• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Aur Ek Prem Kahani (COMPLETED)

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,334
259
Update 11

Abhay: “ kuch der tak mujhse baat karo to pehchaan lunga.”

Ananya: “Kia baat karun?”

Abhay: “kuch bhi, tum itni raat gaye abhi tak soye nahin?”

Ananya: “Agar so jati to tumko wish keise karti?”

Abhay: “kia hum ek dusre ko jaante hein?”

Ananya: “pata nahin, shaayad!”

Abhay: “ kahan rehti ho?”

Ananya: “ ghar mein”

Abhay: “ofo!”

Ananya: “Tumhara koyi girlfriend hai?”

Abhay: “Nahin hai, aur tumhara?”

Ananya: “WHAT? NAHIN HAI TO MAIN KAUN HOON? JAWO MAIN TUM SE BAAT NAHIN KARTI”

Aur phone kaat diya….. Abhay ko pata nahin ke woh khush howe ya hansse ya roye kyun ke uss ko tab pata chala ke woh Ananya se baat kar raha tha!! Aur jaldi se usski number ko dial kiya dobara……

Abhay ne Ananya ki number dial ki.

Abhay: Hello! Hello girlfriend! Girlfriend keisi ho? Main tumko keise samjhawun ke main ne kia kia kiya tumhare number paane ke liye, main raat ke barah baje school gaya form par tumhare number dhundne ke liye magar tumne to number diya hi nahin udhar….. hey girlfriend, kuch bolo nah main ne jab se tum ko bus mein chorra tab se sirf tumko hi yaad kar raha hoon, tumhara chehra mere nazron ke samne ab bhi mandra raha hai…hey ….hmmmmmm kuch bolo nah nahin to main so nahin pawunga….”

Ananya sun rahi thi aur muskaye jaa rahi thi ussko binatti karte huwe sunkar aur takiye mein apna munh daba kar hanssti jaa rahi thi…… magar tarpana bhi ladkiyon ki fitrat hai to ussne socha chalo tarpate hai janaab ko aur Ananya ne phone kaat diya phir se!

Jab Abhay ne dekha ke Ananya ne phone kaat diya to woh samjha ke Ananya naraaz ho gayi kyun ke ussne kaha ke usska koyi girlfriend nahin, to ussne phir se number dial kiya bechain hokar. Aur udhar Ananya ne apna cell ko silent kar diya tha aur dekh rahi thi Abhay call raha hai magar nahin le rahi thi….. Abhay machal raha tha, paagal huwa ja raha tha apne aap ko koste huwe ke khud usski yaad mein khoya tha aur jab ussne phone kiya to ussko pehchana bhi nahin….Uss waqt Abhay ka dimaagh kaam nahin kar raha tha, soch raha tha ke kab ussne Ananya ko apna number diya, din bhar ke baat cheet ko phir se review kiya apne dimaagh mein yaad karne ko ke kia ussne kissi bhi waqt apna number diya tha ussko magar yaad nahin araha tha….. usske dimaagh se uss waqt yeh baat bilkool hi nikal gayi thi ke usske school ke sign board usska number hai…..

Ussne 7 baaar dial kiya magar Ananya apni bistar par baith kar apne cell ko bajte huwe dekh rahi thi araam se! Itni bhi taaqat hoti hai ladkiyon mein ke khud ko pata hai ke koyi tarap raha hai uss taraf magar tarpaye jate hein, mazaa ata hai unnko…. To jab Abhay ne dekha ke phone nahin utha rahi hai, socha ke shaayad bahot hi naraaz ho gayi hogi, aur woh yeh to bilkool nahin chahta tha, pehle hi din, jeise muhabat ki shuruwaat huwi ussi raat ko naraazgi, yeh gawara nahin tha Abhay ko to ussne ek sms likh kar bheja. Jab Abhay call kar raha tha to Ananya usska naam apne mobile par dekh kar bahot khush ho rahi thi, ussne Abhay ka number save kar liya tha usske naam se to jab woh call karta tha to usska naam to ayega hi…. Ananya ko bahot achah lag raha tha, pehli baar usski zindagi mein koyi ladka ussko subha ke 2 baje phone kar raha tha jiss waqt woh apne bistar par nighty mein thi…. Ussko ek ajeeb si khushi mehsoos ho rahi thi…. pyar ho gaya tha ussko bhi Abhay se pehli hi nazar mein magar chup rahi kyun ke ussko pata to nahin tha ke Abhay akela hai ya shadi shuda hai ya koyi ladki hai usski zindagi mein vaghaira vaghaira…..

To Abhay ne sms mein samjhaya ke woh kitna bechain hai aur kitna ussko soch raha tha, keise raat ko office gaya tha usski number dhundne aur sab dil ki baat likh kar bheja….. Ananya ne sab pahrha magar reply nahin kiya aur chupke se muskura rahi thi…… Abhay ne 15 minute tak usski reply ka wait kiya magar jab dekha ke ussne reply nahin kiya to phir se usski number dial kiya dekhne ko ke kahin Ananya ne switch off karke so to nahin gayi, aur jab dekha ke mobile baj rahi hai to itminaam huwa ussko….. aur Ananya ne phir call ko nahin liya to Abhay ne phir ek message bheja, magar iss baar ussne yeh likha,

«Pata nahin so gayi tum ya jaag rahi ho

Kyun mujhko itna tarpa rahi ho

Aag sulga ke seene mein meri

Kyun mujhko jala rahi ho

Khaak ho jawunga suraj nikalne tak

Kia khushi milegi tum ko tab?”

Tab Ananya se raha nahin gaya aur usska dil ro pada, aur jaldi se ussne yeh likh kar Abhay ko bheja,

“Suraj ko keise koyi aag laga sakta hai

Tum to kirnein laaye ho zindagi mein meri

Keise bhala bujha doon main woh diya

Jissne roshan ki hai zindagi ko meri?”

Abhay woh message pahr ke bahot khush huwa, aur ab dial kiya phir se to iss baar Ananya ne phone liya tez dil ki dhadkan ke saath aur emotional hokkar.

Abhi: “Hey girlfriend!”

Ananya: “hmm”

Abhay: “Kyun mujhko itna sata rahi ho?”

Ananya: “Tum kyun mujhko rula rahe ho?” (aur siskiyan liya Ananya ne)

Abhay : «Hey hey hey, kia sach mein ro rahi ho ?»

Ananya: (rote huwe) “Eise message bhejoge to rowungi nahin?”

Abhay: “Are woh to eise hi likh diya, kia yaar mujhko tarpa tum rahi thi aur khud ro rahi ho! Rona to mujhko chahiye tha, pata hai kitna bechain tha main sham se? kitna dhunda tumhara number aur tum ho ke mera number tumhare paas hote huwe bhi raat bhar chup rahi mujhe call kiya bhi to anjaan bankar, mujhe kia pata tha ke tumhare paas mera number hai, agar mere paas tumhara number hota to main bahot pehle hi tumko call kardiya hota raat ke 7 /8 baje tak! Aur tum ne raat ke sare ek baje call kiya! Bahot tarpaya mujhko to kyun khud ro rahi ho??”

Ananya: “Mujhe kia pata ke tum mere number dhund rahe the , aur phir tumko mere boyfriend ke bare mein poochna zaroori tha magar mera number lena nahin?”

Abhay: “ARE YEHI TO GADBAD HO GAYI NAH MUJHSE!! Main itna khoya huwa tha jab tum mere saath thi ke kuch nahin soojh raha tha, bilkool hi yaad nahin aya ke tumhara number lelun, aur tumhare boyfriend hona ya na hona bilkool zaroori tha, kyunke agar tumhara boyfriend hota tab to hum donon iss waqt baat nahin kar rahe hote! Magar Anny tumko mera number mila kahan se?”

Ananya: Numbar tumhare school ke sign board se liya tha. Tumhare doston ke bhi liye hein, aur maan lo ke agar mera koyi boyfriend hota to?”

To be continued…………..
 
bondjamesbond09

Active Member
1,613
4,377
159

anny ne akhir phone utha hi liya abhay ko tadpane ke baad
 
  • Like
Reactions: Casinar

Rahul

Kingkong
60,556
70,669
354
mazedaar update bhai, maja agaya cool update, full of love
 
  • Like
Reactions: Casinar
Top