• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) ( Completed )

Rajesh

Well-Known Member
3,308
7,871
158
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF GRIFFIN MAHI KO BATATI HAI KI AAJ RAAZ KI JAAN KHATRE ME HAI WAHIN DUSRI TARAF RAAZ KO PATA CHALTA HAI KI WOH FLORIN AUR MARIA KA BETA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



MEGA DARK UPDATE-120


PART-1



PLANET-ELYSIAN


PLACE-RAAZ ABODE






TU FLORIN AUR MARIA KA WOH PUTR HAI JISKA KABHI JANM NAHI HUA....!!!!!!



UNEARTH THE IMMORTALS BOOK me mere baare me likhe is aakhri pankti ke asar se mai bahar aa hi nahi paa raha tha...

mere dhamniyon me behte rakht ka pravah itna tez ho chuka tha ki mai apne har katre khoon ki raftaar ko mehsoos kar paa raha tha...

ek ajeeb si anthin bechaini ne mere andar janm le liya tha jiske ganit ko mai samajh nahi paa raha tha yaa phir ye kahun ki samajhna hi nahi chahata tha....

aankhon me jo paani tha,woh mere human hone ki baat par mohar laga raha tha...

jahan aaj tak apne lakshya ke siwa kuch socha nahi tha maine,wahin aaj,abhi mere dimag me sirf aur sirf do logon ki chavi ghoom rahi thi..

FLORIN aur MARIA joki mere maata pitah the....bachpan se aaj tak unke saath guzra har pal mere dimag me ghumne laga tha aur un palon me jo kuch bhi hua tha,uspar emotions ka tadka mera dil laga raha tha...

achanak se hi mere dono haath kisiko aalingan dete waqt jaise khul kar phir judte hain,us mudra me chale gaye...

reason...

mere aankhon ke aage yahan CHOSENS me apne mom dad ko life me pehli baar hug karna yaad jo aa gaya tha..

par us waqt gale milte samay bhi mujhe koi feeling nahi aayi thi,par abhi jab mai sirf us hug ko yaad bhar kar raha tha,toh mere andar emotions ka sailab sa uthne laga tha..

mere dimag me woh pal bhi dikhne laga tha jab urja se ek navjaat shishu me badalne ke baad mujhe teeno SOVEREIGN'S ne mere hi mom dad ke ORPHANAGE ke bahar chhod diya tha jiske baad jab MARIA ne mujhe dekha aur mujhe apni godh me uthaya tha,tab mere chehre ko kitne pyar se dekh rahi thi unki aankhen..

bachpan me mera akdu behaviour,mera lake ke saamne jaakar baithna aur mujhe kam baat karta dekh yaa apni aankhon se ojhal paa MARIA ka tention me aana, FLORIN ka mujhe har jagah dhundna,woh saare scenes mere dimag me automatically create ho rahe the...

ye sab yaad kar hamesha straight face rakhne waala mai,kab muskurane lag gaya tha,mujhe khud pata nahi chala....

apni asliyat jaante waqt maine woh scene bhi dekha jab mere jaisa hi ek clone body ko mari haalat me paida karne ke baad jaise hi MARIA aur FLORIN ko pata chala tha ki unhe ek mara hua baccha paida hua hai,toh kitne zyada toot gaye the woh dono....

mai unka pehla baccha hone waala tha,laakhon sapne dekhe the un dono ne mujhe lekar jo us mare hue clone body ko dekh toot gaye the..

ye soch kar meri khushi ka thikana nahi tha ki jab un dono ko ye pata chalega ki jo mara baccha MARIA se nikla tha,woh sirf ek clone tha,unka asli bacha,unka khoon mai hun toh kitne khush ho jaayenge woh dono..

jisse hamesha apna bacha hi samjha tha un dono ne,woh wakayi unka hi baccha hai,ye jaankar unhe jo feeling aayegi,mai jeena chahta tha us ehsaas ko.

khushi ki bhaavna kaisi hoti hai,ye aaj pehli baar feel kar raha tha mai par saath is mai is baat se anjaan bhi tha ki mere ye khushi bhare ehsaas temporary hai jo kuch hi pal me ek aise pain me badalne waale hain,jisse sehna mere liye bhi naamumkin hone waala hai...

kyunki khudke revelation ko jaankar do ehem baaton se dhyan hath gaya tha mera....

pehla tha woh SPECULATION SPELL jo VIDEOUS ne is book ke upar chant kiya tha aur jo is waqt mere man ke bhaavon ko achi tarah padh raha tha...

aur dusra tha woh ehsaas jo mujhme aaj aaye sapne ki wajah se jaaga tha aur jiski wajah hi mere HEART aur SOUL ki pure energy channi thi...

us positive chiz ki wajah se ek negetive chiz bhi hui thi aur woh ye ki mere HEART me banti REFINERS powers unstable ho chuki thi..

jo kisi bhi dual thinking se trigger ho jaane waali thi...

khair,apni asliyat un dono ko, apne mata pitah ko batane ke liye betaab ho gaya tha mai isiliye apne haathon me pakde us kitab ko jo filhal khuli hui thi,band kar moodne ko hua mai par........

woh book band hui hi nahi...book ke dono ends tak ek nayi urja joki asal me VIDEOUS ki speculation spell ki shakti thi,faili hui thi aur ussine book ko band hone se roka hua tha...

wahin jab meri nazar us urja par padi toh ek tez vibration hua us urja me jiske baad mere kaano me us urja ke through gunji VIDEOUS ki awaaz....


VIDEOUS-sharth waali baat bhul gaya tu RAAZ...koi naa,mai nahi bhula,aur ab jo hoga,woh tu bhi kabhi nahi bhul paayega...

dhyan se sun aur sharth par amal kar, kyunki iske awala tere paas aur koi chara bhi nahi hai...



meri baat ke baad hi band ye KITAAB HOGI...

ek waada kiya tha tune,jisse nibha kar tere dil ki chita puri RAAKH HOGI.....

apne hi MATA PITAH ko abhi jaakar khud MAAREGA tu,

jo waada toda,tab bhi marenge woh,par tab woh mout behadh DARDNAAKH HOGI......



pathrayi aakhen, saanson ka chalna naa chalna ek saa lagna,dil ki dhadkan ka rook sa jaana,agar ye kahun toh galat nahi hoga ki jeete jee mar jaana kya hota hai,is kahawat ka matlab aaj jaana tha maine...

VIDEOUS ke speculation spell ki urja kaali hokar gayab ho chuki thi jiska matlab tha ki agar maine uski baat nahi maani toh mere mom dad par death curse lag jaayega jisse unki mout hadh se zyada dardnaak ho jaayegi...

ek aisa sach jisse badla nahi jaa sakta tha...

GOD'S GIFT...jo kabhi galat nahi ho sakti..ussi GIFT ke through future death level danger ko sense karne ki abilities mili thi ALFREEN ko aur uski powers ko jab maine garden me uski bina jaankari ke share kiya tha,tab uske dimag me panpe issi dar ko bhi feel kiya tha maine jisse jaan us waqt toh sirf hairan hua tha mai..

seriously nahi kiya tha maine us dar ko aur yahin galat ho gaya mai...

kaise bhul gaya mai ki is bramhaand me sab kuch jhooth ho sakta hai,par jo GOD ke through mila hai,woh kabhi asatya nahi ho sakta...

apne faayde ke liye churaya ALFREEN ka woh GOD GIFT mere liye aaj GOD CURSE me badal chuka tha..


DHAMMMM.............

apne ghutno par aa gaya mai...aansu beh rahe the mere..dard kuch yun tha ki pura sharir sunn padte hue jam sa gaya tha...

dimag ne toh kaam karna band hi kar diya tha par is naye uthe vedna bhare bhaav ki wajah se mere REFINER powers ne khudko trigger kar liya tha...

yahi reason tha ki bina mere ijaazat ke hi mere REFINER powers ne mujhe gayab karte hue ek nayi jagah par prakat kiya jisse dekh meri bhar chuki aankhon ke aansu jhalak se uthe...

is waqt mai ek ABODE ke bahar baitha hua tha aur ye ABODE FLORIN aur MARIA ka matlab mere mom dad ka ghar tha....






PLACE-ALFREEN'S ABODE





RAAZ.....aaj subah breakfast par nahi aaye tum...???FLORIN gaye the tumhare ABODE par tumhare ELUSORY ne bataya ki tum institution nikal gaye ho..

AL bhi isiliye abhi thodi der hi pehle institution nikal gayi...


waise toh har kaam yahan ABODES me magic ke through ho jaata tha,par kuch decorations,rakh rakhav ab bhi MARIA apne haathon se manually hi karna pasand karti thi aur abhi bhi woh hall me yahi sab kar rahi thi ki tabhi main door par uski nazar padi jahan mai khada tha..

par dhyan se nahi dekha tha mujhe MARIA ne isiliye bas meri ek jhalak dekhne ke baad wapas kuch pillows ko sofa par thik se rakhte hue kahi thi unhone ye saari baatein par iske baad bhi jab meri taraf se khamoshi hi rahi toh woh meri taraf palti aur unke aisa karte hi jab unki nazar mere aansuon se bheege chehre aur jhuke hue kandhon par gayi toh woh kuch palon ke liye sann si reh gayi...

ek statue ki tarah khadi woh mujhe aaj life me pehli baar rote hue dekh rahi thi...

unhe yaad tha ki bachpan me vaccination milte waqt bhi mai eklouta aisa baccha hua karta tha jo rota nahi tha..

badi se badi durghatna par bhi mere straight face ko dekhne ki aadat thi unhe par aaj bina kuch kahe meri aankhon ko yun bhara hua aur face par chhaaye aseem dard ko dekh unki bechaini har beetathe pal ke saath badhti chali jaa rahi thi...

mujhe rota dekh MARIA ka dil bhi rone laga tha aur isiliye kuch pal jadh si rehne ke baad woh bhaagi meri taraf aur pehle mere chehre ko pakad mere aansuon ko saaf karte hue mujhe naa rone ka ishara kiya unhone par aisa karte hue woh khud bhi rone lagi thi...

unhe samajh nahi aa raha tha ki bhala kyun mere aansu unke dil tak ko bhi cheer rahe the...

kuch pal mere aansuon ko saaf karte rehne ke baad MARIA ne jhat se mujhe apni baahon me bhar liya..

haan mere lambe chowde sharir ke saath aisa karne me woh puri tarah kaamiyab nahi hui par jitni bhi hui,utna mere liye kaafi tha...

kehte hain,maa ke pairon ke jannat hoti hai,mujhe toh apni maa ki baahon me woh swarg naseeb ho gayi thi...

isse bada gift,vardaan kuch bhi naa tha mere liye...

aansu toh ab bhi lagatar chhalak rahe the meri aankhon se,par apni maa ke dil se lag mere jalte hue dil par paani padh gaya tha jaise...

mai is behatarin pal ko apni aankhen band kar puri shiddat se jee hi raha tha ki tabhi...


ARRE,KYA BAAT HAI,AAJ RAAZ PAR BADA PYAAR AA RAHA HAI HAMARI BEGUM KO...!!!


mere kaano me padi ye dusri awaaz...

woh awaaz jinki wajah se mera aadha astitva bana tha...mere pitah FLORIN....

wahin FLORIN ki baat sun MARIA mujhse alag hui aur unki taraf palti aur unke aisa karte hi FLORIN ko unki aur saath hi meri aansuon se bhari aankhen dikhi aur ye dekhunke face par jo smile thi,woh ussi waqt gayab ho gayi aur woh turant hamari taraf badhe..

par hairani ki baat ye hui ki apni biwi ke bajaaye unhohe mera chehra pakda aur mere aansuon ko saaf karte hue..


FLORIN-kya hua beta...???ro kyun raha hai..??kisne rulaya tujhe...bata mujhe...???zinda nahi chhodunga usse mai...


awaaz nahi,ek gurrahat nikli thi FLORIN ke mooh se..mai dekh raha tha woh insaan,jo hamesha hi shaant rehta hai,uske chehre par mere chehre ki taklif dekhkar dard aur beintaha ghhussa chha gaya tha..

unka ATTITUDE completely change ho gaya tha jiska pata unhe tak nahi tha...

wahin unke puchne ke baad bhi jab mai kuch nahi bola toh..


FLORIN-arre tu chup kyun hai..??bata kya hua hai...???

MARIA-beta,AL ne toh kuch nahi kaha tujhe...???


MARIA ki baat sun unki taraf dekha maine..aur mere aisa karne par MARIA aur FLORIN ko laga ki shayad mere rone aur sad hone ke piche ka reason unki beti hai..

aur ye feel karte hi unke face ke expressions badal gaye...

mai dekh taha tha ki dono ke hi aankhon me unki beti ke liye ghussa dikhne laga tha...

us ladke ke liye jo ab tak toh unke liye begaana hi tha,uske liye unki aankhon me apni beti se zyada pyar dikh raha tha mujhe...

wahin aankhon me ghussa liye MARIA apni beti ko confront karne ke baare me sochne lagi par tabhi unhe apne haathon par mere haathon ka ehsaas hua jispar jab unhone meri taraf dekha toh...


MAI-its not ALFREEN...???

MARIA-then what is it son..???


MARIA ki baat par kuch kaha nahi maine balki unke saath FLORIN ka bhi haath pakad un dono ko sofe ke paas le gaya..

woh dono bhi bina kisi hil hujjut ke mere saath chal pade the..sofe ke paas pahunch maine unhe baithne ka ishara kiya aur un dono ke baithne ke baad mai un dono ke pairon ke paas ghutno ke bal baith gaya...

FLORIN aur MARIA,dono hi dekh rahe the mere face ke har pal badalte hue expressions par ab woh bilkul shaant hokar baith chuke the...

wahin kuch der tak khudse ladhte rehne ke baad maine ek lambi saans li aur...


MAI-ALFREEN is not your first child, right..??? usse pehle bhi aapko ek baccha hua tha par woh baccha mara hua paida hua tha...

meri is baat ko sun hadh se zyada shocked ho gaye the MARIA aur FLORIN...

itni purani baat aur saath hi woh RAAZ jo unhone apni beti tak ko nahi bataya tha taaki usse kharab naa lage,maine unke saamne disclose kiya tha...

par saath hi jis condition me mai ye baat kar raha tha,woh bhi sandeh se bhara hua tha aur isiliye...


MARIA-tumhe kaise pata ye baat..??aur us baat ka tumhare rone se kya connection hai beta...???


MARIA mujhse sawal kar rahi thi par us sawal se meri ye ummid ki jo bhi maine dekha,woh jhut ho sakta hai, VIDEOUS ka failaya maayajaal ho sakta hai,toot chuka tha..

ek baar phirse aansuon ki tez pravah nikal padi mere aankhon se jisse dekh FLORIN aur MARIA, dono ka hi dil baithne laga tha par woh ab chup hi the...

wahin kuch der baad khud ko normal kar...


MAI-jo mara hua baccha aapko hua tha,woh bacha aapka nahi tha..woh bas ek cloned child tha jisse aapke garbh me aapke asli bache ki jagah implant kar diya gaya tha..


DHHOOOOMMMMM.....

ek dhamaka sa hua tha MARIA aur FLORIN ke dimag me meri baaton ko sunkar..

pehle toh meri baat ko sun unhe mujhpar behadh ghussa aaya par phir mere aansuon se bheege chehre aur mere ATTITUDE ko joki mazak karne ka tha hi nahi,uska dhyan karte hue un dono ka hi ghussa shaant ho chuka tha..

ghussa bhale hi shaant ho gaya tha un dono ka,par meri baat sun man zaroor puri tarah vyathit ho chuka tha..

kis aur mahoul me,normal world me toh un dono ne meri kahi baat ko fake maan hawa me uda diya hota par ALFREEN ke saath jo hua tha,aur jis duniya me woh the,usse dhyan me rakh woh jaante the ki yahan kuch bhi possible hai...

bechain toh bohot ho gaye the dono par kisi tarah khudko normal rakh..


FLORIN-ye sab kya bol rahe ho RAAZ...???hamare bache ke badle ek cloned bache ko MARIA ke garbh me implant kar diya gaya tha...

par kyun...??aur phir hamare bacche ka kya hua...??


FLORIN ki baat sun maine kuch kaha nahi bas apne dono haathon ko aage kar un dono ke sir par rakh diya aur mere aisa karte hi un dono ke sir par ek roshni chamki jisse unki aankhein band hoti chali gayi..

band aankhon ke beech unhe woh sab kuch dikhne laga jo kuch der pehle maine bhi dekha tha..

saath hi mai kaun hun,mere janm ka uddeshya kya hai,ye bhi un dono ko pata lag chuka tha...

par mai yahin par nahi ruka... UNEARTH THE IMMORTALS books me VIDEOUS ne jo chhal kiya tha, jiski wajah se meri aankhen aur dil,dono hi bhare hue the,woh drishya bhi maine un dono ko dikha diya...

jab woh drishya,woh sach woh dono aankhen band kiye dekh rahe the,tab meri nazar un dono ke face par thi...

par tabhi,vedna se bhare mere chehre par achanak se hi ek pal ke liye hairani ke bhaav dikhne lage...

reason....

VIDEOUS ki sharth ke baare me jaankar jahan un dono ke face par dar dikhna chahiye tha,ye jaankar ki unke apne bete ke haathon marna unki niyati hai,unhe dard hona chahiye tha,aisa kuch bhi nahi hua tha...

balki isse ulat un dono ke face par ek smile naach uthi thi...

aur yunhi smile karte hue kuch der baad jab unhone mujhe dekha toh maine un dono ke hi aankhon me apne liye beintahan mohobbat dikhi...

MARIA ne toh turant wapas mere chehre ko apne haathon ke beech liya aur mere pure chehre ko chumne lagi...

wahin FLORIN ke aankhon me mere prati ek garv tha aur ussi garv ke saath woh mujhe dekh rahe the..

kuch der mere chehre ko chum jab MARIA mujhse alag hui toh...


MARIA-tu mera baccha hai...mera apna baccha..itne saalon se mere hi saamne bada hua tu aur mai tujhe pehchaan bhi naa saki...

RAAZ...mera RAAZ...

FLORIN-hamara....


FLORIN ki baat sun aansu se bhare MARIA ki aankhen chalki aur woh muskura uthi...

wahin apni baat bol FLORIN ne apna ek haath mere sir par rakha yaa phir ye kahun ki firaya aur...


FLORIN-kyun hai tere aankhon me aansu mere bacche.. isiliye kyunki tujhe hum dono ko,apne maata pitah ko maarna padega...

tu hame maarega nahi RAAZ..tere haathon hume moksh milega...hum azaad ho jaayenge..

MARIA-aur hamare jaane ke baad ye ek pal ke liye bhi nahi sochna ki tune hume maara hai aur tu layak beta nahi hai...

jis SHRAAP ko,SHAITAN ko mitane ke liye khud PARMESHWAR PUTRON ne apni URJA ko banaya hai,woh URJA meri kokh se nikla hamara ANSH hai..

isse badi baat humare liye kuch ho hi nahi sakti thi beta...tune toh hamara ye manushya jeevan saarthak bana diya hai...

is CHOSENS ko,yahan rehne waale jaaduyi aur khaas logon ko dekhkar hamesha mai sochti thi ki hum pati patni in khaas logon ke beech me kitne aam hai...

par aaj pata chala ki ye saare khaas mil bhi jaaye naa,toh bhi hamare saamne aam hai..

aur aisa sirf teri wajah se hua hai...jo hua woh niyati thi,jo ho raha hai,woh bhi niyati hai,aur jo aage hoga,woh bhi niyati hi hogi..

FLORIN-mere bachhe, niyati se toh GOD bhi nahi bhaag sakte,hum bhala kya cheez hain...!!!!

isiliye jo hona hi hai, uske viprit sochna samajhdaari nahi...

aur mere bete se zyada toh koi samajhdaar hai hi nahi...


mere sir par phirse apna haath ferte hue kahi ye baat FLORIN ne...

wahin un dono ki baatein sunkar mere aansu behne toh band ho chuke the,par ab bhi meri aankhen bhari hui hi thi,bas unhone aansuon ko chhalakne ki ijazat dena band kar diya tha...

mai ek tak un dono ko dekh raha tha jispar bade pyar se mujhe dekhte hue...


MARIA-jo waada kiya hai,usse nibhao RAAZ...par usse pehle hamari ek KHWAHISH hai..

puri karoge..!!!!


MARIA ki baat par maina kaha toh kuch nahi bas haan me apna sir hila diya jispar...


MARIA/FLORIN-hum chaahte hain ki jab tum apna waada nibhao,hume is duniya se vida karo,toh aisa karne se thik pehle hume mom,dad kehkar bulao...

bas itna kar de,marte waqt hume zara sa bhi dard nahi hoga...

MAI-dard toh mai waise bhi hone bhi nahi dunga...par kya ALFREEN se nahi milna chahte aap dono....???

FLORIN-chahte toh hain..par woh naasamajh hai,jasbaat me sahi galat me fark karna nahi aata usse...

isiliye jaane de...kuch jhatkon ka ehsaas unke lagne ke thodi der baad pata chale toh hi thik hota hai...

tu apna kaam shuru kar...par haan, pehle hume woh kehkar bula jo hum tere lagte hain...


FLORIN ki baat sun maine apne dono haathon ko ek baar phirse un dono ke sir ki taraf badhaya...

par aisa karte waqt mere dono haath buri tarah kaamp rahe the...

wahin meri haalat se bilkul ulat FLORIN aur MARIA bilkul shaant aur khush dikh rahe the...

apna haath un dono ke sir par rakh maine ek baar un dono ke face ko dekha aur phir nikle mere mooh se woh do shabd jo FLORIN aur MARIA sunana chahte the...


MAI-MOM,DAD.....i am sorry....

MARIA/FLORIN-dont be son....we are proud of you...

MAI- V.....E....L.....A..........H........

PAINLESS DEATH....


ladkhadati awaaz me apni aankhen band kar is SPELL ko bola tha maine....

ye ek khaas kism ka DEATH SPELL tha...iski khubi ye thi ki is SPELL se jo marta tha,uska sharir turant jal kar raakh ho jaata tha,par is process ke dauran usse bilkul bhi dard nahi hota tha par iska ulat jo is SPELL ko uccharit karta tha,uske haath bhi is SPELL ke asar se jal jaate the,aur saath hi saath jo jalan marne waale ko honi chahiye,woh jalan jalaane waale ko apne haathon me feel hoti thi....

aur abhi bhi wahi hua...mere SPELL bolte hi mere mom dad ke sir se lekar pair tak unka pura sharir jalne laga aur unke saath unke sir par rakha mera haath bhi jalne laga..

par jahan ek taraf pure sir se lekar pair tak aag lagne ke baawjud mere mom dad ko halka sa bhi pain nahi hua,wahin mera haath buri tarah jalne laga aur mujhe asahaniya pain feel hone laga jisse apne mom dad ke muskurate hue face ko dekhte hue mai zabt kar hi raha tha ki tabhi...


NAHI...................

ek zordaar cheekh padi mere kaano me jo front door se aayi thi jahan is waqt MAHI aur ALFREEN khade the..

ye cheekh ALFREEN ke mooh se nikli thi jo cheekhte hue apne mom dad ko jalte dekh pehle toh jadh si ho gayi par phir jo hua,us chiz ko jaise hi uske dimag ne thik se read kiya toh usse laga ek tagda jhatka jiski wajah se woh behosh hokar niche gir padi thi...

wahin uske baaju me khadi MAHI bhi ekdum jadh si hokar reh gayi thi...

GRIFFIN ke kehne par woh lagatar mujhe sense kar rahi thi..aur aisa karte waqt jab usne mujhe ALFREEN ke ghar par sense liya toh uska man hua ki woh yahan aakar mujhe saamne se dekhe..

aur tabhi ALFREEN mujhe dhundte hue wahan garden me uske saamne aa gayi..

aur jab usne mere baare me pucha toh MAHI ne usse bataya ki mai ussike ghar par hun aur phir ussike saath yahan aa gayi..

par usse kahan maalum tha ki yahan aate hi usse kuch aisa dekhne ko milega...

ALFREEN neeche behosh padi thi par MAHI waise hi sthir hokar statue ki tarah khadi hui thi...

uska toh sab kuch blank ho gaya tha....aur shayad aage bhi woh ussi condition me bani rehti ki tabhi....



AHHHHHHHHHHHHHHHHHH.................



apne aawaz ki aakhri hadh ke saath cheekh pada tha mai jisse sun MAHI ki bhi jaise tandra si tooti thi...

bhari hui aankhon ke saath usne dekha ki mai saamne sofe par pade raakh joki mere mom dad ke the,usse apne dono haathon se pakadte hue apne chehre aur pure sharir par mal raha hun....

do jeete jaaagte insaano ko jalakar raakh maine hi banaya tha,aur ab ek dard se bhari cheekh ke baad un jale hue do logon ki raakh ko khudke upar mal apni taklif bayan kar raha tha mai,ye sab dekh MAHI ki sochne samajhne ki shakti jaise khatm hi ho gayi thi ki tabhi....



ISHQ PE MAREN,YAA ISHQ ME MAREN....

AGAR ISHQ SAATH HAI,TOH BHALA HUM KYUN DAREN....


GRIFFIN aur MAHI ki institution ke garden me hui mulakat ke waqt jab RAAZ ke liye MAHI ne ye baat kahi aur jaane ko hui toh GRIFFIN ne bhi usse kul teen baatein kahi thi jinme se jo pehli baat usne kahi thi,wahi baat is waqt MAHI ke dimag me achanak se gunj uthi..


GRIFFIN-tumhare prem ki pariksha hai aaj MAHI..RAAZ ke liye tumhare man me jitna bhi prem hai,prem ke un saare kano ko nichodte hue apne ragon ke har dhamniyon me aaj lagatar bahate rehna hai tumhe...




chaahe lag rahe uspar kitne hi TOHMAT HO,aaj RAAZ KA SAATH MAT CHHODNA...

uske khaatir agar tumhari bhi ZALAALAT HO,aaj RAAZ KA SAATH MAT CHHODNA...

ilzam lagenge uspar.....

aur agar woh wakayi GALAT HO,tab bhi,...aaj RAAZ KA SAATH MAT CHHODNA.....
















AAJ KE LIYE ITNA HI......















AAPKA APNA V...J....
Ultimate update hai bhai maza aa gaya
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

I AM JD

बलस्य मूलं विज्ञानम्
251
1,919
124
naa..woh sab pre-planned tha...jo fight ASMODEUS aur VIKRAM ke beech hui thi,uska dushparinam as an VIDEOUS ki utappati ke baare me jaanta tha VIKRAM..
actually plan tha ye uska taaki VIDEOUS ke through the mother of black energy ko once and for all khatm kiya jaa sake.

isiliye RAAZ ke uske dour par pahunche waale saare scenes properly set kiye hue the usne...


Thank You vj4u this explanation.

Kyo ki Time Travel kaafi unpredictable hai. Like in most of the cases time travel karne se grandfather paradox create ho jata jisse time travel har baar fail hota hai. Wahi agar yeh nahi hua toh time mei koi ek ABSOLUTE POINT hota hai jo jitna chahe kuch bhi karo usse change nahi kiya jata hai. Usse hona hi hoga.

But yeh story supernatural based hai toh ismei ham is possibility ko ignore kar sakte hai.

ADIOS.
 

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
Koi baat nahi brother main kar luga. main kar hi rha hu 10 update kar liye hai.
Mobile se karna padta hai to time bahut jyada lagta hai. Pahle copy karna fir office word me paste fir arrangement aur pdf me convert karna. Bahut time lagta hai. But koi baat na Aisi story ke liye to kar hi sakta hu. Ha time jaroor lagega
bana len toh ek copy mujhe bhi bhej dijiyega..
 

Rajesh

Well-Known Member
3,308
7,871
158
AB TAK AAPNE PADHA KI VIDEOUS RAAZ AUR MAHI PAR DEATH SPELLS SE WAAR KARTA HAI JISKE BAAD WOH CHOSENS SE SIDHE HEAVEN KE SAAMNE PRAKAT HOTA HAI...


AB AAGE:-



CHAPTER-3


(THE DEVIL'S HAVEN,THE SACRIFICE & THE PERFECT EPILOGUE)



MEGA UPDATE-122



PLACE-HEAVEN





ITNI OVERACTING VIDEOUS....!!!!


HAHAHAHAHAHA.....


VIKRAM ki baat sun zoron se has pada VIDEOUS aur phir...


VIDEOUS-ab kya karun...!!!baazi hara hun,toh khudko comfort dene ke liye thodi dialogue baazi toh banti hi hai naa...!!!

ab aap dono ki tarah haarne ke baad moral boost aur support dene ke liye biwiyan aur ANGEL friends toh hain nahi mere paas....

VIKRAM-nirman aur sarvanaash...in dono me hi ek samanta hoti hai.

in dono hi raaston me chalne waale ko uska pura safar akela hi tay karna padta hai...

VIDEOUS-satyavachan....aur mai toh dono hi raaston ka musafir hun...

mere nirman ki raahen aap sabke sarvanaash ke raaste ko banakar hi puri honi hai..

VIKRAM-pehle contract toh pura karo..tum toh aadhe kaam me hi puri billing lene yahan pahunch gaye...

VIDEOUS-info lene aaya hun...kuch sawal hain mere..!!!!ummid hai apne ghar ke darwaze se khaali haath nahi bhejenge aap dono mujhe...!!!!

ASMODEUS-ek sawal toh humare paas bhi hai...!!!

VIDEOUS-toh shuruat aap hi kijiye..waise bhi aap bade hain..

pehla hakh toh aap dono ka hi hai....

ASMODEUS-tumhe kab ehsaas hua ki tum baazi haar gaye ho...???

VIDEOUS-haarne se thodi der pehle,jab MORANA RAAZ,MAHI aur mere beech aakar khadi hui...

tab maine uske sharir se ek alag hi kism ki urja ko mehsoos kiya tha...

ye waisi hi urja thi jisse maine bohot saalon pehle bramhand ke kisi agyat jagah par mehsoos ki thi par mere us urja aur uske origin tak pahunchne se pehle hi woh gayab ho gayi thi jo dobara mujhe kabhi mehsoos nahi hui...

haan,us urja ke kuch kan joki upari thi, DORIAN aur GASTON ne ek nakabposh vyakti ke sharir par mehoos kiye the par woh nakabposh mere haath aa nahi paaya tha...

(NOTE:-kuch yaad aaya guyz...yahan nakabposh matlab FALLON ki baat ho rahi hai jinse DORIAN aur GASTON lade the)


khair, VIDEOUS ki baat sun ASMODEUS aur VIKRAM muskuraye bina nahi reh sake jiske baad...


ASMODEUS- tum sahi ho VIDEOUS... saalon pehle jis alag urja ko tumne mehsoos kiya tha aur MORANA se jis urja ko aaj tumne mehsoos kiya,woh ek hi hai...

VIDEOUS-hmm...aur isiliye jab woh un dono aur mere beech aayi toh mai samajh gaya ki woh bhi is khel me ek pyada hai jisse RAAZ ko bachane ke liye aap logon ne plant kiya hai..

aur agar aap dono ne kisiko plant kiya hai aur sahi waqt par woh mere saamne bhi aa gaya hai toh aise me meri khwahishon ka janaza nikalna toh tay hona hi hai...

aur waise bhi,pehle kuch GOD GIFTS SAVENTS ke through RAAZ ko shaktiyan dena, barson se lapata library ko uske liye sambhalkar rakhna,bina aloukik shaktiyon ke bhi usme apaar shakti
hona,iske liye usse pehle human form dena,phir uske janm se pehle hi usse womb se nikal urja me badalna....

itni mehnat ki hai aap dono ne uspar,toh aise me mere ek hi waar se woh khatm jaaye,aisa toh ho nahi sakta..right..!!!

VIKRAM-RAAZ ki utappati par bhi sawal hai tumhare man me, haina..!!!!

VIDEOUS-bilkul...aur is sawal ne mere andar ek naa bujhne waali pyas ko paida kiya hua hai...

aur aisa hona laazmi bhi hai....

RAAZ.....joki GOD OF ANGEL aur CREATURE OF JUDGEMENT ki urja se bana hai....

itne shaktishaali beej ko do mamuli insaan (MARIA aur FLORIN) ne kaise janm dene ka process kiya...????


JAWAB HUM DEN..........!!!!!


VIDEOUS ke sawal par koi kuch kahe,usse pehle hi VIKRAM aur ASMODEUS ke baaju me do tez roshniyan prakat hui jinse ye awaaz nikli thi...

apni baat bolne ke baad un dono roshniyan ne akaar lena shuru kiya aur dekhte hi dekhte un roshniyan ke beech se do log yaa phir ye kahun ki do angels prakat hue..

ye dono aur koi nahi balki RONIT aur ANJALI the jinhe dekh jahan ek taraf VIKRAM aur AVANTIKA ke chehre par garv ke bhaav the, ASMODEUS aur ALESANDRA muskura rahe the wahin aakhon me hairani liye VIDEOUS un dono ko dekh raha tha...

reason..

is waqt ANJALI aur RONIT,dono se hi ek ajeeb par behadh hi strong energy force nikal rahi thi jo un dono ke mahashaktishaali hone ki gawahi de rahi thi...

aankhon me tej un dono ka hadh se dikh raha tha jisse woh is waqt VIDEOUS ko dekh rahe the...

khair,RONIT aur ANJALI abhi prakat hue hi the ki tabhi kuch aisa hua ki VIDEOUS ki hairani aur badh gayi...

toh hua ye ki un dono ke prakat hone ke agle hi pal un dono ke chaaron taraf ek baar phirse prakash fail gaya jisse nikle hazaron ke taadad me ANGELS aur woh sab turant ANJALI aur RONIT ke aage apne apne ghutno par baith gaye...

SHAILA, AKSHAANT aur MOKALSAR bhi in saare ANGELS me shaamil the,bas fark sirf itna tha ki jahan baaki saare ANGELS RONIT aur ANJALI se thode door the wahin ye teeno un dono ke saamne prakat hue the....

khair, apne ghutno ke bal jhukna,aisa ANGELS sirf VIKRAM aur ASMODEUS ke liye hi karte the,par aaj ye RONIT aur ANJALI ke liye ho raha tha,toh aise me shock toh VIDEOUS ko lagna hi tha...

wahin VIDEOUS ke hairani se bhare face ko dekh ANJALI aur RONIT ke face ki smile aur badh chuki thi jiske baad....


RONIT-aisa kya dekh raha hai bacche...???humari talash toh tu esprit crystal ke milne ke baad se kar raha tha,aur ab jab hum khud tere saamne hain toh khush hone ke bajaye hairan hua pada hai tu...!!!


RONIT ki baat sun VIDEOUS ne ek baar saare angels par nazar daali jo is waqt sir jhukaye apni apni jagah par khade hue the..

aisa karne ke baad jab usne wapas ANJALI aur RONIT ko dekha jo ab bhi usse dekh smile kar rahe the aur jinse is waqt aseem shakti bahar nikal rahi thi toh woh samajh gaya ki jitna usne jaana hai,game usse gehra khela hai uske dono FATHERS ne..

khair,saara ganit toh usse samajhna tha hi isiliye...


VIDEOUS-kahan the aap dono...???jab apki pyari beti par jaanleva humla kiya maine,tab socha tha ki shayad aap dono uske liye wahan aayenge,par aisa hua nahi....

RAAZ ke liye toh MORANA thi,par MAHI ke liye koi nahi...agar aaj RAAZ nahi hota toh MAHI ko marne se koi nahi rok sakta tha...

kaise maa baap hai aap..!!!RAAZ ko uski asliyat batane ke liye apni shakti ke through forbidden forest me book rakhwayi aap dono ne par apni beti ke liye kuch nahi kiya..

jaan sakta hun kyun..!!!!

ANJALI-jo sawal tumne dono LORDS se pucha tha aur saath hi humse jude tumhare saare sawal,in sabka jawab sirf ek hai jisse tumne jaanana nahi,dekhna hai,jo dekh liya toh sab samajh jaaoge...

taiyar ho....

VIDEOUS-hamesha....

RONIT-iske liye nahi mere bacche....

RONIT ke apni baat bolte hi kuch hua... kuch aisa jiske hone waale proccess ke dauran hi VIDEOUS ki aankhen badi ho chuki thi...

aur ye process tha look transformation jisse is waqt guzar rahe the RONIT aur ANJALI aur jab woh transformation pura hua toh ek pal ke liye hi sahi, VIDEOUS blank ho chuka tha...

reason...

is waqt VIDEOUS ke saamne aur koi nahi balki FLORIN aur MARIA khade the....

ji haan doston,RONIT,ANJALI aur koi nahi FLORIN aur MARIA hi the jinhone apne bache RAAZ aur is pure khel ke liye apne ANGEL form ki kurbaani di thi aur maamuli mortals bankar dobara earth par janm liya tha....

aur yahi wajah thi ki RAAZ jaisa mahashaktishaali urja ANJALI ki kokh me panap saka..ab bhale hi ANJALI MARIA ke roop me ek mortal thi par isse uski hidden identity joki ek SERAPHIM ANGEL ki thi, badal toh nahi jaati...


(NOTE-guyzzz,aapko yaad hoga ki last second update me jab RAAZ apne mom dad ke sir par haath rakhkar unhe saari sacchayi batata hai toh ye jaanane ke baad bhi ki RAAZ unhe maarne waala hai, FLORIN aur MARIA naa dare the aur naahi udaas hue the..woh isiliye hi kyunki sacchayi reveal karte waqt RAAZ ke haathon se ek anjaani ray joki usse UNEARTH THE IMMORTALS book se mili thi, FLORIN aur MARIA ke sir me chali gayi thi jiske baad un dono ko unki true identity pata chal gayi thi aur isiliye woh relaxed ho gaye the....woh dono hi jaan gaye the ki jo bhi ho raha hai,woh sab pehle se hi planned hai...)

khair,itne shaktishali beej ko do maamuli insaan kaise carry kar sakte hain, VIDEOUS ko uske is sawal ka jawab mil gaya tha...

saath hi usse ye bhi pata chal gaya tha ki kyun un dono ki urja se hi RAAZ ki asliyat ko chupaaya gaya tha..

par is revelation se ek naya aur behadh khaas sawal gunj utha tha VIDEOUS ke dimag me aur isiliye....


VIDEOUS-agar RAAZ aap dono ka beta hai toh phir MAHI....woh kaun hai...???uski identity kya hai...???

VIDEOUS ke sawal ko sun wahan khade sabhi muskura uthe jiske baad...


ANJALI-agar VIKRAM tumhare FATHER hain toh MAHI tumhari SISTER hai VIDEOUS....

BOOMMMMMMMMM.........


ek dhamaka sa hua ANJALI ki baat sunkar VIDEOUS ke brain me....


MAHI LORD OF ANGELS KI BETI HAI.....ye wakayi bohot hi badi aur khatarnaak baat thi...

is revelation ko sun upar se toh woh shaant hi bana raha par andar se is waqt VIDEOUS ki sansein upar niche ho gayi thi..

(NOTE:-yahi thi woh baat guyz jo GOD ne VIKRAM, ASMODEUS, AVANTIKA aur ALESANDRA ko batayi thi...

VIDEOUS ki uttpatti ka RAAZ bhale hi in sabko uske utpatti ke baad pata chala,par GOD toh as usual,sab kuch pehle se jaante the..aur isiliye unhone jab VIKRAM aur AVANTIKA mortals the,tab MAHI ko AVANTIKA ke womb me aane ke baad uske GROWTH ko rok diya tha aur phir woh RAAZ ke utpatti ke samay uske saath IMMORTAL form ke saath paida hui...kuch waqt pehle RAAZ past me jab VIKRAM human tha,us daur me gaya tha,tab woh past VIKRAM ka present ban gaya tha jisse GOD ne sahi samay aane tak ke liye VIKRAM ke brain se nikal diya tha aur RAAZ ke uttpatti ke waqt usse us yaaddast ko wapas loutaya tha)

khair,jo revalation abhi hua tha,ye ek aisa sach tha jo VIDEOUS ke liye RAAZ se bada khatra tha...beshak MAHI VIDEOUS ko nahi maar sakti aur woh isiliye kyunki aisa sirf wahi kar sakta hai jo khud VIDEOUS ki tarah VIKRAM aur ASMODEUS ki urja ho joki sirf RAAZ hai par MAHI ek aisi takat zaroor ho sakti hai jo agar apne full potential ko touch kar le toh VIDEOUS usse bheed kar jeet nahi sakta...

apni manzil tak pahunchne ka joki bramhand par raj karna hai, VIDEOUS ke is sapne ka sabse bada roda ban sakti thi MAHI...

VIDEOUS yahi sab soch raha tha...itne khatarnaak revelations ke baad waise toh usse chale jaana chahiye tha par usse pata tha ki kuch parten,kuch RAAZ abhi bhi khulne baaki hain jinhe bina jaane woh aage ke khel ki rachna nahi rach sakta tha..

aur isiliye......


VIDEOUS-ffffff......back to back super MASTER STROKE FATHERS.....you two have excelled beyond the limits....

yunhi nahi aap dono woh hain jo hain...

naam bhi bade hain aapke aur darshan bhi bade hi hain...but tell me something,jitni ye baat clear hai ki is waqt RAAZ aur MAHI kahan hai,ye naa toh mai jaanta hun naahi chah kar bhi jaan sakta hun,utna hi sach ye bhi hai ki RONIT, ANJALI,aap dono ka dusra ansh,aapki beti ALFREEN abhi bhi CHOSENS me hi hai...

matlab mere court yard me jahan se aap chah kar bhi usse nikal nahi sakte....

is baat ka dar nahi hai aapko ki mai usse maar dunga...!!!

RONIT-galatfehmi hai tumhari agar tumhe ye lagta hai ki CHOSENS me jaakar apni beti ko bachane se tum hume rok sakte ho....

PURNJANMAM..... REINCARNATION.....aur woh bhi human se human nahi,balki ek angel se human me..

aisa karne ki wajah se hum dono ki shaktiyan pehle se 10 guna badh chuki hai..

chaho toh aazma lo..beshak haaroge nahi,par saath hi saath hum dono me se kisi ek se bhi jeet nahi paaoge...

anyways,shakti badhne ke saath hi hume GOD se ek aur gift mila hai...

LIFE PROTECTION AURA....

jisse humne apni beti ke sharir par transfer bhi kar diya hai...

tum ya tumse juda koi bhi ab usse nuksaan nahi pahuncha sakta...

VIDEOUS-hmm.... bohot ache....chalo,acha hi hai,har baazi mai jeetun,usme kaisa maza...

maza toh barabari ke takkar me hi hai...

ab aalam ye hai ki best of three chal raha hai humare beech..jisme se ZEAL waali pehli baazi maine jeeti thi aur ab ek aap sab jeet gaye...

VIKRAM-are you sure VIDEOUS ki pehli baazi tumne hi jeeti hai...!!!!


halka jhanaka sa hua VIDEOUS ke dimag me VIKRAM ke is baat par...

VIKRAM yunhi kuch nahi kehta,ye bohot ache se jaanta tha VIDEOUS aur abhi uske puchhe sawal me jo statement chhupa tha,usse samajh VIDEOUS ka man hi man shock hona banta bhi tha aur isiliye...


VIDEOUS-kehna kya chahte hain FATHER...????kya ZEAL me aapke paida hue pehli urja VIKRAM ko aur us pure grah ko khatm karkar maine pehli baazi nahi jeeti thi....???

ek urja ko mere khilaaf utarne ke chakkar me laakhon maasum log mout ke ghaat utar gaye the,kya woh meri jeet nahi thi....!!!!


VIDEOUS ke is baat ko sun VIKRAM aur ASMODEUS ek dusre ko dekh muskurane lage...

same expressions ANJALI, RONIT, SHAILA, MOKALSAR aur AKSHAANT ke chehre par bhi the jisse dekh aankhon me sawal liye VIDEOUS VIKRAM aur ASMODEUS ko dekhne laga jispar....


VIKRAM-apne mooh bole FATHERS ka ek kaarnama dekhoge...!!!!


VIKRAM ki baat sun VIDEOUS ne kuch kaha toh nahi but uski aankhon me jo sawal dikh raha tha,woh gehra ho chala tha jisse dekh....


VIKRAM-isse pehle ki tum us kaarname ka drishtam dekho, mai thodi bhumika baandh deta hun..

THE BLACK SPACE,usme paaya jaane waala THE LAKE OF OBLIVION,jahan chuninda BLACK ENERGY se bhare humans apni aatma ko DEVILISH banakar aur zyada powerful hone jaate hain,us jagah ka source jaante ho naa tum...!!!

(NOTE:-update 99.... EXERTION se just pehle MABBA jahan gayi thi)


VIDEOUS-DEVILS jab khatm hote hain,toh unki shakti us planet ke ussi OBLIVION LAKE me jaakar ikattha ho jaati hai...

VIKRAM-THE CURSED SUBASTRAL.....

yahi hai woh andheri jagah jahan khatm hone ke baad DEVILS ki soul anthin samay ke liye chali jaati hai...

THE CURSED SUBASTRAL jaane ka route THE BLACK SPACE ke sidh me kareeb 8 light years aage hai...

THE CURSED SUBASTRAL ek invisible dimension hai jisse naa dekha jaa sakta hai aur naahi usse asaani se khoja jaa sakta hai...

us duniya ke,us SUBASTRAL ke andar jaane ke sirf do raaste hain....

pehla,you have to be a DEVIL jo khatm hone ke baad wahan automatically chale jaaoge aur dusra raasta hai THE LAKE OF OBLIVION ka kaala paani jiske AURA ke through us SUBASTRAL ko visible kiya jaa sakta hai...

ZEAL PLANET ko banane se pehle mai aur ASMODEUS us OBLIVION water ke saath CURSED SUBASTRAL waali jagah par gaye the...

us OBLIVION water ke AURA se hume woh SUBASTRAL world dikhne laga tha...

but asli problem toh ab hone waali thi...humara wahan jaane ka asli kaaran sirf us jagah ko dekhna nahi tha,balki us WORLD ke andar jaana tha...

but aisa karna asaan nahi tha..kyunki woh world GOD ne sirf DEVILS ko punish karne ke liye banayi thi, isiliye usme kisi aur ka,bhale hi woh koi aur LORD OF ANGELS CREATURE OF JUDGEMENT hi kyun naa ho jaane me paabandi thi..

par agar hum ye rule todkar wahan jaate,toh aisa karte hi,us world me ghuste hi humari aloukik shaktiyan lock ho jaani thi....

us world me saare devils ki roohen tadapti rehti hain, aise me hume wahan dekh joki unke putr hain jinhone unhe us world me bheja hai,woh souls hum par attack kar sakti thi jinse bachna humare liye bohot mushkil ho sakta tha...

but humara jo maksad tha,usse pura karne ke liye humara us world me jaana zaroori tha....

isiliye humne banaya ek plan...kyunki ASMODEUS kabhi DEVIL tha, isiliye usne tay kiya ki woh us world me jaayega aur mai apne ek haath se us world ke portal ko kholkar rakhunga aur dusre haath se ek adrishya rope ke dwara
ASMODEUS ko khudse baandhe rakhunga taaki jab sahi waqt aaye toh mai usse bahar kheench sakun....!!!!!

hum dono hi is plan se sehmat the aur isiliye humne ispar amal karne ki shuruat ki....

maine us OBLIVION water ko ek tez phoonk maari aur mere aisa karte hi jab woh water chaaron taraf faili toh us adrishya duniya ne us water me jhalak rahe DEVILS ke power ko sense kar liya jiske baad humse kuch door us duniya ka ek chota sa portal khul gaya...

aur aisa hote hi ASMODEUS tezi se us portal ki taraf badha par jaise hi ASMODEUS us portal ke kareeb pahuncha toh us portal ne ASMODEUS ke divinity ko sense kar liya aur tezi se band hone lagi par woh puri band hoti, usse pehle hi maine apne dono haathon ko aage kar diya tha...

jahan mere ek haath se DIVINE HALTER nikla jisne us portal ke mooh ko band hone se rok diya wahin mere dusre hand se ek divine rope nikli jisne ASMODEUS ko khudme baandh liya....

aisa hote hi ASMODEUS us portal ki hadh tak pahunch chuka tha..ek baar palatkar mujhe dekh mera bhai us portal ke andar chala gaya...

dekhna chaahoge,us duniya me kya hua...???


VIDEOUS ne jo sawal pucha tha, usse VIKRAM ki kahani kaise match karti hai,ye toh woh nahi jaanta tha,par itna woh zaroor jaanta tha ki bina wajah ye saari baat VIKRAM toh kar nahi raha hoga....

aur isiliye VIKRAM ke drishyam ko dekhne ke liye VIDEOUS ne haan me sir hilaya aur uske aisa karte hi..


VIKRAM-mere paas aao VIDEOUS...


ek pal liye CHOWNK utha VIDEOUS...

reason..

VIKRAM ke pukarte hi VIDEOUS ki body apne aap gayab hokar VIKRAM ke saamne prakat hui thi..

apne FATHER ki taakat se anjaan nahi tha VIDEOUS par yun sirf ek baar kehne par bina uske ijazat ke bhi uski body ne VIKRAM ke aadesh ko jaise follow kiya,usse ek pal ke kiye hairan hua tha woh...

wahin apne face par smile barkarar rakhte hue VIKRAM ne apni index finger ko VIDEOUS ke maathe par rub kar diya aur uske aisa karte hi VIDEOUS ki aankhen band hoti chali gayi...




FLASHBACK:-


PLACE-HE CURSED SUBASTRAL



CHHHNNNCHNNNN....CH....NN...CHHH..NNNN........C...H....NNN.......

ajeeb si par behadh taklif deh naa dikhne waali dehekti aag se bani is SUBASTRAL ke beech khade VIDEOUS ke kaano me kaafi halki si awaaz sunayi de rahi thi jisse woh apni jagah par khade hue samajhne ki koshish kar raha tha....

is dauran ek baar piche mood kar bhi dekha usne par us portal ke dusri taraf aate hi ab VIKRAM waali side dikhna band ho chuki thi....

aloukik shaktiyan ab ASMODEUS ke paas thi nahi,par uska sixth sense aur combat capability bhi hadh se zyada nikhri hui thi...

bina apni aloukik shaktiyon ke bhi ASMODEUS bramhand ka sabse shaktishaali being tha aur yahi wajah thi ki us ajeeb si aur dheemi awaaz ke beech usse apni taraf ek shaant par behadh strong force aati hui mehsoos ho gayi aur aisa hote hi woh hadh se zyada satark ho gaya....


CH...CHNNNN...CHNNNN......


par is baar phir us awaaz ke saath kuch tha jo ASMODEUS ke behadh kareeb aa chuka tha aur jab aisa hua toh apne kamar se bandhe divine rope ko apne ek haath se pakadte hue usne khudko tezi se ghumana shuru kiya...

uske aisa karte hi jo bhi force uske kareeb aate jaa raha tha,woh apni jagah par rook gaya aur saath hi saath woh ajeeb si awaaz halki tez aane lagi par jab aisa hua toh....


ASMODEUS-DEMONIC LANGUAGE.......


woh ajeeb si awaaz DEMONIC LANGUAGE thi jisse ASMODEUS pehchaan gaya aur aisa hote hi us demonic language me kahe gaye shabdon ka arth bhi usse samajh me aa chuka tha...

darasal jo bhi woh language bol raha tha yaa bol rahe the,woh ASMODEUS ko pehchaan gaye the...

aur usse pehchaan woh sab uspar naraazgi jata rahe the...woh awaazein ASMODEUS ko unke yahan SUBASTRAL me tadapte hue rehne ka zimmedar bata rahe the aur usse bhi apne saath is nark me tadapne ki baat kar rahe the...

par divine rope ke saath jude hone ki wajah se woh ASMODEUS ka kuch bigad nahi paa rahe the....


DIVINE ROPE ko shake karo ASMODEUS....


achanak se ASMODEUS ke dimag me ye awaaz gunj uthi joki uske bhai VIKRAM ki thi aur aisa hote hi ASMODEUS ne ek baar phirse back flip maara aur rope ke thik upar ulta hote hue usse pakadkar zor se hila diya..

uske aisa karte hi us rope se ek invisible energy force nikal har taraf faile gayi aur jab aisa hua toh ASMODEUS ke chaaron taraf ka invisible vision visible ho gaya...

ASMODEUS ne dekha ki usse chaaron taraf se laakhon ki tadad me DEVILS ki black spirits ne ghera hua hai..

ASMODEUS dekh raha tha ki woh saare spirits apni hi jagah par float se kar rahe the siway kuch spirits ke...

kuch spirits jinka negetive AURA kuch zyada hi strong tha, woh dheere dheere ek disha ki taraf badh rahe the..

aur jab un spirits ki movement ka ganit ASMODEUS ko samajh me aaya toh uski aankhen badi ho gayi....

darasal woh spirits us portal ki taraf jaa rahe the jisse VIKRAM ne divine stopper se khol kar rakha hua tha...

waise toh us divine rope ko aur woh bhi VIKRAM ke shakti se bane rope ke grip ko hatana kisike liye bhi naamumkin tha,par kyunki ye jagah LORD OF ANGELS ke adhikar me nahi aati thi, isiliye yahan aisa karna mushkil nahi tha...

aur agar ho jaata, toh ASMODEUS ka yahan se nikalna naamumkin ho jaata...

yahi wajah thi ki ASMODEUS turant portal ki taraf lapakne ko hua par tabhi....

saamne aur aaj baaju toh ASMODEUS ne dekh liya tha par uski nazar neeche nahi gayi thi jahan se hazaron ki taadad me devils ki spirits rengte hue se uski taraf badh rahe the aur jab ASMODEUS moodne ko hua toh un spirits ne usse jakad liya..

itna hi nahi,aisa hote hi baaki ke saare DEVILS bhi ASMODEUS ke upar kood pade...

ek saath un saare tadapte hue DEVILS SPIRITS aur woh invisible aag ki jalan,dono hi ASMODEUS feel karne laga...

wahin dusri taraf woh kuch DEVILS SPIRITS jo portal ko band karne ke liye uske paas pahunche hue the,unhone us portal ko band karna shuru kar diya tha jisse feel karte hi VIKRAM ne apni wo shakti jo usne as a human kabhi prapt ki thi,usse release kiya aur portal me lage halter se usse jod diya....

aloukik shaktiyan naa sahi par human power joki waise toh magic world me kisi kaam ki nahi hoti,uske ulat yahan woh kaafi kaam ki thi aur isiliye hi VIKRAM ne ye kadam uthaya tha...


(NOTE:-yahi woh baat thi jo ek update me VIKRAM aur ASMODEUS heaven me kar rahe the...)


khair,is beech ASMODEUS ki cheekh toh nahi nilki thi par usse feel ho raha aseem dard uske saath usse jude aur portal ke bahar khade VIKRAM ne bhi feel kar liya aur jab aisa hua toh apne bhai ke dard ko mehsoos kar VIKRAM ki aankhen ghusse se laal ho gayi aur...


VIKRAM-tumhari itni himmat ki tum mere bhai ko taklif pahunchao....mai yahan tum sabko ek mouka dene aaya tha,par mere bhai ko taklif pahunchakar tum woh mouka haasil karne se pehle hi gawa chuke...

meri shaktiyan is portal ke dusri taraf nirarthak hai par yahan nahi jahan mai khada hun...

mai VIKRAM, LORD OF ANGELS,apne adhikar se is SUBASTRAL WORLD ko khatm karunga aur tum saare spirits ko ek nayi CURSED duniya dunga...

ek aisi duniya jahan tum sabko dard ka asli matlab samajh me aayega...

yahan tum sab bas viraane aur naa khatm hone waale aag ke beech vicharte ho,us duniya me tum sab aag ke lava me tadpoge..

har second tumhari cheekh se tumhare gunah ki dastan likhi jaayegi....

dard ko bhi utna dard kabhi nahi hua hoga,jitna dard mai tum kaali parchaiyon ke kore naseeb me bharne waala hun...


gunj si uthi VIKRAM ki awaaz us zero dimensional space me jahan aasman aur baadal ke naa hone ke baawjud VIKRAM ki kahi baaton ke asar se us pure space me gadgadahat hone lagi jo is baat ka suboot thi ki jo VIKRAM ne kaha tha,woh hone waala hai...


CHHNNN..CH..NNNNN..CH.....NNNN............


woh spirits jo portal band karne ki koshish kar rahe the, unhone bhi VIKRAM ki dhamki suni thi jiske baad unki ye tez awaaz wahan gunj uthi jiske hote hi woh saare devils spirit jinhone ASMODEUS ko pakda hua tha,unhone usse release kar diya...

itna hi nahi,woh saare devils ke spirits apni jagah par hi turant neeche ke taraf float se hue jaise ki jhuk kar maafi maang rahe hon...

woh spirits jo portal ke paas khade the,woh portal se bahar toh jaa sakte the nahi, isiliye woh sab turant ASMODEUS ki taraf bhaage aur uske pairon ke paas pahunchkar jhuk gaye aur aisa kar unhone apne DEMONIC LANGUAGE me ASMODEUS se maafi maangi...

ASMODEUS jo ab tak normal ho chuka tha,usne mind to mind VIKRAM ko pehle shaant kiya aur phir portal ke andar bulaya aur phir jab VIKRAM andar aaya toh un saare spirits ne usse bhi apne kiye ki maafi maangi aur VIKRAM ke unhe maaf karne ke baad jab unme se ek ne usse uske yahan aane ka kaaran pucha toh...


VIKRAM-yahan se azaad hona chahte ho...????

andha kya chaahen,do aankhen...

haan ye sach tha ki waise toh pehle kabhi aisa nahi hua tha ki yahan SUBASTRAL WORLD me aane ke baad koi DEVIL spirit kabhi azaad hua ho par ek sach ye bhi tha ki VIKRAM parmeshwar putr tha jiske liye kuch bhi naamumkin nahi tha..

aur ab jab woh khud unki azaadi ki baat kar raha hai toh aisa ho sakta tha...

apni DEMONIC LANGUAGE me un sab spirits ne khushi khushi haan kaha jiske baad...


VIKRAM-paap ki wajah se tum sab yahan ho,punya ki wajah se tum sabko moksh milega...

tum sabko human bankar reincarnate hona padega aur ek ache kaarya ke liye tum sabko marna hoga...

marte hi tumhari aatma pure ho jaayegi aur tum sab azaad ho jaaoge....manzoor...!!!!

CNNN...NNNAHNNNNNN....


ek tez awaaz ki leher gunj uthi un saare spirits ki joki unke manzoori ki gawahi thi...

ab bhala jo dard aur tanhai bhari ghutan woh sab yahan feel karte the,human bankar sirf ek baar mout ka souda toh iske mukable in sabke liye kuch tha hi nahi...


(NOTE:-un saare spirits ke shor ke beech VIKRAM ne kuch aur baatein bhi ki jiske baare me aapko next update me pata chalega....)




FLASHBACK ENDS:-



BOOOMMMMMM......



drishyam khatm ho chuka tha par VIDEOUS ki aankhen ab bhi band hi thi aur un band aankhon ke beech uske sir me hua ye dhamaka..

aankhen khol hairani se bhari hui uski nazarein VIKRAM par aise tiki thi maano woh ab bhi us sach ko VIKRAM ke mooh se sunana chahti ho jo usne abhi usse dikhayi thi...

VIKRAM bhi VIDEOUS ke manobhaav se bhali bhaanti parichit tha aur isiliye...


VIKRAM-ye sach hai VIDEOUS....

har woh manushya jo ZEAL PLANET me paida hua tha,woh SUBASTRAL WORLD me saza kaat rahe DEVILS ka reincarnation tha..

SWORD par tumne maaya ki hui thi..aise me hume maalum tha ki hum tumhare saamne jis bhi pratidwandi ko utaarenge,tum uska kaat pehle se hi taiyar rakhoge...

hum apne ansh ka nuksaan toh jhel sakte the,par uske aas paas ke bekasoor logon ka nahi...

isiliye humne ZEAL me un humans ko janm hone diya jinme khatm hue DEVILS ki spirits thi..

VIDEOUS,tumne ZEAL ke logon ko maara nahi tha,balki unhe moksh dilwaya tha...

so un sabke behalf me, thankyou...

VIDEOUS-naman karta hai VIDEOUS aap dono ke mastishk ki...

sach hai,aisi door drishti,aisi yojna jisme jeet ko bhi haar ke kapde me lapetkar aise pesh kiya gaya ki mai haarne ke baad bhi itne varshon tak jeet ki galatfehmi paale baitha tha,aisa sirf aap dono hi kar sakte the...

adhbhudh.....

log dusron ki galtiyon ka faayda uthate hain,par aap dono ne toh bina meri koi galti kiye bhi faayda utha liya....

ASMODEUS-ek galti ki hai tumne VIDEOUS...

VIDEOUS-aur woh kya..???

VIKRAM-SARVATOMUKHA UPPARUNADHI...LOCK THE SOUL...(UPDATE 53)


VIKRAM ki baat yaa phir ye kahun ki SPELL ko sun man hi man chownka tha VIDEOUS...

reason...

ye toh wahi SPELL tha jisse usne DEFENDER aur BEELZEBUB ki aatma ko lock karke apne paas rakh liya tha aur un dono ke sharir ko THE CONCEAL ke andar chhod diya tha..

par abhi abhi VIKRAM ne us SPELL ko uccharit kiya tha jiska matlab tha ki woh jaanta tha ki VIDEOUS ne BEELZEBUB aur DEFENDER ke saath kya kiya tha...!!!

ab aise me uska shock toh hona hi tha..

khair, SPELL uccharit kar...


VIKRAM-kya tumhe maalum hai ki mujhe LORD OF ANGELS kyun kehte hain..??

isiliye kyunki mai har ANGEL se uske soul ke saath juda hua hota hun...

bhale hi koi ANGEL kitni hi badi pratibandhit jagah par kyun naa fasa ho,par uski soul ki wajah se woh mujhse juda hua hota hai...

aur tumne BEELZEBUB aur DEFENDER,dono ke hi SOULS ko capture karne ki sochi...

kis adhikar se...un dono ki SOUL meri aadhin hai...bina meri khawahish meri marzi ke koi bhi kisi bhi ANGEL ke SOUL ko apne paas nahi rakh sakta...


VIKRAM ki baat khatm hui hi thi ki tabhi uske paas do aur roshniyan prakat hui jinke beech se bahar aaye DEFENDER aur BEELZEBUB aur jab aisa hua toh...

BOOMMMMMMM.......

is baar dhamaka VIDEOUS ke brain me nahi balki kahin aur hua tha...THE PAGAN me..woh jagah jahan woh conceal tha jisme VIDEOUS ne BEELZEBUB aur DEFENDER ko kaid karne ki koshish ki thi...

ek dhamake me hi woh pura DARK planet aur usme behti aseem kaali urja nasht ho chuki thi jiske baad...


VIKRAM-har galti ki maafi nahi hoti hai VIDEOUS..kuch maamlon me saza milti hai...

tumhare banaye grah ka naash,yahi tumhari saza hai....


VIKRAM ki baat khatm hone ke baad wahan ka pura mahoul shaant ho gaya tha....

jahan saare ANGELS muskura rahe the wahin unke saamne khada VIDEOUS kuch sochte hue idhar udhar tehel raha tha jisse dekh...


ASMODEUS-ummid hai tum santusht ho VIDEOUS....tumhe tumhare saare sawalon ke jawab mil gaye hain...


VIDEOUS-siway ek ke....!!!

ASMODEUS-woh bhi puch lo...!!!

VIDEOUS-ab SWORD kahan hai..???aakhri baar maine usse ISLA ke upar feel kiya tha par fir achanak aisa hona band ho gaya...

ASMODEUS-iska jawab toh sahi waqt par hi tumhe milega VIDEOUS aur filhal woh waqt aaya nahi hai..

itna jaan lo ki SWORD ek behadh hi secure jagah par hai jahan tum bhi nahi pahuch sakte...

aur waise bhi,us SWORD se tumhe koi matlab hona nahi chahiye...woh tumhari kabhi nahi ho sakti....

VIDEOUS-VIDEOUS used item istamal karta bhi nahi.. anyways, thanks,mere sawalon ke jawab dene ke liye,chalta hun...

RONIT-arre,aise kaise..??itna nuksaan kiya hai tumhara,tumhari har planning ko naakamiyab kiya hai,toh aage ke liye koi dhamki nahi deni...


RONIT ke is vyang ko sun muskurate hue VIDEOUS gayab ho gaya jiske baad...


VIKRAM-RONIT...samajhdaar logon ka dimag chalta hai aur
naasamajh logon ki zubaan...

aur VIDEOUS,sabkuch hai par naasamajh nahi...

waise bhi, bhale hi usne pehle dono baazi haare hain,par antim aur sabse mahatvpurn baazi me apni jeet ki neev bhi woh rakh chuka hai..

ANJALI-matlab..!!!

VIKRAM-taash ke khel me baazi sirf wahi nahi jeeththa jiske paas behtar patte hote hain..

woh bhi jeet ka daawedaar hota hai jisne puri baazi khatm hone se pehle hi saamne waale ke saare patte jaan liye hain...

aisa hi kuch humare case me bhi hai..RAAZ ko RAAZ banane ke liye,is kahani ko is mod tak pahunchane ke liye humne jo jo karna tha,sab pehle hi kar diya hai..

inshort,humne apni jeben lagbhag khaali kar di hain..aur VIDEOUS yahi chahta tha..

woh chahta tha ki humare tarkas ke teer pehle hi use ho jaaye taaki uske baad woh apne hathiyar nikale...

aur aisa ho gaya... humne apni baazi chal di,ab woh chalega....

RONIT-toh bhai,itna chowda hokar saari baatein kyun batayi tune usse..!!!

VIKRAM-chhupakar faayda bhi kya tha..jo humne karna tha kar diya,uska result bhi aa gaya,phir hide and seek khelkar kya matlab..????

ANJALI-par V.J,hume toh koi andaza bhi nahi hai ki woh kya karega...???

VIKRAM-pura nahi,par halka sa hint toh woh khud abhi dekar gaya hai..

SHAILA-kaisa hint..??

ASMODEUS-usne SWORD ko feel kiya...yahi kaha tha naa usne...par kaise..?? SWORD uski hai nahi, phir usne bhala kaise usse feel kar liya....????


ASMODEUS ki baat par wahan moujud sabhi ke face par tention dikhne lagi jisse dekh..


VIKRAM-kya hua..???tention kis baat ki..!!tum sab bhul rahe ho ki humari kahani khatm ho chuki hai....

ye part 2 hai.. ye kahani hamari nahi hai,tere bete ki hai...!!!

RONIT-aur teri beti ki...


jahan RONIT ki baat sun VIKRAM ke face par smile aa gayi wahin uske baaju me khadi AVANTIKA ki aankhen halki dabdaba gayi aur...

AVANTIKA-kaisi hai WOH....???


ANJALI ko dekhkar pucha tha AVANTIKA ne ye sawal jispar AVANTIKA ki aankhon me aayi nami ko dekh ANJALI jhat se aage badh kar pehle uske gale lagi aur phir usse alag ho uske dono gaalon ko thaam..


ANJALI-bilkul tumhari tarah....maasum,soft hearted but brave...very,very brave....


ANJALI ki baat sun halka sa muskura uthi AVANTIKA par us muskaan ke peeche ke dard ko feel kar sakti thi ANJALI aur woh ye bhi jaanti thi ki ye dard kitna justified hai..

kyunki ek taraf woh aur RONIT the jinki bhale hi human hone ke baad yaaddast chali gayi thi,par phir bhi unka beta hamesha unki aankhon ke saamne raha tha par unse ulat AVANTIKA aur VIKRAM dono ne hi apni beti ko bas door se dekha tha,usse pyar karna,uski care karna,ye sab toh woh kar hi nahi paaye the...

LORD OF ANGEL aur unki WIFE hone ki ek bohot badi keemat chukayi thi un dono ne..

khair,jahan ANJALI aur AVANTIKA kaafi jazbaati ho gaye the, VIKRAM ke seene me bhi dard utha tha jisse ek typical mard ki tarah usne dabaya hua tha, RONIT bhi khaamosh khada apne bete ke saath guzre aakhri palon ko yaad kar raha tha,wahin AKSHAANT ke dimag me SWORD waale topic ko sun ek nayi baat aayi thi aur isiliye...


AKSHAANT-mujhe ek baat samajh nahi aa rahi hai...

ek maatr hathiyar,jo VIDEOUS ke waaron ko jhel bhi sakta tha aur usse nuksaan bhi pahuncha sakta tha,SWORD,woh ab RAAZ ki milkiyat nahi hai..

toh ab kya karega RAAZ...!!!

SHAILA-isse bhi important sawal ye hai ki ab is universe ko asli khatra hai kisse..?? VIDEOUS se yaa RAAZ se...

kyunki jis mental condition me RAAZ gayab hua hai,woh kahin se positive nahi hai...!!!!

VIKRAM-tum dono ke hi sawal ka jawab ek hi hai....

ATTITUDE....

SHAILA/AKSHAANT-matlab..!!!!

VIKRAM-sabse pehle ye jaan lo ki SWORD kabhi bhi RAAZ ki milkiyat nahi thi...

meri wajah se SWORD RAAZ ko mil zaroor gayi thi par usne kabhi bhi RAAZ ko naa toh accept kiya tha,aur naahi usse pasand kiya tha...

aur reason tha RAAZ ka cold ATTITUDE....

SWORD ki apni ek soch hai,ek ATTITUDE hai..aur woh meri milkiyat isiliye thi kyunki uska aur mera ATTITUDE milta tha..

par RAAZ ke mamle me yeh ATTITUDE ekdum contrast tha...

RAAZ ka i dont give a damn ATTITUDE,kisike liye bhi humdardi naa rakhna,pyaar naa karna SWORD ko usse napasand karne par majboor karta tha....

haan, RAAZ ke cold ATTITUDE ka reason uska khudko ek robot maanana bhi tha joki galat bhi nahi tha par SWORD ke liye sahi bhi nahi tha....

RAAZ ke ab tak ke pure journey me naa toh uska BRAIN kabhi positive hua tha aur naahi uska heart siway us pal ke jab usne RONIT aur ANJALI ko,apne maata pitah ko maara tha yaa phir ye kahun ki aisa karne par woh majboor hua tha..

uske REFINERS completely merge ho gaye uske emotions ke saath jisse uske andar ka human jaag gaya tha...

woh moment bhale hi dekhne aur sunane waalon ke liye negetive tha,par SWORD ke liye woh aisa pehla pal tha jab usne RAAZ ko accept kiya tha..

usse apna owner maana tha..

reason....

kyunki us waqt zindagi me pehli baar RAAZ ki sirf aankhen hi nahi balki uska dil bhi roya tha..

pure,divine feeling ka janm hua tha RAAZ ke dil me.. ussi dil me jahan invisible form me SWORD chuppi hui thi aur jisne us feeling ko khushi
khushi accept kiya tha...

par WOOGER aur GRIFFIN ke deal ki wajah se SWORD aur uske andar chuppi RAAZ ki aloukik shaktiyan usse alag ho gayi...

DEFENDER-toh kya ab kabhi RAAZ SWORD aur uski aloukik shaktiyon ko wapas haasil kar paayega....???

VIKRAM-jawab wahi hai jo pehle diya tha..

ATTITUDE....

RAAZ ke jis dil ne pehli baar ek human ki tarah dhadka tha,usse wapas waise hi dhadakna hoga...

usse apne dil ko pure karna hoga...

ANJALI-par ye kaise hoga...???mera beta toh is waqt out and out negetive hai...

VIKRAM-aksar suna hoga ki kuch log duel personality ke saath jeete hain, RAAZ ko dual ATTITUDE ke saath jeena hoga..

uska brain chaahe jitna bhi negetive ho, uske heart ko positive hona hoga...

MOKALSAR-how is that even possible...!!!

VIKRAM-naamumkin toh VIDEOUS ko khatm karna bhi hai...

but RAAZ woh ladka hai jisse is naamumkin ko mumkin banane ke liye bheja gaya hai...

but shuruat usse khudse karni hogi... VIDEOUS ko harane se pehle usse khudse jeetna hoga...

RONIT-kya itna sab woh kar paayega...???


ek typical baap ki chinta dikhne lagi thi RONIT ke face par..same expressions ANJALI ke khubsoorat chehre par bhi the jisse dekh pehle toh VIKRAM muskuraya aur phir...


VIKRAM-

jaana toh padega usse,chaahe bulawa kisi bhi MEHFIL KAA HO...

tairna toh padega usse,agar aakhri thikana SAAHIL KAA HO....

sharth bas itni si hai RAAZ ke saamne,

uska DIL ANGEL ka hona chahiye,DIMAG bhale hi DEVIL KAA HO......

(KABHI ANGEL,KABHI DEVIL)















AAJ KE LIYE ITNA HI.....

















AAPKA APNA V...J.....
Kyaa shandaar update hai bhai maza aa gaya
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

Rajesh

Well-Known Member
3,308
7,871
158
AB TAK AAPNE PADHA KI VIDEOUS KO HEAVEN'S GATE PAR RONIT ANJALI VIKRAM AUR ASMODEUS SE BOHOT SAARE RAAZ PATA CHALTE HAIN.

AB AAGE:-



CHAPTER-3


(THE DEVIL'S HAVEN,THE SACRIFICE & THE PERFECT EPILOGUE)


MEGA UPDATE-123



PLANET-ELYSIAN


PLACE-OUTSIDE CHOSENS






PRANAVERNA SAMBHIGAM

BOOMMMMM.....


SPELL uccharit hote hi SPELL ke centre point me ek tez dhamaka hua..

ek aisa dhamaka jisne pure ELYSIAN ko hila diya...

wahin dhamake ke saath hi ek gaadhi GREY colour ki light tezi se har taraf failti chali gayi aur dekhte hi dekhte us light ne pure CHOSENS ke borders ko khudme lapet sa liya..

aur jab us light ka circle pura hua toh woh gayab ho gayi aur saath hi gayab ho gaya is SPELL se generate karne waale light ka sutr....






PLACE-CHOSENS GARDEN





(ACTUALLY WHAT HAPPENED AFTER VIDEOUS CHANTED THE SPELL)




ANSHAM.........URJAHAM......... SAMPURN........VINASHAKAM.....


MAARGAM BHAAGYAM

ROAD TO DESTINY


jaise hi VIDEOUS ne apna SPELL bola,uske agle hi pal MAHI ne apne REFINER aur AMPLIFICATION power ko ek karte hue GRIFFIN ke bataye SPELL ko uccharit kiya aur jab usne aisa kiya toh ek saath do chizen hui...

pehli....

isse pehle ki VIDEOUS ke chanted spell ki ray usse aur RAAZ ko lagti,un dono ke aage ek unbreakable kawach ban gaya jisme un dono ko hi bodies ki urja thi...

ye isiliye hua kyunki jo SPELL VIDEOUS ne uccharit kiya tha,uska apni manzil yaa phir us manzil jaisi shakti par asar hona zaroori tha...

agar aisa nahi hota toh us SPELL ke asar se pura CHOSENS aur yahan ka har living creature khatm ho jaata...

khair, VIDEOUS ke SPELL se generated ray ussi kawach par padi jo dheere dheere VIDEOUS ke ray ke padne se tootne lagi....

par issi beech hui ek dusri cheez...aur woh ye ki RAAZ aur MAHI ke just peeche do bade bade portal khul gaye jinhone MAHI aur RAAZ ko apni taraf kheenchna shuru kar diya..

MAHI ne RAAZ ko khudse sataye rakha tha par jaise hi portals ne un dono ko kheenchna shuru kiya toh woh dono ek dusre se alag hone lage...

MAHI ne puri koshish ki taaki woh RAAZ se alag naa ho par us magnetic force ki taakat bohot zyada thi..

us force ne dono ko alag kar hi diya jiske baad woh dono unke piche bane un dono portals me se ek ek portal me samane lage..

VIDEOUS ki ray aur uske saath MAHI ki uccharit SPELL se paida hui roshniyan bohot zyada thi jiski wajah se vision bilkul hi dhundla sa tha par tab bhi MAHI ne khudko ek portal me aur RAAZ ko ek dusre portal me samate dekh liya jisse dekh...


MAHI-RAAAAZZZZZZ........


RAAZ ke naam ki cheekh ke saath MAHI apne portal ke andar samati hui tezi se girne lagi..

same cheez RAAZ ke saath bhi ho raha tha....bas fark sirf itna tha ki jahan MAHI apne portal ki gehraiyon me girti hui hosh me thi wahin RAAZ behosh ho chuka tha..

itna hi nahi,jaise jaise us khaayi numa portal ka end nazdik aa raha tha,waise waise uski heart beat kam hoti jaa rahi thi....

wahi dusri taraf MAHI ko ek ajeeb si unbearable heat feel ho rahi thi par us heat ke beech usse aisa lag raha tha maano jaise us garmi me sukoon feel karne ke liye kisine hawa chalayi ho...

par us ajeeb se condition me bhi MAHI ke dimag aur dil dono me hi sirf RAAZ aur aaj jo bhi hua,woh sab hi ghum raha tha...

woh apni soch me is kadar khoyi hui thi ki usse ehsaas hi nahi tha ki woh abhi ek anjaane khaayi me gir rahi hai aur saath hi guzarte waqt ke saath us portal numa khayi ka dead end aur dusra sira aane hi waala hai...


KRRRRRRRRRR........
KRRRRRRRRRR........

ek saath do jagah se ye awaazein nikli..

pehli jagah thi MAHI ke portal ka aakhri sira aur dusri jagah thi RAAZ ke portal ka aakhri sira..

darasal in dono hi jagahon par ek kawach laga hua tha jisse takraya tha girta hua MAHI aur RAAZ ka sharir..

but yahan bhi ek difference tha...

aur woh ye ki jahan ek taraf MAHI liye woh kawach ek soft cusion ki tarah tha jisse takrate hi uska sharir pehle toh jhul sa gaya par phir us SHIELD ne jaise MAHI ko pehchaan liya aur usse araam se paas hone diya jiske baad MAHI ka sharir us kawach ke dusri taraf nikal gaya wahin dusri taraf RAAZ ka sharir jaise hi us kawach se takraya toh uske pure sharir me current ke behadh tez jhatke lagne lage..

ye current itna zyada strong tha ki RAAZ jaise strong bande ka sharir bhi halka halka jalne laga...

saath hi saath uski heart beat jo guzarte waqt ke saath kam hote jaa rahi thi,woh us jhatke ki wajah se ek hi second me dus guna tak tez ho gayi par uske baad ek baar phirse slow ho gayi joki naa dhadakne ke barabar thi...

KHONNN....

behoshi ke aalam me bhi un lag rahe jhatkon ki wahah se khaans utha RAAZ jiske baad uske mooh ne ek baar me dher saara khoon bahar nikal diya par jab aisa hua toh hua ek chamatkar....

aur woh ye ki RAAZ ke mooh se nikla khoon jaise hi upar jaane ke baad wapas neeche gira aur RAAZ ke ird gird bane kawach se takraya toh us kawach se nikalta current ek second me hi naa sirf shaant ho gaya balki uske agle hi pal usne RAAZ ke liye raasta khol diya aur jab aisa hua toh MAHI ki hi tarah RAAZ ka body bhi kawach kw dusri taraf badh chala jiske kuch der baad...

DHAPPPP....
DHAPPPP....

RAAZ aur MAHI,un dono ke hi bodies do,do strong haathon ke grip me jaakar gire.....


SWAGAT HAI MAHI.....

SWAGAT HAI RAAZ.....




A FEW MOMENTS BACK:-




PLACE-ASTER




WOH PAL AA GAYA FALLON JISKA INTAZAR MERI NIYATI SADIYON SE KAR RAHI HAI AUR TUMHARI NIYATI,USKI TOH NEEV HI IS PAL KE BISAAT PAR RAKHI GAYI HAI.....


aankhon me vyagrata, chehre par anthhin chamak jo aaj se pehle MASTER ke face par kabhi nahi dikhi thi,usse bade aascharya ke saath dekh rahi thi FALLON..

aur uske upar jo baatein abhi MASTER ne kahi thi,woh baatein waise toh FALLON ke upar se nikli thi,par phir bhi un naa samajh me aane waali baaton ko sunkar woh bhi us anjaane shaksh ko dekhne aur milne ke liye adhir ho gayi thi...

apne MASTER ki hi tarah jo is waqt uske saath ASTER ki sarhad ke andar khade upar ki taraf dekh rahe the the,woh bhi dekhne lagi..

woh jagah jahan is waqt FALLON aur uske MASTER dekh rahe the,ye woh khaali si par abhedya jagah thi jisse ASTER ke andar aane ke liye ek surakshit PORTAL bana tha,aur is portal ka nirman khud LORD OF ANGELS ne kiya tha..

khair,abhi us spot ko dekhte un dono ko kuch hi pal beeta tha ki tabhi achanak se us spot me upar ki taraf se aakar kuch fasa par agle hi pal us spot ko,us sheild ko cross karte hue woh KUCH sidha unki taraf aane laga aur jab aisa hua toh MASTER ne apne dono haath aage kar liye jiske agle hi pal woh KUCH joki ek insaan tha,unke haathon me aakar theher gaya...

jahan aisa hone ke baad woh shaksh jiski filhal aankhen band thi,usne apni aankhen kholi aur aisa karte hi uski aankhen khudme sawal liye MASTER ko dekhne lagi wahin us shaksh ke face ko dekh FALLON ko laga jhatka...

reason.....

woh shaksh jo is waqt MASTER ke dono haathon me tha,uska face,infact uski puri roop rekha FALLON jaisi thi..

is waqt FALLON MASTER ke haathon me ek aur FALLON ko dekh rahi thi..

aankhon me hairat liye woh mantramugdha si apne jaisi ek ladki ko dekh hi rahi thi ki tabhi MASTER ke awaaz se uski tandra tooti....


MASTER-SWAGAT HAI MAHI......





PLANET-GALEN


PLACE-OUTSIDE ERRAPEL'S COTTAGE




KRKRKRKR.....

upar aasman me dekhti hui ERRAPEL aur uski BABA ko aankhon ke saamne shield se lage jhatke aur current dikh rahe the..

aur un current ka reason tha ek SHAKHS jo shield se takra raha tha...

kuch der tak yunhi hote rehne ke baad achanak se hi us shaksh ki body us SHIELD ko bhedhte hue neeche girne lagi..

us body ki disha exact ERRAPEL aur uske BABA hi the aur isiliye ERRAPEL ke BABA ne apna haath thik waise hi aage kar faila diya jaisa ASTER me MASTER ne kiya tha aur unke aisa karne ke kuch hi seconds baad us shaksh ki body joki badi tezi se neeche gir rahi tho,woh sidhe unke failaye haathon se takrayi jispar unhone bade araam se usse catch kar liya...

is waqt us shaksh ko dekh joki is waqt behoshi ke aalam me nirjiv sa khoon se latpath tha,BABA ke face aur aankhon me bhi waisi hi chamak thi, jaisi FALLON ke MASTER ki thi MAHI ko dekh...

wahin unke baaju me khadi ERRAPEL,jo kisi jaanwar ko bhi taklif me dekh tadap uththi thi,woh aaj khun se sane behosh pade RAAZ ko bade normally dekh rahi thi aur yunhi dekhte hue kuch soch usne RAAZ ke neeche latke haath ko chhu liya aur jaise hi ye hua toh..


HAAAANNNNNNN....

tez saans lete hue ek jhatke me khul gayi meri aankhen...

mere ankhon ke aage bhi khoon ki bunde thi jinke beech se maine apne tedhe latke chehre ko halka sa uthaya aur jab maine aisa kiya toh jo face mere aankhon ke saamne aaya(ERRAPEL)usse dekh mujhko laga ek jhatka aur mere mooh se apne aap us shaksh ka jisne mera haath chhua tha,naam nikal gaya...


MAI-ALFREEN....


bas ek naam bolte bolte hi meri saari energy wapas consume si ho gayi thi...

mai wapas behosh hone laga tha par behosh hote hote bhi mujhe ye ehsaas tha ki is waqt mai kisike haathon me hun isiliye apne face ko sidhe kiya maine aur aisa hote hi meri band ho rahi aankhon ke beech ek dhundla sa hi sahi par jaana pehchaanana face aaya jisse mai saakshat dekh toh pehli baar raha tha,par jaanta pehle se tha...

par meri aankhen aur saath hi mera dimag jaise coma me jaane laga tha aur isiliye mai wapas behosh hone laga par aisa puri tarike se ho paata,usse pehle mere kaano me padi ye awaaz...


BABA-SWAGAT HAI RAAZ.....





BACK TO ASTER:-





KAUN HAI AAP DONO....!!!!AUR MAI YAHAN KAISE PAHUNCHI....!!!!

RAAZ...!!!? RAAZ KAHAN HAI..????AUR TUM....!!!TUMNE MERA BHESH KYUN LIYA HUA HAI...???


MASTER ki godh me land karne ke agle hi pal MAHI ek jhatke me neeche utri aur neeche utarte hi FALLON ke roop me khudko dekhte hue aashakht bhari nazaron se ek ke baad ek kayi sawal kar diye usne...

jahan MAHI ke sawal ko sun bas muskura rahe the MASTER wahin FALLON toh uski awaaz sun ek baar phirse hairan ho gayi thi aur woh isiliye kyunki MAHI ki awaaz bhi hubahu FALLON ki hi tarah thi...

MASTER MAHI ke saath saath chupchaap khadi FALLON ke manobhaav ko bhi achi tarah jaante the aur isiliye...


MASTER-sabse pehle shaant ho jaao MAHI...

aur ye bhi jaan lo ki hum tumhare shatru nahi balki mitr hai..hum tumhare safar ke woh padhav hai jahan se tumhe tumhare astitv aur tumhare manzil,dono ka hi drishya saaf ho jaayega...

rahi baat RAAZ ki, toh jaise MAARGAM BHAAGYAM SPELL ko uccharit kar tum yahan pahunch gayi,thik waise hi RAAZ bhi uske liye nirdharit kiye gaye jagah par pahunch chuka hai..

aur sahi samay par tum bhi uske paas pahunch jaaogi....

apne dwara uccharit kiye gaye MAARGAM BHAAGYAM SPELL ka naam us anjaan shaksh ke mooh se sun ek pal ke liye hairan hui thi MAHI par phir us SPELL ki hi wajah se woh yahan pahunchi thi,ye soch shaant bhi ho gayi woh...

par is beech FALLON ke chehre par hairani aur sawalon ki rekha,dono hi bane rahe the jisse dekh...


MASTER-FALLON... khudse, is jagah se aur mujhse jude tumhare saare sawalon ke jawab aaj tumhe
bhi mil jayenge...

waise ye kehna thik hoga ki MAHI ke satya ke saath hi tumhara satya bhi apne aap hi ujagar ho jaayega...

aur MAHI,isne tumhara bhesh aur roop ka anawaran nahi odha hai,balki ye iska asli roop hai..

haan,ye keh sakte hain ki ye roop bhi tumhari wajah se hi hai par filhal yahi iski asliyat hai...


MASTER ki baat waise samajh toh naa FALLON ko aayi aur naahi MAHI ko,par haan, hairangi dono ki hi badh chuki thi...

FALLON toh ab bhi chup hi rahi par MAHI joki andar hi andar kaafi adheer ho chuki thi, MASTER ki baat sun...


MAHI-mere sach ke saath ye kaise judi hui hai...???

meri tarah kisika dikhna wakayi hairani ki baat hai par dikhne ke saath judna,ye kaisa tark hai..??

kya iska aur mera koi rishta hai...???

aur aap...???are we also connected..???

agar wakayi aapko mere baare me aur mere dimag me jo sawal ghum rahe hain,unke baare sab pata hai toh please mujhe bataiye..

pehle hi aaj jo institution me hua,uske baare me soch sochkar mera dimag ghum raha hai...

woh VIDEOUS...hai kaun woh..???aur uski meri aur RAAZ se kaisi dushmani hai...???

aaj usne kaha ki mai SERAPHIM ANGELS ki beti hun aur RAAZ MARIA aunty aur FLORIN uncle ka beta hai...???

hows that even possible...???and the most shocking thing ye ki RAAZ ne khud un dono ko maar diya...kyun..???

aur in sab ke baare me GRIFFIN ko pata tha,aur usne mujhe RAAZ ki side lene ko kaha..

MORANA...jisse mai RAAZ ke liye negetive samajh rahi thi,aakhir me usne hi hum dono ke liye apni jaan de di...

marne se pehle usne waisa hi reaction diya jaisa GRIFFIN ne mujhe bataya tha...

iska matlab hai ki jo bhi chal raha tha yaa hai,usme MORANA bhi shuru se shamil hai...

uske baad GRIFFIN ne ek aisa SPELL uccharit karne ko diya jiske prabhav se mai yahan pahunch gayi aur RAAZ kahin aur....

aur yahan mujhe mile aap dono..

aap aur aapke round round baaton ne aaj ke pure confusing din ke confusion ko next level tak pahuncha diya hai...

MASTER-tabhi maine kaha shaant ho jaao...chalo,tum batao,pehle kya jaanana chahogi...????

apne aur RAAZ ke baare me yaa phir mere,is jagah ke aur tum yahan kyun ho,iske baare me...!!!


MAHI-apne aur RAAZ ke baare me...

FALLON-MASTER aapne kaha tha ki aaj mujhe bhi apne sawalon ke jawab milenge..!!!


itne der se chup khadi FALLON ke mooh se pehli baar sawal nikla tha jisse sun MASTER uski taraf mude aur....


MASTER-kaha toh maine ye bhi tha ki MAHI ke satya ke saath hi tumhara satya bhi apne aap hi ujagar ho jaayega...

mere piche aao dono...


jahan apni baat keh MASTER ek disha ki taraf badh gaye wahin ek baar ek dusre ko dekh FALLON aur MAHI bhi unke piche jo li...

us pathrili anthin jagah ko jisse alag alag aur bade bade compartment ki tarah bana tha,usse dekhte hue MAHI aage badh rahi thi...

is beech usse ek ajeeb si feeling bhi aa rahi thi....

us dhaki hui jagah me bhi MAHI ke sharir me khuli dhoop waali garmi lag rahi thi par saath hi usse aisa lag raha tha jaise koi invisible AURA wahan faila hua tha jo us garmi ko badhne se rok raha tha...

aisi ajeeb garmi aur usse control karne waale AURA ko MAHI ne kabhi feel nahi kiya tha...

khair,MASTER chalte hue ek bohot hi vishalkay compartment ki taraf badh rahe the..

MAHI aur uske saath FALLON bhi joki kabhi is jagah ke is part ki taraf nahi aayi thi,kaafi excitement ke saath dekh rahi thi us compartment ke andar se aa rahi tez roshni ko...

par jahan MAHI ko us roshni se kuch feel nahi ho raha tha,wahin iske ulat FALLON ki body us roshni ki taraf automatically kheenchi chali jaa rahi thi..

usse aisa lag raha tha jaise us aa rahi roshni aur uske shroth se uska koi connection hai..

apni apni soch ke beech jab FALLON aur MAHI MASTER ke piche us compartment me ghusse toh un dono ko us roshni ka shroth dikha...

ek bada sa LIGHT SHOWER joki us bade aur kareeb 500 feet unche compartment ke beecho beech khada har taraf roshni faila raha tha..

dekh kar us LIGHT SHOWER ko aisa lag raha tha maano woh koi water fall ho...

khair, mantramugdha se FALLON aur MAHI us LIGHT SHOWER ko dekh rahe the ki tabhi..


MASTER-jaante ho ye LIGHT SHOWER asal me kya hai...???ye ek ANGELS AURA hai....

aur woh bhi itna shaktishali ki agar is AURA ki light kisi nirjeev planet par padh jaaye toh wahan life formation start ho jaayega...


MASTER ki baat sun FALLON aur MAHI hairan jo gaye par asal hairani toh un dono ko ab honi thi..

apni baat ko aage badhate hue...


MASTER-jaante ho ye ANGEL'S AURA kiska hai...!!!! tumhara FALLON....


tez jhatka laga tha FALLON ko MASTER ki baat sunkar..usse samajh me nahi aaya ki woh kaise react kare...!!!

wahin ek baar muskurate hue FALLON aur MAHI ko dekha MASTER ne aur..


MASTER-ab tum dono ko koi sawal puchne ki zaroorat nahi hai..tumse aur RAAZ se juda woh sawal jo MAHI tumse connected hai,uska jawab issi AURA me hai...

jaao,aur khade ho jaao is LIGHT SHOWER ke neeche..sab pata chal jaayega....


MASTER ki baat samajh toh ab bhi nahi aa rahi thi FALLON aur MAHI ko,par ab jab unhone keh diya tha ki us LIGHT SHOWER me un dono ko unke sawalon ke jawab mil jaane the isiliye bina baat aage badhaye woh dono us LIGHT SHOWER ki taraf badh gaye....

aisa karte waqt jahan MAHI normal hi thi wahin FALLON ko us LIGHT SHOWER se magnet waali feeling aa rahi thi jo usse apni taraf kheench rahi thi..

khair,kuch hi seconda me woh dono us LIGHT SHOWER ke paas the..

uske theek saamne pahunch un dono ke ek baar ek dusre ko dekha aur aisa karte waqt unhe aisa laga jaise woh aayna dekh rahe hain..

ek dusre ko dekh un dono ne wapas saamne ka rookh kiya aur apne kadam us LIGHT SHOWER ki daayre ke andar daal diye..

agle hi second woh dono us LIGHT SHOWER ke andar the aur jab aisa hua toh...

FALLON aur MAHI ke beech us LIGHT SHOWER ki roshni se ek bridge sa ban gaya jisse woh dono ek dusre se jud gayi aur aisa hote hi un dono ki aankhen band ho gayi jiske baad unki band aankhon ke aage dikhne laga ek sa drishya jisme sabse banane laga do logon ka chitr.....


LORD OF ANGELS,VIKRAM aur AVANTIKA...

jaise hi ye do face unhe dikhayi diye,uske agle hi pal un dono ko waisa hi kuch drishya dikhne laga jaisa RAAZ ko UNEARTH THE IMMORTALS BOOK me MARIA urf ANJALI ki kokh me apne aap ko bante waqt dikh raha tha...

bas ek difference tha... jahan RAAZ
pura banane ke baad ANJALI ki kokh se extract kiya gaya tha,wahin MAHI ka sharir jab aadha hi bana tha,tabse hi usse womb se gayab kar diya gaya tha...

jahan is waqt MAHI apni uttpatti dekh rahi thi,wahin FALLON ko MAHI ke pure sharir ke upar aur andar ek alag hi energy feel ho rahi thi..

thik us LIGHT SHOWER jaisi energy jiske andar woh abhi thi..par kamal ki baat ye thi ki usse us energy me apna astitv bante dikh raha tha..

khair,VIKRAM kaun hain, AVANTIKA se uska kya rishta hai,ye sab dikhne laga tha MAHI ko jisse dekh uski band aankhon se bhi ashru behne lage the..

phir aaya woh samay jab uske aur FALLON ke kaano me GOD ki awaaz padi..(first update)

aur uske birth ko kaise roka gaya,aur ab kaise usse wapas earth me ek bacchi ke roop me loutna hai,ye sab GOD ke awaaz ke saath un dono ko pata chalta gaya..

jab GOD ye baat bata rahe the,tab MAHI ko unpar aur GOD par ghussa aa raha tha...

koi bhi plan kyun naa ho,par uske liye usse bali ka bakra bana diya gaya tha,ye feeling janm le rahi thi MAHI ke dil me par tabhi usne dekha apni MAA AVANTIKA ka chehra dekha jo bilkul ussiki tarah tha..

par is waqt us khubsoorat chehre par dard tha...aankhon me nami thi jo unke dil ka haal bayan kar rahi thi...

wahin AVANTIKA ke baaju me khade VIKRAM ki aankhen toh saaf thi par dard unme AVANTIKA se bhi gehra tha jisse bhaamp gayi MAHI aur aisa hote hi uske dil me panap rahi negetiveness ek second me gayab ho gayi..

ab usme apne jeeven daataon ko dekhne ki khushi bhar thi..

khair,MAHI aur FALLON dekh rahe the ki kaise MAHI ek urja ke roop me VIKRAM, AVANTIKA, ALESSANDRA aur ASMODEUS ke saamne prakat hui aur uske theek baaju me ussiki tarah ek dusri urja bhi prakat hui...


RAAZ.....

jaise hi RAAZ ki urja MAHI ki urja ke paas aayi toh MAHI ko RAAZ aur VIDEOUS,dono ki hi saari asliyat pata chal gayi...

saath hi ANJALI, RONIT aur unke human reincarnated form MARIA aur FLORIN ki bhi...

aur aisa hote hi kaise RAAZ un dono ka beta hai,ye ganit MAHI ke dimag me clear ho gaya...

thodi hi sahi,par RAAZ aur uski kahani milti julti thi,ye jaankar MAHI ko bura bhi laga aur RAAZ par pyar bhi aaya...

khair,FALLON aur MAHI ne dekha ki woh dono urja un chaaron ke saamne se gayab hote hue EARTH ki taraf badh gayi thi...

par EARTH ke atmosphere ne enter karte hi un dono urjaon ne apna raasta ek dusre se alag kar liya..

jahan RAAZ ki urja ROMANIA,CLUJ NAPOCA ke HOIA FOREST ki taraf badh gayi wahin MAHI ki URJA ALASKA ke TONGASS NATIONAL FOREST ki taraf rookh kar chuki thi...

par is waqt MAHI aur FALLON un dono ki urjaon ke safar ko dekh paa rahe the..

woh dekh rahe the ki RAAZ aur MAHI, dono ki urja apne apne jagah par pahunchkar rook gayi aur aisa hone ke kuch pal baad MAHI ki urja se ek ray nikli jo sidhe wahan pahunchi jahan RAAZ ki urja thi...

us jagah pahunchkar MAHI ki urja sidhe jaakar RAAZ ki urja se jud gayi aur aisa hone ke baad uski aur RAAZ ki urja neeche zamin par utarne lagi..

neeche aane ke baad jahan ek taraf RAAZ ki urja kuch der tak ufanti rahi jiski wajah se us urja ke kuch kan door chhitke jisse paida hua WOOGER wahin same haal par kuch modification ke saath MAHI ki urja ke saath bhi ghat raha tha...

MAHI ki urja se bhi kuch urja ki bunde alag hui jisse paida hui GRIFFIN par saath hi ek aur urja thi joki MAHI ki puri urja ka 90 pratishat thi,woh bhi MAHI se alag hui aur aisa hote hi MAHI human form me saamne thi..

khair,MAHI se alag hote hi woh urja kuch pal MAHI ke chaaron taraf ghumti rahi par phir ek jhatke me woh upar uthi aur ek disha ki taraf tezi se badh gayi..

ye disha thi ASTER ki....ye sab dekh MAHI toh normal thi par FALLON nahi...

reason....

woh urja jo MAHI se alag ho ASTER ki taraf badh rahi thi, FALLON ko us urja se khudki feeling aa rahi thi...

khair,woh urja thoda aur aage badhi aur phir achanak se gayab hote hue ASTER ke environment me thik ussi jagah par prakat hui jahan kuch der pehle MAHI prakat hui thi..

us waqt bhi MASTER waise hi khade dikhe jaise aaj khade the..

woh URJA theek unke saamne aakar rooki aur dheere dheere neeche us chattani satah ki taraf jaane lagi..

aur aisa hote waqt us urja se ek AURA nikla aur sidhe issi compartment me jahan MAHI, FALLON aur MASTER moujud hain,
aakar LIGHT SHOWER ka roop le liya aur jab aisa hua toh MASTER ke saamne waali urja ne bhi MAHI ki tarah thik ussike roop me human form le liya...

ye choti si bacchi thi FALLON joki asal me MAHI ka ANGEL FORM thi jisse usse isiliye alag kiya gaya tha taaki VIDEOUS yaa koi bhi MAHI ki asliyat naa jaan paaye...

aur jis LIGHT SHOWER ke neeche ye dono khade the,ye tha woh ANGEL AURA jo isiliye FALLON se alag hua tha kyunki ye AURA sirf ANGEL ka nahi balki PARMESHWAR PUTRA ki beti ka AURA tha joki purely DIVINE tha jo agar apne maalik yaa phir ye kahun ki maalkin (FALLON)ke paas rehta toh is AURA ka power pure universe me fail jaata jisse FALLON ki asliyat janana kisi bhi powerful sorcerer aur khaaskar VIDEOUS ke liye maamuli baat hoti...

MAHI aur FALLON ke saamne unki puri sacchayi aa chuki thi..

kuch aur chizen bhi thi jo MAHI ne dekhi thi aur FALLON joki uska ANGEL FORM thi,uske baare me jaana tha aur woh jaankar woh bohot hairan hui thi..

saara drishya aur sach jaan chuki thi MAHI aur FALLON aur isiliye un dono ki hi aankhen khul gayi aur woh dono us LIGHT SHOWER se bahar aakar MASTER ke saamne khadi ho gayi...

jahan saara sach jaanane ke baad jo hua,kya woh sahi tha,aage kya karna hai,aise hi bohot saare sawalon aur soch ne MAHI ke dimag me ghar kar liya tha wahin isse ulat FALLON ka dimag,uska chitt pura shaant ho chuka tha....

apni asliyat jaan yaa phir ye kahun ki is sach ko jaan ki uska toh apna koi wajud hi nahi tha,woh toh uske side me khadi ladki ka woh part thi jisse usse bachane ke liye usse ab tak alag rakha gaya tha,FALLON bhala kuch sochti bhi toh kya...!!!

ab usse samajh aa raha tha ki kyun uske manobhaav normal mortals se alag the aur kyun MASTER usse kisise bhi close hone yaa baat karne nahi dete the...

jis karm ka future nahi,uska present banakar bhi kyaa faayda...

par is neutral mindset ke baad bhi ek sawal tha jo FALLON ke dimag me ghum raha tha aur isiliye...


FALLON-saari baatein jaan li,par ek baat nahi....

aap kaun hain..is kahani me aapka kya role hai...???


FALLON ka ye sawal toh MAHI ke dimag me bhi tha isiliye uske ye sawal puchte hi uski aankhen bhi MASTER par atak gayi...

wahin FALLON ke sawal ko sun ek smile naach uthi MASTER ke honthon par jiske baad..


MASTER-mai is kahani me apne swarth se hun...

mai hi kya, WOH SHAKSH jinke paas abhi RAAZ hai,woh bhi is kahani me apne swarth se jude hue hain..

waise ek shaksh aur bhi hai jo apne swarth se is kahani me thi par ab uska swarth,uska maksad pura ho chuka hai..

FALLON-kaisa swarth,kaia maksad..???

MAHI-aur kiska maksad pura ho chuka hai..???

MASTER-jisne jaan di tumhare aur RAAZ ke liye...MORANA....


MASTER ki baat sun shocked ho gayi MAHI..apne baare me jaante waqt aur uske baad se hi MORANA uske dimag se nikal chuki thi par ab MASTER ki baat sun ye naam aur usne aaj jo kiya,woh sab wapas uske zehen me zinda ho chuka tha aur isiliye...


MAHI-mai samjhi nahi...

MASTER-ek drishyam jai..dekho usse..sab samajh jaaogi...


ye bol MASTER ne apna haath lehraya aur unke aisa karte hi unke saamne ek bada aa drishyam dikhne laga...

ye drishyam aur kuch nahi ussi CEBASTRAL WORLD ka tha jahan VIKRAM aur ASMODEUS gaye the aur scene bhi wahi tha jo HEAVENS GATE par VIDEOUS ne dekha tha..

MAHI aur FALLON ne us pure scene ko dekha...

pure drishyam ke dauran MAHI aur FALLON ki nazar toh apne PITAH VIKRAM se hat hi nahi paa rahi thi..

apne PITAH ka aisa urjavan vyaktiv dekh mantramugdha ho gayi thi woh dono...

aur woh scene jab apne bhai ko taklif me dekh VIKRAM CEBASTRAL WORLD ki aatmaon par bhadka tha,
usse dekh MAHI ko apne pitah par behadh pyar bhi aaya aur garv bhi mehsoos hua...

khair,us scene me jab VIKRAM ne un aatmaon ko ye kaha ki unhe woh mukti dilayega,aur jisse sun woh sab behadh khush ho gaye the uske baad...



FLASHBACK SCENE:-


VIKRAM-ZEAL me baaki sab aatmayen human form me reincarnate hongi aur marengi ziway tum teeno ke...

woh teen jo portal band karne ke liye gaye the,unse kahi thi ye baat jisse sun woh teeno dar bhi gaye aur udaas bhi ho gaye par tabhi..


VIKRAM-fikr mat karo... tum teeno zaroor moksh ki prapti karoge par abhi nahi...

tumhare gunah bohot bade hain isiliye unke praayaschit ka maarg bhi alag hoga..

tum teeno ki baari baad me aayegi...

tab tak,intazar karo....


FLASHBACK ENDS:-


is scene ke baad drishyam gayab ho gaya aur aisa hone ke baad...


MASTER-tab LORDS ka plan sirf RAAZ ke liye tha..par jab uski utpatti ke waqt GOD ke through unhe tumhare baare me pata chala toh unhone plan ko thoda twist kiya...

ASTER asal me tumhare liye nahi balki jaise aaj tum yahan pahunchi,aisi hi condition ke according RAAZ ke liye banayi gayi thi jahan mere saath WOH bhi hone waala tha,jiske paas abhi RAAZ hai...

par plan ko change karte hue tumhare aur most importantly, tumhare is ANGEL FORM FALLON ke liye is jagah ko aur mujhe yahan rakha gaya aur RAAZ ke liye ek dusri jagah aur mere saathi ko niyukt kiya gaya..



(NOTE-aapko yaad hoga guyzz ki update 1 me jab GOD ne VIKRAM, AVANTIKA, ALESANDRA aur ASMODEUS ke saamne MAHI ki baat open ki toh RAAZ kuch sochne me busy ho gaya tha.. woh yahi sab modification kar raha tha jo abhi ho raha hai)


apne PITAH ke dimag ko jaan aur unki planning ke baare sun dimag hil gaya tha MAHI ka..

aur uske saath khadi FALLON ko MASTER ki kahi woh baat jisme unhone LORD OF ANGELS ke dimag ki taarif me kahi thi,woh yaad aa gaya tha..

par in sabme MASTER aur unke saathiyon ki identity toh ab bhi RAAZ hi thi aur isiliye...


MAHI/FALLON-par abhi tak aapne ye nahi bataya ki aap,jo guzri, MORANA aur jo RAAZ ke saath hain,woh hain kaun..!!!


ek saath kahi MAHI aur uske ANGEL FORM ne ye baat jiske baad un dono ki nazar pehle ek dusre par aur uske baad MASTER par tik gayi...

wahin un dono ki common sawal par pehle hase MASTER aur phir...


MASTER-


jo sangeet ki dwani nikaal de,VIKRAM ki talwar me woh LAY HAI....

hum jaise paapiyon ko bhi moksh milega,agar LORD ne ye chaha hai,toh ye hona TAY HAI....

MORANA, MASTER,BABA,ye naam,ohde bas chhalaave hain....

jo guzri,woh NISHKAALIKA,mai MADDOX aur jo RAAZ ke saath hai,woh DIGVIJAY HAI....

















AAJ KE LIYE ITNA HI......

















AAPKA APNA V....J....
Awesome update bro maza aa gaya
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

Rajesh

Well-Known Member
3,308
7,871
158
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF RAAZ GALON PAHUNCH CHUKA HAIN WAHIN DUSRI TARAF MAHI BHI ASTER PAHUNCH CHUKI HAI JAHAN MASTER URF MADDOX USSE AUR FALLON KO UNKE SAARE RAAZ BATATE HAIN.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(THE DEVIL'S HAVEN, THE SACRIFICE & THE PERFECT EPILOGUE)



MEGA UPDATE-124



PLANET-GALEN


PLACE-ERRAPEL'S COTTEGE







YAKIN NAHI HOTA KI DIGVIJAY SE HORUS TAK KA SAFAR JIS GHADI KE INTAZAR ME TAY KIYA THA,WOH AAKHIR AA HI GAYI....


behosh pade RAAZ ko dekhte hue kahi thi ye baat DIGVIJAY urf HORUS ne jispar RAAZ ke sirane par uska haath pakde baithi ERRAPEL muskura uthi aur....


ERRAPEL-finally..DIGVIJAY.....toh ye naam tha aapka apne past life me...


ERRAPEL ke is baat par HORUS muskura uthe aur....


HORUS-tumhe kaha toh tha ki jis din mere moksh ka dwar mere saamne hoga,us din apne past life ka naam tumhe bata dunga,toh bata diya...


MOKSH....ek aisa shabd jo har tarah se positive hota hai par abhi HORUS ne jab is shabd ka istamal kiya toh ERRAPEL ka chehra jisme muskaan thi,woh udaasi me badal gayi jisse dekh...


HORUS-ERRAPEL meri bacchi....jo hone waala hai,uske baare toh tumhe shuru se pata hai,phir ye udaasi kyun...!!!

tumhe toh khush hona chahiye ki tumhare BABA ka itna lamba intezar ab aakhirkaar khatm hone hi waala hai....

ek reh chuke DEVIL ke liye wapas manushya yoni me janm lena aur apna kartavya pura karte hue is yoni ko chhod MOKSH ko prapt karna,swarg ko prapt karna,ye woh asambhav aashirwad hai jo mujhe mila hai...

aaj meri dono jeeye hue zindagi ka sabse khaas din hai isiliye apne baba ki is khushi me khush raho...

aur waise bhi,ye mat bhulo ki meri hi tarah tumhari niyati bhi ek alag hi syahi se likhi gayi hai jisse mitkar bhi amar ho jaana hai...

jo shaksh tumhare saamne behosh pada hua hai,jiska haath tumne isiliye thaama hai taaki jab tak iska upchaar naa ho jaaye, iski saansein
chalti rahe,tum iska woh BHAAG ho jiske bina iski shakti puri nahi ho sakti...


HORUS ki baat sun ERAPPEL ke face par ek feeki si muskaan aa gayi aur..


ERRAPEL-BHAAVNA....ANGELS EMOTION....yahi SHAKTI hun naa mai iski...

woh shakti jo iske AMPLIFICATION aur REFINER powers ko ek karke isse super powerful banayegi...

woh shakti jo isse iske MOM ANJALI ke SERAPHIM ANGELS ke roop se mila hai aur ussise mujhe apna ya roop joki iske behen ka hai,pradan hua hai...


(NOTE:-aapko yaad hoga guyzz ki update 106 me jab DHANUR aur RAAZ aakhri baar aamne saamne the,tab RAAZ ne ye kaha tha ki usse apne emotions power ka aakhri 10 percent feel hi nahi ho raha...usse aisa lag raha hai jaise woh 10 percent emotions uske andar hai hi nahi...woh sach keh raha tha...woh 10 percent emotions joki uske baaki ke 90 percent emotions power se kayi guna zyada shaktishaali thi,wahi power hai ERRAPEL joki RAAZ ko uski mom ANJALI ne apni shakti se diya hai...ek aisi shakti jo agar puri tarah trigger ho gayi toh VIDEOUS ke har chakravyuh ko todne ka maada rakhti hai)


ERRAPEL-par pata hai sabse ajeeb baat kya hai..?? logon me EMOTIONS hote hain..mai toh khud hi ek emotion hun... har kisike taklif mujhe apni si lagti hai..

par aaj,abhi jab ye shaksh jisse mera wajood hai,mere saamne yun khoon se latpath behosh pada hai,toh mujhe isse,iske is haal par bura lagna toh door ki baat hai,koi humdardi tak nahi ho rahi..


HORUS-woh isiliye kyunki tum ek ANGELS EMOTIONS HO aur filhal jo shaksh tumhare saamne hai,woh out and out DEVIL hai..

abhi,is waqt, behoshi ke haalat me bhi iske EMOTIONS devilish hain...

isiliye abhi isse ek pure negetive AURA generate ho raha hai jo tumhare contrast hai...

yahi wajah thi ki GALEN ke upar lagi shield joki tumhari hi shakti se bani hai,usne pehle isse jhatke diye the aur andar enter karne se restrict kar diya tha..

sirf iske khoon ki wajah se joki pure hai,ye yahan enter kar paaya hai....

filhal tum dono ke beech itne odds hain toh aise me tumhe isse napasand karna normal baat hai...


apni baat keh ek pal ke liye rooke HORUS aur aage badhte hue thik RAAZ ke saamne pahunch khade hue aur...


HORUS-RAAZ......ab tak bohot se hurdles cross kiye hain tumne par tumhara sabse bada hurdle tum khud ho jisse paar kiye bina naa ye kahani apne anjaam tak pahunch sakti hai aur naa tumhari niyati...

DEVIL aur ANGEL ka koi mel nahi par tum is bramhaand ke ekloute aise shaksh ho jisse in do contrasting poles ko naa sirf kareeb lana hai,balki inhe ek karna hai...

ek saath ek hi pal me tumhe DEVIL bhi banana hai aur ANGEL bhi...

tab jaakar ERRAPEL naam ka emotion trigger hoga aur tumhe accept karega...

aur aisa hone ke baad hi tumhe tumhari SWORD wapas mil sakti hai....

aisa pehli baar hoga jab ek shaksh KABHI ANGEL hoga toh kabhi DEVIL.....


aankhen band kar apne safar ko aur pichli zindagi me jab woh DIGVIJAY the,apni galtiyon ko yaad kar ye aakhri baat kahi HORUS ne jiske baad unhone apni aankhen kholi aur main door ke bahar nazar ghumayi jahan is waqt andhera chhaane laga tha aur ye dekh...


HORUS-raat hone waali hai ERRAPEL..COGNIZENT LEAF jisse ye thik honge,usse laane ka samay ho gaya hai putri,mujhe jaana hoga...


HORUS ki baat sun aakhein dabdaba gayi ERRAPEL ki...

reason...

COGNIZANT LEAF....ek pure aur DIVINE LEAF hai ye par saath hi CURSED bhi..

kaise,ye toh HORUS ne nahi bataya tha ERRAPEL ko par itna zaroor bataya tha ki COGNIZANT LEAFS ko todne waale ko ek deadly curse lag jaata hai jiske asar se uska marna tay ho jaata hai..

but RAAZ ko sirf issi LEAF se hosh me laaya jaa sakta hai aur isiliye isse laana anivaarya hai..

but aisa karne ka matlab tha ki woh kurbaani jo HORUS urf DIGVIJAY ko deni thi,woh tay thi aur isiliye hi ERRAPEL ki aankhein dabdaba gayi thi..

RAAZ ka haath woh chhod nahi sakti thi isiliye apni jagah baithe hue hi nami bhari aankhon se apne baba ko woh dekhne lagi jispar HORUS khud aage badhe aur ERRAPEL ke sir ko apne seene se laga liya....

unke aisa karte hi ERRAPEL ke aansu badh gaye jisse mehsoos kar...


HORUS-tujhe meri zindagi me laa LORDS ne mujhe marne se pehle hi MOKSH de diya beti...

par ab mera kartavya mujhe bula raha hai.. apne aansuon se mujhe kamzor mat kar....

mera toh ye janm hi marne ke liye hua tha...jab niyati hi mout ho toh phir usk waqt aane par afsos kaisa...???

RAAZ ka haath mat chhodna....mai jaldi lotunga...


apni baat bol HORUS ERRAPEL se alag hue aur turant palaththe hue bina ek baar bhi wapas peeche dekhe cottage se bahar nikal gaye...

wahin unke jaane ke baad ERRAPEL bohot der tak cottage ke main door ko hi dekhti rahi par phir uski nazar wapas RAAZ ki taraf palti aur...


ERRAPEL-bohot logon ki jaan gayi hai RAAZ sirf isiliye taaki tum apni kahani puri kar sako...

i hope ki it's all worthied... U ARE WORTHIED....!!!!!






PLACE-ASTER





ITNA SAB BATA DIYA AAPNE MASTER...HAR JAGAH,HAR WAQT,HAR PLANNING KE BAARE ME BATA DIYA...

PAR JAHAN HUM HAIN,WAHAN BASE LOGON KE BAARE ME KUCH NAHI BATAYA....???


FALLON ne kahi thi ye baat jiske baad MASTER urf MADDOX kuch kehte ki usse pehle MAHI,jo jab se yahan aayi thi, tabhi se is jagah ko aur yahan ke environment ko lekar curious thi,uski jigyasa ne bhi sawal ka roop le liya aur..


MAHI-waise ye jagah hai kya...???i mean mai ek portal se ek underground tunnel ke through yahan pahunchi hun..

jis SHIELD ko cross kar mai yahan aayi hun,woh SHIELD aasman ke beech tha par woh aasman mujhe fake lag raha tha...

aur us SHIELD ke dusri taraf ye jagah hai jo kisi endless CAVE ki tarah hai, jiske exit ki taraf bas ek super glittering ujala dikh raha hai aur yahan is gufa ke andar bina kisi light ke bhi ek ajeeb sa ujala faila hua hai..

i mean i know ki magic se ye sab possible hai par pata nahi kyun ye ujala mujhe magic hokar bhi natural sa lag raha hai...

aur sabse hatke hai yahan ka atmosphere...ek ajeeb si garmi jisse kisi nakli thandak se suppress kiya gaya hai,aisa feel kar rahi hun mai..

in short,ye jagah kisi puzzle ki tarah hai...


MAHI ke sawal ko sun MASTER ke saath FALLON ne bhi smile kiya jiske baad..


MASTER-jab rachna LORD OF ANGELS matlab tunhare PITAH ki ho,toh chizen apne aap puzzle ban jaati hain....

bits and pieces me jo kayi saare sawal tumne kiye hain,un sabke liye sirf ek jawab kaafi hai...

aur jawab hai ASTER..is jagah ka naam,iski pehchaan..

jaanti ho ASTER kya hai..???

MAHI-a rocky planet..???


pathar se bane zamin,infact har jagah par faile chattan numa pattharon ko dekh kahi ye baat MAHI ne jispar pehle toh MADDOX muskuraye par uske baad....


MASTER-ASTER is not a planet.. it's a STAR....


MASTER ki baat sun shocked ho gayi MAHI aur...


MAHI-what...???STAR..!!!like a SUN.....

MASTER-haan....

MAHI-but how's that possible..i mean,thik hai ki ye pathrili jagah ek star ke andar hai...

par ek star ke molecular cloud me run kar rahe gas particles aur unki heat,ye is jagah ko magically thanda kar bhi den toh ye bas temporary hi hoga...

permanent stability possible nahi hai...

MADDOX-hahaha...tum humans bhi naa..

metaphysical worlds me padhne aur jeene ke baad bhi science aur uske logics ke base se hi sab decide kar lete ho..

fine then..tumhare science ke hisaab se hi jawab deta hun...

NEBULA,PROTOSTAR,MAIN SEQUENCE STAR,RED GIANT...

yahi chaar phases aur life stages hote hain naa star ke..!!!


MADDOX ki baat sun halki shock hui MAHI par phir haan me sir hilaya usne jispar....


MASTER-hum jis star me hain,woh filhal RED GIANT stage ko paar kar chuka hai..

infact jab ASTER bana tha,tabhi woh us stage ko paar kar chuka tha..

RED GIANT stage ke baad ek star ke khatm hone ka procedure shuru hota hai jisme sabse pehle aata hai
THE FUSION OF HEAVIER ELEMENTS....

(NOTE:-ye star ki life stages waali baat scientificly sach hai guyzz..socha pura imaginary rakhne se acha thoda reality ka bhi touch de dun...)


MASTER-ye jo fusion waala part hai naa,tumhare PITAH ne issime modification karke is jagah ko banaya hai..

jo garmi ke beech fake thand tum feel kar rahi ho,ye neeche pathar jo cold hain,ye bhi ussi modification ka natija hain...

star jab puri tarah khatm hokar ICY stage par pahunchta hain,toh uske minus temperature ko RED GIANT stage ke baad ki garmi se mila diya hai tumhare father ne jiski wajah se har second is star ki aur us artificial thand ke beech ladhayi hoti hai,jiska natija hai woh garmi se mili hui thand jo tum mehsoos kar rahi ho....

aur rahi baat us underground tunnel jaise portal ki jisse hokar tum yahan pahunchi hi,usse bhi tumhare PITAH ne CHOSENS se yahan pahunchne ke liye banaya tha..

woh bhi sirf one shot..dobara aisa nahi kiya jaa sakta...


MADDOX ki baat sun MAHI apne dad ke dimag ki kaayal ho chuki thi..

kitni baarikh se baarikh chiz ka calculation bhi kaafi accurately time kiya tha VIKRAM ne,ye jaan impress hona toh banta hi tha...

khair, jahan MAHI apni sochon me goom thi,wahin FALLON jiske sawal ka jawab abhi baaki tha,usne wapas MASTER se sawal kiya....


FALLON-aapne mere sawal ka jawab nahi diya MASTER...???

woh log jo yahan neeche ki taraf rehte hain,kaun hai woh sab....???

kya mai unhe ek baar dekh sakti hun....???


jahan ye sun aur jaan ki yahan aur bhi log hain,MAHI bhi in naye logon se milne aur unke baare me jaanane le kiye excited ho gayi thi wahin FALLON ke sawal ko sun MASTER muskuraye aur...


MASTER-zaroor FALLON...ab jab MAHI yahan hai toh tum un sabse bilkul mil sakti ho..


yahan MASTER ne apni baat khatm ki hi thi ki tabhi unke piche se ek ke baad ek kayi hazaar ki taadad me bheed dikhne lagi jisse dekh FALLON aur MAHI,dono ki hi hairani ka thikana nahi raha...

reason.....

jo bheed woh dono dekh rahi thi,ye wahi the jo ASTER ke nechle bhaag me rehte aaye the,jinhe barson se kaafi door se hi sahi,par FALLON regularly dekhti aayi thi par aaj jab woh saare FALLON ke saamne the,toh unhe dekh usse aur uske saath khadi MAHI ko laga jhatka joki normal bhi tha aur woh isiliye kyunki unke saamne khadi hazaaron yaa phir shayad laakhon ki bheed humans ki nahi thi,SPIRITS ki thi....





PLANET-ELYSIAN


PLACE-STELLARS GARDEN





(AFTER VIDEOUS & HIS PEOPLE LEFT)




AHHHHH......AHHHHHH.....AHHHHHH...AHHHHH.....

ek tez karah ke saath ACCHUTA, SLUNDER, BRAWNY aur HIDA neeche zamin se uthe aur khade ho gaye...

pehle toh waar karte waqt return me woh anjaan ray ka un sabpar padna jisse woh sab asahaniya dard ko jhelte hue behosh ho gaye aur phir baad me VIDEOUS dwara un sabki GOD GIFT capabilities ko baandh dena,in dono hi attacks ki wajah se un chaaron ka sir ghum raha tha..

saath hi woh sab khudko andar se powerless bhi feel kar rahe the...

WEAKLINGS se shuru hua un chaaron ka safar aaj wapas ussi condition me lout aaya tha jisse mehsoos kar kaafi udaas the woh chaaron..

par sabse zyada taklif ho rahi thi unhe MAHI aur RAAZ ke khatm hone ki baat ko jaankar..

RAAZ.....jisne ACCHUTA aur SLUNDER ke parents ko maar diya,jiski wajah se woh dono usse aaj yahan maarne hi aaye the,aur ab jab aisa ho chuka tha toh unhe bilkul bhi khushi nahi ho rahi thi...

kyunki kuch bhi ho,woh dono RAAZ ke un ehsaano ko nahi bhula paa rahe the the jo usne un dono par kiya tha..

bhale hi RAAZ apne matlab ke liye un dono ke saath tha,par ACCHUTA aur SLUNDER ne toh usse apne dil se apna dost aur brother from another mother maana tha,jo ab VIDEOUS ke according unke beech nahi raha tha...

same cheez BRAWNY aur HIDA ke liye bhi applicable thi...

aaj un dono ne RAAZ ka jo bhi negetive roop dekha tha,usse dekhne ke baad bhi woh dono is baat ko nahi jhhutla sakte the ki CHOSENS me un dono ki jo respectable position bani thi,uska reason bhi RAAZ hi tha..

BRAWNY ko toh suicide karne jaisi neechli manosthithi se ubhaarte hue RAAZ ne usse CHOSENS ka one the best SAVENT banaya tha..

aur HIDA,uski toh zindagi hi mout se badtar thi,jisse RAAZ ne naa sirf theek kiya balki usse itna layak bana diya ki jahan pehle har koi usse bully karta tha wahin ab koi bhi usse panga lene se pehle 100 times sochne par majboor jo jaaye..

MAHI.... BRAWNY, ACCHUTA aur SLUNDER ki one the best friends..

aur HIDA ki one of the favourite SAVENT joki VIDEOUS ke according ab RAAZ ke saath hi khatm ho chuki thi...

is baat ne in chaaron ko andar hi andar aur tod diya tha...

RAAZ aur MAHI,in dono ke hi baare me ye chaaron soch hi rahe the ki tabhi....

ACCHUTA,SLUNDER aur BRAWNY ki jebon me halki kampan mehsoos
hui jisse feel naa sirf woh teeno apni sochon se bahar aaye balki jab un teeno ne apni apni jeb me haath daal us kampan paida karne waali chiz ko bahar nikala toh hairan ho gaye...

reason...

woh kampan paida karne waali cheez aur kuch nahi balki wahi DECENTER thi jo unhe EXERTION me apne behatarin performance ke liye SOVEREIGN'S se as a gift mili thi....(UPDATE 104)

par un teeno ke asal hairani ka sabab ye tha ki unhe mile DECENTER ka knob jisse woh teen chaah kar bhi khol nahi paaye the,is waqt dheela hokar 90 percent khula hua tha...

ye dekh unhe SOVES ki kahi woh baat yaad gayi jisme unhe bataya gaya tha ki is DECENTER ka knob tabhi khulega jab aisa karne ka sahi waqt aayega...

aur ab jab knob apne aap hi khulne ki kagaar par tha, toh iska matlab tha ki woh waqt aa chuka hai...

us baat ko yaad kar ek dusre ko hairani se dekhte hue un teeno ne us knob ko jo bas khulne ke kagar par hi atka hua tha,open karne ka faisla kiya aur apna apna haath uski taraf badhate hue usse khol diya aur jab aisa hua toh....

SMMMMMM.....

us DECANTER ke andar ki perfume ek jhatke me wahan se nikal un teeno ke naak me sama gayi...

aur un teeno ke saath BRAWNY ke side me khadi ye sab dekhti HIDA ke naak me bhi woh khushbu sama gayi jiske baad un chaaro ko apne andar kuch ikattha hota hua sa mehsoos hua..

ye feeling kuch der tak hui,uske baad khatm ho gayi..

par us khushboo ke andar samaate hi jo weakness apne power ke seal hone par woh chaaron feel kar rahe the,woh kaafi hadh tak kam ho gayi thi...

khair,jahan ye sab hote waqt HIDA ka pura dhyan apne andar us khusboo ke store hone par tha wahin dusri taraf BRAWNY, ACCHUTA aur SLUNDER ki nazar apne haathon me pakde DECENTER par hi thi jahan is waqt uske andar rakha kaagaz uske nob ki nok par aakar atak chuka tha...

ACCHUTA aur SLUNDER ke DECENTER me rakha kagaz red colour ka tha jabki BRAWNY waala kagaz normal white...

khair,ek dusre ko dekh un teeno ne hi apne apne DECENTER me fasa kaagaz nikal liya aur uske layers open kiye aur jab aisa hua toh..


PUFF ME....

LIGHT ME.....

BRAWNY waale paper me PUFF ME likha hua tha aur ACCHUTA, SLUNDER waale paper me LIGHT ME...

PHOOOO....

jaisa paper me likha tha, BRAWNY ne waisa hi kiya..usne apne paper par phoonk maari aur jab usne aisa kiya toh...

woh paper ek dhuen me badal BRAWNY aur HIDA ke theek saamne hawa me jhoolne laga..

hawa me jhoolte hue us dhuen ne rectangular shape le liya aur aisa hote hi woh dhuan badal gaya ek DRISHYAM me jiske andar chalne lage ek saath do scenes jisse dekh aankhen badi ho gayi un chaaron ki...

reason...

is waqt un chaaron ke saamne is dhuen ke andar chal rahe DRISHYAM me wahi scenes chal raha tha jinki wajah se HIDA aur BRAWNY RAAZ par bhadke the aur usse maarne ka faisla kiya tha..

ek scene me RAAZ ne jo REGIS ko torture kiya tha,woh scene chal raha tha aur dusre scene me RAAZ ne jo NAOMI ke saath badsuluki ki thi,woh scene chal raha tha..

par un chaaron ki aankhein badi hone ka reason ye tha ki RAAZ ki jagah par un dono scene me dusre log the jo ye sab kar rahe the..

jo bande us scene me RAAZ ki jagah dikh rahe the,unhe kuch der pehle un chaaron ne hi VIDEOUS ke paas khade dekha tha...

aur ye yaad karte hi HIDA aur BRAWNY ka dimag pura clear ho gaya..woh jaan gaye ki unke saath game khela gaya ha jisme RAAZ ko unka apradhi dikhakar pesh kiya gaya...

aur is sach se rubaroo hote hi HIDA aur BRAWNY dono hi apne apne ghutno par aa gaye...

aansu ki ek moti parat un dono ke hi aankhon se girne lagi..

wahin is scene ko dekh aur sacchayi ko samajh ab ACCHUTA aur SLUNDER ka bhi dimag kharab ho gaya tha..

ek anjaane dar ne unke dil me ghar kar liya tha aur us dar ko door karne ka ek hi tarika tha..


LIGHT ME...

woh karna jo us paper me likha gaya tha...

ab bhale hi un chaaron ki extra ordinary capabilities bandh gayi thi,par ek SAVENT ke liye normal fire magic karna toh koi badi baat thi nahi isiliye...

JWALA PRAKATAM

FIRE APPEAR

ACCHUTA aur SLUNDER,dono ne hi apne apne kaagaz ko rub karte hue kahi ye baat jiske agle hi pal un dono papers me aag lag gayi..

par ACCHUTA aur SLUNDER ko ye dekhkar hairani hui ki jahan HIDA aur BRAWNY ke paper ne dhuen me badalne ke baad rectangular shape lena shuru kar diya tha,wahin un dono ke papers me aisa nahi hua..

aag lagne par jalkar unke papers bhi dhuan ban gaye par woh dhuan gayab ho gaya..

wahin jo paper jalne ke baad kaala bankar neeche zamin par gir gaya,woh girte hi transparent hokar roop lene laga..

dekhte hi dekhte us transparency me ek naya roop banane laga jo jab pura hua toh ACCHUTA aur SLUNDER dono ki hi haalat kharab ho gayi...

un dono ke aankhon ke aansu bhi tez nikalne lage...

reason..

is waqt un dono ke saamne unke MOM DAD ke spirits khade the jinhe dekh woh dono tezi se aage badhe aur unhe gale lagane ki koshish ki par woh aisa kar nahi paaye...

ab bhala spirit ko bhi koi chhu sakta hai kya..!!!

khair,jahan apne mom dad ko saamne dekh aur unhe naa chhu paane ki wajah se woh dono hadh se zyada nirash dikhne lage the wahin apne bacchon ko dekh unke mom dad ke spirits bohot khush dikh rahe the..

HIDA aur BRAWNY bhi un chaar spirits ko dekh apni taklif kuch pal ke liye bhul aankhen faade unhe dekh rahe the..

kuch pal tak apne bacchon ko dekhne ke baad...


ACCHUTAS DAD-handsome ho gaye hamare bacche...


ACCHUTA ke dad ki spirit ki baat sun ek feeki si smile di ACCHUTA ne jispar..


ACCHUTAS MOTHER-udaas mat ho mere bacche..kyunki isse sach nahi badlega...

waise bhi,hum jahan bhi hain,khush hain...ye after life human life se kayi guna sukoon deh hai..

SLUNDER-mom dad, uncle aunty,kya RAAZ ne hi aap chaaron ko maara hai..???

SLUNDERS MOTHER-haan...


SLUNDER ke mom ki spirit ki baat sun un dono ke face ka aur dil ka dard aur badh gaya jisse dekh aur mehsoos kar..


SLUNDERS FATHER-janana nahi chaahoge ki usne aisa kyun kiya..???

SLUNDER-kya isse kuch fark padega pitaji...???

SLUNDERS FATHER-tumhe kabhi fark naa pade, isiliye hi toh RAAZ ne hume maara....


jis taklif se RAAZ abhi guzar raha hai,tum dono ko us taklif se bachaya hai usne....

SLUNDER ke father ke spirit ki baat sun un dono ki dabadayi hui aankhon me sawal dikhne laga jispar...


SLUNDERS MOM-woh vegitative state toh yaad hai naa tum dono ki jisme hum sab behosh pade the aur RAAZ ne hume usse bahar nikala tha...

ACCHUTA/SLUNDER-haan,par sirf apne faayde ke liye...

SLUNDERS MOM-ek baat batao..kya jis waqt RAAZ ne hum sabko us state se nikala tha,tab kya woh tum logon ka dost tha...???

ACCHUTA-nahi..

SLUNDERS MOM-toh phir sirf humare liye ek anjaan insaan hume bhala kyun thik karta..

aisa toh koi bhi tabhi karega naa jab isme uska bhi koi faayda ho...toh phir RAAZ ne bhi waisa sochkar kuch galat toh nahi kiya...


SLUNDER ke mom ki spirit ki baat sun kuch kehte nahi bana un dono se..

wahin apni baat ko continue karte hue..


SLUNDERS MOM-usne aisa kiya toh beshak isme uska faayda tha par nuksaan toh humara bhi nahi tha...

haan par ek nuksaan tha jo pehle hi hume ho chuka tha aur uska reason tum dono the...


SLUNDERS MOM ke spirit ki is baat ko sun jhatka laga un dono ko aur..


SLUNDER-nuksaan hua tha woh bhi pehle se..!!aur us nuksaan ka reason hum dono the...!!!!hum kuch samjhe nahi....

ACCHUTAS FATHER-tum dono ko jo GOD GIFTS mile hain,tumhare parents hone ki wajah se us gift ke kuch kan humari life source ke saath jud gaye the...

par kyunki hum normal human beings the, isiliye humari bodies un GOD GIFTS ke particles ko accept karne ke laayak nahi thi..

jis waqt RAAZ ne SPELL bolkar hum sabko theek kiya,tab usse pata thi..

woh ye bhi jaanta tha ki jis din tum dono ke GOD GIFT powers puri tarah se trigger ho jaayenge aur tum unko use me laana seekh jaaoge,toh un GOD GIFTS shaktiyon ke kan jo hum chaaron me hain,woh humse nikalkar tum dono me sama jaayenge..

par aisa hote waqt woh kan joki humare life source se jude hue the,woh us source ko khatm kar dete..

matlab hum mar jaate..aur is cheez ko roka bhi nahi jaa sakta tha..saath hi saath usne humare planets ko bhi isiliye hi khaali karaya tha kyunki un planets me bhi tum dono ki shakti ke kan the aur tumhare power trigger karne ke baad unka life source bhi khatm ho jaata aur aisa hote hi hamare bekasoor log bhi mar jaate..

RAAZ ye saari baatein jaanta tha..

usse ye bhi pata tha ki agar hum un particles ke nikalne par marte, toh tumme samane ke baad woh particles humari mout ka sach tum dono ke saamne disclose kar dete..

ab tum dono batao,kya tum dono ye seh paate ki anjaane me hi sahi,par tum dono ki wajah se hum, tumhare parents mare hain...!!!

SLUNDER-ye kya keh rahe hain aap...??ye kaise sach ho sakta hai..??i mean agar GOD GIFT POWER ka aisa koi side effect hota toh BRAWNY par bhi ye laagu hota..!!!

par aisa toh kuch nahi hua..iske apne power haasil aur trigger karne ke baad bhi uncle aur aunty pure theek hain...

SLUNDERS FATHER-woh isiliye kyunki uska planet jis star system ka hissa hai,wahan se koi aur SAVENT paida nahi hua hai..

par tum dono ek hi star system se ho..kabhi socha hai tum dono ne ki tum dono ko hi itne contrasting GOD GIFTS kaise mile..???

ACCHUTA, tumhare paas maarak shakti ka ARROW hai aur SLUNDER tumhare paas iske ulat bramhaand ka sabse strong shield hai..

tum dono ke GIFTS ek dusre saath milkar aur khatarnaak hote hain...

par saath hi saath itne strong attack aur defense powers ke ek star system me hone ki wajah se us star system ka balance bhi hinder karte hain..

aur wahi hamare saath ho raha tha..us disbalance ko temporarily thik rakhne ke chalte tum dono ke power particles humare andar transfer hue aur isiliye taaki hamara star system aage bhi thik rahe, isiliye humara marna tay tha...

aisa hone par hi woh particles hume chhodkar tum dono me samaate aur sab normal reh paata...


pehle ACCHUTA ke father aur phir SLUNDER ke father ke spirit ki baat sun toh kaan se dhuan nikalne laga tha uska aur SLUNDER ka..

kaise react karen,ye samajh hi nahi aa raha tha un dono ko...

wahin ACCHUTA ke father ki spirit ki baat ko aage badhate hue...


ACCHUTAS MOTHER-aur isiliye taaki apne hi mom dad ko maarne ki taklif tum dono ko na sehni pade,usne hum chaaron ki iaan le li...

aur un kano se unki yaadon ko mitakar tum dono ko sounp diya..

par dekho toh kismat ka khel, dusro ko jis dard se bachaya usne,aaj khud us d
ard ko jhelna pada usse...

ACCHUTAS MOTHER ke spirit ki ye baat sun naa sirf ACCHUTA aur SLUNDER apne dukh se bahar aaye,balki unke saath khade is hairat angez kahani ko sunane waale BRAWNY aur HIDA ke dimag me bhi ek sawal click kiya aur...


HIDA-kis dard ki baat kar rahi hain aap...??kuch der pehle uncle (SLUNDERS FATHER) ne bhi kaha tha ki jis taklif se RAAZ guzar raha hai,us taklif se in dono ko bachaya hai usne...

what does that mean...???


HIDA ke sawal par un chaaron ne kuch kaha nahi balki apna apna haath aage badha diya jiske baad un chaaron ke haath se rays nikal ACCHUTA, SLUNDER, HIDA aur BRAWNY par padi aur aisa hote hi in chaaron ki aankhen band ho gayi..

band aankhon ke beech in chaaron ko RAAZ, MAHI aur is kahani ke sabhi important facts dikhne lage jisse dekh chaaron ki band aankhon ne vismay bhi naachne laga aur aaj jo RAAZ ke saath hua,usse jo kurbaani deni padi,usse jaan bohot dukh bhi hua..

ab kahin jaakar woh chaaron samjhe ki aaj jab woh RAAZ ko maarne aaye toh uski haalat itni kharab kyun lag rahi thi..

un chaaron ko khud par sharm aane lagi ki apne friend ki itni kharab situation me uska saath dene ke bajaye woh uski jaan lene ke iraade se aaye the..

saari sacchayi jaan aankh khul gayi un chaaron ki par gardan sharm se jhuk gayi jisse dekh..


SLUNDERS MOM-jo hua,woh hona tay tha baccho, isiliye embarrass aur dukhi feel karne ki koi zaroorat nahi hai...

SLUNDER-kaise dukhi nahi honge mom....jisne humare hisse ke paap bhi apne kandhon par ddhoye,usse hi maarne nikle the hum...

ACCHUTA-aur ab toh usse kabhi maafi bhi nahi maang sakenge..

ACCHUTAS MOTHER-kisne kaha...!!! RAAZ zinda hai bacchon..aur saath me MAHI bhi...


ACCHUTAS mother ke spirit ki baat sun un chaaron ke chehre me itne der me pehli baar khushi dikhi thi jiske baad...


SLUNDER-sach...!!!RAAZ aur MAHI zinda hain...!!!

SLUNDERS FATHER-haan woh dono zinda hai aur sahi waqt par yahan wapas bhi loutenge..


SLUNDERS father ke spirit ki baat sun behadh khush ho gaye the woh chaaron.. wahin apni baat ko continue karte hue...


SLUNDERS FATHER-RAAZ aur MAHI zinda hai,ye baat bhale hi khush karne waali hai par aane waala waqt tum sabke liye bohot zyada taklifon se ghira hua hai...

aaj bhale hi tum chaaron ke waar par RAAZ khamosh raha,usne jawab nahi diya par jab woh wapas aayega toh aisa kuch nahi hoga...

tum chaaron ko hi uske ghusse ko jhelna hoga..aur ye tum sabke liye bohot taklif deh hoga...

aur isiliye hi tum sabke andar DECENTER ka scent gaya hai..

us scent ki wajah se kisi bhi negetive aur black energy ke waar se hone waali taklif ko sehen kar paaoge tum...

RAAZ ab tak tum sabke liye ek ANGEL saabit hua hai,par jab woh wapas loutega toh wahi ANGEL tumhare liye DEVIL hoga...

woh andar se toota hua hai bacchon,aur jab tak woh toota hua hissa wapas jud nahi jaata,woh baaki sabko todta chala jaayega...

haan,tum sabki hi tarah jab woh yahan aayega toh woh bhi kamzor hoga..

yahan ke best SAVENTS se jeetne ki shakti nahi hogi usme par sanak uski pagalpan ki hadh ko paar karne waali hogi...

tum sabko uske pagalpan ko jhelna hai..uske har dard ka hissa tum sabko bhi jhelna hai..

tumhara dard usse sukoon dega,aur uske sukoon ke liye tumhe us dard ko dawa samajhkar peena hai...

yahi tarika hai usse waisa banaane ka,jaise uske liye banana zaroori hai...

ye ladhayi beshak uski hai,par iska hissa tum sab bhi ho aur jaante ho kyun...!!! kyunki....



har baazi jeeti jaa sakti hai,sacche doston ka saath JAB HO....

un doston ka zindagi me aana jab FAISLA-E-RAB HO.....

waise toh taakat bohot hai RAAZ ke paas magar,

uski sabse badi taakat,uska sabse bada GOD GIFT TUM SAB HO.....

















AAJ KE LIYE ITNA HI....


















AAPKA APNA V....J.....
Mind-blowing update bro
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

Rajesh

Well-Known Member
3,308
7,871
158
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF FALLON KO PATA CHALTA HAI KI ASTER ME REHNE WAALE LOG ASAL ME SPIRITS HAIN WAHIN DUSRI TARAF HORUS URF DIGVIJAY RAAZ KO HOSH ME LAANE WAALE COGNIZANT LEAF KO LENE NIKAL JAATE HAIN.


AB AAGE:-



CHAPTER-3


(THE DEVIL'S HAVEN, THE SACRIFICE & THE PERFECT EPILOGUE)



MEGA UPDATE-125



PLANET-GALEN


PLACE- THE GALEN MOUNTAIN






TOH YE HAIN COGNIZANT LEAFS...


kaale colour ke ek ped jinme peele colour ki pattiyan lagi hui thi,unhe dekhte hue kahi thi ye baat HORUS urf DIGVIJAY ne...

is waqt us COGNIZANT pedh se ek behadh hi lubhavani khushbu aa rahi thi jo kisiko bhi apni taraf aakarshit karne me saksham thi...

par HORUS jaante the ki ye kushbu asal me mout ka woh khinchaw hai jo sabko apni taraf aakarshit karta hai...

HORUS dekh rahe the ki COGNIZANT LEAFS ke kuch bhaag halke ubhre hue dikh rahe the..

ye bhaag asal me COGNIZANT WORMS the jo LEAFS ke saath jude hue the aur jo koi bhi un LEAFS ko todta,woh WORMS joki ek dead curse ki tarah the,woh us leaf ko todne waale ke sharir se chipak jaate aur apne deadly poison ko us vyakti ke pure sharir ke transfer karte hue usse ek slow aur unbearable pain waali mout dete...

ye saari baat HORUS jaante th par yahi toh unki niyati thi jisse woh bhaag nahi sakte the..

apne pichle human life me itne gunah unke naam the ki unke praayaschit ke liye ye dard unhe sehna hi tha...

aur isiliye ek lambi saans chhodte hue unhone apna haath aage badhaya aur ek jhatke me kuch COGNIZANT LEAFS ko tod liya aur jab unhone aisa kiya toh un saare LEAFS se chipke WORMS turant unke saare sharir par chhad gaye aur aisa hote hi...

AHHHHHHH...

ek zordar cheekh nikal gayi HORUS ke mooh se jiske baad woh ek jhatke me apne ghutno par aa gaye...

sharir par chadhte hi un COGNIZANT WORMS ne apna kaam shuru kar diya tha..

tezab jaisi apni poison un sabne HORUS ke sharir me transfer karni shuru kar di thi jisse uthne waale aseem dard ko jhelne ki koshish karte hue HORUS wapas kisi tarah apne pairon par khade hue aur ladkhadate kadmo se apne ghar ki taraf badh gaye...





PLACE-ASTER




YE TOH SPIRITS HAIN...




saamne hazaron laakhon black transparent spirits jinke beech waale hisse me halki si whiteness chamak rahi thi,usse dekhte hue kahi ye baat FALLON ne jispar...


MASTER-ye sab wahi spirits hain jo pehle kabhi DEVILS hua karte the aur salvation ke liye jinhone ZEAL me wapas janm liya tha...

wahan marne ke baad se hi ye saare spirits yahan ASTER me aakar rooke hue hain....

MAHI-par kyun...???inhe diya kaam toh pura ho chuka hai...toh phir DAD ke waade ke hisaab se inhe ab tak salvation kyun nahi mili..


DAD... pehli baar zindagi me istamal kiya tha is shabd ka MAHI ne aur aisa karte waqt usne is shabd ke maayne ko puri tarah feel bhi kiya..

wahin MAHI ke sawal ko sun...


MADDOX-kyunki inka ek ehem kaam abhi bacha hua hai...

FALLON-kaisa kaam...????


tumne in saare spirits ke centre point par gour kiya hai, dekho wahan kuch whitish chamak raha hai...

woh ek LUSTRAL BEAM hai....

kyunki in sabki ZEAL me mout inke karm revive hue the,ye sab ek complete soul changing procedure se guzre the, isiliye salvation ke saath saath as a gift in sabko ye LUSTRAL BEAM bhi mila tha..

par ye gift inhe apne use ke liye nahi balki kisi aur use ke liye provide kiya gaya tha...

aur ye sab ab tak yahan salvation ka wait karte hue isiliye rooke hain,kyunki inhe ye LUSTRAL BEAM tumhe dena tha MAHI...

MAHI-mujhe...!!par mere ye BEAM kis kaam ki...???

MADDOX-tumhare nahi,ye BEAM RAAZ ke kaam aayegi..kaise,ye mat puchna,sahi waqt aane par usse aur tumhe apne aap pata chal jaayega....

is BEAM ko tumhe filhal ke liye apne andar store karke rakhna hai aur phir jab tum RAAZ se milogi,toh uske sir par haath rakh isse uske andar transfer kar dena...

haan,par usse pehle tumhari cheez joki uske andar hai aur usse lagatar taklif deti aa rahi hai,usse zaroor uske andar se nikal lena...


MADDOX ki is baat par buri tarah chownki MAHI...uski koi cheez RAAZ ke paas hai jo usse lagatar taklif deti aa rahi hai, aisa kuch toh usne socha hi nahi tha aur isiliye....


MAHI-meri chiz RAAZ ke paas hai aur usse pain pahuncha rahi hai..!!ye kya keh rahe hain aap..???

MADDOX-woh ladhayi yaad hai jo kuch samay pehle tumhare aur MORANA ke beech hui thi jisme MORANA tumpar lagatar waar karti jaa rahi thi jiski wajah se tumhe bohot zyada pain ho raha tha..

kabhi socha hai ki us waqt achanak aisa kya ho gaya tha ki uske waar ke beech tumhare bina waar kiye hi MORANA kaise behosh ho gayi thi...???


MADDOX ki kahi baat sach thi..us waqt MAHI RAAZ ke berukhi ki wajah se itni sad thi ki uska is baat par dhyan hi nahi gaya tha..

par ab usse yaad aa raha tha woh scene jisme RAAZ ke beech me aane ke baad aur MORANA ke uspar lagatar chhod rahe beam ke beech apni ray involve kar ladhayi rokne ke baad se hi usne RAAZ ki body ko weak hote dekha tha..

MAHI ye sab soch rahi thi aur MADDOX uske soch ko bhaamp chuke the aur isiliye....


MADDOX-bhale hi tumhara ANGEL FORM yahan FALLON ke roop me moujud hai,par tumhare heart ke andar tumhare heavenly kan har waqt moujud rehte hain..

aur us ladhayi me jab tumhara sharir us ho rahe pain ko jhelne ki aakhri hadh tak pahuncha toh tumhare HEART ke andar samaye un HEAVENLY kano ne apne power ko release kar diya...

woh powers ek invisible ray ka roop lete hue MORANA ke chhode beam ke andar behkar ussiki taraf jaane lage..

agar woh ray MORANA ko lag jaata toh woh wahin jal kar raakh ho jaati...

saath hi us ray ka AURA har taraf faile jaata jiski wajah se waqt se pehle hi VIDEOUS ko tumhare baare me pata chal jaata..

but kyunki fortunately RAAZ wahan moujud tha, toh usne tumhare un invisible rays ko naa sirf MORANA ki taraf badhte hue feel kar liya balki sahi waqt rehte usne apni REFINER powers ki ray ko us beam ke beech chhod diya aur tumhare rays ko khudke sokh liya..

phir bhi MORANA par us ray ke AURA ka ek halka sa bhaag impact kar hi gaya jiski wajah se woh behosh ho gayi..

aur RAAZ, apne andar tumhare HEAVENLY power ke particles ko sametne se aur woh bhi tab,jab uske paas uski aloukik shaktiyan moujud nahi thi,woh andar hi andar hadh se zyada weak ho gaya...

haan,guzarte waqt ke saath jaise jaise uske REFINER powers aur strong hote gaye, tumhare power particles ko woh sambhalne ke laayak ho gaye par kyunki RAAZ filhal completely mortal hai isiliye woh saare particles uske heart se nikalkar uske brain me chale gaye hain...

abhi tak toh RAAZ pysically aur khaaskar mentally behadh strong tha,par ab aisa nahi hai..

isiliye woh particles zaroor uske upar koi naa koi side effects paida karenge..

( NOTE:-this is the reason behind RAAZ memory loss)

isiliye uske paas pahunchte hi apne particles usse le lena aur ussi waqt LUSTRAL BEAM uske andar transfer kar dena..

par ek baat ka dhyan rakhna ki aisa karte waqt RAAZ aur uska dimag shaant rahe..

brain ki instability us procedure me khatra paida kar sakti hai...


MADDOX ki baat ko dhyan se sun aur samajhte hue haan me sir hilaya MAHI ne jiske baad MADDOX ne usse woh SPELLS bataya jisse uske particles RAAZ ke dimag se extract kiye jaayenge aur LUSTRAL BEAM uske andar samayi jaa sakegi...


saari baatein clear ho chuki thi aur ab baari thi main cheezon ke hone ki..woh cheezen jinki wajah se MAHI yahan ASTER me thi, FALLON ka astitv bachaya gaya tha aur MADDOX ne itna lamba intazar kiya tha....


MADDOX-ab samay aa gaya hai FALLON tumhara MAHI me vilin ho jaane ka...

MAHI tumne FALLON ka bhi pura safar dekh aur jaan liya hai..woh safar tumhe isiliye dikhaya gaya hai taaki FALLON ke hone ka asli maksad tum pehchaan sako...

kyunki aisa hona is pure khel ke liye sabse zaroori hai...tumhari uttpatti aur FALLON ki journey ke tumhe dikhaye gaye pal interconnected hain...

isiliye RAAZ ko uske us ATTITUDE tak pahunchane ke saath saath jisse uska dimag DEVIL ka aur dil ANGEL ka banega, us interlinked aur connected CHEEZ ke baare me sochna aur usse figure out karte hue uspar kaam karna hi tumhara main maksad hai...

ye do cheezen hi is kahani ko uske sahi anjaam tak pahunchayegi...

taklifen bohot aayengi,par jab woh aayen toh khud ko bas itna yaad dilate rehne ki tum VIKRAM JAIRAJ SINGH ki beti hai...

us shaksh ki beti jiske aage har koi bhale woh chaahe yaa naa chahe, natmastak hokar hi rehta hai..

logon me ATTITUDE hota hai,par tum uska khoon ho jo khud sir se pair tak ATTITUDE hai...


jo kabhi uska dushman tha,aaj wahi VIKRAM ka gungaan pure dil se kar raha tha.. VIKRAM ki shaksiyat ka isse bada example aur bhala kya ho sakta tha..

aur ye baat MAHI bhi samajh rahi thi aur isiliye usse khudpar VIKRAM ki beti hone par garv ho raha tha..

khair,apni baat ko aage badhate hue...

MADDOX-MAHI,FALLON, ek dusre ka haath pakdo....


MADDOX ki baat sun MAHI ne apne dono haath aage kar diye jisse FALLON ne thaam liya jiske baad...


MADDOX-MAHI,aankhen band kar apne saare REFINERS power ko release kar do..

aur FALLON jab MAHI aisa karegi toh uski puri body shine karne lagegi...

jab aisa ho tab tumhe SAMNIVEZA....is SPELL ko uccharit karna hai...

aisa karte hi tum apne origin, matlab MAHI ke andar sama jaaogi...

MAHI,yaad rahe ki FALLON tumhara ANGEL FORM hai joki bohot zyada shaktishaali hai..

par tum abhi sirf ek ANGEL hi nahi balki human bhi ho...

aur naturally ek ANGEL aur human ka koi link yaa jod nahi hota...

isiliye jaise hi FALLON tumhare andar tumhare heart ke ek taraf samayegi toh tumhara human power dusri taraf khisak jaayega...

aur aisa hote hi tumhare ANGELS aur HUMAN power ke beech ek stopper ban jaayega jo tumhare true potential ko bahar aane se rokega..

us potential ko bahar laane ka,apni puri capability ko joki bohot zyada hai,use karne ka tumhare paas sirf ek hi tarika hoga..

aur woh ye hai ki tumhe apne dono powers, ANGEL aur HUMAN ko ek karna hoga...

strong AMPLIFICATION aur REFINER process,alag alag tasks aur challenges joki extreme level ke honge,usse aisa kar paana possible hoga...

and as we speak,jahan se tum yahan pahunchi ho,wahan is waqt jo ho raha hai,uske hisaab se tasks aur challenges ki kami nahi hone waali hai tumhe...

anyways,shuru karen...!!!!


MADDOX ki baat par dono me se kisine bhi kuch kaha nahi,bas ek dusre ko dekh MAHI aur FALLON dono ne hi ek dusre ka haath thaame rakha..

MAHI ne apni aankhen band kar li jiske baad usne apne sabhi REFINERS ko completely release kar diya aur uske aisa karte hi uski puri body tez glow karne lagi..

wahin jab FALLON ne aisa hote dekha toh usne bhi apni aankhen band ki aur...


SAMNIVEZA

INCLUSION

is SPELL ko uccharit kiya usne aur uske aisa karte hi uski body bhi MAHI ke body ki tarah chamakne lagi..

par saath hi uski body dheere dheere dhuen me badalti hui MAHI ke pure sharir ko khudme lapeththe hue uske dil ke hisse ke just upar ikattha hone lagi aur dekhte hi dekhte woh dhuan joki FALLON thi,woh MAHI ke heart me sama gayi...

FALLON joki MAHI ka ANGELS form thi,woh wapas usme sama chuki thi...

jahan aisa hote hi MAHI ka sir bhaari hone laga tha wahin kuch door us bade se compartment me itne samay tak rooke hue LIGHT SHOWER urf ANGELS AURA me kampan hone lagi jiske baad woh pura shower apni jagah ko chhodte hue bahar nikla aur MAHI ke paas pahunch usme samane laga...

jab ek baccha paida hota hai,tab agar uska operation kiya jaaye toh usse pata bhi nahi chalta par same cheez agar uske bade hone ke baad ho toh uspar aisa hone ka bohot zyada asar padta hai..

waisa hi kuch abhi MAHI ke saath ho raha tha....

bachpan se ab tak woh woh ek normal human ki tarah rahi thi par ab achanak woh ek ANGEL me aur woh bhi ANGELS LORD ki beti ke roop me badal rahi thi..

ye bohot badi baat thi jisse naa toh MAHI ka brain circulate kar paa raha tha aur naahi uska dil jahan FALLON aur ab AURA sama rahi thi..

MAHI ko is waqt unbearable pain ho raha tha jiski wajah se naa sirf uske senses weak padte jaa rahe the balki saath hi uska brain aur heart dono dead hote chale jaa rahe the..

aur abhi toh ek cheez honi baaki thi...

aur woh ye ki jaise hi woh LIGHT SHOWER MAHI ke andar samaya toh uske agle hi pal wahan moujud saare SPIRITS ke paas jo LUSTRAL BEAM thi,woh unse nikal pehle unke saamne ikattha hui aur phir aage badhte hue MAHI ke andar sama gayi aur jab aisa hua toh MAHI ke khade khade hi already behosh ho chuke sharir ko laga ek tez jhatka jiske baad woh neeche gir gayi...

har guzarte pal ke saath MAHI ki behoshi uski MOUT me convert ho rahi thi par aisa hote dekh bhi MADDOX ke chehre par ek smile thi....

reason...

issi ghadi ka toh unhe sadiyon se intezar tha...yahi woh pal tha jiske baad unhe moksh mil jaana tha...

muskurate hue neeche baithe MADDOX aur apna haath MAHI ke sir par rakh apni aankhen band ki unhone aur...


JIVANAM YAVAJJIVA

LIFE FOR LIFE


jaise hi MADDOX ne SPELL uccharit kiya toh uske agle hi pal unka pure sharir se unka life source nikal MAHI ke band hote dil aur dimag me sama gaya aur aisa hote hi MAHI ki naa ke barabar chal rahi heart beat pehle toh ekdum se tez hui aur phir normal ho gayi...

abhi bhi behosh hi thi MAHI jisse dekh muskuraye MADDOX aur aisa karte hue hi unki body ray me badal gayab ho gayi....


MADDOX ne toh apna kaam kar diya tha,par behosh padi MAHI ki urja filhal uncontrollable mode me pahunch chuki thi jiski wajah se woh saari urja MAHI ke sharir se nikal ASTER ki sarhad ko bhedete hue bahar nikalne lagi aur agar aisa puri tarah ho jaata toh VIDEOUS ko MAHI ki location mil jaati...

aur phir game over ho jaana tha....

khair,woh saari urja ASTER se bahar nikalti ki tabhi wahan prakat hui GRIFFIN aur usne woh saari urja khud me ikattha karna shuru kar diya...

par kyunki GRIFFIN ka life source khud MAHI thi jo filhal behosh thi aur weak bhi,isiliye GRIFFIN bhi kamzor thi..

yahi reason tha ki us urja ko sametthe hue woh haanfte hue neeche baithne lagi...

kamzori ki wajah se GRIFFIN bhi behosh hone waali thi par tabhi....

WOOGER prakat hua uske saamne.. RAAZ ki buri haalat ki wajah se WOOGER bhi kamzor tha par itna nahi ki GRIFFIN ko stability naa de paaye...

prakat hote hi usne apna panja GRIFFIN ke upar rakh diya aur aisa hote hi woh urja GRIFFIN aur WOOGER me aadhi aadhi bant gayi..

wahin jaise hi GRIFFIN ne WOOGER ko saamne dekha jisne uski madad ki toh..

GRIFFIN-thanks WOOGER....

WOOGER-aadat daal lo... bohot baar bolna baaki hai...

WOOGER ki baat par ghur kar dekha GRIFFIN ne usse par us ghoorne ka WOOGER par koi asar nahi pada jisse dekh...

GRIFFIN-hmmp...bilkul apne MASTER ki tarah hai.. completely full of ATTITUDE...






PLACE-ERRAPEL'S COTTAGE



BHAADDDD..........(update-117)


main door kuch zyada hi zor se khula aur uske beech se HORUS lambi lambi saansein leta hua hall me enter hua jahan is waqt ERRAPEL thik waise hi nirjeev sa behosh pade RAAZ ka haath pakde baithi hui thi..

HORUS jabse gaye the,tabse hi ERRAPEL ki aankhen ro rokar laal si ho gayi thi,chehre par dar aur dard, dono hi bhaav ek saath tairte aa rahe the,par ab apne BABA ko wapas apne saamne dekh itni der me pehli baar naa sirf usne chain ki saans li balki uske face me chhaye woh dar aur dard ke bhaav jaise ek jhatke me chhat se gaye the aur ab unki jagah khushi ne le li thi...

aur ussi khushi ko apne alfaazon me darshate hue..


ERRAPEL-aap aa gaye baba...mera dil kehta tha ki chaahe kuch bhi ho jaaye,aap zaroor wapas lout aayenge..


apni beti ki baat par muskurate hue
HORUS aage badhe aur thik ERRAPEL ke paas pahunch unhone apne haath aage kar diye jahan is waqt kuch peeli colour ki pattiyan thi jinhe dekh ERRAPEL samajh gayi ki yahi woh COGNIZANT LEAF hai jinhe lene uske baba gaye hue the...

ek pal un leafs ko dekh ERRAPEL ne unhe apne baba ke haath se le liya aur tabhi....


AHHHH....HAMMM....

ek dard bhari karah ke saath HORUS apne ghutno par aa gaye jisse dekh ERRAPEL hadbada bhi gayi aur dar bhi...

par woh kuch keh paati ki tabhi kuch aisa hua ki uski aankhen dar,dard aur khouf ki wajah se aur badi ho gayi...

HORUS ke sharir ka pura kapda khoon se naha sa gaya...

aisa lag raha tha maano HORUS ke body pores phat se gaye hain aur unse khoon ris raha ho...

ye dekh darte hue ERRAPEL apne baba ko chhune ko hui par tabhi..


HORUS-nahi beta...mujhe chhuna mat..verna meri jaisi haalat teri bhi ho jaayegi...


dard se bhari awaaz me ye baatein kisi tarah bol HORUS ne apne upari vastron ko jo khoon ke risne ki wajah se laal hone ke saath hi kamzor bhi ho gaye the,unhe pakad kar halka sa kheencha aur unke aisa karte hi chrrr ki awaaz ke saath woh kapda jo kisi kurte ki tarah tha par sweater ki tarah mota,wo faththe hue unke sharir se alag ho gaya aur jab aisa hua toh ERRAPEL ki aankhen badi ho gayi...

reason..

is waqt HORUS ke chest aur shoulder areas me bade bade keede lage hue the jo waise toh peele the par is waqt HORUS ke khoon se laal ho gaye the...

aur saath hi chest aur shoulders ke jis jis bhaag me woh keede chipke hue the,wahan se halka halka dhuan bhi nikal raha tha..

ye sab dekh dimag hi boukhla gaya tha ERRAPEL ka aur...


ERRAPEL-ye sab kya hai baba...???ye kaise kide hain...??inhe nikaliye naa...


ye bol ERRAPEL ne apna haath apne baba ke chest ki taraf badhaya par tabhi apni puri takat laga jo waise kam hi bachi thi, HORUS thoda piche hue aur...


HORUS-nahi ERRAPEL...inhe chhune ki galti kabhi mat karna..khaas kar tab jab tumne pehle hi COGNIZANT leaf ko chuu liya hai...

in keedo ka naam COGNIZANT WORMS hai..ye wahi shraap hain jo COGNIZANT LEAF ko todne waale ko lagte hain....

COGNIZANT LEAF ko chhune aur haasil karne ka mool hain ye keede jo ab mujhe lag chuke hain jo meri mout ke baad hi ab mujhse alag honge..

aur waise bhi,ye jo dhuan dekh rahi ho,ye inka zeher hai jo ab mere saare sharir me fail chuka hai,mai ab bas chand saanson ka hi mehmaan hun meri bacchi..


aakhri shabd kehte hue neeche zamin par gir chuke the HORUS....

unke sharir ki kampan unka dard aur taklif saaf bayan kar rahi thi aur us dard se hone waali aatmik taklif ko khudme samete hue baithkar ro rahi thi ERRAPEL..

jo hua hai,woh hona hi tha,ye pata tha usse par apne baba ko apni aankhon ke saamne marta hua dekh taklif toh honi hi thi usse...

khair,apni beti ko rota dekh..


HORUS-apni niyati se koi nahi bhaag sakta beti...aur meri haalat par rone ke bajaye tumhe toh garv hona chahiye ki tumhare baba ko saunpa daayitv unhone pura kiya...


ERRAPEL-garv aur dard kabhi kabhi ek saath dil me jagah bana lete hai baba....har mousam me hone waala badlav pehle hi maalum hota hai par jab woh mausam sach me aata hai aur us badlaw ko sharir chhuta hai,toh us kriya ki pratikriya hoti hi hai...


apni beti ki baat sun us beinteha dard ke beech bhi halka sa muskura uthe HORUS aur..


HORUS-waqt kam bacha hai ERRAPEL..meri saasein band hone se pehle agar in COGNIZANT LEAFS ko ras me badal RAAZ ko nahi pilaya tumne,toh mere sharir me lipte hue worms us leaf ki sugandh sungh tum par chhad jaayenge aur inse bacha nahi jaa sakta...

isiliye jaldi karo.. waise bhi antim baar apni aankhon ko band karne se pehle ek baar mai inhe hosh me dekhna chahta hun....

woh tumhare saamne pade flask ko sidha karo aur ek ek kar in saare leafs ko uske upar rakh ragdo...ye leafs ras me badalkar us flask me ikkatha jo jaayenge...


aankhen abhi bhi num thi ERRAPEL ki par aise waqt me bhi jab uske baba apni antim saans le rahe the,apne kartavya se mooh nahi mod sakti thi woh..

aur isiliye flask ko jo uske side me hi rakha hua tha,apne saamne rakh ek ek kar un COGNIZANT LEAFS ko ragadne lagi ERRAPEL....

ek haath me RAAZ ka haath jisse uske hosh me aane tak usse thaame rakhna tha, dusre haath me COGNIZANT LEAF jisse ragad apne kartavya ko nibhana tha, aur aankhon me apne baba ko unki maut ke darwaze par pahunchte dekhna tha,ek saath in teen alag alag situations ko ek saath handle kar rahi thi ERRAPEL...

wahin ab HORUS ki haalat kaafi kharab ho chuki thi..kisi bhi waqt unki saanson ki dor rook sakti thi par aise waqt me bhi unke face par ek sukoon tha..

aur ussi sukoon ke saath ERRAPEL ko dekhte hue..


HORUS-meri life me aane ke liye thanks beti...tune meri zindagi aur aur ab mout ko bhi saarthak banaya hai...


apne baba ki baat chupchaap aansu bahate hue suni ERRAPEL ne aur is beech usne saare leafs ko ras me badal flask me daal diya tha aur aisa hote hi usne turant us flask ko uthaya aur RAAZ ke dono gaalon ko pakad usse pichkaya jisse uska mooh halka sa khul gaya aur aisa hote hi ERRAPEL ne us flask ko uske mooh me sata dheere dheere ulta diya..

pura COGNIZANT LEAFS ke ras ko RAAZ ke mooh me udelne ke baad ERRAPEL usse alag hui aur itne der me pehli baar usne RAAZ ke haath ko chhoda aur apne baba ke paas pahunch kar khadi ho gayi..

wahin apni mout ke antim padhav par pahunchne ke baad bhi is waqt HORUS ke chehre par excitement saaf dikhne lagi thi...

unka dil jo ab tak khoon ke adhik beh jaane se kaafi dheere dheere beat kar raha tha,uski speed bhi achanak badh gayi thi...

is beech jaise hi RAAZ ke mooh se hota hua woh COGNIZANT LEAFS ka ras uske pure sharir aur mainly uske soul me pahuncha toh wahan ek vibration honi shuru hui...

ab tak andhere me dooba uske soul me achanak ek halki si roshni ne janm liya jo har guzarte second ke saath badhti chali gayi aur phir jaise hi woh roshni puri tarah se us ghar me joki RAAZ ka SOUL tha,bhar gayi toh...

ek jhatke me khuli uski aankhen aur woh uthkar baith gaya..

pathrayi aakhon se kuch pal sunya ko ghurne ke baad jaise achanak se dimag me jhanaka hua RAAZ ka aur woh apne present me wapas aaya..

present me wapas aate hi usne dekha ki woh abhi ek hall jaise kamre me hai....

par ye drishya yaa phir ye kahun ki ye hall uske liye anjana tha..

infact abhi toh RAAZ ke liye sabkuch hi anjaana sa tha..

aankhon me sawal liye RAAZ ka sir us taraf ghuma jahan neeche khun se latpath HORUS pade hue the aur unke hi paas ek khubsoorat si ladki khadi thi..

woh dono mujhe hi dekh rahe the jispar..


RAAZ-kaun hain aap dono...aur.........

MAI.... KAUN.....HUN.....!!!!!!...






PLANET-ELYSIAN


PLACE-ALFREEN'S ABODE




(6 HOURS AFTER RAAZ KILLED HIS PARENTS)





NAHI...NAHI....NAHI.....NAHI.....


aankhon ke aansu sukh kar unke kinaaron par sukhe parat ki shakl le chuke the..

zuban ko jaise lakwa hi maar chuka tha par DIL.... dil ke har kone par jo hua,usse yaad karte hue lagatar bas NAHI shabd hi nikal raha tha..

jahan behosh hokar neeche giri thi,wahin diwar ki oth liye is waqt ALFREEN pathrayi aakhon se andar sofe ki taraf jahan abhi bhi FLORIN aur MARIA ki raakh padi hui thi,usse dekh rahi thi...

dimag ne toh kaam karna pura band hi kar diya tha..bas ek dil hi tha jo naam maatra ke liye dhadakte hue ALFREEN ke zinda hone ki gawahi de raha tha....

hosh me aane ke baad se hi ALFREEN yunhi issi position ne baithi thi..shaam dhal chuki thi par ALFREEN ko kisi bhi chiz ka koi hosh nahi tha....

ghutne mod kar baithi thi ALFREEN jiski wajah se uske pehne lower ki right taraf ke pocket se ek kaagaz dheere dheere nikalta hua uski side me jaa gira....

ye wahi kagaz tha jisme CHOSENS ke 25 thousand purani parampara ke anusaar paheli likhi hui thi jisse solve karne waale ko AGATHOKAK naam ki upadhi milne waali thi...(update 24)

us kagaz ko hamesha ALFREEN apne jeb me hi rakhti aur baaki sabhi SAVENTS ki tarah jab woh bhi akeli rehti thi,tab us kaagaz me likhe paheli ko solve karne ki koshish karti thi...

anyways,jaise hi woh kaagaz neeche gira toh ussi waqt itne dwr se ALFREEN ki pathrayi aakhen ek baar phirse dabdaba gayi..

par is baar ke aansu me sirf dard hi nahi tha,balki jo hua,usse yaad kar dard ke saath RAAZ ke liye nafrat bhi bhara pada tha..

aansuon ki wajah se ankhen puri dhundli ho chuki thi ALFREEN ki aur aisa hone par sofe ka view jisme uske mom dad ka bacha ansh,unka raakh rakha hua tha,woh dikhna band ho gaya ALFREEN ko aur isiliye apne right hand se apne aansuon ko pochte hue ALFREEN ne apna haath neeche floor par rakh diya...

par jab usne aisa kiya toh uska haath jisme uske aansu lage hue the,neeche floor se lagne ke bajaye uske upar rakhe kagaz par jaakar tik gaya aur jab aisa hua toh ALFREEN ke aansu us kaagaz par lag gaye...

jahan ALFREEN is baat se anjaan thi wahin woh aansu us folded paper ke upari satah se hote hue uske andruni bhaag me samate chale gaye aur aisa hote hue jab woh aansu kagaz ke andar waale bhaag me likhe shabdon par, paheli par pade toh...


AHHHHH......

ek saath do chizen hui..

pehli...

ALFREEN ke pure sharir me ek jhatka sa laga jiske baad uske dimag me kuch palon ke liye beete saare lamhe mit se gaye...

dusri..

woh paper jisme paheli likhi hui thi,woh khul gayi aur khulte hue sidhe ALFREEN ke chehre ke saamne aakar rook gayi...


TU KHUD EK SAWAL HAI,
AUR TERA JAWAB MUJHME HAI...

PADH MUJHE US SYAHI SE,
JO HAR WAQT TUJHME HAI...


jhatke ke asar se ALFREEN ki badi ho chuki aankhon ne paheli ke ye shabd padhe jiske baad uska right haath apne aap hi uske left kalayi ke upar pahuncha aur...


RAKHT PRAKATAM...

BLOOD APPEAR....


apne kalayi ki skin ko chhute hue is SPELL ko uccharit kiya ALFREEN ne aur uske aisa karte hi us area me ek halka sa cut padh gaya jisse khoon bahar aane laga..

ALFREEN ne apne khoon ko apni ungliyon par liya aur apne ussi khoon lage haath ko aage badhate hue paheli ke upar mal diya..

saath hi saath aisa karte hue uske mooh se nikla..


ALFREEN-MY BLOOD....


SAHI JAWAB.....


ALFREEN ki harkat aur MY BLOOD ko bolte hi us paper ke aage hawa me ye line bante chala gaya aur jab aisa hua toh....



AHHHHHHHHHHHH...........

ek baar phirse ek zordar cheekh nikal padi ALFREEN ke mooh se..

reason...

SAHI JAWAB...ye shabd bante hi wo paper jisme paheli bani hui thi,woh GREY colour ke dhuen numa shakti me badalne laga aur aisa hone ke turant baad woh dhuan sidhe ALFREEN ke naak,mooh kaan aur aankhon se hote hue uske andar samane laga..

aisa hote hi ALFREEN ka sharir hawa me uth gaya aur saath hi usse apne andar ek ajeeb sa badlaw aur taakat feel hone laga par ye badlwaav hadh se zyada painful tha jiski wajah se uske mooh se cheekh nikal gayi thi...

cheekh ke saath saath ek aur cheez bhi ho rahi thi ALFREEN ke saath..

aur woh ye ki uske sharir ke kapde badalne lage the..jaha kuch der pehle tak usne normal casuals pehne hua the wahin ab uske sharir oar ussi grey dhuen se ek GREY robe banane laga tha aur jaise hi us GREY robe ne pura ALFREEN ke sharir ko dhaka,uske andar ho raha badlaw bhi pura ho gaya aur woh neeche zamin par aa gayi..

aankhen band thi is waqt ALFREEN ki..par uska roop naa sirf aur zyada nikhar gaya tha balki uske puri body se ek behadh hi cold AURA generate ho raha tha...

AGATHOKAK....woh prize,woh upaadhi jo ab naa sirf ALFREEN ko mil chuki thi balki woh khud hi ek AGATHOKAK me badal chuki thi..

ALFREEN THE AGATHOKAK..jiska matlab hai "QUEEN OF BOTH BLACK & WHITE ENERGY"....

ye shakti,ye upaadhi,apna ye naya astitv ALFREEN bhi jaan chuki thi...

aur aisa hote hi ek jhatke se uski aankhen khul gayi..

jahan pehle ALFREEN ki kaali gehri aankhen thi,wahin ab unka bhi rang badalkar GREY ho chuka tha...

khair,kuch pal tak apne is naye pehchaan ko feel karti rahi ALFREEN par phir jab ek baar phirse uski nazar saamne sofa par pade apne mom dad ki raakh par gaya toh aakhon me beintahan ghussa liye jiske asar se uske aas paas ki cheezen jalne lagi thi, ALFREEN us sofa ki taraf badhi aur uske saamne pahunch woh halka sa jhuki...

apne ek haath se apni mom ka aur dusre haath se apne dad ke raakh ko apni muthi me pakadte hue woh wapas sidhi hui...

kuch pal un raakh ke particles ko dekhne ke baad thik jaise RAAZ ne kiya tha, ALFREEN ne bhi us raakh ko apne chehre aur kapdo par mal sa liya aur aisa karne ke baad hile uske labh...


ALFREEN-RAAZ.............



gala ghota hai tune hamare VISHWAAS KAA......

galti humari bhi hai,bharosa kiya tha humne tujh jaise DAGABAAZ KAA.....

tune apni chala li,ab meri baari.....

aarambh hai ye ALFREEN ka aur saath hi RAAZ,tere VINAASH KA.....

















AAJ KE LIYE ITNA HI.....
















AAPKA APNA V....J......
Nice update bro
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

Rajesh

Well-Known Member
3,308
7,871
158
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF FALLON MAHI ME SAMA JAATI HAI AUR AISA HONE KE BAAD MADDOX BHI APNI KURBAANI DE DETE HAIN, DUSRI TARAF HORUS URF DIGVIJAY BHI MOUT KI KAGAAR PAR PAHUNCH CHUKE HAIN WAHIN TEESRI TARAF ALFREEN PAHELI SOLVE KAR LETI HAI JISKE BAAD WOH EK AGATHOKAK ME CONVERT HO JAATI HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-3


( THE DEVIL'S HAVEN,THE SACRIFICE & THE PERFECT EPILOGUE )


UPDATE-126



PLANET-GALEN


PLACE-ERRAPEL'S COTTAGE






YEE...INNNHE...KKKYA....HHO RRAAHHA HAAI....?????


shayad ye zindagi pehli baar tha jab maine haklaate hue baat ki thi..

itna hi nahi,saamne HORUS ko,unki haalat ko dekhkar meri aankhon me dar bhi dikhne laga tha...

kuch seconds pehle jab mujhe hosh aaya tha aur uththe hi maine "MAI KAUN HUN"ye sawal kiya tha,ab HORUS ki kharab condition ko dekhkar mai woh sawal bhi bhul chuka tha....

khair jahan mere sawal ko sun ERRAPEL joki mujhe hi apne baba ki is kharab condition ka zimmedar manti thi,usne mujhe ghoor kar dekha wahin unke paas baithe aadmi ne jinki haalat kharab thi,unke dard se bhare chehre par bhi halki si muskaan naach uthi aur...


HORUS-kuch nahi hua mujhe beta....bas umar ho gayi hai naa, isiliye mere jaane ka waqt ho gaya hai...

MAI-umar hone par toh araam karna chahiye.. phir aise me aap kahan jaa rahe hain....???


behadh maasumiyat se bhar ye sawal pucha tha maine jispar HORUS jawab toh dena chahte the par COGNIZANT WORMS ke zeher ne ab unke pure sharir par apna asar kar diya tha aur isiliye...

AHHHHHHH.....

ek tez dard bhari cheekh nikli HORUS ke mooh se joki unke life ki aakhri cheekh saabit hui..

cheekhne ke saath hi ek safedh jhaag nikalne laga HORUS ke mooh se aur unka mooh ek taraf ludhak gaya...

HORUS urf DIGVIJAY ne apna kartavya nibha diya tha aur saath hi apna sharir bhi tyag moksh ki taraf badh chuke the...

wahin jaise hi ERRAPEL ne apne baba ko marte hue dekha toh...


BABAAAAAAA......

ek zordaar cheekh uske bhi mooh se nikli jiske baad woh HORUS ki dead body se chipak kar rone lagi...

jahan ERRAPEL ro rahi thi,wahin meri bhi haalat kharab ho gayi thi..

abhi abhi HORUS ne kaha tha ki woh kahin jaa rahe hain aur phir achanak unke mooh se jhaag nikalne laga aur woh mar gaye,ye sab dekh mai kaafi dar gaya tha...


(NOTE:-RAAZ ke saath ye sab MAHI ke ANGEL PARTICLES ki wajah se ho raha hai... COGNIZANT LEAFS ki wajah se woh hosh me toh aa gaya hai par dimag me un PARTICLES ke chale jaane ki wajah se uski yaadasht chali gayi hai...saath hi un ANGEL PARTICLES ne RAAZ ke devilish side ko suppress kar diya hai jiski wajah se uska sensitive version saamne aa gaya hai.)


dar toh mai bohot gaya tha par us ladki ko dekh jo us aadmi ki dead body ko gale lagaye ro rahi hai,mujhe bohot bura bhi lag raha tha aur isiliye mai dheere se utha aur us ladki ke side me jaakar uske baaju mai baith gaya..

kuch pal usse yunhi rote rehte dene ke baad maine apna haath dheere se uske kandhe par rakh diya..

waise toh mujhe samajh nahi aa raha tha ki aise waqt par kya bolun mai par phir bhi kuch toh bolna hi tha aur isiliye....


MAI-please mat roiye...uncle ke soul ko bura lagega..


badi hi maasumiyat se ye kahi thi maine ye baat jispar ERRAPEL ne apne kandhe ko tezi se shrug kiya jisse mera haath uske kandhe se chhitak sa gaya..

aisa kar ERRAPEL tezi se meri taraf palti aur....


CHATTAKHHH...CHATTAKKHHH...


kheench kar do behadh hi tez tamaache maare usne mujhe jiske asar se naa sirf mai piche palat kar gira balki mere honth bhi kaafi fath gaye....

khair, mujhko tamacha maar ERRAPEL thik mere saamne aayi aur mujhe mere collar se pakadte hue apni taraf kheencha...

jahan aisa karte waqt uske aankhon me mere liye nafrat thi wahin meri aankhon me dar...

kuch pal mujhe dekhti rahi yaa phir ye kahun ki ghurti rahi ERRAPEL aur phir...


ERRAPEL-bohot se sawal honge naa dimag me...dhyan se suno meri baat..tumhare saare sawalon ka ek hi jawab hai....mere baba ka marna aur aise hi jo bhi galat ho raha hai,uska reason sirf ek hai..TUM...

sirf tum..bas itni si baat ko apne dimag me rakho aur jab tak sahi waqt nahi aa jaata,door raho mujhse...

ye bol ERRAPEL ne mujhe mere collar se pakadte hue hi utha diya aur...


DHAAKKK...

main door ki taraf usne ucchal diya usne mujhe jiske baad mai udta hua sa us door se bahar ki taraf corridor me jaakar gira...

AHHHHH...

pichle sir ke bal gira tha mai jiski wajah se kaafi tez dard hua mujhe apne sir ke pichle hisse me...

kuch pal ke kiye aankhon ke aage andhera bhi chha gaya tha mere par phir jab mera vision clear hua toh mai uthkar baith gaya...

pehle thappad aur phir uthakar mujhe bahar fenk dena,in sabse kaafi dar gaya tha mai aur saath hi bura bhi bohot lag raha tha...

par sabse zyada taklif is baat ki thi ki mujhe apne baare me kuch bhi nahi pata tha..

ghar ke andar us ladki ne jo kaha,usse sun itna toh andaza ho gaya tha mujhe ki woh mere baare me zaroor kuch naa kuch jaanti hai par jo usne kiya tha,uske baad uske paas jaane ki himmat nahi thi mujhme...

ek aur taklif bhi thi..is waqt raat ka samay tha aur ye jagah kuch zyada hi thandi thi...

har jagah barf dikh rahi thi aur aise me maine ek patla sa outfit pehna tha jiski wajah se thand mere sharir se hote hue mere haddiyon tak pahunch rahi thi...

andar ab mai jaa sakta nahi tha aur bahar kahan jaaun,ye pata nahi tha..khair,jab nazar ghumayi maine toh left side ek jhulla dikha mujhe jiske upar ek moti chaadar rakhi hui thi..

mai utha aur jhulle ke paas pahunch us chaadar ko utha liya aur apne body me shawl ki tarah lapet liya..

thand toh ab bhi lag rahi thi par pehle se halki kam..

khair,aisa kar mai wapas main door ki taraf gaya..ek baar door ke andar ki taraf dekh mai ulti taraf mood gaya aur halke halke kaampte hue sidhi utar gaya jiske baad kuch pal idhar udhar dekhta raha mai par phir jab samajh nahi aaya ki kahan jaaun mai toh dimag jhatak ek anjaan disha ki taraf badh gaya...





PLACE- ASTER




AHHHH......


kaafi lambe samay tak behosh rehne ke baad ek karah ke saath aankhen kholi usne par saamne ka nazara dekh uski kamzor aankhon me bhi ek chamak si aa gayi thi par phir woh chamak achanak se hi halki ghabrahat me bhi badal gayi..

reason...

GRIFFIN baithi thi is waqt MAHI se kuch aage jisse dekh aankhon me chamak aayi thi uske aur ghabrahat ka reason tha woh vishalkaay aur ajeeb sa jaanwar jiska ek panja is waqt GRIFFIN ke upar rakha hua tha...

ye dekh kisi tarah apni taakat batorkar uthi MAHI aur us jaanwar ki taraf badhne ko hui par woh aage badhti usse pehle hi...


WOOGER-shaant MAHI..mai tumhari GRIFFIN ko nuksaan nahi pahuncha raha hun...


apne panje ko GRIFFIN ke upar se uthate hue kahi ye baat usne...

wahin WOOGER ki baat yaa phir ye kahun ki uski awaaz sun chownki MAHI...

reason....

us jaanwar ki awaaz hubahu RAAZ ki tarah thi..

MAHI hairani se WOOGER ko dekh hi rahi thi ki...


GRIFFIN-ye WOOGER hai MAHI....jaise me tumhari urja se bani hun,thik ussi tarah ye bhi RAAZ ki urja se bana hai...


jahan apni baat bol GRIFFIN bhi taakat lagate hue kisi tarah khadi hui wahin uski baat sun MAHI ke chehre par jo shocking expressions the,woh thode kam hue aur...


MAHI-RAAZ kaisa hai..????

WOOGER-kuch der pehle tak behosh the woh par hosh aa gaya hai unhe par tumhari ANGEL PARTICLES ki wajah se yaadasht chali gayi hai unki...


hosh me aane ki baat sun jahan thodi relaxed hui thi MAHI wahin yaadasht jaane ki baat sun RAAZ ke liye fikr badh gayi thi uski jiske baad....


MAHI-toh hume chalna chahiye uske paas...mai apne particles wapas le lun usse,tab toh uski memory wapas aa jaayegi naa...!!!

WOOGER-jaise tumhara ek extra roop FALLON ke roop me yahan moujud tha,thik waise hi MASTER ka bhi ek roop wahan moujud hai jahan is waqt woh hain...

us jagah ke upar us roop ka kawach bicha hua hai jisse tum abhi tumhari jo condition hai,usse bhedh nahi sakti...

aur jab tak MASTER ki yaaddast wapas nahi aa jaati aur unka woh roop,woh shakti unme sama nahi jaati,tab tak mai bhi us kawach ko bhed nahi sakta...

isiliye kamsekam jab tak tumhari pyscical power restore nahi ho jaati,tab tak hume wait karna padega..

MAHI-pyscical power toh kuch der me restore ho hi jaayegi...

WOOGER-tum kisi race me lagataar doudne ki wajah se thaki aur kamzor nahi hui ho,balki ANGEL form ke samane aur uski wajah se tumhare sharir me ho rahe inside structural changes ki wajah se weak hui ho..

aur aise changes se aayi thakaan aur kamzori waqt ke saath nahi balki un changes ko adapt karne ke liye jo mehnet ki jaati hai,usse door hoti hai...

MAHI-mai samjhi nahi...!!!kaisi mehnet...????

WOOGER-sab kuch mai hi bataunga toh tum yahan kis liye ho...???


GRIFFIN ko dekh ye baat kahi WOOGER ne jispar ek pal ke liye ghoor kar dekha usse GRIFFIN ne par phir..


GRIFFIN-jaisa ki MADDOX ne tumhe bataya tha ki tumhare ANGEL form aur shakti ne tumhare heart ke ek taraf apni jagah banayi hai aur dil ke dusre bhaag ki taraf is waqt tumhare human form ki shakti khisak kar jam chuki hai..

aur tumhara task aur challange hai,in dono shaktiyon ko merge karkar ek karna...

khair,aisa karna kaafi time taking hai par is process ki triggering point filhal ke liye tumhara ilaaj hai...

tumhe apne SOUL AMPLIFICATION mode aur REFINER power,in dono ko hi ek saath open karna hoga..

complete devotion ke saath tumhe us zero state me jaana hoga jahan sab kuch blank hota hai...

aisa hote hi tumhare AMPLIFICATION aur REFINER powers tumhe tumhare ANGEL aur HUMAN, dono hi shaktiyon ke glimpse dikhayenge..

us glimpse se generate hogi ek healing power jo tumhare pyscical strength ko restore karegi...

waise isme bhi thoda waqt toh lag hi jaayega...

WOOGER-aur aisa hona zaroori bhi hai..jitni deri se MASTER ki yaadasht wapas aaye,tumhare liye utna hi acha ho...


WOOGER ki baat sun chownki MAHI aur...


MAHI-RAAZ ki yaadasht late aane se mere liye kya accha ho sakta hai..???

WOOGER-MASTER ki bhuli hui memory me waise toh dard bhi hai aur sabke liye ghussa bhi,par jaanti ho us memory me is waqt sabse zyada ghussa kiske liye hai...???

MAHI-nahi,but i hope mere liye toh aisa kuch nahi hoga...!!!

WOOGER-tumhare liye nahi par tumse jo sabse zyada jude hain,unse behadh naaraz hai RAAZ...

tumhare PITAH,LORD OF ANGELS.....

jo kuch bhi ho raha hai,har chiz jo ho chuki hai jisme RAAZ ka human hona aur jiski wajah se woh human hai,uske mom dad,unki mout,ye sab kuch unka hi plan tha...

aur in sab baaton se is waqt RAAZ ki bhuli hui memory me tunhare pitah uske liye VIDEOUS se bade dushman hai..

aur tum unki beti ho,toh zaahir hai ki woh bhuli memory tumse bhi nafrat hi karegi...

MAHI-waah,pyar usne kiya nahi,dhoka maine diya nahi,aur dagar nafrat waale raah tak pahunch gayi...

sahi hai..par koi baat nahi, berukhi sahi hai,nafrat bhi seh lenge....


ek feeki muskaan ke saath kahi ye baat MAHI ne aur phir apni jagah par paalthi maarte hue woh paused CEREBRATION me baith apne SOUL AMPLIFICATION aur REFINER powers ko activate karne me lag gayi...

wahin paused CEREBRATION me jaane se pehle jo MAHI ne jo kaha usse sun GRIFFIN ko uske liye bohot bura laga...woh WOOGER ki taraf palti aur..


GRIFFIN-tumhara MASTER itna insensitive aur patthar dil kaise ho sakta hai....??


frustration bhari padi thi GRIFFIN ki baaton me jisse sun apne bade se sir ko left right hilaya WOOGER ne aur...


WOOGER-hatheli par ishq-e-lakeer se acha hai PATTHAR banana...!!!

naa GHISOGE,naa PISOGE.....






PLANET-GALEN


PLACE-NEAR CELESTE MOUNTAIN






FNNNFNNNN....


YE NAYI GANDH KAISI...!!!!

hawa me sunghte hue ek bade hi vishalkaay aadmi ne kahi thi ye baat jispar uske saath baithe uske 3 saathiyon ne bhi sehmati jataate hue zoron se sunghna shuru kar diya...


THE NIMRODS....

yahi pechnaan thi in chaaron logon ki..aur ye pehchaan in sabko inke kabila jiska naam THE NIMROD TRIBE tha,usse mili thi..

pure badan par jungli jaanwar ki khaal se bane kapde in NIMRODS ko aur bhi darawana dikhati thi...

aap sabko ERRAPEL ka intro update toh yaad hi hoga guyz jisme usne us SNOW LEOPARD ko thik kiya tha..

waisa karte waqt usne ek kabile ka zikr kiya tha..ye NIMROD TRIBE wahi kabila hai jiske baare me usko uske baba HORUS urf DIGVIJAY ne bataya tha...

is tribe ke log naa sirf vishalkaay aur taakatwar hote hain balki saath hi saath in logon ke sunghne ki shamata kaafi tez hoti hai..

yahi wajah thi ki un chaaron ne hi door se aati ek anjaani gandh ko naa sirf sungh liya tha balki waise hi sunghte hue woh us gandh ki aa rahi disha ki taraf badh gaye aur tabhi..


1ST NIMROD-woh dekho wahan..koi bhaag raha hai...???


ek disha ki taraf ungli dikhate hue kahi ye baat us NIMROD ne jiske baad uske saath khade NIMROD ne apne kamar par bandhe 3 feet ki rope jiske dono hi ends par lohe ke do bade bade lohe ke nukile charre lage the,usse nikala aur hawa me ek pal ghumate hue us saaye ki taraf pheka jo ek chaadar odhe hue pedon ki ot lekar chhupne ki koshish karte hue bhaag raha tha par har taraf faile barf aur half moon night ki wajah se woh un NIMRODS ki tez nazar se bach nahi paaya...

woh rope ek sadhe hue andaz me apne chharron ki wajah se gol ghumta hua sidhe us bhaagte hue saaye ke pairon me fasa jiske agle hi pal..


DHAMMM....AHHHH

woh saaya barf ke beech dhas sa gaya tha aur un nukile charron ke chhubne ki wajah se uski ek behadh tez cheekh bhi nikal gayi...

wahin rope fekne ke baad woh chaaron NIMRODS tezi se us saaye ki taraf bhaage the aur kuch hi palon me woh sab us saaye ke saamne the jahan woh saaya joki aur koi nahi mai tha,us nukile charron ko jo mere pair me dhase hue the, chhatpatate hue kisi tarah nikaalne ki koshish kar raha tha...

aisa karte hue achanak maine saamne dekha toh meri jaan mere halak me aa gayi...

reason...

is waqt mere saamne aakhon me ek aisi chamak liye jo ek shikari ki apne shikar ko dekh kar aati hai,chaar daityakar size ke log khade the...

un chaaron ko dekhkar toh ek pal ke liye mai apna dard hi bhul gaya tha...

aankhen faade mai un chaaron ko dekhe jaa raha tha...waise in chaaron ko door se hi maine dekh liya tha aur isiliye chhupte hue mai bhaag bhi raha tha par ab jab ye 8 feet lambe jaanwar numa insaan mere saamne the, toh meri haalat kharab ho gayi thi...

wahin meri haalat se bilkul ulat woh chaaron mujhe behadh khushi se dekh rahe the maano unke saamne koi insaan nahi balki unki manpasand dawat rakhi hai....

aur ye baat sach bhi thi..THE NIMROD TRIBE se yahan ke logon ke darne ki ek wajah ye bhi thi ki is kabile ke log narbhakshi the...

haan,woh insaano ko kaccha nahi khaate the,paka kar khaate the par khaate toh the..

khair,yahan mai in chaaron ko tukur tukur dekh raha tha aur wahan mujhe kuch der ghoorte rehne ke baad...


1ST NIMROD-arre waah..aaj toh hamari jholi me khudbadkhud ek shikaar aa gira...

2ND NIMROD-aur woh bhi itna chikna...dekh zara,thode se chuban se hi iske pairon se khoon risne laga...

iski haddiyan chabane me bada maza aane waala hai...

3RD-haan..isse naa,dheeme aanch me pakayenge...

4TH-aur woh bhi bina maare..dekha naa,kuch der pehle kaise cheekha tha ye..iski cheekh bhaa gayi hai mujhe..

jab yunhi cheekhte hue marega ye toh maza hi aa jaayega...


BHEN***D...

saale kya baat kar rahe hain ye log..??sunkar hi haalat kharab ho gayi thi meri..

mere aankhon me dar kaafi badh gaya tha jisse dekh woh chaaron aur khush ho gaye...


1ST-par sabse pehle woh karte hain jo hamari pratha hai...apne shikar ko halal karne se pehle thoda khela jaaye iske saath..

oye uth...


neeche jhukte hue us NIMROD ne mere pair me fase rope ko ek jhatke me nikal diya aur fir kahi mujhe uthne waali baat jispar mai darte hue khada hua..

mai tha 6 feet se thoda upar..lekin iske baawjud un chaaron ke aage mai abhi baccha hi lag raha tha..

khair, mere khade hone ke baad...


2ND NIMROD-chal bhaag..agar kaamiyab hua toh bach jaayega...

ghanta bhaag..saala itni door me tha mai kuch der pehle par phir bhi pakad liya tha in chaaron ne mujhe aur ab toh saamne hi tha mai, toh aise me mera in sabse bachna toh naamumkin hi tha...

yahi sab soch raha tha mai ki tabhi....


4TH NIMROD-kya soch raha hai..bhaagta hai yaa tere andar sariya daalkar tujhe pakana shuru karen...???


bas itna hi bolna tha us bande ka ki tabhi mai un chaaron ke beech se nikalkar bhaaga...

pairon me taklif toh abhi bhi thi jo yahan pad rahi thand ki wajah se badhti hi jaa rahi thi par in sab cheezon ko side kar mai jitna ho sakta tha,tezi se bhaag raha tha...

abhi mujhe yunhi bhaagte hue kuch 20 seconds hi hue the ki maine ek baar palat kar dekha aur aisa karte hi mai chownk gaya...

reason...

jahan kuch der pehle mai aur woh chaaron log khade the,wahan ab koi bhi nahi tha....

but is hairani ko dimag se jhatakte hue mai wapas sidha hua hi tha ki tabhi...


CHATAAKHH....

ek zordar tamacha mere gaal par pada jiske asar se mai ghumta hua piche ki taraf ful force me gira..

us tamache ke impact se mere gaal fat gaye the aur sir bhi bhanna gaya tha...

do teen baar sir ko jhatakte hue kisi tarah mai khada hua toh dekha ki woh chaaron log ek baar phir mujhe circle kiye khade hue the....


3RD NIMROD-kya hua uth..chal ek aur mouka dete hain tujhe...bhaag..


us NIMROD ki baa sun is baar mai bhaga nahi,khada raha jisse dekh usse ghussa aa gaya aur..


CHATTAKKK,CHATTAKKK,CHATTAKK....

ek ke baad ek teen baar tamache pade mere face par us bande ke..

kehne ko toh ye teen tamache hi the par asar unka mukkon se bhi zyada tha..

yahi reason tha ki un tamachon ke asar se mai lehrate hue neeche gira aur behosh ho gaya...

aur jab aisa hua toh...


2ND NIMROD-arre ye toh behosh ho gaya...

1ST NIMROD-koi baat nahi..waise bhi bohot khel liye...ab apne shikar ko pakana shuru karte hain...

apna sariya nikal aur iske andkosh ki jagah se ghusate hue iske sir se bahar nikal...

aur phir latka isse aag ke upar....


us NIMROD ki baat sun uske ek saathi ne apne piche teer ki tarah latkaye sariya ko kheencha aur usse haath me strongly pakadte hue meri taraf badha...

mere dono pair toh waise bhi halke faile hue hi the..usne us bade se sariya se mere dono taango ke beech aim liya aur haath ko piche karte hue woh mujhe bhedne ke kiye us sariya ke nukile bhaag ko tezi se aage karne hi waala tha ki tabhi....


GHHHRRHHHHHH.....

ek ajeeb se gurrahat ke saath us un chaaron ke beech chhalang lagayi kisine jisse dekh woh chaaron naa sirf hadbada gaye balki chaar kadam piche bhi hath gaye...

piche haththe hi jab un sabne us beech me koodne waale jeev ko dekha toh un sabki aankhen badi ho gayi aur un chaaron ke mooh se ek saath nikla...


CHAARON-SNOW LEOPARD....(ye wahi leopard hai jiski jaan ERRAPEL ne bachayi thi...)




BACK TO ERRAPEL




SHIT.......ye kya kar diya ERRAPEL...???kahan gaya ye...????


khudpar jhunjlate hue kahi thi ye baat ERRAPEL ne...

RAAZ ko thappad maarne ke baad woh apne cottage ke andar toh chali gayi par phir kuch der baad jab uska ghussa kuch shaant hua tab usse ehsaas hua ki usne kya kar diya hai...

jisse usne thappad maara tha,woh bhul gayi thi ki woh toh khud ussika hissa hai..

bhale hi memory loss ki wajah se abhi RAAZ ka ATTITUDE badla hai,par woh ye baat jaanti thi ki ye condition temporary hai..

jis din uski memory wapas aayi toh pehle se hi frustrated aur ghusse se bhare asli RAAZ par aaj ka ERRAPEL ka maara tamacha insult to injury jaisa hoga jiska khaamiyaza bohoton ko bhugatna padega...

khair,in saare negetive thoughts me ek positive thought ne bhi ERRAPEL ke dimag me ghar kiya tha..

aur woh ye ki kyunki woh RAAZ ka hi hissa thi,un dono ki urja ek hi thi, isiliye usse dhundna ERRAPEL ke liye mushkil nahi thi..

yahi wajah thi ki agle hi pal naa sirf ERRAPEL ki aankhen band ho gayi balki saath hi saath uske body se uski urja nikalkar har taraf failti chali gayi jiske kuch der baad hi usse RAAZ ki location mil chuki thi..

location ka pata chalte hi ERRAPEL ki aankhein khul gayi par jahan RAAZ ka thikana jaan usse khush hona chahiye tha, wahin uske face par chinta ki rekhayen dikhne lagi thi..

REASON....

RAAZ ki location ussi jagah se aa rahi thi jahan NIMROD TRIBE ka thikana tha...

aur abhi RAAZ ko jo condition thi,usme woh jagah uske liye bohot khataranak thi..

ERRAPEL ko turant us location par pahunchna tha aur isiliye agle hi pal woh hawa si tez bhaagte hue NIMROD TRIBE waale area ki taraf badh gayi...





BACK TO RAAZ:-




YE TOH EK SNOW LEOPARD HAI...PAR ISKI HEIGHT ITNI KAISE BADH GAYI...???


apne sariye ko aage karte hue ye baat kahi thi 1st NIMROD ne...

wahin woh SNOW LEOPARD RAAZ ke behosh sharir ke paas usse sungne laga tha..

khair,us LEOPARD ki poonch is waqt 1st NIMROD ki taraf thi isiliye usne badi tezi se us sariye ko LEOPARD ki taraf fek diya par tabhi...

apne punch ko halka sa lehraya bhar us LEOPARD ne jisse takrate hi woh sariya door chittak kar gira...

ye dekh pehle toh chaaron NIMRODS hairan hue par phir un sabne apna apna sariya nikal liya aur ek saath uspar tezi se waar kiya par tabhi....

us LEOPARD ne apne pure body ko tezi se shrug kiya aur uske aisa karte hi ek behadh hi strong force field uske body se nikal chaaron taraf fail gayi jiske asar se do chizen hui...

pehli,woh sabhi sariye jo us LEOPARD ki taraf tezi se badh rahe the,woh beech raaste me hi us force field ki chapet me aakar neeche gir gaye..

dusri,us force field ki wajah se woh chaaron NIMRODS bhi udte hue kuch piche jaakar gire..

aur aisa hote hi unhe us LEOPARD ki taakat ka andaza ho gaya aur isiliye bina phirse attack kiye woh sab wahan se nou do gyarah ho gaye...

wahin un chaaron NIMRODS ko bhaagte dekhne ke baad bhi woh SNOW LEOPARD unke piche bhaaga nahi balki wahin RAAZ ke paas khada ho gaya....

woh uske pure sharir ko sungh hi raha tha ki tabhi...


RAAZZZZ....

ek cheekh uske piche se aayi jisse sun aise araam se palta woh LEOPARD jaise woh us awaaz ko pehchanta ho..

aur aisa hi tha...aakhir woh awaaz thi ERRAPEL ki jisne us LEOPARD ki jaan bachayi thi...

jahan woh LEOPARD badi araam se palta tha wahin uske ulat ERRAPEL badi tezi se uski aur RAAZ ki taraf aayi...

usne us SNOW LEOPARD ko door se hi pehchaan liya tha aur isiliye woh thodi nischint bhi ho gayi thi par phir uski nazar padi RAAZ par joki behosh hokar neeche us barfile zameen par pada hua tha aur ye dekh hi uske kadam tezi se RAAZ ki taraf badh gaye...

RAAZ ke paas pahunch ERRAPEL ki nazar uske bigde huliye par padi jisse dekh itni der me pehli baar usse RAAZ par taras aaya..

usse ye bhi andaza ho gaya tha ki yahan zaroor RAAZ par kisine haath uthaya hai jo ho naa ho NIMROD TRIBE ke log hi kar sakte the aur us SNOW LEOPARD ko dekh usse pata chal gaya tha ki uski hi wajah se RAAZ sirf behosh hai,warna woh narbhakshi kabile ke log usse ab tak maar chuke hote..

ye sab andaza laga ERRAPEL ne ek baar pyar se apna haath firaya us SNOW LEOPARD ke chehre par aur phir neeche jhuk usne RAAZ ke chehre ko apni godh me rakh liya..

aisa kar usne apne FUR COAT ke pocket se ek shishi nikali aur RAAZ ke mooh ko halka sa khol us shishi ke andar ke dravya ko usse dheere dheere pila diya..

aisa hote hi RAAZ ke saare zakhm apne aap hi bharne lage.. ERRAPEL jaanti thi ki abhi kuch minutes lagenge saare ghaav ko puri tarah bharne aur RAAZ ke hosh me aane ke liye...

ERRAPEL ektak RAAZ ke maasum se chehre ko dekhte hue uske cold heart ko jo usne aaj tak lagatar feel ki thi,uske baare me soch rahi thi aur yunhi sochte hue hile uske honth.....


ERRAPEL-baba kehte the.....



ki TU woh hawa hai jo sirf apni marzi se BAHEGA....

kisika dil dukhe ya toote,jo tere liye sahi hain,TU sirf wahi KAHEGA....

maasumiyat tere chehre ki tere dil me utarni zaroori hai....

warna mujhe paakar bhi,TU hamesha adhura hi RAHEGA......
















AAJ KE LIYE ITNA HI.......

















AAPKA APNA V...J......
Superb update bro
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

Rajesh

Well-Known Member
3,308
7,871
158
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MAHI KHUD KE PYSCICAL WEAKNESS KO DOOR KARNE KE LIYE PAUSED CEREBRATION MODE ME BAITHTHI HAIN WAHIN DUSRI TARAF SNOW LEOPARD RAAZ KI JAAN CHAAR NIMRODS SE BACHATA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-3


( THE DEVIL'S HAVEN,THE SACRIFICE & THE PERFECT EPILOGUE)



UPDATE-127



PLACE-ASTER






ISKA MATLAB MERA BACCHA NAHI BACH PAAYEGA..???


mere kaano me ye rudaan se bhari awaaz padi...

subah ka waqt hai...kal raat un lambe chowde jaanwar jaise dikhne waale aadmiyon ke thappad padne ke baad jab mai behosh hua tha,uske baad abhi kahin jaakar mujhe hosh aaya tha...

par aankh khulte hi apne aas paas ka nazara dekh hairan reh gaya mai..

aur woh isiliye kyunki mai is waqt ussi ghar ke hall me tha jahan se kal mujhe us ladki ne jisse uske baba ERRAPEL kehkar bula rahe the,ne uthakar bahar feka tha...

saath hi mujhe kal un logon ke maarne se jo chot lagi thi,woh bhi puri gayab ho chuki thi..

in saari chizon ke baare me mai soch hi raha tha ki tabhi us anjaani rudaan se bhari awaaz ne mujhe apni soch se bahar laaya jiske baad mai uthkar hall se bahar ki taraf chal pada par jab hall se bahar aaya toh dekha ki is waqt cottage ke saamne porch ke bahar bohot se log khade the...

aur un sabse aage thi ek aurat jiske aage neeche zamin par leta tha ek chota sa ladka jo peela sa padh gaya tha....

ussi ladke ke haath ko pakad woh aurat lagatar roye jaa rahi thi...

wahin us ladke ki dusri taraf baithi thi ERRAPEL... wahi ladki jisne mujhe kal apne ghar se bahar nikala tha...

jahan us waqt saamne baithi aurat aur uske piche logon ke face par dukh aur dard ke bhaav the wahin ERRAPEL behadh shaant baithi thi aur phir...


ERRAPEL-shaant ho jaaiye...

AURAT-kaise shaant ho jaaun mai...???mere baache ko FRAILY ne kaat liya hai..


(NOTE:-FRAILY...ek behadh hi zehrila insect jo yahan GALEN ke barfile zamin ke andar paaye jaate hain..waise toh inki taadad kam hai par inki moujudgi hi bohot bade khatre ka sabab hain...

ye FRAILY insect agar kisiko kaat le toh uska sharir zeher k asar se bahar se toh peela hone lagta hi hai par asli badlaw andar se aata hai...andar se is insect ka zeher BRAIN aur HEART ko dheere dheere puri tarah se khatm kar deta hai..)

khair,apni baat ko aage badhate hue...


AURAT-isse FRAILY insect ke zeher se bachane waale is pure ilaake me sirf tumhare baba hi the..

aur tum keh rahi ho ki woh guzar gaye hain...ab mere bacche ka kya hoga,kaun bachayega isse...???


apni baat bol aur zoron se rone lagi woh aurat jispar...


ERRAPEL-kuch nahi hoga aapke bete ko..???


apni baat bol ERRAPEL ne ek shishi nikali jisme bas ek katra laal dravya dikh raha tha..

ye laal dravya aur kuch nahi balki ERRAPEL ka khun tha jisme healing ability thi...

us shishi ko nikal ERRAPEL ne uska knob khola aur us behosh pade ladke ke mooh ko khol us khoon numa dravya ko usme udel diya..

par itna hi kaafi nahi tha...kyunki us ladke ko FRAILY insect kaafi der pehle kaat chuka tha jiski wajah se uska heart aur brain,dono galne shuru ho chuke the isiliye us ladke ko puri tarah se theek karne ke liye ek aur process bhi zaroori tha...

aur isiliye dravya ko udelne ke baad ERRAPEL ne apna haath us ladke ke sir par rakha aur man hi man....


ERRAPEL-

APIBATI

ABSORB


is SPELL ko uccharit kiya usne aur uske aisa karte hi ek invisible ray nikli uske haathon se aur us ladke ke sharir me sama gayi aur aisa hone ke kuch der baad woh ray un saare gale hue parts ko theek karte hue bahar nikli aur wapas ERRAPEL ke haathon se hote hue usne sama gayi aur jab aisa hua toh..


AHHHH.......

ERRAPEL ke mooh se ek dard bhari aah nikal gayi..

reason...

jo SPELL ERRAPEL ne bola tha,uske asar se us ray ne ladke ke parts ko theek toh kar diya,par saath hi woh tadap,woh dard jo us ladke ne saha tha,usse bhi absorb kar liya..

aisa kar jab woh ray wapas ERRAPEL ke andar samayi toh ERRAPEL ko bhi us ladke ne jo pain mehsoos kiya tha,woh feel hone laga...

wahin pehle us laal dravya ko us ladke ke mooh ne udelna,phir uske maathe par haath rakh kuch budbudana,ye sab dekh us ladke ki maa aur uske saath aaye log hairan ho hi rahe the ki tabhi ERRAPEL ke mooh se dard bhari aah sun unki hairani aur badh gayi..

par woh usse kuch kehte yaa puch paate ki tabhi..

AHHHH...

ek aur dard bhari karah un sabke kaano me padi par is karah ko sun un sabke chehre par khushi ki leher loud gayi...

aur woh isiliye kyunki ye karah us behosh pade ladke ke hosh me aane ki thi jisne naa sirf ab apni aankhen khol di thi balki uske sharir par chadha peelapan bhi lagbhagh gayab bhi ho chuka tha...

apne bete ko hosh me aata dekh baaki sab kuch bhul baithi woh aurat aur uske saath aaye log...

us aurat ne apne bete ko jhat se apni godh me utha liya aur uske pure chehre ko chumne lagi....

baaki saare logon ne bhi us ladke ke sir par pyar se haath fera jiske baad woh sab ERRAPEL ke taraf palte jo ab kaafi hadh tak theek ho chuki thi aur...


1ST person-hume toh maalum hi nahi tha ki HORUS ki beti bhi unki tarah gunwaan hai...

ab hume koi chinta nahi...humare aur humare logon ke rogon ke upchaar ke liye yahan tum jo ho....


(NOTE:-HORUS kabhi bhi ERRAPEL ko kisi ke saamne zyada disclose nahi karte the aur isiliye hi koi bhi uske baare me zyada jaanta nahi tha.)

khair,us aadmi ki baat ko aage badhate hue..


AURAT-GOD tumhe khush rakhe beta...aur tumhare baba ki aatma ko shaanti de...tumhara jitna dhanyawaad karun utna kam hoga beta...

apne bete ki jaan ki keemat toh nahi laga sakti mai,par phir bhi,ye rakhlo..


apni baat keh kuch GOLD DIME usne ERRAPEL ki taraf badha diye jisse ek feeki muskaan ke saath aur bina kuch kahe ERRAPEL ne apne paas rakh liye...

ye hone ke baad woh aurat aur uske saath aaye log wapas palat chale gaye jiske baad ERRAPEL piche palti aur aisa hote hi uski nazar padi door par khade mujhpar..

wahin jab ERRAPEL ne mujhe dekha toh uski kal ki kahi baat aur harkat wapas yaad aayi mujhe aur isiliye mai apni nazarein usse churane laga..

meri is harkat aur aisa karne ka reason samajh rahi thi ERRAPEL aur isiliye woh chalti hui mere samne aakar khadi hui aur...


ERRAPEL-kal raat jo bhi maine kaha tha,uske liye sorry....woh baba ke condition ki wajah se woh sab mere mooh se nikal gaya...

MAI-kya khudki taklif dusron ka bhi dard banana chahiye...???


behadh maasumiyat se pucha tha maine ye sawal jispar ERRAPEL ek tak mujhe dekhne lagi aur phir....


ERRAPEL-jab khudko taklif ho rahi ho,tab aksar dusron ka dard dikhayi nahi deta...

MAI-waise hi jaise un aunty ko tumhara dard nahi dikhayi diya,haina..???


ek baar phirse badi saadgi se bhar ye sawal kar baitha tha mai jisse sun aakhon me hairani liye ERRAPEL dekhne lagi mujhe aur phir...


ERRAPEL-kehna kya chahte ho...???

MAI-un aunty ko apne behosh pade bete ke roop me apni taklif toh dikh rahi thi par tumhare baba guzar gaye,woh dard nazar nahi aaya..

tumhara sach, tumhari taklif jaanane ke baad bhi woh apne hi dard ki duhayi deti rahi...

aur phir jab tumne unke bete ko theek kiya jiske baad tumhe taklif bhi hui,us dard ko bhi un sabne us ladke ke hosh me aane ki khushi me bhula diya..

jab woh aurat tumhe woh chamakti cheez de rahi thi,tab ek feeki muskaan aayi thi tumhare chehre par...

woh muskaan maine abhi jo bhi kaha,ussi wajah se thi naa...!!!!


ektak bina palke jhapkaye dekh rahi thi mujhe ERRAPEL...aur isme uski bhi koi galti nahi thi...

ek cold hearted emotionless ladke ke mooh se emotions se labrez itni deep analyzation sunane ki ummid kabhi nahi ki thi usne...

yunhi khadi mujhe ghure jaa rahi thi ERRAPEL jisse dekh mujhe awkward laga aur isiliye...


MAI-kya maine kuch galat kaha...???

ERRAPEL-jao,jakar fresh ho jaao...mai tumhare liye kapde nikal deti hun...

MAI-kuch puchun...???

ERRAPEL-pucho....!!!

MAI-mai kaun hun...??? mera naam kya hai..??mujhe apne baare me kyun kuch yaad nahi...????

ERRAPEL-abhi ke liye itna jaan lo ki tumhara naam RAAZ hai...baaki baatein sahi waqt par tumhe khud yaad aa jaayegi...

ERRAPEL ki baat sun is baar mere chehre par ek feeki si muskaan naach uthi jisse dekh...


ERRAPEL-kya hua..?? muskura kyun rahe ho...???

MAI-bas yunhi..kal tum keh rahi thi ki jo kuch bhi ho raha hai, uska kaaran mai hun...aur aaj mere baare me bataya bhi toh sirf mera naam...

par shayad itna hi kaafi hai...

RAAZ....yahi naam bataya na tumne mera...jab naam hi RAAZ hai toh baaton ka, haalaton ka chhupna toh laazmi hi hai...

khair,jis sahi waqt ki baat tum kar rahi ho,ummid hai ki us waqt ke aane par bhale hi mujhe taklif ho jaaye, par mujhse kisiko koi taklif naa ho...


kitne bholapan se keh diya tha is baat ko RAAZ ne bina ye jaane ki...


khudhi ko bhule hue logon ki kismat sunta KAB HAI...!!!

RAAZ ki TAKLIF hi toh dusron ke dard ka hone waala SABAB HAI....!!!!






PLACE-ASTER





KITNI MAASUMIYAT,KITNA BHOLAPAN JHALAKTA HAI MAHI KE CHEHRE SE...


PAUSED CEREBRATION me baithi MAHI ko dekhte hue kahi thi ye baat GRIFFIN ne jisse sunane ke baad bhi chup hi raha WOOGER...


wahin apni baat ko aage badhate hue..

GRIFFIN-itni saadgi ke baawjud bhi apne zindagi ke shuruat se hi kitna kuch saha hai isne...

mata pitah hone ke baawjud ek virane jungle me akeli pali badhi ye...wahan,us jungle me dost ke naam par sirf jaanwar hi the iske saathi..

par phir bhi kabhi shikan tak nahi dekhi iske chehre par maine...

CHOSENS pahunchi toh zindagi kuch behtar zaroor hui...iske lagatar sikhne ki bhook ko jaise ek bhandara sa mil gaya wahan and most importantly, hamesha akeli rehne waali MAHI ko naye dost mile gaye...

finally khush rehne lagi ye par us khushi par bhi grahan lag hi gaya..

aur woh grahan lagaya tumhare MASTER RAAZ ne...

uske pyar me kya padi MAHI,uski saari khushi jaise achanak se hi gayab ho gayi...

sirf dard hi dard jhelna isne usse dil lagakar..


WOOGER ko ghurte hue kahi ye baat GRIFFIN ne jisse sunane kw baad bhi WOOGER aise baitha raha jaise usne kuch suna hi nahi yaa phir jaise usse GRIFFIN ki kisi bhi baat se koi fark nahi padta...

wahin kuch der tak yunhi WOOGER ko ghurte rehne ke baad..


GRIFFIN-ek baat batao..kis baat ka ghamand hai tumhare RAAZ ko...haan,ye sach hai ki uski niyati me aakhir me mitna hi likha hai par jab is sach ko jaanane ke baad bhi MAHI usse pyar karti hai toh woh kyun nahi kar sakta...!!!

kyun usse MAHI ka dard nahi dikhta..???kya MAHI ki khushi ke liye woh uska saath nahi de sakta..???

ATTITUDE...bas yahi bhara pada hai tumhare MASTER ke andar...

aakhir samajhta kya hai woh apne aap ko...??? agar woh dono LORDS ko URJA hai toh MAHI LORD OF ANGELS ka ansh hai...unki beti hai....

ohde me, position me kahin zyada aage hai woh RAAZ se par dekho iska ATTITUDE...unlike RAAZ kitni saral aur sweet hai ye...

WOOGER-aur meethe ka hi toh shoukh nahi hai mere MASTER ko....


apne bade se sir ko left right jhatakte hue kahi ye baat WOOGER ne jisse sun ghusse se bhar kuch kehne hi waali thi GRIFFIN par woh kuch kehti usse pehle hi..


WOOGER-SHHHHHH.....

jitna bola hai,jitni raay di hai,bas utne ka hi feed back le lo...

zyada bologi toh jawab bhi zyada milenge aur zyada dose bardasht nahi kar paayogi tum...


jahan WOOGER ki baat sun khulte khulte mooh band ho gaya GRIFFIN
ka wahin apni baat ko continue karte hue....


WOOGER-shuruat se shuru karte hain... kya kaha tha tumne,MAHI shuru se akeli pali badhi...

ek baat batao,MAHI ke chakkar me earth aur wahan ke logon ko, unki life style ko toh dekha hi hoga tumne...

sadak kinare chote chote bachhon ko jinhe bhaasha bhi thik se bolna nahi aaya ho, toote plastic aur dusre waste materials ko uthate hue dekha hi hoga tumne...!!!

kya kabhi unhe waisa karte hue dukhi dekha hai tumne...nahi... adaptation..yahi humans ka sabse bada plus point hai jisse woh chote aur maasum bache khudpar implify kar lete hain..

jab woh normal aur sadharan bacche waisa karne ka hunar jaante hain toh MAHI toh ek SAVENT hai...

infact ek SAVENT se kahin aage hai woh..ek human ANGEL hai MAHI..toh uske liye aisa karna kaun si badi baat thi...!!!

GRIFFIN,bhook lagi ho par khaana saamne naa ho toh banda kisi tarah khud ki sudha ko control kar hi leta hai..

par patience tab jawab de jaati hai jab bhook bhi tagdi lagi ho aur khaana saamne pada ho par aap usse khaa nahi sakte...

aisa hi kuch mere MASTER ke saath hua hai..tumhari MISTRESS toh shuru se hi akeli thi,aaj bhi hai,par mere MASTER ki life ko analyse karo aur phir bolo...

hamesha maa baap saamne rahe par zindagi anathon ki guzaari...

aur phir apne hi MAA BAAP ka maarna pada unhe...tum imagine bhi nahi kar sakti us dard ko jo mere MASTER ne waisa karte waqt feel kiya hai...

bolo MAHI ko aisa kuch karne ke liye,uske baad baat karenge.. dekhenge ki kitni stability aur pyar bachta hai iske andar...

aur kya kaha tha tumne..???kis baat ka ghamand hai mere MASTER ke andar...!!!

aur ohde ke hisaab se tumhari MISTRESS aage aur badi hai mere MASTER se..

agar itni hi aage hai ye toh bolo naa isse ki bramhand ke sabse bade khatre VIDEOUS se ladhe aur usse khatm kare...

kar sakti hai ye...??arre jiske naam ka sahara lekar tumne isse mere MASTER se upar bataya,woh tak aisa nahi kar sakte..

phir kahan se badi ho gayi ye...!!!

jab ye pyar kar sakti hai toh tumhare MASTER kyun nahi kar sakte...???yahi kaha tha naa tumne....!!!

maine toh suna hai ki pyar ho jaata hai,phir karne ki baat kahan se aa gayi...???

aur pyar ke badle pyar ki khwahish rakhna pyar nahi soudebaazi ki nishani hai...

par isme tumhari bhi kya galti..aakhir ho toh tum issika ansh..

aur ye uski beti jo koi aur cheez me ho naa hon,par soudebaazi me sabse aage hain...

ab dekho naa,kisi ko khatm karne ki kya hi keemet rakhi unhone...

ek bete ke haathon uske hi maa baap ko marwaya gaya par woh aisa hote dekhte rahe..kuch kiya nahi unhone is akshamya paap ko hone se rokne ke liye..

aur karte bhi kyun...????unki storyline jo kharab ho jaati... planning gadbada jaati...

mahan hone ka jo jhuta mukhouta odhe baithe hain woh,nikal jo jaata...

aur tum chahati ho ki aise dakiyanusi shaksh ki beti se mere MASTER pyar karen...

GRIFFIN-watch your tounge WOOGER...jaante bhi ho,kiske baare me baat kar rahe ho...???

WOOGER-bura laga...!!!jo bhi maine kaha,woh mere MASTER ke bhuli memory ke bade se thought process ka chota hissa hai..

agar itne me hi bura lag gaya tumhe toh socho..jab mere MASTER ki yaaddast wapas aayegi aur dono LORDS ke liye unke andar daba ghussa shabdon ke roop me futega toh kaan se khoon hi naa nikal jaaye tumhari MISTRESS ke...

phir pyar toh door ki baat hai,shayad dekhna bhi pasand naa kare woh mere MASTER ko....

par agar aisa ho jaaye toh hi thik hai...iske saath in dono baap beti ki manhusiyat bhi door ho jaayegi mere MASTER se...


GRRHHHH.....


WOOGER ki kahi aakhri baat ne GRIFFIN ke ufan rahe ghusse ko trigger kar diya jiske baad woh ek ajeeb di gurrahat ke saath kood padi WOOGER ke upar aur aisa kar woh sidhe WOOGER ke body se takrayi jisse jahan WOOGER neeche ludhak gaya wahin ab GRIFFIN ke nukile aur bade naakhuno waale panje uske upar the...


GRIFFIN-ek aur shabd nahi WOOGER...!!!!

warna tumhara anth karne ke liye ek pal bhi nahi lagega mujhe...

AHHH....


abhi GRIFFIN ki baat yaa phir ye kahun ki uski dhamki puri bhi nahi hui thi ki tabhi uske panje ke neeche daba WOOGER gayab ho gaya aur theek uske piche prakat hua aur aisa hote hi usne apne bade sir se GRIFFIN ke back side me hit kar diya jisse woh udti hui thodi aage jaakar giri..

par aisa hone ke agle hi pal woh naa sirf khadi hui par usne turant WOOGER ki taraf bhi chhalang laga di..

wahin WOOGER ne bhi apni jagah se GRIFFIN ki taraf chhalang laga diya tha...

GRIFFIN ki gardan thodi lambi thi wahin WOOGER ki compact aur behadh strong..

apne apne sir ko aage karte hue un dono ne ek dusre ki taraf chhalang lagayi thi jiske agle hi pal..

BOOM......

dono ke sir ek dusre se takraye jisse ek tez power wave paida hua aur har taraf fail gaya...

wahin takrane ke baad WOOGER aur GRIFFIN,dono hi neeche gir gaye the..

takkar ke asar se dono ka hi sir tez ghumne laga tha jisse woh kisi tarah control karne ki koshish kar rahe the..

par is beech ek baat se anjaan the dono..

aur woh ye ki unki takkar ki wajah se jo power wave paida hua tha,uska ek bhaag MAHI ke body se bhi takraya tha jisne anjaane me hi sahi,par MAHI ki madad kar di thi....

kaise??? aayiye,jaan lete hain...


paused CEREBRATION me bathe MAHI ko kaafi waqt ho chuka tha par apne physical weakness ki wajah se woh apne spiritual form ke kareeb nahi pahunch paa rahi thi...

uska ANGEL aur HUMAN form,dono hi uske heart ke left aur right me placed the,par lagatar kaafi der tak khojne ke baad bhi usse un dono bhaagon me kuch bhi feel nahi hua tha...

khair,MAHI ka ATTITUDE give up ka toh tha hi nahi isiliye kuch bhi naa dikhne ke baawjud woh apni koshish me lagi rahi....

ek andhakar tha is waqt MAHI ke andar jisme woh bhatakti hui har taraf kisi ujale ki ummid ne dekhe jaa rahi thi par har guzarte pal ke saath uski ummid kam hoti jaa rahi thi par tabhi...

ek external force ne hit kiya MAHI ko...

par PAUSED CEREBRATION me hone ki wajah se uska sharir us force ke khudpar hit karne se unaware hi raha par jaise hi woh force MAHI ke sharir ko bhedate hue uske andar samaya toh..

achanak se hi us andheri jagah jahan MAHI ghum rahi thi,wahan ujala ho gaya jiske baad MAHI ko uske heart left aur right ends me ek saath do super powerful energy
sources dikhayi diye..

left ne MAHI ka HUMAN FORM ENERGY SOURCE joki WOOGER ke power wave ki taakat se dikhayi diya tha wahin right taraf uska ANGEL form GRIFFIN ki power wave ki wajah se dikhne laga tha...

reason....

RAAZ...MAHI ke ANGEL PARTICLES ki wajah se RAAZ ka DEVILISH FORM supress ho chuka tha aur isiliye uska human form jisme us form ki taakat bhi thi,woh bahar thi aur isiliye same change uski urja se bane WOOGER me bhi thoda sa hi sahi par woh portion aa gaya tha..

wahin FALLON ke khudse merge hone ki wajah se MAHI ke andar automatically hi uska ANGEL FORM activate ho chuka tha aur isiliye hi uski urja se bane GRIFFIN me bhi thoda sa hi sahi par woh portion activate ho gaya tha..

aur jab woh dono ek dusre se takraaye toh apne apne respective MASTER aur MISTRESS ka woh human aur angel form power wave ke roop me unse generate hokar MAHI se takraya tha jiske result se woh dono forms joki MAHI ki heart ke left right chhuppe hue the,woh roshni me aa gaye...

khair,un dono hi forms ke roshni me aane ke agle hi pal woh wapas andhere me chale gaye the par aisa hone se pehle apna kaam kar diya tha unhone...

MAHI ki pysical strength wapas lout aayi thi...

iske saath ek aur cheez bhi hui thi...aur woh ye ki jab WOOGER ke body se power wave nikla toh ussi pal GALEN me moujud RAAZ ke sharir se bhi invisible form me wahi wave nikal har taraf fail gaya tha aur jab us wave ne jaakar kisiko chhua toh ek nayi baat pata chali MAHI ko..

aur aisa hote hi aankh khul gayi MAHI ki...

pehle ki tarah pysically fit thi MAHI..haan uski ANGELIC taakat abhi bhi uske andar dafan thi jo uske human form ki power ke saath merge hone ke baad hi usse milne waali thi par isme abhi bohot time aur mehnat lagni thi par filhal ke liye woh part important nahi tha..

abhi jo MAHI ke liye sabse important tha,woh tha RAAZ ke paas pahunchna aur isiliye jaise hi uski aankh khuli toh..


MAHI-


anjaane me hi tumse tumhari yaadasht chhin mai tumhe SATA RAHI HUN....

woh darwaza jiske dusri taraf tum ho,mai wahan JAA RAHI HUN....

jitna sehna tha,seh liye hum,par ab bas.......

hisaab pura hoga,ghabrana mat JAAN,mai tumhare paas AA RAHI HUN.....















AAJ KE LIYE ITNA HI.......















AAPKA APNA V....J.....
Superb update bro
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in
Top