• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance BE-INTEHA-ISHQ

Status
Not open for further replies.

Maq

Lovely person????
429
518
109
Update 13

Ajju se baat karne ke baad mahi apne office ki taraf jadi jaldi se jati hai. Andar miss reshma reception per baithi hui thi.

Mahi : assalamu alaikum madam.

Miss reshma : wa alaikum assalam. Aur mahira beta aap kaise hai.

Mahi : mai theek hoon aap kaisi hai.

Miss reshma : mai bhi acchi hoon aap sunao kaisa laga tumhe humara office.

Mahi : bohat hi accha laga yaha ke log bhi bohat acche hai bas mere boss kaise hai ye nahi pata. Mai jab se ayi hoon woh aye hi nahihai. Aap kuch bataiye na unke bare me kaise hai. Acche hai ya khadus hai.

Miss reshma mahi ki baat sunkar muskurati hai magar kuch kahti nahi. Jise dekh kar mahi kahti hai.

Mahi : kya hua madam aap kuch bol kuyn nahi rahi hai. Bataiye na kaise insaan hai who please bataiyena.

Mahi ki baat sunkar miss reshma mahi ke peeche dekhto hai jaha per ajju khada hokar mahi ki bataen sunraha tha.

Hua yun tha ke mahi kea ne ke kuch hi der baad ajju bhi office me ata hai aur mahi ko miss reshma se baat karte hue dekh kar ek baar aur hairan hojata hai. Phir who miss reshma se apne kaam ke bare me baat karne jane hi wala tha ke mahi ki baat sunkar ruk jata hai. Ajju ko yun ruka hua dekh kar miss reshma ke chahre per muskaan ajati hai.

Miss rehma ko apne peeche dekhte hue dekh kar mahi apne peeche dekhti hai toh ajju ko khada hua dekh kar hairan ho jati hai. Isse pahle miss reshma kuch kahti mahi ajju ke paas jakar ajju se kahti hai.

Mahi : tum yaha per kya karrahe ho. Mera peecha karahe ho. Maine tumhe ek accha ladka samhaj kar tumse doo baten kya ki tum toh mere peeche peeche yaha tak agaye. Chalo niklo yaha se isse pahle ke mai guards ko kahkar tumhe baher nikal doon.

Miss rashma toh mahi ki baten sunkar shock hi hojati hai, unhe pata tha ajju sab kuch bardasht kar sakta hai magar battamizi hargiz nahi isi liye woh mahi se kahti hai.

Miss reshma : mahi beta aap ye kis tarha baat karrahi ho.

Mahi : aap kuch mat boliye madam mai in ladkon ko theek karna acchi tarha se janti hoon ye sharafat se nahi mante inhe aisi hi baten samhaj ati hai. Tum khade khade mera muh kya dekhrahe ho niklo yaha se.

Ajju toh mahi ki baton ko sunkar hakka bakka hi hojata hai use toh samhaj hi nahi araha tha ke ab kya kahe. Who kahna toh kuch aur chah raha tha magar uske muh se kuch aur nikal jata hai.

Ajju : mai yahin per kaam karta hoon.

Mahi ajju ki baat sunkar pahle use ghoor kar dekhti hai phir miss reshma se puchti hai.

Mahi : kya ye sach kahraha hai.

Miss reshma khud pareshan thi ke ajju mahi ke upper gussa karne ki bajaye ye kya kahraha hai. Unhe samhaj nahi araha tha ke kya kahe.

Miss reshma : woooooh nah……I haaa….n naahhhh…..i woh mai ye…

Mahi : ye aap ko kya hogaya hai aap kya kahrahi hai mujhe kuch samhaj nahi araha.

Ajju miss reshma ki halat dekh kar muskurate hue kahta hai.

Ajju : kahiye na miss reshma mai yahin per kaam karta hoon.

Miss reshma toh ab aur bhi shock hojati hai ajju ki baat ko sunkar.

Miss reshma : haan ye yahin per kaam karte hai.

Mahi miss reshma ki baat sunkar kahti hai.

Mahi : kya aap sach kahrahin hai. Aur tum inko naam se kaise bula sakte ho ye tumse umer me badi hai. Aunty ya madam kah kar bulao samhje.

Miss reshma kuch kahti ajju kahta hai.

Ajju : ji jaisa aap kahe. Sorry madam.

Mahi : hmm ye theek hai. Ab apna kaam karo mai chalti hoon.

Ye kah kar mahi lift ki taraf chali jati hai. Ajju bhi uske peeche peeche chala jata hai.

Peeche miss reshma toh bilkul hi shock hojati hai. Unke samhja nahi araha tha ke ajju aisa kyun karraha hai.

Mahi : ab kya hai kyun mere peeche arahe ho apna kaam karo jakar.

Ajju : wohi toh karraha hoon.

Mahi : kya matlab mere peeche ana ye tumahra kaam hai. Dekho mr.

Ajju : oh oh oh maharani mera matlab hai ke mai apne cabin me jaraha hoon jo ke uper hai. Samjhi.

Mahi ajju ki baat sunkar chup hojati hai. Phir dono lift se uper chale jate hai. Mahi apne cabin ki taraf jati hai toh ajju bhi uske sath hi chalne lagta hai.

Mahi : ab mere sath kyun chal rahe ho. Ab ye math kahna ke tum bhi isi cabin me kaam karte ho.

Ajju : ji haan mai isi cabin me kaam karta hoon. Aap ko isse kuch problem hai kya?

Mahi : kya sach me tum isi cabin me kaam karte ho magar waha per toh ek hi desk hai jis per mai kaam karti hoon phir tumhara desk kaha per hai.

Ajju ki baat sunkar muskurata hai phir khata hai.

Ajju : mai isi cabin me rahkar kaam karta hoon shayed tumko mera desk dediya hai.

Mahi : toh ab mai kya karongi.

Ajju : ( muskurate hue ) tension math lo tum usi per kaam karo mai manage karlonga.

Mahi : magar tum kaha per baithoge.

Ajju : tum uski tension math lo mai kahi per bhi baith jaonga.

Ye kahkar ajju cabin ke ander chala jata hai uske peeche peeche mahi bhi andar ajati hai. Ajju jakar apni chair per baith jata hai. Jise dekh kar mahi shock hojati hai.

Mahi : aray yr tum kya karrahe ho waha kyun baith rahe ho? Agar kisi ne dekh liya toh gadbad hojayegi.

Ajju mahi ki baat ko sunkar hasta hai. Use hasi isi liye arahi thi ke iss ladki ko ye bhi nahi pata ke agar mai iss chair per baith raha hoon toh mai hi iss ka boss hoon.

Mahi ajju ko iss tarha haste hue dekh kar chid jati hai aur kahti hai.

Mahi : maine kya koi joke mara hoon jot um aise has rahe ho ? mujhe yaha dar lag raha hai kisi ne tumhe aise baithe hue dekh liya toh kya hoga aur tum has rahe ho.

Ajju mahi ko apne bareme kuch nahi batata aur kahta hai.

Ajju ( haste hue ) tum kyun dar rahi ho. Mai bohat bar aisa kar chuka hoon koi kuch nahi kahega agar tum chaho toh tum bhi baith kar dekho bada maza ata hai boss ki chair per baith kar.

Mahi : na baba na mai nahi baith ne wali tumko baithna ho toh tum hi baitho mujhe nahi baith na.

Ye kahkar mahi apne desk per jakar baith jati hai. Ajju bhi apni chair per baith jata hai aur apne computer me 2dino ke kaam ko check karta hai.

Idhar neeche miss reshma toh bikul shock me baithi hui thi unko toh samhaj hi nahi araha tha ke ajju ko kya hogaya hai. Unko hosh tab ata hai jab koi unke samne chutki bajata hai.

Ye mr faisal the jo miss reshma ko awaaz dene per koi response na dene per unke samne chutki bajate hai.

Mr faisal : kya hua madam kis ke khayalon me khoyi hui hai.

Miss reshma mr faisal ki baat ko sunkar unko ghoor kar dekhti hai.

Mr faisal : aray bhai aise ghoor kar kyun dekh rahi ho. Kab se tumko awaaz deraha hoon tum sunhi nahi rahi thi isi liye puch raha hoon.

Miss reshma : haan kaha kya kahna hai.

Mr faisal : yahi ke kiske khayalon me khoyi hui ho. Agar mere khayalon me khoyi hui ho toh chutti lekar kahin ghoom kar ate hai. Kyun kya khayal hai.

Miss reshma : bada hi fizul ka khayal hai aur kuch nahi kuch kaam hai toh batao warna jakar apna kaam karo.

Mr faisal : ab isme fizul kya hai ab apni biwi ke sath ghoom ne nahi jaonga toh phir kiske sath jaonga.

Miss reshma : faisal ye fizul ki baten mat karo aur kaam bolo kyun aye ho.

Mr faisal : ab aap ko fizul lagta hai toh phir jane dijiye. Mujhe who file chahiye jis per mahira kaam karrahi hai.

Miss reshma : woh file toh mahira ne kal hi submit karne ko dediya tha aur maine kal hi submit kardi thi.

Mr faisal : ye ladki toh bohat tez hai mujhe laga nahi tha ke ye itna jaldi submit kardegi. Khair iski ek copy azeem sir ko send kardo.

Miss reshma azeem ka naam sunkar ek baar phir ajju ki harkat ko yaad karti hai.

Mr faisal : kya hua ab kya sonch rahi ho. Tabiyat toh theek haina tumahri.

Miss reshma : haan thik hai tabiyat meri kuch nahi hua hai mujhe. Thik hai mai sir ko file send kardongi.

Phir mr faisal waha se chale jate hai.

Idhar ajju kaam karte hue mahi ko dekh raha tha ke woh apne kaam me puri tarha se lagi hui thi usne ek baar bhi ajju ki taraf nahi dekha aur na hi ajju se kuch baat ki cabin me an eke baad se bas apne kaam me lagi hui thi. Ajju hi baat karne ko sonchta hai.

Ajju : toh miss apne apna naam nahi bataya aap ne kaha tha agar humari dobara mulaqat hogi toh aap mujhe apna naam batayengi.

Mahi ajju ki baat sunkar ajju ke taraf dekhti hai.

Mahi : tumko yaha per kaam karne ke paise milte hai ya baat karne ke naam baad me bhi puch sakte ho mai kahin bhagi nahi jarahi hoon.

Ajju : aray inta rude kyun baat karrahi hoon naam hi toh pucha hai. Iss me konsa ziyada time lagta hai.

Mahi : pahle naam puchoge phir pata phir number iss me toh time lagega hi na toh khamoshi se apna kaam karo aur mujhe bhi karne do.

Ajju mahi ki baat sunkar chup hojata hai. Phir thodi de baad kahta hai.

Ajju : accha yahi batado ke tumne office kab join kiya.

Mahi ajju ki baat sunkar usko ghoor kar dekhti hai jise dekh kar ajju kahta hai.

Ajju : accha bhai sorry aisa ghoor kar toh math dekho nahi puchta kuch tumse. Tum kaam karo apna.

Ye kahkar ajju bhi apne kaam me lag jata hai.

Mahi ko ajju ko aise karte dekh kar muskurati hai phir apne kaam me lag jati hai.

Aise hi kaam karte hue lunch timr hojata hai. Phir mahi ajju se kahti hai.

Mahi : chalo lunch karte hai.

Ajju kaam karte hue kahta hai.

Ajju : tum karlo lunch mai baad me karlonga.

Mahi : kya meri subha ki baat ka bura maan kar aisa kah rahe ho. Agar aisa hai toh sorry mujhe kaam karte waqt baat karna pasand nahi hai. Ab chalo mujhe bohat zor ki bhook lagi hai mere pet me chuhe khud rahe hai.

Ajju mahi ki baat sunkar muskurate hue apni chair per se uth jata hai aur mahi ke sath canteen ki taraf chalne lagta hai.

Ajju aur mahi jaha se bhi jarahe the waha sabhi ajju ko greet karrahe they jise dekh kar mahi kahti hai.

Mahi : kya baat hai lagta hai tum pure office me famous ho ya phir bohat badi post per ho.

Ajju : aisa kuch nahi hai mai yaha per boaht time se kaam karraha hoon toh isi liye sabhi meri isi liye respect karte hai.

Phir dono canteen me akar baith jate hai. Mahi apna tiffin nikal kar rakhti hai.

Mahi : tum apna tiffin nahi laye kya ?

Ajju : woh mera tiffin shayed abhi tak nahi aya.

Mahi : nahi aya matlab tiffin kya courier se araha hai.

Ajju mahi ki baat sunkar muskurata hai.

Mahi : ye tum har waqt meri baton ko sunkar muskurate kyun ho mai kya koi joker hoon.

Ajju mahi ki baat ko sunkar hasta hai.

Ajju ( haste hue ) : nahi mai humesha aise hi rahta hoon.

Mahi : chalo theek hai tum mere sath hi tiffin share karlo.

Ajju : nahi nahi iski zaruat nahi hai. Mera box ata hi hoga.

Mahi : tumhara box kab ayega mujhe pata nahi magar tumahre box ke intezar me mera inteqal na hojaye. Isse pahle ke mai bhook se mar jaun chalo jaldi se shuru karo.

Ye kahkar mahi apne box me se adha lunch nikal kar ajju ko deti hai. Ajju bhi chup chap leleta hai.

Dono lunch karahe the ke ajju ka peon uska lunch box uske paas lekar ata hai jise dekh kar ajju ishare se mana kardeta hai. Peon bhi wapas chsala jata hai.

Ajju ko aise karte hue mahi dekh leti hai.

Mahi : kise ishare karrahe ho ? kahi koi girlfriend toh nahi jo mere sath dekh kar tumse gussa hogayi.

Ajju : humari aisi khismat kaha jo koi hum se ruthe. Hum toh akele hi acche hai.

Mahi : kitni ladkiyon ke samne mara hai ye dialogue. Bohat ladkiya impress hoti hongi.

Ajju : aap impress hui ya nahi.

Mahi : mai nahi hoti asie baton se impress.

Ajju : toh phir konsi baton se impress hoti hai aap ?

Mahi : konsi bhi nahi. Change the topic.

Ajju : apne hi shuru kiya tha.

Mahi : ghalti hogayi mujhse ab khush.

Ajju : khair chodiye ye sab apne ab tak apna naam nahi bataya.

Mahi : kya karlenge aap mera naam jankar.

Ajju : ab ek sath kaam karte hai toh naam bhi toh maloom hona chahiye na.

Mahi : hmm thik hai mera naam mahira chaudhray hai aur pyar se log mujhe mahi bulate hai aur apka naam kya bataya tha apne mai bhool gayi.

Ajju :mahira bohat hi pyara naam hai bilkul apki hi tarha. Aur mera naam ajju hai.

Mahi : sirf ajju agey peeche kuch nahi.

Ajju : hai na qureshi mera pura naam azeem qureshi hai aur pyar se log mujhe ajju bulate hai.

Mahi ajju ke naam ko ghaur se nahi sunti warna use pata chal jata ke ajju hi uska boss hai.

Mahi : hmm azeem nice name. waise tumne bataya nahi ki tumhari post kya hai.

Ajju : tumne pucha hi nahi isi liye nahi bataya.

Mahi : ab puch rahi hoon na batao.

Ajju : mai boss ka personal secretary hoon.

Mahi : ooh accha isi liye sabhi tumko greet karrahe they. khair chalo lunch time hogaya hai ab hume chalna chahiye.

Phir dono wapas apne cabin me ajate hai aur kaam me lagjate hai. Kaam karte hue ajju mahi se puchta hai.

Ajju : mahi ek baat batao… kya mai tumhe mahi bula sakta hoon.

Mahi : haan kyun nahi. Yahi puchne ke liye awaz lagai thi kya ?

Ajju : ( haste hue ) nahi mujhe kuch aur puchna hai.

Mahi : haan pucho.

Ajju : ye jo file tumne submit ki hai iski information tumko kaha se mili. I mean kya tumko pahle se hi iske bareme pata tha.

Mahi : nahi mujhe iske bareme kuch bhi pata nahi tha mujhe toh faisal sir ne kuch purani files ko dekar study karne ko kaha tha jisko study karke maine ye file banayi hai. Kyun kuch gadbad hogayi hai kya.

Ajju : ( serious hokar ) haan boaht badi gadbad hogayi hai.

Mahi ajju ki baat sunkar tension me ajati hai.

Mahi ( tension me ) kya hua kya gadbad kardi maine. Faisal sir ko kaha tha main eke mujhse na karwaye mujhe pata tha aisa hi hoga ab kya karon mai.

Ajju mahi ko is tarha tension me dekh kar zor zor se hasta hai jis dekh kar mahi kahti hai.

Mahi : mai yaha tension me hoon aur tum has rahe ho.

Ajju : ( haste hue ) chahra dekho apna kaisa hogaya hai. Mujhe tumhare chahre ko dekh kar hasi arahi hai. Kuch gadbad nahi hui hai mai toh bas mazak karraha tha. Balki iss baar tumhari file ki dekh kar lagta hai ye project humi ko milga toh relax cill karo.

Mahi ajju ki baat sunkar relax hoti hai phir ajju se kahti hai.

Mahi : tumhe mazak sujraha hai aur yaha tension se meri jaan nikal rahi thi. tumhe pata hai mai kitna dar gayi thi aur tum has rahe ho.

Ajju : ( haste hue ) tumhe apni shakal dekhni chahiye thi. Aisa lag raha tha abhi rodogi. Hahahah.

Mahi : aisa kahoge toh aisa hi hoga na tumse koi tumhare kaam ke bareme kahe toh pata chalega. Meri toh jaan hi chali gayi thi jab tumne mujhe kaha ke gadbad hogayi hai. Huh.

Phir mahi apne kaam me lag jati hai. Ajju bhi chup hokar kaam karne lagta hai aise hi office time khatam hojata hai.

Mahi apna desk set karke uthti hai toh ajju uski taraf dekh kar kahta hai.

Ajju : kya hua kaha jarahi ho.

Mahi : ghar jarahi hoon aur kaha jaoungi. Tumko ghar nahi jana kya.

Ajju : time khatam hogaya aur pata bhi nahi chala. Tumare sath kaam karke waqt kab guzar gaya maloom hi nahi hua.

Mahi : ab chalna hai ya yahin rah kar dailougue marna hai mujhe der horahi hai.

Ajju : tum har waqt ghode per sawar kyun rakhti ho. Banda sukoon sebhi toh baat karsakta hai na.

Mahi : accha aali janab aap ka kaam hogaya ho toh kya hum log chal sakte hai kyun ki mujhe der horahi hai.

Ajju : huh how rude. Chalo chalte hai.

Phir ajju aur mahi office ke bahar ate hai.

Ajju : tum ghar kaise jarahi ho.

Mahi : bus se.

Ajju : tum kaho toh meri bike per chodh doon.

Mahi : ji nahi aap ka bohat boaht shukriya. Mai khud chali jaungi.

Ajju : accha thik hai. Tumhare sath kaam karke accha laga I hope ke agey bhi aisa hi chalta rahe.

Mahi : mujhe bhi tumhare sath kaam karke accha laga ab mai chalti hoon bye kal milenge khuda hafiz.

Ajju : apna khayal rakhna bye khuda hafiz.

Ajju apni bike start karke waha se nikal jata hai aur mahi bhi nus stop ki taraf chali jati hai thodi hi der me bus ajati hai aur mahi bus me baith kar ghar ko chali jati hai.

Ajju raste bhar mahi ke bareme hi sonchta rahta hai. Kaisi ladki hai use pata hi nahi chala ke mai hi uska boss hoon aur mujhe bhi use satane me maza araha hai. Khair job hi ho aaj ka din accha gaya. Yahi sonchta hua ajju apne ghar ko pohanch jata hai.

Idhar mahi bhi bus me baith kar ajju ke bare me sonchti hai kitna accha ladka hai mai use kisi bhi tarha baat karon woh bura hi nahi manta. Kuch bhi kaho bas haste hi rahta hai. Aise hi sonti hui mahi ghar pohanch jati hai.

Ghar pohanch kar mahi apne room me jakar fresh hoti hai aur neeche akar apni ammi ka hath batati hai kaam me. Phir apni ammi ke sath dinner karke apne room me jakar isha ki namaz padkar sojati hai.

Idhar ajju apne ghar pohanch kar seedha apne room ne jakar fresh hota hai aur hokar neeche kar sofe per biath kar t.v dekhte hue gaana gunguna ne lagta hai. Jise dekh kar uski didi puchti hai jo abhi abhi apne hospital se ayi thi.

Didi : kya baat hai bhai aaj bohat khush lag raha hai.

Ajju : baat toh kuch nahi hai didi bas aaj pata nahi kyun dil ko ek ajeeb si khushi mahsoos horahi hai.

Didi : hmm toh ye baat hai mai abhi 2min me ati hoon. Mujhe bhi janna hai is dilke khushi ke bare me.

Ye kahkar ajju ki didi apne room me jakar fresh hoti hai aur neecha akar ajju ke paas akar baith jati hai.

Didi : haan bhai chalo jaldi se shuru hojao. Mujhe sab janna hai. Sab matlab sab kuch.

Ajju : kya sab kuch jab kuch hai hi nahi toh aap ko kya bataon.

Didi : dekh bhai mujse toh tu jhoot bolna chod hi de. Mujhe tere chahre ko dekh kar hi pata chal jata hai ke tere andar kya chal raha hai toh ab fata fat se bolna shuru kar samjha. Isse pahle ke mujhe gussa ajaye.

Ajju : ye kya baat hui didi tere chahre ko dekh kar mujhe dab pata chal jata hai. Aisa kuch nahi hota samhji aap. Aisi koi baat nahi hai jasia aap sonch rahi hai.

Didi : accha toh phir aap jo ahbi abhi jo geet gunguna rahe the woh kya aisa hi tha.

Ajju : gana hi toh gunguna raha tha koi paap thodi karraha tha.

Didi : gana gunguna kar paap nahi karraha magar mujhe apni baat na batakar paap zarur karraha hai.

Ajju : kya didi aap bhi kaisi baten karrahi ho.

Didi : bhai tum mujhe bata rahe ho ya nahi.

Ajju : kuch hoga tabhi toh bataonga na didi sach me kuch bhi nahi hai.

Didi : thik hai tujhe nahi batana toh math bata magar jhoot toh math bol.

Ye kah kar didi mom ke paas kitchen me chali jati hai phir hum sabhi mil kar dining table per baith jate hai.

In dinning table :

Dad : ajju beta aaj mile na tum aaj apni assistant se bohat hi pyari bachhi hai.

Ajju ke muh se ghalti se nikal jata hai.

Ajju : haan dad bohat hi pyari hai.

Ajju ki baat ko uski didi sunleti hai aur ajju ko ghoor kar dekhti hai jaise kah rahi hai ( toh ye baat hai tumahre khush hone ki ) phir muskurate hue kahti hai.

Didi : dad kahi aap woh mall wali ladki ki toh baat nahi karrahe.

Dad : haan wahi ladki ki baat karraha hoon. Bohat hi mehnati hai.

Didi : haan dad mujhe bhi bohat pasand ayi who ladki afshan toh use bhabhi ki tarha treat karrahi thi.

Didi ki baat sunkar ajju ko khana khate hue khansi ajati hai. Jise dekh lar didi kahti hai.

Didi : kya hua bhai tumhe khansi kyun arahi hai theek se khana kahona. Khana kahi bhage thodi jara hai. Ye lo pani piyo.

Ye kah kar didi ajju ko pani ka glass pass karti hai. Ajju chup chap leleta hai.

Phir aise hi baten karte hue sab log dinner finish karte hai.

Ajju khana khatam karke jaldi se apne room me room me chala jata hai. Thodi hi der me uske room per knock hota hai.

Ajju : mai sogaya hoon baad me baat karte hai.

Bahar didi khadi hui thi. Ajju ki baat sunkar kahti hai.

Didi : bhai seedhi tarha se darwaza khal warna mai tujhse baat nahi karongi.

Ye sunkar ajju bhi door khol deta hai.

Ajju : didi ye toh cheating hai aap har baar yahi kahkar mujhse har kaam karwa leti hai.

Didi : haan toh phir tub hi kon sa seedhi tarha se meri baat manta hai. Ab who sab chodh aur mujhe puri baat bata warna mai sach me baat nahi karongi.

Phir ajju apni didi ko aaj ki puri baat batata hai. Kaise uski mahi se first mulaqat hui phir dobara kaise bike ke samne ayi phir office me hui mulaqat aur phir mahi ki baten.

Puri baat sunkar didi kahti hai.

Didi : kuch bhi kaho ladki hai kamal ki. Magar uski baar baar tere se mulaqat kahi kuch ishara toh nahi.

Ajju : ab isme konsa ishara hai didi.

Didi : yahi ki ye ladki teri zindagi me kuch ahem role nibha ne wali ho.

Ajju : aap phir shuru hogai mai isi liye aap ko nahi bata raha tha. Ab aap jaiye mujhe neend arahi hai.

Didi : accha theek hai mai kuch nahi kahti. Mujhe jo laga maine kaha. Accha mai bhi chalti hoon meri baat per ghaur zarur karna.

Ye kahkar didi apne room me chali jati hai.

Idhar ajju bhi apne bed per lait kar mahi ke bareme sonchne lagta hai aur sonchte sonchte use kab neend lag jati hai pata hi nahi chalta.

Ye pahli baar hua tha ajju ke sath bina uski tasveer se baten kiye aaj pahli baar ajju aise soya tha warna alfisha ke chodh kar jane ke baad usne har raat uski tasveer se baat karke ansu bahate hue hi guzri hai.

Aaj ke liye itna hi.

Agey dekhte hai ajju aur mahi ki mulaqate kya rang lati hai aur mahi ko jab pata chalega ke ajju hi uska boss hai toh mahi ka reaction kya hoga.

Agey janne ke liye mere sath bane rahe BEINTEHA-ISHQ ke sath apka apna MAQ.

Written by MOHAMMED AZEEM QURESHI ( MAQ).

Update kaisa laga comment karke zaroor batana.
 
Chinturocky

Well-Known Member
4,312
12,563
158
Behtareen update,
Mahi bhi gadhi hai itana hone ke baad bhi nahi pahchani ajju hi usaka boss hai.
Please update jaldi diya Karo.
 
  • Like
Reactions: Maq
124
190
58

Wah bhaaaaaaai kamaal hogaya ye to aisa maza abhi continue rehna chahiye and is dfa update jldi diya zabardast bhai
 
  • Like
Reactions: Maq
Status
Not open for further replies.
Top