- 78,222
- 113,718
- 354
BEGUNAAH
Update - 04
Ab Tak,,,,,Update - 04
"Bheemseni kaajal ko chhodo." Yaswant ne sapaat bhaav se kaha_____"Aur ye batao ki kya decide kiya uske bare me.?"
"Ham ye soch rahe hain pyare." Dushyant ne apne andaaz me kaha_____"Ki ek baar chal kar us ghar ka muaayna kiya jaye jaha par ye sab hua hai."
"Waise to main muaayna kar chuka hu." Yaswant ne kaha_____"Magar tumhari tasalli ke liye main chal duga tumhare sath."
"To fir kursi par jame kyo baithe ho pyare." Dushyant ne chair se uthte huye kaha_____"Chalo hame bhi us bala ke darshan karwaao jiske sath is namuraad ne kaand karne ki koshish ki thi."
Dushyant ki baat par yaswant muskurate huye utha aur table se apni cap ko utha kar baahar ki taraf chal diya. Kuch hi der me dono police gipsy me baith kar nikal pade. Dushyant apni gipsy ko thane me hi khadi rahne diya tha.
Ab Aage,,,,,
Sub-inspector yaswant ne do manjila makaan ke saamne apni police gipsy ko roka. Gipsy ke rukte hi dushyant aur yaswant apni apni taraf ka darwaja khol kar niche utre. Dushyant ne makaan ko ek sarsari nazar se dekha aur fir yaswant ke piche chal diya. Kuch hi palo me dono makaan ke darwaje ke paas pahuch gaye. Yaswant ne darwaje ko bajaya to kuch hi der me ek aurat ne darwaja khola. Darwaze ke baahar do wardi dhaari police walo ko dekh kar us aurat ke maathe par kuch palo ke liye pareshani ke bhaav ubhre fir samaanya ho gayi wo.
"Aap log yaha.?" Us aurat ne dushyant ko dekhne ke baad yaswant se kaha_____"Kahiye kya baat hai.? Mere pati ghar par nahi hain."
"Wo ham case ke silsile me." Yaswant ne santulit bhaav se kaha_____"Kuch zaruri tahqiqaat ke liye aaye hain."
"Ab kis baat ki tahqiqaat karne aaye hain aap log.?" Aurat ne na samajhne wale bhaav se pucha_____"Jisne jurm kiya tha use to aap yaha se le hi gaye hain. Fir ab kya rah gaya hai.?"
"Kya yahi darwaze par hi khada rakhegi hame.?" Yaswant ne kaha_____"Behtar hota agar ham andar chal kar baat kare."
Yaswant ki is baat se aurat ne kuch pal socha fir ek taraf hat kar usne un dono ko andar aane ka raasta de diya. Kuch hi der me wo sab andar the. Aurat ne un dono ko chairs par baithaya aur chaay paani ke liye pucha jis par dono ne mana kar diya.
"Kuch bhi batane se pahle." Yaswant ne dushyant ki taraf ishara karte huye us aurat se kaha_____"Main aapko bata du ki ye mere dost hain aur police me inspector hain. Ab aap ye soch rahi hongi ki main inke bare me aapko kyo bata raha hu to uska jawaab ye hai ki jis shakhs ko maine aapke yaha se chori aur aapki beti ke sath zor zabardasti karne ke jurm me giraftaar kiya hai us shakhs ko waise hi jurm me inspector dushyant bhi do mahine pahle giraftaar kar chuke hain. Kahne ka matlab ye ki do mahine pahle wo shakhs kahi dusri jagah kiraye se rahta tha aur fir ek raat usne us ghar me bhi chori ki aur apne makaan maalkin ki bahu ke sath zor zabardasti ki. Jiska nateeja ye nikla ki makaan maalkin ne police thaane me phone kiya aur us shakhs ko inke hawale kar diya."
"Bade aashcharya ki baat hai." Aurat jo ki mahesh ki dusri biwi thi aur jiska naam gayatri tha usne kaha_____"Kitna ghatiya insaan hai wo kameena. Aisa ghinauna jurm karte huye do do baar pakda gaya fir bhi sharm se mar nahi gaya."
"Sabse bade aashcharya ki baat to abhi aapko sunna baaki hai mrs gayatri ji." Yaswant ne kaha_____"Wo aashcharya ki baat ye hai ki police ki itni kutaayi ke baavjud wo shakhs yahi kah raha hai ki usne kuch nahi kiya aur yahi baat wo tab bhi kah raha tha jab do maheene pahle aise hi jurm me wo inspector dushyant ke hatthe chadha tha. Inka kahna hai ki usne last tak kabool nahi kiya ki usne wo sab kiya tha aur is baar bhi wo yahi kah raha hai ki usne kuch nahi kiya."
"Ye aap kya kah rahe hain.?" Gayatri ne hairat se aankhe chaudi karte huye kaha_____"Jab ki sach ye hai ki usi ne hamare ghar me chori ki thi aur meri beti ke sath zor zabardasti karte huye uski ijjat lootne ki koshish bhi ki thi."
"Aap apni jagah bilkul sahi hain gayatri ji." Yaswant ne kaha____"Aur khud mera bhi yahi maanna hai magar aaj jab mere ye dost mujhse milne thane me aaye to us wakt main usi shakhs ki dhulaayi me laga hua tha. Baad me jab inhone mujhse uske bare me pucha to maine bataya ki wo kaun hai aur kis jurm me uski dhulaayi ho rahi hai. Tab inke dimaag me jane kya aaya ki ye mujhse usko dekhne ki zid karne lage aur jab lockup me pahuch kar inhone use dekha to ye use pahchaan gaye. Tab inhone mujhe uske bare me bataya ki do maheene pahle same isi jurm me inhone use giraftaar kiya tha. Magar itni kutaayi ke baad bhi wo yahi kahta raha tha ki usne kuch nahi kiya. Ab sawaal ye hai ki agar usne nahi kiya to kisne kiya.?"
"Wo jhooth bol raha hai inspector sahab." Gayatri ne zor dete huye teekhe lahje se kaha_____"Mujhe to wo shuru se hi khal raha tha. Uska ajeeb tarah se chup rahne ka yahi matlab ho sakta hai ki zarur apne andar yahi sab karne ki planning kiye baitha tha wo."
"Duniya bahut badi hai gayatri ji." Sahsa is bich pahli baar dushyant ne apna muh khola, bola_____"Aur is duniya me tarah tarah ke aise log paye jate hain jo ek se badh ek vichitra type ke gudo se bhare hain. Unme se hi ek ye shakhs hai jiska naam hai avinash. Aap ye maanti hain na ki koi bhale hi chahe kitna hi bardaast karne ki kshamta rakhta ho magar wo bhi aakhir toot hi jata hai. Kahne ka matlab ye ki police jab apni thirld degree ka prayog karti hai to ache se achha mujrim bhi muh faad kar apna gunaah kabool kar leta hai. Itna hi nahi balki aisa bhi hota hai ki jisne jurm nahi bhi kiya hota wo bhi police ki maar ke dar se jurm kabool kar leta hai magar avinash ke maamle me aisa nahi hai. Jab maine use torture kiya tha tab main khud hairaan tha ki ye kis mitti ka bana hua hai aur last me mujhe yahi samajh aaya ki ye banda apni jaan to de dega magar wo kabool nahi karega jo shayad isne kiya hi nahi hai."
Dushyant ki in baato par gayatri kuch bol na saki balki ajeeb bhaav se dono ki taraf dekhti rahi. Kuch der waha par khamoshi chhayi rahi uske baad dushyant ne gahri saans lete huye kaha.
"Khair chhodiye is baat ko." Dushyant ne jaise pahlu badalne ki garaj se kaha______"Ham zara ek baar fir se uske kamre ka muaayna karna chaahte hain, sath hi is baat ki bhi jaanch karna chahte hain ki us raat baahar se koi yaha aaya to nahi tha."
"Ye aap kya kah rahe hain.?" Gayatri ji ke chehre par chaunkne ke bhaav ubhre, boli______"Baahar se koi yaha kyo aayega.?"
"Dekhiye ham dono pahaluo par gaur kar rahe hain." Dushyant ne samjhane wale bhaav se kaha_____"Is baat par bhi ki wo jhooth bol raha hai ki nahi aur is baat par bhi ki agar wo aur aap dono apni apni jagah par sahi hain to fir aisa kaun hai jisne us raat aa kar yaha par un dono waardaato ko anjaam diya aur fir avinash ko fasa kar yaha se khisak liya.?"
Dushyant ki baat par gayatri ke chehre par hairaani ke bhaav ubhre aur usne kuch sochte huye un dono ko muaayna kar lene ki ijazat de di. Ijazat milte hi dono chairs se ek sath uthe aur fir yaswant apne dost dushyant ko le kar us kamre ki taraf badh chala jaha avinash rah raha tha. Avinash ka kamra first floor par tha. Kuch hi der me dono uske kamre me pahuch gaye. Dushyant ki nazar me scene waisa hi tha jaise usne mrs babita ke yaha dekha tha. Matlab ki avinash ke kamre me kuch nahi tha. Na koi bed aur na hi kahi par koi samaan. Dono kafi der tak kamre me har jagah dekhte rahe uske baad wo dono kamre se baahar aaye. Kamre ke baahar baaki ka chhat khula hua tha. Wo dono badi baariki se chhat ke kinare par lagi boundary par aur uske baahar dekh rahe the.
"Achha ek baat batao pyare." Dushyant ne boundary ke baahar sadak par dekhne ke baad kaha______"Tumne yaha ke finger prints liye the.?"
"Yaar finger prints lene jaisi baat hi nahi thi." Yaswant ne kandhe uchkaate huye kaha______"Case bilkul saaf tha is liye mujrim ko giraftaar kiya aur apne sath le gaya. Tumhare aane se pahle tak apne dimaag me ye baat thi hi nahi ki aisa bhi kuch hai uske maamle me."
"Chalo koi baat nahi." Dushyant ne kaha______"Agar koi yaha aaya bhi hai to wo niche main gate se to aane se raha kyo ki waha gate andar se band hi raha hoga. Matlab yaha aane ka uske paas yahi ek raasta tha. Niche sadak se wo paani ke pipe dwara yaha chhat par aaya aur fir mumkin hai ki usne avinash ke kamre me bhi jhaank kar dekha hoga. Uske baad wo seedhiyo se niche gaya aur fir waha se gayatri ji ki beti ke kamre me."
"Nahi dost." Yaswant ne inkaar me sir hilate huye kaha____"Wo pahle gayatri ji ke kamre me gaya tha. Kyo ki gahne unke hi chori huye the."
"Oh haan." Dushyant ko jaise kuch yaad aaya, bola_____"Gayatri ji ki beti ke paas bhala gahne kaha se hote.? Uski to abhi shadi hi nahi huyi hai. Khair to wo pahle gayatri ji ke kamre me gaya aur waha se usne gahne churaye. Uske baad wo waapas aaya aur avinash ke kamre me usne wo sare gahne rakh diye. Uske baad jab wo waapas niche gaya to is baar wo gayatri ji ki beti ke kamre me gaya aur waha par wo unki beti ke sath zor zabardasti karne laga. Is zor zabardasti me unki beti cheekhi chillaayi jisse gayatri ji aur unke pati ki neend khul gayi aur wo bhaagte huye apni beti ke kamre me aaye honge. Beti ke kamre ke andar ka nazara dekh kar pahle to wo bhauchakke se rah gaye honge uske baad wo us shakhs se apni beti ko bachane ke liye aage badhe honge magar us shakhs ne jaise hi dekha ki ab wo pakda jayega to wo kisi tarah kamre se bhaag nikla. Ab kyo ki use avinash ko fasana tha is liye wo seedhiyo se upar ki taraf hi bhaga, halaaki wo niche main gate se bhi baahar bhaag sakta tha. Khair jab wo seedhiyo se upar ki taraf bhaga to uske pichhe gayatri ji bhi apne pati ke sath uska pichha karte huye bhaagi hongi. Udhar wo upar pahuchte hi us taraf se chhu mantar ho gaya jaha se wo aaya tha. Jabki gayatri aur mahesh ji avinash ke kamre me pahuch gaye. Uske baad unhone avinash ke sath wahi kiya jo aisi situation me unhe karna chahiye tha."
"Bilkul." Yaswant ne kaha______"Bhala wo dono ye kaise soch sakte the ki jise wo apradhi maan kar use police ke hawale kar rahe hain wo bechara to bewajah hi fas gaya tha. Jabki asli karta dharta to koi aur hi tha uski shakal me."
"Waise mera dawa hai." Dushyant ne kaha_____"Ki hame yaha par kahi bhi uske finger prints nahi milne wale. Seedhi si baat hai pyare ki jis shakhs ne ye sab kar ke avinash ko do do baar fasaya wo koi bahut hi bada shaatir hoga aur use achhi tarah pata hai ki uske khilaaf maujood chhota sa bhi saboot uski pol khol dega aur police ko us tak pahuchne ka raasta de dega."
"Baat to tumhari thik hai." Yaswant ne kaha_____"Magar sawaal hai ki ham kaise us tak pahuchege.?"
"Agar sach yahi hai." Dushyant ne kaha_____"To ek din zarur pahuchege pyare. Mujrim chaahe kitna bhi chalaak ya shaatir kyo na ho wo apne khilaaf koi na koi suraag zarur chhod ke jata hai jisse wo kanoon ki chapet me aa sake. Khair abhi to hame avinash se puchhna padega ki kya uske sath aisa koi kar sakta hai.?"
Thodi der aur idhar udhar ka muaayna karne ke baad dono niche aa gaye. Gayatri ji ko shukriya bol kar dono gipsy me baithe aur waapas thane ki taraf chal pade.
"Iske pahle." Raaste me driving kar rahe yaswant ne dushyant ki taraf dekhne ke baad kaha_____"Jab tumne use pakda tha aur tumhe ye sab laga tha to kya tumne is bare me tahqiqaat nahi ki thi.?"
"Ab tumhe kya bataye pyare.?" Dushyant ne apne andaz me kaha_____"Ham to isi maamle me apna sir khapa rahe the magar hamara muh laga hawaldaar bhanu bechara tang aa gaya tha. Asal me wo pichhle ek maheene tak avinash ki khoj me bhatka tha magar is kambakht ka kahi pata hi nahi chal saka tha. Hamne bhi socha ki kyo bekaar me apna sir khapaye magar kya pata tha ki tumse milte hi fir se ye chakkar shuru ho jayega."
"Waise ab avinash ka kya kare.?" Yaswant ne kaha______"Mujhe nahi lagta ki ab use dhone ka koi faayda hoga."
"Agar us par koi case file nahi kiya hai." Dushyant ne kaha_____"To chhod do use. Ab dusre tarike se is maamle me usse puchhtaachh karte hain."
"Thik hai fir." Yaswant ne kaha______"Main aaj hi chhod duga use magar use nazar se door rakhna bhi sahi nahi hoga."
"Sahi kaha." Dushyant ne kaha______"Pichhli baar sala aise gayab hua tha jaise ki use ye zameen hi kha gayi thi. Mahesh ke yaha se to ab iska dana pani uth hi gaya hai is liye soch raha hu ki apne paas hi rakh leta hu use."
"Thik hai jaisi tumhari marzi." Yaswant ne kaha_____"Magar mujhe bhi batate rahna uske is maamle ke bare me."
"Zarur batayenge pyare." Dushyant ne muskurate huye kaha_____"Tum to apni jaan ho pyare. Tum apni jaan na hote to bhala ham kaise apni tasreef ka tokra liye tumhare thane me aate aur jab yaha aate hi nahi to bhala hame ye kaise pata chalta ki jis namuraad hasti ki khoj me hamara hawaldaar ek maheene tak bhatakte huye kalpa tha wo yaha mil jayega. Iska matlab ye hua pyare ki hamari kismat me bhagwan ne tumhe hamari jaan isi liye pahle se bana kar likh diya tha ki ek din ham yaha apni jaan se milne aaye aur hamare hawaldaar ko tadpane wala wo shakhs yaha hame mil jaye."
"Tum ye bakwas karna kab band karoge dushyant.?" Yaswant ne maano kheejhte huye kaha_____"College me bhi isi tarah non-stop shuru ho jate the aur aaj bhi waise hi shuru ho jate ho. Yaar kabhi to serious ho jaya karo."
"Ye dushyant the great ka style hai pyare." Dushyant ne jaise garv se kaha______"Ham serious situation me bhi serious nahi hote kyo ki apne ko serious reaction dena zara bhi pasand nahi hai. Khair chhodo itni badi goodh gyaan ki baate tum nahi samjhoge. Haan to ham ye kah rahe the ki us avinash ko ham apne yaha rakhenge aur fir usse bade pyaar se puchhenge ki uske sath ye jo kuch do do baar ho chuka hai to aisi meharbaani uske sath kaun kar sakta hai.? Aakhir koi to uska itna bada chaahne wala hoga jo us par aisi meharbaaniya karta hai."
"Ye to pakki baat hai dushyant." Yaswant ne kaha_____"Bewajah koi bhi is tarah kisi ko nahi fasana chahega. Matlab saaf hai ki koi to aisa hai jo avinash ko apna dushman samajhta hai aur baar baar use is tarah se fasa raha hai."
"Lekin sabse bada sawaal to ye hai pyare." Dushyant ne apne chir parichit andaaz me kaha______"Ki kya avinash ne khud kabhi na is baare me socha hoga.? Jaha tak hamari jaankaari ka maamla hai to us hisaab se uska apna koi nahi hai is faani duniya me aur na hi wo kisi se koi matlab rakhta hai. Ab sochne wali baat hai ki aise bande se kisi ki aisi kya dushmani ho jayegi ki wo ise is tarah se fasaye aur police dwara iski pelaayi karwaye.?"
"Mujhe to lagta hai." Yaswant ne sochne wale andaaz se kaha_____"Ki ye aadmi hamse hi nahi balki har kisi se apne bare me bahut kuch chhupa raha hai. Matlab iski life me aisa kuch ho chuka hai jiske chalte koi iske sath aisa kar raha hai aur ye is bare me jaanta bhi hai magar kisi ko batana nahi chaahta."
"Waaah meri jaan kya baat kahi hai tumne." Dushyant ne muskurate huye kaha______"Tumhari in baato se khush ho kar ham tumhe ye dua dete hain ki tumhare dher sare biwi bachche ho aur wo sab zindagi bhar tumhara khoon piye."
"Unse zyada to tum mera khoon pi rahe ho." Yaswant ne gusse se dushyant ki taraf dekhte huye kaha______"Jane aaj subah subah kiska muh dekh liya tha maine ki mere man me tumse milne ka khayaal aa gaya tha."
"Aise to na bolo pyare." Dushyant ne maano dukhi bhaav se kaha______"Tum nahi jaante ki ham tumse kitna pyaar karte hain. Haan ye alag baat hai ki is pyaar me ham tumhare sath wo wala pyaar nahi kar sakte. Kyo ki kuch bhi ho aakhir tum ho to ek mard hi aur wo wala pyaar to kisi aurat se karte hain na.?"
"Shukar hai ki main mard hi hu." Yaswant ne kaha_____"Warna agar aurat hota to jane kab ka tum mera rape kar chuke hote."
"Ab itne bhi bure din nahi aaye hain hamare." Dushyant ne hath ko jhatakte huye kaha______"Ki ham kisi abla naari ka rape hi kar daale. Are jis din maamla hamari bardaast ke baahar ho jayega to ham kisi kuwari kanya se shadi kar lenge pyare. Fir din raat uske sath suhaagraat manayenge."
"Ab agar tumhara drama ho gaya ho." Yaswant ne uski baato par zara bhi dhyaan na dete huye kaha______"To kuch case ke bare me baat kare.??"
"Bhaad me jaye tumhara case pyare." Dushyant ne naraazgi dikhate huye kaha_______"Ham to ab tabhi case ke bare me baat karenge jab ham kisi kuwari kanya ke sath din raat suhaagraat mana lenge."
Yaswant daant pees kar rah gaya. Dushyant ki rang rang se waaqif tha wo. Use pata tha ki dushyant ne agar ek baar drama shuru kiya to fir wo chup nahi ho sakta tha. Uske baad koi kitna bhi chaahe dushyant ko sahi line par nahi la sakta tha. College life me wo sabko aise hi pakata tha. Iske baavjud log usse kinara nahi karte the. Kyo ki beshak wo dramebaaz tha aur pakata tha magar dimaag ka tez tha aur padhaayi me sabse aage. Ladkiya us par marti thi magar wo kisi ko zyada bhaav nahi deta tha. Jabki uske sabhi dost usse yahi kahte ki wo agar kisi ladki ke sath mauj nahi karna chaahta to kam se kam kisi ko hame hi daan kar do. Dosto ke aisa kahne par usne kayi baar aisa kiya bhi tha.
Dushyant ekdam se chup ho gaya tha. Yaswant jaanta tha ki ab usse chaahe jitni baate karo wo kuch nahi bolega. Is liye wo khud bhi chup ho gaya tha. Aise hi kuch der me wo dono thane pahuch gaye. Gipsy se utar kar dono thane ke andar aaye. Yaswant ne ek police wale ko bol kar avinash ko lockup se nikaal lane ko kaha. Kuch hi der me police wale ke sath luta pita avinash aaya. Use dekh kar dushyant ne ek police wale se uska huliya sahi karne ke liye kaha.
Kareeb bees minute me jab avinash aaya to is baar uska huliya thik thaak nazar aaya. Police wala use maano nahla dhula kar aur saaf suthra chaka chak karke laya tha. Avinash apne nature ke hisaab se chup hi tha. Uske chehre par koi bhaav nahi the. Aisa lag raha tha jaise use kisi prakaar ka na koi dukh tha aur na hi sukh. Kuch der baad dushyant use le kar thane se baahar ki taraf chal pada. Yaswant bhi uske peeche peeche baahar tak aaya.
"Agar koi progress ho." Dushyant ko uski gipsy ke paas jate dekh peeche se yaswant ne awaaz dete huye kaha_____"To mujhe phone zarur karna aur haan tumhare liye koi achhi si kuwari kanya zarur khojuga main."
"Sale pahle apne liye to khoj le." Dushyant ne palat kar usse kaha______"Meri fikar mat kar. Yaha chaaro taraf se ladkiyo ki line lagi huyi padi hai....samjhe.?"
"Haan wo to mujhe achhe se pata hai." Yaswant ne muskurate huye kaha______"Sala nautankibaaz."
Yaswant ki baat par dushyant bas muskura kar rah gaya. Uske baad usne avinash ko gipsy me baithne ko kaha to wo uski taraf hairaani se dekhne laga. Avinash ke is tarah dekhne se dushyant ne use policiya tone me baithne ko kaha to is baar avinash chup chaap uski gipsy me baith gaya. Uske paas uska ek bag tha jo hamesha uske sath hi rahta tha. Uske baithte hi dushyant ne gipsy ko start karke aage badha diya.
<>•<>•<>
Inspector dushyant avinash ko le kar apne ghar pahucha. Dushyant ko ye ghar ya ye kahe ki ye flat govt ki taraf se mila tha. Jabki uska apna ghar aur uske ghar wale sab gaav me the. Yaha wo akele hi rahta tha. Dushyant ki umar tees ke paar ho chuki thi magar ab tak usne shadi nahi ki thi. Aisa nahi tha ki wo shadi karna nahi chaahta tha balki iski vajah ye thi ki use koi ladki pasand nahi aati thi aur agar koi pasand aati bhi thi to uska nature use pasand nahi aata tha. Wo aisi ladki chaahta tha jo dikhne me khubsurat to ho hi magar usse zyada khubsurat uska nature ho. Uske ghar wale uski shadi ke liye bahut pareshan the magar dushyant ki bhi zid thi ki wo shadi karega to waisi hi ladki se jis ladki me uski chaahat ke anusaar khubi ho.
Dushyant ke flat me ek kamra, ek kitchen, ek bathroom aur ek dryingroom tha. Ek chhota sa kamra aur tha jisme uska kuch zaruri samaan aur dher sari kitaabo se bhari ek aalmaari thi. Avinash ko apne sath lane ke baad usne wo chhota kamra avinash ko dene ke liye socha. Is liye usne avinash ko bhi kaam par lagaya aur us chhote kamre se apna samaan aur aalamari apne kamre me shift karwaya. Lagbhag aadhe ghante me sara samaan rakhne ke baad us kamre ki saaf safaayi bhi ho gayi. Dushyant bhale hi ek police inspector tha magar usne is kaam me avinash ka barabar sahyog kiya. Usne ye bilkul bhi nahi socha ki avinash do do baar kisi jurm ki saza kaat chuka hai. Uski nazar me wo ek insaan hi tha jo kisi vajah se sataya ja raha tha. Filhaal to wo yahi samajh raha tha uske bare me. Baaki sach kya hai iska to use bhi pata nahi tha magar ek insaaniyat ke taur par wo usko apne sath rakhna chaahta tha.
Dushyant ke kitchen me khana banane ka sara samaan tha magar wo zyadatar baahar hi khana khata tha. Use khana banana zyada pasand nahi tha aur na hi use achhe se khana banana aata tha. Raasan tha nahi is liye usne kisi ko phone kar ke abhi ke liye khana magwa liya tha. Usne avinash se pucha ki wo khana bana leta hai to usne pahle to yahi kaha ki wo hamesha baahar ka hi khana khata tha lekin zarurat padne par wo thik thaak khana bana leta hai. Avinash ki is baat se dushyant ne kaha ki wo raasan ka sara samaan la dega.
Avinash ko bhi samajh aa gaya tha ki use ab dushyant ke sath hi rahna hai. Halaaki yaha rahne ka uska zara bhi man nahi tha magar ek police wale ko inkaar karna uske bas ka na tha. Wo to ye sach kar hi man hi man ghabra raha tha ki kahi uski vajah se dushyant par koi baat na aa jaye. Use ye to pata nahi tha ki aisa kaise hoga magar wo apni kismat ko achhi tarah jaanta tha. Jab se usne hosh samhala tha tab se usne yahi dekha tha ki uski kismat duniya ke har badnaseeb aadmi se zyada kharaab hai. Shayad yahi vajah thi ki wo kisi se baat nahi karta tha balki sirf apne aur apne kaam se matlab rakhta tha. Use kisi ki sahaanubhuti ki koi zarurat nahi thi. Wo jaisa bhi tha waisa hi rahna chaahta tha. Uski soch sirf itni thi ki do wakt ka khana use mil jaye baaki use kisi bhi baat se koi matlab nahi tha. Use apni life me kya karna hai ya kya banna hai is baat se bhi use koi matlab nahi tha. Aisi soch wale is insaan me ek khoobi ye thi ki ye kisi bhi prakaar ka nasha nahi karta tha. Warna aise log zyadatar nashe ke aadi zarur hote hain.
Shaam dhal chuki thi aur khana bhi aa chuka tha. Is liye dushyant aur avinash ne khana khaya uske baad free ho kar dono drying room me rakhe sofo par baith gaye. Balki ye kaha jaye to zyada uchit hoga ki dushyant ke kahne par avinash bhi uske saamne wale sofe par baith gaya. Dushyant cigarette pita tha is liye usne avinash ko bhi offer ki magar usne saaf inkaar kar diya, ye kah kar ki wo kisi bhi tarah ka nasha nahi karta. Dushyant uski is baat par bas muskura kar rah gaya tha.
"Tumhe yaha par comfortable to feel ho raha hai na avinash pyare.?" Dushyant ne cigarette ke dhuye ko hawa me udaane ke baad apne andaaz me kaha______"Khair ek baat zara kaan laga kar sun lo bhai ki yaha se baahar jana to zarur magar bhaagne ke iraade se bilkul nahi. Kyo ki us surat me tumhe taklif bhi ho sakti hai."
"Meri to ye samajh me nahi aa raha sahab." Avinash ne dheemi awaaz me kaha______"Ki aap mujhe yaha laye kyo hain.?"
"Itna zyada mat socho pyare." Dushyant ne kaha_____"Bas yu samjho ki hame tumse thik usi tarah pyar ho gaya hai jaise kisi ladke ko kisi haseen ladki se ho jata hai aur ab jab ki hame tumse pyar ho hi gaya hai to bhala ham tumhe apne se door kaise rakh sakte hain.?"
"Ji main kuch samjha nahi." Avinash maano chakra sa gaya.
"Hamne abhi samjhaya kaha pyare.?" Dushyant ne cigarette ka kash lene ke baad uske dhuye ko hawa me udaate huye kaha_____"Samjhayenge to ham baad me. Abhi to tum bas yu samjho ki hame tumse thik usi tarah pyar ho gaya hai jaise....oh sorry dear...lagta hai ye baat ham iske pahle bhi kah chuke hain. Haan to dusri baat kahte hain....nahi balki puchhte hain. Haan to ham ye puchh rahe hain ki tumhare sath ye jo kuch bhi do do baar ho chuka hai uske bare me tumhara apna kya khayaal hai.?"
"Ji main abhi bhi kuch nahi samjha sahab." Avinash ke chehre par uljhan ke bhaav ubhar aaye the.
"Kya tum sach me itne buddhu type ho pyare.?" Dushyant ne bura sa muh banaya, bola_____"Ki tumhe hamari paani ki tarah saaf baate samajh me hi nahi aayi.? Aree my dear ham ye puch rahe hain ki tum jo do do baar police ke hatho dhul diye gaye uske bare me tumhare apne kya vichaar hain.?"
"Ohh to aap." Avinash ko jaise ab samajh aaya, bola_____"Us jurm ke liye huyi meri kutaayi ke bare me puch rahe hain jo jurm maine kiya hi nahi tha.?"
"Oh my dear." Dushyant ne khush hote huye kaha_____"Tum to sach me samajhdaar ho gaye. Yes...ham usi ke bare me tumhare vichaar jaanna chaahte hain. Kya lagta hai tumhe.? Hamara matlab hai ki agar tumne wo jurm kiye hi nahi to kyo tumhe fasna pada ya ye kahe ki fasa diya gaya.?"
"Is bare me bhala main kya kah sakta hu.?" Avinash ne jaise laaparwaahi se apne kandhe uchkaye, bola______"Haan ye zarur samajhta hu ki ye bhi meri kismat ka ek bura hissa hai."
"Paheliya mat bujhao pyare." Dushyant ne kaha_____"Wo kya hai na ki duniya me ek yahi aisi cheez hai jo hamare khopde ke upar se chhu mantar ho jati hai. Is liye meharbani karke saaf saaf bataao ki ye sab tumhari kismat ka bura hissa kaise ho gaya jabki hame lagta hai ki isme kismat jaisi koi baat hi nahi hai."
"Mujhe is bare me kuch nahi pata sahab." Avinash ne jaise bebas bhaav se kaha_____"Main nahi jaanta ki har baar mere sath aisa kyo ho jata hai.?"
"Har baar se tumhara kya matlab hai pyare.?" Dushyant man hi man chaunka, bola______"Hamari jaankaari me to aisa do hi baar hua hai na tumhare sath.?"
"Do baar nahi sahab." Avinash ne ye kah kar jaise dhamaka kiya, bola______"Balki aisa kayi baar hua hai aur har baar isi jurm me mujhe police ke hawale kar diya gaya. Uske baad har baar police ne mere sath wahi kiya jo aapne aur un dusre sahab ne kiya...matlab ki mujhe dhobi ghaat ke kapdo ki tarah dhoya."
"Ye to sach me hairatangej baat huyi pyare." Dushyant sach me uski baato se hairaan nazar aaya tha, bola______"Achha ye bataao ki aisa tumhare sath kab se ho raha hai aur kya tumne kabhi is bare me jaanne ki ya pata karne ki koshish nahi ki ke aisa kyo hota hai tumhare sath ya aisa kaun kar raha hai tumhare sath.?"
"Shuru shuru me." Avinash ne gambheerta se kaha_____"Jab mere sath aisa do teen baar hua to maine pata karne ki bahut koshish ki thi magar mujhe nakaami hi mili. Matlab main is baat ka kuch pata lagane me safal nahi hua. Aakhir main kaise pata lagata sahab jab mujhe yahi nahi pata ki mera kaun dushman hai.? Main jaisa aaj hu waisa hi kal bhi tha. Kal bhi main kisi se koi matlab nahi rakhta tha aur aaj bhi nahi rakhta. Apni samajh me maine aaj tak kisi ke sath kuch bura nahi kiya to bhala main kaise pata lagata ki kaun mujhe is tarah har baar fasa deta hai.?"
"Tum to hamare dimaag ko chakar ghinni banane par tule ho pyare." Dushyant ne ajeeb bhaav se kaha______"Aisa bhala kaise ho sakta hai ki koi bina vajah tumhe aise jurm me ek baar nahi balki baar baar fasaye.? Ek baat tum achhi tarah samajh lo dear ki duniya me kuch bhi bewajah nahi hota. Matlab saaf hai ki tumhare sath jo koi bhi ye kar raha hai uske liye uske paas koi na koi vajah zarur hai aur ham usi vajah ka pata karna chaahte hain. Agar vajah pata chal gayi to samjho tumhare us chaahne wale ki gardan palak jhapakte hi hamare hath me aa jayegi jo tumse itna pyar karta hai."
Dushyant ki baate sun kar avinash chup rah gaya. Uske chehre par kayi tarah ke bhaavo ka aana jana nazar aaya. Jaise wo kisi bare me badi gahraayi se soch raha ho. Dushyant bade gaur se uske chahre ke bhaavo ko read kar raha tha.
"Kaha kho gaye pyare.?" Dushyant ne chutki baja kar uska dhyaan apni taraf aakarshit karte huye kaha______"Dekho agar kisi haseena ki zulfo ke khayaalo me kho gaye ho to hame bhi uske bare me bataao. Ham bhi to jane ki usme aisi kya khoobi hai jiske chalte tum uske khayaalo me is tarah kho gaye.?"
"Ji main bas." Avinash ne chaunkte huye kaha_____"Aapki baato ke bare me soch raha tha ki aisa kaun ho sakta hai jo mujhe har baar is tarah ke jurm me fasa deta hai.?"
"To sochne se kya pata chala pyare.?" Dushyant ne lambi saans kheechte huye kaha______"Kya aise kisi jaan nisaar ki tasveer nazar aayi tumhe.?"
"Nahi sahab." Avinash ne inkaar me sir hilate huye kaha_____"Mujhe aise kisi bhi byakti ke bare me kuch bhi nahi pata. Agar pata hota to aap khud sochiye ki kya main khud uske paas ja kar usse na puchhta ki wo mere sath har baar aisa kyo kar raha hai.?"
"Baat to tumhari durust hai pyare." Dushyant ne kaha_____"Par aisa bhi to ho sakta hai ki tumhe is sab ke bare me pata to sab kuch hai magar tum hame batana hi nahi chaahte."
"Nahi sahab." Avinash ne kaha_____"Aisi koi baat nahi hai. Bhala main aapse kyo nahi batana chaahuga.? Duniya me bhala aisa kaun sa aadmi hai jo itni maar sahne ke baad bhi apna sach na bataye.? Main sach me aapse kuch nahi chhupa raha. Har baar itni maar jhelne ka shauk kise ho sakta hai.? Har baar dusri jagah mujhe naya kamra rahne ke liye kiraye se lena padta hai aur har baar kahi dusri jagah kaam talaash karna padta hai. Har baar aisi pareshani uthana kaun pasand karega sahab.? Main to bas yahi chaahta hu apni zindagi se ki kahi to mujhe aisi jagah mile jaha main sukoon se rah saku aur is tarah ka haadsa mere sath na ho."
Avinash ki baato ka asar tha ya usme dushyant ko sachchaayi nazar aayi magar itna zarur hua ki usne usse dusra koi sawaal nahi kiya. Balki use kuch hidaayate de kar apne kamre me sone ke liye kah diya. Avinash sofe se utha aur chup chaap apne us chhote se kamre ki taraf badh gaya. Kamre me koi bed nahi tha. Halaaki avinash ki to aadat pad chuki thi farsh par sone ki is liye wo kamre me pahucha aur bag se ek chaddar nikaal kar use kamre ke farsh par bichhaya aur us par let gaya. Jabki dushyant wahi drying room me hi kisi gahre khayaalo me gum baitha raha.
Dosto update haazir hai,,,,,