"Komal di chalo na coffee peete hai"nisha Komal ka haath pakadte hue boli
Komal muskurai.nisha dekh rahi hai ki rohan a raha hai ya nahi.bhale hi wo Komal ko na bata paaye.lekin uske aankhon me abhi bhi intezar hai rohan ka
"Waise nisha jaana zaroori tha kya??"Komal ne poochha
"Haan Komal di.family ki yaad a rahi hai.mummy papa wahan akele hai.samajh to sakti hai na aap??"nisha boli
Komal chup rahi.kya kehti,nisha ki hi zid thi yahan aane ki.komalmse.milne ki.isliye uske gharwalo ne usa me admission karwaya uska.lekin wahi aaj nisha wapas india jaane ki zid pakadkar baithi hui hai
"Waise aapka aur yash bhaiyya ka pyaar kaise aage badh raha hai aapne bataya nahi??"nisha baat badalne ki koshish ki
Komal sunkar thoda pareshan ho gayi.kai mahine guzar gaye.komal ko yash ki aadat si lag gayi.haan hai thoda khoosat aur egoist
Lekin beech beech me itna khayal rakhta hai ki kya kehna
Poora support bhi karta hai.lekin kya pyaar karta hai Komal se???
Flight ki announcement hone lagi aur nisha ka man poori tarah se doob gaya tha.apne pair dheer dheere badha diye usne.komal ko gale laga kar aage badh gayi
Rohan haanf haanf kar daudne laga aur car parking ki jagah na milne par car wahi chodd daudne laga.daudte hue usne ghadi dekhi aur apni speed aur badha di.pocket se mobile nikala aur Komal ko phone lagane laga
Lekin phone not reachable tha.nisha ka number bhi lagaya lekin wo bhi not reachable nikla
Lekin rohan ne daudna nahi choda
Aakhirkar pasine me nahakar haanf kar pohuncha hi gaya airport.ander pohunchkar usne yahan waha dekha lekin kuch nazar nahi aaya use.counter par gaya to dekha ki delhi ki flight ja chuki hai
Aankhen nam ho gayi rohan ki.pair bhari hone lage.kuch samajh me nahi aaya aankhon ke saamne andhera chhane laga
"Rohan"ek Komal bhari awaz ke saath ek haath rohan ke kandhe par kisi ne rakha.rohan ne mudkar dekha ki Komal khadi thi peeche
"Bhabhi....."rohan itna hi bol paaya lekin uski aankhen use dhoka de gayi.aansu chalakne lage aankhon se
"Agar itna hi pyaar tha nisha se to batata kyun nahi??"Komal ne pyaar se poochha
Jawab me rohan wahi baith gaya aur apne haatho se chehre ko dhak rone laga
"Aur kitna tadpayegi ise.bahar aja"Komal boli aur hasne lagi
Rohan chaunk kar dekhne laga saamne nisha apna bag liye sar jhukakar khadi thi
"Ni....sha"rohan ki saansein wapas a gayi thi.use naya jeevan mil gaya tha
"Idiot itna pyaar karte the mujhse to pehle kyun nahi bataya"rote rote nisha boli
Rohan paas aakar gale lagane laga to nisha ne rok diya rote rote
"Apni manmani karte rahoge hamesha?shaadi kar rahe ho wo bhi apni marzi ke saath.mai hi pagal hoon jo tumse sachha pyaar karne lagi thi"nisha boli
"To bataya kyun nahi "rohan ne poochha
"Ladka tum ho ya mai??"nisha rote rote boli
Us baar Komal ki hasi choot gayi
"Komal di aap bhi"nisha Komal ki aur dekhte hue boli
"Agar tum dono ka ho gaya ho to chalein??"Komal ne ghadi dekhte hue poochha
Aur haste hue aage badhne lagi.tabhi ek call aya use
"Hello??"Komal ne poochha
"Komal kaisi ho??"sanchita ki awaz aayi doosri aur se
Sanchita ki awaz sunkar Komal serious ho gayi
"Mai koi baat nahi karna chahti tumse sanchita.please ainda call na karna"Komal boli
"Tab bhi nahi jab mai bolu ki tumse shaadi yash ne apne fayde ke liye ki thi.yahan tak ki abhi bhi fayde le raha hai tumse"sanchita boli
Komal ko gussa aaya man to kiya ki sanchita ke gaal par ek tamacha jad de.lekin apne aap ko sambhal liya usne
"Yakeen nahi ho raha hai na??to jao aur dekho kaise apne papa se usne zameen ke badale shaadi ke liye haa kiya tha,wo bhi yakeen na ho to dekho Khurana ke saath deal ke liye usne tumhe use kiya tha"sanchita boli
Komal ko pata tha yash kabhi use dhoka nahi dega.lekin sanchita ko sabak sikhana zaroori tha
"Agar aisa na hua to??"Komal boli
"To mera sar tumhari hoti,aur agar aisa hua to tumhe jo karna hai kar lena.bye"bol sanchita ne phone rakh diya aur Komal ko soch me daal diya