Update 43
Udhar Anny ka bhi bura haal tha magar ussko apne Abhay par pura yakeen tha phir bhi woh apne papa ke khilaaf kabhi nahin jaa sakti thi kyunke ussne apne papa ko hamesha se kaha hai ke agar woh kissi din ussko kissi bhi ladke ko naapassand karega to Anny uss ladke ko bhool jaegi. Aur ab Anny ka imtehaan ka ghadi tha woh kia karein apne papa ki baat ko maein ya sab bhool jayein aur apne Abhay ke paas chali jayein sab chor chaar kar? Badi duvida mein thi woh, ussko bhi chain-o-sukoon nahin tha, raat raat bhar jag rahi thi, enkhon mein neend na dil ko chain…..
Aur uss taraf Abhay raat ko mobile ko takte takte ro raha tha Anny ki meethi awaaz ko sunne ka mann kar raha tha ussko aur bahot betaab aur niraash tha. Dil ki dhadkan jeise band ho jaye eisa lag raha tha ussko. Apni maa se ussne kuch bhi nahin kaha aur khaamosh apne kamre mein band kiya huwa tha apne aap ko. Khane ke waqt jab maa ne awaaz di to ussne kaha ke ussko bhook nahin aur maa ko khana khaane ko kaha. Usski maa ne socha ke Anny se baatein kar raha hoga har raat ki tarah aur shaayad kuch khaa pee liya hoga Anny ke saath issi liye nahin khaega to maa ne ziada ghaur nahin kiya usski situation par uss raat ko.
Raat ko 2 ya 3 baje Abhay soya bilkool nahin tha aur usska sar dard kar raha tha. Uss taraf Anny bhi nahin soyi thi. Aur Abhay ko achanak Anny ke ghar jane ko sujha jeise ek baar beech raat mein gaya tha. Ussne socha Anny ke papa to uss waqt neendh mein hoga aur woh Anny ke khirki khatkhatega aur usske kamre mein daakhil ho sakta hai to Anny se baat ho sakti hai at least aakhri baar ke liye….. To ussne gadi nikaali aur chal pada subha ke 3 baje Anny ke ghar ko. Kia who sahi kar raha tha? Kia hoga agar Anny ke papa ne kissi tarah se dekh liya to? Kia Anny ussko andar ane degi? Kia woh Anny se baat kar paega? Yeh sab sochte huwe Abhay drive kiye jaa raha tha Anny ke ghar ke taraf…..
Udhar Anny sochte sochte khud se gambhirta se kaha, “Main apne pyar ko apne papa ke khushi ke liye qurbaan kar dungi. Pyar kia hota hai? Papa ne mujhko paal poskar itna bada kiya, mere bachpan se lekar aaj tak dekh bhaal ki papa ne, Abhay to aaaj meri zindagi mein aaya, papa se tulna kiya jaye to Abhay to kuch bhi nahin papa ke saamne. Main ne papa se hamesha kaha hai ke main kabhi bhi usske khilaaf nahin jawungi, to aaj kyun Abhi ke waja se apne papa ki baat ko thukrawun? Nahin nahin! Eisa nahin ho sakta- papa aakhir papa hai usska ziada haq hai mujhpar, main wohi karungi jo papa kahega. Main ussi ki baat manungi. Jawo Abhi main ne abhi se issi waqt se tumko bhoola diya, nikaaal diya tumko apne dil se, mat yaad awo mujhe ab, main koyi nahin lagti tumhari, ek bura sapna samajh kar bhool jawungi tumko main…. Han jaanti hoon dukh hoga tumko bahot magar main apne papa ke khilaaf nahin jaa sakti Abhi mujhko maaf kardena. Koyi baat nahin dil hi dil mein zindagi bhar tumko pyar karti rahungi magar kissi ko nahin pata chalega, tumko bhi nahin. Main ne pyar sirf tumse kiya magar apne papa ke khaatir main wohi karungi usske khushi ke liye.” Anny khud se badbada rahi thi aur than liya tha ke wohi karegi ab.
Yeh abhi ki budnaseebi dekho yaaro. Agar koyi ek ghante pehle Abhay ghar se nikalta to shaayad Anny ne yeh sab nahin kaha hota apne aap se. Shaayad tab woh khushi khushi Abhi se mil leti. Magar yeh dil mein thaan lene ke baad kia woh Abhi se milegi? Chalo dekhte hein kia hota hai…..
Pichli baar ki tarah, Abhi ne uss bus stop ke paas apne gaadi ko park karke choron ki tarah ahiste ahiste chalkar Anny ke room ke khirki ke paas gaya. Usska dil bahot zoron se dhadak raha tha. Charon taraf andhera to tha hi magar Anny ke kamre mein light on dekh kar Abhi ko tassali huwi ke chalo woh bhi jaag rahi hai. ‘Keise neend ayegi ussko jab main nahin so raha hoon’ Abhi ne socha. Ussko pichli baar itna darr nahin laga tha jitna iss waqt lag raha tha Anny ke khirki khatkhatane ko. Shaayad iss liye ke uss baar Anny ka baap nahin tha yahan; aur ab achaanak Abhi ne socha, ‘kia hoga agar aaj Anny ke papa ne jaan bujh kar Anny ko kissi dusre kamre mein shift kar diya ho aur khud iss kamre mein so raha ho to?!!’ iss khayaal se to Abhi ghabra hi gaya aur socha ke maamla to bahot ziada bigar jaega agar weisa huwa to? Agar Anny ka baap ne raat ko 3 baje ussko usski beti ke kamre ke paas dekh liya tab to kayamat ajayegi!! Yeh sochkar Abhi ka pasina chhuth gaya halaan ke thandi hawa beh rahi thi baahar. Ab Abhi pareshaan ke kia kare! Ghurnon ke bal khirki ke niche pada tha phir chor ki tarah sar ko upar karke kamre ke andar dkhne aur sunne ki koshish kar raha tha. Parda khincha huwa tha kuch bhi dikh to nahin raha tha magar Abhi ne ek lambi saanss liya aur enkhon ko band karke meditate kiya. Apne aap se kaha, “agar mera pyar sacha hai to mujhko apni mehbooba ki iss kamre mein mawjoodgi ka pata chalna hai, agar Anny iss waqt iss kamre mein hai to usski khushbhoo mujh tak zaroor ana chahiye ya usski kadmon ki aahat sunaayi dena chahiye, keise bhi karke mujhko apne pyar ka pata chalna hi chahiye……..”
Yaaro manon ya na manon sacha pyar, sacha iskh mein ek ajeeb si taaqat hoti hai jo tab anumaan lagaya jaa sakta hai agar uss tarah ka pyar kiya jaye. Ishk uss junoon tak pohonch jaati hai jahan khudaayi bhi nahin pohonchti agar ishk sacha aur gehra ho to. Khudaayi bhi karwat badal leta hai jahan sacha aashik apna rukh karta hai eisa suna hai kayi baar. To kia Abhay ki muhabat mein woh taaqat hai ke kuch eisa hota iss waqt? Chalo dekhein kia kudrat Abhay ke dil ka haal sun raha tha aur kia kudrat usska saath deta hai iss waqt?
Yaaro Abhay jeise ibaadat karne laga apne enkhon ko mundhe huwe kissi aur dunya mein pohonch gaya, junoon ki had paar kardi ussne iss tarah ka meditation kiya ussne uss khirki ke niche baithkar… itni gehraayi se Ananya ke soch mein dooba aur iss tarah se usska naam labon par laya ussko sochte huwe aur mehsoos karte huwe unn lamhon ko yaad kar kar ke jo ussne Ananya ke saath guzare hein ke ussko khud laga ke uss waqt woh Ananya ko apne bahon mein bhare huwe hein aur kissi aur dunya mein hai. Usske enkhon se ensoo beh rahe the magar khud ussko pata nahin tha. Uss ke jism tharthara raha tha magar woh anjaan tha, kudrat usske saath tha uss waqt magar woh naawaakif tha, usska message khudaayi Ananya tak kissi bhi zarye se ponhcha raha tha magar kissi ko pata nahin tha…… woh to diwane ki tarah, majnu jeisa apne pyar ko yaad aur mehsoos kar raha tha bus, ussko kia pata ke uss waqt kaenaat usska saath de raha tha…….
Huwa yeh ke kamre ke andar Ananya ko sab sochte sochte, apne papa aur Abhi ke beech tulna karte karte ussko garmi si chaa gayi aur thandi hawa khaane ke liye Ananya ne achanak khirki kholi parde ko hata kar ek lambi saanss lene ke liye apni gardan baahar kiya to Abhay ko saamne paaya kyunke uss waqt, thik ussi waqt Abhay ko usski khusbhoo naak ke naaliyon ke zarye dimaagh mein utar aya aur woh khada hogaya apni muhabat ke saamne…….. Anny ke kamre ka ujala Abhay ke chehre par tha aur Anny ki nazrein usspar yakayak Anny ki sansein thami reh gayi aur woh jeise baraf bankar jam gayi thi wahan…….
To be continued…………………