• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance BE-INTEHA-ISHQ

Status
Not open for further replies.

mashish

BHARAT
8,082
25,905
203
Update-41

" sab kuch check karliya hai na kuch bhule toh nahi na… Aaj ke mission ka kamiyab hona bohat hi ziyada zaruri hai ''

Ye baat yousuf ne kahi thi apne sathiyon se.

Ye sabhi log aaj raat ane wale container ko pakad ne ke liye nikal rahe they.

Yousuf ki baat sunkar sabhi ek sath yes sir kahte hai.

Sabhi ek van me baith kar nikal jate hai.

Iss samai sabhi ne ek black colour ki dress pahni hui thi jo puri tarha se bullet proof thi.

Sabhi logon ke paas hatiyar they.

Kuch hi der me ye log ek highway per pohanch kar apni van ko road se thoda andar chupa dete hai aur container ka intezar karte hai.

Idhar boss side :

Boss : sabhi log apne kaan aur ankh khuli rakhna aur kuch bhi gadbad dikhe toh Michal ko inform karna.

Boss apne samne khade logon se kahraha tha jo tadad me 50, 60 they.

Sabhi ek sath ok boss kahte hai.

Boss : Julie container kisi bhi waqt yahan asakata hai aur do container tayyar karo aur inko usme bitha kar ek samne aur ek peeche rakho aur jo main container hai usme Michal ko baithne ko kaho.

Julie : thik hai boss mai abhi bol deti hoon.

Ye kahkar Julie kisi ko call karti hai aur do container ko godon se lane ko kahti hai kuch hi der me do container ajate hai toh sabhi admi un do container me chad kar baith jate hai.

Boss : julie Michal kaha hai container kabhi bhi asakta hai.

Julie : boss who yahin hai jaise hi container ayega Michal usme baith kar nikal jayega.

Boss : hmm thik hai.

Kuch hi der me wahan ek container ata hai jaise hi container ata hai Michal bhi wahan ajata hai.

Boss : Michal dhiyan rahe koi chuk nahi honi chahiye.

Michal : aap befikar rahiye boss mere rahte hue kuch nahi hosakta.

Boss : mujhe pata hai isi liye toh tum ko bhej raha hoon aur haan iss baar shayed tumhara samna kisi aise se ho jiski shayed tumne koi kalpana bhi nahi ki hogi.

Michal : mujhe iski koi parwa nahi ke kon mere samne aye mujhe baas mere kaam se matlab hai.

Boss : hmm thik hai ab niklo.

Phir Michal us container me baith jata hai aur teeno container nikal jate hai.



Other side :

Idhar bhi ek team tayyar horahi thi usi container ko pakad ne ke liye jisko lead ek ladki karrahi thi.

Ladki (leader ): aaj kisi bhi haal me humko who container ko apne kabse me lena hi hoga.

Ladki 1 : yes madam har baar ki tarha iss baar bhi hum unke maal ko apne kabse me lelenge.

Ladka : haan madam unko harana humare liye koi badi baat nahi hai.

Ladki aur ladke ki baat sunkar ladki leader kahti hai.

Ladki ( leader ) : apne aap ko takatwar samhajna nasamaj logon ki nishani hai aur dushman ko kamzor samhajna bewakufon ki nishani hai. hum unse takatwar hai isme koi shak nahi magar dushman ko kabhi bhi kamzor nahi samhajna chahiye samjhe.

Ladki aur ladka : ji madam.

Ladki ( leader ) : abki baar humko sambhal kar humla karna hoga kyunke jo container hum apne kabze me lene wale hai usme bohat hi ziyada matra me RDX hai toh who log bhi puri tayyar me ayenge toh humko bhi puri takhat laga kar ladna padega.

Ladki : toh kya iss baar hum teeno ke alawa bhi koi our bhi humare sath jayega.

Ladki ( leader ) : haan humare sath apne khabile ke 10 ladke aur chal rahe hai woh log kabhi bhi yahan asakte hai toh tum log bhi unke liye hatiyar aur unke suit nikal do.

Phir who ladka aur ladki hatiyaron ke godon me jakar hatiyar nikalte hai aur 10 suit bhi nikalte hai jo ke white colour ke they .

Kuch hi der me 10 ladke wahan per ajate hai toh ye log do gadion me baith kar wahan se nikal jate hai aur usi highway per pohanch jate hai jaha per inspector shahed ki team iss waqt thi.

Dono team container ka intezar karne lagte hai aur kuch hi der me uss highway per container ata hua dikhta hai jise dekh kar yousuf hemanth ko ishara karta hai toh hemanth apne paas rakhe teen smoke boom ko ek jack ko ek arhaan ko aur ek khud lekar road ke kinare chala jata hai jaise hi container khareeb ane lagta hai teeno ek sath smoke boom road per phenk dete hai jiski wajha se wahan per dhuan dhuan hojata hai aur who container bhi ruk jate hai.

Jaise hi container rukta hai usme baithe hue admi bahar nikal jate hai sabhi ke paas hatiyar they.

Who log ass chaukanne hojate hai aur ass paas dekhne legte hai.

Dhuan abhi chata nahi tha isi ka faida utha kar yousuf sabhi ko attack karne ko kahta hai.

Sabhi apne silencer lagi hui gun se un gundon per nishana lagate hai aur dekhte hi dekhte wahan per kai gundon ko lashen girne lagti hai jise dekh kar kuch gunde sartak hojate hai aur container ke peeche chup jata hai.

Kuch hi der me dhua chat jata hai toh wahan per gundon ki lashen padi hui thi.

Abhi who gunde sambhal kar container ke dusri taraf chupe hi they ke dusri taraf se bhi firing hoti hai aur dekhte hi dekhte gundon ki tadad kam hone lagti hai.

Toh hua yun ke road ke dusri taraf dusri team thi jo pahle toh achanak dhua utne se chonk jate hai phir firing ki awaz sunkar sartak hojate hai aur jaise hi dhuan saaf hota hai toh container ke dusri taraf gundon ko chupta dekh kar duse team ki leader firing karne ka ishara karti hai aur dekhte hei dekhte gunde marne lagte hai.

Kuch der ke liye wahan per sannata hojata hai.

Dono team ko kuch der intezar karte hai aur ek sath hi haton me gun liye bahar nikalte hai aur ek dusre ke amne samne ajate hai.

Yousuf : apni gun neeche karo aur apne hath uper karo.

Ladki ( leader ) : gun mai nahi gun tum neeche karo kyun ke tum log sirf panch ho aur hum tumse ziyada toh bahtar yahi hoga ke tum apni gun neeche karo aur apne hath uper karo.

Yousuf : tadad ziyada hone se kya hota hai tadad toh inki bhi thi dekh rahi ho na kaise zameen per pade hai kabhi na uth ne ke liye.

Ladki ( leader ) : inme aur mujh me bohat farq hai ab chup chap apni gun neeche karo.

Abhi ye log baat hi karrahe they ke dusre container me se admi nikal kar inper goliyan chalani shuru kardete hai.

Golinga awaaz atey hi dono group sartak hogaye aur container ke peeche chup gaye.

Jack : sir mai thoda agey jakar unper us taraaf se hamla karta hoon jaise hi who log us taraaf goliyan chalaye aap log idhar se hamla kar dena.

Ye baat who ladki bhi sunleti hai aur apne teen admion ko bhi jack ke peeche jane ka ishara karti hai.

Yousuf : kon ho tum aur yaha kyun ayi ho?

Ladki ( leader ) : yahi sawal mera bhi hai. tum log kon ho aur yahan inlogon ko kyun mar rahe ho.

Yousuf : maine jawab manga tha sawal karne ko nahi kaha tha.

Ahbi who ladki kuch kahti usse pahle goliyan chalne ki awaz ati hai toh arhaan thoda sa bahar nikal kar dekhta hai toh kuch gunde teesre container ke paas gir rahe they aur kuch dusri taraf goliyan chala rahe they toh arhaan bhi yousuf ki taraf ishara karta hai aur phir idhar se yousuf aur ladki ki team bhi un gondon per firing karni shuru kardete hai jisse gunde bokhla jate hai aur unke kuch samhajne se pahle hi sabhi gunde mout keg hat utar jate hai.

Phir kuch der ke liye sannata cha jata hai aur sabhi bas gun thame khade they aur dheere dheere agey bad rahe they.

Kuch dur jane ke baad who log dekhte hai ke do log apas me lad rahe they.

Ye koi aur nahi jack aur Michal they.

Toh hua yun ke jack aur who ladki ke sathi jaise hi peeche se hamla karte hai toh wahan per Michal pahle se hi khada hua tha.

Michal ko dekhte hi jack kuch der ke liye shanth hojata hai phir se firing karne lagta hai Michal bhi idhar se firing karraha tha aur usne bhi us ladki ke do sathion ko goli mardi thi jisme who log zakhmi hohaye they.

Phir idhar se jaise hi arhaan ke ishare ke baad jaise hi firing hoti hai Michal udhar kuch pal ke liye dekhta hai aur jaise hi uski nazar samne se hathti hai jack chalag laga kar usper war karta hai jiski Michal ne koi kalpana nahi kit hi aur who jack ke war se kuch dur girta hai aur uske hath se gun chut jati ha.

Us ke baad se dono ek dusre ke amne samne khade hojate hai.

Phir shuru hoti hai dono me hata payi aur usi samai arhaan bhi wahan ajata hai aur jack ko kisi admi ke sath ladte dekh kar apni gun se Michal per nishana lagane lagta hai aur ye jack dekh leta hai aur arhaan ko goli chala ne se mana kardeta hai.

Utne me uss ladki ki bhi team wahan per ajati hai aur do logon ko ladte dekh ruk jati hai.

Uss ladki ki nazar jaise hi jack aur Michal per padti hai uske muh se nikal jata hai " Michal "

Jise yousuf sunleta hai.

Yousuf : kyat um iss admi ko janti ho?

Who ladki kuch der khamoshi se dono ko ladte hue dakhti hai phir haan me sar hilati hai.

Yousuf : kon hai who admi aur kon ho tum ?

Ladki ( leader ) : who mera bhai hai aur mai kon hoon ye janne se pahle tum batao ke tum log kon ho aur yahan kya karrahe ho?

Yousuf : hum kon hai iska toh abhi koi jawab nahi hai mere paas bas itna kahsakta hoon ke hum yahan iss container ko apne kabse me karne aye hai.

Ladki ( leader ) : kya mai jansakti hoon ki kyun tum iss container ko apne kabse me lena chate ho ?

Yousuf : mai batana toh nahi chahta magar na jane kyun mera dil kahraha hai ke tum bhi yaha isi liye ayi ho jis liye mai aya hoon. Toh suno iss container me RDX hai aur itni matra me hai ke uss se ek hi samayi me pura ka pura shaher udaya jasakta hai isi liye hum yaha isko apne kabse me lene aye hai takey isko apne kabze me karke jo kuch bhi ye log karne wale hai usko rok sake.

Yousuf apni baat kahkar ruk jata hai aur ladki ko dekhne lagta hai jo yousuf ki baat sunte hue samne lad rahe jack aur Michal ko dekh rahi thi.

Ladki ( leader ) : hmm mujhe bhi pata hai ke iss container me RDX hai aur mai bhi yahan isi liye ayi hoon.

Khair abhi toh mujhe iss container se ziyada important cheez milgayi hai toh ye container tum lekar jao bas mujhe ye admi chahiye.

Yousuf : nahi ye nahi hosakta hum container aur admi dono ko lekar jayenge.

Idhar ye dono baat karrahe they aur idhar jack aur Michal ladte hue baat karahe they.

Jack : gaddar toh tum yaha ho aur sardar tumhe wahan ke jungalon me dhundh rahe hai.

Ye kah kar jack Michal ko ek kick marta hai jise Michal block karte hue ek punch jack ke muh per marte hue kahta hai.

Michal : mai gaddar nahi hoon maine job hi kiya apne logon ke liya kiya agar ye tumhare ya tumhare sardar ke nazron me gaddari hai toh haan mai hoon gaddar.

Jack bhi Michal ke chahre per punch marte hue kahta hai.

Jack : apne logon ka naam beech me math lau tumhare irade pahle se hi bure they aur tumhe jab mauka mila toh tumne uska bharpur faida uthaya.

Jack ka punch itna powerful tha k eek pal ke liye Michal kar sar chakra jata hai aur who sambhal nahi pata phri jack ek ke baad ek kai punches usko marta hai phir usko utha kar patak deta hai phir apne laton se marne lagta hai.

Mar kahte khate Michal ki halath adhmari hojati hai magar phir bhi jack Michal ko marte hi jaraha tha.

Phir achanak se ek hath jack ke kande per ata hai aur kahta hai.

" ruk jao jack bhai "

Jaise hi jack ye suntan hai apne peeche kahdi ladki ko dekhta hai jo iss waqt usi ladki ko dekhta hai jo dusri team ki leader thi.

Sabhi uss ladki ko jack ko bhai kahne se hairan hojate hai aur usse bhi ziyada isse ke who ladki jack ko kaise janti hai.

Jack ruk jata hai aur usse puchta hai.

Jack : kon ho tum aur mera naam kaise janti ho?

Ladki jacki ki baat sunkar muskurate hue jawab deti hai.

Ladki ( leader ) : itna jaldi bhool gaye apni bahen ko.

Jack uss ladki ki baat sunkar chonk jata hai.

Jack : kon bahen ?

Ladki : mai alfisha hoon.

( JI HAAN DOSTON WHO DUSRA GROUP ALFISHA KA HI THA AUR USS TEAM KI LEADER ALFISHA HI HAI AUR WHO LADKA AUR LADKI USKI DOST AFREEN AUR ASIM HAI )

Jaise hi ladki ne yani alifisha ne apna naam bataya jack aur bhi hairan hojata hai.

Jack : ( hairan hote hue ) kyaaaaa….. kya tum sach me aalfi ho ?

Jack ki baat sunkar alfisha haan me sar hilati hai jise dekh kar jack usko gale laga leta hai aur uska dhiyan Michal ke taraf se hath jata hai aur isi ka faida utha kar Michal apne paas padi hui gun utha kar fir kardeta hai jise hemanth dekh leta hai kyuun ke who jack ke sabse paas tha who jaldi se jack ko aur alfihsa ko dhakka de kar hata deta hai magar goli usko lag jati hai.

Jab tak koi kuch karta Michal apne paas se ek smoke bomb nikal kar phek deta hai jisse wahan per dhua hojata hai aur Michal wahan se nikal jata hai.

Uske peeche arhaan bhi bhagta hai.

Idhar jack alfisha ko chodh kar hemanth ke paas jata.

Jack : ye kya kiya mere bhai.

Hemanth : kuch nahi yaar mujhe laga nahi tah ke goli mujh ko lag jayegi warna mai beech me nahi ata.

Hemnath ki baat sunkar wahan sabhi ke honton per muskaan ajati hai.

Jack : aisi halath me bhi tujhe mazak sujh raha hai.

Hemanth : ab kya kare bhai hum toh bajragbali ke bhakth hai toh job hi rishta nibhate hai tooth kar nibhate hai.

Hemanth ki baat aur uska apne sathiyon ke liye pyar dekh kar sabhi ko bohat khushi hoti hai.

Kuch der baad arhaan haaphta hua ata hai.

Arhaan : bajgaya ho pata nahi kis taraf gaya.

Yousuf : koi baat nahi hum jis kaam ke liye aye they who toh hogaya.

Phir alfisha se kahta hai.

Yousuf : magar mujhe ek baat samhaj nahi ayi… tumne kaha who tumhara bhai hai toh usne tumhari taraf dekh tak nahi aisa kyun?

Yousuf ki baat sunkar alfisha fiki si hasi haste hue kahti hai.

Alfisha : kyun ke jack bhai ki tarha Michal bhi mujhe pahchan nahi paya kyun ke jab usne aur jack bhai ne mujhe dekha tha tab mai bohat choti thi aur iss sab se dur bhi rahti thi isi liye who aur jack bhai mujhe pahchan nahi paye.

Alfisha ki baat sunkar yousuf phir se ek sawal puchta hai.

Yousuf : toh phir tumne indono ko kaise pahchana ?

Alfisha : simple si baat hai mere paas dono ke kais are photos hai… kya ab bhi aap ke paas koi sawal hai ya mai apne bhai se millun.

Alfisha ki baat sunkar yousuf muskurate hue kahta hai.

Yousuf : sawaal toh aur bhi hai magar pahle tum apne bhai se millo phir baki sawal baad me.

Alfihsha : shukriya aap ka….. afreen tum indono ko lekar malham patti karao aur asim tum inko apne sath sahara dekar lejao.

Afreen aur asim yes madam kah kar wahan se apne zakhmi sathiyon ko lekar chale jate hai.

Jack : ab batao tum iss sab me kaise agayi jaha tak mujhe yaad hai tum toh shaher me rah kar padhai karrahi thi.

Alfisha : ye sahib baten baad me abhi aap ke sathi ko lekar aap log yahan se niklo aur mai bhi abhi nikalti hoon aur ye mera personal number hai toh jab aap free ho mujhe call kardena mai aap ke paas ajaongi abhi mujhe aur bhi kaam hai.

Jack : accha thik hai apna khayal rakhna.

Phir alifhsha jack ko ek baar hug karti hai aur sabhi ko bye karke wahan se apne sathiyon ke paas chali jati hai.



Aaj ke liye itna hi agey janne ke liye mere sath bane rahiye BE-INTEHA-ISHQ ke sath aap ka apna MAQ.




Written by MOHAMMED AZEEM QURESHI ( MAQ ).

update kaisa laga comment karke zarur bataiyega.
awesome super update
 
  • Like
Reactions: Maq

Maq

Lovely person????
429
518
109
Update - 42



" yaar thoda dheere chal dard horaha hai "

Ye baat hemanth rao ne kahi thi jack se jo hemanth ko kandhe ka sahara dekar apne sath car ke paas lekar jaraha tha.

Jack : haan toh kisne kaha tha herogiri dikhane ko.

Hemath : kitna ehsaan faramosh hai re jack tu. Maine teri jaan bachayi aur tu aisi baten karraha hai. jaa mai baat nahi karta tujhse.

Jack : haan mat kar baat magar phir kabhi apne aap ko chot mat lagwa lena.

Ye baat kahte hue jack ka gala bhar jata hai.

Hemanth : arey bhai ab tu rona math shuru kardena warna mai ye dard se baad me maronga magar tere rone ki awaaz sunkar pahle hi mar jaonga.

Hemanth ki baat sunkar jack apni ankhen saaf karte hue muskurate hue kahta hai.

Jack : haan pata hai mujhe meri awaaz kitni besuri hai.

Jack hemanth ko sahara dekar van tak lekar ata hai phir fast aids nikal kar hemanth ke kadhe per lagi goli nakal kar usko patti bandhta hai.

Jack : ta baith yaha mai baki sab ke paas jata hoon.

Hemanth : thik hai.

Jack waha se nikal kar apni team ke paas jata hai.

Yousuf : arhaan tum iss container ko yaha se lejakar apne adde per rakh do aur haan purane wale per nahi naye wale per rakhna ok.

Arhaan : thik hai phir mai nikalta hoon.

Yousuf : apne sath tanisha ko bhi lejao.

Tanisha : magar sir yaha per bhi toh zarurat hai.

Yousuf : nahi tum jao yaha ki saaf safai mai aur jack karlenge.

Tanisha : per sir….

Yousuf : koi per ver nahi jinta kaha hai utna karo.

Jack : haan tanisha tum jao arhaan ke sath hum yaha ka kaam karlenge.

Yousuf aur jack ki baat sunkar tanisha na chahte hue bhi arhaan ke sath us container me chali jati hai.

Un dono ke jane ke baad yousuf aur jack samne padi lashon ko ek jagha ekhatta karte hue baat karte hai.

Yousuf : haan toh jack ab batao ye Michal ki kya story hai.

Yousuf ki baat sunkar jack jo ek adhkati lash ko utha raha tha usko baki sabhi lashon ke paas phekte hue kahta hai.

Jack : who mere sardar ka beta hai.

Jack ki baat sunkar yousuf shock hojata hai.

Yousuf : kyaaaaa ? magar tum toh kahrahe they ke tumhare log toh accha kaam karne walon ke sath kaam karte hai magar ye toh kuch aur hi karraha hai.

Jack yousuf ki baat sunkar thandi sans chodte hue kahta hai.

Jack : maine jo kaha tha who sahi hai.

Yousuf : toh phir ye Michal inlogon ke sath kyun kaam karraha hai.

Jack : ye baat tab ki hai jab humare khabile ko kaam nahi milraha tha. Kaam toh bohat arahe they magar sabhi kaam underworld walon ke arahe they jise mere sardar ne karne se mana kar diya tha.

Aise hi kitna hi waqt hogaya aur koi accha kaam nahi aya aur jo bhi humare khabile ke paas tha dheere dheere khatam hone laga tha. Naubat yaha tak agayi thi ke humko ek waqt ka khana bhi badi mushkil se milraha tha. Aise halath ko dekh kar Michal se raha nahi gaya aur usne bina kisi ko bataye underworld walon ka kaam karne ke liye haan kahdiya aur apne sath kuch aur logon ko bhi legaya. Jab Michal ne sardar ko paisa diya toh sardar ne pucha ke ye paisa kaha se aya toh Michal ne unhe sab kuch bata diya jise sunkar sardar aag bagola hogaye aur unho ne Michal ko bohat mara aur khabile se bahar nikal diya aur uske sath walon ko bhi usi ke baad se Michal ne apne sathiyion ke sath milkar DARK SPRIT walon ko join karliya.

Itna kah kar jack khamosh hojata hai.

Yousuf : hmm toh iska matlab Michal ne ye rasta apni marzi se nahi balki apne logon ke liye chuna tha aur jab uske hi logon ne use nikal diya toh who bure logon ke sath milgaya.

Jack : haan uske baad se Michal ne bohat hi bade aur khatarnak kamon ko anjaam diya hai.

Yousuf : khair usne jis bhi wajha se ye rasta chuna ho magar ab who bhi unhi logon me se hai jo iss desh ko khokla karna chahte hai toh ab iss ke sath kya karna hai ye mai tum per chodta hoon.

Ye kah kar yousuf van ke paas jata hai jaha per hemanth rao baiha hua tha.

Yousuf : hemanth who powder dena.

Hemanth : saaf safai hoagyi puri.

Yousuf : haan hogayi hai bas lashon ko jalana hai.

Hemnath : hmm waise kitni lashen hogi.

Yousuf : pata nahi hogi koi 60,70 magar puch kyun rahe ho ?

Hemanth : isliye ke jis powder se inn lashon ko jalana hai usko kitni lashe hai uske hisab se hi istemal kiya jata hai.

Yousuf : hmm.

Phir hemanth van ke andar se ek box nikal kar usme se thoda sa powder nikal kar yousuf ko deta hai toh yousuf uske muh ko dekhne lagta hai.

Hemanth : kya hua aise kyun dekh rahe ho.

Yousuf : itni sari lashen hai aur tum itna thoda powder de rahe ho.

Hemanth : toh kya pura box khali karne ka irada hai.

Yousuf : mai toh wahi sonch raha tha.

Hemanth : jitna aap ko diya hai usse 100 lashon ko araam se jalaya jasakta hai.

Hemanth ki baat sunkar yousuf use hairat se dekhta hai.

Yousuf : kya wakhai me ?

Hemnath : haan sir ye powder bohat hi powerful hai agar isko kisi zinda insaan ke sharir per malde toh kuch hi minton me uske shareer se chamdi galna shuru hojati hai aur dehte hi dekhte uske haddiyon ko bhi gala deta hai.

Yousuf : arey baapre ye toh bohat hi khatarnak hai.

Phir yousuf uss powder ko lekar jack ke paas jata hai jo iss waqt lashon per petrol chinak kar uske uper kuch barood bhi chidak deta hai.

Yousuf bhi jakar us powder ko un lashon per acchi tarha se uss powder ko chidak kar lighter nikal kar aag laga deta hai aur phir jack aur yousuf wapas van me jakar baith kar nikal jate hai.



Aaj ke liye itna hi agey janne ke liye mere sath bane rahiye BE-INTEHA-ISHQ ke sath apka apna MAQ.



Written by MOHAMMED AZEEM QURESHI ( MAQ ).

update kaisa laga comment karke zarur batana.
 
Status
Not open for further replies.
Top