• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,203 83.0%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 24 1.7%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 189 13.0%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 33 2.3%

  • Total voters
    1,449

Werewolf

ʏᴏᴜ ᴍᴀʏ ᴄᴏᴍᴇ ᴛᴏ ʀᴇɢʀᴇᴛ ᴛʀʏɪɴɢ ᴛᴏ ᴍᴀɴɪᴘᴜʟᴀᴛᴇ ᴍᴇ
Supreme
11,416
89,072
259
Last edited:

Werewolf

ʏᴏᴜ ᴍᴀʏ ᴄᴏᴍᴇ ᴛᴏ ʀᴇɢʀᴇᴛ ᴛʀʏɪɴɢ ᴛᴏ ᴍᴀɴɪᴘᴜʟᴀᴛᴇ ᴍᴇ
Supreme
11,416
89,072
259
Yes! I'm ready! :sweat:
So when the story started I was quite excited for what the story was having in store for the future. Main shuruaat se kahani ke saath nahi juda hua tha, kuchh updates ho chuke the jab maine ise padhna shuru kiya.
I know this. :approve:
But obviously, Akhir Kyu? ko padhne ke baad naa kewal main Rahul ka fan ban chuka tha balki lekhak mahoday ki lekhan shaili ka bhi...
:thanx: Thanks man! ✨ Woh story to hamesha mere dil ke qareeb rahegi. Ek toh meri pehli kahani thi. Upar se Rahul, Neha, Anshu, Taniya jaise characters. :love3:
I enjoyed every single thing about Akhir Kyu?, when I was reading that masterpiece! And that's why my hopes with this one were quite high! Especially because when you started Akhir Kyu? maine shayad kuchh ek comments padhe the aapke (if I remember correctly), ki main protagonist's sudden exposure to unbeatable superpowers and heroism is not what you like in a story...
I don't like it when the originis are left unexplained. :approve: Isme bhi Pari achanak hi aayi hai. But her origins are absolutely crystal clear here :smartm: That'll be shown in the finale arc. So, when stories do that shit, without explaining them and then dragging reader's attention to the supernatural plot. That's where it gets annoying for me. It's like giving a supernatural toy to a kid, without explaining them where it came from.
But this one had system as the spine of the story! Aise mein mujhe kahin na kahin sandeh tha ki apni us baat par lekhak mahoday kaayam reh paate hain ya nahi... But oh boy! What an outstanding story it has been! :bow:
Ohh thanks man! :thanx:
Origins will be explained gradually. And they will be completely out in the finale arc, which is presumably the last arc of the story.
The kind of updates.. their length! the detailings! the pictures you use! the content! dialogues, narration & flow! and obviously the characters.. each one has their own story to tell! Every villain of this story was once aspiring to be a hero... (Don't consider that chutiya Pranjal & Vivek to be villains, they are just gaandus).
:laugh: When I used to read stories on xp. There were stories in which bad guy used to do all the evil deeds. And when you raise the question- WHY? The answer used to be - Because he's the bad guy you stupid. :hit:
It happened in almost every story. I wanted something more. Why the bad guy chose that way? The reason why he's being called bad? His choices? His decisions? And that's why I brought this then.

When this story was getting started. I made a comment here. It's probably still there on the initial pages somewhere I guess. And I told my readers that I've created some insane villains for this story. It was a hint.

They took lightly for sure back then. :laughing:
Be it Aatish, or Slogan, or the story of Pitcher, or the background of Nightwalker... Everything just makes sense! :applause:But above all the way this story has been so close to reality despite system (totally fictional) being its base... It's just unbelievable! Never expected a story where the main protagonist has extreme strength but still faces the reality checks time to time! That's what makes this story different from many others... :bow:
Yeah! That even baffles me out. I mean we are reading some impossible shit which can't happen in real life. Yet it's so connected to the reality. Veer's secret which is not known to anyone in his family. His usual talk with the family, the limelight given to the other characters, their conversations. I gave my extra time there.

I never wanted this one to feel like it's completely supernatural now. Totally sci-fi. Naah! It's not!!
Veer being thrown out of the house, Golu's death, Aatish manhandling Veer and his emotions, Art Gallery incident with Slogan, HOK's havoc, and now this Crimson arc!!! Veer has been able to come out stronger everytime he faced those reality checks, came extremely close to being dead, and then came back with a new face every single time... Rahul has been my favourite protagonist of all the stories I've read on any adult forum till date, and after the last two updates, Veer has completely bridged the gap! I just love this character to bits! And now I expect him to be the wounded tiger who's gonna make his last words count... He has to give Crimson the same end he exclaimed, before 'dying'...:declare:
Who doesn't loves Rahul? The mysterious vibes he used to give. His self sacrifice almost everytime. Rahul's character is close to my heart as well. That guy had insane IQ. We know it. :laugh:

And then came Veer. :thanx: Veer's character..! How do I look at it? It's like you know when a father feels proud how good his son turns out to be. Veer's character gives me the same vibes.

But coming to favourite? Oh boy!! Oh boy!!!! :D ?? guy is my favourite. Just thinking about him gives me the goosebumps. :cold: He hasn't arrived here yet. There's still time for him. But oh boy!!! He's still in development though. :hint: Only 20% work has been done on him. And that 20% is enough for him to be my favourite.
So, coming back to Update - 141, which is again the best update of the story till now! Abhi do update pehle Crimson aur Veer ki fight waale update par bhi same baat boli thi maine.. :doh:
Ye aage bhi kayi baar bologe! :laughing:
Har update pichhle sabhi updates se har maayne mein behtar hi dikhta chala jaa raha hai, that's what proper build-up can do to a story... The story wasn't rushed in the start and now the fruits are indeed sweet! :approve:
Persistence!!! :declare:
Khair, is update mein do major points the, pehla Ava hi wo pahaadi waali ladki hai (I was so close in the last review :roflol:) aur doosra, Veer is dead!!! (Is he? :?:) Let's start with Ava. She betrayed Veer and ofcourse, jab Slogan aur Aatish jaise clear villains, joki sirf villains hi the, unka ek past tha to Ava ka bhi hoga hi. Grace thi iski wajah ya wo photo waala shakhs/waali shakhs... Ye ek sawaal hai. Par mere pichhle comment mein bhi jo baat main kehna chaahta tha wo yahi hai ki wajah kuchh bhi ho, Ava is the reason Veer is dead! Yeah, he's dead...
Is he dead? :D I mean yes...! Ava got the notification. What will save him then? Neel mani? Or the thread Bhavna gave? Or something else? :eyes2:
Veer Neel-mani ke kaaran waapis lautega ya kisi aur kaaran se, wo alag baat hai but she has got the notification that Veer is dead... Ab ye alag baat hai ki Veer ko Ava, uske system, uski kahani ke baare mein pehle se hi pata tha, Ava aur wo saath milkar Crimson/phone call waale vyakti, ko moorkh bana rahe the, to alag kahani hai...
Which can't be true! :laugh: Didn't you notice the shock Veer had when he witnessed Ava? So this hypothesis halts right here.
Ho sakta hai Veer ka yun marna ek plan ka hissa ho, jo Veer aur Ava ne milkar banaya ho... Parantu yadi aisa nahi hai, then how's she going to explain KILLING Veer?
She had to do it. :dazed:
Grace had freaking 10 sniper guys aiming at her. Let's put Veer in Ava's place. And Bhavna in Grace's. What then?

What would have Veer done? Not to mention that Ava's favourability for Veer didn't even cross 50. They are neither close friends, nor besties. Just familiars.

Veer hota toh kya karta? Kya Bhavna ko marrne deta? Ya fir Ava ko betray karta Bhavna ko bachaane ke liye. You can take a guess.

It's like Kishore. Ant me usne apni hi beti choose ki. Swati ko chorr diya. Apna khoon sabhi ko pyaara hota hai. :sigh2: Ava never wanted to do it. But as she says in the latest update. Grace is her strength. But she's her weakness too. Uske paas ab koi bacha hi nahi hai. Grace ke jaate hi woh anaath ho jayegi. Koi nahi rahega uska.
Ab yahaan ye bhi nahi chalega ki Veer died himself, or from the bullets of DGSI, he was killed by Ava's silence... Jaisa maine pehle bhi kaha, use kewal do shabd kehne the that she wasn't kidnapped by Veer, aur bas baat khatam ho jaati... But she didn't! Ab kuchh bhi reason ho, kisi innocent ki zindagi lena kabhi justify nahi kiya jaa sakta... Kishor didn't even kill Swati, he just couldn't save both the girls at the same time, but still that incident makes a lot of hearts hate Kishor... Par Ava bilkul bacha sakti thi Veer ko... Khair, ab uski kahani ka obviously intezaar rahega, par kahin na kahin poori hi kahani ke dauraan ye ghatna uski parchhayi bankar uske sang rehne waali hai...:sad: (Ek to bc Hande ki pictures use hoti hain uske character ke saath, kuchh galat bhi nahi kehna chahata uske liye :shy:).
Lmao! Hande Ercel is love baby! :love:
Agar usne Veer ko waha bacha kiya hota toh-
*Bang*
Grace would have died!!!
Coming to her system, the basic difference in Veer's notifications and hers is 'Mission Completed' and 'Target'... Veer ne jab Slogan ka ant kiya tha tab use notification yahi aaya tha "Mission Completed : Kill Slogan or Finish Slogan", jo bhi hoga mission ka naam... But Ava, while she was on that hill got the notification, "Target : Slogan Is Dead", same is in this case of Veer's death (death?)...
Yaha pe thoda spoiler to dena chaahta tha. Par hatao ab. :laugh:
So can we assume that Ava didn't get the mission from her system? The Target was provided by someone else? The phone call guy? Or she gave the target to herself? Whatever it is but one thing that comes to my mind is the phone call guy asked her for two favours or gave her two orders... Ek to Slogan ko dekh ke aana tha, or doosra, can we assume ki Slogan ka ant tha? Ab yadi aisa hai to Veer's death doesn't fit in with this phone call person. Ya pehla kaam Slogan ki maut tha aur doosra ye? :hmm2: Jo bhi ho, boht sawaalon ke jawaab to shayad Ava ke past se mil hi jaayenge. But again, Crimson was after her? (Was he?) Ava ko kisne kidnap kiya tha? Crimson ne? Ya Ava ne khud ne? :shocked:
I will tell you only 2 things here. First -
Crimson arc will end at update 150.

Second - Update 148 would be the one which will blow your mind and send shivers down your spine. :hint:
Veer ko maarne ke pichhe Ava - phone call guy ka dimaag tha ya Crimson ka? Crimson ne DGSI ko Veer ke khilaaf plot kiya tha ya Ava ne? Wo phone call waala vyakti kya chahta hai? Kya wahi ChinaTown Arc ka mukhya villain hoga?
Chinatown arc ke baare me abhi mat socho. :laugh: Update 150 ke baad hi uske baare me sochoge toh behtar hoga. Kyuki tab tak enough clues mil chuke honge.
Kya wahi ChinaTown Arc ka mukhya villain hoga? It is highly unlikely ki Crimson hi wo vyakti ho but still there are chances... But Crimson ko goli kisne maari? Ava ne? Phone call waale ne? Ya Sweetie ne? :huh: Khair, ab agla update kya lekar aayega wo bada sawaal hai. Ek Mega - Update mil jaata to...

mujhe-kuch-nahi-dikh-raha-maa
Chunki agla update, Ava ke around revolve ho sakta hai but I really want to see Veer's revival... To ya to Veer waala part hi dikha dena ya dono, as in a Mega - Update... :hidee:
Veer ki khabar update 144 me di jayegi.
And Pari... Pari... Pari... Jitna bhi bhala - bura kaha ho uske baare mein maine, but no one could deny the fact that she's completely 'samarpit' towards Veer... It's guaranteed ki wo kabhi Veer ka bura nahi chaahegi...
Haan koi toh tha jo ye keh raha tha! :whistle:
Isiliye main bola ki Pari useless hai.. par Werewolf ko kuchh zyada hi pyaar hai us se.. :dazed:

And when Veer said 'I Love you Pari!'.. It was the most emotional dialogue of the complete story! The Pain, the reason, and the 140 updates as the background of that dialogue, makes it so - so special! Veer & Pari is the best duo/partnership in the story as well...
Indeed! ✨
The way Pari yelled on Veer for his decision, the way she kept insisting on surrendering himself, so as to save his life, the way she just cried on his decision... One of the finest emotional scenes I've ever read.. anywhere! :bow:
Ohhh! Thanks a lot man! ✨
I had to go into that realm to bring out those emotions. :hint: For sad updates I use my special weapon. That's why they come out so good. Wahahaha!:evillaugh:
Khair, Veer..! Uski baat ki jaaye to.. As they say, with great power comes great responsibility. System to Crimson ke paas bhi hai, system Ava ke paas bhi hai, system to us phone call waale vyakti ke paas bhi hai... Aur ye teenon hi kahin na kahin apne counterparts ko pareshaan athva neecha karne mein lage huyen hain... But that's where Veer stands out.
:approve: Aise hi protagonist thodi hai.
Btw. ek aur baat yaad aayi, Crimson was the creator of HOK. Ava hired Divya to 'save' herself from Pitcher? Par Ava ke paas to system hai. Use ek mamooli detective ki kya zaroorat Pitcher ke liye? Means she knew about Veer and what he did to Nightwalker.
There's one thin layer hiding in here.
Means, she knew about HOK. Then is it possible ki apni singer friend ki maut ke pichhe wo khud hi ho?
She was upset about Veer. Read when she comes into Grace's ward in the latest update. Pay attention to her dialogues. :hint:
Is baat se Crimson aur Ava bhi connected lag rahen hain... Sweetie hi to Ava nahi hai na? :doh:
:naa:
Crimson Kissed Sweetie on the cruise. Remember? How can our gurl Ava allow any guy to do so ?? Didn't she say? No man has ever dared to touch her!! Crimson touched her. Got a kick on his stomach instead.
Crimson was happy (villainous happines?) after locating Grace Martin. Bhai - behen hain kya ye dono?
Crimson is younger than Grace. Too young man. Grace is above 50. You think Crimson looks avove 40? :Jerry:
Aur kya Ava Vegas se hi Veer ko plot karne mein lagi huyi thi? Kya Pitcher ke paas bhejkar wo wahin Veer ki mrityu chaahti thi. He survived there, and that's why France happened? Suhana was surprised to know that Ava is in France? I can smell a huge interconnection here! :approve:)
We'll see!
Khair coming back to Veer being different from others. Crimson wanted/wants to kill Veer, Ava is involved in Veer's death, the phone call guy's thoughts are hidden, but lagta nahi ki wo koyi saadhu aadmi hoga. Hua bhi to Gangajal ka hi Saadhu Yadav hoga. Aise mein, Veer! Jiski aankhon mein Aatish aur Slogan dono ki kahani aur ateet ke chalte aansun ki boonde panpi, jisne Kaera ke emotions ke liye Neel-Mani ke rahasya ko jaan ne ka mauka chhod diya, jisne Ava ke liye kitni hi mushkilon ka saamna kiya, jisne Terashima tak ko bachaane ke liye apni parvaah nahi ki, and how can we forget Mike & Eric?? Un dono ka naam bhi shaamil hai Veer ke life - saving kaarnamo ki soochi mein... Veer ke emotions aur uske bheetar ki sachhayi hi use khaas aur sabse alag banaati hai!! Yahi baat Pari bhi kaafi pehle se kehti aayi hai, aur is ghatnakram ke baad lesh-maatra bhi sandeh nahi bachta hai ismein...:declare:
Pari loves Veer. Too much!!! ✨
Meanwhile, Intimidating Presence's show, words of Veer, the lapdogs one, the warning to Crimson and his decision of not surrendering! Isn't he already a 'Baadshah' in every sense of the word? Wasn't he a King right from the start. The weak & injured teenager didn't bow down in front of Ajay when he had absolutely nothing. And now when he has system and has come this far, he obviously was not going to bow down. Baadshahi seems to be in his blood ~ Bhavna's blood! Bhavna ko bhi andesha ho gaya ki kuchh to bura hua hai, afterall she's a mother aur maa ko anubhuti ho hi jaati hai apne shishu ke achhe - bure ki.
Like mother like son!

Bhavna had that queen aura when her family was at its prime. Servants all around, her demeanour. Everything screamed Royalness. And Veer has acquired her traits.
Khair, ab Veer ki mrityu ho chuki hai, at least Ava ko notification aa chuka hai iska... To dekhna ye hai ki Veer zinda kaise hoga ya dobara janm kaise lega? This story's interconnection with reality, makes it even more exciting to see how he's gonna come back alive & roaring! :approve:
Trust me! You won't be disappointed. Update 145 is the one which you're waiting for. Tons of new info will blow up reader's minds. :hint:

Kabhi dekha hai kisi writer ko itne spoiler dete hue? :sweat:

Even though I tell you so much but it's like sprinkling water from the ocean. :D
Pari aur Veer ki conversation ke dauraan energy ko lekar jo vaarta huyi us se yadi jodne ka prayas kiya jaaye, to is it possible that Neel-Mani holds a lot of energy in it, using which Pari can shift to the body of a new host. And the new host she'll chose will be Veer only. But kya Pari ek mrit vyakti ke bheetar jaakar bhi use jeevan pradaan kar sakti hai? Ye ek bada sawaal hai. Par fight ke dauraan wo Mani kahin gir bhi naa gayi ho? :noo:
You're not reading a ghost story. :hint:
Par fight ke dauraan wo Mani kahin gir bhi naa gayi ho? :noo:
:evillaugh:
Btw. Neel-Mani, firstly that King, then Bhavna and now Veer... Ye Mani hi to manhoos nahi? :dazed: And yes, what'll happen when Terashima will come back to her senses? When she'll tell what Veer did there to save her? :?:
Manhoos hi toh hai. Gale se nikla toh maut hai! :dazed: manhoos hi toh kehlaaya.
Boht hi khubsurat update tha bhai! Jitni bhi tareeef ki jaaye wo kam hi hogi. This story is one of those very-very few creations that have made me restless to know what's gonna happen next! Really can't wait for the next update...

Outstanding & Amazing Update Men & Waiting For Next One...
Thanks a lot man! Ab kitni baar aur thanks bolu! Meri haalat patli ho jaati hai. :sweat:

Ju ko batau mujhe isse reply dene me kitna samay laga hai? Itni derr me 1/4th update ready ho jaata. :shook:

Lekin mazaa bhi aata hai fir. :?:

Readers logo ki baatein padh ke hi toh asli aanand aata hai. Jab wo theories rakhte hai apni. Aur woh adhiktar galat nikalti hai jab :evillaugh: Tab jo aanand ki anubhooti mujhe mehsoos hoti hai. Heh~ :heh:

Aise hi bane rehna ka man. Ab mere paas shabd kam pad rahe hai. :sweat: keep supporting! And last me, Once again ju ko dhanyavaad! :thanx: ✨
 
421
1,860
123
Update - 142 ~ Necessitation

Ab tak...

Idhar upar udte helicopter me uss ladki ke baal hawa me lehra rahe the.

Tabhi uske mann me ek awaaz aayi,

*DING*

‘I’m sorry…! Veer!’

Aur udhar Mumbai me Ragini ke ghar me, apne kamre me laiti Bhavna achanak bechaini ke chalte bistar par uth ke baith gayi.


Ab aage...

*Badump* *Badump*

Bhavna ka dil zorr-zorr se dhadak raha tha. Kaleja baahar aane ko ho raha tha. Ye kaisi ajeeb si bechaini woh mehsoos kar rahi thi. Uska jee behad michla raha tha.

Achanak hi uske kamre ka darwaza khula aur haafti hui Tej andar aayi,

Tej : M-Mom!?

Bhavna : Tej?? Iss waqt yaha? Kya hua?

Subah ke 7 baj rahe the aur Tej ka iss qadar uske kamre me aana koi maamuli baat nahi thi.

Tej : Mom! Ajeeb sa mehsoos ho raha hai. Ek bure sapne ke chalte neend khul gayi. Paseena aane laga, jee ghabrane laga. Isliye yaha aa gayi.

Bhavna ki bauhe ye sunte hi chintan me sikud gayi.

Bhavna : Tum akeli nahi ho beta. Aao! Baitho!

Tej kamre ke andar aake apni Maa ke bagal se baith gayi.

Tej : Veer se abhi tak baat nahi hui hai. Mujhe ab fiqr ho rahi hai. Wo bhi to call kar sakta hai na? Kahi wo kisi musibat me toh nahi fass gaya na?

Bhavna (frowns) : Tum theek keh rahi ho beta! Itna lamba samay nahi lagna chahiye. Agar wo vyast bhi hai to kam se kam ek phone call to kar hi dena tha usse. Kuch baat zaroor hai.

Bhavna nahi chaahti thi ki uska mann uss disha me jaaye. Par na chaahte hue bhi uska mann wahi jaa raha tha. Aur, uski ghabrahat harr guzarte pal badhti hi jaa rahi thi.

'Mera beta...!' Usne apne ek haath se apne seene ko bheench liya.

Tej : Toh kya kare Mom?

Bhavna : Huh? Ho sakta hai Veer kisi ko koi alag number ya soochna de ke gaya ho. Shayad Ragini ko kuch pata ho. Sab ko uth jaane do. Fir hum baat karte hai.

Tej (nods) : Mmm!

Veer ke ghar me subah wese hi sabhi jaldi uth jaate the. Unn sabhi ke uthate hi jab saare log living room me ekatr hue toh Tej se ab aur raha na gaya,

Tej : A-Aap sab! Kya aap sab me se kisi ki Veer se baat hui hai?

Shweta sabse pehli thi jisne jawaab diya,

Shweta : Nahi! Lekin, uska phone Ragini ko zaroor aaya karta tha jab bhi woh baahar jaata tha. Ragini?

Ragini : Nahi Tai ji! Meri baat Veer se bas message pe hui thi. Mene parso pucha tha uss se ki sab theek hai waha? Toh uska reply aaya tha ki sab badhiya hai. Woh jald hi lautega.

Tej : Uske baad?

Ragini : Uske baad mene kal bhi message bheja tha. Lekin, message seen nahi hai.

Ragini ki iss khabar par woh sabhi ek chinta me doob gayi.

Bhavna : Kya woh tumhe koi aur number deke gaya hai? Emergency ke liye?

Ragini : Hmm? Nahi! Woh khud se hi call karta tha toh-!

Tej : Arohi? Kavya? Kya tum dono ki baat hui hai uss se?

Tej ka prashna sunn Arohi ne dheere se naa me sarr hila diya. Veer ki khabar se woh bhi anjaan thi.

Kavya : Didi! Veer bhaiya ne zaroor apna phone gira diya hoga kahi. Woh bhulakkad toh hai hi. Hehe! Ek baar school time me apna rumaal bhul gaye the. Toh fir mera ladkiyo wala rumaal use kiye the hahahaha!

Arohi : Kavyaaaa!!! Ye mazaak ka waqt nahi!

Arohi ki daant sunn Kavya apna chehra ferr muh fula li.

Kavya : Aap sab itna kyu darr rahe ho? Abhi Choti Tai ji ke gaav me Veer bhaiya uss ghar ki terrace se neeche nahi gire the? Kursi pe land kiye the. Unko kuch nahi hua tha. Ek baar Diwali ke time jab mein aur Arohi di ye waale ghar aa rahe the tab kuch gunde hamare peeche lag gaye the.

Tej : Gunde?

Kavya (nods) : Mmm-hmmm! Gunde! Gande waale! Par Veer Bhaiya waha hero ki tarah bachane aaye the hume. Dii yaad hai na aapko?

Arohi ko turant hi woh pal yaad aa gaya jab Veer usse bachaane aaya tha. Uska haath apne aap hi Veer dwaara di gayi unn kaan ki baaliyo par chala gaya. Aur woh ahista se apna sarr haan me hilaayi,

Arohi (nods) : Mmm!

Kintu, Bhavna ke maathe par lakeere chhaayi hui thi.

'Gunde...!?'

Woh samajh chuki thi ki uska abhi apne bete ke bohut se kisso ke baare me jaan'na baaki tha.

Kavya : Toh aap log khamakha itni tension le rahe ho. Bhaiya ka phone ghum gaya hai pakke se. Woh dekhna khud hi apni taraf se call karenge.

Usne keh toh diya, par sabhi ke ashaant mann ko saantvna dene ke liye ye kaafi nahi tha.

Ragini : Ahhh! Ek minute!! Kavya? Pichli baar Veer woh Suhana Miss ke saath gaya tha na? Woh famous Sonia..! Businesswoman!! Unki badi behan hai na? Woh dono holi me aayi thi na hamare ghar?

Tej : Sonia? Suhana? K-Kaun hai ye?

Kavya (nods) : Mm! Haan! Yaad aaya! Aayi toh thi woh dono.

Ragini : Toh unhone tumhe apna number diya tha na?

Kavya : Ahhn! W-Woh-!!

Jab Kavya nazre churaane lagi toh Arohi ne uski baah pakad li,

Arohi : Ab ye mat kehna ki tumne woh kho diya.

Kavya : Nahi!!! Woh...! Mene paper pe note down kiya tha unka number. Aur ab mujhe yaad nahi ki-

Arohi : Kaaaaavyyyaaaaaa!!

Woh zorr se usse chillaayi.

Arohi : Mene tumhe kaha hai na kitni baar ki hamesha important numbers ko apne phone me save kiya karo.

Kavya : Dii! Tab Holi thi. Mein buri tarah rang se puti hui thi. Isliye mobile ko haath nahi lagaya. Bhaiya ke room se hi copy pen laayi thi aur- arre haan!!! Bhaiya ke room me kahi padi hogi woh copy. Ruko!!!

Woh bhaagte hue andar gayi toh uske peeche-peeche Arohi bhi chal di.

Toh wahi idhar Ragini ke phone par ussi samay Nidhi ka call aa gaya.

Ragini : Hello?

Nidhi : Hello! Kaisi hai aap?

Ragini : J-Jii mein theek hu! Aap bataiye! Aaj mujhe kaise yaad kiya?

Nidhi : Veer ka phone nahi lag raha tha toh socha aapko hi laga lu. Darasal, agle mahine Holi hai. Aur exams bhi rahenge. Mene bas ye batane ke liye phone kiya hai ki Veer se kahiyega woh padhna shuru kar de. Semester ke last exams hai. Fir uska last year lag jayega.

Ragini : Ah! J-Jii! Mein keh dungi!

Nidhi (smiles) : Jii! Dekhiye! Business apni jagah hai. Par- Par ab companies aane lagengi. Veer se kahiyega wo prepare kare. Baaki, mein toh hu hi. Aap jaanti hai ki job kitni zaroori hai. Side me wo business kar sakta hai. Lekin-

Ragini : H-Haan! Aap sahi hai. M-Mein keh dungi uss se.

Nidhi : Jii! Aur usse mere paas bhi bhej dijiyega. Mein usse samjha dungi. Kuch pointers de dungi exams ke liye.

Ragini : S-Sure! Thank you!

Nidhi (smiles) : No need for that. Accha! Mein rakhti hu.

Ragini : Hmm!

Aur call cut ho gaya. Log Veer ko yaad kar rahe the. Parantu, unhe kya pata tha ki woh iss waqt kis haal me tha. Zinda tha bhi ya nahi?

***

Mumbai me Veer ke ghar bhale hi subah ke 7:30 ho rahe the. Parantu, Paris me yaha ab bhi raat ka andhera barkaraar tha.

Yaha derr raat ke 3 baje hue the. Paris ka samay Mumbai se lagbhag saadhe 4 ghante peeche tha.

Hawa me helicopter lehra raha tha. Saagar ki ufanti lehre chattaano par thapede maar rahi thi. Dheere-dheere jab badi lehre takra ke thamti toh paani kuch shan ke liye shaant ho jaata. Aur ussi ke saath uska shor bhi.

Uss ardh-paardarshi jal ke andar dekh paana jatil tha. Upar se raat ka andhera. Helicopter ki spotlight ke bawajood kahi unhe woh nazar nahi aa raha tha jiski unhe talaash thi. Aur woh tha-

Veer ka shav!

"Dhoondhte raho!!! Aasmaan kha gaya usse ya dharti nigal gayi? Paani me hi hoga. Chappa-chappa chhaan maaro."

Senior officer ki awaaz uss poore ilaake me goonj gayi.

Par talaashi ke pehle Ava urf Natalia Martin ko helicopter se neeche utaar diya gaya.

Andre : Miss Natalia. Ab aap surakshit hai. Mein Andre! DGSI ki orr se ek agent. Mere saath chaliye.

Ava ne ahista se haami bhari aur uske peeche-peeche chal di.

Raasta wahi tha jaha se Veer aaya tha. Aur waha se nikal jaise hi woh sab building ke nazdeek aaye toh Andre ghabraate hue aage badha,

Andre : Terashimaaa!!!!

Woh chillaaya aur Terashima ko zameen se uthaate hue usse jhunjhlaya. Kintu, woh hosh me nahi thi.

Uski saansein aur physical condition check karne ke baad Andre ne ek raahat ki saans li.

Toh utne me building ke dusre maale se Chris aur uski team neeche aayi. Chris ki baah me goli lagi hui thi.

Neeche aate hi Chris ki aankhein phati ki phati reh gayi jab usne apne aas-paas ka nazaara dekha.

Lighthouse ka chhajja tabaah ho chuka tha. Aur neeche, ek bade se chopper ke chithde ude hue the jo aag ki lapto me jhulas rahe the.

Chris : Good god!! K-Kya hua yaha par?

Andre : Chris!!!

Chris : Andre?

Andre : Tumhe toh chot lagi hai. Quick! Jaldi chalo!

Chris : H-Haan! Upar bache hue logo ko arrest kar liya gaya hai.

Andre : Chinta mat karo! Poora area chhaan ke hi yaha se niklenge. Pehle tumhe medical assist dena zaroori hai.

Airplane airstrip par pehle se hi khada hua tha. DGSI aur police officers dwaara Natalia ko plane ke andar baitha diya gaya.

Toh wahi jis plane me Natalia ko laaya gaya tha, uske andar bhi chhaan-been shuru kar di gayi. Kintu,

Jo pilots Natalia ko plane me yaha baitha ke laaye the, unki bas laashe hi haath lagi.

Andre : Shit!!! Ab kya kiya jaaye?

Senior officer : Le ke chalna hoga inhe. Forensic report shayad kuch bata de. Baaki, bodies par se phones aur baaki details kese retrieve karni hai woh kaam hum par chhor do.

Andre (nods) : Hmm!

Aur kaafi mehnat mashakkat ke baad ek airplane ko waha se bhej diya gaya.

Yaha se ek plane ravaana hua tha toh wahi Paris ke airport par ek airplane land ho raha tha.

Plane ke land hote hi, usme se log nikle aur airport ke baahar jaane lage.

Unhi chand logo me se ek khubsoorat aurat tezz qadmo ke saath aage badh rahi thi. Uske peeche-peeche ek aadmi tha aur ek aur aurat chal rahi thi.

"Miss! Yaha se ab kaha?"

Awaaz Prakash Uncle ki thi. Aur aage chal rahi aurat koi aur nahi balki Suhana hi thi.

Uske chehre par chinta aur ghabrahat saaf jhalak rahi thi.

"Suhana!!! Kuch bataogi ya nahi?"

Ye awaaz thi Ashita ki. Suhana ki personal psychologist. Divya toh na aa saki parantu Ashita Suhana ke peeche peeche chali aayi.

Suhana ka ravaiyya bada hi ajeeb lag raha tha usse. Uski personal psychologist hone ke naate uski harr harqato par dhyaan dena Ashita ki zimmedari thi.

Suhana : Prakash Uncle!! Hume Ava ko dhundhna hai.

Prakash : P-Par Ava Miss to kidnap ho chuki hai na Miss.

Suhana tezz raftaar se chalti jaa rahi thi. Uska peeche karne ke liye Prakash aur Ashita ko bhaagna pad raha tha.

Prakash : Aur aap abhi bhi poori tarah theek nahi hui ho.

Suhana (frowns) : Abhi sabse zyada important hai Ava ke baare me khabar lagna Uncle. Veer bhaari musibat me hai. Uska Phone nahi lag raha hai aur na hi aapke uss Eric se contact ho paa raha hai.

Ashita : Veer? Who's this Veer?

Prakash ne ek jhalak Ashita ko dekha par uske prashn ka uttar na diya.

Prakash : Aise me toh fir Ava Miss ke sabse qareebi log ya fir yaha ke investigation department jaana hi behtar hoga. Wahi se kuch detail lag payegi Miss.

Suhana : Ava ke qareebi kaun hai, ye hum nahi jaante. Investigation department hi chalna behtar hoga.


da07a010-d39a-4881-a52b-889053603036

Road taraf aate hi ek car pehle se hi unke liye lagi hui thi.

Prakash ne aage badh car ka darwaza khola aur Suhana andar baith gayi. Saath hi Ashita bhi.

Prakash aage driver ke bagal se baitha aur car waha se ravana ho gayi.

Magar abhi kuch hi kilometer ki duri tay ki thi unhone ki saamne ka nazara dekh woh sabhi chaunk gaye.

Paris ke iss jaane maane chauraahe par afra-tafri machi hui thi. News reporters idhar se udhar apne cameramans ke saath coverage ke liye bhaag rahe the.


gty-place-de-la-republique-square-panic-mt-1511115-16x9-608

Toh wahi police unhe control karne me lagi hui thi. Logo ko surakshit rakhne ke liye woh waha se jald se jald area khaali karwaane me lage hue the.

Ye ilaaka wahi tha jaha kal raat bada dhamaka hua tha. Tehqiqat karna kisse pasand nahi hota? Log apna camera leke aur reporters apna mic leke pohuch rahe the.

Police ke liye kaam badhta jaa raha tha.

Suhana : Something big has happened. Whole city is in chaos.

Ashita : Y-Ye sab!? Akhir ho kya raha hai?

Car me baithe-baithe unn sab ne dekha ki kaise news reporters harr ghatna ki jankaari dene me lage hue the.

Toh wahi janta me se kuch log aise the jo virodh ka pradarshan kar rahe the. Naare lagaate hue woh police aur France ki govt. ke khilaaf awaaz utha rahe the.


001d962a-1440

"Kya yahi hai France ki suraksha? Kya yahi hai police ki security? Aise hi itna bada hamla sheher ke beecho-beech kar diya jaata hai. Kya kar rahi thi police? Kitne log maare gaye hai. Kaha hai hamla karne waala? Kya police pakad paayi usse? Hum jawaab chaahte hai!!!"

Janta ka virodh badhta hi jaa raha tha. Aur unki awaaz ko logo tak pohuchaane ka kaam media kar rahi thi.

Police officers logo aur media ke beech ghir kar unhe bas hidaayat hi de sakte the.

"France 24 News channel se mein bol rahi hu Audrey aur hamaare saamne maujood hai police department ke jaane maane Chief. Sir! Kya kehna chaahte hai aap iss waqt? Janta police se naakhush hai. Din-dahaade hamla ho jaata hai aur police ke paas saamne rakhne ke liye koi jawaab nahi hai."

Chief ne logo ko shaant rehne ka ishaara kiya par shor tha jo kam hone ka naam hi nahi le raha tha.

"Dekhiye!! Situation kaafi critical hai aur complex bhi. Ye samay virodh ka nahi hai. Mein janta se kehna chahunga ki kripya kar woh hume apna kaam karne de. Mujrim ke peeche DGSI aur hamari force lagi hui hai. Mujhe aasha hai jald hi hum ghuspethiye ko pakad lenge. Mein aashvashan deta hu ki France ki police apna poora de rahi hai."

"Par janta ka kya Sir? Jinhone apni jaan gavaayi hai unka kya? Uss baare me aap kya kehna chaahenge? Kya aap maante hai ki aap ke department me se kahi na kahi security ko lekar chook hui hai?"

"Ji nahi! Hum harr samay alert rehte hai. Ye ek haadsa hai. Aur mujhe bohut khed hai iss baat ka ki kuch logo ne apni jaane gawa di hai. Magar hum jald hi mujrim ko pakad ke janta ke saamne pesh karenge."

Itna bol Chief waha se hatt ke jaane lage toh news reporter unka peecha karne lage. Parantu, police officers ne unhe aage badhne na diya.

"Toh jaisa ki dekha aapne. Police chief ka yahi kehna hai ki woh apna poora de rahe hai aur tehqiqaat karne me teams juti hui hai. Mera bhi yahi nivedan hai darshako se ki kripya apne apne ghar me hi rahiye. Police ko apna kaam karne dijiye. Tab tak ke liye aaiye aapko dikhaate hai, uss building ki dasha jaha par dhamaka hua tha."

Aur news reporter cameraman ke saath waha se nikal gayi.

Car me baithe jab Suhana aur baaki sab ne ye dekha toh unki haalat patli ho gayi.

Ashita : I-Itna bada haadsa ho gaya yaha?

Prakash : Aage bhaari checking lagi hai Miss. Cars ko bina check kiye aage badhne nahi de rahe hai.



images-9

Suhana : Hum clean hai. Hum par koi aarop nahi hai. It's okay. Let them do! Lekin agar time lagta hai then-!! Find another route.

Prakash : Jii! Mein aage jaake unse puch ke aata hu ki pehle hamari checking kar de. Toh hum yaha se nikal sake.

Suhana (nods) : Hmm!

Prakash gaadi se utar aage Signal ki orr chal diya. Lekin tabhi chauraahe ke upar bade bade hoardings ke paas lagi ek badi si screen par news aayi.

Suhana ki nazre fauran hi uss par tik gayi.


images-10

"Breaking News coming from the blast incident which took place yesterday. Singer and celebrity Miss Natalia Martin has been rescued by the DGSI and police force. The suspect has been executed on the spot. It has been confirmed that the suspect didn't co-operate with the police. Hence, squandering his life. Body has still not been found. However, DGSI is working diligently to search the criminal's body."

Khabar ke saat hi Veer ki wahi tasveere screen par aayi jo Andre ne slot machine waali alley me video me record ki thi.

Suhana ne jab ye suna aur dekha toh uski saansein maano atak gayi. Saaf saaf likha hua tha. Suspect was executed on the spot.

Apraadhi ko wahi par maar diya gaya. Suhana ka badan thar-thar kaanpne laga. Uski aankhein feli hui thi. Kya woh saamne jo dekh rahi thi woh sach tha?

Aur fir iska bodh hote hi ek ajeeb si anubhooti usse andar se hui. Aankhon se apne aap aasu nirantar behne lage.

Ashita : Suhana!?

Suhana toh jaise kisi aur hi duniya me jaa chuki thi. Badan me kampan rukne ka naam nahi le raha tha.

Achanak hi uske phone par call aaya, jiski awaaz ne uska dhyaan kheecha.

Bina screen me number dekhe Suhana ne call uthaaya aur phone ko kaan pe lagaya.

Toh waha se awaaz aayi,

"Umm! Suhana ma'am? Kya ye aapka number hai? Mein Veer bhaiya ki choti behan- Kavya bol rahi hu. Hello? Hello?"

Suhana ki bolti band thi. Kaise jawaab de? Aur kya jawaab de? Saamne screen par Veer ki akhiri tasveere jhalak rahi thi. Kaise kahe uss ladki se ki uska bhai marr chuka hai?

Usse mehsoos hua jaise andar se kuch behad keemti toot gaya ho. Jisse ab dobaara kabhi nahi joda jaa sakta.

Kavya : H-Hello?

Suhana : M-Mein tumhe baad me call karti hu Kavya. Okay?

Kavya : Ohh! O-Okay! Wo-! Woh Veer bhaiya ke baare me puchna tha. K-Kya aapko koi khabar hai woh kaha par hai?

Suhana : N-Nahi! Mein pata kar ke tumhe uske baare me bataati hu. Th-Theek hai?

Kavya : Okay! Thank you~ B-Bye!

Aur call cut ho gaya. Magar call cut hote hi Suhana toot ke bikhar gayi. Woh zorr zorr se rone lagi. Ashita usse achanak se iss qadar dekh ghabra gayi.

Ashita : Suhaaaanaa???

Parantu, Suhana koi jawaab nahi de rahi thi. Woh bas roti jaa rahi thi. Jhar-jhar uske aansu aankhon se beh ke gir rahe the.

'It can't be-!!! H-How can this happen?'

Yakeen nahi karna chaahti thi woh magar saamne news channel uske mann ko aur duwidha me daal raha tha.

'N-Nahi!! Aisa nahi ho sakta. It doesn't make any sense. R-Right! They haven't discovered him yet. Jab tak mein apni aankho se nahi dekh leti tab tak mein yakeen nahi karungi! Woh Aatish, Slogan, Nightwalker, Pitcher jaiso ke changul se baahar aaya hai. I know you're out there Veer...!'

Ashita : Suhanaaa?

Suhana ne agle hi shan apne aansu poche. Tab tak Prakash bhi laut ke aa chuka tha.

Prakash : Miss! Woh maan gaye hai. Check karwa ke nikalte hai.

Suhana : Plan badal chuka hai Uncle. Ab hum waha nahi jaa rahe. Ek hotel me rooms book kariye sab ke liye. Aaj raat hum wahi thehrenge. Aur kal Ava laut ke aa chuki hogi Paris me! Then we'll meet her.

Prakash : Theek hai!

'She's hiding something.'

Car checking ke baad seedhe ek hotel ki disha me chali gayi.

***


Las Vegas
Night...


Veer ke liye uske chaahne waale log lag chuke the. Harr koi uski khabar paane ke liye bechain tha.

Yaha Vegas me Divya ko ek baar punaah Nolan ne apne department bulaaya hua tha.

Andar jaate hi ek aur report uske saamne table par patak di gayi.

Nolan : Ab sthiti haath se nikal rahi hai Divya. Take a look at this.

Report ko uthaate hue jab Divya ne sab kuch padha toh woh bhauchakki reh gayi. Atyant krodh janm liya, saath hi vyaakulta bhi.

Divya : Ye France waale paagal ho gaye hai kya? Andhe hai kya? Dikhaayi nahi deta kya namoono ko??

Nolan : Tumhe ek baat aur bataani hai. Kuch din pehle France ki orr se House of the Killers ke cases ko leke ek request aayi thi.

Divya : Wh-What?

Nolan : Hmm! Unhe report chahiye thi HOK ki.

Divya : Kyaaaaa?

Nolan : Aur humne unhe bheji bhi hai report.

Divya : What? Are you in your right mind??? HOK koi normal murder case nahi hai. Ye confidential hai. Classified reports ko department dusre desh me kaise bhej sakta hai?

Nolan : Unka daawa hai ki wahi hamla unke upar hone waala tha. Unhe saboot bhi mile hai. Aur iska rachayita unn logo ne kisse tehraya hai pata hai na?

Nolan ne agle hi pal report ka akhiri panna khola toh usme Veer ki tasveer bani hui thi.

Divya ka haal behaal ho utha. Woh apni jagah par baithate hue bhayanak peeda mehsoos kar rahi thi. Usse koi raasta nazar nahi aa raha tha. Uske nain bheeg uthe.



014ab73d076f5de5c8b7a9a2b1fcbb1e

Divya : Y-Ye sab-!!!

Nolan : Hum jaante hai Veer nirdosh hai. Hum sirf ek hi kaam kar sakte hai. Aur woh hai ki apni report bana ke bheje jisme Veer ko normal citizen ke roop me dikhaaya jaaye. Jaisa ki vaastav me hai. Lekin-! Jo kuch hoga woh wahi se ho payega. Mujhe nahi lagta woh maanenge.

Divya (sobs) : A-Aap kaise!? Kaise bhej sakte ho waha reports? *sniff*

Nolan : Divya! Jab dusra desh vipda me aane waala ho aur unhone koi maang rakhi ho toh hume badle me madad karni hi padti hai. Hamara desh iss samasya se joojh chuka hai. Upar se order the ki report ko bheja jaaye taaki woh pehle se iske liye taiyaar ho sake. Hume kya pata tha ki waha Veer ko fassa diya jayega!

Divya (screams) : Magar Veer nirdosh hai!!!!

Nolan : Jaanta hu! Isliye jo bann padega, department woh karega.

Itna bol woh baahar nikal gaya. Kintu, Divya wahi gir ke subakne lagi. Iss ladke se itna lagaav ho jayega usse, usne khud kabhi nahi socha tha.

***

Agli raat mahaul kuch aur hi tha. News par Ava se sawaal jawaab kiye jaa rahe the. Usse Paris aaye kuch hi ghante hue the ki reporters uske upar chadh pade.

Tamaam sawaalo ke saamne Ava mics se ghiri hui thi.

Aur unn sabhi sawaalo ka bas usne ek hi jawaab diya,

"Mujhe theek se yaad nahi mere saath kya hua tha. Mein bhaag rahi thi. Fir pakad li gayi aur fir kahi mujhe le jaaya gaya. Mujhe koi jankaari nahi hai inn sab ke peeche kaun hai. Mein abhi ghabrayi hui hu aur abhi kuch samay akele me guzarna chaahti hu."

Bas! Ye kuch shabd kaafi the. Doctors se leke security sabhi ne reporters ko Ava se dur kar diya. Doctors Ava ki health condition check karne lage. Toh wahi kuch reporters ke sawaal jawaab dene me lag gaye.

Sab kuch jab thoda shaant hua. Toh raat me Ava hospital ke liye chal padi.

Woh akeli thi. Face par mask tha uske. Car thode sunsaan raaste se guzar hi rahi thi jab theek saamne raaste par koi beech me aa gaya.

Ava ne car side me roki aur uss se baahar nikal woh uss shaks ki orr gayi.

Saamne wahi tha!!


Crimson!!!

Par uski aankhon me bhaiyankar krodh tha. Aag baboola ho rakhi thi uski aankhein.

Crimson (garajte hue) : Kaha hai woh??? Kaha hai??

Ava (frowns) : He's dead!

Agle hi pal Ava ka gala Crimson ke mazboot haatho me tha.

Crimson : NAHI!!!!! TUMNE MARRNE KAISE DIYA USSE??? WOH MERA SHIKAAR THA!!!!

Ava : Ngghhh!!!

*BAAAAAAMMMMMMM*

Ava ki laat turant hi Crimson ke pait se takraayi aur Crimson dur jaate hue lohe ke dabbo ke beech jaa gira. Uska ek haath wese hi pehle se gaayab tha. Seene par abhi bhi khoon ke dhabbe maujood the.

Ava : *huff* *huff* Mene tumhara kaam kar diya hai. Apne aadmiyo ko waapas bulao.

Crimson karaahte hue utha aur kuch derr tak Ava ko dekhta raha.

Ava ki awaaz agle hi pal kaafi khaufnaak ho gayi.

Ava : APNE AADMIYO KO WAAPAS BULAO! ABHI!!!

Crimson : Girl!!! Awaaz neeche! Bhulo nahi ki tum kis situation me ho abhi.

Fir bhi apna phone nikaal usne ek message bheja. Aur uske message bhejte hi,

8 se 10 snipers jo apna aim Grace Martin ke ward ki khidki par lagaaye baithe the woh waha se nikal gaye.

Crimson : They are gone!

Ava : Agar aisa kuch dobaara hua, toh mein tumhaare tukde tukde kar dungi! Fir chaahe apni hi jaan kyu na gawa du!

Crimson (gusse me) : Woh mera shikaar tha!!! Meraaaa!!!! But you let him-

Ava : He didn't surrender. He chose to die. He gave away his life rather than surrendering to you.

Kehte hue uski palke neeche ko jhuk gayi.

Crimson : Y-You-!!

Ava (glances) : Aur itna gussa kyu? Tum usse maarna chaahte the. Woh jaa chuka hai. Tumhara maqsad poora hua. Why the rage?

Crimson : Tch! Apne kaam se kaam rakho! Aur tumhara haal bhi toh alag hai. Aren't you caring for him too much? He was no one to you! Why such a reaction then!? Interesting!

Ava : Fuck off!

Ava waha se mudi aur apni car me baith ravana ho gayi.

Raaste par bas Crimson hi akela khada raha.

'Veeeeeerr!! You motherfucking bastard-!!! Mene nahi socha tha ki tum maut ko gale laga loge. Tch! Plan bigad gaya hai. Sirf iss ek move ke kaaran. Mujhe kuch aur karna hoga-!!! But first-!! I must fix something!'

Woh soch waha se hawa ke jhoke ki tarah gaayab ho gaya.

*Click*

Yaha Hospital me ward ka darwaza khula. Aur Ava apni Maa Grace ke kamre me pravesh ki.

Maa ko dekhte hi, Ava apne ghutno par gir padi.

Maa ko dekh woh unke paas aayi.

"Mother-!!!"


6e176aad-6f1f-4d25-a61e-d7c8cf91403e

Kintu, Grace toh kisi murti ki tarah sthir waha laiti hui thi. Koi harqat nahi. Bas saansein chal rahi thi.

"K-Kyu? Kyu meri itni pareeksha li jaa rahi hai? Kyu mujhe woh karna pada?"

"Mother-!!! I commited a sin!!!"

"Mujhse bohut bada paap ho gaya hai mamma!!! I-I- I killed an innocent mamma!!"

Woh kaanch ki tarah toot ke bikhar gayi.


1d7aab2b-842a-4c45-890b-3ced33dd101d

"Mein bewakoof-!! Samajh na paayi!! I couldn't understand his heart. I never wanted to do it. But I did-!!! Mamma!!!"

*sniff*

"Woh yaha mujhe bachaane ke liye aaya tha. He didn't even ask me for any details. *sniff* Yet I- Yet I worked with that guy to frame him!!!"

*hic*

"Mother-!! You are my strength!! But you are my weakness too!!"

"Kaise? *sniff* Yaha tak pohuch gayi hu. Ab kaise peeche hatt sakti hu?"

Uske mann me ek notification saaf saaf jhalak raha tha.


[Accumulated points : 18000]

[2000 points are required more to activate the Legendary Scroll ~ Maisie's cure!]

[Maisie's Cure - The scroll gives host the proper medication guidelines and surgery methodologies to recover any person from coma.]


"I'm sorry-!!! I'm sorry Veer!!! I never wanted to do it-!!! *sniff* Mamma!!! *sniff* Speak to me!!! P-Please-!!!"
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Itne bade bade bawaal updates ke baad ek cooldown update zaroori tha. Update 4.6k words ka hai. Like thokne ka. Target wahi hai. 140 likes. 2 updates aur aayenge. 1 poore past ko darshayega ki Crimson ne ye sab racha kaise. HOK kaise paida hua. Veer kaise framed hua. Dusre me wapas hum present me aa jayenge.

Dhanyavaad! ✨
Nice behtarin mast awesome update bro
 

Jdshaan

New Member
29
57
13
Update - 141 ~ The Last Breath

Ab tak...

Magar, agle hi second woh saaya waha se gaayab ho gaya.

Aur idhar,

Raghu : Kya baat hai? Tu kuch pareshaan lag raha hai?

Jassi : Huh? N-Nahi! Kuch nahi! Chal!

'Akhir wo kya tha??? I'm sure mene uchaayi par wo saaya dekha tha. Kya wo koi jaanvar tha? Samajh nahi aa raha.' Jassi apne mann ki gutthi me uljha reh gaya.


Ab aage...

Ushant Islands~

“Urrrrghhhh~”

Ek dard bhari karaah unn bhaari vishaal pattharo ke neeche se aayi. Veer unke neeche daba hua tha.

Haddiya to Bone Reaper ke chalte sahi salamat thi parantu, unn pattharo ke bhaar se ho rahe dard ko kaise kam kiya jaa sakta tha?

Woh toh accha tha jo Veer ne neeche dabne se pehle turant Bone Reaper equip kar liya tha. Warna uski haddiyo ka choorma bann jaana tha.

[Master-!? Are you okay?]

Pari ki ek chinta-janak awaaz uske mann me aayi.

'Y-Yeah!'

Veer ne keh toh diya magar woh jaanti thi ki uske Master bilkul bhi theek nahi the.

Veer ke perro par bhaar bohut adhik tha. Ek perr bacha hua tha lekin dusra pattharo ke neeche tha. Uska seena aur ek haath bhi buri tarah unn pattharo ki chapet me aa chuke the.

'Meri fiqr mat karo. Mein kaise bhi kar ke baahar aa jaunga. Tum ye batao kya tumne kuch observe kiya?'

[I think I have figured it out Master.]

Pari kuch sochte hue boli.

'What is it?'

[Shayad mujhe pata lag gaya hai ki ye sab akhir chal kya raha hai.]

'Tell me!'

[Ye toh pakka hai ki aapko frame kiya gaya hai. Kisne kiya hai? Toh aapka guess bhi sahi hai. Uss Crimson ne hi hume fassaya hai.]

'I know that. Lekin kyu aur kaise?'

[Kyu ka jawaab mere paas abhi nahi hai Master. Lekin kaise? Uska zaroor hai. Hear me out!]

'Mein sunn raha hu!'

[I think ye Crimson-!]

'??'

[Ye Crimson hi House of the Killers ka rachayita hai. Isne hi House of the Killers jaise bade khatarnaak organisation ko banaaya hai.]

'Koi proof Pari?'

[Proof nahi hai. But meri thinking bohut strongly uski orr point out kar rahi hai. Kyuki ye Las Vegas me bhi tha.]

'Yeah!'

[Agar usse maarna hota to woh wahi maar deta. Toh maara kyu nahi? Answer is simple! He wanted to frame you! DGSI ko issi ne shayad aapke khilaaf galat info di hai.]

'Ohhh!'

[Remember the fake police?]

Pari ke bataane par Veer ko yaad aaya. Jab unn alleys me smoke bomb feka gaya tha aur Ava ka bodyguard jo zakhmi hua tha. Woh fake police ke kaaran hi hua tha.

'Shit!!! Mujhe yaad hai. Woh fake police-!!'

[Woh issi ne bheji hongi Master. Ye Terashima log tab waha hum par nigrani rakh rahe honge. Unhone jab police ko hamla karte dekha to unhe galat message chala gaya. Oh no!!! Ye mene pehle kyu nahi realize kiya?]

[Master! Isliye wo hamare peeche hai. Jab unhone dekha ki police shoot kar rahi hai toh unhe confirm ho gaya ki hum suspect hai. But these fuckers didn't know that they were fake police officers.]

'Iska matlab woh fake police ka hamla sirf mujhe suspect confirm karwane ke liye tha!?'

[Yes!!! Lekin kuch aur bhi hai-! Wo ye assume kar rahe hai ki Ava ko hum laaye hai. But that's not true. Unke haath kuch aur bhi laga hai Master. Crimson ne unhe koi aur jankaari bhi di hai. Lekin mujhe aur analyse karne ke liye samay chahiye. I'm sorry!]

'Nahi Pari! Tumne wese hi bohut kar diya hai. It's enough and- arrggh!!!'

[Maaasterrr!!!]

Veer ka dard ab badh raha tha.

[It hurts Master. I know! But please~ Stay Calm.]

Pari ki awaaz uske andar goonji toh wo apni saanson ko durust karne laga. Pari jaanti thi ki uske Master iss waqt kis haal me the. Uske bawajood woh khud ko shaant rakhi hui thi.

Yahi thi uski personality. Agar iss waqt Pari ki koi aur personality hoti toh pakke se panic mode me chali jaati. Magar, ye Pari alag thi.

[Yes! Breathe in, Breathe out!!!]

Veer lambi-lambi, gehri par santulit saansein lene laga.

[Mene aapke kandhe par lagi bullet waale ghaav ke blood flow ko rok diya hai. Blood loss se bachaane ke liye. But sorry, I cannot remove your pain.]

[Mein ek samay par aapki body me ek kaam kar sakti hu. Right now I’m focusing on your blood flow. Sorry Master! Agar mein aur capable hoti toh aapki sensory nerves par bhi dhyaan de deti. Kam se kam kuch dard kam ho jaata.]

‘You are more than capable Pari!’

[Master...!]

‘Mera dard bhale hi kam ho jaata, par damage ko toh nahi roka jaa sakta na?’

[Y-Yes Master! Body to aapki damage tab bhi hoti.]

‘Then what’s the point? It’s okay Pari! Dard se mujhe darr nahi lagta.'

[That’s-]

[Ye sab uss Crimson ke kaaran. He damaged your body too much. I can feel the pain too. Andhruni chot zyaada hai. Muscles aur tissues me baitha woh dard-!]

[But we will pay him back. Don't worry! As long as I’m here. I won’t let you die. Now listen to me-]

'Pari!!! Tum kitna kuch karti ho mere liye-!' Veer ne usse bolte waqt beech se hi kaat diya.

Uske achanak se aise bol sunn Pari maun reh gayi.

[???]

Veer ke mann me tabhi Bhavna ka khayaal aaya. Mall me jab uski mulaqat Louis se hui thi, toh Bhavna se phone par uski baat hui thi.

Aur uss call ke baad se Veer ki ghar pe kisi se bhi baat nahi ho paayi thi. Samay hi nahi mila tha usse.

'Ghar par sab chinta kar rahe honge.'

Ye soch usne ek gehri lambi saans li.

'Mein ab ek stupid move try karne jaa raha hu. Par wahi mujhe yaha se nikaal payega.'

[What?]

Usne apna ek perr apne dusre perr ke upar tike bhaari patthar par lagaaya aur agle hi shan-

"Haaaaaaaaarrrrrrgggghhh-!!!!"

[Maaaasterrrr!!!]

Woh apni sirf physical strength ka istemaal kar usse hataane ki koshish karne laga. Kintu, Pari bechain ho uthi.

[Don't do it! Please! N-No-!!! At this rate-]

Uska poora perr kaanp raha tha. Perr ki saari nasse phatne ko ho rahi thi. Usne apni bhar taaqat lagaayi.

[What are you doing?? Stop it!!!!! Agar aise hi strain badhta gaya toh-]

Magar woh na ruka.

"Nnnngghhhh-!!!"

Uska poora muh laal hone laga. Aur agle hi pal,

"Aaaaaaaaarrrggghhhh!!!"

*Splurt*

[Nooooooo!!!]

Veer ke perr me ghutne ke neeche, peeche ka maans ka hissa phat gaya.

Aise jaise tarbooj phatata hai. Muscle Tearing. Kisi ek jagah adhik strain se, adhik pressure se andhruni maanspeshiyo ke phatne ka darr rehta tha.

Veer ke saath bhi wahi hua tha. Usne apne jeevan me kabhi itna zorr nahi lagaya tha. Isse karne ke liye insaan ko kitna jazba chahiye hota tha, ye baat Pari bakhubi jaanti thi.

Apne Master ke uss jazbe ko dekh woh stabdh bhi thi par saath hi unki aisi haalat dekh usse dard bhi ho raha tha.

Zameen par khoon bikhar gaya. Veer ke perr ke peeche ka maans ka hissa latakne laga. Uske honth daato tale dabe hue the. Woh dard sehen karne ka prayaas kar raha tha.

Agle hi shan, bina samay gavaaye usne apna dusra perr zameen par tikaaya aur uski sahaayta se woh apne haatho ko churraane me lag gaya.

Dekhte hi dekhte usne ek ek karke sabse bhaari pattharo ko alag kar diya. Aur neeche se sarak-sarak ke woh jaise taise baahar aa gaya.

Atyant buri tarah ghayal ho chuka tha woh. Pari uske perr se nikalte khoon ko rokne me lagi hui thi. Kandhe aur perr dono hi jagaho ke blood loss par wo dhyaan de rahi thi.

[M-Master-!]

'Eric ko mein nahi le jaa paunga. Woh log usse kuch nahi karenge. Zyada se zyada jail me daalenge. Wese bhi wo behosh hai. Usse pehle infirmary le jayenge. Itna samay mere liye kaafi hoga Miss Suhana se keh ke usse baahar churraane ke liye.'

Veer ko tabhi building ki floor par se qadmo ki awaaz sunaayi padi. Aur unhe sunn uski bauhe chintan me sikud gayi.

[Yaha rukna theek nahi.]

Usne mud ke dekha to wahi raasta tha ab uske saamne jiske baare me Eric ne bataaya tha. Ye wahi raasta tha jiske agal-bagal pattharo ki deewaare thi. Parantu, woh sirf sunset ki sightseeing ke liye tha. Aage jaake raasta band tha.

Fir neeche samudra hi bas tha.

'Kuch derr hum waha chhip sakte hai. Kyuki building ki taraf jaana bewakoofi hogi.'

[Mmm!]

Ye soch woh aage badh gaya.

*huff* *huff*

Woh langda-langda ke chal raha tha. Uski saansein ukhdi-ukhdi aa rahi thi. Adhkhuli aankhein liye woh jaise-taise bas ghaseet raha tha khud ko.

Uski iss haalat ko dekh Pari jaise andar hi andar tootati jaa rahi thi. Par woh nishabd rahi.

Apne chotil kandhe par haath rakh woh haafte hue aage badhta raha.

Dheere-dheere woh raaste ke chhor par pohuch raha tha. Kaafi ujaala aa raha tha waha se. Chaand ki roshni thi uss khuli jagah par.



a128b2e66ae266573a4f748e4204ce0b


'Bas aa hi gaye!' Aur wo chhor par pohuch gaya.

Par waha pohuchte hi, usse apni zindagi ke sabse bade jhatko me se ek jhatka laga.

Uski aankhein felti chali gayi. Pari ka bhi wahi haal tha.

Kandhe par rakha haath uska apne aap neeche gir latak gaya. Aisa lag raha tha jaise wo kisi jung me apna sab kuch kho diya ho.

Kyuki agle hi shan, uske saamne ka manzar tha-

10 armed police officers apne hathiyaar liye. Ek seeking helicopter jo uske waha pohuchte hi hawa me udaan bhar uss par spotlight tainaat kar diya.



gettyimages-698836877-640x640

Andre aur Senior police officer jo helicopter me baithe usse ghoor rahe the.

[N-No-!! It cant be-!! Master-!!!]

Anjaane me woh ussi trap me aa chuka tha jo Andre aur team biccha ke baithe the. Ye Team C thi jinhe Chris ne Veer ko pakadne ka kaam saunpa tha.

Helicopter me khade Senior officer ne mic liya aur announce kar bola,

Senior Officer : Apne aap ko hamare hawale kar do. Yahi accha hoga tumhare liye.

Veer ne sarr upar kar uss Senior Officer ko helicopter me baithe dekha aur bola,

Veer : Apne aap ko hawaale kar du? Kis liye? Kisi ki madad karne ke liye? Ya kisi ki jaan bachaane ke jurm me?

Officer 1 : Ye kya bakwas kar raha hai?

Officer 2 : Pakad gaya hai na! Shayad pagal ho gaya hai!

Senior Officer ka munda wese hi thanka hua tha. Veer ka jawaab jaise usse aur gussa dila gaya.

Senior Officer : Bewakoof ladke! Tumko ghera jaa chuka hai. Apni galti maan lo aur surrender kar do. Chalaaki ki to goliyo se boon diye jaoge.

Veer : Tum logo ko koi galat fehmi hui hai. Apni agent Terashima se pucho! Ya fir Singer Natalia se. Mein unka bodyguard-

*BANG*

Veer abhi aage kuch kehta ki tabhi ek bullet uske perro ke paas aake zameen me dhass gayi.

Senior Officer : Apne saare hathiyaar feko. Aur haath upar kar khud ko hawaale karo.

[Woh maan'ne waale nahi hai Master. Just surrender!]

Veer ne apni baayi orr dekha. Ek lohe ki bench lagi hui thi baithne ke liye. Ahista-ahista woh uss orr chal diya.

Uske chalte hi dherr saari laser lights uske badan par tik gayi. Senior officer ne usse chetaavni di par Veer ko bench par baithata dekh usne apne officers ko shoot karne se rok liya.

Senior Officer : Surrender karte ho ya?

Veer : Surrender? Kis baat ke liye? Jab mene kuch kiya hi nahi toh-!?

Senior Officer : Tumhe last warning di jaa rahi hai. Tumhare khilaaf sab kuch hai hamaare paas. Surrender kardo warna-

[M-Master! Surrender kar dijiye! Warna yaha se nahi nikal payenge. Aur ye log maan'ne waale nahi hai. Kuch bohut badi galat fehmi hui hai. Crimson ne khel khela hai.]

'Surrender? Bina galti kiye? Never in my life I will surrender!'

[Maaaaastttteerrr! Samajhne ki koshish kariye!]

Veer ne punaah upar udd rahe uss helicopter me dekha. Aur tab jaake usse apne jeevan ka dusra sabse bada jhatka laga. Senior officer aur Andre ke alawa koi aur bhi tha jo maujood tha.

'It's you-!!!!!?'

Uski aankhon ki putliyaan achambhav ke maare felti chali gayi. Pari ki khud ki rooh kaanp gayi jab usne helicopter me khadi uss ladki ko dekha toh.

[N-No-!! It can't be-!!]

Aur Veer ko saara maajra samajh aa gaya. Uska sarr fauran hi jhuka aur uske facial expressions chhip gaye.

Woh ladki kahi aur hi dekh rahi thi. Kuch pal baad hi waha ek hassi zorr se goonj uthi. Veer pagalo ki tarah hassne laga tha.

Officer 1 : Y-Ye kya-!?

Officer 2 : Pakde jaane ke darr se paagal ho gaya hai.

Officer 1 : Sir? Kya hum usse seedha jaake nahi pakad sakte?

Senior Officer : Nahi! Uske paas hathiyaar ho sakte hai. Kahi bomb wagarah na rakha ho. Keep your distance. Surrender karwa ke hi maanenge hum.

Veer idhar bas hassta raha. Uski aankhein uss ladki ki aankhon se takraayi. Aur ek kadvaahat Veer ke dil me fel gayi.

Woh sarr jhukaaya.

Senior Officer : Agar tumne co-operate nahi kiya. Toh mein fire ka order de dunga.

‘Pari!’

[Huh?]

'Beowulf's Blessings ka kitna samay baaki hai?'

[Sirf 5 seconds hi bache hai uske Master.]

‘Alright then! Pari! Mein jo ab karne jaa raha hu…! It’s a bad move!’

[Wh-What? Ye aap kya-!?]

Pari ne agle hi shan Veer ke dimaag me jhaanka aur ye pata karte hi ki woh kya karne jaa raha tha, uska sanshay bhayankar darr me badal gaya. Aur pehli baar aaj,

[YOU FUCKING IDIOTIC STUPID MASTERRRR!]

Woh uss par baras uthi. Veer jaanta tha Pari ki ye personality kitni shaant thi. Par aaj woh uss par garaj rahi thi. Uss par gussa ho rahi thi, uss se naraaz thi, niraash thi aur sabse mehatvpoorn-

Uski parvaah thi usse. Aaj usme bhay bhi tha aur ghabrahat bhi.

[Why don’t you fucking understand? There will be no Pari without you. I will cease to exist. Aap me saanse hai toh ye Pari hai. Aap me jaan hai toh mujh me jaan hai. Aap zinda ho toh mein hu. Samajhte kyu nahi ho? For fuck sake just surrender. Aap ko nahi kho sakti mein. Why don’t you fucking understand this small thing? YOU ARE THE MOST IMPORTANT TO ME!!!]

Aur usne keh diya. Pari se ab raha na gaya. Usne apna ek raaz saamne rakh diya. Agar Veer apni jaan gawaata hai, toh Pari khud apna astitv hamesha hamesha ke liye kho degi. Veer se hi Pari khud hai.

Veer kuch derr tak shaant raha. Pari ka itna bada raaz bataana ye saboot tha ki woh kitni zyaada bechain thi iss waqt. Magar Veer ne uska jawaab na diya. Aur apni baat ko punaah rakha,

‘I knew it. Kahi na kahi mein ye expect kar hi raha tha. Par yaad hai na jab tum pehli baar mere shareer me aayi thi? I’m sure tum kisi aur ko apna host bana sakti ho. Aise me-’

[YOU FUCKING STOP THIS BULLSHIT OKAY? Mene kaha na! Woh sirf one time use ke liye energy thi. Ab mein uss tarah space me move nahi kar sakti.]

Lekin usne Pari ki baat ko beech me hi kaat diya,

‘Meri baat suno Pari! Mere jaate hi…! Consume my energy! I hope tumhe kam se kam kuch na kuch toh mil hi jayega mere shareer se. That will be enough for you to travel in air. Right? Tum ek naya host dhoondh sakti ho. Ek naya shareer! Koi mujh jaise stupid se behtar haha!’

[STOP IT! PLEEAAASEEE! I BEG YOU! YOU ARE NOT STUPID. You are my Master. Surrender yourself now!!!]

Iss baar uski awaaz ruwaasi thi. Veer khud iss baar aashcharya me reh gaya.

‘T-Tum-!!? Tum ro rahi ho? Haha! Mujhe nahi pata tha meri Pari mere liye kabhi royegi. It’s good to know before dying.’

[P-Pleaaasseee~ Listen to me! They won't kill you. J-Just surrender.]

'No! I won't! Ye bohut bada setup tha Pari. Tum bhi realise kar chuki ho. Hai na? It's almost impossible to get out of it. I think Miss Suhana bhi meri help nahi kar payengi-!'

[N-Nooo-]

Pari ki awaaz me lad-khadahat thi.

‘I’m sorry Pari!!’

[???]

‘Mein kabhi ek accha host na bann paaya tumhare liye. Kaash hamara safar aur lamba hota. Kitni baatein jaan’na tha tumhare baare me. Aur ghar me sab log. Woh abhi bhi soch rahe honge mein business tour par hu. Kaash sabse ek baar acche se mil paata. Juhi my cutie. Uske liye ek chocolate factory ka vaada kiya tha mene apne aap se.’

Bol woh apni kalaayi me bandhe uss kaale dhaage ko dekhne laga jo uski maa ne pehnaaya tha.

‘Maa! Ye dhaaga mujhe bacha na saka. Still! I love you! It will be a great memory to die with…!’

Usse apni maa ke bol bhi yaad aaye jo usne phone ke waqt kahe the.

“Jaldi aana beta!”

‘Shayad-!!! Ab nahi aa paunga Maa!!’

[N-NO!! Ye kya keh rahe ho aap? J-Just stop! I can’t let you go away like that. Mene kaha na aapke jaate hi mein nahi rahungi. Chaahe mujhe kitni bhi energy hi kyu na mil jaaye. A-Aap aisa kaise kar sakte ho mere saath? YOU UNGRATEFUL BASTARDDD! STOP IT NOW! PLEAASEEE!!]

Woh sarr jhukaye-jhukaye hi muskuraaya.

‘Pari I admit-!’

[!!??]

Uski aankho se iss baar ek aasu ki boond nikal uske gaalo se behte hue neeche giri.

‘I ADMIT…! TODAY! I HAVE LOST!’

Uske hontho par muskaan ab bhi barkaraar thi. Ye muskaan thi uss bodh ki. Uss aatm-samarpan ki. Aatm-samarpan unn saamne khade hue logo ke prati nahi. Aatm-samarpan sachhayi ke prati.

Woh jaan chuka tha ki aaj zindagi aur maut ke iss khel me woh haar chuka tha. Bhale hi derr se usse bodh hua par ho chuka tha.

Woh ek bohut hi badi saazish me phass chuka tha. Itni badi ki ab uss se baahar aana lagbhag naamumkin tha.

[N-No! You can’t die like that. M-Mein aapko kuch nahi hone dungi. Listen! I have a plan! Let’s just surrender first. Th-Then-]

‘Tumhe lagta hai mein surrender karunga?’

Uska sawaal sunn Pari maun reh gayi. Woh jaanti thi iska jawaab. Veer ke shareer me aane se pehle hi Veer ne kitni taqleefe jheli thi. Ajay aur uske saathiyo ne milke usse kitna maara tha. Uski koi galti bhi nahi thi tab. Parantu adhmare hone ke bawajood, usne apna sarr nahi jhukaaya tha. Maar khaata raha lekin jhuka nahi.

Jab woh bina system ke tab nahi jhuka, toh aaj inn namoono ke saamne kaise ghutne tek sakta tha woh? Bhale hi usne ek Raja ki tarah janm nahi liya tha. Par ek Raja, ek Baadshah ki tarah marr toh sakta tha.

Idhar Senior officer ne agle hi pal mic pe announce kar diya.

Senior officer : Since, you're not cooperating we're going to execute you-!

‘Pari!’ Veer fir muskuraya. ‘Humara waqt khatam ho raha hai. Saamne khade log meri maut ka intezaar kar rahe hai. So, let me say this one last thing to you.’

[!??]

Woh apne akhiri shabd kehne jaa raha tha. Pari hamesha usse shaant rehne kehti thi. Lekin abhi uski khud ki dhadkane kisi train ke maafiq chal rahi thi. Itna darr usse kabhi mehsoos nahi hua tha. Samay ret ki tarah uski mutthi se fisal raha tha. Aisa lag raha tha woh apni sabse keemti cheez kuch hi palo me khone jaa rahi hai.

‘Pari!’

[H-Huh!!]

‘Tumne mujhe ek naya jeevan diya. Tum mera hausla bann ke mera saath nibhaati rahi. Tumne harr waqt pe meri madad ki. Shayad ye meri acchi kismat thi jo tum mujhe mili. Warna mujh jaise insaan ko toh koi dekhna pasand bhi nahi karta tha.’

[M-Master!]

‘Tumhare kaaran mein kitne pyaare logo se mila. Miss Kaera, Miss Sonia, Miss Suhana. Maa se dobaara mil paaya. Teju dii! Maasi! Shweta Maa! Bhumika Dii! Arohi, Kavya, Dada jii! Suman aur baaki sab. Karan! Nidhi ma’am! Sab se…! You gave me motivation. Unfortunately, ab ye safar yahi khatam hota hai!’

[N-Nooo!]

‘Aur ek akhiri baat-’

[??]

‘I love you Pari!’

Bas! Veer ne fir aage kuch na kaha. Lekin woh Pari ki rundhe gale se nikalti hui zorr-zorr se sisakne ki awaaz sunn paa raha tha.

Achanak hi Veer ke agal bagal ka aura badalne laga.

*Ding*

[Intimidating Presence has been equipped.]

Iss baar usne sarr utha ke upar dekha. Helicopter hawa me ab bhi tainaat tha aur uski spotlight Veer par hi tiki hui thi.

Tamaam guns ki laser sights se laser ke laal-laal bindu uske shareer ke alag-alag ango ke pharchatte udaane ke liye taiyaar the.

Light house samudri tat se lage hone ke kaaran, waha ka vatavaran tezz hawaao se ghira hua tha.

Veer ke baal hawao ke saath lehra rahe the aur khoon se lathpath hone ke bawajood woh adab ke saath uss lohe ki bench par baitha hua tha.

Itne logo me woh akela tha, par wahi tha ek jiska aura sabse zyada taqatwar tha. Jo tej uski aankho me tha, waha khada harr aadmi ye dekh thoda bhay me chala gaya.

Tamaam logo ke hone ke bawajood bhi abhi unhe iss ek ladke ko dekh andar se darr mehsoos ho raha tha.

Ek aankh khuli ek band, sarr se behta khoon, kandhe par lagi goli, jagah jagah choto ke khooni ghaav, bikhre ghane baal aur perr se latakta hua maans. Kuch yahi chhavi thi Veer ki abhi.

Fir bhi waha khada aadmi uske iss roop se darr raha tha. Veer kisi ghaayal sher ki tarah lag raha tha unhe.

Uski nazre harr ek aadmi ko dekhte hue guzri aur fir usne ek buland awaaz me kaha,

“EVEN IF I DIE TODAY! I WON’T DIE BY THE HANDS OF YOU LAPDOGS.”

Uski awaaz light house ke poore samudri tat par goonj gayi. Log usse dekh uska mazaak udaane lage. Woh khud ko confidence dene ke liye ye kar rahe the. Andar se woh sabhi jaante the ki unke shareer ke ruye khade hue the.

“Hahaha! Ye ladka paagal ho gaya hai.”

“Shayad isse apni sthiti ke baare me pata nahi hai. Haha!”

“Itne logo ke beech ghire hone ke baad bhi iski aqal ab bhi thikaane nahi aayi.”

Woh ek dusre se French me bolne lage.

Veer nahi jaanta tha ki Crimson yaha maujood tha bhi ya nahi. Lekin fir bhi usne bolna jaari rakha,

“CRIMSON!!!!! AGAR AAJ MEIN MARTA HU, TOH MERI LAASH KO DEKH KE SUNISHCHIT KAR LENA KI WOH MERI HI LAASH HAI…! WARNA AGAR MEIN YAHA SE ZINDA BACHA…! TOH TUMHE WO MAUT DUNGA JO SANSAAR NE PEHLE KABHI NAHI DEKHI HOGI!!”

Kehte hue achanak hi Veer bench ki back rest par apna ek haath rakhe apne wazan ko leke peeche jhuka.

Bench uske wazan ke kaaran apni pichli do taango ke bal peeche ko jhool gayi. Par iske pehle ki woh peeche girta, Veer ne apna wazan aage ko jhuka diya.

Aur iss baar bench waapas se apni position par aayi lekin ab Veer ka bhaar aage hone ki wajah se bench iss baar apni agli do taango par jhool gayi.

Iss se pehle ki Veer aage ki orr girta, usne punaah apna wazan peeche kar diya aur yu lagataar aage peeche karne ke baad, bench bhi uske bhaar ke chalte peeche jaati aur fir aage aati.

Aisa lag raha tha Veer ek rocking chair par baitha ho. Bench ke yu aage peeche dolne ke kaaran Veer ne ek motion bana liya tha.

Waha khade logo ne jab usse ye karte dekha toh hairat me reh gaye.

Ek armed police cop Veer par gun aim kiye upar helicopter me baithe senior officer ki orr dekha aur pucha,

“S-Sir? Kya hum shoot kare?”

Senior officer : Nahi! Behtar hoga hum isse zinda pakde. Agar zinda na pakad paaye, agar woh hamaare liye khatra banta hai, tabhi shoot karna hai. Let’s just see woh kya kar raha hai. Wese bhi woh yaha se kahi bhaag nahi sakta. Situation hamare haatho me hai.

Officer 1 : Okay Sir!

Sabhi Veer ki harqato ko jigyaasa se dekh rahe the. Aur bas uske surrender karne ka wait kar rahe the.

Senior officer ne mic haatho me liya aur Veer ko firse chetaavni di.

“Tumhare paas bas 30 seconds hai! Seedhe tareeqe se apne aap ko kanoon ke hawaale kar do. Warna-”

Par Veer toh jaise uski chetaavni ko ek kaan se sunn dusre se nikaal raha tha. Uska poora dhyaan uss helicopter me baithi uss ladki par tha.

Uska shareer ab bhi aage peeche jhool raha tha. 20 seconds guzar gaye.

10 seconds bachte hi officer ne mic par countdown karna shuru kar diya.

“Ten”

Veer abhi bhi bench par jhool raha tha.

“Nine”

Koi jawaab nahi!!

“Eight”

Veer ki aankhein uss ladki par hi thi.

“Seven”

Ab bhi koi harqat nahi.

“Six”

Par 6 hote hi, jaise hi iss baar uski bench aage ko apni do taango par jhooli,

“Five”

*DING*

Achanak uski aankhein crimson laal ho gayi.

[Beowulf’s Blessings has been activated.]

Neeche apne perr tikaate hi, uska haath jo bench ki back rest par tha, usne poori taaqat se usse aage kheencha aur agle hi pal,

*Wuh-psssh*

Woh bench hawa me 360° flip hone lagi. Time jaise slow motion me chala gaya. Samay achanak se dheeme ho gaya unn sab ke liye.

Bench hawa me flip ho rahi thi, aur ussi ke saath Veer ka haath usse pakadne ke liye taiyaar ho raha tha. Saath hi uske hontho par haiwaano waali ek muskaan chadhti jaa rahi thi.

Aur waha khade logo ki aankhein hairat ke maare felti jaa rahi thi.

Bench ke sahi angle par flip hote hi Veer ne agle hi shan uss poori bench ko apni hatheli khol ek haath se jhatt-se usse jakad liya aur uske dono perr zameen par sthirta se tik gaye.

*Whoosh*

Woh turant baayi orr palta.

Sab kuch itni jaldi hua ki logo ki aankhein saamne hue drishya ko process hi nahi kar paayi.

Ab waha khade kuch logo ke dimaag ko samajh aa raha tha ki kyu ye ladka bench par aage-peeche dol raha tha. Veer yu hi nahi aisa kar raha tha. Woh jo motion bana raha tha woh tha~

Periodic motion.

Uss bench par usne hi ye motion banaaya tha. Apne perro ko zameen ke virudhh le jaake apne bhaar se bench ko jaan-boojh ke aage peeche kiya gaya tha. Newton ke second law ke chalte woh asaani se dol sakta tha agar ye rocking chair hoti.

Par woh rocking chair nahi thi. Isliye Veer ko apne bhaar ka istemaal karna pada.

Periodic motion bann’ne ke kaaran jab Veer ne usse fir ekdum se apni Beowulf ki taaqat se kheencha, toh bhaari lohe ki bench yuhi hawa me flip ho gayi. Aur uske flip hote hi Veer ne usse thaam liya.

Uss ek chote se pal me unn sabhi ki saansein atak gayi thi. Senior officer ne jaise hi ye dekha woh chillaaya,

“THIS BASTARD!!! SHOOOOOOTTTTT!!!”

Woh dahaad lagaaya aur uske garajte hi,

*BANG* *BANG* *BANG*

*RATATATATATATA*

*BANG* *BANG* *BANG*

Dhada-dhad kar ke goliyaan barasna shuru ho gayi. Par tab tak Veer hawa ke jhoke ki tarah kayi feet ek jhatke me laangh chuka tha.

“THIS MOTHEFUCER!! KILLLL HIMMMM!! SHOOOOT THATTT BASTARDDD DOWNNN!!”

Helicopter hawa me muda aur uske neeche lagi gatling gun ne andha-dhundh firing shuru kar di.

Goliyo ki bauchhaar se waha ki deewaare aur chattaane ke chithade uddne lage. Veer ki gati itni tezz thi ki woh aage badhta jaa raha tha aur goliyaan uske nikalne ke baad khaali zameen se bhid rahi thi.

Officer ka countdown bhale hi beech me band ho gaya ho, lekin Veer ke Beowulf ka countdown chalu tha. Maatra 2 seconds hi baaki the uske deactivate hone ke liye. Ye uska akhiri daav tha.

Dimaag lagaate hue cops ne aim Veer ke aage kiya aur iska abhaas hote hi,

Veer ne apne haath me li hui uss bench se apne aap ko dhak liya. Bench usne dikhaave ke liye thodi uthaayi thi.

*BANG* *BANG* *BANG*

*KLANG* *KLANG* *KLANG*

Bullets jaa ke uss bench se takraane lagi, par kuch thi jinse Veer khud ko bacha na paaya.

*Squelch*

“Arghh!”

Ek uske perr ko cheer ke andar ghus gayi.

*Squelch*

“Urghh!”

Aur dusri uski baah ko.

Fir bhi woh ruka nahi. Senior officer ko jaise hi iss baat ka abhaas hua ki Veer ka maqsad kya hai, uski aankhein bhay ke maare fel gayi.

“Th-This bastard!!! K-Kill him!! KEEP SHOOTING! Bach ke bhaagne na paaye woh. BLOCK HIS PATH.”

Par tab tak derr ho chuki thi.

2 aur bullets Veer ke shareer ko lagi. Beowulf band hone waala tha, magar uske band hone se pehle hi, Veer ne uss uchaayi se ek lambi chhalaang maar di.

*DING*

[Beowulf’s Blessings has been deactivated.]

Ye sab kuch unhi 5 seconds me hua.

“NOOOOOOOOO!!!”

Senior officer apna gala phaad gusse me chillaaya.

Idhar samudri tat ke neeche khaayi thi. Sagar ki ufanti lehre uss chattaan se aake bhid rahi thi. Veer usme kood gaya.



200

“SEARCH HIM!! Zinda bachne ne paaye woh. He must be killed now! SEARCH EVERYTHING! KEEP SHOOTING!”

Helicopter udd ke aage badha aur Veer ke doobne waali jagah par lagataar paani me fire karne laga.

Bullets paani me ghus friction ke chalte dheemi ho rahi thi aur apni trace chorrte hue andar jaane lagi.


f5bb52800bcaf9fbb8dda41f2e8171d1

Veer ke shareer par ek antim bullet uske seedhe seene ko aake cheer di.

Woh neeche girta gaya. Bullets ab uss tak na pohuch paayi. Dheere dheere uski aankhein band hone lagi. It was the end.

[MAAAAAASTEEERRRR!!!]

Aankhein band hone se pehle uske mann me bas ek hi khayaal aaya,


tenor-1

‘Just why?? Ava!!’

Aur uski aankhein band ho gayi.

***

Idhar upar udte helicopter me uss ladki ke baal hawa me lehra rahe the.

Tabhi uske mann me ek awaaz aayi,

*DING*


e-1

‘I’m sorry…! Veer!’

Aur udhar Mumbai me Ragini ke ghar me, apne kamre me laiti Bhavna achanak bechaini ke chalte bistar par uth ke baith gayi.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi.
Update consists of 5k words. Ab agla update tab hi aayega jab iss update par atleast 140 likes aayenge. Update 139 pe 147 likes hai. Toh itna to mein yaha expect kar hi sakta hu.

Dhanyavaad!
Shandaar Zabardast Zindabad
 

ketan Chauhan

Dead Man 🕸️☣️🕸️
109
191
43
Yes! I'm ready! :sweat:

I know this. :approve:

:thanx: Thanks man! ✨ Woh story to hamesha mere dil ke qareeb rahegi. Ek toh meri pehli kahani thi. Upar se Rahul, Neha, Anshu, Taniya jaise characters. :love3:

I don't like it when the originis are left unexplained. :approve: Isme bhi Pari achanak hi aayi hai. But her origins are absolutely crystal clear here :smartm: That'll be shown in the finale arc. So, when stories do that shit, without explaining them and then dragging reader's attention to the supernatural plot. That's where it gets annoying for me. It's like giving a supernatural toy to a kid, without explaining them where it came from.

Ohh thanks man! :thanx:
Origins will be explained gradually. And they will be completely out in the finale arc, which is presumably the last arc of the story.

:laugh: When I used to read stories on xp. There were stories in which bad guy used to do all the evil deeds. And when you raise the question- WHY? The answer used to be - Because he's the bad guy you stupid. :hit:
It happened in almost every story. I wanted something more. Why the bad guy chose that way? The reason why he's being called bad? His choices? His decisions? And that's why I brought this then.

When this story was getting started. I made a comment here. It's probably still there on the initial pages somewhere I guess. And I told my readers that I've created some insane villains for this story. It was a hint.

They took lightly for sure back then. :laughing:

Yeah! That even baffles me out. I mean we are reading some impossible shit which can't happen in real life. Yet it's so connected to the reality. Veer's secret which is not known to anyone in his family. His usual talk with the family, the limelight given to the other characters, their conversations. I gave my extra time there.

I never wanted this one to feel like it's completely supernatural now. Totally sci-fi. Naah! It's not!!

Who doesn't loves Rahul? The mysterious vibes he used to give. His self sacrifice almost everytime. Rahul's character is close to my heart as well. That guy had insane IQ. We know it. :laugh:

And then came Veer. :thanx: Veer's character..! How do I look at it? It's like you know when a father feels proud how good his son turns out to be. Veer's character gives me the same vibes.

But coming to favourite? Oh boy!! Oh boy!!!! :D ?? guy is my favourite. Just thinking about him gives me the goosebumps. :cold: He hasn't arrived here yet. There's still time for him. But oh boy!!! He's still in development though. :hint: Only 20% work has been done on him. And that 20% is enough for him to be my favourite.

Ye aage bhi kayi baar bologe! :laughing:

Persistence!!! :declare:

Is he dead? :D I mean yes...! Ava got the notification. What will save him then? Neel mani? Or the thread Bhavna gave? Or something else? :eyes2:

Which can't be true! :laugh: Didn't you notice the shock Veer had when he witnessed Ava? So this hypothesis halts right here.

She had to do it. :dazed:
Grace had freaking 10 sniper guys aiming at her. Let's put Veer in Ava's place. And Bhavna in Grace's. What then?

What would have Veer done? Not to mention that Ava's favourability for Veer didn't even cross 50. They are neither close friends, nor besties. Just familiars.

Veer hota toh kya karta? Kya Bhavna ko marrne deta? Ya fir Ava ko betray karta Bhavna ko bachaane ke liye. You can take a guess.

It's like Kishore. Ant me usne apni hi beti choose ki. Swati ko chorr diya. Apna khoon sabhi ko pyaara hota hai. :sigh2: Ava never wanted to do it. But as she says in the latest update. Grace is her strength. But she's her weakness too. Uske paas ab koi bacha hi nahi hai. Grace ke jaate hi woh anaath ho jayegi. Koi nahi rahega uska.

Lmao! Hande Ercel is love baby! :love:
Agar usne Veer ko waha bacha kiya hota toh-
*Bang*
Grace would have died!!!

Yaha pe thoda spoiler to dena chaahta tha. Par hatao ab. :laugh:

I will tell you only 2 things here. First -
Crimson arc will end at update 150.

Second - Update 148 would be the one which will blow your mind and send shivers down your spine. :hint:

Chinatown arc ke baare me abhi mat socho. :laugh: Update 150 ke baad hi uske baare me sochoge toh behtar hoga. Kyuki tab tak enough clues mil chuke honge.


mujhe-kuch-nahi-dikh-raha-maa

Veer ki khabar update 144 me di jayegi.

Haan koi toh tha jo ye keh raha tha! :whistle:



Indeed! ✨

Ohhh! Thanks a lot man! ✨
I had to go into that realm to bring out those emotions. :hint: For sad updates I use my special weapon. That's why they come out so good. Wahahaha!:evillaugh:

:approve: Aise hi protagonist thodi hai.

There's one thin layer hiding in here.

She was upset about Veer. Read when she comes into Grace's ward in the latest update. Pay attention to her dialogues. :hint:

:naa:
Crimson Kissed Sweetie on the cruise. Remember? How can our gurl Ava allow any guy to do so ?? Didn't she say? No man has ever dared to touch her!! Crimson touched her. Got a kick on his stomach instead.

Crimson is younger than Grace. Too young man. Grace is above 50. You think Crimson looks avove 40? :Jerry:

We'll see!

Pari loves Veer. Too much!!! ✨

Like mother like son!

Bhavna had that queen aura when her family was at its prime. Servants all around, her demeanour. Everything screamed Royalness. And Veer has acquired her traits.

Trust me! You won't be disappointed. Update 145 is the one which you're waiting for. Tons of new info will blow up reader's minds. :hint:

Kabhi dekha hai kisi writer ko itne spoiler dete hue? :sweat:

Even though I tell you so much but it's like sprinkling water from the ocean. :D

You're not reading a ghost story. :hint:

:evillaugh:

Manhoos hi toh hai. Gale se nikla toh maut hai! :dazed: manhoos hi toh kehlaaya.

Thanks a lot man! Ab kitni baar aur thanks bolu! Meri haalat patli ho jaati hai. :sweat:

Ju ko batau mujhe isse reply dene me kitna samay laga hai? Itni derr me 1/4th update ready ho jaata. :shook:

Lekin mazaa bhi aata hai fir. :?:

Readers logo ki baatein padh ke hi toh asli aanand aata hai. Jab wo theories rakhte hai apni. Aur woh adhiktar galat nikalti hai jab :evillaugh: Tab jo aanand ki anubhooti mujhe mehsoos hoti hai. Heh~ :heh:

Aise hi bane rehna ka man. Ab mere paas shabd kam pad rahe hai. :sweat: keep supporting! And last me, Once again ju ko dhanyavaad! :thanx: ✨
Lgta hai update 144,145,148 khatarnak hone wale hai
😈😈😈
 
  • Like
Reactions: Devil hunter123

Werewolf

ʏᴏᴜ ᴍᴀʏ ᴄᴏᴍᴇ ᴛᴏ ʀᴇɢʀᴇᴛ ᴛʀʏɪɴɢ ᴛᴏ ᴍᴀɴɪᴘᴜʟᴀᴛᴇ ᴍᴇ
Supreme
11,416
89,072
259
Kya ye story end ki or jaa rhi h ya twist pe twist dekhne ko milenge kya veer jinda h ya mar chuka h
Story abhi kaafi bachi hai bhai. Don't worry
 
Top