• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance BE-INTEHA-ISHQ

Status
Not open for further replies.

Maq

Lovely person????
429
518
109

Maq

Lovely person????
429
518
109
Update-32

Ajju subha uth kar fresh hokar jogging ko jata hai toh uske paas ek admi ata hai jiski age lagbhag 60 ke uper ki thi magar body boaht hi mazboot lag rahi thi.

Woh admi jogging karte hue ajju ke paas ajata hai.

Admi : hello young man.

Ajju jo jogging karte waqt apne phone me headphone laga kar songs ko sunte hue jogging karta hai toh usko us admi ne kya kaha woh sunai nahi deta bas use aisa lagta hai jaise iss admi ne usse kuch kaha.

Ajju apne apne phone ki volume kam karke kahta hai.

Ajju : kya apne abhi mujhse kuch kaha.

Ajju ki baat sunkar woh admi kahta hai.

Admi : haan maine kaha hello young man.

Ajju : hello uncle kahiye mai aap ki kya madad kar sakta hoon.

Ajju ki baat sunkar woh admi bas muskurate hue kahta hai.

Admi : mujhe kisi madad ki zarurat nahi hai mai toh bas tumse baat karna chah raha tha.

Iss waqt dono ki jogging karte hue park ke benches ke paas agaye they.

Who admi bench ke paas akar ruk jata hai toh ajju bhi waha per ruk kar apna phone nikal kar songs ko stop karke apne headphone ko apne gale me latka leta hai.

Ajju : haan uncle kahiye aap ko mujhse kya baat karni hai.

Who admi bench per baith jata hai aur lambi lambi sanse lene lagta hai toh ajju usko apna glucose ka bottle deta hai toh woh admi bhi ajju ke paas bottle lekar usme se thoda sa peeta hai aur ajju ko bottle wapas dete hue kahta hai.

Admi : thanks bata mera naam sahmsuddin hai aur mai iss colony me new aya hoon aur tumhe mai teen char din se dekh raha hoon. Tum roz jogging per atey hi toh soncha tumse baat karli jaye.

Us admki baat sunkar ajju muskurate hue kahta hai.

Ajju : hello uncle mera naam azeem hai aur pyar se sab log mujhe ajju bulate hai aur aap bhi mujhe ajju kah sakte hai. mujhe exercise ka kuch ziyad shauk nahi hai bas fitness ke liye har roz jogging kar leta hoon.

Ajju ki baat sunkar woh admi jiska naam shamsuddin hai jiski badi badi muchen thye apne muchon ( mustache ) per hath phirate hue kahta hai.

Shamsuddin : hmm acchi adat hai mujhe khushi hui ke tum roz subha uthkar jogging karte ho. Warna tumhari umar ke ladke to hiss waqt bistar me pade rahete hai. mujhe aise ladke bilkul bhi pasand nahi jo subha jaldi na uthe tum mujhe pasand aye isi liye tumse baat ki aur tumse baat karke bhi accha laga. Auo chalo mere ghar chalte hai tumko meri family se milwata hoon woh bhi tumse milkar khush hojayenge.

Ajju shamsuddin ki baat sunkar muskurate hue kahta hai.

Ajju : thanks uncle magar mujhe kuch kaam hai toh abhi mai aap ke sath nahi chal sakta phir kabhi zarur chalonga.

Ajju ki baat sunkar shamsuddin bhi muskurate hue kahta hai.

Shamsuddin : chalo thik hai koi baat nahi phir kabhi hi sahi tumse milkar accha laga.

Ajju : mujhe bhi aap se milkar accha laga. Waise aap ki muche mujhe bohat pasand ayi.

Ajju ki baat sunkar shamsuddin apni muchon per ek baar aur muchon per hath pherta hai hai aur muskurate hue kahta hai.

Shamsuddin : ye toh humari khandani parampara hai aur ye humare khandan ki shan bhi hai. tumhe bhi much rakhni chahiye.

Shamsuddin ki baat sunkar ajju haste hue kahta hai.

Ajju :( haste hue ) apka bohat bohat shukriya magar mai aise hi theek hoon.

Shamsuddin : tum aaj kal ke naujawan bhi na bas fashion ko hi ehmiyat dete ho. Khandan parampara ye sab cheezen ko ek mazak samhajte ho. Hum jab tumhari umer ke they toh humare sath kaisa sulook hota tha kya bataon khair ye chodo aur batao kya karte ho tum?

Ajju unki baton ko sunkar kahta hai.

Ajju : uncle mai toh mere papa ke business me unka hath batata hoon. Aur ek baat kahunga bura math maniyega sach kahon toh ye kahandan ye parampara ye sab cheezen jitni acchi hai na ye usse ziyada buri hai.

Shamsuddin ajju ki baat sunkar kadak awaaz me kahta hai.

Shamsuddin : kya matlab hai tumhara.

Ajju : dikheye uncle ye paramparam ameeron ke liye toh unki shaan hai magar ghareebon ke liye kisi sharap ( cursed ) se kam nahi hai. jaha ameer ko parampara nibhane me koi takleef nahi hoti magar ghareeb uska kya usko do waqt ki roti bhi tab naseeb hoti hai jab woh din bhar mahnath karke apna khoon pasina ek kardeta hai toh woh pahle apne pet ko dekhega ya parampara ko …. Aur rahi baat aaj kal ke naujawan kit oh pahle ke daur me log kam pade likhe hote they aur jati ka mamla tha jisme khandan parampara ko dekha jata tha…. Magar aaj ka jawan aisa nahi hai use pata hai ke agar usne ye paramparon ko khatam nahi kiya toh ye aise hi chalti rahegi….. aur etehas gawah hai ke jab bhi badlaw aya hai naujawnon ki wajha se hi aya hai.

Ye kah kar ajju chup hojata hai aur shamsuddin use bas dekhta hai rahta hai phir kuch der baad shamsuddin ajju ki peet thap thapa kar kahta hai.

Ajju : mujhe ab sach me tumse milkar khushi horahi hai tumhari sonch waqai me bohat acchi hai. magar jis parampara ki mai baat karraha hoon usme ameer ghareeb sab barabar hai. ab tum sonch rahe honge ke kaise toh bhai mai toh sirf munch kibaat karaha tha aur tumne mujhe itna bada bhashan dediya. Hahahaha

Ye kahkar shamsuddin hasne lagat hai toh ajju ko bhi unki bay sunkar hasi ajati hai kahan uncle munch ki baat karrahe they aur maine kya kya boldiya.

Ajju : sorry uncle maine pata nahi kya kya aap ko bil diya.

Ajju ki baat sunkar shamsuddin haste hue kahta hai.

Shamsuddin : arey isme sorry kahne ki kya baat hai bhai maine apni baat rakhi aur tumne apni toh isme sorry kaisa.

Ajju : hmm ye bhi thik hai…. accha uncle ab mai chalta hoon phir mulakat hogi.

Shamsuddin : theek hai beta apna khayal rakhna aur humesha aise hi muskurate hue rahna. Khuda tumhe salamath rakhe.

Ajju : ji uncle bye khuda hafiz.

Phir ajju wahan se apne ghar ajata hai aur fresh hokar neeche akar dinning table per baith jata hai.

Dad : toh janab aaj bhi office ko nahi jarahe kya ?

Ajju ke dad jo dinning table per baith kar akhbar ( newspaper ) padh rahe they ajju ke baithne ke baad kahte hai.

Ajju : haan dad aur ye pura week hi mai office nahi asakta.

Ajju ki baat sunkar ajju ke dad akhbar ko table per rakh kar kahte hai.

Dad : kyun bhai sab khairiyat ?

Ajju : ji dad sab khairiyat se hai woh nizam ki shadi hai isi week toh usi ki tayyarion ke liye.

Dad : hmm toh nizam ki shadi hone wali hai. magar aise achanak se kyun kuch khas wajha hai kya?

Ajju : haan dad woh nizam ke hone wale sasur ji kuch beemar hai toh woh chahte hai ke shadi jitna jaldi ho sake utna jaldi ho.

Dad : hmm toh ye baat hai khair theek hai tum jao mai yahan office me dekh longa.

Ajju : aap ko tension lene ki koi zarurat nahi hai dad mahi hai na woh sab sambhal legi.

Dad : haan mahi sab sambhal toh legi magar mai sonch raha tha ke tum usko bhi apne sath nizam ki shadi ki tayyarion me lejao.

Ajju apne dad ki baat sunkar chonk jata hai.

'' kisko kahan lekar jane ki baat horahi hai ''

Abhi ajju kuch kahta usse pahle uski didi kahti hai jo breakfast lekar ayi thi. Breakfast table per rakh kar woh bhi wahin baith jati hai.

Ajju : mahi ko dad chahte hai ke mai mahi ko nizam ki shadi me lekar jaon.

Didi : haan toh isme burai kya hai.

Ajju : kaisi baat karrahi hai didi aap mahi humari employee hai koi naukar nahi jo hum usse koi bhi kaam karwaye. Kaisa lagega usko jab mai ye kahonga ke chalo mahi mere sath mujhe nizam ki shadi me tumhari help chahiye. Kya didi aap bhi…

Ajju ko baat sunkar uski didi kahti hai.

Didi : baat toh teri sahi hai magar mujhe nahi lagta ke use bura lagega.

Ajju apni didi ki baat sunkar unhe ghoor kar dekhta hai.

Ajju : matlab ?

Didi : arey bhai mahi tumhari friend bhi toh haina toh ek friend ke natey tum usse kah sakte ho…… usey agar bura laga toh samhjo ke woh tumko apna friend nahi manti.

Ye kahkar didi chup hojati hai aur ajju sonchne lagta hai. ajju ko sonchte hue dekh kar ajju ke dad use kuch kahne hi wale they ke didi dad ko ankh mar deti hai jise dekh kar dad ke chahre per smile ajati hai aur didi ke chahre per shararti smile.

Didi : arey itna kya sonch raha hai kya tu use apni friend nahi manta.

Ajju didi ki baat sunkar kahta hai,

Ajju : manta hoon isi liye toh sonch raha hoon agar usko bura laga toh…… khair dekhte hai mai kuch aur sonch longa.

Phir ajju ki mom bhi ajati hai toh sabhi milkar breakfast karte hai.

Breakfast karne ke baad ajju ghar se bahar nikal kar sabse pahle mahi ko call karta hai kuch hi ring me mahi call receive karleti hai.

In call :

Ajju : assalamu alaikum madam subha bakhar.

Mahi : wa alaikum aap ko bhi good mornig. Kahiye sir kuch kaam tha kya jo aap ne subha subha call ki?

Mahi kii baat sunkar ajju samhaj jata hai ke mahi usse naraz hai.

Ajju : sorry yaar kal maine dekha nahi tha tumne mujhe kitne call kiye. Pata nahi kaise mera phone silent hogaya tha.

Mahi : koi baat nahi sir hojata hai.

Ajju : yaar mahi ab maaf bhi kardo maine jaanbuj kar nahi kiya tha.

Mahi : maine kaha na koi baat nahi aap maafi kyun mang rahe hai.

Ajju : accha ab kaha per ho tum?

Mahi : sir abhi toh mai ghar per hi hoon. Kuch kaam tha kya sir.

Ajju : haan ek kaam karo tum office jane se pahle xyz coffee shop per ajao.

Mahi ajju ki baat sunkar chonk jati hai.

Mahi : kyun sir mai seedha office hi toh arahi hoon toh wahin aap se baat bhi karlongi.

Mahi ki baat sunkar ajju thodi kadak awaz me kahta hai.

Ajju : jitna kaha hai utna karo samhji ab jaldi se coffee shop pohcho.

Ye kahkar ajju call cut kardeta hai aur mahi shock hojati hai.

Ajju call cut karke.

Ajju ( apne aap se ) : ab isko kaise manaon….. kya karon kya karon…..hmmm haan ye sahi rahega.

Ajju kuch sonch kar apni car me baith kar nikal jata hai aur kuch hi der me ek bouquet shop me jakar ek white rose flower ka bouquet lekar apni car me rakh leta hai aur wahin paas me ek gifts shop me se ek sorry ka card aur leta hai aur jaise hi ajju bahar ja ne ko hota use ek bracelet per uski nazar padti jo dikhne me bohat hi pyara tha toh ajju usko bhi ek box me pack karwa leta hai aur apni car ko coffee shop ki taraf dauda deta hai aur kuch hi der me ajju coffee shop me tha usne yahan pahle se ek table reserved karli thi.

Ajju ko aye bhi kuch hi der hui thi ke mahi bhi wahan ajati hai jise dekh kar ajju uske paas jata hai aur apne sath laya hua bouquet use deta hai.

Mahi ajju ke hath se bouquet lekar itna khush hoti hai jaise ajju ne use abhi propose kardiya ho magar mahi apne expression ko dikhati nahi hai bas who bouquet leleti hai.

Ajju mahi ko apne sath café me lekar ata hai aur apni table ke paas akar mahi ke liye chair peeche karta hai mahi ye dekh kar bhi bohat khush horahi thi use toh aisi feeling arahi thi jaise woh ajju se milne nahi balki ajju ke sath date per ayi ho. Mahi ke baithne ke baad ajju bhi apni chair per baith jata hai.

Ajju aur mahi dono amne samne baithe hue they magar dono me se koi kuch nahi kahta.

Mahi ko dekh kar ajju samhaj jata hai ke uska mood bigda hua hai isi liye ajju baat ko shuru karta hai.

Ajju : haan toh mahi kaho kya logi coffee ya kuch aur.

Mahi : ji shukriya mai ghar se nashta karke ayi hoon. Aap kahiye mujhe yahan kisliye bulaya hai.

Ajju mahi ki baat sunkar muskurate hue kahta hai.

Ajju : kyun kya mai tumko bina kaam ke nahi bula sakta.

Mahi : ji bula sakte hai aap boss hai mera kaam hai puchna toh mai bas apni formality puri karrahi hoon.

Ajju : hmm toh agar ab ye formality puri hogayi hai toh kya kuch order Karen.

Mahi : maine kaha na sir mai ghar se breakfast karke ayi hoon. Agar aap ko kuch khana ya peena hai toh aap order kar sakte hai.

Ajju mahi ki baat sunkar kahta hai.

Ajju : hmm toh madam bohat hi ziyada gussa hai.

Mahi ajju ki baat sunkar koi jawab nahi deti. Itne me ek waiter ata hai toh ajju do coffee order deta hai. waiter order lekar chala jata hai.

Waiter ke jane ke baad mahi ajju se kahti hai.

Mahi :maine kaha na ke mujhe kuch nahi chahiye toh apne do cup coffee kyun order ki?

Ajju : toh maine kab kaha ke maine tumhare liye bhi coffee magwai hai.

Mahi : toh phir do cup ka order kyun diya apne.

Ajju : ( muskurate hue ) mera dil aaj do cup peene ka karraha hai isi liye. Agar tum kaho toh tumhare liye bhi magwa leta hoon.

Ajju ki baat sunkar mahi ko office wali baat yaad ajati hai jab ajju usse gussa hogaya that oh mahi ne bhi aise hi kiya tha.

Ajju ko bhi aisa hi karte dekh kar mahi ke chahre per muskaan ajati hai.

Mahi jabse ayi thi tab se bas apne face ko serious bana kar hi baithi thi aura b ye pahli baar tha jab uske chahre per mukaan ayi thi. Jise dekh kar ajju bhi muskura deta hai.

Ajju ko muskurate hue dekh kar mahi kahti hai.

Mahi : mahi nahi manne wali tumhare in harkaton se.

Ajju : accha toh kaise manogi tum hi batado.

Mahi : kaise bhi nahi.

Ajju : yaar mahi ye acchi baat nahi hai maine bataya na mera phone silent per hogaya tha isi liye mujhe pata hi nahi chala ke mujhe koi call karaha hai ya nahi.

Ajju ki baat sunkar mahi kuch nahi kahti.

Ajju : sach me mujhe bilkul bhi nahi pata tha ke tum mujhe phone karrahi ho warna kya mai tumhara call receive nahi karta.

Mahi : haan toh tum subha bhi toh mujhe call karke bata sakte they na ke tum nahi arahe.

Ajju : haan ye meri ghalti hai mujhe tumhe call karna chahiye tha magar isme bhi puri ghalti meri nahi hai mai jaise hi ready hokar ghar se nikal raha tha ke mujhe nizam ka call aya aur usne mujhe urgent milne ke liye bulaya.

Maine usse kaha bhi tha ke raat ko milte hai office se ane ke baad magar usne mujhe kaha ke mai office na jakar seedhe uske restaurant ajao toh maine bhi ziyada kuch nahi kaha aur uske paad chala gaya aur wahan jakar pata chala ke uski shadi honi wali hai woh bhi ek week me.

Phir aise hi baton baton me amusement park jane ka plan ban gaya aur phir aise hi raat hogayi aur jab mai ghar jakar apna phone check kiya toh tumhare itne sare miscalled dekhe mai call karne hi wala tha magar raat hone ki wajha se nahi kiya aur subha nashta karke jaise hi ghar se nikla sabse pahle tumhe hi call kiya. Bas itna hi hai.

Ajju mahi ke samne puri baat aise bata raha tha jaise mahi uski dost nahi biwi ho aur woh usse naraz hogayi hai aur woh use manane ke liye puri baat bata raha ho.

Mahi bhi ajju ke aise bolne se bohat khush ho rahi thi aur woh apni narazgi bhi bhool gayi thi.

Use accha lag raha tha jo ajju use apni baat bata ka raise manana.

Mahi iss waqt apne aap ko ajju ke bohat hi khareeb samhaj rahi thi.

Ajju apni buri baat kahkar jaise hi chup hota hai mahi kahti hai.

Mahi : chalo thik hai mai apna gussa chodh rahi hoon magar agli baar aisa nahi hona chahiye samhje.

Ajju mahi ke aise kahne se muskurate hue kahta hai.

Ajju : ji mohtarma.

Itne me unka order bhi ajata hai toh mahi cup utha kar jaise hi coffee peene lagti hai ajju kahta hai.

Ajju : tumhe toh kuch bhi nahi peena tha toh ab coffee kyun peerahi ho.

Mahi : woh tab ki baat thi ab mujhe peeni hai.

Phir dono coffe peekar bahar atey hai toh ajju mahi se kahta hai.

Ajju : aur haan mai ab ek week tak office nahi aunga.

Mahi ajju ki baat sunkar hairani se use dekhte hue kahti hai.

Mahi : ( hairani se ) iska kya matlab hua ?

Ajju : arey isme hairan hone wali kya baat hai mere dost ki shadi hai toh mai office me baith kar kya karonga. Aur waise bhi shadi urgent horahi hai toh kaam bhi bohat hai mujhe toh abhi bhi wahin per rahna tha magar tumse milkar tumhe manana bhi tha isi liye yahan agaya.

Ajju ki baat sunkar mahi ke chahre per jo khushi aur chamak kuch der pahle thi woh chali jati hai.

Mahi : ( udas man se ) toh tab tak mai office me kya karongi.

Ajju mahi ki baat sunkar kuch der chup rahta hai phir kahta hai.

Ajju : karna kya hai kaam ki jagha kaam hi toh karna hai aur woh kitne din ki baat hai bas ek week phir toh mai wapas kaam per aahi jaonga na.

Mahi udas man se bas thik hai kahti hai.

Ajju mahi ko aise dekh kar accha nahi lag raha tha woh bhi chahta tha ke mahi bhi nizam ki shadi me uske sath rahe magar kahne me jhijak raha tha. Magar ab mahi ka aisa utra hua chahra dekh kar ajju kahta hai.

Ajju : mahi agar tum bura na mano toh ek baat kahon.

Mahi ajju ki baat sunkar bas uski taraf dekhti hai.

Ajju : agar tum chaho toh mere sath rah sakti ho. Tumhe agar bura na lage toh tum bhi mere sath nizam ki shadi me mera hath batasakti ho.

Ajju ka itna hi kahna tha ke mahi ke murjhe hue chahre per phir se raunak ajati hai.

Mahi : ( khushi se ) kyun nai mujhe toh khushi hogi aisa karke.

Ajju mahi ko itna khush dekh kar khud bhi khush hojata hai.

Ajju : toh phir thik hai chalo aaj se thik ek week tak roz tumhe nizam ki shadi ki tayyariyon me meri help karni hogi.

Mahi : thik hai magar office ke kaam ka kya hoga.

Ajju : tum uski fikhar math karo mai dad se baat karlonga.

Mahi : phir thik hai.

Phir ajju aur mahi ajju ki car me baith jate hai.

Car me baith ne ke baad ajju mahi ko car ke desk se ek box nikal kar mahi ko dete hue kahta hai.

Ajju : mahi ye maine tumhare liye liya hai.

Mahi ajju ke hath se box lekar use khol kar dekhti hai toh usme ek khubsurat bracelet dekh kar bohat khush hojati hai.

Ajju : kaisa laga.

Mahi : beautiful.

Ajju : jab tum ise pahnogi toh ye aur bhi beautiful lagega.

Mahi ajju ki baat sunkar Sharma jati hai aur dil hi dil me khush bhi hoti hai kyun ke ajju ne use pahli baar koi gift diya tha.

Mahi : mai ise humesha apne paas rakhongi.

Ajju mahi ki baat sunkar bas muskura deta hai aur dono khamoshi se nizam ke ghar ki taraf jate hai.

Aaj ke liye itna hi agey janne ke liye mere sath bane rahiye BE-INTEHA-ISHQ ke sath apka apna MAQ.

Written by MOHAMMED AZEEM QURESHI ( MAQ ).

update kaisa laga comment karke zarur batan.
 
mashish

BHARAT
8,082
25,905
203

lovely update
 
  • Like
Reactions: Maq
Status
Not open for further replies.
Top