• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Aur Ek Prem Kahani (COMPLETED)

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,334
259
Update 2

Har sham ko Abhay Iqbal aur Vinay ko ghar chorne ke baad apne ghar ko jata tha. Vinay aur Iqbal Abhay ke ghar se koyi 1 kilometres ke doorie par rehte the, ek Purab ke taraf to dusra paschim. Abhay apne late papa ke car drive karta tha. Driving to ussne 10 saal ki umr se hi seekh liya tha, ghar mein car hone ka yehi ek faeda hota hai ke bache bachpan mein hi drive karna seekh jate hein. To usske papa ke dehant ke baad car usska huwa aur baad mein ussne car ko badal kar ek dusra le liya jo kam umr ki thi. Lawttey waqt aksar Vinay aur Iqbal mein jhagra hota tha front seat par baithne ke liye….. Kabhi kabhi bilkool bachon ki tarah jhagarte the donon aur Abhay donon ko kabhi dantta tha to kabhi hansta tha. To Abhay ne rule banaya ke ek din Vinay aguey baithega to dusre din Iqbal….. Magar iss din ko huwa yeh ke Iqbal ko aguey baithna tha magar Vinay aguey chala gaya baithne ko, to Iqbal uss ke saath jhagarne laga….. Ab Abhay ne Vinay se kaha ke Iqbal ke aguey baithne ki turn hai, to Vinay ne jawab diya, “Tum mujhko pehle ghar choroguey nah? To jab main utar jawunga tab to yeh yahan baith sakega to kia problem hai?” Usspar Iqbal ne protest kiya ke rule bana hai ke ek din woh aguey to dusre din Iqbal……. Ab Abhay Ananya ke bare mein soch raha tha, donon ko discuss karne diya aur car se khud hi utar gaya yeh kehkar, “Tum donon aapas mein faisla karlo, tab mujhko bula lena main ek cigarette pi raha hoon baahar.”

Jab Abhay baahar nikal gaya to Iqbal ne kaha, “Are lagta hai hamara plan fail ho gaya, woh to baahar chala gaya!” Ab huwa yeh tha ke inn donon ne jaan bujhkar seat badle the jhoot mooth ke jhagra karne ke liye taakey Abhay ko uss ladki ke bare mein sochne se rokein….. Iqbal aur Vinay Abhay ke bade achchey dost the, Abhay kuch eise daur se guzra hai jiss ki vajah se Abhay ki maa ne donon doston ko usska khaas khayaal rakhne ko kaha hai, aur weise agar Abhay ki maa nahin bhi kehti to donon bilkool Abhay ka khayaal karte hi hein. Ek bahot gehri bond hein teenon ke beech, teen saguey bhaiyon mein bhi kabhi utna apnapan nahin dekhne ko milta jitna inn teenon mein tha. Koyi bhi ek dusre ke takliff nahin bardasht kar sakte the kabhi. Jab se Vinay aur Iqbal ne Abhay se dosti ki tab se abhay ne unn donon ke ghar ke haalaat bilkool badal dale, family tensions ko bilkool mita diya aur Iqbal aur Vinay ke behnon ke shaadi dhoom dham se karwadi. Donon ek to Abhay ke ehsanon ke niche dabbe huwe the upar se dil ka raja tha Abhay, bahot bada dil tha usske paas aur dusron ke taklifon ko nahin dekh sakta tha. Jhat se madad ke liye chala jata tha jab koyi bhi mushkil mein hota tha. Donon Iqbal aur Vinay ke maawon ne Abhay ko itni duwaein diye aur dete rehte hein ke upar wale ko unn duwaon ko refuse karna shaayad mushkil parta ho! Suna hai maa ki duwa turant qubool hoti hai, yeh woh recommendation hai jiss ko turant pass kiya jata hai aasmaanon mein…….

Magar maze ki baat yeh hai ke Abhay ka inn donon se dosti kab aur keise huwa?! Yeh teenon ek dusre ko jaante bhi nahin the. Inn ki dosti dushmani se shuru huwi, jhadga, ladaayi se shuru huwa. 5 saal pehle inn teenon ki dushmani aur dosti huwi. Ek saal se Abhay school chala raha tha unn dinon. Naya tha uss location mein jahan aaj isska school hai. School ke building ke kareeb ek football playground hai. Yahan par ladke football khelne ko atey hein aaj bhi. Aur kayi sport ke activities hote hein thik gali ke uss taraf jahan Abhay ka school hai. Sheher ke sirf 10 minute ke walk ke baad iss location ko reach hote hein.

To unn dinon sham ke waqt jab Abhay dance classes khatam karta tha thik ussi waqt football khel kar players wapas jate the. To raaste mein aksar mila karte the eise hi bina baat cheet ke. Aur school ke samne ek chota sa dukaan tha aur bus stop bhi. To unn dinon Abhay ke students mein se ek ladki thi Sandhya naam ki jo uss bus stop par bus ka wait karti thi dance class ke baad. Woh ek student thi aur school ke baad dance class mein ati thi Abhay ke paas. Usske saath aur do teen ladkiyan bus stop par huwa karte the sham ko. Ek din Sandhya ne Abhay se kaha ke har sham ko ek ladka ussko bus stop par cherta hai aur tang karta hai, aur unn teen ladkiyon ne gawahi bhi diye. To Abhay ne kaha ke sham ko jaakar uss bus stop par hamesha ki tarah khada ho jaye aur jeise hi woh ladka usske paas aye woh Abhay ko ishara karein….. Abhay kuch doorie se, apne car ko door park karke wait kar raha tha. Weise to har sham ko unn ladkiyon ko chor kar chala jata tha, magar iss din ko wait kiya.

Woh ladka jo football playground se koyi 20/25 ladkon ke beech se ata tha koyi aur nahin balke Vinay tha! Aur Iqbal usske saath huwa karta tha, woh donon pehle se dost the. Vinay kuch gunda, mawali type ka tha unn dinon aur cher chaani ladkiyon ke saath, aur flirt karna usske dayein haath ka khel tha, bahot sare ladkiyon ko pata bhi leta tha…magar woh kabhi serious nahin tha, sirf time pass karta tha…. Ek buri aadat yeh thi ke woh ladkiyon ko bina janey touch karta tha, haath chuhta tha, gale ko chuhta tha, baalon ko chuhta tha….. aur yeh sab Sandhya ke saath bhi kiya…… Sandhya sidhi saadhi ladki thi aur ussko yeh sab passand nahin tha aur ussne kayi baar Vinay se kaha bhi magar Vinay nahin maana aur lagataar har shaam ko Sandhya ko tang karne chala ata tha… aur Iqbal saath mein Vinay ko encourage kiya karta tha.

To Abay car mein baith kar dekh raha tha aur jab Vinay Sandhya ke paas aakar khada huwa aur kuch kaha usske kaanon mein jo Abhay ne suna to nahin magar actions dekha, aur phir Vinay ne Sandya ke baalon ko upar uthaya aur usske gardan par apna haath phera aur Sandya annoyed feel karte huwe Abhay ke taraf dekha aur nazron se ishara kiya…… Abhay ko actions dekhkar bahot ghussa aya aur ussi ghusse mein car se utar kar tezi se busstop ke taraf aya aur aakar Vinay ko dhakka dete huwe kaha , “kyun be kia ho raha hai yeh? Kyun haath lagaya iss ladki ko?” Uss dhakke se Vinay teen chaar kadam piche ladhkhada gaya aur filmi gundon ki tarah apne colar ko piche ke taraf push karte huwe ek shaitaani muskurahat ke saath mudhkar Iqbal se kehta hai, “Hey Iqbal dekh hero ka entry huwa, heroine ko bachane aya hai sala! Hahaha!” phir Vinay ke taraf dekhte huwe ussne kaha, “Kyun be teri behen lagti hai kia?” Tab tak Iqbal Abhay ke peeth par aakar khada hota hai aur aguey se Vinay Abhay ke taraf kadam badhate ata hai. Abhay Vinay ko jawab deta hai, “Meri kuch bhi lagti ho tujhe issko chuhne ka koyi haq nahin!” Tab Vinay kehta hai, “Achah?! Kia karlega yeh le phir chuhta hoon” Aur ussne Sandhya ke baal khinche. Aur turant Abhay ne Vinay ko direct ek right punch mara jo sidha Vinay ke chehre par laga aur Abhay ladhkhada kar kayi kadam piche deewar se takra gaya, magar turant Abhay ke taraf tezi se badha apne mukkey ko Abhay par barsaane ke liye aur Iqbal jo piche tha ussne Abhay ke haathon ko jakar liye piche se hi, aur Vinay ka ghunsa Abhay ke chehre par pada thik enkhon ke niche aur woh sujh gaya…. Abhay ko pata nahin tha ke achanak piche se koyi ussko thaam lega nahin to Vinay ka ghunssa ussko bilkool nahin padta…… To ab Abhay Iqbal ko jhuk kar Pichey se aguey patakta hai aur ek jump maar kar Vinay ke chaati par ek double kick maarta hai aur ek laat Iqbal ko bhi padta hai tab tak sabhi bus stop ke passengers ek kone mein chale jate hein Sandhya bhi, aur baaki ke log jamma ho jate hein fight dekhne ke liye, dukaan mein se kayi log bhaagte huwe ate hein aur playground ke sabhi players bhi….ek bhir jamma ho jata hai aur actions chaalu rehta hai….. Abhay jeise bekhudi mein laat ghussa maarne lagta hai donon taraf aur Vinay ke honth, naak, kaan se khoon behne lagte hein aur Iqbal ek kone mein bhaag khada hota hai…… Vinay zameen par paya jata hai tab Abhay usske paas ata hai apne laat se ussko massalne ko tab Vinay chillata hai apne donon haaton ko upar uthaye surrender karte huwe, “Are bus bus biddu bus, jaan se maroge kia baap! Tu jeeta main hara, kia mukka paya hai baap!! Mera jabda tor dala re!! haye re Iqbal kahan hai tu, chal nikal le!!” Abhay kehta hai, «Eise nahin ; chal, uss ladki se maafi mang sab ke saamne !» Abhay usske collar pakad ke ussko Sandhya ke paas lejata hai, aur dhire se Vinay kehna hai, “Kia hero, kyun izat ka faluda karta hai, jane do nah yaar, khali pili sharam mein daal rahe ho, chalo apni ghalti manta hoon baap!” Magar Abhay nahin maana aur ussko Sandhya tak leke gaya aur chilla kar kaha, «maafi mang ! yeh kia lagti hai tu ne poocha nah ? yeh meri student hai !» Tab Vinay sar uthakar Abhay ko dekhta hai aur kehta hai, «Arey tu kia teacher hai? Tu to mere umar ka dikhta hai biddu, to main ne socha ke tu bhi flirt karta hoga isske saath…yeh to maamla ulta ho gaya re, maaf kardo baap, hey ladki i am sorry hein, maaf karna, pata nahin tha tera teacher idhar hi hai….. ab jane do na yaar !»

Abhay ussko collar se hi khinchte huwe dusre taraf legaya aur poocha «tera woh dusra saathi kidhar hai, ussne mujhko piche se pakra tha nah, chal ussko bhi abhi batata hoon…… » Yeh sunkar Iqbal bhir mein chup raha tha aur dekhe ja raha tha…. To Vinay bola, «are mere baap, jane do na main uss ke taraf se bhi maafi mangta hoon, uss ne to nahin cherra ladki ko, jane do nah, dekh biddu ab police volice ko matt bulana, hum eisa nahin kareinguey ab chor do na yaar !»

Iqbal nazar nahin aya to Abhay ne Vinay ka collar ko chora aur ussko apne ungli dikhate huwe warn kiya, «Agar main ne phir kabhi tumko bus stop par kissi bhi ladki ke pas dekha to tera khair nahin samjha?» Abhay apne jabde ko hath se seedha karte huwe bola, «Nahin dekhoge biddu, bilkool nahin dekhoge, are baap re baap kia ghussa mara hai tu ne, weise mera bhi pehla wala laga tha tujhko nah ? kidhar laga dekhun to, lo, hahahaha ! Tera bhi enkh ke nichey sujh gaya hai jaa marham patti tu bhi karwa lena, magar tum ne to mere khoon baha diya yaar ! » Abhay tab tak kuch cool hogaya tha aur apne car tak pohonch gaya tha aur mirror mein apne enkh ke niche ka ghaw dekhne laga aur Vinay dusre mirror mein apne ghaw dekh raha tha aur chilla utha, «Are biddu mere chehre mein to stitches lagana padega, tum ne to mera chehra bigaar dala re ! Ab hospital jana padega, haye re haye teen jagah par phat gaya hai mera chehra, gaalon par, enkh ke nichey, honth bhi…. Sala ab mujhe rone ko mann kar raha hai… are oye Iqbal kahan hai tu, hospital jana padega re! Aur ahiste ahiste Iqbal bhir mein se nikal kar car ke taraf ata hai apne chehre ko haath se bachate ke kahin ussko bhi Abhay na pittey…… tab tak Abhay Vinay se kehta hai, “Chal tujhko hospital chor deta hoon…” Aur phir Vinay ne jab dekha ke woh car usska hai kyun ke car ke andar baith raha tha driving seat par to bade heyraani mein funy tone mein kaha, “Arey teri car hai? Tu to sach mein hero nikla re! han chalta hoon agar tu chodega hospital to chalta hoon biddu, chal Iqbal lift milgaya bus fare nahin pay karna padega chal chal tu bhi saath chal..”

Abhay ko heyrani huwi yeh dekh kar ke sala achah banda lagta hai, magar harkat to gundon mawaliyon jeisa kiya tha…… aur Iqbal paas pohonch kar poocha, “Kia boss main bhi gaadi mein baith sakta hoon kia?” To Abhay muskurakar bola, “Thik hai agar tu isska saathi hai to!” “Thank you boss” kehkar Iqbal bhi ghuss gaya car mein. Driving karte waqt Vinay bak bak kiye jaa raha tha, magar Abhay chup chap drive kar raha tha….. Vinay ne poocha, “Weise tum kia padhaatey ho biddu?” Abhay raasta dekhte huwe kaha, “Dance seekhata hoon!” To Vinay zor se chillaaya mudhkar Iqbaal ko dekhte huwe kaha, “KIA? DANCE? NAACH SIKHATE HO? MAIN NE SOCHA KUCH PADHAATE HO LECTURES VAGHAIRA DETE HO! ARE BIDDU DANCE TO HUM KO BHI ATA HAI DONON KO KAHO TO HUM TUMHARA SAATH DEIN?!” Abhay ne uss waqt to koyi jawaab nahin diya kissi ko, hospital pohonchkar jab casualty section mein Abhay se poocha gaya ke kiss ne ussko mara, to Iqbal aur Abhay ke saamne, Abhay ko dekhte huwe Vinay ke kaha, “Mara? Mujhko kissi ne nahin mara, main girr gaya aur kayi cheezon se takraya to hurt ho gaya…..” Aur Abhay ussko dekh kar hanssne laga aur Iqbal bhi hanss pada phir teenon hanssne lage zor zor se……. aur teenon ne haath milaya aur gale bhi mile teenon jeise janmon ka saathi ho sab…..

Stiches lagne ke baad Abhay Vinay ko ghar chorne gaya - pehli baar usske yahan gaya, Vinay ne zabardasti ussko andar bulaya, maa, baap behnon se milaya, phir Iqbal ko chorne gaya kyun ke kaafi raat ho chuki thi aur wahan bhi usske pariwaar se mila tab ghar wapas gaya…. Vinay aur Iqbal 20 saal ke the uss waqt aur Abhay 23 ka tha…tabhi inn teenon ki dosti shuru huwi.

To be continued………………….. (2415 words)
 

Rahul

Kingkong
60,556
70,669
354
awesome update chachu na jane kyun aaj padhte hue ankh me ansun aa gaye dost kitna aashaan hai bol dena par dosti nibhana wo sabke bas ka nahi hota.jo bhi ho teen achche dost mil gaye :applause:
 
  • Like
Reactions: Casinar
Top