• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller BEGUNAAH ( Completed )

mashish

BHARAT
8,082
25,904
203
BEGUNAAH
Update - 04
Ab Tak,,,,,

"Bheemseni kaajal ko chhodo." Yaswant ne sapaat bhaav se kaha_____"Aur ye batao ki kya decide kiya uske bare me.?"

"Ham ye soch rahe hain pyare." Dushyant ne apne andaaz me kaha_____"Ki ek baar chal kar us ghar ka muaayna kiya jaye jaha par ye sab hua hai."

"Waise to main muaayna kar chuka hu." Yaswant ne kaha_____"Magar tumhari tasalli ke liye main chal duga tumhare sath."
"To fir kursi par jame kyo baithe ho pyare." Dushyant ne chair se uthte huye kaha_____"Chalo hame bhi us bala ke darshan karwaao jiske sath is namuraad ne kaand karne ki koshish ki thi."
Dushyant ki baat par yaswant muskurate huye utha aur table se apni cap ko utha kar baahar ki taraf chal diya. Kuch hi der me dono police gipsy me baith kar nikal pade. Dushyant apni gipsy ko thane me hi khadi rahne diya tha.


Ab Aage,,,,,

Sub-inspector yaswant ne do manjila makaan ke saamne apni police gipsy ko roka. Gipsy ke rukte hi dushyant aur yaswant apni apni taraf ka darwaja khol kar niche utre. Dushyant ne makaan ko ek sarsari nazar se dekha aur fir yaswant ke piche chal diya. Kuch hi palo me dono makaan ke darwaje ke paas pahuch gaye. Yaswant ne darwaje ko bajaya to kuch hi der me ek aurat ne darwaja khola. Darwaze ke baahar do wardi dhaari police walo ko dekh kar us aurat ke maathe par kuch palo ke liye pareshani ke bhaav ubhre fir samaanya ho gayi wo.

"Aap log yaha.?" Us aurat ne dushyant ko dekhne ke baad yaswant se kaha_____"Kahiye kya baat hai.? Mere pati ghar par nahi hain."
"Wo ham case ke silsile me." Yaswant ne santulit bhaav se kaha_____"Kuch zaruri tahqiqaat ke liye aaye hain."

"Ab kis baat ki tahqiqaat karne aaye hain aap log.?" Aurat ne na samajhne wale bhaav se pucha_____"Jisne jurm kiya tha use to aap yaha se le hi gaye hain. Fir ab kya rah gaya hai.?"
"Kya yahi darwaze par hi khada rakhegi hame.?" Yaswant ne kaha_____"Behtar hota agar ham andar chal kar baat kare."

Yaswant ki is baat se aurat ne kuch pal socha fir ek taraf hat kar usne un dono ko andar aane ka raasta de diya. Kuch hi der me wo sab andar the. Aurat ne un dono ko chairs par baithaya aur chaay paani ke liye pucha jis par dono ne mana kar diya.

"Kuch bhi batane se pahle." Yaswant ne dushyant ki taraf ishara karte huye us aurat se kaha_____"Main aapko bata du ki ye mere dost hain aur police me inspector hain. Ab aap ye soch rahi hongi ki main inke bare me aapko kyo bata raha hu to uska jawaab ye hai ki jis shakhs ko maine aapke yaha se chori aur aapki beti ke sath zor zabardasti karne ke jurm me giraftaar kiya hai us shakhs ko waise hi jurm me inspector dushyant bhi do mahine pahle giraftaar kar chuke hain. Kahne ka matlab ye ki do mahine pahle wo shakhs kahi dusri jagah kiraye se rahta tha aur fir ek raat usne us ghar me bhi chori ki aur apne makaan maalkin ki bahu ke sath zor zabardasti ki. Jiska nateeja ye nikla ki makaan maalkin ne police thaane me phone kiya aur us shakhs ko inke hawale kar diya."

"Bade aashcharya ki baat hai." Aurat jo ki mahesh ki dusri biwi thi aur jiska naam gayatri tha usne kaha_____"Kitna ghatiya insaan hai wo kameena. Aisa ghinauna jurm karte huye do do baar pakda gaya fir bhi sharm se mar nahi gaya."

"Sabse bade aashcharya ki baat to abhi aapko sunna baaki hai mrs gayatri ji." Yaswant ne kaha_____"Wo aashcharya ki baat ye hai ki police ki itni kutaayi ke baavjud wo shakhs yahi kah raha hai ki usne kuch nahi kiya aur yahi baat wo tab bhi kah raha tha jab do maheene pahle aise hi jurm me wo inspector dushyant ke hatthe chadha tha. Inka kahna hai ki usne last tak kabool nahi kiya ki usne wo sab kiya tha aur is baar bhi wo yahi kah raha hai ki usne kuch nahi kiya."

"Ye aap kya kah rahe hain.?" Gayatri ne hairat se aankhe chaudi karte huye kaha_____"Jab ki sach ye hai ki usi ne hamare ghar me chori ki thi aur meri beti ke sath zor zabardasti karte huye uski ijjat lootne ki koshish bhi ki thi."

"Aap apni jagah bilkul sahi hain gayatri ji." Yaswant ne kaha____"Aur khud mera bhi yahi maanna hai magar aaj jab mere ye dost mujhse milne thane me aaye to us wakt main usi shakhs ki dhulaayi me laga hua tha. Baad me jab inhone mujhse uske bare me pucha to maine bataya ki wo kaun hai aur kis jurm me uski dhulaayi ho rahi hai. Tab inke dimaag me jane kya aaya ki ye mujhse usko dekhne ki zid karne lage aur jab lockup me pahuch kar inhone use dekha to ye use pahchaan gaye. Tab inhone mujhe uske bare me bataya ki do maheene pahle same isi jurm me inhone use giraftaar kiya tha. Magar itni kutaayi ke baad bhi wo yahi kahta raha tha ki usne kuch nahi kiya. Ab sawaal ye hai ki agar usne nahi kiya to kisne kiya.?"

"Wo jhooth bol raha hai inspector sahab." Gayatri ne zor dete huye teekhe lahje se kaha_____"Mujhe to wo shuru se hi khal raha tha. Uska ajeeb tarah se chup rahne ka yahi matlab ho sakta hai ki zarur apne andar yahi sab karne ki planning kiye baitha tha wo."

"Duniya bahut badi hai gayatri ji." Sahsa is bich pahli baar dushyant ne apna muh khola, bola_____"Aur is duniya me tarah tarah ke aise log paye jate hain jo ek se badh ek vichitra type ke gudo se bhare hain. Unme se hi ek ye shakhs hai jiska naam hai avinash. Aap ye maanti hain na ki koi bhale hi chahe kitna hi bardaast karne ki kshamta rakhta ho magar wo bhi aakhir toot hi jata hai. Kahne ka matlab ye ki police jab apni thirld degree ka prayog karti hai to ache se achha mujrim bhi muh faad kar apna gunaah kabool kar leta hai. Itna hi nahi balki aisa bhi hota hai ki jisne jurm nahi bhi kiya hota wo bhi police ki maar ke dar se jurm kabool kar leta hai magar avinash ke maamle me aisa nahi hai. Jab maine use torture kiya tha tab main khud hairaan tha ki ye kis mitti ka bana hua hai aur last me mujhe yahi samajh aaya ki ye banda apni jaan to de dega magar wo kabool nahi karega jo shayad isne kiya hi nahi hai."

Dushyant ki in baato par gayatri kuch bol na saki balki ajeeb bhaav se dono ki taraf dekhti rahi. Kuch der waha par khamoshi chhayi rahi uske baad dushyant ne gahri saans lete huye kaha.

"Khair chhodiye is baat ko." Dushyant ne jaise pahlu badalne ki garaj se kaha______"Ham zara ek baar fir se uske kamre ka muaayna karna chaahte hain, sath hi is baat ki bhi jaanch karna chahte hain ki us raat baahar se koi yaha aaya to nahi tha."

"Ye aap kya kah rahe hain.?" Gayatri ji ke chehre par chaunkne ke bhaav ubhre, boli______"Baahar se koi yaha kyo aayega.?"
"Dekhiye ham dono pahaluo par gaur kar rahe hain." Dushyant ne samjhane wale bhaav se kaha_____"Is baat par bhi ki wo jhooth bol raha hai ki nahi aur is baat par bhi ki agar wo aur aap dono apni apni jagah par sahi hain to fir aisa kaun hai jisne us raat aa kar yaha par un dono waardaato ko anjaam diya aur fir avinash ko fasa kar yaha se khisak liya.?"

Dushyant ki baat par gayatri ke chehre par hairaani ke bhaav ubhre aur usne kuch sochte huye un dono ko muaayna kar lene ki ijazat de di. Ijazat milte hi dono chairs se ek sath uthe aur fir yaswant apne dost dushyant ko le kar us kamre ki taraf badh chala jaha avinash rah raha tha. Avinash ka kamra first floor par tha. Kuch hi der me dono uske kamre me pahuch gaye. Dushyant ki nazar me scene waisa hi tha jaise usne mrs babita ke yaha dekha tha. Matlab ki avinash ke kamre me kuch nahi tha. Na koi bed aur na hi kahi par koi samaan. Dono kafi der tak kamre me har jagah dekhte rahe uske baad wo dono kamre se baahar aaye. Kamre ke baahar baaki ka chhat khula hua tha. Wo dono badi baariki se chhat ke kinare par lagi boundary par aur uske baahar dekh rahe the.

"Achha ek baat batao pyare." Dushyant ne boundary ke baahar sadak par dekhne ke baad kaha______"Tumne yaha ke finger prints liye the.?"
"Yaar finger prints lene jaisi baat hi nahi thi." Yaswant ne kandhe uchkaate huye kaha______"Case bilkul saaf tha is liye mujrim ko giraftaar kiya aur apne sath le gaya. Tumhare aane se pahle tak apne dimaag me ye baat thi hi nahi ki aisa bhi kuch hai uske maamle me."

"Chalo koi baat nahi." Dushyant ne kaha______"Agar koi yaha aaya bhi hai to wo niche main gate se to aane se raha kyo ki waha gate andar se band hi raha hoga. Matlab yaha aane ka uske paas yahi ek raasta tha. Niche sadak se wo paani ke pipe dwara yaha chhat par aaya aur fir mumkin hai ki usne avinash ke kamre me bhi jhaank kar dekha hoga. Uske baad wo seedhiyo se niche gaya aur fir waha se gayatri ji ki beti ke kamre me."

"Nahi dost." Yaswant ne inkaar me sir hilate huye kaha____"Wo pahle gayatri ji ke kamre me gaya tha. Kyo ki gahne unke hi chori huye the."
"Oh haan." Dushyant ko jaise kuch yaad aaya, bola_____"Gayatri ji ki beti ke paas bhala gahne kaha se hote.? Uski to abhi shadi hi nahi huyi hai. Khair to wo pahle gayatri ji ke kamre me gaya aur waha se usne gahne churaye. Uske baad wo waapas aaya aur avinash ke kamre me usne wo sare gahne rakh diye. Uske baad jab wo waapas niche gaya to is baar wo gayatri ji ki beti ke kamre me gaya aur waha par wo unki beti ke sath zor zabardasti karne laga. Is zor zabardasti me unki beti cheekhi chillaayi jisse gayatri ji aur unke pati ki neend khul gayi aur wo bhaagte huye apni beti ke kamre me aaye honge. Beti ke kamre ke andar ka nazara dekh kar pahle to wo bhauchakke se rah gaye honge uske baad wo us shakhs se apni beti ko bachane ke liye aage badhe honge magar us shakhs ne jaise hi dekha ki ab wo pakda jayega to wo kisi tarah kamre se bhaag nikla. Ab kyo ki use avinash ko fasana tha is liye wo seedhiyo se upar ki taraf hi bhaga, halaaki wo niche main gate se bhi baahar bhaag sakta tha. Khair jab wo seedhiyo se upar ki taraf bhaga to uske pichhe gayatri ji bhi apne pati ke sath uska pichha karte huye bhaagi hongi. Udhar wo upar pahuchte hi us taraf se chhu mantar ho gaya jaha se wo aaya tha. Jabki gayatri aur mahesh ji avinash ke kamre me pahuch gaye. Uske baad unhone avinash ke sath wahi kiya jo aisi situation me unhe karna chahiye tha."

"Bilkul." Yaswant ne kaha______"Bhala wo dono ye kaise soch sakte the ki jise wo apradhi maan kar use police ke hawale kar rahe hain wo bechara to bewajah hi fas gaya tha. Jabki asli karta dharta to koi aur hi tha uski shakal me."

"Waise mera dawa hai." Dushyant ne kaha_____"Ki hame yaha par kahi bhi uske finger prints nahi milne wale. Seedhi si baat hai pyare ki jis shakhs ne ye sab kar ke avinash ko do do baar fasaya wo koi bahut hi bada shaatir hoga aur use achhi tarah pata hai ki uske khilaaf maujood chhota sa bhi saboot uski pol khol dega aur police ko us tak pahuchne ka raasta de dega."

"Baat to tumhari thik hai." Yaswant ne kaha_____"Magar sawaal hai ki ham kaise us tak pahuchege.?"
"Agar sach yahi hai." Dushyant ne kaha_____"To ek din zarur pahuchege pyare. Mujrim chaahe kitna bhi chalaak ya shaatir kyo na ho wo apne khilaaf koi na koi suraag zarur chhod ke jata hai jisse wo kanoon ki chapet me aa sake. Khair abhi to hame avinash se puchhna padega ki kya uske sath aisa koi kar sakta hai.?"

Thodi der aur idhar udhar ka muaayna karne ke baad dono niche aa gaye. Gayatri ji ko shukriya bol kar dono gipsy me baithe aur waapas thane ki taraf chal pade.

"Iske pahle." Raaste me driving kar rahe yaswant ne dushyant ki taraf dekhne ke baad kaha_____"Jab tumne use pakda tha aur tumhe ye sab laga tha to kya tumne is bare me tahqiqaat nahi ki thi.?"

"Ab tumhe kya bataye pyare.?" Dushyant ne apne andaz me kaha_____"Ham to isi maamle me apna sir khapa rahe the magar hamara muh laga hawaldaar bhanu bechara tang aa gaya tha. Asal me wo pichhle ek maheene tak avinash ki khoj me bhatka tha magar is kambakht ka kahi pata hi nahi chal saka tha. Hamne bhi socha ki kyo bekaar me apna sir khapaye magar kya pata tha ki tumse milte hi fir se ye chakkar shuru ho jayega."

"Waise ab avinash ka kya kare.?" Yaswant ne kaha______"Mujhe nahi lagta ki ab use dhone ka koi faayda hoga."
"Agar us par koi case file nahi kiya hai." Dushyant ne kaha_____"To chhod do use. Ab dusre tarike se is maamle me usse puchhtaachh karte hain."

"Thik hai fir." Yaswant ne kaha______"Main aaj hi chhod duga use magar use nazar se door rakhna bhi sahi nahi hoga."
"Sahi kaha." Dushyant ne kaha______"Pichhli baar sala aise gayab hua tha jaise ki use ye zameen hi kha gayi thi. Mahesh ke yaha se to ab iska dana pani uth hi gaya hai is liye soch raha hu ki apne paas hi rakh leta hu use."

"Thik hai jaisi tumhari marzi." Yaswant ne kaha_____"Magar mujhe bhi batate rahna uske is maamle ke bare me."
"Zarur batayenge pyare." Dushyant ne muskurate huye kaha_____"Tum to apni jaan ho pyare. Tum apni jaan na hote to bhala ham kaise apni tasreef ka tokra liye tumhare thane me aate aur jab yaha aate hi nahi to bhala hame ye kaise pata chalta ki jis namuraad hasti ki khoj me hamara hawaldaar ek maheene tak bhatakte huye kalpa tha wo yaha mil jayega. Iska matlab ye hua pyare ki hamari kismat me bhagwan ne tumhe hamari jaan isi liye pahle se bana kar likh diya tha ki ek din ham yaha apni jaan se milne aaye aur hamare hawaldaar ko tadpane wala wo shakhs yaha hame mil jaye."

"Tum ye bakwas karna kab band karoge dushyant.?" Yaswant ne maano kheejhte huye kaha_____"College me bhi isi tarah non-stop shuru ho jate the aur aaj bhi waise hi shuru ho jate ho. Yaar kabhi to serious ho jaya karo."

"Ye dushyant the great ka style hai pyare." Dushyant ne jaise garv se kaha______"Ham serious situation me bhi serious nahi hote kyo ki apne ko serious reaction dena zara bhi pasand nahi hai. Khair chhodo itni badi goodh gyaan ki baate tum nahi samjhoge. Haan to ham ye kah rahe the ki us avinash ko ham apne yaha rakhenge aur fir usse bade pyaar se puchhenge ki uske sath ye jo kuch do do baar ho chuka hai to aisi meharbaani uske sath kaun kar sakta hai.? Aakhir koi to uska itna bada chaahne wala hoga jo us par aisi meharbaaniya karta hai."

"Ye to pakki baat hai dushyant." Yaswant ne kaha_____"Bewajah koi bhi is tarah kisi ko nahi fasana chahega. Matlab saaf hai ki koi to aisa hai jo avinash ko apna dushman samajhta hai aur baar baar use is tarah se fasa raha hai."

"Lekin sabse bada sawaal to ye hai pyare." Dushyant ne apne chir parichit andaaz me kaha______"Ki kya avinash ne khud kabhi na is baare me socha hoga.? Jaha tak hamari jaankaari ka maamla hai to us hisaab se uska apna koi nahi hai is faani duniya me aur na hi wo kisi se koi matlab rakhta hai. Ab sochne wali baat hai ki aise bande se kisi ki aisi kya dushmani ho jayegi ki wo ise is tarah se fasaye aur police dwara iski pelaayi karwaye.?"

"Mujhe to lagta hai." Yaswant ne sochne wale andaaz se kaha_____"Ki ye aadmi hamse hi nahi balki har kisi se apne bare me bahut kuch chhupa raha hai. Matlab iski life me aisa kuch ho chuka hai jiske chalte koi iske sath aisa kar raha hai aur ye is bare me jaanta bhi hai magar kisi ko batana nahi chaahta."

"Waaah meri jaan kya baat kahi hai tumne." Dushyant ne muskurate huye kaha______"Tumhari in baato se khush ho kar ham tumhe ye dua dete hain ki tumhare dher sare biwi bachche ho aur wo sab zindagi bhar tumhara khoon piye."

"Unse zyada to tum mera khoon pi rahe ho." Yaswant ne gusse se dushyant ki taraf dekhte huye kaha______"Jane aaj subah subah kiska muh dekh liya tha maine ki mere man me tumse milne ka khayaal aa gaya tha."

"Aise to na bolo pyare." Dushyant ne maano dukhi bhaav se kaha______"Tum nahi jaante ki ham tumse kitna pyaar karte hain. Haan ye alag baat hai ki is pyaar me ham tumhare sath wo wala pyaar nahi kar sakte. Kyo ki kuch bhi ho aakhir tum ho to ek mard hi aur wo wala pyaar to kisi aurat se karte hain na.?"

"Shukar hai ki main mard hi hu." Yaswant ne kaha_____"Warna agar aurat hota to jane kab ka tum mera rape kar chuke hote."
"Ab itne bhi bure din nahi aaye hain hamare." Dushyant ne hath ko jhatakte huye kaha______"Ki ham kisi abla naari ka rape hi kar daale. Are jis din maamla hamari bardaast ke baahar ho jayega to ham kisi kuwari kanya se shadi kar lenge pyare. Fir din raat uske sath suhaagraat manayenge."

"Ab agar tumhara drama ho gaya ho." Yaswant ne uski baato par zara bhi dhyaan na dete huye kaha______"To kuch case ke bare me baat kare.??"
"Bhaad me jaye tumhara case pyare." Dushyant ne naraazgi dikhate huye kaha_______"Ham to ab tabhi case ke bare me baat karenge jab ham kisi kuwari kanya ke sath din raat suhaagraat mana lenge."

Yaswant daant pees kar rah gaya. Dushyant ki rang rang se waaqif tha wo. Use pata tha ki dushyant ne agar ek baar drama shuru kiya to fir wo chup nahi ho sakta tha. Uske baad koi kitna bhi chaahe dushyant ko sahi line par nahi la sakta tha. College life me wo sabko aise hi pakata tha. Iske baavjud log usse kinara nahi karte the. Kyo ki beshak wo dramebaaz tha aur pakata tha magar dimaag ka tez tha aur padhaayi me sabse aage. Ladkiya us par marti thi magar wo kisi ko zyada bhaav nahi deta tha. Jabki uske sabhi dost usse yahi kahte ki wo agar kisi ladki ke sath mauj nahi karna chaahta to kam se kam kisi ko hame hi daan kar do. Dosto ke aisa kahne par usne kayi baar aisa kiya bhi tha.

Dushyant ekdam se chup ho gaya tha. Yaswant jaanta tha ki ab usse chaahe jitni baate karo wo kuch nahi bolega. Is liye wo khud bhi chup ho gaya tha. Aise hi kuch der me wo dono thane pahuch gaye. Gipsy se utar kar dono thane ke andar aaye. Yaswant ne ek police wale ko bol kar avinash ko lockup se nikaal lane ko kaha. Kuch hi der me police wale ke sath luta pita avinash aaya. Use dekh kar dushyant ne ek police wale se uska huliya sahi karne ke liye kaha.

Kareeb bees minute me jab avinash aaya to is baar uska huliya thik thaak nazar aaya. Police wala use maano nahla dhula kar aur saaf suthra chaka chak karke laya tha. Avinash apne nature ke hisaab se chup hi tha. Uske chehre par koi bhaav nahi the. Aisa lag raha tha jaise use kisi prakaar ka na koi dukh tha aur na hi sukh. Kuch der baad dushyant use le kar thane se baahar ki taraf chal pada. Yaswant bhi uske peeche peeche baahar tak aaya.

"Agar koi progress ho." Dushyant ko uski gipsy ke paas jate dekh peeche se yaswant ne awaaz dete huye kaha_____"To mujhe phone zarur karna aur haan tumhare liye koi achhi si kuwari kanya zarur khojuga main."

"Sale pahle apne liye to khoj le." Dushyant ne palat kar usse kaha______"Meri fikar mat kar. Yaha chaaro taraf se ladkiyo ki line lagi huyi padi hai....samjhe.?"
"Haan wo to mujhe achhe se pata hai." Yaswant ne muskurate huye kaha______"Sala nautankibaaz."

Yaswant ki baat par dushyant bas muskura kar rah gaya. Uske baad usne avinash ko gipsy me baithne ko kaha to wo uski taraf hairaani se dekhne laga. Avinash ke is tarah dekhne se dushyant ne use policiya tone me baithne ko kaha to is baar avinash chup chaap uski gipsy me baith gaya. Uske paas uska ek bag tha jo hamesha uske sath hi rahta tha. Uske baithte hi dushyant ne gipsy ko start karke aage badha diya.

<>•<>•<>

Inspector dushyant avinash ko le kar apne ghar pahucha. Dushyant ko ye ghar ya ye kahe ki ye flat govt ki taraf se mila tha. Jabki uska apna ghar aur uske ghar wale sab gaav me the. Yaha wo akele hi rahta tha. Dushyant ki umar tees ke paar ho chuki thi magar ab tak usne shadi nahi ki thi. Aisa nahi tha ki wo shadi karna nahi chaahta tha balki iski vajah ye thi ki use koi ladki pasand nahi aati thi aur agar koi pasand aati bhi thi to uska nature use pasand nahi aata tha. Wo aisi ladki chaahta tha jo dikhne me khubsurat to ho hi magar usse zyada khubsurat uska nature ho. Uske ghar wale uski shadi ke liye bahut pareshan the magar dushyant ki bhi zid thi ki wo shadi karega to waisi hi ladki se jis ladki me uski chaahat ke anusaar khubi ho.

Dushyant ke flat me ek kamra, ek kitchen, ek bathroom aur ek dryingroom tha. Ek chhota sa kamra aur tha jisme uska kuch zaruri samaan aur dher sari kitaabo se bhari ek aalmaari thi. Avinash ko apne sath lane ke baad usne wo chhota kamra avinash ko dene ke liye socha. Is liye usne avinash ko bhi kaam par lagaya aur us chhote kamre se apna samaan aur aalamari apne kamre me shift karwaya. Lagbhag aadhe ghante me sara samaan rakhne ke baad us kamre ki saaf safaayi bhi ho gayi. Dushyant bhale hi ek police inspector tha magar usne is kaam me avinash ka barabar sahyog kiya. Usne ye bilkul bhi nahi socha ki avinash do do baar kisi jurm ki saza kaat chuka hai. Uski nazar me wo ek insaan hi tha jo kisi vajah se sataya ja raha tha. Filhaal to wo yahi samajh raha tha uske bare me. Baaki sach kya hai iska to use bhi pata nahi tha magar ek insaaniyat ke taur par wo usko apne sath rakhna chaahta tha.

Dushyant ke kitchen me khana banane ka sara samaan tha magar wo zyadatar baahar hi khana khata tha. Use khana banana zyada pasand nahi tha aur na hi use achhe se khana banana aata tha. Raasan tha nahi is liye usne kisi ko phone kar ke abhi ke liye khana magwa liya tha. Usne avinash se pucha ki wo khana bana leta hai to usne pahle to yahi kaha ki wo hamesha baahar ka hi khana khata tha lekin zarurat padne par wo thik thaak khana bana leta hai. Avinash ki is baat se dushyant ne kaha ki wo raasan ka sara samaan la dega.

Avinash ko bhi samajh aa gaya tha ki use ab dushyant ke sath hi rahna hai. Halaaki yaha rahne ka uska zara bhi man nahi tha magar ek police wale ko inkaar karna uske bas ka na tha. Wo to ye sach kar hi man hi man ghabra raha tha ki kahi uski vajah se dushyant par koi baat na aa jaye. Use ye to pata nahi tha ki aisa kaise hoga magar wo apni kismat ko achhi tarah jaanta tha. Jab se usne hosh samhala tha tab se usne yahi dekha tha ki uski kismat duniya ke har badnaseeb aadmi se zyada kharaab hai. Shayad yahi vajah thi ki wo kisi se baat nahi karta tha balki sirf apne aur apne kaam se matlab rakhta tha. Use kisi ki sahaanubhuti ki koi zarurat nahi thi. Wo jaisa bhi tha waisa hi rahna chaahta tha. Uski soch sirf itni thi ki do wakt ka khana use mil jaye baaki use kisi bhi baat se koi matlab nahi tha. Use apni life me kya karna hai ya kya banna hai is baat se bhi use koi matlab nahi tha. Aisi soch wale is insaan me ek khoobi ye thi ki ye kisi bhi prakaar ka nasha nahi karta tha. Warna aise log zyadatar nashe ke aadi zarur hote hain.

Shaam dhal chuki thi aur khana bhi aa chuka tha. Is liye dushyant aur avinash ne khana khaya uske baad free ho kar dono drying room me rakhe sofo par baith gaye. Balki ye kaha jaye to zyada uchit hoga ki dushyant ke kahne par avinash bhi uske saamne wale sofe par baith gaya. Dushyant cigarette pita tha is liye usne avinash ko bhi offer ki magar usne saaf inkaar kar diya, ye kah kar ki wo kisi bhi tarah ka nasha nahi karta. Dushyant uski is baat par bas muskura kar rah gaya tha.

"Tumhe yaha par comfortable to feel ho raha hai na avinash pyare.?" Dushyant ne cigarette ke dhuye ko hawa me udaane ke baad apne andaaz me kaha______"Khair ek baat zara kaan laga kar sun lo bhai ki yaha se baahar jana to zarur magar bhaagne ke iraade se bilkul nahi. Kyo ki us surat me tumhe taklif bhi ho sakti hai."

"Meri to ye samajh me nahi aa raha sahab." Avinash ne dheemi awaaz me kaha______"Ki aap mujhe yaha laye kyo hain.?"
"Itna zyada mat socho pyare." Dushyant ne kaha_____"Bas yu samjho ki hame tumse thik usi tarah pyar ho gaya hai jaise kisi ladke ko kisi haseen ladki se ho jata hai aur ab jab ki hame tumse pyar ho hi gaya hai to bhala ham tumhe apne se door kaise rakh sakte hain.?"

"Ji main kuch samjha nahi." Avinash maano chakra sa gaya.
"Hamne abhi samjhaya kaha pyare.?" Dushyant ne cigarette ka kash lene ke baad uske dhuye ko hawa me udaate huye kaha_____"Samjhayenge to ham baad me. Abhi to tum bas yu samjho ki hame tumse thik usi tarah pyar ho gaya hai jaise....oh sorry dear...lagta hai ye baat ham iske pahle bhi kah chuke hain. Haan to dusri baat kahte hain....nahi balki puchhte hain. Haan to ham ye puchh rahe hain ki tumhare sath ye jo kuch bhi do do baar ho chuka hai uske bare me tumhara apna kya khayaal hai.?"

"Ji main abhi bhi kuch nahi samjha sahab." Avinash ke chehre par uljhan ke bhaav ubhar aaye the.
"Kya tum sach me itne buddhu type ho pyare.?" Dushyant ne bura sa muh banaya, bola_____"Ki tumhe hamari paani ki tarah saaf baate samajh me hi nahi aayi.? Aree my dear ham ye puch rahe hain ki tum jo do do baar police ke hatho dhul diye gaye uske bare me tumhare apne kya vichaar hain.?"

"Ohh to aap." Avinash ko jaise ab samajh aaya, bola_____"Us jurm ke liye huyi meri kutaayi ke bare me puch rahe hain jo jurm maine kiya hi nahi tha.?"
"Oh my dear." Dushyant ne khush hote huye kaha_____"Tum to sach me samajhdaar ho gaye. Yes...ham usi ke bare me tumhare vichaar jaanna chaahte hain. Kya lagta hai tumhe.? Hamara matlab hai ki agar tumne wo jurm kiye hi nahi to kyo tumhe fasna pada ya ye kahe ki fasa diya gaya.?"

"Is bare me bhala main kya kah sakta hu.?" Avinash ne jaise laaparwaahi se apne kandhe uchkaye, bola______"Haan ye zarur samajhta hu ki ye bhi meri kismat ka ek bura hissa hai."

"Paheliya mat bujhao pyare." Dushyant ne kaha_____"Wo kya hai na ki duniya me ek yahi aisi cheez hai jo hamare khopde ke upar se chhu mantar ho jati hai. Is liye meharbani karke saaf saaf bataao ki ye sab tumhari kismat ka bura hissa kaise ho gaya jabki hame lagta hai ki isme kismat jaisi koi baat hi nahi hai."

"Mujhe is bare me kuch nahi pata sahab." Avinash ne jaise bebas bhaav se kaha_____"Main nahi jaanta ki har baar mere sath aisa kyo ho jata hai.?"
"Har baar se tumhara kya matlab hai pyare.?" Dushyant man hi man chaunka, bola______"Hamari jaankaari me to aisa do hi baar hua hai na tumhare sath.?"

"Do baar nahi sahab." Avinash ne ye kah kar jaise dhamaka kiya, bola______"Balki aisa kayi baar hua hai aur har baar isi jurm me mujhe police ke hawale kar diya gaya. Uske baad har baar police ne mere sath wahi kiya jo aapne aur un dusre sahab ne kiya...matlab ki mujhe dhobi ghaat ke kapdo ki tarah dhoya."

"Ye to sach me hairatangej baat huyi pyare." Dushyant sach me uski baato se hairaan nazar aaya tha, bola______"Achha ye bataao ki aisa tumhare sath kab se ho raha hai aur kya tumne kabhi is bare me jaanne ki ya pata karne ki koshish nahi ki ke aisa kyo hota hai tumhare sath ya aisa kaun kar raha hai tumhare sath.?"

"Shuru shuru me." Avinash ne gambheerta se kaha_____"Jab mere sath aisa do teen baar hua to maine pata karne ki bahut koshish ki thi magar mujhe nakaami hi mili. Matlab main is baat ka kuch pata lagane me safal nahi hua. Aakhir main kaise pata lagata sahab jab mujhe yahi nahi pata ki mera kaun dushman hai.? Main jaisa aaj hu waisa hi kal bhi tha. Kal bhi main kisi se koi matlab nahi rakhta tha aur aaj bhi nahi rakhta. Apni samajh me maine aaj tak kisi ke sath kuch bura nahi kiya to bhala main kaise pata lagata ki kaun mujhe is tarah har baar fasa deta hai.?"

"Tum to hamare dimaag ko chakar ghinni banane par tule ho pyare." Dushyant ne ajeeb bhaav se kaha______"Aisa bhala kaise ho sakta hai ki koi bina vajah tumhe aise jurm me ek baar nahi balki baar baar fasaye.? Ek baat tum achhi tarah samajh lo dear ki duniya me kuch bhi bewajah nahi hota. Matlab saaf hai ki tumhare sath jo koi bhi ye kar raha hai uske liye uske paas koi na koi vajah zarur hai aur ham usi vajah ka pata karna chaahte hain. Agar vajah pata chal gayi to samjho tumhare us chaahne wale ki gardan palak jhapakte hi hamare hath me aa jayegi jo tumse itna pyar karta hai."

Dushyant ki baate sun kar avinash chup rah gaya. Uske chehre par kayi tarah ke bhaavo ka aana jana nazar aaya. Jaise wo kisi bare me badi gahraayi se soch raha ho. Dushyant bade gaur se uske chahre ke bhaavo ko read kar raha tha.

"Kaha kho gaye pyare.?" Dushyant ne chutki baja kar uska dhyaan apni taraf aakarshit karte huye kaha______"Dekho agar kisi haseena ki zulfo ke khayaalo me kho gaye ho to hame bhi uske bare me bataao. Ham bhi to jane ki usme aisi kya khoobi hai jiske chalte tum uske khayaalo me is tarah kho gaye.?"

"Ji main bas." Avinash ne chaunkte huye kaha_____"Aapki baato ke bare me soch raha tha ki aisa kaun ho sakta hai jo mujhe har baar is tarah ke jurm me fasa deta hai.?"

"To sochne se kya pata chala pyare.?" Dushyant ne lambi saans kheechte huye kaha______"Kya aise kisi jaan nisaar ki tasveer nazar aayi tumhe.?"
"Nahi sahab." Avinash ne inkaar me sir hilate huye kaha_____"Mujhe aise kisi bhi byakti ke bare me kuch bhi nahi pata. Agar pata hota to aap khud sochiye ki kya main khud uske paas ja kar usse na puchhta ki wo mere sath har baar aisa kyo kar raha hai.?"

"Baat to tumhari durust hai pyare." Dushyant ne kaha_____"Par aisa bhi to ho sakta hai ki tumhe is sab ke bare me pata to sab kuch hai magar tum hame batana hi nahi chaahte."
"Nahi sahab." Avinash ne kaha_____"Aisi koi baat nahi hai. Bhala main aapse kyo nahi batana chaahuga.? Duniya me bhala aisa kaun sa aadmi hai jo itni maar sahne ke baad bhi apna sach na bataye.? Main sach me aapse kuch nahi chhupa raha. Har baar itni maar jhelne ka shauk kise ho sakta hai.? Har baar dusri jagah mujhe naya kamra rahne ke liye kiraye se lena padta hai aur har baar kahi dusri jagah kaam talaash karna padta hai. Har baar aisi pareshani uthana kaun pasand karega sahab.? Main to bas yahi chaahta hu apni zindagi se ki kahi to mujhe aisi jagah mile jaha main sukoon se rah saku aur is tarah ka haadsa mere sath na ho."


Avinash ki baato ka asar tha ya usme dushyant ko sachchaayi nazar aayi magar itna zarur hua ki usne usse dusra koi sawaal nahi kiya. Balki use kuch hidaayate de kar apne kamre me sone ke liye kah diya. Avinash sofe se utha aur chup chaap apne us chhote se kamre ki taraf badh gaya. Kamre me koi bed nahi tha. Halaaki avinash ki to aadat pad chuki thi farsh par sone ki is liye wo kamre me pahucha aur bag se ek chaddar nikaal kar use kamre ke farsh par bichhaya aur us par let gaya. Jabki dushyant wahi drying room me hi kisi gahre khayaalo me gum baitha raha.



Dosto update haazir hai,,,,, :yo:
nice update
 
  • Like
Reactions: TheBlackBlood

mashish

BHARAT
8,082
25,904
203
BEGUNAAH
Update - 05


Ab tak,,,,,

"Baat to tumhari durust hai pyare." Dushyant ne kaha_____"Par aisa bhi to ho sakta hai ki tumhe is sab ke bare me pata to sab kuch hai magar tum hame batana hi nahi chaahte."

"Nahi sahab." Avinash ne kaha_____"Aisi koi baat nahi hai. Bhala main aapse kyo nahi batana chaahuga.? Duniya me bhala aisa kaun sa aadmi hai jo itni maar sahne ke baad bhi apna sach na bataye.? Main sach me aapse kuch nahi chhupa raha. Har baar itni maar jhelne ka shauk kise ho sakta hai.? Har baar dusri jagah mujhe naya kamra rahne ke liye kiraye se lena padta hai aur har baar kahi dusri jagah kaam talaash karna padta hai. Har baar aisi pareshani uthana kaun pasand karega sahab.? Main to bas yahi chaahta hu apni zindagi se ki kahi to mujhe aisi jagah mile jaha main sukoon se rah saku aur is tarah ka haadsa mere sath na ho."
Avinash ki baato ka asar tha ya usme dushyant ko sachchaayi nazar aayi magar itna zarur hua ki usne usse dusra koi sawaal nahi kiya. Balki use kuch hidaayate de kar apne kamre me sone ke liye kah diya. Avinash sofe se utha aur chup chaap apne us chhote se kamre ki taraf badh gaya. Kamre me koi bed nahi tha. Halaaki avinash ki to aadat pad chuki thi farsh par sone ki is liye wo kamre me pahucha aur bag se ek chaddar nikaal kar use kamre ke farsh par bichhaya aur us par let gaya. Jabki dushyant wahi drying room me hi kisi gahre khayaalo me gum baitha raha.

Ab Aage,,,,,

Dusre din subah dushyant ki aankh khuli hi thi ki tabhi uske kamre ka darwaza baahar se khatkhataya gaya. Pahle to wo soch me pad gaya ki uske kamre ka darwaza kaun is tarah khatkhata sakta hai fir ekdam se uske dimaag ki batti jali aur use yaad aaya ki uske flat me uske alawa bhi ek shakhs hai jiska naam avinash hai.

Dushyant ne sirhaane rakhi apni hand watch ko utha kar time dekha to subah ke 06:15am ka wakt tha. Time dekh kar use hairaani huyi ki itni subah avinash uske kamre ka darwaza kyo khatkhata sakta hai.? Uska policiya dimaag palak jhapakte hi sakriya ho gaya. Ye to use pata hi tha ki avinash koi maamuli aadmi nahi tha balki jane kitni baar wo jurm karne par kaanoon se saza pa chuka tha. Ye alag baat hai ki jo jurm us par lage the wo sarasar jhoothe the uske anusaar.

Dushyant apne bed se is tarah utra ki uske utarne par bed ne zara si bhi chu cha ki awaaz na ki aur fir wo be-awaaz fauran hi darwaze ke paas pahucha. Tabhi darwaza fir se khatkhataya gaya aur sath hi avinash ki awaaz bhi aayi. Avinash ne use chaay pine ke liye 'sahab' kah kar awaaz diya tha. Idhar avinash ki ye baat sun kar dushyant ekdam se dheela pad gaya. Man hi man bola ki 'kya dushyant pyare subah subah itni khatarnaak jasusi karne ko kisne kaha tha tumhe?'

Dushyant ne normal ho kar darwaza khola to dekha baahar avinash ek chhoti si plate me chaay ka cup liye khada tha. Dushyant ye dekh kar man hi man chaunka ki itni subah avinash uske liye chaay kaha se le ke aa gaya.?

"Sahab." Avinash ne bahut hi narm aur shaant lahje me kaha_____"Maine aapke liye chaay banaya hai. Mujhe laga aapko subah uthte hi chaay pine ki aadat hogi is liye bana diya."

"Ham kahi koi khwaab to nahi dekh rahe pyare.?" Dushyant ne apni aankho ko sikodte huye kaha______"Na...hargiz nahi. Hame achhi tarah yaad hai ki hamne apni zindagi me aaj tak kabhi koi khwaab nahi dekha aur iska hame behad dukh bhi hai."

"Ye aap kya kah rahe hain sahab.?" Avinash ke maathe par pareshani ke bhaav ubhar aaye the.
"Bahut zaalim ho avinash pyare." Dushyant ne jaise shikayat karte huye kaha_____"Tumhe ek baar me hamari koi baat samajh me kyo nahi aati.?"

"Dhire dhire aane lagegi sahab." Avinash ne kaha_____"Lijiye chaay pi lijiye nahi to thandi ho jayegi."
"Chaay.???" Dushyant ne buri tarah chaunkte huye kaha____"Are haan dear. Ham to is chaay ke bare me bhool hi gaye the. Achha hua ki tumne hame yaad dila diya magar....!"

"Magar kya sahab.???" Avinash ka sir chakra sa gaya.
"Yahi ki itni subah subah tumhare hath me ye chaay kaha se aa gayi.?" Dushyant ne ajeeb si shakal banate huye kaha_____"Kyo ki jaha tak hame yaad hai hamne kabhi iske pahle apne kitchen me na to chaay ki patti rakhi thi aur na hi kisi ke amma ka doodh rakha tha. Fir kaise itni subah subah tum hamare liye ye chaay le kar hamare kamre ke baahar pragat ho gaye.?"

"Wo main subah jaldi uth gaya tha sahab." Avinash ne jhijhakte huye kaha______"To main baahar doodh ki talaash me nikal gaya tha aur fir doodh lene ke baad ek dukaan se chaay ki patti kharirdi maine. Uske baad yaha aaya aur aapke liye chaay banaya."

"Tumne to kamaal kar diya pyare." Dushyant usse prabhaavit nazar aaya, bola______"Aur achhi khaasi dhoti ko cheer faad kar rumaal bhi kar diya. Khair ham tumhari is bhakti se ati prasann huye meri jaan. Jaao ab ise garam kar ke laao...kya thandi chaay pilaaoge hame.?"
"Ji abhi laya sahab." Kahne ke sath hi avinash palat kar waapas kitchen ki taraf tezi se badh gaya.

Avinash ke jane ke baad dushyant kuch palo tak khada kuch sochta raha fir wo bhi palat kar kamre me bed par aa kar baith gaya. Wo avinash ke bare me gahraayi se sochne laga tha. Avinash ki activities use waisi hi lag rahi thi jaise ki wo koi masoom sa ladka ho aur uske andar kisi bhi tarah ka chhal kapat na ho. Magar kya aisa sach me tha wo....ye jaise sabse bada sawaal ban kar khada ho gaya tha uske zahen me. Dushyant koi faisla na kar saka ki wo avinash ke bare me kaun se khayaal ko sahi samjhe.

Thodi der baad avinash chaay garam kar ke laaya aur dushyant ko diya usne. Chaay ka cup avinash se lene ke baad dushyant ne use paas hi rakhe ek chhote se stool par baith jane ko kaha to wo chup chaap baith gaya. Udhar chaay ki do teen chuskiya lene ke baad dushyant ke chehre par chamak si ubhar aayi.

"Maanna padega pyare." Dushyant ne apne hi andaaz me khush hote huye kaha_____"Bahut hi behtareen chaay banaayi hai tumne. Lekin pyare....hamare liye itni subah subah aisa takalluf ka kaam kyo kiya tumne.?"

"Ab yaha bina koi kaam ke main kaise baith sakta hu sahab.?" Avinash ne kaha_____"Subah jaldi uth jane ki aadat hai to socha aapke liye chaay hi bana du. Kitchen me gaya to dekha na chaay patti thi aur na hi doodh. Is liye aapko bina bataye dono cheeze lene baahar chala gaya."

"Is baat ko chhodo dear." Dushyant ne kaha_____"Ye bataao tumhe car chalani aati hai.?"
"Ji sahab." Avinash ne kaha______"Har tarah ki gaadi chala leta hu. Main to mechanic hu sahab is liye car chalana mere liye koi mushkil kaam nahi hai."

"Bahut khoob." Dushyant ne kaha_____"To ab aaj se tum hamare hi sath rahoge aur hamari gipsy chalaaoge. Samajh lo tumhe gipsy chalane ka naya kaam mil gaya hai. Khair ab jabki tum hamare sath hi rahoge to ab ham bhi dekhenge ki kaun hai jo tumhe aise jurm me baar baar fasa kar gayab ho jata hai."

"Main isi baat se darta hu sahab." Avinash ne badi adheerta se kaha______"Mujhe dar hai ki kahi meri vajah se aap par koi baat na aa jaye. Main duniya ka sabse bad-kismat insaan hu sahab. Ab tak bas dukh hi dekhe hain maine aur aisi ruswaayi ki koi mujhe rahne ke liye apne yaha kiraye se kamra bhi nahi deta."

"Sab kuch bhool jaao my dear." Dushyant ne khaali cup ko side me rakhte huye kaha_____"Bas yu samjho ki jitna tumhe dukh takleef milni thi mil gayi. Ab to use dukh aur takleef milegi jisne tumhare sath aisa salook kiya hai. Lekin usse pahle ham tumse kuch zaruri baate jaanna chaahte hain."

"Ji puchhiye sahab." Avinash ne kaha_____"Mujhe agar wo baate pata hongi to zarur bataauga aapko."
"Very good." Kahne ke sath hi dushyant ne bed ke sirhaane se cigarette ka packet uthaya aur usme se ek cigarette nikaal kar use sulgaya, fir bola______"Sabse pahla sawaal ye ki tumhari family me kaun kaun hain aur tum kaha ke rahne wale ho.?"

"Is bare me to maine pahle hi aapko bata diya tha sahab." Avinash ne kaha______"Is duniya me mera apna koi nahi hai. Maine jab se hosh samhala hai tab se main akela hi raha hu."

"Chalo maan liya ki tumhara apna koi nahi hai aur tumne jabse hosh samhala tab se tum akele hi rahe ho." Dushyant ne ek hi saans me ye sab kaha______"Magar pyare, tumhe apni pichhli zindagi ke bare me to sab pata hoga na.? Jaise ki tum jab chhote the to kaha rahte the aur fir badhti umar ke sath sath tum kaha kaha bhatakte huye yaha tak pahuche.?"

"Mujhe apne bachpan ka kuch yaad nahi hai sahab." Avinash ne jaise apne dimaag par zor daalte huye kaha______"Mujhe to bas ye yaad hai ki aaj se do dhaayi saal pahle main ek aisi jagah par pada tha jaha chaaro taraf pahaad the aur khadane thi. Us wakt main bahut taklif me tha aur mere shareer par kayi jagah chot lagi huyi thi. Sabse zyada chot mere sir me lagi thi."

"Iska kya matlab hua pyare.?" Dushyant ke zahen me kayi tarah ke khayaal ubharne lage the, bola______"Tum us jagah par us haalat me pade the iska matlab kya hua.? Khair uske baad kya hua.?"

"Meri haalat us wakt bahut kharab thi sahab." Avinash ne kaha_____"Badan kisi fode ki tarah dard kar raha tha. Mujhe samajh nahi aa raha tha ki main waha par us haalat me kaise tha.? Apni asahneeya peeda ko bardaast karte huye main kisi tarah utha aur apne aas paas dekhne laga. Chaaro taraf pathreele pahaad aur khadaane thi. Pahaado ke paas hi kayi jagah machine khadi huyi thi magar waha par us wakt koi insaan nazar nahi aa raha tha. Maine un machino ki taraf jane ka socha aur jaise hi kadam badhaya to ladkhada kar wahi par gir gaya. Uske baad jab mujhe hosh aaya to main ek nayi jagah par tha aur main leta hua tha. Maine charo taraf nazar ghuma kar dekha to pata chala ki main kisi hospital me hu. Main hairaan rah gaya tha ki ekdam se main yaha kaise aa gaya.? Kyo ki iske pahle to main kisi khadaan jaisi jagah par tha. Maine apne aapko dekha to chaunk gaya kyo ki mere shareer par dusre kapde the. Matlab ki mere kapde badal diye gaye the. Main ekdam se ghabra gaya tha apni haalat se. Mujhe kuch samajh nahi aa raha tha ki mere sath wo sab kaise hua tha.? Maine apne dimaag par zor dala to mera sir fatne laga aur mere mukh se cheekhe nikalne lagi. Meri cheekhe sun kar do log kamre me aaye. Ek to safed rang ka kot pahne doctor tha aur dusra koi alag aadmi tha. Uske chehre par daadhi aur moochh thi. Us aadmi ne mujhe dekhte hi 'Avinash' kaha aur bhaag kar mere paas aaya aur kahne laga ki tum thik to ho na.? Wo jane kya kya bole ja raha tha aur main ye soch raha tha ki mujhe avinash kahne wala wo aadmi kaun hai.? Idhar tabhi kisi ne mere ek hath me sui si chubhaayi aur main kuch hi palo me behosh ho gaya. Uske baad mujhe nahi pata ki kya hua. Dubara jab mujhe hosh aaya to maine dekha ki main abhi bhi wahi hospital ke ek kamre me bed par pada hua tha aur kamre me koi nahi tha. Mujhe abhaas hua ki meri haalat pahle se ab thik hai."

"Kamre me charo taraf dekhne ke baad." Ek lambi saans lene ke baad avinash ne fir se kahna shuru kiya______"Maine apne dimaag par fir se zor dala to mujhe fir se dard aur takleef huyi to maine dimaag par zor daalna hi band kar diya. Main kisi tarah utha aur bed se niche utra. Apne pairo me jab khada hua to taklif to huyi magar pahle jaisi nahi. Mere jism me hospital wale kapde the. Main dhire dhire chalte huye darwaje ke paas aaya aur darwaje ke upar ki taraf lage sheeshe se baahar jhaanka. Baahar dusri taraf ki diwaar ke alawa kuch na dikha mujhe. Main us shakhs ko dekhna chaahta tha jisne mujhe avinash kaha tha magar waha koi nahi tha. Mere man me khayaal aaya ki hospital me to kisi na kisi ka aana jana laga hi rahta hai magar sheeshe ke baahar ab tak koi nazar nahi aaya. Kafi der tak main darwaze ke paas hi khada raha. Fir jab mere paav dukhne lage to main waha se hata aur kamre me idhar udhar dekhne laga. Tabhi ek jagah meri nazar jam si gayi. Kamre ke ek kone me chaddar ki aisi chhoti si aalmari diwaar se sati huyi rakhi thi jisme aam taur par kitaabe rakhi jaati hain magar is aalmaari me kitaabe nahi rakhi thi balki ek bag rakha tha. Mere man me khayaal aaya ki hospital ke is kamre me ye bag kiska ho sakta hai.? Maine utsuktawas us jagah par ja kar us bag ko khol kar dekhne laga. Bag ke andar jis cheez par meri nazar padi use dekh kar main buri tarah chaunka. Bag me wahi kapde the jo iske pahle mere badan par the. Waise hi jagah jagah par khoon laga aur fate huye. Khair maine bag me rakhe un kapdo wale khandhe ki chain band ki aur dusri chain kholi to dekha usme lamination kiya hua ek card jaisa pada tha. Maine use nikaal kar dekha. Wo card koi adhaar card tha jisme mera naam avinash likha nazar aaya. Card buri tarah se ghisa hua tha. Usme sirf mera naam avinash hi likha nazar aa raha tha aur ek taraf photo thi jo ki dhundhli si thi. Avinash ke aage kya likha tha wo samajh me nahi aa raha tha. Maine us card ko ulat palat kar dekha. Dono taraf buri tarah se ghisa hua tha. Aisa lag raha tha jaise kisi ne jaan bujh kar card me maujud likhawat ko ghis kar mitaya tha aur fir uske baad card par lamination karwaya gaya tha."

"Mujhe samajh nahi aa raha tha." Avinash ne kuch pal ruk kar saans liya fir bolna shuru kiya______"Ki main aisi haalat me kaise tha.? Maine apne bare me sochna shuru kiya to mera sir chakrane laga magar kuch bhi yaad na aaya ki mere sath wo sab kaise hua tha aur ab main kis jagah par hu.? Jitna main sochta utna hi mera sir dard karta. Mujhe apni pichhli zindagi ka kuch bhi yaad nahi aa raha tha. Sab kuch jaise shoonya ho gaya tha."

"Iska to ek hi matlab hua pyare." Inspector dushyant ne ek gahri saans kheechte huye kaha_____"Aur wo ye ki do ya dhaayi saal pahle jaha tum lahu luhaan jaisi haalat me pade the wo ya to kisi accident ka nateeja tha ya fir tumhari kisi se koi dushmani thi jiski vajah se tumhare dushman ne tumhe us haalat me waha pahucha diya tha. Tumne bataya ki wo koi pahaado se ghiri koi khadaan jaisi jagah thi...iska matlab wo jagah nichli satah par thi jabki charo taraf ka hissa uchaayi par tha. Hamare kahne ka matlab ye hua ki ya to tumhe uchaayi se niche fenk diya gaya ya fir niche hi tumhare sath kisi ne kuch aisa kiya ki tumhare sir par gahri chot lagi aur us chot ke chalte tumhari yaad daast chali gayi. Jab tumhe hosh aaya tab tum apni pichhli zindagi ke bare me bhool chuke the ya yu kahe ki tumhare dimaag se tumhari pichhli zindagi ki saari yaade gayab ho chuki thi."

"Aapne bilkul sahi kaha sahab." Avinash ne kaha_____"Baad me mujhe bhi yahi samajh aaya ki meri yaad daast us ghatna ki vajah se ja chuki hai."

"To jab tumhe samajh aaya pyare." Dushyant ne is baar avinash ko zara ghoorte huye kaha______"To kya tumne apne bare me pata karne ki koshish nahi ki.? Ye koi maamuli baat to nahi thi, balki had se bhi zyada darze wali badi baat thi. Tumhari yaad-daast ja chuki thi, tum apni pichhli zindagi ke bare me sab kuch bhool chuke the. Tumhe nahi pata ki tumhari is haalat ke chalte tumhari family par kya guzri hogi.? Ye sab kya nahi socha tha tumne.?"

"Ab aapse kya bataau sahab aur aapko kaise samjhaau ki main us haalat me maheeno kaise kaise aur kaha kaha bhatka fira tha.?" Avinash ki aankho me aanshu bhar aaye, bola_____"Aap meri us wakt ki haalat ka andaza nahi laga sakte sahab. Apne bare me pata karne ke liye main idhar udhar bhatakta raha. Har pal bas isi dukh takleef se marta raha ki kaun hu main aur mere apne kaha hain, ya fir wo kis haal me honge.? Raat din bas yahi soch soch ke tadapta raha. Kayi baar police thane me ja kar apne hi gum shuda hone ki report likhwaana chaha magar thane ke police wale mujhe paagal kah kar bhaga dete the. Jaise jaise wakt guzar raha tha waise waise mere andar nirasa aur hatasha bharti ja rahi thi. Mandir masjid ja kar bhagwan aur khuda se minnate ki ke wo mujhe mere apno se milwa de ya meri yaad daast waapas kar de magar kuch faayda nahi hua sahab. Tab mujhe duniya ki har cheez se nafrat si ho gayi. Bhagwan aur khuda mere liye jaise mar gaye. Is bhari duniya me keede makaude ki tarah dikhne wale log mere kisi kaam na aaye. Zindagi aise bojh lagne lagi thi ki har pal bas khud khushi karne ka khayaal aata tha magar khud-khushi is liye nahi karta tha kyo ki har baar zahen me ye khayaal aa jata tha ki main agar mar jaauga to mere baad meri us family ka kya hoga jinke bare me aaj mujhe kuch yaad bhi nahi hai. Main kisi se koi matlab nahi rakhta sahab kyo ki is duniya ke log sirf apne bare me sochte hain. Kisi ko kisi ki koi parwah nahi hai. Mujhe aapke bhagwan ya khuda se bhi koi matlab nahi hai. Aree kis baat ka ye bhagwan hai jise meri takleef aur meri haalat par taras bhi nahi aata.?"

Avinash bolte bolte rone laga tha. Uski aankho se jaise ekdam se aanshuo ka samandar bah chala tha. Bed par baitha dushyant usi ki taraf dekh raha tha. Uski haalat dekh kar aur uski daastaan sun kar uske dil me ek hook si uthne lagi thi. Use ahsaas ho raha tha ki uske samne chhote se stool par baitha ye shakhs sach me dukhi hai. Uske chehre par ubhri huyi peeda use bata rahi thi ki usne jo kuch apne bare me bataya tha wo jhooth nahi ho sakta tha.

"Tumne to hame emotional kar diya pyare." Dushyant ne ek gahri saans lete huye kaha______"Ye sach hai ki hame emotional scene hargiz bhi pasand nahi magar iske baavjud tumne hame emotional kiya aur maze ki baat ye ki ham emotional ho bhi gaye. Khair chhodo is baat ko aur haan fikar karne ki koi zarurat nahi hai my dear. Bhagwan ya khuda ko tum par taras nahi aaya to kya hua...ham hain na. Ham sab thik kar denge magar ek shart par aur wo shart ye hai ki ab se tum yu chup chaap nahi rahoge balki haste muskurate rahoge."

Inspector dushyant ki in baato par avinash ne sirf haan me apna sir hilaya. Usne apne hatho se apne aanshuo ko ponchha. Uske chehre par ubhri huyi peeda aur takleef ke bhaav rafta rafta gayab hote nazar aane lage.

"Chalo kafi time guzar gaya yaar." Dushyant ne hand watch me time dekhte huye kaha_____"Hame duty par bhi jana hai aur tumhe bhi to hamare sath hi chalna hai. Is liye fatafat fresh ho jate hain dono, uske baad chalte hain aur haan khana baahar hi kha lenge. Shaam ko raasan paani layenge to fir yahi par bana liya karna. Thik hai na.?"

Avinash ne haan me sir hilaya aur uth kar chala gaya. Bathroom kyo ki ek hi tha is liye pahle dushyant fresh hua uske baad avinash fresh hone chala gaya. Dono jab fresh ho gaye to dono hi ghar se nikle. Avinash ke paas zyada kapde nahi the balki do jodi hi kapde the jo ki purane hi the. Dushyant ke man me jane kya aaya ki usne avinash ko sabse pahle kisi mall me chalne ka hukum diya. Avinash gipsy ki driving sheet par tha. Ab se dushyant ki police gipsy ko drive karne ka kaam usi ke hawale tha. Khair dushyant ke kahne par avinash ne gipsy ko start kar ke aage badha diya.

<>•<>•<>

Mall me pahuch kar dushyant ne avinash ke liye chaar jodi kapde kharidwaye. Avinash ne iske liye na nukur kiya to dushyant ne policiya tone me ghudki di to wo shaant ho gaya. Avinash ke liye kapde lene ke baad dushyant ne unme se ek jodi kapda use abhi pahanne ke liye kaha to majburan avinash ko trial room me jana hi pada. Kuch der me jab wo trial room se baahar aaya to avinash kafi smart nazar aa raha tha. Uski hair style me thodi kharaabi thi aur uske haav bhaav me bhi. Aisa lagta tha jaise use duniya ko apni personality dikhane ka zara bhi shauk nahi tha balki lallu ram bane rahna hi pasand tha.

Mall se baahar aane ke baad avinash ne gipsy ki driving sheet samhaali. Naye kapdo me wo kuch asahaj sa mahsoos kar raha tha. Uski dasa ko dekh kar dushyant halke se muskura utha tha aur sath hi ye bhi sochne laga tha ki ye aadmi kisi maamuli ghar ka to nahi ho sakta.

"Achha ek aur baat bataao pyare." Raaste me dushyant ne apne hi andaz me avinash se kaha_____"Us time hospital me fir kya hua tumhare sath, ya ye kahe ki uske baad tumne kya kiya....sath hi ye bhi ki jis aadmi ne tumhe avinash kaha tha usse kya tum dubara mile ya wo tumse dubara milne aaya.?"

"Do din tak koi nahi aaya sahab." Avinash ne gahri saans lete huye jaise ye kah kar dhamaka sa kiya, bola______"Main do dino tak bhukha pyasa hospital ke us kamre me hi kaid raha. Maine kamre ka darwaza kholne ki bahut koshish ki magar darwaza nahi khula. Tab main samjha ki ye jagah thik nahi hai aur main yaha par kaid ho chuka hu. Sochne wali baat thi sahab ki main jaha par tha wo ek hospital ka kamra tha magar hairaani ki baat ye thi ki do dino tak us kamre me hi kya balki us jagah par hi mujhe kisi insaan ka saya tak nazar nahi aaya. Meri haalat thik nahi thi aur main bhukho pyasa waha kaid tha. Yaha tak ki toilet bhi mujhe usi kamre me karna pada. Jab do dino tak koi nahi aaya to mere sabra ka baandh maano toot gaya. Main aise to kaid ho kar aur bhukha pyasa to nahi mar sakta tha na.? Is liye maine us jagah se niklane ka socha. Kamre me ek taraf khidki thi jis par kaanch ke do palle lage huye the. Maine kisi tarah unhe khola. Shukar tha ki kaanch ke pallo ke us paar khidki me koi lohe ki khidki ya jaali nahi lagi thi. Maine usme se baahar ki taraf jhaank kar dekha to mere andar ajeeb si sihran daud gayi. Kyo ki baahar niche ki taraf kaafi gahraayi thi. Matlab ki zameen se khidki ki uchaayi bahut zyada thi. Ye dekh kar meri himmat jawaab de gayi. Main us haalat me bhala kaise waha se nikal sakta tha magar yaha kaid ho kar bhi to nahi rah sakta tha is liye maine achhe se baahar ki diwaaro ko dono side se dekha to mere andar ummid ki kiran jagi. Kyo ki baahar side diwaar par ek chaar inch ke lagbhag patti bani thi jisse ye pata chalta tha ki us patti se building ka floor khatam hota tha aur fir us patti se dusra floor shuru hota tha. Mere man me usi patti ke sahare nikalne ka vichaar aaya. Halaaki ye bahut hi khatarnaak tha aur zara si chook ho jane par main waha se seedha zameen par gir sakta tha jisse meri jaan jane aur haddiya tootne me zyada wakt nahi lagna tha magar fir bhi maine nikalne ka soch liya tha."

"Mujhe kisi majboot sahare ki zarurat thi." Ek gahri saans lene ke baad avinash ne fir se kahna shuru kiya_____"Jiske dwara mujhe us kamre se nikalne me asaani hoti. Maine kamre me charo taraf nazar ghumaayi magar kahi par bhi koi rassi ya dori nahi dikhi. Mujhe laga ki main ab yaha se nikal nahi paauga, tabhi meri nazar us bed par padi jisme main leta hua tha pahle. Bed me ek hare rang ki chaadar bichhi huyi thi aur ek waisi hi chaadar mere odhne ke liye thi. Un chaadaro ko dekh kar mere chehre par chamak aa gayi. Main thoda tezi se bed ke kareeb pahucha aur un dono chaadaro ko dono hatho se kheech keech kar dekhne laga. Dono hi majboot chaadar thi. Maine ek chaadar ko liya aur kamre me idhar udhar dekhne laga. Bed se thodi doori par ek lakdi ka bench rakha hua tha aur usi bench me chaddar ka ek katora tha jisme doctors dwara upyog ki jane wali ek kainchi thi. Maine us kainchi ko us katore se liya aur use dekhne laga. Kainchi me jang ke laal laal dhabbe nazar aa rahe the. Matlab wo kainchi filhaal kisi upyog me nahi li ja rahi thi. Maine us kainchi se chaadar ko kinaare ki taraf se kaatna shuru kiya. Kahne ka matlab ye ki us kainchi ke sahare maine un dono chaadaro ke lambe lambe tukde kiye. Uske baad un tukdo ki rassi banana shuru kar diya. Kafi wakt laga is kaam me magar ek lambi rassi bana kar taiyar kar li maine. Uske baad rassi le kar main khidki ke paas aaya. Khidki me lohe ka na koi rod laga tha aur na hi koi jaali thi. Balki lakdi ki frame jaisi chaukhat thi jiske bich me bhi ek lakdi ka bhaag tha. Us bhaag ke hone se khidki me do palle bane the jinme kaanch ke do palle lage the. Maine khidki se baahar sir nikaal kar har taraf dekha. Baahri diwaar me har floor par aisi hi khidki lagi huyi thi. Maine us rassi ke dono chhor ko barabar kiya jisse wo rassi double ho gayi. Uske baad maine use niche ki taraf jhulana shuru kiya. Main dekhna chaahta tha ki wo double rassi niche wale floor ki khidki tak pahuch paati hai ki nahi. Kuch hi der me wo rassi niche dusre floor ki khidki ke paas se niche tak latki huyi nazar aayi. Ye dekh kar mere chehre par pahli baar khushi ki chamak ubhri thi. Maine bijli ki speed se us rassi ko waapas kheencha aur fir use khidki ke bich wale lakdi ke bhaag par (Π) ki shakal me ghuma kar rassi ke dono chhor niche latka diye. (Π) ki shakal is liye di taaki niche wale floor ki khidki ya uske niche wali patti par jab main pahuch jaau aur achhe se us patti par balance bana kar khada ho jaau to mujhe upar wale floor ki khidki se rassi ko nikaalne me koi pareshani na ho. Balki rassi ke ek chhor ko pakad kar kheenchu to wo bade araam se khich kar mere paas aa jaye. Khair rassi ke jab dono chhor niche latak gaye to main badi saawadhani se khidki par chadha aur fir rassi aur khidki ki chaukhat ko pakde niche ki us chaar inch waali patti par dono pair rakh kar khada ho gaya. Meri saanse itne me hi bhaari ho gayi thi jabki manjil abhi door thi."

"Us chaar inch ki patti par khade ho kar maine rassi ke dono siro ko majbuti se pakad liya." Kuch pal rukne ke baad avinash ne fir kahan shuru kiya______"Apne pairo ke niche taraf yaani zameen ki taraf dekhne ki meri himmat nahi ho rahi thi kyo ki yaha se zameen bahut niche thi. Samajh me nahi aa raha tha ki main kaun se floor ki khidki ke paas tha.? Yaha se ab asli kaam shuru hona tha jo ki meri haalat ke hisaab se bahut mushkil kaam tha magar karna to tha hi. Khair maine apne andar himmat ko sanjoya aur ek baar puri taakat se apne dono hath me pakdi us rassi ko apni taraf kheecha. Main parakh lena chaahta tha ki rassi mera bhaar jhel legi ya nahi. Pata chale ki idhar jaise hi main rassi ko pakad kar jhoolu udhar rassi kahi se charmara kar toot jaye. Aakhir kapde ki hi to thi wo. Khair naya kapda tha aur moti si chaadar ki rassi thi wo is liye mere taakat se kheechne par zara si bhi awaaz nahi ki usne. Maine bhagwan ko yaad kiya aur dhire dhire rassi ko majbuti se pakde maine us chaar inch ki patti se apne pairo ko ek ke baad dusra hataya aur jhool gaya. Kuch der ke liye aisa laga mujhe jaise meri dhadkane hi band ho gayi ho. Kaano me saany saany hone laga tha. Kuch der tak main aise hi jhoola raha magar fir ahsaas hua ki apne hi bhaar ko sahan karna is wakt aisi haalat me bada mushkil tha. Is liye maine dhire dhire rassi se niche sarakna shuru kiya. Main koi fauji nahi tha jo aisi haalat me bhi badi saralta aur dakshata se niche pal bhar me pahuch jata. Us wakt meri haalat aisi ho gayi thi ki jaan halak me aa kar atak gayi thi. Lekin kahte hain na ki apni jaan ko bachane ke liye insaan apni aakhiri saans tak zor lagata hai aur us wakt wahi haal mera tha. Badi mushkil se main niche wale floor ki khidki ke niche bani us chaar inch ki patti ke paas pahuchne me kaamyaab hua. Dono hath dard karne lage the aur meri saanse dhaunkni ki tarah chalne lagi thi magar man me ek khushi thi ki maine itna mushkil kaam kar liya tha. Uske baad maine kuch der khud ko araam diya aur fir us rassi ko uske ek chhor ko pakad kar kheech liya aur niche wale floor ki khidki par baandhne ka socha magar kaanch ke palle band the. Maine un pallo ko hath se zor laga kar aage ki taraf dhakela to wo ajeeb si awaaz ke sath aage ki taraf khul gaye. Shayad andar se band nahi the wo. Mere liye to ye khushi ki hi baat thi warna yahi latke rahna tha mujhe. Maine khidki ki bich wali lakdi ki chaukhat par rassi ko usi tarah fasaya jaise upar wali me fasaya tha aur fir se wahi prakriya shuru kar di. Aise hi main araam karte huye neeche zameen par aa gaya aur maine us rassi ko nikaal liya tha. Niche aane par maine check kiya to paya ki wo chaar manjila imaarat thi. Khair kaafi der tak main wahi zameen me baitha us building ko dekhta raha. Charo taraf nazar ghuma ke dekha to har taraf virana sa nazar aaya. Aisa laga jaise varsho se yaha koi nahi aaya tha. Building ke aas paas badi badi jhaadiya aur teen taraf se jangal nazar aa raha tha. Main aashcharya chakit tha ki mujhe aisi jagah par kaun laya hoga. Jis kamre me main tha wo kamra bilkul saaf suthra tha aur kahi se bhi mujhe ye yakeen nahi ho sakta tha ki us kamre ke alawa yaha ka baaki sab kuch sannate me duba hua hoga aur is building ke charo taraf badi badi jhaadiya aur jangal hoga."

"Main jis jagah par zameen me baitha hua tha." Ek lambi saans lene ke baad avinash ne fir se kahna shuru kiya______"Wo jagah us building ka pichhla bhaag tha. Kyo ki uske pichhe har taraf badi badi jhaadiya aur fir kuch doori se jangal laga hua tha. Is liye us taraf jane ka koi matlab hi nahi tha. Jab main araam kar chuka to utha aur us rassi ko le kar building ke aage wale hisse ki taraf jane ka socha magar mujhe dar bhi tha ki aage wale hisse par koi insaani jeev na mil jaye mujhe. Jis tarah se yaha main kaid tha usse yahi lagta tha ki kisi ne mujhe yaha jaan bujh kar is tarah kaid kiya tha. Is liye main dabe paanv building ke aage wale hisse ki taraf aaya. Building ke aage wala hissa pichhle hisse se behtar dikha aur uske samne se ek chaudi sadak lagi thi. Sadak ko dekhne se aisa lag raha tha jaise is sadak par barsho se aawa gaman band hai. Kuch der tak main diwaar se chipka chaaro taraf ka jaayja leta raha uske baad main sadak ki taraf na ja kar kinaare ki taraf badh chala. Main nahi chaahta tha ki yaha par koi mujhe dekh le kyo ki mujhe lagta tha ki waha par koi chhupa bhi ho sakta tha aur mujh par nazar rakhne ke liye yaha maujood ho sakta hai. Kafi der tak main jhaadiyo me chhupta chhupata chalta raha. Jab main bina kisi baadha ke us building se kafi door aa gaya to mere andar ka dar kuch kam hua. Mere jism me abhi bhi hospital wale kapde the. Is liye maine upar ki kameej ko utaar kar wahi jhaadiyo ke andar chhupa diya. Ab main upar se nanga tha aur niche ek pajama tha. Mujhe us haalat me sharm aur jhijhak to mahsoos huyi magar ab main us jagah se bahut door chale jana chaahta tha. Is liye sadak ke kinare kinare main paidal hi chalta raha. Nange paav chalne me taklif to ho rahi thi magar kya kar sakta tha. Pet me aag sulag rahi thi...lag raha tha ki kahi ann ka ek dana hi mil jaye jisse pet ki aag kuch shaant ho ya fir kahi peene ke liye paani mil jaye. Main us haalat me bhi zabardasti khud ko kast de kar chalta ja raha tha. Aage sadak par mujhe ek pool dikhayi diya. Jab main us pool ke paas pahucha to dekha ki pool ke niche se koi jharna bah raha tha. Us jharne ko dekh kar meri jaan me jaan aayi. Main andar ki taraf se hote huye us bahte jharne ke kinare pahucha. Meri aankho ke saamne saaf paani kal kal ki awaaz karta bah raha tha. Jharna bada nahi tha aur na hi gahra tha. Mushkil se ghutne tak gahra paani tha usme. Jharne ki satah par patthar dikh rahe the aur unme jhilmilaati chhoti aur usse thoda badi machhaliya. Bhookh pyaas se to waise hi mera bura haal tha is liye pahle maine bhar pet us jharne ka thanda thanda paani piya uske baad peeche hat kar kuch der araam kiya. Paani pine se pet me kuch raahat to mahsoos huyi magar khaali pet paani ke sath sath kuch khaane ka bhi talabgaar tha. Is liye maine socha is wakt jharne me maujood wo machhaliya hi meri bhookh mita sakti hain. Ye soch kar main utha aur jharne me utar gaya. Maine machhaliyo par nazre jama di aur unhe pakadne ki koshish karne laga magar wo mere hath nahi aa rahi thi. Badi mushkil se ek machhali hath aayi aur maine jaldi se use paani se nikaal kar kinare ki taraf zameen me fenk diya. Wo buri tarah jhatpataati huyi idhar se udhar uchhalne lagi thi. Kuch der use dekhne ke baad maine fir se paani me machhaliyo par nazre jama di. Aakhir badi masakkat ke baad chaar machhaliya mere hath lagi. Do machhaliya size me kuch badi thi jabki do unse kuch chhoti thi. Jharne se baahar aa kar maine chaaro machhaliyo ko ikattha kiya aur fir aas paas padi chhoti chhoti lakadiyo ko ikattha kar ke laya. Ab samasya ye thi ki aag kaise jalaayi jaye. Mere paas maachis ke hone ka sawaal hi nahi tha. Main us jharne ke paas gaya aur kinare side pade pattharo ko gaur se dekhne laga. Maine un pattharo se chun kar do patthar uthaye aur waapas aa gaya. Pattharo ko lakadiyo ke paas rakhne ke baad main koi aisi cheez khojne laga jisme jaldi se aag pakad le. Kuch hi der me mujhe ek pakshi ka ghonsla mil gaya. Usme pakshi ke ande wagaira nahi the. Main use le kar aaya aur ek saaf jagah par use rakh kar un pattharo ko aapas me takrane laga. Main nahi jaanta tha ki ye sab maine apni pichhli zindagi me kiya tha ya nahi magar ye sab apne aap hi kar raha tha main. Pattharo se chingaari to nikal rahi thi magar wo chingaari pakshi ke ghonsle tak nahi pahuch rahi thi. Kafi der tak main yahi karta raha magar aag na lagi. Mere hath dukhne lage the aur main pareshan bhi ho gaya. Kuch der sustaane ke baad maine fir se koshish ki. Is baar un pattharo ko main pakshi ke us ghonsle ke ekdam paas me kar ke takra raha tha. Kuch hi der me mujhe kaamyaabi mil gayi. Jaise hi ghosle me aag lagi main khushi se maano fula nahi samaya tha. Maine jaldi jaldi us jalte ghosle ke chaaro taraf lakadiyo ko rakha. Dhire dhire aag un lakadiyo me bhi lag gayi aur dekhte hi dekhte wo aag achhe se lakadiyo par jalne lagi. Maine kuch lakadiya aur usme daali aur fir un lakadyo ko uthaya jo thoda moti thi. Maine jalti aag ke dono taraf do do lakdi zameen me gaadi aur fir un dono me upar se lakdi daaal di. Niche aag jal rahi thi. Maine machhaliyo ko le ja kar achhe se saaf kiya aur fir unke andar lakdi daal kar aar paar kiya. Ye sab karne ke baad main aaya aur aag ke upar unhe un dono lakadiyo me fasa diya. Do chhoti machhaliyo ko maine dusri lakdi ke upar fasa diya aur fir unke bhun jane ka intzaar karne laga."

"Ab bas bhi karo pyare." Dushyant jhunjhlaate huye ekdam se bol pada tha_____"Apni ye veergatha hame na sunaao balki wo sunaao jise janna zaruri hai. Tum to yaar machhaliyo ko maar kar khane ki kahani me hi ulajh gaye."
"Maafi chaahta hu sahab ji." Avinash ne dhime se kaha.


"Hamne ye to sun liya pyare ki tum us jagah par kaid ho gaye the ya fir ye kahe ki kaid kar diye gaye the." Dushyant ne avinash ki taraf dekhte huye kaha______"Aur ye bhi sun liya ki tum waha se kaise nikal aaye. Is liye ab sirf wo bataao jo zyada zaruri baat hai. Jaise ki jab tum waha se nikal aaye to uske baad kya koi tumhe khojne aaya.? Aur sabse badi baat ye ki wo shakhs kya tumhe dubara mila jisne first time tumhe dekh kar tumhe avinash kaha tha.?"
good update
 
  • Like
Reactions: TheBlackBlood

mashish

BHARAT
8,082
25,904
203
BEGUNAAH
Update - 06


Ab Tak,,,,,

"Ab bas bhi karo pyare." Dushyant jhunjhlaate huye ekdam se bol pada tha_____"Apni ye veergatha hame na sunaao balki wo sunaao jise janna zaruri hai. Tum to yaar machhaliyo ko maar kar khane ki kahani me hi ulajh gaye."
"Maafi chaahta hu sahab ji." Avinash ne dhime se kaha.
"Hamne ye to sun liya pyare ki tum us jagah par kaid ho gaye the ya fir ye kahe ki kaid kar diye gaye the." Dushyant ne avinash ki taraf dekhte huye kaha______"Aur ye bhi sun liya ki tum waha se kaise nikal aaye. Is liye ab sirf wo bataao jo zyada zaruri baat hai. Jaise ki jab tum waha se nikal aaye to uske baad kya koi tumhe khojne aaya.? Aur sabse badi baat ye ki wo shakhs kya tumhe dubara mila jisne first time tumhe dekh kar tumhe avinash kaha tha.?"


Ab Aage,,,,,,

"Pata nahi sahab ji." Avinash ne saamne sadak ki taraf dekhte huye kaha_____"Maine to us din machhaliyo ka bhar pet bhojan kiya aur fir wahi par so gaya tha. Jab aankh khuli to dekha suraj niche ki taraf utarne laga tha. Maine waha se uth kar fir se chalna shuru kiya. Sadak ke dono kinaro ka wo jangal khatam hone ka naam hi nahi le raha tha. Pet ki aag ab kyo ki shaant ho chuki thi aur bhar pet machhli bhi khaya tha is liye andar nayi jaan aa gayi thi. Is baar jab main chala to pahle ki apeksha tez chal raha tha aur suraj dhalte dhalte sadak ke dono kinaro ka wo jangal bhi khatam ho gaya tha. Hairaani ki baat thi ki us sadak par ab tak mujhe koi waahan kya koi insaani jeev tak nahi dikha tha. Jangal jab khatam hua to aage aa kar maine dekha ki ek dusri sadak thi jo (T) ke akaar me thi. Wo sadak is wali sadak se kaafi behtar thi. Mujhe yakeen ho gaya ki yaha se mujhe koi waahan zarur mil jayega is liye main wahi par khade ho kar kisi waahan ke aane ka intzar karne laga. Thodi hi der me ek truck aaya to maine use hath diya magar wo dandanata hua nikal gaya. Badi mushkil se ek truck wala ruka to maine usse kaha ki mujhe shahar tak chhod do. Truck wale ne mujhe ajeeb tarah se dekha. Main upar se nanga hi tha is liye shayad wo meri isi haaalat ko dekh raha tha. Maine jaldi se kuch socha aur usse kaha ki mujhe do choro ne chaaku ke bal par loot liya hai is liye is wakt mere paas kuch nahi hai. Aakhir meri minnato par truck wala maan gaya aur mujhe apne paas baitha liya. Achha aadmi tha wo kyo ki usne mujhe apni ek shirt nikaal kar di pahanne ke liye aur maine jhat se use pahan bhi liya. Kyo ki apni asaliyat ka to mujhe pata hi tha. Bhala main kaha se koi shirt khareedta aur pahanta jab mere paas footi kaudi bhi nahi thi. Khair us truck wale se baate karte huye main shahar tak aa gaya. Truck wale ko maine zyada kuch nahi bataya tha bas yahi kaha ki shahar me mera apna ghar hai. Shahar aa to gaya magar mujhe samajh na aaya ki kaha jaau. Shaam dhal chuki thi aur rahne ka kahi koi thikana nahi tha. Mujhe to apne bare me apne naam ke alawa kuch yaad nahi tha. Aise hi idhar udhar bhatakta raha aur jab raat ho gayi aur chalne ki himmat na huyi to wahi sadak ke footpath par ludhak gaya. Subah kisi ke laat maarne par meri aankh khuli to maine dekha do teen log khade the aur mujhe hi ghoor rahe the. Pahle to mujhe kuch samajh na aaya fir ekdam se mujhe khayaal aaya ki ye log kahi mujhe pakadne to nahi aaye hain. Ho sakta hai ki ye wahi log ho jinhone mujhe us viraan si jagah par kaid kar diya tha. Man me ye khayaal aate hi main buri tarah ghabra gaya. Halaaki wo log unme se nahi the kyo ki kuch der ghoorne ke baad wo log chale gaye the. Maine bhi raahat ki saans li aur fir uth kar chal diya waha se. Aise hi din guzarte rahe aur main idhar udhar bhatakta raha. Kisi hotel ya dhaabe me jata aur waha khane ko maagta to wo log mujhe bhaga dete the. Kahte the ki itna hatta katta hu aur bheekh maag kar khata hu. Mujhe bhi samajh aa gaya ki khane ke liye koi kaam to karna hi padega. Aise muft me koi khana nahi dega. kaam ke bare me mujhe kuch pata nahi tha ki mujhe kya kya aata hai. Mere man me khayaal aaya ki kisi hotel ya dhaabe par hi kaam kiya jaye kyo ki khana yaha par bana banaya mil jayega. Is liye main hotel ya dhaabe walo se kaam maagne laga. Sab puchhte ki mujhe kaun sa kaam aata hai magar unhe bhala main kya batata.? Is liye yahi kahta ki main bartan saaf kar duga aur paani bhar diya karuga aur jhaadu ponchha bhi kar sakta hu. Mere aisa kahne par ek dhaabe wale ne mujhe kaam par rakh liya. Main khushi khushi kaam karne laga. Sara din joothe bartan dhoya. Buri tarah thak gaya tha is sab me. Raat huyi to maalik ne mujhe khana diya aur fir dhaabe ko band karne laga. Mujhse bola ki kal subah aana to maine kaha ki mere paas rahne ki koi jagah nahi hai is liye agar wo meharbaani kare to main dhaabe ke andar hi so jaau. Dhaabe ka maalik meri is baat par mujhe ghoor kar dekhne laga. Main naya naya banda tha is liye wo kaise itna jaldi mujh par bharosa kar leta aur mujhe apne dhaabe ke andar rahne ki ijazat deta aur yahi hua bhi. Dhaabe ke maalik ne saaf mana kar diya ki wo mujhe dhaabe ke andar sone ki ijazat nahi dega. Balki main dhaabe ke baahar jo shesh jagah hai waha ek bench rakh kar so sakta hu. Mere liye to jaise yahi bahut tha is liye main maan gaya. Uske baad aise hi din guzarte rahe. Main sara din tebalo ki safaayi aur bartan ki dhulaayi karta aur dopahar ke baad raat me bhojan karta aur wahi dhaabe ke baahar so jata. Mere andar is baat ka bhi dar rahta ki kahi wo log mujhe pakadne na aa jaye magar koi nahi aaya. Dhire dhire mere man se unka ye dar nikal gaya aur main apne bare me dhire dhire pata karne laga. Mera maalik mujhse puchhta ki main kaha se aaya hu to main aise hi kahi ka pata bata deta. Aise hi ek maheene guzar gaye. Dhaabe ka maalik mujh par bharosa karne laga tha. Insaan ko charane wala wo insaan mujh jaise insaan ko hi parakhta tha. Main bhi zyada kisi se koi matlab nahi rakhta tha. Maheena pura hone par dhaabe ke maalik ne mujhe paise diye. Un paiso ko dekh kar maine socha ki in paiso ka main kya karu.? Bhala mere kis kaam ke the wo paise.? Do wakt ka khana mujhe dhaabe me hi mil jata tha. Fir bhi maine wo paise rakh liye, ye soch kar ki shayad kabhi kaam aayenge. Ek din mere maalik ki car kharaab ho gayi aur use kahi jane ki badi jaldi thi. Waha paas me koi mistri nahi tha jo uski car ko bana sake. Maalik bada pareshan nazar aa raha tha. Main chup chaap gaya aur car ko dekhne laga. Mujhe is tarah car ko dekhte dekh maalik mujh par gussa ho gaya aur kahne laga ki main car kyo dekh raha hu jabki mujhe dhabe ke andar customer ke joothe bartan dhone chahiye. Maine darte huye maalik se kaha ki car me kya kharaabi hai to maalik ne mujhe fir daanta. Main bhi uski daant par dhaabe ke andar na gaya aur usse puchhta hi raha to wo gusse me bola ki subah to sab thik hi tha magar ab jane kya ho gaya hai ise ki start hi nahi ho rahi. Maalik ne apni samajh me car ko achhe se check kar liya tha magar use kahi koi samasya nahi dikhi thi. Maine uski baat sun kar car ko check karna shuru kiya. Kahne ka matlab ye ki kuch hi der me maine car start kar ke maalik ko dikha diya. Maalik meri taraf aise dekhne laga tha jaise main koi ajuba hu magar use nahi pata tha ki usse zyada main khud par hairaan tha ki maine uski car ko kaise thik kar diya.?"

"Kitna bolte ho pyare." Dushyant ne bura sa muh banate huye kaha______"Aree hamne to bas chhota sa sawaal puchha tha tumse aur tum hamare us sawaal ke jawaab me aise shuru ho gaye jaise koi radio shuru ho jata hai. Khair chhodo aage ka kissa baad me sunege. Dekho apna dadbad khana...hamara matlab hai ki thana aa gaya."

Avinash ne thane ke saamne gipsy ko roka to dushyant gipsy se utar gaya aur avinash ko bhi andar aane ka ishara kiya. Dushyant ke ishare par avinash bhi uske pichhe ho liya. Thane me maujood baaki police walo ne dushyant ko salute bajaya jiska jawaab diye bina dushyant dandanata hua thane ke andar chala gaya.

Thane ke andar inspector dushyant ka muh laga hawaldaar bhanu singh maujood tha. Apne chahete officer ko salute thokne ke baad jaise hi uski nazar avinash par padi to wo buri tarah chaunka. Aankhe faade wo avinash ko hi dekhne laga tha jabki uske is tarah dekhne se avinash asahaj bhaav se idhar udhar dekhne laga.

"Sahab...sahab." Bhanu hadbadaye se lahje me dushyant ki taraf dekhte huye bola______"Ye to wahi hai na jiski khoj me aapne mujhe lagaya tha aur ise khojte khojte meri raato ki neend gayab ho gayi thi.?"

"Haan ye wahi hai pyare." Inspector dushyant halke se muskurate huye kaha______"Aur ab se ye hamare sath hi rahega. Hamne ise driving ke kaam par rakh liya hai."
"Ye aap kya kah rahe hain sahab.?" Hawaldaar bhanu ki jaise aashcharya se aankhe fat padi, bola_____"Ye aapke sath hi rahega aur to aur aapne ise driving ke liye bhi rakh liya.? Baat kuch samajh me nahi aayi sahab.?"

"Ek hi baar me itna zyada dimaag mat lagaao pyare." inspector dushyant ne kaha_____"Bas dekhte jaao. Dhire dhire sab samajh jaaoge. Khair ham tumhe ek kaam saump rahe hain aur ummid karte hain ki tum wo kaam wakt se pahle kar daloge."

"Ji bilkul hukum kijiye sahab." Hawaldaar bhanu ne jaise khush hote huye kaha.
"Ye lo paise." Dushyant ne apne parsh se do hazaar ka note nikaal kar bhanu ko pakdate huye kaha______"Kisi mobile store me ja kar ek keypad mobile aur sath me ek sim card kharid kar fauran aao."

Hawaldaar bhanu ne bade adab se sir nawaya aur paise le kar thane se baahar nikal gaya. Bhanu ke jane ke baad dushyant ne waha maujud baaki police walo ko avinash se milwaya aur kaha ki ab se ye hamare sath hi rahega is liye iske aane jane me koi rok nahi lagayega. Dushyant ki is baat par sabne haan me sir hila diya. Uske baad dushyant avinash ko apne pichhe aane ka ishara kiya aur khud apne cabin ki taraf badh gaya. Cabin me pahuch kar dushyant apni kursi par baith gaya aur avinash ko bhi table ke is paar rakhi visitors chairs me se ek par baithne ko kaha. Avinash ko kuch samajh to nahi aa raha tha magar wo bina kuch bole kursi par baith gaya. Use yaad aaya ki yahi wo thana hai jaha par use do maheene pahle pakad kar laya gaya tha aur lockup ke andar isi police inspector ne uski jam kar dhulaayi ki thi.

"Haan to pyare." Inspector dushyant ne ek cigarette sulgane ke baad avinash se mukhaatib ho kar kaha_____"Ek baar fir se radio ki tarah shuru ho jaao."
"Ji..???" Avinash ekdam se chakra gaya.

"Are bhai." Dushyant ne kaha_____"Raaste me tum apni jo kahani suna rahe the use shuru karo. Yaani ki apne dhaabe wale maalik ki car thik karne ke baad se aage ka kissa shuru karo."

"Apne dhaabe wale maalik ki car jab maine thik kar diya to wo badi hairaani se mujhe dekhne laga tha." Ek gahri saans lene ke baad avinash ne kahna shuru kiya_____"Khair us wakt to wo apne zaruri kaam se chala gaya magar jab shaam ko lauta to usne mujhe apne paas bulaya aur puchne laga ki maine uski car ko kaise thik kar diya tha.? Uske puchhne par main bhala usse kya kahta magar kuch to kahna hi tha is liye bol diya ki thodi bahut jaankaari hai mujhe. Uske man me jane kya aaya ki usne mujhe kuch der tak dekha fir ek kaagaj par kuch likha aur kaha ki is kaagaj me likhe pate par chale jaao aur bata dena ki bhaskar sheth ne bheja hai. Mujhe kuch samajh na aaya ki mera maalik mujhe us pate par kyo bhej raha tha. Usne kuch paise mere hath me thamaaye aur kaha ki ab jaao. Maine kuch kahna chaha to usne kaha ki is pate par jaao khud hi samajh jaaoge. Main bebas sa ho gaya tha. Khair mere paas uski baat maanne ke siwa dusra koi chara nahi tha. Usne kaagaj me jo pata likha tha us pate par main puchhte puchhte pahuch gaya. Maine dekha ki jis pate par mere maalik ne mujhe bheja tha waha par car wagaira ka kaam ho raha tha. Badi si dukaan thi wo jaha par kayi care thi aur kuch log unme lage huye the. Khair maine ek aadmi se waha ke maalik ke bare me puchha to usne ek taraf ishara kiya. Uski bataayi huyi disha me main gaya to dekha ki ek kaanch ke cabin ke andar ek aadmi baitha tha aur uske saamne table par ek computer rakha hua tha. Maine cabin ke darwaje par thapthapaya to usne meri taraf dekha. Uske dekhne par maine apne hath me liye kaagaj ko use dikhaya to usne andar bulaya. Cabin ke andar ja kar maine use wo kaagaj pakda diya aur kaha bhaskar sheth ne aapko dene ke liye kaha hai. Us aadmi ne kaagaj ko dekha aur fir wahi table par rakhe phone se kisi ko phone lagaya. Phone par jab usne bhaskar ka naam liya to mujhe pata chala ki wo mere maalik se hi baat kar raha hai. Mujhe nahi pata ki maalik ne udhar se kya kaha magar itna zarur hua ki baat karne ke baad us aadmi ne mujhse bina kuch puchhe apne yaha kaam par rakh liya. Main hairaan tha ki ye sab kya hai.? Khair wo aadmi cabin se baahar aaya aur mujhe sath le kar us taraf gaya jaha par baaki log kaam kar rahe the. Usne un logo se mujhe milwaya aur kaha ki aaj se ye aadmi bhi tum logo ke sath yaha kaam karega."

"Bas uske baad main waha par car ko thik karne ka kaam karne laga." Avinash ne kuch pal rukne ke baad fir se kahna shuru kiya______"Dusre din main apne dhaabe wale maalik se mila to usne bas yahi kaha ki jo kaam tumhe aata hai tum wahi kaam karo. Waise bhi tum koi bartan dhone wale nahi lagte the mujhe. Uske baad main waha se waapas car garage me aa gaya. Car garage me main kaam karne laga. Main hairaan tha ki mujhe car ke bare me bahut si jaankari thi aur main baaki logo se behtar kaam kar raha tha. Rahne ka mere paas koi thikana nahi tha is liye garage me hi so jata tha. Do wakt ka khana khane main bhaskar sheth ke yaha hi jata tha. Usne mujhe ek jagah rahne ke liye kamra dilwa diya. Ye mujh par uska dusra upkaar tha. Khair aise hi din guzarte rahe magar mujhe nahi pata tha ki aage mere sath kya hone wala tha.? Jaha main kiraye se rah raha tha waha aaye huye mujhe do maheena ho gaya tha. Ek raat main kamre me so raha tha ki achanak hi shor sharaba hua aur dhaad se mere kamre ka darwaza khula. Uske baad zameen par so rahe mujh par kisi ne laat ghuso ki barsaat si kar di. Main is sabse buri tarah hadbada gaya tha aur dard se cheekhne laga tha. Main ye dekh kar chakit tha ki mera makaan maalik apne bete ke sath mujhe maar raha tha aur kah raha tha ki maine uski beti ke kamre me ghus kar uski beti ki ijjat lootne ki koshish ki hai. Main to unki itni si baat sun kar hi sann rah gaya tha. Baaki wo aur kya kya bolte ja rahe the is par mera dhyaan hi nahi gaya. Main apne aapko bachane ki bahut koshish kar raha tha aur kahta bhi ja raha tha ki maine kuch nahi kiya magar wo dono baap beta na maane. Achhi tarah mujhe koot dene ke baad unhone baahar se mere kamre ka darwaza band kar diya. Kareeb bees minute baad fir se darwaza khula aur is baar police ko dekh kar meri rooh kaamp gayi. Makaan maalik police wale se kah raha tha ki pakad lo is ghatiya aadmi ko....isne bahut hi ghatiya jurm kiya hai. Bas uske baad police walo ne mujhe pakad liya aur mere kamre ki talaashi lene lage. Talaashi me unhe mere bag se dher sare gahne jewar mile. Gahne jewar dekh kar makaan maalik uchhal pada aur chillate huye bola ki ye to hamare hi gahne jewar hain. Matlab isne chori bhi ki hai. Idhar meri haalat apne baal noch lene jaisi ho gayi thi. Mujhe samajh nahi aa raha tha ki ye sab kaise ho gaya.? Main to gahri neend me so raha tha aur aankh khuli to ye sab ho raha tha. Maine police walo se aur makaan maalik se bahut kaha ki maine kuch nahi kiya hai magar koi meri baat par yakeen nahi kar raha tha. Yakeen karte bhi kaise...police ke saamne mere bag se apne gahne jewar dekhe the unhone. Main khud chakit tha ki mere bag me itne sare gahne jewar kaha se aur kaise aa gaye.? Khair last me ye hua ki police mujhe pakad kar le gayi aur fir thane me la kar mujhe salaakho ke pichhe dhakel diya. Uske baad jail ke andar police ke daroga ne mujhe bahut mara aur puchhte rahe ki maine aisa kyo kiya magar main yahi bolta raha ki maine kuch bhi nahi kiya, balki main khud hairaan hu ki mere bag me wo gahne kaise aaye.? Main cheekh cheekh ke apni baato ko dohrata raha magar unko meri baat par yakeen nahi hua. Khair us jurm ki mujhe saza huyi aur main maheene bhar baad jail se baahar aaya. Makaan maalik ne mera bag fenkte huye usi wakt kah diya tha ki dubara is ghar ke aas paas dikha to wo mera khoon kar dega."

"Us haadse ne mujhe andar tak hila kar rakh diya tha." Ek lambi saans kheechne ke baad avinash ne fir se kahna shuru kiya______"Mujhe aise jurm ke liye saza aur maar mili thi jo maine kiya hi nahi tha. Maine us bare me bahut socha magar mujhe us haadse ke bare me kuch samajh nahi aaya. Baad me maine ye soch kar us haadse ko bhula dene ka socha ki shayad mere makaan maalik ne kisi dusre ka gussa mujh par is tarah se utara hoga. Halaaki sochne wali baat to bhi thi koi kisi dusre ka gussa is tarah ke ilzaam laga kar kaise utarega.? Khair jab main maheene bhar ki saza kaatne ke baad waapas garage me pahucha to garage ka maalik mujh par bahut naraz hua. Use bhi bhaskar sheth ke dwara pata chal gaya tha ki mujhe kis jurm me police pakad ke le gayi thi aur main maheene bhar baad saza kaat ke aaya hu. Iska nateeja ye nikla ki car garage ke maalik ne mujhe apne yaha fir se kaam par rakhne se saaf inkaar kar diya. Uska kahna tha ki wo kisi mujrim ko apne yaha kaam par nahi rakhega. Maine maalik ko bahut samjhaya magar wo na maana balki gusse se mujhe chale jane ko kah diya. Main bhala kya kar sakta tha is liye waha se main bhaskar sheth ke paas gaya to usne bhi mujhe chaar baate sunaayi aur kaha ki kahi dusri jagah kaam dekho. Kahne ka matlab ye ki uske baad yahi silsila chalne laga. Dusri jagah mushkil se kaam mila aur ek jagah rahne ke liye kiraye se kamra mila magar do maheene baad fir se ek raat mere sath waisa hi haadsa hua. Mujh par makaan maalik ne ilzaam lagaya ki maine uske ghar me chori ki aur uski biwi ki ijjat lootne ki koshish ki. Uske baad usne police ko bulaya aur mujhe police ke hawale kar diya. Police ne thane me meri jam ke kutaayi ki aur maheene bhar baad chhod diya. Meri haalat aisi ho gayi thi ki lag raha tha apni jaan de du. Mujhe samajh nahi aa raha tha ki mere sath aisa kyo ho raha tha.? Pahli baar hua to maine socha tha ki shayad makaan maalik ne kisi aur ka gussa mujh par nikala raha hoga magar dubara fir se waisa hi haadsa.??? Iska kya matlab ho sakta tha bhala.? Mujhe apne bare me achhi tarah pata tha ki in dono haadso me maine kuch nahi kiya tha balki har raat ki tarah un do raato me bhi main baahar se kha pi kar aaya tha aur apne kamre me chup chaap zameen par hi chaadar bichha kar so gaya tha. Is baar ke haadse ne mujhe ye sochne par majbur kar diya ki maine to kuch nahi kiya is liye mumkin hai ki kisi ne mujhe jaan bujh kar aise jurm me fasaya hai magar sawaal tha ki aisa mere sath kaun kar sakta tha.?"

Abhi avinash ye sab kah hi raha tha ki tabhi cabin me hawaldaar bhanu daakhil hua aur dushyant ke saamne rakhi table par ek mobile ka dibba aur sim card ka ek packet rakh diya.

"Sahab." Fir usne kaha_____"Ye raha aapka mobile aur sim card. Mujhe zyada time to nahi laga na sahab.?"
"Bilkul nahi pyare." Inspector dushyant ne kaha______"Aur isi liye to ham tumhe itna pasand karte hain kyo ki tum wakt se pahle har kaam kar daalte ho. Khair ab jaao tum."

Apne chahete inspector ke dwara apni tareef sun kar hawaldaar bhanu khush ho gaya aur hotho par muskaan sajaye cabin se baahar chala gaya. Uske jane ke baad dushyant ne dibbe se mobile nikala aur usme sim card daalne ke baad mobile ko avinash ki taraf sarka diya.

"Hamne ye mobile tumhare liye magwaya hai pyare." Dushyant ne avinash ki taraf dekhte huye kaha_____"Tumhare character ko samajhte huye hamne ye andaza laga liya tha ki tum apne paas mobile jaisi waahiyaat cheez nahi rakhte hoge. Ab kyo ki tum hamare sath hi rahoge to tumhare paas is mobile ka rahna behad zaruri hai. Kyo ki kisi bhi wakt hame tumhari zarurat pad sakti hai aur agar hamare paas tumse contact karne ka koi jariya hi nahi hoga to bhala kaise ham tumhe apne paas haazir kar payege.?"

Avinash dushyant ki baato par kuch na bola. Balki beman se mobile ko uthaya aur use ulat pakat kar dekhne laga. Jabki uske chehre ke bhaavo ko read karte huye inspector dushyant ne ek nayi cigarette sulgaayi aur uske ek do kash lene ke baad hawa me uske dhuye ko udaya.

"Jab tumhe is baat ka." Dushyant ne cabin me chha gayi khamoshi ko cheerte huye kaha_____"Andaza ho gaya ki kisi ne tumhe jaan bujh kar waise jurm me fasaya tha to uske baad tumne kya kiya.? Hamara matlab hai ki kya tumne is baat ka pata lagane ki koshish ki ke kisne tumhe waise jurm me fasaya hoga.?"

"Maine to apni taraf se puri koshish ki thi sahab." Avinash ne gahri saans lete huye kaha______"Magar kuch pata nahi kar paya. Kyo ki ek to mujhe apne bare me apni pichhli zindagi ka kuch bhi yaad nahi tha jisse mujhe andaza ho sake ki mera aisa kaun dushman ho sakta hai, dusre itne bade shahar me bhala main kis par shak karta aur ye sochta ki fala insaan ne mujhe fasaya hoga.? Yaani ki main chaah kar bhi is bare me kuch nahi kar sakta tha. Fir mere man me khayaal aaya ki apne bare me hi pata karu. Kyo ki agar mujhe apni pahchaan mil jayegi to shayad usse mujhe in haadso ke bare me kuch janne me madad mil jaye. Is liye main paas ke police thane me gaya aur waha ke police walo se apni gum shudgi ki report likhne ko kaha to wo meri is baat par hasne lage. Maine unhe bataya ki mujhe apni pichhli zindagi ke bare me kuch bhi yaad nahi hai is liye main apni gum-shudgi ki report likhwane aaya hu. Magar un logo ne mujhe paagal kaha aur daat dapat kar thane se bhaga diya. Ab bhala main unhe iske liye kaise majbur karta ya raaji karta.? Din aise hi guzarte rahe aur maine kayi aur thano me is baat ki report likhwane gaya magar koi faayda na hua. Har guzarte wakt ke sath mujhe apni zindagi aur apni kismat se shikayat hone lagi aur main andar hi andar is baat ke liye rota bhi ki aakhir mere sath hi aisa kyo hua.? Upar baithe bhagwan ne meri kya haalat kar di thi. Jaise jaise mere sath waise haadse ho rahe the waise waise mujhe insaano se nafrat si hone lagi thi. Main begunaah tha, maine kahi koi jurm nahi kiya tha magar iske baavjud main aise jurm me pakda diya jata tha aur fir iske liye mujhe bhaari takleef jhelni padti thi. Ek jagah se dusri jagah aur ek shahar se dusre shahar aise hi bhatakta raha main magar kahi bhi chain se rah nahi paya. Har do maheene baad ek raat ko mere sath yahi haadsa hota aur fir wahi takleef sahni padti. Meri jagah koi dusra insaan hota to kab ka aatm hatya kar chuka hota sahab magar main ye soch kar rah jata ki agar main mar gaya to kahi maujood mera pariwar kis haal me pahuch jayega. Main ek baar apne pariwar walo se milna chaahta tha aur ye bhi dekhna chaahta tha ki jo jurm main karta hi nahi hu us jurm me mujhe har baar kaun fasa deta hai.?"

"Yakeenan badi hairat ki baat hai avinash pyare." Dushyant ne cigarette ke dhuye ko udate huye kaha______"Apni ab tak ki life me hamne is tarah ka maamla iske pahle kabhi nahi suna tha. Khair ab ye bataao ki kya tum us shakhs se dubara mile ya wo shakhs tumse kabhi tumhara takraya jisne us viraan se hospital me tumhe avinash kaha tha.?"

"Nahi sahab." Avinash ne inkaar me apna sir hilate huye kaha_____"Na to main kabhi dubara us viraan si jagah par gaya aur na hi waha par milne wala wo shakhs mujhe kabhi mila. Lekin itna zarur samajh gaya tha ki wo jagah thik nahi thi. Koi mujhe us jagah par jaan bujh kar le gaya tha aur mujhe waha ke us kamre me kaid kar diya tha. Main bhala dubara aisi jagah par kyo jane ka sochta jabki main ye bhali bhaanti samajhta tha ki waha par jane se mujhe kisi tarah ka khatra zarur tha.? Dusri baat ye ki mujhe pata bhi nahi hai ki wo jagah kaha par hai. Us wakt main sahi haalat me nahi tha is liye ye janne ka khayaal hi mere man me nahi aaya tha ki wo jagah kaun si hai aur kaha par hai.?"

"Chalo koi baat nahi pyare." Dushyant ne cigarette ko pairo ke niche kuchalte huye kaha______"Achha ab tum jaao aur baahar baitho. Ham bhi kuch apna kaam kar le."
"Ji sahab." Avinash kahne ke sath hi kursi se utha aur cabin se baahar chala gaya. Uske jane ke baad dushyant kafi der tak uske bare me sochta raha. Uske baad wo table par rakhi file ko khol kar dekhne laga.

<>•<>•<>

Table par rakhe landline phone ki ghanti ekdam se baji to inspector dushyant ne file se nazar hata kar phone ki taraf dekha aur reviewer utha kar kaan se lagate hi bola_____"Inspector dushyant varma here."

"Inspector sahab." Udhar se kisi anjaan aadmi ki aisi awaaz aayi jaise wo badi jaldbaazi me ho, bola______"Highway no 05 me sadak ke kinare ek aurat ki laash padi hai. Kripaya aap jaldi aa jaiye."
"Laash.??" Inspector dushyant ke maathe par shikan ubhar aayi, bola_____"Aap kaun bol rahe hain....hello...hello..!"

Inspector dushyant hello hello karta hi rah gaya magar udhar se koi awaaz nahi aayi. Matlab saaf tha ki phone karne wale ne laash ki suchna dene ke baad phone kaat diya tha. Waise bhi ye police case tha is liye koi bhi aam insaan aise jhamele me nahi fasna chaahta tha. Khair inspector ne kuch der socha aur fir table se apni cap aur danda uthate huye cabin se baahar ki taraf aaya. Aanan faanan me usne kuch police waalo ko sath chalne ka hukum diya aur wahi paas me hi baithe avinash ko bhi ishara kiya. Dushyant ka hukum aur ishara milte hi sab harkat me aa gaye.

Avinash ne highway no 05 par sadak ke kinare police gipsy ko roka. Inspector dushyant aur baaki police wale gipsy se niche utar kar us jagah ki taraf badhe jaha par phone karne wale anjaan aadmi ne kisi aurat ki laash pade hone ki suchna di thi.

Highway no 05 me ikka dukka waahan chalte hi rahte the baaki aas paas chaaro taraf sannata hi faila rahta tha. Sadak ke dono taraf door door tak pathrili zameen thi. Inspector ne dekha ki jis jagah par aurat ki laash padi thi wo jagah sadak ke kinaare thodi dhalaan par thi. Yaani agar sadak se koi dekhe to ye laash kisi ko nahi dikh sakti thi. Inspector samajh gaya ki phone karne wala anjaan aadmi laash dekhne ke baad pahle yaha se chala gaya hoga uske baad hi usne use phone kiya hoga warna raaste me kahi to wo aadmi use nazar aaya hota. Ya fir aisa ho sakta hai ki phone par laash ki suchna dene wala hi khooni ho.

Laash aurat ki hi thi jiski umar chaalis ya bayalees ke aas paas ki hogi. Uske jism par neele rang ki saadi thi aur usi se match karta blouj. Aurat ke gale par ek bada sa cheera laga hua tha jaha se ghoon baha hua tha aur ab usme makkhiya lagne lagi thi. Dudhyant ko samajhte der na lagi ki aurat ki hatya huye kafi time guzar gaya hai. Aurat dikhne me achhi bhali thi jisse pata chalta tha ki kisi achhe ghar se hogi. Magar sawaal tha ki iski kisi se aisi kya dushmani ho sakti thi jiske tahat kisi ne uski is tarah se hatya ki aur aise sunsaan highway par lawaarish ki tarah daal kar chala gaya. Laash ke aas paas kahi par bhi khoon nahi tha aur na hi aisa prateet hota tha ki hatya yaha ki gayi hai.

Inspector dushyant ne kafi der tak laash ka aur laash ke aas paas door door tak ja kar baariki se muaayna kiya magar use kahi koi suraag na mila. Aurat ke gale me sone ka mangal sootra, kaano me sone ke tops aur naak me sone ki hi ek nath thi. Hatho me neele rang ki chudiya thi jinme se kuch tooti huyi thi. Aurat ko uska gala ret kar mara gaya tha magar murder weapon gayab tha. Achhi tarah jaanch padtaal karne ke baad dushyant ne apne mobile par kisi ko phone lagaya. Ek minute baad karne ke baad usne call cut kar diya. Kareeb aadhe ghante baad waha par ek car aa kar ruki. Car se kuch log nikle aur dushyant ke paas aa gaye. Dushyant ne un logo ko laash ki taraf ishara kiya jisse wo log laash ke paas gaye aur laash ka muaayna karne lage. Thodi der me ek ambulance bhi waha par aa gayi. Kuch der dushyant waha par ruka aur fir wo car se aaye logo se thodi baat cheet karne ke baad waapas thane ki taraf chal pada.


Thane aa kar dushyant ne us aurat ke bare me pata karne ke liye bhanu ko laga diya aur khud phone karke aas paas ke ilake ke thano se us aurat ke bare me kisi gumshudgi ki report ka pata karne laga. Der raat tak wo isi me busy raha aur fir avinash ke sath apne flat par aa gaya. Usne avinash ko raashan lane ke liye pahle hi paise de diye the is liye avinash flat me raashan rakh kar waapas thane aa gaya tha dushyant ko lene ke liye.

______________________________________
awesome update
 
  • Like
Reactions: TheBlackBlood

mashish

BHARAT
8,082
25,904
203
BEGUNAAH
Update - 07


Ab Tak,,,,

Inspector dushyant ne kafi der tak laash ka aur laash ke aas paas door door tak ja kar baariki se muaayna kiya magar use kahi koi suraag na mila. Aurat ke gale me sone ka mangal sootra, kaano me sone ke tops aur naak me sone ki hi ek nath thi. Hatho me neele rang ki chudiya thi jinme se kuch tooti huyi thi. Aurat ko uska gala ret kar mara gaya tha magar murder weapon gayab tha. Achhi tarah jaanch padtaal karne ke baad dushyant ne apne mobile par kisi ko phone lagaya. Ek minute baad karne ke baad usne call cut kar diya. Kareeb aadhe ghante baad waha par ek car aa kar ruki. Car se kuch log nikle aur dushyant ke paas aa gaye. Dushyant ne un logo ko laash ki taraf ishara kiya jisse wo log laash ke paas gaye aur laash ka muaayna karne lage. Thodi der me ek ambulance bhi waha par aa gayi. Kuch der dushyant waha par ruka aur fir wo car se aaye logo se thodi baat cheet karne ke baad waapas thane ki taraf chal pada.

Thane aa kar dushyant ne us aurat ke bare me pata karne ke liye bhanu ko laga diya aur khud phone karke aas paas ke ilake ke thano se us aurat ke bare me kisi gumshudgi ki report ka pata karne laga. Der raat tak wo isi me busy raha aur fir avinash ke sath apne flat par aa gaya. Usne avinash ko raashan lane ke liye pahle hi paise de diye the is liye avinash flat me raashan rakh kar waapas thane aa gaya tha dushyant ko lene ke liye.


Ab Aage,,,,,

Raat me khana pina karne ke baad dushyant chhote se drying room me rakhe sofe par baith kar cigarette foonkne laga tha jabki avinash kitchen me bartano ki safaayi me laga hua tha. Ghar me apne hath ka bana bhojan ek alag hi swaad ka ahsaas karaya tha use. Man hi man usne avinash ki tareef ki ke usne bahut achha khana banaya tha. Aadhe ghante baad avinash bhi wahi par aa gaya aur dushyant ke ishare par saamne sofe par baith gaya.

"Kal tumhe ek kaam karna hai pyare." Dushyant ne apne hi andaaz me kaha_____"Subah thane bhejne ke baad tum bhanu ke sath JCB hospital jaaoge. Waha par tumhe dr sanyaal milenge. Unse kahna ki hamne bheja hai tumhe. Uske baad wo jaisa kahe chup chaap kar lena."

"Hospital me dr se bhala mera kya kaam sahab.?" Avinash ne na samajhne wale bhaav se kaha tha.
"Jab tum waha jaaoge." Dushyant ne kaha_____"To tum khud hi samajh jaaoge. Ab tum jaao aur araam se so jaao."

Dushyant ke kahne par avinash kuch sochte huye utha aur apne kamre ki taraf chala gaya. Jabki dushyant kuch der tak sofe par baitha raha fir wo bhi apne kamre me chala gaya. Kamre me bed par jaise hi wo aaya to wahi par rakha uska mobile phone baj utha. Call uske aala adhikari tha, jisse usne kafi der tak baat ki uske baad call cut karke wo araam se let gaya.

Subah chaay naasta karne ke baad dushyant aur avinash gipsy se thane gaye. Thane ke saamne dushyant ne gipsy ko rukwaya aur fir wo gipsy se utar gaya. Usne avinash ko JCB hospital jane ko kaha to avinash ne sir hila diya jabki dushyant thane ke andar chala gaya. Thane me maujood police walo ne use salute thoka jiska jawaab usne sir ko halka sa kham karte huye diya aur hawaldaar bhanu ko avinash ke sath JCB hospital jane ke liye kah diya. Dudhyant ke kahne par bhanu thaane se baahar nikal gaya.

Dushyant jab apne cabin me pahucha to usne dekha ki visitor chair par police ki wardi me koi baitha tha. Uski peeth is taraf thi is liye dushyant ye na jaan saka ki wo police wala kaun hai. Khair apne sir se cap utaarte huye wo apni chair ke paas pahucha. Uski nazar saamne se jab us police wale par padi to wo pahle to chaunka fir ekdam se uske gulaabi hotho par muskaan ubhar aayi.

"Hamari jaan-e-bahaar yaha hamare intzaar me baithi hai aur ham kahi aur uski justazu me bhatak rahe the." Dushyant ne apne andaaz me muskurate huye kaha_____"Ye to hamari jaan ke sath sarasar na-insaafi ho gayi pyare...balki ye kahe ki hamari jaan ki tauheen hi ho gayi."

"Tum kabhi nahi sudhroge." Visitor chair par baithe yaswant ne bura sa muh banatae huye kaha_____"Jab dekho faaltu ki bakwas karne lagte ho."
"Kya kare meri jaan.?" Dushyant ne third class aashiq ki tarah aahe bharte huye kaha_____"Jab se tumhari mohabbat me giraftaar huye hain tab se jane kya ho gaya hai hame. Kasam se my dear ham ab ham nahi rahe balki....!"

"Ohh ab bas bhi kar mere baap." Yaswant ne uski baat beech me hi kaat'te huye thode naraaz bhaav se kaha____"Agar sarkar mujhe allow kar de to sabse pahle main tumhe goli maaruga."

"Maar do pyare." Dushyant ne kaha____"Isi wakt apne revolver se tum goli maar do hame. Sarkar bhale hi allow na kare magar ham allow karte hain. Kaho to stamp paper me likh de. Aree ham to usi din mar gaye the meri jaan jis din hame tumse bepanaah mohabbat ho gayi thi. Upar jab bhi jayenge to puchenge us parwar digaar se ki hamare dil me agar is mohabbat ka beej hi bona tha to kisi kuwari kanya ke liye bo dete."

"Agar tumhe yahi bakwas karni hai." Yaswant ne gusse se apne daant peeste huye kaha_____"To main chala jata hu yaha se."
"Hame aise chhod ke na jaao pyare." Dushyant ne maano dukhi hote huye kaha_____"Warna aankho me aanshu aa jayenge hamare. Bahut zaalim ho dear...zara bhi hamari haalat par taras nahi aata tumhe."

"Avinash ke bare me kuch pata chala.?" Yaswant ne uski baato par dhyaan na dete huye puchha.
"Uske khopde ka fuse uda hua hai pyare." Dushyant ne pahlu badalte huye gahri saans li.

"Kya matlab.??" Yaswant ke maathe par shikan ubhar aayi.
"Matlab to tel lene gaya tha pyare." Dushyant ne do took bhaav se kaha_____"Magar fir jab wo tel le kar waapas aaya to hamne bhi usse bade pyar se yahi pucha ki kya matlab.? Tab usne sharmate huye hame bataya ki uski yaad-daast ja chuki hai."

"Ye kya kah rahe ho tum.?" Yaswant matlab samajhte hi buri tarah chaunka tha.
"Ye ham nahi." Dushyant ne kaha_____"Balki usne kaha jo tel lene gaya tha."
"Tum fir se shuru ho gaye.???" Yaswant ne ghoora use.

Yaswant ke ghoorne par dushyant ekdam se chup ho gaya. Kuch der wo yaswant ki taraf moorkho ki tarah dekhta raha uske baad usne paint ki pocket se cigarette ka packet nikaal kar usme se ek cigarette sulgaayi aur packet yaswant ki taraf sarka diya. Yaswant ne uski taraf kha jane wali nazro se dekhte huye cigarette ke packet se ek cigarette nikaali aur table par rakhe dushyant ke lighter se apni cigarette jalaayi.

"Usne hamare puchne par." Dushyant ne cigarette ke dhuye ko udaate huye apne andaaz me kaha_____"Hame apni dard bhari daastaan sunaayi pyare. Uske saare kisse ka saar ye hai ki aaj se do dhaayi saal pahle wo gambheer roop se ghayal awastha me ek aisi jagah pada hua tha jaha par charo taraf pahaad aur khadaane thi."

"Saar mat bataao mujhe." Yaswant ne uski baat beech me hi kaat'te huye kaha_____"Balki pura ka pura kissa bataao mujhe."
"Lagta hai badi fursat se aaye ho pyare." Dushyant ne halki muskaan ke sath kaha_____"Khair ab jab tum itna hi zor de rahe ho to ham bhi pura kissa meharbaani karke bataye de rahe hain."

Uske baad dushyant ne use saara kissa suna diya jo avinash ne use apne bare me bataya tha. Saari baate sunne ke baad yaswant kisi gahri soch me duba nazar aane laga tha. Uski tandra dushyant ki awaaz par hi tooti thi.

"Kisi aur ke khayaalo me mat kho jaao pyare." Dushyant ne kaha_____"Tumhara dilbar tumhari aankho ke saamne hai."
"Kissa to yakeenan hairaani bhara hai yaar." Yaswant ne gahri saans lete huye kaha____"Aur agar uske kisse ko sach maan liya jaye to zaahir si baat hai ki wo begunaah hai. Yaani koi aur hi hai jo usse is tarah se apni dushmani nikaal raha hai."

"Hamare zahen me bhi yahi khayaal aaya tha pyare." Dushyant ne chair ki pusht par peeth tikaate huye kaha_____"Magar fir ye khayaal bhi aaya ki mumkin hai ki uska ye kissa sire se hi farzi ho. Yaad-daast ghum hone ka kissa usne jaan bujh kar banaya hua ho taaki hamari nazar me wo begunaah bana rahe."

"Chalo maan liya." Yaswant ne kaha____"Ki usne hamari nazar me khud ko begunaah bane rahne ka naatak kar raha hai magar sawaal hai ki aisa karne ke peechhe uska kya maksad ho sakta hai.? Har baar ek hi jurm me fasna aur fir police ke dwara koota jana isse bhala kya haasil ho sakta hai use.?"

"Yahi to pench hai pyare." Dushyant ne kaha_____"Is maamle me hamari sochne wali gaadi yahi par aa kar ruk jaati hai. Kyo ki itna to ham bhi samajh rahe hain ki har baar ek hi jurm me fas kar police ke dwara apni kutaayi karne ke peeche uska hi kya balki kisi ka bhi koi maksad nahi ho sakta. Bhala aisa kaun ahmak hoga jo is tarah se jurm karega aur fir badi asaani se police ke hatthe chadh kar apni durgati karayega.? Haan agar maamla aisa hota ki jurm karne ke baad wo faraar ho jata tab to wo apraadhi kahlata magar iske maamle me aisa kuch hua hi nahi, balki wo to jurm karne ke baad apne kamre me is tarah bade araam se so raha tha jaise use kisi baat ki fikar hi nahi thi."

"Fir to saabit ho gaya hai dushyant." Yaswant ne gahri saans lete huye kaha______"Ki avinash ne sach me koi jurm nahi kiya tha balki uski shakl me koi dusra hi bahrupiya tha jisne wo sab kiya aur fir badi safaayi se avinash ko fasa kar waha se rafu chakkar ho gaya."

"Bilkul." Dushyant ne kaha_____"Ab sawaal ye hai ki aisa wo bahrupiya kaun ho sakta hai aur avinash par itni badi meharbaani karne ki bhala kya vajah ho sakti hai.?"
"Koi to vajah zarur hi hogi." Yaswant ne kaha_____"Uske kriya kalaap se to saaf hai ki wo avinash se adaawat rakhta hai magar ek sawaal ye bhi hai ki agar us bahrupiye ki avinash se kisi tarah ki dushmani hai bhi to wo apni dushmani normal tarike se bhi nikaal sakta hai na, fir bhala isme use avinash ki shakal lene ki kya zarurat thi use.?"

"Ye bhi ek point hai pyare." Dushyant ne kuch sochte huye kaha_____"Dushmani to use kisi bhi tarah se nikaal leni thi magar usne apni dushmani ke chakkar me avinash ki shakal ko dhaaran kiya. Dusri baat ye bhi hai ki usne avinash ko sirf fasaya, aur har baar ek hi jurm me fasaya jo ki badi ajeeb baat hai. Jabki koi bhi dushman hoga to kam se kam aisa karne ka to sochega hi nahi balki wo ya to use jaan se maarne ki koshish karega ya fir badi safaayi se apne dushman ko apne sath le jayega."

"Ho sakta hai ki avinash ka dushman." Yaswant ne kaha____"Aviansh ki yaad daast waapas aane ka intzaar kar raha ho. Pata to use bhi hoga ki avinash ki yaad daast ja chuki hai aur use apni pichhli zindagi ka kuch bhi yaad nahi hai. Aisi surat me mumkin hai ki wo filhaal use jaan se na maarna chaahta ho balki wo chaahta ho ki jab avinash ki yaad daast waapas aayegi tab wo use jaan se maarega. Aakhir koi bhi dushman ye kyo chaahega ki jisse wo apna badla le raha hai use uske gunaah ke bare me pata hi na ho."

"You are absolutely right pyare." Dushyant ne halki muskaan ke sath kaha_____"Bilkul aisa ho sakta hai aur shayad yahi vajah hai ki wo aise kaarname kar raha hai. Yaani avinash ki shakal le kar har baar wo avinash ko fasata hai aur use police ke paas pitne ke liye bhejwa deta hai. Use lagta hoga ki maar pitaayi se shayad avinash ki khopdi khul jayegi aur use apni pichhli zindagi ka sab kuch yaad aa jayega. Magar us ahmak ko bhala ye kaun samjhaye ki kisi ki yaad daast kya aisa karne se bhi waapas aa sakti hai bhala.?"

"Yaad daast ka aana ya na aana apni jagah hai." Yaswant ne kaha____"Magar wo apni taraf se koshish to kar hi raha hai na.? Halaaki wo iske liye ye bhi kar sakta hai ki wo avinash ko kidnap kar le aur kisi aise doctor se mile jo avinash ki yaad daast waapas lane me uski kuch madad kar sake. Mere khayaal se aisa wo ek baar kar bhi chuka hai. Avinash ne apne kisse me kisi hospital ka zikar kiya tha na.?"

"Maamla kaafi uljha hua hai pyare." Dushyant ne gahri saans lete huye kaha_____"Avinash ka wo dushman jab itna kuch badi safaayi se kar sakta hai to yakeenan wo aisa bhi kar sakta hai magar usne nahi kiya. Balki usne sirf ye kiya ki har baar use ek hi jurm me fasaya aur use police ke paas pelaayi ke liye bhejwa diya. Sabse badi baat ye ki har dusre maheene baad hi wo aisa kyo karta hai.? Jabki wo ek maheene me bhi ya fir hapte das din me bhi aisa kar sakta hai. Fir do maheene ka antraal kyo.?"

"Tumhare is sawaal ka jawaab to wahi de sakta hai." Yaswant ne kaha_____"Infact saare sawaalo ke jawaab hi wahi de sakta hai kyo ki avinash ko to kuch yaad hi nahi hai ki usne kiske sath aisa kuch kiya jiski vajah se aaj uske sath aisa ho raha hai."

"Isi liye to ham use apne gareeb khane me le aaye hain pyare." Avinash ne kaha_____"Ab ham bhi dekhenge ki do maheene baad avinash ka chaahne wala kya karta hai.? Hamare yaha koi kanya to hai nahi jiske sath wo zor zabardasti karega aur uske gahne jewar churayega. Kahne ka matlab ye ki is baar doodh ka doodh aur paani ka paani kaise hoga ye zarur pata chalega. Itna hi nahi is baar uske swaagat ka ham khud bada khubsurat intjaam karenge."

"Intjaam to thik hai." Yaswant ne muskurate huye kaha____"Par zara khud bhi samhal ke rahna. Kahi aisa na ho ki wo tumhe hi kuwari kanya samajh kar tumhari ijjat loot le."
"Koi baat nahi pyare." Dushyant ne kaha____"Ham bhi lauda taiyar kar ke rakhene. Jaise hi wo aayega ham use apne laude ka swaad chakhayenge."

"Iska ulta bhi ho sakta hai." Yaswant ki muskaan aur gahri ho gayi, bola_____"Aur agar ittefaakan aisa hua ki avinash bhi uske sath mila hua ho to samjho tumahre pau baarah ho gaye."
"Tension mat lo pyare." Dushyant ne kaha_____"Us din tum bhi hamare sath hi waha rahoge. Agar aisa hua to pau baarah tumhare bhi ho jayege."

"Mera is sabse koi lena dena nahi hai." Yaswant ne haste huye kaha_____"Avinash ka maamla tumhare hath me hai aur tum hi use mere thaane se le gaye ho. Is liye ab jo kuch bhi hoga use tumhe hi jhelna hai...wo bhi akele."

"Tum to sale ekdam se bewafa ho gaye." Dushyant ne yaswant ko ghoorte huye kaha.
"Avinash ki yaad daast ke bare me kya socha hai.?" Yaswant ne muskurate huye pahlu badla.
"Use dr sanyaal ke paas bheja hai." Dushyant ne ek nayi cigarette jalane ke baad kaha_____"Dr ko hamne sab bata diya hai. Dekho kya pata chalta hai unhe."

"Dr ke bharose to nahi baith sakte na bhai." Yaswant ne kaha_____"Tumne bataya ki avinash ke paas ek adhaar card tha. Us adhaar card se ham uske bare me pata kar sakte hain."
"Wo card puri tarah se destroy kar diya gaya hai." Dushyant ne kaha_____"Us card me uske naam ke alawa kuch bhi nahi hai. Kahne ka matlab ye ki ham agar chaahe bhi to us card se kuch nahi kar sakte. Hame to lagta hai pyare ki wo card bhi farzi hi hai. Yaani avinash ka jo bhi dushman hai usne pahle se hi sab kuch plan kiya hua tha."

"Iska matlab koi lamba chakkar hai." Yaswant ne sochne wale bhaav se kaha_____"Avinash ka dushman hargiz ye nahi chaahta ki avinash ko apne bare me kahi se kuch pata chale. Agar aisa hai to fir wo theory bhi bekaar hi huyi. Yaani avinash ka dushman nahi chaahta ki uski yaad daast waapas aaye. Magar aisa kaise ho sakta hai bhala.? Ye kis tarah ki dushmani huyi fir.?"

"Ye sab kuch ham pahle hi soch chuke hain pyare." Dushyant ne cigarette ko pairo ke niche kuchalte huye kaha_____"Aur result ye nikla ki hamare achhe khaase dimaag ka ghan chakkar ho gaya. Samajh me nahi aata ki avinash ka dushman asal me chaahta kya hai.? Wo use jaan se nahi maarna chaahta ye ek thos sachchaayi hai kyo ki agar use avinash ko maarna hi hota to wo use bahut pahle hi maar chuka hota, magar usne aisa nahi kiya. Wo sirf itna hi kar raha hai ki har do maheene me use ek hi jurm me fasa kar police ke dwara kutwata hai. Uske baad do maheene tak maano wo free ho kar baith jata hai."

"Badi ajeeb baat hai." Yaswant ne kaha_____"Har baar ek hi jurm me fasana thoda nahi balki bahut hi zyada ajeeb aur atpata lagta hai. Jabki har baar ek insaan ko ek hi jurm me fasana zara mushkil kaam hai magar shayad uske liye nahi hai. Use jaise pata hota hai ki avinash jis jagah par rahne jata hai waha pahle se hi koi bahu ya beti maujood hain. Jinke sath ijjat loot kar avinash ko fasana hai. Iska to ek hi matlab hua na ki wo avinash ke peeche saye ki tarah rahta hai. Khair uska ye khel is baar shayad samajh me aa jayega jab wo ek baar fir se avinash ko fasane aayega. Tab tak avinash ke bare me pata karte hain. Agar is duniya me kahi koi uski family wale hain to unse is sare chakkar ka pata chal jayega. Waise maine uski photo har police thano me aur news channels me bhejwa diya hai. Dekhte hain kya hota hai."

"Ye achha kiya pyare." Dushyant ne kaha_____"Hamne bhi is baat ka pata lagaya tha ki do dhaayi saal pahle kahi par uske gum hone ki report darz karaayi gayi thi ki nahi magar uske gum hone ki kahi koi report darz nahi hai. Iska matlab ya to sach me uska is duniya me koi nahi hai ya fir agar koi hai bhi to usne jaan bujh kar uske gum hone ki kahi report nahi darz karaayi."

"Aisa kaise ho sakta hai.?" Yaswant ne kaha_____"Agar kahi uski family hai to wo yakeenan uske gum hone ki report darz karwaayi hogi. Bhala koi family jaan bujh kar aisa kyo karegi.?"
"Ho sakta hai ki koi paariwarik problem ho." Dushyant ne maano tark diya, bola______"Mumkin hai ki ye avinash kisi aise character ka raha ho jisse uski family wale use pasand na karte ho."

"Ye sirf sambhaavnaye hain dushyant." Yaswant ne gahri saans lete huye kaha_____"Hakikat ka pata tabhi chalega jab ya to avinash ki yaad daast waapas aayegi ya fir uski family wale hame milenge."
"Yaad daast kisi ki mahbuba nahi hai pyare." Dushyant ne kaha_____"Jo apne dilbar ke virah ko sahan na karte huye waapas aa jayegi. Hame kisi dusre tarike se uske bare me pata karna padega."

Dushyant ki is baat par yaswant kuch na bola balki kisi soch me gum nazar aaya. Kuch der aur un dono ke beech baate huyi uske baad yaswant waha se chala gaya. Yaswant ke jane ke do minute baad hi dushyant ka mobile baja to usne call receive ki aur baate karne laga.



<>•<>•<>
awesome update
 
  • Like
Reactions: TheBlackBlood

mashish

BHARAT
8,082
25,904
203

BEGUNAAH
Update - 08


Ab tak,,,,,,

"Ye sirf sambhaavnaye hain dushyant." Yaswant ne gahri saans lete huye kaha_____"Hakikat ka pata tabhi chalega jab ya to avinash ki yaad daast waapas aayegi ya fir uski family wale hame milenge."
"Yaad daast kisi ki mahbuba nahi hai pyare." Dushyant ne kaha_____"Jo apne dilbar ke virah ko sahan na karte huye waapas aa jayegi. Hame kisi dusre tarike se uske bare me pata karna padega."

Dushyant ki is baat par yaswant kuch na bola balki kisi soch me gum nazar aaya. Kuch der aur un dono ke beech baate huyi uske baad yaswant waha se chala gaya. Yaswant ke jane ke do minute baad hi dushyant ka mobile baja to usne call receive ki aur baate karne laga.


Ab Aage,,,,,,

Avinash dopahar ke baad hi JCB hospital se waapas aaya. Inspector dushyant ko kyo ki case ke silsile me jaldi jana tha is liye usne avinash se ye nahi pucha ki hospital me dr sanyaal se milne par kya hua. Khair avinash ko sath le kar dushyant thaane se nikla. Avinash ne gipsy ki driving sheet samhaali aur dushyant ke nirdesh par gipsy ko aage badha diya.

Kareeb pandrah minute baad dushyant ne gipsy ko do manjila makaan ke saamne rukwaya. Gipsy se utar kar dushyant ne avinash ko wahi ruk kar intzaar karne ko kaha aur khud saamne makaan ki taraf badh chala. Do manjila makaan baahar se hi dikhne me kafi alishaan type tha. Makaan ke bade darwaje ke paas pahuch kar dushyant ne door bell par apni ek ungli rakh kar button ko push kiya to andar kahi bell bajne ki awaaz use saaf sunaayi di.

Ek minute se pahle hi darwaza khula. Darwaza khulte hi dushyant ki nazar saame khadi shakhiyat par padi to jaise us par padi hi rah gayi. Khule darwaze ke beecho beech ek bala ki khubsurat ladki khadi nazar aayi thi. Peele rang ka kurta shalwaar aur gale me atka hua dupatta us par bahut hi zyada janch raha tha. Us par nazar padte hi inspector dushyant maano kahi aur hi pahuch gaya tha. Chaunka tab jab saamne khadi bala ke mukh se baaraho suro se saje sangeet jaisi awaaz uske kaano me padi.

"Aap.?" Us ladki ne jaise dushyant ko hakikat ki duniya me laaya,boli_____"Dad ka kuch pata chala kya inspector sahab.?"
"Aaan...haan." Inspector dushyant pal bhar ko jaise baukhlaya fir thoda chaunkte huye bola_____"Dad ka kuch pata chala se kya matlab hai aapka.?"
"Mere dad pichhle do din se ghar nahi aaye hain." Ladki ke chehre par ekdam se dukh aur peeda ke bhaav ubhar aaye the. Darwaze se ek taraf hat'te huye boli_____"Andar aa jaaiye."

Ladki ke kahne par inspector darwaze se andar daakhil ho gaya. Kuch hi der me wo ladki ke peechhe chalte huye andar dring room me pahucha. Dushyant ne andar aa kar chaaro taraf sarsari nazar se dekha. Makaan andar se aur bhi zyada khubsurat tha. Dushyant ne man hi man kaha bilkul waisa hi jaisi khubsurat ye ladki hai. Koi aur situation hoti to kadaachit wo apne chir parichit andaaz me aa kar us ladki se alag lahje me baat bhi karta magar is wakt aisa karna nihaayat hi galat laga use. Khair ladki ke ishare par wo ek sofe par baith gaya. Jabki wo ladki uske saamne wale sofe par baith gayi.

"Maaf karna miss." Dushyant ne kaha_____"Magar main ye jaanna chaahta hu ki is khubsurat se ghar me itna sannata kyo hai.?"
"Mera naam vidhi hai inspector sahab." Vidhi ne dukhi bhaav se kaha_____"Is ghar me mere mom dad aur main hi rahte the. Mom ka to aapko pata hai ki unka pichhle dino kisi ne khoon kar diya hai aur usi din se dad bhi waapas ghar nahi aaye. Mujhe samajh nahi aa raha ki ekdam se ye sab kya ho gaya hai.?"

Inspector dushyant ki aankho ke saamne us aurat ka mrit chehra ghoom gaya jo pichhle din highway no 5 me sadak ke kinaare mili thi. Us aurat ke bare me usne jab sinaakht karwaayi to pata chala tha ki aurat ka naam shalini tha jo ek achhe khaase pariwar se thi. Uska pati Sudhansu bhatiya shahar ka ek jana mana karobari tha. Shalini ka apni family me uske pati ke alawa ek beti thi jiska naam vidhi tha. Aurat ke bare me pata chalte hi dushyant tafteesh ke liye yaha aaya tha. Aurat ki sinaakht uski beti vidhi ne hi ki thi. Apni mom ki is tarah huyi maut se vidhi dahaade maar maar kar royi thi.

"Duniya me jo kuch bhi hota hai." Inspector ne vidhi ke us chehre ki taraf dekhte huye kaha jis chehre me is wakt dukh aur peeda ke bhaav gardish kar rahe the_____"Uske peeche koi na koi vajah zarur hoti hai vidhi ji. Shalini ji ka khoon jis tarike se hua hai usse saaf hai ki unki kisi se dushmani zarur thi. Ab sawaal ye hai ki shalini ji ki kisi se aisi kya dushmani rahi hogi jiski vajah se unka khoon kar diya gaya.? Aapne bataya ki aapke dad usi din se ghar waapas nahi aaye to kya aisa nahi ho sakta ki aapke dad ne hi apni patni ka khoon kiya ho aur ab kanoon ke dar se kahi chhupe baithe hain.?"

"Aapka dimaag kharaab hai kya inspector.?" Vidhi ekdam se jaise cheekh hi padi thi, boli_____"Bhala mere dad meri mom ka khoon kyo karenge.?"
"Aap bewajah cheekh rahi hain vidhi ji." Dushyant ne shaalinta se kaha_____"Jabki maine to situation ke anusaar sirf apni sambhaavna byakt ki hai. Aap khud sochiye ki kisi baahri insaan ke paas aapki mom ko maarne ki kya vajah ho sakti hai jabki aapke dad ke paas yakeenan koi na koi vajah zarur ho sakti hai aur upar se wo usi din se ghar waapas nahi aaye jis din aapki mom ka khoon hua."

"Iska sirf yahi to matlab nahi ho sakta na inspector." Vidhi ne is baar narm lahje me kaha_____"Ki agar mere dad us din se ghar waapas nahi aaye to iska matlab unhone hi meri mom ka khoon kiya hai aur ab wo police ya kanoon ke dar se kahi chhup gaye hain.? Mere dad ke ghar waapas na aane ke peechhe koi dusri vajah bhi to ho sakti hai. Ho sakta hai ki wo khud kisi musibat me ho."

"Beshak ho sakta hai." Inspector ne jaise swikaar kiya. Fir bola_____"Isi liye to yaha aapse ye jaanne aaya hu ki is sab ke bare me aapko kya lagta hai.? I mean ki aapke anusaar aisa kaun ho sakta hai jisne aapki mom ka khoon kiya ho aur ab aapke dad ko gum kar sakta hai.?"

"Mujhe is bare me kuch nahi pata inspector." Vidhi ne jaise ashaay bhaav se kaha. Uski aankho se aanshu ke katre chhalak kar uske kapolo tak ludhak aaye the, boli_____"Meri samajh me to mere mom dad ki kisi se bhi aisi koi dushmani nahi thi jiski vajah se unka khoon hi ho jaye."

"Chaliye maan liya ki aapko is bare me nahi pata." Dushyant ne kaha______"Magar ye ek sach to hai hi ki bewajah aapki mom ka khoon nahi hua. Khair ye bataaiye ki pichhle kuch dino se kya aapne aisa kuch mahsoos kiya jisse ki aapki mom kisi baat se kuch pareshaan ya vichlit rahi ho.?"

"Nahi." Vidhi ne inkaar me sir hilaate huye kaha_____"Maine aisa kuch bhi mahsoos nahi kiya aur na hi mom ke chehre par kabhi koi aisi baat nazar aayi mujhe. Mom hamesha ki tarah hi khush thi aur dad bhi. Hamara chhota sa pariwar kisi bhi baat se naa khush nahi tha."

"Chaliye koi baat nahi." Dushyant ne kaha_____"Ham pata laga lenge aapki mom ke qaatil ke bare me. Khair hame aap apne dad ki ek photo aur unka mobile number de dijiye."
"Ji thik hai." Vidhi ne kaha aur sofe se uth kar ek kamre ki taraf badh gayi. Kuch der me wo aayi aur center table par dushyant ke saamne apne dad ki ek photo rakh di aur ek chhote se kaagaz me mobile number bhi. Dono cheeze lene ke baad inspector dushyant sofe se uth khada hua.

"Agar aapko apne dad ke bare me." Dushyant ne vidhi ki taraf dekhte huye kaha______"Kuch pata chale ya fir wo yaha waapas aaye to hame zarur inform kijiyega. Baaki ham pata lagane ki koshish karte hain."

Inspector dushyant ki baat par vidhi ne haan me sir hila diya jabki dushyant darwaze ki taraf badh chala. Darwaze se baahar aa kar wo thithka aur palat kar vidhi ki taraf dekha jo uske peeche hi darwaza band karne aayi thi.

"Kya aapki aur bhi koi family hai.?" Dushyant ne kaha_____"I mean ki aapke dad ke bhai bahan wagaira.?"
"Mere dad." Vidhi ne gambheerta se kaha_____"Apne mata pita ki iklauti santaan the. Kafi saal pahle dada dadi ji guzar gaye the jab main bahut chhoti hi thi."
"Thik hai." Dushyant ne kaha______"Aur haan agar kisi bhi baat ki taklif ho ya zarurat ho to thane phone kar dijiyega. Ya fir aap mujhe phone kar sakti hain. Ye hai mera card."

Inspector dushyant ne paint ki pocket se ek card nikaal kar vidhi ki taraf badha diya, jise vidhi ne thanks kah kar le liya. Uske baad inspector muda aur apni police gipsy ki taraf badh gaya. Dushyant jab gipsy me baith gaya to avinash ne gipsy ko start kar aage badha diya.

<>•<>•<>

"Ab bataao pyare." Raaste me kuch door aate hi inspector dushyant ne avinash ki taraf ek nazar daalne ke baad kaha____"Hospital me kya hua.?"
"Bhanu ji ke sath." Avinash ne kaha_____"Hospital me jab main dr sahab se mila to unhone sabse pahle mujhse yahi pucha ki meri yaad daast ko gaye huye kitna wakt guzar chuka hai.? Unke puchne par maine wahi bataya jo aapse bataya tha. Maine unhe saaf saaf bataya ki mujhe apni pichhli zindagi ke bare kuch bhi yaad nahi hai aur na hi kabhi mere zahen me koi tasveer ubharti hai jisse main kuch samajh saku ki apni pichhli zindagi me main kaun tha aur kya tha. Aise hi kafi der tak unhone mujhse sawaal jawaab kiya. Uske baad wo mujhe ek kamre me le gaye, jaha par kuch machine wagaira lagi thi. Unke sath ek do log aur the jo shayad doctor hi the. Fir unhone mera check up kiya. Check up karne ke baad unhone mujhe kuch dawaaiya di aur mujhe jane ko kah diya."

"Ab to tumhe samajh aa gaya hoga na pyare." Dushyant ne kaha____"Ki hamne tumhe hospital kyo bheja tha. Khair baaki baate ham doctor sanyaal se jaan samajh lenge. Filhaal abhi ham tumhe ek jagah aur le chalenge. Jaha par tumhare bare me pata karne ke liye kuch aur zaruri test karwate hain."

"Jaisa aap kahe sahab ji." Avinash ne bade aadar se kaha tha.
"Waise ek baat chaunkane wali hai pyare." Dushyant ne jaise kuch sochte huye kaha______"Aur wo ye ki itne din ho gaye news channels par tumhari photo diye huye magar abhi tak koi aisa police ke paas nahi aaya jo ye kahe ki wo tumhe jaanta hai. Kya tum aasmaan se tapke ho pyare jiske na koi peechhe tha aur na hi aage hai.?"

"Is bare me main bhala kya kahu sahab ji.?" Avinash ne jaise bebas bhaav se kaha_____"Agar mujhe apne bare me kuch yaad hota to kya mere sath ye sab hota.? Main to raat din yahi soch soch kar pareshaan aur dukhi hota rahta hu ki maine apni pichhli zindagi me kisi ke sath aisa kaun sa gunaah kiya tha jiski vajah se aaj mere sath koi aisa kar raha hai.?"

"Apni pichhli zindagi me tumne koi na koi gul to khilaye hi honge pyare." Dushyant ne gahri saans li, bola_____"Tabhi to aaj tumhare sath aisa ho raha hai magar sawaal ye hai ki agar tumne kisi ke sath kuch bura kiya hai to uske liye tumhare dushman ko zyada se zyada tumhe jaan se maar dena chahiye tha. Bhala ye kya baat huyi ki wo tumhe har baar ek hi jurm me fasata hai aur fir police ke dwara tumhari kutaayi karwa deta hai.? Aakhir use aisa karne se kya haasil hota hoga.?"

"Yahi to meri samajh me bhi nahi aata sahab ji." Avinash ke chehre par uljhan ke bhaav numaya huye, bola_____"Itna to main bhi samajhta hu ki bina vajah ke koi bhi mere sath aisa nahi karega. Zarur maine apni pichhli zindagi me kisi ke sath kuch bura kiya hoga magar uske liye mujhe is tarah se har baar fasane ka kya matlab hai.? Agar mera gunaah itna hi sangeen hai to mujhe uski saza manjur hai. Wo chaahe to mujhe jaan se maar de magar is tarah mujhe til til maarne ka kya matlab hai.?"

"Fikar mat karo pyare." Dushyant ne kaha_____"Aaj nahi to kal tumhare us chaahne wale ko ham dhar hi lenge. Uske baad ham usse bade pyaar se puchhenge ki bhaiya aisa kyo kar rahe ho tum hamare avinash pyare ke sath.?"

Thana ke saamne avinash ne gipsy ko khadi kiya. Inspector dushyant gipsy se utar kar thane ke andar jane laga. Uske peechhe avinash bhi chal diya tha. Thane ke andar aa kar dushyant ne bhanu ko bula kar use wo kaagaj pakdaya jo vidhi ne use diya tha. Kaagaj me vidhi ke dad sudhansu bhatiya ka number tha. Us number ko bhanu ko de kar usne usse kaha ki is number ko trace karo aur iska call record bhi nikalwao.

Sara din isi me guzar gaya. Is beech dushyant kayi baar thane se baahar taftees ke liye gaya tha aur fir shaam ko apne flat aa gaya tha. Avinash ne garma garam khana banaya aur fir dono kha pi kar so gaye. Agle do teen din dushyant tafteesh me hi busy raha. Wo jaha jata avinash driver ke roop me uske sath hi rahta tha. Inspector dushyant ke sath rahne se avinash me ek change ye aaya ki wo ab pahle ki tarah gumsum aur shaant nahi rahta tha. Lekin bina vajah ke wo kisi se baat bhi nahi karta tha. Thane me sab usse shaleeke se baat karte the. Hawaldaar bhanu se uski achhi banne lagi thi. Bhanu jab bhi uske sath hota to wo apni aur apne chahete inspector dushyant ki hi badaayi karta jise avinash chup chaap sunta rahta.

Is beech inspector dushyant avinash ko ek jagah aur le gaya jaha par uske bare me pata kiya ja sake. Uske liye usne waha machino par avinash ke finger prints lagwaye. Inspector ko thoda jaldi nikalna tha is liye usne uske bare me jo bhi information mile uski report thane bhejwa dene ko kaha aur avinash ko le kar nikal gaya tha.

Inspector dushyant vidhi ki mom ke khooni ka aur uske dad ka pata lagane me byast tha. Is beech wo kayi baar tafteesh ka bahana kar ke vidhi ke ghar bhi gaya. Aisa pahli baar hua tha ki dushyant ko koi ladki pasand aayi thi aur uske dil ki ghantiya baja di thi magar maamla kyo ki uski mom ke murder ka tha is liye wo zyada is silsile me kuch kah nahi sakta tha. Wo jaanta tha ki uske dil me jis ladki ke liye ghantiya bajne lagi thi use haasil kar lena aasaan nahi tha. Kyo ki iske liye ye bhi zaruri tha ki vidhi ke dil me bhi uske liye ghanti baje. Khair apne dil ke jazbaato ko dabaye wo pure zor shor se shalini ke murder ki tafteesh kar raha tha. Jisme use gyaarwe din kaamyaabi mili.

Inspector dushyant ko jaisa ki shak tha wahi hua. Yaani shalini ka khooni khud uska hi pati sudhansu bhatiya tha. Aapsi sambandho ke beech hi kalah thi pati patni ke beech jiska pata vidhi ko nahi tha, balki ye kahna chahiye ki un dono pati patni ne apni aapsi kalah ke baare me beti ko bhanak hi nahi lagne dete the.

Sudhansu bhatiya shuru se hi rangeen mizaaj aadmi tha aur ye baat uski patni shalini ko bhi pata thi. Shalini ko uske rangeen mizaaj hone ya kisi dusri aurat ke sath najayaz sambandho se koi problem nahi thi magar baat tab bigad gayi jab sudhansu kisi dusri aurat ki khaatir apni patni shalini ko talaak dene ki baat karne laga. Is umar me apni patni ko talaak dena aur kisi dusri aurat se shadi karna thoda ajeeb to tha magar ishq aur junoon ke aage koi kuch nahi sochta.

Sudhansu apni biwi se talaak lena chaahta tha, jabki shalini talaak nahi de rahi thi. Itne saalo baad sudhansu ko is baat ka malaal hone laga tha ki uske vansh ko chalane ke liye uske koi ladka nahi hai. Shalini ko jab vidhi paida huyi thi tabhi doctor ne sudhansu ko bata diya tha ki wo ab kabhi dubara maa nahi ban sakti. Halaaki tab sudhansu aur shalini thoda dukhi to huye the magar baad me wo dono itne se hi khush ho gaye the. Wakt guzarta gaya aur unki beti vidhi jawaan ho gayi. Rangeen mizaaj sudhanshu ke kayi aurato se sambandh the aur ye baat shalini jaanti thi. Shalini ko is baat se koi problem bhi nahi thi magar achanak se ek din sudhansu ne shalini se kah diya ki use dusri shadi karni hai, kyo ki use apna vansh ko chalane ke liye ek beta chahiye. Sudhansu ki is baat se pahle to shalini ko jhatka laga magar fir kafi soch vichaar ke baad usne iske liye haan bhi kah diya tha.

Shalini ke agree hone par sudhansu ne saaf saaf kaha ki wo pahle use talaak dega uske baad hi dusri shadi karega. Asal me sudhansu jis aurat se shadi karna chaahta tha uski yahi shart thi ki wo usse tabhi shadi karegi jab wo apni pahli patni ko talaak de dega. Us dusri aurat ne sudhansu ka jaise brain wash kar diya tha aur sudhansu usi ke sur me apni biwi se baat karta tha. Maamla had se zyada bigadne laga. Vidhi ko is baat ka zara sa bhi andaza nahi tha ki uske saamne itne khush nazar aane wale uske mom dad asal me kitne bure daur se guzar rahe hain. Shalini talaak dene se saaf inkaar kar rahi thi. Uska kahna tha ki saari zindagi wo uske sath rahi aur is ghar ko usne ghar banaya. Is liye wo kisi bhi keemat par use talaak nahi degi. Use dusri aurat se shadi karna hai to kare magar uske liye wo use talaak nahi degi. Uska tark tha ki agar use apna vansh chalane ke liye bete ki itni hi chaahat thi to wo use tabhi talaak de deta jab use ye pata chal gaya tha ki wo dubara kabhi maa nahi ban sakti. Aaj pachees saalo baad use talaak dene ka kya matlab hua.? Kya uska pyaar uski ahmiyat zara bhi uske liye maayne nahi rakhti.?

Sudhansu us dusri aurat ke moh paash me fasa hua tha is liye wo uchit anuchit nahi soch raha tha. Jab maamla kafi bigad gaya aur sudhansu ko ye lagne laga ki shalini use talaak nahi degi to usne us aurat ki shah par khatarnaak mansuba bana liya. Us din vidhi apni kisi friend ke yaha gayi huyi thi aur ghar me shalini hi bas thi. Plan ke anusaar sudhansu apne office se ghar aaya. Shalini aur sudhansu akele me ek dusre se koi baat nahi karte the. Us din jab sudhansu ghar jaldi aa gaya to shalini uske jaldi ghar aa jane se chaunki zarur thi magar usne usse is bare me koi baat nahi ki. Udhar jaise hi shalini apne room me enter huyi to uske peechhe sudhansu bhi uske room me chala gaya.

Kamre me aa kar sudhansu ne shalini se fir talaak ke papers par apne sign karne ko kaha magar shalini ne sign karne se inkaar kar diya. Dono ke beech fir se bahas baazi hone lagi. Jaha sudhansu behad gusse me aa gaya tha wahi shalini ro rahi thi. Gusse me paglaye huye sudhansu ne coat se chaaku nikala aur isse pahle ki sir jhukaye ro rahi shalini kuch samajh paati sudhansu bijli ki tarah aage badha aur apni taraf peeth kiye khadi shalini ko peeche se daboch liya. Right hand me chaaku tha jise usne shalini ki gardan par laga diya tha. Shalini apne pati ki is harkat se buri tarah ghabra gayi, use zara bhi ummid nahi thi ki uska pati is sabke liye is had tak bhi ja sakta hai. Shalini ko uski is harkat se behad dukh hua aur uski aankhe chhalak padi. Jabki sudhansu ke andar jaise haiwaan sama gaya tha. Usne antim baar bhi shalini ke gale me chaaku rakhe usse talaak ke papers par sign karne ko kaha magar shalini ne rote huye kah diya ki apne jeete ji wo talaak nahi de degi, bhale hi chaahe ab wo uski jaan le le.

Shalini ke antim inkaar par sudhansu ko behad gussa aaya aur fir achanak se usne us chaaku ko shalini ke gale par cheera laga diya. Shalini ke gale se bhall bhall karke khoon bahta hua kamre ke farsh par bikharne laga. Dekhte hi dekhte shalini ke jism se harkat honi band ho gayi. Sudhansu ne ek jhatke se use chhod diya, jisse shalini kate pedh ki tarah lahra kar farsh par gir gayi. Gale se bahta hua khoon farsh par failta ja raha tha.

Sudhansu ke andar ka gussa aur junoon jab kuch shaant hua to use ekdam se hosh aaya. Aankho ke saamne apne hi khoon me nahaayi padi shalini ko dekh kar ek baar ko to wo buri tarah hil gaya tha magar fir usne jaldi hi khud ko samhala. Hairat ki baat thi ki apni biwi ke mar jane ka use koi dukh nahi hua tha. Shayad uske dil me ab us dusri aurat ne apna ashiyana bana liya tha. Khair sudhansu ne plan ke anusaar kuch der baad shalini ko farsh par faile uske hi khoon se ek taraf kiya aur fir drawer se ek mota sa tabe nikaal kar shalini ke gale me us hisse par laga diya jaha par usne chaaku se cheera lagaya tha. Tape lagte hi khoon ka bahna band ho gaya.

Ek ghante ki mehnat ke baad sudhansu apni biwi ko baaho me uthaye ghar se baahar aaya aur apni car ki diggi me daal kar diggi band kar diya. Shalini ke kamre ko usne do do baar achhe se ragad ragad ponchha lagaya tha taaki kamre me kahi par bhi khoon jaisi baat nazar na aaye. Uske baad wo car le kar highway no 5 ki taraf badh gaya tha. Highway no 5 me zyadatar sannata hi rahta tha. Sudhansu ne car ki diggi se shalini ko nikala aur sadak ke kinaare rakha. Shalini ke gale se us tape ko nikaal kar usne shalini ki dead body ko dhalaan par ludhka diya. Uske baad wo waapas apni car par baitha aur waha se chhu mantar ho liya.

Kahte hain jurm ki umar bahut hi chhoti hoti hai. Bade se bada apradhi bhi ek din kanoon ke shikanje me aa hi jata hai. Sudhansu ne to fir bhi naya jaya jurm kiya tha ek aurat ke chakkar me. Vinaas-kaale vipreet buddhi isi ko kahte hain. Ek hasta khelta chhota sa pariwar tha. Aurate to bahut aayi thi uski zindagi me magar is baar ek aisi aurat aayi thi uski zindagi me jisne sudhansu ke paise ko dekha aur uske andar ek chaahat ko jaga diya. Aaj ke wakt me ladka ladki me koi bhed nahi rakhta. Bahut se aise maa baap hain jinke bete nahi hote magar wo ladki ko hi beta maan lete hain aur usi se khush rahte hain. Duniya me aise bhi maa baap hain jinke koi aulaad nahi hoti to wo kisi anaath bachche ko apna beta/beti bana lete hain. Wo ye nahi sochte ki wo anaath bachcha kiska beej hoga, balki wo ye sochte hain ki wo bhi bhagwan ka banaya hua ek jeev hai jiski niyati me anaath hona likha tha.

Aise jurm jab hote hain to buddhi aur vivek shoonya ki isthiti me hote hain. Sochne samajhne ki shakti narmal aur saaf nahi rahti. Police kisi bhi case par kitni imaandari dikhati hai ye to sabhi jaante hain magar baat jab dil ki ho to maamla zara juda ho jata hai. Waise to is case me kuch nahi tha magar kisi ke dil me jagah banane ke liye shayad use jariya diya tha bhagwan ne. Inspector dushyant ne sudhansu ki talaash me zor laga diya tha. Sudhansu ne apna mobile das din se switch off kar rakha tha aur jaise hi uska mobile on hua to uski location trace ho gayi. Bas fir kya tha dushyant ne use pakadne me koi kasar nahi chhodi. Call record se use kisi Rajni Patel naam ki aurat ka number mila tha jiske number par sudhansu ne sabse zyada baat cheet ki thi. Dushyant ne jab rajni patel ko pakda aur usse shakhti se puchhtaach ki to usne aakhir ugal hi diya sab kuch.

Vidhi ko jab is sabka pata chala to jaise wo toot hi gayi thi. Apne baap ke seene me rote huye mukke maar maar kar usne puchha tha ki unhone aisa kyo kiya.? Sudhansu ke paas jaise uske sawaalo ke koi jawaab na the. Patthar ki tarah kathor dikh raha tha wo us wakt magar beti ke rudan ne jaise use pighla diya aur fir apne kiye par foot foot kar ro pada tha. Coart ne sudhansu ko umar kaid ki saza sunaayi. Rajni patel ko bhi saza huyi uska sath dene aur khoon karne ke liye uksane ke liye. Shalini ki dead body ko sudhansu ne hi agni di. Dhire dhire wakt guzarta gaya aur sab kuch jaise dhundhla hone laga magar itne bade ghar me jaise viraaniya vidhi ke hi intzaar me thi. Inspector dushyant har roz ek baar vidhi se milne jata aur usse uska haal chaal puchhta aur usse kahta ki agar use kisi bhi baat ki koi takleef ho to wo use phone kare. Wo uske phone karne par usi wakt haazir ho jayega.



<>•<>•<>
nice update
 
  • Like
Reactions: TheBlackBlood

mashish

BHARAT
8,082
25,904
203
BEGUNAAH
Update - 09


Ab Tak,,,,,

Vidhi ko jab is sabka pata chala to jaise wo toot hi gayi thi. Apne baap ke seene me rote huye mukke maar maar kar usne puchha tha ki unhone aisa kyo kiya.? Sudhansu ke paas jaise uske sawaalo ke koi jawaab na the. Patthar ki tarah kathor dikh raha tha wo us wakt magar beti ke rudan ne jaise use pighla diya aur fir apne kiye par foot foot kar ro pada tha. Coart ne sudhansu ko umar kaid ki saza sunaayi. Rajni patel ko bhi saza huyi uska sath dene aur khoon karne ke liye uksane ke liye. Shalini ki dead body ko sudhansu ne hi agni di. Dhire dhire wakt guzarta gaya aur sab kuch jaise dhundhla hone laga magar itne bade ghar me jaise viraaniya vidhi ke hi intzaar me thi. Inspector dushyant har roz ek baar vidhi se milne jata aur usse uska haal chaal puchhta aur usse kahta ki agar use kisi bhi baat ki koi takleef ho to wo use phone kare. Wo uske phone karne par usi wakt haazir ho jayega.

Ab Aage,,,,,,


"Aree thoda sa to pi le yaar." Yaswant ne table ke us paar baithe dushyant ki taraf dekhte huye kaha_____"Akele pine me maza nahi aa raha mujhe."
"Pi to rahe hain na pyare." Dushyant ne apne hath ki do ungaliyo me fasi cigarette ko dikhate huye kaha_____"Ye apni pasand ki cheez hai, jabki tum jo pi rahe ho wo tumhari pasand ki cheez hai magar dono me ek baat common hai ki pi rahe hain ham dono."

"Mujhe to cigarette bhi pasand hai bhai." Yaswant ne wine se bhare glass ko muh se laga kar ek ghoont bharne ke baad kaha_____"Jab ki tu wine nahi pita. Is liye bol raha hu ki akele pine me maza nahi aa raha."
"Tension mat lo meri jaan." Dushyant ne cigarette ka dher sara dhua hawa me udaate huye kaha_____"Ek din ham bhi is sharaab ko piyenge magar us din jis din iske sath sath koi shabaab bhi hoga."

"Abe tu ek baar bol to." Yaswant ne kaha______"Tere liye shabaab ki line laga duga main."
"Aisa shabaab nahi chahiye pyare." Dushyant ne inkaar me sir hilate huye kaha______"Aise shabaab ki to ham bhi pal bhar me line laga sakte hain. Apne ko to wo shabaab chahiye dear jo dil ki ghantiya bajaye aur jis par nisaar ho jane ka dil kare."

"Fir to bhool ja tu." Yaswant ne ek hi saans me glass ko khaali karne ke baad kaha_____"Kyo ki aisa shabaab na to duniya me kahi maujood hai aur na hi teri kismat me likha hai."
"Ab se pahle hame bhi yahi galat-fahmi thi pyare." Dushyant ne kaha______"Magar ab apni gardish ke sitare hazaar walt ke bulb ki maanind jagmagate huye nazar aa rahe hain."

"Is bakwas ka kya matlab hua.?" Yaswant ne halke nashe me apni aankho ko failate huye kaha.
"Matlab ko to hamne ek baar fir se tel lene bhej diya hai pyare." Dushyant ne apne hi andaz me kaha_____"Magar ham apni zubaani bata dete hain tumhe magar samajh me nahi aata pyare ki bataye kaise.?"

"Tu fir se shuru ho gaya.??" Yaswant ne use ghoora.
"Abhi shuru kaha huye hain pyare.?" Dushyant ne kaha____"Usi ke bare me to soch rahe hain ki kaise shuru kare.? Sala pahli baar kisi ko dekh kar apne dil ki ghantiya pure sur me baji hain."

"Kya matlab…??" Yaswant is baar chaunka. Usne dhyaan se dushyant ke us chehre ko dekhne laga tha jis chehre me is wakt use kuch alag hi bhaav nazar aa rahe the.
"Matlab to swimming pool me bhare pani ki taraf saaf hai pyare." Dushyant ne kaha_____"Ye alag baat hai ki tum jaise andho ko nazar nahi aa raha. Khair to ham ye kah rahe the ki pahli baar kisi ko dekh kar apne dil ke taar jhanjhanaye hain. Kuch dino se apna haal e dil ye hai ki kuch bhi achha nahi lag raha. Sirf is baat ke ki bas uske hi khayaalo me khoye rahe. Haye meri jaan ye kya ho gaya hai hame.? Samajh me nahi aata ki khud ko aise kaun se doctor ko dikhaye jo hamare behaal huye haal ko durust kar de."

"Teri is bakwas se sari utar gayi." Yaswant ne bura sa muh banaya, fir wine ko glass me daalte huye kaha______"Main socha karta hu ki tujhe aisi bakwas karne se kya milta hoga.?"
"Tum saale hamari baato ko bakwas kah rahe ho.?" Dushyant ne dukhi bhaav se kaha_____"Sach kaha hai kisi ne ki dusra byakti kisi ki peeda ko nahi samajh sakta. Tum bhi saale dusre hi nikle."

"Tujhe achhi tarah jaanta hu main." Yaswant ne kaha______"Tu bakwas ke alawa kuch nahi karta."
"Nahi samjhoge pyare." Dushyant ne gahri saans lete huye kaha_____"Tumhare jaisa koodhmagaj insaan samajh bhi nahi sakta. Khair chhodo ye bataao avinash ke bare me kya teer chalaya tumne.?"

"Thanks god ki line par aa gaya tu." Yaswant ne muskurate huye kaha______"Khair avinash ne apni kahani me jo kuch bataya tha uska pata kiya maine. Detail tune phone par bataya tha to maine un jagaho par ja kar pata kiya jaha par wo starting me kaam karne gaya tha. Uski kahani me ye baat sach nikli ki bhaskar naam ka ek sheth hai. Yaha se 100km door dusre shahar me hai wo. Us sheth ko jab maine avinash ki photo dikhaayi aur usse puchha to wo pahchan gaya use. Pahle to saale ko yaad nahi aa raha tha magar jab use achhe se bataya tab use yaad aaya. Bas uske baad usne bhi wahi kissa bataya jo avinash ne bataya tha. Matlab ki avinash uske yaha kaam karta tha aur fir ek din isne uski car thik ki to usne ise kisi car garage me kaam par lagwa diya tha. Us car garage ke maalik ka naam Narayan Saini tha. Main jab usse mila to usne bhi bataya ki avinash uske yaha kaam karta tha aur fir maheene bhar baad ek din use police pakad kar le gayi thi. Us police case ke chalte usne ise kaam se nikaal diya tha. Uske baad main waha ke police station par gaya jaha par avinash ko pakad kar laya gaya tha. Kafi masakkat ke baad aakhir pata chal hi gaya ki unhone ise pakda tha magar isne apna jurm kabool nahi kiya tha. Waha ke thanedaar ne bataya ki unhone iska case file nahi kiya tha balki aise hi poochtaanch aur uski kutaayi karne ke baad chhod diya tha. Uske baad main us thanedaar ki help se us jagah bhi gaya aur puchtaanch ki jaha par avinash rahta tha aur jaha par ise fasaya gaya tha. Waha par bhi makaan maalik ne ise gaaliya dete huye yahi bataya ki isne unke yaha chori ki thi aur unke ghar ki ijjat ko kharaab karne ki koshish ki thi. Kahne ka matlab ye ki avinash ne jo kuch apne bare me bataya tha wo ekdam sach tha."

"Yakeen to hame bhi tha pyare." Dushyant ne ek nayi cigarette jalane ke baad kaha_____"Kyo ki hamne bhi use aise hi jurm me pakda tha aur uski achhi khaasi khaatirdaari ki thi. Uske baad yahi kissa tumne bhi dohraya. Ye dono case hamare liye ye sochne ke liye kafi the ki avinash ke maamle me kuch to baat zarur hai. Uski kahani jhoothi nahi ho sakti aur na hi ye jhooth ho sakta hai ki uski yaad-daast ja chuki hai. Bhala koi bhi insaan baar baar aisa kuch hona kaise chaah sakta hai.?"

"Aisa koi nahi chaah sakta dushyant." Yaswant ne table par rakhe cigarette ke packet se ek cigarette nikaalte huye kaha_____"Matlab saaf hai ki avinash apni jagah paak saaf hai magar ye bhi sach hai ki usne apni pichhli zindagi me kisi ke sath koi na koi kaand zarur kiya hai aur usi kaand ke chalte aaj uske sath aisa ho raha hai. Sochne wali baat hai ki avinash ka dushman usko har baar ek hi jurm me kyo fasata hai aur uska hi chehra kyo lagata hai.? Kya aisa ho sakta hai ki avinash ka koi judwa bhai ho jo uske jaisi shakl-o-surat ka ho.?"

"Ho sakta hai pyare." Dushyant ne kaha_____"Aur agar aisa hai to maamla family matter ka hi hoga magar sawaal ye hai ki family me bhala aisa kya matter ho sakta hai ki ek bhai apne hi bhai ka itna bada dushman ban jaye.?"

"Kuch na kuch to matter hoga hi." Yaswant ne cigarette ka gahra kash lagane ke baad kaha______"Magar hairat ki baat hai ki hamne uski photo news channels me bhi di lekin abhi tak uski pahchaan karne wala koi saamne nahi aaya."

"Uske paas jo adhar card tha." Dushyant ne kaha_____"Wo bhi farzi hi hai dear. Kyo ki uske finger prints data base me daalne se uski koi pahchaan saamne nahi aayi. Iska ek hi matlab hai ki uska adhar card bana hi nahi hai. Kahne ka matlab ye ki uske bare me pata karne ka ab hamare paas koi jariya nahi hai. News channels ke dwara abhi bhi uske bare me pata karne ki koshish ki ja rahi hai. Hamare paas ab yahi raasta hai ki ya to news channels par koi use pahchaan le aur uske bare me pata karne ke liye hame phone kare ya fir uski yaad daast waapas aa jaye."

"Ek raasta ye bhi to hai ki is baar jab uska dushman use fasane aaye to use pakad liya jaye." Yaswant ne kaha______"Usi se pata chalega ki wo ye sab uske sath kyo kar raha hai aur avinash asal me hai kaun.?"

"Baat to thik hai pyare." Dushyant ne kaha______"Magar hame ye bhi sochna hoga ki wo itna ahmak nahi ho sakta jitna ham samajh rahe hain. Kahne ka matlab ye ki itna to use bhi pata chal hi gaya hoga ki is baar avinash kahi dusri jagah kiraye se kamra le kar nahi rah raha hai balki is baar wo ek police wale ke sath rah raha hai, wo bhi police ki protection me. Is liye mumkin hai ki is baar wo avinash ko fasane jaisa koi kaam hi na kare."

"Uska shuru se track recard to yahi tha ki wo har dusre maheene avinash ko fasata aaya hai." Yaswant ne table par dono kohni rakhte huye kaha______"Aur jis safaayi se wo ye sab karta aaya hai usse zaahir hai ki wo is baar bhi karega. Mere khayaal se avinash ko har baar is tarah se fasana uski kisi majburi ka hissa hai."

"Aisi bhala kya majburi hogi pyare.?" Dushyant ki aankhe faili.
"Koi to majburi hogi hi." Yaswant ne kaha_____"Warna har dusre maheene avinash ko fasane ki zarurat kya hai use.? Uski is activity se ye zaahir hai ki wo avinash par barabar nazar rakhta hai. Yaani wo avinash ki har movement ki khabar rakhta hai. Wo chaahe to kabhi bhi avinash ke sath kuch bhi kar sakta hai magar wo sirf use fasata hai. Uski is kriya ke peechhe uski koi na koi majburi hogi ya fir koi aisi vajah jiske bare me filhaal ham soch nahi pa rahe."

"Chalo maan liya pyare." Dushyant ne kaha_____"To uske track recard ke anusaar uske liye fir ye bhi zaruri hoga ki avinash kisi aisi jagah par rahe jaha par koi aurat ho aur us auarat ke gahne ho. Taaki wo in dono ke base par avinash ko fir se fasa sake."

"Bilkul." Yaswant ne kaha_____"Uska ab tak ka recard to yahi raha hai magar lagta hai ki is baar use apna ye recard change karna padega. Kyo ki avinash to tumhare sath rah raha hai aur tum na to koi aurat ho aur na hi tumhare paas aurato wale koi gahne hain."

"Aurat ka jugaad hamne kar liya hai pyare." Dushyant ne garv se seena fulate huye kaha_____"Aur us aurat ke gahno ka bhi jugaad ho hi gaya hai samjho."
"Kya matlab.????" Yaswant halke se chaunka.

"Yahi to shuru me samjha rahe the pyare." Dushyant ne gahri saans kheenchte huye kaha______"Magar tumko to hamari baate bakwas hi lagti hain."
"Ab bataoge bhi." Yaswant ne bura sa muh banate huye kaha_____"Aakhir aisi kaun si aurat ka jugaad kar liya hai tumne.?"

"Upar wala bhi jaanta hai pyare." Dushyant ne updar ki taraf ungli uthate huye garv se kaha______"Ki kitne bade tees maar khaan hain ham. Bas ek tum hi ho duniya me jo koodhmagaj hi rah gaye. Sala kitni baar hamne guhaar lagate huye kaha ki pahli baar kisi ko dekh ke dil ki ghantiya baji hain magar tum ko to sale hamari guhaar bhi bakwas lag rahi thi."

"Ok i'm sorry." Yaswant ne narmi se kaha_____"Mujhe laga tha ki tum fir se shuru ho gaye the."
"Na....aise tumhari sorry ham kubool nahi karenge." Dushyant ne maano roothe huye lahje se kaha_____"Balki tab kubool karenge jab tum murga ban ke sorry bologe."

"Bhaad me jaao tum." Yaswant ne gusse me kaha______"Batana hai to bataao warna ja raha hu main."
"Tum to sale kuwari kanya ki tarah current maarte ho pyare." Dushyant ne kaha______"Khair koi baat nahi. Ab jab tum itna hi request kar ke puch rahe ho to bataye dete hain. Asal me baat ye hai my dear ki aaj kal ham kisi haseen kanya ki mohabbat me giraftaar ho gaye hain aur ab to haal ye hai ki raat din uski yaad me bahaye huye aanshuo ka sharbat bana bana ke peete hain. Tumhare hone wale biwi bachcho ki kasam pyare itna meeta sharbat hamne apni ab tak ki life me aaj tak nahi piya."

"Achha." Yaswant ne chakit hone ka naatak kiya______"To zara ye bhi bataao ki kis kanya ke naseeb footne wale hain.?"
"Naseeb footne wale nahi hain pyare." Dushyant ne ek nayi cigarette jalane ke baad kaha______"Balki foote huye naseeb sawarne wale hain. Badi romantic love story hai meri jaan. Hamne suna tha ki khuda jab deta hai to chhappar faad ke deta hai aur jab leta hai to sab kuch faad ke le bhi leta hai magar apna maamla zara juda hai."

Inspector dushyant ne yaswant ko shalini murder case ki sari story bata di. Uski sari baate sunne ke baad yaswant kuch der tak dushyant ko dekhta raha fir eka ek hi zor zor se hasne laha. Use haste dekh dushyant use murkho ki tarah dekhne laga tha.

"Kya hua pyare.?" Dushyant ne kaha_____"Yu gala faad faad kar kyo hase ja rahe ho tum.? Kya hamne koi joke sunaya tumhe.?"
"Tumne hasne wali baat hi ki bhai." Yaswant ne kaha_____"Ye to maine maan liya ki tumne shalini murder case ko badi safaayi se aur badi jaldi solve kar liya magar isme kisi aurat ka jugaad jaisi baat kaha hai.?"

"Hai na pyare." Dushyant ne bhi apni dono kohaniyo ko table par rakha aur fir yaswant ki aankho me dekhte huye bola_____"Isi me to aurat ka jugaad hua hai, balki ye kahe to zyada behtar hoga ki hame apne liye jis gule gulzaar ki khwaahish thi wo is case me hi mili hai. Marne wali aur khoon karne wali ki iklauti beti Vidhi ki baat kar rahe hain ham. Usi ki mohabbat me giraftaar huye hain pyare aur ab aalam ye hain ki na din ko chain hai aur na hi raato ko karaar hai. Haye ye mohabbat naam ki bala hame bhi ho gayi meri jaan. Sala chaubiso ghante hamare andar ajeeb si gudgudi hoti rahti hai."

"Ohh to ye baat hai." Yaswant ko jaise saari baat samajh me aa gayi, bola_____"Waise ye to kamaal hi ho gaya. Udhar maa bhagwan ko pyari huyi aur baap ko umar kaid huyi...aur idhar unki beti par tumne dore daalne shuru kar diye. Had hai yaar kisi masoom ki majburi ka achha faayda utha rahe ho tum."

"Hargiz nahi pyare." Dushyant ne inkaar me sir hilaate huye kaha_______"Ham us par koi dore nahi daal rahe. Hame to bas usse iktarfa mohabbat huyi hai. Hame nahi pata ki wo hamare bare me kuch sochti bhi hai ya nahi magar tumhare parwar digaar se ham raat din dua zarur karte hain ki jiske liye hamare dil ki ghantiya bajne lagi hain use hamari bana do. Waise bhi maa baap ke jane ke baad ab wo akeli hi hai. Is duniya me use sahara dene wala bhi to koi chahiye."

"Baat to thik hai bhai." Yaswant ne kaha_____"Magar ye bhi to ho sakta hai ki uska pahle se hi koi boy friend ho aur agar aisa hua to tumhare khwaab aur tumhari khwaahish par to paani hi fir gaya samjho."

"Ham tumhari tarah dimaag se paidal nahi hain pyare." Dushyant ne kaha______"Uske boy friend wali baat hamne bhi sochi thi aur apne tarike se pata bhi kiya hai. Hamari tafteesh ka result ye nikla ki uska kuch saal pahle kisi se chakkar to tha college life me magar fir wo chakkar jald hi band bhi ho gaya tha aur ab wo single hai jiske sath ham mingle karne ka irada rakhe huye hain."

"Ohh matlab sab kuch uske bare me pata kar chuke ho tum.?" Yaswant halke se muskuraya______"Khair to baat kuch aage badhi ya.....?"
"Aaj kal isi kaam me lage huye hain pyare." Dushyant ne bhi muskurate huye kaha_____"Usko apna banane ke liye har wo kaam kar rahe hain jo ek ashiq apni premika ke liye karta hai."

"Waaah bahut khoob." Yaswant ne haste huye kaha_____"Tere liye kuwari kanya ka jugaad to ho gaya magar mujhe nahi lagta ki maheene bhar ke andar andar tu uske sath fere le payega. Agar aisa nahi hua to fir us kaam ka kya hoga jiske liye avinash ko tumne apne paas rakha hai.?"

"Uske liye fere lene ki kya zarurat hai pyare.?" Dushyant ne kaha______"Baat to sirf aurat ya ladki ki hai aur uska jugaad ho gaya hai. Abhi maheene bhar ka time hai. Tab tak ham vidhi ke dil me apne liye aisi jagah bana hi lenge ki ham use ya to apne sath rakhne lage ya fir uske hi shaahi mahal me avinash ke sath apni tasreef ka tokra rakh de."

"Idea to badhiya hai yaar." Yaswant ne kuch sochte huye kaha_____"Magar zara samhal ke. Vidhi ko bali ka bakri banane ke chakkar me kahi uske sath sach me kuch ulta seedha na ho jaye."
"Fikar mat karo pyare." Dushyant ne kaha______"Ham apni gule gulzaar ki hifaazat apni jaan se bhi zyada karenge."

Kuch der aur un dono ke beech isi silsike me baate huyi uske baad dono apne apne raaste ho liye. Yaswant halke nashe me tha jabki dushyant ne wine ko hath bhi nahi lagaya tha. Ek nayi cigarette sulgaye wo restaurant se baahar aa gaya tha. Avinash ko wo apne flat me hi chhod aaya tha ye kah kar ki flat se baahar kahi na jaye.

<>•<>•<>

Us wakt sham ke nau baj rahe the jab inspector dushyant ne apni gipsy ko vidhi ke shandaar ghar ke baahar roka tha. Ye uska roz ka kaam ho gaya tha. Yaani ki wo din me ek baar kisi bhi time vidhi ke ghar usse milne zarur jata tha. Shuru me to vidhi ko uska yu aana jana ajeeb lag raha tha aur use thodi ghabrahat bhi hoti thi magar dushyant ke achhe rawaiye aur uske saaf nature ki vajah se uska dar aur ghabrahat door ho gayi thi. Apni mom ki maut se wo dukhi rahti thi. Use yakeen nahi hota tha ki uske mom dad ek jhatke me is tarah uska sath chhod gaye the.

Inspector dushyant vidhi ke liye kuch bhi karne ko taiyaar tha. Life me pahli baar use koi ladki pasand aayi thi aur uske dil me meetha meetha sangeet baja tha. Yu to wo kisi se bhi apne andaaz me do took baat karne se nahi jhijhakta tha magar vidhi se baat karne me use jhijhak mahsus hoti thi. Iske baavjud wo koshish karta tha ki uski vajah se vidhi ko kisi tarah ki koi takleef na hone paye. Sudhanshu bhatiya ka apna karobaar tha jise samhaalne wali ab sirf vidhi hi thi magar use bhi pata tha ki uske liye karobaar ko akele samhaalna bas ki baat nahi thi. Halaaki uske dad ke karobaar ko samhaalne me uski madad karne ke liye company me kayi karmchaari the magar use pata tha ki majuda halaat me har koi use chuna lagane me koi kasar nahi chhodne wala tha.

Dushyant ne door bell bajaayi to kuch hi palo me vidhi ne darwaza khola. Vidhi ke chehre par nazar padte hi dushyant ka dhadakta hua dil thoda aur zor zor se dhadakne laga. Wo har wakt bhagwan se yahi dua karta tha ki vidhi ke dil me uske prati prem bhar de magar hakikat me wo khud is bare me kuch bhi karne ya kahne se jhijhakta tha.

Dushyant ko apni taraf aplak dekhta dekh vidhi ke gulaabi hotho par halki si muskaan ubhri magar fir usne jaldi hi use chhupa liya aur ek taraf hat kar usne dushyant ko andar aane ka raasta diya. Vidhi jab ek taraf hati to dushyant ka dhyaan bhang hua aur wo ekdam se chaunk gaya tha.

Thodi hi der me dono andar dring room me aa gaye aur waha rakhe sofo par aamne saamne baith gaye. Baithne ke sath hi roz ki tarah dushyant ne vidhi se uska haal chaal puchha jis par vidhi ne yahi kaha ki wo thik hai, bas itne bade ghar me akele rahne se use apne mom dad ki bahut yaad aati hai.

Vidhi koi bachchi nahi thi balki pachchees saal ki ek jawaan aur khubsurat ladki thi. Itna to wo bhi samajhti thi ki inspector ka yu roz roz uske ghar aane ka kya matlab ho sakta hai.? Wo ye bhi samajhti thi ki koi dusra police wala hota to case solve hone ke baad uske paas yu roz roz na aata magar wo is bare me dushyant se kuch kah nahi kahti thi. Balki use kuch der ke liye achha hi lagne lagta tha ki koi to hai jo uski tanhaaiyo ko door karne ke liye uske paas roz aata hai. Dushyant ki aankho me apne liye bepanaah chaahat use bhi nazar aati thi. Shuruaat me to use bahut ghabrahat hoti thi aur yahi chaahti thi ki dushyant uske ghar na aaye magar jab usne dekha ki dushyant ke aane se use koi nuksaan nahi hai to usne is baat ke liye ghabrana ya jhijhakna chhod diya. Mom dad ke jane ka dukh to tha hi magar dushyant ke aane se aur uske dwara is tarah uska haal chaal puchhne se ab use achha bhi lagne laga tha. Wo kafi dino se dushyant ke bare me soch rahi thi aur sochne ke baad use yahi samajh aaya ki ye police wala uske liye apne dil me chaahat rakhta hai. Magar sochne se kayi sari baate bhi sochni padti hain. Jaise ki kya ye chahat uski daulat se hai ya fir sach much ki mohabbat hai. Kahi aisa to nahi ki use akela dekh kar koi uske sath kuch galat karne ki bhumika bana raha hai.?

"Thane se laut raha tha to socha tumhara haal chaal bhi puchhta jaau." Vidhi ko kahi khoye huye dekh dushyant ne khamoshi ko cheerte huye kaha to vidhi hakikat ki duniya me aayi.
"Kya main aapse ek sawaal puchh sakti hu.?" Vidhi ne jhijhakte huye kaha______"Agar aapko bura na lage to."

"Bilkul puchho." Dushyant ne kah to diya magar ekdam se uska dil zoro se ye soch kar dhadakne laga tha ki vidhi usse kis tarah ka sawaal puchhne wali hai.? Fir thoda samhalte huye bola______"Bura lagne wali bhala kya baat hai.?"

"Main kafi dino se soch rahi hu." Vidhi ne dhadakte huye dil se kaha______"Ki meri mom ke qaatil yaani ki mere dad ko aapne pakad liya aur unhe kanunan saza bhi dilwa di aapne. Ek tarah se ye case ab close ho chuka hai to ab aap yaha kis liye aate hain.? Dekhiye aap please meri is baat ka bura mat maaniyega."

"Are nahi isme bura maanne ki kya baat hai." Dushyant ka dil zoro se dhadakne laga tha. Wo khud bhi bakhubi samajhta tha ki ek din vidhi usse ye sawaal zarur kar sakti hai...aur agar nahi bhi karegi to uske man me ye sawaal to hoga hi ki wo har roz ab kyo uske ghar aata hai.? Khair apne aapko samhaalte huye pratyaksh me bola______"Aisi surat me to koi bhi ye sawaal kar sakta hai aur aise sawaal ka paida hona bhi laazmi hai."

"To fir bataaiye na." Vidhi ne nazar utha kar dushyant ki taraf dekha fir boli_____"Aakhir aisi kya vajah hai jiske liye aap har roz mujhse milne aate hain.? Main sirf sach jaanna chaahti hu aapse."

"Ye sach hai." Dushyant ne gahri saans li aur khud ke jazbaato ko samhaalte huye santulit bhaav se kaha_____"Ki case close hone ke baad mera yaha aane ka koi matlab nahi banta. Iske baavjud main yaha tumhara haal chaal puchhne aata hu to iske peechhe yakinan ek khaas vajah hai. Ho sakta hai ki sach jaan kar tumhe achha na lage ya fir tum mujhe galat samjho magar ab jab ki tumhe sach hi sunna hai to main bhi jhooth nahi boluga. Mera maanna hai ki kisi bhi rishte ki buniyaad jhooth par nahi rakhni chahiye." Dushyant kahte kahte kuch palo ke liye ruka uske baad ek baar fir se gahri saans li usne.

"Maine jab tumhe pahli baar dekha tha." Dushyant ne gahri saans lene ke baad kaha______"Tabhi mujhe aisa laga jaise mere dil me kuch hua hai aur fir baad me samajh bhi aa gaya ki wo asal me kya tha magar us bare me tumse kuch kahne ki mujh me himmat hi nahi huyi thi. Dusri baat ye bhi thi ki waisi baato ke liye situation bhi waisi nahi thi aur sabse important baat ye ki mujhe apni aukaat bhi yaad rakhni thi. Aakhir zameen me pada hua ek maamuli sa insaan aasmaan me chamakte huye khubsurat chaand ki khwaahish kaise rakh sakta hai.? Magar wo insaan iska kya kare ki sab kuch jaante samajhte huye bhi wo usi chaand ki khwaahish rakhne lage.? Ye sach hai vidhi ki life me pahli baar ek ladki ke roop me tum mujhe achhi nahi balki bahut achhi lagi aur mere dil ne ek pal bhi tumse mohabbat karne me wakt jaya nahi kiya. Yahi vajah hai ki main har roz tumse milne yaha aata hu. Main jaanta hu ki meri is iktarfa chaahat ka koi matlab nahi hai magar apne dil ki tasalli ke liye tumhe dekhne chala aata hu."

Inspector dushyant ke chup hote hi dring room me blade ki dhaar ki maanind paina sannata chha gaya. Vidhi ke chehre par jaha hazaro tarah ke bhaav gardish karte huye nazar aa rahe the wahi dushyant ye soch soch ghabraye ja raha tha ki uski baate sun kar vidhi jane usse kya kahegi. Uska dil itni tezi se dhadak raha tha ki uski dhamak use apni kanpatiyo me bajti saaf mahsus ho rahi thi.

"Dekho vidhi." Vidhi ko chup dekh kar dushyant se raha na gaya to wo bol pada tha_____"Agar tumhe meri baato se takleef huyi ho to tum mujhe maaf kar dena. Tum meri baato se khud ko majbur hona feel mat karna. Tumhari apni zindagi hai. Tum apne kisi bhi faisle ke liye puri tarah azaad ho. Maine to tumhare puchhne par apne andar ka sach bataya hai. Agar tumhe ye sab achha nahi laga ya fir mera yaha aana achha nahi lagta to tum bekhauf ho kar bol sakti ho. Main wada karta hu ki dubara apni shakal nahi dikhaauga tumhe."

"Nahi aisi baat nahi hai." Vidhi ne larajte huye swar me kaha_____"Mujhe aapki baato se bilkul bhi bura nahi laga balki achha hi laga ki aapne sab kuch sach bata diya. Is baat ka to mujhe bhi andesha tha ki aapke man me aisi hi koi baat hogi. Mom dad ke alawa mera ab apna koi nahi hai. Aise me agar aap mera haal chaal puchhne aate hain to kahi na kahi mujhe ye soch kar dar bhi lagta hai ki kahi aapke man me koi chhal kapat to nahi."

"Main samajh sakta hu vidhi." Dushyant ne kaha_____"Aise halaat me koi bhi ladki yahi sochegi aur main khud bhi yahi kahuga ki tum kisi par bhi aankh band kar ke aitbaar mat karna. Fir chaahe main hou ya koi aur."

"Kya aap mera ek kaam kar sakte hain.?" Vidhi ne kuch der chup rahne ke baad pahlu badalte huye kaha______"Actually mujhe apne dad se milna hai. Unse kuch zaruri baat karni hai. Is liye kya aap mere dad se milne ka intjaam karwa sakte hain.?"

"Bilkul karwa sakta hu." Dushyant ne kaha_____"Kab milna hai.?"
"Kal hi unse mulakaat ho jaye to behtar hai." Vidhi ne kaha.
"Thik hai." Dushyant ne kaha______"Kal dopahar ko main yaha aauga. Uske baad ham sath hi chalenge."
"Ohh thank you so much." Vidhi ke chehre par khushi ki chamak ubhar aayi thi.

Inspector dushyant kuch der aur waha raha uske baad usne vidhi se jane ki ijaazat maagi to vidhi ne use dinner karne ka puchha to dushyant ne ye kah kar mana kar diya ki fir kisi din. Vidhi ke ghar se nikalne ke baad dushyant apni police gipsy me baitha aur apne flat ki taraf nikal gaya. Uske chehre par is wakt ek alag hi chamak dikh rahi thi.


<>•<>•<>
beautiful update
 
  • Like
Reactions: TheBlackBlood

mashish

BHARAT
8,082
25,904
203
BEGUNAAH
Update - 10

Ab Tak,,,,,

"Bilkul karwa sakta hu." Dushyant ne kaha_____"Kab milna hai.?"
"Kal hi unse mulakaat ho jaye to behtar hai." Vidhi ne kaha.
"Thik hai." Dushyant ne kaha______"Kal dopahar ko main yaha aauga. Uske baad ham sath hi chalenge."
"Ohh thank you so much." Vidhi ke chehre par khushi ki chamak ubhar aayi thi.

Inspector dushyant kuch der aur waha raha uske baad usne vidhi se jane ki ijaazat maagi to vidhi ne use dinner karne ka puchha to dushyant ne ye kah kar mana kar diya ki fir kisi din. Vidhi ke ghar se nikalne ke baad dushyant apni police gipsy me baitha aur apne flat ki taraf nikal gaya. Uske chehre par is wakt ek alag hi chamak dikh rahi thi.


Ab Aage,,,,,,

Inspector dushyant jab apne flat pahucha to raat ke das se upar ka time ho gaya tha. Flat ke darwaze ko aadha khula pa kar wo ekdam se chaunka. Uske policiya zahen me kayi tarah ke khayaal aaye aur gaye. Man me sawaal ubhra ki avinash is tarah darwaza khula to nahi chhod sakta, kyo ki usne use shakht hukum diya tha ki usse puchhe bina wo kahi bhi akele na jaye. Fir ye darwaza kaise khula hua hai.? Kahi uske sath koi anhoni to nahi ho gayi.? Kya uska dushman use akela dekh kar yaha aaya hoga.?

Dushyant ke dimaag me pal bhar me dher saare sawaal ubharte chale gaye the. Wo ekdam se avinash ke liye fikarmand ho gaya tha aur sath hi behad satark bhi. Wo bade hi ehtiyaat se darwaze ke aadhe khule huye hisse se andar ki taraf jhaanka. Uske hath me uska service revolver jaise pal bhar me prakat ho gaya tha. Darwaze ke aadhe khule hisse se jhaankne par dushyant ko andar kuch nazar na aaya aur na hi kisi tarah ki koi aahat ya awaaz sunaayi di. Andar har jagah paina sannata faila hua tha.

Dushyant ne darwaze ko ek hath se andar ki taraf dhakela aur badi satarkata se dabe paanv andar daakhil hua. Andar chhote se dring room me koi nazar na aaya aur na hi dekhne par aisa prateet ho raha tha ki jaise yaha par koi aaya ho ya fir kuch hua ho. Dring room me sofe aur agar bagal rakhe chhote mote show piece samaan apni jagah par sahi salaamat hi the. Ye sab dekh kar dushyant ko pal bhar ke liye laga ki wo bekaar me hi kisi anhoni ki aashanka kar raha hai.

Dring room se aage badh kar usne usi satarka se pahle apne kamre me aur fir avinash ke kamre me bhi dekha magar use avinash na dikha. Dono kamro me bhi kuch alag hone ke nishaan nazar na aaye use. Ye dekh kar dushyant palta aur bathroom me bhi check kiya, avinash waha bhi nahi tha. Dushyant ke zahen me sawaal ubhra ki kya avinash yaha se bhaag gaya hai magar uska dil kahta tha ki avinash aise nahi ja sakta.

Dushaynt badi tezi se kitchen ki taraf badha. Flat me avinash ke alawa kisi aur ke hone ki sambhaavna ab use nahi lag rahi thi magar kitchen me aate hi dushyant buri tarah chaunka. Uski nazar kitchen ke farsh par pade avinash par padi. Avinash ki aankhe band thi aur uske hotho ke kinaare se khoon rish raha tha. Chehre par aise taav khaye huye nishaan the jaise kisi ne use buri tarah mara ho. Kitchen ke farsh par kuch bartan pade huye the aur ek taraf aata bikhra hua tha. Ye sab dekh kar dushyant ko samajhte der na lagi ki asal me kya hua hoga yaha.

Dushyant ne revolver ko waapas hollister me rakha aur jaldi se aage badh kar avinash ke paas baith gaya. Baithte hi usne sabse pahle avinash ki nabj check ki to paya nabj chal rahi hai. Matlab avinash behosh tha. Dushyant ne fauran hi friz se paani ka bottle nikala aur avinash ke chehre par paani ke chheete maarne laga. Kuch hi der me avinash karaahte huye hosh me aa gaya. Dushyant ne avinash ko sahara de kar uthaya aur fir use le kar dring room me aa gaya. Avinash ko sofe par baitha kar usne avinash ko pine ke liye bottle de diya.

"Ye sab kaise hua.?" Avinash jab paani pi chuka to dushyant ne usse puchha_____"Tumhari haalat dekh kar saaf pata chalta hai ki yaha par tumhari kisi ke sath haatha paayi huyi hai. Saaf saaf bataao kya hua tha yaha.?"

"Main to kitchen me raat ke khane ke liye khana bana raha tha sahab." Avinash ne dard ko bardaast karte huye kaha_____"Tabhi kisi ne darwaza khatkhataya. Mujhe laga aap honge is liye ja kar darwaza khola. Jaise hi maine darwaza khola to achanak se koi mujh par jhapat pada aur mere naak ke paas kuch rakh diya. Mujhe kisi se is tarah ki harkat ki ummid nahi thi is liye mujhe turant kuch samajh hi nahi aaya tha. Jab tak kuch samajh pata tab tak main behoshi ki haalat me pahuch chuka tha. Uske baad jab mujhe hosh aaya to maine khud ke haatho ko apne peechhe ki taraf bandhe huye paya aur main kitchen ke farsh par pada tha. Mere saamne koi shakhs khada tha jo kaale kapdo me tha aur uske chehre par kaala nakaab tha. Nakaab ke andar se sirf uski aankhe dikh rahi thi. Main use dekh kar buri tarah ghabra gaya tha. Us nakaab wale ne jab dekha ki main hosh me aa gaya hu to wo mere kareeb aa kar baith gaya aur meri aankho me dekhne laga. Meri to ye soch soch ke haalat kharaab huyi ja rahi thi ki jane ye kaun hai aur yaha mere sath kya karne wala hai. Maine darte huye usse puchha ki kaun hai wo aur usne mujhe is tarah kyo baandh rakha hai to usne mujhse bas yahi kaha ki jitna jaldi ho sake main yaha se kahi dusri jagah rahne ke liye chala jaau. Agar maine aisa nahi kiya to wo mujhe jaan se maar dega."

"Fir tumne kya kaha usse.?" Avinash ke chup hote hi dushyant ne usse puchha.
"Uske aisa kahne par." Avinash ne kaha_____"Maine usse puchha ki wo aisa kyo kah raha hai aur mere yaha rahne se use kya samasya hai to usne gurraate huye yahi kaha ki jo wo kah raha hai main wahi karu warna mere liye achha nahi hoga. Main samajh gaya tha sahab ki wo nakaab wala yakeenan wahi hoga jo har baar mujhe waise jurm me fasata tha. Main usse jaanna chaahta tha ki wo mere sath aisa kyo kar raha hai magar usne mujhe mauka hi nahi diya. Kyo ki jab maine usse ye kaha ki main uske kahne par kahi aur rahne nahi jaauga balki yahi rahuga to usne mujhe maarna shuru kar diya. Uska ek ek ghusa kisi hathaude ki tarah mere chehre par pad raha tha sahab. Mere hath bandhe huye the is liye main apne bachaav me kuch nahi kar sakta tha. Aakhir me jab meri haalat kharaab ho gayi to usne mujhe aakhiri dhamki dete huye fir kaha ki main kal hi yaha se kahi dusri jagah rahne chala jaau warna wo mujhe jaan se maar dega. Uske baad usne mujhe pata nahi kaise mara ki main behosh ho gaya aur fir aapke dwara hi mujhe hosh aaya."

Avinash ki baate sun kar dushyant kisi gahri soch me pad gaya tha. Ye to saaf tha ki wo nakaab wala avinash ka wo dushman hi tha jo use har baar ek hi jurm me fasata tha. Ye uski dileri aur himmat hi thi ki wo ek police inspector ke ghar me ghusa aur avinash ki aisi haalat bana kar chala gaya. Yaha tak ki avinash ko kahi aur rahne ko kaha aur uske kahi aur na rahne par use jaan se maarne ki dhamki bhi de gaya. Ab sawaal ye hai ki wo ye kyo chaahta tha ki avinash kahi dusri jagah rahe.? Kya sirf is liye ki wo apne track recard ke anusaar avinash ko waise hi jurm me fir se fasa sake.? Uske paas pura mauka tha avinash ko jaan se maarne ka magar usne use jaan se nahi mara balki thodi si maar peet ki aur kahi aur rahne ki dhamki di.

Dushyant ne is bare me bahut socha magar use avinash ke is dushman ki soch aur mansha samajh na aayi. Aakhir use avinash ko ek hi jurm me fasane se kya haasil hota hoga.? Ye kaisa dushman hai jo apne dushman ko jaan se nahi maarta balki use sirf ek hi jurm me baar baar fasata hai aur police dwara uski kutaayi karwata hai.? Dushyant ko zara bhi ummid nahi thi ki avinash ka ye dushman is had tak ja sakta hai ki uske hi flat me ghus kar avinash ki ye haalat kar de.

Dushyant apne kamre se first aid box le aaya aur avinash ke zakhmo par marham patti ki. Avinash ki haalat dekh kar dushyant ko us par behad taras aa raha tha aur khud par gussa bhi ki use avinash ko is tarah flat me akela nahi chhodna chahiye tha aur agar chhodna hi tha to uski protection ka koi intjaam karna chahiye tha. Dushyant ki ye galti thi aur isi liye usne avinash se iske liye maafi bhi maagi. Avinash bechara bhala kya kahta.? Wo bas apne hotho par feeki si ek muskaan saja kar rah gaya tha.

Avinash ne dinner lagbhag bana hi liya tha. Rotiya kuch ban gayi thi aur kuch banani baaki thi. Avinash apni us haalat me bhi utha aur kitchen ki taraf badh gaya. Dushyant ne jab usse puchha to usne bataya ki rotiya banani baaki hain. Avinash ki is baat se dushyant ne use kaha ki wo bas araam kare, rotiya wo kisi tarah bana dega magar avinash na mana aur kitchen me ghus gaya.

Dono ne dinner kiya aur fir dono hi apne apne kamre me sone ke liye jane lage. Dushyant ne use ek pain killer di taaki use raat me zyada takleef na ho aur wo thik se so sake. Dushyant andar hi andar gulty feel kar raha tha avinash ke liye magar ab bhala kya ho sakta tha.? Jo hona tha wo to ho hi chuka tha magar is haadse ne jaise ek sabak de diya tha dushyant ke liye ki ab se wo avinash ko is tarah akela na chhode. Waise bhi avinash ka wo dushman avinash ko dhamki de kar gaya tha. Yaani agar avinash uske kahe anusaar kahi dusri jagah rahne nahi jata to wo uske sath achha nahi karega. Dushyant yahi baat sochte huye apne kamre me cigarette ke kash le raha tha. Avinash ka maamla jaise achanak hi use gambheer nazar aane laga tha.

<>•<>•<>

Dusre din subah dushyant utha aur fresh hua. Avinash ki haalat pahle se to behtar thi aur wo dushyant ke sath chalne ko bhi taiyaar tha magar dushyant ne use ghar par rah kar bas araam karne ke liye kaha. Avinash ko majburan dushyant ki baat maanni hi padi. Dushyant ko avinash ki safety ka khayaal tha is liye usne thaane se do teen police walo ko uski safety ke liye phone kar ke bula liya tha. Asal me ab wo koi bhi rishk nahi lena chaahta tha.

Thane se jab teen police wale aa gaye to dushyant ne unhe shakht hidayat dete huye kah diya ki wo avinash ko akela chhod kar flat se baahar kisi bhi kaam se na jaye. Dushyant ne un police walo se avinash ke liye breakfast magwa liya tha aur dopahar ke liye khana yahi par bana lene ke liye kah diya tha. Sab kuch samjha bujha kar dushyant flat se nikla aur police gipsy me baith kar thane nikal gaya.

Pichhli raat wo thik se so nahi paya tha. Wo der raat tak avinash ke bare me hi sochta raha tha. Use samajh nahi aa raha tha ki avinash ka dushman uske sath aisa kyo karta tha.? Bhala ye kis tarah ki dushmani thi ki koi apne dushman ko jaan se na maare balki har baar ek hi jurm me fasata rahe. Dushyant jaanta tha ki avinash ke maamle me ab koi bhi laaparwahi bhaari pad sakti thi. Is liye wo ab avinash ki safety ka pura khayaal rakh raha tha. Ek baat to clear thi ki avinash ka dushman avinash ki hi nahi balki khud uski bhi pal pal ki khabar rakh raha tha warna avinash ke sath waisa hone hi na pata. Matlab saaf tha ki avinash ke dushman ko achhi tarah pata tha ki us wakt wo avinash ke sath flat par nahi tha. Is liye wo bekhauf ho kar flat par gaya aur avinash ko wo sab kah kar uski haalat bhi kharaab ki aur fir ye dhamki de kar nikal gaya ki agar wo dusri jagah rahne nahi jayega to wo use jaan se maar dega.

Dushyant ke zahen me sawaal ubhra ki kya wo sach me avinash ko jaan se maar sakta hai agar avinash ne uski baat nahi maani to.? Dushyant ko laga ye uski kori dhamki thi kyo ki agar use avinash ko jaan se maarna hi hota to wo use kab ka maar deta magar usne aisa kabhi nahi kiya. Mumkin hai ki aage bhi na kare magar ye bhi sambhav hai ki agar uske kahe anusaar avinash kahi dusri jagah rahne nahi jayega to wo gussa ho jayega aur fir us gusse me wo avinash ko gambheer nuksaan pahucha de. Inspector dushyant ko apni is soch par vajan nazar aaya tha aur yahi soch kar usne avinash ki safety ke liye apne flat par teen teen police walo ko rakha tha.

Thane pahuch kar dushyant ne yaswant ko phone kar ke sab kuch bataya jo pichhli raat avinash ke sath hua tha. Dushyant ki baate sun kar yaswant bhi soch me pad gaya tha. Yaswant ne bhi yahi kaha ki avinash ki safety zaruri hai kyo ki uska dushman nahi chaahta ki avinash kisi police wale ke sath rahe aur uska track recard toot jaye. Magar dono ke zahen me sawaal ek hi tha ki avinash ka dushman aisa kyo chaahta hai aur har baar aisa hi kyo karta hai.?

Dopahar tak dushyant alag alag cases ki files me khoya raha. Is beech wo kayi baar phone karke police walo se avinash ke bare me aur waha ke halaat ke bare me bhi pata kar chuka tha. Dopahar ko uske mobile par vidhi ka call aaya to uske gambheer aur tanaav bhare chehre par khushi ki halki si chamak numaya huyi thi. Vidhi ne phone karke usse puchha tha ki wo kab uske ghar aa raha hai taaki wo dono sath me ja kar jail me vidhi ke dad se mil sake. Vidhi ke puchhne par dushyant ne usse kaha ki wo aadhe ghante me pahuch raha hai uske ghar.

Inspector dushyant theek aadhe ghante baad vidhi ke saamne maano haazir ho gaya tha. Usne mahsoos kiya ki pichhle dino ki apeksha aaj kuch alag baat nazar aa rahi thi vidhi me. Iske pahle zyadatar wo udaas ya gumsum type dikhti thi magar aaj uske chehre par halki si chamak aur gulaab jaise hotho par halki si muskaan thirak jaati thi. Inspector dushyant ko iski vajah to samajh nahi aayi magar wo khush tha ki itne dino baad aaj vidhi ka chehra thoda sa hi sahi magar khila hua to tha. Vidhi ne dushyant se lunch karne ko kaha aur ye bhi bataya ki usne khud bhi abhi lunch nahi kiya hai to dushyant inkaar nahi kar saka. Bas fir kya tha dono ne sath hi lunch kiya. Lunch karte time dono ke beech normal baat cheet huyi. Is baat cheet me vidhi ne dushyant ko bataya ki use apne dad se karobaar ke sambandh me kuch zaruri baate karni hai.

Lunch karne ke baad vidhi kapde change karne chali gayi jabki dushyant dring room me aa kar sofe par baith gaya tha. Wo soch raha tha ki vidhi ne uske izhaar e mohabbat ke bare me abhi tak koi baat nahi ki thi. Kya usne is baat ko ansuna kar diya tha ya fir wo uske bare me sochne ke liye time chaahti thi.? Dushyant dubara vidhi se is bare me baat karne se jhijhak raha tha. Wo nahi chaahta tha ki uske baat karne se vidhi ko ye lage ki wo us par pressure daal raha hai aur khud behad utaawla ho raha hai. Wo ye bhi nahi chaahta tha ki vidhi uske bare me ye soche ki wo vidhi se is liye pyar karne ki baat kah raha hai kyo ki uske andar kahi na kahi vidhi ki daulat ko paane ka laalach hai. Inspector dushyant ko wakaayi me vidhi ki daulat se koi matlab nahi tha, balki uske dil me sach me vidhi ke liye chaahat jagi thi. Jaisi ladki ki usne khwaahish ki thi vidhi waisi hi thi.

Vidhi jab taiyar ho kar aayi to dushyant ne jhijhakte huye uski tareef ki jis par vidhi ne bas halki si muskaan me apni pratikriya di. Thodi hi der me dono gipsy me baith kar nikal liye waha se. Sudhanshu bhatiya ek paise wala insaan tha. Uske paas kisi bhi cheez ka abhaav nahi tha. Teen teen mahgi mahgi cars thi uske paas. Vidhi ko car chalana bhi aata tha magar wo akele nahi jana chaahti thi. Dushyant ke aane jane se kahi na kahi vidhi ko bhi ye mahsoos hota tha ki wo uska shayad apna hai jo uski care karta hai. Shuruaat me bhale hi use dushyant ka yu aana ajeeb laga tha magar ab use achha lagta tha. Is duniya me koi kisi ka nahi hota. Gareeb ki taraf koi dhyaan nahi deta aur ameer ki daulat par sabki nazar rahti hai aur usi daulat ke chalte us ameer ko log ahmiyat dete hain. Lekin agar koi isse juda mile to us par gaur zarur karna chahiye.

Kareeb dedh ghante ki drive ke baad dushyant ne gipsy ko jail ke saamne roka. Dono ke beech sare raaste kisi na kisi mudde par baate huyi thi. Gipsy se utar kar dono jail ke darwaze ki taraf badh chale. Dushyant ne phone karke pahle hi jailer se baat kar li thi. Is liye andar jane me koi problem nahi huyi. Vidhi ke dil o dimaag me jaise aandhiya si chalne lagi thi. Dushyant uski haalat ko samajh sakta tha is liye usne vidhi ko relax rahne ko kaha.

Andar ja kar dushyant sabse pahle jailer se mila. Kuch baat cheet ke baad jailer ke kahne par waha ke ek police wale ne vidhi aur sudhanshu bhatiya ki mulakaat ka intjaam karwa diya. Dushyant vidhi ke sath hi us kamre tak aaya tha uske baad wo vidhi ko samjha bujha kar waapas jailer ke paas aa gaya tha.

Kareeb aadhe ghante baad vidhi ek police wale ke sath waapas aayi. Uske chehre par pahle ki tarah hi udaasi aur gumsum se bhaav the. Aisa lag raha tha jaise wo apne dad se mil kar khoob royi ho aur abhi bhi wo apne andar ke jazbaato ko rok na pa rahi ho. Dushyant jailer se ijazat le kar vidhi ko liye waha se nikla. Kuch hi der me wo dono fir se gipsy me sawaar ho kar chal rahe the.

"Kya hua vidhi.?" Raaste me dushyant ne vidhi ko khamosh dekh kar pucha_____"Tum itni khamosh kyo ho.? Dekho main tumhari haalat samajh sakta hu magar ye bhi to socho ki ab is bare me kuch bhi sochne se kya hoga.? Jane wale chale jate hain, bas unki yaade hamare sath rahti hain. Hame apno ke is tarah chale jane ka yakeenan behad dukh hota hai magar is dukh ko le kar baith nahi jana chahiye balki hame apno ki khubsurat yaado ko yaad rakhte huye jeewan me aage badhna chahiye."

"Aapko pata hai dushyant ji." Vidhi ki aankho se aanshu ka katra chhalak pada_____"Main apne mom dad ki laadli beti thi aur mujh par dono ki jaan basti thi. Maine khwaab me bhi nahi socha tha ki ek din ek hi jhatke me sab kuch mit jayega aur is bhari duniya me main akeli ho jaaugi."

"Main tumhare is dukh ko achhe se samajh sakta hu." Dushyant ne kaha______"Aur ye bhi samajh sakta hu ki is dukh ko itna jaldi bhula dena asaan nahi hai. Magar ye bhi sach hai ki hame bhoolna hi padta hai. Is duniya me ek tum hi aisi nahi ho jinke mata pita unhe is tarah chhod kar chale gaye hain, balki lakho karodo log aise mil jayenge. Is duniya me koi bhi cheez zyada dino tak hamare paas nahi rahti hai."

"Aaj jab main apne dad se mili." Vidhi ne larajte swar me kaha_____"To main unse lipat kar khoob royi. Wo khud bhi ro rahe the aur apne kiye ki mujhse baar baar maafiya maag rahe the. Fir unhone mujhe samhala aur mujhe chup karaya. Uske baad unhone mujhe samjhana shuru kiya. Unhe bhi is baat ka ahsaas hai ki ab main is duniya me akeli hu. Unhone mujhse puchha ki main yaha kaise aayi to maine aapke bare me unhe sab bataya."

"Tumhe jab bhi apne dad se milna ho." Dushyant ne vidhi ki taraf ek nazar daalte huye kaha______"To mujhe ek din pahle phone kar diya karna. Ek tarah se ye achha hai ki tumhare dad jaha bhi hain sahi salaamat hain aur tum jab chaaho unse mil sakti ho. Baaki yaha tum akeli nahi ho. Tum mujhe apna dost samajh sakti ho. Ek aisa dost jo tumhari care bhi karega aur tumhare chehre ki udaasi ko door karne ki koshish bhi karega."

Inspector dushyant ke aisa kahne par vidhi uski taraf dhyaan se dekhne lagi. Dushyant ne bhi jhijhakte huye uski taraf dekha. Vidhi ke khubsurat aur masoom se chehre ko dekhte hi use aisa laga jaise wo uske sammohan me kho jayega. Is liye usne jaldi hi uske chehre se apni nazre hata li.

"Aap mere liye." Vidhi ne uski taraf dekhte huye hi larajte swar me kaha______"Ye sab isi liye kar rahe hain na kyo ki aap mujhse pya.....!" Vidhi ne apna waakya adhura chhod diya.
"Us baat ko chhodo vidhi." Dushyant ne kaha______"Wo to ek sach tha jo maine tumhe bataya tha. Koi zaruri nahi ki tum meri us baat par dhyaan do. Tumhari apni zindagi hai aur tumhari apni alag khwaahishe hain. Is liye main nahi chaahta ki tum kisi baat ke liye majbur ho jaao. Haan itna zarur kahuga ki tum mujhe apna ek dost samajh sakti ho aur yakeen maano main is dosti ke rishte ko badi shiddat se nibhaauga. Agar kabhi bhi tumhe meri vajah se koi takleef ho to tum mujhe usi wakt bol dena."

"Mujhe samajh nahi aa raha." Vidhi ne saamne ki taraf dekhte huye jaise uljhan poorn bhaav se kaha______"Ki main aapki in baato ka kya jawaab du.? Andar kahi se awaaz aati hai ki aapse dosti karne me koi buraayi nahi hai magar zahen me ajeeb se sawaal ubharne lagte hain."

"Main samajh sakta hu vidhi." Dushyant ne kaha______"Ek anjaan aadmi jab is tarah ek ladki ki life me aata hai to bahut se sawaal zahen me ubharne lagte hain. Khaas kar tab jab ladki ki haalat tumhare jaisi ho. Magar ye bhi sach hai ki kisi ki bhi life me aane wala koi bhi insaan pahle ajnabi hi hota hai. Jaan pahchaan to baad me hi hoti hai. Koi bhi insaan apni life akele nahi guzaar sakta. Koi na koi to uski life me aayega hi. Kahne ka matlab ye ki agar main nahi aata to koi dusra insaan ek din zarur tumhari life me aata aur tab tum kya karti.? Tum daulat sampann pita ki beti ho aur aaj ki date me tum akeli ho to aaj nahi to kal zarur koi na koi ladka tumhe apna banane ki koshish karega. Kyo ki tum paise wali ho. Tum har aadmi ke bare me yahi sochogi ki wo tumhe apna banane kyo aaya hai.? Kya sirf tumhari daulat ke liye.???? Us soorat me tum koi faisla nahi le paaogi ki kya sahi hai aur kya galat. Magar ek sach ye bhi hai ki har koi sirf tumhari daulat ko dekh kar hi nahi tumhe apna banane aayega balki uske dil me sach much ki mohabbat hogi tumhare liye. Khair chhodo is baat ko, mujhe tumhari daulat ki koi chaahat nahi hai. Tum chaaho to aaj apni saari daulat ko kisi trust ko de do. Main tab bhi tumse waisi hi mohabbat karuga kyo ki ye dil ka maamla hai."

Dushyant ki baate sun kar vidhi kuch na boli. Uske chehre par aise bhaav the jaise wo kisi gahri soch me doobi huyi ho. Fir eka ek jaise use wastu isthiti ka abhaas hua aur usne dushyant ki taraf is andaaz se dekha jaise wo kisi baat ko samajhne ki koshish kar rahi ho.

"Shayad aap bilkul thik kah rahe hain." Vidhi ne gahri saans lete huye kaha_____"Aur mujhe aapki dosti kabool hai magar...!"
"Ab is magar wagar ko chhodo vidhi." Dushyant ne khush hote huye kaha_____"Ham aaj se dost hain. Tum is baat ko bilkul apne dimaag se nikaal do ki mere dil me tumhare liye kya hai. Ham sirf dost hain aur dosti ka ek rule ye bhi hai ki dost ko 'Aap' nahi kaha jata aur na hi uske naam ke aage 'Ji' lagaya jata hai."

"Haan par main kaise..?" Vidhi ne uljhan bhare bhaav se kahna chaha.
"Jaise main tumhe 'Tum' kahta hu aur tumhare naam ke aage 'Ji' nahi lagata waise hi tum bhi karo." Dushyant ne gipsy ko sadak ke kinaare rokne ke baad kaha_____"Aur dusri important baat ye ki dost par bharosa rakho taaki comfortable feel hota rahe."

"Aapne gaadi kyo rok di.?" Vidhi ne chaunkte huye puchha to dushyant muskuraya.
"Aree gaadi to maine aise hi rok di thi." Dushyant ne gipsy ko aage badhate huye kaha_____Par mujhe lagta hai ki mere gaadi rok dene se tum ekdam se ghabra gayi ho. Iska matlab ye hua ki tumhe mujh par bharosa nahi hai aur tumhe dar hai ki kahi main tumhe akela pa kar tumhare sath kuch galat na kar du....hai na.?"

"Na..nahi aisi koi baat nahi hai." Vidhi ekdam se hadbadate huye boli_____"Aap...mera matlab hai ki tum galat samajh rahe ho."
"Chalo koi baat nahi." Dushyant ne muskurate huye kaha_____"Main samajh sakta hu ki ek ladki ke liye kisi par itna jaldi aitbaar karna zara mushkil hai. Khair main puri koshish karuga ki meri is pyari si dost ko meri vajah se kabhi koi taklif na ho."

Dushyant ki is baat par vidhi kuch na boli. Bas kankhiyo se use dekhti rahi. Dushyant saamne sheeshe ke us paar raaste ki taraf dekh raha tha magar wo mahsoos kar sakta tha ki vidhi usi ki taraf dekh rahi hai. Wo man hi man is baat se khush tha ki vidhi ke sath uska ek dosti ka rishta to ho hi gaya hai. Matlab ek din aisa bhi ho sakta hai ki vidhi ke dil me uske liye koi khaas jagah bhi ban jaye.

"Achha ek baat bataao vidhi." Dushyant ne achanak hi dono ke beech chha gayi khamoshi ko bhang karte huye kaha______"Ab aage ka kya socha hai.?"
"Aa...aage ka kya.?" Vidhi usi ki taraf ektak dekh rahi thi is liye dushyant ke puchhne par wo halke se chaunki thi, fir samhal kar boli____"Mera matlab hai ki kis bare me.?"

"Tumne bataya tha ki tumhara bhi police force me jane ka man tha." Dushyant ne ek nazar vidhi ki taraf daalte huye kaha_____"Magar tumhare mom dad iske liye agree nahi the. Kyo ki wo nahi chaahte the ki unki laadli beti police jaisi maamuli naukari kare. Jabki tumhe kisi raj kumari ki tarah unki daulat par aish karna chahiye tha. So ab apne mom dad ke jane ke baad kya karne ka socha hai life me.? Halaaki koi naukari karne ki zarurat to abhi bhi nahi hai tumhe magar kuch na kuch to socha hi hoga tumne karne ko.?"

"Haan sahi kaha tumne." Vidhi ne kaha_____"Aaj dad se maine is bare me baat bhi ki magar wo abhi bhi yahi kah rahe the ki mujhe naukari karne ki koi zarurat nahi hai. Unhone mere liye itni daulat bana di hai ki mujhe is janam me to kya dusre janam me bhi kahi naukari karne ki zarurat nahi padegi. Dad ki in baato par jab maine unse kaha ki akele baith kar ghar me kya karugi to unhone mujhse apne karobaar ko chalane ki baat kahi jis par maine saaf mana kar diya. Kyo ki main unke itne bade karobaar ko chalane me na to saksham hu aur na hi meri us karobaar ko chalane ki ichchha hai."

"To fir kya karne ki ichchha hai.?" Dushyant ne puchha.
"Ichchha to wahi hai." Vidhi ne kaha______"Yaani police force join karna magar dad ke khilaaf bhi nahi ja sakti is liye kuch aur sochugi. Filhaal to unhone mujhe wakeel uncke se milne ko kaha hai. Dekhte hain kya hota hai."

Inspector dushyant aur vidhi aisi hi baate karte huye vidhi ke ghar pahuch gaye. Vidhi ne dushyant se ghar ke andar chal kar chaay pine ke liye kaha magar dushyant shaam ko aane ka kah kar apne thane nikal gaya.



<>•<>•<>
superb update
 
  • Like
Reactions: TheBlackBlood

mashish

BHARAT
8,082
25,904
203
BEGUNAAH
Update - 11

Ab Tak,,,,,,

"To fir kya karne ki ichchha hai.?" Dushyant ne puchha.
"Ichchha to wahi hai." Vidhi ne kaha______"Yaani police force join karna magar dad ke khilaaf bhi nahi ja sakti is liye kuch aur sochugi. Filhaal to unhone mujhe wakeel uncke se milne ko kaha hai. Dekhte hain kya hota hai."

Inspector dushyant aur vidhi aisi hi baate karte huye vidhi ke ghar pahuch gaye. Vidhi ne dushyant se ghar ke andar chal kar chaay pine ke liye kaha magar dushyant shaam ko aane ka kah kar apne thane nikal gaya.


Ab Aage,,,,,


Inspector dushyant jab thane pahucha to use apne cabin me naya naya aaya sub-inspector Vikrant Rane baitha hua mila. Dushyant ko dekhte hi usne chair se uth kar use salute kiya. Dushyant ko uske yaha aane ki khabar pahle hi mil gayi thi aur usse phone par baat bhi huyi thi. Vidhi ke sath jane se pahle usne vikrant ko ek kaam saump diya tha. Jiski report dene ke liye wo dushyant ke cabin me baitha uska intzaar kar raha tha.

"Is dadbad khane me tumhara swaagat hai pyare." Dushyant ne chair par baithte hi apne andaaz me kaha_____"Tumse pahle yaha par apna ek yaar yaswant tha magar usko hamari mohabbat raas nahi aayi is liye usne apna boriyat bistar uthaya aur hame besahara chhod kar dusri jagah chala gaya. Khair chhodo my dear hamari to zindagi ki kahani hi badi dukh bhari hai. Tum apni sunaao kya report hai.?"

"Aapke hukum par." Vikrant rane ne badi shaalinta se aur nape tule bhaav se kaha______"Maine aapke ghar ke aas paas har jagah ka muaayna kiya magar koi saboot hath nahi laga. Sivaay is baat ke ki waha par maujood camere wagaira destroy kar diye gaye the jo ki yakeenan us nakaab posh ne hi kiya tha. kyo ki video footage me pahle to wo kaale labaade me nazar aaya uske baad usne camera tod diya is liye baad ki koi footage nahi mili."

"Iska matlab ye hua pyare." Dushyant ne cigarette sulgate huye kaha______"Ki hamare haath usse sambandhit koi saboot nahi laga. Kamaal ki baat hai ki koi sirfira aadmi naqaab pahan kar badi dileri se hamare flat me ghusa aur fir badi hi safaayi se waha par kaand kar ke chala bhi gaya, jabki ham kuch nahi kar sake."

"Kaafi shaatir khilaadi lagta hai sir." Vikrant ne kaha_____"Use pahle se pata tha ki aapke flat me us wakt avinash akela hai is liye usne raat ke andhere ka faayda uthaya aur badi safaayi se aapke flat me enter ho gaya. Aate jate usne aisa koi saboot nahi chhoda jiske chalte use pakda ja sake. Avinash ne bataya ki uske dono haath usne rassi se baandh diye the magar hame aapke flat par kahi bhi wo rassi nahi mili. Matlab saaf hai ki avinash ko dubara behosh karne ke baad wo apni rassi bhi le gaya tha. Wo nahi chaahta tha ki flat me uske khilaaf koi bhi saboot maujood rahe. Dusri baat ye ki kahi par uske finger prints milne ka bhi sawaal nahi tha kyo ki usne hatho me dastaane pahan rakhe the."

"Sabse badi baat to ye huyi pyare." Dushyant ne kaha____"Ki hame usse is sabki ummid hi nahi thi warna ham itne befikra hote hi nahi. Hame laga tha ki wo ek police wale ke ghar me ghusne ki himakat nahi karega magar uski is harkat ne hame galat saabit kar diya. Khair koi baat nahi ek tarah se ye usne achha hi kiya, kyo ki ab ham iske liye pahle se taiyar rahenge."

"Avinash ke maamle me." Vikrant ne kaha______"Sabse badi baat yahi hai sir ki hamare paas abhi tak kisi tarah ka saboot nahi hai. Avinash ko apne bare me kuch yaad nahi hai aur na hi uske bare me hame ab tak kuch pata chal saka hai. Wahi uske sath aisa karne wale us nakaab posh ke khilaaf bhi hamare paas koi saboot nahi hai. Kahne ka matlab ye ki ham agar kuch karna bhi chaahe to kuch nahi kar sakte. Jab tak dono me se kisi ke bare me koi chhota sa bhi saboot nahi milta tab tak ham uske maamle me kuch nahi kar sakte."

"Karenge pyare aur zarur karenge." Dushyant ne hawa me cigarette ke dhuye ko udate huye kaha_____"Bas ek baar dono me se kisi ke bare me kuch pata chal jaye, uske baad bahut kuch karne ko mil jayega. Nakaab wala to yakeenan shaatir hai magar ye bhi sach hai ki bakre ki mammy kab tak khair manayegi.? Kisi din to lapete me aayega hi pyare. Magar sabse badi hairat ki baat to ye hai ki ye avinash kaise aasman se tapak pada.? News channels par abhi tak uska koi jaan pahchaan wala saamne nahi aaya. Uske finger prints se bhi uske bare me kuch pata nahi chal saka. Sala samajh me nahi aata ki ye hai kaun aur kaha se aaya hai.? Hame to shak hota hai ki kahi ye koi dusre grah ka praani to nahi. Waise bhi sala bada ajeeb lagta hai."

"Is maamle me dono hi bade ajeeb hain sir." Vikrant ne halki si muskaan ke sath kaha_____"Ek aisa hai ki uski yaad daast gayab hai aur duniya ke kisi bhi data me uska koi recard nahi hai, jabki dusra aisa hai ki wo ise har baar ek hi jurm me fasata hai. Dono hi bade ajeeb hain."

"Waise to ham bhi ajeeb hi hain pyare." Dushyant ne vikrant ko gahri nazar se dekhte huye kaha______"Magar is maamle me lagta hai ki thoda aur zyada ajeeb banna padega. Khair ab tumhara kaam ye hai dear ki avinash ke sath waise hi chipke rahna jaise koi jonk apne kisi dilbar se chipak jati hai. Us naqaab wale nawaab ne avinash ko khule aam dhamki di hai ki agar wo kahi aur rahne nahi jayega to wo use jaan se maar dega. Is liye tumhara kaam ab yahi hai ki tum us naqaab wale ki aisi har koshish ko nakaam karoge aur avinash ki hifaazat karoge."

"Ok sir." Vikrant ne chair se uthte huye kaha aur fir salute baja kar cabin ke darwaze ki taraf badha to peeche se dushyant ne kaha______"Tumhare rahne ka jugaad hua ki nahi.?"
"Abhi to nahi hua sir." Vikrant ne palat kar kaha_____"Magar do teen din me ho jayega. Ek SI ka transfer hua hai to uske yaha shift ho jaauga."

"Tum chaaho to." Dushyant ne kaha_____"Do teen din ke liye apni tasreef ka tokra hamare yaha rakh sakte ho. Hame bhi company mil jayegi. Kya kahte ho.?"
"Jaisa aap kahe sir." Vikrant ne muskurate huye kaha aur fir salute baja kar cabin se baahar nikal gaya.

Vikrant ke jane ke baad dushyant table par rakhi file ko khol kar dekhne laga. Use bataya gaya tha ki vikrant rane bahut hi imaandaar aur kaabil police wala hai. Umar me dushyant se kam hi tha aur uske jaise hi hatta katta aur gabru jawaan tha magar rangat se wo dushyant ki tarah gora nahi tha. Halaaki uski saanwli rangat us par kaafi achhi lagti thi.


<>•<>•<>

Wahi kahi dusri jagah..!
Ek aurat apne kamre me ek aadam kad aayine ke saamne khadi apne kaale ghane lambe baalo ko sawaar rahi thi. Aurat ki umar tees ke aas paas thi. Gore gore jism par surkh rang ki saadi me wo kafi khubsurat lag rahi thi. Uski shakl south ki marhoom film actress saundarya jaisi thi. Kamre me hi kya balki pure makaan me ajeeb si khamoshi chhaayi huyi thi magar ye khamoshi zyada der tak chhayi nahi rahi. Kyo ki tabhi kamre ke darwaze par kisi ke aane ki aahat huyi aur fir palak jhapakte hi koi kamre ke andar daakhil hua.

Aahat sun kar us aurat ne sheeshe me dikh rahe apne aksh se nazre hataayi aur apni gardan ko baayi taraf mod kar aane wale shakh ki taraf dekha. Shakhs par nazar padte hi uske surkh hotho par halki si muskaan ubhar aayi. Jabki aane wala shakhs kamre me aate hi bed par dhamm se pasar gaya. Uski haalat dekh kar aisa prateet ho raha tha jaise wo meelo daud kar aaya ho. Us aurat ne uski taraf dekha to paya ki wo bed par aankhe band kiye leta hua hai. Ye dekh kar wo aurat uski taraf badhi.

"Kya hua.?" Aurat ne bed ke kinare par baithne ke baad us shakhs ki taraf dekhte huye kaha______"Kya fir se waha gaye the.?"
"Tum apne kaam se matlab rakho bas." Us shakhs ne aankhe band kiye hi thode naraaj lahje se kaha_____"Main kaha gaya tha is baat se tumhe koi matlab nahi hona chahiye."

"Kabhi to pyar se baat kar liya karo." Aurat ne apna ek hath badha kar us shakhs ke chehre ko halka sa sahlate huye kaha_____"Har wakt gusse me apna kaleja kyo jalate rahte ho.?"
"To kya chaahti ho tum.?" Wo shakhs thoda kheejhte huye ek jhatke me uth kar baith gaya, fir bola_____"Apni bebasi par naachu gaau.?"

"Maine naachne gaane ko nahi kaha." Us aurat ne bade pyar se kaha_____"Magar har wakt gusse me rahna bhi to achhi baat nahi. Khud socho ki har wakt gussa rahne se kya mil jayega tumhe.? Pahle to aise nahi the tum, balki pahle to tum jaante hi nahi the ki gussa hota kya hai."

"Pahle wo sab bhi to nahi hua tha." Us shakhs ne fir se kheejhte huye kaha tha.
"Wakt hamesha ek jaisa nahi rahta mere sona." Aurat ne us shakhs ke chehre ko apni hatheliyo ke beech lete huye bade pyar se kaha_____"Aur na hi hamesha aisa hota hai ki har cheez hamare chaahne se mil jaye. Har cheez ka ek wakt hota hai. Wakt se pahle kuch nahi mil sakta. Is liye bewajah yu gusse me na raha karo. Balki sab kuch bhool kar mere sath pyaar kiya karo."

"Main intzaar nahi kar sakta." Us shakhs ne aurat ki hatheliyo se apna chehra hatate huye kaha_____"Aur na hi mujhse ab aur zyada sabra ho sakta hai."
"Fir wahi baat." Aurat ne us shakhs ki shirt ke button par hath ki ungli rakhte huye kaha_____"Maine kaha na ki wakt se pahle kuch nahi milega. Khair chhodo ye sab, aaj pure teen din baad aaye ho mere paas. Ye teen din tumhare bina maine kaise guzaare hain ye main hi jaanti hu. Tum to achhi tarah jaante ho mere sona ki jab tak tum mujhe bharpoor pyar nahi karte tab tak mujhe chain aur sukoon nahi milta."

"Bakwas mat karo." Shakhs ne us aurat ke hath ko jhatakte huye kaha_____"Ek to waise hi dimaag kharaab hai aur tumhe pyar dikh raha hai."
"Aree is pyaar se hi to ham dono ka mood thik hoga na mere babu." Us aurat ne muskurate huye kaha____"Chalo jaao pahle achhe se naha dho lo. Uske baad ham dono pyar karege. Mera wada hai mere sona ki tumhara mood do pal me thik kar dugi."

Kahne ke sath hi us aurat ne shakhs ko bed se niche zor de kar utara aur fir zabardasti use bathroom me dhakelti huyi le gayi. Wo shakhs uske is tarah dhakelne par gussa to hua magar uske gusse ka us aurat par koi fark nahi pada. Shakhs ko bathroom me bhejne ke baad wo aurat muskurate huye palti aur fir bed par let gayi. Uske chehre par is wakt ek ajeeb si chamak thi. Wo chamak uske chehre par kuch palo tak rahi aur fir ekdam se uske chehre par gahan socho ke bhaav ubhar aaye.

Wo aurat kaafi der tak jane kin socho me gum rahi. Use hosh tab aaya jab bathroom se nikal wo shakhs kamre me aaya aur uske saamne khada ho gaya. Shakhs ke jism par is wakt ek safed rang ka tauliya tha baaki pura jism paani ki halki boondo se chamak raha tha. Us shakhs par nazar padte hi aurat ne apne chehre se socho ke bhaav mitaye aur hotho par muskaan ko saja liya.

"Ab jab fresh ho gaye ho." Aurat ne uthte hue kaha______"To chalo kuch kha bhi lo. Pata nahi kahi kuch khaya bhi hoga ya nahi."
"Thoda bahut baahar hi kha liya tha maine." Us shakhs ne kaha_____"Is liye abhi bhookh nahi hai. Bas thakaan bahut hai."

"To kisne kaha tha utni door jane ko.?" Aurat ne uski taraf dekhte huye kaha______"Aur is baar aisa kya ho gaya hai jo baar baar waha jate ho.? Iske pahle to is tarah nahi jate the tum."

"Wo haramzada is baar ek police wale ke sath uske flat me rah raha hai." Shakhs ne apne daant peeste huye kaha_____"Is liye use sabak sikhane gaya tha. Man to kar raha tha ki use jaan se maar du magar fir apne gusse ko kaabu kiya. Mujhe samajh nahi aa raha ki uske liye wo police wala itna fikarmand kyo ho gaya hai. Iske pahle to aisa nahi tha. Har baar yahi hota tha ki police use pakadti thi aur uski pelaayi karne ke baad kuch dino me chhod deti thi. Uske baad maamla rafa dafa ho jata tha magar is baar sab kuch ulta pulta ho raha hai."

"Maine kaha tha na." Aurat ne kaha______"Wakt hamesha ek jaisa nahi rahta aur na hi har cheez hamare hisaab se hoti hai. Khair ek din is tarah ka kuch na kuch to hona hi tha. Kabhi na kabhi to koi police wala uske bare me ye sochta hi ki jis insaan ko usne fala jurm ke liye pakda hai wo aakhir apne jurm ko kabool kyo nahi karta.? Galti to tumhari hai mere babu jo tum har baar ek hi tareeka apnaate ho. Jabki tumhe karna ye chahiye ki use ek hi baar me khatam kar do."

"Yahi to nahi kar sakta main." Shakhs ne jaise bebasi zaahir karte huye kaha_____"Agar kar sakta to kab ka use jaan se maar diya hota. Khair ek din to wo zarur marega magar tab jab uski yaad daast waapas aa jayegi. Maarne ka maza bhi to tabhi aayega jab use bhi pata ho ki use kis liye maut di ja rahi hai."

"Galti to shuru me hi tumne kar di thi." Aurat ne kaha_____"Us wakt hi tumhe use maar dena chahiye tha magar tumhare aadmi use us khadaan me fenk kar aa gaye the."

"Main saamne nahi ja sakta tha uske." Shakhs ne kaha____"Is liye kiraye ke gundo ko use maarne ka kaam saumpa tha magar saalo ne apna kaam sahi se nahi kiya. Baad me mujhe pata chala ki use us wakt marwana sahi nahi tha kyo ki usne aisa kaam kar diya tha jiske bare me na to maine socha tha aur na hi mujhe uski ummid thi."

"Jaldbaazi aur gusse me kaam karne ka yahi nateeja hota hai." Aurat ne gahri saans lete huye kaha_____"Baad me jab tumhe uska pata chala tab tumne waapas us jagah par apne aadmiyo ko bheja magar tab tak der ho chuki thi. Tumhare aadmi tumhare kahne par use ek aisi jagah le gaye jaha kisi zamane me koi boys hostel hua karta tha. Waha tumhare ek doctor dost ke dwara tumhe ye pata chala ki uski haalat bahut kharaab hai. Tab tum bhesh badal kar uske paas gaye. Jab use hosh aaya to tumne use aise naam se pukara jo uska tha hi nahi aur jab usne tumhe nahi pahchana to tum chaunk pade."

"Maine bhesh badla hua tha." Shakhs ne kaha_____"Magar fir bhi wo mujhe pahchaan sakta tha aur mujhe is baat ka dar bhi tha magar jab wo mujhe ajeeb tarah se dekhne laga to main soch me pad gaya tha. Doctor ko maine pahle hi bol diya tha ki agar khatre jaisi baat nazar aaye to wo use fauran behoshi ka injection laga kar use behosh kar de. Doctor ne waisa kiya bhi tha. Uske baad main ye soch kar waha se chala aaya tha ki uski haalat jab kuch thik hogi to main usse tasalli se sab kuch puchhuga. Idhar do din tak main bhi apne dusre kaamo me busy ho gaya tha. Udhar wo sala waha se bhaag nikla. Main hairaan tha ki wo us haalat me bhi waha se kaise bhaag nikla tha."

"Uske liye waha se bhaag nikalna koi badi baat nahi thi." Aurat ne kaha_____"Tumhe to pata hi hai ki wo kya cheez hai."
"Haan baad me maine bhi yahi socha tha." Shakhs ne bed par letne ke baad kaha_____"Uske baad kafi talaash karne ke baad jab wo dusre shahar me nazar aaya to pata chala ki uski yaad daast ja chuki hai. Shayad khadaan me fenkne ki vajah se uske sir par gambheer chot lagi thi jiski vajah se uski yaad daast gul ho gayi thi. Uski yaad daast jane se ek nayi problem khadi ho gayi jo ab tak kaayam hai. Pata nahi kab saale ki dimaag ki batti jalegi."

"Ek din zarur jalegi mere babu." Aurat ne us shakhs ke nange seene par hath ferte huye kaha_____"Bas dhairya rakho. Khair chhodo is baat ko. Ab uske bare me zyada mat socho balki ab mere bare me socho."

"Badi aag lagi huyi hai tumhe." Shakhs ne use bijli ki speed se pakda aur ek jhatke se uske upar aate huye kaha_____"Pahle tumhari is aag ko hi bujha ke shaant karta hu."
"Haye main to kab se iske liye tadap rahi hu." Aurat ne aahe bharte huye bade hi maadak andaaz me kaha_____"Magar tum ho ki faaltu ki baato me wakt barbaad karne par tule the."

Aurat ki is baat ka us shakhs ne koi jawaab nahi diya balki jhuk kar usne aurat ke hotho ko apne hotho ke beech daba liya. Hotho se hoth milte hi aurat par maano ek nayi oorja bhar gayi. Wo ekdam se harkat me aa gayi aur us shakhs ki nangi peeth ko dono hatho se pakad kar apni taraf kheenchne lagi. Dono paaglo ki tarah ek dusre ke hotho ko choom rahe the. Tabhi us shakhs ka ek hath neeche aaya aur fir aurat ke daahine waksh par jam gaya. Shakhs apni daahini mutthi me aurat ke waksh ko buri tarah bheechne laga jisse aurat ekdam se machal uthi.

Kuch hi der me shakhs ne us aurat ke jism se ek ek kar ke saare kapde nikaal fenke aur fir jaise us par toot hi pada. Aurat ke bade bade kharbujo ko buri tarah bheechte huye usne ek kharbuje ke nipple ko apne muh me bhar liya. Aurat ke mukh se maze me doobi siskaariya nikalne lagi aur wo shakhs ke sir ko dono hatho se pakde apne kharbujo par dabane lagi.

Shakhs ne baari baari se uske dono kharbujo ka raspaan kiya aur fir wo kharbujo ko chhod kar neeche ki taraf badhne laga. Aurat ke gore saffaak pet par apni jeebh firaate huye wo aurat ki gahri naabhi ke paas pahucha. Naabhi ke chaaro tarah apni jeebh ghumate huye usne naabhi me jeebh ko nokdaar bana kar ghusa diya. Uski is harkat se aurat ne machalte huye shakhs ke sir ko dono hatho se pakad kar neeche ki taraf thelna shuru kar diya. Uske thelne par shakhs neeche ki taraf badha. Gadraayi huyi gori saffaak jaangho ko choomte chaat'te wo aurat ki painty ke upar se uski yoni ko choomne laga. Aurat ki yoni se uska kaam ras rishta hua mahsoos hua use aur sath hi ki kaam ras ki khushbu uski naak me samaati chali gayi jiski vajah se wo uttejit ho kar aur zor zor se aurat ki yoni ko choomne aur chaatne laga.

Kuch hi der me aurat ka bura haal ho gaya. Wo bed par jal bin machhli ki tarah chhatpatati nazar aane lagi. Kamre me aurat ki siskaariyo ka sangeet sa goonjne laga tha. Jab aurat se sahan na hua to wo shakhs ke sir ke baalo ko apne hath ki mutthi me pakad kar kheechne lagi. Shakhs ko jaise samajh aa gaya ki ab use kya karna hai is liye usne yoni se apna chehra hataya aur fir aurat ki taraf dekhte huye usne uski painty ko ek jhatke me kheechte huye uski chikni taango se baahar kar diya. Painty ke nikalte hi aurat ki clean saved yoni shakhs ki aankho ke saamne aa gayi. Dono ki nazre mili aur fir shakhs ne apne jism se tauliye ko alag kar apne tamtamaye huye ling ko aurat ki yoni ke dwaar ka raasta dikha diya.

Kamre me kafi der tak alag alag position me sambhog ka kaarya kram chalta raha. Uske baad dono hi charam sukh ko praapt karne ke baad shaant pad gaye. Kamre me dono ki gahri saanso ki awaaz sunaayi de rahi thi.



<>•<>•<>
amazing update
 
  • Like
Reactions: TheBlackBlood

mashish

BHARAT
8,082
25,904
203
BEGUNAAH
Update - 12

Ab Tak,,,,,

Kuch hi der me aurat ka bura haal ho gaya. Wo bed par jal bin machhli ki tarah chhatpatati nazar aane lagi. Kamre me aurat ki siskaariyo ka sangeet sa goonjne laga tha. Jab aurat se sahan na hua to wo shakhs ke sir ke baalo ko apne hath ki mutthi me pakad kar kheechne lagi. Shakhs ko jaise samajh aa gaya ki ab use kya karna hai is liye usne yoni se apna chehra hataya aur fir aurat ki taraf dekhte huye usne uski painty ko ek jhatke me kheechte huye uski chikni taango se baahar kar diya. Painty ke nikalte hi aurat ki clean saved yoni shakhs ki aankho ke saamne aa gayi. Dono ki nazre mili aur fir shakhs ne apne jism se tauliye ko alag kar apne tamtamaye huye ling ko aurat ki yoni ke dwaar ka raasta dikha diya.

Kamre me kafi der tak alag alag position me sambhog ka kaarya kram chalta raha. Uske baad dono hi charam sukh ko praapt karne ke baad shaant pad gaye. Kamre me dono ki gahri saanso ki awaaz sunaayi de rahi thi.


Ab Aage,,,,,,

Inspector dushyant shaam ko lagbhag saadhe aath baje vidhi ke ghar pahucha. Usne vidhi ko aane se pahle hi phone kar diya tha is liye jab wo pahucha to vidhi ne halki muskaan ke sath use darwaze se andar aane ka raasta diya. Vidhi ko dekhte hi uska dil dhadakne lagta tha aur dil o dimaag me meetha meetha sa ahsaas hone lagta tha. Aaj hi vidhi se uska ek rishta bana tha....dosti ka rishta aur wo nahi chaahta tha ki dosti ka ye rishta uski kisi galti ki vajah se toot jaye.

"Tum washroom me ja kar fresh ho lo." Dring room me rakhe sofe par baithte hi vidhi ne dushyant se kaha_____"Tab tak main kitchen se khana la kar table par sajati hu."
"Waah kya baat hai." Dushyant ne halki muskaan ke sath kaha_____"Itna jaldi khana ready kar diya jabki abhi nau bhi nahi baje."

"Khaali baithi thi is liye socha khana hi bana lu." Vidhi ne kaha_____"Waise bhi maine socha ki tumhe bhi bhookh lagi hogi. Aakhir is police ki naukari me bhaag daud kar ke thak jate hoge."
"Nahi aisi to koi baat nahi hai." Dushyant man hi man hairaan tha ki vidhi uski fikar kar rahi thi magar fir pratyaksh me yahi kaha______"Ab to is sab ki aadat ho gayi hai. Khair ye to bataao ki mere liye itni fikar kaise.?"

"Ab dosti ki hai to dost ke liye fikar to karni hi padegi na." Vidhi ne kaha_____"Warna baad me tum hi kahoge ki main kaisi dost hu tumhari jo apne dost ka khayaal bhi nahi rakhti."
"Waise to main iske liye kabhi tumse koi shikayat nahi karuga vidhi." Dushyant ne kaha_____"Magar mujhe is baat se khushi zarur mahsus ho rahi hai ki tum mere liye aisa sochti ho. Halaaki mujhe ummid nahi thi ki meri ye pyari si dost itni jaldi mera khayaal rakhne ke bare me sochegi."

"Kya tum aisa kah kar meri taang kheech rahe ho.?" Vidhi ne dushyant ki taraf dekhte huye kaha tha.
"Aree nahi to." Dushyant ekdam se hadbada gaya. Use samajh me na aaya ki vidhi ne aisa kyo kaha fir bola_____"Main to aisa soch bhi nahi sakta."

"Fir ye kyo kaha.?" Vidhi ne kaha______"Ki tumhe mujhse aisi ummid nahi thi.?"
"Haan to galat kya bola maine.?" Dushyant ne baukhlaye huye lahje se kaha_____"Meri jagah koi bhi hota to use yahi lagta. Kyo ki iske pahle aisi baat nahi thi na hamare beech."

"Iske pahle ham dost bhi to nahi bane the." Vidhi ne kaha_____"Halaaki iske pahle maine tumhe apna dushman bhi nahi samjha tha. Kya iske pahle maine tumse ye kaha tha ki tum is tarah mere ghar mat aaya karo.?"

"Kisi police wale ko kahi aane jane se koi kaise rok sakta hai bhala.?" Dushyant ne maano seena chauda karte huye kaha tha.
"Ab zyada udo mat." Vidhi ne kaha______"Aur haan tum zara is khushfahmi se baahar niklo ki main tumhe is liye nahi rok sakti thi ki tum ek police wale the. Main yaha par akeli bhale hi thi magar itni bebas nahi thi ki tum jaise kisi police wale se dar jaati."

"Meri bejjati karne se pahle." Dushyant ne masoom si shakal banate huye kaha______"Kya tumhe zara bhi khayaal nahi aaya ki tumhare dwara is tarah meri bejjati karne se meri aankho se aanshu bhi nikal sakte hain."
"Nikle to nahi na." Vidhi ne muskurate huye kaha_____"Khair ab utho aur washroom se fresh ho kar aao. Main khana lagati hu."
"Jo hukum aapka." Dushyant ne adab se sir nawaate huye kaha aur sofe se uth kar khada ho gaya, fir bola_____"By the way i like this behaviour."

Dushyant kahne ke sath hi washroom ki taraf badh gaya jabki uski is baat par vidhi muskurate huye uthi aur kitchen ki taraf chali gayi. Wo man hi man soch rahi thi ki kya use dushyant se aise tarike se baat karni chahiye thi.? Agar use uske is behaviour se bura lag jata to.? Fir use yaad aaya ki dushyant ne uske is behaviour ko like kiya tha. Waise bhi ab to wo dono dost the, is liye dosto ke beech aisi nok jhonk to hoti hi rahti hai.

Kuch der me jab dushyant aaya to dono ne sath me khana khaya. Khane ke dauraan dono ke beech halki fulki baat cheet hoti rahi. In baato me vidhi ne dushyant se kaha ki use kal wakeel uncle se milne jana hai, is liye agar uske paas free wakt ho to wo uske sath chale. Vidhi ki is baat par dushyant inkaar kar hi nahi sakta tha. Wo to chaahta hi tha ki use zyada se zyada vidhi ke paas rahne ka mauka mile. Khair khana khane ke baad dushyant jab chalne laga to vidhi ne usse kal subah das baje chalne ko kaha jis par dushyant ne haan me sir hilaya aur fir wo vidhi ko apna khayaal rakhne ka bol kar ghar se baahar aa gaya. Vidhi gate tak use chhodne aayi thi.

Kuch hi der me dushyant apni police gipsy me sawaar apne flat ki taraf badha chala ja raha tha. Pichhle kuch dino se wo kafi achha mahsoos kar raha tha. Uska dil karta tha ki kitna jaldi wo wakt aaye jab vidhi uske prem ko swikaar kar le aur fir wo usse apni shadi ki baat kare. Pal bhar me wo jane kitne sare sapne bun leta tha magar hakikat me aate hi use thodi maayusi hoti thi.


<>•<>•<>

Inspector dushyant apne flat pahucha.
Flat me jin police walo ko usne avinash ke sath uski security ke liye rakha tha unhe usne chhutti de di. Raat me pahredaari ke liye usne dusre police walo ko bol diya tha jo uske yaha aane se pahle hi aa gaye the. Naya naya aaya sub-inspector vikrant rane bhi apna samaan le kar yaha aa gaya tha aur dushyant ke kahe anusaar usne avinash ke us chhote se kamre me hi apne sone ke liye ek folding chaarpaayi rakh li thi.

Avinash ab pahle se behtar tha. Aaj sara din wo police walo se ghira hua tha. Halaaki din me yaha kisi waardaat ke hone ki ummid balkul bhi nahi thi magar dushyant ab koi bhi rishk nahi lena chaahta tha. Vikrant se kah kar usne toote huye cameras ko badalwa diya tha. Raat me teen police walo ko usne baahar tainaat kar diya tha. Unhe shakht aadesh tha ki agar koi bhi sandigdh insaan yaha aas paas nazar aaye to wo log use fauran inform kare.

Dushyant vidhi ke yaha se dinner kar ke aaya tha is liye usne vikrant aur avinash ke sath dinner karne se mana kar diya. Khair jab vikrant aur avinash ka dinner ho gaya to wo dono dring room me dushyant ke paas aa gaye. Dushyant dring room me sofe par baitha cigarette foonk raha tha. Avinash ko dushyant ne apne kamre me sone ke liye bhej diya tha jab ki vikrant ko usne cigarette offer ki magar vikrant ne ye kah kar mana kar diya ki wo cigarette nahi peeta.

"Bahut achhi baat hai pyare." Dushyant ne kaha_____"Cigarette jaisi buri cheez ko muh nahi lagana chahiye. Is cheez se jitna bach sako utna behtar hai. Khair chhodo ye bataao yaha par tumhe koi pareshani to nahi hai na.?"
"Nahi sir." Vikrant ne kaha______"In fact mujhe khushi hai ki main aapke paas hu aur aapne mere liye itna kuch socha."

"Hamne koi achha kaam nahi kiya hai dear." Dushyant ne cigarette ka ek kash lagane ke baad kaha______"Balki aisa karne ke peechhe hamne apna hi swaarth pura kiya hai. Agar tum yaha nahi rahte to yakeenan tumhe avinash ke sath yaha is tarah na rahna padta aur na hi tumhe uske peechhe uska saya ban kar rahna padta."

"Aisi baat nahi hai sir." Vikrant ne kaha______"Wo sab to meri duty ka ek maamuli sa hissa hai. Waise ek baat kahna chaahta hu sir."
"Haan to roka kis baagad bille ne hai pyare.?" Dushyant ne kaha_____"Ek ki bajaay hazaar baate kah daalo, balki ham to ye kahenge ki tum baato ki aisi line lagaao jiska koi ant hi na ho. Hame usse koi problem nahi hogi, aisa ham promise karte hain."

"Mujhe lagta hai sir." Vikrant ne halki muskaan me kaha_____"Ki hame avinash ki yaad daast waapas lane ke liye ek trick aajmaani chaahiye."
"Aur wo aisi kaun si trick hogi pyare.?" Dushyant ne apni right bhaunh ko upar uthaate huye kaha_____"Jiske tahat tumhe lagta hai ki uski yaad daast U turn le kar waapas aa jayegi.?"

"Accident." Vikrant ne kaha_____"Accident wali trick sir."
"Tum hosh me to ho na pyare.?" Dushyant ke maathe par shikan ubhar aayi thi, bola______"Accident wali trick se kya matlab hai tumhara.?"

"Aapne bhi dekha hi hoga sir." Vikrant ne kaha______"Ki filmo me aksar aisa hota hai ki jis byakti ki yaad daast gayi huyi hoti hai, uski yaad daast aksar accident hone se waapas aa jati hai. Main maanta hu ki wo filmo ki baate hoti hain jinka hakikat se koi waasta nahi hota magar kahi na kahi thoda sa sach bhi to hota hi hai. Avinash ki yaad daast uske sir me lagi chont ki vajah se gayi hai aur yaad daast ka jana aisi baat hai ki duniya ka koi bhi doctor ye dawa nahi kar sakta ki kisi insaan ki yaad daast kab waapas aayegi. Doctor sanyaal ka bhi yahi kahna hai ki wo is bare me kuch nahi kar sakte hain. Main aaj inhi sab baato ke bare me soch raha tha. Fir mujhe filmo me dikhaye gaye accident wale scene yaad aaye ki kaise ek accident hota hai aur us accident ke chalte insaan ki yaad daast waapas aa jaati hai. Mere zahen me aaya ki kya aisa ho sakta hai.? Agar haan to kyo na filmo ki ye trick avinash par aajmaayi jaye."

"Point to hai pyare." Dushyant ne kaha_____"Magar rishk bhi hai. Accident ka naam hi aisa hai ki sunne me sala bada ajeeb aur bhayanak lagta hai. Avinash ki yaad daast waapas laane ke liye agar ham ye trick apnaate hain to zaruri nahi ki waisa hi ho jaisa filmo me dikhaya jata hai, balki aisa bhi ho sakta hai ki is trick ki vajah se avinash ki jaan hi jokhim me pad jaye."

"Rishk to hai sir." Vikrant ne kaha_____"Lekin agar ham iske bare me achhi tarah soch vichaar kar ke plan taiyaar kare to bahut had tak mumkin hai ki jokhim jaisi baat na ho paye. Maan lijiye agar ye trick kaamyaab ho jati hai to hame usse kitni badi kaamyaabi mil jayegi. Avinash ko apne bare me sab kuch yaad aa jayega aur fir wo khud hame batayega ki uske sath ye sab karne wala kaun hai aur aisa kyo kar raha hai wo.?"

"Nahi pyare." Dushyant ne inkaar me sir hilaate huye kaha_____"Ham hargiz aisa nahi kar sakte. Avinash ki yaad daast waapas lane ke liye ham uske sath aisa nahi kar sakte my dear. Ye to sarasar galat ho jayega. Ham jaan boojh kar wo kaam kaise kar sakte hain jisme sabse zyada is baat ki sambhaavna hai ki uski jaan ko khatra hai. Ham is baat ko nahi jaante ki accident kis tarah ka aur kis had tak hona chahiye jisse ki avinash ke sir par dubara chot lage aur uske mastishk ki bujhi huyi batti fauran roshan ho uthe. Nahi dear....ham aisa hargiz nahi karenge. Waise bhi ab situation badal chuki hai. Pahle situation ye thi ki hamare paas koi suraag nahi tha jabki aaj situation ye hai ki ham samajh gaye hain ki bahut jald is maamle me koi thos suraag milne wala hai. Us naqaabposh ko mat bhoolo pyare. Pichhli raat usne jo kaand kiya tha usse saaf zaahir hai ki wo baukhlaya hua hai aur wo kisi bhi keemat par ye nahi chaahta ki avinash kisi police wale ke flat me uske sath protection me rahe. Isi liye usne wo harkat ki aur avinash ko jaan se maarne ki dhamki de kar kaha ki wo kahi aur rahe."

"Haan ye to aapne sahi kaha sir." Vikrant ne kaha_____"Aur ab jab use ye pata chalega ki avinash ne uski dhamki ko nazarandaaz kar diya hai aur uske kahe anusaar kahi aur rahne nahi gaya hai to wo avinash ke paas dubara aayega."

"Bilkul thik samjhe pyare." Dushyant ne purzor bhaav se kaha_____"Aur is baar jab wo yaha aayega to use pakadne me ham koi kasar nahi chhodenge. Halaaki itna to ab wo bhi samajh hi gaya hoga ki is baar uske liye avinash tak pahuchna asaan nahi hoga kyo ki ab wo sochega ki is baar avinash ke liye ham laaparwaah nahi honge. Is liye wo yaha aane ka koi dusra raasta akhtiyaar karega magar ye pakki baat hai ki wo yaha aayega zarur."

"Right sir." Vikrant ne kaha______"Usne avinash ko do din ka wakt diya hai. Iska matlab teesre din wo kisi bhi wakt avinash ke paas aa sakta hai."
"Agar wo apni zubaan ka pakka hai." Dushyant ne kaha_____"To wo zarur aayega. Ab kyo ki usne apne aane ka koi wakt mukarrar to kiya nahi hai is liye hame har wakt satark rahna padega aur use pakadne ke liye jaal taiyaar rakhna padega."

Kuch der aur isi silsile me dono ke beech baate huyi uske baad dono hi apne apne kamre me sone chale gaye. Flat ke baahar teen police wale puri mushtaidi se pahre par lage huye the. Halaaki naqaabposh ne avinash ko do din ka wakt diya tha. Matlab in do dino me uske aane ka koi matlab nahi banta tha magar dushyant ne ye soch kar police walo ko tainaat kar diya tha ki us naqaab wale ka bharosa karna uchit nahi hoga.

Dusre din avinash inspector ke sath jane ko taiyar tha. Uski haalat behtar thi. Dushyant ne usse araam karne ke liye kaha bhi magar avinash ko din bhar khaali baithna gawara nahi tha. Khair dushyant ne bhi socha ki agar wo uske sath hi rahega to zyada behtar hoga. Mumkin hai ki naqaab wale ko is tarah se kuch karne ka mauka mil jaye aur wo apne is mauke ke chalte police ki pakad me bhi aa jaye.

Inspector dushyant ne flat par tainaat police walo ko chhutti de di ye kah kar ki shaam ko fir se yahi par tainaat ho jana. Uske baad gipsy me baith kar wo teeno thane nikal gaye. Dushyant ko das baje vidhi ke paas jana tha kyo ki vidhi ko wakeel se milne jana tha. Is liye das baje tak dushyant thane me raha aur fir wo vikrant ke paas avinash ko chhod kar vidhi ke ghar chala gaya.

Raaste me dushyant ke mobile par vidhi ka call aaya. Phone par vidhi ne usse puchha ki aa rahe ho na to dushyant ne use bataya ki wo raaste me hi hai. Khair kuch hi der me wo vidhi ke ghar pahuch gaya. Vidhi ne darwaza khol kar use andar bulaya.

"Mujhe laga ki zaruri kaam me busy ho gaye hoge." Vidhi ne kaha_____"To nahi aaoge ya fir shayad bhool gaye hoge."
"Sawaal hi nahi paida hota." Dushyant ne halki muskaan ke sath kaha_____"Apni pyari si dost ko kaise bhool jaauga main.? Sab kuch bhool sakta hu par tumhe nahi."

"Achha ji." Vidhi ne uski taraf gahri nazar se dekhte huye kaha_____"Aisi baat hai kya.?"
"Koi shak hai kya.?" Dushyant ne bhi uski jheel si gahri aankho me dekhte huye kaha to vidhi ne fauran hi apni nazre hata li aur fir baat badalte huye boli_____"Breakfast na kiya ho to le aau tumhe.?"

"Waise to main breakfast kar ke aaya hu." Dushyant ne uske baat badalne par muskurate huye kaha_____"Par tumhare hath ka bana zarur khaauga. Maine bahut socha aur fir ye faisla kiya ki tumse achha khana koi nahi bana sakta."

"Main tumhare liye breakfast le kar aati hu." Vidhi ne muskurate huye kaha______"Aur haan is tareef se kuch nahi hoga. Kuch aur socho."
"Ohh aisa kya." Dushyant pahle to hadbadaya fir muskurate huye bola_____"Zarur sochuga...balki ab to sochna hi padega."

Dushyant ki is baat par vidhi ne palat kar use dekha aur fir bina kuch bole kitchen ki taraf badh gayi. Idhar dushyant sochne laga ki vidhi ne usse ye kyo kaha ki is tareef se kuch nahi hoga balki kuch aur socho.? Kahi wo samajh to nahi gayi thi ki maine kis liye uski tareef ki thi.? Khair agar wo samajh bhi gayi hai to achha hi hai. Uski baato se to yahi zaahir hua ki use mera tareef karna achha laga hai magar wo kuch aur hi sunna chaahti hai...par kya.?

"Itna zyada mat socho." Dushyant abhi apne man me ye sab soch hi raha tha ki tabhi wo vidhi ki awaaz se chaunka, jabki vidhi ne saamne table par plate rakhte huye kaha_____"Ye sab itna asaan nahi hota."
"Main kaha kuch soch raha hu.?" Dushyant ne baukhlaye huye lahje se kaha.

"Itni bevkoof nahi hu main." Vidhi ne saamne sofe par baithte huye kaha_____"Jitna ki tum samajh rahe ho. Khair chhodo, breakfast kar lo. Fir hame nikalna bhi hai jaldi."
"Main bhala kaise tumhe bevkuf samajh sakta hu.?" Dushyant ne chammach se plate me rakhe pohe ko le kar apne muh me daalne ke baad kaha_____"Balki main to ye maanta hu ki tum is duniya ki bahut hi khubsurat aur hoshiyaar ladki ho aur main is duniya ka bahut hi khushnaseeb insaan hu, kyo ki aisi ladki meri dost hai."

"Ohh to yahi sab soch rahe the tum." Vidhi ne hairaan hone ki maano acting ki_____"Khair tumhari jaankari ke liye main bata du ki tumhari is tareef me bhi kuch khaas nahi tha. Kuch aur socho."
"Kamaal hai." Dushyant ne kaha_____"Life me pahli baar aisa hua hai ki kisi ne meri baat ko khaas maanne se inkaar kiya hai."

"Haan samajh sakti hu." Vidhi ne jaise afsos jatate huye kaha_____"Life me kabhi kabhi bad luck aur bad feelings ka bhi saamna karna padta hai."
"Kya tum mera mazaak uda rahi ho.?" Dushyant ne vidhi ki taraf dekhte huye kaha.
"Police wale tum ho." Vidhi ne apne kandhe uchkaate huye sapaat bhaav se kaha______"Is liye agar tum dimaag rakhte ho to samajh jaaoge ki meri baato ka kya matlab ho sakta hai."

"Main to ye samajh raha hu." Dushyant ne kaha______"Ki aaj tum kisi alag hi roop me nazar aa rahi ho. Rahi baat iski ki main tumhari baato ka kya matlab samajh jaauga to is baat par main yahi kahuga ki kuch cheeze aisi hoti hain jinme dimaag ka dakhal nahi chalta, balki maamla dil ke supurd hota hai."

"Main kapde change kar ke aati hu." Vidhi ne sofe se uthte huye kaha aur fir wo dushyant ka koi jawaab sune bina hi ek taraf ko chali gayi. Uske is tarah chale jane par dushyant bas muskura kar rah gaya. Wo samajh gaya ki vidhi ko uski baat ka matlab samajh me aa gaya tha magar wo us bare me filhaal koi baat nahi karna chaahti thi. Halaaki wo uski baato ka jawaab apne tarike se bhi de sakti thi magar usne nahi diya. Matlab saaf tha ki uske man me kuch to tha.

Kareeb das minute baad dono ghar se nikle. Raaste me dono ke beech normal baate hi huyi. Jaise ki wakeel se kis silsile me milne ko kaha tha vidhi ke dad ne. Vidhi ne dushyant ko bataya ki uske dad ne usse kaha tha ki wakeel se mil kar wo karobaar ke bare me baat kare aur ye bhi ki kaun kaun si property ko bacha kar baaki property ko bechna hai. Asal me vidhi ne apne dad se saaf kah diya tha ki wo unke itne bade karobaar ko akele nahi samhaal sakti hai is liye wo utna hi karegi jitne me use zyada problem na ho. Sudhanshu bhatiya ko bhi yahi thik laga ki uski beti ke liye paryaapt daulat to usne banaya hi tha is liye kyo wo uske upar itna bada bhaar rakhe. Itne naajo se pali badhi apni beti ki baat maan kar usne yahi salaah di ki wakeel se mil kar wo apne anukool baat kar le. Wakeel sudhanshu ka khaas dost tha jise vidhi bhi achhi tarah jaanti thi.

Aadhe ghante baad vidhi ke batane par dushyant ne gipsy ko ek makaan ke saamne roka. Uske baad dono gipsy se utre aur fir makaan ke darwake ke paas aa gaye. Vidhi ne doorbell bajaaya to kuchh hi der ne darwaza khula. Darwaza kholne wali ek aurat thi. Vidhi par nazar padte hi uske chehre par khushi ki chamak ubhar aayi magar uske sath ek police wale ko dekh kar uske maathe par shikan bhi ubhar aayi. Vidhi ne usse dushyant ka parichay karaya tab ja kar wo sahaj huyi aur fir usne dono ko andar aane ka raasta diya.

Kuch hi der me wo dono us aurat ke sath dring room me pahuche. Aurat ne dono ko baithne ko kaha aur khud andar ki taraf chali gayi. Kuch der me jab wo waapas aayi to uske sath me ek aadmi bhi aaya. Aadmi ne vidhi ko dekhte hi khush hote huye usse uska haal chaal puchha aur dushyant se bhi hello kiya. Aupchaarik baato ke baad mudde par baatcheet shuru huyi.

"Main to aaj bhi ye soch kar hairaan hu ki sudhanshu ne aisa kyo kiya.?" Wakeel ne gahri saans lete huye kaha_____"Main uska mitra tha magar usne mujhe bhi is bare me kuch nahi bataya tha. Khair main kuch din pahle jail me usse milne gaya tha, tab usse meri is sabke bare me aur karobaar se sambandhit bahut si baate huyi thi. Wo apne kiye par behad sharminda tha aur dukh jatate huye yahi kah raha tha ki jane ab uski beti kaise apni zindagi jiyegi. Itne bade karobaar ko samhaalna uske bas ka nahi hai is liye wo chaahta hai ki main uske karobaar ko chhota karu taaki tum use sahajta se samhaal sako. Baaki kuch property jo usne alag alag jagaho par banaayi thi use bech kar uska sara paisa tumhare account me dalwa du ya fir kahi fix kar du jisse usse bhi aay banti rahe."

"Aapko jo sahi lage wo kijiye uncle." Vidhi ne gambheerta se kaha_____"Main to bas ye jaanti hu ki mujh akele ke liye jo kuch abhi hai wahi bahut hai. Waise maine ye socha hai ki property bechne se jo paisa milega usme se kuch paisa main anaath aur besahara bachcho par kharch karu. Taaki wo achhe se padh likh kar apna ek ujjwal bhavishya bana sake."

"Ye to bahut achhi baat hai vidhi beta." Wakeel avdhesh rai ne kaha_____"Mujhe khushi huyi ki tumne un anaath aur besahara bachcho ke liye aisa socha."
"Bas to fir aisa hi kijiye uncle." Vidhi ne kaha_____"Baaki karobar ka main dekh lugi. Aap jitna jaldi ho sake ye sab karwa dijiye."
"Theek hai beta." Avdhesh rai ne kaha_____"Main koshish karuga ki ye sab kaam bahut jald ho jaye."

Abhi ye sab baate chal hi rahi thi ki tabhi wo aurat tray me kuch le kar aayi aur center table par tray ko rakh diya. Tray me paani se bhare kaanch ke glass the aur plates me naasta. Tray ko table par rakhne ke baad wo aurat bhi wakeel ke bagal me baith gayi. Wo aurat shayad wakeel avdhesh rai ki biwi thi.

Baato ka daur kaafi der tak chalta raha. Is beech avdhesh rai ne inspector dushyant se bhi kaafi saari baate ki. Rai ke puchne par vidhi ne bataya ki inspector dushyant ne uski kafi madad ki hai aur wo uska ek achha dost hai. Halaaki wakeel ki anubhavi nazro ne taad hi liya ki dono ke beech dosti ke alawa bhi bahut kuch hai magar usne is bare me unse kuch kaha nahi.

Ek ghante baad dushyant aur vidhi waha se nikle aur waapas apne ghar ki taraf chal pade. Raaste me dushyant ne bhi vidhi ki tareef karte huye kaha ki usne anaath aur besahara bachcho ke liye itna kuch karne ka soch kar bahut achha kiya hai. Khair dono isi bare me baate karte huye aadhe ghante me vidhi ke ghar pahuch gaye. Vidhi ko uske ghar drop kar ke inspector dushyant apne thane chala gaya.



<>•<>•<>
good update
 
  • Like
Reactions: TheBlackBlood

mashish

BHARAT
8,082
25,904
203
BEGUNAAH
Update - 13

Ab Tak,,,,,

Ek ghante baad dushyant aur vidhi waha se nikle aur waapas apne ghar ki taraf chal pade. Raaste me dushyant ne bhi vidhi ki tareef karte huye kaha ki usne anaath aur besahara bachcho ke liye itna kuch karne ka soch kar bahut achha kiya hai. Khair dono isi bare me baate karte huye aadhe ghante me vidhi ke ghar pahuch gaye. Vidhi ko uske ghar drop kar ke inspector dushyant apne thane chala gaya.

Ab Aage,,,,,

Vidhi ko uske ghar drop karne ke baad inspector dushyant thaane aa gaya. Uske baad wo shaam tak thane me apne kaam par hi busy raha. Sub-inspector vikrant rane ko usne kisi kaam se baahar bhej diya tha jabki avinash dushyant ke sath thane me hi raha. Shaam ko teeno hi gipsy me baith kar flat aa gaye the. Is beech shaam ko dushyant ke mobile par vidhi ka phone bhi aaya tha use. Wo use dinner ke liye invite kar rahi thi magar dushyant ne beman se inkaar kar diya tha, ye kah kar ki wo next morning me uske sath hi breakfast karega.

Flat me aa kar sabne pahle khud ko fresh kiya uske baad avinash dinner banane chala gaya. Dushyant aur vikrant aapas me baate kar rahe the. Jab dinner taiyaar hua to sabne ek sath khana khaya aur fir dushyant ke kahne par avinash apne kamre me sone chala gaya. Jabki dushyant aur vikrant dring room me rakhe sofo par baith kar baate karne lage. Flat se baahar aaj raat fir se teen police walo ko dushyant ne pahre par laga diya tha.

"Kya lagta hai sir aapko.?" Vikrant ne kaha_____"Wo naqaab posh aisa kyo chaahta hai ki avinash yaha nahi balki kahi aur rahe.? Kya sirf isi liye ki wo apne track recard ke anusaar fir se use waise hi jurm me fasa sake jis jurm me wo ab tak avinash ko fasata aaya hai ya fir iske peeche koi dusri vajah bhi hai.?"

"Sach kahe to baat ye hai pyare." Dushyant ne cigarette ka gahra kash lene ke baad kaha_____"Ki filhaal hamari samajh me bhi kuch nahi aa raha. Waise ye to ab clear ho chuka hai ki avinash ne hame jo kahani sunaayi thi wo jhoothi nahi thi balki sach thi aur is baat ko yaswant ne bhi pata karke sach hi saabit kiya tha. Wahi pichhli raat jo waakya hua usse bhi ye baat clear ho gayi ki avinash ka koi dushman hai jo use ek hi jurm me baar baar fasa raha hai. Ye alag baat hai ki hamari laaparwaahi ki vajah se ya ye kahe ki na-ummeedi ki vajah se wo naqaab posh hamari naak ke neeche se kaand kar ke chala gaya aur hamare hath usse sambandhit koi suraag na lag saka. Khair ab raha is sawaal ka jawaab ki wo avinash ko kya sirf apne track recard ke liye hi ek hi jurm me fasana chaahta hai ya uske peeche koi dusri vajah bhi hai to is bare me ham kuch bhi thos roop se kah nahi sakte. Uski is harkat se to yahi lagta hai ki wo kuch bhi kar ke avinash ki yaad daast waapas lana chaahta hai. Halaaki sawaal ye bhi hai ki avinash ki yaad daast waapas lane ke liye use har baar ek hi tareeka apnane ki kya zarurat hai.? Balki use karna to ye chahiye ki agar uske is tareeke se baat nahi ban rahi hai to avinash ki yaad daast waapas lane ke liye koi dusra tareeka apnana chahiye magar wo aisa nahi karta. Yaha par ek aur sawaal ubharta hai ki kya uske zahen me ye baat nahi aayi hogi ki use koi dusra tareeka bhi apnana chahiye.? Yakeenan aayi hogi my dear....iske baavjud wo apne tareeke ko nahi badalta. Iska matlab ye hua ki wo ya to sanki aur sirfira type ka hai ya fir wo jaan bujh kar aisa kar raha hai, ya fir aisa karne ke peeche koi aisi khaas vajah hai jiske bare me filhaal ham soch nahi sakte."

"Badi ajeeb aur hairaan karne wali baat hai sir." Vikrant ne gahri saans lete huye kaha______"Avinash ke maamle ko aaj maheene bhar se zyada ho gaya magar na to ham avinash ke bare me kuch jaan sake aur na hi uske dushman yaani us naqaab posh ke bare me. Halaaki pichhli raat jo kuch hua usse hame sab kuch pata chal sakta tha magar wo ek aisa waakya tha jiske hone ki hamne ummid hi nahi ki thi."

"Maamla to ek din khuli kitaab ki tarah hoga pyare." Dushyant ne kaha______"Aur uski shuruaat bhi ho chuki hai. Pichhli raat us naqaab wale ne jo kuch kiya hai usse usne apne utaawlepan ka saboot de diya hai. Usne ye bhi zaahir kar diya hai ki wo avinash ke liye kitna serious hai. Aisi situation me yakeenan insaan galtiya karta hai aur hame us naqaab wale ki aisi hi galti ka intzaar hai. Ab dekhna ye hai ki avinash ko kahi aur na rahne jane ki baat se wo kitna gussa hota hai aur fir gusse me wo kya karta hai.?"

"Hamne uske liye jaal to bichha diya hai sir." Vikrant ne kuch sochte huye kaha______"Magar hame is baat par bhi dhyaan dena chahiye ki kya wo akela hoga.? Mera matlab hai ki itna to use bhi pata hi hoga ki is baar uske liye avinash ko fasana asaan nahi hoga, kyo ki avinash is baar police ki protection me hai. Is liye mumkin hai ki wo avinash ko fasane ke liye kuch alag kare aur uske is kaam me uski help ke liye kuch aur log uske sath ho.?"

"Bilkul ho sakte hain pyare." Dushyant ne man hi man vikrant ki soojh boojh ki saraahna ki kintu pratyaksh me usne bola_____"Avinash ki kahani ke anusaar use jab pahli baar hosh aaya tha to usne khud ko ek khadaan me khoon se lathpath haalat me paya tha. Zaahir hai use us haalat me us khadaan par pahuchane ka kaam kisi ek aadmi ne to nahi kiya hoga. Avinash ki personality ek hatte katte aur tandurust byakti ki hai. Aaj wo bhale hi apni yaad daast jane ki vajah se lachaar ya bebas ho magar apni real life me wo itna bebas aur lachaar nahi raha hoga. Ham nahi jaante ki usne apni pichhli zindagi me kisi ke sath kya bura kiya tha magar naqaab wale ki baato se ye zaahir hai ki koi chhota mota kaand isne bhi nahi kiya hoga. Kahne ka matlab ye hai ki naqaab wala akela nahi ho sakta hai. Yakeenan uske sath aur bhi log honge."

"Fir to hame avinash ki protection ke liye aur zyada police walo ko yaha par lagana hoga sir." Vikrant ne jaise uttejit bhaav se kaha______"Wo sanki aur sirfira apni kahi baat ko pura karne ke liye kisi bhi had tak ja sakta hai. Agar maamla sangeen hua to avinash ki protection ke liye itni security kam hi padegi."

"Baat to tumhari thik hai dear." Dushyant ne kaha_____"Magar fikar ki koi baat nahi hai. Apne aap par bharosa rakho. Tumhi ne to avinash ki security ke liye achha khasa intjaam kiya hai. Yaani ki koi bhi ajnabi insaan agar is flat me ghusne ki koshish karta hai to andar laga alert alarm bajne lagega aur fir palak jhapakte hi yaha tainaat ham aur hamare police wale harkat me aa jayege. Flat ke andar ghusna ab itna asaan nahi hoga us naqaab wale ke liye."

"Fir bhi sir." Vikrant ne kaha_____"Hame is security ki vajah se befikra bhi to nahi hona chahiye."
"Itne halkaan na ho pyare." Dushyant ne sofe se uthte huye kaha_____"Yakeen maano hame bhi utni hi fikra hai jitni ki tumhe. Khair ab jaao so jaao...good night."
"Good night sir." Vikrant ne kaha aur khud bhi sofe se uth gaya. Jabki dushyant apne hotho par halki si muskaan sajaye palta aur apne kamre ki taraf chala gaya. Dushyant ke jane ke baad vikrant bhi apne chehre par kayi tarah ke bhaav liye avinash ke kamre ki taraf badh gaya.


<>•<>•<>

Aasmaan me taare to timtima rahe the magar unke beech se chaand nadaarad tha. Dharti par har jagah andhera faila hua tha. Kisi kisi imaarat me roshni nazar aa rahi thi aur sadko par lage khambhe bhi roshan the magar ek taraf ek imaarat andhere me doobi huyi thi. Us imaarat ke chaaro taraf andhera hi andhera tha. Imaarat ke baye side kuch pedh lage the aur unhi me se ek pedh ki aad liye ek insaani saya khada tha. Uske jism par kala syaah libaas tha jo uske sir se le kar paanv tak tha. Chehre par lage kale naqaab se uski aankhe kisi ullu ki tarah chamakti nazar aa rahi thi.

Pedh ki aad me chhupa wo saya abhi kuch hi der pahle yaha aaya tha aur apni aankho ke saamne maujood imaarat ko bade gaur se dekh raha tha. Beech beech me wo apne aas paas ka bhi jaayja le leta tha. Kuch der tak wo yu hi chup chaap us pedh ki aad me khada raha uske baad usne ek baar fir se apne aas paas ka jaayja liya aur fir pedh ki aad se baahar nikla.

Jis taraf wo tha wo imaarat ka bagal wala hissa tha. Fiza me ek ajeeb si khamoshi chhaayi huyi thi. Pedh ki aad se nikal kar wo dabe paanv imaarat ke front ki taraf badh chala. Kuch door chalne ke baad wo ekdam se ruk gaya. Usne ek baar fir se chaaro taraf dekha aur fir sir ko upar ki taraf uthaya. Uski nazar imaarat ki khidki par padi. Khidki kaanch ke pallo wali thi magar uske saamne koi balcony jaisi koi baat nazar nahi aayi use. Kuch der tak us khidki ko dekhne ke baad usne fir se aas paas ka jaayja liya aur imaarat ki front side ki taraf tezi se badha. Kuch hi doori par use ek jeep khadi dikhi. Imaarat ke is side par use halki roshni nazar aayi, halaaki roshni paida karne waali cheez use nazar nahi aayi. Shayad wo imaarat ki dusre side kahi par thi.

Kala saya kuch der tak us jeep ke kareeb khada idhar udhar dekhta raha fir wo jeep ki hi aad liye imaarat ke bade se gate ki taraf badh chala. Kuch hi kadmo me wo gate ke paas pahuch gaya. Jab wo gate ke paas aaya to use halki roshni me cheeze saaf nazar aayi. Gate ke aage ek porch tha jisme mote mote do pillar the. Bade se gate ke dono taraf kaanch ki hi do khidkiya thi. Saye ne charo taraf chhaayi khamoshi ko dhyaan se suna aur fir gate ki taraf palta. Usne apne kaale labaade me apna ek dastana yukt hath dala. Do pal ke andar hi usne apne labade se koi patli taar jaisi cheez nikaali aur badi saavdhani us cheez ko gate ke key hole me daala. Us patli taar jaisi cheez ko key hole me daalne ke baad wo kuch der tak apne us haath ko idhar udhar karte huye kuch karta raha. Thodi hi der me naqaab ke andar uske hotho par muskaan ubhar aayi.

Kale saye ne gate ko dono hatho se andar ki taraf dhakela magar gate andar ki taraf na gaya. Ye dekh kar uske hotho ki muskaan gayab ho gayi aur jabde shakhti se kas gaye. Darwaze se hath hata kar wo kuch der sochta raha aur fir usne darwaje ke bagal se diwaar par lagi ek button me ungli rakh ke use push kiya to imaarat ke andar kahi bell ki awaaz use saaf sunaayi di. Kafi der baad bhi koi pratikriya hoti na dekh usne button ko fir se push kiya. Andar bell ki awaaz uske kaano me padi magar bell bajne par is baar bhi koi pratikriya na huyi. Ye dekh kar naqaab ke andar uske maathe par pareshani ke bhaav ubhar aaye aur sath hi uske jabde aur bhi zyada shakhti se kas gaye.

Do teen baar ki koshish par bhi jab koi parinaam na nikla to saye ko shayad gussa aa gaya tha aur usne usi gusse me palat kar idhar udhar dekha. Porch ke baahar ek taraf use patthar pada dikha. Wo tezi se badha aur us patthar ko dono hatho se utha kar waapas darwaze ke paas aaya. Kuch palo tak jane wo kya sochta raha uske baad usne us patthar ko bade veg se darwaze ke bagal se maujood kaanch ki khidki par de mara. Parinaamswaroop khidki me maujood kaanch khankhanante huye toot kar bikhar gaya aur kaanch ke tootne aur bikharne ki awaaz se watawaran jhanjhana kar rah gaya.

Patthar lagne se khidki ke ek palle ka kaanch aadhe se zyada toot kar bikhar gaya tha aur usme ek bada sa hole ho gaya tha. Kala saya kuch der tak us bade se hole ko dekhta raha aur kaanch ke tootne se jo awaaz huyi thi us awaaz se hone wali pratikriya ka intzaar karta raha magar koi pratikriya na huyi. Ye dekh kar uske hotho par ek baar fir se muskaan ubhar aayi aur fir wo ek baar fir palat kar porch ke baahar aaya. Aas paas kisi dusre patthar ki khoj me usne apni nazre ghumaayi. Jald hi use ek taraf pada ek aur patthar dikh gaya. Usne ja kar us patthar ko uthaya aur waapas khidki ke paas aa kar usne us patthar ko usi veg se khidki par de mara. Nateeja ek baar se kaanch toot kar bikhra aur watawaran uski awaaz se jhanjhana gaya magar is baar us awaaz se pratikriya huyi.

Imaarat ki upar wali khidki par bulb jalne se abhi abhi roshni huyi thi. Thodi hi der me saye ke kaano me kisi ke aane ki awaaz padi aur iske sath hi khidki ke us paar ekdam se tez roshni hoti bhi dikhi use. Roshni hoti dekh wo saya bijli ki speed se khidki ke paas se hata aur fir porch se nikalte huye us jeep ke peeche ja kar andhere me chhip gaya. Uski nazar darwaze par hi tiki huyi thi, shayad use is baat ka intzaar tha ki andar se darwaza kholne ke liye kaun aa raha hai.


<>•<>•<>

Inspector dushyant apne kamre me bed par leta hua tha. Use neend nahi aa rahi thi. Badi mushkil se use neend ke ashaar nazar aaye the ki tabhi sirhaane par rakha uska mobile phone baj utha tha. Raat ke gahan sannate me mobile ki awaaz use aisi lagi jaise kisi ne uske sirhaane me nagada baja diya ho. Mobile ke bajne se dushyant ki neend me maano khalal pad gaya tha. Usne bura sa muh banate huye pade pade hi apne hath ko mobile ki taraf badhaya aur fir mobile ko le kar usne mobile ki screen par flash kar rahe naam ko dekha to uske chehre par chaunkne ke sath sath sochne ke bhi bhaav ubhar aaye. Usne fauran hi call receive ki aur mobile ko apne kaan se laga liya. Kaan se lagate hi uske kaano me jo awaaz padi aur jo kuch udhar se kaha gaya use sun kar dushyant buri tarah uchhal pada tha. Muh se bas itna hi nikal saka ki_____"Whaaaaat.?????"

Udhar se jane kya kya kaha ja raha tha jise sun kar dushyant ne baad me ye kah kar phone rakh diya ki_____"Main aa raha hu. Tum ghabrana nahi aur andar hi rahna."

Dushyant ek jhatke se utha aur kamre ki light on ki. Uske baad usne aanan faanan me apne kapde pahne aur service revolver ko apni kamar me thoos kar wo badi tezi se kamre se baahar aaya. Abhi wo kamre se baahar aaya hi tha ki wo kisi se takrate takrate bacha. Samhal kar dekha to paya ki uske saamne vikrant apne chehre par ajeeb se bhaav liye khada tha.

"Kya baat hai sir.?" Vikrant ne na samjhne wale andaaz se puchha_____"Aap is wakt itni jaldi me kaha ja rahe hain.? Sab kuch thik to hai na sir.?"
"Is wakt kuch bhi batane ka time nahi hai rane." Dushyant ne sapaat lahje me kaha______"Tum avinash ke sath hi rahna. Hame is wakt kahi pahuchne ki jaldi hai. Kal thane me hi mulakaat hogi."

Inspector dushyant vikrant ki koi baat sune bina hi tezi se baahar nikal gaya. Baahar aate hi wo apni police gipsy me baitha aur use start kar badi speed me ek taraf gipsy ko daudata chala gaya. Uske chehre par is wakt patthar jaisi kathorta ubhar aayi thi aur maathe par hazaro tarah ke rang ubharte aur lupt hote nazar aa rahe the. Raat ke sannate me uski police gipsy badi tezi se sadak ko raundati huyi chali ja rahi thi.

Kareeb paanch minute baad aandhi tufaan bani uski gipsy ek makaan ke samne ruki. Dushyant badi tezi se gipsy se utra aur makaan ke bade se darwaze ke paas fauran hi pahucha. Makaan ki upar wali khidki me roshni nazar aa rahi thi. Dushyant jaise hi darwaze ke paas pahucha to uski nazar bagal wali khidki par padi aur khidki ka haal dekhte hi uske chehre par chaunkne jaise bhaav ubhar aaye. Abhi wo khidki ke toote huye hisse ko dekh hi raha tha ki tabhi darwaza khula.

Dushyant ka dhyaan darwaza khulne ki awaaz par bhang hua aur usne us taraf dekha. Khule darwaze se vidhi daudte huye aayi aur ek jhatke se usse lipat gayi. Dushyant se lipti vidhi buri tarah ghabraayi huyi thi aur usi ghabrahat me roye bhi ja rahi thi. Dushyant uski haalat samajh sakta tha is liye usne bhi use apni baaho me kisi bachche ki tarah chhupka liya aur use shaant karne laga. Kuch der baad wo vidhi ko liye darwaze se andar aa gaya. Andar aa kar usne darwaza band kiya aur fir vidhi ko khud se alag karte huye use dring room me le aaya.

Dushyant ke prayaas se aakhir vidhi chup huyi. Uska aanshuo se tar chehra surkh pad gaya tha aur wo behad ghabraayi huyi lag rahi thi. Dushyant use sofe par baithane ke baad utha aur kitchen se ek glass paani le aaya. Vidhi ko usne apne hatho se paani pilaya. Uske khud ke andar is wakt aandhiya si chal rahi thi. Vidhi ne phone par use bataya tha ki koi uske ghar me ghusne ki koshish kar raha hai aur ghar ke andar ghusne ke liye usne khidki ke kaanch ko fod diya hai. Dushyant ne use samjhate huye kaha tha ki wo apne kamre me hi rahe aur kamre se baahar na nikle, wo fauran uske paas aa raha hai.

"Ab bataao kaun tha wo.?" Vidhi ko thoda normal hote dekh dushyant ne usse bade pyar se puchha.
"Main nahi jaanti use." Vidhi ne kaampte swar me kaha_____"Kyo ki uska chehra kaale rang ke naqaab me chhupa hua tha. Uske pure shareer par kaale rang ke hi kapde the, yaha tak ki uske pairo ke joote bhi kaale the aur haatho me kaale rang ke hi dastaane the."

Vidhi ki baat sun kar dushyant sofe par baitha is tarah uchhal pada tha jaise wo sofa achanak hi garm tave me tabdeel ho gaya ho. Mano mastishk me jaise vishfot hua aur fir ek hi jhatke me uske dimaag ki batti roshan ho uthi. Use samajhte der na lagi ki wo naqaab wala asal me kaun tha. Yakeenan wo wahi tha jisne avinash ko mara tha aur use jaan se maarne ki dhamki bhi di thi. Dushyant ke pure jism me ajeeb si jhurjhuri huyi aur zahen me sawaal ubhra ki wo vidhi ke ghar me kyo ghus raha tha.? Bhala vidhi se uska kya sambandh ya fir vidhi se uski kya dushmani ho sakti hai.?

"Tumhe pata kaise chala.?" Dushyant ne kaha_____"Ki koi ghar me ghusne ki koshish kar raha hai.?"
"Main goli kha kar gahri neend me soyi huyi thi." Vidhi ne ye kaha hi tha ki dushyant ne uski baat kaat kar chaunkte huye puchha______"Goli kha kar kyo.? Tumhari tabiyat to thik hai na.?"

"Wo jab se mom ki maut huyi hai." Vidhi ne thoda dukhi hote huye kaha_____"Aur dad ko unka khoon karne ke jurm me umar kaid huyi hai tab se main akeli ho gayi hu. Itne bade ghar me mujhe har wakt unki hi yaad aati hai aur us sab ke bare me soch soch kar akele me rone lagti hu. Is vajah se raato me neend nahi aati to neend ki goli kha kar soti hu."

Vidhi ki is baat se dushyant ko bahut bura laga aur use vidhi par behad taras bhi aaya. Uska was chalta to wo use har wakt apne seene se chhupkaye rahta. Aaj ke is haadse ne use vidhi ke liye fikarmand kar diya tha.

"Fir kya hua.?" Pratyaksh me dushyant ne usse puchha.
"Main gahri neend me soyi huyi thi." Vidhi ne batana shuru kiya_____"Magar neend me bhi mujhe aisa lag rah tha jaise kahi bell baj rahi hai. Lekin meri neend tab bhi nahi khuli...shayad neend me hi us bell ka bajna mujhe khwaab jaisa lag raha tha. Fir ekdam se tez awaaz huyi jisse meri neend khul gayi magar bed se uthi nahi balki us awaaz ko waham samajh kar maine fir se apni aankhe band kar li. Kuch hi palo me fir se tez awaaz huyi to is baar main buri tarah chaunki. Kyo ki is baar maine saaf saaf kuch tootne ki awaaz suni thi. Maine jaldi se table lamp jalaya aur bed se neeche utar aayi. Hamara ye ghar sabse alag bana hua hai aur iska area bhi bada hai is liye maine yahi socha ki awaaz mere hi ghar ke neeche se aayi hai. Kisi dusre ke yaha se awaaz aane ka to sawaal hi nahi tha. Raat ke sannate me mujhe dar bhi lag rah tha magar main dekhne ke liye apne kamre se niche ki taraf chal padi ki kis cheez ke tootne ki awaaz aayi thi. Seedhiyo se utar kar jab main neeche aayi to maine dring room me roshni ki aur jab baahar wale darwaze ki taraf dekha to chaunk gayi. Kyo ki waha farsh par kaanch hi kaanch bikhra hua tha. Meri nazar khidki par padi to dekha ki khidki par lage kaanch ke dono palle toote huye the. Ye dekh kar mere man me ek hi khayaal aaya ki koi chor ghar me ghusne ki koshish kar raha hai aur main ye soch kar behad dar bhi gayi ki itni raat ko agar koi chor andar aa gaya to main kya kar lugi us chor ka. Balki wo chor mere sath hi kuch ulta seedha kar sakta hai. Abhi main ye soch hi rahi thi ki tabhi meri nazar khidki ke us paar achanak aa gaye us chor par padi. Uske pure jism me kaale kapde the aur wo meri taraf hi dekh raha tha. Use apni taraf dekhta dekh main bahut zyada dar gayi aur jaise hi wo khidki ki taraf badha to main dar ke maare cheekhte huye waapas seedhiyo ki taraf palti aur tezi se upar apne kamre ki taraf bhaag chali. Kamre me aa kar maine darwaza band kar diya. Main itna dar gayi thi us kaale chor se ki mera dimaag hi kaam nahi kar raha tha. Main apne kamre ke andar darwaze se peeth tikaye sahmi si khadi thi ki tabhi mujhe tumhara khayaal aaya aur fir maine tumhe phone kiya."

"Uske baad kya wo naqaab wala andar aaya tha.?" Vidhi chup huyi to dushyant ne shashank bhaav se puchha.
"Mujhe nahi pata ki wo aaya ki nahi." Vidhi ne kaha_____"Tumne phone par kaha tha ki main apne kamre me hi rahu is liye main kamre se baahar hi nahi gayi. Balki tabhi baahar aayi jab maine apne kamre ki khidki se tumhe yaha aate huye dekha. Mujhe nahi pata ki wo kale kapde wala ghar ke andar aaya tha ki nahi. Kyo ki uske baad neeche se kisi tarah ki awaaz nahi aayi thi."

"Shayad uska maksad." Dushyant ne kuch sochte huye gambheerta se kaha_____"Sirf tumhe darana tha."
"Kya matlab.???" Vidhi ke maathe par shikan ubhar aayi, fir boli_____"Wo bhala mujhe kyo darana chaahta tha.? Aakhir uski mujhse kya dushmani ho sakti hai.?"

"Uski dushmani tumse nahi hai vidhi." Dushyant ne gahri saans lete huye kaha______"Balki ab shayad mujhse bhi ho gayi hai."


<>•<>•<>
superb update
 
  • Like
Reactions: TheBlackBlood
Top