UPDATE- 7
maine handbag se phone nikalkar dekha to phone jyoti bhabhi ka tha. mujhe unpar bahut gussa aaya. mujhe laga ki unhone mujhe pareshan karne ke liye phone kiya hai to maine phone uthate hi bhabhi ko khari khoti sunani shuru kar di.
main- Kyaa bhabhi. kyo disturb kar rahi ho mujhe. main sham tak ghar aa jaungi.
Jyoti bhabhi- Savita, jitni jaldi ho sake tu ghar aa ja. papa sidhiyo se gir pade hain unhe bahut chot aayi hai.
main- Kyaa. kab. kaise. kahan. haan main turant ghar pahuch rahi hoon.
maine turant phone katkar kapde uthakar pahanne lagi. mera sara nasha aur hawas is khabar se mit chuki thi. Abhishek ne mujhse poocha.
Abhishek- Kya huwa Savita. kiska phone tha aur tum kaha ja rahi ho. Abhi to hamne shuru kiya hai. aur tum bich me hi chhodkar ja rahi ho.
main- Abhishek papa sidhiyon se gir gaye hain unhe bahut chot aayi hai. mujhe ghar jana hoga.
meri baat sunkar abhishek bhi uthakar baith gaya aur apne kapde pahan-ne laga. usne jaldi se apni underwere aur jeans pahni. tab tak main bhi apne kapade pahan chuki thi. main aur abhishek turant kamre se bahar aaye.
abhishek ne mujhe meri scooty start kar ke di. main scooty par baithkar chalne ko hui to abhishek ne mujhe gale galate huwe kaha.
Abhishek- main tumko bahut miss karunga Savita. tum sambhal kar jana aur uncle ji ki tabiyat ke bare me mujhe bhi batati rahna. chalo jao ab. waha tumhari jaroorat hai.
abhishek se main vida lekar apne ghar ki taraf nikal gayi. kuchh hi der me main ghar pahunch gayi. maine apni scooty khadi ki aur daudkar ghar ke andar chali gayi. ghar me jakar dekha to papa apne kamre me bister par lete huwe the. unke paas dono bhabhi bhaithi hui thi. main daudkar papa ke gale lag gayi. meri aankhon me halke aanshu aa gaye. papa ne mujhe apne se alag kiya aur meri aankho me aanshu dekhkar kahne lage.
papa- Are Sarita beti. tum ro rahi ho.
main- aap kaise hain papa, ye sab kaise ho gaya. aap apna khyal bilkul bhi nahi rakhte. mere na rahne par dono bhabhi ne bhi aapka khyal nahi rakha. kaise hua ye sab papa.
papa- are kuchh nahi hua mujhe bas thodi si chot lagi hai pair me. kuchh din me thik ho jayega.
main- ise aap thodi si chot bol rahe hain. kitna chhil gaya hai apke ghutne par aur aap kah rahe hain ki kuchh nahi huwa. aapko kya jaroorat thi sidhiya chadhne ki. koi kaam tha to bhabhi ko bol dete.
papa- are yaar ab tum shant ho jao. main kaun sa pahli baar sidhiya chadh raha tha. hamesha chhat par aata jata tha, pata nahi kaise aaj pair fisal gaya. hadse to hote rahte hain beta.
main- Aap abhi mere sath hospital chaliye aur doctor ko dikhaiye.
papa- Are meri maan. itni mamooli chot ke liye doctor ko dikhane ki kya jaroorat hai. bas halki si kharoch aai hai. malham laga lunga to thik ho jaega kuchh din me. tu nahak hi itna pareshan hoti hai.
main- main nahak hi pareshan ho rahi hoon. aapko chot lagi hai aur main nahak pareshan ho rahi hoon.
papa- Sarita beta. tumhi samjhao ise ab. meri to sun hi nahi rahi hai.
Sarita bhabhi- main bhi papa ke kitni baar kah chuki hoon hospital chlane ke liye lekin papa maan hi nahi rahe hain, chot jyada gahri nahi hai. ye malham lagane se bhi thik ho jayegi. jab papa hospital nahi jana chahte to jid mat karo Savita. ham papa ka ghar me hi ache se khyal rakhenge. dekh lena papa jald hi thik ho jayenge.
Jyoti bhabhi- Bhabhi thik kah rahi hain Savita. ham log papa ki achhi tarah se sewa karnege to papa jaldi thik ho jaenge. fir hospital jane ki jaroorat hi nahi padegi. ab tum bhi maan jao na.
dono bhabhi ki baat sunkar maine bhi haan kar di. fir kuchh der wahi par baithe rahe. kuchh der baad mujhe kuchh yaad aaya to maine dono bhabhi se kaha.
main- aap dono ne bhaiyaa ko inform kiya is bare mein.
Jyoti bhabhi- main to bol rahi thi inform karne ko aur phone bhi lagaya tha bhaiya aur mukesh ko, lekin papa ne baat karke unhe aane se mana kar diya ki unhe pareshan hone ki jaroorat nahi hai. halki si chot hain.
main- Kya papa. kam se kam bhaiya ko to aane dete.
papa- Unhe kisliye pareshan karna. itni door rahte hain dono. bina kisi matlab ke safar karna achhi baat thode hi hoti hai. samay aur paise ke nuksan ke sath sath mansik tanav ka bhi samna karna padta hai. isliye maine unhe aane se mana kar diya. kuchh varsho baad jab main chalne firne se lachar ho jaunga to unhe baar baar aana hi padega. kam se kam abhi to wo dono chain se rahe waha par. jab unka man kare tab ghar aaye.
papa ki baat sunkar main chup ho gayi. kuchh der papa ke paas baithne ke baad main apne kamre me chali gayi kapda badalne ke liye. thodi der me main kapada change karke wapas papa ke kamre me aa gayi.
mere papa ke kamre me aane ke baad papa ne dono bhabhi se kaha.
papa- jao bahu. apne liya aur mere liya khana nikalo. bhookh lag rahi hai.
main- Kyaa. aap logo ne abhi tak khana nahi khaya hai.
Sarita bhabhi- Abhi kaha. ham khana khane ki taiyari kar rahe the. tabhi ya hadsa ho gaya.
main- Achha aap sab baithiye. main aap logo ke liye khana paroskar lati hoon.
uske baad main rasoi me chali gayi aur teen thali khana nikal kar pahle ek thali lejakar papa ko diya. uske baad do thali khana lejakar dono bhabhi ko diya. dono bhabhi bhi papa ke kamre me hi jameen par chatai bichhakar khana khane lagi. tabhi mere phone ki ghanti baji. dekha to mummy ka phone tha. maine phone uthaya.
main- Namaste mummy.
mummy- Namaste Savita beta. tum kaisi ho. aur ghar me sab kaise hain.
main- ghar me kuchh bhi thik nahi hai mummy. aap jaldi se ghar aa jao.
mummy- kya huwa beta. mujhe batao to.
main- papa sidhi se niche gir gaye hain unhe chot lagi hai.
mummy- kyaa. ab kaise hain wo. main abhi rawana hoti hoon yaha se. jaldi hi ghar pahuch rahi hoon main.
iske baad maine bye bolkar phone rakh diya to papa ne mujhse kaha.
papa- Kyon pareshan kar rahi ho apni mummy ko. main ekdam thik hoon. bas mamuli si kharoch hai. ab wo apna kam dham chhodkar bhagi chali aaegi.
Sarita bhabhi- to kya huwa papa. wo aapki patni hain aur unka aapke sath hona bahut jaroori hai. aapki tabiyat abhi thik bhi nahi hai. mamuli jakhm hai to kya huwa. mummy ko aapke paas rahna to chahie hi.
uske baad sabhi ne khana khaya. Jyoti bhabhi ne jakar bartan ki saf safaai ki. main aur Sarita bhabhi papa ke kamre me hi ruke rahe. isi tarah dhire dhire samay bitata gaya aur sham ho gayi. 8 baje ke lagbhag darwaze ki ghanti baji. maine jakar darwaza khola to bahar mummy khadi thi. maine unhe rasta diya aur wo andar aa gayi. mummy mera halchal puchhkar sidha apne kamre me chali gayi. mummy jakar papa ke paas baith gayi aur boli.
mummy- ab kaisi tabiyat hai aapki. ghutne ke alava aur kahi chot to nahi lagi aapko.
papa- nahi main bilkul thik hoon. bachho ne nahak hi tumko pareshan kiya. ek pahalwan aadmi ka aisi chhoti moti chote kuchh nahi bigad paengi.
Jyoti bhabhi- Wo samay bit gaya papa ji jab aap pahalwan huwa karte the. aur chhoti moti chote apka kuchh nahi bigad pati thi. ab aisi chote hi jyada khatarnak hoti hain. agar inhe ignor kar diya gaya to.
ye baat jyoti bhabhi papa ke kamre me jate huwe kahi thi. jo mummy ke liye pani lekar gayi thi. bhabhi ne mummy ke charan sparsh kiya. aur mummy ne unhe aashirwad diya. bhabhi ki baat sunkar papa ne kaha.
papa- Mujhe lalkarne ki galti mat karna bahu. nahi to mere andar ka pahalwan jag gaya to tumhare liye achha nahi hoga.
tab tak sarita bhabhi aur main bhi kamre me pahuch gayi. papa ki baat sunkar Sarita bhabhi ne kaha.
Sarita bhabhi- Kya kar lenge aap hamara. aap pahle se hi bed par pade huwe hain aur hame dhamki de rahe hain. ham bhi kisi se kam nahi hai papa. aakhir ham bhi pahalwan ki bahu hain. kahi aisa na ho papa ki hamse bhidne ke chakkar me aapko hi jyada nuksan uthana pad jaye. fir mat kahiyega ki bataya nahi.
Sarita bhabhi ki baat sunkar mummy aur main muskurane lage. Sarita bhabhi ne jakar mummy ke charan sparsh kiye aur aashirwad liya. tabhi mummy ne kaha.
mummy- kya hai ye sab tum sab chhote bachho ki tarah lag rahe ho. aur aap. aap to samajhdar hain. lekin aap bhi inke sath bachhe ban gaye hain. apne pahalwani khoon ka ubaal kam kijie thoda. pahle ache se thik ho jaiye uske baad apni pahalwani dikhaiyega.
mummy ki baat sunkar sab chup ho gaye. uske baad main, jyoti bhabhi aur Sarita bhabhi kitchen me khana banana chale gaye. mummy papa ke paas hi baithi rahi. khana banate huwe Sarita bhabhi ne kaha.
Sarita bahbhi- to sab thik thak se ho gaya na Savita.
main- (unki baat ka matlab na samajhte huwe) kya thik se ho gaya.
Sarita bhabhi- Are tum aaj abhishek se milne gayi thi to wahi pooch rahi hoon ki jiske liye tum usase milne gayi thi wo kaam thik se ho gaya ya koi kami rah gayi.
main- kya bhabhi. aap fir se shuru ho gayi. aapke dimag me yahi sab bate din raat ghumti rahti hain kyaa.
Sarita bhabhi- tum to baat baat par naraz ho jati ho yaar. main bas pooch hi to rahi hoon.
main- Main naraz nahi ho rahi hoon bhabhi, lekin mujhe aapke sath aisi baate karne me thoda akwad feel hota hai. aakhir aap meri bhabhi hain aur mujhse badi hain.
Sarita bhabhi- lekin ham sab to ache dost bhi to hain. ham tino bahane bhi hain. to ham har baat kar sakte hain.
main- Thik hai meri maan. aapse baato me koi nahi jeet sakta. to meri kya bisat. lekin ek baat bataiye. aap itni utsuk kyon hain meri baat jan-ne ke liye. aapne kabhi to apni private bate nahi batati mujhe.
Sarita bhabhi- Tumne kabhi poocha hi nahi hamse to kaise batate tujhe. kabhi tum pooch kar dekhna. fir agar na batau to kahna. aur mujhe aisi baate jan-ne ki utsukta jo hai uska bhi ek karan hai.
main- Achha. aur wo kya karan hai ki aapko aisi baate karna achha lagta hai.
Sarita bhabhi- Achha. tujhe to bahut jaldi hai har baat jan-ne ki. pahle tum apni baat bataogi uske baad hi main tujhe apni baatein bataungi.
main- Mujhe koi shauk nahi hai aapki baat sun-ne ka aur apni baat batane ka. aap apne paas hi rakhiye.
abhi ham baat kar hi rahe the ki mummy kitchen me aa gayi. jiske karan hame shant hona pada.
Sath Bane Rahiye.