• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance BE-INTEHA-ISHQ

Status
Not open for further replies.

mashish

BHARAT
8,032
25,905
203
Update-47

Nizam ki baraat function hall se kuch dir rok kar sabhi log lage hue they nachne me....

Koi nagin dance karraha tha toh koi dhol per thumke laga rahe they.

In sabme sab se agey humare ahmed sahab they jo iss waqt cream colour ki sherwani aur gulabi colour ki pagdi pahen ke full josh me nach rahe they.

Ahmed ke sath imtiyaz bhi tha aur woh dono mil kar ajju ko bhi apne sath lelete hai uske mana karne ke bawajud bhi.

Ahmed : kya yaar ajju ab aisa karega toh kaisa chalega... aaj ke din toh apne rutbe ko kuch der ke liye bhulja.... aaj apne yaar ki shadi hai.

Ye kahke ahmed orchestra wale ke paas jakar usko aaj mere yaar ki shadi hai bajane ke liye kahta hai phir ajju ko lekar nachne lagta hai toh ajju bhi uske sath nachne lagta hai phir kya tha sabhi milkar nachte hai.

Ajju ko nachte dekh kar nizam ke dad teeno k3 uper se note war kar band walon ko dete hai.

Kuch der nachne ke baad sabhi function hall me jate hai aur nizam ko stage per bitha dete hai.

Nizam ke stage per baithne ke baad ajju fresh hone jata hai.

Ajju ne iss waqt mahroon colour ki sherwani pahni hui thi jisme woh kisi shahzade se kam nahi lagraha tha.

Ajju washroom me jakar fresh hota hai aur jab bahar ate hue kisi se takra jata hai.

Ye ek ladki thi jo function hall ke staff ke kapdon me thi.

Ajju ke takrane se woh girjati hai.... ajju usko uthane jata hai magar woh ladki uske utha ne pahle hi jaldi uth jati hai.

Ajju : sorry maine dekha nahi tha... apko lagi toh nahi.....

Ajju ki baat abhi puri bhi nahi hui thi ke woh ladki wahan se bhag jati hai.

Ajju : areeey suniye toh kya hua.... ajeeb baat hai pata nahi kya hua... uska chahra bhi nahi dekha warna baad me sorry kahdeta .... magar jane kyun woh mujhe kuch apni si lagi.

Khud se hi baten karte hue ajju stage ki taraf jane lagta hai magar function hall ke gate ke bahar bheed ko dekh kar uss taraf chala jata hai.

Yaha function hall ke bahar ek car rukti hai jisme se ek ladka nikalta hai. Ladke ne iss waqt sky blue colour ki sherwani pahni hui thi aur woh jaise hi bahar aya ladkian uske sath selfie lene lag jati hai jise dekh kar imtiyaz jo bheed ko dekh kar idhar aya tha ajju ek paas akar kahta hai.

Imtiyaz : zindagi toh iss sale ki sahi hai... har waqt ladkiyon se ghira rahta hai.

Ajju : tujhe kyun jalan horahi hai.

Imtiyaz : mujhe kyu jalan hogi mai toh bas aise hi kah raha tha.

Ye dono baat hi karrahe thye ke woh ladka jisko ladkiyon ne gher rakha tha woh inke paas ata hai.

Bheed ko iske bodyguards ne dur kar diya tha.

Ladka : kya haal me mere yaron.

Ye kah kar woh ladka ajju ke gale lagta hai.

Ajju : hum toh badiya hi hai magar tere toh charche hi khatam nahi hote.

Ajju ki baat sunkar woh ladka muskurate hue usse alag hota hai phir imtiyaz ke gale lag kar kahta hai.

Ladka : ab kya kare bhai iske bina toh ab raha bhi nahi jata adaat jo ban gayi hai.

Ladke ki baat sunkar dono haste hai.

Ajju : tu bilkul bhi nahi badla sameer tujhe bas bheed hi chahiye chahe woh college hi ya concert ho ya koi bhi jagha.

Sameer ye ajju and party ka college friend hai aur ye sahab ek Jane mane singer hai jinper ladkiyan marti hai.

Sameer : bhai dekh mai toh bas yahi chahta hoon ke log humesha mere aas paas hi rahe chahe log ise dikhwa hi kyun na kahe magar ye mujhe accha lagta hai... mujhe meri kamiyabi ko dikhata rahta hai.

Ajju : haan sahi hai. Chal chod ye sab pahle nizam se milte hai warna tere fans phir se tujhe gher lenge.

Ye kah kar ajju use sath lekar stage per jata hai.

Idhar jo ladki ajju se takrayi thi Ye koi aur nahi alfisha hi thi jo ajju ko dekh kar uske aas paas hi rah rahi thi aur jab woh ajju ko dekh rahi thi toh uski nazar ajju per pad rahi red lazer light per padti toh fauran alfisha ajju ki taraf jakar ajju ko dhakka dekar gira deti hai aur jaldi se uth kar wahan se chali jati hai.

Alfisha : hello jaldi se samne wali building per ek spinner hai use pakdo ya phir mardo.

Ye usne bluetooth per order dete hue kaha tha.

Ye usne bluetooth per order dete hue kaha tha.

Jaise hi alfisha order deti hai uske bande samne wali building ki taraf jate hai aur waha uss bande ko pakad lete hai.

Ye sab itni jaldi hua ke us bande ko samhaj hi nahi aya tha.

Alfisha ka takrana use mahez ek ittefaq laga aur alfisha ke bande jo yahin function hall k3 aas paas they woh bhi jaldi se action me atey hai aur use pakad lete hai.

Asim : madam humne use pakad liya hai.

Alfisha: hmm good job use apne lekar jao aur apni jagha kisi aur ko rakho aur haan sabhi ko kaho alert rahne ko kaho. Aaj ajju per sidha attack hua hai iska matlab yaha per aur bhi kuch hosakta hai.

Asim : thik hai madam mai ise apne sath lekar jata hoon.

Asim se baat karke alfisha afreen ke paas jati hai.

Afreen : yaar ab toh ye sidha sidha hamla karne lage hai... agar teri nazar nahi padti toh aaj jane kya hojata.

Alfisha : mere rahte meri jaan ko koi kuch nahi kar sakta.

Afreen : mujhe lagta hai hume ajju se baat karni hi padegi aise kab tak hum usko bachate rahenge.

Alfisha : hmm mujhe bhi aisa hi lagta hai. Aaj agar sahi waqt per meri nazar uss per nahi padti toh najane kya hojata.

Idhar insab se bekhabar ajju shadi ke sabhi intezamat dekhne me laga hua tha.

Ajju iss waqt mahi ke sath khada tha mahi ne bhi mahroon colour ka zari wala langa choli pahna hua tha jisme woh bilkul kisi princess se kam nahi lagrahi thi.

Ajju mahi ke aise roop ko dekh kar bas usme jaise kho hi gaya tha.

Ajju ko apni taraf aise dekhne per mahi ko bohat hi ziyada sharam arahi thi.

Mahi ( sharmate hue ) : please aise math dekho mujhe sharam arahi hai.

Mahi ki baat sunkar ajju jhemp jata hai.

Ajju : sach me yaar mahi tum aaj boaht hi ghazab ki khubsurat lag rahi ho. Aisa lag raha hai jaise asaam se koi pari utar kar ayi ho.

Ajju ke muh se apni tareef sunkar mahi khush hojati hai.

Mahi : tum bhi kisi shazade se kam nahi lagre iss sherwani me.

Ajju aur mahi dono iss waqt aise lag rahe they jaise dono ek dusre ke liye hi bane hai. Made for each other.

Ajju : aji hum kahan ke shahzade lagenge magae tum zaroor princess se kam nahi lagri har kisi ki nazar sirf tum per hi hai woh dekho.

Ajju ki baat sunkar mahi apne aas paas dekhti hai toh kai log usi ko dekh rahe they.

Mahi : mujhe kisi se koi matlab nahi jise dekhna tha usne dekh liya mere liye yahi bohat hai.

Ye baat mahi ne boaht hi dheere se kahi thi jise ajju sun nahi paya tha.

Ajju : kya kah rahi ho.

Mahi : kuch nahi chalo dulhe miya se milte hai.

Ye kah kar mahi ajju ka hath pakad kar stage ki taraf jati hai jaha per ajju ke sabhi dost pahle hi they.

Mahi aur ajju jaise hi wahan atey hai toh sameer ajju se kahta hai.

Sameer : kya baat hai mai tumne bhi humara liye bhabhi pahle se hi dhundh rakhi hai. Ab lagta hai agli bari tumhari hi hai.

Sameer ki baat sunkar mahi buri tarha se sharma jati hai aur ajju sameer ko ghoor kar dekht hue kahta hai.

Ajju : ye meri friend hai aur kuch nahi samjha.

Sameer : haan bhai shuruat dosti se hi toh hoti hai phir woh dosti hi pyar me badal jati hai.

Sameer ki baat sunkar sabhi has dete hai jise dekh kar ajju chidte hue kahta hai.

Ajju : tum sab kya daanth dikha rahe ho hihi karke aur bhai tu na filmon ki duniya se bahar aja aisa kuch nahi hone wala.

Ajju ko aise chidte dekh kar uske dost uske aur bhi mazr lete hai aur idhar mahi ki bhi bas halka halka sharmate hue muskura rahi thi.

Phir sabhi nizam se milte hai aur usko gift wagaira dete hai. Uske baad sabhi khane ke liye waha se chale jate hai.

Kahne ke liye ek bada sa table lagaya hua tha jis per ye sabhi akhatte baith kar khate hai. Yaha bhi sabhi ne ajju ko bohat sataya mahi ke naam se.

Magar kisi ne ek baat per dhiyan nahi diya ke iss mazak se koi ek aisa bhi tha wahan per jisko iss se bohat takleef horahi thi...
ye aur koi nahi alfisha thi jo yahan per ajju ke aas paas hi rah rahi thi.

Aise hi hasi khushi me widayi ka waqt ata hai aur phir kuch rone dhone ke baad nizam ki dulhan ko lekar nikal jate hai.

Aaj ke liye itna hi agey janne ke liye mere sath bane rahe BE-INTEHA-ISHQ ke sath apka apna MAQ.

Written by MOHAMMED AZEEM QURESHI ( MAQ ).
beautiful update
 
  • Like
Reactions: Maq

Maq

Lovely person????
429
518
109
Update-48

Boss iss waqt ek room ke andar ke chair per sar jhukaye hue ek screen ke samne baitha hua tha.

Screen per iss waqt ek admi tha. Jise ek black long coat haton me gloves aur ek badi chair ke peeche ki taraf kahda tha jiska chahra bhi dhaka hua tha.

Unknown : ab tum hume batao ke ye sab kya horaha hai.

Use admi ki rubabdar kadak awaz sunkar boss ko halath kharab hojati hai.

Boss : wo...h ma..i wo...h ma.....i.

Boss ke muh se lafz hi sahi nahi nikal rahe they.

Unknown : ye woh mai woh mai kya karrahe ho. Maine tumhe ek kaam diya tha tumse woh bhi nahi hua aur aaj itna bada nuksaan.... mujhe tumse aisi umeed bilkul bhi nahi thi. Ab mai ye nuksaan tumhari biwi aur bete ko bech kar pura karunga.

Unknown admi baat sunkar boss zameen per apne gutnon per ajata hai aur rote hue apne hath jod kar kahta hai.

Boss : nahi malik aisa math kijiye aap jo saza chahe mujhe dijiye magar meri biwi aur bacche ko kuch math kijiye unhe iske bareme kuch bhi nahi pata please mujhe ek akhri mauka dijiye agar iss baar mai fail hua toh khud ko aap ke hawale kardunga magar please meri biwi bacchi ko kuch math kijiye.

Boss ki baat sunkar unknown kuch der shanth rahta hai.

Unknown : thik hai mai tumhe ek mauka aur deta hoon. Kyunke ye tumhari pahli ghalti thi magar yaad rahe ye tumhara akhri maukha hoga iske baad koi rahem nahi.... julie iski biwi aur bete ko sahi Salamat ghar pohchado aur agey isne koi bhi ghalti ki toh bina mujhse puche tum undono ko koi bhi party ko bech dena aur ise goli mardena.

Julie jo yaha tab se hi thi magar chup chap baithi hui thi woh unknown ki baat sunkar apna sar jhuka kar kahti hai.

Julie : ji malik jaisq aap ne kaha waisa hi hoga.
Malik agar aap ki ijazat ho toh mujhe aap ko kuch batana hai.

Unknown use kahne ke liye kahta hai.

Julie ek pendrive ko samne rakhi screen se connect karke kuch files ko open kar ke boss ko dikha kar kahti hai.

Julie : malil mujhe lagta hai humara ab tak jitna bhi nuksaan hua hai usme mujhe lagta hai white sprit walon ka hi hath hai.

Julie ki baat sunkar woh unknown admi bui apni screen per show horahi photos ko dhiyan se dekhne lagta hai.

Unknown : hmmm tumhe ye photos kaha se mile?

Julie : malik maine michal ke sath mere ek admi ko bhi bheja tha jiske kapdon me maine hidden camera lagaya tha. Use me ye record hogayi thi jisko maine photos ko match kiya toh dono wahi hai.

Unknown bhi julie ki baton ko sunkar kuch der shant rahta hai.

Unknown : hmm bohat accha kaam kiya tumne ab inlogon per nazar rakho aur haan apne black commandos ko hi use karna kyun ke koi aur inper nazar rakhega toh woh log jhat se pakad lenge.

Julie : ji malik jaisa aap kahe.

Ye dono apas me aur bhi baten karte hai aur woh jo boss tha ya phir kahne ko hi boss tha woh chup chap wahan se nikal jata hai.

Iss waqt screen per jo photos thi woh kisi aur ki nahi jack aur alfisha ki hi thi.

Jise dekh kar unknown ne unper bas nazar rakhne ke lie hi kaha tha.
.
.
.
Idhar inspector ali side :

Jab se inspector shahed ki maut hui hai tab se ali aur abbas usi case me lage hue they magar unhe abhi tak kuch bhi hath nahi laga tha.

Siwaye ek naam ke aur woh naam tha meer jhangir magar uske khilaf inke paas koi saboot nahi tha isi liye bas usper nazar rakhe hue they.

Iss waqt ali aur Abbas apne police station me baithe hue they.

Ali : yaar abbas ye meer ko akhir hua kya hai iska itna bada nukaan hua hai aut woh abhi tak chup hai. Ye baat mujhe hazam nahi horahi yaar.

Abbas : sir baat toh apki sahi hai... ye baat mujhe bhi hazam nahi horahi hai. Kyun ke meer jis mijaz ka banda hai usse mujhe kuch na karne ki umeed thi magar jis tarha se woh chup baitha hai muhee lag raha hai woh koi badi planning karrahai hai.

Ali : haan mujhe bhi kuch aisa hi lag raha hai. Magar kya ? Bas yahi samhaj nahi araha.

Abbas : sabar kijiye sir woh jo kuch bhi karraha ho uska pata Hume lag hi jayega. Humare admi us per nazar rakhe hue hai.

Ali : is waqt woh kaha hai kuch khabar hai.

Abbas : ji sir uski puri khabar mujhe mil rahi hai.
Iss waqt woh apni biwi ke sath ek five star hotel me hai.

Ali : kyaaaa ? Five star hotel me. Kahi nuksaan hone ki wajha se ye pagal toh nahi hogaya. Iss waqt jab tumhara itna bada nuksaan hogaya hai tab tum apna nuksaan karne wale ka pata lagate ho ta apni biwi ko lekar ghumne nikalte ho. Abaas ye admi mujhe pagal kardega.

Abbas : shant hojaiye sir aise tension lene se kuch nahi hoga.

Ali : kaise shant hojaon Abbas kaise ? Mere bhai jaise dost ko usne mar diya aur mai chah kar bhi kuch nahi karsakta. Meri bhabhi jo humesha khush rahti thi woh khushi unke chahre se jaise ghayeb hi hogayi hai. Woh budhi maa jisne apne jawan bete ka janaza dekha ho uski takleef ko dekh kar mai kaise shant rahun. Woh bacchi jiski khelne kudne ke din hai uss umer me woh yateem hogayi. Uss bacchi ko dekh kar mere dil me kitni takleef hoti hai mai bata nahi sakta. Iske bawajud bhi tum mujhe shant rahne ke liye kah rahe ho.

Ye sab kahte hue inspector ali ke ankhon me ansu ajate hai. Jise dekh kar sun inspector abbas ki bhi ankhon me ansu ajate hai.

Ali ki baat ka abbas kuch jawab deta usse pahle hi ek dusri awaz sunkar dono ka dhiyan uss shaks ki taraf jata hai.

" tumhe shant rahna hoga kyun ke mujreem kitna hi shateer kyun na ho kanoon ke lambe haton se woh bach nahi sakta. Bas tumhare irade pakke aur honsle buland hone chahiye. Aise yahan baithkar rone mujreem khud akar apna jurm qabool nahi karga. "

Ye baat inspector ali ke cabin ka door per khade iss police station ke naye sp ne kahi thi. Jinka naam shankar panday hai. Magar log inhe chulbul panday ke naam se jante hai kyun ke ye janab bhi apne sallu bhaiyya ke bohat bade fane hai aur unhi ki tarha chasma samne ki jagha peeche lagte hai.

New character:

Shankar panday pahle ek encounter specialist they inhone na jane kitne hi encounters kiye hai

inka jis bhi jagha transfer hota hai waha ke mujrimon ki samjho khatiya khadi kardete hai. Inko agar kisi cheez se sabse ziyada nafrat hai toh woh hai rape karne walon se agar inke thane me ya inke kanon ne bhi sunliya ke kisi ne kisi ka rape kiya hai toh phir ye uss insaan ko jisne rape kiya hai usko aisi dradnaak maut dete hai ke dekhne walon ki ruh tak kaap jaye. Woh chahe kisi minister ka beta ho ya kisi businessmen ka.

Inki ek baat aur mashoor hai ye jis case me bhi hath dalte hai use pura kare bina nahi chodhte chahe kitna hi pressure kyun na pade.

Dekhne me ek dam gore height bhi 6 foot unchi aur personality bhi dabangg ke salman khan jaisi hi hai.
Mijaz ke ek dam hasmuk aur apne se chote adhikarion ko izzat dene wale.

Inspector shahed ki jagha inhe appoint kiya gaya hai aur inspector shahed ka case bhi.

Ali aur abbas apne peeche ek officer ko dekh kar apni jagha khade hojate hai.

Shankar panday bhi andar akar abbas ke paas wali chair per baith kar kahte hai.

Inspector panday: arey bhai baith jao ab kya sara din khade rahne ka irada hai.

Inspector panday ki baat sunkar dono baith jate hai.

Ali : sir aap toh kal ane wale they.

Inspector panday : haan bhai aney wale toh kal hi they magar aaj hi iss shaher me agaye toh socha apne station ko bhi dekh ayen.

Ali : accha kiya sir.

Inspector panday : haan bhai hum toh har kaam accha hi karte hai magar aap ye bataiye ke police wale kab se emotional hone lage ?

Inspector panday ki baat sunkar ali apna chahra neeche kar leta hai.

Inspector panday : sar neeche math kijiye hume pata aap aur inspector shahed ek dusre ke bohat khareeb rahey hai. Magar aap hi ek bade adhikari ko kar rone lagenge toh chote officers ko kya karna chahiye.

Ali : sorry sir woh mai jazzbati hogaya tha.

Inspector panday : jazzbati hona koi ghalat baat nahi hai. Jazbaat har kisi me hote hai kisi me kam toh kisi me ziyada. Magar aksar insaan jazbaat me akar kuch aisa kar jata hai jisse use baad me pachtane ka bhi mauka nahi milta. Aur hum police walon ko toh bilkul bhi jazbati hona suit nahi karta. Waise yaar ye bhi koi baat hui pahli baar aya hoon kuch thanda garam toh pilao yaar.

Inspector panday ki baat sunkar ali sharminda hote hue sorry kah kar coffee ke liye kahta hai.

Aaj ke liye itna hi agey janne ke liye mere sath bane rahe BE-INTEHA-ISHQ ke sath apka apna MAQ.

Written by MOHAMMED AZEEM QURESHI ( MAQ ).
 
Status
Not open for further replies.
Top