• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance BE-INTEHA-ISHQ

Status
Not open for further replies.

mashish

BHARAT
8,032
25,905
203
Update-44
Ajju aur mahi car me baith kar seedha nizam ke ghar pohanchte hai.
Ajju mahi ko nizam ke ghar chod kar ahmed ko call karta hai.
Ajju : hello kaha per ho tum log ?
Ahmed : hum log saloon me hai.
Ajju : ok mai araha hoon wahan per.
Aur ajju wapas car me baith kar nikal jata hai aur mahi wahin khadi rahti hai aur ajju ko jate hue dekhti hai.
Ajju ke jane ke kuch der baad mahi bhi ghar ke andar chali jati hai magar abhi bhi uske dil me yahin baat chal rahi thi ajju ko achanak se kya hogaya tha.
Mahi : ( apne man me ) akhir ajju ko hua kya tha kya meri koi baat ajju ko buri lagi thi ya phir koi aur baat hai. kyun ajju ke chahre per achanak se udasi agayi? Jo bhi baat ho mai pata laga kar hi rahungi.
Phir mahi bhi shadi ke kamon me lag jati hai.
Idhar ajju ahmed se baat karne ke baad seedha saloon pohanchta hai.
Ajju jaise hi saloon me jata hai nizam ko dekh kar khush hojata hai kyun ke uska hair style aur dadhi ( beard ) bohat hi acchi set hui thi.
Ajju : wah mere sheron wah aaj pahli baar tum logon ne koi accha kaam kiya hai.
Ahmed : kyun be hum pahle kya bure kaam karte they jo tu aisa kah raha hai.
Ajju : ab mera muh math khulwa tareef karraha hoon toh hazam nahi horahi kya.
Ahmed : haan toh tareef karke kya hum per koi ahsaan karraha hai kya humne jo kiya usi ki tareef karraha hai.
Ajju : abbey chup zara si tareef kya kardi tu toh sar per chadne laga. Sale kya tune iski cutting aur dadhi banayi hai jot u kah raha hai ke humne accha kaam kiya hai.
Ahemd : kiya nahi hai toh kya hua idea toh humara hi than a.
Ajju : haan toh isi liye toh tareef bhi ki na maine.
Ajju aur ahmed ki bak bak sunkar nizam kahta hai.
Nizam : yaar ajju tujhe kab se ladkiyon ke jaisa bahes karne ki adat pad gayi chod na aur ye bata mai kaisa lag raha hoon.
Ajju : mere yaar tu toh ek dam hero lag raha hai. isi liye toh kaha aaj pahli baar indono ne accha kaam kiya hai. aur bhai ye rakh aaj tune bohat hi badhiya kaam kiya hai.
Ye kah kar ajju hair dresser ko apne wallet me jitna cash tha sabhi nikal kar use dedeta hai.
Ajju : accha ahmed aur imtiyaz tum dono nizam ko ghar chod kar seedha function hall chale jana wahan per alauddin akela hai mai bhi apne baal aur dadhi set kara kar ata hoon.
Phir imtiyaz ki taraf dekhte hue kahta hai.
Ajju : abbey tujhe kya hua jab se aya hoon ek lafz bhi nahi kaha.
Imtiyaz : mujhe kya hona hai mai toh ek dam mast hoon.
Imtiyaz ki baat sunkar ahmed kahta hai.
Ahmed : nahi nahi mai bhi yahi puchne wala tha mai bhi kal se dekh raha hoon ye kuch khoya khoya sa rahta hai aur jitna pucho utna hi jawab deta hai aur choti choti baton per chid jata hai.
Ahmed ki baat sunkar ajju imtiyaz ki taraf dekhta hai toh imtiyaz ahmed ko ghoor kar dekhte hue kahta hai.

Imtiyaz : aisa kuch nahi hai ye aise hi kuch bhi bakte rahta hai.
Ajju : nahi beta mana ke ye chutiya hai magar itna bhi nahi ke jitna tu ise samhaj raha hai.
Imtiyaz kuch nahi kahta magar ahmed kahta hai.
Ahmed : abbey ek minute tune mujhe chutiya kyun kaha ? kya mai chutiya hoon ?
Ajju : puch raha hai ya bata raha hai.
Ajju ki baat sunkar sabhi haste hai toh ahmed chidte hue kahta hai.
Ahmed : sale baat iski hai aur chutiya mujhe bola jaraha hai wah bhai wah.
Ajju : abbey tu thodi der chup rah na. haan bhai ab batao mamla kya hai tere iss chuppi ka aur haan koi bahana nahi chahiye kyun ke mujhe adhe se ziyada pata hai bas puri baat pata nahi hai ab bol.
Ajju ki baat sunkar imtiyaz kuch der chup rahta hai phir ek lambi saans chod kar kahta hai.
Imtiyaz : I'm in love.
Imtiyaz ki baat sunkar ahmed aur nizam chonk jate hai magar ajju nahi chonkta jise dekh kar imtiyaz chonk jata hai.
Imtiyaz : kya tujhe pahle se pata tha.
Ajju : pata nahi tha bas shak tha.
Imtiyaz : magar kaise maine toh kabhi uska zikar bhi nahi kiya.
Ajju : beta abhi tu iss khel ka kachcha khiladi hai abhi tujhe bohat dhakke mukke khane hai aur jis daur se tu guzar raha hai na ye abhi first satage hai.
Ajju ki baat sunkar sabhi hairan hojate hai.
Ahmed : abbey jab tujhe shak tha toh tune kabhi isse pucha kyun nahi.
Ajju : beta ahmed isi liye toh maine tujhe chutiya kaha tha.
Ahmed kuch kahta usse pahle nizam kahta hai.
Nizam : accha chal man liya tujhe shak tha magar abhi tune kaha ke ye first stage per hai toh ye tujhe kaise pata. Chal bol ye kyun aisa chupchup rah raha hai.
Imtiyaz : haan bhai bol mujhe bhi janna hai.
Ajju muskurate hue kahta hai.
Ajju : maine kaha na ye abhi kachcha khiladi hai. aise logon ko mere jaise kya agar koi iske sath ek din bhi bita liya toh who bhi bata dega ke ishq me hai aur mashuka se baat karne ke liye dil machal raha hai magar mashuka se baat nahi horahi. Kyun bhai sahi kaha na.
Ajju ki baat sunkar imtiyaz hairan hojata hai.
Imtiyaz : haan bhai yahi baat hai do din se uska phone nahi lagra aur usne kisi aur number se phone bhi nahi kiya isi liye mujhe tension horahi hai.
Ajju : mujhe pata tha aisa hi kuch hoga.
Ahmed : wah bhai ajju wah maan gaye tujhe.
Nizam : haan bhai aaj mujhe bhi pura yakeen hogaya ke tu pakka askhiq hai.
Teeno ki baat sunkar ajju kuch nahi kahta.
Ajju : khair iss baat per hum iski shadi ke baad raat me baat karange ab tum log niklo ise lekar abhi bohat kaam hai.
Phir ye teeni nikal jate hai aur ajju saloon me rah kar apne baal banana baith jata hai.

Aaj ke liye itna hi agey janne ke liye mere sath bane rahiye BE-INTEHA-ISHQ ke sath aap ka apna MAQ.

Written by MOHAMMED AZEEM QURESHI ( MAQ ).
awesome update
 
  • Like
Reactions: Maq

Maq

Lovely person????
429
518
109
Update - 4

Ajju salon se nikal kar seedha apne ghar jata hai.

Mom : agaya beta tu. Kaisa chal rahi shadi ki tayyari.

Ajju : sabhi accha raha mom aur aunty ne aap boaht yaad kiya hai woh aap se bohat naraz bhi hai.

Mom : mujhe pata hai aur unka naraz hona bhi jayez hai.

Ajju : ghar per koi nahi dikh raha.

Mom : haan sabhi nizam ki shadi me pahenne ke liye shopping karne gaye hai.

Ajju : in ladkiyon ki bhi na mom shopping hi khatam nahi hoti.
Perso hi toh ki thi shopping aur dekho aaj phir nikal gaye.
Inko toh bas shopping karne ka bahana chahiye.

Mom : tu chup kar tujhse toh hoti nahi aur meri bachion ki burai karne laga.
Chal ja kar fresh hoja tab tak mai tere liye coffee banati hoon.

Mom ki baat sunkar ajju haste hue kahta hai.

Ajju : haan aap ko apni ladliyon ki burai kaha pasand ayegi. Waise aap log kab tak arahe ho ?

Mom : bas tere papa ane wale hai unke atey hi nikal jayenge.

Ajju : thik hai mai bhi ready hokar nikalta hoon.

Phir ajju waha se apne room me jakar fresh hota hai.
.
.
.

Idhar ajju ke sisters side :

Sabhi aaj nizam ki shadi ki shopping ke liye nikle they. Halanke unho ne kuch din pahle hi shopping ki thi magar unke khayal se unke paas pahanne ke liye dhang ke kapde nahi hai isi liye aaj shopping karrahe they 🤣🤣🤣.

Waise bhi shopping karna ladies ka janam sidh adhikar hai😂😂😂.

Ye sabhi iss waqt A.S GROUP OF MALLS me khade they.

Didi : toh bahno pahle kahan se shuru karen.

Rukhsar : pahle nizam bhai ke liye gift lete hai phir apni shopping karte hai.

Shabnam : haan sahi kaha warna apni shopping karne ke baad toh hume kuch yaad hi nahi rahta.

Shabnam ki baat sunkar sabhi haste hai.

Nishath : haan yaar apni shopping ke baad toh mujhe toh sirf restuarant hi yaad rahta hai aur kuch bhi nahi.

Nishath ki baat sunkar simran kahti hai.

Simran : tujhe toh khali time bhi kahne ke alawa aur sujta hi kya hai bhukaad.

Simran ki baat sunkar ek baar phir sabhi haste hai.

Didi : chalo phir thik hai pahle nizam ke liye gift lete hai phir shopping karte hai. Waise kisi ne kuch soncha hai ke gift kya dena hai.

Didi ki baat sunkar sabhi ek dusre ke chahron ko dekhne lagte hai.

Didi : kya hua kuch bhi nahi soncha.

Sabhi na me sar hilate hai.

Didi : chalo koi baat nahi. Maine sonch liye hai bas tumlogon ki raye lerahi thi ke tum logone shayed kuch aur soncha hoga.

Shabnam : nahi didi humara iss taraf dhiyan hi nahi gaya.

Nishath : haan didi maine bhi nahi soncha tha.

Didi : thik hai koi baat nahi.

Rukhsar : waise didi aapne kya gift dene ka soncha hai.

Rukhsar ki baat sunkar sabhi didi ko hi dekhte hai.

Didi : mai sonch rahi thi ke nizam ko ek rolex watch aur uski wife ke liye ek gold ka set doon.
Ab tum log batao kya ye dena chahiye ya nahi.

Nishath : best hai didi.

Rukhsar : haan didi ye sahi rahega.

Simran : mera bhi yahi khayal hai.

Shabnam : same here.

Muneeza : same here.

Phir sabhi mall me jakar sab se pahle nizam ke liye ek best Rolex watch lete hai phir waha se gold ki shop per jate hai.

Ye wahi shop thi jaha pichli baar inlogon ki ladayi hui thi.

Jaise hi ye log andar jate hai sabhi inko dekh kar kahde hojate hai.

Pichli baar ke kand ke baad se inko yaha sabhi log pahchane lage they.

Woh sales girl bhi apni jagha se uth kar inke paas ati hai.

Sales girl : aiye madam welcome.

Sabhi uske aise kahne per bas muskurate hai.

Didi : ji shukriya hume kuch best gold ke set dikhaye agar aap ko dikhane me koi pareshani na hoto.

Didi ki baat sunkar woh sales girl muskurate hue kahti hai.

Sales girl : isme pareshani kaisi madam ye toh mera kaam hai aur last time jo bhi hua uske liye mai dil se sharminda hoon.

Sales girl ki baat sunkar sabhi ko accha lagta hai ke ye waisi nahi rahi jaise thi.

Didi : accha laga tumhe aise dekh kar. Khair hume humare hone wali bhabhi ke liye ek gold ka set chahiye set aisa hona chahiye jo dekhne wale bas dekhte hi rah jaye.

Didi ki baat sunkar sales girl kuch der sonchti hai phir didi se kahti hai.

Sales girl : madam important chalega.

Nishath : important matlab ?

Sales girl : matlab ye thoda heavy weight hota hai aur isko dusri country me banaya gaya hota hai.

Nishath : accha accha.

Nishath ke aisa kahne per sabhi haste hai.

Didi : thik hai dikho.

Phir sales girl shop me bane ek room me jati hai lene.

Shabnam : didi ye toh puri badal gayi.

Rukhsar : haan iske toh sur hi badal gaye.

Simran : ise dekh kar lag hi nahi raha ke ye uss din wali ladki hai.

Muneeza : hojata hai yaar shayed ye uss din kisi aur ka gussa mujh per nikal gayi hogi aur woh manager bhi toh kaisa tha maine usko nikal ne ke liye bhaiya ko kahdiya tha.

Didi : haan ajju ne use nikal diya hai. Uss din bhi ladayi usi ki wajha se hui thi.

Didi ki baat sunakr sabhi didi ki taraf dekhte hai.

Muneeza : matlab didi ?

Didi : woh jo manager tha woh in per dabao daal raha tha sale badhane ka toh usi ke pressure se uss din ye ladki frustration me thi aur uski frustration ka shikar humari pyari muneeza hogayi.

Didi ki last baat sunakr sabhi haste hai toh muneeza apna muh bana leti hai jise dekh kar ek baar aur sabhi haste hai itne me woh sales girl kuch boxes lekar ati hai toh sabhi lag jate hai pasand karne me.

Bohat se sets dekhne ke baad finally ek set unhe 0pasand ata hao jisme gale ka haar kanon ke jhunke mang ka tika aur hath ki anghoti thi use pasnad karke use gift me pack kara dete hai.

Payment karke jaise hi sabhi jane lagte hai toh woh sales girl unse kahti hai.

Sales girl : mai aap logon se uss din ke liye maafi mangna chahti hoon. Maine uss din aap logo ko bohat bura bhala kaha please mujhe maaf kardijiye.

Ye kahte hue uske ankhon ne ansu ajate hai jise dekh kar sabhi ka dil pighal jata hai.

Didi agey badh kar use gale se laga kar kahti hai.

Didi : humne tumhe bohat pahle hi maaf kar diya hai. warna hum yaha atey hi kyun aur atey bhi toh tumhare se hi kyun khareed ne atey.
Toh ab tum ye sab dil se nikal do aur jaise ab hi humesha waisi hi rahna.

Didi ki baat sunkar sales girl didi ko thanks kahti hai phir sabhi usse gale milte hai last me muneeza milti hai toh sales girl muneeza ke hath apne hath me lekar kahti hai.

Sales girl : mujhe pata nahi uss din kya hogaya tha jo mai tum jaisi itni pyari ladki ko aise treat ki tumhare jane ke baad mujhe bohat hi sharminda feel horaha tha aur dil karaha tha ke tumhare paas akar tumse maafi mang loon magar jati bhi toh kiss muh se aur meri himmath bhi nahi hui isi liye aaj tumse dil se maafi mangti hoon. Kyun ke maine sabse ziyada tumhara hi dil dukhaya hai please mujhe maaf kardo.

Ye sab kahte hue sales girl ke ankhon me ansu ajate hai.

Muneeza bhi uski baton ko sunkar use gale se laga kar kahti hai.

Muneeza : areey aap ro kyun rahi hai. Mujhe pata hai aap pressure me thi uss waqt isi liye aap ne aisa kaha aur maine aap ko bohat pahle hi maaf kardiya tha. Toh please rona band kijiye aur humesha aise hi haste muskurate rahiye jaise kuch der pahle tak thi.

Muneeza ki baar sunkar sales girl usse alag hoti hai phir sabhi use bye kahkar agli baar ane ka kahke nikal jate hai.

Waha se nikal kar sabhi apni apni shopping ke liye nikalte hai.

Didi : tum logon ko abhi kitna time lagega.

Nishath: kyun didi ?

Didi : kyun ka kya matlab hai hume shopping ke baad parlour bhi toh jana hai.

Nishath : uski aap chinta math kijiye woh mai dekh lungi.

Didi : haan magar zara jaldi karuge toh hum nizma ki shadi enjoy bhi karsate hai. Baki tumhari marzi.

Didi ki baat sunkar rukhsar kahti hai.

Rukhsar : aap ki baat bilkul sahi hai didi waise bhi humko waha bohat pahle jana chahiye tha aur dekho aaj bhi shopping karne me lage hue hai.

Didi: isi liye toh kahrahi hoon ke shopping jaldi khatam karo.

Didi ki baat sunkar sabhi ek sath ok kahte hai.

Kuch hi der me sabhi apni shopping khatam karke bahar nikalte hai sabhi ke haton me bags they. Sabhi Apne apne bags ko car me dal dete hai.

Nishath : mai toh bohat thak gayi hoon aur mujhe bohat bhook bhi lagi hai. Toh yaha se pahle kisi acche se restuarant me jakar kuch khate hai.

Nishath ki baar sunkar sabhi bahne hasne lagti hai jise dekh kar nishath chid jati hai.

Nishath : kya hua Maine koi joke mara hai kya jo tumlog aise has rahi ho.

Rukhsar : joke toh nahi mara magar teri halath khud joke jaisi hogayi hai isi liye hasi arahi hai. Hahahaha

Simran : sahi kaha aur ise itni jaldi bhook lagti kaise hogi. Abhi kuch hi der pahle toh isne cafeteria me 2 cream roll gaye aur phir se bhook lagi hai. Ye pakki bhukaad hai. Hahahaha

Inki baten sunkar didi nishath ke paas jati hai aur use apne se laga kar kahti hai.

Didi : chup karo tumlog kyun pareshan karrahi ho meri moto ko.

Didi ki baat sunkar aur unke aise apne ko lagane se nishath laad se didi se kahti hai.

Nishath : dekho na didi ye sab ke sab mujhe aise hi pareshan karte hai humesha.

Ye kah kar nishath sabko apni jeeb dikhati hai jise dekh kar sabhi muskurate hai aur didi ki taraf dekhte hai.

Didi : koi pareshan nahi karega meri lado ko. Kya hua isne atey hue teen sandwich 2 bread aur ek glass juice piya aur yaha 2 cream roll aur ek coffee bhi iska matlab kya isko bhook nahi lag sakti

Didi ki baat sunkar sabhi ek baar aur hasti hai toh nishath didi se alag hokar nakhre se kahti hai.

Nishath : kya didi aap bhi inke sath milgayi jaiye mai aap se baat nahi karti.

Nishath ki aisi nautanki dekh kar sabhi ke charon per muskurahat ajati hai.

Shabnam : oye moti ab chal ye nautanki band kar warna restuarant ki jagha car ko sedha theater ki taraaf hi lekar chalenge phir khate rahna popcorn.

Shabnam ki baat sunkar nishath bura sa muh banakar kahti hai.

Nishath : allah tum jaisi bahne kisi ko bhi na de huh.

Ye kah kar nishath car me baith jati hai toh sabhi muskurate hue car me baith kar nikal jate hai.

Aaj ke liye itna hi agey janne ke liye mere sath bane rahe BE-INTEHA-ISHQ ke sath apka apna MAQ

lovely update
 
  • Like
Reactions: Maq
Status
Not open for further replies.
Top