• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance BE-INTEHA-ISHQ

Status
Not open for further replies.
124
190
58
Maq bhai ye baat bht ghalat hai aap aaj bhi 6 pm k around online aye lekin apne kisi ko bhi reply ni dia and na update it's so sad
 
  • Like
Reactions: Maq

Maq

Lovely person????
429
518
109

Bhai deri ke liye maafi chahta hoon mere best friend jo iss story me bhi mera best friend hai ahmed uski shadi hai toh usi wajha se mujhe likhne ka time nahi milraha hai. Aaj hi uska nikha hai aur kal ek din gap hai toh mai koshish karonga update dene ki.

Ek baat phir se tahe dil se maafi chahta hoon.
 
OKay okay bhai and congratulations both of you especially your best friend Ahmed
 
  • Like
Reactions: Maq

Maq

Lovely person????
429
518
109
Update 17

Mahi ko office join kiye aaj 2 weeks hogaye they aur mahi office ke employees se bohat hi ghul mil gayi thi sabhi mahi ko pasand karne lage they aur ajju se bhi uski friendship acchi hogayi thi. Isi beech ahmed aur imtiyaz se bhi acchi dosti hogayi thi magar mahi ko abhi bhi ye nahi pata tha ke ajju hi uska boss hai.

Aaj week ka last day tha aur mahi apne time per office pohach gayi thi. Sabhi ko greet karte hue mahi apne cabin me pohchti hai aur apne desk per jakar baith jati hai.

Mahi ko aye thodi hi der hui thi ke ajju bhi office pohanch jata hai aur miss reshma ko salam karke uper apne cabin me chala jata hai jaha per mahi pahle se hi maujud thi.

Ajju : assalamu alaikum madam.

Mahi : wa alaikum assalam sir kya baat hai aaj late hogaye.

Ajju : haan woh zara traffic me phas gaya tha isi liye late hogaya. Khair ye chodo aur do coffee bolo.

Mahi : kyun ghar se peekar nahi aye kya ?

Ajju : pee toh thi magar mera dil abhi aur peene ko ho raha hai.

Mahi : accha hai tumhare toh maze hai sir ke P.A hone ka pura fayda utha rahe ho.

Ajju : tumhe kuch problem hai kya mere coffee peene se.

Mahi : mujhe kya problem hogi mai toh bas aiwayi kah rahi thi. Tum coffee piyo ya thanda mujhe kya aur waise bhi tum khud kyun nahi kah dete tumhare kahne se kya mana kardenge.

Ajju : kya ajeeb ladki ho yaar tum sirf coffee ke liye bola toh itna bol bachchan suna diya agar khane ke liye kahta toh pata nahi tum aur kya kya suna deti aur nahi peeni mujhe ab coffee huh.

Ye kah kar ajju muh phula leta hai aur apne laptop ko on karke files check karne lagta hai.

Ajju ko aisa karte dekh mahi halka sa muskurati hai aur apne desk se uth kar ajju ke desk ke paas ja kar khadi hojati hai magar kuch kahti nahi.

Ajju mahi ko apne desk ke samne kahde dekh kar usey pahle ghoor kar dekhta hai phir kahta hai.

Ajju : kya hai ? yaha kyun khadi ho ? Jao jakar apna kaam karo.

Mahi : are baap re itna gussa mujhe toh pata hi nahi tha ke tum gussa bhi karte ho. Hmm interesting aur kya kya qualitys hai tumme ? Hmm

Ye kah kar mahi apni ek ankh uper utha kar ajju ko dekhti hai. Jise dekh kar ajju kahta hai.

Ajju : meri ek best quality ye bhi hai ke mai gusse me logon ko katne bhi lagta hoon. Dikhaon kya tumhe ye quality?

Mahi :( mazak karte hue ) are nahi nahi iski koi zarurat nahi hai tumne kah diya toh maine maan liya ab itna toh yakeen tumper kar hi sakti hoon. Accha thik hai mai bolti hoon do coffee thik hai.

Ajju : mujhe nahi peeni agar tumko peene hai toh khud ke liye mangwa kar peelo.

Mahi : arey abhi toh kah rahe they ke mera dil karraha hai abhi kya hua ?

Ajju : ab nahi karraha.

Mahi : arey aise kaise nahi karraha. Mai bhi dekhti hoon ke tum coffee kaise nahi peete ho.

Ye kah kar mahi phone utha kar 2 coffee ke liye bolti hai jise dekh kar ajju mahi se kahta hai.

Ajju : maine kaha na mujhe nahi peeni toh 2 kyun mangwayi ?

Mahi : meri marzi isse tumhe kuch problem hai kya ?

Ajju : huh peeyo mujhe kya.

Ye kah kar ajju phir se apne laptop me busy hojata hai.

Mahi : waise maine suna hai ke dosti me log mazak bhi karte hai magar yaha toh log mazak me bhi serious hojate hai. Lagta hai ke log bas aise hi kahte hai ke hum dost hai. Dilse nahi mana hoga isi liye aisa karrahe hai. Khair chodo hume kya hum toh akele hi aye they akele hi jayenge.

Mahi ye sab ajju ko sunane ke liye kah rahi thi. Jise ajju sun bhi raha tha aur sunkar kahta hai.

Ajju : haan bhai dosti ko nibhane ka theka sirf humne hi le rakha hai dusron ko toh kuch bhi karne ki ijazat hai.

Mahi : aray maine aisa kya kardiya jo tumhe itna gussa araha hai. Agar meri coffee wali baat per gussa ho toh uske liye sorry ok.

Ajju mahi ki baat sunkar kuch nahi kahta. Thodi hi der me peon coffee lekar ata hai aur desk per rakh kar chala jata hai.

Peon ke jane ke baad ajju coffee ka cup utha leta hai jise dekh kar mahi ke honton per muskaan ajati hai.

Mahi :( muskurate hue ) tumhe toh coffee peeni hi nahi thi na ab kyun peerahe ho.

Ajju : tumne do cup kyun mangwayi ek tumhare liye aur ek mere liye. Isi liye maine apna cup utha liya.

Mahi : ( mazak me ) tumhe kisne kaha ke maine tumhare liye mangwayi thi maine apne liye do cup mangwayi thi khair ab tumne le hi liya hai toh tum hi peeyo.

Ye kah kar mahi hasti hai jise dekh kar ajju ko bhi hasi ajati hai phir dono coffee peene lagte hai.

Mahi : ajju ek baat toh batao ye azeem sir office nahi atey kya ?

Ajju jo coffee pee raha tha mahi ki baat sunkar usko khansi ajati hai toh mahi use glass me pani dal kar deti hai. Pani peene ke baad ajju mahi se puchta hai.

Ajju : ye achanak tumhe sir ki yaad kyun agayi ?

Mahi : achanak se nahi mai jab se yaha per ayi hoon tab se mai yahi sonch rahi hoon ke sir office kyun nahi atey.

Ajju : unko bahar aur bhi kaam hote hai isi liye woh office nahi atey.

Mahi : mana ke unko aur bhi kaam hote hai magar iska matlab ye nahi ke woh office aye hi nahi are unke dad ko hi dekh lo kya unko aur kaam nahi hote woh bhi toh office ate hai. Admi ko itna bhi irresponsible nahi hona chahiye. Kam se kam hafte me ek do baar office me akar dekh hi lena chahiye ke yaha per kya horaha hai log kaise kaam karrahe hai. Aur agar tum pahle se hi yaha per unka kaam karte ho toh mujhe unko assistant banane ki kya zarurat thi.

Ajju mahi ki baat sunkar hairan hojata hai.

Ab mahi ko kon bataye ke jiske bare me woh ye sab kahrahi hai woh uske samne hi baitha hai. Khair. Ajju mahi ki baat sunkar kahta hai.

Ajju : aisa nahi hai jaisa tum samhaj rahi ho sir roz office ate hai aur yaha per kya chal raha hai sab kuch check karte hai.

Mahi : accha aur woh kab ate hai mujhe toh kabhi dikhe hi nahi. Infact maine toh aaj tak unka chahra bhi nahi dekha.

Ajju mahi ki baat sunkar maan hi maan muskurata hai.

Ajju : ( muskurate hue ) isi liye toh tumhe pata nahi na sir roz ate hai aur yaha kya ho raha hai dekh kar chale jate hai.

Mahi ajju ki baat sunkar hairan hojati hai.

Mahi : ( hairan hote hue ) kya sir roz office ate hai.

Ajju ( maze lete hue ) : haan roz ate hai aur mujh se report bhi lete hai.

Mahi : kya sir roz atey hai aur tumne mujhe abhi tak bataya nahi aur tum unhe report bhi dete ho magar tum toh humesha mere hi sath rahte ho. Phir report kab dete ho.

Ajju hi ki baat sunkar sakpaka jata hai use lagta hai uski chori pakdi gayi hai magar phir bhi khud ko sambhal kar kahta hai.

Ajju : woh mai sir ko reports mail kardeta hoon. Isi liye tumhe nahi bataya.

Mahi : magar sir roz ate hai toh apne office me kyun nahi atey.

Ajju : mujhe kya pata. Shayed sir abhi bhi office me hi ho aur hum per nazar bhi rakh rahe ho.

Mahi ajju ki baat sunkar jaldi se apne desk per wapas jakar baith jati hai. Jise dekh kar ajju ko hasi ajati hai.

Ab tak dono ki coffee bhi khata hogayi thi.

Ajju : ( haste hue ) : ab tumhe kya hua achanak se apne desk per kyun chali gayi. Maine kaha shayed dekh rahe honge aisa nahi kaha ke sach me dekh rahe hai. Aisa bhi hosakta hai ke sir office aye hi na ho.

Mahi : woh sab mujhe nahi pata agar sir roz office atey hai toh yaha bhi nazar rakhte hi honge isi liye tum bhi chup chap kaam karo aur mujhe bhi kaam karne do.

Ajju : mahi tum dar kyun rahi ho aisa kuch nahi hai.

Mahi : nahi mai risk nahi lesakti mujhe ye job khoni nahi hai.

Ajju : per tumko yaha se nikal bhi kon raha hai aur tum apna kaam bhi toh acchi tarha se hi karti hona toh kyun dar rahi ho.

Mahi : mai chahey jatna bhi acchi tarha se kaam karlon magar hoon toh ek employee hi na toh meri choti si ghalti per bhi mujhe yaha se nikala ja sakta hai jo ki mai afford nahi karsakti.

Ajju ko lagta hai uska mazak usi per bhari pad gaya hai. Kaha woh mahi ko pareshan karne ko sonch raha tha ulta mahi ne use hi pareshan kadiya.

Use kaha pata tha ke mahi ka aisa reaction hoga woh toh bas mahi ko ched raha tha. Khair ajju bhi ziyada bahes na karte hue apne kaam me lag jata hai.

Aise hi kaam karte hue office time khatam hojata hai.

Mahi : thik hai mai chalti hoon milte hai baad me bye.

Ajju : accha thik hai bye.

Mahi office se nikal kar seedha apne ghar jati hai aur fresh fresh hokar thoda aram karti hai phir jab raat ka khana khate hai tab mahi apni ammi ko kahti hai.

Mahi : ammi kal shaista ka birthday hai aur usne mujhe party me invite kiya hai.

( shaista mahi ki college friend update 6 aur 7 me iska zikar kiya hai )

Khairoon bee : accha thik hai toh chali ja. Agar paise hona hai toh bol. Aur uske wastey gift lelina.

Mahi : ji ammi maine leliya hai.

Khairoon bee : ( Hyderabadi style me ) accha kya leke ayi zara mere ku bhi dikha mai bhi toh dekhon kya leke ayi meri beti.

Mahi apne room me jakar ek box lekar ati hai jisme ek khubsurat sa pen tha jisko dekh kar khairoon bee kahti hai.

Khairoon bee : ( Hyderabadi style me ) arey ye kya leke jari beta tu isku dekh ke aisa dikhra baba adam ke zamane me birthday manane jari tu. Ruk zara mai tere ku paise lakey detiyon woh leke kal kuch bhi dusra accha khareed le.

Mahi : arey kya ammi isme kya burai hai itna accha toh hai ye pen.

Khairoon bee : meri bholi beti jitta tu duniya ko accha aur seedha samaj ri na utti acchi duniya hai nahi.

Mahi : ammi mujhe pata hai aap kya kahna chah rahi hai. Magar shaista meri dost hai aur use pata hai meri situation aur waise bhi taufe ki kheemat nahi dekhi jati.

Khairoon bee : thik hai jaisi teri marzi.

Phir mahi apne room me jakar namaz padne ke baad sojati hai.

Idhar ajju bhi office se sidha apne ghar jata hai aur fresh hokar neeche akar hall me baith jata hai uski didi bhi ghar ko agayi thi.

Ajju : aur didi kaisa gaya week.

Didi : jaisa har bar jata hai same waisa gaya. Tum sunao tumhara kaisa gaya. Tumahri woh new assistant kaisi hai kaha tak baat pohchi aur kab larahe ho use ghar ?

Ajju : arey arey ek sath itne sawal zara sans toh lelijiye, aur rahi mahi ki baat toh mai bas uske sath mazak karraha hoon aur kuch nahi aur woh bas meri ek acchi dost ki tarha hai aur kuch nahi pata nahi aap kya kya sonch rahi hai.

Didi : haan bhai hum toh kuch bhi sonchte hai. Ab toh wahi sahi lagegi. Hum toh kuch bhi sonchte aur bolte hai.

Ajju : ab ye kya baat huid didi maine aisa kab kaha ke aap kuch bhi bolti hai ka matlab jaisa aap sonch rahi hai mere aur mahi ke beech aisa kuch bhi nahi hai.

Didi : chal ja ja ye sab kisi aur ke samne kahna mere samne nahi mai tuhje acche se janti hoon ye sab mujhe math seekha.

Ajju : aap ko jo samhaj na hain samjho mujhe kya.

Dono aise hi baten karte baith jate hai thodi hi der me ajju ke dad bhi ghar ajate hai.

Phir sabhi milkar thodi bohat baat chit karte hai phir ajju ki mom aur didi milkar dinner ready karte hai phir sabhi dinner ke liye baith jate hai.

In dinning table :

Dad : ajju beta kal tumhe ek party me jana hai.

Ajju : kiske paas jana hai dad.

Dad : woh apne sikandar raza ( shaista ke dad ) ke paas party hai usko beti ka birthday hai toh mai toh nahi jasakta mujhe kuch kaam hai toh kal tum hi ek accha sa gift lekar chale jana.

Ajju : hmm jana zaruri hain kya dad ?

Dad : kyun kal kahin jana hai kya tumhe ?

Ajju : jana toh nahi hai bas ab weekend hai toh aram karne ke liye sonch raha tha.

Dad : haan toh din bhar aram karo raat me chale jana kyun ke party toh raat me hai.

Dad ki baat sunkar mom aur didi ki hasi nikal jati hai jise dekh kar ajju bura sa muh bana kar kahta hai.

Ajju : thik hai dad mai chala jaonga.

Dad : beta mai hi chala jata magar mujhe kuch zaruri kaam hai aur sikandar raza se apna relation bhi accha hai woh bhi ek businessmen hai isi liye jane ko kah raha hoon agar tumhara dil nahi hai toh math jao.

Ajju : arey nahi dad mai toh bas aise hi kahraha tha. Don't worry mai kal chala jaonga aap apna kaam karlijiye.

Dad : ok beta aur meri taraf se bhi uski beti ko mubarak baad dedena.

Phir sabhi log dinner finish karte hai aur apne apne room me jakar sojate hai.

___________________________________________

Idhar inspector ali aur Abbas bhi commissioner se permission milne ke baad se hi inspector shahed ke murder ki mystery solve karne me lage hue they.

Unho ne inspector shahed ke ghar aur office ki talashi lee toh unhe kuch khas pata nahi chala.

Commissioner ne inko full permission di thi ke kisi se bhi bina kisi warrant ke puch tach kar sakte ho. Aur apni team chunne ki puri azadi bhi di thi. Ali ne apni team ki information hide rakhne ko kaha tha aur commissioner se ye bhi permission leli thi ke woh chahe toh bahar ke logon ko bhi hire kar sakta hai iss case ko slove karne ke liye.

Team kuch is tarha thi.

Team me total 8 member they.

Name : Tanisha

Age : 27

Expert : hacking expert

Ye dikhne me ek dam masoom aur ek dam cute hai aur thodi boaht chulbuli bhi hai isibliye sabhi ise chulbuli kah kar bulate hai.

Ye ek hacking expert hai. Inse khud se ek aisa software banaya hai jiske bare me iske team mates ke alawa aur koi nahi janta hai.

Ye software aisa hai jo kisi bhi server me ghus kar uska system hack karsakta hai chahe woh server kitna bhi strong kyun na ho aur uske server hack hone ka usko pata bhi nahi chalta. Aur sath me ye marital art bhi janti hai aur ye ziyada tar off field hi kaam karti hai. Iska kaam hai jis bhi location per mission hi waha ki information nikalna aur phir jab mission per jao toh waha per kitne log hai aur agar security hitech ho toh use heck karke rasta clear karna.

Name : jack

Age : 40

Expert : sharp shooter expert aur fake id aur face changing expert.

Ye dikhne me ek dam military officer ki tarha lagta hai aur ye ek ex commondo bhi rah chuka hai. Ye ziyada kisi se baat nahi karta bas apne kaam se kaam rakhta hai.

Ye ek sharp shooter hai ye kisi bhi cheez per ankh band karke bhi nishana laga sakta hai. Ye bas awaz sunkar us dihha me nishana laga sakta hai. Aur ye kisi bhi country ke fake documents bana sakta hai aur iske banaye hue documents ko pahchan pana bohat hi mushkil hota hai aur ye face changing me bhi expert hai.

Ye team me on filed kaam karta hai. Jab bhi mission per jate hai toh ye ek building ya unchi jagha dekh kar uske uper se hi apni spinner se nishana laga kar rasta saaf karne ka kaam karta hai.

Name : Arhaan

Age : 27

Expert : Fighting expert

Ye ek gora chitta jawan ladka hai. Ye jab mission per nahi rahta toh iska ek hi mission hai ladkion ko phasana aur unke sath enjoy karna.

Ye har tarha ki fight me expert hai isne bohat hi kam umer me itni sab fighting siklls sikhli hai kisi aur ke liye namumkin hai magar ye god gifted hai. Iski ek aur khasiyat hai.

ek baar agar kisi ko ladte dekhe toh uski fighting skills ko copy karne me ise ziyada time nahi lagta.

Ye on field hi kaam karta hai aur sabse agaey rahta hai.

Name : Yousef

Age : 45

Expert : planning expert

Ye is team me sabse sharp aur smart hai. Inka mind har waqt present rahta hai pure mission ko yahi operate karte hai aur yahi planning karte hai. Kiski position kaha per honi chahiye aur kisko agey aur kisko peeche rahna hai.

Inke plan aise hote hai jiske bohat hi kaam fail hone ke chances hote hai aur plan banane ke time ye sabki rai zarur lete hai. Aur sabse ye bhi puch lete hai ke agar kisi ko bhi isme kahi bhi loop hole nazar aye toh bataye.

Sabhi inke paln ko accept karte hai aur agar kuch kami nazar ayi toh apni salah bhi dete hai jisko woh pure dil se sunkar usko theek karte hai.

Name : hemanth rao

Age : 28

Expert : evidence clear expert and gun expert.

Ye ek bal bharam achari hai ye ladkiyon se bohat dur rahte hai aur apni team ki ladki ko bhi apni bahen mante hai.

Ye team me hatiyar konse use karna hai aur hatiyaron ko update bhi karte hai aur jaha per bhi mission complete hota hai toh ye us jagha se pahle evidence collect karte hai phir apna evidence mita bhi dete hai.

Ye boaht hi advance technology ke gadgets banata hai jaise ke kisi ko track karna ho toh uske peeche ek bug laga deta hai jo ke us bande ke kapdon ke colour me match hojata hai. Jisse agay wale ko pata bhi nahi chalta ke usko koi track karraha hai. Aise kai tarha ke gadget usne banaye hai.

Aur isme teen log hai.

Inspector Shahed jisko meer ne mar diya hai. Aur inspector ali aur inspector abbas.

Ye sab milkar secretly kaam karte hai jo kisi ko bhi nahi pata tha.

Is team ko inspector shahed ne hi banaya tha.

Ye 5 log inspector shahed ko ek case ke dauran mile they. Jis waqt shahed ko ye log mile they bohat hi zakhmi halath me they inspector shahed inhe apne sath apni ek private jagha lejakar inka treatment karaya jab ye log thik hue toh shahed ne inse inke bareme pucha toh pata chala ke ye log ek admi ke liye kaam karte they jise inhone aaj tak dekha nahi tha bas uske orders per hi kaam karte they. Kaam uska aur daam inka hota tha. Jab last mission per ye log gaye toh inhe pata chala ke ye admi desh ke khilaf kaam karta hai toh inho ne iske sath kaam karne se mana karne ke barame soch rahe they jiske bareme usko pata chala toh isne hume ek fake mission per bhija kar inper humla kara diya jisme inki ye halath hogayi.

Puri baat sunkar jab shahed ne inhe apne sath apne desh ke liye kaam karne ke liye kaha toh pahle toh inlogon ne mana kiya jab shahed ke samjha ne per inho ne ek shart rakh kar haan kaha.

Shart ye thi ke agar hume laga ke isme kisi bhi tarha ki gadbad hai toh hum bina kuch kahe gayeb hojayenge.

Iss baat per inspector shahed ne bhi ok kah diya. Uske baad inspector shahed inspector ali aur inspector abbas ko apne sath lekar inke paas aye aur inko bhi iss team me shamil kiya. Tab se lekar ab tak inlogon ne iss desh ke liye bohat se kaam kiye jiski jankari sarkar ko bhi nahi thi.

Jab inspector shahed ki maut ki khabar is team ko mili toh sab ko bohat bada shock laga aur inlogon ko boaht dukh bhi hua.

Jab se inlogn ne inspector shahed ke sath kaam karna shuru kiya tha tab se lekar ab tak inlogon ka shahed ke sath accha khasa bond hogaya tha. Isi liye sabhi sad hokar baithe hue they phir yousuf ne sabhi ko samhjaya.

Yousef : aise baihte rahne kuch nahi hoga hum ko shahed ke qatil ko dhund na hoga aur tab tak hume chain se nahi baithna hai.

Arhaan : haan bhai aap ne sahi kaha jis kisi ne bhi shahed bhai ko mara hai ab se uski ulti ginti shuru kardeni chahiye.

Hemanth rao : sahi kaha tune ab humko chain tab hi ayega jab us kameene ka khoon apne haton per na laga loon. Mujhe shapat hai apne bajrang bali ki mai us kameene ko chudunga nahi.

Jack : aise baith kar rone aur baten karne se hum use naa hi mar sakte hai aur naa hi dhundh sakte hai. Uske liye hume kaam karna hoga.

Tanisha : haan jack tumne sahi kaha humko aise rokar ya emotional hokar nahi balke apne skills ka use karke use dhundh na hai.

Yousef : toh phir der kis baat ki hai lag jao sabhi kaam me. Sab se pahle tanisha tum shahed ke call details nikalo aur pata karo shahed kis kis se ziyada call karta tha aur uske naam per kitne phone number registered hai aur haan uske ghar ke bhi sabhi numbers ko tap karo aur jitna hosake utna data collect karo. Agar kisi per bhi shak ho toh uska bhi phone number tap karke recording per daldo.

Aur tum jake apna bhes badal kar shahed ke ghar ki aur uske khareebi logon per nazar rakho aur jis per bhi shak ho usko apni list me shamil karlo uske baad ka kaam arhaan karlega.

Aur hemanth tum bhi apne tarike se investigation shuru kardo aur agar kuch bhi aisa lage jo ke sabut ke taur per kaam aye uske uper apni nazar banaye rakho.

Aur ali aur abbas ko bhi mai sab kuch samjha dunga abhi toh unlogon se milna sahi nahi rahega magar jald hi mai unko unka kaam samjha dungo. Anybody have doubt.

Sab : no sir.

Yousef : ok toh lag jao apne apne kaam me.

Phir sabhi lag jate hai apne apne kamon me.

Idhar meer ne bhi apne admiyon ko underground rahne ka order dediya tha magar uske dusre admi bhi uske us maal ko dhundhne me lage hue the.

Aur woh inspector jo meer ke liye kaam karta hai woh bhi apni taraf se kaam karraha tha ke kisi tarha se pata laga sake ke inspector shahed ne us maal kaha chupa rakha hai.

Is inspector ne inspector ali aur abbas ke peeche apne kuch mughbir bhi laga rakhe they inke uper nazar rakhne ke liye.

Magar ek hafta beet chuka tha aur ab tak use kuch bhi maloom nahi kar saka tha.

Meer ne use apne ek farmhouse per bulaya tha. Jab inspector waha pohcha toh meer pahle se hi waha per maujud tha.

Meer : auo inspector auo kaise ho. Ane me koi takleef toh nahi hui.

Inspector : ji nahi meer sahab koi takleef nahi hui aur aap ki dua se sab badhiya hai.

Meer : isse pahle ye dua bad dua me badal jaye mujhe us maal ki information chahiye.

Inspector : mai puri koshish karrah hoon. Magar pata nahi us inspector shahed ne maal ko kahan chupa rakha hai.

Meer : mujhe koshish nahi parinaam chahiye agar tumse nahi hota toh kahdo ye kaam hum kisi aur se karwa lenge magar tumhara kya anjaam hoga ye bhi zarur sonch lena.

Meer ki baat sunkar woh inspector dar jata hai.

Inspector : ( darte hue ) nahi nahi meer sahab mujhe ek maukha aur de dijiye mai apni puri jaan laga dunga aap ke maal ko dhudhne me magar aap kuch mat kijiye. Maine pahle se hi apne kuch admi inspector ali aur uske admion ke peeche laga rakhe hai jaise hi mujhe koi bhi clue milega ai fauran aap ko khabar kardunga.

Meer : thik hai inspector mai tumhe ek maukha aur deta hoon iss baar mujhe koshish nahi parinam chahiye agar aisa nahi hua toh. Agey tum khud samhajdar ho.

Inspector : ji ji sahab aisa hi hoga.

Meer : thik hai ab tum ja sakte ho.

Meer ki baat sunkar woh inspector waha se aise bhagta hai jaise agar woh thodi der aur yaha ruka toh pata nahi uske sath kya hojayega.

Inspector ke jane ke baad meer jawad ko phone karke iss inspector per nazar rakhne ke liye kahdeta hai. Phir waha se apni car lekar kahi aur chala jata hai.

Aaj ke liye itna hi kafi hai.

Ab agey dekhte hai ke mahi aur ajju ek hi party me jate hai waha per kya hota hai aur
mahi ko ajju hi uska boss hai kab aur kaise pata chalta hai aur inspector shahed ki team uske qatilon ko kaise dhundhti hai. Aur meer kab tak apne aap ko chupa pata hai.

Agey janne ke liye mere sath bane rahe BE-INTEHA-ISHQ ke sath apka apna MAQ.

Written by MOHAMMED AZEEM QURESHI ( MAQ ).

DERI JE LIYE MAAFI CHAHTA HOON.

UPDATE KAISA LAGA COMMENT ME ZAROOR BATANA.

KEEP SUPPORTING.......
 
Avinashraj

Well-Known Member
2,000
5,638
144

Nyc update bhai ji
 
  • Like
Reactions: Maq
Status
Not open for further replies.
Top