• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance BE-INTEHA-ISHQ

Status
Not open for further replies.

Maq

Lovely person????
429
518
109
Marvelous update gajab ki story h bhaiji achha h issue ajju aur mahi Ka rishta achha Hoga dekhte h kab dono ko ek dusre se bepannah mohabbat Hoti h
Aur ajju to abhi Alfisha se pyar karta h fir usko Mahi se pyar kab Hoga aur agar Alfisha Ajju ki life me wapas as gayi to kya ho ga
Agle update Ka intezar rahega keep posting ✌✌✌

Welcome to our thread bro.

Yahi toh main hai ke jab alfisha ki wapsi hogi toh ajju kya karega aur bhi aise kai scenes create honge ab yaha se kahani ka mod change hosakta hai ya kuch bhi hosakta hai.

Aise hi sath bane rahiye.

Keep supporting......
 

Maq

Lovely person????
429
518
109
Update-26

Ajju jab mahi ko ghar per lekar pohcha toh ghar ko dekh kar hairan hogaya.

ajju ke ghar me iss waqt mahol aisa tha ke jaise aaj hi ajju ki shadi ho.

Ghar ke sabhi log ghar ko sajane me lage hue they.

Ghar ke bahar hi ajju ko uske dad milgaye jo apne bhaiyon aur jiji ke sath khade they. Ajju ko dekh kar uske dad uske paas akar kahte hai.

Dad : ajju mujhe tujhme ye umeed nahi thi.

Ajju : dad aap log jaisa sonch rahe hai waisa kuch nahi hai.

Dad : ab kahne aur sunne ke liye kuch bachcha hi kya hai aur ab jo bhi bolna sabke samne bolna.

Ye kahkar ajju ke dad andar chale jate hai aur sath me unke bhai aur jija bhi.

Ajju unke aisa kahne se thoda parehsan hojata hai aur alauddin ki taraf dekhta hai.

Alauddin : pareshan math ho bhai mai sab sambhal lunga tu tension math le.

Ajju : agar kuch bhi gadbad hui na mai sabse pahle tum dono ka qatal karonga dekh lena.

Ajju ki baat sunkar nizam kahta hai.

Nizam : bhai mujhe kyun maine kya kiya hai?

Ajju : ziyada sharafat dikhane ki koi zarurat nahi hai, mujhe pata hai ye plan tum dono ne milkar banaya hoga. Ab chup chap chalo dekhte hai andar ka kya haal hai. ghar ki sajawat ko dekh kar aisa lagta hai ke gharwale aaj hi mera nikah pada denge.

Ajju ki baat sunkar mahi use ghoor kar dekh rahi thi.

Woh pahle se hi dari hui thi aur ajju ki baton ko sunkar aur dar jati hai magar show nahi karti.

Nishath : bhaiya aap tension na lo kuch nahi hoga ziyada se ziyada kya hoga aap ka nikah hi toh karenge isme konsi badi baad hai, karlena nikah kyun mahi tumhe koi aiteraaz toh nahi hai na.

Mahi abhi kuch kahti ajju kahta hai.

Ajju : aitraaz ki bachchi isme jitna indono ka hath hai usse ziyada tera hath hai ek baar ye matter solve hojane de phir dekho mai tum teeno ka kya karta hoon.

Phir pancho andar jate hai toh dekhte hai ghar me sabhi log maujud hai aur sabhi log silent hai.

Ajju jakar sabke samne khada hojata hai.

Ajju ke khade hote hi ajju ki mom ajju ke paas ati aur aur uske sath khadi mahi ka hath pakad kar uske paas se lejakr apne paas bitha leti hai.

Apni mom ki harkat dekh kar ajju ko lagta hai ke uski mom bohat gusse me hai. isi liye ajju kahta hai.

Ajju : mom aap log jaisa samhaj rahe hai waisa kuch bhi nahi hai.

Mom : haan hum log toh ab ghalat lagenge hi.

Bade phupphu : haan sahi kaha bhabhi apne. Ab ye bada hogaya haina toh hum log ghalat hi lagenge.

Ajju : arey phupphu mere kahne ka ye matlab nahi tha. Mai toh bas….

Manjle phuppu : dekh rahi ho didi ( bade phuppu ko ) ab ye itna bada hogaya hai hume salam tak nahi kiya.

Manjle phupphu ki baat ko sunkar ajju ko apni ghalti ka ahsaas hota hai toh woh sabhi ke paas jakar jhukar sabko salam karta hai.

Teesre phuppu : ab baitho yaha aur batao ye sab kab se chal raha hai.

Mom : rahne do isko kuch bhi batane ki zarurat nahi hai.

Ajju apne mom ki baat ko sunkar unke paas jakar apne gutne ke bal baith kar kahta hai.

Ajju : mom aap aisa kyun kah rahi ho. Apko pata hai na mai aap ko apni har baat batata hoon, phir aap aisa kyun kah rahin hai.

Mom : chal chal ab maska math laga. Agar itna hi apni mom se pyar karta toh mujhe ye baat tujhse pata chalti whatsup group se nahi.

Ajju : mom waisa kuch bhi nahi hai mai aur mahi sirf acche dost hai aur kuch nahi.

Dad : haan bhai pakde jane ke baad sab yahi kahte hai.

Ajju : dad aap toh samhjhiye na aisa kuch nahi hai ye sab alauddin aur nizam ka kiya dhara hai.

Ajju ki baat ko sunkar alauddin kahta hai.

Alauddin : arey bhai mujhe beech me math ghaseet maine kya kiya hai. jo sach hai batade kisi ko bhi aiteraz nahi hoga. Kyun mamaji.

Ye kah kar alauddin ajju ke dad se puchta hai.

Dad : haan bhai meri taraf se toh haan hai. waise agar koi dusri ladki hoti toh sonchta zarur magar mahira ke case me no doubt.

Ajju aur mahi alauddin ki baat se shock hojate hai ab ye kya naya drama hai.

Ajju ( shock hote hue ): oh bhai ye kya kah raha hai tu ?

Alauddin : kyun kuch ghalat kaha kya maine.

Ajju : abbey hume yaha baat sambhalni hai aur tu phir se mazak karraha hai.

Alauddin : mai kyun mazak karunga, mai toh wahin kah raha hoon jo sach hai.

Dad : abhi pata chal jayega ke kya sach hai aur kya jhoot.

Ye kahkar ajju ke dad wahan per kahde do shaks ko ishara karte hai toh dono samne ajate hai. jinhe dekh kar ajju pahle hairan hota hai ke ye dono yahan kya kar rahe hai phir undono ko dekh kar rahath ki sans leta hai chalo ab sab ko yakeen hojayega ke jaisa ye sonch rahe hai waisa kuch nahi hai.

Dad : haan bhai ab tum dono batao ke sach kya hai.

Ahmed : isme batane jaisa kya hai uncle jo bhi hai sab apke samne hi toh hai.

Imtiyaz : haan uncle jo bhi hai apke samne hi hai. aap pucho jo bhi puchna hai.

Ji haan ye dono aur koi nah ajju ke dost ahmed aur imtiyaz hi they jo ajju ke ane se pahle se hi ghar me they. Ab ye dono yaha kya karrahe hai ye toh agey pata chalega.

Ajju indono ki baat sunkar samhajta hai ke ye dono uska side lerahe hai isliye uske chahre per smile ajati hai magar ye smile bhi kuch hi der ke liye thi.

Dad : haan toh ye batao kya tum mahira ko jante ho.'

Ahmed : ji haan uncle mahi toh humari dost hi hai.

Dad : hmm tum log mahi ko kabse jante ho.

Imtiyaz : jabse mahi ne company join ki hai tabse.

Dad : ab ye batao ke ajju aur mahi ke relationship ke bareme kya jante ho.

Ajju ke dad ki baat sunkar ahmed aur imtiyaz ajju ki taraf dekhte hai.

Dad : udhar kya dekh rahe ho jawab do. Kya jante ho tum indono ke relationship ke bareme aur haan agar kuch bhi jhoot kaha apne dost ko bachane ke liye toh mujh se bura koi nahi hoga.

Ajju ke dad ki baat sunkar ahmed kahta hai.

Ahmed : maaf karna yaar ajju mai uncle se jhoot nahi kah sakta. Uncle ye indono ki pahli date nahi hai maine indono kai baar bahar ghoomte hue dekha hai.

Ahmed ki baat ne toh jaise dhamaka kardiya tha. Ajju ko toh yakeen hi nahi ho raha tha ke uska best friend usi ke bareme usi ke parents aur rishtedaron ke samne jhoot kyun bolraha hai.

Sabse buri halath toh mahi ki thi jo abhi ajju ke mom ke sath baithi hui thi. Use bhi samhaj nahi araha tha ahmed jhoot kyun bolraha hai, kyun ke mahi ko bhi pata tha ke ye dono ajju ke best friend hai.

Abhi sab log shock me they ke ek aur dhamaka hota hai jo imtiyaz ne kiya tha.

Imtiyaz : haan uncle maine bhi dekha hai aur office me bhi na ye bohat badla badla sa rahta hai jaha pahle zara zara si baat bar gussa hota tha. Aaj kal sabhi se meethi meethi baten karraha hai. mujhe toh pahle se hi shak tha aur ab indono ko sath me dekh kar yakeen hogaya hai aur ab dekho kaise masoom banker khada hai.

Imtiyaz ki baat ko sunkar ajju jo ahmed ki baat se shock hogaya tha shock se bahar ata hai aur gusse se imtiyaz aur ahmed ki taraf badta hai. jise dekh kar ahmed kahta hai.

Ahmed : dekho dekho uncle ab kaise humare taraf badh raha hai jaise ise maukha mile toh abhi hume mardalega.

Ahmed ki baat ko sunkar imtiyaz dheere se kahta hai.

Imtiyaz : ab bas kar kya pit kar hi manega pahle hi kuch ziyada kahgaye hai hum log pata nahi ye bahar humara kya haal karega.

Ahmed : ( dheere se ) : abbey jab halal hona hi hai toh kuch tod phod karne me harj hi kya hai.

Ajju abtak indono ke paas pohanch chukka tha.

Ajju ( gusse se ) : kaminon ye kya kya bakwas karrahe ho.

Dad : ajju behave your self ye kya tareeka hai baat karne ka. Ek toh jhoot bolte ho uper se gussa karte ho. Aur jab jhoot pakda gaya toh ye sab drama karrahe ho. Hum nahi ane wale tumhare in dramon me. Ab chup chap jakar apni jagha per baitho.

Ajju : per dad.

Dad : bola na jakar apni jagha per baitho.

Ajju apne dad ki baat ko sunkar dono ko gusse se ghoor kar dekhte hue jakar apni jagha baith jate hai.

Dad : haan toh tamam baton ko sunne aur dekhne ke baad yahi sabit hota hai ke ajju aur mahi doshi hai toh ab aap sab log bataiye ke inke sath kya kiya jaye.

Ajju apne dad ki baat sunkar kuch kahne hi wala tha ke ajju ke bade daddy kahte hai.

Bade daddy : ab isme sonchna kya hai bulwao qazi ko aur padhwado dono ka nikah.

Bade chacha : haan bhaiya bade bhaiya ne sahi kaha ab indono ki shadi kar deni chahiye.

Chote chacha : magar mahira ke taraf se bhi toh kisi ko bulana chahiye na.

Bade phuppu : isme kya hai mai banjati hoon mahira ki ammi kyun beta mahira tumhe kuch aiteraz toh nahi hai na.

Mahi toh pahle se hi pareshan thi aur jab usne suna ke uski aur ajju ki shadi kara di jayegi toh woh kuch kahna chahrahi thi magar uske muh se kuch nikal hi nahi raha tha. Aur jab ajju ke bade phuppu ki baat suni toh uski awaz jo abhi bahar ane wali thi andar hi rahgayi aur mahi chate hue bhi kuch na kahsaki.

Ajju jo sabki baton ko sunkar jo dar gaya tha ke ab kya hoga magar jab bade phuppu ne kaha ke mahi beta tumhe koi aiteraz toh nahi hai toh use laga ab mahi kuch kahegi kyun ke jab se woh yaha ayi thi uske muh se ek lafz bhi nahi nikla tha, magar jab mahi kuch nahi kahti toh ajju aur bhi ziyada dar jata hai.

Jab mahi kuch nahi kahti toh bade phuppu kahte hai.

Bade phuppu : chalo mahi ki taraf se bhi koi aiteraz nahi hai. bhaiya aap jaldi se qazi sahab ko phone karke yahan ane ke liye kahdo.

Apne bade phuppu ki baat sunkar ajju jaldi se kahta hai.

Ajju : ye aap log kaise baten karrahe hai mai aur mahi sirf dost hai humare beech me aisa kuch bhi nahi hai please ek baar humari baat toh sunlijiye. Aur mahi tum kuch kahti kyun nahi yaha itna bada faisla horaha hai aur tum khamosh baithi ho kuch kaho mahi kuch toh kaho.

Dad : tum phir bole maine kaha na chup chap baitho jo ghalti tumne ki hai uski tumhe saza zarur milegi.

Ajju : per dad maine koi ghalti nahi ki hai aur agar aap ko lagta hai ke maine ghalti ki hai toh aap mujhe saza dijiye mai uff tak nahi kahonga. magar isme mahi ko beech me kyun larahe hai isme iski koi ghalti nahi hai.

Ajju ki baat sunkar sabhi khamosh hojate hai to iss mahol ko ek khanakti hui awaz todti hai. ye awaz ajju ki choti bahen ( cousin sister ) muneez ki thi.

Muneeza : kya baat hai bhai abhi se bhabhi ka beech bachao karrahe hai. shadi ke baad toh lagta hai hume bhool hi jayenge.

Rukhsar : sahi kaha munjal tune dekh toh bhai kaise bhabhi ke badle khud saza pana chahte hai.

Simran : magar saza toh dono ko milegi woh bhi barabar.

Shabnam : aur nahi toh kya jab ghalti dono ki hai toh saza ek ko kyun. Ye toh bohat na insaafi hai. jahan panah hume insaaf chahiye.

Shabnam ki baat sunkar sabhi haste hai.

Nishath : ( natak karte hue ) please bhaiya ke sath aisa math kijiye ye meri ghalti hai please ek baar unki baat toh sunlijiye.

Muneeza : ab sunne aur sunane ko bacha hi kya hai aur kya tu ye nahi chahti ke mahira humari bhabhi bane.

Nishath : arey mai kyun nahi chahongi. Ye toh mujhe bhaiya ne kaha tha ke agar aisi koi situation ajaye jisme mai kuch kahna sakun toh tu beech me aisa kuch kah dena isi liye maine aisa kaha. Magar meri baat ko please koi serious math lena mujhe toh yahi bhabhi chahiye bakhi jaisa aap logon ko theek lage.

Ye kah kar nishath jo tab se ajju ke paas khadi thi apni bahnon ke paas ajati hai.

Ajju nishath ki baat ko sunkar hairan hojata hai ke ye maine kab kaha aur aaj ye sab ko ho kya gaya hai sabhi aaj mere bareme jhoot kyun bolrahe hai.

Dad : ab agar sabhi ka hogaya ho toh mai kuch kahon.

Ajju ke dad ki baat sunkar sabhi khamosh hojate hai.

Dad : Maine qazi sahab ko phone kardiya hai aur woh thodi hi der me ane wale hai.

Chote phuppu : ye sahi kiya apne bhaiya chalo phir sabhi jaldi jaldi jagha banao aur ready hojao.

Bade chachi : sab kuch ready hi hai bas qazi sahab ke ane ki der hai.

Chote chachi : chalo phir mai kitchen me dekh leti hoon kuch kami toh nahi rah gayi hai. mere sath koi chalo help karne ke liye.

Mom : chalo mai chalti hoon aur mahi beta tum bhi chalo mere sath.

Ye kahkar ajju ki mom mahi ko apne sath lekar chali jati hai.

Idhar ajju aur mahi pareshan they aur apni apni sonch me they.

Ajju : ( apne man me ) in logon ko akhir hua kya hai ye log aisa behave kyun karrahe hai. meri baat koi sunne ke liye ready hi nahi hai aur ye ahmed aur imtiyaz jhoot kyun bol rahe hai. alauddin aur nizam bhi apni baat se palat gaye akhir chal kya raha hai in logon ke dimag me. Ek baar ye charon bahar milne do phir batata hoon.

Mahi : ( apne man me ) ye ajju ke family wale aisa ajeeb behave kyun karrahe hai arey ek baar humari baat tak nahi suni aur faisla suna diya aur ajju ke ye dono daghabaaz dost kaisi kaisi baten karrahe they ji toh chah raha thay ke mar mar ke dono ka muh tod doon. Kaha mai aaj ka din ajju ke sath bitana chah rahi thi aur kaha ye family drama shuru hogaya aur mujhe kya hogya hai jab ajju ke phuppu mujhse puch rahe they toh mai kuch kah kyun nahi rahi thi.

Mahi apne hi khayalon me thi ke ajju ki mom use awaz lagati hai.

Mahi : j…i mam aap ne kuch kaha kya?

Mom ( muskurate hue ) : maine pichli baar tumse kaha tha na ke mujhe mam nahi aunty kaho aur ab toh tum meri hone wali bahu ho toh mujhe ajju ki hi tarha mom kah sakti ho.

Ajju ki mom ki baat sunkar mahi kuch nahi kahti.

Idhar bahar sabhi baton me lage hue they ke door bell bajti hai.

Dad : ahmed beta zara dekho toh sahi kon aya hai.

Ahmed : uncle lagta hai qazi sahab aye honge. Mai dekhta hoon.

Ahmed ki baat sunkar ajju use kha jane wali nazron se dekhta hai. ahmed bhi chup chap jakar door khota hai toh bahar ahmed aur imtiyaz ke mom dad they ahmed unhe andar lekar ata hai.

Andar akar ahmed aur imtiyaz ke mom dad sabhi se milte hai.

Imtiyaz mom : bhai sahab ( ajju ke dad ko ) hume ane me der toh nahi hui na.

Dad : nahi bhahbi aap log bilkul time per aye ho.

Imtiyaz dad : hum toh aur bhi pahle ajate magar ye aurton ko time ki khadar hi nahi.

Imtiyaz ke dad ki baat sunkar sabhi haste hai.

Dad : arey colonel sahab ye military base thodi hi jaha per koi jawan der se aye aur aap uski pared laga de.

Ajju ke dad ki baat sunkar ek baar phir sabhi haste hai.

Ahmed dad : waise ye maine suna hai ke apne iss nikaame ko ( ahmed ko ) apni company ka koi project diya hai.

Dad : haan diya hai magar maine diya nahi hai inho ne khud apne dam per paya hai aur ye nikamme nahi hai ye toh bohat hi talented ladke hai.

Ahmed dad : pata nahi aap ko inme aisa kya nazar ata hai.

Dad : heere ki khimath johri hi samhaj sakta hai aur aap ka beta ahmed aur inka beta imtiyaz woh heere hai jinki khimath koi nahi laga sakta.

Ahmed mom : mujhe pata hai mera beta accha hai aur humara bohat naam karega.

Imtiiyaz mom : haan bahenji aapne sahi kaha.

Ye log aise hi baten karte rahte hai ek baar phir bell bajti hai aur iss baar ajju khud jakar gate kholte hai ye sonch kar ke agar qazi sahab hue toh bahar se hi wapas bhej dega. Jab ajju door kholta hai toh bahar ajju ki didi khadi thi ajju unko dekh kar unke ass paas dekhta hai toh use koi nazar nahi ata.

Didi : kya hua bhai kisey dhund raha hai?

Ajju : kisi ko nahi didi bas aise hi dekh raha tha. Aap aiye na andar aur aap kahan gayi thi aaj toh Sunday hai na.

Didi andar ate hue : bhai aaj subha hospital se call aya tha toh wahin gayi thi.

Ajju apni didi ko normal baat karte dekh kar samhajta hai ke uski didi ko yahan ghar me kya chal raha hai uske bareme kuch bhi nahi pata is liye kahta hai.

Ajju : accha hua didi aap agayi warna ye sab log milkar mujhe qurbani ka bakra samhaj kar halal karne wale hai. please kuch kijiye na yaha meri baat koi nahi sunraha ab aap hi kuch kariye na.

Ajju ki baat ko sunkar ajju ki didi kahti hai.

Didi : ye sab tumhe pahle sonchna chahiye tha. Maine kitni baar tumse pucha magar tum humesha yahi kahte ke aap ko pata hai na phir bhi aisi baten kyun karrahi hai. aur ba dekho mujhe na batane ka anjaam ab bhukto. ab jaisi karni waisi bharni.

Apni didi ki baat sunkar ajju samhaj jata hai ke inhe bhi sab maloom hai. jo ummed abhi uske andar jagi thi woh bhi khatam hojati hai.

Didi : ye tumne accha nahi kiya bhai maine kai baar tumse pucha tha mahira ke bareme magar tumne ek baar bhi mujhe nahi bataya ab bhugto agar mujhe bata dete toh aaj ye situation nahi hoti.

Ajju : magar didi jab aisa kuch hai hi nahi toh mai aap ko kya batata.

Didi : ab in sab baton ka koi matlab nahi hai bhai. ab mai tumhari koi madad nahi kar sakti.

Ajju : didi ye aap kahrahi ho. Aap ko toh pata hi hai ke mai aisa karne ke bareme sonch bhi nahi sakta, phir bhi aap ko aisa lagta hai ke mai aisa kuch kar sakta hoon.

Ajju kis taraf baat karraha hai ajju ki didi samhaj jati hai is liye baat ko badalte hue kahti hai.

Didi : dekho bhai jo hogaya so hogaya usme na tum kuch karsate ho na mai kuch karsakti hoon. Toh bahtar yahi hai ke apne past se bahar aou aur apne present per dhiyan do. Apne past ke chakkar me apna present barbad math karo.

Ajju aur uski didi baten jo bhi baat karrahe they kisi ko bhi sunai nahi deraha tha isi liye ajju ke bade phuppu kahte hai.

Bade phuppu : kya khichdi pak rahi hai dono bhai bahen me agar sonch rahe ho ke hum tumhe chodh denge toh ye ghalat fahmi nikal do.

Manjle phuppu : haan didi sahin kaha apne. Ab toh ajju gaya kaam se is ka ab kuch nahi hosakta.

Didi : arey phuppu aap jaisa sonch rahi hai waisa kuch nahi hai mai toh bhai ko kah rahi hoon ke ab tayyar hojaye saza bhugat ne ke liye.

Teesre phuppu : haan sahi kaha tumne. Bhaiya zara qazi sahab ko call toh karo ab tak aye nahi pucho toh sahin abhi tak aye kyun nahi.

Dad : atey hi honge abhi kiya tha maine call bolrahe they khareeb me hi hai.

Itne me ek baar aur door bell bajti hai aur ajju ka dil zor zor se dharak raha tha. Jitni baar door bell baji utni baar ajju ke dil ki dhadkan badh rahi thi.

Iss baar bhi ajju jane lagta hai door kholne toh ajju ke dad use rokte hue kahte hai.

Dad : tum kahan jarahe ho?

Ajju : woh dad door kholne jaraha hoon.

Dad : mujhe pata hai tumhare dimag me kya chalraha hai chup chap baitho yahin per aur imtiyaz tum kya muh dekh rahe ho jao aur jakar door kholo dekho shayed qazi sahab aye honge.

Ajju ke dad ki baat sunkar imtiyaz jakar door kholta hai toh bahar ajju ka cousin brorther mohsin khada tha ( ye ajju ke bade chacha ka ladka hai ) imtiyaz use lekar andar ata hai.

Mohsin andar akar sab ko salam karta hai. uske hath me cake ka box tha jise dekh kar ajju confuse hojata hai ke ye yaha per cake kyun lekar aya hai.

Ajju mohsin se kuch kahne hi wala tha ke ajju ke dad usse kahte hai.

Dad : ajju tum apne room me jao aur jakar fata fat ready hojao.

Ajju : per kyun dad?

Dad : arey bhai tumhara nikah hai aur tum in kapdon me apna nikah padwana chahte ho kya. Ab aur koi bahes nahi jaldi se apne room me jao aur fresh hokar tumhare bed per ek suit rakha hua hai use pahan kar neeche ajao.

Ajju bhi be dili se apne room me jata hai aur fresh hokar suit pahen kar neeche ata hai toh sabhi ek sath pukarte hai.

Puri family ek sath : surprisezzzzzzzzzzzzzzzzzz……

Ajju jab awaz ki taraf dekhta hai toh puri family ek jagha per kahdi hai aur unke beech me ek table hai jisme ek bada sa cake rakha hua hai jisper happy birthdyay ajju likha hua tha.

Ajju ko ab samhaj ata hai ke uske sath ye sab kuch kyun horaha tha.

Ajju muskurate hue sab ke paas jata hai toh sabhi use bari bari wish karte hai.

Ajju : toh ye baat hai isi liye mujhe qurbani ka bakra banaya jaraha tha aur mai halal hone ke dar se idhar udhar dekh raha tha ke shayed kisi ko mujh masoom per rahem ajaye magar har koi yaha per mila hua tha. Kya mahi bhi aap logon ke plan me thi?

Ajju ki baat sunkar sabhi haste hai aur ajju ki baat ka jawab alauddin deta hai.

Alauddin : nahi mahi plan me nahi thi magar jab hum log tumhare liye shopping karne gaye aur tumko mahi ke sath dekha toh mere dimag me ye plan agaya aur isko anjam dene ke liye maine ye massage family group me dala aur phir jab mujhe ehsaas hua ke ye mujhse kya ghalti hogayi magar tumhari buri kismath kaho ya meri acchi kismath tumne ek baar bhi massege nahi dekha aur yaha ye sab hota gaya. Isme agar kisi ke sath ghalat hua hai toh woh hai mahi, mahi ko bina wajha inta pareshan hona pada. Miss mahira mai aap se apne iss mazak ke liye maafi chahta hoon ye sab bas ajju ko surprise dene ke liye tha.

Mahi alauddin ki baat sunkar kahti hai.

Mahi : please aap maafi math mangiye. Apne jo bhi kiya apne bhai ke liye kiya aur mujhe accha laga aap logon ka pyar dekh kar warna aaj kal kaha dekhne ko milta hai itna pyar.

Mom : mahi beta maine bhi tumhe pareshan kiya hai uss baat ko bhi apne dil se math laga lena. Tum pahli baar humare ghar ayi aur yaha ye sab ho gaya. Tum bhi najane humare bareme kya sonch rahi hogi. Humne apne khushi ke liye tumhe bhi pareshan kiya.

Mahi : nahi aunty mujhe bikul bhi bura nahi laga aur aap log please koi bhi ab maafi math mangiye mujhe pata hai aap log ek dusre se kitna pyar karte hai.

Mahi ki baat sunkar muneeza kahti hai.

Muneeza : toh kya kahti hain aap bulwa le qazi sahab ko aur padwa de nikah aap ka aur banale aap ko apni bhabhi.

Muneeza ki baat ko sunkar mahi sharmajati hai aur sabhi haste hai aur bade chachi muneeza ka kaan pakad kar kahti hai.

Bade chachi : bohat shararti hogayi hai tu aaj kal chal sorry bol bhabhi ko. Mera matlab hai mahira ko.

Bade chachi ki baat ko sunkar sabhi ek baar phir haste hai.

Phir ajju cake cut karta hai aur sabse pahle apne mom dad aur didi ko khilata hai aur phir sabhi ko khilata hai. iske baad sabhi ajju ko gift dete hai aur jab sab log dedete hai toh mahi ajju se kahti hai.

Mahi : sorry ajju mere paas koi gift nahi hai.

Ajju : sorry toh mai kahna chahta hoon ke meri wajha se tumhe itni pareshani hui.

Mahi : arey isme sorry kaisa ye toh tumahri family ka tumhare liye pyar hai. mai khush hoon ke aaj mai iss surprise ka hissa bani.

Ajju : magar phir bhi meri family me se kisi ki bhi baat ka bura laga ho toh sorry aur haan tumhara gift bhi yahi hai ke aaj tum mere barabar pareshan hui.

Ye kah kar ajju hasta hai aur sath me mahi bhi phir aise thodi der baat karne ke baad sabhi milkar dinner karte hai phir jab ajju mahi ko uske ghar yahi orphanage chodne ready hota hai toh sabhi mahi se milte hai aur use atey rahne ko kahte hai aur phir ajju mahi ko uske ghar ko chodh kar wapas apne ghar ajata hai.



Aaj ke liye itna hi. Agey janne ke liye mere sath bane rahiye BE-INTEHA-ISHQ ke sath apka apna MAQ.

Written by MOHAMMED AZEEM QURESHI ( MAQ ).

update kaisa laga comment karke zarur batana.
 
Status
Not open for further replies.
Top