• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) ( Completed )

Vaibhav

Member
362
892
93
Dekho Bhai koi kisi ka beta nhi hai..faltu ka logic bna rhe ho..
Videus beta nhi hai..Jo ladai Mai black engegy white energy utpan hua. Saitaan usi ko ek aakar diya.jiska name rakhaya Videus ..aise v ye story attitude ki hai..jahn mahi ki positive attitude hai .RAAZ ka Mai negative attitude nhi kah skta ha uska andaj bhale hi glt ho but uski bate 100%sach hai...aise hai Avi story to start hua hai dekho kitne chreactor aana Baki hai.kitnd RAAZ unfold hote hai.
Acha ek baat btao ye 1st part m VJ god ka beta kaise tha god ne konsa use khud paida kiya tha unhone ne v to energy form ko hi VJ ki body m emerge kiya tha. Same usi tarah se VJ aur ASMODEUS ki energy form ka hi roop hai na VIDEUS. Fir beta kehna galat kaise hua. Aur dusra Mahi ka attitude positive kaise h agr positive hota to last update m chot pahunchane wala kaam nahi karti. Aur logic koii faltu nahi hota mai bas possible assumption le raha hu ki story kha kha tak ja sakti h. Agr galat hoga to v sahi hua to v kya fark padta h.
 

Black water

Vasudhaiv Kutumbakam
5,872
21,052
188
Waiting bhai
 

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,694
189
AB TAK AAPNE PADHA KI MAHI AUR ALFREEN MILKAR RAAZ KE UPAR CURRENT BALLS SE HUMLA KARTE HAIN JISSE RAAZ KO BOHOT TAKLIF PAHUNCHTI HAI


AB AAGE:-



CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)



UPDATE-19



PLANET-ELYSIAN


PLACE- SOVEREIGN OFFICE




LAGTA HAI AAP CHAARON KE WAQT DECIDER SE GALTI HO GAYI THI....

GALAT GROUP KA HISSA BAN GAYE AAP CHAARON....

PAR DER ABHI BHI NAHI HUI HAI....AS SOVEREIGN'S,HUME YE CHHUT HAI KI HUM DECIDER KI GALTI KO SUDHAR SAKEN....


class khatm hone ke baad AKSHAANT ne chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS ko apne office me bulaya tha...

issi beech SHAILA aur MOKALSAR bhi wapas CHOSENS pahunch chuke the aur pichle kuch dino me RAAZ se related jo bhi kuch hua tha,aur khaas kar aaj ki ghatna,wo sab jaan chuke the...

AKSHAANT ke bulawe par jab chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS unke office pahunche,toh AKSHAANT ke saath saath SHAILA aur MOKALSAR ko bhi wahan moujud paaya...

kuch der tak un chaaron ko dekhne ke baad AKSHAANT ne apni baat kahi jisse sunane ke baad un chaaron ke sir neeche ho gaye...


SHAILA- RAAZ ne battamizi ki,toh chalo usse sabak mil gaya,yahi soch rakhi thi naa aap chaaron ne jab MAHI aur ALFREEN ne uspar current balls chhode the....

aap jaise MORALS se hume aisi soch ki ummid nahi thi....

kaun yaha kis tarah rahega,iska faisla karne ka hak aap sabka nahi hai....

yahan aaya har baccha god gifted hota hai...is jagah par rehna uska hak hai...SAVENTS naa hote toh ye jagah bhi naa banti....

MOKALSAR- MAHI,ALFREEN,RAAZ ya fir koi bhi SAVENT,kuch bhi kare,aapka kaam bas har negetive moov ko hone se rokna hai....

aacharan,chatacter, ATTITUDE,in sab ko anylize karne ka kaam kiska hai,ye hume aapko batane ki zaroorat nahi..

kabhi aap chaaron bhi ussi analyzation se guzre the....

AKSHAANT-jo hua,wo dobara nahi hona chahiye....is that understood!!!!

CHAARON-yes SOVEREIGN'S.....

SHAILA-good....aap jaa sakte hain.....


apne sir ko neeche hi rakh chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS SOVEREIGN OFFICE se nikal gaye....


SHAILA-kitni ajeeb baat hai naa... CHOSENS ke pichle 25 thousand years ke itihaas me ek hi planet se ek hi time par teen SAVENTS pehle kabhi bhi nahi aaye....

ye karishma bhi hua toh kaisa???ek hi planet ke hone ke baawjud pehla dispute ek dusre se hi hua...

MOKALSAR-haan par MAHI aur ALFREEN toh acche friends ban chuke hain..infact friends se zyada dono sisters ki tarah rehti hain,bus RAAZ hi hai jisse un dono ko hi chidh hai....

AKSHAANT-kitni ajeeb baat hai naa....!!!! MAHI,jiske mastishk ki urja shakti baakiyon se zyada hai,wo yun choti si baat par RAAZ se ladne lagi hai...

aur ALFREEN jisse AVARASA (INSTINT POWER)ka ek aisa gift mila hai jo kisi SAVENT ke liye bhi rare hai,wo itna galat judgement kaise kar rahi hai???

SHAILA-sahi kaha...kuch toh hai jo normal nahi hai... OMMIN, NOX, VIOLET aur OPHILIA....

ye chaaron hi neetibudh SAVENTS rah chuke hain aur ab itne saalon se ussi neeti ke marg par chalte hue WHIZZES aur WHIZZDERS bane hue hain....

aur sabse mahatvpurn baat..ye charon hi MORALS hain...fir kaise achanak itni nakaratmakta inme samayi????

SHAILA-par in sabse zyada ajeeb hai RAAZ...kya kya nahi socha tha humne..laga tha ki VIKRAM ke baalya kaal ko ek baar firse dekhne ka durlabh mouka milega hume...

ussi ki tarah apne kaaryon se mantramugdh karega ye hume....

par ho iska pura ulat raha hai...jahan VIKRAM neetivaan the,wahin RAAZ neetihin hai...

jahan VIKRAM jigyasu the,wahi RAAZ jigyasuhin hai...

jahan VIKRAM dharm, karm aur satya ke marg par chalte the wahin is RAAZ ke acharan ko dekh lagta hai maano dharm,karm aur satya se iska door door tak koi naata nahi hai...

sach me,sirf ek hi aisi chiz hai jisne isse apnaya aur ab ye usse apnaye hue hai...

aur wo hai iska naam....RAAZ.....




PLACE-ALFREEN'S ABODE



HEY MOM...HEY POPS....

HELLO UNCLE,HELLO AUNTY...


institution se ALFREEN aur MAHI ek saath ALFREEN ke ghar louti jahan saamne hall me hi dono ko FLORIN aur MARIA sofe par baithe dikhayi diye jisse dekh dono ne hi unhe greet kiya par wapas greet karne ki jagah FLORIN aur MARIA dono bas unki taraf dekhne lage....

par is baat par bina dhyan diye ALFREEN apne dad ke paas baith....


ALFREEN-pata hai pops,kal CEREBRATION process ko pause karne par dimag me lage jhatke ki wajah se hum saare SAVENTS ke man me halka dar baith gaya tha...

aur aaj institution me wapas wahi process karne ke liye hum sabhi ghabra rahe the....

aur isiliye humare dar ko bhagane ke liye WHIZZES aur WHIZZDERS ne ek naya tarika nikala tha...

hum sabhi ko unhone current balls di jisme bhi same jhatke lagte the..aur hume khud ko sayyamit kar un balls ko paas karna tha...

aur pata hai pops,sabse pehle MAHI ne hi khud ko control kiya aur fir maine bhi jald hi khud ko control me laaya...

khud ko control me laakar hum un energy balls ke volts kam ya zyada kar sakte the,aur ye bas mai aur MAHI hi kar paaye...

FLORIN-bas itna hi...


ALFREEN ki baat khatm hote hi FLORIN ne sawal kiya jisse sun...


ALFREEN-haan.bas itna hi...is naye challenge ke khatm hote hote hi kaafi time nikal gaya tha aur current ball se lagne waale jhatkon se hum sab kaafi thak bhi gaye the isiliye class khatm ho gayi....

FLORIN- current balls ke volt badhakar tumne dono ne kya kiya???


FLORIN ki baat sun ALFREEN aur MAHI ko jhatka laga..dono ek dusre ko dekh hi rahe the ki...


FLORIN-shock hone ki zaroorat nahi hai..tumhare class ke waqt hum bhi tumhare institution me hi the aur lounge me baith tumhari activity dekh rahe the...

jo bhi wahan hua,wo sab humne dekha hai....


FLORIN ki baat sun ALFREEN aur MAHI ko samajh nahi aa raha tha ki wo kaise react karen!!!


FLORIN-ALFREEN,har baar tumhari wajah se hum dono ka sir uncha hi hua hai...

but aaj life me pehli baar tumhari wajah se hamara sir neeche jhuka.....

RAAZ se tumhari behas,uska tumhe sunana,ye saari chizen aaj ke tumhare harkat ko justify nahi karti....

aur MAHI,tum bhi hamare liye hamari beti hi ho....tumhari class me tum sabse talented ho ye jaan aur dekhkar hume bohot khushi hui thi par aaj toh tumne kiya,wo acceptable nahi tha...

talent ke saath agar samajhdaari naa ho,toh wahi talent galat raaste par le jaata hai...

first aana,prize jeetna mushkil hai but usse bhi zyada mushkil hai sahi faisle lena jo tumne aaj nahi liya...

kya kaha tha tumne ALFREEN...tum dono ne sabse pehle aur sabse zyada khud ko sayyamit kiya tha..

galat...aaj tum dono ne hi apna asli patience loose kiya...aaj ki activity bhale hi tum dono jeeti ho,par as a person,aaj tum dono haar gayi....

aur saath hi haare hain hum...kyunki tum wo ped ho jiski jaden hum hain jisse tumne khud hi aaj hila diya.....


ye bol FLORIN aur unke saath MARIA uthi aur dono apne bedroom ki taraf chal diye....

wahin apne dad ki baat sun aur unke yun uthkar chale jaane se ALFREEN ki aankhne halki bheeg gayi thi...

bura toh MAHI ko bhi bohot lag raha tha..wo bhi jaanti thi ki jo kuch bhi FLORIN ne kaha tha,wo sach hai...

par ALFREEN ke aansu dekh usne khud ko shaant kiya aur apna ek haath ALFREEN ke kandhe par rakh diya..

ALFREEN bhi jhat se MAHI ke gale lag subkiya lene lagi...


MAHI- jo hua usse badla toh nahi jaa sakta ALFREEN....bas apni galtiyon se sikha jaa sakta hai...

jo hua so hua,bas aage se hum bas khudke growth par concentrate karenge...aur kuch nahi...

aur rahi aunty aur uncle ki baat,toh dil se unhe sorry keh dena,wo maan jayenge...


ab tak ALFREEN bhi kuch had tak shaant ho gayi thi aur isiliye...


ALFREEN- MAHI..tu bhi jaanti hai ki us RAAZ ke saath maine jo bhi karna chaha aur kiya bhi,jisme tune mera saath bhi diya,wo sirf uski insulting baaton ki wajah se nahi kiya...

MAHI-jaanti hun...aur shayad mai teri baat kabhi maanti bhi nahi agar tune mere baare me batakar apni baat proove naa ki hoti....


MAHI ne ALFREEN ki usse first meeting ki kuch baaton ko yaad karte hue kaha...

baatein,but kaunsi??? aayiye,jaan lete hain...

jaisa ki bataya gaya hai ki ALFREEN ki INSTINCTS kaafi sharp hain..

uski is ability ki wajah se wo saamne waale ke nature,talent aur most importantly,khudse uske egibility ko kaafi sahi predict kar leti hai...

aur isiliye hi jab MAHI aur ALFREEN pehli baar mile,toh us mulakat me ALFREEN ne MAHI ke ab tak ke safar ka kaafi bhaag usse bataya jisse sun MAHI hairan hui aur ye jaankar ki sharp instincts ALFREEN ki ek god gift quality hai,khush bhi...

fir hui ALFREEN, MAHI aur RAAZ ke beech behas jiske baad ALFREEN ne MAHI ko bataya ki uske instinct RAAZ ke baare me negetive hai...

future me kisi naa kisi tarah RAAZ se usse aur uski family ko nuksaan pahunchega jisse sun aur ALFREEN ke instinct ke gift ko dhyan me rakh MAHI ne bhi RAAZ ko negetive hi maana tha....


MAHI-par ALFREEN,future ke liye present ko kyun kharab karna..tu apne mom dad se kitne arson ke baad mili hai,isse in negetive baaton me waste mat kar...

hum god gifted bacche hain...humari responsibility universe ke baaki logon se bohot zyada hai...

isiliye ab is RAAZ ke chapter ko filhal ke liye band kar aut khudpar focus kar...

agar in future hume usse koi khatra laga toh tab tak hum itne kaabil ho chuke honge ki usse aaram se nipat lenge....

ab sab baaton ko side kar aur uncle aunty ke paas jaakar sorry bol de....

ALFREEN-tu nahi chalegi kya??wo toh tujhse bhi naaraz hain...

MAHI-abhi nahi....mai shaam ko maafi mang lungi..abhi sirf tu jaa..mai filhal apne ABODE jaati hun....

shaam ko aaungi...


ye bol ALFREEN ko side hug kar MAHI apne ABODE ke liye nikal gayi aur ALFREEN apne mom dad ke room ki taraf.....



NEXT DAY



PLACE-THE CHOSENS




SOVEREIGN'S KI KAHI BAATON KE BAARE ME SOCH RAHE HO KYA TUM DONO???


VOILET aur OPHILIA ko chupchaap kuch sochta hua dekh OMMIN aur NOX ne ye sawal kiya tha....


OPHILIA-hmm....

VOILET-waise jo bhi SOVEREIGN'S ne kaha,wo sach hi tha...kuch dino se hum chaaron ka behaviour MORALS nahi balki WICKEDS ki tarah raha hai...

apne SAVENT life me najaane kitne hi triggering comments jhele hain humne,par kabhi provoke nahi hue...

par pata nahi is RAAZ ki baaton me aisa kya hai,ki bhulaye nahi bhulta..

ek ajeeb si ghutan feel hone lagti hai jo waqt ke saath badhti hi chali jaati hai....

jabki wo toh bas puche gaye sawal ka jawab deta hai..haan tarika,tone,language zaroor harsh hota hai but wo toh uski choice hai....

itni simple si baat hai,but pata nahi kyun,us waqt aisa nahi lagta....


VOILET bol toh apne liye rahi thi par uski kahi baat baaki teeno par bhi applicable thi kyunki same ehsaas unhe bhi feel hota tha but chaaron ye bhi jaante the ki unki feelings unke behaviour par galat asar daal rahi hai...

jisse wo aise bante jaa rahe hain jinse wo completely ulat hai,alag hain....

apne apne sochon me goom unki nazar saamne ki taraf padi jahan is waqt mai har din ki tarah aaj bhi bas aankhen band kar baitha hua tha....

waise aankhen toh sabhi SAVENTS ki band thi kyunki BRAIN AMPLIFICATION ki class start jo shuru ho chuki thi....

kal institution se jaane ke baad bhi mujhe lage current balls ke jhatke ki wajah se meri body kaafi weak ho gayi thi...

waise bhi mai single haddi hun...weakness kuch is kadar mujhpar haawi hui thi ki apne room me jaate hi mai kab leta,kab mujhe neend aayi,mujhe pata hi nahi chala....

aur toh aur mai sidhe aaj subah hi utha hun.....weakness toh subah bhi lag rahi thi par itni nahi ki mai institution bhi naa aa paun isiliye mai bhi yahan hun..

wahin in sab me do achi chizen bhi hui..

pehli toh ye ki kal din bhar sone ki wajah se mere kaano me ACCHUTA aur SLUNDER ki awaaz nahi padi aur aaj bhi wo dono khudhi mujhse thodi door baithe the....

aur dusri sahi chiz ye hui ki MAHI aur ALFREEN jo har din mujhe ghusse se ghurte hi rehte hain,aaj wo dono hi mujhe completely ignore kar rahe the...

khair,kal ke activity ki wajah se aaj sabhi SAVENTS ko jhatke se lagne waala dar kaafi kam ho gaya tha aur isiliye sabhi pure josh ke saath apna apna CEREBRATION process pause kar apne brain ko amplify karne me lage hue the....

sabke maathe ke beech ek urja ki jyoti saaf dikhne lagi thi jo har beetate pal ke saath badhti chali jaa rahi thi jiska matlab tha ki sabhi apne dimag ke beech paida hui urja ke nazdeek jaa rahe hain...

aur fir wahi hua jo pehle din hua tha....jaise hi saare SAVENTS us urja ke aur paas gaye,sabke dimag me ek jhatka laga jisse SAVENTS ki aankhen khul gayi...

jhatka toh is baar bhi zor ka hi laga tha par kal ke activity ki wajah se koi bhi is jhatke se ghabraya nahi tha..

wahin hamare saamne khade chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS SAVENTS ki aankhen khulte dekh has diye par tabhi.....

unki nazar teen SAVENTS par padi jinhe dekh chaaron khush ho gaye..

ye teeo SAVENTS the, MAHI, ALFREEN aur unse do line alag baithi ek aur SAVENT..

reason....

ALFREEN, MAHI aur wo teesri SAVENT hi aise teen the jinka CEREBRATION process jhatka lagne ke baad bhi paused tha aur unki aankhen band....

itni jaldi ye kaarnama bhi bohot hi kam SAVENTS kar paaye hain aur isiliye hi WHIZZES aur WHIZZDERS kaafi khush dikh rahe the...

but ye sab bas kuch hi palon ki baat thi...kyunki jaise hi ye teeno SAVENTS apne dimag me upji urja ke aur kareeb gaye,toh unke dimag ko ek aur jhatka laga jo pehle jhatke se zyada powerful tha aur aisa hote hi in teeno ki bhi aankhen khul gayi.....

aur saath hi back to back do do jhatkon ki wajah se teeno hi kaafi thaki hui lagne lagi thi...


OPHILIA- ALFREEN, MAHI...very well done...tumne apne dimag ke pehle jhatke ko bohot ache se handle kiya aur apne CEREBRATION process ko pause hi rakha...

aur ye koi choti baat nahi hai..bohot kam SAVENTS ye aaj tak kar paaye hain...

aur aap...kya naam hai aapka???


OPHILIA ne us teesri SAVENT ke taraf dekh ye baat kahi jo MAHI aur ALFREEN ki hi tarah apne first jhatke ko successfully jhel paayi thi....


SAVENT-MABEL, WHIZZ.....


OPHILIA-well done MABEL.... MAHI aur ALFREEN ki hi tarah aapne bhi apne dimag me lagne waale first jhatke ko kaafi achi tarah se handle kiya tha....

MABEL-thank you WHIZZ...

OPHILIA- SAVENTS... aap sabko udaas hone ki zaroorat nahi hai....

infact hum chaaron bohot khush hain..kyunki aaj jhatka lagne ke baawjud aap sab dare nahi hain...

VOILET-bilkul... waise bhi ye class aapke is naye safar ki neev hai...isme time lagta hi hai...isiliye apna apna confidence level aur focus strong rakhiye...

bohot jald aap sab is hurdle ko paar kar lenge....

aaj ke liye class dismiss....


MOOH FAADE KYA DEKH RAHA HAI???CHAL,CLASS KHATM HO CHUKI HAI....


ye bola tha SLUNDER ne ACCHUTA se...


reason...

jahan ek taraf saare students class dismiss hone ke baad yaa toh ek dusre se baat kar rahe the ya wapas apne apne ABODE aur hostel ki taraf nikalne lage the,wahin hamara ACCHUTA aankh faade kisi ko dekh raha tha...

aur uska focus filhal itna zyada tha ki usse SLUNDER ki baat bhi sunayi nahi di thi....

wahin SLUNDER ne jab dekha ki ACCHUTA abhi bhi ek tak kahin dekhe jaa raha hai toh usne ACCHUTA ki aankhon ka piche kiya aur agle hi pal usse sab samajh aa gaya tha....


SLUNDER-abbe aankhon se hi usse maar dega kya???

ACCHUTA-arre mare uske dushman...ye toh apne nazaron se hi murde me bhi jaan daal de...

waise kitna naam hai naa..MABEL....

MABEL aur ACCHUTA...kitna janchte hain ye dono naam ek saath.....

SLUNDER-haan,aisa lag raha hai jaise MABEL naam par chhut padh gaya hai....

ACCHUTA-saale,jab shakl achi naa hona toh kamsekam baatein achi karni chahiye...

SLUNDER-haan,teri Surat toh khubsurti ki moorat hai naa!!!

ACHHUTA-arre pagle,upari khubsurti ka kya faayda...!!!asli sundarta toh dil ki hoti hai aur tere bhai se khubsoorat dil bhala hai kisika...!!!!

SLUNDER-matlab tujhe us MABEL ki andar ki khubsoorti dikh rahi hai???

ACCHUTA-bhai,jab hardware itna gazab hai,toh software bhi kaatilaana hi hoga naa...

SLUNDER-waah re mere computer engineer....kya imagination hai...ab chalen,jahan tu dekh raha hai,wo jagah ab khaali ho chuki hai..

teri MABEL ab jaa chuki hai...

ACCHUTA-par uski mehek ab bhi wahin hai...usse hi mehsoos kar raha hun mai...

SLUNDER-tu kutte ki tarah uski mehek sunghta reh,mai chala....


ye bol SLUNDER wahan se nikalne laga...


ACHHUTA-arre rook yaar....tu bhi naa,apne bhai ke dil ki haalat nahi samajhta...

SLUNDER-bakwaas chizon ko samajhne ka shouk nahi hai mujhe....

ACCHUTA-isiliye shayad tu khudko nahi samajh paata...


ACCHUTA ki baat sun SLUNDER ne usse ghoor kar dekha aur apne kadam tez kar liye jisse dekh ACCHUTA ne bhi same kiya..

aise hi nok jhonk karte hue dono hostel ki taraf nikal pade..

wahin jab ye dono baatein kar rahe the tab....


KYA SOCH RAHE HO OMMIN???


OPHILIA WHIZZ ke sawal par...


OMMIN-RAAZ....ek minute..


mai jo abhi hostel jaane ke liye palta hi tha, OMMIN WHIZZDER ki awaaz sun rook gaya...

wahin OMMIN WHIZZDER ke mujhe awaaz dete hi....


OPHILIA-OMMIN,ye kya kar rahe ho???..dobara usse kuch mat kaho...

OMMIN-relax..mujhe bas kuch jaanana hai....


ye bol OMMIN mere taraf badh gaye wahin baaki teeno WHIZZ aur WHIZZDERS humari taraf dekhne lage...


OMMIN-RAAZ,can i touch your head..????kya mai tumhare sir ko chhu sakta hun...


maine bas haan me apne sir ko jumbish di jisse dekh OMMIN WHIZZDER ne apne dono haath mere sir ke dono taraf mere kaan se thoda upar rakhe aur....


OMMIN-PRAKRATI KAROTI....

REVEAL...


OMMIN sir ke aisa karte hi unki ungliyon me se ek urja roopi ray nikal mere dimag me ghusi aur...

mere brain ke starting nerves se hoti hui wo ray mere brain ke central nerves ke paas pahunchi aur fir wahan se wo ray meri unconscious brain jahan se magic access hota hai,us taraf badh chali par tabhi.....


mmmmmmmm...............


mere unconscious brain ke paas pahunch OMMIN sir ko aisa laga maano koi unhe khinch raha hai,unki urja ko sokh raha hai...ek tarah se unhe nigal raha hai jiski wajah se unke mooh se ye grunting ki awaaz nikli maano wo bhi khudko khinchne ki koshish kar rahe hon but jab wo kaamiyab nahi ho paaye toh...


OMMIN-OPHILIA,NOX, VIOLET.....jaldi aao....


OMMIN ki awaaz sun teeno turant humare paas pahunche aur jaise hi unki nazar OMMIN par padi,unke aascharya kaa thikana naa raha...

reason.....


apni puri taakat lagane ki wajah se OMMIN sir ke jabde aapas me bhide hue the...unke kaan garam hokar laal hone lage the aur unki saansen bohot tez chal rahi thi...

par isse pehle ki wo teen OMMIN sir se kuch puchte....


OMMIN-help me.....


OMMIN sir ki baat aur uska matlab samajh baaki teeno ne bhi apna apna haath OMMIN sir ke hatheli ke upar rakh apne apne spell ki shakti OMMIN sir ke through mere brain me transfer karni shuru ki...

par kuch hi der me in teeno ki hi haalat OMMIN sir ke jaise hi ho gayi....

apni puri concentration apne spell ko dene ke baad bhi wo chaaron milkar bhi mere unconscious brain ka kuch nahi kar paaye...

OMMIN WHIZZDER ki hi tarah wo teeno bhi ab apni urja ke through mere brain ke kissi hisse me fas gaye the...

abhi tak wo chaaron REQUEST MODE par the par jab unhone dekha ki isse koi faayda nahi ho raha hai toh sabne apna apna COMMAND MODE activate kar diya...

jisse un sab ki urja 10 guna tak zyada badh gayi...par hairani un chaaron ko tab hui jab unhe COMMAND MODE activate karne ke baad bhi safalta nahi mili....

un sabki urja ab bhi ek jagah fasi hui thi aur ab toh wo chaaron ki sansen had se zyada foolne lagi thi...

wahin itne zyada urja ke andar jaane ki wajah se mere brain cells bhi expand hone lage the jiski wajah se meri aankhen band hone lagi thi...

par kyunki khud un chaaron ki haalat kharab ho rakhi thi,isiliye unhe meri condition ka andaza nahi tha...

wahin VIOLET WHIZZ ne jab ye dekha ki COMMAND MODE ka bhi asar nahi hua hai toh unhone ATTACH MODE ko try karne ka socha bina ye soche ki agar unhone aisa kiya toh is pure area me kitne khatarnaak shock waves niklenge...

unhone apni aankhen band ki... khud ko sayammit kar wo ATTACH MODE ko active karne hi waali thi ki....


BINDUYEM MOKSAYATI....

PARTICLES DETACHMENT....


BOOM........


mere piche se ye spell uccharit hua tha jo aur kisi ne nahi balki AKSHAANT SOVEREIGN ne kaha tha...

aur unke aisa karte hi chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS ki urja jo mere dimag ke andar phasi hui thi,wo ek jhatke me baahar nikal gayi...

itni urja ke ikattha hone ki wajah se hawa me bhi kaafi dabaav aa gaya tha ki jiski wajah se hawa ke beech halka dhamaka sa hua...

wahin AKSHAANT SOVEREIGN ke spell aur ek jhatke me saari urja baahar aane ki wajah se chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS aur unke saath mai bhi behosh ho chuka tha......







AAJ KE LIYE ITNA HI......






AAPKA APNA V.J.....
 
Top