• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller BEGUNAAH ( Completed )

TheBlackBlood

αlѵíժα
Supreme
78,222
113,744
354
BEGUNAAH
Update - 31
_________________________


Ab Tak,,,,,

Jai ne saundarya ko short me sab bata diya. Sari baate sun kar saundarya kuch der tak jane kya sochti rahi fir boli______"Kahi uski vajah se hame ye jagah to nahi chhodni padegi jai.?"
"Nahi aisi koi baat nahi hai." Jai ne mobile me ek sim card daalte huye kaha______"Hame iske liye chinta karne ki koi zarurat nahi hai. Main uski jagah par dusra aadmi lagwa duga. Tum to janti ho ki inspector ki khabar rakhna mere liye zaruri hai. Khair abhi main ek zaruri kaam se baahar ja raha hu. Ab shaam ko hi aauga. Tum apna khayaal rakhna."


Jai ki baat sun kar saundarya ne haan me sir hila diya. Jabki jai suitcase ko lock karne ke baad use ek jagah rakha aur fir saundarya ke ras bhare hotho ko badi lajjat se choomne ke baad kamre se baahar nikal gaya. Uske baahar jane ke baad saundarya ne mukhya darwaza andar se band kar liya.


Ab Aage,,,,,

Inspector dushyant wapas police station pahucha. Thane me aate hi usne vikrant ko apne cabin me bulaya. Aate waqt usne hawaldar bhanu ko chaay lane ko kah diya tha. Vikrant kuch hi der me dushyant ke cabin me dakhil hua to dushyant ne use apne samne table ke us paar rakhi kursi par baithne ka ishara kiya.

"Ab batao pyare." Vikrant ke baithte hi dushyant ne uski taraf dekhte huye kaha_____"Kuch pata chala uske bare me.?"
"Pata to chala sir." Vikrant ne kaha______"Magar koi faayda nahi hua. Aapne jis jeep ka number diya tha uski maine khud talaash shuru ki to kareeb aadhe ghante me wo jeep nehru marg se kareeb 2km ki doori par lawarish khadi mili. Uske baad maine RTO se pata kiya to pata chala ki wo jeep kisi atul chandani ke naam registered thi. Atul chandani ke yaha jab main gaya to usne bataya ki wo kiraye par gaadiya deta hai aur us number wali jeep ko usne mangat singh naam ke ek aadmi ko kiraye par diya tha. Atul ne mujhe apna register dikhaya jisme mangat singh naam se ek aadmi ka naam pata aur uska mobile number tha. Register me maujud mobile number par jab maine phone kiya to pata chala ki wo number switch off hai. Uske baad maine diye gaye pate par mangat naam ke aadmi ki talaash ki to pata chala ki usne jo pata likhwaya tha wo bhi farzi tha. Maine atul chandani se mangat ka koi ID proof dikhane ko kaha to wo bagle jhaankne laga. Matlab ki uske paas uska koi ID proof nahi tha. Uska kahna tha ki mangat ne use bataya ki uska ID proof uske batuye me tha jo ki do din pahle chori ho gaya tha. Khair uske baad maine atul chandani se mangat ka huliya pucha to usne kisi tarah mangat ka huliya batate huye sketch banwaya. Mangat ka sketch banne ke baad hamne apne crminal data base par dekha to pata chala ki mangat ka koi criminal record nahi hai. Abhi tak ki report ye hai sir ki mangat ka kahi bhi pata nahi chal saka hai. Halaaki uski talaash abhi bhi jaari hai."

"Us waqt jab wo hame goli de gaya tha." Dushyant ne gahri saans lete huye kaha_____"Tabhi ham samajh gaye the dear ki ab uske bare me pata chalna mushkil hi hai. Khair chhodo aur ye bataao ki tumne mangat ke mobile number ka phone record nikalwaya ya nahi.?"

"Wo to nikalwana hi tha sir." Vikrant ne kaha______"Waise to mobile number bhi bina ID proof wala hi tha uska kintu call record se pata chala ki usne pichhle ek hapte me sirf teen hi logo se alag alag time par baat ki thi. Ek hapte ke pahle ka koi call record nahi hai. Iska matlab ye hua ki usne ek hapte pahle hi wo number liya tha. Khair jin teen numbers par usne baat ki thi wo teeno number bhi is waqt switch off hain. Iska to yahi matlab hua sir ki use jaise hi pata chala ki aap uska picha kar rahe hain tabhi usne sabse pahle yahi kaam kiya ki usne un teeno numbers walo ko apne pichha kiye jane ke bare me bataya aur fir usne apna number band kar diya. Uske sath hi wo teeno number bhi band kar diye gaye. Matlab saaf hai sir ki ye log bahut hi shaatir kism ke log hain."

"Apni ab tak ki service me." Dushyant ne kaha______"Hamne aaj tak aise shaatir mujrim nahi dekhe pyare. Badi hairat ki baat hai ki agar unse kahi par thodi si bhi chook ho jati hai to wo log apni us chook ko jad se is tarah mita dete hain ki un tak fir koi pahuch hi nahi sakta."

"Isse ek baat aur saabit ho jati hai sir." Vikrant ne kaha_____"Aur wo ye ki naqab wala akela nahi hai. Yaani uske under me kaam karne wale ya fir ye kahe ki uska sath dene wale ek do nahi balki kayi saare log hain. Sabse badi baat ye ki uska aadmi khud hamare hi department me maujud hai jiska ham aaj tak pata nahi laga paye."

"Ye to sarasar ham par laanat bhejne wali baat ho gayi hai pyare." Dushyant ne kaha_____"Khair bakre ki amma kab tak khair manayegi. Kisi bhi insaan ke sitare hamesha hi gardish nahi karte rahte balki ek din uske sitaaro par grahan bhi lagna shuru ho jata hai. Bahut jald uske sitaro par bhi grahan lagega dear."

Vikrant abhi kuch kahne hi wala tha ki tabhi cabin me hawaldar bhanu singh chaay le kar daakhil hua. Andar aate hi usne table par chaay se bhare do kaanch ke glass rakh diye. Uske baad wo chup chaap palta aur cabin ke baahar ki taraf jane laga.

"Aur bhanu pyare." Bhanu singh cabin ke darwaze ke paas pahucha hi tha ki peeche se dushyant ki awaaz sun kar ruk gaya. Jabki dushyant ne kaha_____"Kya haal chaal hain tumhare.?"
"Ji haal chaal thik hi hain sahab ji." Bhanu singh ne palat kar bade adab se kaha.

"Tum shayad hamse naraaz ho dear." Dushyant ne uski taraf dekhte huye kintu muskura kar kaha____"Agar aisa hai to ye bahut hi galat baat hai. Tum achhi tarah jante ho ki ham tumhe kitna pasand karte hain. Fir bhi agar tumhe lagta hai ki hamse koi galti huyi hai to kaho ham tumse maafi maag le."

"Nahi nahi sahab ji." Bhanu singh ekdam se hadbada gaya, fir khud ko samhaalte huye bola______"Aisi koi baat nahi hai. Aapse bhala koi galti kaise ho sakti hai.?"
"To fir itne gumsum kyo rahte ho dear.?" Dushyant ne chaay ki chuski lete huye kaha_____"Ham chaahte hain ki hamara bahadur aur sabse zyada imandaar bhanu singh waise hi hasta muskurata hua nazar aaye jaise iske pahle nazar aata tha. Agar tum is tarah ki surat bana kar hamare samne aaoge to hame zara bhi achha nahi lagega."

"Maaf karna sahab ji." Bhanu singh ne kaha______"Lekin kya karu us din ki baate mere zahen se ja hi nahi rahi hain. Har waqt dimaag me wahi sab goojta rahta hai."
"Tum sochte bahut ho pyare." Dushyant ne kaha_____"Jabki itna sochne wali koi baat hi nahi hai. Tum khud socho ki agar un baato me aisi koi zara si bhi khaas baat hoti to kya ham tumhe clean chit de diye hote aur kya tum yaha par hote.?"

"Ye to aapki meharbani thi sahab ji." Bhanu ne kaha_____"Jo aapne mujhe waisa samjha nahi aur iske liye main aapko baar baar dhanyawaad karta hu."
"Ham bhi tumhara dhanyawaad tabhi kabool karenge pyare." Dushyant ne khali cup table par rakhte huye kaha_____"Jab tum hamare samne pahle ki tarah hi chahakte huye nazar aaoge."

"Koshish karuga sahab ji." Bhanu singh ne kaha______"Aapko agli baar shikayat ka mauka nahi duga."
"Ye huyi na baat." Dushyant ne muskurate huye kaha______"Khair ab tum jaao."
"Ji sahab ji." Bhanu ne kaha aur fir cabin se bahar chala gaya.

"Baat kuch samajh me nahi aayi sir." Itni der se chup baithe vikrant ne bhanu ke jate hi pucha_____"Aap bhanu se kis silsile me baate kar rahe the.? Waise ye to main bhi kafi dino se dekh raha hu ki bhanu singh pahle ki tarah hasta muskurata hua nazar nahi aata hai. Aakhir ye chakkar kya hai sir.?"

Vikrant ke puchne par dushyant ne kuch der socha aur fir use short me sab kuch bata diya. Sari baate sun kar vikrant bhi hairan rah gaya tha. Khair shaam dhal chuki thi aur dushyant ke mobile par kayi baar uski bahan pratiksha ka call aa chuka tha is liye usne vikrant se kuch der aur kuch muddo par baate ki, fir wo vikrant ko bata kar thane se baahar aa gaya. Kuch hi der me uski car sadak par daudti huyi nazar aa rahi thi.

<>•<>•<>

"Mubarak ho bhaiya." Pratiksha ne darwaza khol kar jaise hi dushyant ko dekha to wo ekdam se chahakte huye kah uthi thi.
"Mubarak..???" Dushyant samajh to gaya tha magar fir bhi usne anjaan bante huye pucha_____"Mubarak kis baat ki gudiya.?"
"Ab zyada bhole mat baniye." Dushyant darwaze ke andar aa gaya to pratiksha ne darwaze ko band karte huye kaha_____"Aap bhi achhi tarah jante hain ki main kis baat ki mabarakbaad de rahi hu aapko."

"Mujhe bhi apni pyari si gudiya ko thank you bolna hai." Pratiksha jab darwaza band kar ke palti to dushyant ne uski taraf dekhte huye kaha______"Kyo ki mujhe khushiya dene wala kaam meri gudiya ne kiya hai. Sach me gudiya agar tu na hoti to main apni hi nasamjhi ke chalte dukhi hota rahta aur ye bhi sambhav tha ki bahut jald main tujhe le kar is bangle se apne police quarter chala jata."

"Bhabhi sach kahti hain." Pratiksha ne muskurate huye shararat se kaha______"Ki dhele bhar ka bhi sense nahi hai aapke paas. Buddhu kahi ke...hehehe...haan nahi to."
"Der se hi sahi." Dushyant bhi muskuraya_____"Magar main samajh gaya hu ki ye sab tum dono ki mili bhagat thi mujhe pareshan karne ki."

"Aap galat samajh rahe hain bhaiya." Pratiksha ne dushyant ke pichhe chalte huye kaha_____"Mujhe to abhi do din hi huye hain yaha aaye huye aur mujhe pata bhi nahi tha ki aap dono ke beech me kya chal raha hai. Sach to ye hai ki aap dono hi apni harkato ki vajah se pareshan the. Maine to aap dono ki pareshani khatam karne ka upaay khoja tha. Dekh lijiye mere upaay ke chalte aaj aap dono kitne khush dikh rahe hain."

"Sahi kaha gudiya." Dushyant ne dring room me aa kar sofe par baithte huye kaha_____"Aur ab main ye bhi samajh gaya hu ki abhi tak jo bhi hua wo sab meri hi nasamjhi ka nateeja tha. Vidhi ne mujhe sab kuch bata diya hai. Wo bhi mujhse pyar karti thi magar kahne me sharm kar rahi thi aur main ye samajh hi nahi paya tha ki uske man me bhi mere liye pyar wali feeling hai."

"Chaliye ab to sab kuch thik ho gaya na." Pratiksha ne bhi sofe par baithte huye kaha_____"Aur pata hai maine to ye khush khabri ghar me maa ko bhi phone kar ke bata diya hai."
"Ye kya kah rahi hai tu.??" Dushyant buri tarah chaunka_____"Ye baat abhi maa ko batane ki kya zarurat thi gudiya.?"

"Zarurat thi bhaiya." Pratiksha ne kaha______"Aap nahi jante hain ki pita ji aaj kal kitne bujhe bujhe rahte hain. Wo bhale hi aapse zyada baat nahi karte hain magar andar se wo hamesha aapke bare me soch kar dukhi rahte hain. Maine maa se isi liye ye baat bataayi hai taaki maa pita ji ko bhi ye baat bata de jisse pita ji ko bhi khushi mile...aur haan main aapse ye kahna chahti hu ki pita ji se aap bhi apni anban ko door kar lijiye. Is umar me unhe apne bete ki berukhi nahi milni chahiye, haan nahi to."

"Main samajhta hu gudiya." Dushyant ne gambhirta se kaha_____"Aur yakeen maan mere dil me unke liye hamesha hi aadar aur sammaan ki bhaavna rahi hai...bas main kabhi dikhata nahi hu. Main maanta hu ki unse bol chaal band kar ke maine achha nahi kiya hai magar maine aisa sirf is liye kiya hai taaki wo kisi aisi ladki ko mere gale me na baandh de jiske liye mere dil me kabhi koi pyaar hi na paida ho sake magar ab aisa nahi hoga gudiya. Ab main khud pita ji ke paas ja kar pahle unse apni is berukhi ke liye maafi maaguga uske baad unse vidhi se apni shadi ke bare me baat karuga. Is sabke baad main wahi karuga jo wo kahege."

"Badi serious baate ho rahi hain bhai bahan ke beech." Vidhi ki awaaz se dono ka dhyaan uski taraf gaya jabki vidhi ne center table par chaay ki tray rakhte huye aage kaha_____"Lo pahle garma garam chaay piyo uske baad bataao kis bare me itni serious baate ho rahi hain.?"

Dushyant aur pratiksha ne tray se chaay ka ek ek cup utha liya. Dushyant ki nazar vidhi ki nazar se mili to dono ke hi hotho par muskan ubhar aayi. Halaaki dono ne jaldi hi apni nazre hata kar hotho ki muskaan ko gayab kar liya tha magar natkhat pratiksha ki nazro ne fauran hi pakad liya tha dono ko. Pratiksha ke bhi hotho par muskan ubhar aayi thi kintu wo boli kuch nahi.

"Wakeel uncle ka phone aaya tha aaj." Teeno ke bich chha gayi khamoshi ko cheerte huye vidhi ne kaha_____"Wo kah rahe the ki unhone property bechne ke liye baat kar li hai. Is liye mujhe unke sath ek do din jana padega un logo se milne."
"Kab jana hai.?" Dushyant ne chaay ki ek chuski lene ke baad pucha…

"Kal subah gyarah baje wakeel uncle mujhe lene ke liye yaha aayege." Vidhi ne kaha_____"Aur meri ichha ye hai ki tum bhi mere sath chalo."
"Wo to thik hai vidhi." Dushyant ne kaha_____"Kintu main ek baat saaf shabdo me kahna chaahta hu ki mujhe tumhari property ya tumhare dhan daulat ka zara sa bhi laalach nahi hai. Ham dono ke beech jo rishta ban gaya hai uske bare me koi ye na soche ki maine tumhari daulat ke laalach me tumse pyar kiya hai ya fir ye kahe ki tumhe apne pyar ke jaal me fasaya hai. Tum chaaho to apni saari daulat anaatho ko de do mujhe isse koi fark nahi padega. Mujhe sirf aur sirf tumse pyar hai."

"Ye sab kahne ki zarurat nahi hai dushyant." Vidhi ne chaay ke khali cup ko center table par rakhte huye kaha______"Main koi doodh piti huyi bachchi nahi hu jise koi bhi apne jaal me fasa lega. Main achhi tarah janti hu ki tumhe meri dhan daulat ka zara sa bhi laalach nahi hai, agar hota to tum baaki ki property bech dene ki baat par usi waqt tok dete ya fir mujhse kahte ki property bechne ki koi zarurat nahi hai. Is liye tum ye mat socho aur agar koi dusra aisa sochta bhi hai to use sochne do. Mujhe bhi kisi ke sochne se koi fark nahi padta. Mujhe khud apni dhan daulat ka koi laalach nahi hai isi liye ye sab kar rahi hu. Jeewan nirwaah ke liye jitna zaruri hai utna bacha liya hai bas."

"Thik hai fir." Dushyant ne kaha_____"Tumhe jo karna hai tum apni marzi se karo. Main tumhare har kaarya me tumhare sath rahuga."
"Haye kaash mujhe bhi koi itna pyar karne wala mil jaye." Sahsa pratiksha ne muskurate huye kaha_____"To pratiksha the great ka jeewan dhanya ho jaye...hehehe...haan nahi to."

"Chinta mat kar gudiya." Dushyant ne muskurate hue kaha_____"Avinash ka maamla nipat jaye uske baad sabse pahla kaam yahi karna hai. Tere liye aisa hi koi ladka dhudhna hai jo tujhe bahut hi zyada pyar kare."
"Kya bhaiya aap bhi." Pratiksha ne bura sa muh banate huye kaha______"Aap to ekdam se serious hi ho gaye. Mujhe kisi ki zarurat nahi hai. Main to bas apne bhaiya bhabhi ke paas hi rahugi hamesha aur ye ekdam pakka wala decision hai...haan nahi to."

Itna kahne ke sath hi pratiksha sofe se uthi aur dushyant ke paas ja kar uske bagal se baithte huye apne bhai ke side se chhupak gayi. Dushyant ne bhi use pyar se chhupka liya tha. Uski aankho me nami aa gayi thi. Saamne sofe par baithi vidhi ye dekh kar bas halke se muskura uthi thi.

Raat me khana pina kar ke sab apne apne kamre me so gaye. Dusre din dushyant pahle police thane gaya aur fir dopahar ko jab wakeel sahab aaye to wo vidhi ke sath chala gaya. Bangle me pratiksha akeli rah gayi thi jiski suraksha ki jimmedari usne security officer ko de di thi.

Wakeel ke sath jane par dono ko kafi time lag gaya. Property ko bechne aur sari kaagji kaaryawahi me hi kafi time lag gaya. Sab kuch clear hone ke baad kareeb shaam ko dushyant aur vidhi wapas ghar aaye. Dushyant ke zahen me ab kuch aur hi chal raha tha. Wo avinash ke maamle ko jald se jald niptana chaahta tha. Raat me sone se pahle wo avinash ke kamre me kafi der tak raha tha. Aise hi din raat guzarte rahe aur ek hapta guzar gaya.

Doctor sanyaal ne ek hapte ka waqt diya tha is liye dushyant avinash ko le kar ek hapte baad hi uske paas gaya tha. Doctor sanyaal ne avinash ke hath ka plaster nikaal diya aur kuch zaruri hidayate de kar hospital se vida kar diya. Dushyant avinash ko le kar wapas vidhi ke bangle par aa gaya tha.

<>•<>•<>

Do din baad..!

Us waqt raat ke gyaarah baj rahe the. Har taraf aisi khamoshi chhayi thi ki agar kahi koi sui bhi gire to uski awaaz kisi dhamake se kam na sunaayi de. Ek kamre me is waqt andhera tha is liye saaf taur par kuch dikhaayi nahi de raha tha lekin kamre ki khidki ke paas achanak hi ek saya nazar aaya.

Us saye ne khidki se sir nikaal kar baahar ki taraf dekha aur fir kuch hi der me usne apne ek haath ko aage kiya. Uske haath me koi rassi jaisi cheez thi jise usne dhire dhire kar ke khidki ke us paar niche ki taraf jhulana shuru kar diya. Kuch hi der me rassi ka dusra sira niche zameen par pahuch gaya prateet hua. Saye ne rassi ke pahle wale sire ko khidki ke center me lage lakdi ke paye par majbuti se baandha aur fir badi saawdhani se khidki par pair rakhte huye khidki ke us paar aa gaya. Us paar aate hi usne ek hath se rassi ko pakad liya aur dusre hath se khidki ke center wale paye ko. Is wakt uske dil ki dhadkane tez ho gayi thi. Usne kuch der khud ki saanso ko shaant kiya aur fir bade aahista se khidki ke paye ko chhod kar dono hatho se rassi ko pakad kar niche jhool gaya.

Rassi ke sahare jhulte huye wo dhire dhire niche ki taraf jane laga. Kuch hi der me wo niche zameen par pahuch gaya. Niche aa kar usne sabse pahle apni ukhdi huyi saanso ko durust kiya aur fir palat kar boundary wall ki taraf chal diya. Aas paas ka jaayja lete huye wo saya kuch hi der me boundary wall ke paas pahuch gaya. Is taraf thoda andhera tha is liye use asaani se koi dekh nahi sakta tha.

Kuch der boundary wall ko ghoorne ke baad us saye ne uchak kar boundary wall ki upari satah par apne dono hath jama liye aur fir apne dono hatho par zor lagate huye wo boundary wall par chadh gaya. Boundary wall par chadhne ke baad usne gardan mod kar daahine side dekha jaha par lohe wale darwaze ke paas bulb jalne se roshni dikh rahi thi. Us taraf se nishchint hone ke baad usne saamne niche ki taraf dekha, andhere me bhi use samajh aa gaya ki zameen kitni niche hai. Do pal sochne ke baad wo boundary se niche ki taraf kood gaya. Zameen par jaise hi uske pair jame to dhapp ki halki si awaaz fiza me goonji. Kuch der idhar udhar ka jaayja lene ke baad wo ek taraf ko badhta chala gaya aur andhere me gayab ho gaya.

<>•<>•<>
 

TheBlackBlood

αlѵíժα
Supreme
78,222
113,744
354
BEGUNAAH
Update - 32
_______________________


Jai kamre me apni biwi saundarya ke sath gahri neend me so raha tha ki tabhi raat ke gahan sannate me mobile phone ke ring tone ki awaaz goonj uthi. Mobile bed ke paas hi rakhe lakdi ke ek chhote se stool par rakha hua tha. Jai to waise hi ghode bech kar sota raha magar mobile ke bajne ki awaaz se saundarya ki neend toot gayi. Usne alsaaye andaaz se lete lete hi jai ko pukara magar jab jai na utha to usne khud hi uth kar stool se mobile ko uthaya. Mobile ki screen par moorat naam flash ho raha tha. Saundarya ne jai ko zor de kar jagaya aur fir use mobile pakdate huye bataya ki moorat ka phone hai. Moorat ka naam sun kar jai ki aankho se neend ka nasha gayab hota nazar aaya.

"Haan moorat bolo." Fir usne mobile ko kaan se lagate huye kaha_____"Kya baat hai. Itni raat ko kis liye phone kiya hai.?"
"Jai bhai ek bahut badi khabar hai." Udhar se moorat ne kaha______"Abhi mere aadmi me mujhe phone kar ke bataya hai ki vijay waha se bhaag nikla hai. Aapka kahna bilkul sahi tha. Abhi do din pahle hi uske hath ka plaster nikla tha aur aaj wo waha se bhaag nikla hai. Ye hamare liye badi khabar hai jai bhai. Shikaar khud hi hamare jaal me fasne ke liye security se baahar aa gaya hai."

"Ohh ye to hona hi tha moorat." Jai ke chehre par chamak ubhar aayi thi aur usne joshile bhaav se kaha_____"Chalo der se hi sahi magar ab hamari saari problem ke khatm hone ka waqt aa hi gaya. Ek kaam karo tum....Uske pichhe apne sabse achhe aadmiyo ko laga do. Apne aadmiyo se kahna ki wo log uske pichhe hi lage rahe, use pakadne ki koshish na kare aur haan peecha bhi aise kare ki use apna pichha kiye jane ka ilm na hone paye."

"Aisa hi hoga jai bhai." Udhar se moorat ne kaha_____"Aap bilkul bhi fikra na kare."
"Use bina kisi rukawat ke jane dena hai moorat." Jai ne khaas bhaav se kaha_____"Mujhe yakeen hai ki wo waha se nikal kar sabse pahle unhi ke paas jayega jinhe usne hamse chhupa ke rakha hai. Do saal baad uski yaad daast wapas aayi hai aur ab uske zahan me sabse pahle unhi se milne ka khayaal aayega. Is liye use jane dena hai."

"Waise jai bhai." Udhar se moorat ne kaha_____"Ham use pakad kar bhi to usse unke bare me puchh sakte hain."
"Bilkul puchh sakte hain moorat." Jai ne kaha_____"Magar usse koi faayda nahi hoga aur ye baat tum bhi jante ho. Wo bahut hi shakht jaan hai. Hamare puchne par wo unke bare me kuch nahi batayega. Is liye achha yahi hai ki ham chup chaap uska pichhe kare. Yaad daast aane ke baad wo sabse pahle unke paas hi jayega."

"Thik hai jai bhai." Moorat ne kaha_____"Main abhi apne kuch aur aadmi uske pichhe laga deta hu. Mera ek aadmi abhi uske piche hi hai aur wo mujhe uski pal pal ki khabar deta rahega."
"Sirf apne aadmiyo ke bharose hi mat rahna moorat." Jai ne kaha_____"Tum khud bhi use nazro se ojhal mat hone dena. Main nahi chahta ki hamare hath se ye sunahra mauka nikal jaye. Aise mauke ka bahut intzaar kiya hai maine, ab aur nahi. Ab to usse har cheez ka hisaab lena hai mujhe."

Kahne ke baad jai ne call cut kiya aur bed se utar kar kitchen ki taraf badh gaya. Saundarya bed par hi leti huyi thi aur saari baate sun chuki thi. Uske dil ki dhadkane bhi is baat se tez ho chali thi ki vijay ki yaad daast laut aayi hai aur wo jaha rah raha tha waha se bhaag nikla hai. Saundarya ko bhali bhaanti pata tha ki vijay kis bala ka naam tha. Ye wo shakhs tha jisne kayi baar use apna banana chaha tha aur jab wo apne iraade me kamyaab nahi hua to usne uske mata pita ki bedardi se hatya kar di thi. Shadi ke baad chain se suhagraat manane ko bhi nahi mila tha use. Ek pal me jaise qayamat aa gayi thi. Vijay ka qahar aur uski dahshat ka aalam ye hua ki jai ke sath use ghar chhod kar bhaagna pad gaya tha.

Jai kitchen se paani pi kar aaya aur diwaar par tange apne paint ke pochet se cigarette ka packet nikaal kar usse ek cigarette nikala. Saundarya ki aankho se bhi neend ja chuki thi is liye jai ke aate hi wo bhi uth kar baith gayi thi.

"To tumhare bhai ki yaad daast laut aayi." Saundarya ne jai ki taraf dekhte huye kaha_____"Aur wo us jagah se nikal bhaga hai jaha par rah raha tha.?"
"Maine to pahle hi kaha tha tumse." Jai ne cigarette ka gahra kash lene ke baad kaha_____"Mera khayaal hai ki uski yaad daast us din ke accident se hi aayi thi. Us accident me uska hath toot gaya tha is vajah se wo us haalat me kahi ja hi nahi sakta tha. Is liye usne apne aap ko kahi bhagne se tab tak ke liye rokna uchit samjha jab tak ki uska hath thik nahi ho jata. Isse ye bhi zaahir hota hai ki inspector ko uski yaad daast wapas aane ke bare me bhi pata nahi ho sakta tha. Kyo ki agar use pata chal jata to wo vijay se uske bare me zarur puchta aur vijay ko batana hi padta. Inspector ko jab sab pata chal jata to wo ye bhi samajh jata ki jise wo itna masoom aur begunaah samajh raha tha wo apni pichhli zindagi me kitna khatarnaak aadmi raha hai aur kyo ki inspector kanoon ka numaainda hai is liye wo vijay ko mujrim maan kar use giraftaar bhi kar leta."

"Ye sab baate vijay bhi samajh gaya raha hoga." Saundarya ne kaha_____"Isi liye usne inspector se is baat ko chhupa ke rakha ki uski yaad daast wapas aa gayi hai. Uske baad jaise hi uska hath thik hua usne mauka dekh kar waha se bhaag nikalne me hi apni bhalaayi samjhi."

"Zaahir hai." Jai ne bed ke kinare par baithte huye kaha_____"Magar mujhe lagta hai ki vijay ne waha se bhaag kar apne liye hi kabar khod li hai. Kyo ki jab uske bhaag jane ka pata inspector ko lagega to wo bhi uski talash me uske piche lag jayega. Iska matlab ye hua ki ab hame police se bhi saawdhan rahna padega. Isse pahle ki police vijay tak pahuche hame fauran hi vijay ke paas pahuchna hoga aur usse apna hisab kitab karna hoga."

"Par hame to ab police ka dar nahi hona chahiye na.?" Saundarya ne kaha_____"Khatarnaak apradhi to vijay hai. Is liye police ka khatra usi ko hai. Jab tak uski yaad daast nahi aayi thi tab tak hame police se sawdhan rahne ki zarurat thi...hai na.?"

"Tum bhool rahi ho saundarya ki main bhi police ka mujrim ban chuka hu." Jai ne kaha______"Us din mere dwara kiye gaye accident me kayi sare police wale marte marte bache the. Is liye ab main bhi police ka mujrim ban chuka hu."

"Ohh haan ye to main bhool hi gayi thi." Saundarya ne kaha_____"Magar sawaal hai ki agar tum police ke mujrim ban chuke ho to aakhir kab tak police se bach ke rahoge. Mera matlab hai ki kisi na kisi din to police tum tak pahuch hi jayegi. Uske baad kya karoge tum.?"

"Police ke involve hone se." Jai ne kaha______"Bahut kuch gadbad ho gaya hai. Jab ki maine socha ye tha ki vijay ko uske kiye ki saza duga aur uska astitwa hi duniya se mita duga magar ab lagta hai ki is maamle me police ke involve hone se aisa nahi ho payega."

"Kya tum police ke dar se hamara intqaam nahi loge.?" Saundarya ne sahsa naraazgi bhare bhaav se kaha_____"Nahi jai...tum aisa sochoge bhi nahi. Agar baat sirf meri ijjat ki hoti to main samjhauta bhi kar leti magar usne mere nirdosh mata pita ki hatya ki hai, jiske liye main use kabhi maaf nahi kar sakti aur na hi koi samjhauta karne ke bare me soch sakti hu. Mujhe sari zindagi jail me sadna manjoor hai magar police ke dar se apna intqaam na lena manjoor nahi hai."

"Main police se dar nahi raha saundarya." Jai ne kaha_____"Main to bas ye dekh raha tha ki tumhare andar abhi bhi wahi aag hai ya guzarte waqt ke sath wo aag thandi pad gayi hai."
"Ye aisi aag hai jai jo har guzarte waqt ke sath aur bhi bhadakti hi ja rahi hai." Saundarya ne is baar zara shakht bhaav se kaha_____"Us insaan ki maut ke baad hi mere andar ki ye aag thandi hogi."

"Chinta mat karo meri jaan." Jai ne saundarya ke sundar se chehre ko apni hatheliyo me lete huye kaha_____"Sab kuch waisa hi hoga jaisa ki tum chaahti ho. Chalo ab so jaao...hame subah jaldi hi yaha se nikalna hoga."

Jai ke kahne ke baad saundarya kuch der tak uski taraf dekhti rahi aur fir chup chaap let gayi. Uske letne ke baad jai bhi let gaya. Dono ne apni apni aankhe band kar li thi magar haqiqat ye thi ki dono ki hi aankho se neend koso door ho chuki thi.

<>•<>•<>

Us waqt pata nahi raat ke kitne baje the kintu har taraf faile andhere se aisa jaan padta tha jaise ki subah hone me abhi kafi der thi. Ghane pedh paudho se nikal kar wo saya ab khule area me aa gaya tha. Pichhle ek ghante se paidal chal raha tha wo aur ab uske pairo me maano jaan nahi rah gayi thi. Khule aasmaan me anginat taare timtima rahe the kintu unke beech se chaand nadaarat tha.

Door kahi timtimati huyi roshni achanak hi nazar aayi thi jise dekh kar saye ke andar ummid ki roshni jal uthi. Usne charo taraf andhere me nazar daudaayi aur door dikh rahi us timtimati roshni ki taraf chal pada. Abhi wo kuch door hi chala tha ki sahsa kisi cheez ki awaaz se apni jagah par ruk gaya. Awaaz uske pichhe se aayi thi aur raat ke sannate par usne us awaaz ko saaf suna tha. Palat kar usne andhere me door door tak dekha magar andhere me use kuch mazar na aaya. Ye alag baat hai ki uske hotho par muskaan ubhar aayi thi. Kuch pal sochne ke baad usne apne kadam fir se aage ki taraf badha diye.

Door nazar aati wo roshni bahut hi dhimi gati se is taraf hi aati prateet ho rahi thi. Saya uski taraf dekhte huye thode tez kadmo se uski taraf badhne laga. Kisi kisi pal use apne pichhe waisi hi awaaz saaf sunaayi de jati thi jaisi iske pahle use sunaayi di thi. Kuch hi der me wo jis jagah par aaya wo ek pakki sadak thi. Door se aati roshni ab uske paas aati nazar aa rahi thi. Roshni ke do bindu nazar aa rahe the. Iska matlab wo koi waahan tha jo uski taraf hi badhta aa raha tha.

Saye ne sadak ke kinare khade ho kar ek baar fir se pichhe ki taraf door door tak dekha. Andhere me use kuch nazar nahi aa raha tha magar ab koi awaaz bhi use sunaayi nahi de rahi thi. Jane kya soch kar uske hotho par ek baar fir se muskaan ubhar aayi kintu is baar ki uski wo muskan badi hi zahreeli thi. Uske jabde shakhti se bhich gaye the. Tabhi usne dekha ki door se aati roshni ab uske paas aa gayi thi. Saya do teen kadam aage badha aur sadak ke bicho beech khada ho gaya. Aane wale waahan ki roshni ab uske jism par padne lagi thi. Kuch hi der me jab wo waahan uske aur paas aa gaya to saye ne apne dono hath upar hawa me hilate huye us wahan ko rukne ka ishara kiya.

Wo waahan ek tempo tha. Jaise hi wo saye ke kareeb pahucha to uski speed dhimi ho gayi aur wo saye ke paas aa kar ruk gaya. Tempo ke rukte hi saya driver ki taraf tezi se badha aur usse bola ki use fala jagah par jana hai is liye use tempo me baitha liya jaye. Saye ki baat sun kar tempo ke driver ne thik hai kaha to saya daud kar is taraf aaya aur tempo ka darwaza khol kar uske andar baith gaya. Saye ke baithte hi tempo driver ne tempo ko aage badha diya.

<>•<>•<>

Subah inspector dushyant zor zor se apne kamre ka darwaza bhadbhadaye jane par hadbada kar utha. Wo apne bistar par gahri neend me so raha tha. Hadbada kar jab wo utha to uske kaano me vidhi aur pratiksha dono ki hi awaaze padi. Pahle to use kuch samajh na aaya magar fir jaldi hi utha aur ja kar darwaza khola to dekha darwaze ke baahar vidhi aur pratiksha apne apne chehre par ajeeb se bhaaav liye khadi thi.

"Bhaiya wo...wo." Darwaza khulte hi dushyant ko samne dekh kar pratiksha ne hadbadaye se andaaz me kaha____"Wo apne kamre me nahi hai. Lagta hai wo bhaag gaya yaha se."
"Aree thoda thahar kar bata gudiya." Dushyant ne chaunkte huye kaha_____"Kaun apne kamre me nahi hai...kaun bhaag gaya yaha se.?"

"Pratiksha avinash ki baat kar rahi hai dushyant." Pratiksha ke bolne se pahle hi vidhi bol padi_____"Abhi jab main uske kamre me use chaay dene gayi to dekha ki uska kamra pahle se hi khula hua tha aur jab maine andar ja kar kamre me dekha to wo kamre me nahi tha. Maine socha shayad wo bathroom me hoga is liye jab maine bathroom ki taraf dekha to bathroom ka darwaza bhi khula hua tha. Maine door se jhaank kar dekha to wo bathroom me bhi nahi tha. Mujhe ye dekh kar thoda ajeeb laga kyo ki aaj se pahle jab main use chaay dene jati thi to wo mujhe kamre me hi milta tha magar aaj jab wo apne kamre aur bathroom me bhi nahi dikha to maine socha shayad taazi hawa lene ke liye chhat par gaya hoga to main use khojte huye chhat par bhi gayi magar wo waha par bhi nahi tha. Main soch me pad gayi ki aakhir wo gaya to gaya kaha.? Fir main chhat se waapas uske kamre me aayi to meri nazar kamre ki khuli huyi khidki par gayi to dekha khidki par ek rassi bandhi huyi thi jiska dusra sira khidki ke baahar niche zameen tak jhool raha tha. Khuli khidki aur wo jhulti rassi dekh kar main samajh gayi ki wo yaha se bhaag gaya hai. Uske baad maine ye baat pratiksha ko bataayi aur fir ham dono bhaagte huye tumhare kamre ki taraf aa gaye."

"Sirf itni si baat ke liye tum dono ne sara ghar sir par utha liya.?" Sari baate sunne ke baad dushyant ne halke se muskurate huye kaha______"Khair chhodo, aur ab jab tum logo ne mujhe jaga hi diya hai to ab garma garam chaay bhi pila do."

"Tum hosh me to ho na.?" Vidhi ne maare hairat ke usse kaha_____"Avinash yaha se bhaag gaya hai aur ye khabar tumhe itni si lagti hai.? Mujhe lagta hai ki abhi bhi tum neend me hi ho warna ye baat jaan kar tumhare hosh ud jane chahiye the."
"Bhabhi bilkul sahi kah rahi hain." Pratiksha ne jaise vidhi ki baat ka samarthan karte huye kaha_____"Ham dono ke to uske is tarah bhaag jane se hosh ud gaye hain magar aap uske bare me ye sab jaan kar aisa bol rahe hain. Kya aapko uske is tarah bhaag jane se koi fark nahi padta...haan nahi to."

"Fark to tab padta gudiya." Dushyant ne kaha______"Jab mujhe uske dwara aisa karne ki ummid hi nahi hoti. Kahne ka matlab ye ki main to pahle hi samajh gaya tha ki wo yaha se bhaag jayega. Jab tak uske haath me plaster laga tha tab tak yaha rahna uski majburi thi. Jaise hi uske haath se plaster nikla waise hi wo mauka dekh kar yaha se bhaag nikla magar fikra karne ki koi baat nahi hai. Kyo ki maine pahle se hi iska intjaam kar rakha hai. Yu samjho ki wo abhi bhi meri nazar me hi hai. Ab chalo jaao aur mujhe chaay le kar aao."

"Mujhe to aisa lagta hai." Vidhi ne dushyant ki aankho me jhaankte huye kaha_____"Ki avinash ka yaha se bhaagna tumhare hi kisi plan ka hissa hai. Tumhari ye baate bhi yahi saabit karti hain. Kyo sahi kaha na maine.?"

"Ved prakash sharma ke jasusi novel padhne se insaan ka dimaag bhi jasusi karne jaisa ho jata hai." Dushyant ne bura sa muh banate huye kaha.
"Baat ko ghumaao mat." Vidhi ne sapaat lahje me kaha_____"Baat wahi hai na jo abhi maine kaha hai.?"

"Agar tumhare jasusi dimaag me ye sab aaya hai." Dushyant ne kaha_____"To fir apni hi soch par shak kaisa.?" Kahne ke sath hi dushyant ne pratiksha ki taraf dekhte huye kaha_____"Gudiya tu abhi tak gayi nahi chaay laane.?"
"Oh sorry bhaiya." Pratiksha ne muskurate huye kaha_____"Abhi le kar aati hu main."

"To ye sab tumhare plan ke anusaar hua hai.?" Pratiksha ke jate hi vidhi ne kaha_____"Jisme bali ka bakra avinash ko bana diya hai tumne."
"Main soch raha tha ki achhe kaam ki shuruaat." Dushyant ne darwaze se baahar jhaankne ke baad vidhi se muskurate huye kaha_____"Kisi aisi cheez se ho jisse mera man mayoor ekdam se naach uthe. Kya kahti ho.?"

"Kya matlab.???" Vidhi ke mathe par shikan ubhar aayi.
"Tum bhi had karti ho yaar." Dushyant ne dhimi awaaz me kaha_____"Waise to tumhara dimaag bada tez chalta hai aur meri itni simple baat par kya matlab bol rahi ho."

"To tum koi baat saaf saaf kyo nahi kahte.?" Vidhi ne ukhde huye lahje se kaha_____"Har baat ko jalebi ki tarah gol gol ghumana zaruri hai kya.?"
"Achha thik hai." Dushyant ne ek baar fir se baahar seedhiyo ki taraf dekha fir kaha_____"Main ye kah raha tha ki ham dono ne ek dusre se apne pyar ka izhaar to kar diya magar kya tumhe nahi lagta ki hamara ye izhaar bilkul rukha sukha sa tha.? Mera matlab hai ki jab koi apne pyar ka izhaar karta hai to uske baad dono ke bich kuch hota bhi to hai na. Tumne hollywood filmo me dekha hoga na. Bilkul waise hi."

"Maine aaj tak hollywood filme nahi dekhi." Vidhi ne is tarah kaha jaise is baat se use behad dukh ho_____"To bhala mujhe kaise pata hoga ki izhaar karne ke baad dono ke beech kya hota hai.?"
"Are tum bhi kamaal karti ho yaar." Dushyant ne bebas bhaav se kaha_____"Tum samajh kyo nahi rahi ho.? Aaj kal to wo sab bollywood filmo me bhi khule aam hota hai. Tumne bhi dekha hi hoga. Main usi ki baat kar raha hu."

"Kiski baat kar rahe hain bhaiya.?" Vidhi kuch bolti usse pahle hi waha par pratiksha ne aate huye kaha_____"Ye lijiye aapki garma garam chaay."
"Pata nahi tumhare bhaiya kya bol rahe hain." Dushyant ke kuch bolne se pahle hi vidhi bol padi_____"Meri to kuch samajh me nahi aaya. Zara tum hi inse puchho ki ye aakhir kya bol rahe the mujhse."

Vidhi ne ye kaha to dushyant ekdam se baukhla gaya. Usne tray se chaay ka cup utha liya tha jo ki vidhi ki is baat ko sun kar uske haath se chhootte chhootte bacha tha. Uski ye haalat dekh kar vidhi khilkhila kar gas padi thi jabki dushyant uski taraf bechaargi se dekhta rah gaya tha.

"Haan bataiye na bhaiya." Vidhi ke kahne ke sath hi pratiksha dushyant se puchh baithi_____"Aisa kya kah rahe the aap bhabhi se jo inhe samajh nahi aaya.?"
"Nahi to...kuch bhi to nahi gudiya." Dushyant ne buri tarah jheempte huye kaha_____"Main bhala kya kahuga. Tujhe to pata hi hai ki main kitna nasamajh aadmi hu. Achha ab tum dono jaao main fresh ho ke aa jaauga."

Kahne ke sath hi dushyant ne vidhi ki taraf ashaay bhaav se dekha aur fir haath me chaay ka cup pakde apne bed ki taraf chal diya. Uske is tarah dekhne par vidhi ki muskaan gahri ho gayi thi. Jabki dushyant ki baat par pratiksha ne vidhi ki taraf dekhte huye usse ishare se pucha ki kya baat hai, jiska jawaab vidhi ne ishare se hi diya ki kuch nahi. Pratiksha aage aage chal padi to vidhi ne usse kaha ki wo chale jabki use apne kamre me kuch kaam hai. Vidhi ki baat sun kar pratiksha ne palat kar uski taraf dekha. Natkhat pratiksha ke hotho par muskaan ubhar aayi aur usne aankh ke ishare se hi kuch kaha aur tezi se niche ki taraf chali gayi.

Pratiksha ke jane ke baad vidhi muskurate huye kuch pal apni jagah khadi rahi aur fir chupke se dushyant ke kamre me aa gayi. Dushyant ne jab use apne kamre me aaya dekha to thoda hairaan hua magar fir usne apna chehra dusri taraf fer liya. Uska andaaz aisa tha jaise wo vidhi se rootha hua ho.

"To kya kah rahe the janab.?" Vidhi ne muskurate huye kaha_____"Aaj kal bollywood filmo me kya hota hai.?"
"Kuch nahi hota." Dushyant ne ukhde huye lahje se kaha_____"Tum jaao yaha se."
"Aree ye kya baat huyi.?" Vidhi dushyant ke kareeb bilkul uske samne aa kar boli_____"Koi baat agar mujhe pata nahi hai to kya tum mujhe bataaoge nahi.? Ab ham dono ko jiwan bhar sath sath hi rahna hai to hame ek dusre se har baat bataani hi hogi na.?"

"Tum gudiya se kyo bata rahi thi us wakt.?" Dushyant ne ukhde huye lahje me hi kaha_____"Tumhe sochna chahiye ki wo jane kya kya sochne lagegi."
"Wo bachchi nahi hai dushyant." Vidhi ne kaha_____"Itna to wo bhi samajhti hai ki pyar karne wale kya karte hain aur haan wo sab samajh gayi hai aur usi ne mujhe ishare se yaha aane ke liye kaha hai. Tumhe to apni bahan ka shukra guzaar hona chahiye. Isi liye kahti hu ki dhele bhar ka bhi sense nahi hai tumhare paas."

"Kya kaha tumne.??" Dushyant ne aankhe faadte huye kaha______"Ruko abhi batata hu ki mere paas sense hai ki nahi."
"Aree kya karne wale ho tum.??" Vidhi buri tarah baukhla gayi______"Dekho kuch mat karna mere sath warna main shor kar ke pratiksha ko yaha bula lugi."

"Tum shor kar ke to dekho." Dushyant ne jhapat kar vidhi ko apne agosh me le liya fir bola______"Itna bhi bevkuf nahi hu jo ye bhi na samjhu ki tum mere kamre me kyo aayi ho."
"Dushyant ye kya kar rahe ho tum.?" Vidhi dushyant ki giraft se chhootne ki nakaam koshish karte huye boli_____"Chhodo mujhe. Pratiksha ne dekh liya to kya sochegi wo hamare bare me.?"

"Wo yaha dekhne nahi aayegi." Dushyant ne kaha_____"Tumhi ne bataya abhi ki usi ne ishare se tumhe mere kamre me jane ko kaha tha. Is liye ab main tumhe chhodne wala nahi hu balki ab tak jo kuch bhi tumne kiya hai us sabka hisaab luga main."
"Maine kya kiya hai.??" Vidhi ne khud ko chhudate huye kaha_____"Main to bilkul masoom hu."

"Haan mujhe pata hai kitni masoom ho tum." Dushyant ne vidhi ko palta kar uska chehra apni taraf karte huye kaha_____"Jitna tumne mujhe sataya hai utna aaj tak kisi ne nahi sataya. Is liye ab main har cheez ka hisaab luga tumse. Bataao kaha se shuru karu.?"

Vidhi ki dhadkane aur uski saanse badi tezi se chalne lagi thi. Uske andar ghabrahat badhti hi ja rahi thi. Ye pahla mauka tha jab dushyant ne use chhua tha aur chhua hi nahi tha balki use apni giraft me bhi le chuka tha. Pahle to usne vidhi ko peeche se pakad rakha tha kintu ab use palta kar usne uska chehra apni taraf kar liya tha. Dono ke jism ek dusre se jude huye the. Vidhi ke seene ke unnat ubhaar dushyant ki chaudi chhaati me maano dhase ja rahe the. Dushyant ke dono hath vidhi ki kamar par the jisse usne use apni taraf zor de kar bheech rakha tha aur vidhi apni ukhdi huyi saanso ko mushkil se kaabu karte huye usse alag hone ki koshish kar rahi thi.

Vidhi ko zara bhi ummid nahi thi ki dushyant use ekdam se is tarah apni giraft me le lega. Halaaki ab wo dushyant ki hi thi kintu kisi mard ka isparsh pahli baar hone se uski haalat kharaab ho gayi thi. Jab wo dushyant ki giraft se na nikal paayi to usne zor lagana band kar diya aur bebas bhaav se dushyant ko dekhne lagi. Dushyant uske khubsurat chehre ko hi dekh raha tha aur jab usne vidhi ki aankho me bebasi ke bhaav dekhe to usne apni pakad ko dhila kar diya aur vidhi ko chhod diya.

"Maaf karna dear." Fir usne namra bhaav se kaha_____"Mera irada tumhe hurt karne ka hargiz nahi tha. Maine to bas hasi mazaak me tumhe apni giraft me le liya tha. Agar tumhe meri is harkat se bura laga ho to uske liye sorry."
"Nahi jaan mujhe bura nahi laga." Vidhi ne dushyant ke chehre ko sahlate huye kaha_____"Main bas ghabra gayi thi thodi der ke liye. Pahli baar kisi purush ne mujhe chhua is liye main ghabra gayi thi. Tumhe iske liye sorry bolne ki koi zarurat nahi hai."

"Fir thik hai." Dushyant ne muskura kar kaha______"Achha ab tum jaao. Main fresh ho kar aata hu."
"Aise nahi jaaugi." Vidhi ne kaha_____"Balki wahi kar ke jaaugi jo aaj kal bollywood filmo me bhi khule aam hota hai."
"Oh matlab tumhe pata hai.??" Dushyant haule se muskuraya.
"Haan kyo nahi." Kahne ke sath hi vidhi ne sharma kar apni nazre jhuka li.
"To fir der kis baat ki hai.?" Dushyant ne kaha_____"Kar ke dikhaao ki kya hota hai bollywood filmo me."

Dushyant ki baat sun kar vidhi ne nazar utha kar dushyant ki aankho me dekha. Uske gore chehre par sharm ki laali chha gayi thi aur surkh hoth kaapne lage the.

"Tum aise dekhoge to kaise kar paaugi main.?" Fir usne sharmate huye kaha_____"Is liye apni aankhe band karo."
"Kya aankhe band karna bahut zaruri hai.?" Dushyant ne vidhi ki aankho me jhaankte huye pucha.
"Haan." Vidhi ne sir hilate huye kaha_____"Tum dekhoge to mujhe sharm aayegi aur fir main wo nahi kar paaugi."
"Achha to thik hai." Dushyant ne apni aankhe band kar ke muskurate huye kaha_____"Lo maine apni aankhe band kar li. Ab jaldi karo kahi aisa na ho gudiya yaha aa jaye aur sare program par paani fir jaye."

Dushyant ki baat par vidhi has padi aur fir jab usne dekha ki dushyant ne apni aankhe band kar li hain to usne apni aankhe band kar ke ek gahri saans li. Andaaz aisa tha jaise khud ko taiyar kar rahi ho. Uske baad usne dhire se apni aankho ko khola aur fir apne kaapte haatho se dushyant ke chehre ko pakad liya. Usne jaise hi dushyant ke chehre ko pakda to dushyant ke hotho par halki si muskaan ubhar aayi. Vidhi ka samucha jism use kaapta hua mahsus ho raha tha. Apni badhi huyi saanso ko kaabu karte huye wo aage badhi aur dushyant ke hotho par badi saawdhani se apne thartharaate huye hotho ko rakh diya.

Jaise hi uske hoth dushyant ke hotho se mile to uske samuche jism me ek lahar si daud gayi. Yahi haal dushyant ka bhi hua tha. Dushyant ke hotho par apne hoth rakhe vidhi jaise kahi kho si gayi thi. Use hosh tab aaya jab dushyant ne achanak hi uske hotho ko apne hotho ke beech daba liya. Ek baar fir se dushyant ke dono haath uski kamar me jam gaye the jisse vidhi ke jism ki thartharahat aur bhi badh gayi. Waqt jaise apni jagah par thahar sa gaya tha. Kuch palo tak dono ek dusre ko aise hi chumte rahe aur fir jab dono ki saanse unke kaabu se baahar ho gayi to dono alag ho gaye. Alag hote hi dono ki nazre ek dusre se mili. Dono hi muskura uthe. Vidhi ne sharam se apni nazre jhuka li aur jab usse waha par khade na raha gaya to wo muskurate huye kamre se baahar bhaag gayi. Dushyant ne use rokne ki koi koshish nahi ki balki muskurata hua bathroom ki taraf badh gaya. Use abhi bhi apne hotho par vidhi ke phool se bhi zyada komal hotho ka abhaas ho raha tha jinme shahad se bhi zyada mithaas thi.

<>•<>•<>
 

TheBlackBlood

αlѵíժα
Supreme
78,222
113,744
354
BEGUNAAH
Update - 33
__________________________




Tempo ek jhatke se ruka to driver ke bagal se baitha saya jo ki avinash hi tha uski aankhe khul gayi. Sari raat wo sota raha tha. Driver ke puchne par usne raat me hi bata diya tha ki use kaha jana hai. Uske baad usne driver se kaha tha ki use raaste me kahi par bhi na jagaye, badle me wo use uske gantavya tak le jane ka paise ke roop me kiraya bhi dega. Avinash ki ye baat sun kar tempo ke driver ne haan me sir hila diya tha.

Avinash ne hadbada kar idhar udhar dekha to use apni isthiti ka ahsaas hua aur fir usne driver ki taraf dekha. Driver ne use bataya ki yaha se wo alag raaste par jayega is liye use yaha par utarna padega. Tempo driver ki baat sun kar avinash ne kaha thik hai bhai...yaha tak pahuchane ka shukriya. Ye kah kar avinash ne apne paint ke chor pocket se paise nikaale aur usme se kuch paise driver ko de diya.

Tempo se utar kar avinash ne idhar udhar dekha. Is waqt wo shahar ke baahar sadak ke T point par khada tha. Subah ho chuki thi aur suraj apni disha me upar uth raha tha. Sadak par ikka dukka waahan aate jate nazar aa rahe the. Avinash ne kisi auto ya taxi ki talash me idhar udhar nazre ghumaayi to kuch hi der me use ek auto dikha jise usne haath se ishara kar ke apne paas aane ko kaha. Thodi hi der me auto wala aaya to avinash ne usse Lohra chalne ke liye puchha to auto wale ne use baithne ka ishara kiya aur sath hi ye bhi kaha ki sahab saadhe chaar sau rupiya lagega. Auto wale ki baat sun kar avinash auto me pichhe baith gaya. Avinash ke baithte hi auto wala T point se left side ki taraf mud gaya.

"Sahab aapko kahi dekha hai maine." Kuch door aane ke baad raaste me auto wale ne back mirror me avinash ko dekhte huye kaha_____"Par yaad nahi aa raha ki kaha dekha hai aapko.?"
"Achha." Auto wale ki ye baat sun kar avinash ne chaunkte huye kaha_____"Matlab tum mujhe pahchaante ho.?"

"Nahi aisa to nahi hai sahab." Auto wale ne back mirror me avinash ki taraf ek nazar daalte huye kaha_____"Main byaktigat roop se aapko nahi pahchanta magar aree haan yaad aaya sahab. Maine aapko tv par dekha tha. Aapko tv par dikhaya ja raha tha aur ye bhi bataya ja raha tha ki agar kisi ko aapke bare me kuch pata ho to fauran police ko suchit kare."

"Ohh to is vajah se tumne kaha ki tumne mujhe kahi dekha hai." Avinash ne gahri saans lete huye kaha_____"Wo main hi tha bhai jiske bare me jaanne ke liye police ne news channel par meri photo daali thi."
"Ye kya kah rahe hain aap.?" Auto wale ne hairaani se kaha_____"Aapko kaise pata ki aapki photo news channel par police ne daali thi aur agar police ne hi daali thi to kya police ko aapke bare me pata nahi tha.?"

"Badi lambi kahani hai bhai." Avinash ne halki muskaan ke sath kaha_____"Jab police ne news channel par meri photo daali thi tab main police ke paas hi tha aur mazedaar baat ye thi ki mujhe khud hi apne bare me kuch pata nahi tha. Isi liye to police ne meri photo news channel par daali thi."

"Badi ajeeb baat kar rahe hain sahab." Auto wale ne ashcharya se kaha_____"Bhala ye kaise ho sakta hai ki aapko khud hi apne bare me kuch pata nahi tha.?"
"Yahi sach hai bhai." Avinash ne kaha_____"Asal me us wakt meri yaad daast ja chuki thi is liye mujhe apne bare me kuch pata nahi tha magar ab meri yaad daast waapas aa chuki hai aur main janta hu ki main kaun hu."

"Aapki kahani to ekdam se filmy lagti hai sahab." Back mirror me avinash ko dekh kar auto wale ne muskurate huye kaha_____"Filmo me bhi aise hi hota hai."
"Hota hoga bhai." Avinash ne kaha______"Magar meri kahani filmo ki tarah dikhaayi jane wali nakli nahi hai balki asli hai. Pichhle do saalo se main apne bare me janne ke liye dar dar bhatak raha tha. Beete do saal me maine kaise kaise dukh dard sahe hain ye sirf main hi jaanta hu."

"Zarur sahe honge sahab." Auto wale ne kaha_____"Filmo me maine dekha hai. Jis insaan ki yaad daast chali jati hai wo kya kya dukh sahta hai. Us insaan ko apna naam tak yaad nahi rahta...apne ghar pariwar ki to door ki baat hai. Khair to sahab fir kaise aayi aapki yaad daast.? Kya waise hi...mera matlab hai ki jaise filmo me dikhaya jata hai, jaise ki accident hota hai aur sir par chot lagti hai ya fir kisi ko dekh kar aankho ke saamne dhudhle se chitra dikhne lagte hain aur fir sab kuch yaad aa jata hai. Kya aise hi aapki yaad daast waapas aayi thi.?"

"Lagta hai filme bahut dekhte ho tum." Avinash ne halke se muskurate huye kaha_____"Par tumne sahi kaha bhai. Meri yaad daast accident par sir me chot lagne ki vajah se hi aayi thi. Ek tarah se ye achha hi hua jo mera accident hua. Agar mujhe pahle se pata hota ki accident se meri yaad daast waapas aa jayegi to main bahut pahle hi apna accident karwa leta. Kam se kam do saal se itne dukh to nahi sahta."

"Hahaha sahi kaha sahab." Auto wale ne haste huye kaha______"Par aksar aisa hi hota hai ki insan ko aisi cheezo ka pahle se pata nahi hota hai. Waise jab aapki yaad daast chali gayi thi tab kya aapke ghar pariwar wale aapke paas nahi the.?"
"Agar mere ghar pariwar wale mere paas hote." Avinash ne kaha_____"To kya main itne dukh dard sahta.? Main apne ghar walo se bahut door tha bhai."

"Aapke ghar wale bhi aapke liye bahut dukhi huye honge." Auto wale ne kaha_____"Kya unhe aapke bare me kahi se bhi pata nahi chala tha.?"
"Nahi bhai." Avinash ne bechaini se pahlu badla_____"Achha ab kuch mat puchna mujhse. Bas chup chaap Lohra le chalo mujhe."

Avinash ke kahne par auto wale ne thik hai sahab kaha aur chup chaap auto chalata raha jabki avinash auto ke khule huye bhaag se baahar ki taraf dekhne laga tha. Uske zahen me is waqt dher sare khayaal ubhar rahe the jinke bare me soch soch kar uske chehre par kayi tarah ke bhaav gardish karte nazar aa rahe the.

<>•<>•<>

Door bell baji to pratiksha ne ja kar darwaza khola aur samne khade jis shakhs par uski nazar padi use dekh kar uske chehre par pahle chaunkne ke bhaav ubhre aur fir wo khushi se chahakte huye aage badhi aur yaswant ke gale lag gayi.

"Yaswant bhaiya aap.?" Pratiksha yaswant ke gale lag kar boli to yaswant ne muskurate huye uske sir par pyar se hath fera.
"Kaisi hai gudiya.?" Pratiksha ko khud se alag karte huye yaswant ne kaha.
"Main to ekdam thik hu bhaiya." Pratiksha ne kaha_____"Par aap zara ye bataiye ki mujhe aaye huye aaj das din ho gaye aur aap mujhse milne aaj aaye hain. Jaaiye mujhe aapse ab koi baat nahi karna...haan nahi to."

"Aree aisa mat karna gudiya." Yaswant ne darwaze ke andar daakhil hote huye kaha_____"Asal me main tujhse milne itni deri se is liye aaya kyo ki dushyant ne mujhe apne kaam par laga rakha tha."

"Chaliye maaf kiya aapko." Darwaza band karne ke baad pratiksha ne kaha_____"Aap bhi kya yaad rakhenge ki kis ameerzaadi se pala pada tha aapka...haan nahi to."
"Achha ye bata gudiya." Yaswant ne dhimi awaaz me usse shargoshi karte huye kaha_____"Tujhe bhabhi pasand aayi ki nahi.?"

"Ab kya bataau aapko." Pratiksha ne is tarah kaha jaise use kisi baat ka behad afsos ho_____"Majburi thi is liye pasand karna hi pada. Warna aap to jante hain ki mujhe apne se zyada khubsurat ladkiya zara bhi pasand nahi aati hain. Ab kyo ki love matter ka maamla tha is liye maine bhi razamandi de di bhaiya ko..ye kah kar ki ja simran ja...ji le apni zindagi."

"Tune dushyant ko simran bana diya.??" Yaswant ne muskurate huye kaha_____"Aur itna hi nahi uska gender bhi change kar diya...ye tune bilkul sahi kiya. I'm so proud of you gudiya."
"Heeeiinnn...lagta hai dialog bolne me galti ho gayi mujhse." Pratiksha ne ek hath se apna sir khujate huye kaha_____"Aree dialog to thik hi hai na bhaiya...bas gender hi change kar diya hai maine lekin koi baat nahi. Itna to chalta rahta hai. Ab aap mera muh kya dekh rahe hain. Andar nahi chalna hai kya aapko.?"

Pratiksha ki baate sun kar yaswant muskurate huye andar ki taraf chal pada. Kuch hi der me dono andar dring room me aa gaye. Dring room me dushyant aur vidhi sofo par baithe huye the. Yaswant ko dekh kar jaha dushyant ke hotho par halki si muskaan ubhar aayi thi wahi vidhi ne sofe se khade ho kar use namaste kiya jis par yaswant ne bhi jawaab me hath jod kar muskurate huye namaste kiya.

"Yu hi khaali hath aaye ho pyare." Dushyant ke bagal se jaise hi yaswant baitha to dushyant ne kaha_____"Ya apne sath baraat le kar bhi aaye ho.?"
"Baraat par to main jaauga teri." Yaswant ne muskurate huye kaha_____"Meri baraat me to abhi time lagega kyo ki vidhi ji jaisi ladki mujhe abhi mili hi nahi hai."

Yaswant ki baat sun kar jaha vidhi sharma gayi thi wahi pratiksha ke hotho par muskaan ubhar aayi thi. Usne sharaarat se vidhi ki taraf dekh kar kuch kahna chaha tha magar fir jane kya soch kar chup rah gayi thi.

"Milegi bhi nahi pyare." Dushyant ne do took bhaav se kaha_____"Khair main us baraat ki baat nahi kar raha tha."
"Haan main samajh gaya hu." Yaswant ne kaha_____"Puri taiyari ke sath hi aaya hu. Ab bas hame chalne ki der hai magar usse pahle bhabhi ji se mera taarruf to karwa de."

"Ye mera kaam hai bhaiya." Pratiksha ne tapaak se muskurate huye kaha_____"To ye hain meri pyari bhabhi vidhi aur bhabhi ye hain mere pyare bhaiya yaswant. Bhaiya ki tarah ye bhi police me hain aur ye dono ek sath hi khel kood kar aur padh likh kar bade huye hain. Ye dono hamesha ek dusre ki taang khichte rahte hain magar dono mujhse bahut pyar karte hain."

"Pata to mujhe pahle hi chal gaya tha bhabhi ji." Yaswant ne vidhi ki taraf dekhte huye kaha_____"Magar dushyant ne mujhse ek baar bhi ye nahi kaha ki yaha aa kar aapse mil lu. Pata nahi kya soch kar dar raha tha ye.? Mujhe to lagta hai ki ise dar tha ki kahi main iske haatho se aapko uda kar na le jaau."

Yaswant ki baat sun kar vidhi bas muskura kar rah gayi. Uske chehre par laaj aur sharm ki laali chha gayi thi. Jab usse kuch kahte na bana to wo ye kah kar uth gayi ki main aap sabke liye chaay bana kar laati hu. Vidhi ke jane ke baad dushyant ne yaswant ke kandhe par mukka maarte huye kaha_____"Maine tujhe yaha aane se kab mana kiya tha be.?"

"Mana nahi kiya tha." Yaswant ne kaha_____"Magar ye bhi to nahi kaha na ki bhabhi ji se aa kar mil lu. Isse puch gudiya ki isne aisa kyo nahi kaha mujhe.?"
"Isme bhaiya ke kahne ka intzaar kyo kar rahe the aap." Pratiksha ne has ke kaha_____"Aapko to bhaiya ke bina kahe hi yaha aa jana chahiye tha."

"Are main aa to jata gudiya." Yaswant ne kaha_____"Magar main ye dekh raha tha ki ye mujhse kahta hai ki nahi aur ab maine dekh liya hai ki iske man me isi baat ka dar tha ki kahi main bhabhi ji ko iske changul se uda na le jaau."

"Ye sab baate tum baad me kar lena pyare." Dushyant ne kaha_____"Abhi aur is waqt hame sirf avinash par focus karna hai."
"Tumhare kahe anusaar maine saari taiyari kar li hai." Yaswant ne kaha_____"Maine kuch police walo ko saade kapdo me charo taraf faila diya tha. Un sabki report yahi hai ki un sabhi jagaho se wo log ja chuke hain jin jagaho par kal tak wo chhup kar yaha ki nigraani kar rahe the."

"Very good." Dushyant ne kaha_____"Ye to unhe karna hi tha. Unhe sirf ye dekhna tha ki avinash yaha se agar nikalta hai to kab nikalta hai aur agar avinash yaha se nikalta hai to wo usi pal se uske pichhe lag jaye. Ab kyo ki avinash yaha se nikal chuka hai to zaahir hai ki wo log uska pichha karte huye uske pichhe hi lage chale gaye hain. Hamare liye ye achhi baat hai kyo ki ab yaha ki khabar naqab wale ko dene wala koi nahi rahega yaha."

"Naqab wale ka khabri bhanu singh majburi ke chalte uska khabri gaya tha." Yaswant ne kaha_____"Naqab wala uske bhatije ko target kiye huye tha. Us bhatije ko jo boarding school me padhta hai. Waise naqab wale ne chaal gazab ki chali thi. Usne bhanu singh ke apne bete ko target nahi banaya tha. Kyo ki usse hame fauran hi pata chal jata ki bhediya kaun hai. Halaaki naqab wale ne hamara dimaag ghumane ke liye khud hi bhanu singh ko saboot ke roop me mobile ke sath pakadwa diya tha. Wo jaanta tha ki ham log bhanu singh par khabri hone ka zara bhi yakeen nahi karenge aur agar karenge bhi to yahi sochege ki bhanu singh ne aisa shayad kisi majburi me kiya hoga aur uski majburi uske biwi bachche hi ho sakte hain. Ham jab uske biwi bachcho ko sahi salaamat dekhenge to hamara wo shak bhanu se hat hi jayega. Jab ki ham to ye soch bhi nahi sakenge ki bhanu singh ki majburi uske apne biwi bachche nahi balki uska apna bhatija ho sakta hai jo ki bina maa baap ka hai. Kahne ka matlab ye ki bhanu singh bhale hi saboot ke sath hamari pakad me aa gaya tha magar ham use naqab wale ka khabri maante hi nahi aur yahi samajhte ki use kisi ne fasaya hai."

"Naqab wale ka plan hamare dimag ko chakra dena hi tha pyare." Dushyant ne kaha_____"Ham sach ko sach maanne se inkaar karte jabki naqab wale ne hamare samne sach ko hi pesh kar diya tha. Dusri mahatwapoorn baat ye ki majburi me bhanu singh ne bhi us din hamse wahi sab kaha jo kahne ke liye use naqab wale sikhaya tha. Bhanu singh naqab wale ke viruddh jane ka soch bhi nahi sakta tha kyo ki uske bhatije ki jaan us naqab wale ki mutthi me qaid thi. Wo to shukar tha ki bhanu singh ne ishare se mujhe pichhle dino samjha diya tha aur tab maine vikrant ko bhej kar uske bhatije ko boarding school se yaha bula liya tha aur bhanu singh ki security ka prabandh kar diya tha."

"Bada shaatir khilaadi hai ye naqab wala." Yaswant ne gahri saans lete huye kaha______"Bahut bheja ghumaya hamara aur bahut chhakaya hame."
"Jurm ki umar zyada lambi nahi hoti pyare." Dushyant ne kaha_____"Thode dino ki zindagi me khoob uchhal kood karti hai aur fir waise hi shaant pad jati hai jaise kisi tufaan ke guzar jane ke baad har taraf gahra sannata chha jata hai."

Abhi ye dono baate hi kar rahe the ki tabhi vidhi haath me tray liye aayi aur center table rakh diya. Sabne ek ek cup apne liye utha liya. Chaay ke dauraan idhar udhar ki baate huyi aur fir dushyant aur yaswant sofe se uth khade huye. Dushyant ne pratiksha aur vidhi ko apna khayaal rakhne ko kaha to un dono ne bhi inhe apna khayaal rakhne ko kaha. Uske baad dushyant yaswant ke sath ghar se baahar aa gaya. Baahar porch me vidhi ki car khadi thi jiski driving sheet dushyant ne samhaali aur yaswant uske bagal me baith gaya. Yaswant jis car se aaya tha usme vikrant kuch police walo ke sath tha. Dushyant ne car ko porch se nikala aur sadak par dauda diya. Uske piche vikrant bhi car le kar chal pada.

<>•<>•<>
 

TheBlackBlood

αlѵíժα
Supreme
78,222
113,744
354
BEGUNAAH
Update - 34
____________________________



"Haan moorat bolo kya khabar hai uski.?" Car chala rahe jai ne mobile par aayi huyi call ko receive karte huye kaha_____"Main abhi raaste par hu. Dopahar tak pahuch jaauga waha."
"Khabar to badhiya hai jai bhai." Udhar se moorat ne apni bhaari awaaz me kaha_____"Mere aadmi uski pal pal ki khabar de rahe hain mujhe."

"Abhi kaha par hai wo.?" Jai ne kahte huye ek nazar apne bagal me baithi saundarya par daali.
"Is waqt wo ek auto me hai." Udhar se moorat ne kaha_____"Aur Lohra ki taraf jane wale raaste ki taraf ja raha hai."
"Lohra.???" Jai ne sochne wale bhaav se kaha_____"Lohra ki taraf kyo ja raha hoga wo.?" Ye sochte sochte achanak hi jai buri tarah chaunka aur ek jhatke se saundarya ki taraf dekha.

Jai ke mukh se Lohra shabd sun kar saundarya pahle to chaunki thi aur fir jai ki taraf dekhte huye kuch sochne lagi. Jai ne mahaul ki nazaqat ko samajhte huye fauran hi car ki speed ko kam karte huye car ko roka aur fir saundarya ki taraf dekha. Saundarya abhi bhi uski taraf waise hi dekhe ja rahi thi. Saundarya ko is tarah apni taraf dekhte dekh jai ke chehre par kayi sare bhaav ubharte huye nazar aaye jinme sabse zyada bhaav chinta aur pareshani ka tha. Fir jaise usne khud ko samhala aur car ke dashboard se ek spray jaisa bottle nikala aur uska dhakkan khol kar jaldi se saundarya ke chehre par spray kar diya. Kuch hi palo me saundarya ki khuli huyi aankhe band hoti chali gayi.

"Maaf karna meri jaan." Fir jai ne kathor bhaav se jaise khud se hi kaha_____"Galti ho gayi. Tumhara ilaaz karna bhi ab bahut zaruri ho gaya hai."
"Kya hua jai bhai..???" Dashboard par rakhe mobile se moorat ki awaaz aayi_____"Kiska ilaaz karna zaruri ho gaya hai.?"

"Mere dushmano ka." Jai ne shakht bhaav se kaha_____"Iska matlab ye hua ki usne unhe lohra me chhupa ke rakha hua hai. Hamare zahen me kabhi lohra ka khayaal aaya hi nahi. Kaash agar pahle hi hamare zahen me lohra ka khayaal aa gaya hota to aaj kahani dusri hi hoti moorat. Us haramzade ne unhe lohra me chhupa ke rakha jiski hamne kalpana bhi nahi ki thi. Khair koi baat nahi..magar moorat ek baat samajh me nahi aayi ki agar usne unhe lohra me chhupa ke rakha tha to itna kuch hone par bhi un logo ne is bare me kabhi police ko kyo nahi bataya.?"

"Shayad usne unhe iske liye mana kar rakha raha ho." Udhar se moorat ne maano andaza lagate huye kaha.
"Par sawaal to wahi hai na bhai." Jai ne kaha_____"Ki usne unhe kis liye mana kiya raha hoga.? Aakhir aisi kya vajah ho sakti hai.? Kya use pahle se andesha tha ki uske sath aisa kuch hoga.? Agar aisa tha to use un logo ko yahi kah kar jana chahiye tha ki agar use kuch ho to wo log police ko sab kuch bata de magar aisa nahi hua. To sawaal hai ki kyo.?? Aakhir wo log do saalo se chup kyo rahe.?"

"Ab ye to wahi batayega jai bhai." Moorat ne kaha_____"Khair ab mere liye kya aadesh hai.?"
"Tum apne aadmiyo ko le kar uske pichhe pichhe lohra jaao." Jai ne kaha_____"Agar wo lohra hi ja raha hai to samajh lo ki usne unhe wahi chhupa ke rakha hai. Tumhara kaam itna hai ki jaise hi wo unse mile to tum uske sath sath un logo ko bhi apne kabje me lo aur fir apne purane wale adde par pahucho. Main tumhe adde par hi miluga."

Jai ki baat sun kar moorat ne thik hai kaha to jai ne call cut kar diya. Call cut karne ke baad usne ek nazar behosh padi saundarya ki taraf dekha aur fir patthar jaisi kathorta chehre par sajaye usne car ko aage badha diya. Ab uski car pahle se kahi zyada tezi se aage badh rahi thi.

<>•<>•<>

"Bas bhai yahi par utaar do mujhe." Avinash ne auto wale se kaha to auto wale ne auto ko sadak ke kinare laga kar rok diya.
"Sahab lohra to yaha se abhi 5km door hai." Auto wale ne palat kar avinash se kaha_____"Kya yaha se paidal jane ka irada hai aapka.?"

"Tumne sahi kaha bhai." Avinash ne auto se utar kar kaha_____"Do saal baad aaya hu yaha. Is liye yaha se ab paidal jaauga taaki aas paas ka nazara dekh saku. Khair ye lo tumhare paise."
"Jaisi aapki marzi sahab." Auto wale ne avinash se paise liye aur auto ko mod kar waapas usi raaste ki taraf chala gaya.

Auto ke jane ke baad avinash ne palat kar dekha. Samne do raaste the. Ek raasta lohra gaav ki taraf jata tha aur dusra raasta jangal ki taraf. Jangal wala raasta kachcha hi tha. Avinash kuch der jangal wale raaste ki taraf dekhta raha aur fir chaaro taraf nazar ghumane ke baad wo jangal wale raaste ki taraf chal pada.

Jangal ke raaste chalte huye avinash kareeb aadhe ghante me ek aisi jagah pahucha jaha saamne se ek nadi bah rahi thi. Bade bade patthar aur pedho ki vajah se ye nadi door se nazar nahi aati thi. Nadi ka paani behad hi saaf aur thanda tha. Avinash ne nadi ke paas ja kar paani se apni pyaas bujhaayi aur fir wahi par ek chhoti si chattaan par sustaane ke liye baith gaya. Uske kaano me jangal ke andar maujud pakshiyo ki awaaze sunaayi de rahi thi.

Nadi me bahta hua paani gahra bilkul bhi nahi tha balki usme ghutno tak hi paani tha jiski satah par pade gol gol patthar aur machhaliya saaf dikh rahi thi. Kuch der sustaane ke baad avinash ne apne jute utaar kar haath me le liye aur fir nadi ke paani me utar kar us paar jane ke liye chal pada. Nadi ki chaudaayi zyada nahi thi is liye jald hi avinash nadi ke us paar pahuch gaya. Hath me liye jute usne dobara pahne aur aage ki taraf chal diya. Jis raaste se wo aaya tha wo nadi ke baayi taraf chala gaya tha jiske aage lakdi ka ek pool tha. Kintu avinash ne ghoom kar jane ki bajaay sidhe jana pasand kiya tha.

Kareeb bees minute paidal chalne ke baad avinash jangal me aisi jagah pahucha jaha par ek bada kintu purana mandir tha jo ki bahut hi kharaab dikh raha tha. Mandir me maa kaali ki moorti thi. Mandir se kuch hi doori par lakdi se banaya gaya ghar tha. Aas paas zyada saaf safaayi nahi thi balki aisa lagta tha jaise barsho se yaha koi na aaya ho.

Avinash mandir ke saamne pahucha aur maatha tek kar maa kaali ko pranaam kiya. Maa kaali ko pranaam karne ke baad wo lakdi se bane ghar ki taraf chal pada. Abhi usne kuch kadam hi badhaye the ki right side se ek awaaz aayi jise sun kar wo ruk gaya aur awaaz ki disha me dekha. Right side kuch hi doori par ek aurat khadi thi. Uske haath me lakdi ki ek tojri thi. Aurat ki umar pachaas ke aas paas thi aur avinash ko dekhte hi uske chehre par ghabrahat ke bhaav aa gaye the.

"Nahi....nahi ye nahi ho sakta." Aurat ne sahmi si kintu dhimi awaaz me kaha______"Jai to kah kar gaya tha ki ye hamare yaha hone ka soch bhi nahi sakta. Fir ye kaise yaha aa gaya. Hey bhagwan jiska dar tha wahi hua."

"Main aa gaya maa." Avinash ne us aurat ki taraf dekhte huye kaha_____"Tu kaisi hai maa.? In do saalo me kitni kamjor ho gayi hai tu."
"Khabardaar jo tune mujhe maa kaha." Aurat ne sahsa kathor bhaav se kaha_____"Mera sirf ek hi beta hai aur wo tu nahi hai. Chala ja yaha se...main teri shakal bhi nahi dekhna chaahti."

"Ohh maa tune fir se mujhe pahchaanne me galti kar di." Avinash ne aurat ki taraf badhte huye kaha_____"Kaisi maa hai tu ki apne hi bete ko pahchaan nahi paati. Aree main to tera laayak beta hu maa jisne tum dono ko yaha surakhsit chhupa kar gaya tha. Kya ab bhi nahi pahchana mujhe.?"

Kahte huye avinash jaise hi aage badha to aurat ne apne haath me li huyi tokri ko avinash ki taraf tezi se fenka aur fir wo lakdi ke ghar ki taraf daud padi. Ye dekh kar avinash mayood aur udaas sa khada rah gaya. Uski aankho me aanshu umad aaye. Jinhe usne aankhe band kar ke chhalka diya. Udhar wo aurat lakdi ke bane ghar me ghus gayi aur lakdi ke hi bane huye darwaze ko jhatke se band kar liya.

Idhar udhar nazar ghumane ke baad avinash aage badha aur kuch hi der me lakdi ke bane us ghar ke darwaze ke paas pahuch gaya. Darwaze ke paas pahuch kar abhi wo kuch bolne hi wala tha ki andar se awaaz aayi.

"Hame yaha se nikalna hoga." Avinash ke kaano me us aurat ki awaaz padi jise usne maa kaha tha_____"Usne hame dhudh liya hai. Ab wo ham dono ko zinda nahi chhodega."
"Ek din to ye hona hi tha sumitra." Andar se kisi mard ki kamjor si awaaz aayi_____"Uski nazar me maa baap bhai bahan ya bhabhi koi bhi rishta maayne nahi rakhta balki uske liye to zameen jaaydaad aur wo khazana hi maayne rakhta hai. Wo us khazane ke liye kisi ki bhi bali chadha dega jo asal me kisi ka hai hi nahi. Uski umar me maine bhi us khazane ko paane ki bhool ki thi magar mila kya.??? Kuch bhi nahi...balki uske chakkar me jeewan bhar ke liye apaahiz zarur ho gaya main. Khair ab agar usne hame dhudh hi liya hai to ham dono usse bach kar ab kahi nahi ja sakte aur haan ja kar darwaza khol do sumitra. Use andar aa jane do...ham dono use fir se samjhayege. Baaki to jo ishwar ne likha hoga wo ho kar hi rahega."

Andar se sunaayi de rahi mard ki ye awaaze sun kar darwaze ke baahar khada avinash hairaan rah gaya tha. Tabhi use andar se us aurat ki yaani uski maa ki awaaz sunaayi di kintu usi pal wo kuch aur awaazo ko sun kar chaunka. Hadbada kar usne palat kar pichhe dekha to use kayi sare aadmi haatho me kayi tarah ke hathiyaar liye nazar aaye. Un logo ko dekh kar avinash pahle to chaunka fir uske hotho par halki si muskaan ubhar aayi.

"To aakhir tum hamari pakad me aa hi gaye." Un logo me se ek ne kaha jo baakiyo se alag hi nazar aa raha tha_____"Aur itna hi nahi hame un tak bhi pahucha diya jinki khoj me ham pichhle do saalo se dar dar bhatak rahe the. Waise maanna padega tumhe kyo ki apne maa baap ko aisi jagah chhupaya tha jis jagah ke bare me ham me se koi soch bhi nahi sakta tha. Deepak tale andhera waah. Khair der aaye durust aaye." Kahne ke sath hi us aadmi ne baaki logo ki taraf dekhte huye kaha_____"Khade kya ho tum log. Iske sath sath iske maa baap ko bhi apne kabje me le lo. Hamare paas zyada waqt nahi hai."

"Tu aur tera wo aaka apne maksad me kabhi kamyaab nahi ho sakega." Avinash ne kathor bhaav se kaha_____"Do saal pahle bhi tere aaka ne mera kuch nahi ukhaad liya tha aur ab bhi nahi ukhaad paayega."
"Bahut khoob." Us aadmi ne kaha_____"Do saal me kafi badlaav aa gaya hai tumme. Khair chinta mat karo kyo ki is baar hamse kisi bhi tarah ki galti nahi hogi."

Kuch hi der me avinash ko un logo ne pakad kar uske dono haath pichhe ki taraf kar ke baandh diye. Kuch log lakdi ke darwaze ko tod kar ghar ke andar ghus gaye aur jab wo baahar aaye to unke sath avinash ki hi tarah bandhe huye ek aurat aur ek mard bhi aaye jo ki avinash ke maa baap hi the. Avinash ka baap apne dono pairo se niskriya tha jisse wo chal nahi sakta tha is liye do logo ne use utha rakha tha. Mukhya aadmi ke nirdesh par kuch hi der me sara kaafila waha se waapas jangal ki taraf chal pada. Avinash aur uske maa baap ke muh me un logo ne kapda thoos diya tha jisse ki wo koi awaaz na nikaal sake. Avinash ko bhi apni tarah bandha dekh kar uske maa baap pahle to hairaan huye the aur fir dukhi ho gaye the. Kadaachit is liye ki wo use pahchaanne me galti kar baithe the.

<>•<>•<>

"To bhabhi ki baato se hi tere dimaag me ye baat aayi thi ki naqab wale ko ghar me ghusne ki zarurat hi kya hai." Yaswant ne raaste me dushyant ka mazaak udaate huye kaha_____"Iska matlab ki agar us din dear bhabhi ji tujhse avinash ke maamle par discussion na karti to tere dimaag me ye baat is janam me to kya balki saat janmo me bhi aane wali nahi thi. Bhai main to kahta hu ki tu bhabhi ji se rozana thoda thoda kar ke dimaag liya kar."

Dushyant ne uski baate sun kar ek baar fir se use ghoor kar dekha. Yaswant sare raaste use aisi hi baato se chhedta aa raha tha aur dushyant usse ab aaziz aa gaya tha.

"Waise dushyant." Yaswant ne fir kaha______"Teri kismat hi achhi thi ki us din bhabhi ji ne tujhse teri family ke bare me puch liya tha jiske baad unhone gudiya ko yaha bula liya. Unhe bhi samajh aa gaya tha ki jisse unhe ishq ho gaya hai wo asal me kitna bada budbak insaan hai. Ab kyo ki wo thahri ladki zaat is liye sharm aur laaj ki vajah se wo tujhe apne dil ki baat batane me jhijhak rahi thi. Gudiya ko bula kar unhone uttam buddhi ka pramaad diya aur gudiya....gudiya to hamari hai hi jag se niraali. Do din me hi do premiyo ka milan karwa diya usne. Warna mujhe pura yakeen hai ki teri naiya paar hone wali nahi thi."

"Saale bakwas na kar warna chalti car se dhakka de kar niche fenk duga tujhe." Dushyant ne kilash kar kaha______"Location dekhta ja warna kahi aisa na ho ki hamare sare kiye dhare par paani fir jaye."

"Main to chaahta hi hu ki paani fir jaye." Yaswant ne muskurate huye kaha_____"Kyo ki agar aisa ho gaya to is baar department se teri chhutti pakki hai. Kasam se bada maza aayega jab dushyant the freat apna chehra latkaye aayega aur mere kandhe me sir rakh kar aanshu bahayega."

"Us naqab wale ki tarah teri ye hasrat bhi puri nahi hone duga main." Dushyant ne kaha_____"Wo sala apne aap ko bada tees maar khan samajhta hai. Ek hi jhatke me jab uski gardan daboch luga tab saale ko pata chalega ki dushyant the great kya cheez hai."

"O bhai ye dialog mat maar." Yaswant ne bura sa muh banate huye kaha______"Kyo ki tere is dialog me mujhe koi bhi vajan nazar nahi aa raha. Sach to ye hai ki agar tujhe pata na chalta ki avinash ki memory waapas aa gayi hai to tu ab bhi kuch nahi kar sakta tha."

"To aakhir pata to kar hi liya na maine." Dushyant ne kaha_____"Usne to puri koshish ki ke mujhe is baat ka pata na chalne paye magar mujhe pata chal hi gaya aur fir sab kuch mere liye mahaj chutki bajane jaisa asaan ho gaya. Khair chhod aur tu location bata mujhe."

"Yaha se do ghante ki doori par hai." Yaswant ne apne hath me liye ek bade se pad me dekhte huye kaha_____"Thodi der ke liye wo ek jagah ruk gaya tha magar ab fir se wo chal pada hai."
"Jagah kaun si thi.?" Dushyant ne pucha_____"Aur ab wo kis taraf ja raha hai.?"

"Thodi der pahle uski location Lohra naam ke gaav se aas paas ki thi." Yaswant ne kaha_____"Magar ab wo poorv ki taraf badh raha hai. Mujhe lagta hai ki wo unki pakad me aa gaya hai aur ab wo unke sath hi kahi ja raha hai."

"Lohra ke aas paas koi police thana hai kya.?" Dushyant ne kuch sochte huye kaha_____"Agar aas paas koi police thana hai to hame waha par sampark banana hoga."
"Main pata karta hu." Kahne ke sath hi yaswant pad me kuch karne laga. Jald hi use kuch dikha to bola_____"Singhpur police thana hai lohra ke aas paas."
"Very good." Dushyant ne kaha_____"Singhpur thane me contact karne ki koshish kar aur unhe hamare bare me sab samjha."

Dushyant ke kahne par yaswant apne kaam par lag gaya jabki dushyant ne car ki speed ko aur tez kar diya. Kuch hi der me yaswant ne singhpur thane ke in charge se sampark isthaapit kar liya aur use apne bare me batate huye maamle ke bare me samjhaya. Singhpur thane ke in charge ne yaswant ko pura support karne ka wada kiya. Uske baad yaswant ne call cut kar di.

<>•<>•<>
 

TheBlackBlood

αlѵíժα
Supreme
78,222
113,744
354
BEGUNAAH
Update - 35
______________________________



Wo bollywood ki nineties filmo ki tarah ka manzar tha jisme villain hero ke pariwar walo ko apne adde par rassiyo se baandhe rakhta tha aur charo taraf uske paale huye gunde haath me bandukhe liye pahre par khade rahte the. Nineties ke dashak ki filmo ka villain mahaj itne se hi ye samajh baithta tha ki ab wo bhagwan ban gaya hai jiska mukabla hero to kya koi bhi nahi kar sakta. Zyadatar filmo me kaali pahaadi ke piche ka zikra rahta tha kintu yaha kaali pahaadi to thi hi nahi balki jangal tha aur jangal me lage peedho par villain ne hero ke pariwar ko rassiyo se baandh rakha tha.

Saundarya ko jab hosh aaya to usne khud ko ek pedh ke sath rassiyo par bandhe huye paya. Aas paas ka drishya dekhte hi wo buri tarah ghabra gayi. Khud ko bandhano se chhudane ki koshish ki aur fir jab uski koshishe bekaar chali gayi to usne ek baar fir se nazar ghuma kar chaaro taraf dekha. Uske agal bagal pedh se peeth ke bal chipke huye do aise insaani chehre nazar aaye jinhe dekhte hi uski aankhe fati rah gayi. Saamne ek lakdi ki kursi par ek adhed aadmi rassi se bandha hua baitha tha jiske paas wo shakhs khada tha jo uska pati tha. Us pati ke hotho par zaher se bujhi huyi muskaan thi. Achanak hi uske zahen me behosh hone ke pahle ke har chitra ubharne lage aur fir uske chehre par dukh ke sath sath nafrat ke bhaav numaaya ho uthe. Wo kabhi samne khade us shakhs ko dekhti to kabhi apne baye taraf pedh se bandhe dusre shakhs ko. Dono ki hi shakal ek jaisi thi. Duniya ka koi bhi shakhs un dono ko dekh kar ye nahi kah sakta tha ki dono me se jay kaun hai aur vijay kaun hai. Dono ka hi rang roop yaha tak ki dono ke hi shareer ki banawat ek jaisi hi thi. Pedh ke sath bandhe us shakhs ne bhi saundarya ki taraf dekha tha aur use dekh kar uske chehre par dukh ke bhaav ubhar aaye the.

"Bahut badi galti ho gayi meri jaan." Saamne khade shakhs ne saundarya ki taraf do kadam badhte huye kaha_____"Moorat se baat karte waqt galti se mere mukh se lohra ka naam nikal gaya aur meri us galti ki vajah se tum gahri soch me doob gayi thi aur fir tum samajh bhi gayi ki do saalo se jise tum apna pati jay samajh rahi thi wo tumhara pati jay nahi balki tumhara devar tumhara aashik vijay hai. Khair ab kya ho sakta tha.?? Teer to kamaan se nikal chuka tha meri jaan. Socha to ye tha ki tere is pati ka kriya karm karne ke baad tere sath bade araam se puri zindagi guzaruga magar shayad meri kismat me tera sath aur tujhe bhogna itna hi likha tha. Waise sach to ye hai ki ab mera man tujhe bhogte bhogte bhar bhi gaya tha. Kasam se in do saalo se tujhe bhogne me bada maza aaya mujhe. Zindagi ka asli maza diya hai tune aur sabse mazedaar baat ye huyi ki in do saalo me tujhe zara bhi is baat ka shak nahi hua ki main tera pati jay nahi balki vijay hu."

"Tu sad sad ke marega kutte." Saundarya ne gusse se cheekhte huye kaha_____"Ishwar tere paapo ki aisi saza dega jiski tune kalpana bhi nahi ki hogi. Main to us waqt bhi nahi samjhi thi ki tu jay nahi balki vijay hai. Main to tere muh se lohra ka naam sun kar aur tujhe sochta dekh khud bhi ye sochne lagi thi ki lohra naam sun kar tu itna soch kyo raha hai jabki tu to jay ke roop me lohra pahle bhi jaya karta tha. Tune khud hi apna bhed khol diya kameene, tujhe us waqt laga hoga ki main tujhe pahchaan gayi hu aur is liye tune bina soche samjhe mujhe behosh kar diya. Waise ye achha hi kiya tha tune warna main to aage bhi nahi jaan paati ki tu jay nahi vijay hai. Tune chhal se meri ijjat ko itne saal tak loota jiska dand tujhe ishwar zarur dega. Ye to mera durbhagya tha ki teri shakl mere pati se hubahu milti thi aur main samajh nahi paayi ki tu jay nahi balki vijay hai. Ab mujhe samajh aa raha hai ki do saal pahle tu mujhse door door kyo rahta tha aur shuruaat me jab maine tujhse ye pucha ki tu maa babu ji ko surakshit kar aaya na tab tune mujhse ye kaha tha ki vijay ne raaste me unhe kidnap kar liya hai aur tu badi mushkil se apni jaan bacha kar bhaag aaya hai. Us waqt main bhala ye kaise soch sakti thi ki tune kitna bada shadyantra rach ke mere paas jay ban kar aaya tha.? Tune meri ijjat luti aur meri zindagi barbaad ki. Main khud bhi ab jeena nahi chaahti." Kahne ke sath hi sahsa saundarya foot foot kar ro padi aur fir baye taraf pedh se bandhe jay urf avinash ki taraf dekhte huye karun bhaav se boli_____"Mujhe maaf kar do jay...main is neech insaan ko pahchaan nahi paayi jiski vajah se aaj meri zindagi nark jaisi ban gayi hai. Mera dil karta hai ki ye dharti fat jaye aur main usme sama jaau. Mujhe maaf kar do mere devta..main ab tumhare laayak nahi rahi."

"Maafi to mujhe tumse maagni chahiye saundarya." Avinash urf jay ne aahat bhaav se kaha_____"Do saal pahle jab main maa babu ji ko lohra ke jangal me isthit us shaapit kaali mandir me chhodne gaya tha tab mujhe apne sath tumhe bhi le kar jana chahiye tha lekin maine tumhe us waqt ghar me hi rukne ko kah diya tha aur maa babu ji ko le kar jangal me us kaali maa ke mandir chala gaya tha. Main kya jaanta tha ki maa babu ji ko surakshit karne ke baad fir main tumhe mil hi nahi paauga aur mere sath wo sab ho jayega. Halaaki isme bhi meri buri kismat ka hi dosh hai jiski vajah se main chaah kar bhi kuch kar nahi saka tha. Main to maa babu ji ko surakshit karne ke baad unke liye zarurat ka kuch samaan lene shahar chala gaya tha aur fir waapas aate waqt raaste me is kamine vijay ke aadmiyo ne mujhe kidnap kar liya. Khair isne to mujhe marwa hi diya tha magar main bach gaya. Meri yaad daast chali gayi thi aur main khud ke bare me jaanne ke liye dar dar bhatakne laga tha. Meri yaad daast jane ke baad mujhe apne ya kisi ke bare me kuch yaad hi nahi raha tha aur jab kuch yaad hi nahi raha tha to bhala main kya kar sakta tha.? Zindagi ne aise aise din dikhaye ki har pal lagta tha ki khud khushi kar lu magar fir ye soch kar rah jata ki agar main mar gaya to mere us pariwar ka kya hoga jinke bare me mujhe kuch yaad hi nahi hai. In do saalo me us haal me bhi is insaan ne mujhe chain se jine nahi diya. Har do maheene baad ye mujhe aise jurm me fasa deta tha jo maine kiya hi nahi hota tha. Us wakt main bhala ye kaise jaan sakta tha ki jinke yaha main rahta tha unke ghar ki bahu beti ki ijjat ke sath khilwaad kar ke mujhe fasane wala koi aur nahi balki mera hi chhota bhai tha jiski shakl surat mujhse milti thi.? Ab jabki mujhe sab kuch yaad aa gaya hai to sochta hu ki jinhone mujhe har baar police ke hawale kiya tha wo to apni jagah sahi hi the. Unki nazar me to maine hi wo sab kuch kiya tha. Bhala wo is baat ki kalpana kaise kar sakte the ki jis chehre ko unhone wo sab karte dekha tha wo chehra mera nahi balki mere is kamine bhai vijay ka tha.?"

"Pata nahi ishwar ne mujhe dusri aulaad ke roop me is neech insaan ko kyo diya.?" Saundarya ke dusri taraf pedh se bandhi aurat ne kaha_____"Maine to usse judwa bachche nahi maage the fir kyo usne meri kokh me is begairat ko daal diya tha. Kaash ki ye paida hote hi mar jata to aaj mujhe ye sab na dekhna padta."

"Aisa to na kah maa." Vijay ne naatkeeya andaaz me kaha_____"Tujhe to mujh jaisi aulaad aisi pa kar khush hona chahiye jiska naam sun kar achhe achho ka moot nikal jata hai. Tere is jay ki tarah mitti ka maadhav to nahi hu jo ek cheenti tak ko maarne se darta hai."

"Main khush hu ki wo ek cheenti ko bhi maarne se darta hai." Aurat ne kaha_____"Teri tarah kisi ki bahu beti ki ijjat par daag to nahi lagata. Teri tarah kisi ki zindagi to barbaad nahi karta. Tu meri kokh ka kalank hai naspeete. Tune maa samaan apni bhabhi ko barbaad kar diya. Meri baddua hai ki tujhe kabhi koi khushi na mile aur tu sad sad kar mare."

"Kisi ki baddua se koi nahi marta maa." Vijay ne kaha_____"Aur fir marna to sabko ek din hai magar jab tak jiyo to aise jiyo ki log saat janmo tak yaad rakhe. Zindagi me har cheez ka maza lena chahiye jaise main le raha hu. Jise chaha use apna bana kar uske maze liye aur ab jo chaahta hu usko lene ka waqt aa gaya hai." Kahne ke sath hi vijay palat kar apne us baap ke paas pahucha jo kursi se bandha baitha tha_____"Aakhir pakad me aa hi gaya na baapu. Ab der na karte huye bata ki khazana kaha hai.?"

"Mujhe nahi pata." Adhed shakhs ne shakhti se apne daant bheenchte huye kaha_____"Aur agar pata bhi hoga to tujhe nahi batauga."
"Dil mat dukha baapu." Vijay ne apne baap ke sir par hath ferte huye kaha______"Bahut intzaar kiya hai maine lekin ab aur intzaar nahi hoga mujhse. Mujhe duniya ka sabse ameer insaan banna hai. Is liye khazane ka pata bata de mujhe. Kahi aisa na ho ki mere sabra ka baandh toot jaye aur main tum sab par qahar ban kar barasne lag jaau."

"Tu chaahe jo kar le vijay." Adhed shakhs ne kaha______"Magar main tujhe kuch bhi batane wala nahi hu. Tune apni maa samaan bhabhi ko barbaad kar diya to bhala isse zyada kya bura kar sakega tu.? Waise bhi tune jo kuch kiya hai uske baad ham me se koi bhi ab ek pal ke liye bhi jina nahi chaahta. Ab tak ham dono sirf is liye jee rahe the taaki marne se pahle ek baar apne bete jay aur bahu ki soorat dekh sake."

"Soch le baapu." Vijay ne sard lahje me kaha_____"Ek baar aur soch le. Main khazane ko pane ke liye kisi bhi had tak ja sakta hu. Mujhe rishto ki koi parwaah nahi hai aur na hi aur kisi cheez ki parwaah hai. Main teri aankho ke saamne aisa nanga naach karuga ki tere farishte bhi tharra uthenge."

"Ye kis khazane ki baat kar raha hai babu ji.?" Pedh se bandhe avinash urf jay ne kaha.
"Ye paagal ho gaya hai bete." Adhed shakhs ne kaha_____"Mujhe kisi khazane ke bare me kuch bhi pata nahi hai."
"Achha to apne bade bete se chhupa ke rakha hai khazane wali baat ko." Vijay ne muskurate huye kaha_____"Bhala aisa kyo baapu.? Kya tu nahi chaahta ki us khazane se teri aulaad saat janmo tak aish kare.?"

"Haan main nahi chaahta." Adhed shakhs ne kaha_____"Bhale hi meri aulaad bhookho mar jaye magar main us khazane ke bare me hargiz nahi bataauga jiske chhoone maatra se insaan khaak me mil jaye."

"Maine to socha tha ki itna kuch hone ke baad shayad tune apna man badal liya hoga." Vijay ne shakht bhaav se kaha____"Magar tu to aaj bhi pahle ki tarah apni zid par ada baitha hai baapu. Lagta hai tu apni aankho se mere dwara kiya gaya nanga naach dekhna hi chaahta hai. Agar teri yahi zid hai to theek hai baapu. Ab dekh ki main kya karta hu."

Kahne ke sath hi vijay ne palat kar saundarya ki taraf dekha aur fir zahreeli muskaan hotho par sajaye uske kareeb pahucha. Uski mansha bhaap kar rassiyo me bandhe har kisi ki rooh kaap uthi.

"Main chaahta to nahi tha meri jaan." Saundarya ke paas pahuchte hi vijay ne muskura kar kaha_____"Magar kya karu.? Mera ye baapu khud hi chaahta hai ki wo apni haseen bahu ko apni khuli aankho se bina kapdo ke dekhe."

"Nahiiii." Kursi me bandha adhed shakhs buri tarah cheekhte huye kah utha_____"Bhagwan ke qahar se dar paapi. Wo tere in paapo ki badi bhayankar saza dega."
"Main tere us bhagwan ki har saza ko kabool kar luga baapu." Vijay ne besharmi se kaha_____"Magar ab tujhe dekhna hi padega ki teri bahut bina kapdo ke kitni haseen lagti hai. Do saalo me jane kitni hi baar maine ise khud nanga kiya hai aur iske haseen jism ka ras paan kiya hai. Mujhe pura yakeen hai baapu ki jab tu apni is bahu ke beparda aur haseen jism ko dekhega to tere jism ka bhi rom rom fadak uthega."

"Chup ho ja besharam." Pedh se bandhi aurat yaani ki jay vijay ki maa rote huye cheekh padi thi_____"Itni nirlajjata ki baate kahte huye kya teri zubaan ek pal ke liye bhi nahi larazti.?"
"Chinta mat kar maa." Vijay ne puri besharmi ke sath kaha_____"Tujhe bhi apni aankho se teri is bahu ka beparda jism dekhne ko milega. Tu bhi apni aankho se dekhegi ki teri is bahu ka jism kitna haseen hai."

"Hey bhagwan is karamjale ki ye behuda baate sunane se pahle mujhe apne paas bula kyo nahi leta.?" Aurat ne aasmaan ki taraf dekhte huye kintu aanshu bahate huye kaha_____"Achha hota ki tu mujhe baanjh bana deta. Kam se kam aisi aulaad ka muh to dekhne ko na milta."

"Bhagwan agar is tarah kisi ki awaaz sunne lage to fir baat hi kya hai maa." Vijay ne kaha_____"Is kaliyug me tera bhagwan bahra hi nahi balki andha bhi ho gaya hai. Wo mere jaise insaano ke saamne aane se bhi darta hai. Khair chhod ye baat aur baapu se kah ki wo mujhe khazane ka pata bata de warna fir mujhe dosh na dena."

"Ek baar mujhe is bandhan se khol." Pedh par rassiyo se bandhe avinash urf jay ne kaha_____"Aur mujhse mukaabla kar. Tere gunaaho ke liye maine tujhe chhathi ka doodh na yaad dila diya to kahna."
"Dekh le baapu." Vijay ne jay ki baat sunne ke baad kahkaha laga kar haste huye kaha_____"Tera ye bada beta kya bol raha hai mujhse. Ye mujhse mukaabla karne ki baat kar raha hai jo bachpan se mere dar se chhupta aur bhaagta raha hai. Aaj iske andar itni himmat kaha se aa gayi ki ye mujhse mukaabla karne ki baat kar raha hai.?"

"Babu ji se kya deende maarta hai haramkhor." Jay ne gusse me kaha_____"Agar tujhme himmat hai to mere bandhan khol aur mujhse akele mukaabla kar."
"Lagta hai tujhe marne ki badi jaldi hai bhai." Vijay ne sard lahje me kaha_____"Par agar teri yahi ichha hai to theek hai. Waise bhi tujhe itna avsar to milna hi chahiye taaki baad me tu ye na kah sake ki maine tujhe mauka nahi diya aur tujhe kaayro ki tarah maar diya."

Kahne ke sath hi vijay ne jay ko rassiyo ke bandhan se mukt kar diya. Jaisa ki pahle hi bataya ja chuka hai ki wo dono ek hi shakl ke judwa bhai the aur dono ki hi sharirik banawat ek jaisi hi thi. Bandhan se mukt hote hi jay apne dono hatho ko sahlane laga. Vijay usse chaar kadam ki doori par beparwaah sa khada ho gata tha. Jaise ki use jay ki taraf se kisi baat ka koi khatra hi na ho ya fir use pura yakeen ho ki jay uska kuch nahi bigaad sakta.

"Chal ab apni mardaangi dikha bhai." Vijay ne jay ki aankho me dekhte huye kaha____"Aur haan main ye bhi wada karta hu ki ham dono ke mukaable ke beech mera koi bhi aadmi nahi aayega. Aaj mujhe apni mardaangi dikha bhai warna teri aankho ke saamne teri haseen biwi ko nanga karuga."

Vijay ki in baato se tilmilaya hua jay tezi se uski taraf jhapta aur isse pahle ki wo vijay ke chehre par ghoosa maar pata vijay ne bijli ki si tezi se khud ko bachaya aur palat kar ek flying kick jay ki peeth par raseed kar di jisse jay aundhe muh zameen par ja gira.

"Kya itni hi mardaangi hai tujhme bhai.?" Jay ko zameen par aundhe muh gire dekh vijay ne muskurate huye kaha_____"Ye aurto ki tarah chheena chhapti karne se kya mukaabla karega tu.?"
"Uth jay beta." Sahsa kursi par bandhe us adhed ne jay ko josh dilaane ki garaz se kaha____"Uth aur is paapi ko iske kiye ki saza de. Isne ham sabki zindagi barbaad ki hai."

Adhed shakhs ki baato ka asar jay par hua to wo utha aur palat kar usne vijay ki taraf dekha. Vijay ne apne dono hatho se ishara karte huye use apne paas mukaabla karne ke liye bulaya. Uska andaaz aisa tha jaise wo use puchkaar raha ho. Jay ko uske is tarah puchkaarne par gussa to bahut aaya. Kintu use ye bhi pata tha ki gusse me insaan apna vivek kho deta hai is liye usne apne gusse ko jazb kiya aur vijay ki taraf badha.

Jay ko apni taraf badhte dekh vijay ke hotho par badi hi kutil muskaan ubhri. Uska andaaz abhi bhi waisa hi tha jaise ki wo laaparwaah ho aur jay ko wo kuch na samajhta ho. Udhar jay uske paas pahucha aur vijay par haath chalane ke liye jaise hi badhaya to vijay ne uska haath pakadna chaha kintu jay ne uski taraf sirf apna haath hi badhaya tha aur jaise hi vijay ne uske haath ko pakadna chaha to usne apna haath waapas kheech kar apni daahini taang tezi se vijay ke guptaang me jad di jisse vijay ke halak se cheekh nikal gai aur wo apna guptaang pakad kar jhuk gaya. jaise hi vijay dard se apne guptaang ko pakde jhuka to jay ne dono haatho se uska sir pakad kar apna ghutna chala diya jisse vijay ka sir chakra gaya. Uski aankho ke saamne andhera sa chha gaya.

Jay jaanta tha ki agar usne vijay ko awsar diya to wo us par palak jhapakte hi bhaari pad jayega is liye usne samajhdaari ka parichay dete huye vijay ko samhalne ka mauka hi nahi diya balki laat ghooso se use maarta hi chala gaya. Watawaran me vijay ki cheekhe goonjne lagi. Vijay ko jay ke haatho is tarah pitta dekh jaha wo adhed shakhs aur wo aurat khush ho gayi thi wahi door khade vijay ke aadmi hairaan rah gaye the.

Vijay ko laat ghooso se maarte maarte khud jay ke haath pair dard karne lage the magar wo iske baad bhi ruk nahi raha tha. Udhar vijay khud ko bachane ke liye jis taraf bhi apna chehra karta to jay fauran hi uske chehre par apna ghoosa chala deta. Buri tarah bhinnaye vijay ne achanak hi jay ka haath pakad liya aur fir zor se uske pet par laat maari jisse jay dhadaam se chaar kadam peechhe ja kar zameen par gira.

Apni aankho me bhayanak gusse ki aag liye wo jay ki taraf badha aur jhuk kar usne jay ka girehbaan pakda. Isse pahle hi wo jay ka girehbaan pakad kar uthata jay ne pade pade hi apne dono hatho se uske sir ko pakda aur apna sir tezi se utha kar uski naak me bhida diya jisse vijay ki cheekh nikal gayi aur usne jay ka girehbaan chhod kar apni naak ko sahlaya. Uski naak se khoon bahne laga tha. Jay ki is harkat se wo aur bhi buri tarah gusse se bhanna gaya aur isse pahle ki jay zameen se uth pata usne zor se ek laat jay ki chhaati par jad di jisse jay zor se hichki lete huye pasar gaya. Uski aankho ke saamne taare naachne lage the.

Vijay ne itne par hi bas nahi kiya balki jaldi jaldi usne jay ke pet par teen chaar laat zor se maari. Jay buri tarah dard se bilbila utha tha. Aisa lagta tha jaise ab usme uthne ki himmat nahi bachi thi. Wo apna pet pakde dohra hua pada tha.

"Kya hua.??" Jay ko zameen se uthte na dekh vijay ne gusse se kaha_____"Itne me hi zameen ko pakad liya tune.? Abe uth na aur mujhse mukaabla kar. Mujhse mukaabla karne ke liye hi to tune mujhse apne bandhan khulwaye the to ab mukaabla kar na. Apni mardaangi dikha kaayar warna teri aankho ke saamne teri biwi ko nanga karuga aur apne aadmiyo ko us par chhod duga. Mere aadmi use cheel kauwo ki tarah noch daalenge."

Vijay ki baate sun kar jay zameen se utha. Uski aankho me badle ki aag dhadhak uthi thi. Jay ko uth kar khada hote dekh vijay uski taraf tezi se badha aur isse pahle ki wo jay par koi waar kar pata jay ne jhuk kar apna sir uske pet me lagaya aur dono haatho se uski kamar pakde use peeche ki taraf dhakelta hua le gaya. Vijay apni kohni ka waar uski peeth par karta ja raha tha jisse jay dard me karaahne ke baavjud use peechhe ki taraf dhakelta hua ek pedh par tezi se bhida diya. Pedh se takrate hi vijay dard se karaah utha. Thodi der ke liye wo shithil pada to jay ne uske sir ko pakad kar peechhe pedh par de mara jisse vijay ki ghuti ghuti si cheekh nikli aur uska sir jaise hang sa ho gaya. Udhar jay ruka nahi balki usne jaldi jaldi kayi baar vijay ke sir ko pedh par de mara jisse vijay ki aankhe band hoti chali gayi.

Idhar apmaan aur badle ki aag me gusse se bhannaye huye jay ne idhar udhar nazar daudaayi. Jald hi uski nazar thodi hi doori par padi ek moti si lakdi par padi. Us moti si lakdi ko dekhte hi jay tezi se badha aur us lakdi ko utha kar vijay ki taraf palta magar tabhi vijay ne us par hamla kar diya. Vijay ne zor ka ghoosa jay ke chehre par mara tha jisse wo uchhal kar ek taraf gir gaya tha. Uske girte hi vijay uski taraf tezi se badha. Udhar girte hi jay jaldi se utha aur isse pahle ki vijay us par koi waar karta usne tezi se ghuma kar wo lakdi vijay ke sir par de maari. Halaaki vijay ne waar se bachne ke liye apna sir jhukana hi chaha tha kintu der ho gayi thi. Moti lakdi uske sir par jab tezi se lagi to vijay ka sir kinaare se chir gaya aur khoon ki dhaar bah chali. Vijay dard se apna sir pakde lahra gaya tha aur isse pahle ki wo samhalta jay ne ek baar fir se ghuma kar wo lakdi us par chala di jo ki is baar uski peeth par lagi thi. Prahaar tez tha is liye vijay lahra kar zameen par gir gaya. Uske sir se khoon bahta hi ja raha tha.

"Khade kya ho saalo." Vijay zameen par pade huye hi apne aadmiyo ki taraf dekhte huye zor se cheekha_____"Pakdo is haramzade ko."
"Mujhe to mardaangi dikhane ko bol raha tha tu." Jay ne uske pet par zor se ek laat jamate huye kaha_____"Aur ab tu apne kutto ko mujhe pakadne ke liye guhaar laga raha hai. Kya tujhme itni hi mardaangi thi.? Lagta hai ki tu apne in kutto ke dam par hi mard bana hua tha. Agar aisa hai to thu hai tujh par aur teri mardaangi par."

"Tu bhi to is dande ke bal par hi mard ban paya hai." Vijay ne dard se karaahte huye kaha_____"Bina kisi hathiyaar ke mujhse mukaabla karta tab main maanta ki tu mard hai."
"Maine to teri tarah kabhi ye nahi kaha ki main kya hu.?" Jay ne kaha_____"Main jaisa tha usi se khush tha magar tune jo kiya hai uske liye na to main tujhe maaf kar sakta hu aur na hi tujhe zinda chhod sakta hu."

"Khwaab bahut achhe dekhta hai bhai." Vijay ne dard me bhi zor ka thahaka lagate huye kaha_____"Magar shayad tujhe ye nahi dikh raha hai ki yaha charo taraf mere aadmi maujood hain jo mere ek ishare par tujhe goliyo se bhoonj kar rakh denge."

"Kya sach me aisa lagta hai tujhe.?" Jay ne is baar bhed bhari muskaan ke sath kaha_____"Aur agar yahi lagta hai tujhe to tu apne aadmiyo ko ishara kar ke ek baar dekh to sahi."
"Lagta hai tera dimaag fir gaya hai bhai." Vijay hasa aur fir usne apne aadmiyo se kaha_____"Suna nahi kya tum logo ne.? Pakdo ise aur pahle ki tarah pedh se baandh do. Ab main ise dikhaauga ki mujhse bhidne ka anjaam kya hota hai."

Vijay ke kahne par jaise hi uske aadmi aage badhe waise hi kayi jagaho se ek sath kayi saari goliya chalne ki awaaz aayi aur palak jhapakte hi vijay ke wo sare aadmi cheekhte huye zameen par dher hote chale gaye. Goliyo ki awaaz aur apne aadmiyo ka ye anjaam dekh kar vijay hakka bakka rah gaya. Uske chehre par ashcharya ke bhaav taandav sa kar uthe the.

"Ye...ye kaise hua.?" Fir wo hadbadate huye jay se bola____"Nahi nahi ye nahi ho sakta. Mere aadmiyo par goli kisne chalaayi.?"
"Tera sara khel khatm ho chuka hai neech insaan." Jay ne hikaarat se uski taraf dekhte huye kaha_____"Apne aapko bahut bada soorma samajhta tha na tu magar ye bhool gaya ki bure karmo ka der se hi sahi lekin bura anjaam zarur hota hai."

"Kya matlab hai tera.?" Vijay ne maano ulajh gaye bhaav se kaha_____"Kahna kya chaahta hai tu.?"
"Kaise ho naqaab wale pyaare.?" Achanak hi inspector dushyant ne waha par aate huye vijay se kaha_____"Lagta hai bahut bure haal hain tumhare."

Inspector dushyant ko kisi jinn ki taraf apne saamne prakat hote dekh vijay ek baar fir se hakka bakka rah gaya. Wo dushyant ko is tarah dekhne laga tha jaise wo insaan nahi balki sach much ka koi bhoot ho. Uske mukh se koi alfaaz na foota.

"Maaf karna pyaare." Uski haalat ko dekhte huye dushyant ne kaha_____"Hame bewaqt kahi par bhi pahuch jane ki bahut gambheer bimaari hai. Tum hamare sath itne samay se khel khel rahe the to hamne socha ki is baar ek khel ham bhi tumhare sath khele. Ye sab hamare usi khel ka chhota sa namoona tha dear. Hamne apne is khel ko shuru karte huye avinash yaani ki jay ko khud hi kaha ki____'Jaao pyare...apne us chaahne wale ke paas jaao jo tumhare liye pichhle do saalo se tadap raha hai. Ab bhala hamare hukum ko jay kaise taal sakta tha...yaani hamare kahne par ye chal pada tumhari taraf. Hamne ise kuch paise bhi diye taaki tum tak pahuchne me ise koi pareshani na ho sake."


<>•<>•<>
 
Last edited:

TheBlackBlood

αlѵíժα
Supreme
78,222
113,744
354
BEGUNAAH
Update - 36
________________________________



Vijay to inspector dushyant ko yaha dekh kar hi hairaan tha upar se uski baate bhi use hairaan kar rahi thi. Use samajh me nahi aaya tha ki usne to apne khilaaf koi saboot ya koi clue bhi nahi chhoda tha, fir inspector yaha kaise pahuch gaya tha magar inspector ne jab khel khelne ki baat kahi to wo moorkho ki tarah dekhta rah gaya tha use. Udhar kuch hi der me waha par yaswant aur vikrant bhi apni team ke sath aa gaye. Itna hi nahi unke peeche wo police ka inspector bhi apne kuch police walo ke sath aa gaya jo yaha ke shahar ka tha aur jisse yaswant ne baat ki thi. Itne sare police walo ko dekh kar vijay ko pura ahsaas ho gaya ki ab uske bachne ke koi chance nahi hain.

"Main sirf ye jaanna chaahta hu inspector." Vijay zameen se utha aur apne kapdo ki dhool ko jhaadte huye bola_____"Ki tum mujh tak pahuche kaise.?"
"Waise to shuruaat me kisi bhi mujrim ko khojna asaan nahi hota pyare." Inspector ne apne hi andaaz me kaha_____"Lekin avinash yaani ki jay ka maamla aisa tha ki shuru se hi pencheeda tha. Aisa is liye kyo ki iski apni yaad daast ja chuki thi jiske chalte ye apne ya apne pariwar ke bare me hame kuch bhi batane me asmarth tha. Fir bhi hamne jab iske bare me jaanne ke liye akhbaar aur news channels me photo ke sath iski khabar daali to usse bhi hame iske bare me kuch pata nahi chal paya jo ki yakeenan tumhari hi meharbaani ka nateeja tha. Halaaki ye badi vichitra baat thi ki aisa kaise ho sakta hai ki ek aadmi ke bare me jaanne ke liye jab akhbar me aur news channels me uski photo bhi daali jaye to koi use pahchane na aur uske bare me batane ke liye police ke inform na kare.? Ye to hame last me pata chal paya pyare ki tum itni badi hasti ho ki koi tumhare dar se jay ke bare me batane ke liye police ke paas ja hi nahe ka soch hi nahi. Kisi government data me bhi jay ki koi pahchaan nahi mili kyoki tum dono ne kabhi apne koi dacuments banwaye hi nahi the. Halaaki aaj ke zamane me shayad hi aisa koi gaav ya kasba ho jaha ke logo ne apne koi documents na banwaye ho. Khair, jab hame samajh aa gaya ki kisi bhi data ya kisi news ke dwara ham jay ke bare me nahi pata kar sakte to hamare saamne ek hi raasta bacha aur wo raasta tha tumhe pakadna magar pyare...tum to hamari soch se bhi zyada shaatir nikle. Sabse pahle to hamare hi ghar me ghus kar jay ko dhoya aur use dhamki di uske baad bhi jab tumhara man nahi bhara to tumne bheeshan accident karwa diya. Halaaki tumhare us accident se hame ek faayda bhi hua. Faayda ye hua ki jin do trucko ke dwara tumne accident kiya tha usme se ek truck par hame khoon ke roop me ek saboot mila. Pata nahi kyo par hame yakeen tha ki wo khoon hamare sabse chahete naqaab wale ka hi hoga. Is liye hamne us khoon ka ek dusra sample liya aur jay ke khoon ka sample le kar apne ek doctor dost sanyaal ke paas pahuch gaye. Bhagwan ka laakh laakh shukar tha ki DNA report me ye baat saamne aayi ki jo khoon hame mila tha wo jay ke khoon ke DNA se match karta hai. Iska ye matlab hua ki jay ki thukaayi karne wala aur itna aziz dushman koi gair nahi balki uska apna hi koi hai."

"Shuruaat ke tumhare track record se ham itna to samajh hi gaye the pyare ki jay se tumhari koi chhoti moti nahi balki koi lambi wali adaawat hai." Saans lene ke baad dushyant ne fir batana shuru kiya_____"Aur ye bhi ki har do maheene baad jay ke sath jo tum meharbaaniya karte the usse tum jay ki yaad daast waapan laane ki koshish kar rahe ho. Halaaki jay ko ek hi jurm me baar baar fasane wali tumhari wo meharbaaniya bilkul hi bachkana aur waahiyaat wali thi magar iske liye tumhe kaun samjhata...aur koi samjhata bhi to tab na dear jab ham me se koi tum tak pahuch pata. Khair itna kuch hone ke baad hamari samajh me ye aaya ki bina tum tak pahuche is maamle me koi baat nahi ban sakti hai. Is liye ham tumhari talash me lag gaye magar tum thahre ulti khopdi wale is liye tumne hamare sath game khelna shuru kar diya. Waise tumhare us game me maza to hame bhi bahut aa raha tha dear magar apne us maze ke chakkar me ham apni naukari to nahi gawa sakte the na.? Is liye kuch na kuch to karna hi tha hame magar tum the ki hamare dimaag ko ghan chakkar banane par tule huye the. Kyo ki jaise hi hame is baat ka andesha hua ki hamare police department ka koi aadmi tumhara khabri hai to pata nahi kaise tumhe bhi pata chal gaya ki hame is baat ka shak ho chuka hai. Bas fir kya tha ek din tumne khud hi apne khabri ko hamare saamne paros diya. Halaaki tumne jis shakhs ko khabri ke roop me hamare saamne parosa tha wo to sach me hi tumhara khabri tha magar hame aur hamare dear friemd yaswant ko us par zara bhi is baat ka yakeen nahi hua ki wo tumhara khabri ho sakta hai, fir bhi hamne tasdeek ke liye apne tarike se pata kiya. Hamara maanna tha ki bhanu jaisa imaandar aadmi agar mahkame se gaddari karega to wo zarur kisi majbhri me hi karega. Is liye jab hamne uski majburi ka pata lagaya to hame shuruaat me kuch pata na chala. Yaani ki hame uski koi majburi nazar hi nahi aayi. Wo to baad me hame pata chala ki tumne ghumane wala chakkar chalaya tha. Kahne ka matlab ye ki jab koi kisi ko is kadar majbur karta hai ki wo usi ke kahne par chale to zarur majbur karne wala uski family ko hi target karta hai jabki bhanu ki family to puri tarah safe thi. Iske baavjud hamare dear friend yaswant ko santusti nahi huyi to usne aur gahraayi se pata kiya aur tab pata chala ki bhanu ka koi bhatija tha jo bina maa baap ka tha aur boarding school me padhta tha. Usi ko tumne target kar ke bhanu ko majbur kiya tha. Bas hamne yaswant ke dwara uske bhatije ko surakshit kiya aur fir dubara bhanu se puchh taanch ki tab usne sach kabool kiya. Bhanu ne bhale hi sach kabool kar liya tha magar usse hame koi faayda nahi hua kyo ki tab tak tum apne khilaaf sare saboot mita kar khud ko safe kar chuke the."

"Ek to waise hi bheja fry tha hamara." Dushyant ne kuch der rukne ke baad fir se kahna shuru kiya_____"Dusre ham apni gule guljaar ki vajah se bhi tenson me pad gaye the jo ki hamari hi na samjhi ka nateeja tha. Khair ek din usi gule gulzar ki goodh baato se hamare aala dimaag ki batti roshan huyi aur tab hame ahsaas hua ki ab tumhara plan kya hai. Uski baat yakeenan vajandaar thi. Hamne bhi uski baato ke anusaar kaam karna shuru kar diya. Ek din hame hamari gule gulzaar ne bataya ki avinash yaani ki jay ko kamre me ghutan mahsoos ho rahi thi jiske liye wo chhat par taazi hawa lena chaah raha tha. Hame laga kahi iski yaad daast to nahi waapas aa gayi aur ye chhat par is liye jana chahta ho ki waha par dekh sake ki chhat se bhaagne ka koi jugaad ban sakta hai ki nahi.? Khair ham jay se mile to usne apni baato se bilkul bhi zaahir nahi hone diya ki uski yaad daast aa chuki hai. Wo to ek din hamne use kamre me chaadar ko faad faad kar uski rassi banate huye dekh liya aur fir hame uske dwara sunaayi gayi wo kahani yaad aa gayi jisme usne hame bataya tha ki kaise wo do saal pahle hospital se nikal kar bhaag aaya tha. Ham samajh gaye ki ye banda hame goli de raha hai. Bas fir kya tha....hamne fauran hi iska girehbaan pakad liya. Ab kyo ki ye chaadar ko faad faad kar uski rassi banate huye range haath pakda gaya tha is liye jaldi hi isne kabool kar liya ki iski yaad daast to usi accident ke chalte hi waapas aa gayi thi lekin isne apni yaad daast wali baat ko is liye chhupaya kyo ki ye apne sath huye anyaay ka khud hi badla lena chaahta tha. Hamare puchhne par isne hame apni saari kahani bataayi. Iski kahani sun kar hame ahsaas hua ki ham to kha ma kha hi ise villain samajhne lage the jabki ye to shuru se hi masoom aur begunaah raha hai. Hame iski kahani sun kar is par bada taras aaya pyare. Hamne ise samjhaya ki ye akele apne us shaatir bhai se badla nahi le sakta aur waise bhi ham ye nahi chaahte the ki badle me ye kuch aisa kar baithe jisse ye police ki nazar me mujrim ban jaye aur ise kanoonan saza mile."

"Tum samajh sakte ho pyare ki avinash yaani ki jay ke dwara uski sari kahani sunne ke baad hamare liye tum tak pahuchna kitna asaan ho chuka tha." Dushyant ne but bane khade vijay ki taraf dekhte huye kaha_____"Hamne plan banaya ki sab kuch waisa hi karte hain jaisa tumne soch rakha hai. Yaani ki plan ke anusaar jaise hi avinash yaani ki jay ka haath thik hoga to wo mauka dekh kar hamare yaha se bhaag niklega kintu yaha par hamne apne plan ke anusaar jay ke joote me ek transmitter chhupa diya jisse ki hame iski location ka pata chalta rahe. Tumhari soch ke anusaar ya fir ye kahe ki hamare plan ke anusaar jay pichhli raat ko mauka dekh kar apne kamre ki khidki se rassi ke dwara nikla. Waha maujud security walo ko hamne pahle hi samjha diya tha ki wo jay ko rokne ki koshish nahi karenge balki wo yahi darshayenge ki unhe jay ke nikalne ka pata hi nahi chala. Hamare samjhane par jay waha se nikla aur paidal hi andheri raat me nikal pada. Ab kyo ki uska safar bahut lamba tha is liye raat ke us wakt use kisi waahan ki zarurat yakeenan padti to hamne waqt ka andaza laga kar apne ek police ke aadmi ko tempo ke sath bhej diya. Use samjha diya tha ki wo ise ye na bataye ki wo police ka hi aadmi hai aur use hamne uski help ke liye bheja tha. Ham jaante the ki raat ke us waqt jay ke peeche peeche tumhare bhi aadmi lage honge lekin hame isse koi problem nahi thi. Kyo ki hame to mukhya target yaani ki tum tak pahuchna tha jo ki jay ke joote me chhupe transmitter ke jariye pahuch hi gaye. Ab bataao pyare kaisi rahi.?"

"Achha hua sahab ki aap yaha time par pahuch gaye." Sahsa thodi hi doori par kursi se bandhe adhed shakhs ne thodi tez awaaz me kaha_____"Warna ye mere bete ko maar hi daalta. Ye dono meri hi judwa aulaade hain magar dono ki fitrat me zameen aasmaan ka fark hai. Jaha mujhe apne ek bete par naaz hai wahi is dusre bete ke liye main yahi kahuga ki ise aisi saza dilwaiye ki ye kisi bhi janam me is tarah ke paap karne ka soche bhi nahi. Iski vajah se hamne aur gaav walo ne bahut kast sahe hain. Isne jay ki patni aur apni maa samaan bhabhi ke sath chhal kiya aur us masoom ki zindagi barbaad kar di. Itna hi nahi isne uske nirdosh mata pita ko bhi jaan se maar dala. Is par zara bhi raham na karna sahab. Isne zameen jaaydaad aur khazane ke liye sab kuch barbaad kar diya."

"Khazane ke liye.???" Dushyant ke maathe par shikan ubhri____"Ye kis khazane ki baat kar rahe hain aap.?"
"Ek aise khazane ki sahab." Us shakhs ne kaha____"Jise pane ki maine bhi kabhi koshish ki thi magar khazana to nahi mila ulta jeewan bhar ke liye apaahij ho gaya. Is sansar me jo cheez kisi ki hai hi nahi use bhala koi kaise pa sakta hai.? Main tum sabse yahi kahuga ki aise kisi bhi khazane ka lobh mat karo aur na hi uski khoj karo. Apni mehnat se jo milta hai wahi sabse anmol khazana hota hai."

"Aapne bilkul sahi farmaya chacha." Dushyant ne kahne ke sath hi kuch police walo ishara kiya. Jisse wo log aage badhe aur pedh par bandhi jay vijay ki maa aur saundarya ke bandhano ko khol kar unhe bandhano se mukt kar diya. Ek police wale ne us adhed shakhs ke bhi bandhan khol diye.

"Ab bataao pyare." Dushyant ne waapas vijay ki taraf palatte huye kaha____"Aakhir kya mila tumhe ye sab kar ke.? Apni zindagi ke itne saal tumne jurm aur paap karne me gawa diye aur last me tumhe mila kya.??? Isme koi shak nahi pyare ki tumhara dimaag kafi tez hai kintu agar tumne apne is tez dimaag ko kisi achhe kaam me lagaya hota to aaj tum ek achhe insaan kahlaate aur ye bhi ki tumhare apne mata pita tum par garv karte. Khair chhodo, bhala koi apni kismat ko kaise badal sakta hai.?" Kahne ke sath hi dushyant ne palat kar us police inspector ki taraf dekha jo yaha ka tha_____"Mr. Sharma aapne bataya tha ki aapko bhi is mujrim ki talash thi to lijiye haazir hai aapka mujrim. Waise ek baat kahna chahuga aur wo ye ki thoda dhang se duty bajaya karo. Aapka gubbare ki tarah nikla hua pet saaf batata hai ki aapko zyada mehnat karna pasand nahi hai warna kam se kam itna to kar hi sakte the ki aapke thaane me kisi file par iske naam ke sath sath iski photo bhi maujud hoti."

"Aap mazaak bahut achha karte hain mr. dushyant." Inspector sharma ne apni batteesi dikhate huye kaha aur fir usne apne sath aaye kuch police walo me se ek ko ishara kiya. Uske ishare par wo vijay ke paas aaya aur uske hatho me hathkadi laga di.

"Is neech aadmi ko aap aise nahi le ja sakte." Sahsa saundarya ki is gurraati huyi awaaz ko sun kar sab ke sab uski taraf palte. Saundarya ke hath me revolver maujood tha jise usne vijay ki taraf taan rakha tha. Saundarya ke hath me revolver dekh sab ke sab hairaan rah gaye. Usne sabki nazar bacha kar kuch doori par mare pade vijay ke aadmi ka revolver le liya tha.

"Ye tum kya kah rahi ho saundarya.?" Isse pahle ki koi kuch bolta jay ne usse kaha_____"Dekho main maanta hu ki isne tumhare sath hi nahi balki ham sabke sath bahut bura kiya hai jiske liye ise maaf nahi kiya ja sakta magar tum iske gande khoon se apne haath mat rango."

"Nahi jay." Saundarya ne karun bhaav se kaha_____"Main kisi ko ise le jane nahi dugi. Ye sabse zyada mera apraadhi hai. Isne mere sath chhal kiya aur mujhe apni biwi bana kar do saal tak meri ijjat ko luta. Main to yahi samajhti rahi ki main apne pati jay ke hi sath hu. Tumhari shakl surat ka isne faayda uthaya jay. Aaj jab mujhe iska sach pata chala to tum nahi samajh sakte ki mujh par kya guzar rahi hai. Mujhe aisa lag raha hai jaise main koi sabhya aurat nahi balki koi bazaaru aurat hu jo ek aise insaan ke niche har roz letti rahi jo mere mata pita ka hatyara tha aur jisne mere pati ka chola pahan rakha tha. Aaj mujhe jitni nafrat isse ho chuki hai usse kahi zyada nafrat aur ghin mujhe apne aapse ho rahi hai. Meri ijjat ko is tarah taar taar karne wale is gande naali ke keede ko main kisi bhi keemat par maaf nahi kar sakti."

Kahne ke sath hi saundarya ne kisi ke kuch bolne se pahle hi revolver ka trigger daba diya. Palak jhapakte hi revolver se nikli goli thodi hi door khade vijay ke seene me dhas gayi. Vijay ke halak se cheekh nikal gayi. Uske seene se khoon ki tez dhara bahne lagi. Kisi ko bhi saundarya se itni jaldi goli chala dene ki ummid nahi thi. Sab hakke bakke se rah gaye the. Sabko hosh tab aaya jab agle hi pal saundarya ek ke baad ek fire karti chali gayi. Vijay ke jism ke alag alag hisse par wo goliya sama gayi thi aur vijay kisi kate huye pedh ki tarah dard se tadapte huye lahra kar zameen par gir gaya. Vijay ke girte hi fiza me sannata chha gaya. Udhar kuch palo tak dard se tadapne ke baad vijay ki jeewan leela samaapt ho gayi.

"Ye tumne kya kar diya saundarya.???" Jay ki aankho se aanshu chhalak pade____"Maine mana kiya tha na tumhe ki is paapi ke gande khoon se apne haath mat rangna magar tumne meri baat ko ansuna kar diya."

Saundarya is wakt ek alag hi roop me nazar aa rahi thi. Uski aankho me nafrat gussa grina sab kuch tha. Uski saanse dhaunkni ki maanind chal rahi thi. Uske paas hi khadi sumitra aankhe faade use is tarah dekhe ja rahi thi jaise use shock lag gaya ho. Yahi haal kursi par baithe us adhed shakhs ka bhi tha. Jabki....

"Mujhe maaf karna jay." Saundarya ne sahsa dard me dube huye swar me kaha_____"Ab mujhe bhi is sansaar se jana hoga. Main tumhare laayak nahi rahi mere devta. Mera sab kuch is paapi ke chhune se barbaad ho chuka hai. Maine hamesha tumhe apne man mandir ka devta mana hai aur agle har janam me main tumhe hi apna devta maanugi."

"Nahi nahi." Saundarya ki baate sun kar jay ekdam se aartnaad sa kar utha_____"Tum aisa nahi kar sakti saundarya. Tum mujhe chhod kar kahi nahi jaaogi. Mere liye tum ab bhi ganga maiya ki tarah pavitra ho. Main tumhare bina kaise jiyuga. Bhagwan ke liye mujhe chhod kar mat jaao. Abhi to maine tumhe jee bhar ke dekha bhi nahi hai. Mujhe abhi tumse pyar ki bahut saari baate karni hain."

"Ye to tumhaari mahaanta hai jay." Saundarya ne chhalakte aanshuo ke sath kaha_____"Jo tum mujhe pavitra maan rahe ho magar main ab khud ko tumhare laayak nahi maanti. Meri to ab parchhaayi bhi daagdaar ho chuki hai. Yakeen maano ab mujh me lesh maatra bhi jeene ki khwaaish nahi hai. Main apne andar itne bade daag aur dukh ko liye nahi ji sakti. Meri aatma mujhe jhakjhor rahi hai. Agar mera pyaar sachcha hai to ishwar agle janam me fir se mujhe tumse milayega. Main ishwar se ja kar kahugi ki wo agle janam me mere sath kisi ko aisa chhal na karne de."

Saundarya ki baate sun kar jay ke sath sath uske mata pita bhi dukhi ho kar rone lage the. Idhar inspector dushyant ke sath sath baaki police wale bhi bhauchakke se saundarya ki taraf dekhte ja rahe the. Dushyant ne bhi saundarya ko is tarah apni jaan lene se mana kiya kintu saundarya kisi ki bhi baate sunne ke mood me nahi thi.

"Aisa mat karo saundarya." Jay uski taraf badhte huye hataash bhaav se bola_____"Main maanta hu ki jo kuch hua hai wo bahut hi galat hua hai magar iske baavjud main tumhe waise hi pyaar karta hu jaise do saal pahle karta tha. Mera pyaar tumhare shareer ke ganda ho jane se zara bhi kam nahi ho sakta. Is liye tum apne andar se ye sab baate nikaal do aur meri baaho me aa jaao saundarya. Main tumhe apni baaho me le kar tumhe jee bhar ke mahsoos karna chaahta hu. Kya tumhara dil nahi karta ki mere seene se lag jaao.?"

"Mujhe aisi baato se kamzor mat karo jay." Saundarya ki aankho se aanshu bah chale_____"Itna kuch hone ke baad ab jeene ki ichha hi nahi hai. Itna bada chhal aur itna bada daag mere daaman par lagne ke baad mujhme ab itni himmat nahi hai ki main kisi ko apna muh dikha saku. Main dua karti hu ki ishwar tumhe hamesha khush rakhe aur mujhse bhi zyada pyar karne wali tumhe ladki mile jisse tumhari shadi ho jaye. Mujhe is baat ka dukh hai ki jeete ji main apne devta ko chhu bhi nahi sakti. Mujhe maaf kar dena jay. Ab ja rahi hu main...alvida mere babu.!"

Kahne ke sath hi saundarya ne apni aankhe band kar li. Uski aankho se aanshuo ki dhara bah chali aur fir haath me li huyi pistol ko usne apni kanpati par rakh liya. Ye dekhte hi jay cheekhte huye tezi se uski taraf badha. Abhi wo saundarya se do kadam hi door tha ki saundarya ne revolver ka trigger daba diya. Dhaany se goli chali aur uski dusri kanpati me suraakh banate huye nikal gayi. Apne hi khoon me nahati huyi saundarya kate huye pedh ki tarah lahra kar dharti par girne lagi. Goli chalte hi fiza me kayi saari cheekhe goonj uthi thi aur udhar dharti par girti huyi saundarya ko jay ne apni baaho me bhar liya. Saundarya ke khoon se sane chehre ko dekhte huye wo foot foot kar rone laga. Uske mata pita bhi saundarya ke is tarah chale jane se rone lage the. Waha maujud baaki logo ko jaise lakwa sa maar gaya tha.

Saundarya ke bejaan jism ko thaame huye jay buri tarah roye ja raha tha aur jane kya kya bolta ja raha tha. Uski maa sumitra apne bete aur bahu ko is haalat me dekh kar but ban gayi thi. Fir jaise uski tandra tooti to wo bhaagte huye jay ke paas pahuchi aur rote huye use saantwana dene lagi.

Kafi der tak yahi aalam raha. Uske baad dushyant aur yaswant ne aage badh kar jay ko aur uske mata pita ko saantwana di. Aakhir kafi samjhane bujhane ke baad jay aur uske mata pita chup huye. Inspector sharma ne laasho ko waha se le jane ke liye apne sath aaye police walo ko laga diya.

Inspector dushyant ke sath sath yaswant aur vikrant ko bhi jay ke liye is baat ka dukh hua tha. Unhone khwaab me bhi nahi socha tha ki yaha aane ke baad aisa kuch ho jayega magar honi ko bhala kaun taal sakta tha.? Waha par padi baaki laasho ko police wale le gaye jab ki vijay aur saundarya ki bejaan laasho ko dushyant ke kahne par uski team ke police wale le kar chal diye. Mukhya sadak par aa kar dushyant ne dono laasho ko apni ek police jeep me rakhwaya aur jay ke sath sath uske mata pita ko apni car me baithaya. Uske baad sab log jay ke gaav Lohra ki taraf chal pade.

<>•<>•<>
 

TheBlackBlood

αlѵíժα
Supreme
78,222
113,744
354
BEGUNAAH
Last Update - 37
__________________________________



Dusre din inspector dushyant vikrant ke sath police head quarter pahucha. Waha par usne apne aala adhikariyo ko avinash urf jay ke maamle ke bare me saari baate vistaar se bataayi jise sun kar waha maujood sabhi aala adhikari hairaan rah gaye the. Unhe yakeen nahi ho raha tha ki avinash yaani ki jay ka koi judwa bhai tha jo uski hi shaklo soorat ka tha aur usne mahaj zameen jaaydaad aur khazane ke chakkar me ye sab kiya tha. Itna hi nahi balki usne apne bade bhai ki patni ko apni hawash ka shikaar banane ke liye apne bade bhai ki shakal soorat ka faayda utha kar use maarna chaha aur uski patni ko apna bana liya. Jay ki premika jo ki shadi ke baad uski patni ban gayi thi use bhi is baat ka pata na chal saka tha ki jiske sath usne do saal guzaare wo uska pati nahi balki pati ke roop me uske hi pati ka ham shakl bhai tha aur rishte me uska devar lagta tha.

Inspector dushyant aur sub inspector vikrant ke dwara avinash urf jay ki daastaan sun kar aala adhikariyo ke beech kaafi der tak is sambandh me baate hoti rahi uske baad dushyant aur vikrant apne adhikariyo ki ijaazat le kar waapas apne police station aa gaye. Vikrant ko police thane ke saamne utaar kar dushyant vidhi ke ghar aa gaya. Jaha par yaswant pahle se hi maujood tha aur wo vidhi aur pratiksha ke sath baitha baate kar raha tha.

"Gudiya dekh to ise." Dushyant ko dekhte hi yaswant ne pratiksha se kaha_____"Kaise iske chehre par baarah baje huye hain. Lagta hai head quarter me iske adhikariyo ne ise police ki naukari se bedakhal kar diya hai. Tujhe bhi aisa hi lagta hai na gudiya.?"

"Aap is baat me mujhe kyo shaamil kar rahe hain bhaiya.?" Pratiksha ne muskurate huye kaha_____"Aap jaante hain na ki jab aap dono ki baat aati hai to main aap dono me se kisi ka bhi paksh nahi le sakti."

"Are to tu mujhe ishare se hi bata de na gudiya." Yaswant ne muskurate huye kaha_____"Main samajh jaauga ki tera jawaab kya hai."
"Tu saale meri naukari ke peechhe kyo pada hai be.?" Dushyant ne yaswant ke baaju me ek mukka jadte huye kaha_____"Tujhe abhi pata hi nahi hai ki head quarter me kya hua hai. Waha jab maine jay ke maamle me apni veerta aur buddhimaani se bhari daastaan sunaayi to har aala adhikari meri taraf aise dekhne lage the jaise main hi james bond ka baap hu aur fir pata hai kya hua.? Sabke sab kahne lage ki meri padonnati kar ke mujhe SP bana dena chahiye. Bas fir kya tha sab ki yahi ichha thi is liye mujhe SP banane lage magar fir maine unhe iske liye mana kar diya. Kyo ki main nahi chaahta tha ki main SP ban jaau aur mera lagotiya yaar yaani ki tu maamuli sa sub inspector hi bana rah jaye. Beta tere liye maine SP ke pad ko thokar maar di. Mere is ahsaan ke liye to tujhe mere charno ko dho kar uska paani pi jana chahiye...kyo gudiya maine sahi kaha na.?"

Dushyant ki baate sun kar jaha yaswant ne bura sa muh bana liya wahi vidhi aur pratiksha khilkhila kar hasne lagi thi. Jabki unhe haste dekh dushyant yaswant ki taraf dekhte huye apni palke jhapkane laga.

"Gudiya ja andar se ek thaali le aa." Fir dushyant ne pratiksha se kaha_____"Aur ek lota paani bhi le aa. Ye mere pair dhoyega aur fir us paani ko pi kar mera ahsaan chukayega."
"Abe main tere sir ko usi lote me thoos duga samjhe." Yaswant ne aankhe dikhaate huye kaha_____"Bhabhi ji ke saamne meri ijjat ko mitti me mila raha hai...chhoduga nahi tujhe...dekh lena iska badla le kar rahuga main."

"Ab aap dono jhagadiye mat." Pratiksha ne kaha_____"Aur hame bhi bataaiye ki waha par kya kya hua.?"
"Kya isne tum logo ko bataya nahi.?" Dushyant ne aankhe sikodte huye kaha.
"Kaha bataya inhone." Pratiksha ne maayusi bhare bhaav se kaha_____"Ye jab se yaha aaye hain tab se bas faaltu ki baate hi karte rahe hain...haan nahi to."

"Tu meri gyaan dhyaan ki baato ko faaltu ki baate kah rahi hai gudiya.?" Yaswant ne aankhe failaate huye kaha_____"Mujhe tujhse ye ummid nahi thi. Haye aaj meri pyari si gudiya bhi mere khilaaf ho gayi."
"Dekha bhabhi aapne.?" Pratiksha ne vidhi ki taraf dekhte huye kaha_____"Ye dono aise hi hain. Ek to chaliye ab aapke hawale ho gaye hain kintu inka bhi ab kuch na kuch karna padega. Haan nahi to."

"Main sabke liye chaay bana kar laati hu." Vidhi ne muskurate huye kaha aur sofe se uth kar kitchen ki taraf chali gayi.
"Ye huyi na baat." Yaswant ne chahakte huye kaha_____"Jaldi se bana kar laaiye bhabhi aur haan aapki banaayi saari chaay main akela hi piyuga. Gudiya ko to main de duga lekin is namakool ko hargiz nahi duga."

Yaswant ki baat sun kar vidhi muskuraati huyi andar kitchen me chali gayi. Yaswant ki is baat par dushyant aur pratiksha bhi muskura uthe the. Khair thodi der me vidhi tray me sab ke liye chaay le kar aayi aur table par tray ko rakh diya.

"Tu kisi cup ko haath bhi nahi laga sakta samjhe." Yaswant ne dushyant ko ghudki dete huye kaha_____"Ye sari chaay main akele hi piyuga. Gudiya tu apne liye ek cup le sakti hai."
"Aur bhabhi.??" Pratiksha ne muskurate huye pucha.
"Haan unhe kaise mana kar sakta hu.?" Yaswant ne muskurate huye kaha_____"Aakhir unhone hi to banaayi hai to ek cup wo bhi le sakti hain lekin is shart par ki bhabhi apne cup ki chaay pahle khud piye aur fir is chotti chor ko bhi pilaye."

"Hehehe ye to kamaal ki shart hai aapki." Pratiksha ne haste huye kaha____"Lekin bhaiya aap aisi shart kyo rakh rahe hain.?"
"Kyo ki main in dono ka pyar apni aankho se dekhna chaahta hu." Yaswant muskuraya aur fir dushyant ki taraf dekhte huye bola_____"Ab agar tujhme himmat hai to ham sabke saamne bhabhi ke sath ek hi cup me chaay pi kar dikha."

Yaswant ki ye baat sun kar jaha vidhi sharma gayi wahi dushyant hairaani se yaswant ko dekhne laga. Idhar pratiksha to mare utsukta ke kah hi uthi____"Waah bhaiya ab to main bhi dekhugi ki bhaiya bhabhi kaise ek hi cup me chaay peete hain."
"Tum dono ko kuch sharam hai ki nahi.?" Dushyant ne aankhe dikhate huye kaha_____"Main aisa kuch bhi nahi karne wala samajh gaye na tum dono.?"

Dushyant ki baat par jaha vidhi ne chain ki saans li wahi pratiksha aur yaswant mayoos se ho gaye. Khair sab ne chaay pi, uske baad vidhi ke puchne par dushyant ne avinash yaani ki jay ki saari kahani bataai aur ye bhi bataya ki waha kya hua tha. Saari kahani sunne ke baad vidhi aur pratiksha hairaan rah gayi thi, khaas kar is baat se ki naqab wala jay ka judwa bhai tha aur wo apne bhai jay ka ham shakl tha. Jay ki patni saundarya ke bare me sun kar to wo dono aur bhi zyada hairaan huyi thi kintu ye jaan kar unhe bura bhi laga ki saundarya ne khud ko goli maar li thi.

"Badi ajeeb aur vichitra si kahani hai jay ki." Vidhi ne saari baate sunne ke baad kaha_____"Ham to bekaar me hi ye samajh rahe the ki jay ne apne past me yakeenan us naqab wale ke sath kuch bura kiya tha jiski vajah se wo jay ke sath ye sab kar raha tha. Jabki haqiqat to hamari soch se bhi pare nikli. Avinash yaani ki jay shuru se hi begunaah tha. Uska character to shuru se hi bahut nek vichaaro wala tha. Jabki uska chhota bhai ek chhata hua badmash tha jise rishto ki maan maryada se koi lena dena nahi tha."

"Kabhi kabhi aisa bhi hota hai ki ham bhale hi kisi ke sath kuch bura nahi kiye hote." Dushyant ne kaha_____"Iske baavjud hamare sath bura hota hai. Jay ne apne bhai ke sath kuch bhi bura nahi kiya tha kintu haan shayad uska gunaah ye tha ki wo jis saundarya naam ki ladki se pyar karta tha aur jisse uski shadi huyi thi us ladki ko uska chhota aur ham shakl bhai vijay bhi pasand karta tha...balki ye kahe ki wo saundarya ko apni hawash ka shikaar banana chaahta tha. Saundarya ke mata pita ne apni beti saundarya ki shadi jay se tay kar di thi. Vijay ko jab is baat ka pata chala to wo aag baboola ho gaya aur usne gusse me aa kar saundarya ke mata pita ko unke ghar ja kar goli maar di. Dusre din jab is baat ka pata jay aur saundarya ko chala to wo dono bahut dukhi huye. Wahi ek taraf vijay apne baap se kisi khazane ke bare me jaanna chaahta tha aur usne apne baap ko dhamki de rakhi thi ki agar usne pyar se use khazane ke bare me nahi bataya to wo uske bete aur bahu ko bhi jaan se maar daalega. Jay ko khazane ke bare me kuch pata nahi tha magar jab vijay ne saundarya ke mata pita ko maar dala to jay ka baap samajh gaya ki gusse me paglaya hua uska bigdail beta vijay kahi sach me na jay aur saundarya ko maar de is liye usne un dono ko gaav chhod kar kahi bhaag jane ko kaha. Apne pita ki baat sun kar jay ne pahle to kahi bhaag jane se mana kiya magar jab uske pita ne use apni kasam de di to use apne pita ki baat maanni hi padi kintu jay ne apne pita se bhi ye kaha ki wo bhi uski maa ko le kar kahi chale jaye. Apaahiz pita uski maa ko le kar bhala kaha jata.? Tab jay ne apne pita se kaha ki wo unhe Lohra ke jangal ke andar bane maa kali ke mandir me le jaayega. Jangal me sthit us mandir me koi nahi jata tha kyo ki wo mandir shaapit tha. Khair apne bete jay ki is baat ko uske pita ne maan liya aur fir jay saundarya ko ghar me hi rukne ka bol kar apne mata pita ko le kar lohra ke jangal me bane us mandir me le gaya. Idhar vijay us samay waha tha nahi kintu uske aadmiyo ke dwara use ye pata chal gaya ki uska bhai jay apne mata pita ko kahi le kar gaya hai. Apne aadmi ki baat sun kar vijay bahut gussa hua aur usne faisla kar liya ki wo jay ko jaan se maar daalega. Vijay apne ek khaas aadmi moorat ke sath us samay kahi baahar gaya hua tha kintu jay ke bare me apne aadmi se ye khabar sun kar wo use maarne ke liye chal pada tha. Raaste me vijay ke us khaas aadmi moorat ne use samjhaya ki gusse me use aisa nahi karna chahiye. Moorat ki baat maan kar vijay thanda to hua kintu wo is baat ko sahan nahi kar pa raha tha ki uske bhai ne uske man pasand shikaar saundarya ko apni patni bana liya hai. Tab moorat ne use iske liye samjhate huye ek tareeka bataya. Wo tareeka ye tha ki bhagwan ki kripa se un dono bhaiyo ki shaklo soorat ek jaisi hi hai is liye wo badi asaani se apne bhai jay ki jagah le sakta hai. Vijay ko moorat ki baat samajh me aa gayi. Usne to is bare me kabhi socha hi nahi tha ki saundarya badi asaani se uski ho sakti hai. Jab moorat ne use is bare me gahraayi se samjhaya to wo behad khush hua. Plan ke anusaar jay ko apne raaste se hata dena tha aur uski jagah khud ko fit kar dena tha. Jay ki jagah khud ko fit karne ke baad use apni fitrat ko bhi jay ki tarah bana lena tha. Vijay ke liye apni fitrat ko badalna mushkil to tha kintu namumkin nahi. Bas uske baad vijay ne isi plan ko anjaam dene ka socha aur chal pada jay ko maarne ke liye. Udhar jay apne mata pita ko jangal me surakshit karne ke baad unke liye kuch zaruri cheeze laane ke liye shahar ki taraf chal diya tha. Idhar jab vijay aur moorat plan bana kar chal diye to unhone apne aadmiyo ko hukum diya ki wo jay ko talash kare ki wo kaha hai. Vijay ke hukum par uske aadmi jay ki talash me lag gaye. Jald hi unhone jay ko khoj liya aur vijay ko bata bhi diya ki wo kaha hai. Apne aadmi ke dwara jay ke bare me pata chal jane par vijay ne apne aadmiyo se bol diya ki wo jay ko raaste me hi kidnap kar le aur kahi door le ja kar use jaan se maar daale. Vijay ke kahne par uske aadmiyo ne waisa hi kiya. Un logo ne jay ko raaste me hi kidnap kar liya aur use us jagah se aisi jagah le gaye jaha aas paas pahaad the aur un pahaado ke beech khadaano par kaam chal raha tha. Shaam ka waqt tha is liye us waqt waha khadaan me koi nahi tha aur agar koi raha bhi hoga to dikh nahi raha tha. Vijay ke aadmiyo ne jay ko wahi par pahle buri tarah mara peeta aur fir uchaayi se use neeche fenk diya. Jay ka kriya karm karne ke baad vijay ke aadmiyo ne vijay ko is bare me suchit kar diya ki un logo ne jay ko thikane laga diya hai. Apne bhai ko thikane lagane ke baad vijay khush tha kyo ki ab wo jay ki jagah lene wala tha aur saundarya ab uski patni ban kar uske sath hi rahne wali thi. Kintu use abhi apne maa baap ko bhi khojna tha kyo ki use apne baap se khazane ka pata jaanna tha. Is liye usne apne aadmiyo ko fir se kaam par laga diya. Uske aadmiyo ne uske maa baap ko har jagah khoja magar wo unhe kahi na mile. Is baat ka pata jab vijay ko chala to wo chinta me pad gaya. Use pahli baar ahsaas hua ki usne jay ko jaan se marwa kar bahut badi galti kar di hai. Uske aadmiyo ne use bataya tha ki jay mata pita ko le kar ghar se kahi gaya tha. Us waqt use ye andaza nahi hua tha ki uska bhai uske mata pita ko usse bachane ke liye unhe surakshit karne le ja raha tha warna wo apne aadmiyo se kah deta ki wo jay ka peecha kare. Vijay ko apni galti ka ahsaas hua aur fir jane kya soch kar wo moorat aur apne kuch aadmiyo ke sath us jagah gaya jaga par uske aadmiyo ne jay ko maar kar fenk diya tha. Din nikal chuka tha aur suraj upar chadh chuka tha. Vijay jab us jagah pahucha to usne dekha ki jay apne hi khoon me sana hua zameen par achet awastha me pada tha. Apne bade bhai ke us lahu luhaan jism ko dekh kar ek pal ke liye bhi use dukh nahi hua balki wo jaldi se aage badha aur jay ke hath ki nabj tatolne laga. Ummid ke vipreet jay ki nabj use chalti huyi mahsoos huyi. Ye dekh kar wo khush ho gaya. Usne fauran hi apne aadmiyo se kaha ki wo jay ko kisi aisi jagah par le chale jaha dusra koi na ho. Vijay ke hukum par uske aadmi jay ke lahu luhaan jism ko le kar chal diye aur fir aisi jagah pahuche jaha jangal ke beech ek puraani si imaarat nazar aa rahi thi. Paas se dekhne par pata chala ki wo imaarat kisi zamane me hospital hi thi. Us hospital me paaglo ka ilaaz kiya jata tha. Khair wo log jay ko us jagah le kar aaye aur ek kamre ko achhi tarah se saaf kar ke jay ko us jagah rakh diya. Vijay ke kahne par uske aadmi kahi se ek doctor bhi le aaye jo jay ke ilaaz ke liye tha. Vijay ke kahne par doctor ne jay ka ilaaz shuru kar diya. Teen din baad jab jay ko hosh aaya to pata chala uski yaad daast ja chuki hai. Doctor ne ye baat vijay ko bataayi to wo ye soch kar chinta me pad gaya ki ab jay se use ye kaise pata chalega ki usne uske mata pita ko kaha chhupa kar rakh diya hai. Vijay ke liye ye ek nayi problem khadi ho gayi thi kintu ab wo bhala kya kar sakta tha.?"

"Wahi dusri taraf." Saans lene ke baad dushyant ne fir se batana shuru kiya_____"Vijay ne khud ko jay ki jagah par fit kar liya tha. Shuruaat me uske liye thodi mushkil huyi aur dar bhi laga magar usne apne character ke vipreet badi dakshta se kaam liya tha. Saundarya ko usne bhanak tak na lagne di ki wo uska pati jay nahi balki uska devar vijay hai. Plan ke anusaar wo saundarya ko gaav se le kar dusri jagah aa gaya tha. Wo shuruaat me saundarya se bahut kam bolta tha aur jab saundarya usse is bare me kuch kahti to wo yahi kahta ki wo halaato ki vajah se thoda dukhi hai is liye uska kisi cheez me man nahi lag raha hai. Moorat ne badi samajhdaari se use har chhoti se chhoti cheez ki baarikiyo ko batate huye samjhaya tha. Jay ke character me use khud ko dhaalna tha is liye wo saundarya ke zyada kareeb nahi jata tha. Uske liye faayde wali baat ye thi ki us waqt halaat bhi aise ban gaye the ki sab kuch waisa hi hota zaahir hona tha jaise ki aisi situations me aam insaan ka ravaiya ban jata hai. Khair ab wo dohri zindagi jeene laga tha. Ek taraf wo saundarya ke liye uska pati jay bana hua tha aur dusri taraf wo apne asli kirdaar me jay ka ilaaz karwa raha tha. Moorat uska khaas aadmi tha aur usi ke kahne par wo jay se milne hospital gaya. Ab plan ye tha ki yaad daast ja chuke jay ko ye batana tha ki wo uska apna sambandhi hai, taaki jay ko maansik roop se koi takleef na ho. Uske baad plan ke anusaar wo jay ko apni ek khaas jagah par tab tak rakhta jab tak ki uski yaad daast waapas na aa jaye. Moorat ka kahna tha ki jay ko yakeen dilaane ke liye use koi naam bhi dena hoga aur koi aisa proof bhi jis par wo yakeen kar sake. Iske liye moorat ne ek aisa adhaar card kahi se le kar aaya tha jisme naam to avinash likha tha magar us adhaar ke numbers aur uski photo ghisi huyi thi. Hospital me jab jay ko hosh aaya to vijay apne chehre par daadhi moonch laga kar jay ke saamne gaya aur use avinash kah kar pukara. Moorat ke kahne par us adhaar card ko vijay ke ek aadmi ne pahle hi ek aise bag me rakh diya tha jise wo jay ke liye hi khareed kar laaye the aur us bag me uske un kapdo ko bhi daal diya tha jo khoon se sane huye the. Ab kyo ki jay ki yaad daast ja chuki thi is liye jab vijay ne use avinash kah kar pukara to use yahi laga ki uska naam avinash hi hai. Khair us din to kuch khaas nahi hua kintu kuch dino baad vijay ke tab hosh ud gaye jab use ye khabar mili ki jay us hospital se bhaag nikla hai. Is khabar se vijay buri tarah baukhla gaya tha. Uske man me ye khayaal ubhra ki kahi uske bhai ki yaad daast waapas to nahi aa gayi.? Is khayaal se wo buri tarah hil gaya aur apne aadmiyo ko jay ki talash me laga diya. Vijay ke aadmi har jagah jay ko khoj rahe the magar jay unhe mil nahi raha tha. Aakhir do maheene baad vijay ke aadmiyo ne jay ko khoj hi liya aur unhe ye bhi pata chal gaya ki jay ke dimaag ki batti gul hai. Vijay ke liye ye achhi khabar thi kintu usne jay ko fir se kidnap karwane ka irada nahi kiya. Balki use pareshaan karne ke liye kuch aur hi socha. Shuruaat me jay ko apni yaad daast jane se bahut taklif huyi. Wo dar dar bhookh se idhar udhar bhatakta raha tha. Fir ek hotel me use bartan aur jhaadu ponchha karne ka kaam mil gaya. Vijay ke aadmi har roz door se use dekh kar chale jate the. Hotel ke maalik ki meharbaani se jay ko rahne ki jagah mil gayi jisse uski taklife thodi kam ho gayi magar jay ke liye vijay ne kuch aur hi soch rakha tha. Jis jagah jay rah raha tha waha ke bare me vijay ko uske aadmiyo ne pahle hi bata diya tha aur khud vijay bhi dekh chuka tha. Ek raat wo chhat ke raaste ghar me ghusa aur waha par badi saawdhani se ek kamre me rakhi aalmari ko khol kar usme rakhe gahne jewar churaye. Churaye huye gahno ko le kar wo jay ke kamre ke paas pahucha. Jay ka kamra andar se band tha kintu khidki khuli huyi thi. Vijay ne khidki se dekha jay kamre ke farsh par bina kuch bichhaye hi so raha tha. Use sota dekh vijay ne un gahno ko darwaze ke niche se kamre me pahucha diya. Uske baad wo waapas aaya aur ek dusre kamre ke paas aaya. Darwaze ko andar ki taraf dhakela to wo khul gaya. Kamre ke andar bed par ek aurat so rahi thi. Vijay ne use gaur se dekha aur fir bekhauf aage badh kar bed par chadh gaya. Vijay ka irada us aurat ki ijjat lootne ka nahi tha balki sirf uske sath zor zabardasti ka naatak karne ka tha aur yahi usne us aurat ke sath kiya. Pahle to wo aurat buri tarah dar gayi aur fir jab vijay uske sath zor zabardasti karne laga to usne shor machana shuru kar diya. Aurat ki cheekhe sun kar ghar ke sab log jaag gaye aur us aurat ke kamre ki taraf daude. Vijay ko jaise hi andaza hua ki ghar ke log jag gaye hain aur uski taraf hi aa rahe hain to wo fauran hi waha se bhaag nikla. Usne sabko apni shakl achhe se dikha di thi aur fir bhaagte huye wo jidhar se aaya tha wahi se furr ho gaya. Idhar ghar ke logo ne kyo ki uski shakl dekh li thi is liye wo yahi samajhe the ki aisi ghatiya harkat karne wala unka hi kirayedaar hai. Gusse me paglaye huye wo jay ke kamre me pahuche aur darwaze ko peetna shuru kar diya. Kamre ke andar gahri neend me soya pada jay hadbada kar uth baitha. Baahar ka shor aur darwaze ke peete jane se use khuch samajh me nahi aaya kintu usne darwaza zarur khol diya. Darwaza khulte hi jaise uske upar aafat toot padi. Ghar ke logo ne use bura bhala kahte huye pahle to khoob mara peeta aur fir phone kar ke police ko bula liya. Police aayi aur usne jay ko pakad liya. Jay ke kamre me hi darwaze ke andar ek taraf pade gahne pade mile to us par chori ka ilzaam bhi lag gaya. Uske baad police jay ko thane le gayi jaha par uski achhi khaasi kutaayi huyi. Bechare jay ko last tak samajh nahi aaya ki uske sath ye kaise ho gaya tha. Police ki maar ke baavjud wo yahi kahta raha ki usne koi apraadh nahi kiya hai magar uski baat bhala kaise koi maan leta jabki ghar ke sab logo ne saaf dekha tha ki unke ghar ki aurat ke sath zor zabardasti karne wala wahi tha aur usi ke kamre me unke chori kiye gaye gahne bhi mile the. Khair uske baad vijay uske sath har do maheene baad yahi karne laga aur jay ko is tarah se fasa kar uska jeena haraam karta raha."

"Sach hi to tha." Ek gahri saans lete huye vidhi ne kaha_____"Us ghar ke log bhala ye kalpana kaise kar sakte the ki jis par wo aarop laga rahe the wo asal me begunaah tha aur asal gunahgaar ek aisa shakhs tha jo uski hi shakl ka uska koi apna tha."

"Aapne bilkul theek kaha bhabhi." Pratiksha ne kaha_____"Us avinash ke sath to sach me bahut bura hua tha. Uska bhai mujhe mil jaye to main uska chehra noch daalu...haan nahi to."
"Ab wo tujhe apna chehra nochwane ke liye nahi milega gudiya." Yaswant ne muskurate huye kaha_____"Kyo ki saundarya ne goli maar kar use yamlok bhej diya hai aur fir usne khud ko bhi goli maar li. How sad na.?"

"Lekin bhaiya." Pratiksha ne sochne wale andaaz se kaha_____"Agar saundarya ne goli maar kar us vijay ko maar dala hai to fir ye baate aapko kaise pata chali.?"
"Very good question." Dushyant ne kaha_____"Iska jawaab ye hai ki mujhe ye sab baate vijay ke us khaas aadmi se pata chali hain jiska naam moorat tha. Halaaki waha par maujood vijay ke lagbhag sabhi aadmi mare gaye the kintu moorat bada shakht jaan tha. Vikrant ke dwara use bhi goli lagi thi kintu goli uske pet ke bilkul kinaare par lagi thi jisse uski maut nahi huyi. Inspector sharma use giraftar kar ke apne sath le gaya tha. Ham log jay ke gaav gaye the aur waha se fir inspector sharma ke thane gaye jaha par hamne moorat se saari baate puchhi to usne hame sab kuch vistaar se bataya."

"Ohh to aapne us moorti se." Pratiksha ne muskurate huye kaha____"Mera matlab hai ki us moorat se pucha nahi ki vijay har baar avinash ko ek tarah ke hi jurm me kyo fasata tha.?"
"Uska yahi kahna tha ki vijay aisa is liye karta tha taaki jay har baar apne upar lage ek hi tarah ke aarop se buri tarah aahat ho." Dushyant ne kaha_____"Dusre wo use is baat ki saza deta tha ki usne saundarya ko apni patni bana liya tha. Halaaki jay ke jane ke baad bhale hi vijay saundarya ke sath jay ban kar rahta tha magar haqiqat me to wo vijay hi tha na. Saundarya ke saamne use jay jaisa banna padta tha aur is baat ka khayaal rakhna padta tha ki uski kisi galti se saundarya ko pata na chal jaye ki wo uska pati jay nahi hai."

"Bada ajeeb aadmi tha ye vijay." Pratiksha ne bura sa muh banate huye kaha_____"Mujhe to pura ka pura paagal hi lagta hai wo. Haan nahi to."
"Main ye soch rahi hu ki kya saundarya ko kabhi bhi is baat ka aabhaas na hua hoga." Vidhi ne kaha_____"Ki jise wo apna pati jay samajh rahi hai wo uska pati nahi balki uska devar vijay hai.? Aakhir wo aur jay dono hi ek dusre ko pahle se jaante the aur ek dusre ko pyaar bhi karte the. Fir use ye aabhaas kaise na hua ki uske sath rahne wala shakhs uska pati nahi balki pati ka bhesh banaye uska apna hi devar hai. Itna to use bhi pata tha ki jay aur vijay dono hi judwa bhai hain aur dono ki hi shakl hubahu ek dusre se milti hai to kabhi na kabhi to uske zahen me ye vichaar aane hi chahiye the."

"Mere man me bhi is bare me yahi khayaal ubhre the." Dushyant ne kaha_____"Aur maine moorat se is bare me sawaal bhi kiya tha, tab usne bataya ki is maamle me vijay ko usne bahut hi zyada saawdhaani baratne ko kaha tha aur wo aisa karta bhi tha. Kahne ka matlab ye ki vijay zyadatar saundarya se door hi rahta tha. Saundarya ke har sawaal ka uske paas uchit jawaab taiyar rahta tha. Usne saundarya ko saaf shabdo me bata diya tha ki uske yaani ki jay aur saundarya ke sath jo kuch bhi vijay ne kiya hai uska wo badla le kar rahega. Uske liye wo vijay ki tarah hi aadmiyo ko ikattha karega aur fir vijay se mukaabla karega. Wo saundarya ke sath jay ban kar rahta tha aur jay ke roop me wo usse waisi hi baate karta tha jaisi ki aisi situation me jay khud karta. Iske liye wo kayi kayi dino tak saundarya se door rahta tha aur agar saundarya usse is bare me kuch kahti to wo jay ke roop me usse yahi kahta ki wo ye sab vijay se badla lene aur khud uske mata pita ka badla lene ke liye kar raha hai. Wo kayi kayi dino tak is liye usse door rahta hai kyo ki wo vijay ki tarah hi khud ko majboot banane ke liye aadmi ikattha kar raha hai. Wo saundarya se hamesha yahi kahta ki ek din sab kuch theek ho jayega aur sab kuch theek hone ke baad wo befikra ho kar uske sath apne gaav ja kar jeewan bitayega. Saundarya uski aisi baato se bhala ye kaise sochti ki wo jay nahi balki jay ke roop me vijay hai.? Guzarte waqt ke sath vijay ke liye bhi sab kuch asaan hota gaya aur saundarya ne bhi kabhi ye nahi socha ki uske sath rah raha insaan kitna bada bahrupiya hai. Vijay ne apne aadmiyo ko bhi bol rakha tha ki wo jab bhi use phone kare to wo use jay naam se hi pukare. Saundarya ke saamne vijay ka har aadmi vijay ko jay bhai hi bolta tha. Agar kabhi vijay saundarya ko apne sath le kar apne aadmiyo se milne jata to wo apne aadmiyo ko pahle hi ishara kar deta ki saundarya ke saamne galti se bhi koi use vijay bhai na bole. Uske baad wo saundarya ke saamne apne aadmiyo se waise hi lahje me baate karta jaise ki aisi paristhitiyo me jay khud karta. Saundarya aur jay ka pyaar zyada samay ka nahi tha balki shadi ke ek maheene pahle hi dono ke ghar walo ne unki shadi ki baat chalaayi thi. Asal me saundarya ke pita aur jay ke pita door ke rishtedaar the. Dono ka ek dusre ke gaav me aana jana tha jisse kayi baar dono ne ek dusre ko dekha tha kintu seedha saadha jay kabhi apne dil ki baat saundarya se kah nahi paaya tha. Uske baad jab dono ko pata chala ki dono ke ghar walo ne un dono ka rishta pakka kar diya hai to wo chori chori milne lage. Saundarya ko jay ka saral aur sachcha swabhaav bha gaya tha jisse wo use kuch hi mulaqaato me premika ki tarah chaahne lagi thi. Dusri taraf saundarya apne naam ki hi tarah sundar thi aur jay uski sundarta par mar mita tha. Dono ke beech panap uthe prem ke bare me vijay ko pata chala to wo bhi saundarya ki surat dekhne nikla aur jab usne saundarya ko dekha to uske man me yahi khayaal aaya ki ye uske siva kisi aur ki nahi ho sakti. Usne iske liye direct saundarya ke mata pita se bekhauf ho kar baat ki magar saundarya ke mata pita ko vijay ka lahja bilkul bhi pasand nahi aaya. Waise bhi wo jay ke sath apni beti ki shadi pakki kar chuke the is liye vijay se apni beti ki shadi karne ka sawaal hi nahi khada ho sakta tha. Saundarya ke mata pita ne jab vijay ko inkaar kar diya to vijay ne unhe dhamki di ki agar wo apni beti ki shadi uske bhai jay se karenge to ye unke liye achha nahi hoga. Ghar aa kar vijay ne apne mata pita se bhi is bare me baat ki magar uske mata pita ne use iske liye saaf mana kar diya, upar se uske bigde huye swabhaav ke liye laanat bhi bhej di thi. Vijay ko jab har jagah se nakamiya mili to wo behad gussa hua aur us din to uske andar gusse ka dawanal hi dhadhak utha jab usne saundarya ko apne bhai jay ki dulhan ban kar ghar aate dekha tha. Wo gusse me paglaya hua saundarya ke gaav gaya aur waha par uske mata pita ko goliyo se bhoon diya."

"Achha hua ki aise insaan ko us saundarya ne goli maar di." Pratiksha ne kaha_____"Aise insaan ko zinda rahne ka koi haq nahi hai. Haan nahi to."
"Ye sab to thik hai." Vidhi ne sochne wale bhaav se pucha____"Lekin us saundarya ko baad me pata kaise chala ki jise wo pati samajh rahi thi aur jiske sath usne do saal uski patni ban kar guzaare wo uska pati jay nahi balki uska devar vijay hai.?"

"Moorat ko bhi vijay ne hi bataya tha ki saundarya ko uska sach pata chal gaya hai." Dushyant ke bolne se pahle hi yaswant ne kaha_____"Asal me vijay ki galti se hi saundarya ko sach ka pata chala. Moorat ne hame bataya ki jab vijay ke kahne par usne apne aadmiyo ko us din jay ka peecha karne ke liye lagaya tha to uske aadmi jay ka peechha karte huye Lohra ke us jangal me pahuch gaye jaha par unhone jay ke sath sath jay ke mata pita ko bhi dekha. Tab un logo ne moorat ko phone kar ke bataya aur moorat ne phone kar ke vijay ko bataya. Vijay us waqt apni car me saundarya ke sath tha. Jab uske paas moorat ka phone aaya to moorat ne bataya ki jay aur uske mata pita lohra me hain. Moorat se lohra naam sun kar vijay ke mukh se bhi bhoolvas lohra naam nikal gaya jise saundarya ne sun liya tha."

"Baat kuch samajh me nahi aayi bhaiya." Pratiksha ne apna sir khujate huye kaha_____"Is lohra naam me aisa kya tha jise vijay ke mukh se saundarya ne sun liya tha aur fir use kaise ye pata chal gaya ki wo jiske sath hai wo uska pati jay nahi balki vijay hai.?"

"Lohra ka zikra mahatwapoorn is liye hai gudiya kyo ki lohra ke jangal me jo kaali ka mandir tha." Yaswant ne kaha_____"Us mandir me jay chori chhupe aksar jaya karta tha aur ye baat usne saundarya ko bhi bataayi thi. Kaali maa ka wo mandir shaapit tha is liye waha koi nahi jata tha. Jab moorat se vijay ne lohra ka naam suna to uske mukh se bhi lohra nikal gaya aur wo soch me pad gaya tha. Saundarya ko vijay ka is tarah se sochna thoda atpata laga aur fir usne ye soch kar hairaani se jay bane vijay ki taraf dekha ki wo lohra ka naam sun kar itna sochne kyo laga hai jabki use to lohra ke us pandir ke bare me pahle se hi pata hai. Idhar saundarya ko apni taraf is tarah hairaani se dekhta dekh jay bane vijay ko laga ki uska bhed khul gaya hai is liye usne fauran hi saundarya ko behosh kar diya. Halaaki dekha jaye to vijay ne aisa kar ke khud hi apna bhed khol diya tha aur rahi sahi kasar tab puri ho gayi jab adde par pahuch kar usne behosh saundarya ko bhi jay aur uske mata pita ke bagal me pedh par baandh diya tha."

"Oh iska matlab." Vidhi ne gahri saans lete huye kaha_____"Itna bada shaatir dimaag rakhne wala vijay last me apni hi bachkana harkat ki vajah se apna bhed saundarya ke saamne khol baitha."
"Koi kitna hi bada shaatir ho bhabhi." Yaswant ne kaha_____"Usse bhi kabhi na kabhi aisi galti ho hi jati hai jiski vajah se uska sara khel palak jhapakte hi bigad jata hai. Yaha par ham agar is sabko ek dusre tareeke se soche to bahut kuch nazar aayega. Maan lijiye ki jay ko ham police walo ka sath na mila hota to kya hota aur ye bhi maan lijiye ki agar vijay ne saundarya ke saamne wo bachkaani harkat na ki hoti to kya hota.? Hota ye ki sambhav hai vijay saundarya ko apne sath apne adde par le kar hi na jata aur udhar jay ko pakad kar wo uska kriya karm kar deta. Uska baap uske laakh puchne par bhi agar use khazane ka pata na batata to wo zyada se zyada unhe maar daalta. Uske baad wo waapas aata aur saundarya ke sath jay ban kar apni zindagi jeene lagta."

"Baat to aapki theek hai bhaiya." Pratiksha ne kaha_____"Lekin sochne wali baat hai ki aapke anusaar agar vijay itna kuch karta to kya uske dwara kiye gaye aise karm kaand ka pata police ko na chal paata aur kya police iske liye kuch na karti.? Mujhe to lagta hai ki aapne police ko bilkul hi nakara samajh liya hai. Haan nahi to."

"Hamare jaise police wale hote to zarur kuch karte gudiya." Yaswant ne muskurate huye kaha_____"Magar waha ke police inspector sharma ko dekha hai hamne. Wo gubbare ki tarah apna pet fulaye araam se kursi par sota rahta hai. Vijay jaise khatarnaak mujrim ki uske thane me kahi koi file maujood nahi hai. Isse to yahi saabit hota hai ki vijay ye sab karne ke baad saundarya ke sath chain ki zindagi hi jeeta."

"Chalo ab ye bak bak band karo." Dushyant ne kaha_____"Kitna bolte ho tum log."
"Tujhse zyada bak bak koi nahi karta samjhe.?" Yaswant ne muskurate huye kaha_____"Achha ab ye bata ki vidhi ji ko tu officially meri bhabhi banane ka muhoorat kab nikalwayega.?"

Yaswant ki baat sun kar dushyant ne vidhi ki taraf dekha aur fir aankho se koi ishara kiya jisse vidhi sharma gayi. Vidhi ko is tarah sharmate dekh jaha yaswant muskura utha wahi pratiksha muskurate huye bade pyaar se vidhi ke sath side se chhupak gayi.

<>•<>•<>

👉👉👉 THE END 👈👈👈
 

DARK WOLFKING

Supreme
15,534
31,895
244
BEGUNAAH
Update - 31
_________________________


Ab Tak,,,,,

Jai ne saundarya ko short me sab bata diya. Sari baate sun kar saundarya kuch der tak jane kya sochti rahi fir boli______"Kahi uski vajah se hame ye jagah to nahi chhodni padegi jai.?"
"Nahi aisi koi baat nahi hai." Jai ne mobile me ek sim card daalte huye kaha______"Hame iske liye chinta karne ki koi zarurat nahi hai. Main uski jagah par dusra aadmi lagwa duga. Tum to janti ho ki inspector ki khabar rakhna mere liye zaruri hai. Khair abhi main ek zaruri kaam se baahar ja raha hu. Ab shaam ko hi aauga. Tum apna khayaal rakhna."


Jai ki baat sun kar saundarya ne haan me sir hila diya. Jabki jai suitcase ko lock karne ke baad use ek jagah rakha aur fir saundarya ke ras bhare hotho ko badi lajjat se choomne ke baad kamre se baahar nikal gaya. Uske baahar jane ke baad saundarya ne mukhya darwaza andar se band kar liya.


Ab Aage,,,,,

Inspector dushyant wapas police station pahucha. Thane me aate hi usne vikrant ko apne cabin me bulaya. Aate waqt usne hawaldar bhanu ko chaay lane ko kah diya tha. Vikrant kuch hi der me dushyant ke cabin me dakhil hua to dushyant ne use apne samne table ke us paar rakhi kursi par baithne ka ishara kiya.

"Ab batao pyare." Vikrant ke baithte hi dushyant ne uski taraf dekhte huye kaha_____"Kuch pata chala uske bare me.?"
"Pata to chala sir." Vikrant ne kaha______"Magar koi faayda nahi hua. Aapne jis jeep ka number diya tha uski maine khud talaash shuru ki to kareeb aadhe ghante me wo jeep nehru marg se kareeb 2km ki doori par lawarish khadi mili. Uske baad maine RTO se pata kiya to pata chala ki wo jeep kisi atul chandani ke naam registered thi. Atul chandani ke yaha jab main gaya to usne bataya ki wo kiraye par gaadiya deta hai aur us number wali jeep ko usne mangat singh naam ke ek aadmi ko kiraye par diya tha. Atul ne mujhe apna register dikhaya jisme mangat singh naam se ek aadmi ka naam pata aur uska mobile number tha. Register me maujud mobile number par jab maine phone kiya to pata chala ki wo number switch off hai. Uske baad maine diye gaye pate par mangat naam ke aadmi ki talaash ki to pata chala ki usne jo pata likhwaya tha wo bhi farzi tha. Maine atul chandani se mangat ka koi ID proof dikhane ko kaha to wo bagle jhaankne laga. Matlab ki uske paas uska koi ID proof nahi tha. Uska kahna tha ki mangat ne use bataya ki uska ID proof uske batuye me tha jo ki do din pahle chori ho gaya tha. Khair uske baad maine atul chandani se mangat ka huliya pucha to usne kisi tarah mangat ka huliya batate huye sketch banwaya. Mangat ka sketch banne ke baad hamne apne crminal data base par dekha to pata chala ki mangat ka koi criminal record nahi hai. Abhi tak ki report ye hai sir ki mangat ka kahi bhi pata nahi chal saka hai. Halaaki uski talaash abhi bhi jaari hai."

"Us waqt jab wo hame goli de gaya tha." Dushyant ne gahri saans lete huye kaha_____"Tabhi ham samajh gaye the dear ki ab uske bare me pata chalna mushkil hi hai. Khair chhodo aur ye bataao ki tumne mangat ke mobile number ka phone record nikalwaya ya nahi.?"

"Wo to nikalwana hi tha sir." Vikrant ne kaha______"Waise to mobile number bhi bina ID proof wala hi tha uska kintu call record se pata chala ki usne pichhle ek hapte me sirf teen hi logo se alag alag time par baat ki thi. Ek hapte ke pahle ka koi call record nahi hai. Iska matlab ye hua ki usne ek hapte pahle hi wo number liya tha. Khair jin teen numbers par usne baat ki thi wo teeno number bhi is waqt switch off hain. Iska to yahi matlab hua sir ki use jaise hi pata chala ki aap uska picha kar rahe hain tabhi usne sabse pahle yahi kaam kiya ki usne un teeno numbers walo ko apne pichha kiye jane ke bare me bataya aur fir usne apna number band kar diya. Uske sath hi wo teeno number bhi band kar diye gaye. Matlab saaf hai sir ki ye log bahut hi shaatir kism ke log hain."

"Apni ab tak ki service me." Dushyant ne kaha______"Hamne aaj tak aise shaatir mujrim nahi dekhe pyare. Badi hairat ki baat hai ki agar unse kahi par thodi si bhi chook ho jati hai to wo log apni us chook ko jad se is tarah mita dete hain ki un tak fir koi pahuch hi nahi sakta."

"Isse ek baat aur saabit ho jati hai sir." Vikrant ne kaha_____"Aur wo ye ki naqab wala akela nahi hai. Yaani uske under me kaam karne wale ya fir ye kahe ki uska sath dene wale ek do nahi balki kayi saare log hain. Sabse badi baat ye ki uska aadmi khud hamare hi department me maujud hai jiska ham aaj tak pata nahi laga paye."

"Ye to sarasar ham par laanat bhejne wali baat ho gayi hai pyare." Dushyant ne kaha_____"Khair bakre ki amma kab tak khair manayegi. Kisi bhi insaan ke sitare hamesha hi gardish nahi karte rahte balki ek din uske sitaaro par grahan bhi lagna shuru ho jata hai. Bahut jald uske sitaro par bhi grahan lagega dear."

Vikrant abhi kuch kahne hi wala tha ki tabhi cabin me hawaldar bhanu singh chaay le kar daakhil hua. Andar aate hi usne table par chaay se bhare do kaanch ke glass rakh diye. Uske baad wo chup chaap palta aur cabin ke baahar ki taraf jane laga.

"Aur bhanu pyare." Bhanu singh cabin ke darwaze ke paas pahucha hi tha ki peeche se dushyant ki awaaz sun kar ruk gaya. Jabki dushyant ne kaha_____"Kya haal chaal hain tumhare.?"
"Ji haal chaal thik hi hain sahab ji." Bhanu singh ne palat kar bade adab se kaha.

"Tum shayad hamse naraaz ho dear." Dushyant ne uski taraf dekhte huye kintu muskura kar kaha____"Agar aisa hai to ye bahut hi galat baat hai. Tum achhi tarah jante ho ki ham tumhe kitna pasand karte hain. Fir bhi agar tumhe lagta hai ki hamse koi galti huyi hai to kaho ham tumse maafi maag le."

"Nahi nahi sahab ji." Bhanu singh ekdam se hadbada gaya, fir khud ko samhaalte huye bola______"Aisi koi baat nahi hai. Aapse bhala koi galti kaise ho sakti hai.?"
"To fir itne gumsum kyo rahte ho dear.?" Dushyant ne chaay ki chuski lete huye kaha_____"Ham chaahte hain ki hamara bahadur aur sabse zyada imandaar bhanu singh waise hi hasta muskurata hua nazar aaye jaise iske pahle nazar aata tha. Agar tum is tarah ki surat bana kar hamare samne aaoge to hame zara bhi achha nahi lagega."

"Maaf karna sahab ji." Bhanu singh ne kaha______"Lekin kya karu us din ki baate mere zahen se ja hi nahi rahi hain. Har waqt dimaag me wahi sab goojta rahta hai."
"Tum sochte bahut ho pyare." Dushyant ne kaha_____"Jabki itna sochne wali koi baat hi nahi hai. Tum khud socho ki agar un baato me aisi koi zara si bhi khaas baat hoti to kya ham tumhe clean chit de diye hote aur kya tum yaha par hote.?"

"Ye to aapki meharbani thi sahab ji." Bhanu ne kaha_____"Jo aapne mujhe waisa samjha nahi aur iske liye main aapko baar baar dhanyawaad karta hu."
"Ham bhi tumhara dhanyawaad tabhi kabool karenge pyare." Dushyant ne khali cup table par rakhte huye kaha_____"Jab tum hamare samne pahle ki tarah hi chahakte huye nazar aaoge."

"Koshish karuga sahab ji." Bhanu singh ne kaha______"Aapko agli baar shikayat ka mauka nahi duga."
"Ye huyi na baat." Dushyant ne muskurate huye kaha______"Khair ab tum jaao."
"Ji sahab ji." Bhanu ne kaha aur fir cabin se bahar chala gaya.

"Baat kuch samajh me nahi aayi sir." Itni der se chup baithe vikrant ne bhanu ke jate hi pucha_____"Aap bhanu se kis silsile me baate kar rahe the.? Waise ye to main bhi kafi dino se dekh raha hu ki bhanu singh pahle ki tarah hasta muskurata hua nazar nahi aata hai. Aakhir ye chakkar kya hai sir.?"

Vikrant ke puchne par dushyant ne kuch der socha aur fir use short me sab kuch bata diya. Sari baate sun kar vikrant bhi hairan rah gaya tha. Khair shaam dhal chuki thi aur dushyant ke mobile par kayi baar uski bahan pratiksha ka call aa chuka tha is liye usne vikrant se kuch der aur kuch muddo par baate ki, fir wo vikrant ko bata kar thane se baahar aa gaya. Kuch hi der me uski car sadak par daudti huyi nazar aa rahi thi.


<>•<>•<>

"Mubarak ho bhaiya." Pratiksha ne darwaza khol kar jaise hi dushyant ko dekha to wo ekdam se chahakte huye kah uthi thi.
"Mubarak..???" Dushyant samajh to gaya tha magar fir bhi usne anjaan bante huye pucha_____"Mubarak kis baat ki gudiya.?"
"Ab zyada bhole mat baniye." Dushyant darwaze ke andar aa gaya to pratiksha ne darwaze ko band karte huye kaha_____"Aap bhi achhi tarah jante hain ki main kis baat ki mabarakbaad de rahi hu aapko."

"Mujhe bhi apni pyari si gudiya ko thank you bolna hai." Pratiksha jab darwaza band kar ke palti to dushyant ne uski taraf dekhte huye kaha______"Kyo ki mujhe khushiya dene wala kaam meri gudiya ne kiya hai. Sach me gudiya agar tu na hoti to main apni hi nasamjhi ke chalte dukhi hota rahta aur ye bhi sambhav tha ki bahut jald main tujhe le kar is bangle se apne police quarter chala jata."

"Bhabhi sach kahti hain." Pratiksha ne muskurate huye shararat se kaha______"Ki dhele bhar ka bhi sense nahi hai aapke paas. Buddhu kahi ke...hehehe...haan nahi to."
"Der se hi sahi." Dushyant bhi muskuraya_____"Magar main samajh gaya hu ki ye sab tum dono ki mili bhagat thi mujhe pareshan karne ki."

"Aap galat samajh rahe hain bhaiya." Pratiksha ne dushyant ke pichhe chalte huye kaha_____"Mujhe to abhi do din hi huye hain yaha aaye huye aur mujhe pata bhi nahi tha ki aap dono ke beech me kya chal raha hai. Sach to ye hai ki aap dono hi apni harkato ki vajah se pareshan the. Maine to aap dono ki pareshani khatam karne ka upaay khoja tha. Dekh lijiye mere upaay ke chalte aaj aap dono kitne khush dikh rahe hain."

"Sahi kaha gudiya." Dushyant ne dring room me aa kar sofe par baithte huye kaha_____"Aur ab main ye bhi samajh gaya hu ki abhi tak jo bhi hua wo sab meri hi nasamjhi ka nateeja tha. Vidhi ne mujhe sab kuch bata diya hai. Wo bhi mujhse pyar karti thi magar kahne me sharm kar rahi thi aur main ye samajh hi nahi paya tha ki uske man me bhi mere liye pyar wali feeling hai."

"Chaliye ab to sab kuch thik ho gaya na." Pratiksha ne bhi sofe par baithte huye kaha_____"Aur pata hai maine to ye khush khabri ghar me maa ko bhi phone kar ke bata diya hai."
"Ye kya kah rahi hai tu.??" Dushyant buri tarah chaunka_____"Ye baat abhi maa ko batane ki kya zarurat thi gudiya.?"

"Zarurat thi bhaiya." Pratiksha ne kaha______"Aap nahi jante hain ki pita ji aaj kal kitne bujhe bujhe rahte hain. Wo bhale hi aapse zyada baat nahi karte hain magar andar se wo hamesha aapke bare me soch kar dukhi rahte hain. Maine maa se isi liye ye baat bataayi hai taaki maa pita ji ko bhi ye baat bata de jisse pita ji ko bhi khushi mile...aur haan main aapse ye kahna chahti hu ki pita ji se aap bhi apni anban ko door kar lijiye. Is umar me unhe apne bete ki berukhi nahi milni chahiye, haan nahi to."

"Main samajhta hu gudiya." Dushyant ne gambhirta se kaha_____"Aur yakeen maan mere dil me unke liye hamesha hi aadar aur sammaan ki bhaavna rahi hai...bas main kabhi dikhata nahi hu. Main maanta hu ki unse bol chaal band kar ke maine achha nahi kiya hai magar maine aisa sirf is liye kiya hai taaki wo kisi aisi ladki ko mere gale me na baandh de jiske liye mere dil me kabhi koi pyaar hi na paida ho sake magar ab aisa nahi hoga gudiya. Ab main khud pita ji ke paas ja kar pahle unse apni is berukhi ke liye maafi maaguga uske baad unse vidhi se apni shadi ke bare me baat karuga. Is sabke baad main wahi karuga jo wo kahege."

"Badi serious baate ho rahi hain bhai bahan ke beech." Vidhi ki awaaz se dono ka dhyaan uski taraf gaya jabki vidhi ne center table par chaay ki tray rakhte huye aage kaha_____"Lo pahle garma garam chaay piyo uske baad bataao kis bare me itni serious baate ho rahi hain.?"

Dushyant aur pratiksha ne tray se chaay ka ek ek cup utha liya. Dushyant ki nazar vidhi ki nazar se mili to dono ke hi hotho par muskan ubhar aayi. Halaaki dono ne jaldi hi apni nazre hata kar hotho ki muskaan ko gayab kar liya tha magar natkhat pratiksha ki nazro ne fauran hi pakad liya tha dono ko. Pratiksha ke bhi hotho par muskan ubhar aayi thi kintu wo boli kuch nahi.

"Wakeel uncle ka phone aaya tha aaj." Teeno ke bich chha gayi khamoshi ko cheerte huye vidhi ne kaha_____"Wo kah rahe the ki unhone property bechne ke liye baat kar li hai. Is liye mujhe unke sath ek do din jana padega un logo se milne."
"Kab jana hai.?" Dushyant ne chaay ki ek chuski lene ke baad pucha…

"Kal subah gyarah baje wakeel uncle mujhe lene ke liye yaha aayege." Vidhi ne kaha_____"Aur meri ichha ye hai ki tum bhi mere sath chalo."
"Wo to thik hai vidhi." Dushyant ne kaha_____"Kintu main ek baat saaf shabdo me kahna chaahta hu ki mujhe tumhari property ya tumhare dhan daulat ka zara sa bhi laalach nahi hai. Ham dono ke beech jo rishta ban gaya hai uske bare me koi ye na soche ki maine tumhari daulat ke laalach me tumse pyar kiya hai ya fir ye kahe ki tumhe apne pyar ke jaal me fasaya hai. Tum chaaho to apni saari daulat anaatho ko de do mujhe isse koi fark nahi padega. Mujhe sirf aur sirf tumse pyar hai."

"Ye sab kahne ki zarurat nahi hai dushyant." Vidhi ne chaay ke khali cup ko center table par rakhte huye kaha______"Main koi doodh piti huyi bachchi nahi hu jise koi bhi apne jaal me fasa lega. Main achhi tarah janti hu ki tumhe meri dhan daulat ka zara sa bhi laalach nahi hai, agar hota to tum baaki ki property bech dene ki baat par usi waqt tok dete ya fir mujhse kahte ki property bechne ki koi zarurat nahi hai. Is liye tum ye mat socho aur agar koi dusra aisa sochta bhi hai to use sochne do. Mujhe bhi kisi ke sochne se koi fark nahi padta. Mujhe khud apni dhan daulat ka koi laalach nahi hai isi liye ye sab kar rahi hu. Jeewan nirwaah ke liye jitna zaruri hai utna bacha liya hai bas."

"Thik hai fir." Dushyant ne kaha_____"Tumhe jo karna hai tum apni marzi se karo. Main tumhare har kaarya me tumhare sath rahuga."
"Haye kaash mujhe bhi koi itna pyar karne wala mil jaye." Sahsa pratiksha ne muskurate huye kaha_____"To pratiksha the great ka jeewan dhanya ho jaye...hehehe...haan nahi to."

"Chinta mat kar gudiya." Dushyant ne muskurate hue kaha_____"Avinash ka maamla nipat jaye uske baad sabse pahla kaam yahi karna hai. Tere liye aisa hi koi ladka dhudhna hai jo tujhe bahut hi zyada pyar kare."
"Kya bhaiya aap bhi." Pratiksha ne bura sa muh banate huye kaha______"Aap to ekdam se serious hi ho gaye. Mujhe kisi ki zarurat nahi hai. Main to bas apne bhaiya bhabhi ke paas hi rahugi hamesha aur ye ekdam pakka wala decision hai...haan nahi to."

Itna kahne ke sath hi pratiksha sofe se uthi aur dushyant ke paas ja kar uske bagal se baithte huye apne bhai ke side se chhupak gayi. Dushyant ne bhi use pyar se chhupka liya tha. Uski aankho me nami aa gayi thi. Saamne sofe par baithi vidhi ye dekh kar bas halke se muskura uthi thi.

Raat me khana pina kar ke sab apne apne kamre me so gaye. Dusre din dushyant pahle police thane gaya aur fir dopahar ko jab wakeel sahab aaye to wo vidhi ke sath chala gaya. Bangle me pratiksha akeli rah gayi thi jiski suraksha ki jimmedari usne security officer ko de di thi.

Wakeel ke sath jane par dono ko kafi time lag gaya. Property ko bechne aur sari kaagji kaaryawahi me hi kafi time lag gaya. Sab kuch clear hone ke baad kareeb shaam ko dushyant aur vidhi wapas ghar aaye. Dushyant ke zahen me ab kuch aur hi chal raha tha. Wo avinash ke maamle ko jald se jald niptana chaahta tha. Raat me sone se pahle wo avinash ke kamre me kafi der tak raha tha. Aise hi din raat guzarte rahe aur ek hapta guzar gaya.

Doctor sanyaal ne ek hapte ka waqt diya tha is liye dushyant avinash ko le kar ek hapte baad hi uske paas gaya tha. Doctor sanyaal ne avinash ke hath ka plaster nikaal diya aur kuch zaruri hidayate de kar hospital se vida kar diya. Dushyant avinash ko le kar wapas vidhi ke bangle par aa gaya tha.


<>•<>•<>

Do din baad..!

Us waqt raat ke gyaarah baj rahe the. Har taraf aisi khamoshi chhayi thi ki agar kahi koi sui bhi gire to uski awaaz kisi dhamake se kam na sunaayi de. Ek kamre me is waqt andhera tha is liye saaf taur par kuch dikhaayi nahi de raha tha lekin kamre ki khidki ke paas achanak hi ek saya nazar aaya.

Us saye ne khidki se sir nikaal kar baahar ki taraf dekha aur fir kuch hi der me usne apne ek haath ko aage kiya. Uske haath me koi rassi jaisi cheez thi jise usne dhire dhire kar ke khidki ke us paar niche ki taraf jhulana shuru kar diya. Kuch hi der me rassi ka dusra sira niche zameen par pahuch gaya prateet hua. Saye ne rassi ke pahle wale sire ko khidki ke center me lage lakdi ke paye par majbuti se baandha aur fir badi saawdhani se khidki par pair rakhte huye khidki ke us paar aa gaya. Us paar aate hi usne ek hath se rassi ko pakad liya aur dusre hath se khidki ke center wale paye ko. Is wakt uske dil ki dhadkane tez ho gayi thi. Usne kuch der khud ki saanso ko shaant kiya aur fir bade aahista se khidki ke paye ko chhod kar dono hatho se rassi ko pakad kar niche jhool gaya.

Rassi ke sahare jhulte huye wo dhire dhire niche ki taraf jane laga. Kuch hi der me wo niche zameen par pahuch gaya. Niche aa kar usne sabse pahle apni ukhdi huyi saanso ko durust kiya aur fir palat kar boundary wall ki taraf chal diya. Aas paas ka jaayja lete huye wo saya kuch hi der me boundary wall ke paas pahuch gaya. Is taraf thoda andhera tha is liye use asaani se koi dekh nahi sakta tha.

Kuch der boundary wall ko ghoorne ke baad us saye ne uchak kar boundary wall ki upari satah par apne dono hath jama liye aur fir apne dono hatho par zor lagate huye wo boundary wall par chadh gaya. Boundary wall par chadhne ke baad usne gardan mod kar daahine side dekha jaha par lohe wale darwaze ke paas bulb jalne se roshni dikh rahi thi. Us taraf se nishchint hone ke baad usne saamne niche ki taraf dekha, andhere me bhi use samajh aa gaya ki zameen kitni niche hai. Do pal sochne ke baad wo boundary se niche ki taraf kood gaya. Zameen par jaise hi uske pair jame to dhapp ki halki si awaaz fiza me goonji. Kuch der idhar udhar ka jaayja lene ke baad wo ek taraf ko badhta chala gaya aur andhere me gayab ho gaya.


<>•<>•<>
nice update ..mahant ja pata nahi laga paya vikrant ..bhanu ab pehle jaisa nahi rehta shak karne ki wajah se ..
aur ye pratiksha to bahut fast nikli 😁..
maa ko bata diya dushyant aur vidhi ke baare me 🤩..
aur ye saya kahi avinash to nahi 🤔🤔..
 

DARK WOLFKING

Supreme
15,534
31,895
244
BEGUNAAH
Update - 32
_______________________



Jai kamre me apni biwi saundarya ke sath gahri neend me so raha tha ki tabhi raat ke gahan sannate me mobile phone ke ring tone ki awaaz goonj uthi. Mobile bed ke paas hi rakhe lakdi ke ek chhote se stool par rakha hua tha. Jai to waise hi ghode bech kar sota raha magar mobile ke bajne ki awaaz se saundarya ki neend toot gayi. Usne alsaaye andaaz se lete lete hi jai ko pukara magar jab jai na utha to usne khud hi uth kar stool se mobile ko uthaya. Mobile ki screen par moorat naam flash ho raha tha. Saundarya ne jai ko zor de kar jagaya aur fir use mobile pakdate huye bataya ki moorat ka phone hai. Moorat ka naam sun kar jai ki aankho se neend ka nasha gayab hota nazar aaya.

"Haan moorat bolo." Fir usne mobile ko kaan se lagate huye kaha_____"Kya baat hai. Itni raat ko kis liye phone kiya hai.?"
"Jai bhai ek bahut badi khabar hai." Udhar se moorat ne kaha______"Abhi mere aadmi me mujhe phone kar ke bataya hai ki vijay waha se bhaag nikla hai. Aapka kahna bilkul sahi tha. Abhi do din pahle hi uske hath ka plaster nikla tha aur aaj wo waha se bhaag nikla hai. Ye hamare liye badi khabar hai jai bhai. Shikaar khud hi hamare jaal me fasne ke liye security se baahar aa gaya hai."

"Ohh ye to hona hi tha moorat." Jai ke chehre par chamak ubhar aayi thi aur usne joshile bhaav se kaha_____"Chalo der se hi sahi magar ab hamari saari problem ke khatm hone ka waqt aa hi gaya. Ek kaam karo tum....Uske pichhe apne sabse achhe aadmiyo ko laga do. Apne aadmiyo se kahna ki wo log uske pichhe hi lage rahe, use pakadne ki koshish na kare aur haan peecha bhi aise kare ki use apna pichha kiye jane ka ilm na hone paye."

"Aisa hi hoga jai bhai." Udhar se moorat ne kaha_____"Aap bilkul bhi fikra na kare."
"Use bina kisi rukawat ke jane dena hai moorat." Jai ne khaas bhaav se kaha_____"Mujhe yakeen hai ki wo waha se nikal kar sabse pahle unhi ke paas jayega jinhe usne hamse chhupa ke rakha hai. Do saal baad uski yaad daast wapas aayi hai aur ab uske zahan me sabse pahle unhi se milne ka khayaal aayega. Is liye use jane dena hai."

"Waise jai bhai." Udhar se moorat ne kaha_____"Ham use pakad kar bhi to usse unke bare me puchh sakte hain."
"Bilkul puchh sakte hain moorat." Jai ne kaha_____"Magar usse koi faayda nahi hoga aur ye baat tum bhi jante ho. Wo bahut hi shakht jaan hai. Hamare puchne par wo unke bare me kuch nahi batayega. Is liye achha yahi hai ki ham chup chaap uska pichhe kare. Yaad daast aane ke baad wo sabse pahle unke paas hi jayega."

"Thik hai jai bhai." Moorat ne kaha_____"Main abhi apne kuch aur aadmi uske pichhe laga deta hu. Mera ek aadmi abhi uske piche hi hai aur wo mujhe uski pal pal ki khabar deta rahega."
"Sirf apne aadmiyo ke bharose hi mat rahna moorat." Jai ne kaha_____"Tum khud bhi use nazro se ojhal mat hone dena. Main nahi chahta ki hamare hath se ye sunahra mauka nikal jaye. Aise mauke ka bahut intzaar kiya hai maine, ab aur nahi. Ab to usse har cheez ka hisaab lena hai mujhe."

Kahne ke baad jai ne call cut kiya aur bed se utar kar kitchen ki taraf badh gaya. Saundarya bed par hi leti huyi thi aur saari baate sun chuki thi. Uske dil ki dhadkane bhi is baat se tez ho chali thi ki vijay ki yaad daast laut aayi hai aur wo jaha rah raha tha waha se bhaag nikla hai. Saundarya ko bhali bhaanti pata tha ki vijay kis bala ka naam tha. Ye wo shakhs tha jisne kayi baar use apna banana chaha tha aur jab wo apne iraade me kamyaab nahi hua to usne uske mata pita ki bedardi se hatya kar di thi. Shadi ke baad chain se suhagraat manane ko bhi nahi mila tha use. Ek pal me jaise qayamat aa gayi thi. Vijay ka qahar aur uski dahshat ka aalam ye hua ki jai ke sath use ghar chhod kar bhaagna pad gaya tha.

Jai kitchen se paani pi kar aaya aur diwaar par tange apne paint ke pochet se cigarette ka packet nikaal kar usse ek cigarette nikala. Saundarya ki aankho se bhi neend ja chuki thi is liye jai ke aate hi wo bhi uth kar baith gayi thi.

"To tumhare bhai ki yaad daast laut aayi." Saundarya ne jai ki taraf dekhte huye kaha_____"Aur wo us jagah se nikal bhaga hai jaha par rah raha tha.?"
"Maine to pahle hi kaha tha tumse." Jai ne cigarette ka gahra kash lene ke baad kaha_____"Mera khayaal hai ki uski yaad daast us din ke accident se hi aayi thi. Us accident me uska hath toot gaya tha is vajah se wo us haalat me kahi ja hi nahi sakta tha. Is liye usne apne aap ko kahi bhagne se tab tak ke liye rokna uchit samjha jab tak ki uska hath thik nahi ho jata. Isse ye bhi zaahir hota hai ki inspector ko uski yaad daast wapas aane ke bare me bhi pata nahi ho sakta tha. Kyo ki agar use pata chal jata to wo vijay se uske bare me zarur puchta aur vijay ko batana hi padta. Inspector ko jab sab pata chal jata to wo ye bhi samajh jata ki jise wo itna masoom aur begunaah samajh raha tha wo apni pichhli zindagi me kitna khatarnaak aadmi raha hai aur kyo ki inspector kanoon ka numaainda hai is liye wo vijay ko mujrim maan kar use giraftaar bhi kar leta."

"Ye sab baate vijay bhi samajh gaya raha hoga." Saundarya ne kaha_____"Isi liye usne inspector se is baat ko chhupa ke rakha ki uski yaad daast wapas aa gayi hai. Uske baad jaise hi uska hath thik hua usne mauka dekh kar waha se bhaag nikalne me hi apni bhalaayi samjhi."

"Zaahir hai." Jai ne bed ke kinare par baithte huye kaha_____"Magar mujhe lagta hai ki vijay ne waha se bhaag kar apne liye hi kabar khod li hai. Kyo ki jab uske bhaag jane ka pata inspector ko lagega to wo bhi uski talash me uske piche lag jayega. Iska matlab ye hua ki ab hame police se bhi saawdhan rahna padega. Isse pahle ki police vijay tak pahuche hame fauran hi vijay ke paas pahuchna hoga aur usse apna hisab kitab karna hoga."

"Par hame to ab police ka dar nahi hona chahiye na.?" Saundarya ne kaha_____"Khatarnaak apradhi to vijay hai. Is liye police ka khatra usi ko hai. Jab tak uski yaad daast nahi aayi thi tab tak hame police se sawdhan rahne ki zarurat thi...hai na.?"

"Tum bhool rahi ho saundarya ki main bhi police ka mujrim ban chuka hu." Jai ne kaha______"Us din mere dwara kiye gaye accident me kayi sare police wale marte marte bache the. Is liye ab main bhi police ka mujrim ban chuka hu."

"Ohh haan ye to main bhool hi gayi thi." Saundarya ne kaha_____"Magar sawaal hai ki agar tum police ke mujrim ban chuke ho to aakhir kab tak police se bach ke rahoge. Mera matlab hai ki kisi na kisi din to police tum tak pahuch hi jayegi. Uske baad kya karoge tum.?"

"Police ke involve hone se." Jai ne kaha______"Bahut kuch gadbad ho gaya hai. Jab ki maine socha ye tha ki vijay ko uske kiye ki saza duga aur uska astitwa hi duniya se mita duga magar ab lagta hai ki is maamle me police ke involve hone se aisa nahi ho payega."

"Kya tum police ke dar se hamara intqaam nahi loge.?" Saundarya ne sahsa naraazgi bhare bhaav se kaha_____"Nahi jai...tum aisa sochoge bhi nahi. Agar baat sirf meri ijjat ki hoti to main samjhauta bhi kar leti magar usne mere nirdosh mata pita ki hatya ki hai, jiske liye main use kabhi maaf nahi kar sakti aur na hi koi samjhauta karne ke bare me soch sakti hu. Mujhe sari zindagi jail me sadna manjoor hai magar police ke dar se apna intqaam na lena manjoor nahi hai."

"Main police se dar nahi raha saundarya." Jai ne kaha_____"Main to bas ye dekh raha tha ki tumhare andar abhi bhi wahi aag hai ya guzarte waqt ke sath wo aag thandi pad gayi hai."
"Ye aisi aag hai jai jo har guzarte waqt ke sath aur bhi bhadakti hi ja rahi hai." Saundarya ne is baar zara shakht bhaav se kaha_____"Us insaan ki maut ke baad hi mere andar ki ye aag thandi hogi."

"Chinta mat karo meri jaan." Jai ne saundarya ke sundar se chehre ko apni hatheliyo me lete huye kaha_____"Sab kuch waisa hi hoga jaisa ki tum chaahti ho. Chalo ab so jaao...hame subah jaldi hi yaha se nikalna hoga."

Jai ke kahne ke baad saundarya kuch der tak uski taraf dekhti rahi aur fir chup chaap let gayi. Uske letne ke baad jai bhi let gaya. Dono ne apni apni aankhe band kar li thi magar haqiqat ye thi ki dono ki hi aankho se neend koso door ho chuki thi.


<>•<>•<>

Us waqt pata nahi raat ke kitne baje the kintu har taraf faile andhere se aisa jaan padta tha jaise ki subah hone me abhi kafi der thi. Ghane pedh paudho se nikal kar wo saya ab khule area me aa gaya tha. Pichhle ek ghante se paidal chal raha tha wo aur ab uske pairo me maano jaan nahi rah gayi thi. Khule aasmaan me anginat taare timtima rahe the kintu unke beech se chaand nadaarat tha.

Door kahi timtimati huyi roshni achanak hi nazar aayi thi jise dekh kar saye ke andar ummid ki roshni jal uthi. Usne charo taraf andhere me nazar daudaayi aur door dikh rahi us timtimati roshni ki taraf chal pada. Abhi wo kuch door hi chala tha ki sahsa kisi cheez ki awaaz se apni jagah par ruk gaya. Awaaz uske pichhe se aayi thi aur raat ke sannate par usne us awaaz ko saaf suna tha. Palat kar usne andhere me door door tak dekha magar andhere me use kuch mazar na aaya. Ye alag baat hai ki uske hotho par muskaan ubhar aayi thi. Kuch pal sochne ke baad usne apne kadam fir se aage ki taraf badha diye.

Door nazar aati wo roshni bahut hi dhimi gati se is taraf hi aati prateet ho rahi thi. Saya uski taraf dekhte huye thode tez kadmo se uski taraf badhne laga. Kisi kisi pal use apne pichhe waisi hi awaaz saaf sunaayi de jati thi jaisi iske pahle use sunaayi di thi. Kuch hi der me wo jis jagah par aaya wo ek pakki sadak thi. Door se aati roshni ab uske paas aati nazar aa rahi thi. Roshni ke do bindu nazar aa rahe the. Iska matlab wo koi waahan tha jo uski taraf hi badhta aa raha tha.

Saye ne sadak ke kinare khade ho kar ek baar fir se pichhe ki taraf door door tak dekha. Andhere me use kuch nazar nahi aa raha tha magar ab koi awaaz bhi use sunaayi nahi de rahi thi. Jane kya soch kar uske hotho par ek baar fir se muskaan ubhar aayi kintu is baar ki uski wo muskan badi hi zahreeli thi. Uske jabde shakhti se bhich gaye the. Tabhi usne dekha ki door se aati roshni ab uske paas aa gayi thi. Saya do teen kadam aage badha aur sadak ke bicho beech khada ho gaya. Aane wale waahan ki roshni ab uske jism par padne lagi thi. Kuch hi der me jab wo waahan uske aur paas aa gaya to saye ne apne dono hath upar hawa me hilate huye us wahan ko rukne ka ishara kiya.

Wo waahan ek tempo tha. Jaise hi wo saye ke kareeb pahucha to uski speed dhimi ho gayi aur wo saye ke paas aa kar ruk gaya. Tempo ke rukte hi saya driver ki taraf tezi se badha aur usse bola ki use fala jagah par jana hai is liye use tempo me baitha liya jaye. Saye ki baat sun kar tempo ke driver ne thik hai kaha to saya daud kar is taraf aaya aur tempo ka darwaza khol kar uske andar baith gaya. Saye ke baithte hi tempo driver ne tempo ko aage badha diya.


<>•<>•<>

Subah inspector dushyant zor zor se apne kamre ka darwaza bhadbhadaye jane par hadbada kar utha. Wo apne bistar par gahri neend me so raha tha. Hadbada kar jab wo utha to uske kaano me vidhi aur pratiksha dono ki hi awaaze padi. Pahle to use kuch samajh na aaya magar fir jaldi hi utha aur ja kar darwaza khola to dekha darwaze ke baahar vidhi aur pratiksha apne apne chehre par ajeeb se bhaaav liye khadi thi.

"Bhaiya wo...wo." Darwaza khulte hi dushyant ko samne dekh kar pratiksha ne hadbadaye se andaaz me kaha____"Wo apne kamre me nahi hai. Lagta hai wo bhaag gaya yaha se."
"Aree thoda thahar kar bata gudiya." Dushyant ne chaunkte huye kaha_____"Kaun apne kamre me nahi hai...kaun bhaag gaya yaha se.?"

"Pratiksha avinash ki baat kar rahi hai dushyant." Pratiksha ke bolne se pahle hi vidhi bol padi_____"Abhi jab main uske kamre me use chaay dene gayi to dekha ki uska kamra pahle se hi khula hua tha aur jab maine andar ja kar kamre me dekha to wo kamre me nahi tha. Maine socha shayad wo bathroom me hoga is liye jab maine bathroom ki taraf dekha to bathroom ka darwaza bhi khula hua tha. Maine door se jhaank kar dekha to wo bathroom me bhi nahi tha. Mujhe ye dekh kar thoda ajeeb laga kyo ki aaj se pahle jab main use chaay dene jati thi to wo mujhe kamre me hi milta tha magar aaj jab wo apne kamre aur bathroom me bhi nahi dikha to maine socha shayad taazi hawa lene ke liye chhat par gaya hoga to main use khojte huye chhat par bhi gayi magar wo waha par bhi nahi tha. Main soch me pad gayi ki aakhir wo gaya to gaya kaha.? Fir main chhat se waapas uske kamre me aayi to meri nazar kamre ki khuli huyi khidki par gayi to dekha khidki par ek rassi bandhi huyi thi jiska dusra sira khidki ke baahar niche zameen tak jhool raha tha. Khuli khidki aur wo jhulti rassi dekh kar main samajh gayi ki wo yaha se bhaag gaya hai. Uske baad maine ye baat pratiksha ko bataayi aur fir ham dono bhaagte huye tumhare kamre ki taraf aa gaye."

"Sirf itni si baat ke liye tum dono ne sara ghar sir par utha liya.?" Sari baate sunne ke baad dushyant ne halke se muskurate huye kaha______"Khair chhodo, aur ab jab tum logo ne mujhe jaga hi diya hai to ab garma garam chaay bhi pila do."

"Tum hosh me to ho na.?" Vidhi ne maare hairat ke usse kaha_____"Avinash yaha se bhaag gaya hai aur ye khabar tumhe itni si lagti hai.? Mujhe lagta hai ki abhi bhi tum neend me hi ho warna ye baat jaan kar tumhare hosh ud jane chahiye the."
"Bhabhi bilkul sahi kah rahi hain." Pratiksha ne jaise vidhi ki baat ka samarthan karte huye kaha_____"Ham dono ke to uske is tarah bhaag jane se hosh ud gaye hain magar aap uske bare me ye sab jaan kar aisa bol rahe hain. Kya aapko uske is tarah bhaag jane se koi fark nahi padta...haan nahi to."

"Fark to tab padta gudiya." Dushyant ne kaha______"Jab mujhe uske dwara aisa karne ki ummid hi nahi hoti. Kahne ka matlab ye ki main to pahle hi samajh gaya tha ki wo yaha se bhaag jayega. Jab tak uske haath me plaster laga tha tab tak yaha rahna uski majburi thi. Jaise hi uske haath se plaster nikla waise hi wo mauka dekh kar yaha se bhaag nikla magar fikra karne ki koi baat nahi hai. Kyo ki maine pahle se hi iska intjaam kar rakha hai. Yu samjho ki wo abhi bhi meri nazar me hi hai. Ab chalo jaao aur mujhe chaay le kar aao."

"Mujhe to aisa lagta hai." Vidhi ne dushyant ki aankho me jhaankte huye kaha_____"Ki avinash ka yaha se bhaagna tumhare hi kisi plan ka hissa hai. Tumhari ye baate bhi yahi saabit karti hain. Kyo sahi kaha na maine.?"

"Ved prakash sharma ke jasusi novel padhne se insaan ka dimaag bhi jasusi karne jaisa ho jata hai." Dushyant ne bura sa muh banate huye kaha.
"Baat ko ghumaao mat." Vidhi ne sapaat lahje me kaha_____"Baat wahi hai na jo abhi maine kaha hai.?"

"Agar tumhare jasusi dimaag me ye sab aaya hai." Dushyant ne kaha_____"To fir apni hi soch par shak kaisa.?" Kahne ke sath hi dushyant ne pratiksha ki taraf dekhte huye kaha_____"Gudiya tu abhi tak gayi nahi chaay laane.?"
"Oh sorry bhaiya." Pratiksha ne muskurate huye kaha_____"Abhi le kar aati hu main."

"To ye sab tumhare plan ke anusaar hua hai.?" Pratiksha ke jate hi vidhi ne kaha_____"Jisme bali ka bakra avinash ko bana diya hai tumne."
"Main soch raha tha ki achhe kaam ki shuruaat." Dushyant ne darwaze se baahar jhaankne ke baad vidhi se muskurate huye kaha_____"Kisi aisi cheez se ho jisse mera man mayoor ekdam se naach uthe. Kya kahti ho.?"

"Kya matlab.???" Vidhi ke mathe par shikan ubhar aayi.
"Tum bhi had karti ho yaar." Dushyant ne dhimi awaaz me kaha_____"Waise to tumhara dimaag bada tez chalta hai aur meri itni simple baat par kya matlab bol rahi ho."

"To tum koi baat saaf saaf kyo nahi kahte.?" Vidhi ne ukhde huye lahje se kaha_____"Har baat ko jalebi ki tarah gol gol ghumana zaruri hai kya.?"
"Achha thik hai." Dushyant ne ek baar fir se baahar seedhiyo ki taraf dekha fir kaha_____"Main ye kah raha tha ki ham dono ne ek dusre se apne pyar ka izhaar to kar diya magar kya tumhe nahi lagta ki hamara ye izhaar bilkul rukha sukha sa tha.? Mera matlab hai ki jab koi apne pyar ka izhaar karta hai to uske baad dono ke bich kuch hota bhi to hai na. Tumne hollywood filmo me dekha hoga na. Bilkul waise hi."

"Maine aaj tak hollywood filme nahi dekhi." Vidhi ne is tarah kaha jaise is baat se use behad dukh ho_____"To bhala mujhe kaise pata hoga ki izhaar karne ke baad dono ke beech kya hota hai.?"
"Are tum bhi kamaal karti ho yaar." Dushyant ne bebas bhaav se kaha_____"Tum samajh kyo nahi rahi ho.? Aaj kal to wo sab bollywood filmo me bhi khule aam hota hai. Tumne bhi dekha hi hoga. Main usi ki baat kar raha hu."

"Kiski baat kar rahe hain bhaiya.?" Vidhi kuch bolti usse pahle hi waha par pratiksha ne aate huye kaha_____"Ye lijiye aapki garma garam chaay."
"Pata nahi tumhare bhaiya kya bol rahe hain." Dushyant ke kuch bolne se pahle hi vidhi bol padi_____"Meri to kuch samajh me nahi aaya. Zara tum hi inse puchho ki ye aakhir kya bol rahe the mujhse."

Vidhi ne ye kaha to dushyant ekdam se baukhla gaya. Usne tray se chaay ka cup utha liya tha jo ki vidhi ki is baat ko sun kar uske haath se chhootte chhootte bacha tha. Uski ye haalat dekh kar vidhi khilkhila kar gas padi thi jabki dushyant uski taraf bechaargi se dekhta rah gaya tha.

"Haan bataiye na bhaiya." Vidhi ke kahne ke sath hi pratiksha dushyant se puchh baithi_____"Aisa kya kah rahe the aap bhabhi se jo inhe samajh nahi aaya.?"
"Nahi to...kuch bhi to nahi gudiya." Dushyant ne buri tarah jheempte huye kaha_____"Main bhala kya kahuga. Tujhe to pata hi hai ki main kitna nasamajh aadmi hu. Achha ab tum dono jaao main fresh ho ke aa jaauga."

Kahne ke sath hi dushyant ne vidhi ki taraf ashaay bhaav se dekha aur fir haath me chaay ka cup pakde apne bed ki taraf chal diya. Uske is tarah dekhne par vidhi ki muskaan gahri ho gayi thi. Jabki dushyant ki baat par pratiksha ne vidhi ki taraf dekhte huye usse ishare se pucha ki kya baat hai, jiska jawaab vidhi ne ishare se hi diya ki kuch nahi. Pratiksha aage aage chal padi to vidhi ne usse kaha ki wo chale jabki use apne kamre me kuch kaam hai. Vidhi ki baat sun kar pratiksha ne palat kar uski taraf dekha. Natkhat pratiksha ke hotho par muskaan ubhar aayi aur usne aankh ke ishare se hi kuch kaha aur tezi se niche ki taraf chali gayi.

Pratiksha ke jane ke baad vidhi muskurate huye kuch pal apni jagah khadi rahi aur fir chupke se dushyant ke kamre me aa gayi. Dushyant ne jab use apne kamre me aaya dekha to thoda hairaan hua magar fir usne apna chehra dusri taraf fer liya. Uska andaaz aisa tha jaise wo vidhi se rootha hua ho.

"To kya kah rahe the janab.?" Vidhi ne muskurate huye kaha_____"Aaj kal bollywood filmo me kya hota hai.?"
"Kuch nahi hota." Dushyant ne ukhde huye lahje se kaha_____"Tum jaao yaha se."
"Aree ye kya baat huyi.?" Vidhi dushyant ke kareeb bilkul uske samne aa kar boli_____"Koi baat agar mujhe pata nahi hai to kya tum mujhe bataaoge nahi.? Ab ham dono ko jiwan bhar sath sath hi rahna hai to hame ek dusre se har baat bataani hi hogi na.?"

"Tum gudiya se kyo bata rahi thi us wakt.?" Dushyant ne ukhde huye lahje me hi kaha_____"Tumhe sochna chahiye ki wo jane kya kya sochne lagegi."
"Wo bachchi nahi hai dushyant." Vidhi ne kaha_____"Itna to wo bhi samajhti hai ki pyar karne wale kya karte hain aur haan wo sab samajh gayi hai aur usi ne mujhe ishare se yaha aane ke liye kaha hai. Tumhe to apni bahan ka shukra guzaar hona chahiye. Isi liye kahti hu ki dhele bhar ka bhi sense nahi hai tumhare paas."

"Kya kaha tumne.??" Dushyant ne aankhe faadte huye kaha______"Ruko abhi batata hu ki mere paas sense hai ki nahi."
"Aree kya karne wale ho tum.??" Vidhi buri tarah baukhla gayi______"Dekho kuch mat karna mere sath warna main shor kar ke pratiksha ko yaha bula lugi."

"Tum shor kar ke to dekho." Dushyant ne jhapat kar vidhi ko apne agosh me le liya fir bola______"Itna bhi bevkuf nahi hu jo ye bhi na samjhu ki tum mere kamre me kyo aayi ho."
"Dushyant ye kya kar rahe ho tum.?" Vidhi dushyant ki giraft se chhootne ki nakaam koshish karte huye boli_____"Chhodo mujhe. Pratiksha ne dekh liya to kya sochegi wo hamare bare me.?"

"Wo yaha dekhne nahi aayegi." Dushyant ne kaha_____"Tumhi ne bataya abhi ki usi ne ishare se tumhe mere kamre me jane ko kaha tha. Is liye ab main tumhe chhodne wala nahi hu balki ab tak jo kuch bhi tumne kiya hai us sabka hisaab luga main."
"Maine kya kiya hai.??" Vidhi ne khud ko chhudate huye kaha_____"Main to bilkul masoom hu."

"Haan mujhe pata hai kitni masoom ho tum." Dushyant ne vidhi ko palta kar uska chehra apni taraf karte huye kaha_____"Jitna tumne mujhe sataya hai utna aaj tak kisi ne nahi sataya. Is liye ab main har cheez ka hisaab luga tumse. Bataao kaha se shuru karu.?"

Vidhi ki dhadkane aur uski saanse badi tezi se chalne lagi thi. Uske andar ghabrahat badhti hi ja rahi thi. Ye pahla mauka tha jab dushyant ne use chhua tha aur chhua hi nahi tha balki use apni giraft me bhi le chuka tha. Pahle to usne vidhi ko peeche se pakad rakha tha kintu ab use palta kar usne uska chehra apni taraf kar liya tha. Dono ke jism ek dusre se jude huye the. Vidhi ke seene ke unnat ubhaar dushyant ki chaudi chhaati me maano dhase ja rahe the. Dushyant ke dono hath vidhi ki kamar par the jisse usne use apni taraf zor de kar bheech rakha tha aur vidhi apni ukhdi huyi saanso ko mushkil se kaabu karte huye usse alag hone ki koshish kar rahi thi.

Vidhi ko zara bhi ummid nahi thi ki dushyant use ekdam se is tarah apni giraft me le lega. Halaaki ab wo dushyant ki hi thi kintu kisi mard ka isparsh pahli baar hone se uski haalat kharaab ho gayi thi. Jab wo dushyant ki giraft se na nikal paayi to usne zor lagana band kar diya aur bebas bhaav se dushyant ko dekhne lagi. Dushyant uske khubsurat chehre ko hi dekh raha tha aur jab usne vidhi ki aankho me bebasi ke bhaav dekhe to usne apni pakad ko dhila kar diya aur vidhi ko chhod diya.

"Maaf karna dear." Fir usne namra bhaav se kaha_____"Mera irada tumhe hurt karne ka hargiz nahi tha. Maine to bas hasi mazaak me tumhe apni giraft me le liya tha. Agar tumhe meri is harkat se bura laga ho to uske liye sorry."
"Nahi jaan mujhe bura nahi laga." Vidhi ne dushyant ke chehre ko sahlate huye kaha_____"Main bas ghabra gayi thi thodi der ke liye. Pahli baar kisi purush ne mujhe chhua is liye main ghabra gayi thi. Tumhe iske liye sorry bolne ki koi zarurat nahi hai."

"Fir thik hai." Dushyant ne muskura kar kaha______"Achha ab tum jaao. Main fresh ho kar aata hu."
"Aise nahi jaaugi." Vidhi ne kaha_____"Balki wahi kar ke jaaugi jo aaj kal bollywood filmo me bhi khule aam hota hai."
"Oh matlab tumhe pata hai.??" Dushyant haule se muskuraya.
"Haan kyo nahi." Kahne ke sath hi vidhi ne sharma kar apni nazre jhuka li.
"To fir der kis baat ki hai.?" Dushyant ne kaha_____"Kar ke dikhaao ki kya hota hai bollywood filmo me."

Dushyant ki baat sun kar vidhi ne nazar utha kar dushyant ki aankho me dekha. Uske gore chehre par sharm ki laali chha gayi thi aur surkh hoth kaapne lage the.

"Tum aise dekhoge to kaise kar paaugi main.?" Fir usne sharmate huye kaha_____"Is liye apni aankhe band karo."
"Kya aankhe band karna bahut zaruri hai.?" Dushyant ne vidhi ki aankho me jhaankte huye pucha.
"Haan." Vidhi ne sir hilate huye kaha_____"Tum dekhoge to mujhe sharm aayegi aur fir main wo nahi kar paaugi."
"Achha to thik hai." Dushyant ne apni aankhe band kar ke muskurate huye kaha_____"Lo maine apni aankhe band kar li. Ab jaldi karo kahi aisa na ho gudiya yaha aa jaye aur sare program par paani fir jaye."

Dushyant ki baat par vidhi has padi aur fir jab usne dekha ki dushyant ne apni aankhe band kar li hain to usne apni aankhe band kar ke ek gahri saans li. Andaaz aisa tha jaise khud ko taiyar kar rahi ho. Uske baad usne dhire se apni aankho ko khola aur fir apne kaapte haatho se dushyant ke chehre ko pakad liya. Usne jaise hi dushyant ke chehre ko pakda to dushyant ke hotho par halki si muskaan ubhar aayi. Vidhi ka samucha jism use kaapta hua mahsus ho raha tha. Apni badhi huyi saanso ko kaabu karte huye wo aage badhi aur dushyant ke hotho par badi saawdhani se apne thartharaate huye hotho ko rakh diya.

Jaise hi uske hoth dushyant ke hotho se mile to uske samuche jism me ek lahar si daud gayi. Yahi haal dushyant ka bhi hua tha. Dushyant ke hotho par apne hoth rakhe vidhi jaise kahi kho si gayi thi. Use hosh tab aaya jab dushyant ne achanak hi uske hotho ko apne hotho ke beech daba liya. Ek baar fir se dushyant ke dono haath uski kamar me jam gaye the jisse vidhi ke jism ki thartharahat aur bhi badh gayi. Waqt jaise apni jagah par thahar sa gaya tha. Kuch palo tak dono ek dusre ko aise hi chumte rahe aur fir jab dono ki saanse unke kaabu se baahar ho gayi to dono alag ho gaye. Alag hote hi dono ki nazre ek dusre se mili. Dono hi muskura uthe. Vidhi ne sharam se apni nazre jhuka li aur jab usse waha par khade na raha gaya to wo muskurate huye kamre se baahar bhaag gayi. Dushyant ne use rokne ki koi koshish nahi ki balki muskurata hua bathroom ki taraf badh gaya. Use abhi bhi apne hotho par vidhi ke phool se bhi zyada komal hotho ka abhaas ho raha tha jinme shahad se bhi zyada mithaas thi.


<>•<>•<>
nice update ..vijay ko pata chal gaya ki koi uska pichha kar raha hai ..
aur lagta hai dushyant ne koi tracker type lagaya hoga vijay ke body me isliye usko koi fikr nahi hai .
shayad dr. ne bata diya hoga ki vijay ki yaddasht vapas aa gayi hai to dushyant ne kuch plan kiya hoga ..
jay aur saundarya bhi tensuon me hai ab .

aur ye dushyant to romantic bann gaya 😁..
pehle kiss ho hi gaya dono ka 😍..
 
Top