• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) ( Completed )

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
Fantastic update VJ bro
Bhai jiska mujhe intezar tha woh ghadi aake chali gayi nice update bhai...
Aur kya sahi line likhi hain aur emotions Milne ke bad jiska attitude badal jaye woh raaz nahi ho sakta yeh bat tino kyu bhul gaye
Bhai abhi jo huminity padhi use imagine karje ankho ko kitana sukun mila hain main bata nahi sakta
Bhai...
Har bar ki tarah behtreen
Bahut hi khubsurat update bhai ?
Mind blowing update bhai .. waiting for next update
diwali tho abi late hai bomb abhi fod rahe ho kya baat hai iska matlub diwali pe sutli bomb se kaam nahi chalega apka uske liye tho atom bomb hi chahiye hoga
Super update hai bhai
Awesome update bro
Superb Update Bro...
Waiting For Next
Bhai ap har bar intrest bada dete ho
Jabarjast update
Very nice Amazing update waiting for next update
Behtareen....
Lajwab....
Speechless... Update
Aur kuch comment karne ke lie main
Nishabd hu
Boht zabardast update
Kya baat hai bhai ji
Kya kamal ka update hai
fantastic. Fantastic. Fantastic. Again I am totally speechless.... I have no words to describe it
Superb update
Awesome update
Awesome fabulous update
Akhir ek aur hidden ka raaz khul gaya h
Brawny ka power bhot jabardast h
thanks brothers...be along..
 
vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
Awesome Super Fantastic Mind Blowing Dhanshu Update.
Brawny ka kalyan ho gaya par sara jeevan Raaz use khatkta rahega par ab kuchh kar bhi nahi sakta Raaz ke khilaf uski shaktiya hi sath na degi . Brawny ke anadr chhipe raaz khul gaye ab samajh me aaya ki kyon jis ray se wizz ophila mar sakti use usne kaise rok liya aur uske hamsesha nakam hone ka karan bhi use mila yah jindi yah powers boon ke sath curse bhi tha . Apne mata pita ko badtar jindgi ka badla le liya ya real me raaz ne aisa karwaya taki uska frustrations khatam ho sake . Warna uske aur Raaz ke bich jung chhid jati . Alreen apne behaviour se akelei aur weak dono ho gayi abbuske friends bhi door ja rahe hai usse . Valdis mabel ke prati apne gande erado me safal hota dikh raha hai par raaz ko bhi mabel ki power me dilchaspi hai to ye na ho payega . Ab dekhte hai Mabba ke planning se kaise nipatta hai Raaz .
thanks for the review brother...saath bane rahiye....
 
vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
Aaaag lga daali re baba.....khtrnak update...ye brawny to susra power milte hi ninja fighter bn gya...ar ant me raaz ko usse jo bhi chahiye tha wo bhi usse le liya...ab aayega mja ...ab raaz ke khud ke emotions ke sath uski performance bhi kamaal ki hoti jaayegi...jisse wo jo abhi chosens ke hisab se videous se growth ke mamle me jitna pichhe h us fasle ko jald se jld barabari pr laa skta h...wahi dusri taraf valdis ne to mabel ko fasa liya apne jaal me ar alfreen ko bilkul hi akela kr diya gya h...dekhte h wo is situation ko kaise handle krti h ar mabel kaise valdis ki hawas se bach paati h.... Ya fir raaz khud aayega mabel ar valdis ke beech ..waise aayega to bina uske mja nhi aayega wrna..... Akhir raaz ka link bhi to h mabel se... :mahboi: ...pure 40 min lg gye iss update ko pdhne me...:reading: ab chain ki neend sounga main...ise pdhne ke liye hi jga hua tha:sex: maaja aavi gyo re baba...gjb
Waiting for next brother...waise itna kaand ho gye brawny ko itni power mili videous ke devotees kya kr rhe h...unhe iski khbr tk nhi lgi h ki forbidden me kuchh to locha ho gya h...susre kisi kaam ke nhi h ye sb...
thanks for appreciating brother...saath bane rahiye
 
vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
Mind blowing update vj Bhai

my story
Amazing & one of most awaited update.
Great going bhai
Bhai, ish update ko 5vi bar padhne ke baad bih ye chota hi lagta hai.ye aapki cerevite ka kamaal hai. Thanks for sharing
Superb update bhai
Bahot shaandaar mazedaar lajawab update dost
Chalo achcha h BRAWNY ki anpi shakti tow mil gayi lekin ab use raaj ke saath sajha kerna padega dekhte forbidden forest m kia hota h
Bahot shaandaar mazedaar lajawab update dost
Thanks for lovely update
chalk raaz bapach aaya with extra powers ab sabke dant todo sabka sar fodo dusmano ko kootna hai suru karo :jump:
Super duper hit & Fantastic & Awesome & Gajab & Very Nice Update Bro

y kya in dono saheliyon k bich b suru ho gya y sb kisi wajah se to ho rha h

wah raaz har chij pahle hi full planning k sath krta h h BRAWNY ki power b le li jese hida k sath kiya tha

Waiting
Bahut hi kalatmak tarike se sahib ne buni hai dil chhu lene wali ek aur sunaheri update. Ati sunder shabad rachna.
Kya khuub likhte ho bade sunder likhte ho
Phir se likho bada sunder likhte ho likhne ka yeh nushkha bada achchha lagta hai
har update tumhara bada sunder lagta hai.
Bahut umda ek or awesome update ke liye shukriya Vj bhai

Bas Aap limhte raho hum padhte rahe
Bhut bdiya bhai maja aa gya...ab bas intzaar hai ki mabba aur uske savant Miller raaz ke liye forbidden forest mai kon sa haal bichha rahe hai...kya raaj unse bach payega?
Padhte padhte update kab khatam ho gaya pata hi nahi chala

7000 words bala update bhi 700 words bala laga.

Kya likhte ho bhai.
Yeh dil mange more

Waiting for more
Nice update
Kamal ka update tha
Awesome update bro maza aa gaya

Waiting for the next update bro
Nice update waiting more
Super update hai bhai
thanks brothers...saath bane rahiye
 
vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MABEL ALFREEN SE NARAAZ HO JAATI HAI WAHIN DUSRI TARAF BRAWNY KI HIDDEN SHAKTI ACTIVATE HO CHUKI HAI.

AB AAGE:-

CHAPTER-2

(UNEARTH THE IMMORTALS)

UPDATE-84

PLANET-ELYSIAN

PLACE-STELLARS STAY

MASTER,AAP LATE HO RAHE HAIN....

ELUSORY ki baat sun is baar jhat se maine apni aankhen kholi aur bed par uth baitha....

mai wakayi apne daily routine se kamsekam aadha ghanta piche tha aaj...

subah ka waqt hai aur aaj mujhe as a STELLAR apne group ke saath FORBIDDEN FOREST me do dino ki training camp ke liye jaana par INSTITUTION jaane ke liye late tha mai....par kyun....???

aayiye aage badhne se pehle ek baar thoda reverse lete hain.....

kal THE GIANT MOUNTAIN se loutne ke baad jab mai wapas apne flat par pahuncha toh wahan maine apne new ELUSORY ko mera wait karte paaya...

upgradation proccess ke tahat mujhe ab flat ko chhod har STELLAR ki tarah ABODE allot ho chuka tha...

ELUSORY ki hi tarah mere flat par ACCHUTA aur SLUNDER bhi moujud the aur mera hi wait kar rahe the jinhone mujhe dekh smile zaroor ki par us smile me ek saath do feelings moujud thi....

pehli....mere flat chhodne ka yaa fir ye kahun ki mere door jaane se udaas the woh dono....

aur dusri....mere upgradation par aur mere STELLAR me convert hone par mere liye khush bhi the dono...

shayad isse hi true FRIENDSHIP kehte hain kyunki apni puri life me pehli baar kisi ko udaas dekh kuch trigger sa hua mere andar...

acha ya bura ye toh pata nahi laga par haan,ajeeb si feeling ne ghar karna shuru kar diya tha mujhme jisse maine turant jhatka tha...

khair,apne ex flat se nikal apne new CHARIOT me baith mai apne new ABODE me pahuncha...

ek baar laga ki ab jab mai yahan STELLARS colony me pahunch hi gaya hun toh FLORIN aur MARIA se mil lun..

par phir us thought ko filhal ke liye jaane diya....

apne ABODE me ghum waise to bohot si chizen dekhi maine par jo chiz ya fir ye kahun ki jis jagah ne sabse zyada mera eye aur mind catch kiya woh tha us ABODE me moujud personal training room jahan par apne SPELLS aur alag alag METAPHYSICAL ACTIVITIES ko practice kiya jaa sakta tha...

wahan mujhe ek personal SPELLAR bhi dikha jisse ki mai jab chahun apne spell aur power strength ko check kar sakta tha aur usse dekh mujhe kuch der pehle beeta woh waqt yaad aa gaya jab maine BRAWNY ko WORLD DOOR ki dusri taraf pahunchane ke liye apne REFINER power ke aadhe bhaag ko active kar push kiya tha jiske natije se wo piche ki taraf ludakh neeche gira toh zaroor tha par mujhe us result se satisfaction nahi mili thi...

mujhe apni power ka force kam laga tha jisse mujhe badhana tha...

aur is power ko badhane ke liye mere andar do bohot hi strong resources bhi moujud the...

pehla...mere khudke emotions jinke baare me kal SHAILA ne bataya tha ki inki shakti dusro ke emotions se zyada strong hai aur agar maine isse sahi dhang se trigger karna sikh liya toh mai bohot jald apne powers ko enhance kar paaunga...

dusra.... BRAWNY ki shakti ka ek bhaag...haan ye sach hai ki kyunki wo shakti ek GOD GIFT hai isiliye wo shakti mere ALOUKIK shaktiyan ke saath mili hui hai jo filhal khud ek cage me hain aur jinhe mai use me nahi laa sakta par us pure shakti ki toh mujhe zaroorat hi nahi thi...

thik HIDA ke shakti se haasil kiye AURA ki tarah mujhe is nayi shakti ki bhi sirf AURA ki hi zaroorat thi..

HIDA ke waqt toh mere paas mere emotions ke power nahi the aur isiliye mujhe us AURA ko external way se HIDA ke through haasil karna pada tha par ab jab ye power mujhme hai toh mai BRAWNY ke AURA ko apne andar se hi uske shaktiyon ke beech se nikal sakta tha aur yahi wajah thi ki training room ke baad maine kuch aur checkout kiya hi nahi....

mai wahin rook gaya aur lag gaya apne theory ka practical karne me...

apne CEREBRATION process ko paused kar jab maine apne SOUL aur REFINER power ko mehsoos kiya toh ek pal ke liye mai khud hairan reh gaya...

reason....

mujhe apne REFINER power ka AURA feel hone laga joki pehe se 5 times strong lag raha tha...

ek andaza lagakar kahun toh itne power ke saath hi mai apne sirf ek activated REFINER ke through do REFINER activated bande ko takkar de sakta tha aur ye bohot badi baat thi...

aur itna hi nahi,maine apne andar jhaankte hue ye mehsoos kiya ki mere EMOTIONS ki strength bhi kaafi alag aur unique hai...

par saath hi unstable bhi...mera andaza tha ki jaise jaise mai apne emotions ki power ko stable karta jaaunga,meri metaphysical strength bhi double raftaar se badhti chali jaayegi.

saath hi mere emotions ki power ek backup ki bhi tarah thi jo mere har AMPLIFICATION percentage se milne waali taakat ko apne power ke hisab se boost degi....

aur is thought ke mere BRAIN me ghumte hi ek josh sa bhar gaya mere andar...

jab se meri aloukik shaktiyan lock hui thi,tab se khudko bohot weak feel kar raha tha mai..

saath hi saath emotion power ka back support joki har naye SAVENT ko strong banata hai,uske absence ki wajah se mujhe aisa lagta tha ki maano kisine mere haath baandh mujhe gehre paani me fek diya hai....

khar,wo bura waqt ab khatm ho chuka tha....apne emotion ki shakti ko mehsoos kar double excitement aur energy se bhar mai usse stable karne me lag gaya...

mera antarman us unstabelized power par dhyan kendrit kar usse apne SOUL ke saath jodne me lag gaya tha aur aisa karte waqt mujhe ek baar fir wahi pain feel hua jo REFINER ACTIVATION PROCCESS ke waqt feel hota tha...

par is baar mera determination pehle se bhi zyada tha...haan mujhe maalum tha ki jo mai karne ki koshish kar raha hun wo ek din ka kaam nahi hai..

infact kaafi time lagega mujhe apne emotions ko completely stabalize kar apne SOUL ke saath jodne me par shuruat toh karni hi thi jo maine kar diya tha....

kareeb 12 ghante tak mai apne task me laga raha tha...is dauran 10 baar mera CEREBRATION process tuta tha par kamal ki baat ye thi ki aisa hote hi mera pain bhi kuch seconds me chala jaata tha jiske baad mai double josh ke saath fir try karta tha...

yahi kaaran tha ki in 12 ghanton me naa sirf maine BRAWNY,HIDA, ACCHUTA aur SLUNDER ke shaktiyon ke AURA'S ko apne AMPLIFICATION power ke saath merge karwa diya par saath hi apne EMOTIONS ke POWER ko 5 percent tak stabalize bhi kar liya tha maine par aisa karne ke process me meri body itni zyada weak ho gayi ki mai wahin training room me hi ludakh kar so gaya jiske baad mere ELUSORY ne mujhe uthakar mere bedroom ke bed par sula diya...

apne MASTER ke institution ka pura schedule uske ELUSORY ko pata hota hai isiliye piche 1 ghante se har thodi der me ELUSORY ne mujhe uthane ki koshish ki thi par apni thakan ki wajah se mai uth nahi paaya tha par ab finally mai uth kar baith chuka tha aur jab aisa hua toh...

ELUSORY-MASTER...kya abhi bhi aap thoda weak feel kar rahe hain...????

MAI-haan....

ELUSORY-jab aap soye the toh maine aapki body functioning ko check kiya tha...kal aapki training ke dauran aapke body 90 percent tak dihydrate ho gayi thi yahi wajah
ki kal aap wahin training room me hi thak kar so gaye the...

aur abhi bhi aapki body puri tarah se hydrate nahi hui hai... isiliye ye lijiye,ye pi lijiye...

ye bol ELUSORY ne mere aage apna ek haath badha diya jisme is waqt ek energy drink tha...

maine bhi bina kuch kahe us drink ko pi liya jispar...

ELUSORY-MASTER..within 30 minutes,aapki body completely hydrate ho jaayegi...

INSTITUTION jaane ke liye bhi mere paas itna hi waqt bacha tha aur isiliye mai turant utha aur bathroom me ghus gaya..

20 minute ne mai ready tha apne new STELLARS uniform me institution jaane ke liye..

mai turant bahar lawn me aaya aur apne CHARIOT me baith gaya jiske baad wo automatic chariot mere bataye destination ki taraf nikal pada...

is pure dauran ek smile thi mere chehre par...

reason....

ELUSORY ne mera hydration recovery time aadha ghanta bataya tha jabki mai sirf 10 minute me hi completely fit mehsoos karne lag gaya tha...

aur ye hua tha mere emotions ki power ke 5 percent stability aur saath hi mere REFINER aur SOUL strength ke badhne se....

aur ab baari thi ek practical test ki...ek aisa test jisse pata chal sake ki meri shakti ka daayra kitna expand hua hai par problem ye thi ki testing fake combat se nahi ho sakti thi...

iske liye ek real combat ki zaroorat thi..haan,ye risky tha par bohot important bhi..

achi baat ye hai ki CHOSENS me mujhe naapasand karne waalo ki kami nahi hai aur is list ke top me naam aata hai us shaksh ka jiske catagory me khudko upgrade kar liya hai maine...

MABBA.....mujhe pura yakin tha ki jo insult maine uski ki thi,usse bhuli toh nahi hogi wo aur us insult ka badla lene ki bhi taiyari kar rahi hogi MABBA...

khair, filhal toh mai khud yahi chahta tha aur issi ummid ke saath ki MABBA hi mere liye mere power testing experiment ka jugaad karegi,mai nikal pada tha INSTITUTION ki taraf is baat se anjaan ki meri khwahish ko pura karne ka intezam pehle hi kar chuki thi MABBA aur in 2 dino ke FORBIDDEN FOREST adventure me hi meri khwahish puri ho jaayegi....

PLACE-CHOSENS

STELLAR'S CATAGORY

CONGRATULATIONS AND WELCOME RAAZ TO YOUR NEW HOUSE... STELLARS....

bohot hi garmjoshi se mujhe congratulate kar welcome kiye tha REGIS ne....

aaj hume FORBIDDEN FOREST ke liye nikalna tha...isiliye aaj teeno hi catagory ke SAVENTS ko ground me esemble hona tha..

ek saath nahi, ground ke alag alag hisson me...

aur kyunki mai ab ek STELLAR tha,toh isiliye INSTITUTION pahunch STELLARS catagory jahan already baaki sabhi SAVENTS aur unke saath teeno WHIZZ aur WHIZZDERS essemble ho chuke the,mai bhi pahuncha jiske baad REGIS ne ye baat kahi jispar jahan ek taraf MABEL, ALFREEN aur unke saath kuch SAVENTS joki mere demonstration ke waqt dikhaye performance se kaafi impressed the,wo mujhe apni catagory me dekh khush the,dusri taraf MAHI aur VIDEOUS neutral the wahin teesri taraf VALDIS aur ussike jaise soch rakhne waale kuch SAVENTS ko mera yahan hona pasand nahi aaya tha...

aur is list ko top kar rahi thi MABBA jiske andar mere STELLAR hone ko lekar ek kudh si ho gayi thi par wo is faisle ko badal toh sakti thi nahi..

par koi naa koi nuks nikal apni bhadas nikalna toh is lady ka born talent tha...

yahi wajah thi ki REGIS ki baat khatm hone ke baad jab mai STELLARS ki line me saamne ke hi taraf ek jagah jaakar khada hua toh...

MABBA-pehla din hai tumhara is PRESTIGIOUS aur RESPECTABLE group me aur aaj hi late ho tum...

waise ho bhi kyun naa, STELLARS catagory me hone se STELLARS ka hunar toh nahi aa jaayega naa...

MABBA ki baat sun kuch SAVENTS has diye jispar..

HAHAHA.....

meri bhi hasi nikli jisse sun hairan hui MABBA aur...

MABBA-maine mazak nahi kiya hai RAAZ jo has rahe ho tum...!!!

MAI-kamal hai..sirf meri hasi dikhi aapko,mujhse pehle kuch hasi ki awaazen bhi nikli thi,wo nahi pahunchi aapke kaano tak...

khair,to answer your question,aisa kaun sa dukandaar hai, shopkeeper hai jo apne shop ke samaan ko kharab bolta hai....

waisa hi kuch statement tha aapka...apne hi catagory ki taarif khud hi kar rahi hain aap...

PRESTIGIOUS aur RESPECTABLE group....

bas aapke mooh se apne hi group ki taarif me kahe in do shabdon ko sunkar hi hasi aa gayi mujhe..

humari eligibility hum nahi,hume dekhne aur parakhne waale decide karte hain...

aur yahan par sirf mai hi aisa hun jo baaki dono groups se hote hue yahan pahuncha hai that means sirf mai bata sakta hun is catagory ki credibility...

aur is group ki filhal credibility ye hai ki top facility milne ki wajah se isse PRESTIGIOUS toh bola jaa sakta hai par RESPECTED waale shabd tak is catagory ka door door tak koi naata nahi hai...

neither of the other catagories respect this catagory aur iska reason hai yahan paaye jaane waale kuch self obsessed prani jinhe khudke alawa kuch bhi nahi dikhta hai...

but now onwards,you don't have to worry about a thing.....ab is catagory me RAAZ enter hua hai, jiska matlab hai saari kamiyan khtam ho jaani hai ab...

ab ye catagory sirf PRESTIGIOUS hi nahi rahegi balki RESPECTABLE bhi banegi...

chaahiye toh demonstration test ki hi tarah ek baar aur challenge karke dekh lijiye....

result waisa hi aayega....

jahan meri baat sun SAVENTS ekdum chup se ho gaye the wahin khamosh toh MABBA ke baaju me khade baaki dono WHIZZDERS bhi the par meri baaton ko yaa fir ye kahun ki MABBA ko diye mere jawab ko sun man hi man kaafi khush bhi the dono...

aur in dono ke baaju me khadi MABBA bas ghure jaa rahi thi mujhe aur man me chal rahi thi uski ye baatein...

MABBA-jitna udna hai ud le ladke... FORBIDDEN FOREST me teri saari akad tere ghutno ke saath jhukte hue zamin par aane waali hai....

khair,MABBA ko mujhe yun ghurta dekh REGIS ko laga ki kahin wo firse koi nayi behes naa chhed de isiliye wo turant us mudde par aaye jiske liye hum yahan ikattha hue the...

REGIS-so SAVENTS,ground ke bahar aapke liye vehicle ready hain jinme baith kar aap sab FORBIDDEN FOREST jaayenge...

aage ka schedule aapko FORBIDDEN FOREST ki entrance me milega..

toh 10 minute hai humare niklane me...vehicle me milte hain...

ye bol jahan REGIS aur SAPIUS ek disha me chale gaye wahin MABBA bhi mujhe ghurti hui nikal gayi dusri taraf aur jab aisa hua toh VALDIS jo ki thik mere peeche hi khada tha,usne apne sir ko mera kaano ke paas laaya aur...

VALDIS-kya baat hai..??bohot ud raha hai tu....purani maar bhul gaya kya...????

dheere se mere kaano me phusphusaye ye words VALDIS ne jispar mai uski taraf muda aur...

MAI-naa mai beeta waqt bhula hun aur naa tu aane waqt ko bhul paayega...

ye bol ek baar usko muskura kar dekh mai apne left ki taraf jahan kuch door WEAKLINGS CATAGORY jisme sirf HIDA aur BRAWNY hi the,us taraf badh gaya....

WEAKLINGS CATAGORY

TUMHARI KHUSHI KA REASON BRAWNY KI POWER GROWTH ME HUA IZAFA TOH NAHI HAI...

mujhe apne taraf aata dekh BRAWNY dusri taraf chala gaya tha,wahin BRAWNY se baat kar rahi HIDA ke chehre par ek muskaan thi jisse dekh maine ye baat kahi jisse sun..

HIDA-meri hi tarah kuch alag chuppa hua tha naa BRAWNY ke andar,jisse tumne bahar nikala hai...???

mujhe dekhte hi ye sawal nikal gaya HIDA ke mooh se jisse sun...

MAI-aur tumhe aisa lagne ki wajah..????

HIDA-shakti jaagrit hone ke baad jaisa body language change mujhme aaya tha,waisa hi kuch change abhi maine BRAWNY me bhi dekha tha..

uski baatein bhi mujhe aaj thodi confidence se bhari rahi thi jisse mujhe shak hua aur mera shak yakin me tab badla jab maine uski AMPLIFICATION STRENGTH check ki joki 2 percent par hai..

aur sabse ajeeb baat,uski REFINER abhi average power tak bhi activate nahi hui hai fir bhi uske andar uski metaphisycal shaktiyan trigger ho chuki hain..

aur ye sab sirf tabhi ho sakta hai jab usme bhi mujh jaisa kuch unusual aur extra power chuppa ho...

aur in sab baaton ko janane ke baad mai ye samajh gayi hun ki tumne jo mujhe BRAWNY ko constantly humiliate karne ke liye kaha tha,ye bhi is power ko bahar nikalne ke process ka hi hissa tha,right..???

MAI-right..saari baaten sahi hai tumhari aur isiliye hi mai yahan tumhare paas aaya hun..

mai chahta hun ki jaise tumne apni shaktiyon ko enhance kiya hai,badhaya hai,waise hi tum BRAWNY ki bhi help karo....

sirf yahan INSTITUTION me hi nahi balki yahan se jaane ke baad bhi...

HIDA-wo sab toh thik hai par WEAKLINGS ko GROOMERS stay me aane ki ijazat nahi hai...fir BRAWNY kaise INSTITUTION hours ke baad mere paas aa paayega...???

MAI-woh nahi aa sakta toh kya hua,tum toh uske paas jaa sakti ho naa...???waise bhi WEAKLINGS stay ke aaju baaju bohot khaali space hai jahan koi aata jaata nahi,toh kisiko pata bhi nahi chalega aur wahan uske saath saath tumhari bhi achi khasi practice ho jaayegi..

HIDA-cool...mai chali jaaungi...

MAI-ek aur baat...filhal BRAWNY ko WEAKLINGS me hi rehne dena...

HIDA-WEAKLINGS me...par kyun...???uska AMPLIFICATION 2 percent tak jaa chuka hai..

ab toh wo GROOMERS ke liye qualify ho chuka hai..uske saath saath uski mom dad ki bhi life achi aur upgrade ho jaayegi...

kya tum aisa nahi chahte...???

MAI-abhi ke liye nahi...mai chahta hun ki uski growth tumhare under process ho...

jab tak uska REFINER complete power tak activate nahi ho jaata,tab tak uski hidden shaktiyon ka AURA unstable rahega,toh aise me uska baaki kisike bhi aage expose hona thik nahi hai...

isiliye tab tak jab tak uska REFINER complete power tak activate nahi ho jaata,usse apni class me hi rakho....

HIDA-thik hai....

MAI-waise tum log ka camp aur training baaki dono catagories ke saath hi hai yaa alag...???

HIDA-yahan aisa ho sakta hai kya...???hume toh tum sabse alag FORBIDDEN FOREST ke dusri taraf bheja jaa raha hai...

bas kya karna hai,uski instruction list mili hai mujhe,jisse guide karna hai mujhe BRAWNY ko...

MAI-acha hi hai.....FORBIDDEN FOREST ke har hisse me apni capabilities ko badhane ke kaafi sadhan moujud hain...

akele rahoge,toh zyada focus ke saath un saadhano ko aazma paaoge....

jahan meri baat sun HIDA ne sehmati me apna sir hilaya wahin apni baat keh mai wapas palta aur ground ke bahar jahan hamara vehicle tha,us taraf badh gaya..

kaafi STELLARS abhi bhi yahin apne apne groups bana ground par hi chat kar rahe the...

mai un sabko cross karta hua aage badh hi raha tha ki tabhi....

BOHOT TEZI SE AAGE BADH RAHE HO RAAZZZ....TUMHARI IS RAPID GROWTH KO DEKHKAR BOHOT ACHA LAGA....

PAR AB BAS....AB TAK SAHI COMPETITION NAHI THA TUMHARE AAS PAAS,PAR AB HAI...

YAHAN SE HAR TEST, COMPETITION ME MAI HI AAGE REHNE WAALI HUN...

MAHI ko joki akele hi khadi kuch padh rahi thi, usse cross kar mai aage nikla hi tha ki tabhi usne mujhse ye baat kahi jisse sun mai uski taraf palta aur....

MAI-jis vehicle me baith hume FORBIDDEN FOREST jaana hai,wo issi taraf hai naa jidhar mai badh raha hun...

MAHI-haan, kyun...????

MAI-tum aage nikalne ki baat uske saamne kar rahi hi jo abhi bhi apne next stop par pahunchne ke liye tumse aage hai...

aage nikana toh door ki baat hai, mere barabar bhi pahunch paayi agar tum toh khudki peeth thapthapa lena...

MAHI-race me kaun aage niklega aur kaun piche reh jayega,iska sahi aaklan sirf tabhi hoga jab us race ki shuruat tumhari aur meri ek hi point se hogi...

tum toh pehle se hi aage ho,aise me agar jeet bhi gaye toh woh jeet kis kaam ki...

par phir bhi, cheat karkar hi sahi,par MAHI se aage nikalne ki khushi me tum bhi apni peeth thapthapa hi lena...

jahan meri aakhri line mujhpar hi aazmayi MAHI ne wahin uski baat ke piche chuppe challenge ko samajh gaya tha mai...

waise toh is challenge ko accept karne ki koi khaas zaroorat nahi thi mujhe par kyunki MAHI ek top SAVENT thi,toh uske saamne apni ability ko jaanchne ki ek halki si koshish toh kar hi sakta tha mai aur isiliye...

mai muskurate hue MAHI ki taraf badha aur thik uske saamne pahunch...

MAI-challenge sidhe sidhe karna chahiye...yun ghuma firakar baat wahi karte hain jinme initiative lene ka dum nahi hota...

khair,yahan se wo jagah,jahan vehicle khada hai,wo kareeb 500 metres door hai...

pahunch kar dikha mujhse pehle....

MAHI-done...MAHI se compete kar apni pehli haar haarne ke liye taiyar hoja LOOSER...

MAI-line yaad rakhna apni...race ki finish line ke baad apni line me kaha tera pehla shabd tera naam MAHI aakhri shabd LOOSER ke baad lagana hai tujhe...

yahan hum dono baat jar rahe the is baat se anjaan ki aas pas ke sabhi SAVENTS ki nazar hum par hi thi aur hamari baat yaa fir ye kahun ki hamare challenge ko sun wo sabhi excited ho gaye the...

khair,apni baat keh mai sidha hua aur running stance liya.meri hi tarah MAHI ne bhi position li aur aisa hote hi....

MAI-1

MAHI-2

MAI-3

MAI/MAHI-GO......

is go shabd ke saath hi doud pade hum dono...pehle kuch 100 metres humne apni natural aur normal way
ki running hi ki par aisa karne ke baad bhi jab humari speed barabar hi rahi toh...

MAHI ne apne SOUL ke kuch percent aur REFINER ki shakti ke average power ko activate kar liya jiske agle hi second uski speed mujhse double ho gayi...

kareeb 200 metre aur aage badhne ke baad jab usne halka palat kar piche dekha toh paaya ki mai usse 100 metres piche tha jisse dekh uske face par ek smile aa gayi...

wahin dusri taraf jab maine MAHI ki speed ko yun achanak se badhte hue dekha toh mai samajh gaya ki usne apne dono powers ko merge kar use me le liya hai..

aur jab tak maine 200 metres ki doori tay ki, MAHI 300 metres me pahunch chuki thi aur uski speed dekhkar lag raha tha jaise agle 3 se 4 second me hi wo baaki ki doori cross kar legi..

is beech MAHI ne mujhe ek baar palat kar dekha.

maine gour kiya ki uske chehre par smile thi...

mujhe ek smile wala look de jaise hi woh palti,mere chehre par bhi ek smile aa gayi...

reason...

apne emotions ki jo 5 percent stability maine achieve ki thi,sirf us stability ke AURA ko feel kiya maine aur jab aisa hua toh...

SOOBBBHHHHH.....

teer ki tarah aage badha mai..jo power pressure mere pairon par feel kiya maine,usse toh mai khud bhi hairan ho gaya tha...

wahin jab mai MAHI ke baaju se nikla toh usko aisa laga ki koi behad strong power force uske baaju se nikal aage badhi hai aur jab tak woh us power ke ganit ko samajh paati,wo finishing line matlab us vehicle ke paas pahunch chuki thi par jahan apne target area par pahunch usse khush hona chahiye tha,wahan uski aankhen badi ho chuki thi...

uski hi kya,piche se hamare race ko dekhne waale saare SAVENTS bhi kaafi hairan dikh rahe the...

hairan hona hi tha,kyunki MAHI ne toh sirf feel kiya tha,par baaki sab jo humse piche the,un sabne toh meri achanak badhi speed ko dekha hi tha aur jab mai MAHI ko jo khud kaafi tez doud rahi thi, usse asaani se piche chhod aage badha toh tabse hi sabki aankhen badi ho gayi thi....

khair,vehicle ke paas slip khaate mujhe ussi vehicle se jo ki kisi bus ka ek bada sa roop tha,usse tik muksurate hue dekh khudko roka MAHI ne aur...

MAHI-impossible..maine kuch seconds pehle hi dekha tha,tum bohot piche the mujhse,fir mujhse aage nikal yahan kaise pahunche tum...???

hang on,mere side se jo force aage badhi thi,kya wo tum the...???

MAHI ki baat par mai bas muskurata hi raha jispar...

MAHI-kaise kiya tumne ye...???

MAHI ke is sawal par mai thik uske saamne gaya,uski aankhon me aankhen daal usse ghura aur...

MAI-yaad rakh ki jab jab mujhe challenge karegi tu toh....

tere naseeb ke taare tujhse hi
NARAAZ HONGE...

jitne teer tere tarkash me chhupe hain,usse zyada toh mere pairon ke PAAS HONGE....

mujhse takraane se pehle itna toh soch...

ki jiska naam hi RAAZ ho,uske andar kitne RAAZ HONGE...

AAJ KE LIYE ITNA HI.....

AAPKA APNA V...J.....
 
wo pichla update 5 baar padh liya hai ek baar aur padhta hun tab tak update aa jayega lekin jo update aaj aayega usko kewal ek baar hi pahunga uske baad wale ko kai baar
Vj mara bhai kya cho tame
ame tamri rah joi rahiya che ???
waiting for next update...
posted...
 
Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,530
94,695
304

:reading:
 
Top