• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance BE-INTEHA-ISHQ

Status
Not open for further replies.

Maq

Lovely person????
429
518
109
Wah bhaaaaaaai kamaal hogaya ye to aisa maza abhi continue rehna chahiye and is dfa update jldi diya zabardast bhai

Shukriya bhaaaaaaaai.

Inshallah koshish karonga ke maza aise hi barkar rahe bas aap log aise hi sath bane rahiye. Aap logon ka sath raha toh mujhe bhi likhne me khushi hogi. Aur update jaldi dene ki koshish karonga.


Keep supporting......
 

Werewolf

ʏᴏᴜ ᴀʀᴇ ᴀʟʀᴇᴀᴅʏ ᴜɴᴅᴇʀ ᴍʏ ɢᴇɴᴊᴜᴛꜱᴜ
Supreme
11,164
88,166
259
Photo-1588454889378


Ye meri pahli story hai aur puri tarha se kaalpanik hai iska kisi bhi viyakti se koi lena dena nahi hai agar aisa hota hai toh ye sirf aur sirf ek ittefaq hosakta hai.


Ye kahani 3 characters per nirbhar hai aur unhi ke ird gird ghoomegi.
Is story me aap ko emotional, Drama, comedy, Action, aur bhi bohat kuch dekhne ko milega.



Aur akhri me ek baat kahna chahta hoon ye meri as a writer pahli story hai agar aap logon ko kahi bhi lage ke mujhe kuch bhi batana chahiye toh aap log bikul bata sakte hai. Aur ye story puri tarha se saaf sutri hai isme na toh insect hai aur nahi kisi ke sath intercourse hoga. Kya mai iss story ko yaha per post karu ya nahi comment karke zaroor bataye.
Congrats for the new thread ?
Aisa koi zaroori nahi hai bhai ki story me sex hoga tabhi koi story padhega ya sex waali story hi post karna chahiye. Aap bindaas likhiye!!
Aur haa jese aapne update post kiye hai, bilkul wese hi update post kiye jaate hai. Aap chaahe toh first page par index add kar sakte hai ya karwa sakte hai, iss se new readers ko navigate karne me asaani hoegi.
Aap bas likhte rahiye, jese jese aap aage badhenge, support milta jaega.
Dhanyawad!!
 
  • Like
Reactions: Maq and Chinturocky

Maq

Lovely person????
429
518
109
Congrats for the new thread ?
Aisa koi zaroori nahi hai bhai ki story me sex hoga tabhi koi story padhega ya sex waali story hi post karna chahiye. Aap bindaas likhiye!!
Aur haa jese aapne update post kiye hai, bilkul wese hi update post kiye jaate hai. Aap chaahe toh first page par index add kar sakte hai ya karwa sakte hai, iss se new readers ko navigate karne me asaani hoegi.
Aap bas likhte rahiye, jese jese aap aage badhenge, support milta jaega.
Dhanyawad!!

Thank you bhai.
 
  • Like
Reactions: Werewolf

Maq

Lovely person????
429
518
109
UPDATE-14.
In other side :
Ek admi zameen per pada hua tha uske pure jism se khoon bahraha tha uske aas paas kai sare log haton me hatyar liye khade they. Aur ek admi ek badi si chair per baitha hua tha aur uske hath me ek tez dhar talawar thi jasper woh apni ungli phira raha tha jaisa check karraha ho ke tez hai ya nahi.
Iss waqt ye log ek bade se farmhouse per they jiske hall me ye sab chal raha tha aur jo admi neeche zameen per pada hua tha woh police dress me tha.
Neeche pade hue admi yani police wale se chair per baitha hua admi khata hai.
Admi : toh inspector sahib kahiye kaisi rahi humari khatir dari kuch kami toh nahi rahi na. agar kuch kami peshi rahi ho toh bata do mai use puri karadonga.
Us admi ki baat sunkar waha per kahde hue admi jo ke pure ghundon ke getup me the zor zor se haste hai unme se ek gunda kahta hai.
Gunda 1 : bhai isko bhi bohat shuq hai logon ki khatir dari karne ka. Isne humare kai sare admiyion ki aise hi khatir dari ki hai toh isko bhi toh kuch milna chahiya na.
Gunda 2 : haan bhai isne mujhe bhi bohat baar aise hi dhoya hai ye toh accha hua ke apne mujhe bahar niklwa liya warna ye toh mera lockup death karne wala tha.
Undo ghundon ki baton ko sunkar woh admi kahta hai.
Admi : aur bhi kisi ko kuch kahna hai kya yaha per.
Uski baat sunkar ek aur gunda kahta hai jo shakal se hi joker lag raha tha.
Gunda joker : bhai mujhe khana hai.
Admi : haan kaho mai bhi tumhare hi kahne ka intezar karraha tha kab tum kahoge aur mai sunoga.
Gunda joker : toh suno bhai mujhe lagta hai ke humne iske sath jo bhi kiya hai bohat sahi kiya hai.
Admi : aur aap ko aisa kyun lagraha hai.
Gunda joker :bhai ek baar isne mere sath aisa kaam kiya hai jisko bolte hue bhi mujhe sharam arahi hai.
Admi : arey tum sharmao nahi yaha per sabhi apne hi log hai. Jo bhi bolna hai khulke bolo.
Gonad joker : ek baar isne mujhe ek ladki ko chedte hue pakad liya aur jaha per pakda wahi per mere pure kapde utar diye sirf ek underwear hi choda aur usi halat me mujhe police station legay aur waha per bhi mujhe aise hi rakha aur itna hi nahi waha ke police walon se kaha ke isko aise hi rakhe. Jab tak meri bail nahi hui mai aise hi raha isi liye isko bhi waise hi rakho bhai isne mere sath jaisa kiya mai bhi iske sath waisa hi karna chahta hoon.
Us gonde joker ki baat ko sunkar waha per kahder sabhi log hasne lagte hai yaha tak ke woh police wala jo zakhmi tha woh bhi hasta hai jise dekh kar gunda joker kahta hai.
Gunda joker : dekho bhai kaise has raha hai mujhe iske kapde utarne hai.
Uski baat sunkar woh admi kahta hai.
Admi : thik hai hum aisa hi karenge agar isne mere sawalon ke jawab nahi diye toh. Kya kahte ho inspector sahib utare aap ke kabde ya aap denge mere sawalon ke jawab.
Inspector : tu kuch bhi kar le mai nahi bataonga chahe tu meri jaan hi kyun na lele. Mai tujhe kuch nahi batane wala.
Admi : kya yaar ye filmi dialogue sun sun kar mai pak gaya hoon. Mujhe pata hai ab tu yahi kahega ke mai pane desh ke liye jaan bhi desakta hoon wagaira wagaira. Magar maine bhi tere muh se sab kuch na ugal wa liya toh mera naam bhi mir alam jahangir nahi.
Phir woh apne admiyon se kahta hai.
Admi : tum sab iske ghar jao aur iski biwi aur beti ko utha kar yaha per le auo mai bhi dekhta hoon ye kasie apni zaban nahi kholta.
Us admi ki baat ko sunkar inspector gusse se kahta hai.
Inspector :(gusse se) mir ye tere aur mere beech ki baat hai tu unko kyun beech me laraha hai. Himmat hai toh mujh se muqabla kar.
Admi : nahi hai mere andar himmat khush. Tum sab mera muh kya dekh rahe ho jao aur jaldi se unko yaha per le auo.
Inspector : tu kuch bhi kar le mai tujhe kuch bhi nahi batane wala. Agar iske liye mujhe mere biwi bachche bhi khurban karne pade toh mai uske liye bhi peeche nahi hatonga. Agar maine tujhe uske bareme bataya toh iss shaher ke kai maaon ke baache iss zaher ka shikar hojayenge. Undono ki zindagi ke liye mai pure shaher ke logon ki zindagi barbad nahi karsakta.
Mujhe toh khushi hogi ke is jung me meri biwi aur bachchi bhi shamil hojayenge.
Inspector ki baat ko sunkar mir alam inspector ke muh per zor dar lath marta hai jisse uske muh se khoon nikalta hai.
Mir alam : ye jo tum log desh bhakti ki baten karte ho ye sirf khokhli baten hai ye desh bhakti karke kuch bhi hasil nahi hota. Tum yaha per iss shaher ke logon ke liye apni jaan dene ko taiyar ho. Agar maine tumhe mar kar tumhare sath yahi cheezen rakhdi toh iss desh ke isi shaher ke log tumko ghaddar karar denge aur tumhare biwi bachchon ko chain se jeene bhi nahi denge. Mai tumhe ek aur mauka deta hoon meri baat manlo aur mere liye kaam karo aur apni zindagi sukoon se jiyo.
Inspector : tujh jaisa desh druhi desh bhakti ke bareme kya samjhega jo khud apne desh ke sath ghaddari karta hai. Mana ke tere aisa karne se meri image
kharab zarur hogi aur meri biwi aur beti ko yaha ke log pareshan zarur karenge magar mera khuda toh janta hai ke maine kya kiya aur kya nahi toh bhatar yahi hai ke tu apna maukha apne paas hi rakh aur agar mujhe marna hai toh jaldi mar aur khissa khatam kar.
Inspector ki baat ko sunkar mir alam pura jal bhun jata hai aur us per laton aur ghonson ki barsat kardeta hai. Jise dekh kar uske admi bhi dar jate hai.
Mir alam : ( gusse me marte hue ) mujhe desh druhi kahraha hai. Haan mai hoon desh druhi kya diya hai mujhe iss desh ne kuch bhi nahi barbad kardonga mai iss desh ko aur mera koi kuch nahi ukhad sakta samhja.
Inspector uski mar khane se bohat kamzor hojata hai use saans lene me bhi takleef horahi thi aur uske muh se khoon bhi nikal raha tha magar uska honsla kamzor nahi hota aur ye honsla ek desh premi ka tha isi liye itna mar khane ke baad bhi kahta hai.'
Inspector : tere jaise najane kitne aye aur kitne gaye magar mere desh ka baal bhi baka nahi kar paye. Tu chahe kitne bhi plans banale magar mere desh ka kuch nahi bigad sakta. Tu mujhe marega magar mere marne ke baad aur 10log janam lenge agar tu unko bhi marege 100log aur janam lenge tu jitney marega 10guna aur log desh ke liye jaan dene ke liye taiyar hojayenge.
Mir alam inspector ki baat ko sunkar aur bhi gusse me ajata hai.
Mir alam : teri agar yahi khawahish hai toh yahi sahi mai tujhe shaheed hi kardeta hoon magar tu ghaddar kahlayega.
Ye kahkar mir alam uska gala dabane lagta hai jisse inspector ki ankhe bahar ko ajati hai aur uski sans rukne lagti hai.
Inspector ( zor se sans lete hue kahta hai ): meri maut zaya nahi jayegi tujhe isse bhi buri maut dene wala ayega. Aur kalma padkar maut ke hawale hojata hai.
Inspector ke marne ke baad pure hall me sannata cha jata hai. Us sannate ko mir alam ke right hand todta hai jika naam jawad hai.
Jawad : bhai apne ye kya kiya isko kyun mar diya ab hume kaise pata cahlega ke humara maal isne kaha per chupa kar rakha hai.
Mir alam : kuch nahi hoga woh maal wapas ajayega apne us inspector ko call karke uske bareme pata karne ko kaho aur isko bhi iski gadi me bitha kar iski gadi me drugs ke kuch packet aur kuch paise rakh kar iski gadi ko kisi bade ped se takrado aisa lagana chahiye ke iska accident hua hai samjhe.
Jawad : ji bhai hojayega.
Ye kahkar jawad inspector ki body ko gundon ki madad se uski jeep me bitha kar nikal jata hai.
Unke jane ke baad mir alam kisi ko call lagata hai.
In call :
Unknown : kaho kis liye call kiya hai us inspector ne kuch bataya ya nahi.
Mir alam : usne kuch nahi bataya toh maine use jaan se mardiya.
Unknown : ye tumne kya kiya bewakoof agar kisi ko pata chal gaya toh tumhari kursi khatre me pad jayegi aur agar aisa hua toh mai bhi kuch nahi kar sakta. Kuch karne se pahle sonch toh liya karo.
Mir alam : sonch samhaj kar hi kiya hai maine uski chinta aap math kijiye kal ki news dekh lijiyega. Maine call iss liye kiya tha ke apne kuch admi iss inspector ke
admiyon ke peeche laga dijiye mujhe shak hai ke un me se kisi na kisi ko toh pata hoga hi isne apna maal kaha chupa rakha hai.
Unknown : thik hai mai lagata hoon kuch logon ko ab tum kuch dinon ke liye kuch bhi math karna aur apne area ka ek chakkar zarur laga lena hume ye kursi khoni nahi hai jab se tum M.P bane ho ek baar bhi waha per nahi gaye waha per jao aur logon se milo aur unki problems ko solve karo mujhe waha se kai baar complaint achuki hai.
Mir alam : thik hai jaisa aap kahe.
Ye kahkar mir alam call cut kardeta hai.
*call end*
Phir mir alam jawad ko call lagata hai.
Mir alam : kaam hogaya.
Jawad : ji bhai hogaya hai maine highway per uski jeep ko ek bade se ped se takkar mardi hai bilkul accident ki tarha lag raha hai.
Mir alam : thik hai tum waha se niklo aur apne admiyon se kahdo ke kuch din ke liye underground hojaye.
Jawad : theek hai bhai.
Uske baad mir alam farmhouse se nikal kar apni car leakr chala jata hai.
New character :
Name : mir alam Jahangir
Age : 55
Ye ek M.P hai magar inke kai sare ghair khanoni dhande hai. Inhone rajneeti isi liye join ki ke apne kaam ko acchi tarha se sambhal sake aur ye bakhobi apna kaam karte bhi hai. Inke kai sare politician se link bhi hai aur bade bade ministers ke sath bhi inke kai sare business hai. Inka right hand jiska naam jawad hai isper ye ankh band karke bharosa karte hai aur who bhi inka wafadaar hai. Inke ghair khanoni dhande yahi sambhalta hai.
Inka bhi is story me aham role hai.
______________________________________________
Idhar ajju aur mahi side :
Ajju aaj jaldi uth kar bina nashta kiye hi office ko chala jata hai aur aaj bhi apni bike per hi jata hai. Waha jakar dekhta hai toh mahi abhi tak nahi ayi thi woh usko call lagane ke liye apna phone nikalta hai magar usko yaad ata hai ke kal toh usne mahi se uska number liya hi nahi phir woh neeche miss reshma ke paas chala jata
hai. Pata karne ke liye ke mahi bahi tak kyun nahi ayi hai.
Ajju ko neeche dekh kar miss reshma apni chair per se uth jati hai.
Miss reshma : good morning sir.
Ajju : good morning kaisi hai aap aunty.
Ajju ke muh se aunty sunkar miss reshma hairan hojati hai.
Miss reshma ( hairan hote hue ) : acchi hoon sir aap kaise hai.
Ajju : aap itni hairan kyun lag rahi hai mera aap ko mera aunty kahna accha nahi laga kya.
Miss reshma : nahi sir aisi koi baat nahi hai.
Ajju : toh phir aap hairan kyun dikh rahi hai. Mujhe bhi kal realize hua ke mujhe aap ko naam se nahi bulana chahiye aap mere se umer me badi hai toh mujhe aap ko madam ya aunty hi kahkar bulana chahiye. Isi liye agar aap ko koi aiteraaz na ho toh kya mai aap ko aunty bula sakta hoon.
Ajju ki iss baat ko sunkar toh miss reshma bikul hi shock hojati hai unhe kya kahe kuch samhaj hi nahi araha tha. Woh kuch kahti use pahle peeche se ahmed kahta hai jo abhi kuch der pahle hi aya tha imtiyaz ke sath.
Ahmed : kyun nahi bhai tu inko kuch bhi bula sakta hai. Humne toh kai baar tujhe iske liye kaha hai magar tune hi kaha tha ke mere kuch rules hai jinhe mai khud bhi nahi tod sakta toh ab kya hua tere rules ko.
Imtiyaz : haan bhai maine bhi kitni baar kaha hai ise ke reshma aunty ko miss reshma kah kar math bulaya kar magar mujhe bhi yahi kaha ke office me no relation ab kya hua tujhe.
Ajju ahmed aur imtiyaz ke aisa achanak ajane se hadbada jata hai woh toh yaha per mahi ke bareme pata karne aya tha use nahi pata tha ke aisa kuch hojaye ga isi liye use kuch suj hi nahi raha tha ke ab kya kahe kyun ke jo bhi indono ne kaha tha sach hi kaha tha ajju humesha inko aisa hi kahta tha isi liye use samhaj nahi araha tha kya kahe ajju ki hadbada hat dekh kar miss reshma kahti hai.
Miss reshma : aray tum dono sir ko kyun pareshan karrahe ho. Sir ka jo dil kare woh kah sakte hai.
Ajju : aap mujhe sir math kahiye mujhe bhi inki tarha beta hi kahkar pukare mujhe accha lagega.
Ajju ki iss baat ko sunkar toh miss reshma ke sath sath ahmed aur imtiyaz bhi shock hojate hai. Aur usko ghoor kar dekhne lagte hai.
Ajju ko unka aise ghoor na ajeeb lagta hai toh ajju kahta hai.
Ajju : mujhe aise ghoor ghoor kar kyun dekh rahe ho jaise mai koi ajooba hoon.
Ahmed : ajooba hi toh hai. Pahle toh mujhe shak tha ab mujhe pura yakeen hogaya hai ye humara ajju nahi hai. Bol kaha hai humara ajju.
Ajju : ye kya bakwas karraha hai. Kya maine kuch ghalat kah kahdiya hai. Tum log hi toh chahte they na ke mai inko aunty kahon toh ab kya hua.
Imtiyaz : hua kya hai ye bhi hum hi batayen. Ye toh tu hi bata ke hua kya hai. Achanak se tere andar ye changes kaise agaya bhai. Kuch toh gadbad hai.
Ahmed : gadbad boaht badi gadbad hai. Mujhe toh shak horaha hai ke humara ajju kahi badal toh nahi gaya.
Ajju : karte raho tum log bakwas mai jaraha hoon.
Ye kahkar ajju jaise hi jane ko hota hai peeche se mahi ki awaz ati hai.
Mahi : hi.
Mahi ki awaz sunkar sabhi mahi ki taraf ek sath dekhte hai. Jisse mahi ko embarrass lagta hai.
Mahi : assalamu alaikum.
Mahi ke salam karne se sabhi usko ek sath jawab dete hai. Jise sunkar mahi ko uncomfortable feel hota hai.
Mahi : mai apne cabin me jarahi hoon kya tum mere sath chal rahe ho ajju.
Mahi ka usko ajju kahna toh teeno ke uper jaise boom ki tarha girta hai. Kyun ki office me koi bhi usko ajju kahkar nahi bulata hai siwaye ahmed aur imtiyaz ke.
Ahmed : aap ki tarif maine aap ko pahle kabhi yaha per nahi dekha.
Mahi : maine bhi apko yahan nahi dekha. Aap bhi apni tareef kar sakte hai.
Ahmed : ji ab mai apne muh se apni tareef kya karon.
Mahi : kya abhi tak apne aisa koi bhi kaam nahi kiya jo aap khud apni tareef nahi karsakte.
Mahi ki baat ko sunkar waha per sabki hasi nikal jati hai.
Ahmed : ji mere kahne ka ye matlab nahi tha. I mean mera naam ahmed hai aur mai yaha per ek project per kaam karraha hoon. Toh isi liye aap se puch raha hoon ke aap ko pahle kabhi yaha per nahi dekha aap new ho kya ?
Imtiyaz : aur aap ajju ko kaisa janti ho?
Mahi : ji mai yaha per new hoon aur azeem sir ki assistant hoon.
Mahi ki baat sunkar ahmed aur imtiyaz ajju ki taraf dekhte hai.
Ajju : mujhe aise kya dekh rahe ho.
Ahmed : tune bataya nahi hume ke tune new assistant rakh li hai.
Mahi : mai inki nahi azeem sir ki assistant hoon.
Mahi ki baat sunkar ahmed aur imtiyaz ek dusre ka muh dekhte hai. Jise dekh kar ajju mahi se kahta hai.
Ajju : mahi tum cabin me chalo mai abhi ata hoon inse baat karke.
Mahi : thik hai.
Ye kahkar mahi lift ki taraf chali jati hai. Mahi ke jane ke baad ahmed ajju se kahta hai.
Ahmed : bhai maine kya ghalat kaha ye teri hi toh assistant hai.
Ajju : haan bhai tune bilkul sahi kaha.
Ahmed : toh phir ye ladki aisa kyun kah kar gayi ke ye teri nahi azeem sir ki assistant hai.
Ajju : mai batata hoon chalo mere sath.
Phir miss reshma se kahta hai.
Ajju : aunty mere cabin me 4 coffee bhej dijiye please.
Miss reshma : ji sir abhi bhejti hoon.
Phir ajju ahmed aur imtiyaz ko lekar seediyon ki taraf jata hai.
Imtiyaz : abbey tera dimag toh nahi kharab hogaya hai. Idhar kyun lekar aya hai lift us taraf hai us taraf chal.
Ajju : haan maloom hai mujhe tu bas mere sath chal.
Ahmed : haan bhai chal mujhe toh lagta hai yaha per bohat bada game chal raha hai.
Ajju : kuch bhi game nahi chal raha hai bas usko ye nahi pata ke mai hi uska boss hoon.
Imtiyaz : abhi toh usne kaha na ke woh azeem ki assistant hai toh phir use kaise nahi pata ke tu uska boss nahi hai. Bhai yaha per chal kya raha hai mujhe toh kuch samhaj hi nahi araha.
Ajju : use sirf mera naam hi maloom hai ke mai uska boss hoon. Usne mujhe dekha nahi hai.
Ahmed : bhai kuch aisa bol ke hume samhaj aye. Tu kya kahraha hai kuch bhi samhaj nahi araha hai.
Ajju : dekh bhai use ye pata hai ke mai azeem sir yani ki mai khud ka secretary hoon.
Imtiyaz : abhi bhi kuch samhaj nahi aya.
Ajju : yaar ab kaise samjhaon tumko.
Ahmed : asan bhasha me jisse hume samhajne me asani hoon.
Phir ajju unko mahi se milne se lekar puri kahani sonata hai jise sunkar imtiyaz kahta hai.
Imtiyaz : toh iska matlab woh tujhe yaha per kaam karne wala employee samhjati hai. Use ye nahi pata ke tu hi uska boss hai.
Ajju : haan ab samjhe.
Imtiyaz : haan samhaj gaya magar mujhe ye samhaj nahi araha ke tune use bataya kyun nahi ke tu hi uska boss hai ? kya chal raha hai bhai.
Ajju : kuch bhi nahi chal raha hai bas usko baad me bataonga .
Imtiyaz : aur woh kis liye.
Ahmed : bhai koi mujhe bhi batayega ke yaha ho kya raha hai.
Imtiyaz : tu chup rah yaar kuch der…… haan bhai tu bol kyun nahi bata raha. Kuch chal raha hai kya tere dimag me. Agar kuch hai toh batade hum bhi teri madad karenge.
Ajju : kuch nahi yaar bas thodi si masti karraha hoon aur kuch nahi, bohat din hogaye kisi ke sath bhi masti nahi ki bas isi liye. Aur maine use apna pura naam bhi bataya tha magar usko maloom nahi pada toh isme meri kya ghalti hai.
Imtiyaz : ghalti hai ya nahi ye baad ki baat hai. Tu kuch plan toh nahi karaha na.
Ahmed : aray yaar mujhe bhi toh batao ke kya baat horahi.
Imtiyaz : tu thoda sabar nahi rakh sakta 2min rukja mai tujhe sab samhjata hoon…. Haan bhai ajju bol koi plan toh nahi karraha hai na.
Ajju : abay tu kya pagal hogaya hai jo aisi baten karraha hai, mai kya tujhe koi planer lag raha ho jo aisa sawal karraha hai. Thoda sa mazak karraha hoon aur kuch nahi chalo mere cabin me chalte hai aunty ne coffee bhijvadi hogi.
Ahmed : yaar mujhe bhi toh batao kya plan horaha hai.
Ajju : aray yaar chup rahna bata denge tujhe bhi.
Phir teeno ajju ke cabin me ajate hai. Cabin me ane ke baad mahi ajju se kahti hai.
Mahi : badi der lagadi ane me aur ye log bhi yaha per ayen hai.
Imtiyaz : ji haan hum log friends hai aur aksar yaha per ate rahte hai. By the way mera naam imtiyaz hai. Aur
mai bhi usi project per kaam karraha hoon jis per ahmed kaam karraha hai.
Mahi : ji haan abhi padi maine aap logon ki file ko. Project toh accha hai.
Imtiyaz : ji shukriya.
Mahi : toh kaha tak pohcha hai aap ka kaam.
Mahi ki baat sunkar ajju ki hasi nikal jati hai jise dekh kar mahi ajju se kahti hai.
Mahi : maine kya koi joke mara hai jo tum aise has rahe ho.
Is baar imtiyaz aur ahmed haste hai.
Mahi : apne jawab nahi diya.
Imtiyaz : kis baat ka.
Mahi : yahi ke aap ka project kaha tak pohcha hai.
Imtiyaz : ji uska kaam bohat hi accha chal raha hai. Kuch hi din me kaam khatam hojayega. Uske baad humko kuch events me apne project ko launch karenge.
Mahi : ye toh badi acchi baat hai.
Itne me door knock karke peon ander ata hai. Andar akar coffee ke cups ko andar rakh kar chala jata hai.
Ajju : mahi ye lo coffee.
Mahi : nahi mai abhi ghar se nashta karke arahi hoon.
Ajju : kuch nahi hota ek cup peene se.
Mahi ajju ki baat maan kar cup leleti hai.
Ahmed : ek baat kahon agar aap bura na mane toh.
Mahi : ye toh baat per depend karta hai ke aap kis tarha ki baat karte hai agar baat bura manne wali hogi toh bura toh lagega hi agar baat acchi hai toh nahi lagega.
Mahi ki aisi baat sunkar ahmed chup hojata hai jise dekh kar mahi kahti hai.
Mahi : kya hua sir aap kuch kahne wale the ?
Ahmed : ji nahi mai toh bas aise hi kahraha tha.
Ahmed ki baat sunkar ajju aur imtiyaz ki hasi nikal jati hai. Jise dekh kar ahmed unhe ghoor kar dekhta hai. Phir kuch der project ke bare me baat karne ke baad imtiyaz khata hai.
Imtiyaz : chalo bhai ab hum chalte hai phir milenge.
Ajju : kya hua kaha jaraha hai.
Imtiyaz : kuch nahi kuch kaam pending pade hai unhe niptane hai. Chalo chalte hai bhai tujhe kya yahin per rahna hai chal uth.
Ajju ko jawab den eke baad imtiyaz ahmed se kahta hai.
Ahmed : haan bhai ajju hum chalte hai. Bye mahi ji.
Mahi : bye sir.
Phir ajju ahmed aur imtiyaz ke sath baher chala jata hai. Baher ane ke baad imtiyaz ajju se kahta hai.
Imtiyaz : yaar ajju ye toh bohat tez hai dekh kar job hi karna hai. Kahi n aisa na hoke ye tujh per hi bhari pad jaye.
Ajju : kuch nahi hoga. Khair tumlog jao mujhe bhi kuch pending work karna hai.
Imtiyaz : pending work karna hai ya uske sath baten karni hai.
Ajju : woh kaam ke waqt baat nahi karti.
Imtiyaz : kya baat hai tujhe bada pata hai uske adaton ke bare me. Kahin daal me kuch kala toh nahi hai.
Ajju : tum log phir shuru hogaye. Chalo ab niklo bye.
Ahmed : yaar mujhe bhi toh batao ke ajju kya karne wala hai.
Imtiyaz : teri sui abhi tak wahin atki hui hai. Chal tujhe sab kuch detail me samjhata hoon.
Phir jate hue ajju se kahta hai.
Imtiyaz : ajju mujhe ye bandi bohat khatanak lagrahi hai. Dekh kar kahin bhasm na hojaye.
Phir imtiyaz aur ahmed chale jate hai. Ajju bhi apne cabin me wapas ajata hai.
Asie hi aaj ka pura din khatam hojata hai. Jab jane ka time hota hai toh ajju mahi se kahta hai.
Ajju : mahi mujhe tumne apna number nahi diya.
Mahi : tumne pucha hi nahi.
Ajju : accha ab puch raha hoon na toh ab dedo.
Mahi : nahi tum mujhe apna number bolo mai tumhe call karongi.
Asal me mahi ko apna number yaad nahi rahta kyun ke usne kal hi toh phone aur sim liya tha isi liye usne ajju se uska number manga isme usko apna number batana nahi padta. Phir ajju usko apna number bolta hai toh mahi uske cell per call karti hai phir dono ek dusre ka number save karlete hai.
Phir dono miss reshma ko bye bol kar office ke bahar nikal jate hai.
Ajju : kya khayal hai aaj chodh doon tumko tumhare ghar.
Mahi : ji nahi aap ka bohat bohat shukriya aap ko takleef lene ki koi zarurat nahi hai. Mai khud chali jaongi.
Ajju : isme takleef ki kya baat hai. Aiye mai chodh deta hoon.
Mahi : nahi mai chali jaongi bye khuda hafiz.
Ajju : thik hai bye khuda hafiz kal milenge.
Phir mahi bus stop ki taraf aur ajju apne ghar ki taraf chala jata hai.
Mahi ghar pohanch kar apni ammi ko dhundti hai toh who nahi dikhti magra miss nadiya hall me baithi hui thi mahi salam karti hai.
Mahi : assalamu alaikum.
Miss nadiya : wa alaikum assalam kaisi chal rahi hai job tumhari.
Mahi : ji acchi chal rahi hai. Who ammi kahin dikhayi nahi derahi.
Miss nadiya : haan woh kuch kaam se bahar gayi hai. Tab tak tum raat ke dinner ki taiyari karlo.
Mahi : ji thik hai.
Phir mahi apne room me jakar fresh hoti hai aur neeche akar raat ke khane ki taiyari karti hai. Kuch der baad khairoon bee bhi ghar ajati hai.
Phir khairoon bee aur mahi mil kar dinner ready karte hai. Phir miss nahida ko dinner dekar mahi aur khairoon bee bhi apne room me jakar dinner karte hai.
Dinner ke baad mahi apne room me jakar fresh hoti aur isha ki namaz padh kar sojati hai.
_____________________________________________
Idhar ajju side :
Ajju apni bike se ghar ko jata hai aur apne room me jakar fresh hokar neeche akar hall me baith jata hai. Ajju ki didi aaj jaldi ghar ko gayi thi.
Didi : aur hero kya chalraha hai.
Ajju : sab kuch mast chal raha hai. Aap sunao aap aaj jaldi ghar ko gayi sab khairiyat toh haina.
Didi : haan bhai sab kuch khairiyat se hi hai. Woh aaj kuch khas kaam nahi that oh ghar ko agayi. Tum sunao tum aaj bina nashta kiye hi ghar se chale gaye?
Ajju : kuch nahi didi bas thoda sa kaam tha. Isi liye jaldi chala gaya.
Didi : aisa bhi kya zaruri kaam tha bhai jo bina nashta kiye hi chala gaya.
Ajju : tha kuch kaam.
Mom : chalo ab baten khatam karo aur dinner karne chalo tumhare dad bhi atehi honge.
Thodi hi der me ajju ke dad bhi ghar ko ajate hai aur sab log milkar baten karte hue dinner karte hai.
Dinner ke baad sabhi apne apne room me chale jate hai. Ajju bhi apne room me akar fresh hota hai aur phir apne bet per lait kar apna mobile nikal kar mahi ke number ko kuch der dekhta hai aur phir kuch sonch kar call milata hai magar call receive nahi hoti toh ajju apne phone ko side table per rakh kar apni dairy nikal ta hai aur usme mahi ke bareme likhta hai. Aur mahi ke bareme sonchte hue neend ki wadiyon me khojata hai.
Aaj ke liye itna hi.
Agey janne ke liye mere sath bane rahe BE-INTEHAISHQ ke sath apka apna MAQ.
Written by MOHAMMED AZEEM QURESHI ( MAQ ).

update kaisa laga comment karke zarur batana.
 

Arjun Singh 72

Well-Known Member
8,223
15,013
143
Awesome fabulous update
Ye upper main Jo kuch villen the akhir karna Kya chahta the
Aur mahi ajju ki Love path sahi ja rh h
Keep posting
 
  • Like
Reactions: Maq
Status
Not open for further replies.
Top