• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) ( Completed )

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,688
189
Nhi bhai ...yh viju bhai ke story he bollywood ki movie or serial ki story nhi he๐Ÿ˜Š๐Ÿ˜Š๐Ÿ˜€๐Ÿ˜€๐Ÿ˜€ ...full on mysterious ....sawal hi nhi ut ta he ki koi guess kr paye ...hr jgh kuch nya nikal hi aata he ๐Ÿ‰๐Ÿ‰sochte he to ๐Ÿ“๐Ÿ“milti he or ๐ŸŽ๐ŸŽsochte he to ๐ŸŠ๐ŸŠ๐ŸŠ๐ŸŠisliye bhai yh bhut hard hoga hmare liye to ...by the way ..we are eagerly waiting for next update .
Love u bro from ๐Ÿ’”
๐Ÿ˜Š
& Thank u for such a story..๐Ÿ‘Œ๐Ÿ™
update toh de diya hai Brother..
comment se ek page pehle turn kijiye..
 
A. P

New Member
21
99
13
I think us paheli mein wo pani jairaj singh ka blood ho sakta hai jisne vikram ke mind ko sahi kiya tha. But current story mein jairaj ka blood milna impossible hai and mahi unki granddaughter hai so might be blood of mahi will open those doors. Just a guess.
 
ashish_1982_in

Well-Known Member
5,579
18,876
188
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MAHI RAAZ KE DIMAG SE APNE ANGEL PARTICLES KO NIKAL LETI HAI WAHIN DUSRI TARAF JAISE HI RAAZ KI YAADASHT WAPAS AATI HAI TOH WOH PEHLE SNOW LEOPARD KO AUR PHIR ERRAPEL KO KHATM KAR DETA HAI.

AB AAGE:-

CHAPTER-3

(THE DEVIL'S HAVEN,THE SACRIFICE & THE PERFECT EPILOGUE)

UPDATE-131

PLANET-GALEN

PLACE-OUTSIDE ERRAPEL'S COTTAGE

DO YOU HAVE ANY IDEA KI ABHI TUMNE KYA KIYA HAI...????

MAHI ne kahi thi ye baat jisse sun...

MAI-WOOGER...iske face par paani maar..scene nazar aane lagega...

MAHI-ye sense of humour jis chilled ATTITUDE se aata hai,woh tab kahan chala gaya tha jab bina soche samjhe tumne ERRAPEL ko itna painful end diya...

tum jaante bhi ho ki aisa kar tumne apne liye kitni badi problem create kar li hai....!!!!

ERRAPEL tumhare EMOTIONS ka sabse powerful part hai..

woh shakti jisse tumhari REFINER aur AMPLIFICATION powers saath me merge hokar tumhe 100 times strong banayenge...

par aisa hone ke liye us shakti ka tumhe dil se accept karna bohot zaroori tha lekin jo harkat tumne ki hai,usse tumne waisa hone se pehle hi ek halt laga diya hai..

ERRAPEL bhale hi tumme sama chuki hai par usne tumhe accept nahi kiya hai..

MAI-abhi shaam dhalne waali hai...

MAHI-toh....

MAI-toh bas,abhi shaam dhalne waali hai...

MAHI-mujhe pata hai ye...

MAI-theek waise hi jo bakwas tumne abhi ki,woh mujhe bhi pata hai.. isiliye apna har explaination apne paas rakho...

ye bol mai palta aur ek disha ki taraf jaane laga jisse dekh...

MAHI-kahan jaa rahe ho...???

MAHI ke sawal ko nazarandaaz kar mai aage badhta chala gaya jisse dekh...

MAHI-wapas CHOSENS nahi jaana....???

MAHI ki is baat par aage badhte hue mere kadmo me halka sa halt aaya aur..

MAI-nahi....

MAHI-ohh...so you are scared of VIDEOUS, right...!!!

MAHI ki baat sun mai palta aur theek uske saamne jaakar khada ho gaya...

kuch der tak uski aankhon me dekhne ke baad....

MAI-haan,mai VIDEOUS se dar gaya... khush...!!!

jahan ye bol mai wapas palat kar jaane laga wahin MAHI ko mujhse aise jawab ki ummid nahi thi..

kuch pal ke liye hadbadayi woh par phir sambhalkar...

MAHI-and what about your mom & dad....????kya unki di gayi kurbaani
ka bhi tumhare liye koi value nahi....

MAHI ki baat sun ek baar mai phir ruka,uski taraf palta aur....

MAI-miss MAHI...mai ek anath tha,hun aur hamesha rehne waala hun..theek ussi tarah jaise maa haap hone ke baad bhi tum ek najayaz beej ki tarah rahi thi,ho aur hamesha rahogi...

apne liye meri kahi baat ko sun ek pal ke liye MAHI ke aankhon me khoon utar aaya tha jisse dekh...

MAI-bura laga...mai aasman hun MAHI..meri taraf dekhkar thukogi toh woh thook wapas tumhare mooh par aakar hi girega..

bottom line,stop provoking me kyunki mai toh jhel jaaunga par agar ye maine kiya toh tum shayad naa jhel paao....

lastly,listen very very carefully...i dont give a damn about VIDEOUS and most importantly,my so called ANGEL PARENTS....

aur koi nayi tippani karni hai ya ho gaya...!!!

MAHI-aaj phir shaame tanhayi jaagi,aaj phir ek aansu gira hai...

baarish naa bhigaayi zamee ko,ek aansu se aaj ye gila hai....

agar khudko anaath maante ho tum,toh phir ye gaana kal kyun tumhare dil me ban tumhare mooh se nikla tha...

mai bataun...kyunki is gaane ko gaate hue tumhari awaaz me kisi apne se door ho jaane ka gum jhalak raha tha...!!!!

woh apne tumhare mom dad hi the naa,jinhe tum kal bhi miss kar rahe the aur aaj,abhi jab tum khudko is fake toughness ki chaadar se dhake hue ho,tab bhi miss kar rahe ho..

maano,naa maano,par sach yahi hai...jaana chahte ho,jaao,apni niyati se bhagna chaahte ho,bhaago,par tumhare jaane se aur tumhare bhaagne se sach nahi badlega RAAZ...

aur tumhara sabse bada sach ye hai ki RAAZ FLORIN aur MARIA urf RONIT aur ANJALI ka beta hai...

woh RONIT aur ANJALI jinhone apne amaratv ko,apne jiger ke tukde ko bramhaand ki bhalayi ke liye daav par laga diya...

RAAZ,maana tumme aur tumhare mom dad ke thought process me zamin aasman ka fark hai par tumhare andar jo zidh hai and most importantly jo ATTITUDE hai,woh un dono ki wajah se aur un dono ki tarah hi hai...

tum bhi apne dad ki tarah impulsive ho aur ussi waqt me apni mom ki tarah samajhdaar bhi...

you are a combination of two completely different ATTITUDES and that is the only thing that makes you more efficient than VIDEOUS...

zaroorat sirf tumhare samajhne ki hai aur agar naa bhi samajh paao tum toh bhi koi baat nahi par apna commitment toh pura kar hi sakte ho...

maana tum mere dad ko apni haalat ka zimmedar maante ho,par isse VIDEOUS ke gunah toh kam nahi ho jaate...

gunahgar toh tumhara woh bhi hai..us gunah ke anjaam tak bhi agar tum usse naa pahuncha paaye toh ek laayak beta toh door ki baat hai,tum toh khud ko ek laayak mard bhi nahi keh sakte...

MAHI ki teekhi baatein chubhi nahi mujhe aur woh shayad isiliye kyunki sachi baaton se bhale hi woh kitni hi kadwi kyun naa ho,mai hurt kabhi nahi hua hun par un baaton ko sun mere andar ki negetivity kam hone ki jagah badh gayi thi..

reason..

ye saara gyan us ladki ne mujhe diya tha jiske baap se mai nafrat karta hun.. beinteha nafrat..

khair,MAHI ki baat khatm hote hi mai uski taraf badha aur theek uske saamne khada hokar kuch pal maine dekha usse jiske baad...

MAI-fine...ab ye safar mere yaa VIDEOUS ke anjaam tak pahunchne ke baad hi khatm hoga.

but let me make one thing very clear...

is pure safar ke dauran ab tak jis ISHQ ki patang ko tum udaati aayi ho, uski kanni kaat,uske maanje ko lapet apne andar hi kahin chhupa lo...hamesha ke liye..

kyunki jitna bura mujhe VIDEOUS ke existence se lagta hai,utna hi bura mujhe tumhari shakal ko dekh kar bhi feel hota hai...

tumse tumhare baap ki boo aati hai mujhe..aur is smell se allergy hai mujhe...

bottom line,keep yourself and your stupid emotions fucking away from me...

MAHI-deal....

MAHI ki baat sun bina kuch kahe mai ek dusri disha ki taraf badh gaya jisse dekh...

GRIFFIN-ab ye kahan jaa raha hai...???

WOOGER-agle padhav ki taraf...

GRIFFIN-agla padhav...!!!yahan GALEN me...!!!

WOOGER-hmm.. ASTER me jab MAHI apne pysical strength ko restore karne ke liye PAUSED CEREBRATION me baithi thi aur hum dono ke energies ki wajah se iske ANGEL aur HUMAN forms ki power isse dikhe the,tab kuch feel kiya tha isne,right MAHI...!!!

MAHI-haan..aur woh feeling tumhari energy jiska asli ghar tumhare MASTER ka sharir hai,usse aayi thi...

tumhare energy ke through yahan RAAZ ke body se bhi same energy generate hokar pure GALEN me faile gayi thi aur kyunki us waqt woh energy mujhse bhi connected thi, isiliye maine bhi pure GALEN ko feel kiya tha..

aisa karte waqt mujhe MYSTIC FOREST ki taraf se jahan se hum yahan pahunche the,waisa hi AURA feel hua tha jaisa MADDOX se hua tha...

woh bhi ek nahi balki do AURAS...aur ye koi coincidence ya normal baat toh ho nahi sakti...

RAAZ ussi AURA ka sach jaanane gaya hai...

WOOGER-saath hi ek hisaab bhi bacha hai yahan,usse bhi pura karna hai unhe...

apni baat bolte hue WOOGER RAAZ ke disha ki taraf badh gaya aur uske saath hi chal padi MAHI aur GRIFFIN....

PLACE-THE MYSTIC FOREST

ARRE,YE TOH WAHI LADKA HAI NAA JO KUCH RAAT PEHLE US LEOPARD KI WAJAH SE HUMSE BACH GAYA THA...!!!

un CHAAR NIMRODS mese ek ne jinhone kuch raat pehle mujhe maara tha,kahi thi ye baat...

THE MYSTIC FOREST....

forest ke bas ek bhaag ka hi naam tha ye..aur ye naam is jagah ko NIMRODS ki wajah se hi mila tha...

aur woh isiliye kyunki ye yahan jungle ke is ghane ilaake me kaise aur kahan rehte hain,ye kisi bhi GALEN waasi ko pata nahi tha..

aur kyunki ye jagah in NIMRODS ka rehwaas tha, isiliye yahan koi bhi aata jaata tha nahi...

khair,us NIMROD ki baat sun aur mujhe apni taraf hi aata dekh baaki ke teeno NIMRODS ki aankhen bhi chamak gayi aur mujhe khaane ke baare me sochkar un chaaron ke hi laar tapakne lage..

wahin mai araam se chalta hua un chaaron ke kareeb pahunch gaya aur un chaaron se kareeb 10 feet door aakar rook gaya..

jahan is waqt mere face par koi expression nahi tha wahin un chaaron ke chehron par expressions ke bhandaar the..

apne swadisht bhojan ko saamne dekh jaisi feeling aati hai,waisi hi kuch feeling un chaaron ke man ne ufaan maar rahi thi...

khair,kuch der tak mujhe dekhne ke baad...

1ST NIMROD-arre waah..aaj shikar khud apne shikari ke paas chalkar aaya hai..

ye baat bol woh NIMROD meri taraf badhne ko hua par tabhi..

MAI-tu rook...tu aa....

left side se aakhri waala NIMROD badh raha tha mere paas jisse haath aage kar rookne ko kaha maine aur uske just baaju me jo NIMROD khada tha,usse ishara kar apne paas aane ko kaha jisse sun woh chaaron pehle toh chownke par phir woh NIMROD jisse maine rookne ko kaha tha,woh hasa aur...

1st NIMROD-jaa bhai...aaj ki daawat ka pehla bhog tere hi naseeb me hain...

2nd-aur waise bhi,jab farmaish daawat-shikar ne khud ki hai toh itna toh manana hi padega...

jahan woh do NIMRODS baat kar rahe the,wahin woh NIMROD jisse maine apne paas bulaya tha,woh mujhe ghurta hua meri taraf badha..

par mujhe bina dare araam se khada dekh usse ghussa bhi aa gaya tha aur yahi wajah thi ki mere paas aate hi mere gale ko dabochne ke iraade se usne apna right hand mere gale ke taraf badhaya par abhi uska haath apna aadha safar hi kar paaya tha ki tabhi mera left haath light speed se aage badha aur uske badhte haath ko jhatakte hue uski gardan ko jakad liya aur aisa karte hi...

MAI-us raat mujhpar sabse pehle haath tune hi uthaya tha naa..!!!

apni baat khatm karte karte maine us NIMROD ke gale ko pakde apne haath ko fislate hue uske tounsil par le aaya jiske agle hi pal..

AKHHHH...

ek ajeeb si awaaz nikli us NIMROD ke mooh se..

reason...

maine us NIMROD ke tounsil ko uske gale se kheenchate hue bahar nikal liya tha..

cheekhne ki koshish karte hue bezuban hokar reh gaya woh NIMROD...

wahin us NIMROD ke lambe chowde kadh kaathi ki wajah se uske thode piche khade baaki ke teeno NIMRODS ko kuch dikh nahi raha tha aur isiliye scene ko dekhne ke liye woh teeno meri taraf badhne ko hue hi the ki tabhi..

KHATTTTKKKKK.....

ek alag tarah ki awaaz mere saamne khade NIMROD ki gardan se nikli..

reason...

maine ua NIMROD ke sir ko pura ulta ghuma diya tha..ab uski body meri taraf faced thi par uska asal face ghumte hue uske teeno saathi NIMRODS ki taraf ho chuka tha...

aur jab ye hua toh un teeno NIMRODS ke badhte hue kadam naa sirf rook gaye balki woh teeno apni apni jagah par jadh se hokar reh gaye...

fati hui aankhon se woh apne saathi ka 360 degree ghuma hua sir dekh rahe the jo uske nirjeev sharir ke saath ab ek taraf girta chala jaa raha tha....

kuch seconds yunhi jadh se khade rehne ke baad achanak se hadbada gaye woh teeno aur ussi hadbadahat me woh teeno piche ki taraf gir gaye..

aur ye isiliye hua kyunki mai un teeno ke theek saamne aakar khada ho chuka tha....

mujhe jisne kuch pal pehle unke saathi ke sir ko bade araam se ghumate hue uska khel khatm kar diya tha...

khair,woh teeno piche hokar gire toh zaroor the par unme se ek NIMROD baaki dono se aage tha aur girne ke baad bhi uska ek leg halka hawa me tha jisse dekh mere haath tezi se aage badhe aur jiske agle hi pal maine usse uske pair se kheenchte hue apni taraf jhatka diya..

mere aisa karte hi sidhe sone waali
position me hi woh meri taraf udta hua sa aa gaya aur aisa hote hi maine uski gardan ko dabochte hue apne saamne khada kar diya....

MAI-mere ando me ghusate hue mere sir se bhaale ko nikal mera seekh kabab banana chahta tha naa tu...!!!

meri baat ka woh NIMROD koi jawab deta,usse pehle hi uske piche tange bhaale ko ek jhatke me nikala maine aur aisa karne ke baad us bhaale ko us NIMROD ke testis joints ke beech tezi se ghusate hue uske sir se bahar nikal diya maine..

AHHHHH...

aur mere waisa karte hi us NIMROD ke mooh se ek hriday vidarak cheekh nikal gayi thi aur kuch pal chattpate rehne ke baad usne dum tod diya..

jahan is scene ko dekhte hue ek taraf neeche gire pade baaki ke bache dono NIMRODS ki aankhen dar ke maare badi ho gayi thi wahin
dusri taraf mere piche ki taraf mujhse kuch door ek ped ke piche tek is scene ko dekh rahe MAHI aur GRIFFIN ka mooh hi ban gaya tha...

par in dono ke hi side me khade WOOGER ke chehre par smile naach rahi thi..

ye teeno mere pehle NIMROD ko maarne se pehle hi pahunch chuke the par MAHI ke kehne par woh sab wahin rooke hue the..

is waqt meri maansik haalat jaisi thi,usme halke se bhi sudhaar ki gunjaayish tabhi thi jab mai apna ghussa kisi par nikal dun..

aur aisa karne ke liye NIMRODS se behter option koi tha nahi..

MAHI ye baat jaanti thi aur isiliye hi usne aage badhne ki koshish nahi ki..

par jis tarah se maine ab tak do NIMRODS ko maara tha,uske baad GRIFFIN ko lagne laga tha ki jis kaam ke liye hum yahan aaye the,uske hone se pehle hi bina kuch sune kahin mai baaki ke dono NIMRODS ki bhi jaan naa le lun aur isiliye..

GRIFFIN-MAHI,RAAZ ko rokna hoga..agar kahin in NIMRODS ka pata thikana janane se pehle hi isne baaki ke dono NIMRODS ko bhi maar diya toh phir hum aage kya karenge...!!!!

WOOGER-buddhi utni lagao jitni mili hai..aur MASTER ke maamlon me toh bilkul bhi naa lagao toh thik rahega...

agar MASTER khud yahan aaye hain toh woh sirf in chindiyon ko maarne bhar ke liye toh aaye honge nahi...

ghussa aur negetiveness jitni bhi zyada kyun naa ho, MASTER kabhi apne targets aur lakshya ko nahi bhulte..

MAHI-WOOGER is right GRIFFIN.. dekho, RAAZ ne teesre NIMROD ko bhi maar diya hai par ab woh shaanti se us chownthe waale ke paas baitha hua hai....

MAHI ki baat sahi thi....teesre NIMROD ke dono haath aur dono pair ko pura ukhadte hue usse maarne ke baad mai araam se us chownthe NIMROD ke saamne baitha tha aur us sadme ki haalat me jaa chuke NIMROD ko dekh raha tha jiske baad maine apne gardan ghumate hue ek baar piche ki taraf jahan MAHI, GRIFFIN aur WOOGER the,us taraf dekha aur mere aisa karte hi woh teeno samajh gaye ki ab unhe piche rehne ki zaroorat nahi hai..

woh teeno ped ki ot se nikate hue meri taraf badhe aur unhe dekh itne der me pehli baar us aakhri bache NIMROD ke chehre par dar ke saath saath jo ab aur badh chuki thi, hairangi ke bhaav bhi dikhne lage...

MAHI ko dekh toh woh hairan hua tha par uske dono taraf chal rahe GRIFFIN aur WOOGER ko dekh uski haalat kharab ho gayi thi...

khair,kuch hi der me woh teeno mere paas aakar khade ho chuke the jiske baad..

MAI-thikana kya hai tera...!!!aur wahan pahunchne ka tarika..!!!!

bade araam se pucha tha maine ye sawal par jo ab tak maine kiya tha aur jis tarike se kiya tha,uski wajah se meri ye normal way me ki gayi baat bhi usse darane ke kiye kaafi thi aur isiliye...

NIMROD-agar maine bata diya toh kya mujhe chhod doge...???

MAI-kuch nahi karunga mai..!!!

meri baat sun halak far fase thook ko nigalte hue....

NIMROD-yahan se sidhi disha me 2 kos door ek bada sa chattan hai..

woh chattan hamare thikane ka darwaza hai...

uss chattan me hum NIMRODS ke khoon ki ek boond lagne bhar se hi woh khul jaata hai...

mai tumhare saath chalta hun.. tumhare liye woh darwaza mai khol dunga...

MAI-jab kaam tere khoon se ho jaayega toh tere jaane ki kya zaroorat...!!!

meri baat ko sun us NIMROD ke reedh ki haddi me ek thandak so doud gayi thi jiske baad..

NIMROD-par tumne wada kiya tha ki tum mujhe chhod doge...!!!

MAI-maine kaha tha ki mai tumhe kuch nahi karunga...aur RAAZ apne waade se nahi mukarta...

WOOGER..make it quick...

apni baat bol mai uthkar side ho gaya jiske baad...

GHRRRRR...

aankhon me chamak liye WOOGER us NIMROD ko dekh halka sa gurraya aud uske aisa karte hi woh NIMROD jaise jeete jee hi mar gaya..

bolna woh bohot kuch chahata tha par zubaan uski lock si ho gayi thi...

aur woh kisi aur tarike se react karta,usse pehle hi WOOGER ne apna bada sa mooh pura kholte hue uski taraf challang lagayi jiske agle hi pal sirf do baar me hi woh hatta katta jaanwar jaisa NIMROD uske mooh me sama chuka tha...

aisa hone ke baad mai challang lagate hue WOOGER ke upar baith gaya ..

meri hi tarah MAHI bhi GRIFFIN par sawar ho chuki thi jiske baad WOOGER aur GRIFFIN apne naak ki seedh me doud pade...

hadh se zyada tez thi in dono ki speed,yahin kaaran tha ki bohot hi kam waqt me hum us bade se chattan ke saamne the jiske baare us NIMROD ne bataya tha..

us chattan ke thik saamne pahunch WOOGER ne apni badi si jeebh jisme uske khaaye hue NIMROD ka khoon laga tha,aage kiya aur us chattan ko chaat liya...

uske aisa karte hi uske jeebh me laga us NIMROD ka khoon CHATTAN par lag gaya aur jab aisa hua toh halki gadgadahat ke saath chattan ka woh bhaag jisse WOOGER ne chaata tha,woh do hisso me baththe hue alag ho chuka tha..

darwaza khul chuka tha jiske baad hum chaaron uske andar pravesh kar gaye...

humare andar ghuste hi woh chattan numa darwaza wapas band ho chuka tha par aisa hone ke baad bhi hamara view clear hi tha..

REASON...

us chattan numa darwaaze ke andar bana tha ek bada sa gufa jime chaaron taraf mashale jal rahi thi....

aur un jalti hui mashalon ko dekh ye zaahir ho raha tha ki wahan kaafi NIMRODS rehte the..

khair,mai aur MAHI,dono hi WOOGER aur GRIFFIN se utar chuke the..

abhi hum chaaron kuch kadam hi aage badhe the ki...

NIMROD-hey..kaun ho tum sab..???aur andar kaise aa gaye...!!!!

ek NIMROD jo achanak se hi hamare saamne aa gaya tha,usne hume saamne dekh hairani se bhar kahi thi ye baat..

uski awaaz kaafi loud thi aur yahi wajah thi ki uski baat sun kareeb 19 NIMRODS jinme se 10 women thi aur baaki mard,uske paas aakar khade ho chuke the..

hume dekh is waqt un sabki aankhon me hairani ke saath ek shikar ko dekhkar chamak bhi thi..

par GRIFFIN aur WOOGER ko dekh unhe dar bhi lag raha tha..

khair,in sabke liye hume apna time toh khapana tha nahi isiliye...

MAHI-tumhare MASTER,HEAD, GURU jo bhi hain,unse milna hai hume...

MAHI ki baat sun un saare NIMRODS ke chehre par ghusse ke bhaav dikhne lage aur..

1ST NIMROD-hamare MONARCH se koi nahi mil sakta...khatm karo inhe...

pehli baat humse aur aakhri baat apne logon se ki us NIMROD ne jiske baad unme se koi hil bhi paata,usse pehle hi mai aur mere saath WOOGER bhi badi tezi se move hue..

un saare NIMRODS ko bas ek vibration si dikhayi de paayi jiske baad first line me khade kareeb 10 NIMRODS ke sir unke dhadh se alag hokar gir chuke the...

paanch ke sir WOOGER ne unke gardan se alag karkar thook diya tha aur baaki paanch ki gardan ko ek ke baad ek itni tezi se ghumaya tha maine ki pata chalne se pehle hi woh sab mar chuke the...

in 10 NIMRODS me se kuch auraten bhi thi par maarte waqt gender dekhne ki tamiz nahi rehti mujhe...

khair,jab tak baaki ke 10 NIMRODS apne saathiyon ke haal ko samajh paate,hum dono ne unka bhi kaam tamaam kar diya tha..

aisa kar jahan bina un bina sir ke shariron par ek bhi nazar daale mai aur WOOGER aage badh chuke the wahin ek gehri saans chhodte hue MAHI aur uske saath GRIFFIN bhi hamare piche ho liye the...

jab hum un 20 NIMRODS ko maar rahe the,tab door se ek NIMROD ne ye sab hote dekh liya tha aur bhaagte hue,jo hua,woh sab apne saathi NIMRODS ko bata diya tha...

yahi wajah thi ki humare lagatar aage badhte rehne ke baad bhi raaste me dikh rahe kisi NIMROD me itni himmat nahi thi ki woh hume rokne ki himmat kar paaye...

khair, hum us gufa ke kaafi andar tak chale gaye the...

aur hum rook isiliye nahi rahe the kyunki mujhe aur MAHI dono ko woh ENERGY jiski wajah se hum yahan aaye the,kareeb aati nazar aa rahi thi aur phir achanak...

SADIYAN BEET GAYI..PAR AAKHIRKAR AAP DONO KE DARSHAN HO HI GAYE...

saamne ki taraf se kaale lababe me dhake do saaye jinki peeth humari thi,unhone kahi thi ye baat jispar hum apni jagah par khade hokar un dono ko dekhne lage...

wahin apni baat bol woh dono saaye humari taraf palte aur unke aisa karte hi jab un dono ke chehre humare saamne aaye toh MAHI toh unse anjaan hone ki wajah se shaant hi rahi par mai man hi man chownka tha..

reason...

khud hi jaan lijiye....

humari taraf palat woh do saaye joki filhal human form me hi the,hamare aage jhuk gaye aur...

DONO-LORD OF ANGELS ki beti aur dono LORDS ki URJA ko VALEFOR aur LILITHA ka naman....

(NOTE:-LILITHA aur VALEFOR. urf BALBEER SINGH BAGGA... ye do naam toh aap sabko yaad hi hoga guyzz...jab ASMODEUS DEVILS king tha,tab ye dono uske pramukh devil's me se the aur VALEFOR urf BALBEER SINGH BAGGA toh MADDOX aur DIGVIJAY ka baap bhi tha)

un dono ke naam sun MAHI toh shaant hi rahi par mai joki unki asliyat jaanta tha...

MAI-tum dono ko bhi ghasit liya un dono ne...

jahan meri baat sun VALEFOR aur LILITHA muskura uthe wahin MAHI jisse abhi tak kuch samajh me nahi aaya tha...

MAHI-ghasit liya matlab..??kaun hai ye dono...???

VALEFOR-jab CREATURE OF JUDGEMENT ASMODEUS DEVIL'S LORD the,tab hum dono unki sena ke pramukh devils me se the...

MADDOX jinse aap ASTER me mili aur yahan ERRAPEL jis HORUS urf DIGVIJAY ke saath thi,woh dono mere hi bete the...

ab jab un dono ko unke shapit jeeven se mukti ke liye itni mehnet aur intezar karna pada tha,toh hume kaise bhala mukti araam se mil jaati....

MAI-iska matlab mukti ki noutanki ke liye ABBADON aur ABRAXAS bhi line me hain....

LILITHA-jee,aur humare baad aap dono unse bhi roobaroo honge par kisi aur andaz me...

MAI-point par aao..ab karna kya hai...???

LILITHA-aap dono hume khatm karenge..aisa hote hi humari rooh azaad ho jaayegi aur humare sharir se banenge DO DARWAAZE....

dono hi darwaaon ke piche do raaste honge par un raaston ki manzil ek hi hai...

THE PAN OUT VAULT..

(NOTE:-wahi vault jisse RAAZ ne sapne me dekha tha)

VALEFOR-aap dono ko un alag alag raaston se hokar us VAULT tak pahunchna hai..

par dhyan rakhiyega,aisa karna asaan nahi hoga....aap dono ka darwaze se hokar VAULT tak ka safar chunoutiyon se bhara hua hoga..

aur ye chunoutiyon aapke school ke maaya ki tarah nahi hogi..sacchi hongi,jisme aap dono ki jeeven leela bhi samapt ho sakti hai..

RAAZ,aapne jin do DEVIL'S ka naam liya, ABRAXAS aur ABBADON,jin raaston se aap dono jaayenge,woh raasta inhi dono ke LIFE SOURCE se bana hua hai..

ab andaza laga lijiye,aage ka safar kitna tough hone waala hai..

ye safar aap dono ki sujh bujh, mental toughness aur capacity ko check karne ke liye banaya gaya hai...

isiliye give it your best...

LILITHA-MAHI,aap bhale hi LORD OF ANGELS ki beti hain,unka ansh hai par aapke dil me jo ANGEL'S FORM POWER SOURCE hai, usme aapke PITAH ki pure URJA bhi hai..

ye baat mai isiliye bata rahi hun kyunki hamare sharir se jo darwaaze banenge,unhe sirf aap hi khol sakengi...

waise toh abhi aapki us ANGELS urja ne kaam me aana shuru nahi kiya hai,par dono darwazon ke beech ek plain spot hoga,uspar haath rakhte hi aapka woh part temporarily activate ho jaayega...

jab aisa hoga toh aapko JEEVENAM DRISHYAM,is SPELL ko uccharit karna hai...

aapke aisa karte hi aapki band aankhon ke saamne aapke PITAH ke pura jeeven jo unhone dharti par bitaya tha,ghum jaayega...

itna hi nahi,unse jude har insaan ki har baat aap dekh payengi aur naa sirf dekh paayengi,balki mehsoos bhi kar paayengi..

aisa hona isiliye zaroori hai kyunki drishya band hone ke baad jab aap apna haath us khaali spot se hatayengi,toh ussi spot me ek PAHELI ban jayegi..

ye paheli unhi saare drishyon me se kisi ek se related hogi,jo aapne dekhi hogi..

us paheli ko solve karne ke baad hi woh dono darwaaze khulenge....

MAI-sidha kaan kabhi pakda hai tumhare baap ne jo ab pakdega..har baar ghumakar hi pakadna hai...

ghusse me kahi maine ye baat jisse sun halka sa muskura uthi MAHI...

wahin apni baat ko aage badhate hue..

MAI-aur kuch yaa ho gaya..!!!

LILITHA-ek aakhri baat..WOOGER, GRIFFIN,ye safar tumhare MASTER aur MISTRESS ke liye hi hai,tumhare liye nahi..

in dono ke is quest ko paar karne ke baad hi tum inse mil paaoge...

LILITHA ki baat par haan me apne sir ko hilaya WOOGER aur GRIFFIN ne jiske baad..

LILITHA-ho gaya..ab aap hume mukt kar sakte hain...

LILITHA ki baat sun mai uski taraf badhne ko hua par mai aisa kar paata ki tabhi...

MAHI-ye mai karti hun..

apni baat bol MAHI turant un dono ke paas pahunch chuki thi.. MAHI jaanti thi ki mai un dono ko maut taklif deh hi dunga, isiliye usne aisa kiya tha..

khair,un dono ke paas pahunch unke sir par haath rakh...

MAHI- VELAH

PAINLESS DEATH

(NOTE:-ye SPELL yaad hai aapko..apne maata pitah ko maare waqt issi SPELL ko uccharit kiya tha RAAZ ne jisse MADDOX ke through apni aur RAAZ ki asliyat jaante waqt dekha tha MAHI ne..)

ussi painless death ka SPELL uccharit kiya MAHI ne..

par jahan aisa karne ke baad FLORIN aur MARIA raakh ban gaye the,wahin LILITHA aur VALEFOR ke saath kuch alag hua..

SPELL uccharit karte hi unke sharir se unki aatma bahar nikalte hue gayab ho gayi aur un dono ki bodies pehle toh neeche giri par phir unka roop badalne laga..

dekhte hi dekhte unki bodies wapas standing position me aa gayi aur phir woh dono bodies apna roop badalne lagi..

kuch hi seconds me MAHI,RAAZ, WOOGER aur GRIFFIN ke saamne do bade bade darwaze the aur un darwazon ke beech tha ek khaali spot..

wahi spot jisme MAHI ko apna haath rakhna tha aur usne wahi kiya..

aage badh usne apna haath us khaali spot par rakh diya aur uske aisa karte hi uske body ko laga ek jhatka aur uski aankhen band hoti chali gayi....

us khaali spot par haath rakhte hi MAHI ke heart me basi uski ANGEL'S FORM POWER SOURCE activate ho chuki thi aur jab aisa hua toh...

JEEVENAM DRISHYAM....

batate gaye SPELL ko uccharit kiya usne jiske baad uski band aankhon ke aage VIKRAM JAIRAJ SINGH ki saari jeevni dikhne lagi yaa phir ye kahun ki VIKRAM ke saath aur aaspaas ghati saari ghatna aur scenes usse mehsoos hone lagi...

aisa hote waqt MAHI ke face par ek behadh hi pyari smile naach uthi thi...

kuch hi der me MAHI apne pitah ki woh life journey jiske dusre adhyay me woh khud bhaag le rahi thi,dekh li thi aur aisa hote hi drishya band ho gaya...

drishya band hote hi MAHI ki aankhein khul gayi aur usne apna haath us khaali spot se hata diya...

abhi MAHI ko us khaali spot se haath hataye ek pal hi beeta tha ki tabhi us spot par kuch aksharon ki rachna joki ek PAHELI thi,hone lagi aur jab woh rachna,woh paheli puri hui toh RAAZ, WOOGER, GRIFFIN aur khaaskar MAHI jisse us paheli ko solve karna tha,usse padhne lage...

paheli,parable,jo kuch yun thi...

KAALI SHAKTIYON se bach gayi tu,kyunki saaf teri NIYAT THI.....

RADHA KRISHNA ki jis kitab ko padhkar hua aisa,uski kuch aur hi ASLIYAT THI....

paani ki kuch bunde lagi thi us KITAB me...

darwaza khulega tab jab tu ye batayegi ki woh PAANI asal me kahan se thi, aur kiski MILKIYAT THI....

AAJ KE LIYE ITNA HI....

AAPKA APNA V...J.....
super fantastic update bhai maza aa gya
 
Ajay

Well-Known Member
6,895
33,102
218

Nice update
 
Top