Vikrant ne inspector ko sugsuggestion diya tha ki agar film ki trick apnaai jaye yaani accident kiya jaye to avinash ki memory laut sakti hai. Us time inspector ne use mana kar diya tha lekin baad me accident hua. Bhale hi ye accident us nakab wale ne kiya ho lekin sujhaav to vikrant ne bhi diya tha na. Vidhi sahi shak kar rahi hai vikrant par. Ye sach me nakab wale se mia hua hai. Avinash ko vidhi ke ghar shift karne ke bare me nakab wale kaise pata chala hoga jisse usne itna easy tarike se accident kiya_______
Chot nakab wale ko hi lagi thi jiska khoon waga truck me mila tha insector ko. Yaha nakab wale ke hath me patti laga rahi hai ye saundarya. Isne sahi kaha agar inspector iske us khoon ke dna ko avinash ke dna se match karega to pata chal jayega ki dono ka relation kya hai_______
Inspector to is accident se buri tarah hil gaya hai. Tabhi to vidhi use samjha rahi hai aur inspector samajh bhi gaya hai. Inspector baato ke beech achanak pillar ki taraf bhaga tha. Use laga waha par koi hai jo shayad uski baate sun raha tha magar jab usne dekha to koi nahi tha waha. Kya sach me waha koi tha ya inspector ko waham hua tha. Lagta hai yaha koi jasus hai jo inki baate sunta hai aur nakab wale tak pahuchata hai. Aage padh ke dekhta hu kya hota hai_______