• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,195 83.0%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 24 1.7%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 188 13.1%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 33 2.3%

  • Total voters
    1,440

Werewolf

ʏᴏᴜ ᴀʀᴇ ᴀʟʀᴇᴀᴅʏ ᴜɴᴅᴇʀ ᴍʏ ɢᴇɴᴊᴜᴛꜱᴜ
Supreme
11,167
88,187
259
Last edited:

GMKNG00

Abhishek
85
343
53
Update - 33 ~ The Festive Night
Ab tak...

"Jalsa me taiyaariya karo. Iss chuhe ko ab mein wo sabak sikhaunga ki ye vinti karega ki kaash ye paida hi na hua hota."

Aur itna keh ke Aatish waha se chala gaya.

Kya kaha tha usne? Ja-Jalsa? Jalsa me? Waha maujood logo ne jese hi ye suna unki aankhein fati ki fati reh gayi.

Jalsa unke Aatish Bhau ki pasandeeda building ka naam tha. Aur uss se juda ithaas ko yaad kar ke hi unke raungte khade ho jaate the.


Ab aage...

Ek bade se bangle me ek bade se kamre me iss waqt ghanghor sannaata chhaaya hua tha.

Aur do shaks iss samay ek dusre ko hairaani se ghur rahe the.

Ye aur koi nahi, Veer aur Suhana hi the.

Suhana bhauchakki sii saamne ekdum se andar aaye Veer ko dekhe jaa rahi thi. Toh wahi Veer iss waqt iss soch me dooba hua tha ki ab aage kya hone waala hai?

Aur tabhi...

*Woof Woof*

Ek baar fir...

Side me bandhe uss labrador ki awaaz se dono ko jese hosh aaya aur agle hi pal...

"Aaaahhhhhhhh!!!!!!!!!" Suhana zorr se chillaayi aur...

*Whooooooossshhh*

Ek takiya high speed me Veer ki khopdi ki orr udd ke aaya par reflex ke chalte usne forun hi apne sarr ko side me kar liya. Takiya uske kaano ke bagal se nikla aur...

*Bam*

Peeche bade se darwaaze me jaake bhid ke neeche gir gaya.

'Wtf??? Why is she hitting me? Fucccckkkk! Mujhe nikalna chaahiye yaha se.'

Veer : Ahahaha! I guess... wrong room!

Wo palatne ke liye hua par tabhi peeche se Suhana chillaa padi.

Suhana : Y-Youuuu... Youuu! C-Come... Back... Come back here... Come back...

Na chaahte hue bhi usse mudna hi pada.

Suhana ka chehra poora laal hua jaa raha tha. Wo aisi prateet ho rahi thi jese maano abhi qatl kar degi Veer ka.

'Wait! She... Fuccckkk! She seems pissed. Waqai! Wo waqai boht gusse me lag rahi hai.'

"... see it!?"

Veer ke kaano me kuch shabd pade. Par wo itni dheemi awaaz me bole gaye the ki usko ghanta kuch sunaayi diya.

Veer : Huh!??

Suhana (murmurs) : Y-You... Did you see it?

Veer : Huh? W-What??

Suhana : Youuuuuuuuu!!!! Don't make me repeat. Mene pucha... Did you see that? K-Kya tumne wo sab dekha? And don't you dare lie to me. Ni toh... Ni toh... Mein Cooper ko tumhaare peeche chorr dungi...

Veer : Cooper?

Suhana ne ishaara karte hue side me bandhe labrador ki orr apni nazre kari. Uska kehna tha, ki sach batao, warna wo apne doggy, Cooper ko uski gaand ke peeche laga degi.

'Wtf? That dog won't bite me right? Haha~ I mean C'mon it's a labrador. Look it's so cute...'

*Wooooooooooofffff*

'Fuccccckkkkk!!!'

[Haha]

Suhana : B-Bolo jaldi...

Veer (sighs) : I... Yeah! Mene dekha. And sorry... Aise ekdum se andar aane ke liye.

Ant me usne sach kehna hi sahi samjha. After all, he did saw it though. Ab wo jhoot nahi keh sakta tha.

Par jese hi usne ye baat kubool kii...

Agle hi pal Suhana ka chehra itna laal pad gaya aur wo teddy ko utha ke apni goad me rakh uske peeche chhup gayi.

"Ughhhuuuuu..."

'Huh??? The fuck? Is she crying?'

Apne kadam usne dheere dheere Suhana ki taraf badhaaye aur haule se usne teddy ke kaan pakad usse hataya taaki wo uska chehra dekh sake.

Aur waqai...

'Abeee... Ye... Ye toh ro rahi hai.'

[:laughing:]

'Don't laugh Pari! Fuckkk!'

Veer : Umm...

Veer ki aahat paate hi Suhana ne usse aisi aankhein dikhaayi jese ek billi dikhaati hai jab koi uske baccho ke nazdeek jata hai toh.

Par...

Wo apni gulaabi gaal fulaaye, aankho me aasu liye iss waqt.
Daraavni kam... Aur cute zyaada lag rahi thi.

'Wait! Haha~ Shit! She's actually cute... Huh? Ye mein kya sochne laga? No way! Ye aurat kahi se cute nahi ho sakti.'

Wo sochna toh yahi chaahta tha par...

Suhana apne teddy ko kheench ke apna muh jese chhipaane ki koshish kar rahi thi usse dekh ke Veer ke vichaar dagmagaane lage.

'Fucccck! She's cute... I agree!'

[:laughing:]

'Mene tumhe hassne ke liye mana kiya hai. Pari!!! Damn!!'

[Master! Looks like Suhana has that split personality]

'Huh? Split personality?'

[Yes! Like... Kuch log aise hote hai jinki split personality hoti hai. Like... Wo ek personality ko sabke saamne dikhaate hai. Log sochte hai ki yahi unka vyaktitv hai. Par... Ek personality unki aur hoti hai jisse wo dabaaye rakhte hai. Jinhe wo kabhi kisi aur ke saamne nahi aane dete. Kyuki wo personality wo kabhi bhi dikhaana pasand nahi karte. Unhe darr rehta hai ki... Uske chalte na jaane log kese react karenge. Aur Suhana shayad unme se ek hai. She has a split personality disorder. In fact, ye personality aur dusri personality ka mixture hi asli Suhana hai.]

'Damnnn!'

[Yeah! Toh ab tak jo aap ne uska behaviour dekha hai. Wo poori tarah se Suhana nahi thi. Aadhi Suhana ki personality ye hai. Timid, shy and cutesy type.]

'Well... I hate to agree but she does have a cute side.'

Pari usse aur samjhaati par tabhi Veer ko Suhana ki ekdum maddham sii awaaz sunaayi dii.

Suhana : Y-You... You won't tell anyone right?

Veer : I... I won't.

Suhana (surprised) : Huh? Really?

Veer (nods) : Y-Yeah!!

Aur agle hi pal Veer ko jese ek jhatka sa laga. Kyuki next second hi, Suhana ne itni pyaari muskaan dii ki Veer ka khud ka muh khula ka khula reh gaya.

Par jese ye muskaan bas kuch seconds ki hi mehmaan thi.

Suhana : Huh? Wait! Tum yaha kar rahe ho? Aur andar kese aaye?

Veer ne bina kuch kahe hi ring ka box khol ke uske aage kar diya.

Aur Suhana ki aankhein hairat ke maare felti chali gayi aur muh khula ka khula reh gaya.

Ye ring? Ye diamond ring? Ye toh wahi ring thi. Uske Mom ka b'day present jo uske Dad dene waale the par kuch din pehle hi uski galti ke chalte wo chori ho chuki thi. Par...

Par iss waqt wahi anguthi uske saamne thi.

"T-This... Ye toh wahi..."

Usne hadbadaate hue Veer se wo ring churraayi aur usse gaur se alag alag angle se dekhne lagi.

Waqai! No doubt ye wahi ring thi.

Suhana : Ye...!? Wait! Ye tumhaare paas!? Kahi tumne...!?

Iske pehle wo bolti Veer ne uske hontho pe apna haath rakh usse chup kara diya.

Suhana (surprised) : Mmphh?

Veer : Bhool ke bhi ilzaam mat lagaana mujh pe. Fuck! I almost died... Boht mehnat se isse chor se chhina ke laaya hu. Take it now.

Suhana : Huh? Wait! What? Tum... Tum isse chor se chhina ke laaye? Kaun hai chor? Tell me... And tumhe kese pata? Kaha hai wo? Ye sab hua kese?

Veer ne ek aah bhari. Wo jaanta tha Suhana aise nahi maan ne waali. Toh usne sab kuch usse bataana shuru kiya, Pari ka secret chorr ke.

Usne apni kahani ko ghumaate hue bataaya ki kese usne chor ko hotel se bhaagte hue dekha tha jab wo khud hotel se baahar nikla tha. Kese usne Jatin ka peecha kiya, kese wo uss gaanv me pohucha peecha karte karte aur kese usne Jatin ko dabocha aur ring waapas lii.

Suhana Veer ke muh se baat sunte sunte ajeebo gareeb expressions de rahi thi. Kahi wo chaunkti toh kahi wo tension me aa jaati, kahi wo raahat ki saas leti toh kahi daato tale apna angutha daba leti.

Jab Veer ne saari vardaat ka varnan kiya toh ant me Suhana ne finally ek raahat ki saas lii aur ring ke box ko zorr se bheench liya.

Halaki abhi bhi usse yakeen nahi ho raha tha Veer ki baat par. Lekin usse iss baat se zyaada khushi thi ki uske paas ring waapas aa chuki thi. Toh usne zyaada sawaal jawaab nahi kiye.

Veer : T-Toh mera kaam ho gaya. Chalta hu.

Suhana : W-Waiiiittt!!

Veer : Hmm?

Suhana : Wo... I'll remember this. So... Tell me? W-What do you want?

Veer : *frowns*

Suhana : Nahi! Mera matlab hai ki... Tum ye waapas laaye so... Haa! Wait!!!

Achanak hi wo daud ke gayi aur apne purse se na jaane kya par kuch nikaal ke laayi.

Aur Usne Veer ka haath thaam uske haath me kuch pakda diya.

Veer ne dekha toh...

Debit card!

Ek debit card tha jo Suhana ne uske haatho me usse pakdaaya. Usne surprised hote hue Suhana ko dekha toh iss baar wo fir halka sa muh fulaate hue boli.

"Wo... Wo... Ye tum ring waapas laaye uske liye. Don't think ki mein tumhe rishvat de rahi hu. It's.. It's not like that at all. Okay? It's a payment for your hardwork. Iska password hai xxxxxx, Also, mene tumhe uss din wo sab kaha uske liye s-sorry... Sonu mujh se behad naraaz thi isliye... I'll... I'll forgive you... Nooo! I mean... Aaarghh! Just take this. Aur ab sawaal jawaab mat karna."

[Take it master. After all, ye aapka hard earned money hai.]

Veer : Meri ek baat samajh me nahi aayi.

Suhana : Huh!??

Veer : Jab aap itne hi paise waale ho toh iss ring ke peeche itna kyu rona? I mean ek do crore toh aapke liye haatho ka mel hoga... So...

Suhana : Idiot! It's not about money... Paisa toh itna hai ki...

Veer : ....

Suhana : Ugh! I-I mean... Yes! Paisa hai. Yadi Dad chaahte toh uss din hi koi dusri ring de dete Mom ko.

Veer : Then??

Suhana : Actually... Baat gift ki hai. Baat hai samay ki. Last year Mom Dad ke saath tour pe gayi thi foreign toh waha unhe ek party ke dauran kisi lady ki ring pasand aa gayi thi. Fir uss lady ne bataaya tha ek behad hi mashoor shop ka naam. Iss saal Dad ussi shop se Mom ke liye ek acchi sii ring unhe dena chaahte the. But dikkat ye rehti hai ki... Diamonds me cuts lagaaye jaate hai. Good cut, very good cut, brilliant cut aise... Jisme samay lagta hai. Uske baad wo export hote hai then yaha aate hai. So it takes time...

Veer : Ohh!

Suhana : Yeah!! And Dad ne thaan liya tha ki wo wahi ki ring iss baar wo Mom ko denge. Aur unhone brilliant cut lagwaane ke liye kaha tha. Saath hi mein shape rounded rakhne ke liye. Toh it takes time... Yahi kaaran hai ki wo itna udaas ho gaye the mujhse. And now that the ring is here... Unki naraazgi ab dur ho jaegi. So... So... Thanks to you.

Veer : Ohhh! W-Well! I think I will leave now...

Suhana : Waaaaaitttt!!

Veer : Hmm?

Suhana : I-I... I'll do one more favour.

Veer : Huh? No thanks!

Wo bolte hue firse palat ke jaane laga toh fir Suhana ne uska haath thaam usse roka.

Suhana : Y-Youuu! Wait! It's... Haa! Ye... Ye isliye hai ki tum mere secret ko kisi ko na batao okay? Don't you dare say it. Even... Even Sonu ko bhi nahi pata hai iss baare me... So... So you must not... Okay!?

'What the hell??'

Suhana : So... If... If you need a job or anything like that... Then I can help you.

Iss prastaav se Veer ke mann me jese kuch aaya aur wo Suhana ko ghur ke dekha.

Veer : Are you sure!?

Suhana : Huh!? Of-course! I-I am sure. Bolo!? Job chahiye!? Mere husband IT company C.E.O hai. You just need to give interview aur bas. Interview bhi formality ke liye hi hoga yadi mein unse keh du ki tumhaari job lagwaani hai.

Veer : Mujhe toh nahi but...

Suhana : Hmm??

Veer (smiles) : Kisi ko chahiye hai... I'll call you later. Thanks for the reward. And ho sake toh Police ke beech mera naam mat aane dena.

Aur itna bol wo baahar nikal gaya.

Suhana stabdh nigaaho se keval usse jaata hua dekhti rahi. Baad me usse jese dhyaan aaya ki Veer ne call karne ke liye kaha par number toh liya hi nahi. Aur ye soch wo fir se usse bad-badaane lagi.

'He's still an idiot. Hmph! I-I will forgive him this time. Aur police... Toh wo nahi chaahta ki mein uska naam aane du? Well wo student hai toh I can guess. Hmph! I will help you this last time only...'

"Sonuuuuu!" Aur wo fudakti hui andar chali gayi jaha uski behan Sonia iss waqt bathroom me naha rahi thi.

***

Veer udhar se raaste me ghar ki orr laut raha tha aur jis cheez ka usse intezaar tha wo finally ghatit hui...

*Ding*

['Mission ~ Chase down the unknown guy and bring back the diamond ring' has been completed.]

*Ding*

[50 points have been rewarded.]

[Lifetime favour from Suhana has been achieved.]

*Ding*

[System has reached Level - 4]

[In-built function 'Check II' has been unlocked.
Description : You can now check the objects.]

'Dammmmnnn! Pari!? That's fucking amazing. Wait! Mein ab objects check kar sakta hu? Yaani kisi bhi cheez ko? Huh??'

Wo Pari se jaan'ne ke liye utaawla ho raha tha par tabhi...

[Maaaaaaaaasttttteeerrrrrrrrr!!!!]

'Huh? W-What? Kya hua?'

[Ehehehehe~]

'???'

[Ehehehehehe~]

'The fuck!? Pari? Aise befaaltu kyu khil khila rahi ho? You gone insane or what? Mujhe batao ki ye Check -II kya hai? Iska matlab hai ki mein ab koi bhi objects check kar sakta hu?'

[Yesssss! Maaaasttterrrr! Ab aap kisi bhi object ko check kar sakte ho and unka description jaan sakte ho.]

'Wow!!! This will be useful!'

Wo raaste me apni gaadi chalaaye jaa raha tha aur aaj behad khush tha. Sab kuch sahi dhang se hua. Ring bhi waapas mil gayi thi. Mission bhi complete ho gaye aur toh aur Suhana se favour bhi mil gaya tha.

Abhi wo jaa hi raha tha ki tabhi uski nazar road ke hi side me ek bade se mandir par gayi. Ye sheher ke kaafi prasiddh mandiro me se ek tha. Par iss waqt uski nazro ne mandir ke liye apna rukh nahi badla tha.

Kaaran tha...

Uss mandir me andar jaati hui...

Ek aurat!

Ek behad hi parichit aurat. Wo aurat jo uske jeevan me ek aas waapas leke aayi thi jab usne sab kuch chorr diya tha. Wo aurat jisne uski dekh bhaal tab kii thi jab uske apno ne usse ghar se baahar nikaal diya tha. Wahi aurat jo na keval uski teacher thi balki saath hi saath ek behad hi acchi dost bhi thi.

Aur jis se baatein karte waqt Veer ka rom rom khil uthata tha.

Uski apni...

Nidhi Ma'am...

"M-Ma'am..." Uske hontho se apne aap haule se wo shabd nikal pade. Wo dekh paa raha tha ki uski Ma'am ke saath hi saath Juhi aur Shreya bhi thi.

Wo teeno hi andar jaa rahi thi darshan ke liye. Bheed kaafi thi aur kuch palo ke andar hi Nidhi uski nazro se ojhal ho chuki thi.

Pata nahi usse kya soojha ki agle hi pal wo apni bike se utra aur mandir ke andar chal diya.

Mandir bhi chota mota nahi tha. Andar line lagaane ke liye do bhaag the. Beech me lohe ki jaali thi jo safed rang se puti hui thi. Jaali ke iss taraf Purusho ke liye alag line thi toh wahi jaali ke uss taraf mahilaao ke liye dusri line. Aur aise hi kayi baar idhar se udhar hote hue andar jaane ka raasta tha.

Veer Purusho ki line me lag chuka tha par uski nazre keval ek shaks ko dhundne me lagi hui thi. Wo nahi jaanta tha ki wo yaha kyu aaya hai par uske kadam jese apne aap chalte jaa rahe the bas.

Jese uske perr uski apni marzi se nahi chal rahe the.

Uski nazre bhagwaan ke nahi, kisi aur ke darshan ke liye jese tadap rahi thi.

Wo yu aas liye mandir ke andar aa pohucha par Nidhi kahi na nazar aayi usse.

Usne praarthna kari,

'Hey uparwaale! Wese mene kabhi tumpe utna vishwaash nahi kiya. Par Yadi tum meri pukaar sunn rahe ho, aur logo ki kaamnaaye poori karte ho. Toh... Toh... mein aaj tumse yahi maangta hu... Ki... Meri ma'am ki zindagi se kasht dur kar do. Please! Nahi chaahta mein ab unhe aur pareshani me dekhna. Aaj wo bhi aas leke aayi hai tumhaare paas. Chaahe toh unke dard mujhe de do. Mein yuhi peeth peeche unki hifaazat karta rahunga... Par unke paas nahi jaa sakta. Warna wo mujhe apne saath rakh lengi. Aur... Kahi mein koi paap na kar baithu. Wo nahi samajhti hai... Ki yadi wo mere saath itna pyaar se vyavhaar karti rahengi toh... Toh... Mein unka bann ke reh jaunga... Isliye... Jald se jald unke dukh dard dur kar do. Bas yahi kaamna hai meri.'

Veer ne praarthna kar kuch paise aarti ki thaal me chadhaaye aur aarti aur prasaad lete hue wo baahar aa gaya.

Prasaad ko khaane ke baad uski nazar fir ek baar kuch dur side me bani ek jagah par gayi jaha baithne ke liye patthar ki hi ek bench type maujood thi aur saath hi saath agarbatti ko fassane ki ek jagah thi.

Jis shaks ki usse talaash thi wo akhir kaar uski nazro me aayi.

Nidhi jhuk ke agarbatti uss jagah me khos rahi thi. Roz ki hi tarah wo behad hi khubsoorat lag rahi thi. Aur uss se kuch hi duri par Ek bench par Juhi maujood thi jo prasaad khaane me lagi hui thi. Uske bagal se kayi aur bacche bhi baithe hue the aur unke parents bhi. Shayad aaj chhutti ke chalte mandir me itni bheed thi warna roz nahi raha karti thi.

Ek baar fir...

Veer ke kadam apne aap badh gaye...

Par...

Wo chaah ke bhi jaa nahi paa raha tha.

Kyuki uske saamne wahi jaali jo maujood thi. Uss paar jaane ke liye usse peeche se jaana padta jaha jaali khatam hoti hai. Par shayad ab uske paas utna samay nahi tha.

Wo paas aaya aur apne haath rakh, unn chote chote jaali ke chaukor khando me apni ungliyaa fassaaye wo keval Nidhi se bas do teen kadmo ki duri par maujood tha. Aur usse hi nihaar raha tha.

Aur akhir kaar...

"M-Ma'am!?" Usne pukaar hi diya.

"Haaaah!?" Agle hi pal Nidhi jo jhuki hui thi wo jese ekdum se ye parichit awaaz sunn khadi ho gayi.

Wo awaaz sunte hi uska seena itni zorr se lambi saas lene ke chalte upar hua ki wo haafne lagi.

Veer ke saamne Nidhi ki peeth thi. Abhi tak Nidhi ne usse nahi dekha tha. Keval awaaz hi suni thi uski.

'V-Veer!?? N-Nahi! Wo bhala yaha kese...!?'

Usne apna veham samajh ke uss awaaz ko ignore karna chaaha par...

"Ma'am!?"

Ek baar fir...

Uss awaaz ne jese Nidhi ke raungte khade kar diye. Iss baar usse ek pal nahi laga. Wo forun hi palti aur...

Saamne khade shaks ko dekh uski aankhein felti chali gayi.

Fir bauhe sikudi aur fir...

Aankho me nami apne aap aa basi...

"Veer!!?"

Bas! Uske honth se yahi nikla. Aaj na jaane kitne dino ke baad wo usse dekh rahi thi. Uska letter padhne ke baad wo kitna royi thi keval wahi jaanti thi. Aur aaj uske rone ki wajah uske saamne maujood thi.

Akhir... Veer ke liye hi toh wo itne dino tak royi thi.

Par jese jese din guzar rahe the. Nidhi behad hi toot'ti jaa rahi thi. Usse Veer pe gussa raha tha. Na wo uska call uthaata tha, na uss se baatein karta tha, na hi uss din ke baad se mila tha. Inn sab ke chalte jese wo itni khafa ho gayi thi Veer se ki bas khari khoti sunaana chaahti thi usse...

Uske gaalo par apne aap ek geelapan sa usse mehsoos hua. Apne gaal se aasuo ko poch wo usse dekhi aur boli.

Nidhi : Kyu aaye ho ab Veer? K-Kyu? Tumhe toh accha lagta hai na? Apni ma'am ke calls nahi uthaana!? Unse baatein nahi karna? Hafto hafto tak chehra nahi dikhaana!? Aise rooth jaana!? Toh fir kyu? Veer? Ab... Ab kyi aaye ho? Apni ma'am ka mazaak udaane!? Kabhi nahi socha ki ma'am kya soch rahi hongi? Unhe kitni tension ho rahi hogi tumhare aisa karne se!? Huh?? Tum... Yu late late ghar aate the... Mein kuch na boli... Aur... Aur mene thoda sa uss din kya keh diya... Mene ek galti kya kar dii... Tum... *sniff* Tum yu naraaz hoke mujhse ghar chorr ke chale gaye??

Veer kuch na kaha...

Bas... Usne apna sarr jhuka liya. Jaali par yu sarr tikaaye wo bas chup chaap khada raha.

Nidhi : K-Kyu aaye ho ab Veer!? Ab... Ab tum apni Bhabhi ke ghar rehne lage ho. Mere chote se ghar me ab kaha tumhe wo aisho araam milega...?? Hai na!? M-Mein kaha tumhaari zaroorato ka kharcha uthaa paa rahi thi!? Akhir... Isliye... Isliye toh tum gaye na? Ab bhala kya zaroorat tumhe iss ma'am kii?? Padhaayi bhi chorr dij hai tumne ab shayad hai na? Toh bhala... Ab... Ab mera *sniff* mera matlab kya reh gaya.

Chaah ke bhi iss waqt wo kuch keh na saka. Ya yu kahe ki uske muh me shabd hi na bane.

Toh bhala kya jawaab deta!?

Nidhi itna bol dubaara palat gayi aur ab firse bas uski peeth hi Veer ko nazar aa rahi rhi. Wo itna chaah raha tha ki kaash... Kaash ye jaali uske aur Nidhi ke beech na hoti. Kam se kam uss kandhe par wo apna haath rakh ye jata paata ki Nidhi jesa soch rahi thi wesa bilkul bhi na tha.

Nidhi : You... You should go right? Boht kaam honge tumhe... Kaafi... Kaafi busy jo rehte ho tum. *sniff* So... Mujh par samay waste karni ki zaroorat nahi hai Veer... Kaam toh pehle dekha jaata hai... Hai na!? Y-You should go...

Itna bol usne abhi ek kadam aage badhaaya hi tha jab agle hi pal Veer ki baat sunn uske kadam wahi rukk gaye.

Veer : Parso...

Nidhi : ....

Veer : Parso... Mera janmdin tha...

Nidhi uski baat sunn ekdum sihar gayi. Aur uske aasu bhi behna jese ruk gaye the. Par wo peeche nahi mudi... Wahi stabdh sii bas sthir khadi rahi.

Veer (smiles) : Uss din kuch qareebi logo ne me mujhe wish kiya... Kavya meri behan... Sabse pehle usne kiya tha. Uske baad Shreya jii ka bhi video call aaya tha. Juhi se bhi baat hui... Aur toh koi hai nahi meri zindagii me... Ek shaks aur...

Nidhi : ...

Veer : Aap hi ho. Mein din raat aapke ek message ya call ka wait karta raha. Maana ki mene haha... Aapko reply nahi diya tha... Par mujhe laga tha harr baar ki tarah... Uss din toh aap pakka hi call karogi... Par ...

Nidhi : ......!!????

Veer : Aapki badhaayi na aayi...

Aur bas...

Uska itna kehna tha ki...

Nidhi ke aasuo ka jo baandh abhi tham gaya tha wo ek baar fir laba lab behna shuru ho gaya. Mote mote aasu uske gaalo se lakeer bana ke gir rahe the.

Na jaane kitna kuch suna diya tha usne Veer ko yu khade khade. Par... Uski ek baat na suni.

Wo bhul gayi thi ki keval wahi nahi thi jo naraaz thi. Keval Veer ki hi galti nahi thi. Bhala uska janmdin kese bhul gayi wo? Usse yaad tha. Haan usse yaad tha par kaam, vyastata, tension, aur Rajat se divorce ke chalte wo jese bilkul hi bhul gayi thi.

Aur ab jab usse iss baat ka pata chala toh...

Glaani... Keval glaani ke bhaav the. Jo pehle se hi maujood glaani ke bhaar ko aur badha chuke the.

Itna... Ki ab uss bhaar se uth paana kaafi mushqil tha.

Jab usse iss baat ka ehsaas hua toh wo forun hi palti....

"Veeeeeeeerrrrrr!!!"

Par...

"??????????"

Veer waha maujood nahi tha. Aur aaj pehli baar... Nidhi ko apne andar ek sense of loss mehsoos hua. Maano jese usne behad hi keemti kuch apna kho diya ho. Jisse paana ab shayad behad mushqil tha.

"N-Noooo!" Wo achanak hi idhar udhar bhaagte hue usse dhundne ka prayaas kari... Par...

Veer kahi nahi tha.

Aur wo bilakhti hui rote rote Juhi ke paas pohuchi. Uski ungli pakad wo forun hi mandir ke baahar jaane lagi. Iss aas me ki Veer baahar gaya hoga toh mil jaega.

Par...

Veer idhar se jese hi laut raha tha ki achanak uski shirt kisi ne peeche se pakad lii.

Palat ke dekha toh...

Shreya!!!

'????'

Shreya : Kyu karte ho aisa?

Veer : I... I'll talk to you later...

Wo jaane ke liye hua toh iss baar Shreya ne uska haath thaam liya.

Shreya : Tell me...!

Veer : Trust me! Mujhe kaam hai. Also...

Shreya : ???

Veer : Kya aap job karna chaahti ho???

Shreya : Huh??

Veer : If you want to... Then mujhe bataana. I have an offer ... Chalta hu...

Wo itna bol jaane laga.

Shreya : S-Sunoooo tohhhh....

Par Shreya ki awaaz ka koi matlab na raha.

Veer... Jaa chuka tha.

***

Kuch din guzar chuke the. Aur aaj... Diwali ka itna bada tyohaar tha.

Vivek sang Karunesh aur Sumitra Ragini ko waapas se ghar le jaane me asamarth the. Aur aaj ki ye Diwali Ragini apne hi ghar me manaane waali thi. Suman, Abha, Sonali aur... Veer ke saath.

Din me wo apne ghar ho aayi thi. Toh ab raat me jaane ki zaroorat nahi thi.

Aaj wo Veer ke liye aur Suman sang baaki sabhi ke liye kayi saare kapde aur anya samaan khareed kar laayi thi. Diwali ka parv hi rehta hai khushiyo ka...

Aaj Ragini bhi behad khush thi. Ye Diwali Bhale hi wo ghar se alag mana rahi thi. Par yu Veer aur anya ke saath usse jese koi kami nahi mehsoos ho rahi thi. Thoda gham zaroor tha. Par wo jaanti thi... Ki gehre zakhmo ko bharne me samay toh lagta hi tha.

Raat ke samay sabhi taiyaar pooja khatam hone ka intezaar kar rahe the. Pooja ladies log kar rahi thi toh Veer baahar hi maujood tha.

Ki tabhi usse Kavya ka call aaya aur...

Veer : Bol Kavya!

Kavya : Bhaiya! Mein aur Arohi dii udhar aa rahe hai. Okay? Pataakhe fodenge sab milke hehe~

Veer : Arre par... Baahar pataakhe foot rahe hai. Raaste me gaadi chalaana khatre se khaali nahi hai Kavya. Mat aao...

Kavya : Nahiii! Aa rahe hai matlab aa rahe hai... bye!

Aur call end ho gaya.

Idhar Kavya full excited Arohi ke peeche baith chuki thi. Dono hi behad hi khubsoorat dress pehni hui thi.

Aur gaadi me sang baith wo ravaana ho gayi.

Par unhe nahi pata tha...

Ki iss waqt unke peeche kaun aa raha tha.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!

Like karna na bhuliyo.
Ye update itta kuch khas nahi laga pr thik hai kam chal gaya 😁😄
 

agmr66608

Member
331
1,553
123
बुरा नहीं मानना मित्र, आपका डीपी मे वही सबसे पुराना वाला डीपी जो इतना दिन चले आ रहा था वो ही लगता है की ठीक था। आगे आपकी मर्जी। यह डीपी थोड़ा जंच नहीं रहा है मित्र। 🙏🙏🙏🙏
 
343
1,764
123
Kaam chal raha hai guys. Ab exact time toh nahi bata sakta. Par update aaega zaroor. Toh tension nahi lene ka... Koshish rahegi 12 ke around deliver kar du.
Thanks bro...we know you will try your best as every time because your story writing skill is excellent so, I can understand it will take time wtw will are waiting........for next wonderful update 👍
 
Top