• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,202 83.0%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 24 1.7%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 189 13.1%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 33 2.3%

  • Total voters
    1,448

Werewolf

ʏᴏᴜ ᴍᴀʏ ᴄᴏᴍᴇ ᴛᴏ ʀᴇɢʀᴇᴛ ᴛʀʏɪɴɢ ᴛᴏ ᴍᴀɴɪᴘᴜʟᴀᴛᴇ ᴍᴇ
Supreme
11,416
89,067
259
Last edited:

The king

Well-Known Member
4,243
15,466
158
Update - 38 ~ I'm not the same as before
Ab tak...

Aatish muskuraate hue apni hat aur hockey stick uthaaye neeche jaane laga.

'Tumhaare liye ek uphaar hai...'

Soch wo neeche chala gaya.

Par...

Usse nahi pata tha. Ki shayad Veer ko chorr ke usne ek boht badi galti kar dii hai. Shayad apne jeevan ki sabse badi galti...


Ab aage...

Subah ke 10 baj rahe the aur ghar me idhar upar apne kamre me Veer soya hua tha. Kal Nidhi samet sabhi uski haalat ke chalte kaafi tension me the jiske chalte unn sabhi ne Veer ko araam hi karne diya.

Aur yahi kaaran tha ki Veer abhi tak soya hua tha. Ab jab 10 bajte hi uski aankh khuli toh usne saari baato ka jayza liya aur usse samajh aaya ki kal wo kis sthiti me tha.

[Ab aapko kesa mehsoos ho raha hai Master!?]

Bistar par baithate hi usse Pari ki awaaz sunayi dii apne mann me. Usne ye bhi gaur kiya ki usne upar kuch bhi nahi pehna hua tha. Wo poora shirtless tha. Shayad subah Ragini ne firse Doctor ko uska check up karwaane ke liye bulaaya tha. Aur shayad isliye uske badan par shirt nahi thi.

'Mein thik hu, Pari!'

[Phew! Aap ko pata hai aapne kitna darra diya tha mujhe? Mujhe laga tha aap sahi ho chuke ho but fir achanak se hi aapki pulse badh gayi, saath hi saath aapki breathing bhi itni zyaada ho gayi thi ki mein boht darr gayi thi. Accha hua, Ragini ne forun hi doctor ko bula liya. Aap unconscious ho gaye the Master!]

'Hmm? Bhabhi ne doctor ko bulaaya tha!?'

[Yes! Aapki haalat dekh wo toh accha hua ki unka dimaag chala aur doctor ko turant bula liya unhone.]

'I see!'

Veer ki nazar jab saamne ek choti sii table par gayi toh usse kuch jaani maani cheez dikhayi dii.

Wo uth ke aage aaya aur uss cheez ko apne haatho me lete hi uske hontho par ek halki sii muskaan bikhar gayi.

'Abhi tak nahi badli wo...'

[Hmm?]

'Nidhi Ma'am ke baalo me lagaane waali clip. Wo harr waqt utaar ke kahi na kahi rakh deti hai, aur baad me bhul jaati hai. I'm sure ye unhi ki hai.'

[O-Ohhh!]

'Wo kal yahi thi na? Mere behosh ho jaane ke baad kya hua tha, Pari!?'

[Hmm... Aapke behosh ho jaane ke baad Nidhi baaki sabhi se yahi par kaafi derr tak baatein karti rahi. Beech beech me Suman, Kavya aur Arohi aake aapko dekh jaati thi. Raat me Ragini aapko dekhne aayi thi. Uske baad se ab jaake uthe ho aap.]

'Ohhh!'

[Aap... Waqai theek ho na Master!? Even though mujhe andar se sab normal lag raha hai par pata nahi kyu I think aap thode badle badle se lag rahe ho.]

Par Pari ki baat ka Veer ne koi jawaab na diya. Wo bas Nidhi ki clip liye waha se palat kar bistar ki orr aaya.

Apni shirt uthaayi aur usse pehen hi raha tha jab uske kamre me achanak hi Arohi ne dastak de dii.

Arohi : ??

'??'

Kuch palo tak dono ki hi nazre aapas me mili rahi. Arohi kabhi uski aankho me dekhti toh kabhi uske seene ko.

Arohi : Wo... Ab... Tumhe hosh aa gaya! Ab kesa lag raha hai!?

Veer : Behtar!

Veer ka jawaab sunn, Arohi dheere dheere apne kadam badha ke uske sameep aayi aur bina kuch kahe hi, yu nazre neeche jhukaaye uske haath khud-ba-khud Veer ke seene ki orr badh gaye.

Buttons ko haath me le wo unhe band karne lagi. Achanak se iss ravaiyye me badlaav ko dekh, Veer kuch kehne ke liye hua, par uska muh khulte hi band ho gaya. Wo bas yu khade khade apni iss badi behan ko dekhta raha, jo uss se aise nazre churaaye uski shirt me buttons laga rahi thi.

Kya ye wahi behan thi, jo ghar me uss se aaj tak baat karna pasand nahi karti thi? Na kabhi uske baare me sochte thi. Kya ye waqai wahi behan thi?

Yadi haan... Toh fir aaj kese uski behan itni parvaah dikha rahi thi? Kya kaaran yahi tha bas, ki Veer ne uski jaan bachaayi thi. Ya fir kuch aur bhi baatein thi, jinse Veer anjaan tha?

Saari buttons lagaane ki baad akhir kaar Arohi ne apni nazre utha ke Veer ko dekha aur boli,

"Naashta taiyaar ho raha hai. Tum brush kar ke, fresh ho ke neeche aa jao, jaldi se..."

Veer : Hmm!

Arohi : Aur...

Veer : ??

Arohi : Mujhe sab kuch jaan'na hai. Kaha gaye the tum, kis se milne, kisne ye haalat kii tumhari...

Veer (sighs) : Mein unhi se milne gaya tha jo aapka peecha kar rahe the. Ya yu kahu... Ki unhe sabak sikhaane gaya tha. Par... Wo zyaada the.

Baato ko thoda ghumaate hue Veer ne Arohi ko aadha sach bata diya, jisse sunte hi Arohi stabdh reh gayi.

Arohi : T-Tum?? Waha unn gundo ke peeche gaye the??

Veer : Hmm!

Arohi (screams) : Kyuuuuuuuuu!???

Iss behaviour ki Veer ko umeed bilkul bhi nahi thi. Usse bilkul bhi andaaza nahi tha ki Arohi itni zorr se chillaa ke uss se ye puchegi. Uske chillaane se Suman bagal ke kamre se daud ke baahar aayi aur dono bhai behno ko dekh wo wahi darwaaze par khadi ho gayi.

Shayad ye sahi samay nahi tha beech me dakhal andaazi dene ka. Isliye, Suman kuch mann me soch peeche hatt gayi aur apne kamre me aake khadi ho gayi.

Veer : Chillaa kyu rahi ho aap?

Arohi : I... Mera matlab hai... Tum kyu gaye the waha??? Mujhe jawaab do!

Veer : Kyu nahi jaunga? Wo mere parivaar waalo ke peeche pade the. Haath pe haath rakh ke baitha rahunga kya?

Arohi : You...

Veer : Mein aata hu... kuch derr me...

Veer palta aur bathroom me jaane ke liye hua jab usse feel hua ki koi uski shirt ka nichla bhaag pakde hue tha.

Arohi, uski shirt pakad dheere se aage badhi aur iss baar thodi thar-tharaati sii awaaz me boli,

"W-Wahi puch rahi hu mein... Mein kabse... Tumhara parivaar...!?"

Veer : Aankho ke saamne jab kuch galat ho raha ho... Toh aap bhale hi usse nazar andaaz kar do... Par mein kabhi nahi karta...

Uske harr ek shabd kisi khanjar ke bhaati Arohi ke dil me chubh rahe the aur harr guzarte pal usse chotil kar rahe the.

Wo bhali bhaati samajh gayi thi ki Veer kis vishay ki baat kar raha tha. Yahi ki...

Kese wo shuru se Veer pe ho rahe harr ek anyaay ko dekhti aayi, harr ek apraadh ko dekhti aayi par harr baar usne Veer ko nazarandaz kar apna muh ferra tha. Aur yaha aaj...

Veer ne ek baar kya usse musibat me dekha...
Wo usse bachaane ke liye apni jaan jokhim me daal diya.

Kitna antar tha.

Shayad ab, Arohi ko poori tarah samajh aa chuka tha. Kyuki agle hi pal uski aankho se aasu jo behne lage.

Wo aage badhi aur Veer ko peeche se hi usne apni baaho me bhar liya. Uski peeth me wo apna chehra chhupaaye bina koi awaaz kiye bas roti rahi.

Jab wo shaant hui toh Veer peeche mude bina hi bathroom me chala gaya. Aur idhar Arohi usse bas jaata dekhti rahi.

***

Kuch derr baad hi sabhi dining table par baith ke naashta kar rahe the. Veer se sabhi ne uski haalat ke baare me pucha toh usne sabhi ko yahi bataaya ki ab wo behtar hai.

Veer : Tum log ghar nahi gayi, Kavya!?

Kavya : Hmm? Bhaiya! Chale jaenge! Kya ye hamaara ghar nahi? Kyu Bhabhi?

Ragini : Arre arre... Kyu nahi hai? Ye tumhaara hi ghar hai. Jab tak rehna hai raho.

Kavya : Sunn liya na bhaiya? Hehe~

Veer (smiles) : Hmm! Suna...

[Master! Aap ekdum se itne normal...!? Mujhe aisa kyu lag raha hai aap boht badal gaye ho?]

'Uss aadmi ne... Mein bhula nahi hu... Usne mere saath kya kiya hai... Golu ke saath... He will pay for that. Aur meri first priority wahi hai...'

Veer apni soch me doob gaya. Tabhi Arohi ki awaaz usse hosh me laayi...

Arohi : Umm... Bhabhi... Aap kab tak yaha rehne waali ho? Wo... Vivek bhaiya ghar pe kaafi...

Apne pati ka naam sunte hi Ragini ki nazre neeche jhuk gayi aur usne apna chehra bhi ferr liya.

Kavya : Arohi dii... I don't think hume iss baare me kuch kehna chahiye. Bhabhi ka personal matter hai wo. Bhabhi ko hume space dena chahiye...

Arohi : Ahh! Right! T-Tum thik keh rahi ho Kavya... I'm sorry Bhabhi... Mein bas curious thi... Isliye aap se pucha... Kyuki... Ghar me roz hi aapko aur Bhaiya ko lekar topic chidhta hi hai.

Ragini : Koi baat nahi Arohi... Mein bas... Mujhe samay chaahiye.

Arohi : Aap... Aap waapas toh aaengi na?

Kavya : Huh? K-Kya matlab Dii? Waapas kyu nahi aaengi? Bhabhi? Aap kya waqai me...!? No! Aap aise...

Ragini : Mein... Abhi kuch nahi keh sakti Kavya! Mene kaha na... Mujhe samay chaahiye aur...

Kavya : O-Okay Bhabhi!

Kavya aur Arohi ye jaan ke kaafi duwidha me thi ki shayad ab unki Bhabhi Ragini kahi ghar na laute. Unn dono ka hi Ragini se accha relationship tha, jiske chalte wo dono hi kabhi bhi Ragini se alag nahi hona chaahengi.

Idhar Ragini bhi apne vichaaro me leen thi jab usse apne haath par kisi ki hatheli mehsoos hui.

Dekha toh paaya ki...

Uske bagal me baitha Veer uska haath thaame hue tha.

Ragini : Huh!?

Veer : Don't worry! Hum sab aapke saath hai. Aap itminaan se apna faisla lijiye.

Kuch ho na ho, par Veer ki baat sunn ke Ragini ka mann zaroor khush ho gaya tha. Uske chintit chehre par agle hi pal ek smile aa gayi aur usne haule se haa me sarr hilaaya.

***

Nidhi's apartment...

Iss waqt, Nidhi baahar se kuch samaan le kar apne flat ki orr jaa rahi thi.

Aaj Saturday tha toh aaj Nidhi ne chutti lii hui thi. Wese bhi Saturday ko college me bacche boht hi kam aate the.

Wo ek choti sii thaili liye abhi apne flat ka door kholne hi waali thi jab uske peeche se ek badi hi parichit sii awaaz aayi aur uska badan sihar utha...

"Ma'am!??"

Wo forun palti...

Toh dekha ki... Veer uske saamne khada tha.

Nidhi : Veeerrr!?

Veer : Hmm! Aaj aap... College nahi gayi!?

Nidhi : N-Nahi... Par wo sab chorro... Tum... Tum thik ho na ab!? Aur wo sab kya...

Usne aage haath badha ke Veer ke gaal par rakha par agle hi pal jese usse kuch dhyaan aaya aur usne apna haath peeche kheech liya.

Veer : Don't worry! Mein thik hu...

Nidhi : O-Ohhh! Toh... Andar aao na...

Wo palti, iss aas me ki Veer bhi andar aaega par...

Mudte hi usse apni gardan ke paas Veer ke chehre ka abhaas hua.

Aur agle hi pal...

"Mujhe kuch zaroori kaam hai. Baad me zaroor aaunga..."

Veer ki garam garam saasein Nidhi ko apni nagn gardan par mehsoos hui aur achanak hi uski dhadkane tezz ho gayi.

Par jese itna kaafi nahi tha, jab agle pal hi usse feel hua ki uske baalon ko Veer chhee raha hai.

"Aaahh!?"

Uska badan ek jhatka maara, kyuki uske baal Veer ke haatho me the.

Nidhi ke baalo ko mod Veer ne dusre haath se wo clip uske baalo me lagaayi aur firse uske kaan ke sameep aaya aur kaha,

"Mera kabhi bhi aapko hurt karne ka iraada nahi rehta ma'am. Fir bhi... Yadi be-iraada mujhse kuch khataaye hui ho... Toh unhe meri nadaani samajh ke ignore kar dijiyega please... After all, I don't want to lose you."

Aur next second hi... Nidhi ki aankhein felti chali gayi jab peeche se Veer ne usse zorr se apni baaho me jakad liya.

Nidhi kehna toh boht saari baate chaahti thi par Veer ke iss ek gesture ne jese uski bolti band kar dii thi.

Nidhi : V...Veer!?

Usne apni nazre tedhi kar Veer ko dekhne ka prayaas kiya par koi aur uski nazro me aa gaya.

Bagal ke flat ki aurat usse aur Veer ko badi hi ajeeb nigaaho se dekh rahi thi.

Aur ye dekhte hi Nidhi ekdum se hadbada gayi aur Veer ke haatho ko usne apne pait se jaldi se hata diya aur uski taraf ghum gayi.

Bhale hi Veer ka usse yu iss tarah hug karna bura nahi laga tha. Par akhir wo jis jagah khade the, uss baat ka dhyaan rakhna zaroori tha. Na jaane bagal wali aurat kya soch rahi hogi. Yadi usne landlord ko galat salat complaint kar dii toh? Aur inhi sab baato ko soch usse majbooran Veer ka haath iss qadar hataana pada.

Nidhi : W-Wo... Tum...

Kintu shayad Veer ne Nidhi ke iss gesture ko alag way me le liya tha. Usse mehsoos hua jese Nidhi uske touch se uncomfortable feel kar rahi thi.

Aur ye abhaas hote hi Veer jhatke se 2 kadam peeche ho gaya.

Veer : Ahh! Right! I'm really sorry... Mein bhi na... Haha~ Really... Really sorry... Mujhe aisa nahi karna chaahiye tha. Bewakoof hu mein bhi... Mein chalta hu... Aap... Aap apna kaam kariye...

Aur bina koi jawaab sune hi, Veer jaldbaazi me waha se muda aur tezz kadmo ke saath lift ki orr chal diya.

Nidhi : N-Nooo! Veeeerrr!

Nidhi ne thodi tezz awaaz me pukaara, par tab tak Veer kaafi aage jaa chuka tha.

Wo issi waqt Veer ke paas jaake usse rokna chaahti thi par jese... Uske bagal ke flat me khadi wo aurat ki shanka janak nazre aisa karne se rok rahi thi.

Aur na chaahte hue bhi, Nidhi apne flat ka door khol andar chali gayi.

***

xxxxxxxx Hotel...
Time - 2:15 PM

Lunch ka samay tha aur hotel me iss waqt halki halki awaaz me gaane baj rahe the aur kuch couples apna lunch enjoy kar rahe the.

Aur unhi couples waale area me ek table par ek aurat aur ek ladka baitha hua tha.

Ye ladka koi aur nahi, apna Veer hi tha.

Aur uske saamne baithi hui ye mahila Sonia ki badi behan Suhana thi.

Veer : Mujhe samajh jaana chahiye tha ki aap issi hotel me mujhe bulaogi...

Ye hotel pichli baar ki tarah, wahi hotel thi. Yaani ki uski Sauteli maa air behan ki hotel.

Suhana : Well! Haha~ Of course! Itni acchi opportunity kese chorr sakti hu mein? Jab se Sonu ne mujhe bataya hai ki ye tumhari Step Mom ki hotel hai, tab se hi mein tumhara aur unke beech ka interaction dekhna chaahti thi.

Veer : Jale pe namak chidhakna haan!?

Suhana (smiles) : Hmm! Toh bolo... Kyu milna chaahte ho tum mujhse!?

Veer agle hi pal serious ho gaya... Aur table par apne dono haath rakh thoda aage badhte hue bola,

Veer : I can finish your problem.

Suhana : Huh!?

Veer : Sarr par hat pehan'ne waala vyakti, wahi jo mouth organ bajaata hai, jo aapki pyaari behan ke peeche pada hua hai, wahi jis se police tak darrti hai... Uss problem ki baat kar raha hu mein. I can finish him.

Veer ke bol sunte hi Suhana ko jese maano 440 volt ka jhatka laga tha. Wo phati ankho se Veer ko ghure jaa rahi thi.

Aur agle hi pal usne aage badh Veer ke muh pe apna haath rakh diya.

Suhana : Y-Ye...!? Who told you??? Tumhe iss baare me kese pata hai!? Bolo?

Veer (Suhana ka haath hataate hue) : Kyuki mein bhi uske hamlo ka victim hu. Aur usne mujhse kuch chheena hai.

Suhana : Tumhe kese pata ki mein iss sab ke baare me jaanti hu!?

Suhana ki baat sunn Veer ke honthon pe ek muskaan aa gayi.

Jab Veer uss din Suhana ke ghar se usse ring de kar waapas laut raha tha, tab usne Suhana ko check karna nahi bhula tha.

Aur check karte hi usse ek sach ke baare me pata chala tha...

Ki Suhana jo dikhti thi, wo thi nahi.

[Name - Suhana

Age - 29

Bio - Suhana! Ek split personality waali aurat hai. Chanchal, ghamandi, confident behaviour wo saamne se dikhaati hai par sabhi se chhipi ek aur personality hai uski, jo ki timid, cutesy, caring aur loving nature se bhari hui hai. Suhana ka husband IT company ka C.E.O hai. Aur iske alawa Suhana ke kayi contacts hai jinhe wo apne husband se chhipa ke rakhti hai. Police, CBI, Forensic department me bhi Suhana ki kaafi pehchan hai. Apni family se boht pyaar karti hai. Khaas kar apni behan Sonia se.

Favourability : 38
Relationship : Familiar one.]

Jabse Veer ne Suhana ka bio padha tha. Tab se hi usne ye anumaan laga liya tha ki Suhana shayad uske boht kaam aa sakti thi.

Suhana : Mein kuch puch rahi hu tumse... Bolo? Kisne bataaya tumhe inn sab ke baare me?

Veer : I just guessed. Mujhe laga ki aap apni behan ki itni fiqar karti hai toh obviously aap jesi smart behan harr taraf se apni choti behan ko protect karegi hi... Hai na?

Suhana (nods) : Hmm! Hmm! Ye toh tumne thik kaha wese... Smart toh mein hu... Hehe~
Wait! Don't change the question... Ye batao... Ki... Tumne jo abhi abhi kaha... Ki... You will finish him... Uska kya matlab hai.

Veer : ....

Suhana : ....

Veer : I will kill him.

Suhana : ??

Kuch derr tak maano Suhana ko kuch sunaayi hi nahi diya. Wo bhoot bane Veer ko dekh rahi thi. Jese maano Veer ne koi chutkula maara ho..

Suhana : K-Kya kaha tumne?

Veer : Wahi jo aapne suna. Problem wo aadmi hai. Mein uss problem ko hi mita dunga.

Suhana : Keh do ki tum joke maar rahe ho?

Veer : I'm serious!

Suhana : What the fucccccckkkkk!!!?

Aur wo chillaate hue apni jagah se khadi ho gayi.

Aas paas ke sabhi log usse ghoor ke dekh rahe the.

Situation ko samajh wo waapas apni chair par baithi aur Veer ko iss baar chintit nazro se dekhi.

Suhana : D-Dekho Veer! This is not a joke okay!? Wo aadmi ka naam hai Aatish. Halaki mene uspe nazar rakhwaayi hui hai aur mein ye bhi jaanti hu ki wo meri behan ke peeche pada hua hai. Ek minute, tumhe kese pata chala wo meri behan ke peeche pada hua hai?

Veer : Sonia jii ne mujhe khud bataaya tha. Ki koi hai, jo unhe maarna chaahta hai. I just guessed. Thanks for telling me his name..

Aatish haan...!?

Suhana : Wait! Toh tunhe abhi tak uska naam bhi nahi pata tha!?? Matlab jab se tum bas tukka maar rahe the!??

Veer : Yeah!

Suhana : Ugghhh!

Suhana iss se pehle kuch aur bolti...

Ki tabhi Veer ke kaano me ek kaafi familiar sii awaaz padi.

"Arre!? Suhana Jii aap!?"

Suhana : O-Ohhh! If it isn't the owner of the hotel...!?? *Smiles*

Saamne se aa rahi ek kaali saree pehne hue koi aur nahi balki uski stepmom thi ~ Shweta.

Jese hi Shweta ki nazre Veer par gayi wo hairaani aur shock ke maare wahi jam gayi.

Par agle hi pal usne apne chehre se wo bhaav hataaye aur Suhana ke nazdeek aake uss se boli,

Shweta : And who's this gentleman?

[What the hell? I will kill her. Wo aisa kese keh sakti hai? Sab kuch jaante hue bhi... Dekho toh master... Aaarrrghhh! I hate her... I hate her...]

'Mere apne hi mujhse ajnabee pesh aate hai, Pari. Isme koi nayi baat nahi hai. Ab toh aadat sii ho gayi hai.'

[Maaasteeerr!!!]

Suhana : Kya aap apne hi bete ko nahi jaanti Miss Shweta?

Suhana ke iss prashn ke liye Shweta bilkul bhi taiyaar nahi thi. Usse nahi laga tha... Ki Suhana directly itna bada sach uske saamne rakh degi.

Shweta : Beta!? Miss Suhana! I dont have any son. Meri ek hi daughter hai. Wahi mera sab kuch hai. Bhumika!

Pal bhar ke liye, Suhana ki bhi bauhe sikud gayi. Kya moti chamdi leke paida hui thi ye Shweta. Iss waqt Suhana waqai yahi soch rahi thi. Aur iss baar ab thoda taras bhi aa raha tha usse Veer ke upar. Usne toh bas halka sa mazaak karne ke liye Veer ko iss hotel me bulaaya tha. Par ab jab usne apni aankho se ye vyavhaar dekha...

Toh usse ye bilkul bhi pasand na aaya.

Usne kheejte hue Veer ka haath thaama aur Shweta ki taraf mudi,

"Chalti hu..."

Shweta : Jii! Aati rehna Miss! And Please Sonia ma'am ko bhi apne saath laana mat bhulna. She loves our coffee after all...

Suhana : Chalo Veer...

Veer ko yu kheechte hue wo apni gaadi me le gayi.

Aur idhar andar se Shweta kevak muskuraate hue dekhti rahi. Par dono ke jaate hi uski muskuraahat gaayab ho gayi. Aur wo tezz kadmo ke saath andar cabin me ghus gayi.

Idhar Veer ke haath Suhana ki giraft me the iss waqt...

Veer : Wait!!!

Suhana : Ghar chalo... Wahi baat karenge hum. Aur ye tumhari stepmom... What the hell is wrong with her?? Haan?

Veer : ???

Suhana : God damn! She pissed me off. Muh pe kese keh sakti hai wo tumhaare ki wo tumhe nahi jaanti?

Veer : ....

Suhana : Ugghh! Anyways! Ghar chalo...

***

Police station...

Officer : Dekhiye! Mein lauta toh du... Par kya waqai!?

Suhana : Kya mujhe waqai saare proof laane padenge officer? Itni choti sii baat hai ye mere liye. Fir bhi mein yaha aayi hu. Obviously baat sach hogi isliye mein yaha hu... Hai na?

Officer : J-Jii! Madam! Mein aapki baat samajhta hu. Mein bas ek baar poori tareeke se clarification maang raha tha.

Veer : Jii haa! Wo meri hi hai. Bill hota toh zaroor mein aapko dikha deta. Trust me.

Officer : Ughh! Accha chaliye thik hai. Gupta jii!??

Gupta : Jii! Saab!?

Officer : Inhe wo deke alag kariye... Lock hata dijiye...

Gupta : J-Jii! Sir!

Aur kuch hi palo baad, Veer apne ghar par tha.

Uske ghar ke saamne Suhana apni car ke paas khadi hui thi.

Suhana : I have agreed! Par... Ye baat Sonu ko kabhi pata nahi chalna chahiye warna wo meri jaan kha jaegi.

Veer : Hmm!

Suhana : Aur... Tum... You'll be fine right? Abhi bhi samay hai... Chaaho toh...

Veer : No! Mera iraada pakka hai.

Suhana : O-Okay! Mein chalti hu... Just call me if you need any help.

Veer : Hmm! Thanks!

Suhana : Thanks apni baat ko poora saabit karne ke baad kehna... Goodbye!

Aur Suhana waha se chali gayi...

Veer uske jaate hi apne bagal me rakhi ek cheez ko dekhne laga aur uss par haath dheere se rakha usne...

'Kal... I promise... I will take him down...'

Usne mann me thaana, aur usse cheez ko zorr se bheench liya.

Aur Wo cheez thi...

Golu ki cycle...
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Like kar ke jaiyo!
Awesome update bhai waiting for next update
 

The king

Well-Known Member
4,243
15,466
158
Bhai agar aane wale update me aatish ki mot hone wali he to uski mot bahut buri honi chahiye sab ki aankho me dar dekhne ka shokh he na usko wahi dar aatish ki aankho me hona chahiye apani mot ka dar or uska bhi wishavas tutana chahiye jese wo dusre ke sath karta he
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,268
38,662
258
Update - 34 ~ Intense Rush
Ab tak...

Idhar Kavya full excited Arohi ke peeche baith chuki thi. Dono hi behad hi khubsoorat dress pehni hui thi.


Aur gaadi me sang baith wo ravaana ho gayi.

Par unhe nahi pata tha...


Ki iss waqt unke peeche kaun aa raha tha.

Ab aage...

Ek behad hi khubsoorat se sheher me iss waqt dherr saari jhaalaro athwa anya prakaar ki lightings se saare ghar, dukaane avum buildings jagmaga rahi thi. Laal, neeli, peeli na jaane kitne rango ki LED lights se aaj harr ek ghar saja hua tha.

Diwali ki iss raat me harr jagah khushiyo ka mahaul tha. Aur iss samay issi sheher ke ek bade se ghar me ek Aurat behad hi khubsoorat sii saree pehne, thaal liye, apne ghar me jagah jagah Diye rakh rahi thi.

Hontho pe muskaan sajaaye wo gungunaate huye Diyo se apne ghar ko raushan kar rahi thi. Tabhi uske peeche se ek kamre se atyant hi sundar sii ladki, badi hi aakarshak sii dress pehne baahar aayi aur boli,

"Mom?? Terrace pe rakh diye aapne Diye?"

Aurat : Nahi Beta! Tum rakh aao. Mein neeche rakh rahi hu.

Ladki : Okay!

Aur itna bol wo jhat-pat upar chali gayi aur kuch derr me hi Diye rakh ke neeche bhi aa gayi.

Ladki : Haaaash!! Na jaane kitne dino baad aaj itna free time mila hai festival celebrate karne ka, hai na Mom? Warna aisa tight aur busy schedule tha apna.

Aurat : Ekdum sahi kaha tumne beta.

Ladki : Accha chalo! Mom! Aao baahar chal ke thode pataakhe fode. Mene kuch khareede hai.

Aurat : Kya tu bhi ye le ke baith gayi? Ab usme meri kya zaroorat!?

Ladki : Waah! Ek toh saal me ek baar Diwali aati hai. Aur ab usme bhi pataakhe na fode? Aur aap nahi chalogi toh kya mein akeli bewakoofo type fuljhadi liye ghumungi kya?

Aurat (sighs) : Accha baba! Chal! Tu maan'ne waali toh hai nahi?

Ladki : Wahi! Hehe~ Toh pehle hi aa jaati...

Aurat : Haan haan meri Mata... Ab chal!

Aur dono Maa Beti nikal ke ghar ke baahar aa gayi jaha colony ke sabhi log bade hi dhoom dhaam se Diwali mana rahe the. Bade jaha khade ho kar baat kar rahe the, ek dusre ko badhaaiya de rahe the toh wahi bacche pataakhe fod apne hi anand me doobe hue the.

Idhar wo Ladki bhi fuljhadi jalaate hue anaar avum chakri jalaa ke apni Maa ko bhi aage aake pataakhe fodne ke liye mana rahi thi aur saath hi saath aas pados ki ladkiyo se baatein bhi kar rahi thi.

Par uski Maa yaani ki wo Aurat ek muskaan liye bas peeche khadi hoke hi sab dekh rahi thi. Zameen chakri, anaar se nikli chamakti hui chingaariya uski aankho me pratibimbit ho rahi thi. Bhale hi aankho ka dhyaan udhar hi tha...

Par...

Uske antar mann ka dhyaan kahi aur tha...

Aur dheere dheere uske hontho se wo muskaan apne aap gaayab ho gayi.

'21 saal ho gaye... Na jaane...'

Jab uss Ladki ne kuch pal baad palat ke apni Maa ko dekha toh usse ek pal nahi laga ye jaan'ne me ki uski Maa kisi cheez ko lekar pareshaan hai.

Wo turant sab kuch chorr apni Maa ke paas aayi aur boli,

"Aap pareshaan lag rahi ho Mom!"

Aurat : H-Huh!? Nahi! Kuch bhi toh nahi!?

Ladki (frowns) : Kabhi toh share kar liya karo!? Huh!? Aisi kaun sii baatein hai jo sochti rehti ho aur khud hi gehre chintan me doob jaati ho? Kya aapko mujh pe trust nahi hai kya? Huh?

Aurat : Ek jhaapad lagaungi aisi baatein boli toh. Apni beti pe trust nahi hoga toh kispe hoga bhala?

Ladki : Toh fir bataati kyu nahi ki kya sochti rehti ho aap aksar?

Aurat : Bas... Kaam ke baare me beta.

Ladki : Mujhe pata tha aap yahi bologi. Mein chaahe jitni baar puch lu, aapka jawaab yahi rehta hai. *sighs* Kherr! Accha! Chaliye ab... Dekhiye bagal waali Aunty aapko puch rahi hai... Aaiye...

Aurat : Hmm!

Aur wo dono baahar nikal padosiyo ke saath gap-shap me ghul mil gayi.

***

Wahi yahi Mumbai me iss samay bhi kuch aisa hi mahaul tha.

Harsho-ullaas ka mahual.

Aur yaha bhi ek flat ke baahar ek aurat apne ghar ke dwaar ke paas do Diye rakh rahi thi.

Ye aur koi nahi, Nidhi hi thi, jo aaj laal rang ki saree me itni aakarshak aur haseen lag rahi thi ki agal bagal waale flat me rehne waale log bhi palat palat ke dekh rahe the usse.



tamil-actress-9
Aakhiri Diya rakh wo uthi aur thaal andar table pe rakh wo apni sandals pehn'ne lagi...

Jab andar se uski laadli Juhi daudte hue baahar aayi. Uske nanhe haatho me ek packet tha jisme kayi saare pataakhe rakhe hue the.

Juhi : Mummmyyy! Mummmyyy! Chalo na jaldi! Chalo na...

Wo zidd karte hue Nidhi ke haath pakad jab hilaane lagi toh andar se Shreya jaldbaazi me nikal ke aayi,

Shreya : Arre baba ruko na Juhi! Chal toh rahe hai. Oh God! Tumne idhar se udhar kar ke itna paseena nikalwa diya mera. Kahi make-up na kharaab ho jaaye mera.

Aaj Shreya bhi behad sundar lag rahi thi. Safed aur golden colour ki dress uspe itni zyaada jach rahi thi ki uski ek hi jhalak kaafi thi ladko ko apne upar lattu karne ke liye.



wp

Shreya ki baat pe dhyaan dete hue, Nidhi jo wahi baithi thi bol padi,

Nidhi : Hmm? Anti-sweat waale makeup bhi aate hai Shreya.

Shreya : I-I know... Wo... Wo branded waale thode mehnge aate hai Dii.

Nidhi : Ohh! M-Mein tumhaare liye le aaungi Shre...

Shreya : No No No No... It's... It's totally fine Dii. Mein yahi prefer karti hu.

Nidhi : Par!?

Shreya : Mene kaha na!? It's fine dii.

Shreya itna bol apna muh ferr khud ke vichaaro me doob jaati hai,

'Dii kitni pyaari hai. Kitni acchi hai. She knows ki hamaari kya condition hai. Still... Wo chaahe meri ho ya Juhi ya Mom Dad ki need... Sabhi ki needs ke baare me kitna dhyaan rakhti hai. Kabhi wo apne upar dhyaan nahi deti. Na hi sochti hai apne baare me. Yadi mein unhe ye saree dilwaane na le jaati aur yaha na hoti. Toh pakke se dii ne apne upar ek rupaye tak na kharch kiya hota. She... I think ki ab mein boht acche se samajh gayi... Ki kyu Veer yaha se chala gaya.'

Idhar Nidhi bhi Shreya ki hi tarah apne vichaaro me khoyi hui thi. Aur dono hi Behne andar se glaani ko mehsoos kar rahi thi.

'Shreya ke liye mein itna bhi nahi kar sakti? Of course mein kar sakti hu. Par... Meri behan... Meri sthiti dekh jaan bujh ke peeche hatt rahi hai. Mein jaanti hu usse kitna pasand hai make-up se leke dresses tak. Sab kuch branded. Par mein ye bhi jaanti hu ki... Wo phone me bas inki pics dekhti rehti hai. Aur kabhi kabhi jab mauka milta hai tab apne liye kuch khareed leti hai. Kya mein apni behan ke liye... Itna bhi nahi kar sakti? Kya Veer bhi... Isliye yaha se gaya tha? Haan! Mein hi shayad... Capable nahi hu. Mein hi...'

Wo apne mann se aur sawaal karti par tabhi Juhi ki awaaz ne dono behno ko hosh me laa diya,

"Chaliye na Mummmyyyy!!! Maaaasssiii!!"

Aur bas...

Fir kya tha. Baccho ki zidd ke aage parents haar maan hi jaate hai aksar.

Aur yahi hua. Juhi ke sang dono Shreya aur Nidhi neeche aa gayi jaha unki society ka campus tha. Aur saare flats me rehne waale log neeche utar campus me hi Diwali ka lutf le rahe the.

Nidhi bhi ek pillar ke paas khadi Shreya aur Juhi ke hasste chehre dekh unme khoyi hui thi.

Achanak hi uski nazar apne phone par gayi jo usne apne haatho me liya hua tha, kyuki abhi abhi uska phone vibrate hua tha.

Message dekha toh paaya ki, usme likha hua tha...

'Happy Diwali Ma'am!!'

Aur bas... Uss ek message ko dekh. Nidhi ke hontho pe bina uske jaane hi muskaan aa gayi. Apne phone ko kass ke bheench usne type karna shuru kiya...

Par fir...

Usse jese soojha hi nahi ki kya reply de. Usne firse keyboard khol chat me kuch type karne ka prayaas kiya... Par... Fir uski samajh me naa aaya ki bhala kese wo conversation aage badhaaye.

Ant me usne 'Happy Diwali' likh ke bas send kar diya.

Par send ka button dabaate hi usse jese agle hi pal apne upar itna gussa aaya aur khud ko bewakoof bhi bolne lagi.

Kaaran tha... Uska itna simple sa reply bhejna.

'Uggghh!!! Ye kya bhej diya mene? No sticker... No emoji... Bas... Ek happy Diwali? Veer ne already dekh liya hai. Will he reply? Wo mujhse naraaz hai. Par... Mein bhi toh uss se naraaz thi. But kam se kam... Uss din ke baad bhi... Usne mujhe message kiya. Matlab... Wo ekdum naraaz nahi hai.'

Nidhi beech beech me Veer ki chat baar baar khol check karti ki shayad Veer ne reply kiya ho koi firse.

Par...

Uska uske baad koi reply nahi aaya.

Aur pata nahi kyu...

Ye chota sii baat Nidhi ko kahi na kahi khatak rahi thi.

***

Message bhejne ke baad idhar Veer sofe pe viraajmaan tha. Aaj usne kurta payjama pehna hua tha jo uspe bada hi jach raha tha.

Ragini sang Suman aur baaki sabhi Pooja karne me vyast thi. Par Veer baahar hi baithe apne khaas logo ko message kar raha tha.

Nidhi ka reply aaya zaroor. Par bada hi rukha sa laga Veer ko wo reply.

'Shayad wo mujhse abhi bhi naraaz hai.'

[Master! Aapne unko rulaaya. So obviously wo naraaz hai. You must cherish her. She's an angel. Ehehehe~]

'Pari ka behaviour na jaane kyu... Bada hi odd sa lag raha hai. Kya ye mera veham hai?? Ya fir sahi me...!? Uss din bhi... Suhana jii ko jab mein ring dene gaya tha... Tab bhi...'

[Ahh!? W-W-Wha... What are you thinking master? Mein Pari hu aapki. Aapki pyaari Pari. Ehehe~]

'Ah! Right! Tum meri mann ki baatein sunn sakti ho. Toh mera mann me sochna hi bekaar hai. Mein jo bhi sochunga... You can hear all.'

[R-Right!]

'Siwae jab tum Sleep mode me hoti ho.'

[J-Jii master. Sleep mode me sirf mein deactivate hoti hu. Baaki system shut down nahi hota. Aap mujhse baatein nahi kar sakte. Na hi mein uss waqt aapke mann ki baatein sunn sakti hu.]

'Hmm! Lagta hai tumhaare baare me mujhe tab hi sochna padega. Jab tum Sleep mode me rahogi.'

[Ahhh!? K-Kya matlab aapka master? Aap mere baare me peeth peeche sochenge? A-Aisa kyu master? K-Kya mene kuch galti ki hai?]

'Waqai! Mein sahi hu. Pari is behaving somewhat strange...'

[Huh??? No no no no... Master! Mein aapki wahi Pari hu. Aapki pyaari Pari. Your one and only masterrrr.]

Veer ek aah bharte hue wahi baitha raha jab achanak hi Pari ne usse ek naya jhatka de diya,

[Oh! I forgot!]

'Huh? Kya?'

[Wo... Wo... Pehle promise kariye aap chillaaoge nahi.]

'Hmm? K-Kya gadbad kari ho ab tum?'

[Wo Ahahaha~ actually ek in-built function aur unlock hua tha. But mein uski notification nahi de paayi thi. Kyuki already itni saari notification mene eksaath dii thi na... Ahahaha~ So... so... I forgot.]

'What the...!?'

[No! Please! Gussa mat hona maasterrr! I love you so much! You love me too right? Pleaaase maaasterrr! Don't scold me. Okay!?]

'Pari ka screw dheela ho gaya hai kya? What the hell is this? Aisa toh kabhi behave na kari ye? There's something wrong.'

[Noooo noooo nothing is wrong you stupid master. Ahhhhh!!!! I mean... My lovely master. Kuch bhi gadbad nahi hai. Haan toh mein in-built function ke baare me bataati hu.]

'???????'

[Wo actually... Past Illustration function is available now.]

'H-Huh?'

[In-built function : Past Illustration.

Description : You can see the history of any person and know their past, once you kill them.]

Description padhte hi Veer ki aankhein hairaani ke maare phati ki phati reh gayi aur wo apni jagah se hadbada ke utha khada hua.

'Y-Ye...!? Ye sab kya hai? Pariiii!?'

[Yes master. Yadi aap kisi ko maaroge. Toh... Aap uss shaks ka past dekh sakte ho. I mean... Past padh sakte ho. Details status window me likh ke aa jaengi.]

Veer stabdh sa bas description ko hi dekhe jaa raha tha. Ye sab kuch jese uske liye handle karne ke liye boht zyaada tha.

Wo yadi kisi ki hatya karta hai toh uss shaks ka saara ateet ab padh paane me saksham ho chuka tha wo.

Ye kisi jaadu se kam nahi tha uske liye.

Par usse shayad ab ek baat dimaag me daalni pad sakti thi...

Ki yadi Pari hai...

Toh mumkin hai...

Aur abhi wo apne shock se baahar aa paata ki tabhi ek aur awaaz ne uske shock ko alag level pe pohucha diya...

*Ding*

[Mission : Save Kavya and Arohi before it gets too late.

Rewards : ?? Points.
Time Limit : 20 minutes.
Location : xxxxxxxx route to xxxxxxx road.

Mission Fail Penalty : 300 Points Deduction.]

'H-Huhhh?? Keh do ki ye mazaak hai.'

[...]

'Daaamnnn itttt!!'

Veer fir na kuch socha aur waha ruka. Usne agle hi pal apni bike nikaal ke start kii aur tezz raftaar me repte hue bike bhagaane laga.

Ghar ki Pooja aur Diwali chorr wo yaha mission poora karne nikla tha. Ek aisa mission jisse padhne ke baad usne ek second waste karne ka nahi socha.

Kyuki wo jaanta tha. Arohi aur Kavya kisi mushqil me pad gayi hai. Upar se mission me iss baar penalty bhi thi. Wo bhi 300 points. Saath hi saath time limit keval 20 minutes.

Wo samajh gaya tha ki situation kitni critical thi. Veer ek baat aur jaan gaya tha ki yadi missions me penalty dii hai toh mission fail hone par keval wahi penalty hi uspe lagegi. Wo Pari ko nahi khoyega.

Par yadi penalty mentioned nahi hai. Toh iska matlab yahi hai ki penalty Pari hai. Mission fail, yaani ki Pari ka uske shreer se nikal jaana.

Wo gaadi bhagaate hue ussi route me jaa raha tha jaha ki details Mission me mentioned thi.

Ek ek second uske liye keemti tha. Uske dil ki dhadkan itni tezz ho chuki thi ki raaste me phoot rahe pataakho ke baad bhi wo apne seene me ho rahe vibrations ko mehsoos kar paa raha tha.

*Boom*

*Whooooossshhh*

Log toh apne aanand me doobe pataakhe fod rahe the par Veer idhar...

Bechaini ke maare mara jaa raha tha. Usse bike chalaane me bhi dikkat jaa rahi thi. Kyuki koi na koi raaste me pataakhe fodne aa hi jaata.

'Damn it! Damn it! Wo dono iss route se kyu aa rahi hai??'

Usne kheejte hue gaadi ko race diya aur tabhi...

*Ring Ring*

Uska phone baj utha...

Ek second na gawaate hue usne apne payjaame ke jeb se phone nikaala aur bike chalaate hi apne kandhe se phone kaan me laga liya.

Veer : Kaaavyaaaa!???

Kavya : Bh-Bhaiyaaa...

Veer : Kavya... Kaha ho tum? Kya hua??

Kavya : Bhaiyaaa.... Ouchhhhhh!!!

Veer : Kavyyyyaaaaa!??

Kavya : Diiiii... Sambhal ke... Diiii... Wo... Aa rahe hai...

Veer : Helllooo? Helloooo!?? Kaaaavyaaaa!!?

Kavya : Bhaiyaaaaa! Mein aur dii... Idhar... xxxxxx road se xxxxxxxx chowk ki orr jaa rahe hai. Aur pata nahi... Kuch... Kuch do bike waale humko follow kar rahe hai...

Veer : Tum... Tum bas aage aati jao... Mein baahar hi hu... Aur chowk par pohuch hi raha hu. Ghabrao nahi... Chowk ke paas police thaana hai. Aati jao...

Kavya : Bhaiyaaaa... Humne... Humne gaadi rok ke ek uncle aunty se bataaya tha aur kuch derr wahi khade rahe... Par... Jese hi thodi derr baad hum waha se nikle... Wo log firse follow karne lage... Bhaiyaaa... Mujhe... Darr lag raha hai.

Veer : Arohi dii se kaho ki wo bas gaadi chalaati rahe... Aur unse duri bana ke rahe... Mein aa raha hu behan... Chinta mat karrrr...

Kavya : Helllooo??? Bhaiyaaaa... Aapki awaaz nahi aa rahi hai... Theek se... Helloooo??? Helllooooo???

*Call ends*

'Fuuuuuccckkkk!!!'

Veer ghabraate hue acceleration aur badha diya. Apni behan ki ghabrayi awaaz sunn wo andaaza laga sakta tha ki uski behan kitna darri hui thi.

Kavya ne jo situation bataayi uska andaaza Veer laga chuka tha ki maajra kesa tha waha.

Shayad koi 2 bikes me log the jo Kavya aur Arohi ko peeche se follow kar rahe the. Aur iss baat ka abhaas shayad Arohi aur Kavya ko ho gaya tha jiske chalte wo beech raaste me hi kahi ruki aur kuch ghar ke baahar khade logo se baat kar unhe apni pareshaani bataayi.

Zaahir sii baat hai ki tab wo bike waale kahi chhup gaye honge. Aur jese hi Arohi aur Kavya ne waha se chalna sahi samjha tab unn bike waalo ne waapas se unhe follow karna shuru kar diya.

Ab sawaal ye tha ki kya wo normal stalkers the? Ya fir koi aur? Aur iska jawaab bhi Veer ne dhund liya tha.

Wo ye ki ye koi normal stalkers nahi the. Yadi normal stalkers hote, toh Veer ko ye mission nahi milta aur itni heavy penalty nahi hoti.

Zaroor...

Zaroor kuch na kuch gadbad thi. Aur kuch boht hi bura hone waala tha.

Veer chowk pohuch chuka tha. Yaha kaafi chahal pahal thi. Par Kavya aur Arohi usse kahi nazar naa aayi.

Aur jis route se wo aa rahi thi. Wo outer area tha. Idhar andhera bhi rehta tha, street lights jagah jagah nahi thi. Aur road ke ek side kuch khula ilaaka tha jaha ped paudhe lage hue the.

Toh wahi road ki dusri taraf kuch dukaane thi par wo Diwali ke chalte band ho chuki thi.

Veer jaanta tha ki issi route se Arohi aur Kavya aane waali thi. Par...

Uske paas intezaar karne ka samay nahi tha.

Usne ek hi jhatke me Bike aage badhaate hue uss mod me daal dii aur speed me bhagaane laga.

Andhere se bhari wo road Veer ki gaadi ki headlight se ekdum se jese raushan ho gayi aur uss poori sadak me keval uski hi bike ke chalne ki awaaz aa rahi thi.

Gear badal usne aur tezz gaadi bhagaayi ki tabhi usse nazar aaya...

Dur se ek peele rang ki bindu sii roshni...

Jo harr ek second aakaar me badi hoti jaa rahi thi.

Aur usse samajhne me derr na lagi ki ye...

Arohi aur Kavya ki gaadi thi.

Veer ka chehra dekhte hi Kavya ke aasu jo usne thaam rakhe the wo uske gaalo se behne lage aur wo chillaayi...

"Bhaaaaiyyyaaaa!!!"

Bina samay gavaaye Veer ne apni bike Arohi ki scooty ke aage le jaate hue beech raaste me aadhi khadi kar dii.

Aur wo bike se utar forun hi Kavya ke sameep aaya.

"Bhaiyyyaaaa!"

Kavya utar Veer ke gale se lag gayi. Par ye milan hona zyaada derr tak sambhav na tha.

Kyuki agle hi pal do aur bikes ki awaaz unn sabhi ke kaano me padi.

Apne seene se Kavya ko lagaaye Veer gusse se aane waale logo ko dekha.

Headlights ke chalte wo theek se unka muh nahi dekh paa raha tha.

Lekin unke agle bol ne jese usse satark kar diya.

"Pakad pakad... Pakad akela hai Madarchod. Pakad bhaagne na paaye..."

Unme se ek bola...

Kul 4 logo the. Aur ye dekh Veer ki aaj pehli baar dhadkan itni tezz ho gayi.

Usse darr apna nahi tha. Darr tha Kavya aur Arohi ka.

Yadi galti se bhi unhe kuch ho jaata toh wo kabhi bhi khud ko maaf nahi kar paata.

Aur abhi Kavya ko apni baaho me liye jo raahat usse mil rahi thi wo Veer apne shabdo me baya nahi kar sakta tha.

Par issi raahat ko... Wo banaaye rakhna chaahta tha.

Aur usse banaaye rakhne ke liye...

Veer : Arooohiiiii!!

Usne tezz awaaz me peeche khadi Arohi ko chillaaya, jo uski awaaz sunn ek dum sihar gayi.

Kaaran tha Veer ka usse, uske naam se bulaana.

Jabki wo Veer se ek saal badi thi. Aur jitni baar bhi Veer usse bulaata tha, Dii kehke hi bulaata tha.

Par aaj...

Veer ki peeth dekh... Wo Veer jo unn anjaan aadmiyo ke saamne uske aur Kavya ke liye ek shield bann ke khada hua tha. Arohi apne mann me aa rahe vichaaro ko samajh nahi paa rahi thi.

Veer : Aroooohiiiii!

Ek baar fir wo chillaaya...

Aur, Arohi ka shareer hil utha.

Arohi : Haahhh!?

Veer : Kavya ko yaha se leke jaao. Bhabhi ke Ghar.... Forun...

Arohi : P-Par!??

Veer : I said goooooo....

Kavya : Bhaiyaaaa!?? Noooo bhaiyaaa... Hum aap ko akela chorr ke kahi nahi jaenge...

Arohi : T-Tum...

Veer : Wo aa gaye hai... We don't have time. Arohiiiiiiiiiii!!! Jaaaaooo!!!

Uski garajti hui awaaz sunn Arohi samajh chuki thi ki uska yaha se jaana kitna zaroori tha.

Apna nichla honth dabaaye wo apni asamarthata vyakt kar... Forun hi Kavya ka haath thaami aur usse scooty pe baitha ke khud baith usne scooty chaalu kar dii...

Arohi : Y-You... You will come back...

Wo peeche mud Veer se boli. Jese wo puch nahi balki order de rahi thi ki tumhe laut ke aana hi hai. Aur wo bhi jald hi.

Veer : Hmm!

Veer bina peeche mude hi haami bhara. Aur...

*Vroooooommmm*

Agle hi pal Arohi scooty ko bhaga ke uss sunsaan sii sadak se chauk ko orr jaane lagi.

"Bhaiyaaaaaaaaa!!!!"

Peeche se Kavya ki bechaini bhari pukaar wo sunn paa raha tha. Par...

Iss waqt uska poora focus saamne aaye unn 4 aadmiyo par tha.

Usme zyaada confidence nahi tha ki wo unn 4 ko handle kar paega. Kyuki...

Ek ke haath me ek lohe ka pipe tha aur wahi dusre ke haath me lakdi ki ek moti stick.

Baaki 2 nihatte the par...

Akhir the toh wo 4 bande.

[Master!? Wo 4 hai. You must run.]

'Noooo! Pari! Jitna ho sakega. I'll fight them. Samay aa gaya hai ki mein apni Martial arts skill ko istemaal kar ke dekhu.'

"Dhattt behanchod ladki bhaag gayi. Tum dono... Jao peecha karo... Jaldi... Aage nahi gayi hogi abhi zyaada..."

Unme se ek aadmi bola toh do nihatte aadmi ek bike pe sawaar huye aur bike bhaga ke wo peecha karne jaa rahe the.

Par...

Akhir nikalna toh unhe Veer ke bagal se hi tha.

Jese hi wo bike leke uske sameep aaye...

Veer ne seedha ek laat driver ke muh pe jadi jiske chalte unki bike ladkhadaayi aur dono hi road ke uss taraf ped paudho waali jagah me jaa gire.

'Oh! I feel strong...'

Wo dono gaaliya bakte hue khade huye aur firse bike chaalu kar peecha karne jaa rahe the.

Veer ye dekh unhe jhapatne ke liye hua par...

Wo ye kese bhul sakta tha ki peeche bhi 2 aadmi the jo hathiyaar liye the aur ussi ki taraf badh rahe the.

Majbooran, usse peeche mudna pada aur...

*Whooosssshhhh*

Ek ne uske sarr ko aim karke wo pipe ghumaaya par Veer apne reflex ke chalte turant jhuk gaya.

Apni fist ko kass ke uska pichla bhaag Veer ne fir seedha uske sarr par ghumaaya aur...

*Poooowwwww*

Wo vaar jaake seedha uss aadmi ke jabde se connect hua aur ek pal me hi wo 3-4 kadam dur jaa ke dhadaam se neeche gira.

"Maaadarchooddd!!!"

Dusra chillaaya aur Veer ki taang pe usne apni stick ghumaayi...

*Whooooooosssshhh*

Veer ne dodge kiya par...

*Whoooossssshhhhhh*

Ek baar fir usne apni stick ghumaayi jisse Veer ne barely dodge kiya.

'This guy.... Tchh!!!'

Veer uspe poori tarah toot padta ki tabhi usse sunaayi diya,

*Vrrrooooooommm*
*Vrooooommmmm"

Usne palat ke dekha toh wo do aadmi gaadi utha ke Arohi aur Kavya ka peeche karne nikal chuke the.

'Fuckkkk! Arohi! Kavya! You must stay safe... Chaahe kuch bhi ho jaaye... Don't get caught.'

Par ye waqt... Peeche nahi aage dhyaan dene ka zyaada tha. Kyuki agle hi second...

"Le maadarchodd saaalee..."

Uss aadmi ne stick ek baar fir Veer ke saar ki taraf ghumaayi aur iss baar jese hi Veer ne palat ke waapas dekha toh...

Dodge karne ka time nahi tha.

*Thud*

Apne dono haatho ko X ki tarah banaate hue usne stick ko roka aur kood ke peeche ho gaya.

'Dammmn!!? That hurts!'

"Uth be... Jaldi uth... Saala bhaagne na paaye."

Veer utna fluidly lad nahi paa raha tha jitna wo lad sakta tha. Kaaran tha kurta aur pyjaama.

Dusra aadmi bhi uth ke aaya aur dono aadmi Veer pe toot pade.

Wo idhar se udhar hathiyaar chalaate par Veer jese tese kar bach jaata. Lekin thode boht hits usse bhi lag rahe the.

Par ye zyaada derr tak nahi tha.

Uski aankho me mitti fek pehle aadmi ne peeche se Veer ko deadlock me fassaaya aur pipe uske gale par tika ke uski saas rokne ki koshish karne laga.

Toh wahi dusra aadmi stick liye hasste hue saamne se uske qareeb aane laga.

Aur uski nazar me...

Veer ka pait tha jo bilkul unprotected tha. Ek shot, aur Veer dherr.

Usse pata tha stick kaha maarni hai.

'Daaamnnn ittttt!! Shiiittt! Aaarghhhh!'

Veer changul se choothne ka prayaas hi kar raha tha.

Itne me uss aadmi ne apni stick uthaaya aur wo maarne hi waala tha ki tabhi...

*Thud*

Achanak hi wo apne aap ekdum se neeche gir pada.

'Huh???'

Aur jab saamne nazar padi... Toh...

Ek yuvak peeche khada hua tha. Jisne patthar fek uss aadmi ke sarr pe maar, usse yu gira diya.

Par Veer ki nazar jese hi uspe padi uski aankhein hairat ke maare felti chali gayi...

Veer : G... Goluuuu!???

Golu : Huh!?? Arre... T-Tum...!?
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Dhanyavaad!
Next update iss kahani ka ab tak ka most thrilling update hone waala hai.
So keep supporting!
Aur like karna na bhulna re. 😁
Zabardast UpdaT
 
Last edited:
Top