• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) ( Completed )

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,529
94,693
304

Rdx sam

New Member
38
249
33
Wonderful update...
To Raaz v apne dil or dimag ke beech fasa hua h or sahi v hai...
Kal tk jo khud ko sirf urja maan kr apne target pr consentrate tha jiski koi kamjori nhi thi use pata chale chale ki vo koi urja nhi balki human ho or us pr v sone pr suhaga use khud hi pata chalne ke baad apne mom dad ko apne hatho marna pade to us insaan ki mindity kya hogi...
Sayad isi liye apne iska title kabhi angle khabhi devil rakha h...
Chalo ab ye dekhte h aaj to uski mom mariya(anjali) ne use thode der ke liye rok liya lekin kb tak uska dil angel ka hota h...
 

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
Hahahaha pta tha hmka ki aisa hi kuchh hoga ...sab ke sath hm bhi soche ki magic fountain jo alessendra ke planet pr tha uska pani us book pr ho skta h pr ya fir ansu ya kuchh aur pr yaha bhi aapne sbko chonka hi diya ... Wo tha jairaaj ke pyaar ki nishani apne pyaar apni wife ke liye bnaya gya fountian...waise ye to satya h pyaar ke aage koi nhi tik paaye...bhagwan tk usse haar gye aur humans me bhi sbse strong power jo h wo bhi yhi h..jiske aage saitano ne kitni baar maat khayi h...jisko paane ke liye sbhi devta bhi manav jeewan jeena chahte h...pyaar ke liye jeena pyaar ke liye kurbaan ho jana...aur dusri cheez jo humans ko sbse alg bnati h wo h secrifice..khair ab jwab to sbke samne h hi...aur raaz aur mahi apni chunotiyon ke samne bhi h..apne gantavya ki raah pr h..jaha mahi thodi si chuk ke karan pani ke gehraiyon me alligator ke sath sma chuki h pr wahi usko chunoti milne wali h jo use crack krni h maybe alligator usko kuchh dikhana ya btana ya jo bhi ho wo chahta ho..ya use fight bhi ho mahi ki...wo to sb RAAZ hi h abhi ke liye...aage pta chlega wahi raaz agr anjali uske samne nhi aati aur use dekh kuchh pal raaz rukta nhi to aaj apne gusse ke karan wo us bacchi ko maar hi dalta pr dekhte h ab aage kya krega itna to h ki ab wo kisi ko nhi marega un peace maker me pr uska kuchh pta nhi kb kya krde...aur dekhte h kya wo us nadi ka pani waps layega aur uske liye videous ne koi shart bhi rkhi hogi jo bahut khatarnaak hone wali h...dekhte h kya hoga...
Waiting brother...gjb update...aaj raaz me uske pita ki pratibha dekhne ko bhi mil gyi...
thanks brother..yunhi saath bane rahiye
 

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
True and pure love, I said earlier that there is a lot of power in love and this has been proved in today's update as well. :love3: Well Mahi has solved that puzzle, that's a very good thing. Now it has become a habit for us to hear the opposite answer… Poor Mahi…:lol:
Mahi and Raaz have both reached different and bizarre places, they are elusive meaning competition is equal. The enemy of both places has a specialty and that is incredible speed. Raaz is finding it difficult to fight because of Eraapel, means she is not supporting him, yet the two have not adopted each other, don't know when they will be together? :?:
I remember everything Florine used to teach children in orphanage. If Raaz had killed that girl today, I would have been heartbroken because sometimes Raaz is too cruel, it is his father's fault that it is wrong to punish the girl and I think the only thing Raaz has to learn is his lack of love.:approve:

As always the update was great, You are writing very well, Now let's see what happens next, Till then waiting for the next part of the story.

Thank You...

🖤🖤🖤
lot's more to come Brother...just be along
 

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
Sun ne me hi itna romanchkari or khubsurat lag rha he to jab yh kirdar ka plot hmare samne ayega tab kitna 🌹 beautiful lagenge yh shabd padne me ,is 🌹 rose ki trh
Superb update bhai...
dil khus ho gawa vj4u bhai ji waiting likhe aaya tha dekha to update samne tha :reading: mai jada bol nahi pata story ke bare me lekin is story ka mujhe nasa hai bhai ji hehe
Superb update
Excellent update bhai

Ek number
Kathahi Zaher
Bahot zaberdast shaandaar lajawab update VJ bhai
Lekin yeh tow bahot khaternak banker wapas lauta h RAAZ
Superb fantastic mind blowing excellent update brother
Thanks for lovely and wonderful update
Ab Mai kia likho Sala hr update read kr k Mera fuse ur jata h

Likhne ko to mere pass kuch h hi nahi,,,,
Bus esi story Maine kabhi read nahi Kari
Mast update
Bahut hi khubsurat update bhai 😊
behatrin update bro.................raaz ke heart ko angle banane ki suruwat ho gyi h ,.............uska gussa km kr logo ko tklif dene se rokne ke liye mom ki spirit hi aa gyi..................kher ye itni aasani se khtm nhi hone wala h.................dekhte h raaz miya kya krta h..............or mahi kese khud ko bachati h..............or jiraj singh k to kya khne uska pyar or pure emotions uske bete angle lord ke sath sath uski poti tk k kam aa rhe h........................
Hamesha ki tarah gazab or zabardast fantastic update tha sala raaz to masoomo ki jaan lene se b peexhy nhi hat raha is waqt to is me or videos me koi farq nhi bacha ek bat to achi nikli k usse abi b maa ke asou ki kadar hy baki dekhte agy kia hota hy eagerly waiting for next update
Superb Update Bro...
Waiting For Next
Fantastic update bhai...
Super fantastic update bhai maza aa gya ab dekhte hai ki aage kya hota hai
Zabardast update
Awesome update bro
Wow bhai matalab jo bhi ho sabki vat lagane wali hain chalo kuchh to Emotions hain is bande main dekhte hain aage kya hota hain
Waiting for new update bhai
Nice update bhai
Mast update
Super Duper Hit & Fantastic & Excellent & Awesome & Gajab & Very Nice Update Bro

Wah yr kya scene tha apne bete or galat krne se rokne k liye spirit form m aa gyi anjali or kaam ho b gya ab abi kuch kaha nahi ja sakta Devil jo h

Devil jo sirf apne bare m sochte h esa hi kuch dekhne ko mila h isme raaz k throw

Kya raaz jo abi sb kr rha h usse usk dusman nhi banege fir videous to or b dur ho jayega




Waiting
Nice update
Nice update.... V.j bhai
romanchak update bhai
excellent update bhai
Super update hai bhai
Excellent Mindblowing superb update
Fantastic superb awesome update bhai, ERRAFEL to lagta hey RAAZ ki wat lagakey hi choreygi,Anju ko dekhney k baad pichey hatna lagta hey upar sey jitna bhi gussah dikhay RAAZ par ander sey abhi bhi uska unkey liye pyear hey, dekhtey hey agey kya hota hey
KEEP IT UP AND AS ALWAYS WAITING FOR
Awesome update vj4u
Paheli ka raaz to suljhaliya mahi ne ab dono hi apne apne raste chale gaye
Jaha ek taraf raaz ka swagat peace makers ne ladayi se kiya uska Anjaam bhi unhe bhugatna pada
Wahi jab RAAZ us bachi ko marne gaya to waha uski mom anjali ki shadow prakat Hogayi
Isme ek baat to clear Hogayi ki chahe aap kitne bhi bade surma kyu na ho par apni maa ke agey khud ki koi aukat nahi rehti unke samne to kamzor padna hi padta hai
Wahi mahi bhi us samandar ke andar chalegayi ab dekhte hai mahi ke liye kya challenge hai waha
Keep writing
Keep posting
Wonderful update...
To Raaz v apne dil or dimag ke beech fasa hua h or sahi v hai...
Kal tk jo khud ko sirf urja maan kr apne target pr consentrate tha jiski koi kamjori nhi thi use pata chale chale ki vo koi urja nhi balki human ho or us pr v sone pr suhaga use khud hi pata chalne ke baad apne mom dad ko apne hatho marna pade to us insaan ki mindity kya hogi...
Sayad isi liye apne iska title kabhi angle khabhi devil rakha h...
Chalo ab ye dekhte h aaj to uski mom mariya(anjali) ne use thode der ke liye rok liya lekin kb tak uska dil angel ka hota h...
thanks brothers...be along
 

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MAHI APNE DOOR KO CROSS KAR SPIRAM PAHUNCHTI HAI JAHAN PAANI PEETE WAQT EK ALLIGATOR USSE KHEECH KAR NADI KE DEPTH ME LE JAATA HAI WAHIN DUSRI TARAF RAAZ BHI APNE DOOR KO CROSS KARNE KE BAAD STALWART WORLD PAHUNCHTA HAI JAHAN WOH PAANCH PEACE MAKERS ME SE TEEN KE HAATH AUR DO KE PAIR KAAT DETA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-3



(THE DEVIL'S HAVEN, THE SACRIFICE & THE PERFECT EPILOGUE)



UPDATE-133




KADAK........

ek baar phirse DEWEI ki us choti si beti ki gardan mere haathon ke giraft me thi aur is baar maine usse apni taraf paltaya nahi balki uske sir ko hi ghumakar uski gardan tod di aur mere aisa karte hi uska sir jhul gaya...

us bacchi ko khtam kar usse neeche fekh diya maine aur tab jaakar kahin uska maasum chehra mere aankhon ke saamne aaya par jab aisa hua toh ek tees si uthi mere dil me..

ek tak mai us mari hui bacchi ko dekh hi raha tha ki tabhi mere kaano me gunji ek awaaz..

ek aisi awaaz jo mai laakhon karodo awaazon me bhi pehchaan sakta tha....

kyunki ye awaaz kisi aur ki nahi meri mom ki thi...


ANJALI-badhayi ho mere bacche..aakhir tumne apne dil ki kar hi li...maar diya us maasum bacchi ko...

ummid hai jis sukoon ke liye tum aisa karna chahte the,woh tumhe mil gayi hogi...

aur agar abhi bhi koi kasar reh gayi hai toh yahi mouka mai ek baar phirse tumhe deti hun..

jaao, ek baar phir puri kar ko apni khwahish....


ye bol jaise hi mom ki awaaz band hui toh mere aankhon ke aage tez roshni si jagmaga gayi....






PLANET- STALWART WORLD


PLACE- DEWEI'S HOUSE





DAR KYUN RAHI HO GIZA...????KYA TUMHE DIYE GAYE NIRDESH PAR BHAROSA NAHI HAI..????


apni wife GIZA ko side se hug karte hue kahi thi ye baat DEWEI ne...

reason...

is waqt mai un dono ke hi ghar me ek bed par behosh leta hua tha aur unki choti si beti jisse kuch der pehle mai maarne waala tha,woh is waqt mere theek saamne baithi hui thi...

toh hua ye tha ki jaise hi mom mere saamne prakat hui toh mera sir ghusse aur bechaini se bhar ghumne laga jiska natija ye nikla ki mai behosh hokar wahin gir gaya..

mere yun girte hi usse sahi mouka samajh mujhe maarne ke liye PEACE MAKERS meri taraf badhne ko hue par tabhi ek tez hawa ke jhonke ne un sabko chhua..

ye hawa aur kuch nahi balki mere mom ki ENERGY GUSH thi jisme tha un sabke liye ek order..

order to stop....aur wahi hua..jaise hi us energy gush ne un sabko chhua,toh woh sab apni apni jagah par jadh se hokar khade reh gaye..

haan,us sabko hairani zaroor ho rahi thi ki ek top SERAPHIM ANGEL mere jaise DEVIL ko maarne se bhala kyun un sabko rok rahi thi par naa toh woh koi sawal kar sakte the aur naahi hukm ki naafarmaani...

khair,jahan baaki PEACE MAKERS ko sirf rukne ka aadesh mila wahin GIZA aur DEWEI ko unke brain me ek naya aadesh bheja gaya..

jisme unse ye kaha gaya tha ki mujhe behoshi ke haalat me hi apne ghar me le jaaya jaaye aur unki beti ko jisse kuch der pehle maine maarne ki koshish ki thi,usse theek mere saamne baitha diya jaaye aur ussi nirdesh anusaar woh bacchi mere saamne baithi hui thi...

kuch aur baatien bhi un dono se kahi gayi thi jo mere hosh me aane ke baad unhe mujhse kehni thi...

khair,apni beti ko mere saamne baithane ke baad se hi GIZA ke chehre par ghabrahat dikhne lagi thi jisse dekh DEWEI jiska ek haath abhi bhi kata hua tha par pain ab puri tarah khatm ho chuka tha,usne ye sawal pucha tha jispar..

GIZA-bharosa nahi hota toh apni ek louti bacchi ko us haiwan ke saamne nahi chhodti par kya karun,maa hun naa...dar jaata hi nahi...


GIZA ki baat sun aur uski manosthithi ko samajhte hue DEWEI ne uske ird gird lapete apne bache hue ek loute haath ko aur tight kar diya tha..

aur issi beech mera sir halka sa move hua jiska matlab tha ki mai hosh me aa raha tha aur ye dekh GIZA aur uske saath DEWEI ka apne beti ke liye dar halka sa aur badh chuka tha..

khair,ek do baar sir ko move karne ke baad dheere se apni aankhen kholi maine jiske baad jo sabse pehla scene mere saamne aaya tha,woh tha ussi bacchi ka chehra jisse kuch der pehle maine maara tha aur jo is waqt tukur tukur mujhe dekhe jaa rahi thi...

par agle hi second mujhe samajh me aa gaya tha ki jo maine kiya tha,woh sapne me kiya tha par is baat ka realization hote hi meri mom ki woh aakhri baat jiske baad mujhe hosh aa gaya tha,mere dimag me gunj uthi...


"AGAR ABHI BHI KOI KASAR REH GAYI HAI TOH YAHI MOUKA MAI EK BAAR PHIRSE TUMHE DETI HUN..

JAAO, EK BAAR PHIR PURI KAR KO APNI KHWAHISH"....


us baat ka matlab bhi mai samajh chuka tha aur isiliye mai jhat se uththe hue baith gaya..

mere is sudden movement ko dekh darwaaze ke dusri taraf chhup kar khade hue DEWEI aur GIZA kaafi dar gaye the...

GIZA ne DEWEI ka woh haath jisse usne uske shoulder ko pakda hua tha,usse kas kar hold kiya hua tha...

aur yahan baithne ke baad maine apna haath us bacchi ki taraf badhaya aur uski gale par rakh diya..

par is baar maine gale ko dabaya nahi bas usse halka sa touch kiya aur mere aisa karte hi us ne bacchi haste hue mere haath ko apne nanhe haathon se pakad liya aur bina awaaz kiye bas hasne aur muskurane lagi...

yahan mai ektak us bacchi ko dekh raha tha aur wahan darwaze ki ot liye uske maa baap apni saansein roke mujhe dekhe jaa rahe the par unki tandra tab tooti jab...


MAI-andar aa jaao DEWEI,GIZA....


mere mooh se apna apna naam sun pehle toh woh dono hadbadaye
par phir woh turant mere saamne aakar khade ho gaye...


MAI-yahan kyun hai ye...???


us bacchi ki taraf ishara karte hue kahi ye baat maine jispar...


GIZA-hume aadesh mila tha...

MAI-aur tumne maan liya...ye nahi socha ki mai isse maar dunga...

kya koi aadesh apne bacche se badhkar hai tum dono ke liye..!!!???

DEWEI-baat aadesh ki nahi,unki hai jinhone us aadesh ko diya hai...

ek SERAPHIM ANGEL ka aadesh humare liye humare prano se badhkar hai..

MAI-HAHAHAHA.....


DEWEI ki baat sun pehle toh zoron se hasa mai par uske baad ek sard nazar se un dono ko dekhte hue maine tez se apna haath badhaya aur mere saamne baithi bachi ki gardan ko pakad liya..

grip kaafi dheeli thi meri par dekhne par strong hi lag rahi thi...

wahin mere aisa karte hi DEWEI aur GIZA ki aankhon me hadh se zyada dar dikhne laga jisse dekh ek baar phirse hasa mai aur..


MAI-bas,fath gayi....har practical waisa nahi hota jaisi uski theory hoti hai...

kurbaani ka itna hi jazba hai toh khud do...apne bacche ki bali dene ko kurbaani nahi khudgarzi kehte hain...

mahan banane ke itna hi shouk tha toh baccha paida hi kyun karne ka...

bramhaand ki bhalayi...!!!arre chu***yon.... apne us bacchi ki bhalayi ka kya jiske liye tum hi uska pura bramhaand ho....

kisi ne kuch kaha,oh sorry,aadesh diya,aur tumne jhonk diya apni bacchi ko...

jo badi badi baatein tum dono ne abhi ki naa,agar gardan ghuma dun is bacchi ki toh pichwade me ghus jaayenge woh saare shabd aur unse paida hone waala jazba...

PEACE MAKER....yahi bulate hon naa tum sab khudko..

bade khush hote hoge naa tum sab is ohde ko paakar...GOD ki taraf se ANGELS ke aadesh anusar unki parchayi bankar milne waale har hukm ki taamil karenge...

yahi soch hai naa tum sabki....!!!

murkhon....ye PEACE MAKER ki upaadhi aur kuch nahi,khud ki bali dene ka title hai...

ANGELS marte nahi, par jung me agar mout naa ho toh woh jung kaisi...!!!!!

aur isiliye us kurbaani ke liye jisse jung wakayi me jung lag sake,tum sabko taiyar kiya gaya hai...

aur tum sab bhi seena chowda kar kood pade maidan me....kudo...

dikhta nahi par tum jaiso ke maathe par bada sa C paidaishi bana hua hotta hai...


apni baat bolte hue us baccho ke gale se apne haath ko hataya maine...

wahin DEWEI aur GIZA,jinka aadha dhyan meri baaton par tha aur aadha mere us haath par jo unki beti ke gale par tha,mere haath hathaathe hi unki jaise jaan me jaan aayi thi...

khair,us baccho ke gale se apna haath hatate waqt DEWEI aur GIZA ke face par aaya sukoon dekh liya tha maine isiliye...


MAI-jaante ho tumhari bacchi zinda kyun bach gayi...!!kyunki jisne tumhe aadesh diya tha,unhone mere sapne me aakar mujhe mouka diya tha.

mouka is bacchi ko maarne ki...

aur unse mila koi mouka nahi chahiye mujhe... RAAZ sirf apne dil ki karta hai...


jahan ye baat bol mai bed se uth gaya wahin meri baat sun ek sawal jo kaafi der se un dono ke dimag me chal raha tha,woh aur zyada trigger ho gaya aur.....


DEWEI-aakhir ho kaun tum jiske liye swayam SERAPHIM ANGELS se nirdesh mila hume....

MAI-mai toh bas ek anath hun..haan,jin SERAPHIM ANGELS ki baat tum sab maan rahe ho,woh mujhe apne beta bolte hain...


ek dhamaka sa hua meri baat sun DEWEI aur GIZA ke dimag me jiske baad woh dono turant mere aage jhuk gaye aur ye dekh..


MAI man me-haisiyat badalte hi fitrat bhi kitni tezi se badalte hain logon ke..


is baat ko man me man bolte hue mai un dono ke saamne pahunchkar khada ho gaya jiske baad woh dono bhi mere saamne sir jhukakar khade ho gaye jispar...


MAI-are you two trying to provoke me...???


meri baat ko sun aur uske piche chuppe coldness ko feel kar pehle toh woh dono hadbadaye par phir...


GIZA-nahi... SERAPHIM ANGELS ke ansh aur GOD'S SON ki urja ke saath hum aisa kaise kar sakte hain...???


GIZA ki baat sun meri aankhen choto hoti chali gayi... SERAPHIM ANGELS ke ansh waali baat tak toh thik tha,par dono LORDS ki URJA waali baat inhe pata thi,ye sochne waali baat toh thi hi isiliye...


MAI-elaborate your statement...meri puri asliyat kaise maalum tum dono ko...???

DEWEI-jab aap hi ki tarah dikhne waale shaksh ne humare divine STALWART RIVER ke paani ko sokh liya tha,uske baad aaj hi ki tarah dono SERAPHIM ANGELS ka sandesh hume mila tha jisme hume bataya gaya tha ki bohot jald unka beta joki GOD'S SON ki URJA bhi hai,woh yahan aayega aur humare DIVINE RIVER ko restore karega...

MAI-aur tumne bharosa kar liya unki baat par..???

GIZA-aapke liye unhone ek messege bhi diya tha...ijazat ho toh bataun..???

MAI-bako...

GIZA-STALWART RIVER ke paani ko restore karna aapki agli chunouti hai..is chunouti ko paar karne ke baad hi aapko aage badhne ka marg milega...

MAI-badhiya... chalo phir,dikhao,kahan hai ye STALWART RIVER....???

GIZA-abhi..!!!!

MAI-nahi..ek do saal rook ke jaate hain...


mere jawab ko sun pehle toh hadbadayi GIZA par phir....


GIZA-nahi,woh mere kehne ka matlab hai ki filhal shaam dhalne ko hai.. RIVER ke chaaron taraf FOG ghira hua hai toh aise me view zara sa bhi clear nahi hoga...

MAI-kya aisa karne ka message bhi mila tha...

GIZA-nahi,ye toh mai....

MAI-tum...bas apne matlab se matlab rakho... aur sabse pehle ye yaad rakho ki RAAZ ke faislon par raay nahi diya karte...

jaan par ban sakti hai...mai abhi jaaunga...

DEWEI-jaisa aap kahen... chaliye..


jahan ye bol DEWEI aur GIZA main door ki taraf badh gaye wahin mai bhi apne right hand ki hatheli ko halka jhatakte hue kuch der tak khada raha par phir unke piche ho liya..

pata nahi kyun par kuch der se meri is hatheli par ek alag hi sensation ho rahi thi...

khair,kuch hi palon me mai main door se bahar aa chuka tha aur aisa hote hi maine dekha ki saare PEACE MAKERS bahar hi khade hain..

GIZA aur DEWEI bhi unke beech hi the aur shayad unhone meri asliyat un sabko bata di thi..

yahi kaaran tha ki mujhe dekhte hi saare PEACE MAKERS mere aage jhuk gaye the..

kuch seconds meri respect me jhukne ke baad woh sab khade ho gaye..

is beech maine gour kiya ki DEWEI ki hi tarah uske woh chaaron saathi jinme se do ke haath aur do ke ek ek pair maine kaate the,woh waise hi the aur ye dekh..


MAI-tum, FELIX right...???

FELIX-jee..

MAI-jab maine tumhari kalayi todi thi toh tumne khudse hi usse theek kar liya tha par kate haath pair ab bhi waise hi hain...

kya body parts ko reproduce karne ki capabilities nahi ha tum sabme...

FELIX-nahi..par hamare STALWART RIVER ke paani me hai ye khoobi..

jab bhi hamari ladhayi DARK WARRIORS (WICKEDS ka agla charan) se hoti hai aur hamare sharir ka koi ang kattha hai,toh STALWART RIVER me doobki maarne se woh part reproduce ho jaata hai...

par ab jab river me paani hi nahi hai toh aisa ho nahi paayega...

MAI-koi aur khaasiyat is river ki..!!!

BENEDICT-STALWART RIVER hum PEACE MAKERS ke liye ek dusre ke prati loyalty ki nishaani hai...

DARK WARRIORS aur DEVILS chhal aur manupalation me maahir hote hain..

STALWART RIVER ke paani ko peene se hum us manupalation se hamesha bache rehte the...


MAI-bas itna hi..

BENEDICT-haan...

MAI man me- is WATER ka bhala VIDEOUS ko kya kaam padh gaya....???


kuch seconds ye sab sochte rehne ke baad apne dimag ko jhatka maine aur...


MAI-kis taraf hai woh RIVER...???

BOWEI-yahan se west.. chaliye,hum aapko dikhate hain....


BOWIE ki baat ke baad woh mai aur baaki sabhi us STALWART RIVER ki taraf badh chuke the....




PLANET-SPIRAM


PLACE-DEEP INSIDE RIVER






UNBELIEVABLE...KAISE BANI YE JAGAH..YAHAN TOH PAANI KI EK BOOND TAK NAHI..

AUR YE JAGAH...YE TOH EK BULWARK HAI.....PAR SHELL KE AAKAR ME...


apne upar chaaron taraf nazar ghumate hue kahi ye baat MAHI ne...

reason...

woh ALLIGATOR MAHI ko liye SPIRAM river ki gehraiyon me utarta chala gaya...

aur phir aakhir me us river ki depth ka dead end MAHI ko dikhne laga..

MAHI ne dekha ki woh dead end halka halka star ki tarah chamak raha tha...

us end se kareeb 50 feet upar rehte hue hi ALLIGATOR ne MAHI ko zor se push kiya jiske baad MAHI us chamakti hui satah ki taraf tezi se jaane lagi..

par jab MAHI us chamkati hui chiz ke behadh kareeb pahunchi toh usne paaya ki ek bohot bade ande ke shell ka aakar liye BULWARK bana hua tha aur ussi se woh chamak nikal rahi thi...

khair,MAHI ke sharir ne jaise hi us BULWARK ko touch kiya toh nano seconds se bhi kam waqt me MAHI ke sharir ko scan karte hue us BULWARK ne usse raasta de diya jiske baad MAHI uske andar chali gayi...

par neeche satah par girne ke baad uththe hi MAHI ko hairani hui..

aur woh isiliye kyunki nadi ke aakhri chhor me jahan woh is waqt thi, us BULWARK ke andar paani ki ek boond tak nahi thi..

ye sab dekhte hue kahi thi ye baat MAHI ne...

par tabhi uski nazar BULWARK ke just bahar us ALLIGATOR par padi jo usse yahan par lekar aaya tha..

darasal is waqt us ALLIGATOR ke grey chamdi se ek vibration create hokar BULWARK me padh rahi thi aur aisa hote hi pure BULWARK me bhi ek kampan ho rahi thi..

ek aur baat thi jo MAHI ne notice ki thi...aur woh ye ki jis BULWARK me woh is waqt thi,usme se bhi wahi DIVINE WHITE ENERGY ka AURA create ho raha tha jo us ALLIGATOR se feel kiya tha MAHI ne...

in saari chizon ke baare me soch hi rahi thi ki tabhi achanak kuch aisa hua ki MAHI ki aankhen badi ho gayi..

aur woh isiliye kyunki BULWARK se jo kampan ho rahi thi,uski wajah se ek pore create hua jisse ek naye creature ne janm liya par isse pehle ki woh creature apne form me aata,woh creature us ALLIGATOR ke sharir se touch ho gaya aur aisa hote hi woh gayab ho gaya...

par jab woh gayab hua toh MAHI ne gour kiya ki us ALLIGATOR ki lambayi aur chowdayi thodi si badh gayi thi...

ye sab ek paheli ki tarah tha jisse dekh MAHI ko itna toh samajh aa gaya tha ki the RAAZ is more than the eyes are seeing aur ussi invisible vision ko usse clear karna hai...

yahi sab sochte hue MAHI aage badhi aur us BULWARK ke ek end par pahunch gayi...

paas aane par usse ab woh DIVINE WHITE ENERGY zyada feel hone lagi thi aur saath hi saath usse ye energy kaafi familiar lag rahi thi...

kuch sochte hue MAHI ne apni aankhen band ki aur turant paused CEREBRATION state me pahunch gayi...

ab bhale hi MAHI ke HUMAN aur ANGEL FORM POWER SOURCE ek dusre ke paas aane shuru nahi hue the par woh dono parts jaag toh gaye hi the aur isiliye paused CEREBRATION state me pahunch MAHI ne apne un dono SOURCES ki taraf dekha aur jab aisa hua toh ek saath do chizen hui..

pehli...

MAHI ke body se uska AURA nikal saamne BULWARK se touch ho gaya...

dusri....

jaise hi woh AURA BULWARK ke touch hua toh usse ek reverse energy nikalkar wapas MAHI se takrayi aur aisa hote hi MAHI ke dimag me ek ke baad ek flashes me bohot se scenes chalne lage..

ye scenes aur kuch nahi balki yahan jo bhi ho raha tha,uske hone ki kahani thi jisse is waqt MAHI dekh rahi thi..

sabse pehle jo scene MAHI ke dimag me ghuma,woh tha FALLON ka...

woh scene jisme FALLON yahan SPIRAM me aayi thi aur phir uski DORIAN aur GASTON ke beech hui thi ladhayi....

us ladhayi me FALLON aur uske saath DORIAN aur GASTON ek dusre par pure focused the,yahi wajah thi ki us bhindat me kuch alag aur anokha hua tha jispar un teeno me se kisika dhyan nahi gaya tha..

aur woh alag aur anokhi baat ye thi FALLON ki pure ANGELIC urja jo naa sirf invisible mode me bahar nikal rahi thi balki saath hi saath opposites attracts waale theory ko practically prove karte hue DORIAN aur GASTON ke sharir aur rooh me basi BLACK ENERGY ko bhi khudme sokh rahi thi...

aur aisa karte hue woh dono energies apne sabse kareebi aur purest chiz par joki SPIRAM river thi, uske andar sama gayi..

andar samate hue bhi woh dono energies ek dusre se ladh rahi thi..

waise toh purest form of WHITE ENERGY joki FALLON thi,uske aage BLACK ENERGY ki chalni nahi chahiye par har ENERGY ko ek compatible aur laayak dhaarak ki zaroorat hoti hai..

BLACK ENERGY ke paas toh DORIAN aur GASTON the par kyunki FALLON human nahi balki ek ANGEL ka sirf human form liye hue thi, isiliye uski energy usse alag hone ke baad utni strong nahi ho paa rahi thi..

khair,yunhi ladhte hue river ke neechle surface par jahan is waqt MAHI khadi thi,WHITE aur BLACK ENERGY ek dusre se alag ho gaye..

par alag hote hote bhi BLACK ENERGY ne WHITE ENERGY ke AURA ka ek halka sa bhaag khudme samet liya...

WHITE ENERGY ne us surface ne pahunchne ke baad ussi BULWARK ka shape le liya jiske andar MAHI is waqt thi aur aisa kar usne SPIRAM river ko BLACK ENERGY ki wajah se dushit hone se bacha liya..

wahin BLACK ENERGY jisme WHITE ENERGY ka AURA ka halka sa ansh bhi tha,usne khudko ek roop dena shuru kiya aur dekhte hi dekhte SPIRAM planet ko apna pehla living being mil gaya aur ye living being aur koi nahi balki wahi ALLIGATOR tha...

aur paida hote hi BLACK ENERGY se labrez us ALLIGATOR ne apni buddhi lagani shuru ki...

kyunki uske paas WHITE ENERGY ke AURA ka ansh tha,isiliye usne ussi ansh ki madad se BULWARK ki bahari parath ke saath milkar naye creatures banana shuru kiye...

apni AURA se vibrations paida kar woh BULWARK ki taakat se naye creatures ko janm deta tha aur phir jab WHITE ENERGY se labrez creature paida ho jaate the tab unhe khudme sametkar woh unhe KAALI SHAKTIYON se dhak deta tha...

kuch der pehle bhi us ALLIGATOR ne yahi kiya tha.. MAHI dekh aur samajh rahi thi ki aisa kar woh apne andar ab tak hazaron creatures ko samet chuka hai aur woh saare creatures abtak aadhe change bhi ho chuke hain...

yahi wajah thi us ALLIGATOR ke lagatar growth ki bhi.

us BLACK ENERGY se bhare ALLIGATOR ka plan un saare creatures ko BLACK ENERGY ke powerful beings ke saath apne putr ke taur par alag alag bhesh me dobara paida karna tha jo aage chalkar pure SPIRAM PLANET par apna samrajya bana saken...

BLACK ENERGY ko ab tak iski bhanak sirf FALLON ki energy se bane BULWARK joki pure river ke liye ek safe gaurd thi, uski wajah se nahi lagi thi...

par jis din us ALLIGATOR ne saare creatures ko apni tarah banakar rebirth de diya,us din BLACK ENERGY ko naa sirf is jagah ke baare me pata chal jaana tha,balki FALLON ki shakti ko bhi usne khudme sokh lena tha...

saari sacchayi jaan chuki thi MAHI aur isiliye ab uski aankhein khul chuki thi...

MAHI ko ye bhi pata chal chuka tha ki kyun us ALLIGATOR ne usse yunhi chhod diya tha.

baat asal me ye thi ki MAHI ko kheenchte waqt hi woh baaki creatures ki tarah MAHI ko bhi khudme sametna chahta tha par jab kaafi der baad bhi woh aisa kar nahi paaya toh usne MAHI ko us BULWARK me fekh diya par woh nahi jaanta tha ki aisa karna uske hi anth ki neev thi..

MAHI ko ab tak kya kya hua hai,ye bhi pata chal chuka tha aur usse aage kya karna hai,ye bhi jaan chuki thi woh..

yahi wajah thi ki us BULWARK ko chhute hue ek baar phirse apni aankhen band kar PAUSED CEREBRATION me chali gayi MAHI..

par is baar usne apne HUMAN FORM POWER SOURCE ki taraf naa dekhte hue sirf apne ANGEL FORM ki taraf rookh kiya aur aisa hote hi is baar kyunki HUMAN FORM saath nahi tha,ANGEL FORM ka energy gush kaafi zyada maatra me aur tezi se bahar nikal us BULWARK par padne laga..

MAHI ka ANGEL FORM POWER SOURCE ussi se bana tha jisse woh BULWARK bana hua tha...FALLON...

yahi reason tha ki is baar jab MAHI ka pure ANGEL FORM POWER SOURCE BULWARK par pada toh pura BULWARK badi tezi se shrink karte hue MAHI ke sharir me samane laga aur dekhte hi dekhte woh WHITE ENERGY waala BULWARK MAHI ke andar sama chuka tha..

aisa hone ki wajah se MAHI ek baar phirse gehre paani ke beech thi par
SWAANSAM GAVIDHA SPELL ki wajah se woh paani me bhi araam se saans le paa rahi thi...

wahin woh ALLIGATOR joki BULWARK se thoda door tha, usne jaise hi us BULWARK ko gayab hote hue sense kiya toh woh bhadak gaya aur tezi se MAHI ki taraf uspar attack karne ke iraade se badha...

par MAHI is baar ready thi..us ALLIGATOR ke speed ke liye bhi aur usse khatm karne ke liye bhi..

usse ye bhi pata tha ki usse karna kya hai...

aankh band karte hue MAHI ek baar phirse PAUSED CEREBRATION
me chali gayi jiske baad usne apne HUMAN aur ANGEL SOURCE,dono ko saath me release kar diya...

reason....

jo BLACK ENERGY us ALLIGATOR ke andar thi,woh DORIAN aur GASTON ki wajah se thi aur woh dono bhale hi BLACK ENERGY ke strong dhaarak the par the toh HUMANS...

aur isiliye MAHI ne apne HUMAN FORM POWER SOURCE ko release kiya tha...

saath hi saath us ALLIGATOR ke andar basa AURA FALLON ka tha jiska matlab tha ki woh MAHI ka hi tha isiliye yahan par uska ANGEL FORM POWER SOURCE kaam aane waala tha aur aaya bhi...

jaise jaise woh ALLIGATOR MAHI ke kareeb aata gaya,MAHI ke release kiye dono power sources ki wajah se uski speed kam hone lagi thi...

ye sab feel kar woh mudna chahta tha par MAHI ke energy waves jo ab pure paani me circulate kar rahe the,woh usse kheenchte hue MAHI ke paas lekar aa rahe the aur yunhi paas aate aate jab woh ALLIGATOR MAHI ke behadh kareeb aa gaya toh...


TAVODHANAM PRAANGHAATAKAM.....

REVIVE & KILL.....


MAHI ne is SPELL ko uccharit kiya aur uske aisa karte hi uske haathon se ek gaadhi WHITE ray nikal us ALLIGATOR par padi aur aisa hote hi....

SNNSNNNSNNNSNNNSNNN.....

dard ki adhikta se chattpatathe hue us ALLIGATOR ke mooh se ek ajeeb si awaaz nikalne lagi..

uske chattpatane ki wajah se MAHI
ka view bhi dhundla ho gaya tha..saath hi saath MAHI jaanti thi ki woh ALLIGATOR ab blast ho jayega..

aur isiliye RIDHAM SPELL jiski madad se tairne ki raftar 100 guna tak tez ho jaati hai, uccharit kiya MAHI ne aur uske aisa karte hi uski body kisi rocket ki tarah upar ki taraf launch ho gayi..

behadh tezi se upar uththi chali gayi MAHI ki body aur aisa hote hote bas kuch hi seconds me...


BOOMMMM.....

paani ke andar ek dhamaka hua jiska impact paani ke upar tak jaane laga tha par isse pehle ki woh impact MAHI ko chhu bhi paata,MAHI paani se upar uththe hue kalabaazi khaakar kisi dolphin ki tarah udti hui zamin par aa chuki thi....

zamin par aakar ek baar piche paani ki taraf dekh jahan ab bhi dhamake ke wajah se ek badi leher si aayi hui thi,wapas mudi MAHI par isse pehle ki woh aage kuch karti....


FAIRY PRINCESS.....


ek soft but unique awaaz jisme kamal ki khanak thi,usne MAHI ke kaan khade kar diye..

woh jhat se wapas piche palti par saamne ka nazara yaa phir ye kahun ki saamne khade creature ko dekh aankhein badi ho gayi uski...

chehre par hairat liye woh us creature ko dekh rahi thi..ek aisa creature jo ab ek legend ban chuka tha...

jiska astitv usne sirf kisse kahaniyon me padha tha, infact bachpan me MAHI ke books ka favourite creature tha woh jeev jisse hairani se dekhte hue anayas hi MAHI ke labh hile aur...


MAHI-ANZUUUUU....!!!!tum toh ek ANZU hona....


(NOTE:-ANZU....GEHRE NEELE BODY,ORANGE MOOH LIYE EK BOHOT HI VISHALKAY DIVINE STORM BIRD JO PAANI AUR AAG CHHOD SAKTA HAI...SUMARIAN MYTHOLOGY)


ANZU-ji FAIRY PRINCESS....jo roop aapne mujhe diya hai,uske hisaab se mai ek anzu hi hun....

MAHI-roop diya hai matlab...??

ANZU-jis ALLIGATOR ko aapne maara,uske andar WHITE ENERGY se bane creatures DARK form me tabdil ho rahe the...

par aapki DIVINE power ke hit hone se woh formation change ho gaya..

tab tak BLACK ENERGY WHITE ENERGY ko change kar rahi thi,par aapke power ki wajah se WHITE ENERGY ne BLACK ENERGY par kaabu kar liya..

aisa hote hi woh saare creatures ek dusre se merge hote hue ek hone lage...

ye change bohot immensely powerful tha aur usse stabilize karne ke liye ek body ki zaroorat thi..

shayad aapko ANZU creature bohot fascinating lagte hain, isiliye un WHITE ENERGY ne un saare creatures ko ek karte hue ANZU ka hi roop de liya joki ab mai hun...

MAHI- unbelievable...toh ab,kya tum mere saath rahogi...??

ANZU-jee...i am like a pet to you...

MAHI-pet...!!!tumhara size aur roop pets waala nahi hai...

ANZU-that will not be a problem..


apni baat bolte hue ANZU ne khudke size ko chota karte hue ek normal parrot size ka kar liya..

aur uske aisa karte hi jahan woh pehle dangerous lag rahi thi,ab wahin woh kaafi cute dikhne lagi thi...

khudko chota kar woh udte hue MAHI ke kandhe par aakar baith gayi jiske baad...


MAHI-ab aage kahan jaaun...???


khudse hi pucha tha ye sawal MAHI ne jisse sun...


ANZU-mujhe yahan west me kareeb 2 mile aage ek volcano feel ho raha hai...

par woh volcano normal volcanos se kaafi alag hai...i think ki hume us volcano ko ek baar checkout karna chahiye...

MAHI-chalo phir...


ye bol MAHI aur ANZU joki ab uski nayi saathi thi,west ki taraf jahan woh volcano tha,aage badh gaye...





BACK TO RAAZ:-




PLANET- STALWART WORLD


PLACE-STALWART RIVER






ARRE,YE KYA....!!!!!YE TOH RESTRICTED FOG HAI..PAR YE TOH BAS RIVER KE MID POINT PAR HOTE THE....


woh RESTRICTED FOG jo STALWART RIVER ke beech me hua karte the,woh ab us pure sukh chuke RIVER ke upar faile chuke the,usse dekhte hue kahi thi ye baad BENEDICT ne...

BENEDICT hi kya,wahan moujud har PEACE MAKER ke man me yahi sawal ghum raha tha....

wahin mai jo is waqt us RESTRICTED FOG ko dhyan se dekh bhi raha tha aur usse generate ho rahi ENERGY ko feel bhi kar raha tha, kuch seconds yunhi khada rehne ke baad..


MAI-is FOG se jo ENERGY flow ho rahi hai, usse pehchaante hona tum sab...!!!

GIZA-nahi... actually is FOG ki energy ko feel hum sirf tabhi kar paate the jab hum yahan ka paani peete the yaa phir us paani ko touch karte the..

bina touch kiye iski ENERGY leak aur spread nahi hoti...

MAI-tum sabme sabse zyada strong kaun hai...???


meri baat sun un sabki nazar DEWEI par chali gayi jisse dekh...


MAI-badhiya... idhar aao tum aur apne is FOG par apne SOUL EMPETUS (a force that makes something happen) ko release karo...

meri baat sun wahan moujud sabhi ki aankhen badi ho gayi thi...

REASON...

SOUL EMPETUS ko release karne se life source par koi control nahi rehta tha aur aisa karna aur dangerous tab ho jaane waala tha,jab DEWEI apne EMPETUS ko RESTRICTED FOG par joki hadh se zyada powerful thi,uspar release karne waala tha...

aur isiliye DEWEI aur baaki sabhi PEACE MAKERS halke dare dikhne lage jispar...


MAI-kya hua...???jazba khatm ho gaya...dekho bhai,jo mai bolun,woh karoge toh hi mai tum sabki madad kar paaunga..

agar nahi,toh bhaad me gaya meri chunouti aur bhaad me gaya yahan ka paani..mai kuch nahi karne waala..


meri baat sun darte hue hi DEWEI aage badha aur..


DEWEI-mai karta hun..


nervousness ke saath kahi ye baat usne aur phir apni aankhen band kar usne apne SOUL EMPETUS ko release kar diya aur uske aisa karte hi ek invisible force uski body se nikli aur sidhe jaakar us FOG ko chhu gayi aur aisa hote hi DEWEI ka sharir mirgi mareez ki tarah kaampne laga...

aur ye dekh uski biwi GIZA aur baaki sabhi PEACE MAKERS bohot zyada dar gaye..

khair, DEWEI ke body shake hote hi maine uske kandhe par haath rakha aur...


STITADHEERAM....

STABILIZE....


mere man hi man apne soul force ko release karte hue is SPELL ko bolte hi DEWEI ki body shaant hone lagi...

DEWEI ka khudpar control bhi wapas aa gaya jiske baad usne apne SOUL EMPETUS ko wapas bula liya...

SOUL EMPETUS ke wapas sharir me ghuste hi jahan uski aankhen khul gayi wahin usse thik dekh sabki jaan me jaan wapas aa gayi...

wahin apne haath ko DEWEI ke kandhe se hataya maine aur..


MAI-so,kya FOG ki energy pehli si hi hai..

DEWEI-nahi,ye alag hai...is FOG me ek impenetrable barricade laga hua hai..

agar forcefully is barricade ko toda bhi gaya toh ye barricade is puri jagah ko khatm kar degi...

ek baat aur...

MAI-yahi naa ki is naye barricade me wahi energy flow ho rahi hai jo tumne SERAPHIM ANGELS se feel ki thi...

DEWEI-jee...

MAI-hmm,aur woh isiliye kyunki ye barricade unhone hi lagaya hai taaki VIDEOUS yaa koi aur isse breach naa kar paaye...

DEWEI-par aap toh unke bete hain,aapke liye toh..

GHHHHHRRR...


aage bol nahi paaya DEWEI....

kyunki uske mooh se jaise hi beta shabd nikla,gala dabakar usse utha diya tha maine...

meri hi harkat par GIZA aur baaki sabhi PEACE MAKERS bhi kaafi dar gaye the..

wahin kuch seconds DEWEI ko yunhi uthane ke baad...


MAI-utna bol jitne bolne ke liye kaha jaaye..tere liye un SERAPHIM ANGELS ka beta hona garv ki baat ho sakti hai,mere liye nahi...

apni baat bol maine usse release kar diya tha aur khud aankh band kar mai apne aap ko shant karne me lag gaya..

aisa karte hue kuch der baad maine apni aankhen kholi aur...


MAI-mujhe lagta hai ki ye barricade isiliye lagaya gaya hai kyunki is sukhe river ke zamin ke andar ab bhi kuch paani bacha hai jisse bahar nikalna hi meri chunouti hai...

aur achi khabar ye hai ki shayad mai ye jaanta hun, is FOG me entry kaise ki jaa sakti hai...


jahan ab tak DEWEI ke saath meri harkat dekh sabhi PEACE MAKERS ghabraye hue the wahin ab jo maine kaha tha usse sun unke chehre par khushi dikhne lagi thi..

par kuch bolne ki himmat woh sab ab bhi nahi kar paa rahe the...

khair,apni baat bol maine apni aankhen band ki aur apni BLOOD AMPLIFICATION ki shakti ko activate kiya aur mere aisa karte hi mere andar se meri BLOOD AMPLIFICATION energy source bahar nikli aur fog se takrayi..

jab aisa hua toh us area ka fog jahan woh energy source tarkaya tha,woh halki chatth gayi aur ye dekh mera shak yakin me badal gaya...

upar se toh mai chup hi tha par man,mere man me chal rahi thi ye baat...


MAI man me-mere khoon se khulega ye FOG numa darwaaza....

mera khoon...




mere khoon se apni URJA ke beech raasta banakar mujhe apna KHOON BATANA....AB BAND KARO....

jo fikr kabhi thi hi nahi,usse farz banakar DIKHANA....AB BAND KARO....

dil mera woh patthar hai jo tutega nahi....

apnepan ke jhute teer se lagana NISHANA.....AB BAND KARO....
















AAJ KE LIYE ITNA HI.....

















AAPKA APNA V....J.....
 
Top