• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance BE-INTEHA-ISHQ

Status
Not open for further replies.

mashish

BHARAT
8,032
25,905
203
Update-43
Aaj nizam ki shadi thi jiski tayyari zor shor se chal rahi thi.
Sabhi lage hue they koi tant walon ko sambhal raha tha toh koi bawarchi ( cook ) ko bata raha tha ke kya kya banana hai toh koi decoration walon ko samjharaha tha. Har koi busy hi tha.
Ajju iss waqt kuch guest ko lene gaya hua tha toh yaha mahi sabhi ghar ke kamon me nizam ki mom ki help karrahi thi.
Nizam mom : mahi beta zara dekhna toh ye sadi kaisi rahegi dulhan ki mom ko karne ke liye.
Mahi : bohat acchi hai aunty aur aap ye wali pahno ye aap per bohat hi acchi lagegi.
Mahi ne aunty ko ek strawberry color ki saree dete hue kaha tha.
Nizam mom : haan beti mai bhi yahi soch rahi thi pahanne ke liye ab tune kaha toh ab mai pakka yahi pahnongi.
Phir unhone ek packet mahi ki taraf dekar kaha.
Nizam mom : aaj shadi me tum ye pahno tum per bohat accha lagega.
Who ek mahroon colour ka half saree tha.
Mahi : arey aunty iski kya zarurat thi mai aaj apne pahnne ke kapde apne sath lekar ayi hoon.
Nizam mom : mujhe pata hai magar mai chahti hoon ke tu ye pahne.
Mahi : but aunty mai kaise….
Nizam mom : chup koi sawal nahi maine kaha na toh tumhe yahi pahanna hoga samjhi.
Mahi : ji aunty.
Mahi ki baat sunkar aunty mahi ke sar per pyar se hath pher kar kahti hai.
Nizam mom : chal ab aur bhi kaam hai.
Phir nizam ki mom aur mahi dusre kamon me lag jate hai.
Idhar imtiyaz aur ahmed nizam ko lekar saloon aye hue they.
Nizam : yaar mujhe samhaj nahi araha ke dadhi ( beard ) ko kaise set karwaon.
Ahmed : abbey isme sonche samhajne jaisa kya hai bhai hajam ko bolde who tere chahre ke hisab se set kar dega.
Ahmed ki baat sunkar imtiyaz kahta hai.
Imtiyaz : abbey oh ghareeb humesha gareebon wale idea hi atey hai tere dimag me kya, aaj iski shadi hai ye kisi ki shadi me nahi jaraha jo hajam iski dadhi set karega. Kabhi toh dhang ki baat kiya kar.
Ahmed : haan toh tu hi batana isko ke konsi dadhi set karaye.
Imtiyaz : haan toh bata raha hoon na.
Ahmed : toh batana.
Nizam ( chid kar ) : yaar tum log jhagra baad me karlena abhi mujhe batao toh sahin ke kon si wali banao. Sala mujhe bhi pagal kutte ne kat liye tha jab maine tum dono ke sath ane ke bareme socnha tha.
Nizam ki baat sunkar dono chup hojate hai.
Nizam : ab chup kyun ho batai ya mai aise hi jakar stage per baith jaon.
Ahmed : yaar ek toh tu gussa karna band kar aur chup chap baith hum abhi tere liye ek badhiya sa face cut dekhte hai.
Phir ahmed saloom me se ek catalogue utha kar dekhta hai aur imtiyaz bhi uske sath dekhta hai phir dono milkar uske liye ek achha sa hair cut aur face cut nikal kar usko dikhate hai phir baal katne wale ko bhi dikhate hai hai.
Idhar ajju sabhi mahmanon ko station se ghar lekar ata hai ke nizam ke dad ajju se kahte hai.
Nizam dad : ajju beta tune nasthta toh karliya na?
Ajju : ji uncle station ke paas hi ek restaurant me karliya tha.
Nizam dad : hmm toh thik hai tum abhi alauddin ko lekar marriage hall ki taraf jao wahan per sab kuch set hai ya nahi dekho agar kisi cheez ki zarurat hai toh tum dekh lena ab mujhe toh mahmanon se hi fursat nahi milne wali isi liye tumhe kah raha hoon.
Ajju : uncle aap befakar hokar apne mahmanon ko dekhiye mai sab kuch sambhal lunga.
Nizam dad : aur haan beta nizam ko bhi waqt per ready rahne ko kahna.
Ajju : ok unlce.
Phir nizam ke dad wahan se chale jate hai toh ajju ghar ke andar jata hai toh dekhta hai ke mahi mahmanon ko nashta serv karrahi thi toh ajju bhi uske paas chala jata hai.
Ajju : tum kab ayi ?
Mahi : mai toh subha se yahin per hoon tum hi ghayeb ho.
Ajju : who mai nizam ke kuch relatives ko lene gaya tha. By the way abhi kya karrahi ho?
Mahi : kuch nahi bas sabhi ko nashta den eke baad aunty se puch kar dusra kaam karongi…. kyun kuch kaam hai kya ?
Ajju : kuch nahi who mujhe apne liye kapde lene they toh soncha tum free ho toh tumhe sath le chalon.
Mahi : thik hai chalte hai mai abhi ye bartan ko kitchen me rakh kar ati hoon tab tak tum car nikalo.
Ajju bhi ok kah kar bahar chala jata hai aur alauddin ko call karta hai.
Ajju : hello kaha per hai abhi tu.
Alauddin : mai abhi marriage hall me hoon.
Ajju : ok mai abhi kuch kaam se jaraha hoon toh kuch der baad wahin per aunga ok.
Alauddin : thik hai aur ek baar nizam se bhi millena pata nahi un change mangu ne uska Holiya kaisa banaya hoga.
Ajju alauddin ki baat sunkar chonk jata hai.
Ajju : kyun ab tune unko kon sa kaam dediya yaar.
Alauddin : who maine unko kaha tha ke nizam ko saloon lekar jaye.
Alauddin ki baat sunkar ajju apne sar ko hath laga kar kahta hai.
Ajju : beda gharg kardiya hoga unhone abhi tak uska. Tujhe pata hai na woh log kaise hai phir bhi tune unko ye kaam diya.
Alauddin : pata hai yaar magar koi choice bhi nahi thi mujhe market se function ke dinner ke liye kuch samaan lana tha bawarchi ne phone kiya tha aur phir wahan se seedha yaha aya aur yahan per bhi puri tayyari nahi thi toh majburi me mujhe unhe bolna pada kyun ke mujhe pata that u nizam ke relatives ko lene gaya hai.
Ajju : accha thik hai mai dekhta hoon. Bas dua karo ke sab thik ho warna bechara nizam shadi ke din pata nahi kaisa dikhega.

Ajju ki baat sunkar alauddin hasta hai aur call cut kardeta hai.
Kuch hi der me mahi bhi ajati hai toh ajju usko lekar mall nikal jata hai.
Mall pohanch kar ajju apne liye ek sherwani aur ek tree piece leta hai jisko mahi ne pasand kiya tha.
Phir ajju mahi ke liye bhi ek green colour ka suit liya magar usne mahi ko bataya nahi bas lekar apne paas bags me rakh liya.
Mahi : ab shopping hogayi toh chalen.
Ajju : yaar subha se bhag daud karrahe hai toh bohat thakan si horahi hai toh ek coffee peete hai kuch refreshment bhi hojayega.
Mahi : haan sahi kaha mujhe bhi thodi thodi thakawat horahi hai.
Phir dono wahin ke cafeteria chale jate hai.
Ajju : meri wajha se tum bhi iss sab me phas gayi.
Ajju coffee order karne ke baad mahi se kahta hai.
Mahi : matlab ? mai samjhi nahi tum kis bareme baat karrahe ho.
Ajju : yahi nizam ki shadi ke bareme baat karaha hoon.
Mahi : arey isme phasne wali kya baat hai mujhe toh ye sab karte hue maza araha hai aur sach kahon toh maine isse pahle kabhi bhi kisi ki shadi ki tayyarion me madad nahi ki.
Ajju : phir bhi mujhe accha nahi lag raha dekho tum bhi kitni thak jati ho yaha ka kaam karte hue.
Mahi : itna toh chalta hai aur waise bhi nizam tumhara best friend hai toh mai itna toh kar hi sakti hoon apne best friend ke best friend ke liye.
Ye kah kar mahi ajju ko ek ankh marti hai.
Jise dekh kar ajju muskurata hai.
Kuch der me waiter coffee lekar ata hai toh ajju kahta hai.
Ajju : kya tum sach me mujhe apna best friend manti ho.
Mahi : kyun tumhe shak hai.
Ajju : nahi bas aise hi puch raha tha.
Mahi : agar mai tumhe apna best friend nahi samhajti toh abhi mai yahan nahi office me hoti.
Ajju : hmm ye bhi sahi hai. khair tumhe pata hai na jab koi friend apne friend ko kuch deta hai toh who use mana nahi karsakta.
Mahi : haan pata hai magar tum kyun puch rahe ho.
Mahi ki baat sunkar ajju apne shopping bags me se ek bag nikal kar mahi ki taraf karte hue kahta hai.
Ajju : iss liye.
Mahi uss bag ko dekh kar muh phula kar kahti hai.
Mahi : accha toh tum mujhe apni baton me phasaya. Jao mai tumse baat nahi karti.
Ye kah kar mahi jhoot moot ka gussa karti hai jise dekh kar ajju muskurate hue kahta hai.
Ajju : ab ye muh phulana band puri bandariya lag rahi ho.
Ajju ki baat sunkar mahi bhi haste hue kahti hai.
Mahi : accha toh mai bandariya toh tum bhi Bandar ho.
Mahi ki baat sunkar ajju ko achanak se alfisha ki yaad ajati hai kyun ke who bhi ajju ko aise hi kahti thi.
Ajju achanak khamosh hojata hai jise dekh kar mahi kahti hai.
Mahi : kya hua tum achanak se khamosh kyun hogaye.
Ajju kuch nahi kahta toh mahi uske hath per hath rakhti hai toh ajju mahi ke chahre ko dekhta hai jisme apne liye use fikar aur apnapan nazar ata hai toh ajju apne aap ko normal karte hue kahta hai.
Ajju : arey mujhe kya hona hai chalo chalte hai abhi bohat se kaam pade ha.
Ye kah kar ajju paise nikal kar table per rakh deta hai aur bags lekar bahar ki taraf chal deta hai.
mahi bhi uske peeche peeche chal rahi thi aur ajju ke behavior ke bareme sonch rahi thi ke ajju ko achanak se kya hogaya kya meri koi baat use buri lagi.
Phir dono car me baith kar wahan se nikal jate hai.

Aaj ke liye itna hi agey janne ke liye mere sath bane rahiye BE-INTEHA-ISHQ ke sath apka apna MAQ.
Written by MOHAMMED AZEEM QURESHI ( MAQ ).
lovey update
 
  • Like
Reactions: Maq

Maq

Lovely person????
429
518
109
writer ji aapki story continue kar to de per kya fieda aap to apne purane tarike se hi update doge ya fir gayeb ho jouge

Dekho bhai mai janta hoon ke story me update ka time agar bigad jaye toh story padne me maza nahi ata magar zindagi kuch Yun naye nay rang dikha rahi ke un rangon me rangne ke liye waqt lag raha hai bas isse ziyada mai aur kuch nahi kah sakta .. haan koshish zarur karonga update jald se jald dene ki.

Shukriya...
 
  • Like
Reactions: mashish

mashish

BHARAT
8,032
25,905
203
Dekho bhai mai janta hoon ke story me update ka time agar bigad jaye toh story padne me maza nahi ata magar zindagi kuch Yun naye nay rang dikha rahi ke un rangon me rangne ke liye waqt lag raha hai bas isse ziyada mai aur kuch nahi kah sakta .. haan koshish zarur karonga update jald se jald dene ki.

Shukriya...
ye baat ham bhi jante hai har kisi ki apni life hoti hai ham ye nahi khe rahe hai ki aap daily update do atleast hafte main 2 update to de sakte ho aap bese bhi is fourm per achhi story kam hai aur aapki story un achhi story main aati hai
 
  • Like
Reactions: Maq

Maq

Lovely person????
429
518
109
ye baat ham bhi jante hai har kisi ki apni life hoti hai ham ye nahi khe rahe hai ki aap daily update do atleast hafte main 2 update to de sakte ho aap bese bhi is fourm per achhi story kam hai aur aapki story un achhi story main aati hai

Shukriya bhai mai puri koshish karunga update dene ki aur sahi kahon toh mai ye story sirf aap logon ke liye hi continue karraha hoon kyun ke iss story ko kuch gine chune log hi padte hai aur mai bhi unhi ke liye likh raha hoon jinme se ek aap bhi hai.

Thanks.
 
  • Like
Reactions: mashish

Maq

Lovely person????
429
518
109
Update-44
Ajju aur mahi car me baith kar seedha nizam ke ghar pohanchte hai.
Ajju mahi ko nizam ke ghar chod kar ahmed ko call karta hai.
Ajju : hello kaha per ho tum log ?
Ahmed : hum log saloon me hai.
Ajju : ok mai araha hoon wahan per.
Aur ajju wapas car me baith kar nikal jata hai aur mahi wahin khadi rahti hai aur ajju ko jate hue dekhti hai.
Ajju ke jane ke kuch der baad mahi bhi ghar ke andar chali jati hai magar abhi bhi uske dil me yahin baat chal rahi thi ajju ko achanak se kya hogaya tha.
Mahi : ( apne man me ) akhir ajju ko hua kya tha kya meri koi baat ajju ko buri lagi thi ya phir koi aur baat hai. kyun ajju ke chahre per achanak se udasi agayi? Jo bhi baat ho mai pata laga kar hi rahungi.
Phir mahi bhi shadi ke kamon me lag jati hai.
Idhar ajju ahmed se baat karne ke baad seedha saloon pohanchta hai.
Ajju jaise hi saloon me jata hai nizam ko dekh kar khush hojata hai kyun ke uska hair style aur dadhi ( beard ) bohat hi acchi set hui thi.
Ajju : wah mere sheron wah aaj pahli baar tum logon ne koi accha kaam kiya hai.
Ahmed : kyun be hum pahle kya bure kaam karte they jo tu aisa kah raha hai.
Ajju : ab mera muh math khulwa tareef karraha hoon toh hazam nahi horahi kya.
Ahmed : haan toh tareef karke kya hum per koi ahsaan karraha hai kya humne jo kiya usi ki tareef karraha hai.
Ajju : abbey chup zara si tareef kya kardi tu toh sar per chadne laga. Sale kya tune iski cutting aur dadhi banayi hai jot u kah raha hai ke humne accha kaam kiya hai.
Ahemd : kiya nahi hai toh kya hua idea toh humara hi than a.
Ajju : haan toh isi liye toh tareef bhi ki na maine.
Ajju aur ahmed ki bak bak sunkar nizam kahta hai.
Nizam : yaar ajju tujhe kab se ladkiyon ke jaisa bahes karne ki adat pad gayi chod na aur ye bata mai kaisa lag raha hoon.
Ajju : mere yaar tu toh ek dam hero lag raha hai. isi liye toh kaha aaj pahli baar indono ne accha kaam kiya hai. aur bhai ye rakh aaj tune bohat hi badhiya kaam kiya hai.
Ye kah kar ajju hair dresser ko apne wallet me jitna cash tha sabhi nikal kar use dedeta hai.
Ajju : accha ahmed aur imtiyaz tum dono nizam ko ghar chod kar seedha function hall chale jana wahan per alauddin akela hai mai bhi apne baal aur dadhi set kara kar ata hoon.
Phir imtiyaz ki taraf dekhte hue kahta hai.
Ajju : abbey tujhe kya hua jab se aya hoon ek lafz bhi nahi kaha.
Imtiyaz : mujhe kya hona hai mai toh ek dam mast hoon.
Imtiyaz ki baat sunkar ahmed kahta hai.
Ahmed : nahi nahi mai bhi yahi puchne wala tha mai bhi kal se dekh raha hoon ye kuch khoya khoya sa rahta hai aur jitna pucho utna hi jawab deta hai aur choti choti baton per chid jata hai.
Ahmed ki baat sunkar ajju imtiyaz ki taraf dekhta hai toh imtiyaz ahmed ko ghoor kar dekhte hue kahta hai.

Imtiyaz : aisa kuch nahi hai ye aise hi kuch bhi bakte rahta hai.
Ajju : nahi beta mana ke ye chutiya hai magar itna bhi nahi ke jitna tu ise samhaj raha hai.
Imtiyaz kuch nahi kahta magar ahmed kahta hai.
Ahmed : abbey ek minute tune mujhe chutiya kyun kaha ? kya mai chutiya hoon ?
Ajju : puch raha hai ya bata raha hai.
Ajju ki baat sunkar sabhi haste hai toh ahmed chidte hue kahta hai.
Ahmed : sale baat iski hai aur chutiya mujhe bola jaraha hai wah bhai wah.
Ajju : abbey tu thodi der chup rah na. haan bhai ab batao mamla kya hai tere iss chuppi ka aur haan koi bahana nahi chahiye kyun ke mujhe adhe se ziyada pata hai bas puri baat pata nahi hai ab bol.
Ajju ki baat sunkar imtiyaz kuch der chup rahta hai phir ek lambi saans chod kar kahta hai.
Imtiyaz : I'm in love.
Imtiyaz ki baat sunkar ahmed aur nizam chonk jate hai magar ajju nahi chonkta jise dekh kar imtiyaz chonk jata hai.
Imtiyaz : kya tujhe pahle se pata tha.
Ajju : pata nahi tha bas shak tha.
Imtiyaz : magar kaise maine toh kabhi uska zikar bhi nahi kiya.
Ajju : beta abhi tu iss khel ka kachcha khiladi hai abhi tujhe bohat dhakke mukke khane hai aur jis daur se tu guzar raha hai na ye abhi first satage hai.
Ajju ki baat sunkar sabhi hairan hojate hai.
Ahmed : abbey jab tujhe shak tha toh tune kabhi isse pucha kyun nahi.
Ajju : beta ahmed isi liye toh maine tujhe chutiya kaha tha.
Ahmed kuch kahta usse pahle nizam kahta hai.
Nizam : accha chal man liya tujhe shak tha magar abhi tune kaha ke ye first stage per hai toh ye tujhe kaise pata. Chal bol ye kyun aisa chupchup rah raha hai.
Imtiyaz : haan bhai bol mujhe bhi janna hai.
Ajju muskurate hue kahta hai.
Ajju : maine kaha na ye abhi kachcha khiladi hai. aise logon ko mere jaise kya agar koi iske sath ek din bhi bita liya toh who bhi bata dega ke ishq me hai aur mashuka se baat karne ke liye dil machal raha hai magar mashuka se baat nahi horahi. Kyun bhai sahi kaha na.
Ajju ki baat sunkar imtiyaz hairan hojata hai.
Imtiyaz : haan bhai yahi baat hai do din se uska phone nahi lagra aur usne kisi aur number se phone bhi nahi kiya isi liye mujhe tension horahi hai.
Ajju : mujhe pata tha aisa hi kuch hoga.
Ahmed : wah bhai ajju wah maan gaye tujhe.
Nizam : haan bhai aaj mujhe bhi pura yakeen hogaya ke tu pakka askhiq hai.
Teeno ki baat sunkar ajju kuch nahi kahta.
Ajju : khair iss baat per hum iski shadi ke baad raat me baat karange ab tum log niklo ise lekar abhi bohat kaam hai.
Phir ye teeni nikal jate hai aur ajju saloon me rah kar apne baal banana baith jata hai.

Aaj ke liye itna hi agey janne ke liye mere sath bane rahiye BE-INTEHA-ISHQ ke sath aap ka apna MAQ.

Written by MOHAMMED AZEEM QURESHI ( MAQ ).
 
Status
Not open for further replies.
Top