• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,195 83.0%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 24 1.7%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 188 13.1%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 33 2.3%

  • Total voters
    1,440

Werewolf

ʏᴏᴜ ᴀʀᴇ ᴀʟʀᴇᴀᴅʏ ᴜɴᴅᴇʀ ᴍʏ ɢᴇɴᴊᴜᴛꜱᴜ
Supreme
11,167
88,189
259
Last edited:

Ashwathama

अहङ्कारं बलं दर्पं कामं क्रोधं च संश्रिताः 🕸
684
4,284
123
Ok
 
Werewolf

ʏᴏᴜ ᴀʀᴇ ᴀʟʀᴇᴀᴅʏ ᴜɴᴅᴇʀ ᴍʏ ɢᴇɴᴊᴜᴛꜱᴜ
Supreme
11,167
88,189
259
Update - 64 ~ Help on the way
Ab tak...

*Ding*

[You have received a Legendary Card.]

[This... Omg!?? No waayyyyyyy!!!]

Aur Pari ke reaction ki awaaz sunn, iss baar maar khaate hue bhi Veer ke hontho par ek muskaan thi.

Ab aage...

Kishor's Villa...
11:15 PM...

Jaha Veer ka koi thikaana nahi mil raha tha dhundne par wahi iss waqt, Mumbai me hi Kishor apne khud ke aalishaan villa me iss waqt night wear waale kapde pehne apni ek chair par baitha hua book padh raha tha. Jaise usse koi fiqr hi nahi thi.

Kaafi derr se wo aise baithe hue tha jab uske room ka darwaaza khula aur ek ladka uss kamre ke andar daakhil hua.

Wo ladka keval ek full black t shirt aur neeche blue coloured jeans pehne hue tha. Kishor ne apne peeche se kisi ke aane ki aahat paate hi book band kar dii aur bina uss ladke ko dekhe hi pucha, "Kaha the itni derr tak?"

Uske sawaal par ladke ne jawaab diya, "Mene aapko jataaya tha ki mujhe aane me thoda late ho jaega."

Kishor : Hmm! Thoda nahi kuch zyaada hi late ho tum.

Kishor ne side wall me lagi ghadi ki orr dekhte hue ishaara kiya, jisme samay 11:15 ho raha tha.

Ladka (sighs) : Kaam tha. Isliye... Thoda late ho gaya.

Kishor : Accha!? Theek hai. Par apne samay ka dhyaan rakha karo Karan. Mujhe poke na karne pade tumhe baar baar.

Karan : Jii!

Late aaya vyakti koi aur nahi, Kishor ka apna beta Karan hi tha. Aur Kishor shayad uske late aane se thoda disappointed tha.

Kishor : Jao ab.

Karan : Mujhe kuch baat karni hai aapse.

Kishor : Kesi baat!?

Karan : Aapko pata hai dii ke baare me? Kuch derr pehle kya hua?

Kishor : Hmm~

Karan : Toh? Aapne kya action liya?

Kishor ne iss baar palat'te hue apne bete ki orr dekhte hue kaha, "Tum kab se mujhse sawaal jawaab karne lage?"

Karan (frowns) : Baat meri dii ki hai. Unke upar hamla hua tha. Wo toh accha hua Veer waha tha otherwise...

Kishor : Hmm!? Veer... Tum kaise jaante ho usse? Huh?

Karan : Mein... Mein uss se mil chuka hu.

Kishor : Ohh! Aur ye baat tumne mujhe bataana zaroori nahi samjhi?

Karan : Wo... Bas choti sii mulaqaat thi.

Kishor : Hmm~ Toh!? Kya pata chala uske baare me?

Karan : Matlab?

Kishor : Mera matlab tum uss se mile ho toh itni derr milne ke baad kya kuch jaan paaye uske baare me?

Karan : Wo... I don't know much. Itna pata hai ki wo ek accha ladka hai. xxxxxxx college me padhta hai. Abhi abhi khud ka food truck shuru kiya hai shayad usne. Overall, mujhe uska first impression accha laga. Not to mention ki usne dii ko do baar bachaaya bhi hai.

Kishor : Hmm? Do baar?

Karan : Aapko nahi pata? Uss time jab dii par club me attack hua tha? Veer ne hi dii ko waha se safely Raghu and Jassi Sir ke paas pohuchaaya tha.

Kishor : Ohhh!

Karan : Hmm! Aur meri abhi Raghu se baat hui hai. Usne bataaya mujhe kitna kuch ho gaya hai. Dii toh waapas aa rahi hai uske saath par Veer mushqil me hai. Kya aapko nahi lagta ki aapko iss waqt kuch karna chaahiye!?

Kishor : Kya chaahte ho tum?

Karan : Mein... Mein chaahta hu ki aap Veer ko kisi bhi haalat me waha se bacha ke laaiye.

Kishor : Bas!?

Karan : Huh!??

Kishor : Tumhaare aane se pehle hi mujhe Kaera ka phone aaya tha. And for your information Mister Karan, mene uss Veer ke liye help bhej dii hai. Copter bhi bheja hai saath me.

Karan (surprised) : That...

Kishor : Yadi baat ho gayi ho, toh tum jaa sakte ho.

Karan : J-Jii!

Karan sarr jhukaate hue waapas mud jab jaane ke liye hua tabhi ek baar fir Kishor ke room ka darwaaza khula par iss baar boht hi tezz jhatke ke saath aur andar jaldbaazi me koi daakhil hua.

"F-Father!!!!"

Karan : Diii!!!!

Kaera, jo ki Raghu dwara Mirror Gallery se safely rescue kar lii gayi thi wo apne ghar pohuchte hi seedha apne pita ke room me ghus aayi.

Bagal me khade apne chote bhai Karan ko usne ek jhalak dekha aur fir waapas se apne pita ko dekh aage badhi.

Kaera : Father! Wo... Veer... He's in trouble.

Kishor apni beti ke sawaal ka jawaab nahi diya. Wo bas Kaera ko dekh ke kuch parakhne ki koshish kar raha tha. Shayad soch raha hoga ki bhala meri beti, jo itni badi company ki maalkin hai wo kisi aerre gerre natthu kherre ke saath kabse dosti karne lagi? Shayad uske mann me khatre ki ghanti baj rahi thi.

Kishor : Mene uske liye help bheji hai na beta?

Kishor kehte hue utha aur apni beti ke paas aaya aur usse gale se laga ke dheere dheere uske sarr par haath ferrne laga.

Kishor : Tumhe kuch hua toh nahi!?

Kaera bechaari kuch keh hi na paayi. Aisa boht kam hi hota tha jab uske pita usse apne gale se laga ke kuch kehte the.

Kaera : I... M-Mein theek hu but Veer.

Kishor : Don't worry! Mene help bheji hai na? Sab theek ho jaega. Okay!?

Kaera : Mm~

Kishor : Chalo! Jao ab tum sab apne apne kamre me aur rest karo. Okay?

Ye jaise request nahi thi balki ek order tha. Kishor ne na fir unhe dekha, wo seedha palta aur apne jeb se ek cigarette nikaal ke usse light kiya aur muh me rakh kar ek kash lagaate hue wo waapas se apni kursi par wahi book liye baith gaya.

Jaise maano uski taraf se sab sahi tha aur ab kuch faaltu baatein karne ki koi zaroorat nahi thi.

Kaera samet Karan dono hi baahar nikle toh Kaera bina kuch kahe apne room me jaane lagi. Uski haalat boht hi unstable sii thi. Uske mann me bas wahi manzar baar baar chal raha tha jisme Veer ki akhiri muskaan dikhaayi de rahi thi usse aur fir baad me uss gate ka band ho jaana. Yahi sab soch soch ke Kaera itni ghabraayi hui thi ki usse khud nahi pata tha ki uski haalat kesi ho gayi hai.

Karan apni badi behan ko dekh aaj itna toh jaan gaya tha ki uski didi koi robot nahi hai. Wo bhi ek insaan hai jo sab kuch feel kar sakti hai. Dusro ki fiqr kar sakti hai, unki chinta kar sakti thi. Aur Karan ko toh jese bas yahi chaahiye tha.

Karan : Dii!?

Usne haule se chalte chalte hi peeche se bulaaya. Kaera uski pukaar sunn palti par kuch na boli.

Karan : Aap theek ho na?

Ek baar fir Kaera ne koi jawaab na diya. Uski aankho me aasu the. Usne palke jhapkaate hue Karan ko nazre utha kar kuch pal ke liye dekha.

kendall-jenner-cry

Karan ne usse dekh kuch socha aur fir kaha, "Kya mein aapka phone dekh sakta hu?"

Kaera bina kuch kahe hi uske haath me apna phone thama dii aur fir wo mud ke apne kamre me jaane lagi.

Uska ye ravaiyya dekh Karan bas pheeki sii muskaan liye wahi deewaar se tik ke khada ho gaya aur apni badi behan ko yu jaate hue dekhta raha.

Aaj bhi wahi hua, harr baar ki tarah. Na jaane kab unn dono ke beech ka ye rishta badlega?

Kya hua tha inn dono ke rishte ko? Kyu Kaera ne Karan ke sawaal ka jawaab nahi diya? Iski kahani inke ateet me hi chhipi hui thi.

Bachpan me, jab Kaera se uski azaadi chheeni jaa rahi thi yaani ki jab Kaera ko uski Maa ke chale jaane ke baad se band bangle me padhaaya likhaaya jaa raha tha tab umr me badhte hue Karan ke liye aisa kuch nahi tha. Uske liye sab kuch normal hi tha.

Wo auro ki tarah ghumne firrne jaata, wo khul ke kahi bhi jaa sakta tha, wo school jaata tha, apne dosto ke sang khelne toh kahi uske dost uske ghar aake saath me khelte the. Aur issi beech wo apni jab badi behan ko yu bas padhte hue dekhta tha toh usse aisa lagta tha ki kitni boring hai uski behan.

Jab dekho tab padhayi me lagi rehti thi. Ek prakaar se Karan ne Kaera ko apni asli behan ke roop me dekha hi nahi tha. Jab aapki baat hi na ho kisi se toh aap naturally unme apna rujhaan kho baithate ho. Yahi hua tha Karan ke saath bhi.

Wo bhool chuka tha ki uski apni behan bhi hai. Aur wo bas apne enjoyment me jeene laga. Pita paisa dete hi the usse. Usse bas ek hi kami mehsoos hoti thi wo thi apni Maa kii jisse wo theek se jaan bhi na paaya. Kyuki uske janm ke kuch saal baad hi uski Maa ye duniya chorr kar jaa chuki thi.

Par Karan ko nahi pata tha, ki jab jab wo khule aasmaan me apne dosto ke sang apni azaadi manaata tha tab tab bangle ki upari manzil ki khidki se uski badi behan usse ek aas liye dekhti thi. Ek aas ki usse bhi kaash baahar jaane milta.

Dheere dheere wahi aas kab ghrina me tabdeel ho chuki thi, ye baat swayam Kaera bhi nahi jaanti thi. Uske bhai ko saari azaadi thi, fir usse kyu nahi? Kyu wo ek jail me qaid mujrim ke samaan ka jeevan jee rahi thi apne hi ghar me? Sawaal toh dherr saare aate the uss waqt uske mann me.

Par unn sawaalo ko lagataar padhayi, shishtachaar, ghar ke prati zimmedaariyo ke lessons ne jaise daba ke rakh diya tha. Harr rozz professors aate aur Kaera ko ye samjhaate ki usse kya bann'na hai. Iss beech jo ghrina uske andar thi, wo thi zaroor par jaise wo apna kaaran ya maqsad bhul chuki thi. Bas kahi chhipi hui thi andar.

Fir wo din aaya, jab Kishor ne Karan ko baahar bhejne ke liye padhne bheja. Karan apni badi behan ki baato se pare padhne ke liye videsh gaya. Apni behan ki hi tarah wo bhi business ke liye hi studies karne gaya tha jab usse ghar se dur rehke kayi baato ke baare me pata chala.

Usse dhyaan aaya ki uski behan bhi toh hai aur kitni kam baatein hoti thi unke beech. Videsh me jab usne apne dosto ki behne dekhi aur unke beech relationship ko. Toh usse jaise samajh aaya ki wo kitna galat kar raha tha apni behan ke saath.

Aur fir usne chhaan been shuru kari ki akhir kyu uski behan band bangle me raha karti thi aur kyu usse itna padhaaya jaata tha. Jab Karan ko baat samajh aayi toh usse bas glaani hi mehsoos hui.

Kitna nasamajh tha woh. Kitna kuch kar sakta tha wo apni behan ki khushiyo ke liye par usne kiya kya? Kuch bhi nahi.

Aur tab se hi uski behan Kaera usse aise dekhti thi jaise maano kisi anjaan aadmi ko dekh rahi ho. Wo jo ghrina thi Kaera ke mann me wo abhi bhi thi par Kaera ab ye nahi jaanti thi ki kyu wo aisa feel karti thi.

Jaise maano wo bhul gayi thi. Karan ko iss se pehle kabhi kisi ke liye itni peeda mehsoos nahi hui thi. Wo ye bhi maanta tha ki shayad Kaera uss se ek aur kaaran se naraaz rehti thi wo ye ki uske janm ke kuch saal baad hi unki Maa ka dehaant ho chuka tha.

Ab kya ye sach tha ki Kaera usse iss baat ko lekar bhi hate karti thi? Ya nahi? Ye wo nahi jaanta tha par maanta zaroor tha ki ek ye kaaran bhi ho sakta tha.

Aur tab se hi usne Raghu ke contact me rehna shuru kiya. Usse samajh aaya ki uske Dad ne uski behan ko kaise ek robot bana ke rakh diya tha.

Aur isliye, usne apni shuruaati padhaayi poori kar waapas Mumbai aane ka faisla liya. Woh faisla ki wo apni behan ko pehle jaisa kar ke rahega. Jo bhi galti uss se past me hui, uski bharpaayi kar wo apni behan ko wo puraana jeevan lauta ke rahega.

Aur kuch samay baad hi usse pata chala Veer ke baare me. Usse pata chala ki Veer naam ke kisi ladke ne uski behan ki jaan bachaayi thi.

Yaha tak ki uss se milne ke baad uski behan ke chehre par muskaan bhi thi. Maano jaise ek raah nazar aayi thi Karan ko. Shayad wo apni dii ko pehle jaisa bana sakta tha!?

Mumbai aane ke baad isliye usne sabse pehle Veer se milne ka faisla liya. Wo dekhna chaahta tha usse, parakhna chaahta tha, kahi ye vyakti uski behan ke liye koi khatra toh nahi tha?

Aur milne ke baad hi jaise uske saare doubts clear ho chuke the. Veer hi tha wo insaan jo uski behan ko sahi kar sakta tha.

Aaj jab usse pata chala ki Veer ne ek baar fir uski behan ko bachaaya apni jaan jokhim me daal ke toh uske mann me jo Veer ki jagah thi, uska sthaan aur upar ho chuka tha. Ab toh woh waqai dil se genuinely uska dost bann'na chaahta tha.

Kyuki wo jaanta tha, ki yadi uski behan me koi badlaav laa sakta tha. Toh woh tha ~ Veer!!!

Wo soch hi raha tha khade khade jab uske bagal se aake Raghu khada ho gaya.

Raghu : Bad News!

Karan : Kya hua?

Raghu : Jassi ka call aaya abhi. Veer ka koi pata nahi mil raha. Wo log shayad usse utha ke le gaye hai.

Karan (shocked) : Kya???

Raghu : Haan! Usne kaha hai Miss ko na bataane ke liye.

Karan : Par... Ye toh... Shitttt!!

Karan khud parershaan ho chuka tha. Jis shaks ke baare me wo abhi kuch derr pehle soch raha tha ki ye vyakti hi uski behan ki madad kar sakta hai ab toh wahi vyakti gaayab ho chuka tha. Jhatka toh lagna hi tha.

Karan : Toh abhi kya?

Raghu : Abhi... Jassi ne orders diye hai isse dhudne ke. Dekho, kya hota hai.

Karan : Usse kaise bhi karke dhundna hoga. Kaise bhi kar ke. Usse kuch hone nahi de sakte hum.

Raghu : Tum kab se usme itna interest lene lage?

Jab Raghu ne ye sawaal pucha toh Karan apni nazre churaate hue palat gaya.

Karan : Don't ask me. Bas itna samajh lo ki... Wo important hai.

Raghu : Well! Jaisa tumhe sahi lage. Aur tum mujhe bhaiya ya Sir kehke kab bulaoge haan? Tumhe pata hai mein 29 ka hu aur tum 20 ke.

Karan : Tumhe dekh ke Sir bulaane waali feeling hi nahi aati.

Raghu : What the...!? Aur Jassi ko Sir kyu fir?

Karan : Well! Unhe dekh kar aati hai. He's more... Umm... Professional.

Raghu : Tch... Keval do saal hi toh bada hai wo mujhse.

Karan : Yeah... yeah!!!

Raghu : Anyways! Mujhe jaana hoga. Jassi ko help ki zaroorat hai.

Karan : Raghu...

Raghu : Hmm?

Karan : Mujhe bhi le chalo. I need to find him.

Raghu : Hein? Oo bhai, tumhara koi kaam nahi hai waha. Wese bhi yadi tumhe kuch hua toh Boss meri khatiya khadi kar denge.

Kehte hue jab Raghu jaane ke liye hua toh iss baar Karan ne uska haath pakad uski aankho me dekha.

Karan : Please!!!

Aaj pehli baar Karan ne uss se please bola tha. Bhale hi Karan usse bhaiya kehkar nahi bulaata tha par ye please apne aap me special tha Raghu ke liye.

Raghu (sighs) : Theek hai. Par ek shart...

Karan : Treasurer Luxury Black!

Raghu (smiles) : Hahaha~ Kitna acchi tarah samajhte ho mujhe. Dekha! Mein kitna easy to understand hu. Kaha tum lage uss Jassi ki tarafdaari karne. Chalo aao. Leke chalta hu tumhe.

Aur Raghu uske kandhe me haath daal usse le jaane laga. Karan bas ek raahat bhaari saas liya aur uske saath chal pada.

Raghu jab bhi apni shart saamne rakhta tha, aksar uski shart yahi hoti thi. Treasurer Luxury Black. Ye ek cigarette thi.

Aur ye import hoke Karan ke pita, Kishor ke liye aati thi. Kitni mehngi thi ye bataane ki zaroorat bhi nahi thi. Ab Karan ka ek kaam badh gaya tha, wo ye ki shart ke mutaabik usse ab kam se kam ek dabba nikaal ke Raghu ko dena padega.

Aur ek aur kaam ye ki unhe yaha se nikalne ke liye neeche guards ko pataana padega. Warna yadi unme se kisi ne bhi upar jaake Kishor ko bataaya toh Karan ki shaamat aa jaani thi fir.

***

Ragini's house...

Ragini ke ghar me mahaul kharaab tha. Matlab waqai kharaab. Ragini chinta ke maare idhar se udhar ho rahi thi aur ye faisla ni le paa rahi thi ki kya kare?

Kya police ko inform kar de? Ya nahi?

Wo Arohi ko phone laga ke puch chuki thi, Veer ki ma'am Nidhi madam se bhi uski baat ho chuki thi par dono hi jagaho par Veer ka koi thikaana nahi tha.

Ab aise me hi ek hi option bachta tha wo tha police.

Par dikkat ye thi ki Ragini sure nahi thi ki Veer waqai laapata hua hai ya nahi? Aisa na ho ki wo Police ko bulaane jaaye aur fir Veer aa jaaye. Ya aisa na ho ki wo Police ko na bulaaye aur Veer ke saath koi anhoni ho jaaye!?

Dono hi sawaalo me wo iss waqt phassi hui thi. Kya kare? Aur kya na kare?

Tabhi peeche baithi Suman ki awaaz uske kaano me padi, "Aap shaant ho jaaiye Ragini jii!"

Ragini : Kese shaant ho jau mein Suman jii? Din ka nikla hua hai woh aur kabse call kar rahi hu, ek call nahi uthaaya hai usne. Na hi koi jawaab de raha hai. Arohi se pucha udhar bhi nahi hai woh, Nidhi Ma'am ko lagaaya call mene udhar bhi uska koi ata pata nahi hai. Kese shaant ho jau aise me mein?

Suman : Aapki baat sahi hai par... Tension lene se kuch haasil nahi hoga hai na?

Aabha : Maa jii ki baat sahi hai Bhabhi jii! Aap apne swaasth par bhi dhyaan dijiye.

Ragini : I just... Nahi! Mein baithi nahi reh sakti. Mein police me complaint likhwaane jaa rahi hu.

Aur Ragini achanak hi uth khadi hui, wo apne kamre me gayi aur fatafat usne ek jeans aur ek top daala aur upar se ek jacket aur wo baahar nikal kar jaane lagi toh Suman ne forun hi apni beti Sonali ko bhi Ragini ke saath bhej diya.

Suman : Sonali ko le jaaiye. Do log rahenge toh accha rahega. Mein aur Aabha yaha rukk ke maali... Matlab Veer jii ka intezaar karte hai tab tak.

Ragini : Haan!

Aur dono Ragini aur Sonali waha se nikal padi.

Par mahaul keval yahi tang nahi tha. Nidhi jisse iss baat ki khabar lagi thi ki Veer ab tak ghar nahi lauta tha wo firse na chaahte hue bhi ab chinta me doobi hui thi. Wahi haal Arohi ka bhi tha apne ghar me. Shayad jald hi kayi calls jaane waale the Ragini ke phone par Veer ke baare me puchne ke liye.

***

Slogan's Hideout...

[Breathe slowly. Yes!!! Calm down!!!]

Idhar Veer ko peetne ke baad wo log araam farma rahe the. Aur Pari uske mann me uski saanso ko santulit karne ke liye usse instructions de rahi thi.

Kayi jagah uske ang khoon se sane hue the. Aur itni maar ke baad zaahir tha ki Veer behoshi me chala jaega. Par wo aadmi uss par paani chhidak chhidak kar usse hosh me rakhe hue the.

Pari se Veer ki haalat dekhi nahi jaa rahi thi. Mann hi mann wo unn aadmiyo ko gaaliya bak rahi thi.

Jab Veer kuch shaant hua toh Pari ne details bharna shuru kiya jo behad zaroori thi.

[Okay! Toh sabse pehli baat. Hamaare paas ab keval 500 points bache hue hai. Baaki ke 1600 points kaha gaye? Quest me nipat gaye wo.]

Veer bas saas lete hue apni adhkhuli aankho se Pari ki baatein sunta jaa raha tha.

[Ab baat karte hai card ki toh... WHAT THE LUCK???]

'...'

[I mean yeah... Kya luck hai tumhaara haan? Tumhe pata bhi hai ye kya hai? Beowulf's blessings!!! Ye legendary cards me bhi top tier card hai. Aur tumhe bas ye 1600 points ki gambling me mil gaya? Just how insane your luck is???]

'...'

[Let me tell you ki iske kya features hai. Sabse pehli baat... Tumhe isse ON karna padega. Matlab equip karne ke baad ye apne aap ON nahi hoega. Kyuki ye thoda alag type ka card hai. Thoda risky bhi hai aur time limited card hai ye.]

'???'

Veer kuch keh nahi paa raha tha mann me par jaise Pari samajh chuki thi ki wo kya kehna chaah raha tha.

[Hmm? Nahi nahi, Time limited ka matlab ye nahi hai ki kuch time ke baad ye card chala jaega. Ye card permanent hai. Time limit se mera matlab ye tha ki tum iss ON karne ke baad bas kuch derr ke liye hi use kar sakte ho aur fir ye waapas se OFF ho jaega. Jab tak ki cooldown period khatam nahi ho jaata.]

'...'

[Ugh! Somehow I'm missing your blabbering... Anyways, dhyaan rahe. Isse equip karne ke liye tumhe SLOT se Bone Reaper hataana padega. Aur tum jaante ho na? Bone Reaper hataane ke saath saath hi tumhari bones waapas se normal ho jaengi. Rib cage fir unbreakable nahi rahega.]

'...'

[Huh? You want to equip it?? Dhyaan rahe ki tum isse fir 24 ghante tak hata nahi sakte SLOT se. Yahi niyam hai SLOT ka. You still want to equip it?]

'....!'

[Ughh!!! Fine! Theek hai equip kar deti hai.]

*Ding*

[Bone Reaper has been removed.]

*Ding*

[Beowulf's Blessings has been equipped.]

[Ye lo. Ho gaya. Ab suno, iske features jaan lo. Dekho card me likha hi hai, 60% increase in senses. Matlab tumhaare senses abhi ke muqaable 60% aur badh jaenge. Chaahe wo sunn'ne kii shakti ho, ya sunghne ki, ya dekhne ki, ya twacha se feel karne ki. Okay? Ye 60% badh jaengi.]

'...'

[Uske baad likha hai +50% in reflexes, agility, speed and healing. This is insane. Tumhaari agility aur speed 50% badh jaegi. By the way agility aur speed ek hi cheez hai. Let's say ki tumhaari agility 100 hai toh wo 50% aur badh jaegi yaani ki 150 pohuch jaegi. This is madness. Tum pehle ke muqaable boht tezz ho jaoge. Upar se healing bhi 50% badh jaegi. Aur toh aur full moon me ye percentage double ho jaenge. A fucking legendary card you got there. Oye sunn rahe ho na?]

Iss baar Veer ne bas haule se haami bhari.

'Mmm~'

[Thank God! Ab main baat par aate hai. Wo hai iska ON/OFF system aur iska risk.]

'...'

[Dekho, tumne card equip toh kar liya hai lekin ye abhi ON nahi hua hai. ON karne ke liye wahi switch hai bagal me card ke bas usse mann me jaake toggle karna hai aur wo ON ho jaega. Par dhyaan rahe...]

'...!?'

[Dekho mene bhi iska usage nahi dekha hai toh kuch na kuch toh hoega. Matlab... ON karne ke baad tumhaari breathing boht tezz ho jaegi. Okay? Tumhaare senses badhenge toh unme ho raha blood flow bhi toh tezz hoega na? Nateeja? Tumhaari saasein tezz ho jaengi. Aur ho sakta hai tum... Ahem... Tum kuch agressive ho jao. Ya zyaada hi agressive ho jao.]

Pari abhi aur kuch baatein kehti Veer se jab achanak hi...

*Click*

*Click*

*Flash*

*Click*

Veer ki aankho ke saamne baar baar roshni ka flash aane laga. Uski photos nikaali jaa rahi thi.

Saamne firse Aatish baitha hua tha aur wo Steve se baatein kar raha tha.

Slogan : Saari photos nikal gayi?

Steve : Jii Dada!

Slogan : Deals ka kya hua?

Steve : Bhargav se paisa mil gaya hai. LA me bhi maal exchange ki baat chal rahi hai. Rahi baat puraani payments ki toh wo mil gayi hai saari. Wo angrezz nahi de raha tha toh usse batti dii hai, kal payment kar dega.

Slogan : Hmm~ Good! Ab yadi mujhe jo information mili hai ki hamaari target iss Veer se prabhaavit hai toh zaahir hai ki iski aisi haalat dekh wo yaha toh zaroor aaegi hahahaha~ Steve! Bhejo zara hamaari Kaera ko iski ye photos. Aur likho neeche ki isse bachaana hai toh jald se jald bataaye gaye address par aa jaaye. Wo bhi akeli.

Steve : Jii Dada!

Aur Steve ne Veer ki photos ko Kaera ke phone par bhej diya.

Slogan : Tracking ka lafda nahi chahiye apne ko Steve. Kya hai fir Police ke liye aadmiyo ko bhejna padega taaki wo unhe busy rakh sake. Wo kehte hai na, sher ka shikaar karna ho toh kuch derr bakri ko saamne rakhna padta hai. Samjha na?

Steve : Jii Dada!

Air muskuraate hue Slogan Veer ke paas aaya aur uska chehra uthaate hue dekhte hue bola,

"Ab mein nahi... Tu khud laega usse yaha. Hahahaha~"

Par usse kya pata tha ki jis baat ke liye wo khush ho raha tha. Veer ko yaha kuch alag hi praapt ho chuka tha. Kuch aisa jis se shayad Slogan ki khud ki dhajjiya udd sakti thi.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Next update is full of action.
Apna apna kaam kar ke jaane ka tab tak. 😁

Dhanyavaad!
 
Werewolf

ʏᴏᴜ ᴀʀᴇ ᴀʟʀᴇᴀᴅʏ ᴜɴᴅᴇʀ ᴍʏ ɢᴇɴᴊᴜᴛꜱᴜ
Supreme
11,167
88,189
259
Sandar fantastic update

Z
Superb update

Nice update

Amazing update bhai...

Awesome update bhai keep posting

Nice update

Superb update

Sandar jabardast part tha bhai

What a great update bro just amazing.

Jabardasttt Updateee

Maza aagaya padhkeee.

:superb: :good: :perfect: awesome story hai bhai,
Behad hi shandaar, lajawab aur mind blowing update hai bhai,
Ye Kishore to had se jyada nich nikla hai, veer ko bachane ke bajaye aur marne ka tamasha dekhne ke liye logo ko bhej diya hai,
Vahin idhar aakhir kar veer ko ek aur legendary card mil hi gaya hai,
Ab dekhte hain ki aage kya hota hai,
Waiting for next update

Bhai intezaar to lamba chala pr ekdum mast rapchik update lekar aye ho veer ne apne mind power ko max tak use krna seekhta ja rha hai tabhi to itni badi planning kr chuka tha but ye kishor MC par bhut gussa ayea tha sale Teri ladki ko jisne bachaya agar uske liye Tumhari beti ke dil Mai feelings jagh gayi to Tumhari kyu sulag rhi usko bhi marne tk ja chuka ye nhi socha iske baad keara ka kya hoga wo toot kr bikhar jayegi fir gand Mai ghused le apne bussiness Or power ko jab use handle krne wali hi Sahi na rhi to.

But veer ne kya dhoyea sabko maza hi aa gaya or sath Mai jo dimaag Mai ek baat bahut time se ghoom rhi thi wo bhi clear ho gyi ki ragini apne veer ke pyaar Mai padh chuki hai.

Veer ki ye new skill dekhte hai age kya kya changes lati hai uski jindagi Mai or remaining points kha use krta skill upgrade Mai ya stats Mai mazedaar hoga next update to or bhi

Fantastic update 👍👍
Waiting for next update

वाव
वाव
वाव
क्या लिखूँ
क्या कहूँ
मैं निरुत्तर हूँ
मैं लाजवाब हूँ
वाह भाई वाह

Shandar action ....and at the last LEGNDARY CARD...Dammmmmmm so powerfull
Keep going.......

Update is damn good bhai... Awsmmm superbb.....
waiting for next update....

ZaBarDast update tha Bhai agar ese update dete rohoge to late hone par koi masla hi nahi Hoga agle update ka intezar Rahe ga

Superb update

Uttam Lekhni ka Prayog Werewolf bhai...Waiting for Next Update Eagerly...

Update is awesome and want 3 more updates this week and glimpse about mother son first meet ...
Waiting for next update!!!!!!

Shaandar update bhai

Update issi thi jaisy koi action movie ka scene ho kamal hai yaar maza a gya or veer ka wo legendry card Sony pr sohaga

Fantastic mind-blowing update

Super awesome update.

Superb one. Aakhir quest mein se kuchh to kaam ki cheej mili.

Mast update.

Nice mast update bro

Fantastic update bro

fantastic update

Bhai gajab ka update tha kaera ke dil me veer ki bahut khaas jagah ban chuki hai and finally itne points invest karne ke baad ek legendary card aur wo bhi itna khatarnaak bhai ab to veer almost incredible ho jayega

Nice update

Waah yaar superhit update, gajab maja aa gaya

To ye saala Kishor bhi kemeeno ka sartaj hai jo apni beti ki khushi nahi dekh sakta. Suhana ne bhi apne ghamand mein Veer ko proper back upnahi diya. Bechare Veer ke itne saare points chale gaye trash card mein but last mein sahi card mila. Ab dekhna hai ki wo iss card se kaise help le pata hai. Superb update.

Jabardast update

Just mind blowing update 💝 ❤️ 💝 ❤️❤️❤️

Heavy update 🔥🔥

Super awesome updates

It was Worth waiting

Nice update dear

Zabardast action bhai story puri holywood action movie ki tarah chal rahi...

Very nice bro ❤️ waiting for the next

Ye wahid story hy jis ki update without picture bhi parhny ka dil krta hy Werewolf keep it up buddy ☺️☺️☺️

Nice update...

Nic update

Bohot hi शानदार जबरदस्त लाजवाब update bhai jannn

Aur abhi veer sab ki vat lagayega chalo dekh ते hey

Fantastic update Loaded with thrill and suspense…👏🏼👏🏼👏🏼👏🏼👏🏼

Nice update.

Bichaare veer ko kitni maaar pari or kaera ka baap kaisa he apni beti ki khushi nhi chahta nice update

भाई साहब....... 🙏

देरी से आए पर भूचाल लेकर आए, मज़ा आ गया

Superb update Bhai

Veer ko leker sab pareshan h Kaera n apne baap se madad mangi tow uska baap sochne laga ki kaera ek ladke k liye kyon itna paresha h usne madad bheji bhi tow yeh bol ker door se maza or ager bach jaye tow Veer ko hi maar do saala bahot kameena h yeh Kishor
Udher Ragini or suman bhi paresha h aakhir kaha h Veer lekin uneh kia pata ki Veer kitni badi museebat m fasa huwa h
Tow Veer ko utha le gaye Slogan k aadmi or kisi doosri hide out m rakha h saare banse apni bhadas nikal rehe h mirror Gallery wali veer ko peet ker
Yeh laga Sixer ab mila zaberdast
LEGENDARY CADR
Ab dhoyega VEER sabko achche se jaise dhoobi dhota h kapde dhobi khaat per
Behad shaandaar zaberdast lajawab update bhai
Ab agle update ka or ziada besabri se intizar rehega
Dekhte veer ab kon kon se dhamake karega

Mast update bhai akhirkar veer ko ek legendary card mil hii gaya ab to in logo ka khair nahi dekhte hai kaise slogan ki bajate hai... Suhana to ab jada hii attract ho raha hai dekhte hai aage kya hota hai

Happily surprised to see this update- i) first coming in an unexpected time and ii) quality of the update.

Worth the waiting you had subjected your readers to.

Well done Werewolf bro .

Wonderful update...

Last wala jabardast seen bro

Nice update...

gajab ka update tha. Ye kaera ka baap kishor to sabse ghatiya insan nikla jo apne beti ko bachanewale ko maarne ka soch raha hai 😡😡..
Aaj waqt pe madad nahi aa paayi veer ke liye na jassi se naa suhana se ..aur veer fans gaya slogan ke changul me ..

Pari ka veer ke liye sochna dil ko chhu gaya 😍😍 aisa laga ki pari koi ladki hai jo veer se pyar karti hai aur uske liye wo veer ko bhagne ko keh rahi hai .

Mast fabulous update

Awesome update bhai waiting for next update bhai ek request he agala update jaldi de do kahani jis mod pe ruki he intazar karna mushkil hoga

Bahut hi shandaar update hai bhai maza aa gaya

Waiting for the next update bro

Super update hai Bhai

Superb update bhai
Agle update ka besabri se intejaar rahe ga

Nice update bhai...

Awsm update bro but ye kisor se veer ko milwa do to kisor ka reaction kya nikal ke ata he ab veer kese bachega wo to dakhegehi but ye card mai kon kon sa Power he thoda jaldi batao bro bdw bro veer ke diwanio ke list badte ja rahe he or Ragini ka scen kya he ye v dakhna he overall dil khus kar diya ye update pe nd kavi kavi surprise update de diya karo bro

Nice update and bro 2 din baad update diya karo aisy Maza nahi ata

Bahut hi shaandar update diya hai Werewolf bhai....
Nice and beautiful update.....

Awesome Bhai maza aa gaya

Update 59 se padhi hi naa hai maine :noo:... Ab 4 update ek saath padhunga :yes2:.

Super wonderful awesome update

Superb update

Extraordinary update,

Very exciting one ....

Superb

Bahut badhiya update

वीर ने बिलकुल सही फैसला लिया है, शायद उसके पास और कोई उपाय ही नहीं था।

Superb update bhai

Warewolf brother abhi bhi 2 din baad hi aayega update ya thode jaldi de doge because bahut time baad to ek update mila hai ha wo ek mega update tha aur bahut hi zabardast update tha but next update jaldi dene ka try karna

Vary vary good and fadoo update bhai

Shandaar update..!!
Veer ne kaera ko bacha toh liya lekin waha ruk ke bahot badi problem me fas gaya..kaera ne bhi veer ke liye bahot sare emotions feel kiye aur usne apne baap kishor ko bhi bata diya veer ke bare me lekin kishor toh bada harami aadmi nikla..usko toh bas apni beti kisi machine ki tarah chahiye jo kaam karti rahe aur kisi ladke ke sath involve na ho..kishor ne toh veer ko Marta huva dekhne ke liye apne aadmiyon ko waha bheja tha..lekin veer ka kidnap hogaya..!! Suhana ne bhi apni team bheji lekin woh bhi veer ko dhundhane me fail rahi aur suhana ki dost ne suhana ki veer ke liye itni care dekh kar suhana se puchha toh suhana blush kar rahi thi..matlab suhana ke dil me bhi kuchh toh hai veer ke liye..!! Idhar Ghar pe Ragini aur Suman bhi pareshan hai aur Ragini ki veer ke liye fikr dekh kar Suman samajh gayi hai ki Ragini veer se pyaar karne lagi hai..waise yeh bhi achha hai kyunki ab usko Vivek ko divorce dene me taklif nahi hogi..ab dekhte hai ki Suman Ragini ki feelings ke bare me veer ko kab batati hai..!! Veer ne itne sare points gawa ke legendary card pe jo daav khela uska fayda toh usse huva wolf ka legendary card jitkar..ab dekhte hai veer kaise iska use karke waha se niklta hai..!!

Superb Update Bro...
Waiting for Next

Bhai...Yadi Update uske time pe nahi aaya tha ...toh so jana chahiye tha...jagkar intezaar karne ki jarurat nahi thi...yadi writer update kar bhi deta...toh agle din use read kar saktey hai....Sona jaruri hai. chaiye akele So ya kisi saath 😀😀😀😀

Ultimate bro

Super awsm update
To gud luvd it.
Waiting eagerly for next update
PlZz bhai cont asap.
T.c

Waiting for next update Bhai

Nice update

Super update bro

Veer Muskuraya...to Mubarakho🤝ab bantar logon ki maa chu*ne wali hai😆😆

Kyu wolf bhai....shi bola na apan ne🤔🤔

Shandar update bhai

Lo ho gaya jii....
Ant bhala to sab bhala....

Behad hi shanadar or jabardast update bhai.
Bahut khoob superb.

Mazaaaa aa gaya bhai waah....

Zabardast update

Superb update :applause:

Superb update

Fabulous update tha bro

Waiting for next update bro

Just fantabulous update Werewolf bhai......

excellent fantastic update

Superb update bro

Awesome update

Nice update 🤠🤠🤠

Nice update Bhai majja aa gya
Ab dekhte veer kia karname krta hai

Nice update 🤠🤠🤠

Sir g ajj update misakta haa kya

Eagerly waiting for next update brother

Awesome update 🤠🤠🤠

ek writers ke liye har character ke saath poora poora insaaf karna bohat hi mushkil hota hai...................

werewolf bhai ne story me mojood sabhi chatacters ke saath bohat hi achhe se insaaf kiya hai......
aisa karna har writer ke liye easy nahi hai...

werewolf bhai ne story me mojood all females charactes ke ilawa abb tak jo sabse best character hai wo to hai hi hamara hero veer .......
lekin veer ke baad mujhe agar is story me kisi male character ko padh kar maza aaya.

to wo hai "pranjal" ka character

wereworf saab ne "pranjal" ke character ko bohat hi achhe se pesh kiya hai.....
us ke liye main werewolf bhai ko dil ki gehraaiyon se salaam pesh karta hoon.

haan ek baat mann me hai k kuch aisa ho k "pranjal" veer ke liye future me
ek bada khatra bane........ baki villain to story me aate hi rahenge lekin...

pranjal bhi ek dhamakedaar villain ke character me ubhar kar saamne aaye to maza hi kuch aur ho ......
har writer ne story likhne se pehle kuch na kuch soch rakha hota hai...
maine to waise hi jo dil me aaya. to ek suggestion de diya......

Thanks To All Readers And Writers................Bye

Are bhai ye kya likh diya aapne
Hands down the best shit I ever read in xforum
I was searching for this kinda story for a lot of time and read a few but none of them were good enough to continue but your's is something else
Your choice of words, emotions, characters everything is just too perfect
I'm glad that you didn't rushed into the character instead took time to develop it
This story has everything I can ever imagine in a story
Family,love,betrayal, teacher, lessons,
This is a masterpiece
One more thing I loved about this story is that it is almost non sexual and you just didn't forced any sexual shit
You are a hell of writer brother
It took me two days to read all of the updates and I didn't regret it

Thank you for giving us this masterpiece

Love and respect

Intjaar....

Update kab ayega 😐

Aaj update aayega kya bhai

Superb shaandaar update

Sabse best update tha ye wala. Surprising & intresting vo vala scane lga jisme kaira ke dad ke masube jahir hue. Offcourse legendary card ke baad veer takatvar bann jayega our sayad slogan ko takkar bhi de payega but vo un logon se kaise defende kar payega Jo unki najro se dur uske Hani pahunchane ki chestha me khde hai ! Just like Kiara's dad... Sacch me bahut kucch majhedar hone vala hai

Btw kucch harishchandra ke chahete ye chahte hai ki story me sexual seen na creat ho to bhi story badiya hogi. But yaaro sexual seen ke bina ye ek thriller film ki script ho jayega. Ab aisa masala bahut se novels me, ya fir bahut se non erotic forum hai jisme masterpiece thriller, suspense our romance vali story padhne ko mil jayegi. Yha es adult forum me sexual seen hi un stories se hatke banate hai ... I know Werewolf vro ki apne story ke plot me hi k sexual seen add karne ke bare me mann bna liya hoga.. so vro kuch mahanubhav ke sujhao me akar hot seen erase matt kar dena 😀... Hum jaise thode se tharki readers ka bhi khayal karna 🤐

Aaj update aayega na werewolf bhai

Superb update

Ok.

Waiting for Aaj Raat.

Wah bhai sahab... Wo kehte hai na ki der aaye durust aaye...
Veer ko bachaane ke liye kaera ne apne baap se madad mangi thi aur wo veer ko hi tapkaane ke bare me sochne laga.
Aakhir iske dimaag me chal kya rha h?
Khair...
Apna hero veer to hamesha ki trh khatro ke bich ja kar fas gya h.
Aur uske bahut saare points v barbaad ho gye..
Lagta hai saale ki kismat hi jhand h 😆
..
Pari ka behavior me shayad ab kuchh changes dekhne ko mile.
Baaki hameshaa ki hi tarah dil jeet lene wala update tha Werewolf bhai...
Shandaar

Waiting next

Ok Bhai waiting

Waiting for next one

This is what makes you one among great writers.....

Bhai update kab tak doge

Bhai aaj update mile ga kya

Jaldi jaldi update dedo bhai aur wait karna possible nahi ho ra

SUPERB AWESOME FANTASTIC EXCELLENT AND INTERESTING UPDATE BHAI

Zabardast fantastic update waiting for next

Waiting seth......

Waiting bro

Waiting for update

Waiting for update brother
Update 64 has been posted.
 
1,204
3,114
143
Update - 64 ~ Help on the way
Ab tak...

*Ding*

[You have received a Legendary Card.]

[This... Omg!?? No waayyyyyyy!!!]

Aur Pari ke reaction ki awaaz sunn, iss baar maar khaate hue bhi Veer ke hontho par ek muskaan thi.

Ab aage...

Kishor's Villa...
11:15 PM...

Jaha Veer ka koi thikaana nahi mil raha tha dhundne par wahi iss waqt, Mumbai me hi Kishor apne khud ke aalishaan villa me iss waqt night wear waale kapde pehne apni ek chair par baitha hua book padh raha tha. Jaise usse koi fiqr hi nahi thi.

Kaafi derr se wo aise baithe hue tha jab uske room ka darwaaza khula aur ek ladka uss kamre ke andar daakhil hua.

Wo ladka keval ek full black t shirt aur neeche blue coloured jeans pehne hue tha. Kishor ne apne peeche se kisi ke aane ki aahat paate hi book band kar dii aur bina uss ladke ko dekhe hi pucha, "Kaha the itni derr tak?"

Uske sawaal par ladke ne jawaab diya, "Mene aapko jataaya tha ki mujhe aane me thoda late ho jaega."

Kishor : Hmm! Thoda nahi kuch zyaada hi late ho tum.

Kishor ne side wall me lagi ghadi ki orr dekhte hue ishaara kiya, jisme samay 11:15 ho raha tha.

Ladka (sighs) : Kaam tha. Isliye... Thoda late ho gaya.

Kishor : Accha!? Theek hai. Par apne samay ka dhyaan rakha karo Karan. Mujhe poke na karne pade tumhe baar baar.

Karan : Jii!

Late aaya vyakti koi aur nahi, Kishor ka apna beta Karan hi tha. Aur Kishor shayad uske late aane se thoda disappointed tha.

Kishor : Jao ab.

Karan : Mujhe kuch baat karni hai aapse.

Kishor : Kesi baat!?

Karan : Aapko pata hai dii ke baare me? Kuch derr pehle kya hua?

Kishor : Hmm~

Karan : Toh? Aapne kya action liya?

Kishor ne iss baar palat'te hue apne bete ki orr dekhte hue kaha, "Tum kab se mujhse sawaal jawaab karne lage?"

Karan (frowns) : Baat meri dii ki hai. Unke upar hamla hua tha. Wo toh accha hua Veer waha tha otherwise...

Kishor : Hmm!? Veer... Tum kaise jaante ho usse? Huh?

Karan : Mein... Mein uss se mil chuka hu.

Kishor : Ohh! Aur ye baat tumne mujhe bataana zaroori nahi samjhi?

Karan : Wo... Bas choti sii mulaqaat thi.

Kishor : Hmm~ Toh!? Kya pata chala uske baare me?

Karan : Matlab?

Kishor : Mera matlab tum uss se mile ho toh itni derr milne ke baad kya kuch jaan paaye uske baare me?

Karan : Wo... I don't know much. Itna pata hai ki wo ek accha ladka hai. xxxxxxx college me padhta hai. Abhi abhi khud ka food truck shuru kiya hai shayad usne. Overall, mujhe uska first impression accha laga. Not to mention ki usne dii ko do baar bachaaya bhi hai.

Kishor : Hmm? Do baar?

Karan : Aapko nahi pata? Uss time jab dii par club me attack hua tha? Veer ne hi dii ko waha se safely Raghu and Jassi Sir ke paas pohuchaaya tha.

Kishor : Ohhh!

Karan : Hmm! Aur meri abhi Raghu se baat hui hai. Usne bataaya mujhe kitna kuch ho gaya hai. Dii toh waapas aa rahi hai uske saath par Veer mushqil me hai. Kya aapko nahi lagta ki aapko iss waqt kuch karna chaahiye!?

Kishor : Kya chaahte ho tum?

Karan : Mein... Mein chaahta hu ki aap Veer ko kisi bhi haalat me waha se bacha ke laaiye.

Kishor : Bas!?

Karan : Huh!??

Kishor : Tumhaare aane se pehle hi mujhe Kaera ka phone aaya tha. And for your information Mister Karan, mene uss Veer ke liye help bhej dii hai. Copter bhi bheja hai saath me.

Karan (surprised) : That...

Kishor : Yadi baat ho gayi ho, toh tum jaa sakte ho.

Karan : J-Jii!

Karan sarr jhukaate hue waapas mud jab jaane ke liye hua tabhi ek baar fir Kishor ke room ka darwaaza khula par iss baar boht hi tezz jhatke ke saath aur andar jaldbaazi me koi daakhil hua.

"F-Father!!!!"

Karan : Diii!!!!

Kaera, jo ki Raghu dwara Mirror Gallery se safely rescue kar lii gayi thi wo apne ghar pohuchte hi seedha apne pita ke room me ghus aayi.

Bagal me khade apne chote bhai Karan ko usne ek jhalak dekha aur fir waapas se apne pita ko dekh aage badhi.

Kaera : Father! Wo... Veer... He's in trouble.

Kishor apni beti ke sawaal ka jawaab nahi diya. Wo bas Kaera ko dekh ke kuch parakhne ki koshish kar raha tha. Shayad soch raha hoga ki bhala meri beti, jo itni badi company ki maalkin hai wo kisi aerre gerre natthu kherre ke saath kabse dosti karne lagi? Shayad uske mann me khatre ki ghanti baj rahi thi.

Kishor : Mene uske liye help bheji hai na beta?

Kishor kehte hue utha aur apni beti ke paas aaya aur usse gale se laga ke dheere dheere uske sarr par haath ferrne laga.

Kishor : Tumhe kuch hua toh nahi!?

Kaera bechaari kuch keh hi na paayi. Aisa boht kam hi hota tha jab uske pita usse apne gale se laga ke kuch kehte the.

Kaera : I... M-Mein theek hu but Veer.

Kishor : Don't worry! Mene help bheji hai na? Sab theek ho jaega. Okay!?

Kaera : Mm~

Kishor : Chalo! Jao ab tum sab apne apne kamre me aur rest karo. Okay?

Ye jaise request nahi thi balki ek order tha. Kishor ne na fir unhe dekha, wo seedha palta aur apne jeb se ek cigarette nikaal ke usse light kiya aur muh me rakh kar ek kash lagaate hue wo waapas se apni kursi par wahi book liye baith gaya.

Jaise maano uski taraf se sab sahi tha aur ab kuch faaltu baatein karne ki koi zaroorat nahi thi.

Kaera samet Karan dono hi baahar nikle toh Kaera bina kuch kahe apne room me jaane lagi. Uski haalat boht hi unstable sii thi. Uske mann me bas wahi manzar baar baar chal raha tha jisme Veer ki akhiri muskaan dikhaayi de rahi thi usse aur fir baad me uss gate ka band ho jaana. Yahi sab soch soch ke Kaera itni ghabraayi hui thi ki usse khud nahi pata tha ki uski haalat kesi ho gayi hai.

Karan apni badi behan ko dekh aaj itna toh jaan gaya tha ki uski didi koi robot nahi hai. Wo bhi ek insaan hai jo sab kuch feel kar sakti hai. Dusro ki fiqr kar sakti hai, unki chinta kar sakti thi. Aur Karan ko toh jese bas yahi chaahiye tha.

Karan : Dii!?

Usne haule se chalte chalte hi peeche se bulaaya. Kaera uski pukaar sunn palti par kuch na boli.

Karan : Aap theek ho na?

Ek baar fir Kaera ne koi jawaab na diya. Uski aankho me aasu the. Usne palke jhapkaate hue Karan ko nazre utha kar kuch pal ke liye dekha.

kendall-jenner-cry

Karan ne usse dekh kuch socha aur fir kaha, "Kya mein aapka phone dekh sakta hu?"

Kaera bina kuch kahe hi uske haath me apna phone thama dii aur fir wo mud ke apne kamre me jaane lagi.

Uska ye ravaiyya dekh Karan bas pheeki sii muskaan liye wahi deewaar se tik ke khada ho gaya aur apni badi behan ko yu jaate hue dekhta raha.

Aaj bhi wahi hua, harr baar ki tarah. Na jaane kab unn dono ke beech ka ye rishta badlega?

Kya hua tha inn dono ke rishte ko? Kyu Kaera ne Karan ke sawaal ka jawaab nahi diya? Iski kahani inke ateet me hi chhipi hui thi.

Bachpan me, jab Kaera se uski azaadi chheeni jaa rahi thi yaani ki jab Kaera ko uski Maa ke chale jaane ke baad se band bangle me padhaaya likhaaya jaa raha tha tab umr me badhte hue Karan ke liye aisa kuch nahi tha. Uske liye sab kuch normal hi tha.

Wo auro ki tarah ghumne firrne jaata, wo khul ke kahi bhi jaa sakta tha, wo school jaata tha, apne dosto ke sang khelne toh kahi uske dost uske ghar aake saath me khelte the. Aur issi beech wo apni jab badi behan ko yu bas padhte hue dekhta tha toh usse aisa lagta tha ki kitni boring hai uski behan.

Jab dekho tab padhayi me lagi rehti thi. Ek prakaar se Karan ne Kaera ko apni asli behan ke roop me dekha hi nahi tha. Jab aapki baat hi na ho kisi se toh aap naturally unme apna rujhaan kho baithate ho. Yahi hua tha Karan ke saath bhi.

Wo bhool chuka tha ki uski apni behan bhi hai. Aur wo bas apne enjoyment me jeene laga. Pita paisa dete hi the usse. Usse bas ek hi kami mehsoos hoti thi wo thi apni Maa kii jisse wo theek se jaan bhi na paaya. Kyuki uske janm ke kuch saal baad hi uski Maa ye duniya chorr kar jaa chuki thi.

Par Karan ko nahi pata tha, ki jab jab wo khule aasmaan me apne dosto ke sang apni azaadi manaata tha tab tab bangle ki upari manzil ki khidki se uski badi behan usse ek aas liye dekhti thi. Ek aas ki usse bhi kaash baahar jaane milta.

Dheere dheere wahi aas kab ghrina me tabdeel ho chuki thi, ye baat swayam Kaera bhi nahi jaanti thi. Uske bhai ko saari azaadi thi, fir usse kyu nahi? Kyu wo ek jail me qaid mujrim ke samaan ka jeevan jee rahi thi apne hi ghar me? Sawaal toh dherr saare aate the uss waqt uske mann me.

Par unn sawaalo ko lagataar padhayi, shishtachaar, ghar ke prati zimmedaariyo ke lessons ne jaise daba ke rakh diya tha. Harr rozz professors aate aur Kaera ko ye samjhaate ki usse kya bann'na hai. Iss beech jo ghrina uske andar thi, wo thi zaroor par jaise wo apna kaaran ya maqsad bhul chuki thi. Bas kahi chhipi hui thi andar.

Fir wo din aaya, jab Kishor ne Karan ko baahar bhejne ke liye padhne bheja. Karan apni badi behan ki baato se pare padhne ke liye videsh gaya. Apni behan ki hi tarah wo bhi business ke liye hi studies karne gaya tha jab usse ghar se dur rehke kayi baato ke baare me pata chala.

Usse dhyaan aaya ki uski behan bhi toh hai aur kitni kam baatein hoti thi unke beech. Videsh me jab usne apne dosto ki behne dekhi aur unke beech relationship ko. Toh usse jaise samajh aaya ki wo kitna galat kar raha tha apni behan ke saath.

Aur fir usne chhaan been shuru kari ki akhir kyu uski behan band bangle me raha karti thi aur kyu usse itna padhaaya jaata tha. Jab Karan ko baat samajh aayi toh usse bas glaani hi mehsoos hui.

Kitna nasamajh tha woh. Kitna kuch kar sakta tha wo apni behan ki khushiyo ke liye par usne kiya kya? Kuch bhi nahi.

Aur tab se hi uski behan Kaera usse aise dekhti thi jaise maano kisi anjaan aadmi ko dekh rahi ho. Wo jo ghrina thi Kaera ke mann me wo abhi bhi thi par Kaera ab ye nahi jaanti thi ki kyu wo aisa feel karti thi.

Jaise maano wo bhul gayi thi. Karan ko iss se pehle kabhi kisi ke liye itni peeda mehsoos nahi hui thi. Wo ye bhi maanta tha ki shayad Kaera uss se ek aur kaaran se naraaz rehti thi wo ye ki uske janm ke kuch saal baad hi unki Maa ka dehaant ho chuka tha.

Ab kya ye sach tha ki Kaera usse iss baat ko lekar bhi hate karti thi? Ya nahi? Ye wo nahi jaanta tha par maanta zaroor tha ki ek ye kaaran bhi ho sakta tha.

Aur tab se hi usne Raghu ke contact me rehna shuru kiya. Usse samajh aaya ki uske Dad ne uski behan ko kaise ek robot bana ke rakh diya tha.

Aur isliye, usne apni shuruaati padhaayi poori kar waapas Mumbai aane ka faisla liya. Woh faisla ki wo apni behan ko pehle jaisa kar ke rahega. Jo bhi galti uss se past me hui, uski bharpaayi kar wo apni behan ko wo puraana jeevan lauta ke rahega.

Aur kuch samay baad hi usse pata chala Veer ke baare me. Usse pata chala ki Veer naam ke kisi ladke ne uski behan ki jaan bachaayi thi.

Yaha tak ki uss se milne ke baad uski behan ke chehre par muskaan bhi thi. Maano jaise ek raah nazar aayi thi Karan ko. Shayad wo apni dii ko pehle jaisa bana sakta tha!?

Mumbai aane ke baad isliye usne sabse pehle Veer se milne ka faisla liya. Wo dekhna chaahta tha usse, parakhna chaahta tha, kahi ye vyakti uski behan ke liye koi khatra toh nahi tha?

Aur milne ke baad hi jaise uske saare doubts clear ho chuke the. Veer hi tha wo insaan jo uski behan ko sahi kar sakta tha.

Aaj jab usse pata chala ki Veer ne ek baar fir uski behan ko bachaaya apni jaan jokhim me daal ke toh uske mann me jo Veer ki jagah thi, uska sthaan aur upar ho chuka tha. Ab toh woh waqai dil se genuinely uska dost bann'na chaahta tha.

Kyuki wo jaanta tha, ki yadi uski behan me koi badlaav laa sakta tha. Toh woh tha ~ Veer!!!

Wo soch hi raha tha khade khade jab uske bagal se aake Raghu khada ho gaya.

Raghu : Bad News!

Karan : Kya hua?

Raghu : Jassi ka call aaya abhi. Veer ka koi pata nahi mil raha. Wo log shayad usse utha ke le gaye hai.

Karan (shocked) : Kya???

Raghu : Haan! Usne kaha hai Miss ko na bataane ke liye.

Karan : Par... Ye toh... Shitttt!!

Karan khud parershaan ho chuka tha. Jis shaks ke baare me wo abhi kuch derr pehle soch raha tha ki ye vyakti hi uski behan ki madad kar sakta hai ab toh wahi vyakti gaayab ho chuka tha. Jhatka toh lagna hi tha.

Karan : Toh abhi kya?

Raghu : Abhi... Jassi ne orders diye hai isse dhudne ke. Dekho, kya hota hai.

Karan : Usse kaise bhi karke dhundna hoga. Kaise bhi kar ke. Usse kuch hone nahi de sakte hum.

Raghu : Tum kab se usme itna interest lene lage?

Jab Raghu ne ye sawaal pucha toh Karan apni nazre churaate hue palat gaya.

Karan : Don't ask me. Bas itna samajh lo ki... Wo important hai.

Raghu : Well! Jaisa tumhe sahi lage. Aur tum mujhe bhaiya ya Sir kehke kab bulaoge haan? Tumhe pata hai mein 29 ka hu aur tum 20 ke.

Karan : Tumhe dekh ke Sir bulaane waali feeling hi nahi aati.

Raghu : What the...!? Aur Jassi ko Sir kyu fir?

Karan : Well! Unhe dekh kar aati hai. He's more... Umm... Professional.

Raghu : Tch... Keval do saal hi toh bada hai wo mujhse.

Karan : Yeah... yeah!!!

Raghu : Anyways! Mujhe jaana hoga. Jassi ko help ki zaroorat hai.

Karan : Raghu...

Raghu : Hmm?

Karan : Mujhe bhi le chalo. I need to find him.

Raghu : Hein? Oo bhai, tumhara koi kaam nahi hai waha. Wese bhi yadi tumhe kuch hua toh Boss meri khatiya khadi kar denge.

Kehte hue jab Raghu jaane ke liye hua toh iss baar Karan ne uska haath pakad uski aankho me dekha.

Karan : Please!!!

Aaj pehli baar Karan ne uss se please bola tha. Bhale hi Karan usse bhaiya kehkar nahi bulaata tha par ye please apne aap me special tha Raghu ke liye.

Raghu (sighs) : Theek hai. Par ek shart...

Karan : Treasurer Luxury Black!

Raghu (smiles) : Hahaha~ Kitna acchi tarah samajhte ho mujhe. Dekha! Mein kitna easy to understand hu. Kaha tum lage uss Jassi ki tarafdaari karne. Chalo aao. Leke chalta hu tumhe.

Aur Raghu uske kandhe me haath daal usse le jaane laga. Karan bas ek raahat bhaari saas liya aur uske saath chal pada.

Raghu jab bhi apni shart saamne rakhta tha, aksar uski shart yahi hoti thi. Treasurer Luxury Black. Ye ek cigarette thi.

Aur ye import hoke Karan ke pita, Kishor ke liye aati thi. Kitni mehngi thi ye bataane ki zaroorat bhi nahi thi. Ab Karan ka ek kaam badh gaya tha, wo ye ki shart ke mutaabik usse ab kam se kam ek dabba nikaal ke Raghu ko dena padega.

Aur ek aur kaam ye ki unhe yaha se nikalne ke liye neeche guards ko pataana padega. Warna yadi unme se kisi ne bhi upar jaake Kishor ko bataaya toh Karan ki shaamat aa jaani thi fir.

***

Ragini's house...

Ragini ke ghar me mahaul kharaab tha. Matlab waqai kharaab. Ragini chinta ke maare idhar se udhar ho rahi thi aur ye faisla ni le paa rahi thi ki kya kare?

Kya police ko inform kar de? Ya nahi?

Wo Arohi ko phone laga ke puch chuki thi, Veer ki ma'am Nidhi madam se bhi uski baat ho chuki thi par dono hi jagaho par Veer ka koi thikaana nahi tha.

Ab aise me hi ek hi option bachta tha wo tha police.

Par dikkat ye thi ki Ragini sure nahi thi ki Veer waqai laapata hua hai ya nahi? Aisa na ho ki wo Police ko bulaane jaaye aur fir Veer aa jaaye. Ya aisa na ho ki wo Police ko na bulaaye aur Veer ke saath koi anhoni ho jaaye!?

Dono hi sawaalo me wo iss waqt phassi hui thi. Kya kare? Aur kya na kare?

Tabhi peeche baithi Suman ki awaaz uske kaano me padi, "Aap shaant ho jaaiye Ragini jii!"

Ragini : Kese shaant ho jau mein Suman jii? Din ka nikla hua hai woh aur kabse call kar rahi hu, ek call nahi uthaaya hai usne. Na hi koi jawaab de raha hai. Arohi se pucha udhar bhi nahi hai woh, Nidhi Ma'am ko lagaaya call mene udhar bhi uska koi ata pata nahi hai. Kese shaant ho jau aise me mein?

Suman : Aapki baat sahi hai par... Tension lene se kuch haasil nahi hoga hai na?

Aabha : Maa jii ki baat sahi hai Bhabhi jii! Aap apne swaasth par bhi dhyaan dijiye.

Ragini : I just... Nahi! Mein baithi nahi reh sakti. Mein police me complaint likhwaane jaa rahi hu.

Aur Ragini achanak hi uth khadi hui, wo apne kamre me gayi aur fatafat usne ek jeans aur ek top daala aur upar se ek jacket aur wo baahar nikal kar jaane lagi toh Suman ne forun hi apni beti Sonali ko bhi Ragini ke saath bhej diya.

Suman : Sonali ko le jaaiye. Do log rahenge toh accha rahega. Mein aur Aabha yaha rukk ke maali... Matlab Veer jii ka intezaar karte hai tab tak.

Ragini : Haan!

Aur dono Ragini aur Sonali waha se nikal padi.

Par mahaul keval yahi tang nahi tha. Nidhi jisse iss baat ki khabar lagi thi ki Veer ab tak ghar nahi lauta tha wo firse na chaahte hue bhi ab chinta me doobi hui thi. Wahi haal Arohi ka bhi tha apne ghar me. Shayad jald hi kayi calls jaane waale the Ragini ke phone par Veer ke baare me puchne ke liye.

***

Slogan's Hideout...

[Breathe slowly. Yes!!! Calm down!!!]

Idhar Veer ko peetne ke baad wo log araam farma rahe the. Aur Pari uske mann me uski saanso ko santulit karne ke liye usse instructions de rahi thi.

Kayi jagah uske ang khoon se sane hue the. Aur itni maar ke baad zaahir tha ki Veer behoshi me chala jaega. Par wo aadmi uss par paani chhidak chhidak kar usse hosh me rakhe hue the.

Pari se Veer ki haalat dekhi nahi jaa rahi thi. Mann hi mann wo unn aadmiyo ko gaaliya bak rahi thi.

Jab Veer kuch shaant hua toh Pari ne details bharna shuru kiya jo behad zaroori thi.

[Okay! Toh sabse pehli baat. Hamaare paas ab keval 500 points bache hue hai. Baaki ke 1600 points kaha gaye? Quest me nipat gaye wo.]

Veer bas saas lete hue apni adhkhuli aankho se Pari ki baatein sunta jaa raha tha.

[Ab baat karte hai card ki toh... WHAT THE LUCK???]

'...'

[I mean yeah... Kya luck hai tumhaara haan? Tumhe pata bhi hai ye kya hai? Beowulf's blessings!!! Ye legendary cards me bhi top tier card hai. Aur tumhe bas ye 1600 points ki gambling me mil gaya? Just how insane your luck is???]

'...'

[Let me tell you ki iske kya features hai. Sabse pehli baat... Tumhe isse ON karna padega. Matlab equip karne ke baad ye apne aap ON nahi hoega. Kyuki ye thoda alag type ka card hai. Thoda risky bhi hai aur time limited card hai ye.]

'???'

Veer kuch keh nahi paa raha tha mann me par jaise Pari samajh chuki thi ki wo kya kehna chaah raha tha.

[Hmm? Nahi nahi, Time limited ka matlab ye nahi hai ki kuch time ke baad ye card chala jaega. Ye card permanent hai. Time limit se mera matlab ye tha ki tum iss ON karne ke baad bas kuch derr ke liye hi use kar sakte ho aur fir ye waapas se OFF ho jaega. Jab tak ki cooldown period khatam nahi ho jaata.]

'...'

[Ugh! Somehow I'm missing your blabbering... Anyways, dhyaan rahe. Isse equip karne ke liye tumhe SLOT se Bone Reaper hataana padega. Aur tum jaante ho na? Bone Reaper hataane ke saath saath hi tumhari bones waapas se normal ho jaengi. Rib cage fir unbreakable nahi rahega.]

'...'

[Huh? You want to equip it?? Dhyaan rahe ki tum isse fir 24 ghante tak hata nahi sakte SLOT se. Yahi niyam hai SLOT ka. You still want to equip it?]

'....!'

[Ughh!!! Fine! Theek hai equip kar deti hai.]

*Ding*

[Bone Reaper has been removed.]

*Ding*

[Beowulf's Blessings has been equipped.]

[Ye lo. Ho gaya. Ab suno, iske features jaan lo. Dekho card me likha hi hai, 60% increase in senses. Matlab tumhaare senses abhi ke muqaable 60% aur badh jaenge. Chaahe wo sunn'ne kii shakti ho, ya sunghne ki, ya dekhne ki, ya twacha se feel karne ki. Okay? Ye 60% badh jaengi.]

'...'

[Uske baad likha hai +50% in reflexes, agility, speed and healing. This is insane. Tumhaari agility aur speed 50% badh jaegi. By the way agility aur speed ek hi cheez hai. Let's say ki tumhaari agility 100 hai toh wo 50% aur badh jaegi yaani ki 150 pohuch jaegi. This is madness. Tum pehle ke muqaable boht tezz ho jaoge. Upar se healing bhi 50% badh jaegi. Aur toh aur full moon me ye percentage double ho jaenge. A fucking legendary card you got there. Oye sunn rahe ho na?]

Iss baar Veer ne bas haule se haami bhari.

'Mmm~'

[Thank God! Ab main baat par aate hai. Wo hai iska ON/OFF system aur iska risk.]

'...'

[Dekho, tumne card equip toh kar liya hai lekin ye abhi ON nahi hua hai. ON karne ke liye wahi switch hai bagal me card ke bas usse mann me jaake toggle karna hai aur wo ON ho jaega. Par dhyaan rahe...]

'...!?'

[Dekho mene bhi iska usage nahi dekha hai toh kuch na kuch toh hoega. Matlab... ON karne ke baad tumhaari breathing boht tezz ho jaegi. Okay? Tumhaare senses badhenge toh unme ho raha blood flow bhi toh tezz hoega na? Nateeja? Tumhaari saasein tezz ho jaengi. Aur ho sakta hai tum... Ahem... Tum kuch agressive ho jao. Ya zyaada hi agressive ho jao.]

Pari abhi aur kuch baatein kehti Veer se jab achanak hi...

*Click*

*Click*

*Flash*

*Click*

Veer ki aankho ke saamne baar baar roshni ka flash aane laga. Uski photos nikaali jaa rahi thi.

Saamne firse Aatish baitha hua tha aur wo Steve se baatein kar raha tha.

Slogan : Saari photos nikal gayi?

Steve : Jii Dada!

Slogan : Deals ka kya hua?

Steve : Bhargav se paisa mil gaya hai. LA me bhi maal exchange ki baat chal rahi hai. Rahi baat puraani payments ki toh wo mil gayi hai saari. Wo angrezz nahi de raha tha toh usse batti dii hai, kal payment kar dega.

Slogan : Hmm~ Good! Ab yadi mujhe jo information mili hai ki hamaari target iss Veer se prabhaavit hai toh zaahir hai ki iski aisi haalat dekh wo yaha toh zaroor aaegi hahahaha~ Steve! Bhejo zara hamaari Kaera ko iski ye photos. Aur likho neeche ki isse bachaana hai toh jald se jald bataaye gaye address par aa jaaye. Wo bhi akeli.

Steve : Jii Dada!

Aur Steve ne Veer ki photos ko Kaera ke phone par bhej diya.

Slogan : Tracking ka lafda nahi chahiye apne ko Steve. Kya hai fir Police ke liye aadmiyo ko bhejna padega taaki wo unhe busy rakh sake. Wo kehte hai na, sher ka shikaar karna ho toh kuch derr bakri ko saamne rakhna padta hai. Samjha na?

Steve : Jii Dada!

Air muskuraate hue Slogan Veer ke paas aaya aur uska chehra uthaate hue dekhte hue bola,

"Ab mein nahi... Tu khud laega usse yaha. Hahahaha~"

Par usse kya pata tha ki jis baat ke liye wo khush ho raha tha. Veer ko yaha kuch alag hi praapt ho chuka tha. Kuch aisa jis se shayad Slogan ki khud ki dhajjiya udd sakti thi.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Next update is full of action.
Apna apna kaam kar ke jaane ka tab tak. 😁

Dhanyavaad!
bor
wait karne ka koi fayda nahi hua
 
Last edited:

Jaguaar

Prime
17,680
60,210
244

Bahott hi mastt Updatee thaa. Maza aagaya. Par agar Karan ka kaera ke sang ka relation abhi rokh kar agar Veer ka kuch action dikha dete toh jyaada achha hota. Khairrr next update ka intezaar rahegaa.
 
Devil hunter123

Active Member
901
4,038

Fantastic update
 
Top