• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

Werewolf

ʏᴏᴜ ᴀʀᴇ ᴀʟʀᴇᴀᴅʏ ᴜɴᴅᴇʀ ᴍʏ ɢᴇɴᴊᴜᴛꜱᴜ
Supreme
11,164
88,181
259
Update 3
Idher Mumbai mein Raj apne kaam mein itna busy hogya tha ke usko dhyaan hi nhi raha ke office hours khatam hogye hai. Aur uske chakar mein Yash ki bhi baithna padha tha.

Yash: Areee O Workaholic Mr. Raj Kapoor. Aur kitna kaam karega. Chalnaaa. Dekh kitna time hogya hai. Bhukk lag rahi hai.

Raj: Bas hogaya hai.

Yash: Kitna bola tha bhaiya ne mat jaa Raj ke saath par main bewakoof hi nhi maana aur fhass gaya tere saath.

Raj: Chal chal nautanki mat kar. Chal ghar chal.

Yash: Dhanya ho prabhu. Aakhir iska kaam khatam hua.
Phir yeh dono ghar ke liye nikal jaate hai.

Yash apne ghar ki taraf nikal jaata hai aur Raj apne ghar ki taraf.

Raj jab ghar aata hai toh sab sochuke the bas uski maa hi jaag rahi thi aur Raj ka wait kar rahi thi.

Smita: Aaj itna late kardiya Raj. Jao jaldi jao fresh hojao phir dinner karlo.

Raj: Maine dinner karliya hai. Yeh bol woh apne room mein jaane lagta hai.

Smita: Kya apni mummy ko kabhi maaf nhi karega Raj.
Raj bina kuch bole apne room mein chala jaata hai aur pichhe Smita apne aankho mein aansu liye khadi rahi.

Tabhi waha ghar mein kaam karne wala aadmi aata hai.
Aadmi: Malkin khaana lag du. Aapne dopahar se kuch nhi khaya hai.

Smita: Mujhe bhuk nhi hai. Yeh bol rote hue apne room mein aajati hai.

Smita jab apne room mein aati hai toh dekhti hai Ashok jaga hua hai.

Ashok: Aagaya Raj.

Smita: Jiii.

Ashok: Kyaa baat hai.

Smita: Rote hue. Kya main itni buri hu ke mera beta mere se baat tak nhi karta. Kya woh mujhe kabhi maaf nhi karegaa.

Ashok: Usse thoda time do Smita. Woh jarur tumhe maaf karegaa. Usko uss baat se bahot takleef hui thi.

Smita: Mujhse nhi raha jaata. Woh sabse baat karta hai sabko pyaar jatata hai. Bas mujhse hi.... Yeh bol woh rone lagti hai.

Ashok: Sab thik hojayegaa Smitaa. Bhagwaan sab thik karengeee. Woh ekdin tumse jarur baat karega woh tumhe jarur apna pyaar jatayega. Jaise bachpan mein jatata thaa.

Smita kuch nhi bolti aur so jaati hai.

Idher Samar aur Sonal jab ghar wapas aaye toh woh bahot khush the.

Meera: Kyaaa baat hai. Jab yaha se gayi thi toh shakal pe 12 baje hue the. Aur ab dekho. Aisaa kyaa hogyaa.
Sonal apni maa ke gale lag jaati hai.

Sonal: Mummy Mummy Mummy aaj mein bahott khush hu. Bahot bahot khush.

Meera: Areee aree aisaa kyaa hogyaa.

Samar: Mummy Di ne puri college mein top kiya hai.

Meera: Sachhhhhhhhh.

Sonal: Haaa Mummy. Mainee puri college mein top kiya hai.

Meera: Sonal ke gale lagte hue. Maine kaha thaa naa sab achha hogaa. I am proud of you betaa. Congrats.

Sonal: Thank You Mummy.

Meera: Tumhara kyaa huaa.

Samar: Mummy maine distinction ke upar number laaya hai.

Meera: Congrats betaaa. Main bahot khush hu tumdono ke liyee. Tum dono fresh hojao. Main tumdono ka favourite khana banati hu.

Dono waha se apne room mein chale jaati hai.

Raat ko jab Deepak aur Swati aate hai toh unko bhi yeh khushkhabri sunayi jaati hai toh woh bhi bahot khush hote hai.

Sonal: Mummy Papa aaplogo se ek baat karni hai.

Deepak: Bolo.

Sonal: Woh actually college mein top karne ke liye mujhe India ke no. 1 interior designing college mein aage padhne ke liye scholorship mili hai.

Ashok: Areee waaahh yeh toh bahottt achhi baat hai.

Meera: Haaaa. Sahi kaha aapne.

Sonal: Par woh mumbai mein hai.

Ashok aur Meera: Kyaaaa mumbai. Itni durrr.

Sonal: Haaa.

Meera: Tum yehi koi college dekhlo. Yaha bhi achhe colleges hai.

Swati: Mummy Papa Sonal ko aisa mauka baar baar nhi milega. Isse jaane dijiye. Isse Sonal ko bahot kuch sikhne ko milega. Maine sunna hai uss college se pass out har student ne apni ek alag pehchan banayi hai. Sonal kitne waqt ke kiye jaana hai.

Sonal: 2 saal.

Meera: Kyaaa 2 saal ke liye. Nhi nhi. 2 saal ke liye tum dusre sehar mein akeli rahogi. Bilkul bhi nhi.

Sonal: Mummy Papa pleaseee maan jaiye. Mera bahot mann hai. Papa pleaseeee.

Meera: Par Sonal tumhe pure 2 saal ke liye Mumbai mein rehna hoga. Kaha rahogi kaise rahogi.

Sonal: Main Hostel ya PG mein rehlungi. Par please maan jaiyee.

Meera: Hostel mein toh kabhi nhii. Mujhe pata hai akeli ladki ke saath hostel mein kya kya hota hai. Aur PG bhi pata nhi kaisa milega.

Sonal: Papa.

Deepak: Main Ashok se baat karta hu uske dhyaan mein jarur kuch hoga.

Meera: Haa aap unse baat kijiye.

Sonal: Thank You Mummy Papa.

Meera: Abhi tak haa nhi ki hai. Agar mujhe sab thikk laga toh hi tum jaogi.

Deepak: Kal subah karta hu baat. Chalo ab sab sone jao.
Phir sab sone chale jaate hai.

Idher Raj apne room mein aata aur wapas window ke paas khada hojata hai uske aankho mein aansu the aur aankh band karke kuch soch raha hota hai. Phir apni aankhe kholta hai aur aasman mein chand ko dekh kar bolta hai.

Raj: Dekh rahi ho naa kitna akela hogya hu. Kehne ko toh sabkoi hai mere paas. Dadi Badi Mummy bade papa didi bhai papa aur shayad mummy bhi. Par phir bhi akela hogya hu.

Tabhi uske kandhe mein koi haath rakhta hai. Woh pichhe ghum ke dekhta hai toh waha uski bhabhi Nandini khadi thi.

Raj apne aansu pochta hai aur bolta hai.

Raj: Bhabhi aap. Abhi tak soyi nhi aap.

Nandini: Mera bhai aur dost dukhi hai aur main so jau. Phir uski yaad aarahi hai naa.

Raj kuch nhi bolta bas apna chehra dusri taraf karleta hai.

Nandini: 3 saal hogye hai Raj. Kab tak aise hi rahoge.

Raj: Main kya karu bhabhi. Mujhse nhi raha jaata.

Nandini: Kya woh tumhe iss haal mein dekh kar khush hogi.

Raj apni gardan naa mein hilata hai.

Nandini: Tum chahte ho naa woh khush rahe.

Raj nods in yes.

Nandini: Toh kyaa tumhare aisa karne se woh khush rahegi. Kabhi nhi Raj. Kabhi nhi. Woh tabhi khush rahegi jab tum khush rahoge. Kya tum chahte ho woh dukhi rahe.

Raj: Yeh toh main kabhi nhi chahunga bhabhi ke woh dukhi rahe.

Nandini: Toh uski khushi ke liye hi sahi tum aisa mat karo Raj. Tumhe aise dekh kar humhe bahot takleef hoti hai.

Raj kuch nhi bolta bas sunta raha.

Nandini: Raj kya mujhe mera woh dost kabhi nhi milega jo college mein tha. Kya tumhari bhabhi kabhi apne uss dost ko nhi dekh payegi jisne uski zindagi khushiyon se bhari.

Raj: Main koshish karunga bhabhi.

Nandini: Mujhe mere dost cum bhai ka intezaar rahega Raj. Chalo ab so jao. Good night.

Raj: Good night bhabhi.

Phir Nandini apne room mein chali jaati aur Raj bhi fresh hoke so jaata hai.

Karan: Aagaya Raj.

Nandini: Haa aagaya. Takleef mein hai. Uski yaad aarahi thi.

Karan: Raj kabhi usse bhul nhi payega. Raj kya hum bhi usse kabhi nhi bhul payenge. Hum jo aaj saath hai woh sirf aur sirf unndono ki wajah se hai.

Nandini: Haaa. Dekhiye naa humhe milane wale khud kabhi naa mil paaye. Mujhse Raj ki yeh halat nhi dekhi jaati Karan.

Karan: Dekhi toh mujhse bhi nhi jaati Nandini. Par Raj ka yeh dukh hum kam ya durr nhi kar sakte.

Nandini: Hmmm. Chaliye so jaaiye. Subah aapko duty pe bhi jaana hai.

Agli Subah Smita sabhi bachho ke kamre mein jaake sabko uthati hai par jab woh Raj ke kamre mein jaati hai toh dekhti woh bekhabar soraha hai. Woh bas uske chehre ko dekhti rehti hai.

Smita Raj ko sote dekh uske paas jaake uske sir ko sehlaati hai uske aankhe num hojaati hai.

Smita: Kya tu kabhi bhi apni maa ko maaf nhi karega Raj. Taras gayi hu tere muh se Mummy sunne ke liye. Uss ek galti ki itni badi saza mat de apni maa ko Raj. Main maanti hu mujhse galti hui hai Raj. Uss waqt mujhe jo dikha uspe hi bharosa kiya teri baat tak nhi sunni thi maine aur tujhe bina wajah maara bhi tha. Par please mujhe maaf karde Raj maaf kardee. Yeh bolte uske aankho se aansu beh gayee.

Tabhi koi Raj ke kamre mein aata hai.

Sab thik hojayega Smita. Raj jarur tumhe maaf karega.

Smita: Mujhse iski berukhi sehan nhi hoti hai didi. Pata nhi uss waqt kyo maine apne bete pe bharosa nhi kiya. Isne mujhse kaha tha woh jhoot hai par maine ispe bharosa naa karke unpe kiya.

Ragini: Mat ro Smita. Mat ro. Sab thik hojayega. Dekhna ekdin Raj phir se tumse pehle jaise behave karega.

Smita kuch nhi bolti. Tabhi woh dekhti hai Raj ki neend toot rahi hai.

Raj aankhe kholta hai saamne apni dono maa ko khada pata hai woh bed se utarta hai.

Raj: Good Morning Badi Mummy.

Ragini: Good Morning Raj.

Smita: Good Morning Raj.

Raj: Badi Mummy aap mera breakfast ready kardijiye. Mujhe aaj jaldi office jaana hai. Yeh bol woh washroom chala jaata hai.

Smita waha khadi rehke rone lagti hai.

Smita: Dekha na didi aapne kaise woh ab mujhe ignore karta hai.

Ragini kya bole usko samaj nhi aata woh bas Smita ko gale laga leti hai.

Ragini: Raj ko bahot takleef hui thi Smita. Uski yeh takleef dheere dheere durr hogi Smita. Tumhe koshish karte rehni hogi. Chalo ab neeche chalo. Breakfast ready karte hai.

Smita: Raj ka breakfast aap hi banana didi. Agar maine banaya toh shayad woh nhi khayega. Usne kal raat ko bhi kuch nhi khaya tha.

Ragini: Iska matlab tumne bhi kuch nhi khaya kal.

Smita: Mera beta bhuka rahe aur main khaa lu yeh nhi hosakta didi.

Ragini: Thikk hai chalo.

Phir dono neeche aake breakfast banate hai.

Ye Raj toh bilkul Kabir singh jesa behave kar raha hai...
Bekhayali... Me bhi teraaaa... hiii khyaaaal aaayeee :musicus:
Bas farq itna hai ki Raj daaru aur cigarette nahi peeta... Par ziddipana bilkul ussi tarah hai. Mera anumaan ye hai ki iski maa ne kuch aisa kiya hai jiske chalte uska pyaar uss se door jaa chuka hai aur yahi kaaran hai ki wo apni maa ko maaf nahi kar paa raha hai. Smita ko glaani bhi mehsoos ho rahi hai matlab galti zaroor ussi ki thi. Usne ye bhi kaha ki usne unki baat par bharosa kiya tha naa ki Raj ki toh mein yaha pe Smita ke pati ko maan ke chal raha hu... Kis usne hi kuch kaha tha jo baat Smita ne maani aur nateeja Raj aur uska pyaar alag alag...

Idhar dusri orr, Sonal mummy papa ko manaane me lagi hai. Jo ki mujhe lag raha hai ki uske mata pita maan jaenge. Ab dekhna ye hai ki Sonal waha jaake kuch banegi ya bigdegi ya fir uska bhi kisi ladke ke dwaara katega!?

Cool update in the end... :D:
 

Jaguaar

Prime
17,680
60,210
244
Ye Raj toh bilkul Kabir singh jesa behave kar raha hai...
Bekhayali... Me bhi teraaaa... hiii khyaaaal aaayeee :musicus:
Bas farq itna hai ki Raj daaru aur cigarette nahi peeta... Par ziddipana bilkul ussi tarah hai. Mera anumaan ye hai ki iski maa ne kuch aisa kiya hai jiske chalte uska pyaar uss se door jaa chuka hai aur yahi kaaran hai ki wo apni maa ko maaf nahi kar paa raha hai. Smita ko glaani bhi mehsoos ho rahi hai matlab galti zaroor ussi ki thi. Usne ye bhi kaha ki usne unki baat par bharosa kiya tha naa ki Raj ki toh mein yaha pe Smita ke pati ko maan ke chal raha hu... Kis usne hi kuch kaha tha jo baat Smita ne maani aur nateeja Raj aur uska pyaar alag alag...

Idhar dusri orr, Sonal mummy papa ko manaane me lagi hai. Jo ki mujhe lag raha hai ki uske mata pita maan jaenge. Ab dekhna ye hai ki Sonal waha jaake kuch banegi ya bigdegi ya fir uska bhi kisi ladke ke dwaara katega!?

Cool update in the end... :D:
Thank you


Bechari Smitaa sabkoi yehi samajta hai usne Raj ko uske pyaar se alag kiya. Aree aisa bhi toh hosakta hai ke kaaran kuch aur ho.

Aur aapne kaha Smita ne apne pati yaani Raj ke pita ki baat maani aur unko alag kardiya. Toh Raj apne pita se achhe se baat kyoo karta hai. Sirf Smita se hi kyo misbehave kar raha hai.

Sonal ka kyaa hogaa yeh aage likha hua hai. Aur Smita ne aisa kya kiya woh bhi aage likha hua hai.
 
Top