• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Aur Ek Prem Kahani (COMPLETED)

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
52,928
173
Update 67

Iqbal gaya Abhay ki mummy ko lene utni subha subha aur kehne ki zaroorat nahin ke woh kitni chonhki jab uss samaye Iqbal ko usske yahan darwaze ki khatkhatate suna to. Khair Iqbal ne sab samjhaya aur donon gaye Ananya ke yahan ussko lene ke liye, Vinay ko lete huwe.
Ab yahan Ananya ke bare mein kehna zaroori hai. Kia beet rahi thi uss par itne dinon se. Ussne khud ko band kar liya tha ek alag dunya mein. Ek to manhoos ki tag lag chuki thi usske upar aur Abhay ka na milna ussko mare jaa rahi thi woh sirf Abhay ke saath guzare gaye haseen lamhon ke saahare jee rahi thi. Bahot kum batein karti thi aur ek buth jeisi ban chuki thi kaafi dinon se. kabhi kabhi woh bhi apne aap se batein kiya karti thi aur bahot roti thi jab unn dinon ko yaad karti thi jab Abhay usske khirki ke paas aaya tha raat ko aur Anny ne Abhi ko wapas lawtayi thi bina uss se pyar kiye. Anny apne aap ko kosti thi aksar unn baton ko lekar aur sochti thi unnhi baton ki sazaa jhel rahi thi woh. Anny ko pata tha ke ussne apne Abhay ka dil bahot dukhaya tha aur ussko apni papa ke baton ko nahin manna chahiye tha balke Abhay ke taraf jana chahiye tha. halaan ki ussne sirf apne papa ko khush karne ke liye sab kuch kiya tha phir bhi Anny ne uss samaye Abhi ke liye kuch bhi nahin socha tha aur aaaj jiss haal mein Abhi hai uss ka zimewaar Anny khud ko samajhti thi. Dil par bahot bojh liye jee rahi thi Anny aur jiss waqt Iqbal ka phone aya to woh bahot zoron se phoot phooo kat rone lagi.

Anny ki mummy aur papa ussko rote huwe sunkar dawde gaye usske kamre mein poochne ke kia huwa to Anny apne chaati aur maathe ko peette huwe aur jhar jhar ensoowon ke dhaar mein kaha, “Mera Abhi mil gaya papa mera Abhi zinda hai, pata nahin kiss haal mein hai aur kahan hai magar ussne sapne mein mujhko bulaya mummy……” Mummy aur papa ek dusre ko dekhne lage aur donon ne yeh socha ke Abhi ko sapne mein Anny ne dekha iss liye ro rahi hai….. usske mummy papa ko laga ke Anny kuch paagalon jeisa harkat kar rahi hai unn ko pata nahin tha ke Iqbal ka phone aya tha…. Anny uth kar apne kapde change karne lagi almira ke piche jaakar to mummy papa ne socha subha ke 3 /4 baje kahan jana chahti hai yeh ladki paagal to nahin ho gayi!

Magar thodi der baad car ki horn baji baahar to Anny ke papa apni patni ko dekhte huwe kaha, “Kaun aya hai iss waqt kia ho raha hai Anny kaun hai kahan jaa rahi ho beta?” Aur Anny dhadpadaati ghar se nikalte rote huwe yeh kehkar baahar nikli, “Papa mera Abhay ka pata chal gaya hum log ussko lene jaa rahe hein, Iqbal aya hai mujhko lene main chali…..” Anny ki maa ne rote huwe zor se kaha, “hum bhi ate hein Iqbal se kaho wait kare hum usski gadi ko follow kareinguey….”

Anny Iqbal ke gaadi mein gayi to Vinay aur Abhay ki maa car mein pehle se the, aur Abhay ki mummy ne Anny ko zor se gale lagaya woh bhi rote huwe….. donon awratein zor zor se car mein rone lage jeise kissi ka dehant ho gaya ho… Aur Iqbal aur Vinay ke ensoo bhi nahin tham rahe the….. Anny ke papa aur mummy bhi jaldi se ghar se nikle aur apni car ko start kiya aur Iqbal ke car ke piche Saleem bhai agaye aur horn kiya. Saleem bhai ke car mein sakeena aur usski mummy bhi the. Huwa ye tha ke Saleem bhai ne pehle Iqbal ko Abhay ke yahan chorra aur Iqbal Abhay ki car drive kar raha tha. Phir wahan se Saleem bhai wapas ghar jaakar apni biwi aur Sakeena ko liya tab tak Iqbal Anny ke yahan pohonch gaya tha aur Saleem bhai se keh diya tha ke Anny ke ghar ke saamne usssko join karein, kyun ke tab tak woh Abhay ki mummy ko lekar Vinay ko lene gaya tha.

Ab teenon car tez raaftaar se subha ke takriban 4 baje raaston mein hawa se batein karte huwe dikhaayi de rahe the. Iqbal ki gadi sab se aguey tha, usske piche Saleem bhai aur usske piche Anny ke papa aur mummy the. Sab ke dil zoron se dhadak rahe the. Bahot lamda safar tha aur Anny behaaal thi, reh reh kar purani baton ko yaad kar kar ke bayaan karte huwe Abhay ki maa ko kehte jaaa rahi thi zor se rote huwe aur sab ko rula rahi thi. Iqbal ne ek baaar kaha, “Mere enkhon ke ensoo mujhko raasta saaf dekhne ke liye rok rahein Anny please ab to chup ho jao, mujhko kitna rulaogi, ab to tumko khush hona chahiye ke hum Abhay se milne jaa rahe hein….. “ itna kaha Iqbal ne phir khud rone laga yeh kehte huwe…. “Sala main bhi pata nahin kyun Abhi ko mudhkar thik se nahin dekha jab Sakeena ne mujhse kaha ke woh dekho ek aadmi humko ishara kar raha hai upar se….. mera yaar mere kitna kareeb tha aur mein ne ussko dekha bhi nahin, woh shaayad mujhko rok raha tha ya phukaaar raha tha aur main seedha chalta gaya mudhkar apne yaar ko dekha bhi nahin……” Iqbal iktna zor se roya ke ussko brake lagana pada kyun ke kuch aguey dekh nahin paa raha tha kyun ke enkhon mein ensoo bhare huwe the, naak se paani beh raha tha….. jab usske car ruka to peeche donon car ruke aur Saleem bhai apne car se nikal car aya dekhne ko ke kyun Iqbal ruka huwa hai… jab wahan gaya to dekh ke sab ke sab bahot ro rahe hein Abhi ke liye…..

Tab Saleem bhai ne kaha ke Iqbal drive na karein, ussne Vinay ko drive karne ko kaha. Vinay Iqbal se ziada mazboot tha aur woh apne jazbaton ko kaabu mein kar sakta tha….. to driver change huwa, aur Saleem bhai ne lead liya, ussne aguey jane ka faisla kiya aur baaki do cars ko usske peeche ane ko kaha. To silsila safar ka jaari kiya gaya aur tab saleem bhai ki car pehla tha tab Vinay wala aur Anny ke papa piche follow kar rahe the.

Chaar paanch ghante ka safaar to tha hi kitna bhi tez na jaate…. Jate jate subha ho gayi, phir din bhi ho gaye aur raaston mein har tarah ki gadiyan dikhne lage ate jate huwe. Aur reh reh kar Anny car mein Iqbal se sawal par sawaal kiye jaa rahi thi ke Abhay kiss haal mein tha, keisa dikh raha tha, hatta katta tha ke nahin vaghaira vaghaira aur baat baat par roti jaa rahi aur Abhi ke mummy mko bhi rula rahi thi saath mein Iqbal ko bhi. Iqbal ne bhi rote huwe jawaab diya, “behaal hai mera yaar, shaayd ussko hosh bhi nahin ke woh kahan hai aur kyun wahan hai…main ne to khwab mein ussko thik se dekha magar uss waqt nahin dekha tha. Khwab mein to wohi aadmi jo upar se niche ke taraf araha tha hamare gadi ki taraf saaf nazar aaye magar hakikat mein woh nahin dikha tha…… tab Vinay ne kaha, “Aur agar khwab sir ek khwab nikla to? Agar wahan jaakar yeh pata laga ke woh aadmi koyi aur hai to? Tab Iqbal ne kaha, “Ho hi nahin sakta. NAAMUMKIN. Main ne zindagi mein kabhi weisa khwab nahin dekha, woh khwab nahin ek sandesha tha, ek mawjeza tha, kudrat ke taraf se ek paighaam tha… kuch to tha zaroor…magar main nahin bayaan kar sakta ke woh kia tha jo mere khwab mein aaye the, lag raha tha ke Abhi mere bahon ko pakar kar mujhko jhinjhorr raha tha aur uss se milne ke liye bula raha tha…..”

Aur tabhi Anny ne rote huwe kaha, “Vinay aur main ne kyun ussi khwab ko dekha jo Iqbal ne dekha woh bhi ussi waqt jiss waqt Iqbal ne dekha? Abhi hum logon se contact kar raha hai ghaibi tarike se, yeh upar wale ki chamatkaaar hai yaar…kuch na kuch to hai, humko Bhagwaan milana chahta hai apne tarike se….. koyi maane ya na maane main to ab yakinan Bhagwaan ki chamatkaar ko maanti hoon……”

Phir Iqbal ne kaha, “isska saaf matlab hai ke kal hum sab ko Abhi ne dekha tha aur uss ne humko ya Saleem bhai ko pehchaan liya tha issi liye woh hamare taraf araha tha…” To Abhi ki maa ne kaha, “Tum wahan kiss liye gaye the Iqbal?” to iqbal be achanak bahot heyraani mein aur chohonkte huwe zor se chilla kar kaha, “Woh dargah, woh darge wale baba! Wohi chamatkaar hai… are han yaar…hum log wahan ke ek darga par gaye the..Saleem bhai hum ko le gaye the wahan…. Are ussi darga wale baba ki chamatkaar hoga… magar hum ne uss se Abhay ke bare mein poocha hi nahin phir bhi kuch na kuch to huwa hoga… abhi humko sab pata chalega whan pohonchte hi, main dobara uss darga par jawunga…. Kuch na kuch to zaroor huwa hai, koyi na koyi link zaroor hai Abhi ki uss darga ya uss darga wale baba se…. sab chamatkaar tabhi huwa hai ab mujhe yakeen hone laga hai…..”

Uss chote se sheher se teenon car guzre aur Iqbal ne sabko bataya ke wahan Abhi ki aakhri photo chorra Saleem bhai ne….. aur jeise hi car uss kachchi gali mein entry kiya, to Iqbal bechain ho gaya aur uss taraf nazrein dawdane laga jiss taraf kal upar se Abhi ko ate huwe dekha tha…… dhire dhire dhool mitti ke udhte beech teenon car aguey badh rahe the aur thik uss jagah jahan kal gaye rasta paar kar rahe the Saleem bhai ne brake lagaya aur car se sar baahar nikaal kar peeche dekhte huwe Iqbal se poocha “Yahin par tha nah??”……..

To be continued…………….
beautiful update dost
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
52,928
173
Update 66
Saleem bhai pariwaar ke saath ghar wapas ponhche. Ab kyunke Iqbal Sakeena ka mangitar tha to kabhi kabhaar Saleem bhai ke yahan ruk jata tha raat bhar. To uss raat ko der ho gayi ghar lawtte waqt to Saleem bhai ne Iqbal ko rukne ke liya kaha aur kamra tayyaar kiya usske liye. Magar raat ko takriban barah ya ek baje tak Sakeena Iqbal ke saath thi lounge mein ishk farmate huwe, jab ke Saleem bhai aur usski biwi sone chale gaye the. Iqbal ko full azaadi thi ghar mein wahan.

Uss taraf Jab budhe baba ko pata chala ke Abhi ne uss ke paas ane wale aadmi ko Saleem bhai kehkar phukara to ussko bahot hi mayussi huwi ke kyun usske paas uss Salim bhai ka ata pata nahin tha! Baba bahot afsos kar raha tha ke kyun Abhay ko kaam karne diya. Agar woh kaam par nahin jata to Saleem bhai ussko dargah ke andar hi mil jaate….. Budhe baba kuch josh mein agaya aur pata nahin kia kia duwaein ayatein padhte huwe Abhay par phookne laga aur ajeeb o gharib awaaz mein pata nahin kia kia keh raha tha kuch samajh mein nahin arahe the aur Abhay bahot heyraani ke saath budhe baba ke chehre mein dekhta chala jaa raha tha aur woh padh padh kar Abhay ke chehre aur sar ke upar phoonk maarte chala jaa raha tha bilkool josh mein jeise woh koyi aur ho! Aakhir mein yeh alfaaz budhe baba ke lab se saaf sunaayi diya, “Jo bhi aye the yahan unn ke khwab mein paighaam bhejh ke yeh yahan hai, keise bhi kar, unnko wapas bhej isske paas bahot ho chukka sabr mera; mera imtehaan nah le ab!!” Yeh kehkar budhe baba behosh ho gaye! Woh kuch iss kadar josh mein the jeise rab se baatein kar raha ho aur uss ke kareeb pohonch gaya ho….. wahan ke log kehte the ke saal mein sirf ek ya do baar baba uss mukaam tak pohonchta hai jab dargah wale peer se mukhatib hote the, aur wohi chamatkaar tha uss dargah ki, ke wahan ke murid uss dargah wale peer par yakeen karte the ke woh sab ki bigri ko banata hai… kayi log to yeh maante the ke budhe baba uss dargah wale peer ka rishtedaar hai aur ussko bhi ussi jagah dafnaya jaega usske intekaal ke baad.

Aur Sakeena ke yahan, donon lounge mein ek sofe par baithe ek dusre ko bahon mein liye ishk farmate huwe, meethi meethi baton mein mubtela the. Tab Sakeena ne achanak yeh baat chedi….. “ Tumko yaad hai woh aadmi dadhi wala jo upar se neeche utar rahe the hamare car ke taraf ishara karte huwe?”

Iqbal ne Sakeena ke chehre mein ek ajeeb si nazar se dekhte huwe kaha, “Han magar tum achanak kyun uss baat ko lekar baith gayi? Are yaar hum donon ke bare mein baatein karo, pyar ki batein karo kia dargah wale jagah ki baat ko ched baithi tum?!”

Sakeena ne kaha, “Pata nahin kyun mujhe laga ke woh aadmi hum logon se kuch kehna chah raha tha, jeise woh hum mein se kissi ko phukaar raha tha magar kissi ne nahin suna!”

Iqbal, “What nonsense Sakeena! Kia baat kar rahi ho tum, chalo ab sone ka time ho gaya, mujhe neend arahi hai goodnight”

Aur donon alag alag kamre mein sone chale gaye…….. Ab isse kudrat ka karishma samjho ya budhe baba ki duwaon ka assar, ke bus ek ghante ke neend ke andar achanak Iqbal cheekh utha bistar par se, “Abhayyyyyyyy, Abhayyy mera yaaaaaaaaaar!!” ghar ke sab log jaag gaye. Subha ke sare teen baje the. Saleem bhai aur Sakeena dawte huwe Iqbal ke kamre mein gaye, Iqbal pasina pasina ho gaya tha aur tarapti awaaz mein Saleem bhai se lipat kar rote huwe bola, “Saleem bhai woh hamara Abhay tha, hum ussko wahin chorr aaye Saleem bhai Hamara Abhay tha woh!!”

Yeh sunkar Saleem bhai kaampte haath se Iqbal ka peeth thapthapate huwe Sakeena ke chehre mein dekhte huwe ishare se poocha kia baat hai…. Tab tak Iqbal ne Sakeena ke taraf dekh kar ensoo bhare nazar se kaha, “Sakeena woh hamara Abhay tha, jissko tum ne dekha tha……” Sakeena ne poocha, “Magar achanak iss waqt tum yeh kyun keh rahe ho, jab main ne kuch der pehle tumse baat ki to……” Iqbal ne Sakeena ko bolne nahin diya aur thar thar kaampte huwe badan se bayaan kiya,

“Main ne zindagi mein kabhi eise darawni sapna nahin dekha hai kabhi, sapna nahin hakikat lagta tha… hum sab uss jagah se lawt rahe the aur Abhay upar se niche ke taraf dawte huwe phukaar raha tha “Saleem bhai Saleem bhai” aur main bhaagte huwe ussko apne bahon mein pakar kar ro raha tha aur ussne kaha, “Yaar Iqbal tum mujhe akela kyun chorr kar chale gaye mujhko mudh kar dekha bhi nahin mujh se milne to awo yaar main bilkool akela, tanha hoon….”….

Yeh kehkar Iqbal zoron se rone laga, aur tab tak Sakeena ne apne abu ko bataya ke jahan car roka tha ussne jab gaye rasta paar kar rahe the upar se ek daadhi wala aadmi hamare car ke taraf ishara karte huwe araha tha…… yeh sab sunkar Saleem bhai ne socha ke uss dargah par jane se shayad Iqbal par bura assar pada issi liye uss jagah ki hawa raas nahin aya ussko….. Magar thik ussi waqt Iqbal bed se utar kar apne kapde pehenkar bahot serious hokar kaha, “Jaldi chalo wapas wahan, Abhay hamara intezaar kar raha hai, Vinay aur Ananya aur Abhay ki mummy ko phone karo abhi issi waqt unn sab ko chalna hoga!

Saleem bhai yakeen nahin kar raha tha jo usske saamne ho raha tha subha ke sare teen baje ghar se nikalna aur dusron ko phone karna ussko ajeeb lag raha tha to ussne Iqbal ko shaant karne ki koshish ki, magar Iqbal kuch bhi sunne ko tayyaar nahin tha aur Saleem bhai se jhagad pada, apne hone wale sasur se oonchi awaaz mein baat kiya ussne, “Dekhiye aap logon ko agar nahin jaana hai to mat jayiye, mujhe abhi aur issi waqt nikalna hai wahan pohonchte pohonchte subha ke 8 baj jayeinguey…… main chalta hoon, pehle Vinay aur Anny ko phone kar lun…..”

Sakeena jaldi se tayaar huwi apne walid se yeh kehkar ke woh Iqbal ke saath jaegi, aur Saleem bhai ne kaha, “Beti tum kia samajhti ho ke main nahin jaa raha hoon are beshak main bhi chalta hoon, kaash hum ne uss darga wale baba se Abhay ke bare mein poocha hota!” Tab Iqbal ne kaha, “Wohi to, wohi hamari sab se badi ghalati thi ke hum ne socha ke Abhi utne door nahin nikal sakta aur woh wahin hai itne mahinon se, aap ne dekha kia haal bana liya hai apna…ek paagal jeisa dikh raha tha mera yaar….” Yeh kehkar Iqbal phir rone laga…..

Ek chamatkaar aur huwa, Jab Anny ne phone uthaya to Iqbal se rote huwe kaha, “Main ne abhi abhi Abhay ko sapne mein dekha ek oonchaayi par se niche ke taraf “Saleem bhai” phukaarte huwe dawd raha hai aur mujhse kaha, ‘Tum bhi mujhe bhool gayi nah Anny’…..” Aur Anny zoron se ro padi phone par…. To Iqbal ne kaha, “Rona band karo hamara Abhay humko mil gaya hum ussko lene jaa rahe hein tum tayaar rehna main tumko lene araha hoon usske mummy ko lekar……”

Dargah wale baba ki duwaein door aasmaan mein assar kar gaye, ke kudrat ko bhi jhukna pada aur khwab ke roop mein sahi, Abhay ka deedaar karwa diya yaaron ko. Wah!

To be continued…………….
lovely update dost
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
52,928
173
Update 68

Phir hona kia tha; sab gadi wahin ruke aur Iqbal jaldi se dawdte huwe ek aadmi se poocha, “Bhai sahib kia yahan kissi Abhay naam ka aadmi upar kaam karta hai aap ko pata hai” Uss aadmi ne itne sare logon ko car se nikal kar baahar ate huwe dekh kar kaha, “are han woh jo Seema ke saath raha karta hai aur darga mein baba ke paas rehta hai nah han woh to yehin upar kaam kar raha hai…. Shayad Abhi naam hai usska, ek roz raat ko hum ussko dhunde gaye the guffe mein mila tha….” Bus uss aadmi ka itna hi kehna tha ke Iqbal upar dawdte huwe jane laga zor se “ABHIIIIII” chillate huwe…. Usske piche ussi raftaar se Vinay ne follow kiya…. Ab upar bade bade machinon ke awaaz se wahan par Iqbal ki awaaz to nahin ja rahi thi aur Abhi to upar bilkool uss paar tha. Drilling machine ke awaaz ke beech mein patharon ka kaam kar raha tha Abhay aur zameen ke taraf jhuka huwa tha phir thik usske bagal mein do aadmi drilling machine liye huwe pathar par ched kar rahe the……

Niche se dhire dhire Saleem bhai, usski biwi, Sakeena, aur Abhay ki maa upar ke taraf charr rahe the aur Ananya bhi dawd rahi thi Vinay ke piche….. koyi 100 metre tak upar jana tha phir upar pohonch kar phir uss taraf niche utarna tha Abhay tak jaane ke liye. Koyi 20 log kaam kar rahe the wahan aur trucks bhi the kahin kahin par. Jab Iqbal upar ponhcha to ruk kar charon taraf nazrein dawdate huwe Abhay ka talaash karne laga sabhi mazdooron ke beech…. Usska dil bade zoron se dhadak raha tha aur bahot sare udhte huwe dhool ki vajah se kuch saaf dikhaayi nahin de raha tha….. Vinay nahin ponhcha tha tab tak aur jahan Vinay tha usske piche Ananya thi, to Iqbal ko ruke dekh kar weh donon ruk gaye jahan the wahin aur Iqbal ke chehre ko dekh rahe the aur samajhne ki koshish kar rahe the ke kyun Iqbal khamosh ho gaya, kia Abhay wahan nahin dikha….. Anny ka dil bechain tha aur ussne rote huwe Iqbal se chilla kar poocha, “Iqbal kia huwa? Mera Abhi wahan hai ke nahin?” Iqbal mudhkar Anny aur Vinay ke taraf dekhte huwe hath ke ishare se unn donon ko upar ane ke liye ishara kiya….bahot hamp raha tha woh kyunke bahot tezi se dawd kar upar tak ponhcha tha.

Phir jab teenon upar aagaye to teenon apne nazron ko sabhi mazdooron ke upar ek ek karke Abhi ko khojne lage….. Aur niche jahan car stop kiye the unn logon ne wahan hulad mach gayi…. Engineer sahab aa rahe the to usski gadi nahin aa paaye kyun ke teen car beech raaste mein khade kiye gaye the aur dusri taraf se ek aadmi jaanwaron ko charane ke liye jaa raha tha, bail, bhains, aur bakriyon ki toli sameth woh bhi beech raste mein ruka huwa tha upar ke taraf dekhte huwe….

Aur dhire dhire gaon ke log ek ek karke wahan agaye cars ke paas kyun ke rasta bilkool block ho gaya tha aur khabar pure gaon mein pheyl gaye - sab log Saleem bhai, usski biwi aur Sakeena ko upar ke taraf jaate dekh rahe the aur ziada upar sab log Iqbal, Vinay aur Anny ko dekhne lage…kuch log apas mein batein karne lage kyun ke woh aadmi jiss se Iqbal ne Abhi ke bare mein poocha ussne sab ko bata diya ke Abhi ke pariwaar aye hein ussko lene. Tab yeh baat Akaash ke kanon tak ponhcha aur ussne turant Seema ko phone lagaya upar sabko dekhte huwe. Phone par Seema se Akaash ne kaha, “Turant wapas ghar awo, bahot urgent hai, apne manager se kaho urgent phone aya hai tumhare ghar se, agar woh nahin maane to mujhse baat karwao, aur sunon taxi lekar ana, bus se nahin, jaldi…..” Seema poochti hi rahi ke kia baat ho gayi magar Akaash ne phone kaat diya. Seema ne try kiya aur manager ne ussko jane diya aur Seema jaldi se ek taxi liya wapas ghar ane ke liye.

Ek chota ladka dawte huwe darga tak gaya aur budhe baba ko khabar diya ke Abhi ke gharwale ussko lene agaye hein…. To budhe baba bhi jaldi jaldi darge se wahan jane ke liye nikla….

Phir upar se Iqbal, Vinay aur Anny ahiste ahiste uss taraf se niche ke taraf badhne lag ek ek mazdoor ke chehre mein dekhte huwe….. to ek aadmi ne unn logon ko toka, “Kidhar jaaa rahe ho aap log, yahan jaana maana hai…..”

Aur uss taraf Akaash upar gaya Saleem bhai se mulakaat kiya aur kaha, “Main yahan ka engineer hoon kia aap logon ki koyi madad kar sakta hoon? Kia aap kissi ko dhund rahe hein?” Saleem bhai halaan ke mazboot insaan tha uss waqt bahot emotional ho gaya aur ensoo bhare enkhon se Akaash se kaha, “Dekho bhai hamara ek bacha hai Abhay, lagta hai ke woh yahan par kaam karta hai to hum ussko lene aaye hein….” Akaash ne muskurate huwe kaha, “Achchah Abhi? Han woh mere saath hi kaam karta hai uss taraf hoga aap log niche chal kar intezaar kijiye main ussko lekar abhi niche ata hoon, aap zara gadiyon ko side par kijiyega, tab tak main Abhi ko lekar abhi aya!”

Saleem bhai, Sakeena, Abhi ki maa aur Salim bhai ki biwi sab wapas niche chale gaye aur Saleem bhai ne sabhi cars ko side mein kiya aur jaanwar charaane wala aadmi apne jaanwaron ko lekar chala gaya kheton ke taraf phir bhi bhirr ekatha ho chukka tha wahan… aur phir darga wale baba aaye to Saleem bhai se direct mulakaat ho gayi. Budhe baba ke gale lage Saleem bhai aur rote huwe Saleem bhai ne baba se kaha, “baba laanat hai mujhpar huzoor, kal main aap se mila magar iss ke bare mein zikr bhi nahin kiya ke hum apne bachche ko mahinon se dhund rahe hein……” budhe baba ne Saleem bhai ka peeth thapthapaate huwe kaha, “Yeh Allah Miyan ka hukm tha ke aap wapas awo ussko lene, kal ussne aap ko pehchaan liya tha aur aap ka naam phukara bhi tha sabhi logon ne yahan par suna magar aap ko hi nahin sunayi diya tha yeh sab khel hai taqder ka, woh upar wala kab kissko milata hai kab log bicharte hein yeh sab usska farmaan hota hai….aap ka naam Saleem bhai hoga hai nah miyan?” Saleem bhai apne ensoowon ko ponchte huwe apna sar hillaya. To budhe baba ne kaha, “aap ka hi naam phukara tha Abhi ne jab aap ki gadi wapas jaa rahi thi mere yahan se hokar, magar aap ne usski phukaar ko nahin suna magar upar wale ne sun liya aur aaj aap ko bhej diya yeh usska karishma hai janaab.” Saleem bhai aur rone lage yeh jaankar ke kal Abhi ne ussko phukara aur ussne suna bhi nahin aur ruka bhi nahin…. Phir kuch ghusse mein aur afsos karte huwe apne haath ko car par peette huwe Saleem bhai ne kaha, “laanat hai meri police hone par, itne bade bade case ko solve karta hoon main aur aaj main naakaam ho gaya! Laanat hai!!! Uss masoom ne mujhko phukara aur main chalta gaya kia beeta hoga uss bachche par ya Khuda mujhko mwaaf karna mere maalik!!” Saleem bhai ko rote huwe dekh kar usski biwi aur Sakeena bhi rone lage saath mein Abhay ki maa bhi.

Aur kuch der baad ek taxi ruki thik wahin par kyun ke bahot log jama ho gaye the aur Seema taxi se nikal kar, apne tez dil ki dhadkan ko, haath ko apne chaati par rakh kar sambhaalte huwe budhe baba se poocha, “Kia huwa baba? Kaun hein yeh log? Kuch bura to nahin huwa nah? Kyun mujhko Akaash ne phone karke wapas bulaya office se?”

To be continued………………
beshkimti update mitr
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
52,928
173
Update 69

Budhe baba ki nazron mein afsos kam aur khushi ki jhalak ziada dikha jiss waqt Seema ne sawaal kiya tha uss se ke kia huwa aur kyun ussko office se phone karke bulaya gaya. Jiss nazar se budhe baba Seema ke chehre mein dekh raha tha jawaab dene se pehele, Seema ko sawaal dohraane par majboor kia. Uss ne phir poocha, “Baba batao na kaun hai yeh log? Kyun sab upar ke taraf dekh rahe hein eise koyi haadsa pesh aya kia? Ajay kahan hai baba aur Abhi? Kuch huwa to nahin? Uss waqt Anny aur Saleem bhai sun rahe the aur jab Anny ne Abhi ka naam Seema ke zuban se suna to who Seema ke chehre mein ek ajeeb tarike se dekhne lagi aur Saleem bhai ne Seema ko dekh kar Anny ko dekha aur socha ke kahin yeh ladki ab Abhi ki zindagi ka hissa to nahin ban gayi?

Anny ko ek chakkar aya aur who zameen par girne hi wali thi ke Saleem bhai ne ussko sambhala aur car ke piche wale seat par letaya…aur uss taraf budhe baba ne Seema ko sab baton ka khulassa diya……
**************************************************************************************************************************

Seema ne Anny se kaha, “Abhi mera pati hai aur hum donon 5 mahinon se ek saath reh rahe hein tum please mere sapnon ko chakna choor mat karo iss se pehle ke Ajay Abhi ko lekar idhar aaye tum log yahin se wapas laut jao….. Abhi ko mujhse juda mat karo please jayiye aap log, aap sab chale jayiye yahan se. Anny zor se rone lagi aur Abhay ki maa ke gale lagkar apna dard chupane ki koshish kar rahi thi. Sab log munh phade Seema ke taraf dekh rahe aur gaon walon ne bhi Seema ka saath diya aur kayi logon ne aakar kaha ke han Seema aur Abhi pati patni hein. Kuch logon ne Anny ko aur Saleem bhai ko bataya ke agar Seema nahin hoti to aaj Abhi thik nahin hota. Jab Abhi thik huwa to ussne Seema se shaadi karne ka faisla kiya aur donon ke panchaayit ke saamne shaaadi ki hein….. Aur Seema apne peth par Anny ka hath khinch kar rakhte huwe kaha,

“Main Abhi ke bache ki maa banne wali hoon yeh dekh, ab please mere pati ko baksh do aur chale jao yahan se please nahin to main paagal ho jaungi…aur dekho agar Abhi niche aya aur ussne tum logon ko pehchaan kar mujhko chorr diya to main abhi ke abhi iss janam lene wale bache ko maar dalungi aur khud apni jaan lelungi, tum log jao yaha se chillakar Seema ne unn sab se kaha………..”

Ananya zor se chillaayi, “Nahiiiiiiiiiiiin eisa nahin ho sakta…..” aur car ke piche wale seat se uthi jahan Saleem bhai ne ussko letaya tha…… Saleem bhai ne kaha, “araam se beta araam se kia huwa koyi bura sapna dekha kia?” Ananya bilat rahi thi aur car ke baahar Seema ke taraf dekhte huwe apne tez dil ki dhadkanon ko thaame Saleem bhai se kaha, “Yeh ladki keise Abhi ko jaanti hai? Kaun hai yeh main ne sapne mein issko dekha aur yeh apne aap ko Abhi ki patni keh rahi thi Saleem bhai, Bhagwaan kare ke eisa kuch nahin huwa ho!!!” yeh kehkar Anny tarap tarap kar rone lagi aur usske parents aur Abhay ki maa ussko shaant karne mein lag gaye…… Aur Saleem bhai gaya budhe baba aur Seema ke paas kuch jaankaari haaasil karne ke liye.

Kuch der baad Saleem bhai ne aakar Anny ko bataya ke Seema uss engineer ki hone wali mangitar hai aur ussne Abhi ki bahot madad kiya hai ussko sambhala hai aur usska shukriya ada karni chahiye…… yeh sab sunkar Anny ke jaan mein jaan aayi who to kuch aur hi sochne lagi thi. Saleem bhai ne Anny ko kaha, “Dekho beta tum ziada thaki huwi ho, bahot roya hai tum ne aur neendh bhi kum hai tumhaari, issi liye tumko chakkar aya aur tum behosh ho gayi…apne aap ko sambhalo, eise darawne khwab tabhi ate hai jab koyi ziada tension mein hota hai tum sambhalo apne aap ko hamara Abhi ata hoga usske dosts gaye hein na upar. Intezaar karo, sabr karo thoda sa aur.”

Aur ab upar Vinay aur Iqbal unn bade bade machinon ke ghadghadahat ke beech se guzarte huwe eke k mazdoor ke chehre ko dekhte huwe ahiste ahiste aguey badh rahe the aur piche se kissi ne zor se phukara “hello wait please…..” weh donon piche mudhkar dekhe to Akaash ne kaha, “Main yahan ka engineer hoon aap log mere saath aiye main batata hoon Abhi kidhar hai.” Akaash ne sabko machinon ko off karne ka aur kaam bandh karne ka ishara kiya. Sab khamosh ho gaye aur sanata chah gaya achanak. Abhi ko heyraani huwi ke sab achanak khamosh kyun ho gaye to woh apne kamar par peeche ke taraf hath rakh kar seedha khada hote huwe ek taraf dekhkar dusre mazdoor se poocha “chae ka time ho gaya kia? Sab machinein kyun ruk gaye?” to uss mazdoor ne ussko Akaash ke taraf haath se ishara karte huwe bataya. Aur jab Abhi ne engineer babu ke awr dekha to paaya ke do jawaan aadmi usske saath ussi ke taraf aa rahe the aur apne peshani par haath se suarj ke kirnon ko rokte huwe Abhi enkh phade huwe aur munh khole jeise ek gehra shock laga ho aur jeise kuch kehna chahte ho par awaaz nahin nikal raha ho uss andaaz mein bhawklaye huwe dekhta gaya…… aur dhire dhire Vinay aur Iqbal uss ke taraf badhte gaye……

Uss waqt donon doston ne Abhi ko dekha nahin tha kyun ke sar jhukaye huwe donon Akaash se batein karte huwe aguey badh rahe the…….. Aur jeise jeise donon Abhi ke kareeb hote gaye weise weise Abhi ahiste ahiste unn donon ke taraf kadam badhata gaya unnke chehre mein dekhte huwe apne sansson ko thaame aur ensoowon ko chalakne se bachaate huwe…… Usski sansein tez hota jaa raha tha aur achanak Iqbal ne nazar uthaya aur zor se chilaate huwe kaha, “ABHIIIIIIIIIIIIIII- VINAY DEKH HAMARA YAAR ABHI RE…AAA JALDI AAA VINAY……” Itna kehkar Iqbal dawdne laga Abhi ke taraf aur Vinay ne jab sar utha kar dekha ke Abhi kiss haal mein hai to wahin baith gaya aur zoron se zameen par haath peette huwe rone laga……

Udhar Abhi, Iqbal ko apne taraf dawte huwe dekh kar tham gaya, khada ho gaya aur ghurrne laga Iqbal ko niche ke taraf jhuk kar usske chehre mein dekhte huwe…… Iqbal usske paas aakar bahot zor se Abhi ko bahon mein jakar liya aur ussko baahon mein uthaakar goal goal ghumne laga…… Abhi ki awaaz nahin nikal rahi thi woh bilkool bhawkla sa gaya tha aur samajh mein nahin araha tha ke usske saath kia ho raha hai…… Iqbal ne Abhi ko chorrte huwe usss se kaha, “Abhi main Iqbal, Iqbal, woh dekh piche woh Vinay, pehchana yaara? Pehchana nah? Nah mat bolna yaar na mat bolna bahot intezaar kiya tera yaa kia haal bana rakha hai meri jaan yeh kia haal bana rakha hai aur kia kar raha hai yahan tu yaar mazdoori? Mera yaar mazdoori kar raha hai haye re meri kismat main marr kyun nahin gaya re!! jiss ke badawlat main araam se jee raha hoon aaj usski yeh haalat are o engineer babu iss se aap mazdoori karwate ho? Pata hai yeh kaun hai?” Iqbal ke ensoo tham nahin rahe the woh itna ro raha tha ke usske alfaaz samajh mein nahin aarahe the…… baaki ke sabhi mazdoor ekatha ho gaye sab dekh kar aur Akaash Vinay ko zameen se uthate huwe Abhi ke paas legaya uss se milne ko….. Par Abhi bilkool shocked tha jeise ussko ek gehra sadma laga ho…woh na to hanss raha tha na ro raha tha magar usska munh khula huwa tha aur usske enkhen mote mote khule huwe the aur lagta tha bahot zor se chillakar rone wala hai….Magar jeise statue ban gaya ho aur apne aap ko rok raha ho, weise stithi mein lagta tha…….

Vinay aakar zoron se rote huwe Abhi ko gale lagaya aur ro ro kar uss se batein kiya phir bhi Abhi kuch nahin bola aur donon doston ke chehre mein bhawklaye dekhta gaya…usske lambe baal dhool mein latpat, usske dhadi lambe aur uss mein bhi dhool aur mithi mile huwe, usske kameez phate huwe aur pants ajeeb….. yeh sab dekh kar Iqbal aur Vinay ko aur bhi ziada rona araha tha…… Woh jo hero, dance master the, woh jo araam ki zindagi basar karte the, woh jissne dusron ki zindagi ko chain aur araam diya tha aaj khud weise haalat mein honge yeh Iqbal aur Vinay se ganwara nahin ho raha tha aur donon doston ke ensoo ruk hi nahin rahe the……

To be continued……………………..
chitaakarshit update dost
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
52,928
173
Update 70

Donon doston ne Abhi ko rote huwe gale se lagaaye rakha aur Akaash ne kaha, “chalo bhaiyo niche sab wait kar rahe hein…” Tab Iqbal ek hath se apne gaal par behte ensoo ponchte huwe bola,

“Are han Abhi pata hai, Anny aayi hai, Saleem bhai, teri mummy sab aaye hein tujhko ko lene sab niche intezaar kar rahe hein chal chal chalte hein….”

Tab Abhi ke kaandhe par donon doston ne donon taraf se haath feylaaye huwe pakra tha aur Iqbal Abhi ke dayein taraf tha aur Vinay bayein taraf, donon ke ek ek bazu Abhi ke kaandhe par the aur teenon ek saath jaane lage niche ke taraf…magar pehle to dusre taraf ke niche se upar chadhna tha phir upar se uss taraf ke niche utarna tha jahan sab wait kar rahe the. Khir keise bhi karke teenon uss mukaam par ponhche jahan se Saleem bhai ne dekha teen log khade the upar, uss ko saaaf dikh gaya k eek taraf Iqbal tha aur dusre tarah Vinat to beech mein anumaan se kaha ke who to Abhi ke siwa koyi aur ho hi nahin sakta aur chalakte enkhon se Anny ke taraf car mein mudhkar kaha, “Tera Abhi beta!! dekh upar…..”

Ye sunkar Ananya jhapat kar car se nikli sar upar ke taraf uthaye huwe aur achanak ruk gayi upar dekhte huwe…… Anny ki dil ki dhadkanein bahot hi ziada tez ho gayi thi aur enkhon se askh ruk hi nahin rahe the…… Phir Abhay ki mummy bhi aayi Anny ke peeche aur Sakina aur usski maa bhi… sab log upar ke taraf dekh raahe the aur Iqbal aur Vinay ne wave kiya sab ko niche dekhte huwe….. Anny rote rote apne ghutnon par aa gayi jeise church mein log pray karte hein uss position mein hokar apne Abhi ki dasha dekh kar bilat bilat kar zor se chillate huwe ro rahi thi aur Abhay ki maa Anny ko sambhaaalne ki koshish kar rahi thi khud apne bête ko dekh kar rote huwe……

Anny kabhi upar dekh kar to kabhi Abhay ki mummy ke chehre mein ensoo bhari nazron se dekhte huwe zor se rote huwe boli, “Kia haal ho gaya mere Abhi ka mummy, usska yeh haal keise huwa mummy ji mujhse dekha nahin jaa raha mummy usske saath eisa kyun huwa mummy ji…..” Abhay ki maa bhi rote huwe aur saath mein Anny ko chup karaate huwe ussko hawsla dete kaha, “Chup hoja, chup hoja hamara Abhi mil to gaya nah ab sab thik ho jaega tu fikar mat kar mera laal araha hai dekh usske saathi keise ussko laa rahe hein dekh dekh…..”

Abhi dhire dhire niche ke taraf utar raha tha apne do doston ke beech magar ab tak ussne ek bhi lavz nahin kaha tha bilkool bhawklaya huwa tha aur niche ke taraf dekh raha tha magar jahan se woh dekh raha tha ussko to koyi 200/300 log jama nazar arahe the…gaon ke sab log jo juth gaye the wahan, jahan Anny aur baaki ke log the…… To Abhay ki nazar unn mein se kissi par nahin padi thi balke sirf Seema par usski nazrein gaye….. to ahiste ahiste teenon niche ate rahe aur jab adha faasla kar liya gaya…tab Abhay ki nazar Saleem bhai par gaya…aur ussne achanak Iqbal aur Vinay se haath churaya aur chillaya wahin se khada hokar…. “SALEEM BHAAAAAAAAAAAAI….SALEEM BHAI…RUKO JANA MATT MAIN ABHI ……MAIN ABHI SALEEM BHAI MAT JANA PLEAASE…. MAIN AYA MAIN ABHI AYA….WAIT KARO PLEASE…….” Yeh kehte huwe wo ro pada aur aur donon dost ussko chillate huwe dekh kar bahot ro rahe the….phir Abhi piche mudhkar unn donon ko dekhte huwe kaha, “dekho Saleem bhai , saleem bhai hai woh…..” Phir Iqbal apne sar hillate huwe Abhi se kaha, “Saleem bhai ko pehchaan liya yaar aur doston ko nahin pehchana! Kia yaar!!” Tab Abhi ne rote huwe aur kuch sochte huwe kaha, “magar tumne Anny ka naaam liya tha nah?” to Vinay ne apne hath ko Anny ke taraf ishare karte huwe Abhi ko dikhaya aur kaha, “Woh rahi teri Anny” Magar Abhi ne Seema ke taraf dekha aur kaha, “Han ussko to main Anny hi bulata tha maagar woh to Seema hai Akaash ussko love karta hai….”

Iqbal ne sar hillate huwe ensoo bhare enkhon se Abhi se kaha, “Are Abhi mera dost tu ghalat dekh raha hai, who Seema hai han magar tujhko kia wahan teri Anny nahin dikh raha? Wo dekh yaar udhar teri mummy ke paas tujhe hi dekh rahi hai, bahot intezaar kiya tera ussne yaaar bahot dikhi hai jaa jaa kar mil le apni jaan se……” Aur Abhi ne Iqbal ke baton ko ansuna karke Salim bhai ke taraf dawte huwe chala gaya. Niche aate hi lapak kar Saleem bhai ke gale se laga zoron se ussko apne bahon mein kaske jakar ke aur zor zor se rote huwe kehta gaya ek chote bachche ki tarah, “Kia Saleem bhai main ne kitna phukara aap ko kal aap nahin ruke aur mujhko yahin chorr kar chale gaye, main ne kitna phukara tha aap ko aap kyun nahin ruke Saleem bhai, main bilkool akela hoon yahan mujhe ghar ka pata nahin, pata nahin keise ghar wapas lautta main mera koyi nahin yahan Saleem bhai mujhe sab akele chorr gaye, dekho main upar kaam karta hoon Saleem mujhe chorr ke mat jaana please main yahan tanha hoon bahot akela hoon, akele akele rota hoon, kissi se kuch nahin kehta magar dil hi dil mein bahot yaad karta hoon aap sabko…mujhe ghar lechalo Saleem bhai mujhe apne saath lechalo please…..”

Aur kia hona tha uss manzar ko bayaan karna mushkil hai. Saleem bhai jeise kadak mard khud jab zor se rone lage Abhi ko tassali dete huwe aur usske sar par haath pherte huwe kehta gaya, “Han beta han zaroor tujhko ghar lejaunga yaar, pata hai kitna dhunda tumko hum sab ne, main ne puri force laga di thi tujhko dhundne ke liye beta kia pata tu yahan hai……” wahan ke sare log zor se ro pade jeise koyi bolywood ka filmi scene chal raha ho….. aur kehne ki zaroorat nahin ke Seema, Anny aur Abhi ki maa kitne rote jaa rahe the Abhi ka wo haal deklh kar aur ussko ek chote bachche ki tarah rote huwe dekh kkar….. Abhi ki awaaz tut jaati thi itna ro raha tha baat karte huwe, naak se paani aur enkhon se ensoo jaari the, ke achanak usski nazar Saleem bhai ke kaandhon se hokar usski maa par gayi phir to Saleem bhai ko chorr kar eise dawda apni maa ki goad mein ke kia kehna yaaro…… Ek maa hi samajh sakti hai kitna sukoon mila usske jigar ke tukde ko apne goad mein wapas paakar, aur Abhi weise hi ussi andaaz mein rote huwe bachche ki tarah kehta gaya tuti huwi awaaz mein, “Maa, mummy, kitna misss kiya tumko, main kho gaya tha maa, mujhe wapas ane ka rasta nahin maloom tha, main sab kuch bhool gaya tha ma kabhi kabhi teri tasveer aati thi dhundle dhundle khwabon mein aur pata chalta tha tu meri maa hai…main to kabhi kabhi bahot darr jata tha ke phir apni mummy se mil bhi paunga ke nahin …..mumy main ghar wapas jana chahta hoon..main bahot dukhi hoon mummy…..” Seema aur Anny bilak bilak kar zor se rone lage Abhi ko uss haal mein dekh kar, aur donon dost bhi tab tak wahan agaye the aur sab ro rahe the…..

To be continued……………..
manmohak update dost
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
52,928
173
Update 71

Abhi ki mummy ne bilkool ek maa ki tarah bahot dulaar se apne Abhi ke sar par haath pherte huwe, usske dadhi bhare chehre ko, usske gale ko sehlate huwe, ensoo bhare enkhon se apne bête par apni maamta nichawar kar rahi thi…uss wqaqt dunya ke sab se zaalim insaan bhi agar who drisht ko dekhta to apne ensoowon kom nahin rok pata aur zaalim se narm dil insaan ho jata.

Mummu ji ne bahot Abhi ko dulaar karke ussko Anny ke taraf jane ko kaha….. Anny roti jaa rahi…Aur Abhi uss waqt confused tha kyun ke who to yeh samajhta tha ke Anny ki shaadi ho chuki hai to who sochne laga ke who keise wahan aayi hai….. sawaali nazron`1+ se ussne apni maa ko dekha aur poochne hi jaa raha tha ke Vinay ne aakar dhire se Abhi ke kaanon mein kaha, jaa mil le Anny se usski shaadi nahin huwi samajhle; baad mein hum tumko sab samkjheinguey….” Abhay mudne hi wala tha Anny ke taraf jo sar jhukaye roti jaa rahi thi tab tak Abahy ki mummy ne Anny ka haath pakar ke ussko Abhi ke bahon mein bharr diya.

Abhi ne Anny ko bahon mein liye bade pyar se rote huwe ussko phusslate huwe kaha, “kia huwa meri jaan ko, kyun ro rahi ho, hmm main hoon na ab, to rona band ab….” Yeh kehkar khud rone laga Anny ko zoron se sab ke saaamne bahon mein jakre huwe….. Anny ne rote huwe Abhi ke chehre par haath pherte huwe jhar jhar behte ensoowon mein kaha, yeh kia haal ho gaya meri jaan ki? Dhool mein latpaat, kapde maile, baaal lambe, kab se shave nahin kiya jaan main keise apne jaan ko iss haal mein dekh sakti hoon kia ho gaya Abhi…” Aur donon ek dusre ko bahon mein liye kuch der tak rote rahe aur baaki ke logon ko bhi rulate rahe…… Seema donon ko deklh kar musurate hue ro rahi thi ke Ajay ne ussko apne seene se lagaya.

Kuch der baad sab thoda shaant huwe to budhe baba ne duwaein kiye open mein sab ke saamne aur sabko ek chotah sa takreer se nawasa. Aur usske baad Abhi ne Seema ke taraf jaate hue Any se kaha, “dekho yeh Seema hai main issko Anny samajhta tha, mere hosh thikaane nahin the magar yaad hai ke Anny naam mere zehen mein gtha kahin to main Seema ko Anny kehkar bulata tha hai nah Seemaa?” Seema ne rote huwe Abhi ke sar par apne ungliyon ko phera aur kaha, bahot mauj masti bhi karte the tum Abhi….. bahot achah laga tha tera saath mujhe……. Tab tak Saleem bhai ne oonchi awaaz mein apne chehre ko rumaal se ponchte huwe kaha, “Achah bacho ab ghar chalein lamba safar hai nikaalna chahiye…..”

Jaldi jaldi Abhi apne mazdoor saathiyon se ek ek karke gale milte huwe mila, aur Ajay ka shukriya ada kiya….. tab jaldi se Ajay ne usske baaki dinon ka tankhwa dena chaaha magar Abhi ne lene se inkar kiya aur kaha baaki ke mazdooron mein bant dein………. Phir Abhii budhe baba ke lag kar khub roya. Budhe baba bhi ro pada usske peeth thapthapaate huwe aur kehte gaye, “jo jo jab jab hona hai so so tab tab hokar rehta hai iss par kissi ka zor nahin”

Jab sab log car mein baith gaye, Abhi aur Anny ek sath baithe piche ke seat par ek dusre ko bahon mein liye, car start ho gaye jane ke liye, aguey wala car chalne laga, Abhi last wale car mein tha ke achanak Seema daudte huwe aayi aur Abhi se kaha, “ruko, please ruko ek cheez dena hai tumko main abhi laayi ghar se, wait karo please……” Aur Seema tezi se daudte huwe ghar gayi aur jaldi hi wapas aayi aur Abhi ko usska mobile wapas kiya yeh kehte huwe, “Tumhara mobile, main banana chaha isko magar kuch nahin ho paaya, jab tum idhar aaaye the to yeh bheega huwa tha, apnme sheher mein shayad advance technician issko thik kar sakta hai……” Anny Seema ke enkhon mein dekh rahi thi jab who Abhi se baat kar rahi thi… Anny ko pata chal gaya ke Seema Abhi se pyar karti thi magar Anny chup rahi….. Seema ke enkh bhar aaye the aur last mein Abhay se kaha, “ ho sake to hum se milne ana Abhi, main tumko wapas dekhna passand karungi, aur bahot saare batein batana hai tumko jo shayad tumko yaad nahin, uss guffe mein lejana hai tumko jo shayad tumko yaad nahin ke tum wahan chhupe the kyun ke raat ho gaya tha aur tumko raasta nahin mila tha wapas dargah jane ki….. eise kitne saare batein karne ko mann karta hai tumhare saath kyun kea b to tum thik ho gaye nah, main kitnaa try karti thi tumko sab yaad dilane ki yaad hai tumhein Abhi……” Aur Seema bole ja rahi thi bole jaa rahi the ensoowon ko ek hath se ponchte huwe aur ek hath se car ke darwaze ko thaame huwe….. Abhi ne wapas ane ka vada kiya. Kaha ke who uss gaon ko kabhi nahin bhulega zindagi bhar aur zaroor ghumne ayega aur Seema se milne aur budhe baba se milne ayega. Aakhir car phir se start huwi magar phir bhi Seema bolti jaa rahi thi aur car dhire dhire aguey badhne lagi aur Seema apne kadmon ko car ke raftaar ke saath milaakar badhti gayi jab tak daud saki aur aur ruk gayi jab car ne raftaar pakar liye aur khadi hokar wave karti rahi zoron se rote huwe aur chilla kat kaha, “Wapas zaroor ana Abhi main tumhari raah dekhungi, bhoolna mat mujhko Abhi, mat bhoolna mujhko Abhi……..” Aur Seema wahin baith gayi raaste par niche aur zameen peeth kar rone lagi jab Ajay ussko sambhaalne ko aya. Ajay ko bhi pata chal chukka tha ke Seema Abhi se pyar karti thi magar Abhi ne khud ussko kabhi uss nazar se nahin dekha tha aur Abhi ne bade honshiyaari se Ajay se Seema ka naam jod diya tha ke donon ek dusre ke ban jaaye. Ajay ne than liya tha ke Seema ko itna pyar karega ke who Abhi ko ek din bilkool bhool jaegi.

Lamba safar tha, Abhi aur Anny car ke peeche wale seat par ek dusre ko bahon mein liye iss tarah baithe ke bus 5 kilometres ke baad donon ko ek duje ke bahon mein gehri neendh aagayi. Aur teenon car apne manzil ke or badhte huwe chale gaye…….


To be continued……………………..
fantastic update mitr
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
52,928
173
Update 72

Ghar wapas aane ke baad maa ka pyar aur mehbooba ki ulfat se dhire dhire Abhay apna dimaaghi santulan ko wapas paaya. Iqbal, Vinay aur Saleem bhai ne bhi sahara diya Abhay ko thik hone mein.

Abhay ahiste ahiste apne dance school bhi jane lage aur dance steps ek bhi nahin bhoole the bilkool jeise koyi kabhi bhi bicycle chalana kabhi nahin bhoolta ussi tarah usske liye dance ke sabhi steps jeise uss ke ragon mein mawjood the aur who apne classes bhi lene lage 15 dinon baad.

Phir jo pardes se shows karne ke liye requests aye the Abhay ke haadse se pehle unn contacts ko Iqbal aur Vinay ne phir se requests kiye aur contacts ban gaya. Aur 4 mahinon ke baad Abhay aur groups ne local shows diye desh ke shehron mein aur ek baar aur wohi hulchul aur hungama huwa aur bahot bahot kaamyaabi mili.

Aur 6 mahinon ke baad sab Canada, Italy, USA, South Africa, Australia gaye shows dene ke liye. 3 mahinon tak lagaataar desh se baahar rahe sab kul mila ke 25 log jo Abhay ke dance group ke members the.

Abhay ka pyar Anny ke liye badhta gaya aur donon ek dusre ka saath dete gaye stage par aur life ki asli stage par bhi. Behad pyar tha donon mein aur Iqbal Sakeena ko bhi legaya tha Saleem bhai ke ijaazat se aur Vinay ka saath de rahi thi Sandhya jo usski muhabat thi.

Uss taraf Seema bahot royi thi Abhay se bichadne ke baad aur Ajay ne ussko sambhala tha phir bhi Seema Abhay ko bahot yaad karti thi aur ussko dekhne ke liye taras rahi thi. Kambakhton ne mobile numbers bhi nahin exchange kiye the ke kabhi kabhaar ek dusre se baat bhi kar sakte, aur jiss hulchal mein Abhay wapas gaya tha Seema ko yaaad bhi nahin raha Abhay ko apni cell number dene ko aur iss baat ke liye Seema khud ko kosti rahi.

Ek din apne office se Seema half day ka leave lekar Abhay ke sheher mein gayi aur usske dancing ke school ki talaash kiya aur uss baat ko Ajay ko nahin bataya. Usska mann bahot kar raha tha ke woh Abhay ko usske naye Dancer ke roop mein dekkhe. Ussne to Abhay ko ek beemaar, dimaaghi mareez ke roop mein dekha tha mahinon tak, to woh dekhna chahti thi ke Abhay keisa lagta hai aur keisa behave karta hai normal insaan ke roop mein. Magar jab woh Abhay ke sheher mein aayi dhundte dhundte to Abhay to nahin milaa par chaaron taraf sheher mein Abhay ke dancing program ke bade bade posters chipke huwe the aur Seema ne apne mobile se unn posters ki tasveeron ko liya. Abhay kitna handsome aur hero lag raha tha unn posters par yeh dekh kar Seema ki enkhen bhar aayi aur sochne lagi ke eise insaan mazdoori kar raha tha uss dam ko banana ke liye. Seema bahot royi ye sab soch kar.

Abhay bahot mashoor hota gaya foreign mein aur har ek dusre sheher se requests aane lage abroad mein bhi usske dance shows ke liye. 3 mahinon ke baad bhi full shows nahin de paaya sabhi sheheron mein pardes mein, aur wapas apne desh gaya aur phir 5/6 mahinon baad ke liye aur shows ke liye booking kiya gaya foreign deshon mein.

Desh wapas ane ke baad Anny ke mummy papa ne shaadi ki baat kiye Abhay ki mummy se aur shaadi ke din tey kiye gaye. Jab Iqbal aur Vinay ko pata chala to unhon ne bhi same faisle liye.

Phir Abhay ki school ki population itna badhta gaya ke Abhay ko aur zameen leni padi building ko badhaane ke liye aur paas mein wahin aur zameen kharida Abhay ne aur naye building banaye gaye school ke liye. Naye building mein ek bahot hi bada hall, jeise ek theatre ka hota hai banaya gaya shows ke liye jiss mein koyi 2000 log baith sake.

Aur teenon doston ne milkar faisla kiya ke teenon ek hi din ko ussi hall mein shaadi kareinguey aur wohi huwa!!

Bade dhoom dhaam se shaadi ki tayaariyan ki gayi aur shaadi ke 3 din pehle Abhay Seema, Ajay aur budhe baba ko invite karne ke liye unn ke gaon gaye. Teenon dost aur teenon ke mangitar ek saath gaye the wahan, aur yeh bichadne ke koyi 1 saal baad huwa tha. Seema ki shaadi nahin huwi thi tab tak, Ajay ne dam ka kaam pura kar diya tha aur kissi dusre project ka kaam kar raha tha dusre sheher mein magar Seema se milne ata tha har hafte mein ek baar.

Seema khushi se ro padi jiss din Abhay uss ko invite karne gaya. Abhay ke gale se lag kar khub royi thi aur Anny khub dekh rahi thi. Magar Seema bahot khush bhi thi Abhay ko ek naye roop mein dekh kar, ek hero ke jeisa aam aadmi ke roop mein dekh kar bahot khush huwi thi woh. Abhay se beete huwe dinon ke bare mein baat kar rahi thi pooch pooch kar ke ye yaad hai who yaad hai, tumne ye kiya tha, tum ne woh kiya tha, tum yahan gaye the, tum wahan gaye the vaghaira vaghaira…..

Abhay ko sab yaad tha, kuch bhi nahin bhoola tha woh aur woh khud sab bata raha tha Seema ko aur Seema khush thi ke Abhay ko sab yaad tha.

Vinay, Iqbal aur unn ke donon girlfriend gaon mein thoda ghumna chahte the, to Anny ne socha ke kuch der Abhay ko Seema ko ek saath akela chod diya jaye aur woh chali gayi Abhay ke doston ke saath ghumne aur Abhay aur Seema akele reh gaye ek kamre mein band.

Seema ki sensein tez ho gayi aur dhadkanon ne raftaar pakad liye Abhay ko apne saath akele paakar. Weise to bahot batein kar rahi thi par jab Abhay ke saath akeli ho gayi to khamosh ho gayi alfaz nahin mil rahe the baat karne ko aur zuban se kuch nahin nikal rahe the….. chehra laal ho gaya tha aur Abhay se nazrein churane lagi…… to Abhay ne baat kiya…….

“Main jaanta hoon tum mujhse pyar karti thi!... aur shaayad ab bhi karti ho, magar…..”

Itna hi kaha tha Abhay ne ke Seema jhapat kar Abhay ke baahon mein aayi aur ussko itna zor se pakra ke Abhay ne feel kiya ke usske haddiyan tut jayeinguey…. Aur Seema rone lagi phoot phoot kar…. Abhay ne Seema ko samjhaya ke ussne jaan bujh kar usska naam Ajay se jodha tha kyun ke ussko uss waqt bhi pata tha ke woh uss se pyar karne lagi thi magar uss ke dil mein uss waqt bhi Anny ki murat bassi huwi thi magar woh samajh nahin paa raha tha issi liye jab uss ne dekha ke Ajay Seema mein interest le raha hai to uss ne mawke ka faeda uthaa kar Ajay ka naam usske saath joda tha taake woh Ajay ka pyar kubool karein…..

Abhay ne Seema ko bahon mein liye usske sar par haath pherte huwe ussko samjhaya ke pyar ka matlab yeh zaroori nahin ke donon ek bandhan mein bandhe, pyar do dilon mein ek dusre ke liye pyar ho aur hamesha rahe… Abhay ne samjhaya ke Anny usski zindagi mein pehle se ayi hai iss liye woh Anny ka ho chukka hai nahin to woh zaroor Seema ka pyar accept karta…. To Seema ko bahot samjhaya ke do dost ke pyar mein bhi dil ki gehraayi mein pyar hota hai aur ta umr uss pyar ko nibha sakte hein ussi tarah weh donon ek paak rishte ke pyar ko nibhayein…… khub samjhane par ensoowon ke saath Seema maan gayi aur phir ek pehli wali Seema ki tarah Abhay se ched chaani karte huwe baat karne lagi halaan ke dil ke ek kone mein ek tees tha ek dard tha…..

Phir sab wapas aaye to budhe baba se milkar shaadi ka invitation dekar sab wapas ghar chale gaye….

To be continued………………..
laajwaab update dost
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
52,928
173
Update 73 LAST UPDATE

Teenon doston ke ek saath shaadi hone par itne log jute the uss hall mein ke jeise kissi Royal family ke shaadi ho rahe hon. Woh shaadi ek misaal banke rehgayi aur sab kuch bahot hi dhum dhaam se huwa aur khushi ki inteha nahinj thi uss din. Seema, Ajay aur bude baba aye the shaadi mein aur uss gaon ke kayi, log bhi mawjood the.

2 saal baad

Abhay, Ananya, Iqbal, Sakeenah, Vinay aur Sandhya ne dance continue kiya shaadi ke baad aur sab milke school chalane lage. Sakeena ko kuch pata nahin tha magar do saal ke baad woh bhi dance master ban gayi. Ananya Abhay ki maa ki parlour mein bhi haath batati thi aur do saalon mein takriban sab kuch seekh liya ussne baal ke cutting se esthetic tak bhi.

Foreign ki tours chalu huwa aur iss baar Abhay ne troup ko 70 members ka banaya aur sab gaye foreign tours par aur pura Europe aur uss ke sabhi states par phir Australia bhi….. Aakhir kuch Arab countries se bhi invitation aya ussko to Turkey se shuru kiya aur Dubay, Kuwait se hokar Japan, Malaysia, Philipnes aur udhar ke baaki deshon mein bhi show kiye gaye….

Abhay ne ek saath Arab dance seekha, aur Chinese aur Guatemala aur Afrikaan ke kayi dance bhi seekhe ussne….. Teen saal ke baad Abhay ko doctor ka degeree haasil huwa dance mein kyun ke ussne dunya ke har kone kone mein jaakar jitna ho saka utna dance seekha…. usska naam guiness book of world record mein bhi agaya kyun ke woh akela ek eisa vyakti tha jissne dunya bhar ke sab se ziada dance janta ho……


4 Saal baad

Sarkaar ke taraf se Abhay ko puraskaar mila aur sarkaar ne usske school ko recognize kiya aur financial grants milne laga ussko apne school ke liye aur kuch dinon baad usske school ko ek dancing university ka darja diya gaya! University ka sankhiya 5000 ka ho gaya aur 220 teachers ho gaye. Abhay Owner/director/dancer/ teacher tha uss University ka. State ke taraf perhead of student Abhay ki institution ko grant mil raha tha.

Abhay ek bahot kaamyaab vyakti ban gaya aur bahot ameer bhi hogaya 4 saalon mein. Phir ek International bade organizer ne kayi deshon ke ameer business men se contacts karke London ki Wembley stadium ko hire kiya Abhay ke taraf se ek show ke liye. Uss Stadium mein 90 lakh ke audience ek entry mein haazir ho sakte hein aur dunya ke sab se bada stadium tha. Bade bade screen bhi lagaye gaye aur Abhay ki troup ne wahan jo show diya world wide broadcast kiya gaya. Woh dunya ka pehla weisa dance show tha.

Uss show ke liye Abhay ko karonron pound sterlings se payment huwa aur usski ameeri mein chaar chaand lag gaye.


7 saal baad

Abhay ne uss chote se sheher se lekar uss gaon tak jahan Seema rehti thi, Wahan se bahot sare zameen kharide aur development kiya wahan par. Dhire dhire bade bade ameer log wahan zameen kharidne lage aur bade bade alishaan bungle banne lage. Ahista ahista Abhay ne uss chote se sheher se lekar uss gaon tak itne saare developments karwaye ke uss chote sheher se ziada visited aur mashoor woh gaon hogaya. Wahan par Abhay ne modern malls banwaya jiss mein cinemas, restaurants, pizza huts aur har woh chiz mawjood the jo har bade malls mein hote hein…. Aur Aakhir woh ek bada sheher ban gaya jisska naam Abhay City rakha gaya. Municipality aur state ne kuch bhi contribute nahin kiya tha uss sheher ke banne mein to sarkaar ne Abhay ko aur puraskaron se nawasa kyun ke ussne desh ki taraki ke liye bada kaam kiya apne maal o dawlat se. Assal mein Abhay dhire dhire business man bhi ban gaya yeh sab karte huwe, magar apne dance ko kabhi neglect nahin kiya kyun ke bahot saare managers usske kaam ko control kar rahe the.

Seema ko Abhay ne uss bade mall ka director banaya aur aakhir mein ussko wahan ki maalkin bana diya, sab kuch Seema ke naam kar diya. Abhay ko laga ke woh kabhi Seema ko usska pyar aur dekh bhaal ke weh pal nahin lauta paega to badle mein aakhir itna to kar sakta tha….. To uss sheher ke mall ka malkin Seema ban gayi aakhir mein.


8 SAAL BAAD

Abhay ki university ke chote class mein ek dance teacher chote bachon ko steps seekha rahi thi. 5 chote bache dance kar rahe the bahot cute steps ke saath. Unn bachon mein 2 chote ladke the aur 3 chote ladkiyan the. Aur class ke saamne baithe unn bachon ke parents dekh kar khushi ke ensoo baha rahe the aur ek dusre ke gale milkar khushi ke ensoo ke saath hanss bhi rahe the…… Aur weh parents the Abhay, Ananya, Iqbal, Sakeena, Vinay, Sandhya Ajay aur Seema. Abhay ke twins huwe the ek ladka aur ek ladki. Ikbal ki ek ladki thi aur Vinay ka ek ladka Aur Seema ki bhi ek beti thi. Sab khushi se gale milkar unn nanhe kadmon ke steps ko follow kar rahe the aur Abhay ne kaha, “Inn mein se koyi kal ka Abhay hoga and I am very proud to say this!!” Aur uss ke enkhon se khushi ke ensoo tham nahin rahe the jab bache dawte huwe apne apne parents ke goad mein aaye. Ussne apni beti ko goad mein liya aur Ananya ne bête ko aur baaki sab ne apne apne bachon ko lekar University ke parking ke taraf badhe jahan unn sab ke aliashaan imported gadiyan park kiye unn ke intezaar kar rahe the……

Phir charon chamchamaate cars parking se nikle aur raste mein jaate huwe nazar aaye aur University ka watchman wave karta raha kyun ke bache piche ke seats par baithe unnko wave kar rahe the.


The End.

Written by Shah Khan (Casinar) of Mauritius.
shaandaar update ke sath ek behtreen kathanaq ka samapan bahad parsanshniye hai mitr
 

Guffy

Well-Known Member
2,064
2,173
159
Hello Everyone :hello:

We are Happy to present to you The annual story contest of Xforum "The Ultimate Story Contest" (USC).

Jaisa ki aap sabko maalum hai abhi pichle hafte he humne USC ki announcement ki hai or abhi kuch time Pehle Rules and Queries thread bhi open kiya hai or Chit chat thread toh pehle se he Hind section mein khulla hai.

Iske baare Mein thoda aapko btaadun ye ek short story contest hai jisme aap kissi bhi prefix ki short story post kar shaktey ho jo minimum 700 words and maximum 7000 words takk ho shakti hai. Isliye main aapko invitation deta hun ki aap Iss contest Mein apne khayaalon ko shabdon kaa Rupp dekar isme apni stories daalein jisko pura Xforum dekhega ye ek bahot acha kadam hoga aapke or aapki stories k liye kyunki USC Ki stories ko pure Xforum k readers read kartey hain.. Or jo readers likhna nahi caahtey woh bhi Iss contest Mein participate kar shaktey hain "Best Readers Award" k liye aapko bus karna ye hoga ki contest Mein posted stories ko read karke unke Uppar apne views dene honge.

Winning Writer's ko well deserved Awards milenge, uske aalwa aapko apna thread apne section mein sticky karne kaa mouka bhi milega Taaki aapka thread top par rahe uss dauraan. Isliye aapsab k liye ye ek behtareen mouka hai Xforum k sabhi readers k Uppar apni chaap chhodne ka or apni reach badhaane kaa.

Entry thread 7th February ko open hoga matlab aap 7 February se story daalna suru kar shaktey hain or woh thread 21st February takk open rahega Iss dauraan aap apni story daal shaktey hain. Isliye aap abhi se apni Kahaani likhna suru kardein toh aapke liye better rahega.

Koi bhi issue ho toh aap kissi bhi staff member ko Message kar shaktey hain..

Rules Check karne k liye Iss thread kaa use karein :- Rules And Queries Thread.

Contest k regarding Chit chat karne k liye Iss thread kaa use karein :- Chit Chat Thread.


Regards : XForum Staff.
 
Last edited by a moderator:

Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Divine
Moderator
31,208
78,135
304
Hello everyone.

We are Happy to present to you The annual story contest of XForum


"The Ultimate Story Contest" (USC).

Jaisa ki aap sabko maloom hai abhi pichhle hafte hi humne USC ki announcement ki hai or abhi kuch time pehle Rules and Queries thread bhi open kiya hai or Chit Chat thread toh pehle se hi Hind section mein khula hai.

Well iske baare mein thoda aapko bata dun ye ek short story contest hai jisme aap kisi bhi prefix ki short story post kar sakte ho, jo minimum 700 words and maximum 7000 words (Story ke words count karne ke liye is tool ka use kare — Characters Tool) . Isliye main aapko invitation deta hun ki aap is contest mein apne khayaalon ko shabdon kaa roop dekar isme apni stories daalein jisko poora XForum dekhega, Ye ek bahot accha kadam hoga aapke or aapki stories ke liye kyunki USC ki stories ko poore XForum ke readers read karte hain.. Aap XForum ke sarvashreshth lekhakon mein se ek hain. aur aapki kahani bhi bahut acchi chal rahi hai. Isliye hum aapse USC ke liye ek chhoti kahani likhne ka anurodh karte hain. hum jaante hain ki aapke paas samay ki kami hai lekin iske bawajood hum ye bhi jaante hain ki aapke liye kuch bhi asambhav nahi hai.

Aur jo readers likhna nahi chahte woh bhi is contest mein participate kar sakte hain "Best Readers Award" ke liye. Aapko bas karna ye hoga ki contest mein posted stories ko read karke unke upar apne views dene honge.

Winning Writer's ko well deserved Awards milenge, uske alawa aapko apna thread apne section mein sticky karne ka mouka bhi milega taaki aapka thread top par rahe uss dauraan. Isliye aapsab ke liye ye ek behtareen mouka hai XForum ke sabhi readers ke upar apni chhaap chhodne ka or apni reach badhaane kaa.. Ye aap sabhi ke liye ek bahut hi sunehra avsar hai apni kalpanao ko shabdon ka raasta dikha ke yahan pesh karne ka. Isliye aage badhe aur apni kalpanao ko shabdon mein likhkar duniya ko dikha de.

Entry thread 7th February ko open hoga matlab aap 7 February se story daalna shuru kar sakte hain or woh thread 25th February tak open rahega is dauraan aap apni story post kar sakte hain. Isliye aap abhi se apni Kahaani likhna shuru kardein toh aapke liye better rahega.

Aur haan! Kahani ko sirf ek hi post mein post kiya jaana chahiye. Kyunki ye ek short story contest hai jiska matlab hai ki hum kewal chhoti kahaniyon ki ummeed kar rahe hain. Isliye apni kahani ko kayi post / bhaagon mein post karne ki anumati nahi hai. Agar koi bhi issue ho toh aap kisi bhi staff member ko Message kar sakte hain.



Story se related koi doubt hai to iske liye is thread ka use kare — Chit Chat Thread

Kisi bhi story par apna review post karne ke liye is thread ka use kare — Review Thread

Rules check karne ke liye is thread ko dekho — Rules & Queries Thread

Apni story post karne ke liye is thread ka use kare — Entry Thread

Prizes
Position Benifits
Winner 1500 Rupees + Award + 30 days sticky Thread (Stories)
1st Runner-Up 500 Rupees + Award + 2500 Likes + 15 day Sticky thread (Stories)
2nd Runner-UP 5000 Likes + 7 Days Sticky Thread (Stories) + 2 Months Prime Membership
Best Supporting Reader Award + 1000 Likes+ 2 Months Prime Membership
Members reporting CnP Stories with Valid Proof 200 Likes for each report



Regards :- XForum Staff
 
Top