• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) ( Completed )

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
Bss yhi reh gye the ab..mla balbeer singh bagga aur lilitha abbadon and abraxas ...2 gye aur 2 bche...aur bhi koi chhipa rkha h kya brother...hahaha..khair to ab samne h ye nyi paheli ..aur jis pani ka jikr hua h ye mere khyal se aansu ho skte h ab kiske ye kehna thoda mushkil h kyuki us waqt aansu bahut logo ke nikle vikram ne apne mata pita ko mara tb bhi... Ya unke aansu jo dono judwa bahne jo uss planet se thi jo pure white energy se bna tha jise asmodeus ne cursed kr diya tha ..naam yaad nhi aa rha dono bhno ka..wo bhi pure white source ki pratik thi aur usi pure white energy se belzebub ki black energy ko khtm kiya gya tha...nishkalika ko apni bahan maanti thi jo..(orion planet naam tha sayd aur aliza naam tha uski original bahan ka jo usi planet pr rhti thi aur vikram se milne aagyi thi earth pr)
Khair jo bhi ho kal prso pta chlega wo to..
Wahi raaz ne errapel ko bahut brutly mara tha sayd usko simple raasta psnd nhi pain full raaste hi use psnd h usi ke karan wo khud ka gussa bahar nikal skta h jo usme bhra h..
Khair dekhte h kya paheli ka raaz h aur aage kya chunotiyaan aati h aur vault me kya h unke liye...waiting brother and congrts for 1k+ pages of journey....
thanks for the wonderful review brother..aage bohot kuch hone waala hai.. yunhi saath bane rahiye
 

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
It seems that Raaz knows everything and has done everything thoughtfully. Mahi has not said anything wrong, I agree with her. For a few days, Raaz's behavior was good with Mahi, now Raaz is as before, Mahi is sad but why? Because Raj never deviates from his goal and from the beginning that he does not like anyone's advice and the decision to come in between. Does Mahi want to change Raaz? Raaz is angry with Mahi's father but not with Mahi, even if he has said it, but it is not.
At the time when Raaz was weak, Nirmods harassed Raaz and today Raaz harassed them and I enjoyed it. :yippi: Hit in a very brutal style, awesome. :applause:You made a great scene, everything feels like real, it seems to be happening in front of my eyes. There are two new challenges for two people, now let us see what happens in this journey.

As always the update was great, You are writing very well, Now let's see what happens next, Till then waiting for the next part of the story.

Thank You...

🖤🖤🖤
we can say that RAAZ understands every situation in the way it should be understood...its just that,right now, he's is in a different zone...lets se what happens..!!!be along..
 

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
Bahot shaandaar mazedaar damdaar lajawab update VJ bhai
Paheli tow badi complicated h dekhte Mahi iska jawab de pati h ya naho
Bahot zaberdast shaandaar
Wonderful update.........
keep posting bhai............
waiting for next update...........
Superb fantastic update waiting for next
Nice update
Bahut hi khubsurat update bhai 😊
Well-done bahi behad shandar asardarr lajawab update
Brother paani to vikram ki jindgi m shayad do hi bar aaya tha ek starting m sukha tha pr mele ke time pani aa gya tha aur ek jagah fountain jo gayab tha pehle se jisne vikram ko bachaya tha apne andar khich kr
Superb update
Awesome fabulous update Bhai
Bhai mujhe lagta hai Jairaj hoga
Suppper update bro
Superb update
Awesome update bro
Outstanding update bhai...
Aur bhai woh pani shayad aasu ho sakta hain magar kiska yeh batana muskil hain aur kya pata woh Avantika ka ho
waiting for new update bhai
Brother pani se juda to Avantika aur Ronit ne bhi kiya tha vo Mercia river vala scene to kya ye vo pani ki bunde ho sakti hai ???
Ek second bro ek or hai vo hai almighty God ke aansoo jo gire the aur ek kitab ka roop liya tha to kya ye vo ho sakte hai ??????
Awesome update bhai...
Bhahot umda update hai bhai
Bahut hi sandar update hai bhai
super fantastic update bhai maza aa gya
Nice update
Super update hai Bhai
Nice update
Awesome update
Super Duper Hit & Fantastic & Excellent & Awesome & Gajab & Update Bro

Wah aakhir raaz wapas apna kaam krne k liye mana hi liya mahi ne bar y tha muskil kyoki y raaz to jese har chij ka pta hota h

Ye pani aankh ka aasu ho sakata h jo avantika ka ho ya fir us ladki k jo vikram ki behan bani thi jiske maa papa us jhil ki wajah se mare gaye the

Aapne mere sawal pe dyan diya thanka



Waiting
behatrin update bro...........to in 4 lalluchap logo ko bhi narak pahucha diya raaz ne ............ye banda to gin gin kr badla le rha h sbse .............mtlb kisi ne iski trf ungli bhi ki to ye pura hath hi ukhad dega..............or ye hamare priy bagga ji vikaram ke hatho markar bhi mokash prapt nhi hut to ab raaz ke hatho marne chle aaye sath m apne jodidaro ko bhi le aaye .............khair kese bhi becharo ko mukti to mile ...............or ye paheli iska solution to raaz ki jivangatha se hi nikalega.............mahi iss paheli ka answer soch rhi h ham bhi sochte h ...........final answer to aap hi doge tb tk sochne ka kam hi kr lete h.................
Zabardast update
As always awesome update vj4u
RAAZ ko agar aap khamakha chedoge to phir wo apko kisi kabil nahi chodta.
ERRAPEL jis tarah RAAZ ne mara hai mujhe sach mai aisi umeed nahi thi because ERRAPEL to ALFREEN ki tarah hi dikhti thi aise mai mujhe laga shayad apni behen ki shakal hone ke karan RAAZ ke liye ye kaam tuff hoga par as always RAAZ does not give a fuck about it
Ab dekhte hai is paheli ka answer kya hai
Aur iske baad jo safar start hoga MAHI and RAAZ ka wo bhi alag alag Isme unhe kitni kathinaye milegi.
Keep writing
Keep posting
Awesome fantabulous extraordinary speechless update. Bhai mere kayal se pani ki milkiyat ASMODEUS ki hai.jo Mercia river Secrilla forest main hai.usi se Vj bih theek hua tha.
thanks brothers..be along
 

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF NIMRODS KO MAARNE KE BAAD RAAZ,MAHI, WOOGER AUR GRIFFIN UNKE THIKANE KE ANDAR PRAVESH KARTE HAIN WAHIN DUSRI TARAF LILITHA AUR VALEFOR KE THROUGH UNHE AAGE KYA KARNA HAI, YE PATA CHALTA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-3


(THE DEVIL'S HAVEN,THE SACRIFICE & THE PERFECT EPILOGUE)



UPDATE-132



PLANET-GALEN


PLACE-INFRONT OF THE TWO DOORS








KAALI SHAKTIYON se bach gayi tu,kyunki saaf teri NIYAT THI.....

RADHA KRISHNA ki jis kitab ko padhkar hua aisa,uski kuch aur hi ASLIYAT THI....

paani ki kuch bunde lagi thi us KITAB me...

darwaza khulega tab jab tu ye batayegi ki woh PAANI asal me kahan se thi, aur kiski MILKIYAT THI....


dono darwaze ke beech bane plain spot par likhe paheli ko ek baar phir se padhte hue gehri soch me chali gayi thi MAHI....

kuch der tak yunhi dimagi manthan karte rehne ke baad...


MAHI-DAD ki puri life kaafi thrilling rahi hai...kaafi tough challenges face kiye hai unhone...

kuch challenges toh aise the jinse nikalna impossible sa lag raha tha but somehow unhone har hurdle ko cross kar liya....

MAI-apne pitah ki taarif kabhi bhi kar sakti ho tum..ye waqt puzzle solve karne ka hai agar karne ke laayak ho toh..

MAHI-jo sir se lekar pair tak taarif ke kaabil hon,unke baare me kamsekam unki beti ko toh taarif karne ki zaroorat nahi hai..

aur jo baatein maine abhi ki,unhe karna ka reason kuch aur tha...

koi banda kitna powerful hai,kitna tez hai,ye baat uske dushman ke level se pata chalti hai...

aur DAD ka real dushman tha aur hai BLACK ENERGY...wo ENERGY jo apne aap me ek DARK GOD hai...

aisa dushman agar galti kare bhi toh woh us galti ko repeat kabhi nahi karega..

har woh chiz jo uski haar ka kaaran bani hogi,woh un saari chizon ko,yaa toh check me rakhega yaa phir rectify karega...

bhale woh MERCIA RIVER ko, dhawali jheel ko yaa kuch aur...

bacha mere GRAND FATHER ka khoon jinse mere dad ke brain se BLACK ENERGY ke particles extract hue the,is baat ka pata bhi BLACK ENERGY ko zaroor hoga...

aur VIDEOUS ne jab BLACK ENERGY ke particles mere dimag me chhode, toh us BLACK ENERGY ne is baat ka khaas khayal rakha hoga ki history repeat naa ho...

aur waise bhi,mai theek paani se hui thi,blood se nahi....


MAHI jo bol rahi thi,jo ganit laga rahi thi,woh bilkul sahi tha..mai ye jaanta tha..mai toh ye bhi jaanta tha ki MAHI theek kis paani se hui thi..

kyunki us tarike ko figure out karte hi maine us paani ki paheli bhi solve kar li thi...

par ye paheli MAHI ke liye thi jo usse hi solve karni thi...yahi reason tha ki MAHI ki saari baat sunane ke baad bhi mai shaanti se khada raha..

wahin apni baat bol kuch seconds tak sochti rahi MAHI aur phir....


MAHI-VIKRAM JAIRAJ SINGH.....aankh band hote hi sabse pehle mere andar yahi naam gunja tha...

JAIRAJ SINGH...mere GRAND FATHER....jinki wajah se mere dad ek baar BLACK ENERGY ki chapet se bache the...

par kaise..???BLACK ENERGY jaisi taakat ko ek aam aur maamuli aadmi ka khoon kaise hara sakta hai...???

aisa kya tha unke khoon me jo BLACK ENERGY ko back off karne ki shakti rakhta tha...???


khudse hi sawal kiya tha MAHI ne jiske baad uska sir meri taraf ghuma aur mujhe dekhte hi uske dil aur dimag,dono me hi ek jhanaka sa hua..

aur ye isiliye hua kyunki mujhe dekhte hi usse uske sawal ka jawab mil gaya tha..


MAHI-LOVE.....TRUE & PURE LOVE....


yahi toh thi woh baat,woh taakat jo mere GRAND FATHER ke ragon me khoon bankar apne bete ke liye daudti thi..

ek aisi feeling jisse shaitan bhi darta hai aur woh isiliye kyunki TRUE LOVE hi woh feeling hai jisse woh counter nahi kar sakta...


90 percent tak ka exam paper pura kar kiya tha MAHI ne aur ab bas usse baaki ka 10 percent complete karna tha jiski taiyari me woh lag chuki thi....

aankhen band kar MAHI ek baar phirse apne PITAH ke jeeven ko feel karne me lag gayi thi aur aisa karte hue achanak se uske band aankhon ke aage ek scene aa gaya..

woh scene jisme uski mom pehli baar uske pitah ke ghar aayi thi aur jab aisa hua toh ek jhatke me aankh khuli MAHI ki aur...


MAHI-i got it...i bloody got it...


kaafi excitement se bhar kahi ye baat MAHI ne jiske baad usne wapas us likhi hui paheli ki taraf rookh kiya aur....


MAHI-woh MILKIYAT mere dad ke ghar me bane FOUNTAIN ki hai....us fountain ka paani...woh fountain jisse mere GRAND FATHER ne mere GRAND MOTHER ke liye apne haathon se banaya tha...

(ATTITUDE-1, UPDATE-56,PAGE-21)

jisme basa tha unka mere GRAND MOTHER ke liye eternal aur unconditional LOVE..wahi love jiska natija mere DAD the..

mere dad ne RAAZ ko RADHA KRISHNA ki kitab me ussi paani ko usme chuppi PYAR KI SHAKTI ke saath bind kar diya tha jisse consume kar mai thik ho paayi..

so yes,the answer is WATER OF THE FOUNTAIN AT THE LAWN OF MY DAD'S HOUSE....MINAKSHI MANSION...


MAHI ke jawab ko sunane ke baad kuch pal woh paheli apni jagah par hi rahi par phir woh gayab hone lagi par jaise jaise woh gayab hone lagi,MAHI aur uske saath GRIFFIN ke face par smile aane lagi...

REASON....

jaise jaise woh paheli gayab ho rahi thi,waise waise dono darwaaze khulte jaa rahe the jiska matlab tha ki MAHI ka jawab ekdum sahi tha...

kuch hi der me dono darwaaze pure khul chuke the,jiske baad mai apne saamne waale darwaze ke andar jaane ke liye aage badhne hi waala tha ki tabhi MAHI jo filhal kuch soch rahi thi, uske labh apne aap hile aur...


MAHI-kitni ajeeb baat hai naa RAAZ...

mere dad ANGELS LORD hain...sabse powerful...

tumhare mom dad SERAPHIM ANGELS hain aur jo unhone kiya uske baad toh unki taakat,ohda, dono aur badh chuke hain...

mai ANGEL LORD ki beti jiske andar ANGELS FORM POWER SOURCE chuppa hai jiske pure activate hote hi mai bhi IMMORTAL ho jaaungi aur tum toh pehle se hi IMMORTAL ho...

par jahan ek taraf pehle mere dad ki aur ab meri madad mere GRAND FATHER joki ek maamuli insaan hai,unhone ki wahin dusri taraf tumhari shakti ka sabse bada shroth bhi tumhare andar tumhare mom dad ke human form ko chunane ki wajah se hai...

dekha jaaye toh maamuli insaan ne IMMORTALS par ehsaan kiya hai...

shayad yahi wajah hai ki GOD ki nazar me humans kaafi special hain...shayad isiliye hi unke liye GOD ne apne bete tak ko (ASMODEUS)bedakhal kar diya tha...

being human is a GIFT RAAZ...isse accept karna sikho...

MAI-waise human hone se ek aur gift bhi bina maange milta hai.. constantly,lagatar chutiyapa bakne ka..

example tum khud ho... congrats us GIFT ke liye,lagi raho...


jahan apni baat bol bina MAHI ka reaction dekhe mai apne saamne waale darwaaze ke andar chala gaya wahin meri baat sun MAHI muskura uthi aur...


MAHI-iska sense of humour aur iska ATTITUDE.... ek baar VIDEOUS ko khatm karna possible ho sakta hai par is bande ko samajhna,impossible...

hey DAD... please help me here...kaise puri karungi mai ye safar iske saath...!!!!


apni baat bol ek baar WOOGER aur GRIFFIN ko dekh MAHI bhi apne saamne waale darwaaze ke andar chali gayi aur uske aisa karte hi uska aur RAAZ ka door band ho gaya...

wahin door band hote hi us jagah se do beam nikle aur sidhe GRIFFIN aur WOOGER par pade aur aisa hote hi woh dono gayab ho gaye...





PLACE-STALWART WORLD





AB YE KAISI JAGAH HAI...????


saamne ke nazare ko dekh kahi thi ye baat maine..

darwaze ke dusri taraf aate hi mai ek bade se kasbe ke beech road par khada tha...

road ke dono taraf chote chote par khubsoorat dukan bane hue the aur jab maine apni nazar chaaron taraf ghumayi toh paaya ki dukaano ke piche chowdi galiyan hai jinke har taraf waise hi chote par khubsoorat ghar bane hue the...

ek baat aur,ye jagah naa garm thi aur naa thandi thi...mujhe apni seedh me kasbe se kareeb 5 km door ek kaafi bada pahad dikh raha tha jisne pure kasbe ko ghera sa hua tha...

khair, hairani is baat par thi ki itne bade kasbe me bhi log ikka dukka hi dikh rahe the aur un sabke chehre par maayusi saaf dikh rahi thi..

waise hairani mujhe un logon ki kadh kaathi dekh kar bhi ho rahi thi aur woh isiliye ki bhale hi woh log dukaandaar the,par unka sharir kisi manje hue pehelwaan se bhi kahin zyada strong lag raha tha...

anyways,abhi tak unme se kisiki bhi nazar mujhpar nahi padi thi..

woh chand log apni apni dukaano me baithe hua the aur woh sabhi kuch sochte hue sunya ko ghoor rahe the..

kuch pal apni jagah par khade rehne ke baad mai aage badha aur woh dukaan jo mujhse abhi sabse kareeb thi aur jisme ek banda baitha hua tha,uske paas pahuncha aur...

MAI-kaun si jagah hai ye...????

meri awaaz sun woh banda jaise kisi neend se jaaga tha... hadbadate hue usne meri taraf nazar daali aur jab aisa hua toh pehle toh uski aankhein sochne waali andaaz me choti hui par phir pata nahi kyun lekin uski shakl pehle hairani me aur phir tez ghusse me badal gayi..

mujhe dekh uski saansein tez chalne lagi aur waise hi tez saans lete hue...


UNKNOWN-BOWIE,ANWYLL,BENEDICT,DEWEI,dekho,ye phirse aa gaya....


us bande ne chillate hue wahan moujud dukaano ke baaki logon ko ye baat kahi jisse sun woh sab bhi pehle hadbada gaye par phir jab unki nazar mujhpar gayi toh aankhon me ghussa liye woh apni apni dukaano se nikal meri taraf badhe..

par unse pehle woh banda jiske dukan ke saamne mai khada tha,woh bahar aate hue mere saamne khada hua aur mera collar pakad liya par tabhi...


KADKAD...

AHHHH...

ek jhatke me uske us haath ko jisse usne pakda tha mujhe,usse jakda maine aur mod diya aur aisa hote hi uski kalayi ki haddi toot gayi aur woh cheekhte hue neeche girne laga..

abhi mai usse aur punish karta par tabhi,

DHOOBBHHHH....

ek tez side spear pada mujhe jiske asar ae mai udta hua piche jaakar gira..

waise girne ke baad mai turant khada ho gaya tha par is waqt mujhe bohot hairani ho rahi thi..

aur woh isiliye kyunki mujhe spear un chaar logon me se jinhe pehle waale ne bulaya tha,unme se ek ne maara tha..

par kaise..???kyunki jis speed se woh chaaron apni dukaano se nikle the aur meri taraf badhe the,unki speed calculate kar li thi maine..

mujhe maalum tha ki un chaaron ko kitna waqt lagne waala hai mere paas pahunchne me par aisa hua nahi tha..

apne waqt se kaafi pehle hi woh banda mujhtak pahuch chuka tha aur isiliye hi mai uski spear khaa gaya tha...

khair,abhi mai is speed waali hairani se nikla bhi nahi tha ki tabhi mujhe ek nayi hairani hui...

aur ye nayi hairani isiliye hui kyunki woh banda jiski kalayi maine todi thi,woh naa sirf khada ho chuka tha balki apne ussi haath ko todte marodte hue usne apni kalayi ke haddi ko theek kar liya tha..


BENEDICT-tum theek hona FELIX....

FELIX-haan....


apni kalayi ko ghumakar mujhe ghurte hue kahi ye baat usne jiske baad uske saath uske sabhi saathi bhi mujhe ghurne lage aur phir un sabne di mujhe ek baar phir hairan hone ki wajah...

aur woh aise ki kuch pal mujhe ghurte rehne ke baad un sabne apne apne haath jhatke aur unke aisa karte hi un sabke haathon me ek ek shashtra prakat ho gaya aur ye dekh..


MAI-toh ye log MAGIC bhi jaante hain....


jahan apne aap se kahi maine ye baat wahin apne apne shashtra ko prakat karne ke baad woh paanchon meri taraf badhne lage jisse dekh meri aankhon me waisi hi chamak aa gayi thi jaise kisi sher ko apne shikar ko apne nazdik aate dekhkar aati hai...





PLANET-SPIRAM


PLACE-RIVER BANK


(NOTE-yaad hai ye PLANET aur ye jagah guyzzz.. ye wahi jagah hai jahan FALLON ka introduction hua tha jisme uski DORIAN aur GASTON se ladhayi hui thi..




MAHI-wow..!!!what a beautiful place....


chaaron taraf pahadon aur saamne behti nadi ko dekhte hue kahi thi ye baat MAHI ne...

kuch der pehle jab MAHI door ke dusri taraf aayi toh usne paaya ki har taraf andhera tha..

ussi andhere me chownkanni chaal se MAHI aage badh rahi thi..

yunhi kuch der chalne ke baad achanak se usse ek halki si roshni har taraf failti si nazar aayi aur is roshni ka zariya tha woh suraj jo dheere dheere apna sir uthate hue us puri jagah ko visible karta jaa raha tha...

aur jab nazara clear hua,tab kahi thi us baat ko MAHI ne..

khair,taarif toh kar di thi usne, par usse is viraane jungle ke beech karna kya tha,ye samajh me nahi aa raha tha...

apni nazar ghumate hue woh har taraf dekhti rahi par phir jab uske dimag me kuch nahi aaya toh woh aage badhi aur saamne beh rahi nadi ke kinare baith aage jhukte hue paani peene lagi..

paani wakayi meetha tha aur hota bhi kyun nahi,abhi tak us paani ko dushit karne ke liye us jagah us grah par humans ka janam jo nahi hua tha...

khair,kyunki paani wakayi kaafi meetha tha,isiliye MAHI sab kuch bhulkar aankh band kiye us paani ko apne gale se utarte hue uska maza lene me leen si ho gayi aur yahin kardi usne galti...

kyunki jaise hi uske haathon ne us nadi ke paani ko chhua toh us nadi ke beech hui ek sensation aur us sensetion ke beech apni badi badi aankhon ko paani se halka sa bahar niklate hue KOI tha,jo MAHI ko naa sirf ghur raha tha balki dheere dheere woh KOI uske kareeb bhi badhta chale jaa raha tha.....

beena awaaz ke woh KOI ab MAHI ke behadh kareeb pahunch chuka tha par aisa hote hi MAHI ke sixth sense ne usse kisi anjaan khatre se abhaas kara diya aur aisa hote hi MAHI ki band aankhen ek jhatke me khul gayi aur theek ussi waqt...

woh KOI joki asal me ek 20 metre bada ALLIGATOR tha,aur jo filhal MAHI se bas 6 ya 7 metre hi door tha,usne khudko paani se bahar nikalte hue aascharya janak speed se MAHI ki taraf apna bada sa mooh kholte hue challang laga di..

wahin aankh kholne ke baad jaise hi MAHI ko us ALLIGATOR ki first glimpse dikhi,toh hairat me padte hue woh bhi tezi se ek side ki taraf hatne lagi par uski ye koshish puri tarah se kaamiyab nahi hui..

kyunki MAHI ke sharir ka koi bhi ang toh us ALLIGATOR ke band hote hue mooh me nahi fasa par uske kapde ka aakhri sira us bade se mooh ke andar nukile daaton ke beech fas chuka tha aur aisa hote hi woh ALLIGATOR us kapde ke saath MAHI ko khenchte hue badi tezi se nadi ke andar chalta chala gaya..

itna hi nahi,kuch andar jaane ke baad woh ALLIGATOR MAHI ko khenchte hue SPIRAM river ke gehraiyon me utarta chala gaya...


SWAANSAM GAVIDHA...

BREATHE UNDER WATER...


paani ke gehraiyon me samate hi MAHI ne is SPELL ko uccharit kar diya tha jiski wajah se ab usse paani ke andar bhi saans lene me koi taklif nahi ho rahi thi...

par MAHI is pure waqt me do chizon ko lekar hairan thi...

pehli...

ua ALLIGATOR ki speed...jis speed se us ALLIGATOR ne MAHI par jump kiya tha,woh asadharan thi...

dusri..

us ALLIGATOR ka body colour aur AURA...

ek grey colour ki parat si chadhi hui thi us ALLIGATOR ke pure sharir par lekin AURA usse divine WHITE ENERGY ka aa raha tha..


in do hairat angez chizon ke baare me sochte hue MAHI aur woh ALLIGATOR SPIRAM river ke gehrayi joki samandar ki gehrayi ko bhi takkar dene waali thi,usme gayab hote chale gaye the....





BACK TO RAAZ:-


PLACE-STALWART WORLD





SOOBH.....



FELIX jiski kalayi kuch der pehle maine todi thi,usne apne haath me pakdi SWORD tezi se meri taraf ghumayi jisse maine right ki taraf tilt hote hue dodge de diya...

wahin FELIX ki hi tarah BENEDICT ne bhi sword hi pakdi thi... BOWIE ne ek dagger pakda hua tha, ANWYLL ne ek spear aur DEWEI ne pakda hua tha ek BLUNT STAVE...

FELIX ke waar ke baad BENEDICT ne bhi apni talwar kaafi tezi se mujhpar chalayi jisse ek baar firse maine badi hi furti se dodge de diya...

BENEDICT ke baad BOWIE apne dagger ko apni ungliyon me badi hi dakshata se ghumate hue mere paas aaya aur ek ke baad kayi baar waar kiye usne mujhpar..

waise toh mai un saare waaro se bach raha tha par BOWIE aur usse pehle BENEDICT aur FELIX ne jis speed se mujhpar waar kiya tha,woh wakayi kaabile taarif tha..

mai bas nano seconds ki timing ke difference se hi un saare waaron se bach paa raha tha...

khair,jab BOWIE ka koi waar mujhe touch nahi hua toh ANWYLL ne apne SPEAR ke saath aur uske baad DEWEI ne apne blunt stave ke saath mujhpar humla kiya par jab un paanchon ke waar se mai bach gaya toh ek baar ek dusre ko dekh un paanchon ne mujhe chaaron taraf se gher liya aur....

ek saath bilji si speed me woh paanchon meri taraf badhe...

abhi tak maine koi hathiyar prakat nahi kiya tha aur woh isiliye kyunki filhal mai khel raha tha in sabke saath...

par ye khel ab mujhpar halka bhaari padne laga tha aur woh aise ki jahan mai ab tak bas kuch nano seconds se hi in sabke waaron ko dodge de paa raha tha wahin ab jab ye paanchon mujhpar ek saath humla kar rahe the,toh woh time difference aur bhi kam ho chuka tha..

itna hi nahi,har waar ke baad un paanchon ki speed aur badhti hi chali jaa rahi thi..

waise toh speed meri bhi har guzarte pal ke saath badh rahi thi par jitna difference mai apni speed par pehle paida kar paata tha,ab utna nahi ho paa raha tha aur aisa hone ka reason bhi pata tha mujhe..

ERRAPEL.....

jo ab mere andar sama chuki aur jisne mere ab tak crack kiye apne baaki ke 90 percent REFINER POWER ko bhi halka sa slow down kar diya tha...

khair,jaisa ki maine bataya ki un paanchon ke waar karne ke speed har guzarte pal ke saath badhti hi chali jaa rahi thi..

yahi reason tha ki kuch aur pal beete,jiske baad, DEWEI ke blunt stave ka waar sidha mere chehre par honth ke pas lag gaya aur aisa hote hi mai udta hua piche ki taraf jaakar gira...

girte hi mai wapas uthkar khada ho chuka tha par jab maine apna haath apne hothon ke side par lagaya toh paaya ki woh area halka fath chuka tha aur wahan se halka halka khoon ris raha tha...

un chand khoon ki bundo ko apni ungliyon par liye jab maine usse dekha toh mere face par ek behadh hi sard muskaan naach gayi....

apne hi khoon ko chuste hue maine un paanchon ko dekha aur...


MAI-aage kuch bhi bolne ke liye zinda nahi rehne waale ho tum log...

isiliye abhi bata do,ho kaun tum sab, mujhpar humla karne ka reason aur ye jagah kaun si hai...????


meri baaton ko sun kuch der ghura un paanchon ne mujhe aur uske baad...


FELIX-kya baat hai..??? yaadasht kamzor ho gayi hai yaa koi naya chhal karna chahte ho...!!!

kuch hi dinon pehle tum yahan aaye the, hamari STALWART RIVER ke paani ki har boond ko sokha aur chale gaye,aur ab tumhe kuch bhi yaad nahi....

MAI-agar mai kuch din pehle yahan aaya hota toh dobara humla karne ke liye tum sab zinda nahi hote...

BOWEI-woh toh us din hi pata chal jaata agar tum hamare paas aakar humse yudh karte...

tum STALWART RIVER ke beech khade the..us bhaag me jahan restricted FOG hota hai...

ussi jagah se hote hue tumne RIVER ki paani ke har boond ko gayab kiya aur phir khud bhi gayab ho gaye...

MAI-RESTRICTED FOG....hmm, toh tum sabne mujhe river ke kinare se dekha tha...

PAANCHON-haan....

MAI-aur mai us fog ke baawjud clearly dikh raha tha...!!!

BENEDICT-puri tarah nahi,par kaafi hadh tak vision clear tha...aur waise bhi,hum PEACE MAKERS hain,hamari aankhen chehre ko naa sahi par VIBES ko mehsoos kar hi leti hai..


(NOTE:-PEACE MAKERS...aapko yaad hoga guyz ki 1ST SWEEP STAKES ke waqt FLORIN aur MARIA ke chit chat ke dauran ek bande ne un dono se baat ki thi aur apne intro me usne khudko ek PEACE MAKER bataya tha..woh banda inhi logon mese ek tha...)


BENEDICT-tumse bhi wahi negetive vibe aa rahi hai jo usdin aa rahi thi...

MAI-VIDEOUS.....woh mai nahi VIDEOUS tha..door se hum dono ki apperance ek si lagti hai...

ANWYLL-aur VIBE..woh bhi ek si ho gayi...hum nahi maante tumhari baat..

MAI-kya maine kaha ki maano meri baat...tum sabki itni aukaad nahi ki RAAZ se justification le sako...

DEWEI-tum jaante ho hum kaun hain..???

MAI-PEACE MAKERS...MORALS ka agla charan... bramhand me shaanti failane aur usse maintain rakhne waale dooth...

perfect words me bolun toh MORTAL ANGELS...

mai toh jaanta hun tumhe,par kya tum sab jaante ho ki mai kaun hun...

par ab faayda bhi kya jaankar..ek galatfehmi ne marwa diya tum sabko....

apni baat bolte hue hi maine apna right hand jhatka aur mere aisa karte hi mere us haath me bhi DEWEI ki hi tarah ek BLUNT STAVE aa gaya jisse badi tezi se hawa me hi move kiya maine aur mere aisa karte hi ek behadh tez air force paida hui us blunt stave se jo agle hi pal un paanchon ko feel hui..

us air ke force ko feel kar ek pal ke liye shock ho gaye the woh saare PEACE MAKERS par agle hi pal un sabne khud ko niyantrit kiya aur ek baar phirse mujhe gherne ke kiye aage badhe par abhi un sabne ek hi kadam aage badhaya tha ki tabhi unhe ek naya air force feel hua..

ye force aur koi nahi meri movement se paida hui energy thi jisse feel kar woh paanchon PEACE MAKERS jo abhi abhi ek kadam aage badhe the,woh chaar kadam piche hath gaye...

REASON..

kyunki jahan ek pal pehle woh paanchon khade the,is waqt wahan MAI khada tha..

waise toh bohot tezi se aage badha tha mai par mere aisa karte waqt mujhe apne andar ek stopper sa feel hua tha joki aur kisine nahi ERRAPEL ne paida kiya tha..

aur woh isiliye kyunki woh mere iraade joki bilkul bhi positive nahi the,woh jaanti thi aur mujhe rokna chahti thi..

par meri will power us stopper se kayi guna zyada strong thi aur isiliye khudhi khudko harate hue mai aage badh gaya tha..

khair,apni is nayi jagah par khada hone ke baad maine apne BLUNT STAVE ko tezi se ghumana shuru kiya..

aur mujhe aisa karte dekh woh paanchon PEACE MAKERS mere chaaron taraf round banakar khade ho gaye..

aisa kar woh mujhpar waar karne ke liye aage badhne ko hue hi the ki tabhi...

mai apni jagah se behadh tezi se move hua jiske baad..

AHHHHH......

DEWEI ke mooh se ek behadh hi dardnaak cheekh nikal gayi..

reason..

uska BLUNT STAVE uske haathon samet neeche zamin par gir chuka tha...

apne saathi ka haal dekh baaki ke chaaron PEACE MAKERS boukhla se gaye par saath hi behadh ghussa bhi..

yahi reason tha ki un chaaron ne apni puri taakat,shamata aur speed ke saath mujhpar attack karna shuru kar diya...

wahin meri haalat aur haalaath kuch alag the..jahan meri bahari halat aur soch bilkul focused thi wahin meri anduri haalaathon ko ERRAPEL control kar mujhe slow karne ki koshish kar rahi thi..

aur woh isiliye kyunki ERRAPEL ki urja ye baat jaanti thi ki mai in PEACE MAKERS ko maare bina rukunga nahi...

par is odd situation ke baawjud mai badi dakshata ke saath apne BLUNT STAVE ko ghumata chala jaa raha tha...

aur kyunki speed meri badhne se rok rahi thi ERRAPEL isiliye maine dusra tarika aazmaya..


WIDYAMDHATE...

SMOKE....


blunt stave chalate hue hi man hi man maine uccharit kiya is SPELL ko jiske baad jis taraf bhi mera BLUNT STAVE lehrata,us taraf halka dhuan hone laga..

aur ye trick kaam kar gayi..

behadh halki halki hi sahi,par ab mere waar un chaaron PEACE MAKERS ko lagne lage..

yahi wajah thi ki un sabki speed bhi kam hone lagi thi..

Jahan mere waar un sab ko lagatar chot pahuncha rahe the,wahin un sabka ek bhi waar mujhe touch fak nahi kar paaya tha..

mere BLUNT STAVE ko chalane ki dakshata ko dekh kaafi hairan aur impress hone lage the woh chaaron PEACE MAKERS...

wahin mai jo kaafi confidence ke saath apne shashtra ko chala raha tha,is baat ko puri tarah se bhul gaya tha ki mai aisa unki wajah se kar paa raha hun jinhe aaj ki taarikh me mai nafrat karta hun...

mere dad... FLORIN urf RONIT....

kyunki jis kala ke adhaar aur technique ko use kar mai BLUNT STAVE chala raha tha,woh kala thi KAPU KUIALUA...(update-2)

woh fighting technique jisse dakshata se chalane ka hunar mujhe apne pitah FLORIN se virasat me mili thi....

khair, kuch der tak un chaaron ke saath khelte rehne ke baad maine apni puri will power ko ikkatha kar achanak se apni speed badha di aur dus guna tezi se BLUNT STAVE ko ghumakar un chaaron par waar kiya aur mere aisa karte hi..


AHHHHHHHHHHHH......

un chaaron ke mooh se nikli thi ye cheekh jo har taraf gunj si uthi...

reason....

jahan mere waar se BOWIE aur ANYWIL ke ek ek haath kat hote hue alag hokar gir gaye the wahin FELIX aur BENEDICT ke ek ek pair alag ho chuke the...

dard se tadapte hue woh chaaron zamin par bin paani ke macchli li tarah tadap rahe the...

aur mai,apne BLUNT STAVE ko jisme un chaaron ka khoon laga hua tha,jhatakta hua unki taraf badhne ko hua hi par tabhi...


NAHIIIII...........PAPPPPPAAAAA....

ek saath do awaazein mere kaano par padi jinhe sun jab maine saamne dekha toh paaya ki humse 50 metre door kareeb 2000 PEACE MAKERS khade hue apne paanchon saathiyon ki vikhshipt haalat ko fati aankhon se dekh rahe the...

wahin un sabme sabse aage thi ek lady jisne NAHI shabd kaha tha aur jo abhi aankhon me aansu liye DEWEI ko joki uska husband tha,dekh rahi thi...

wahin uski godh me thi uski beti jo apne papa ka naam pukarte hue apni mom ki godh se utri aur bhaagte hue DEWEI ki taraf aane lagi..

bhaagte hue woh bacchi DEWEI ke paas aayi aur uske paas baith apne
papa ke kate haath ko dekh rone lagi..

par isse pehle ki apne kate haathon ki wajah se asahaniya dard ko jhelta DEWEI kuch keh paata,uski nazar padi mujhpar jo uski hi taraf yaa phir ye kahun uski beti ki taraf badh raha tha aur ye dekh woh andar hi andar kaamp gaya..

REASON..

is waqt uski beti ko piche se dekhte hue meri aankhon me wahi thandak thi jo kisiko apne shikar ko dekhte waqt hoti hai...

andar tak hil jaane ke baad DEWEI kuch kehne ko hua hi tha,par isse pehle hi mai uski beti ke piche pahunch chuka tha aur agle hi pal maine us bacchi ki gardan ko pakad usse utha liya tha...

AHHHH....

jahan piche se daboche jaane par woh bacchi cheekhi aur phir rone lagi wahin uski mom jiski aankhon me ab tak apne pati ki haalat ko dekh sirf dard tha,ab unme apni beti ke liye dar dikhne laga..

par sabse kharab haalat thi DEWEI ki...woh toh apna dard bhi bhul chuka tha...

rengta hua sa woh mere pairon ke paas pahuncha aur mere pair ko pakad...


DEWEI-please meri beti ko chhod do...woh maasum hai...

MAI-gunah kiya hai isne..jisne khoon nikala mera,uski beti hone ka gunah....


jahan meri baat sun aansu nikal gaye DEWEI ke wahin woh saare PEACE MAKERS jo mujhe bade ghusse se ghur rahe the, woh sab mujhe maarne ke liye aage badhna chahte the par kyunki is waqt woh bacchi mere haathon me fasi thi, isiliye woh majboor the...

khair,apni baat bol maine us ladki ke sir ko apni taraf ghumaya par jab maine aisa kiya toh...

NAHIIIIIIIIII..........

us bacchi ko turant chhodkar hadbadakar piche haththe hue kahi maine ye baat...

reason...

jaise hi maine us bacchi ko apni taraf ghumaya,toh mujhe us bacchi
ke chehre par apni MOM MARIA urf ANJALI ka chehra dikha tha....

khair,agle hi pal apne dimag ko jhatak mai us bacchi ki taraf jo doudti hui apni mom ke paas jaa rahi thi,badhne ko hua par tabhi....

mere aur us bacchi ke beech SPIRIT FORM me prakat hui meri MOM....ANJALI.....

is waqt sirf mai hi dekh sakta tha unhe...aur woh,ankhon me mamta aur aansu liye mujhe dekh rahi thi...

aur unhe aise dekh mai pura kaampne laga tha...dimag kaam karna band ho chuka tha mera..

mai bas unse nazarein chura idhar udhar dekh raha tha...

wahin is beech jab woh bacchi mujhse chhuti aur apni mom ki taraf badhi toh saare PEACE MAKERS meri taraf badhne ko hue par tabhi unhe feel hui meri invisible mom ki super powerful energy aur AURA...

aur us energy aur AURA ko feel kar woh sab jahan the,wahin jam gaye..itna hi nahi,ussi pal woh sab apne apne ghutno par aa chuke the...

wahin kuch der tak mujhe dekhte rehne ke baad meri mom gayab ho gayi..

par shayad apna kaam unhone kar diya tha...mera dimag hadh se zyada kharab aur unstable ho chuka tha...



MAI-NAHI....NAHI.....NAHI.....NAHI.....NAHI.....NAHI......NAHI......


I don't give a fuck about you...i dont give a fuck about anybody...


aasman ki taraf dekhkar cheekhte hue kahi ye baat maine jiske baad..



MAI-



mere faisle aapke aansu tay nahi KARENGE....

aisa taandav machaunga mai,ki murde bhi mujhse DARENGE....

RAAZ ke raaste par sirf RAAZ chalta hai...

har koi jo mera raasta kaatega,woh sab MARENGE.....
















AAJ KE LIYE ITNA HI.....















AAPKA APNA V....J.....
 

Saddemon

Member
177
822
94
GOD ko beech me aana hota toh woh VIDEOUS ki utpatti ke waqt hi aa jaate...

achayii, burayi,paap,punya,sahi,galat..ye saari baatein is kahani ke hissab se bakwas hai..

taakat..ek maatr sach jo is puri kahani ka backbone hai...aur ye baat maine shuru se hi clear rakhi hai, aur ye moral values ke liye badlegi nahi..

jo anjaam us SNOW LEOPARD ka hua,phir ERRAPEL jaise khatm hui,in dono hi chizon ko waise hi hona tha aur woh isiliye kyunki RAAZ aisa chahta tha..

sirf uski aur VIDEOUS ki soch hi final result tay karti aayi hai aur aage bhi karegi...

mat bhuliye ki abhi RAAZ bhi VIDEOUS ki hi tarah ek DEVIL hai.. maafi aur rehemdili ki ummid usse tab tak nahi rakhi jaa sakti jab tak uska dil ANGEL me nahi badalta..

having said that, beech me aane waali jo aapki baat hai,uska jawab MAHI hai....par usme bhi abhi waqt hai...
Sun ne me hi itna romanchkari or khubsurat lag rha he to jab yh kirdar ka plot hmare samne ayega tab kitna 🌹 beautiful lagenge yh shabd padne me ,is 🌹 rose ki trh
 

Rahul

Kingkong
60,556
70,667
354
dil khus ho gawa vj4u bhai ji waiting likhe aaya tha dekha to update samne tha :reading: mai jada bol nahi pata story ke bare me lekin is story ka mujhe nasa hai bhai ji hehe
 
Top