• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Beintehaan Mohobbat (Completed)

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
Kia baat hai dost asa jabardast or jhaaaaakaaass update diya hai na mai bata nai sakta yara....
Kis khubsurati sa ishq ka haqiqi to likha hai yara asa ishq bhut kam hota hai jis mai aik matra huwas na ho ...
Bhut bhut bhut khub bhut aala...๐Ÿ‘ป๐Ÿ‘ป
๐Ÿ†’๐Ÿ†’๐Ÿ†’๐Ÿ†’๐Ÿ†’๐Ÿ†’๐Ÿ†’๐Ÿ†’๐Ÿ†’๐Ÿ†’๐Ÿ†’๐Ÿ†’๐Ÿ†’๐Ÿ†’๐Ÿ˜Š๐Ÿ˜Š๐Ÿ˜Š๐Ÿ˜Š๐Ÿ˜Š๐Ÿ˜Š๐Ÿ˜Š๐Ÿ˜Š๐Ÿ˜Š๐Ÿ˜Š๐Ÿ˜Š๐Ÿ˜Š๐Ÿ˜Š๐Ÿ˜Š
Thank you

Jaha pe hawas hoti hai waha ishq nhi hota. Aur jaha sachha ishq hota hai waha hawas ki koi jagah nhi hoti.
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Naik

Kingfisher

๐Ÿ’ž soft hearted person ๐Ÿ’ž
7,474
26,112
174
Update 7
Udher Radha apni mom se bolti hai.

Radha: Mom main Arushi aur Megha ke saath shopping pe jaa rahi hu.

Sanjana: Thik hai. Aur yeh lo tumhara card. Jitna marzi use karo. No limits.

Radha: Mere paas hai Mom.

Sanjana: Pata hai. Phir bhi yeh rakho.

Radha: Okk Mom.

Phir Radha bhi ready hoke mall mein chali jaati hai.

Yash: Toh batao pahle kya karna hai.

Soniya: Simple Shopping karni hai. Siya bhai chalo mere saath.

Aarav: Yash bhai mere saath rahenge.

Soniya: Nhi. Woh mujhe shopping mein help karenge.

Aarav: Toh tumne Siya ko liya hai naa.

Soniya: Mujhe dono ki help chahiye. Yeh bol woh Yash ka haath pakad ke apne saath le jaane lagti hai.

Yash: Aarav chalo mere saath. Inke saath hum bhi karlenge.

Phir yeh charo jaake shopping karne lagte hai.

Idher Radha jab Mall mein kadam rakhti hai toh usko thoda ajeeb si feeling aati hai. Usko lagta hai jaise uska koi apna yaha uske paas hai. Toh woh waha khadi hoke idher udher dekhne lagti hai.

Arushi: Ayee Radha chal naa. Waha kyo khadi hai.

Radha: Haa. Haa haa chal.

Phir yeh log shopping karne chale jaate hai.

Udher Soniya aur Siya ne Yash aur Aarav ko pareshan kardiya tha. Kabhi yeh toh kabhi woh.

Yash: Soniya Siya jaldi karo. Dekho tumhare shopping mein kitna late hogaya hai. Raat hone aayi hai.

Dono: Bas bas aaj ka hogya hai. Next time baaki ka dekh lenge.

Aarav: Abhi next time baaki hai. Itni shopping ke baad.

Dono: Aree abhi toh thoda sa hi hua hai.

Yash: Maaf karna next time akele aana.

Aarav: Bhai ne thik kaha.

Dono: Muh banate hue. Dekhenge.

Yash: Toh ab batao kya karna hai.

Dono: Movie.

Yash: Thik hai chalo phir. Aarav inhe bol do yeh shoppers yeh ghar pahoncha de.

Aarav: Thik hai main bol deta hu.

Phir yeh log movie dekhne ke liye chale jaate hai.

Radha bhi apni shopping karke movie ke liye jaane lagti hai.

Jab yeh log multiplex mein enter karne wale hote hai tabhi Yash ko ek call aata hai.

Yash: Ruko ghar se call aaya hai.

Phir Yash thoda side hoke baate karne lagta hai. Phir inke paas aake bolta hai.

Yash: Chalo ghar chalo. Fufaji aur Avi aaye hai.

Soniya: Ooo. Thik hai movie next time.

Phir yeh log ghar jaane lagte hai.

Idher Radha jaise jaise Multiplex ke kareeb aarahi thi uski dhadkane tez horahi thi. Woh baar baar idher udher ghum ghum ke dekh rahi thi.

Tabhi usse Megha bulati hai.

Megha: Radha chal naa movie start hojayegi.

Radha jab murti hai toh uska haath kisi se touch hojaata hai jisse usse ek jhatka lagta hai aur usko apne dream Krishna ka aihsaas hota hai.

Pehle toh woh uss aihsaas mein khoo jaati hai. Par jab usse hosh aata hai toh woh pagalo ke jaise idher udher bhag bhag ke dekhne lagti hai. Par tab tak woh bhidd mein kahi khoo gaya tha.

Arushi aur Megha uski aisi harqat ko dekh kar shock hojaate hai. Dono uske paas aate hai.

Arushi: Radha Radha kya hua. Tum aise kyo behave kar rahi ho.

Radha: Woh woh woh yahi hai. Abhi mujhe uska aihsaas hua.

Megha: Kaun kiska aihsaas hua.

Radha: Dream Krishna ka.

Dono: Dream Krishna. Yeh kaise naam hai aur yeh hai kaun.

Radha: Wahi jisse main apni jaan se jyaada pyaar karti hu.

Dono: Shock se Whattttttt.

Radha: Pata nhi woh kaha chala gaya. Abhi toh yehi tha. Uska haath mere haath se touch bhi hua tha. Yeh bol woh rone lagti hai.

Dono: Radha Radha shant hojao. Chalo ghar chalo. Waha shanti se baith ke sochenge.

Phir dono jabardasti Radha ko ghar leke jaati hai.

Jab yehlog ghar aate hai toh Vikram bhi ghar aachuka tha.

Arushi: Aunty jaldi se paani laaiye.

Sanjana bahar aake dekhti hai Arushi aur Megha dono aaye hai aur Radha ro rahi hai. Usko aise rote dekh woh tension mein aajati hai.

Sanjana: Vikrammmmm jaldi aaiye.

Vikram bhi jaldi se bahar aata hai toh Radha ko aise rote dekh usko paas jaata hai.

Sanjana: Radha meri bachhi kya hua. Kyo ro rahi ho.

Vikram: Arushi Megha kya hua. Kyo ro rahi hai yeh.

Dono: Uncle Aunty pata nhi hum log mall mein the movie dekhne jaa rahe the. Radha kuch ajeeb se behave kar rahi thi. Baar baar idher idher ghum ghum ke kuch dhund rahi thi. Phir achanak yeh pagalo ki tarah bhagne lagi phir ek jagah baith ke rone lagi. Jab humne pucha toh bola iske dream Krishna ka aihsaas hua hai isse iske haath ko touch kiya usne.

Radha: Rote huee. Mom Dad. Maine aaj usse aihsaas kiya. Uska haath mere haath se touch hua. Maine usse bahot dhunda par woh nhi mila.

Sanjana aur Vikram dono pareshan hojaate hai. Radha ka pagalpan kuch jyaada hi badh gaya tha.

Vikram: Radha meri princess aise rote nhi. Chup hojao. Tumhe pata hai naa hum tumhe aise rote hue nhi dekh sakte. Please chup hojao.

Sanjana: Radha ko gale lagate hue. Chup hoja meri bachhi mat ro. Hum hai naa hum usse mil ke khojenge. Please chup hoja.

Dono: Haa Radha chup hojao. Hum hai naa hum khoj lenge usse chup hojao.

Radha Sanjana ke gale lage hue rote hue hi so jaati hai.

Vikram usse uske kamre mein pahoncha deta hai.

Dono: Aunty yeh sab kya hai. Radha kisi se itna pyaar karti hai yeh humhe kabhi bataya hi nhi.

Sanjana: Yeh pyaar nhi ek tarah ka pagalpan hai.

Dono: Matlab.

Sanjana: Pichle 2 saal se Radha ko kisi ladke ka sapna aata hai. Radha uss sapne wale ladke se iss kadar pyaar kar baithi hai ke uske bina naa kuch khaati hai na peeti hai na soti hai na jaagti hai. Woh sapne wala ladka iske tan man yaha tak ke aatma mein bhi bas gaya hai.

Dono: Toh Radha ko usse milne dijiye na.

Sanjana: Yehi toh problem hai beta. Kisi ko nhi pata woh ladka kaisa dikhta hai kaha rehta hai kaun hai kaha hai. Woh bas Radha ki ek soch hai ek sapna hai. Aur yeh pagal uss sapne ko apni zindagi bana baithi hai. Uske bina toh yeh saans tak nhi leti. Kal maine galti se bol diya agar uss ladke ke jeevan mein koi aur raha toh. Toh yeh sunte hi uske aankho mein aansu aagaye. Ab mujhe darr hai agar woh isse naa mila toh shayad yeh jee nhi payegi.

Arushi: Yeh toh bahot hi serious matter hai Aunty.

Sanjana: Aur aaj toh isne hadd kardi. Tumdono ne dekha tha kya kisi ko.

Dono: Nhi naa aunty.

Sanjana: Pata nhi meri bachhi ka kya hoga.

Megha: Aunty kya Radha ko sapne mein uska chehra dikhta hai.

Sanjana: Haa dikhta hai lekin clear nhi.

Megha: Toh kyo naa hum uss aadhe adhure chehre ka sketch banaye. Aur usse hi uss ladke ko khojne ki koshish kare.

Sanjana: Areee haaa yeh ho sakta hai. Thank You so much beta.

Megha: Aunty isme Thank You kaisa. Humne Radha ko humesha apni behen maana hai. Apni behen ke liye yeh kuch bhi nhi hai.

Arushi: Mere contact mein ek aisa sketch artist hai. Main kal hi usko bula leti hu.

Sanjana: Haa beta pleasee. Tum usse kal hi bula lo.

Vikram: Kisse bulane ki baat horahi hai.

Phir Sanjana Vikram ko saari baat batati hai.

Vikram: Aree yeh bahot achha idea hai. Tum kal hi usko bulao. Ab hum apni bachhi ko aise nhi dekh sakte.

Dono: Ji uncle. Achha Uncle ab hum chalte hai.

Sanjana: Aree aaj yehi rukh jao. Bahot raat hogyi hai.

Dono: Nhi aunty humare paas car hai hum chale jayenge.

Vikram: Thik hai dhyaan se jaana.

Dono: Jiii uncle.

Phir woh dono bhi apne ghar chali jaati hai.

Sanjana: Vikram Radha ka pagalpan toh din ke din badhte hi jaa raha hai.

Vikram: Kya kare Sanjana. Woh ladka sach mein exist karta bhi hai ya nhi yeh tak humhe nhi pata. Agar woh humhe mil jaye toh meri beti ke badle humari puri property usko de du.

Sanjana: Main meri bachhi ko ab aise nhi dekh sakti. Yeh bol woh rone lagti hai.

Vikram: Chup hojao Sanjana. Hum kal uska sketch banwate hai phir dekhte hai.

Sanjana: Main jaa rahi hu apni bachhi ke paas. Yeh bol woh Radha ke kamre mein chali jaati hai. Jaha woh so rahi thi. Aansu uske gaal pe sukh gaye the.

Sanjana uske bagal mein baith jaati hai aur uske sir ko sehlaane lagti hai. Aur uske paas hi so jaati hai.

Awesome update

To akhirkar Radha ki yash/ Krishna Ka ahesas ho hi gya ...sayad kismat Achi nhi thi Varna mil leti khamkha dard ke samundar me dub gai sath me Radha ki rota Dekh uska parivar bhi dukhi hua
Let's see what happens next
 

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
Awesome update

To akhirkar Radha ki yash/ Krishna Ka ahesas ho hi gya ...sayad kismat Achi nhi thi Varna mil leti khamkha dard ke samundar me dub gai sath me Radha ki rota Dekh uska parivar bhi dukhi hua
Let's see what happens next
Thank you

Bahot jald iss dukh ka anth hoga
 

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
Update 8
Agle din Arushi aur Megha subah jaldi se uss sketch artist ko leke aate hai. Woh dono usko hall mein baitha ke jaldi se Radha ke room mein jaate hai jaha woh ghum shum si baithi hui thi.
Dono: Good Morning Radha. Ab kaisi tabiyat hai tumhari.
Radha: Good Morning. Aur meri tabiyat ko kya hua. Main bilkul thik hu.
Dono: Achha hai chalo humare saath nichhe ek kaam hai.
Radha: Nhi abhi mera kahi jaane ka mann nhi hai.
Dono: Chal naa. Isse tera hi kaam aasan hoga. Samaj le tere dream Krishna ke paas jaane ka 1 step aage badh raha hai.
Radha: Kya bola tum dono ne.
Dono: Wahi jo tune sunaa. Ab jaldi chal nichhe.
Radha bina ek pal gawaye nichhe aajati hai jaha woh sketch artist ne saari taiyari kar liya tha. Sanjana aur Vikram wahi baithe hue the.
Radha: Mom Dad. Yeh sab kya hai.
Vikram: Radha yeh ek sketch artist hai. Tum inko apne uss dream Krishna ke baare mein batao yeh uska sketch banayenge. Usse hum usko dhundenge.
Radha: Khushi se nachhte hue. Sachhhhhhh.
Sanjana: Bilkul meri bachhi.
Radha: Thank You mom Thank You dad.
Dono: Thank You humhe nhi apne pichhe khadi unn dono se kaho. Yeh unka hi kaam hai.
Radha jaldi se unke gale lag jaati hai.
Radha: Thank You Arushi Thank you Megha. Aaj tum dono me mere liye bahot bada kaam kardiya hai.
Dono: Chal chal ab jyaada senti mat ho. Ab jaldi se inhe uske baare mein bata. Dada yeh jaisa bole bilkul waise hi banana.
Phir Radha uss sketch artist ko uss ladke ke baare mein sab batane lagti hai. Aur woh bhi waisa hi banane lagte hai. 30 mins ke baad woh sketch taiyaar hojaata hai.
Aadmi: Kya aap sure hai yehi hai woh.
Radha: Haaa mujhe jitna pata hai maine bata diya.
Aadmi: Par yeh toh aadha adhura hai. Jisme sirf uski aankhe aur sir hi hai.
Radha: Ab jo hai yehi hai.
Arushi: Dada jo hua hai rehne do.
Phir woh sketch artist woh sketch Vikram ko deke waha se nikal jaata hai.
Vikram: Kya tumhe sirf uski aankhe aur sir hi nazar aata hai princess.
Radha: Yes Dad. Mujhe kabhi uska pura chehra dikha hi nhi.
Sanjana: Isse hum usse kaise dhundenge.
Radha: I donโ€™t know Mom. Par woh yehi hai. Mera dream Krishna.
Arushi aur Megha: Thik hai hum hai naa hum dhundenge tu tension mat le.
Vikram: Bilkul.
Sanjana: Thik hai chalo ab nashta karlo. Kal se tumne kuch nhi khaya hai. Arushi Megha tum dono bhi aao.
Dono: Ji aunty.
Phir sab nashta karne lagte hai. Radha toh uss sketch ko apna paas hi rakhi hui thi aur usko dekhte hue hi khaa rahi thi. Aur soch rahi thi. Kaha ho tum kaise ho tum. Dekho aaj tumhare kareeb aane ke liye ek kadam aur badha liya hai. Jald hi tum iss sketch se bahar nikal ke mere saamne hoge.
Idher Kal raat ko jab Yash aur baaki sab shopping karke ghar aaye tab waha pe Shalini ka pati aur beta baithe hue the.
Avi toh Yash aur Siya ko dekhte hi unke paas daud ke unko gale laga leta hai.
Avi: Kaise hai aap bhaiya didi.
Dono: Hum bilkul thik hai tum kaise ho.
Avi: Ekdum fit.
Vijay: Kaiso ho mere bachhe.
Dono jaake unke pair chute hai aur bolte hai. Ek dum fit fufaji aap kaise hai.
Vijay: Bas ji rahe hai tumhari bua ke raaj mein.
Shalini: Kya kaha tumne.
Vijay: Kuch nhi. Chalo dinner karlo.
Phir sab dinner karne lagte hai.
Dinner ke baad sablog apne kamre mein jaake so jaate hai.
Next day breakfast ke table mein Ishant Yash se bolta hai.
Ishant: Yash college mein admission start hogya hai. Toh tumlog jaake karwa lena.
Yash: Okk Dad hum aaj hi jaake karwa lenge.
Ishant: Thik hai main Principal ko bol deta hu.
Yash: No dad. Hum bhi baakiyon ki tarah line mein khade hokar hi admission lenge.
Ishant: Dekhlo jaisi tumhari marzi.
Phir yeh log nashta karke ready hojaata hai.
Yash: Siya hum bike se chalte hai aur tumteeno car se aajana.
Teeno: Okkk.
Phir 5 jan apne certificates leke college ki taraf aajate hai. Yash aur Siya toh common people ki tarah hi college mein aaye the but Avi Aarav aur Soniya apni real identity ke saath aaye the.
Woh jaake apne apne branch ke admission ki line mein khade hoke admission ka form leke canteen mein milte hai.
Siya: Yash kitni bhidd hai aaj. Jisme aaj admission ka first day hai.
Aarav: Siya yeh yaha ka best college hai. Sab isme hi admission lena chahte hai.
Yash: Chalo jaldi se form fillup karo. Phir submit karke ghar jaate hai.
Idher Radha ke breakfast ke waqt.
Vikram: Radha tum jiss college mein jaana chahti ho waha aaj se admission start hogaye hai.
Radha: Thik hai dad. Hum aaj hi jaake apna admission karke aate hai.
Vikram: Main principal se baat karu.
Radha: No dad. We will manage.
Arushi aur Megha: Toh jaldi se humare ghar chalte hai waha se apne documents leke phir college chalte hai.
Radha: Hmmm Thik hai.
Phir yehlog jaldi se Arushi aur Megha ke ghar aake apne documents leke college aate hai.
Jaise hi Radha college mein pairr rakhti hai woh wahi rukh jaati hai.
Arushi aur Megha usko aise rukhte dekh phir shock hojaate hai.
Dono: Kya hua chalna.
Radha: Mujhe yaha bhi uska aihsaas horaha hai. Woh yehi hai.
Dono: Kyaa sach mein.
Radha: Haaa. Meri dil ki dhadkan mujhe uska aihsaas yehi karwa rahi hai.
Dono: Par yaha kitne log hai. Ab itne saare log meim usko.kaise dhundenge.
Radha bina kuch bole bhagne lagti hai. Usko aise bhagte dekh wohdono bhi pareshan hoke uske pichhe bhagne lagte hai.
 
Top