• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Beintehaan Mohobbat (Completed)

park

Well-Known Member
7,945
9,831
173
Update 66
Canteen mein Riya Yash ke bagal mein hi baithi thi. Rashi aur Aanchal ko toh jaise Yash wapas unke haath se nikalta hua dikha raha tha.

Rashi: Aanchal agar yeh sab hota raha toh Yash wapas humare haath se nikal jayega. Humhe kuch karna hoga.

Aanchal: Par hum karenge kya. Yash toh humse thik se baat tak nhi karta. Agar hum usko bolenge hum usse pyaar karte hai toh woh naajane kaisa react karega.

Rashi: Yehi toh problem hai. Radha ke jaane ke baad bhi woh humara nhi horaha hai. Aur ab yeh Riya naam ki musibat pata nhi kaha se aagayi. Isko aur iski behen ko kaise bhi karke Yash se durr rakhna hoga.

Aanchal: Haaa thik bol rahi hai. Dekh kaise uske bagal mein baithi hai. Aur has has ke baate kare jaa rahi hai. Inke dil mein Yash ko leke kuch aane se pehle humhe kuch karna hoga. Warna agar inndono mein se kisi ek ke dil mein kuch aagaya aur Yash ke dil mein bhi aagay toh sab barbaad hojayega.

Rashi: Hmm par kare kyaa. Upar se woh Soniya ki dost hai. Agar humne kuch kiya toh wih usse naa bol de.

Aanchal: Hmm yehi bhi hai. Dekhte hai kyaa kar sakte hai.

Idher Commissioner apne bete ko bachane ke liye aur apni job ko wapas paane ke liye jee jaan se koshish kar raha tha. Par woh kuch naa kar paa raha tha.

Yash ne Rohan ko kuch mahine pehle hue bomb blast mein fhasa diya tha. Aur aisa dikha diya ke commissioner bhi shamil tha. Yash ne puri tarah se unko fhasa diya tha jisse woh chah ke bhi nhi nikal paa rahe the. Rohan aur uska baap jail mein tha aur Commissioner ke upar inquiry baithi thi. Jisse woh bahot buri tarah fhas gaya tha.

College ke baat sab ghar aate hai. Yash ke saath Sonal Riya Rashi Aanchal chor ke sab aaye the.

Aarav: Bhai aage ka kyaa socha hai.

Yash: Kuch samaj nhi aaraha hai kyaa karu. Dimaag kaam hi nhi kar raha hai.

Abhi koi kuch bola tabhi ek awaaz aati hai. Dimaag kaam nhi kar raha hai toh usko fhekk do.

Sab awaaz ki taraf dekhte hai toh waha Jiya khadi thi.

Yash: Jiya di aap yaha.

Jiya: Ab kyaa karu Handsome. Ishant Sir ke baad puri jimmedaari mere upar aagayi hai kya karu kaise karu kuch samaj nhi aaraha hai.

Yash: I am sorry Jiya di. Dad ne jimmedaari mujhe di thi par maine kuch nhi kiya.

Jiya: Nhi nhi Handsome. Mujhe pata hai abhi ke halaat kya hai. Tum tension matlo main sab handle karlungi.

Yash: Koi nhi Jiya di. Kal se main bhi office aaunga. Jyaada kuch nhi toh aapki help hi kardiya karunga. Isse mujhe future mein help milega.

Jiya: Are you sure. Tum aana chahte ho Office.

Yash: Haaa. Main kal college ke baad office aajaunga.

Jiya: Okkkk. Toh main wait karungi.

Yash: Hmmm.

Phir Jiya thodi der baith kar baate karti hai aur chali jaati hai. Jiya ke saath baaki sab bhi chale jaate hai.

Yash: Rishi sab thik hai naa. Koi problem toh nhi hai naa.

Rishi: Koi problem nhi hai. Sab thik hai. Tum tension matlo.

Yash: Hmmm. Uss kaam ka kyaa huaa.

Rishi: Thodi der mein hojayegaaa.

Yash: Thikk hai. Phir call cut hojaata hai.

Idher Dev Ishant aur Mehak ki maut se khush hoke party kar raha tha. Party mein usne itna nasha karliya ke usko koi hosh hi nhi thaa.

Woh usi halat mein gaadi chalate hue ghar ki taraf aaraha tha. Gaadi full speed mein chala raha tha tabhi pichhe se ek truck ne uski gaadi ko takkar maar di. Jisse woh gaadi 3-4 baar palat te hue ek ped se jaake takraa gayi.
Dev wahi pe behosh hogyaa. Uske sir mein bahot gehri chott aayi thi. Pura chehra khoon se bhigg gaya tha. Tabhi waha pe koi aata hai. Usne eknazar Dev ko dekha phir apne haath mein pakde rod se uske ek pairr ko aur haath ko taqat se maarta hai aur waha se chala jaata hai.

Agle din harjagah khabar faill gayi ke Dev Thakur ka accident hua hai aur woh hospital mein hai.

Mahendra Rashi aur Aanchal hospital mein baithe hue the. Unki aankho mein dukh aur gussa dono tha. Dukh issliye ke Dev hospital mein tha aur gussa issliye kyoki kisi ne uska accident karwaya.

Yash apne bhai beheno ke saath aata hai. Rashi aur Aanchal Yash ko dekhte hi uske gale lagne ke liye aage badhte hai but tabhi saamne Sonal aur Riya aajati hai. Rashi aur Aanchal Yash ki jagah unndono ke gale lag jaate hai. Jo unhone expect nhi kiya tha.

Sonal aur Riya: Shant hojao. Kuch nhi hoga uncle ko woh thik hojayenge.

Woh dono unse alag hoke. Gusse se unko dekhte hai phir Yash ko dekhte hai.

Yash: Kaise hua.

Dono: Nhi pata. Humhe yaha se call aaya aur bola ke dad hospital mein hai.

Yash: Thik hojayenge.

Phir Yash Mahendra ke paas jaata hai.

Yash: Yeh sab kaise hua. Kyaa kisi ki koi dushmani thi aaplogo ki. Kuch waqt pehle aapki potiyan aur aaj aapka beta. Aapka london ka business yaha pe 2 factory mein aag lagna Lagta hai kisi ne aaplogo ko target kiya hai.

Mahendra: Hum Thakur hai. Jisne humhe target kiya hai usko jinda gaar denge. Bas ekbaar pata chale woh kaun hai.

Yash: Kyaa aaplogo ne kisi ke saath kuch bura kiya tha jiske wajah se yeh sab horaha hai.

Mahendra ek nazar Yash ko dekhta hai phir bolta hai.

Mahendra: Hum aisa kyo karenge. Aur humari kisi se koi dushmani bhi nhi thi.

Yash: Choriye. Uncle kaise hai.

Mahendra: Sir pe chott aayi hai. Ek haath aur pairr toot gaya hai. Kisi ne jabardasti waha pe waha hai.

Yash: Yeh toh koi personal dushmani ka natiza hai tabhi kisi ne uncle ko aise maara hai.

Mahendra: Pata nhi. Chalo tumsab mil lo.

Phir sab andar aate hai toh dekhte hai Dev bed mein leta hua hai Haath aur Pairr mein plaster chada hua hai. Sir pe patti hai.

Yash: Ab aap kaise hai Uncle.

Dev: Ab thikk hu. Tumlog aaye mujhe achha laga.

Yash: Kaise naa aate uncle. Aap mom dad ke achhe dost the. Humhr toh aana hi tha.

Idher Mahendra Dev ko kuch ishara karta hai toh Dev bhi ishare ko samaj ke bolta hai.

Dev: Yash beta tumse kuch baat karni hai.

Yash: Boliye naa Uncle.

Dev: Beta aise waqt mein yeh baat karna achha nhi lagta.

Yash: Koi baat nhi uncle. Aap boliye naa.

Dev: Dekho beta abhi abhi tumhe itna bada loss hua hai. Tum ab akele hogye ho. Manta hu tumhare mama mami bua fufa tumhare saath hai phir bhi maa baap se saga koi nhi hota.

Yash: Main samaj raha hu Uncle.

Dev: Dekho beta abhi mera bhi accident hogya hai. Jab se Ishant aur Mehak ka accident hua tha tab se mujhe iss accident se darr lagne laga hai. Kalko agar main bhi marr gaya toh mere pichhe toh Rashi aur Aanchal ka kyaa hogya.

Yash: Aisa mat sochiye uncle. Aisa kuch nhi hoga.
Dev: Kismat ka likha kaun jaan paaya hai beta.

Yash: Yeh toh aapne thikk kaha. Kismat ka likha kaun jan paaya hai. Kismat mein jo likha hai woh toh hoga hi.

Dev: Isiliye main chahta hu kee....

Yash: Boliye naa uncle.

Dev: Bura mat manna beta. Par main betiyon ka baap hu. Chahe yeh jitni bhi self independent ho par hai toh betiyan hi aur mujhe inke future ki bahot chinta hoti hai.

Yash: Chinta kaisi Uncle. Aapka itna bada business hai yehdono woh sambhalengi.

Dev: Woh toh hai. Par zindagi akele nhi bitayi jaati. Uske liye ek sath ki jarurat padhti hai. Tumne bhi toh apni humsafar ko khoya hai.

Yash iss baat pe kuch naa bolta.

Dev: Aur main apni betiyon ke liye kisi bharosemand ko hi chunna chahta hu. Jiske sath woh khush rahe.

Yash: Hmmm.

Dev: Betaa kyaa tum inndono se shaadi karke mujhpe ek upkaar karoge.

Dev ki baat sunn waha khade sabhi ke upar jaise bijli girr jaati hai. 2 jan toh gusse se aag babula hojaate hai. Woh toh Dev ko jaan se maarne jaarahe the. Par unke paas khade kisi ne unhe pakad liya.

Rashi Aanchal: Dadddddd yehhhh aapppp kyaaa kehhh raheee haiiii. Yehhh possibleee nhiii haiiii.

Mahendra: Haaaa betaaaa yehhh tummm kyaaa kehhhh raheee hooo. Yehhh possibleee nhii haiii.

Dev: Maine bahot soch samaj ke hi yeh bola hai. Iss accident se bachh gaya kyaa pata phir koi accident hojaaye aur main na bachu. Toh mere baad inn binn maa ki bachhiyon ka kyaa hogaa. Aapki bhi ab umar hogyi hai. Aapke upar bhi itna bhojj nhi de sakta. Aur Yash humare jaan pehchan ka hai. Humare dost ka beta hai. Kalko humare baad yeh sab sambhal sakta hai. Rashi aur Aanchal bhi isse pyaar karti hai. Bhalei hi innhone pehle thodi galtiyan ki hai. Par ab yeh sudhar chuki hai. Bolo Yash kyaa tum meri yeh baat maanoge. Karoge meri betiyon se shaadi.

Yash: Yeh possible nhi hai uncle. Meri zindagi mein Radha ko chorr ke koi nhi aayega. Radha nhi hai toh kyaa hua. Uski yaadein mere saath hai.

Dev: Maine bhi ek samay kisi se bahot pyaar kiya tha. But woh mujhe naa mil saki. Maine bhi socha tha uski yaadon ke sahare saari zindagi guzaar dunga. Par yeh kehne ko aasan hai par karne ko nhi. Phir meri zindagi mein inki maa aayi bhale hi usne kuch saalon mein hi mera saath chorr diya. Par jeene ke kiye yeh dono mujhe de gayi.

Yash: Mere se nhi hogaa Uncle. Main yeh nhi kar sakta. I Am Sorry.

Dev: Abhi tum thoda pareshan ho beta. Agar tum kaho toh main tumhare mama mami bua fufa yaha tak ki Vikram aur Sanjana se bhi baat karta hu.

Yash: I don’t know uncle. Par main nhi kar sakta. Yeh bol woh waha se nikal jaata hai. Uske pichhe baaki sab bhi nikal jaate hai. Reh jaate hai surf Dev Mahendra Rashi aur Aanchal.
Nice and superb update...
 
  • Like
Reactions: Luffy and Jaguaar

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
Update 67
Yash aur baaki sabke jaane ke baad Mahendra bolta hai.
Mahendra: Bahot khubb betaaa. Bahot khubb. Yash ko ekdum sahi mauke pe pakda hai. Aur aisa emotional hoke bola hai usko manna hi padega. Bhale hi usne abhi naa kaha hai. Par uski naa bahot kamzor thi.
Aanchal: Haaa dad. Bahot hi sahi mauke pe aapne yeh baat chedi hai. Ab Yash sirf humara hogaa. Aur usko humse koi nhi chinn payegaa.
Rashi: Dad Dadaji aaplog jald se jald Yash ke ghar mein baat karke humara rishta pakka kare. Abhi Yash ki mental condition kamzor hai. Uske gharwale jaisa bolenge woh waisa hi karega. Abhi woh dil aur dimaag dono se hi nhi soch raha hai. Humhe iss mauke ka faiyda uthana chahiye. Ekbaar agar uske gharwale maan gaye toh kaam hojayegaa.
Aanchal: Haa Dad Dadaji. Rashi ne bilkul thikk kaha hai. Aaplog deri na kare. Abhi uski puri family ki mental condition thikk nhi hai. Aur isse achha mauka humhe nhi milega. Aur rahi baat uss Radha ke maa baap ki baat toh ussr agar baat nhi bhi karenge toh koi fark nhi padega. Woh log apni beti ki wajah se inke saath the. Ab woh marr chuki hai toh unko isse durr hi rakho. Aur ekbaar humari shaadi Yash se hogyi toh uske saare bhai beheno ko dekhlenge.
Rashi: Par kyaa woh humdono se shaadi ke liye maanega. Agar usne kisi ek se shaadi karne ki baat ki toh.
Aanchal: Toh usse hi puchenge woh kisse shaadi karna chahta hai baat khatam.
Mahendra: Humlog kal hi jayenge baat karne. Bas ekbaar yeh shaadi hojaaye phir pura Agarwal Empire humara hojayega.
Idher Yash jab apne ghar aaya toh sab usko gherr lete hai. Aur tarah tarah se sawaal puchne lagte hai.
Yash: Chinta mat karo. Kuch nhi hoga. Mahendra aur Dev Thakur ko unke kiye ki saza milegi. Jarur milegi. Agar woh sochte hai unki betiyon ki shaadi mujhse ho jaane se Agarwal Empire unka hojayega toh galat sochta hai. Unko maut toh milegi hi.
Sab phir shant hojaate hai. Koi kuch nhi bolta.
Yash apne kamre mein aata hai aur kisi ko msg karta hai aur kuch baat karta hai.
Idher kisine Yash se baat karna band kardiya tha. Yash manane ki bahot koshish karta hai. Par nhi maante. Phir Yash saari ichhaye puri karne ka wada karta hai tab jaake maante hai.
Agle din Dev aur Mahendra Thakur ne Yash ke Mama Mami aur Bua Fufaji ke saath ek family meeting organize ki jisme Yash aur uske bhai behen nhi the aur naahi Rashi aur Aanchal the.
Unndono ne Yash ki family ko emotionally blackmail karke iss shaadi ke liye mana liya tha. Bhale hi iske kiye unhone magarmach ke aansu bahaye haath aur pairr bhi jodd liye. Yash ki family ne bhi Yash ko jaise taise shaadi ke liye mana liya.
Yash aur uske bhai beheno ne bahot mana kiya. Par kisi ne unki ek naa suni. Kyoki unko bhi pata tha yehloh kabhi bhi Siya aur Radha ke alawa kisi aur ko Yash ke saath nhi dekh payenge. Yeh abhi thoda mentally disturb hai. Par samay ke saath sab thik hojayega yeh soch ke woh shaadi ke liye maan gaye.
Unme se kisi ko laga abhi shaadi mein bahot time hai pehle padhai puri hojaane dete hai. Baad mein shaadi karenge. Par Dev aur Mahendra Thakur risk nhi lena chahte the isiliye unhone padhai tak ka wait naa kiya. Padhai shaadi ke baad hojayegi yeh bolke jald se jald shaadi karwani chahi.
Betiyon ke pita hai unke future ki tension hai yeh samaj ke Yash ki family ne bhi haa kehdi.
Yash apne pure mann se ready nhi tha. Par apni family ki khushi ke liye usne bhi haa kehdi. Yash ne Vikram aur Sanjana se bhi permission li. Unhone bhi haa kehdiya. Aakhir woh naa kis haq se kehte.
Rashi aur Aanchal yeh sunke bahot khush hote hai. Unke itne din ki murad yaa phir yeh kahe ki jidd jo puri horahi thi. Yash ke birthday ke din se jo sapna unhone dekha tha woh ab pura hone jaaraha tha.
Shaadi ki taiyaariyan start hogayi thi. Yash ke Mama Mami Bua Fufa Vikram Sanjana Aarav Avi Arushi Megha Soniya Varun ke saath Sonal aur Riya bhi shaadi ke liye Agarwal house mein shift hogye the. Sonal aur Riya ko Soniya ne jabardasti apne saath shift karwaya tha. Jiya bhi shaadi ki taiyaari ke liye available thi.
Aarav aur Megha garden mein tehal rahe the.
Megha: Aarav sab kitna ajeeb horaha hai na. Isstarah se Yash ki shaadi hona kitna ajeeb hai. Humne kabhi nhi socha tha Yash ki shaadi iss tarah hogi.
Aarav: Tumhe pata hai Megha hum sab ke kitne armaan the hum bhai ki shaadi mein kyaa kyaa karenge. Par woh sab ab nhi hogaa. Humara mann hi nhi hai.
Megha: Hoga bhi kaise. Jab shaadi mein itni problems aaye toh. Waiseee ab jab Yash ki shaadi horahi hai toh uske baad toh tumhari aur Avi ki hi baari hai right. Toh tumne kuch socha hai iske baare mein.
Aarav: Masti karte hue. Sochna kyaa hai. Shaadi ke liye abhi bahot time hai. Tab tak koi naa koi ladki pasand aajayegi. Phir Mummy papa se milwa ke shaadi karlunga.
Tumne kyaa socha hai. Koi ladka pasand aaya kyaa.
Megha Aarav ki baat sunke gussa hojaati hai aur usko maarne lagti hai.
Megha: Kyaaa bolaa tumnee. Dusri ladki pasand karke usko Mummy Papa se milwa ke shaadi karoge. Kisi aur ki taraf nazar utha ke dekho. Tumhari aankhe nikal lungi. Aur uss ladki ki jaan lelungi.
Aarav: Aree baap ree kyaa danger biwi mil rahi hai. Apne pati ko andha karne ki baat kar rahi hai.
Megha: Abhi toh sirf bolrahi hu. Jarurat padha toh kar bhi dungi.
Aarav: Andha Pati chalega.
Megha: Andha pati bhi chalega par sautan nhi chalegi.
Aarav Megha ko kheench ke apne seene se laga leta hai aur bolta hai. Iss janam mein toh kya har janam mein meri zindagi mein sirf aur sirf tum hi rahogi. Tumhare siwa aur koi nhi hoga.
Megha: Itna pyaar karte ho mujhse.
Aarav: Bilkul bhi nhi karta. Main toh bas time pass kar raha hu.
Megha: Aarav ke seene mein maarte hue. I Love You
Aarav: I Love You too.
Phir yehlog shaadi ki taiyaariyon mein lag jaate hai.
Idher Yash Rishi ko call karta hai.
Yash: Rishi sab thikk hai naaa.
Rishi: Sab thikk hai. Tum bas apni shaadi enjoy karo.
Yash: Hmmm. Sab kaam thik se horaha hai naa.
Rishi: Chinta mat karo. Saara kaam thik se hojayegaa.
Yash: Hmm thikk hai.
Phir call cut hojaata hai. Yash phone rakhta tabhi uske mobile mein ek aur call aata hai.
Yash: Hello.
Saamne se Yash ko koi kuch bolta hai.
Yash: Aree shaant shaant. Chinta mat karo. Kuch nhi hogaa. Sab thikk hai. Bas shaadi mein aajana.
Saamne se koi kuch bolta hai.
Yash: Pata hai. Par nazar galat jagah girr gayi thi. Aur woh jagah pe jo nazar dega uske saath jo hogaa woh dekhne layak hoga.
Phir Yash call cut kardeta hai.
 
parkas

Prime
22,832
52,572
258

Nice and beautiful update...
 
Top