Isiliye main tumse naraz nhi hu. Aur ab iss topic ko yehi close karo aur muskurao. Warna humara pura din yehi khatam hojayega.
Phir ghar mein bhabhi mera band bajayengi. Ab jaldi se car mein baitho. Tumhe humara mumbai darshan karwata hu.

Sonal ke mann se ek bahot bada bojh utar gaya. Usko jisa baat ki tension thi ke agar Raj ko pata chala toh woh kya sochega. Usko kaise face karegi woh saari tension Raj ne 1 sec mein khatam kardi.

Woh khushi khushi ek jhatke mein gaadi mein baith jaati hai.

Raj: Ab batao kaha jaana hai.

Sonal: Jaha aapka mann karee.

Raj: Toh chalo pehle tumhari wish aur mera promise pura karte hai. Pehle SidhhiVinayak Mandir chalte hai.

Yeh bol Raj car ko SidhhiVinayak Mandir ke raaste mein ghumta deta hai.

Raj: Sonal.

Sonal: Jii.

Raj: Thank You So much. Aaj tumhari wajah se bahot saal baad itna khul kar hasa hai mainee.

Sonal: Aise Thank You naa bole Raj. Aapke kaam aasaki yehi mere liye bahot hai.

Raj: Tum sach mein bahot achhi ho.

Sonal bas smile kardeti hai.

Thodi der baad dono Mandir aajate hai. Aaj Sunday tha isiliye mandir mein bhidd thi.

Raj aur Sonal andar jaate hai dono dheere dheere aage badh rahe the. Achanak ek dhakka lagta hai toh Sonal Raj ke seene se chipak jaati hai.

Raj bhi Sonal ko apne aage karleta hai aur usko charo taraf se guard karleta hai. Jisse usko aur dhakka naa lage.

Sonal ko Raj ka yeh caring nature bahot pasand aata hai. Woh bas Raj ko hi dekh rahi thi.

Raj usko ishare se puchta hai kya hua toh woh kuch nhi bol phir aage dekhne lagti hai.

Thodi der baad dono darshan kar bahar aate hai.

Raj: Khushh.

Sonal: Bahotttt.

Raj: Chale.

Sonal: Jiii.

Phir Raj Sonal ko leke Mumbai ke ki famous famous jagah ghumata hai. Ek achhe se restaurant mein lunch karwata hai. Aur sham ke waqt ek samundar ke paas aake patharo mein baith jaate hai.

Raj: Toh kaisa laga mumbai. Pasand aaya.

Sonal: Bahot pasand aaya.

Raj: Toh aajka din enjoy kiyaa naa.

Sonal: Aaj ka din toh meri life ka sabse achha din hai. Main iss din ko kabhi nhi bhulungi.

Raj bas smile kardeta hai.

Sonal: Raj ek baat puchu aap mujhe sach sach batayenge.

Raj: Pucho.

Sonal: Aap apni mummy se baat kyo nhi karte. Maine dekha hai aap unko ignore karte hai. Unke haath ka banaya hua khaana nhi khaate woh serve karne aaye toh aap mana kardete hai. Aisaa kyoo.

Raj ekbaar Sonal ko dekhta hai phir samundar ki leharo ko dekhne lagta hai.

Raj: Agar kabhi tumhari Mummy kisi aur ke jhoot pe vishwaas kare aur tumhare kehne pe yakeen naa karee. Aur sabke saamne tumhari insult karde toh tumhe kaisa lagega.

Sonal: Main samjhi nhi Raj aap kya kehna chahte hai.

Raj: Aaj se 4 mahine pehle bhabhi nayi nayi ghar mein aayi thi. Bhaiya ko 10 din ke bahar jaana padh gaya tha. Sab bahot khush the. Mummy ki ek friend thi. Unke pati ka business tha par woh galat kaam mein bhi involve the.

Unka ek beta tha. Woh bhi meri tarah apna family business sambhalta tha. Woh mere har kaam har success se jalte the.

Ekdin unke ghar mein party thi mummy papa ke saath mujhe jaana padha. Mummy apne friends ke saath busy hogyi papa bhi apne group ke saath mil gaye. Aur main akela reh gaya. Uss waqt mummy ki friend ke husband aur unke bete ghar mein nhi the.

Achanak lights off hogyi par usi waqt koi aake merese lipat gaya. Aur jab lights onn hui toh maine dekha Mummy ki friend mere se lipti hui thi. Aur unki dress thoda tum samaj rahi ho naa main kya kehna chahta hu.

Sonal: Aankho mein gussa liye. Haaa.

Raj: Unki halat dekh main bhi shocked hogya tha. Mummy ki friend rone ka natak karne lagi aur kehne lagi maine unke saath jabardasti karne ki koshish ki hai jab lights off hogyi toh. Thik tabhi mummy ki friend ke husband aur unka beta aagaye unki halat bahot kharab thi. Unko kisi ne bahot buri tarah maara tha.

Woh aaye aur Mummy papa ke paas gaye aur bolne lage. Maine gunde appoint kiye the unhe marwane ke liye. Kyoki unhone mere mana karne ke baad bhi ek company ke project mein tender bhara. Isiliye abhi gundo unhe maara.
Papa ko toh yakeen nhi thaa unpe. Unko mere pe pura bharosa tha. Par Mummy ne unki baato pe yakeen kiya main bolta raha maine aisa kuch nhi kiya par unhone meri ek nhi sunni. Unki friend naaki unhe bolti thi main unke upar galat nazar rakhta tha par mummy ko yakeen nhi tha par aaj jab unko mujhse lipat te hue dekha toh unko unpe yakeen hogyaa.

Unhone mujhe sabke saamne maara mujhe bahot kuch kaha. Main unhe bolta raha yeh sab jhoot hai maine aisa kuch nhi kiya. Papa bhi unhe bolte rahe. Par unke sir pe dosti ke bhoot sawaar tha. Unko apne bete se jyaada unpe bharosa tha.

Tab maine unse kaha tha ekdin jab sachai samne aayegi tab woh pachtayegi. Unko unki galti ka aihsaas hoga par uska koi faiyda nhi hoga. Aur maine company ke MD ki post bhi Aarav ko handover kardi thi par dadi ne kaha agar maine company chori toh unse bura koi nhi hoga.


Ussdin toh mummy ne meri baat pe gour nhi kiya. Woh apne gusse mein hi rahi. Ghar mein sabne unse kaha tha maine aisa kuch nhi kiya. Par woh naa maani. Pata nhi kyo unke apne bete pe jara bhi bharosa nhi tha. Apni parvarish pe jara bhi bharosa nhi thaa. Uske baad maine unse baat karna band kardiya. Woh bhi mujhse baat nhi karti thi.
BEHTARREN UPDATE BHIDU
 

Punnu

Active Member
1,087
2,144
143
Update 19
Bhabhi ne Bhaiya ko call karke sab batadiya tha. Unko bahot gussa aaya tha. Unhone kisi ko unpar nazar rakhne ko boldiya. Aur unke call recordings ki history nikalwayi.

Waha se unhe ek makeup artist ka number mila. Jisne police ko bataya ke usne unndono ka makeup kiya tha jisse lage ke unko kisine bahot buri tarah maara hai.

Bhaiya jab wapas aaye unhone mujhse saari details li kyaa hua tha uss din. Maine unhe sab bata diya.

Bhaiya ne unn teeno ko utwa liya aur remand mein leke achhe se maara tab unhone sachh bola. Unhone bataya meri wajah se unka business mein bahot loss hota tha. Kyoki unhone jiss contract pe nazar di woh mujhe mil jaata tha. Aur ekdin maine unke bete ko maara bhi tha kyoki usne Ishu ko pareshan kiya tha. Isiliye mujhse badla lene ke liye unhone woh plan banaya tha. Bhaiya ne woh sab record kiya aur sabke mobile mein bhej diya.

Jab mummy ne woh video dekha toh unko bahot bada jhatkaa laga. Woh rone lagi. Unhone mujhse apne kiye ki maafi maangi par unke kiye ne mere dil ko bahot buri tarah todd diya tha. Aur tab se lekar aaj tak main unse baat nhi karta. Unko ignore karta hu.

Sonal ki aankho mein aansu aagaye the sachh sunne ke baad. Woh Raj ki takleef aur dard ko mehsus kar paarahi thi. Jaise usne khud yehsab jhela hai. Uski aankho mein unn teenlogo ke liye beintehaan nafrat thi agar woh teen abhi Sonal ke saamne aajate toh woh unko jaan se maardeti. Smita ke liye mann mein grihna gussa dukh sab tha.

Sonal: Rajjjj.

Raj jiski aankho mein aansu the. Woh Sonal ke gale lag jaata hai woh rone lagta hai. Itne dino ka gussa dard takleef sab uski aankho se aansu ke roop mein nikal raha thaa.

Raj: Kyaa main itna bura hu Sonal jo Mummy ko mujhse jyaada unlogo pe yakeen tha. Unko kya apni di hui parvarish pe yakeen nhi thaa. Apne Raj pe yakeen nhi tha.

Sonal: Aankho mein aansu liye. Aisa mat boliye Raj. Aap bahot achhe hai. Woh bas bhatak gayi thi. Unhone jo dekha uss waqt usko hi sach maan liya. Gusse ne unki sochne samajne ki shakti chinn li thi. Uss waqt unke dimaag mein sirf aur sirf gussa bhara hua tha. Par woh aapse bahot pyaar karti hai Raj. Maine dekha hai jab tak aap khaana naa khaale woh khaane ko chuti tak nhi. Jo chiz aap khaate hai wohi chiz woh bhi khaati hai. Jab tak aap ghar naa aajaye unko chainn nhi milta. Jab tak aap thik se so naa jaaye unko neend nhi aati. Woh aapse bahot pyaar karti hai. Shruti didi Aarav se bhi jyaada.

Raj abhi tak Sonal ke gale laga hua tha usko bahot hi jyaada sukoon mil raha tha. Rona rukh gaya tha.

Phir jab Raj ko khayal aata hai woh kis halat mein hai toh woh jhatt se alag hota hai. Sonal bhi ekbaar hadbada jaati hai.

Raj: I Am Sorry Sonal. Mujhe woh nhi karna chahiye thaa. Mujhe maaf kardo. Tumhari permission ke bina maine tumhe touch kiya.

Sonal: Koi baat nhi Raj. Aap dukhi the. Aur aapko maafi maangne ki koi jarurat nhi hai. Main samaj sakti hu.

Raj: Phir bhi mujhe yeh haq nhi thaa.

Sonal: Aur agar main kahu iss Sonal ke upar aapka pura haq hai tab.

Raj ek nazar Sonal ko dekhta hai.

Sonal: Hum achhe dost hai Raj. Aur Aapko jab bhi iss dost ki jarurat padhe yeh dost humesha aapke paas rahegi situation chahe jaisi bhi ho.

Raj: Tum meri dost nhi ho Sonal. Tum aajse Yash ki tarah meri best friend ho. Tum bahot achhi ho Sonal. Tumhare aur Yash ke saath mujhe kabhi bhi khaalipan mehsus nhi hota.

Sonal bas smile kardeti hai.

Sonal: Agar yeh best friend aapse kuch maange toh aap denge.

Raj: Kuch bhi maanglo. Agar woh mere bas mein hua toh jarur dunga.

Sonal: Toh Mummy ko maaf kardijiye. Woh aapse bahot pyaar karti hai. Roj raat ko aapke liye roti hai. Maana unse galti hui hai par kya aap unhe maaf nhi kar sakte. Woh maa hai aapki. Aapko 9 mahine apne khoon se sinch ke janam diya hai. Aapke iss behaviour se unko kitna dard kitni takleef hoti hai aap jaante hai. Please unhe maaf kardijiye. Mere liye unhe maaf kardijiye.

Raj: Tum chahti toh kuch bhi maang sakti thi. Par tumne unke liye maanga. Maine unhe maaf kardiya hai Sonal. Isiliye kyoki mere best friend ne mujhse pehli baar kuch maanga hai.

Sonal: Thank You Raj. Thank You so much.

Raj: Thanks to you Sonal. Tum sach mein bahot achhi ho. Jis kisi se bhi tumhari shaadi hogi woh sach mein bahot khushnaseeb hogaa.

Sonal: Mann mein. Toh aap hi banjao na woh khushnaseeb. Aap hi karlijiye mujhse shaadi.

Sonal: Ghar chale.

Raj: Nhii abhi kahi aur jaana hai.

Sonal: Ab kaha jaana hai.

Raj: Chalo toh.

Phir dono car mein baithke ek mall aate hai.

Sonal: Ab yaha kisliye Raj. Kya bhabhi ne bola isiliye aap shopping karwane laaye hai. Mujhe kuch nhi chahiye Raj.

Raj: Bolti bahot ho. Thoda chup raho aur andar chalo.

Sonal: Par.

Raj: I said shut up. Ab agar ek shabd bhi bola toh main baat nhi karunga.

Sonal chup hojaati hai.

Raj: Nice. Ab chalo andar.

Sonal chup chaap andar aata hai aur ek ladies section mein jaata hai.

Raj: Excuse me. Mujhe 3 colour saree 1 non colour saree aur madam ke liye 2-3 Salwar suit dikhaiye. No limit.

Phir salesgirl Raj ke boli hui chize dikhati hai. Sonal chup chap khadi sirf Raj ko dekh rahi thi.

Raj ne kuch der mein 3 colour saree Ragini Smita aur Nandini ke liye li. 1 non colour Saree Dadi ke liye li. Aur Sonal ke liye 3 salwar suit liye.

Phir waha se payment karke woh gents section mein aata hai aur Ashok Vijay Karan aur Aarav ke liye dress leta hai.

Sonal dekhti hai Raj ne sabke liye kuch na kuch liya par apne liye kuch naa liya. Isiliye usne khud hi Salesman ko bolke Raj ke liye jeans aur shirt li.

Phir sabka payment kar woh bahar aate hai aur car mein baith jaate hai. Ab tak Sonal chupp hi thi.

Raj: Ab tum bol sakti ho.

Sonal: Kya jarurat thi mere liye itni dress lene ki.

Raj: Yeh maine apni best friend ko gift diya hai. Tum isme kuch nhi bolsakti. So keep quiet.

Sonal wahi chup hojaati hai. Kyoki iske aage woh kya bole usko samaj nhi aata.

Thodi der baad woh ghar aate hai. Sonal aur Raj ke haath mein shopping bags dekh kar Nandini puchti hai.

Nandini: Itni Shopping.

Sonal: Inhone sabke kiye shopping ki hai.

Aarav: Bhaiya ki shopping best hoti hai. Dikhaiye mere liye kya liya hai.

Phir Raj sabko sabke liye ki hui shopping bag pakda deta hai. Par Smita ko koi bag nhi deta jiske wajah se usko bahot dukh hota hai.

Raj ek saree ka box leke Smita ke paas aata hai aur ghutno mein baith jaat hai aur bolta hai.

Raj: Yeh aapke liye hai mummy. Please mujhe mere behaviour ke liye maaf kardeee.

Smita ki aankho se aansu aajate hai. Woh wahi ghutno pe baith ke jor jor se rone lagti hai.

Raj: Mat roiye Mummy. Mujhe maaf kardijiye. Mujhe aapke saath waisa behave nhi karna chahiye thaa.

Smita: Raj ke gale lag jaati hai. Tune mujhe maaf kardiya Raj. Tune mujhse baat ki. Mujhe Mummy bolke bulaya.

Raj: Haaa Mummy. Yeh bol Raj bhi Smita ke gale lag rone lagta hai. Pure 4 mahine baad dono Maa bete ekdusre se baat kar rahe the ekdusre ke gale lage the.

Unko dekh kar ghar mein sabhi ki aankho mein aansu aajate hai. Sab khush the par sabki aankhe gili thi. Sabse jyaada khush aaj Smita thi. Aur Sonal thi.

Smita: Mujhe maaf karde Raj. Mujhse bahot badi galti hui thi. Mujhe maaf kardeee.

Raj: Aur nhi mummy. Aapne bahot sehliya aur boldiya. Ab aur nahii.

Smita Raj ke chehre ko chumne lagti hai usko chehre ko apne haatho se sehlaane lagti hai. 4 mahine ki mamta jaise aaj hi luta dena chahti thi.

Raj: Mujhe bhookh lagi hai Mummy. Apne haath se khana nhi khilogi.

Smita: Mere bete ne aaj mere se khaana maanga hai. Aaj apne haatho se khilaungi. Nandini jaldi se khaana lagao. Mere Raj ne mujhse khaana maanga hai.

Nandini Rote hue kitchen mein bhagti hai woh ek plate mein khaana lekar aati hai.

Smita apne haath se Raj ko khilati hai. Raj bhi apne haath se Smita ko khilata hai. Maa bete ka pyaar dekh kar sabki aankhe namm thi. Savitri toh mandir mein bhagwan ka sukhriyada karna chali gayi thi.

Thodi der baad unka khaana khatam hota hai aur sab hall mein sofe mein baith jaate hai. Raj Smita ki god mein sir rakh ke leta hua tha. Smita bhi uska sir sehlaaye jaa rahi thi. Aaj Smita ke jeevan ka sabse khushnuma din thaa.

Kisi ne Raj se kuch nhi puchha. Kyoki kisine puchna jaruri nhi samjha. Raj aur Smita ke beech sab thik hogya yehi unke liye bahot thaa.

Sonal ektaraf baithke bas Raj ko uske chehre mein aaye sukoon ko hi dekhe jaarahi thi. Aur koi tha jo Sonal ko dekh raha tha.

Thodi der baad sab apne apne kamre mein sone chale jaate hai. Sonal jab apne kamre mein aati hai toh itni der se apne andar chupaaye khushi ko woh bahar nikalti hai. Woh bas pagalo ki tarah naachne lagti hai aur aaj pure din ke baare mein sochne lagti hai aur reh rehke sharma jaati hai.

Tabhi uske phone mein Swati ka video call aata hai.
Swati: Kyaa baat hai aaj subah se apni di ko call nhi kiyaa. Jabki aaj Sunday thaa.

Sonal: Diiii diii diii aaj mein bahot bahot bahot khush hu. Main aapko apni khushi sabdho mein express nhi kar sakti ke main kitni khush hu.

Swati: Tere chehre se teri khushi saaf dikh rahi hai. Aisa kyaa hogyaa jo tu itni khush haiii. Kyaa Raj ne propose kardiyaaa.

Sonal: Woh bhi bahot jald hojayegaa di.

Swati: Areee waaah. Bahot achhi baat hai. Chal bata teri mandir ki date kaisi rahi.

Sonal: Sirf Mandir ki date nhi thiiii.

Swati: Matlab. Tujhe toh woh Mandir le jaaraha tha naa.
Sonal: Haaa. But phir unhone mujhe pura mumbai darshan karwaya. Humne saath mein bahar breakfast kiya lunch kiya. Humne shopping ki. Hum saath mein ghume aur aapko pata hai unhone mujhe apni best friend banaya hai.

Swati: Realllllyyyy. Matlab teri sirf mandir ki date ko usne sach much ka date banadiya woh bhi pura din kaa.

Sonal: Khushi se. Haaa diii. Haaaa. Aaj ka yeh din meri zindagi ka sabsee khushnuma din hai. Aaj mere Raj ke saath meri pehli date thiii.

Swati: Achha chal bata kyaaa kyaaa kiyaa kaha kaha ghumee. Mujhe saari details chahiyeee.

Sonal: Aapko kyo batau. Yeh humare private moments thee.

Swati: Nautanki karte hue. Udaas chehra liye. Dost dost naa raha. Behen behen naa rahi.

Sonal: Bas bas jyaada nautanki naa kariyee.

Swati has deti hai.

Phir Sonal apne pure din ke baare mein sabkuch batati hai jo usne aur Raj ne spend kiyaa.

Swati: I am proud of you Sonal. Tune Raj ko Vicky ke baare mein sab batake sahi kiya. Isse future mein tumdono ke beech koi problem create nhi hogi. Aur tune jo jhoot bola hai woh bhi sahi salamat rahegaa.

Aur sabse achhi baat tune Raj aur Smita Chachi ke beech ki dooriyan ko khatam karke bahot achha kiyaa. Isse Raj ki aur Smita chachi ki nazar mein teri value aur bhi badh gayi hai.

Sonal: Unke beech ki dooriyan mujhse bhi sehan nhi hoti thi di. Mujhe bhi bahot bura lagta tha jab undono ko aise dekhti thi toh. Aur aap maanogi nhi jab Raj ne unse baat ki unke haath se khaana khaya unki god mein sir rakh ke soye tab Smita Chachi se khush shayad aur koi naa thaa. Aaj jaise unko unke jeevan ki sabse badi khushi milgayi.

Aur rahi Vicky ki baat toh ab jab mere Raj mere saath hai toh kal uska full and Final kar hi dungi. Aur waise bhi jis chiz ke liye main chup thi ab toh woh chiz hi khatam hochuki hai.

Swati: Chorr ussko. Par tere aaj ke kaam se tu Smita Chachi ki nazar mein aagayi hai. Agar kal ko Raj ke liye ladki dekhte hai toh unki first choice tu hi rahegi.

Sonal Swati ki yeh baat sunn buri tarh sharmaa jaati hai. Uska chehra sharm se laal hogya thaa.

Sonal: Diiii. Main rakhti hu. Byee Good Nighttt.

Swati: Haste hueee. Good Nighttt.


Phir call cut hojaata hai. Sonal wahi bed mein let jaati hai aur pure din ke baare mein wapas sochne lagti hai. Thodi der mein usko neend aajati hai.
Behtarren update bhidu
 

Punnu

Active Member
1,087
2,144
143
Update 20
Idher Smita ke kamre mein toh Smita ko neend hi nhi aarahi thi.

Ashok: Smita ab so jao.

Smita: Mujhe neend hi nhi aarahi hai. Aaj mujhe mera beta wapas mil gaya. Mera Raj wapas milgaya. Aapne dekha usne mujhse baat ki. Mujhe Mummy bola. Mujhse khaana maanga mere haath se khaana khaya aur meri god mein sir rakhke soya hai. 4 mahine pure 4 mahine se taras gayi thi main. Par aaj sab thik hogyaa.

Ashok: Mujhe bhi bahot khushi hai. Ke sab thik hogyaaaa. Aur yeh sab Sonal ki wajah se hua hai. Jabse woh iss ghar mein aayi hai humara Raj jo pehle gumsum rehta tha woh ab hasta hai. Uske wajah se hi Raj wapas tumhare paas aagaya.

Smita: Sahi kaha aapne. Yeh sab Sonal ki wajah se hua hai. Agar main aapse kuch maangu toh aap denge.

Ashok: Tum maango aur naa du aisa kabhi hosakta hai.

Smita: Mujhe mere Raj ke liye Sonal chahiye.

Ashok: Yeh tum kyaa bol rahi ho.

Smita: Main thikk bol rahi hu. Mujhe mere Raj ke liye Sonal chahiye. Usse achhi aur koi nhi hosakti mere Raj ke liye.

Ashok: Smita tum bhavnao mein behrahi ho. Maanta hu Sonal bahot achhi ladki hai. Humare Raj ke liye perfect hai. Par abhi.

Smita: Main abhi nhi bolrahi hu. Jab bhi Raj ki shaadi ki baat ho toh main Sonal ko hi choose karungi. Woh hi aayegi humare ghar.

Ashok: Filhal usko abhi padhne do. Abhi bhi 2 saal hai woh yaha. Shaadi ka baad mein dekhenge.

Smita: Woh aap dekhlijiyega.

Ashok: Chalo ab so jaao.

Phir dono so jaate hai.

Agle din sab dinning table pe baithe hue thee. Aaj ka pura nashta Smita ne apne haath se banaya tha aur sab Raj ka favourite thaa. Aaj bhi Smita Raj ko apne haatho se khila rahi thi. 4 mahine ki mamta uspe loota rahi thi. Raj bhi khushi khushi apni maa ke haath se khaa raha tha. Sab bas indono ko hi dekh rahe the. Sabke chehre mein ek khushi thi.

Thodi der baad sabka nashta khatam hota hai.

Raj: Sonal.

Sonal: Jii.

Raj: Chaleee.

Sonal: Haaa.

Smita: Sonal ek minute. Raj tum jao car nikalo. Sonal aarahi hai.

Raj bhi chala jaata hai.

Smita: Sonal beta Thank You so much. Agar tum naa hoti toh pata nhi mera Raj mujhe kab maaf karta.

Sonal: Isme Thank You kaisa. Yeh toh mera farz the. Raj aur main achhe dost hai. So ek dost dusre dost ke liye itna toh karhi sakta hai

Smita pyaar se Sonal ke sir mein haath ferr deti hai. Phir Sonal bahar aajati hai jaha Raj car liye khada thaa.

Raj: Hogyaaa.

Sonal: Jiiii. Chaliyee.

Phir Raj car ko college ki taraf ghumaa deta hai. Raaste mein dono ke beech koi baat nhi hui. Bas shanti se baithe rahe.

Raj: Lo aagaya tumhara college.

Sonal: Byee dhyaan se jaaiyegaa.

Yeh bol Sonal car se utarne lagti hai.

Raj: Sonalll. Ek minute.

Sonal pichhe ghum ke dekhti hai.

Raj: Agar woh ladka pareshan kare toh mujhe call kardena.

Sonal: No problem Raj. Main sambhal lungi.

Raj: Hmm. Okk byeee.

Sonal: Byeee.


Phir Raj waha se nikal jaata hai. Idher Vicky aaj inndono ko dekh leta hai aur gusse se jalbhun jaata hai.

Vicky: Iske liye isne mera shaadi ka proposal reject kardiya. Isko toh main jaan se maardungaa. Sonal sirf meri hai aur kisi ki nhi.

Sonal waha se sidha Canteen mein aajati hai jaha pehle se hi Payal aur Ishita baithe hue thee.

Sonal: Good Morning.

Dono: Good Morning.

Payal: Kyaa baat hai di kal toh Kapoor House mein kamaal hi hogyaa

Sonal: Kya bol rahi ho.

Ishita: Areee bhabhi ne bataya Raj Bhaiya ne Smita Aunty ko maaf kardiya aur kal unhone unse baat ki unke haath se khaana khaya.

Sonal: Ooo. Yehhh. Haa kal Raj ne unhe maaf kardiyaa.

Payal: Aur yeh sab aapki wajah se hua hai. Aarav ne bataya mujhe. Kal kya kya huaa.

Sonal: Maine kuch nhi kiyaa. Maine toh bas Raj se uss baare mein baat ki aur unhe maaf karne ko bola ab pehli baar unse kuch maanga tha maine aur waise bhi Raj apni mummy se bahot pyaar karte hai. Unko takleef hui thi. Par Raj ne jab apni Mummy ki takleef suni toh unse raha nhi gaya aur unhone maaf kardiya. Bas issbaat ka jariya main thi.

Ishita: Jo bhi ho. Par yeh achha hua. Maine bhi Aunty ko dekha tha sabke saamne muskurati rehti par unki aankho mein dard humesha rehta tha. Par ab woh khatam hogyaa.

Vicky: Good Morning.

Sonal ko Vicky ko dekh kar paara chadd gaya.

Sonal: Tum tumhari himmat kaise hui mere saamne aane ki. Nikal jaao meri nazro se durr.

Vicky: Yeh tum kyaa keh rahi ho Sonal.

Sonal: Thikk keh rahi hu. Tumhari himmat kaise hui mere ghar rishta bhejne ki. Tumne yeh socha bhi kaise main tum jaise ladke se shaadi karungi.

Ishita aur Payal yeh sunkee shocked hogye ke Vicky ne Sonal ke gharwalo se shaadi ki baat ki hai.

Vicky: So whats the problem. Maine tumse kabhi nhi kaha. Par aaj kehta hu. Main tumse pyaar karta hu. School life se tumse pyaar karta hu. Aur yaha bhi main sirf tumhare liye hi aaya hu. Main tumse shaadi karna chahta hu. Par tum toh yaha pe aake kisi dusre ladke ke saath ghum rahi ho. Tum sirf meri ho.

Sonal ka yeh sunke sir gusse se fatne lagta hai. Usne sidha Vicky ke gaal pe thappad laga diyaa.

Sonal: Tumhari himmat kaise hui. Shaadi aur tum jaise ladke se kabhi nhi.

Vicky: Main tumse pyaar karta hu Sonal tum sirf meri ho. Aur tum jiske liye mujhe ignore kar rahi ho naa usko toh jaan se maardunga. Tumne uske ladke ke liye mujhe reject kiyaa. Aree usse kahi gunaa jyaada behtar hu main. Tumhare saath school se hu. Humari families mein achhi bonding hai. Aur tum uss kalke aaye ladke ke liye mujhe reject kar rahi ho.

Sonal Raj ke liye yehsab sunnke aag babula hojaati hai. Usne ek aur thappad laga diya aur yeh pichhle wale se jor se thaa.

Sonal: Teri himmat kaise hui. Mere pyaar ke baare mein aisa bolne ki. Tu unhe jaan se maarega. Agar tune unki taraf dekha bhi toh main teri jaan le lungi. Main tujhe itne saal se sirf iss liye bardasht kar rahi thi kyoki main nhi chahti thi humare parents ke beech jo Business relation hai woh kharab ho. Par ab mujhe woh darr nhi hai. Tujh jaise gire hue insaan se toh main dosti naa karu shaadi toh durr ki baat hai.

Vicky: Tumne yeh achha nhi kiya Sonal. Tumhari iss harqat ke liye tum pachtaogi. Tere uss aashiq ko toh main chorunga nhi. Usko toh main jaan se mardunga. Aur tum sirf meri hogi. Tere maare har thappad har beizaati ka badla tujhse shaadi karke lunga.

Sonal ne usko ek aur thappad jadd diya. Issbar Vicky ne gusse mein Sonal ko maarne ke liye haath uthaya toh uska haath hawa mein hi rukk gaya.

Sonal ne darr se apni aankhe band karli thi. Par jab kuch nhi hua toh usne aankhe kholi toh saamne Raj khada tha jo uske Vicky ke haath ko pakde khada thaa.

Raj ne Vicko ko ek thappad khinch ke maara toh Vicky ke kaan se khoon nikalne lagta hai.

Raj: Namard. Ladki pe haath uthata hai.

Vicky: Tu hai kaun be jo mere aur iske beech aaraha hai.

Raj: Hone wala pati hu iska.

Sonal ne jab Raj ke muh se yeh suna toh woh bhi ekpal ke liye shock hogyi. Par phir usko yaad aaya Raj uske bole jhoot ko hi sambhal raha hai.

Vicky: Achha toh tu hai woh jiske liye isne mujhe reject kiya. Achha hua tu saamne aagaya. Aaj iske aankho ke saamne hi tujhe maarke isee apna banungaa.

Raj: Himmat hai toh isko chuu ke dikhaa. Agar tune isko chuu diya toh main beech se hatt jaungaa.

Vicky aage badh ke Sonal ko touch karne wala hota hai tabhi Vicky durr jaake girta hai. Ab tak pura college canteen mein aachuka tha.

Vicky uth ke Raj ko maarne aata hai toh Raj usko ghuma jameen mein patak deta hai. Vicky ke muh se khoon nikalne lagta hai.

Raj: Tune apni gandi nazar ispe di thi hai naa. Yeh bol Raj usko pakad ke maarne lagta hai. Vicky ke muh sujj gaya tha. Jagah jagah se khoon nikal raha thaa.

Sonal: Rajjj usse chorr dijiyee Rajjjj.

Raj usko ek ghusa maarke chor deta hai aur waha se chalke Sonal ke paas aata hai.

Raj: Tum thik honaa.

Abhi Sonal kuch bolti tab waha police aajati hai. Principal ko jab pata chala canteen mein maarpit hui hai toh unhone police ko bula liya thaa.

Raj: Bhaiya aap yaha.

Karan: Haaa yaha se kisi ne call kiya tha maarpit horahi hai par tu yaha kya kar raha hai.

Principal: Aaiye aaiye sir. Yehi hai woh jo college ke andar aake yaha ke student ko maar raha hai.

Karan: Aapko pata hai yeh kaun hai. Yeh Agarwal Group of Companies ka MD hai. Koi aira gairaa insaan nhi.

Principal: Par Sir inhone hi humare student ko maara hai.

Sonal: Sir inhone jaan muzz ke nhi maara. Vicky mujhe maarne aaya toh inhone mujhe bachaya. Phir Vicky ne hi inpe attack kiya thaa. Inhone bas self defense kiya hai.

Karan: Raj kyaa baat hai. Tu yaha kya kar raha hai aur yeh kaun hai.

Raj: Bhaiyaa Sonal apna mobile car mein bhul gayi thi toh main usse yeh dene aaya toh dekha yeh Sonal ko maarne wala hai toh main beech mein aagaya.

Karan: Haaa bhai toh chal ab tu bata yaa main apne style mein puchu.

Vicky: Sir isne pehle mere pe haath uthaya.

Sonal: Bhaiya yeh jhoot bol raha hai. Yeh mujhe maarne wala tha isiliye Raj ne isse maara.

Karan: Ladki pe haath kyo utha raha thaa. Apne aap ko bahot bada mard samajta hai ladki pe haath uthayegaa. Sonal kyaa hua thaa.

Sonal: Bhaiya yeh mere saath Jaipur mein padhta thaa. Waha se mujhe stalk karta tha. Par humare parents ka business relation kharab naa hojaaye isiliye maine kuch nhi bola. Par yeh yaha bhi aagaya mere pichhe pichhe. Aur aaj isne mujhe propose karna chaha toh maine maardiya. Aur isiliye yeh mujhe maarne wala tha.

Karan Vicky ko ghurr ke dekhta hai toh woh darr se kaanp raha tha.

Ishita: Haa bhaiyaa. Aur admission close hone ke baad bhi isne yaha pe admission liyaa. Sirf Sonal di ko stalk karne ke liye. Aur isne dhamki di ke jisse Sonal di pyaar karti hai woh usko jaan se maardega. Kyoki di ne pichha churane ke liye bola tha yeh kisi se pyaar karti hai aur usse shaadi karne wali hai.

Karan: Vicky ke paas jaake uske kandhe mein haath rakhke. Haa toh Mr. Stalker. Student ho agar murder karne ki dhamki ke jurm mein andar kiya naa toh zindagi barbaad hojayegi. Aur yeh teen meri behen hai. College mein ho padhai likhai karo masti mazaak karo. Agar yeh criminal minded harqat ki naa toh 2 din jail mein dhande padenge toh akal thikane aajayegi. Tere graduation mein marks kitne thee.

Vicky: Darte huee. 65%.

Karan: Aur principal sir. Jaha tak mujhe pata hai yeh mumbai ka hi nhi India ka No. 1 college hai aur yaha pe 90% walo ko bhi mushkil se chance milta hai toh jara aap batayenge iss 65% wale ko kaise mil gaya. Aur haa sach sach batana.

Principal: Woh woh actually Iske papa ne extra donation de ke admission karwaya tha.

Karan: Hmmmm. Kyaa aapko yeh pata nhi hai ke donation leke admission karana ektarah ka crime hai. Aur woh bhi aise marks wale ka jisse kahi jyaada talented aur merit wale bachho ka admission nhi horaha hai kyoki seats full hogyi hai. Aur seats full kyo hai kyoki aap jaise teachers paise leke inn jaiso ko unn sab students ka haq de rahe hai.

Toh ab aap bataiyee. Kyaa kiyaa jaaye.

Principal: Sorry sir. Main aaj hi apni ki hui galti sudharta hu. Aur innjaise students ko rusticate karta hu.

Karan: Good. Aur sirf rusticate hi nhi jo paise liye hai woh bhi wapas karengee. Constable yaha ruko aur dekhna yeh woh kaam karte hai yaa nhi. Aur tu bol tera kya karu.

Vicky: Dartee huee. Mujhe chorr dijiye sir. Main aaj ke baad Sonal ki taraf dekhunga tak nhi. Main wapas Jaipur chala jaunga.

Karan: Sonal kyaa kiyaa jaayee.

Sonal: Chorr dijiye bhaiyaa. Kyoki main nhi chahti Uncle aunty ka sir sharm se jhukk jaaye. Kyoki woh achhe insaan hai iski tarah giree huee nhi hai.

Karan: Chall nikal yaha se. Agar aaj ke baad Sonal ke aaspaas bhi dikha naa toh sidha andar kardungaa.

Vicky waha se darr ke bhagg jaata hai.

Karan: Aap sab apne apne class mein jaaye. Aur aap agar aajke baad yeh crime karte hue dekha ya suna toh aap bhi andar jaayenge.

Principal: Nhii nhii Sir. Phir aisa kabhi nhi karungaa.

Phir sab waha se chale jaate hai.

Karan: Tumlog bhi class mein jaao. Main bhi chalta hu. Chal Raj tu bhi office jaa.

Sonal: Thanks Bhaiyaa. Aur bhaiyaa yeh baat ghar mein mat bataiyegaa pleaseee.

Karan: Don’t worry.

Phir Karan waha se nikal jaata hai.

Raj: Lo tumhara yeh saalo purana problem humesha ke liye solve hogyaa.

Sonal: Thanks Raj. Meri help karne ke liyee.

Raj: Hum friends hai. Aur friends mein no sorry no thanks. Aur yeh lo tumhara mobile. Aur tumdono. Padhai bhi kiya karo.

Dono: Hum karte hai bhaiyaa.

Raj: Realllyyy. Mujhe nhi pata thaa. Yeh bol hasne lagta hai.

Sonal bhi hass deti hai.

Dono: Gandee bhaiyaaa.

Raj: Haste hue. Achha ab main chalta hu. Late hogyaa. Byeee.

Teeno: Byeeeee.

Phir Raj waha se nikal jaata hai.

Dono: Congrats Diii. Aakhir aapki problem solvee hogyiii.

Sonal: Haaa. Sahi kaha. Tension khatam hua usko leke. Ab chalo class chalte hai aadha class toh yehi hogyaa.


Phir teeno jaldi se class mein bhagte hai.
Behtarren update bhidu
 
Top