• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) ( Completed )

janu2016

Well-Known Member
2,827
4,341
159
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF ALAG ALAG JAGAH PAR KUCH LOG VARTAMAN , BHAVISHYA AUR SAHI WAQT KI BAATIEN KAR RAHE HAIN WAHIN DUSRI TARAF RAAZ KE BOARD EXAMS SHURU HO GAYE HAIN...


AB AAGE:-





UPDATE-7





PLACE-ALFREEN ORPHANAGE






MAI DEKH RAHI HUN AAJ KAL AAP KABHI MOBILE ME TOH KABHI LAPTOP ME KUCH ZYADA HI KHOYE HUE REHTE HAIN.....


subah ka waqt hai... FLORIN orphanage ke lawn me baithe kaafi der se apne phone ko haathon me le ussi me khoye hue the....

aur ye sirf abhi ya fir ye kahun aaj ka hi haal nahi tha..kuch dino se lagatar FLORIN yunhi apni sochon me goom rehne lage the aur ye baat unki patni see chhupi nahi thi...

par unhone abhi se pehle tak FLORIN se is baare me kuch bhi nahi kaha tha

but abhi morning tasks complete kar wo baahar aayin toh apne husband ko fir waise hi haath me mobile liye sochon me goom dekha toh is baar unhone baat chhed hi di...

wahin apni wife ki awaaz sun FLORIN ek jhatke me apni soch se baahar aaye aur muskurate hue...


FLORIN-aap kab se hum par shak karne lagi!!!!

MARIA-maana aap baaton ko ghumane me expert hain but humpe aapka ye hunar kaam nahi aane waala....

us raat RAAZ ke bed par jo alphabets ke scratches dikhe the,unhi ke baare me soch rahe hain naa aap pichle kuch dino se....

FLORIN-jab aapko pata hai toh fir sawal kyun???

MARIA-bas aise hi...dekhna tha aap sidhe sidhe batate hain ki nahi....aur aapne

FLORIN- nahi bataya...


MARIA ke baat ko FLORIN ne pura kiya...


MARIA-as usual....aapko har problem akele hi solve karne ki aadat jo hai...

but ek baat bataiye,is baar toh problem jaisi bhi koi cheez nahi hai...fir itni chaan been kyun???

i mean wo jo alphabets bane the,unka koi matlab ho,ye zaroori bhi toh nahi..

humne dekha toh tha ki RAAZ ki body kitni vibrate ho rahi thi..aise me uske nails se scratches ban gaye honge...

FLORIN-Nahi MARIA..its not as simple as it looks...pehli baat toh wo alphabets nhi words the jinse koi na koi sentence zaroor banta hai....

aur us sentence ka koi deep meaning bhi zaroor hoga...

MARIA-and what makes you so sure about that???

FLORIN-RAAZ....kuch toh hai is bacche me jo naa toh normal hai aur naa hi common..he is very very different...

tum khud ek baar rewind me jaakar uski history dekho...

minus celcius me ye hume ek tokre me milta hai...itni kam degree me ek new born baby ka 2 minute bhi survive karna impossible hai but ye normal tha....

fir hume uske tokre se ek paper milta hai jispar kisine uska naam likh chhoda tha..aur naam kya likha tha??? RAAZ...!!!i mean koi kisika aisa naam kyun rakhega...???

aisa nahi hai ki is naam ke aur bache nahi hain,but fir bhi ek bacche ko jisse chhod diya gaya ho,uska bakayada naam karan karkar chhodna,ye normal nahi hain...

uske baad ye baccha bada hone laga..but apne naam ko matlab dete hue bilkul ussi ki tarah raha hai he ladka...

kisi bhi chiz me ruchi nahi hai iski, behaviour bhi ek RAAZ ki tarah hi hai,yahan tak aaj tak ek bhi exam aone dum par clear nahi kiya isne...

aisa lagta hai maano iska life me koi aim hi nahi hai...aisa baccha jisne kabhi kisi se communicate bhi nahi kiya ho, usse kisi bhi tarah ke tark ki ummid bhi nahi ki jaa sakti...

but iska case toh ulta hai..ye nahi bolta toh nahi bolta,but agar bole toh fir koi aur bolne laayak nahi rehta...

wo 3 din pehle ki baat yaad hai naa jo maine batayi thi???

MARIA- haan wo warden waali naa...!!!

FLORIN- haan wahi...jo baatein RAAZ ne kahi,maine aisi baatein,and more importantly, aisi soch uski umar ke bacchon me kabhi nahi dekhi hai.....

itna intellectual dimag,aur koi passion nahi..ye kaise ho sakta hai???

MARIA-usse bhi wierd mujhe ye laga ki jo baccha kabhi books ko chhuta bhi nahi hai,usne holy books ki itni deep baatein kahan se jaan li....

FLORIN-thats my point...is bacche me kuch na kuch toh zaroor hai jo aabse alag hai...aur isiliye hi mai guarentee ke saath keh sakta hun ki us raat uske nails ne jo bhi likha,uska koi naa koi matlab zaroor hai....

MARIA-but main question toh wahi hai....KYA???kya matlab chhupa hai un writings me....

jahan tak mujhe pata hai aapne abhi tak saare decoders try kar liye honge,even world me kahi jaane waali saari languages se bhi un words ko match karkar dekh liya hoga....!!!

FLORIN-haan,wo sab toh kar liya hai,but no result....

MARIA-toh fir ab!!!!

FLORIN-ussi ke baare me toh soch raha tha...dekhte hain,kahin se koi hint toh zaroor milegi...


FLORIN ki baat par MARIA kuch kehne hi waali thi ki tabhi unke paas se guzarta hua mai school ki taraf nikal gaya jisse unka topic change ho gaya...


MARIA-aaj iska second paper hai..i hope is saal ye paas ho jaaye....

FLORIN-i hope so too...waise mai soch raha hun ki ek baar jaakar khud check kar lun...

MARIA-mai bhi yahi kehne waali thi....infact aaj hi chale jaana...

FLORIN-sure...mai shower le leta hun...

MARIA- thik hai...mai tab tak kitchen ke samaan ki list bhi warden ko de aati hun...

FLORIN-alright....


ye bol dono nikal gaye...chaliye jab tak FLORIN school pahunchte hain,hum kahin aur se hokar aa jaate hain...

but usse pehle ye jaan lijiye ki FLORIN kya check karne ki baat kar rahe hain....

pehle ki tarah board exams ke papers check hone ke liye ab central board ke paas nahi jaate the balki baaki classes ki hi tarah ye papers bhi examination centres waale school me hi check hote the..

but unhe check karne waale teachers dusre centres ke hote the...

par jis school me RAAZ padhta hai,us school ke principal board exams ke committee ke chairman hain aur hamare FLORIN,ussi school ke head trustee hain...

aur main baat,us school ke principal ko FLORIN ke recommendation par hi central board ka chairman banaya gaya hai...

isiliye FLORIN principal se keh bas ek baar RAAZ ke likhe papers dekhna chahte the aur isiliye hi wo aaj school jaa rahe hain...

ab dekhte hain,school me unhe RAAZ ka paper dekhne ko milega ya fir kuch aur......!!!!!





PLACE-TONGASS NATIONAL FOREST





SHIT....LAG RAHA THA IS BAAR KAAMIYAB HO HI JAAUNGI PAR AAKHIR YE HAI KYA JO MUJHE AAGE JAANE SE BAAR BAAR ROK DE RAHA HAI....

IS BAAR TOH LAG HI RAHA THA KI KUCH NAYA DIKHEGA,BUT FIR SE WAHI.....


subah ka waqt hai... apni gufa ke baahar MAHI dhyan ki mudra me baithi thi...

mudra isiliye kyunki dhyan uska toot chuka tha...aut ye pehli baar nahi hua tha jab uska dhyan toota tha...

ab toh ginti bhi yaad naa rahi ki MAHI ka najaane kitni baar dhyan toota hai...

aur issi baat se wo frustrate ho rahi hai....par aakhir MAHI dhyan me baithi hi kyun hai aur wo wajah kya hai jiski wajah se uska dhyan toot raha hai....

aayiye pehle is baare me jaan lete hain....waise pehle ye jaan lijiye ki MAHI bachpan se hi dhyan lagati aa rahi hai...

wo AWAAZ jisne MAHI ko lagatar books laa kar diye hain,bachpan me hi usse us awaaz ne dhyan lagane ke liye MAN SHAKTI naam ki ek book laakar di thi jisme meditation se judi kaafi jaankari thi...

MAHI ko shuru se hi ye kriya kaafi bhaayi thi aur isiliye usne us book ko padh meditation karna shuru kar diya tha...

MAHI ke dimag ke lagatar chalne ki wajah se meditation ne uski jaafi madad ki...
meditation process ke dauran mahi ka dimag naa sirf shaant rehta tha balki MAHI ki seekhi har cheez ko aur behtar banane me bhi madad karta tha...

jaisa ki maine bataya tha ki MAHI ka dimag MAHI ke neend me bhi active rehkar uski sikhi chizon ko perfect banane me laga rehta hai isiliye 3 raat pehle jo MAHI ke sapne me awaaz gunji thi, MAHI ke dimag ne us awaaz ki tarango ko apne andar store kar liya tha...

aur filhal MAHI dhyan me baith unhi awaaz ki tarangon se us awaaz ke shroth ko khojne ki koshish kar rahi thi...

waise filhal kehna sahi nahi hoga...kyunki jis raat wo awaaz MAHI ke kaano me gunji thi,uske agle din uththe hi usne dhyan me baith us awaaz ke baare me aur jaanane ki koshish shuru kar di thi..

par lagatar kayi baar koshish karne ke baawjud usse kuch haasil nahi hua...

par jo haar maan jaaye wo MAHI nahi ho sakti...aur isiliye....

apne man ko puri tarah se shaant kar MAHI ne ek baar firse apni aankhen band kar li aur....

tez roshni ke beech MAHI apne dimag ko shunya ki taraf le jaane lagi..

ye karna MAHI ke liye kaafi aasan tha kyunki wo ye bachpan se karti aa rahi thi...

roshni ke bhul bhulaiyon se guzarte hue MAHI ek aise bindu ki taraf jaane lagi jisse ye saari roshni faili hui thi aur kuch hi samay me wo us bindu k saamne thi...

ek chote se nukile point ki tarah dikhne waala bindu asal me MAHI ke dimag ka wo hissa tha jisme uske saath aaj tak ghati saari ghatnaon ka sangrah tha....

apni manzil ke shuruati point par pahunchte hi MAHI ka dhyan aur strong ho gaya aur aisa hote hi MAHI us bindu ke andar khinchi chali gayi..

us bindu ke andar pahunch MAHI uski yaadon ke har khaachon ko dekhne lagi aur dekhte dekhte usse ek alag tarah ki urja ka abhaas hua..

ye wahi urja thi jo MAHI ne us raat sapne me aaye AWAAZ se mehsoos ki thi...

us urja ko dekh MAHI uski taraf badh gayi...aur kuch hi palon me MAHI us urja ke andar thi..

jaise mastishk me roshni hoti hai,waisi hi kuch roshni us urja me bhi thi but ye roshni apne andar behad taakat samete hue thi jo MAHI saaf mehsoos kar paa rahi thi...

dheere dheere MAHI us roshni numa urja me khoti hui aage badhti chali gayi..

par jaise jaise MAHI aage badh rahi thi,usse aisa lag raha tha maano koi usse piche dhakka dene ka prayas kar ho...

aur yahi wo wajah thi jiski wajah se MAHI ka dhyaan lagatar tutatha aa raha tha but is baar MAHI ka nishchay atti dridh tha....wo apne pure dhyan ko ek jut rakh bina concentration ko tutne diye dheere dheere hi sahi but aage badhti gayi...

aur dekhte hi dekhte MAHI us point ko paar kar gayi jisse wo ab tak aage badh nahi paayi thi...

aur yahi wajah thi ki ab wo urja,wo roshni behad ugra ho gayi thi...aisa kag raha tha maano agar MAHI aise hi aage badhti rahi toh wo urja phat padegi....

par in saari baaton se anjaan MAHI aage badhti chali gayi..uske dimag ki nason me tanav dikhne laga tha par ye MAHI ki zidh hi thi jiski wajah se sab kuch jhelta hua uska dimag abhi bhi dhyan me hi tha...

par us urja ka tej bhi lagatar badhta hi jaa raha tha aur isiliye hi ab MAHI ke mastishk ke nason me sujan dikhne lagi thi...

ab situation ye thi ki yaa toh MAHI apni koshish me kaamiyab ho jaayegi yaa fir uska dimag fat jaayega...

aur shayad in dono me se koi ek chiz ho hi jaati ki tabhi....


MAHI................


ek tez dahad si awaaz MAHI ke dimag me gunji aur aisa hote hi MAHI ek jhatke me dhyan se baahar aa gayi....

par MAHI ka dimag itni urja ke pressure ko jhel nahi paaya jiski wajah se MAHI behosh ho chuki thi........





PLACE-SCHOOL OF RAAZ





how are you doing principal sir????

principals cabin ke andar aate hue FLORIN ne ye baat kahi jisse sun principal jo ki kuch padh rahe the,unki nazar saamne khade FLORIN par padi...

(role nahi hai principal ka isiliye naam nahi likh raha)


PRINCIPAL-arre FLORIN sir..aap yahan???what a pleasant surprise....waise agar aapne kaha hota toh mai apke paas aa jaata...

FLORIN-kyun mai yahan nahi aa sakta kya???


FLORIN samne rakhi chair par baiththe hue bole...


PRINCIPAL-ofcourse u can sir...after all its ur school...toh pehle bataiye,kya mangwaun??? coffee aur some thing else...!!!

FLORIN-no formalities needed sir...aap bataiye,kaise chal raha hai school???

PRINCIPAL-its good sir, actually very good..last year acadamic competition ke base par hamara school pure ROMANIA me 5th position par tha,par is baar hum 2nd position par hain...

FLORIN-wow,thats really impressive...


FLORIN ko baat ghumakar karne ki aadat thi nahi isiliye...


FLORIN-acha ye bataiye, how are the exams going???

PRINCIPAL-great sir...sab smoothly ho jaayega...

FLORIN-great..and what about RAAZ???wo paper properly de raha hai naa!!i mean likh raha hai naa,answer sheet blank toh nahi chhod de raha hai....!!!!

PRINCIPAL-sir mai toh rounds par jaata nahi isiliye no idea...but i hope ki wo is saal toh likh raha hoga...!!!

FLORIN-can i see his last papers sheet???

PRINCIPAL-sir sheets toh saare roll numbers ke according lockers ne rakh diye jaate hain..checking fir ek saath hoti hai isiliye....

aur lockers ki safety ke liye unki keys bhi kisi specific appointed faculty member ke paas hi hogi...

but haan,aaj ke papers abhi just hi khatm hue hain..agar unhe lockers me rakha naa gaya ho toh mai check karwa sakta hun???

FLORIN-mai yahin baitha hun???


FLORIN ki baat ka matlab samajh PRINCIPAL turant utha aur baahar ki taraf nikal gaya,wahin principal ke jaane ke baad FLORIN apna mobile nikalkar dekhne lage....


KUCH DER BAAD:-


sorry sir, actually aaj ke papers bhi lockers me daale jaa chuke hain.. toh filhaal toh papers nahi nikal sakte but agar aap kahen toh next paper ke waqt mai nikalwa lunga.

wapas apne cabin me ghuste hue principal ne kaha jisse sun


FLORIN-mai aapko call kar lunga...


uththe hue FLORIN ne kaha...


PRINCIPAL-sure sir...sir ek baat puch sakta hun???


FLORIN jaane ke liye palte hi the ki tabhi principal ne ye kaha jisse sun FLORIN ruk gaye...


FLORIN- kahiye???

PRINCIPAL-aapko ENOCHIAN padhni aati hai???

FLORIN-ENOCHIAN!!!ye kya hai???

PRINCIPAL-sorry sir,but jab mai andar aaya tab aap mobile me ek pic dekh rahe the,toh galti se meri nazar us pic par padh gayi...isiliye mai aapse puch baitha....


principal ki baat sun FLORIN ko laga jhatka....

FLORIN ne turant apna mobile lock open kar RAAZ ke naakhun se likhi likhawat waali pic nikaali aur usse principal ke saamne kar pucha...

aap iski baat kar rahe hain..!!!


PRINCIPAL-jee sir,ye ENOCHIAN language hai....

FLORIN-ENOCHIAN language...!!!ye kahan boli jaati hai...???maine toh saare present aur yahan tak ki dead languages bhi check kiye net pe,par wahan toh maine is ENOCHIAN language ke baare me kahin bhi nahi padha...

PRINCIPAL-wo isiliye sir kyunki ye language humans ki hai hi nahi...

FLORIN-i didn't understand..matlab???

PRINCIPAL-matlab ye ki ENOCHIAN ANGEL'S LANGUAGE hai...kaha jaata hai ki ANGEL'S is language me baat kiya karte hain....


(APNE MAN SE NAHI LIKHA HAI GUYZZ.. THERE'S ACTUALLY A LANGUAGE CALLED ENOCHIAN JISKE BAARE ME KAHA JAATA HAI KI YE EK ANGELS LANGUAGE HAI...CHAHO TOH GOOGLE KAR LO)


PRINCIPAL-actually mujhe mythology me kaafi interest hai..mere paas mythologies ki kaafi books bhi hain,wahin maine aisi writings dekhi hain aur iske baare me bataya bhi gaya hai...

principal ki baatein sun FLORIN ke dimag me dhamake ho rahe the...unhe zara bhi andaza nahi tha ki aisa bhi kuch hoga....

jab FLORIN bina kuch kahe ek tak sunya ko ghurte hue chup chaap baithe rahe toh....


PRINCIPAL-kya hua sir??are u all right????


FLORIN ke haath ko halka hilate hue principal ne kaha tab jaakar kahin FLORIN wapas present me aaye...


FLORIN-haan!!!haan,i am fine...bas wo kuch yaad aa gaya tha..

PRINCIPAL-ok..waise sir, ye writings aapko kahan mili???


ab FLORIN usse sach toh bata nahi sakte the isiliye,


FLORIN-wo kahin likhi hui dekhi thi maine.. interesting lagi toh photo click kar liya tha...

waise kya aapke paas is ENOCHIAN language ki koi alphabetical book hai...

PRINCIPAL- book toh nahi hai but haan, ENOCHIAN alphabets ke english translation ka ek page hai mere paas...


principal ki baat sun FLORIN khush ho gaye....

FLORIN-can you show me...??

PRINCIPAL-of course,why not sir???


ye bol principal uthe aur paas hi rakhe ek daraz ke paas jaakar khade ho gaye...

wahan kuch books rakhi thi jo different mythologies par based thi...

unhi me se ek book nikal uske beech ke panno me se unhone ek page jo alag se rakhi hui thi wo nikali aur.


PRINCIPAL- here we go sir...ye rahi wo page....


principal ne FLORIN ke aage ek page dikhaya jisse FLORIN ne turant le liya...


FLORIN chahte toh us page ko ghar bhi le jaa sakte the but curiousity itni thi ki unse control nahi hua aur wo wahi par rakhi ek plain page aur pen utha ENOCHIAN to English translate karne me lag gaye....

aur kuch hi seconds me translation puri ho chuki thi...par translation hone ke baad bhi FLORIN thode confused se dikhe jisse shayad principal bhaamp gaye.....


PRINCIPAL-sir ENOCHIAN language ko left se right nahi balki right se left padha jaata hai....


ye ek nayi baat thi..ek baar principal ko dekh FLORIN ki nazar wapas apne translate kiye page par padhi aur is baar jaise hi unhone proper translate kiya toh unhe fir ek jhatka laga....

bina kuch kahe FLORIN khade hue aur chupchaap principal ke cabin se nikal gaye bina ye dekhe ki principal unki haalat dekh muskura raha tha....

aur jaise hi FLORIN baahar nikle,uske agle hi minute koi us cabin ke andar aaya...

par...arrreee ye kyaaaaa,ye toh PRINCIPAL hai...fir jo banda FLORIN se baat kar raha tha aur jo is waqt pehle hi andar baitha hai.....wo....arree ab ye kya hai ???andar toh koi hai hi nahi..jo baitha tha,wo principal toh gayab ho chuka tha......

wahin in sab se alag FLORIN thage se chup chaap bahar nikalte chale gaye the...

unke dimag me baar baar wo shabd gunj rahe the jo ab translation ke baad clear ho chuke the...

but ab problem ye thi ki FLORIN jisse jawab samajh rahe the wo toh ek naya sawal nikla ye fir ye kahun ki ek PAHELI nikli....

FLORIN ne ek baar firse us paper ko dekha jispar ENOCHIAN ka english translation tha aur unke mooh se apne aap wo shabd,wo translation nikal gayi....



UNFOLD.....THE ......RAAZ........


(NAME OF THE FIRST CHAPTER)







AAJ KE LIYE ITNA HI.....






AAPKA APNA V.J.....
Are yaar kahan se likhte ho aise updates...
Truly speechless....

It was just like seeing those scenes in front of you. Literally got goosebumps.
:10:
:bow:
 
328
706
108
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF EK LADKI KI AWAAZ MAHI KE SAPNE ME AAKAR USKE BHRAM KO DOOR KARTI HAI WAHI DUSRI TARAF PECULIAR SPACE ME 2 SPELLS LAGATAR UCCHARIT HO RAHE HAIN.

AB AAGE:-




UPDATE-6




PLACE-UNKNOWN





KYA BAAT HAI????ITNI GEHRI SOCH.....!!!!KAARAN JAAN SAKTA HUN....???

2ND-ek hi toh soch hai jo lagatar dimag me uthtati rehti hai....


aur apne saath uthati hai saikdon sawal...


1ST-jinka jawab naa toh pehle kabhi mila tha,aur naahi ab milega...phir vyarth kyun us baare me sochna...

2ND-kehna aasaan hai..kya tumhare man me ye soch baar baar dastak nahi deti..???kya tumhara mastishk tumse sawal nahi karta..???kya tumhara man sach jaanane ke liye vyakul nahi hota...

1ST-hota hai,kintuuu!!!!

2ND-kintu kya????

3RD-kintu ye ki jis sawal ka jawab khoja naa jaa sake,ya fir spasht shabd me kahun toh jiska uttar jaanane me hum asamrth hon,ayogya hon,aise prashn ko waqt ke garv me hi chhod dena chahiye...

waqt se bada sangrahalay koi nahi hai...prashno ki aisi koi kitab nahi jo waqt naam ke sangrahalay me nahi milti...

par jaise har sangrahalay ke khulne aur band hone ka ek nirdharit samay hota hai,thik ussi prakar har prashn ke uttar ke milne ka bhi ek nishchit samay hota hai...

aur jo sawal tumhare saath saath hum sabke man me hai,uske uttar ka samay purv nirdharit hai...

aur jab wo samay aayega,saare RAAZ khul jaayenge.....

tab tak apne dhairya ko banaye rakhne aur apne daaiytvon ko nirantar nibhana hi hamara param kartavya hai...

2ND- daayitva toh hum nibha hi rahe hain aur aage bhi nibhate chalenge...

aur haan,aapka kathan bhi sarwatha uchit hai ki sahi waqt par saare RAAZ khul jaayenge....

kintu meri soch aur sawal bhi toh galat nahi....kyunki jis soch aur sawal par purn viraam lagane ke liye aap keh rahe hain,hume har din ussi soch aur sawal ko dekhte hue,unke madhya rehte hue aur sab se ajeeb aur mahatvapurv satya,us sawal ko aur sashakt banate hue rehna padhta hai.....

jo daayitv aur nirdesh hume mila tha,aaj uska paalan karte karte na jaane kitni sadiyan beet gayi hain..

ek aisa daaiytva jisse nibhane me kabhi koi vign nahi aaya,koi rukawat nahi aayi..

kintu phir bhi,safalta purvak apna kaarya karne ke baad bhi khushi hamesha aadhi hi milti hai..

baaki ka aadha bhaag dukh ki ek aisi shreni me chala jaata hai jiske zimmedaar bhi hum hi hai...

ek aadesh se khadi ye jagah lagatar apne saath humari shakti ko chunouti deti aa rahi hai...

aur sabse dukhad baat ye hai ki us chunouti ko hum khud hi taiyar kar rahe hain...

itne saare vichar,aur in vicharon me behti hui shankayen,in par purn viraam lagana aasaan nahi hai....

3RD-tumhari koi bhi baat,tumhara diya koi bhi tark galat nahi hai..kintu utna hi sach ye bhi hai ki jinke aadeshon ka hum paalan kar rahe hain,unki soch ko samajhne ki shamata humme nahi hai...

hum bas ek hi chiz kar sakte hain..vishwaash...vishwaash ki jo bhi ho raha hai aur aage bhi jo hoga,bhale hi dekhne me wo galat lage,par uska uddeshya sarvatha sahi hi hoga....


baat ko lamba khinchte hue dekh.....


1ST- ye sab baatein chhodo,aur yah batao ki kal MAHI se tumhari bhet kaisi rahi...???

2ND-sadharan hi thi..mujhe toh kuch alag nahi laga....

1ST-aksar jo dikhta hai wo hota nahi hai aur khaas kar tab jab wo baat LORD OF ANGEL aur CREATURE OF JUDGEMENT se judi hui ho...

agar baat sadharan hoti toh MAHI ke sapne me jaakar usse baat karne ke liye dono LORDS ne tumhe nahi kaha hota.....

2ND-haan ye toh hai...par ek baat aur bhi hai jo sochne waali hai...

1ST,3RD-KYA???

2ND-dono ke asli jeeven ka samay ek saath aane waale hai...

1ST,3RD- dono ke???

2ND-MAHI aur RAAZ........




WAHIN KAHIN AUR:-




BARRIER TUMNE LAGAYA THA???


sawal zaroor tha par narazgi se bhara hua tha....


UNKNOWN 2-haan... aur naaraz hone ki jagah tumhe mujhe dhanyawad karna chahiye....

aaj tumhare rays gaadhe the.. agar mai barrier nahi lagata toh andaza hai ki kya ho jaata...

UNKNOWN-wahi hota jo maine chaha tha....aaj maine khudko bramhaand ki har hadh tak pahuchane ka waada kiya tha...

par mere CONNECTION SPELL ke rays ko tumhare BARRIER SHEILD ne rok diya....

UNKNOWN 2-aur isiliye hi tumhe mujhe dhanyawad karna chahiye...

kya tumhe yaad nahi rehta ki hum kahan hain???is jagah ko bhedna filhal hamare liye asambhav hai...

agar maine BARRIER nahi lagaya hota,toh ********* ko pata chal jaata aur fir wo tumhare SEARCH RAY ko DECODE karkar sab pata kar lete...

UNKNOWN-aisa kuch nahi hota..kisi ko pata chale ,usse pehle hi mere SEARCH RAYS yahan ki sarhad se nikal chuke hote...

UNKNOWN 2- HAHAHAHA


uski baat sun saamne waala has diya...


UNKNOWN 2 itne intelligent dimag me itni bewakufi bhara thought kaise aa sakta hai???

sach hi kehte hain ******...ATTI JIGYASA BHI KABHI KABHI BUDDHI KO BRASHT KAR DETI HAI...

tumne meri baat suni hi nahi kya!!!yahan se nikalne se pehle hi tumhare SEARCH RAYS pakde jaate...

is puri jagah ke har border par bohot strong BARRIERS lage hain..

jo naa sirf yahan se bahar jaane waale SPELLS ko rokte hain balki unhe kaid kar wapas yahan ****** ke paas le aate hain....


UNKNOWN 2 ki baat sun UNKNOWN 1 ne apna sir samajhne waale andaz me hilaya par ab uske chehre par udasi saaf dikh rahi thi....


UNKNOWN 2-arre isme udaas hone ki kya baat hai??? maana ki tumhe apne POWER SOURCE ka pata lagana hai...

tumhe hi kya,mai bhi ye jaanane ke liye bohot utsuk hun ki hamare SPELLS ka asli shroth kya hai but abhi hamare liye janana impossible hai...

but sirf abhi ke liye...maine pehle bhi kaha tha,hume bas dhairya rakhna hai...filhal hum PHASE 2 me hain,ek baar hum PHASE 3 pahunch gaye fir saare BARRIERS hamare liye hat jaayenge..

tab hum jitna chahe aur jahan chahen,utni power release kar sakte hain...

par uske liye pehle hum filhal jis mod par hain,usse paar karna hai......fir shuru hoga ek naya adhyaya..

Jisme hum naa sirf apne sawalon ke jawab dhundenge par saath hi ********* ko nayi uchayiyon par le jaayenge.....






PLANET- EARTH




PLACE- ALFREEN ORPHANAGE





HEY RAAZ,CAN WE TALK????


aaj se mere borad exams the..mai shirt ko tuck in kar hi raha tha ki itne me mere piche se kisi ne mujhe pukara tha..

maine palat kar dekha toh ye mere wahi batch mates the jo kal shaam mera mazak udaa rahe the.....


MAI-u all wanna say sorry for yesterday???

SAB- haan....wo actually

MAI-no need..maine kal hi kaha tha ki agar sach negetive ho toh wo jhooth nahi ban jaata...

unki baat kaatthe hue maine apni baat puri ki...


1ST-par humne jo kaha,naa toh wo sach tha aur naahi sahi....


kuch der tak mai un sabko dekhta raha aur phir....


MAI-tum sab khudko isiliye galat keh rahe ho kyunki tumne mujhse kal wo sab baat kahi,right!!!

SAB-haan...

MAI-sahi aur galat ke do version hote hain..

tum sab pehle version me aate ho...aur isiliye tum tab nahi ab galat ho....


meri baat unme se kisi ko samajh nahi aayi aur isiliye....


SAB -hum samjhe nahi???

MAI-pehle dusre version ke baare me jaan lo...isse pehle version ko samajhne me aasani hogi....

NAZARIYA....ye dusra version hai...koi kya sochta hai,kaise sochta hai,ye uska nazariya hai...jo uske sach hai,jo sirf uske liye hi sahi hai...

agar koi aur usse galat kehta hai,toh wo galat uska sach hai..uske liye sahi hai...

aise me naa koi galat hota hai,aur naahi koi sahi..baat bas NAZARIYE ki hoti hai...

par jis hisab se tum sab ab maafi maang rahe ho,usse ye saabit hota hai ki tum apne actions ke liye sure nahi ho..

agar hote toh waise thoughts tumhare dimag me aate hi nahi...

kyunki galti tab nahi hoti jab hum galat karte hain yaa fir galat bolte hain, hum toh galat tab hi ho jaate hain,jab hum galat sochte hain...

par tum sab ki thoughts MARIA ma'am ke bolne ke baad change hui...


AISI SOCH KA KYA FAAYDA,JISKI BEEJ,JISKI UPAJ KISI AUR KE DIMAG KI BOYI HUI HO......


now will u excuse me, mujhe ready hona hai....


apni baat keh mai shirt ek baar fir se tuk in ki aur baaki ke preps me lag gaya..

wahin mere saamne khade mere batch mates kuch der tak meri baaton ko samajhte hue ya fir ye sahi maayno me meri baaton ko samajhne ki koshish karne me lage rahe par fir jitna unke dimag me ghusa,usse digest kar nikal gaye...

un sab ke jaane ke kuch der baad ready hokar mai bhi nikla.... corridor se hote hue baahar ki taraf mere kadam badhe hi the ki


RAAZ......


awaaz sun mai ruka aur ussi awaaz taraf chal diya..

ye awaaz FLORIN sir ki thi jo is waqt lawn me warden ke saath khade the....


FLORIN-are you alright son!!!

MAI-haan....

FLORIN-aaj se tumhare board hain....tumhe batane ki zaroorat toh nahi hai naa ki jis tarah har saal tumhare claases me promotions hote aaye hain,waisa ab nahi hoga..

you have to paas your exams by ur own merit....


FLORIN sir ne ye baat isiliye kahi thi kyunki government ke rules ke hisab se har bacche ko 10th tak qualify karna compulsory tha...

aur sirf issi wajah se mai 10th tak pahuncha tha...maine 9th tak kisi bhi exam paper me kabhi kuch nahi likha tha..

ye sirf rules hi the jiski wajah se mai dhakka khaate khaate yahan tak pahunch paaya tha...

but ab aisa nahi tha..agar mujhe 10th me paas hona tha toh isse apne dum me hi mai kar sakta tha...

FLORIN sir ye baat ache se jaante the,unhe har saal principal sir meri dhero shikayat bhi karte but who cares man...

FLORIN sir is baat se bhi anjaan nahi the ki is saal bhi maine hostel me books ko haath bhi nahi lagaya tha...

par fir bhi mere saamne khade hokar gyan de rahe the...

khair,mai chup chaap khada unki baat sunta raha... mere haav bhaav dekhkar FLORIN sir samajh gaye ki mere kaan me unki baaton ki juen reng tak nahi paayi hain but unhone aage kuch kaha nahi but unke saath khade warden ko mera ATTITUDE bilkul nahi bhaaya aur isiliye...


WARDEN-RAAZ,tum apne future ke baare me kya sochte ho,ye toh tum hi jaano but kamsekam apne behaviour ko toh thik kar hi sakte hai...

yahan FLORIN sir tumse tumhare hi benefit ki baat kar rahe hain aur tum aise show kar rahe ho maano ye koi hain hi nahi...

tumhe toh inka thankfull hona chahiye ki inhone tumhe rehne ke liye chhat di..

is hostel ka har baccha kisi na kisi cheez me acha hai siway tumhare..

tumhara pura acadamic history kharab hai par iske baawajud inhone ya MARIA ma'am ne tumhe kabhi nahi daata...

but tum toh hamesha aise behave karte ho jaise yahan rehkar, school jaakar tum hum sab par koi ehsaan kar rahe ho...

ghusse se bhar utha tha ye warden aur ussi awesh me bolta chala gaya....apni baat keh wo chup hi hua tha ki...

MAI-ek sawal mai aapse puch sakta hun FLORIN sir...???

FLORIN-pucho???

MAI-ALFREEN ORPHANAGE...yahi naam kyun rakha aapne is orphanage ka....???


mere sawal ko sun ALFREEN sir ke maathe par pehle sawalon ke bal ubhre aur fir...


FLORIN-mai is jagah ko apni beti ka naam dena chahta tha...

MAI-aur aapko ye bhi yakin hai ki kyunki anath bachho ko aasra dena ek noble cause hai,toh iska faayda apki beti ki spirit ko bhi hoga..

usse heaven nasib hoga,right???


FLORIN sir meri baat sun baahar se toh shaant hi rahe but under se wo hadbada gaye the kyunki meri baat kahin na kahin sahi hi thi...


FLORIN-may be.....

MAI-iska matlab aap GOD me bhi yakin rakhte hain.....holy books bhi padhte honge aap....!!!

FLORIN-ofcourse...

MAI-kya aapke holy book me ye nahi likha ki kisi ki help karna sabab ka kaam hota hai...

kya usme nahi likha hai ki if u are helping someone,than dont even let your left hand know what your right hand is doing...

agar aisa kiya than you and your deeds will be rewarded in heaven....

toh warden sir ab aap ye bataiye,kisne kispar ehsaan kiya...?????

hum yahan hai ye toh bas kuch waqt tak milne waala sukoon hai,par hume yahan rakhne ki wajah se upar inki beti ko aur yahan sir aur ma'am dono ko hamesha spiritual blessings milti rahegi....


meri baat sunane ke baad bhi jab dono bas aankhen badi kar chup hi rahe,toh mai school ki taraf nikal gaya..


FLORIN-aapko RAAZ se wo sab nahi kehna chahiye tha...

WARDEN-but sir mai toh...

FLORIN-humne ye anath aashram apni khushi se khola hai..ye hamare liye koi kaam nahi hai...

aur is orphanage par yahan rehne waale har bacche ka hak utna hi hai jitna mera aur MARIA ka hai...

isiliye dobara aisi baat aapke man me aur aapke zuban me nahi aani chahiye...


FLORIN ne warden ki baat kaatethe hue apni baat puri ki jisse sun warden bas itna hi bol paaye..


WARDEN-sorry sir...mai dhyan rakhunga..now can i take ur leave??


FLORIN ne apne sir ko halki si jumbish di jiske baad warden wahan se chale gaye aur wahan reh gaye FLORIN jinke zehen me ab bhi meri kahi baatein hi hunj rahi thi....

FLORIN-jab nahi bolta toh bilkul nahi bolta...par agar bolne par aa jaaye toh saamne waale ko bolne laayak nahi chhodta....

kya mai kabhi is bacche ko samajh bhi paaunga....!!!!


AKHIR KYA HO TUM RAAZ....??????







AAJ KE LIYE ITNA HI.....





AAPKA APNA V.J.....
Very nice said by Raaz... Uski baat sahi bhi hai bhaai or sach kahu to jab wo baat krta hai to bilkul kisi Adhyatmik Guru ki tarah lagtaa hai or is baat ko Florin or Maria bhi bhot had tk jaanti hai ke ye bachcha bhot special hai but ab dekhna hai ke hamare hero or heroine ki mulakat kese hoti hai..... Agle update ka intezaar
 
Top