• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) ( Completed )

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,267
38,658
258
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MARIA, FLORIN AUR ALFREEN RAAZ KE ATTITUDE KE BAARE ME BAAT KARTE HAIN WAHIN DUSRI TARAF ACCHUTA AUR SLUNDER VALDIS KE MANSUBO PAR PAANI FER DETE HAIN.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



MEGA UPDATE-115



PLANET-ELYSIAN


PLACE-CHOSENS

PLACE-STADIUM



SWEEP-STAKE






IS SAAL EK BAAR PHIRSE WICKEDS NE MORALS KO HARA DIYA HAI...

PAR IS JEET KA PURA SHREY WICKEDS KI SIRF EK SAVENT KO JAATA HAI..

AUR WOH HAI THE BEST SAVENT OF PHASE 3,MORANA.....

MORANA NE AAJ SINGLE HANDEDLY PEHLE DONO HI TASK ME APNE TEAM KO JEET DILWAYI HAI...

BRILLIANT MORANA.. ABSOLUTELY BRILLIANT....


WHIZZ VIOLET joki is baar bhi last year ki hi tarah SWEEP-STAKE ki referee thi, unhone WICKEDS ke jeet ke baad kahi ye saari baat jispar pura stadium taaliyon se gunj utha...

wahin apne stand par baithe PHASE 2 ke SAVENTS bhi MORANA ke aaj ke performance se kaafi impressed the aur isiliye...


ALFREEN-yaar ek baat toh maanani padegi...is MORANA me dum toh hai..

is bandi ne akele hi saare challenges me apne catagory ko jeet dilwayi hai...

maanana padega RAAZ...bandi apne takkar ki chuni hai tune...

mere kandhe ko thapthapate hua kahi ye baat ALFREEN ne jispar ek baar usse ghur kar dekh uske haath ko apne kandhe se hatate hue...


MAI-RAAZ ko takkar maut ka chakkar hai... aur koi ye chakkar nahi lagana chaahega...

SLUNDER-bhai woh teri g.f ki badhayi kar rahi hai..aur g.f ki badhayi par...

MAI-par kya..??g.f ki badhayi ke waqt jhooth allowed hota hai kya...???

rishta koi bhi ho, sach ko badla nahi jaa sakta..par mai bata kisko raha hun,gadhon ke jhund me gyaan baatne se milega bhi kya..???


jahan ye sab bol mai turant utha aur bahar ki taraf nikal pada wahin meri baat par ALFREEN aur MABEL bhi kuch bolne ko hue par unke bolne se pehle hi mai jaa chuka tha. jispar..


MABEL-ye kaisa vichitra maanus hai yaar....???hume gadha bolta hai aur khud gadhe ki tarah apna dhenchu dhenchu badbadakar bhaag jaata hai...

aur tum kyun smile kar rahe ho...???


apni baat kehte waqt jab MABEL ki nazar ACCHUTA par gayi,joki smile kar raha tha,toh pucha ye sawal usne jispar...


ACCHUTA-RAAZ ki harkat par hasi aa gayi...

MABEL-matlab..!!!

ACCHUTA-MORANA se comparison par bhadka woh par phir usse milne hi nikal bhi gaya...

ALFREEN/MABEL-WHAT...?????

ALFREEN-RAAZ MORANA se milne gaya hai...!!!

MABEL-aur tumhe kaise pata ye baat...???

ACCHUTA-pure WICKEDS me bas ek MORANA hi thi jo naa sirf injured hui thi balki hadh se zyada thak bhi gayi thi..

aur aakhir me ALFREEN jab baat kar rahi thi aur RAAZ reply kar raha tha tab uski nazar bas ek baar humari taraf gayi thi,baaki saari baatein usne saamne ground par MORANA ko dekhkar kahi thi..

aur phir jab MORANA ko uske friends sahara dete hue ground se bahar le gaye tabhi RAAZ utha tha aur bahar nikal gaya tha..

ALFREEN-oh teri..ye toh wakayi gazab ka hi banda hai yaar..kab kya karega,koi nahi jaanta...!!

par yaar ACCHUTA,manana padega tujhe bhi...

teri nazar bhi badi tagdi hai..itna lamba aur door ka connection bhi taad gaya tu..gazab....

MABEL-bas door ka hi thik se dikhta hai isse,paas ka nahi...

ALFREEN-paas ka nahi matlab...!!! ACCHUTA,tujhe short sightedness ki problem ho gayi hai kya...!!!

MABEL-arre yaar,tu chup hi raha kar..jab bhi bolti hai, ulta hi bolti hai...

ALFREEN-le,ghuma phirakar baat tum log karo aur ulta mai bolti hun....khair chhodo ye sab,chalo chalkar dekhte hain ki RAAZ kya kar raha hai MORANA ke saath...

agar pamper kar raha hoga toh chidayenge usse...

ACCHUTA-RAAZ ko chidhayenge...!!!!bhadak gaya naa woh,toh hum apni hi mout ka maatam manayenge...

ALFREEN-haan,ye risk toh hai..koi naa,bas taaka jhaanki karenge...

chalo naa yaar..waise bhi ye competition toh khatm ho hi gaya,ab yahan baith kar karenge bhi kya..!!


ye bol ALFREEN aage badh gayi jiske piche MABEL, ACCHUTA,SLUNDER aur MAHI bhi ho liye...

MAHI.... jispar in puri baaton ke dauran kisi ka bhi dhyan nahi gaya tha..

behadh hatash aur maayus dikh rahi thi woh is waqt..

reason....

jab se ACCHUTA ne MORANA ki condition par RAAZ ka concern bataya tha,tab se MAHI ka dil aur face,dono hi murjha chuke the..

par is murjhaye dil aur face ka reason sirf RAAZ aur MORANA ki closeness hi nahi thi...

balki asal baat thi RAAZ ki MAHI ke liye rudeness jo pichle ek mahine se kaafi badh gayi thi...

waise toh dono hi zyada aamne saamne nahi aate the aur naahi baat karte the,par jab bhi aisa kuch hota tha toh RAAZ ka MAHI ke liye reaction aisa hota tha jaise woh uski dushman ho...

ek do task ke dauran bhi jab MAHI injured hui toh bas RAAZ hi tha,jiske face par uske liye thodi si bhi fikr nahi aayi thi...

aur aaj ACCHUTA ki baat sun jab usse RAAZ ka MORANA ke liye fikr ka andaza hua toh aise me taklif toh honi hi thi..

khair, apne friends se apne dilli-haal ko chhupate hue woh bhi un sabke peeche peeche us jagah ke liye nikal gayi jahan usse ek baar phirse taklif hone waali thi...





PLACE-WICKEDS GREEN ROOM




WELL,WELL,WELL,DEKHO GUYZZ,KAUN AAYA HAI HAMARE GREEN ROOM ME...!!!

PHASE 2 KA SABSE TALENTED SAVENT AUR CHAMPION,RAAZ...


mere WICKEDS ke green room me ghuste hi wahan moujud sabhi WICKEDS ki nazar mujhpar padi..

jahan mujhe dekh MORANA ke thake aur pain se bhare face me smile aa gayi thi, ANWIR ke kuch friends halke dar gaye the wahin wahan kuch aise akhand chutiye bhi the jinhone mere baare baare me suna toh tha par vishwas nahi kiya tha..

saath hi meri taarif sun mujhse khaar bhi khaaye hue the..unme se hi ek bande ne kahi thi ye baat jispar uske saath khade uske kuch friends hasne lage aur ye dekh..


MAI-mai bhi teri taarif me zaroor kuch naa kuch kehta par uske kiye taarif ke laayak tujhme kuch hona bhi toh chahiye...

aur jis chaman chutiye ki tarah aaj tu SWEEP-STAKE me khel raha tha,usse dekh lagta nahi hai ki kabhi bhi tere baare me koi jaanana aur sunana chaahega...


meri baat sun bhadak gaya woh ladka par isse pehle ki woh kuch kehta...


MORANA-ek bhi shabd nikalna nahi chahiye mooh se warna dobara kuch bolne ke liye mooh bachega hi nahi tera..


MORANA ki ye gurrahat se bhari dhamki padi us ladke ke kaano me jisse sun naa sirf uska khul raha mooh band ho gaya balki saath hi MORANA ke facial expressions jisme ghussa bhara hua tha,woh dekh uski haalat bhi kharab ho gayi...

MORANA WICKEDS ki sabse khatarnaak SAVENT thi,aaj ka competition bhi usne akele hi apne dum par jitaya tha,ye us green room me moujud har koi jaanta tha aur aise me usse panga lena yaa uski baat kaatne ki himmat karna kisike bas ki baat nahi thi...

yahi wajah thi ki woh banda jisse MORANA ne dhamkaya tha,woh apne doston ke saath chupchaap green room se bahar nikal gaya aur jab aisa hua toh mai MORANA ke saamne pahunch gaya jispar...


MORANA-kya baat hai janab....!!!aaj
aap khud hamare paas aaye hain....??

MAI-haan, competition me kuch zyada hi injured ho gayi ho tum, isiliye tumhe dekhne aa gaya..


MORANA ke haath aur neeche edi ke paas bruises ko dekh kahi maine ye baat kahi jispar pehle toh MORANA hasi aur phir..


MORANA-kameene..kamsekam mujhse toh sach bola karo...

tum bhale hi mera haal dekhne aaye ho par mere liye nahi,apne liye....

MAI-har baat har jagah par nahi ki jaati MORANA...

MORANA-ye bhi hai...par ab jab tum wakayi yahan ho aur agar tum sach me mere liye concerned ho, saabit karne ke liye tumhe ek kaam karna hoga..

MAI-bolti jaao,sun raha hun mai...

MORANA-hmm.. actually mere pair me bhi swelling aa gayi hai..

waise healing spray laga liya hai..saare bruises ek ghante me thik ho jaayenge par tab tak mai yahan baithe baithe bor ho jaaungi...

toh tumhara kaam simple hai...tumhe mujhe abhi is waqt apni godh me uthakar mere ABODE tak lejaana hoga..



MORANA ka bas itna kehna tha ki maine bina time waste kiye usse apni godh me utha liya aur palat kar aage badh gaya...

mujhe yun MORANA ko uthakar jaate dekh wahan saare WICKEDS hairan ho gaye the par woh sab kuch bol nahi paaye...

khair, MORANA ko yunhi godh me uthaye hue hi mai green room se nikalte hue aage badhta chala gaya...

wahin green room se thodi door par khade the mere saare dost jinki nazar jaise hi mujhpar aur meri godh me chadhi hui MORANA par gayi toh un sabki aankhen badi jo gayi..

kuch der tak yunhi aankhen faade mujhe dekhte rahe woh sab..is beech mai un sabki aankhon se ojhil ho chuka tha aur mere jaate hi..


MABEL-waah,kya scene tha yaar... MORANA madam ko toh v.i.p treatment de raha hai RAAZ...


MABEL ki baat par jahan baaki sab has diye wahin apne aankhon me aaye aansuon ko poch MAHI bhi jhuth mooth ka muskura uthi...

MAHI apne doston ke saamne kamzor nahi dikhna chahti thi par usse maalum nahi tha ki uske aansu bhale hi uske doston ne nahi dekhe,par paas hi mai moujud ek shaksh se woh aansu nahi chhup paaye hain...

waise MAHI ke dilli haal se uske sabhi dost bhi waakif the par ye MAHI ka hi faisla tha ki naa toh RAAZ aur uske equation ke baare me koi kuch baat karega aur naahi uski fikr karega..

woh sab jaante the ki MAHI upset hai par concerned behaviour dikha woh uspar pity show nahi karte the kyunki MAHI aisa hi chahti thi...

khair,ab rookne ka koi faayda toh tha nahi isiliye woh sab wahan se chalne ko hue par tabhi...


MAHI,CAN O HAVE A WORD....


wahi shaksh jisne MAHI ke aansu dekh liye the,usne hi kahi ye baat jisse sun MAHI aur baaki sabhi us awaaz ki taraf joki unke left se aayi thi palte aur aisa karte hi un sabko bodies aur ATTITUDE turant badal gaya...

reason...

unke saamne SOVES SHAILA khadi thi jinhe dekh..


SAB-afternoon SOVES...

SOVES-afternoon...aap sab jaaiye, mujhe MAHI se kuch kaam hai,she will join u later...


SHAILA ki baat sunte hi woh sab turant MAHI ko wahin chhod nou do gyarah ho gaye jiske baad...


SHAILA-come MAHI....

ye bol SHAILA palti aur ek disha ki taraf jahan MARILIZA ka office tha,us taraf badh gayi..

wahin man me sawal liye MAHI bhi chupchaap SHAILA ke piche ho li....



MARILIZA'S OFFICE:-


SHAILA-baitho...


office pahunch jo filhal khaali hi tha,sofe ki taraf ishara karte hue kahi ye baat SHAILA ne jiske baad MAHI wahan baith gayi..

SHAILA bhi MAHI ke paas hi baith gayi thi aur ek tak MAHI ko dekh rahi thi..

MAHI is waqt thoda uneasy feel kar rahi thi.

reason..

ek toh woh kisi WHIZZ ya WHIZZDER ke saamne nahi balki institution ke ek SOVEREIGN ke saamne baithi thi aur uspar ye pehli baat tha jab SHAILA usse yun informal hokar mil rahi thi...

khair,apni saari uneasyness ke saath sofe par baithi rahi chupchaap MAHI..

wahin kuch der MAHI ko dekhne ke baad...


SHAILA-you love RAAZ, don't you.....!!!


is sidhe sawal par hadbada si gayi MAHI..usse aise kisi sawal ki ummid bilkul nahi thi..

usse samajh nahi aa raha tha ki bhala SHAILA ko ye baat kaise pata chali & most importantly,agar pata chal bhi gayi toh bhi woh usse is baare me kyun sawal kar rahi thi..!!!???

usse samajh me nahi aa raha tha ki woh kahe bhi toh kya par SHAILA ko toh jaise MAHI ke man me chal rahe saare sawalon ke baare me pata tha aur isiliye...


SHAILA-first of all relax MAHI..aur man me uth rahe is sawal ko ki mujhe tumhari feelings ke baare me kaise pata,ye toh nikal hi do...

tum jahan padh rahi ho,maine is jagah ko banaya hai..aisa kuch nahi jo yahan hota hai aur mujhe nahi pata..

haan,tumhari ye soch ki mai tumhare personal life me kyun interest le rahi hun,ye soch jayaz hai..

par iska jawab ye hai ki tumme aur baaki kisi bhi SAVENT me bohot fark hai...

tum CHOSENS me rehne waale un chand logon me se ek ho,jo mujhse personally jude hue hain...


SHAILA ke is baat par chownki MAHI...woh bhala kaise SHAILA se personally judi hui hai,ye samajh nahi aaya usse..

wahin MAHI ke baaki thoughts ki tarah is thought aur sawal ko bhi jaise samajh gayi thi SHAILA isiliye...


SHAILA-zyada mat socho..tum kaise personally judi ho mujhse,iska jawab tumhe sahi waqt par mil jaayega..

but filhal kyunki woh waqt aaya nahi hai isiliye apni saari sochon ko side me rakh mujhe apne ek guardian ke hisaab se,ek aisa guardian jiske paas tumhare problems ka solution hai,baat karo..

waise sahi word share hoga...toh itne lambe chowde opening speech ke baad mai apna pucha sawal firse dohrati hun...

u love RAAZ.... right..!!!!

MAHI-jee...


sir jhukakar kahi te baat MAHI ne jispar..


SHAILA-toh problem kya hai..???

MAHI-woh mujhse pyar nahi karta..

SHAILA-common MAHI...pyar ke badle pyar milna hi chahiye,aisa toh hota nahi aur tum jaisi suljhi hui ladki is baat se pareshan aur dukhi ho jaaye,ye ho nahi sakta..

tum mujhe asal problem batao..woh problem jisse tumhare keemti aansu nikalte hain..

MAHI-RAAZ hates me...pyar nahi karta woh mujhse,koi baat nahi,par uski nafrat bardasht nahi hoti mujhse...

SHAILA-RAAZ tumse nafrat nahi karta MAHI..infact,tum ek louti aisi shaksh ho jisse woh nafrat kar hi nahi sakta...

MAHI-mai samjhi nahi...

SHAILA-pehle tum mujhe batao ki ab tak ke safar me,jitna bhi RAAZ ko observe kiya hai tumne,usse uske baare me kya guess kiya hai tumne??

MAHI-he is too cold..thoda emotionless bhi hai woh...

SHAILA-arre,jab woh emotionless hai toh woh bhala tumse nafrat kaise kar sakta hai..!!! aakhir nafrat bhi toh ek emotion hi hai naa...


SHAILA ki is baat par MAHI ko kuch kehte nahi bana,wahin apni baat ko aage badhate hue...


SHAILA-acha explain the word emotionless...

MAHI-emotions ka absense...

SHAILA-ye adhura explaination hai..

emotionless hona nastik hone jaisa hai...nastik kaun hota hai..??

woh insaan jo har cheez dekhe,samjhe,parkhe aur phir apne tajurbe se is natije par pahunche ki GOD jaisa kuch nahi hota..

emotionless bande ka process bhi kuch aisa hi hota hai...

emotionless banda har feeling ke trigger point ko,uske pure safar ko aur manzil ko ache se jaanchta hai,evaluate karta hai,aur phir jab usse lagta hai ki us emotion ka end result yaa phir beech safar me pain se guzarna guaranteed hai,toh woh khudko us emotion aur us jaise har emotion se door rakhta hai...

bottom line,ek emotionless banda har bande ke emotion ko sabse pehle aur sabse zyada achi tarah se samajhta hai,bas he doesn't give a damn about it...

RAAZ bhi aisa hi hai,haan par tumhare maamle me uska track thoda alag ho gaya hai...

MAHI-alag ho gaya hai,kaise..???

SHAILA-arre,jab ek emotionless banda kisike liye nafrat jaisi strong bhaavna dikhaye,toh track toh badla hi hai naa usne...

MAHI-aap kya bol rahi hain,mujhe toh kuch bhi samajh nahi aa raha hai..

SHAILA-woh isiliye kyunki hamari baatein RAAZ ke baare me..aur RAAZ ko samajhna tedhi kheer hai...

acha mai direct way mai samjhati hun...jaisa ki maine bola ki RAAZ specially tumse nafrat nahi kar sakta..

aur woh isiliye kyunki RAAZ ye jaanta hai ki you love him..

aur koi bhi banda bhale hi woh kitna bhi ajeeb kyun naa,us insaan se kabhi hate nahi kar sakta jo usse beinteha pyar karta hai aur woh bhi unconditional...

MAHI-but i haven't proposed him yet....phir woh kaise jaanega meri feelings...!!!???

SHAILA-propose..!!!MAHI RAAZ un logon me se hai jinhe jawab dene ke liye sawal ki zaroorat nahi padti...

ek shock hone waali baat bataun,tumhe baad me pata chala hai ki tum RAAZ se pyar karti ho,but RAAZ ko is baat ka andaza bohot pehle se ho chuka tha..

tab se jab woh abhi ki tarah hadsome hunk nahi tha,balki ek averege looking dabbu sa banda tha..

us waqt jab tumhari aur uski first time mulakat hui,phir jab tumhe uspar energy balls se humla kiya tha,us pure douran bhale hi dikhaane ke liye tum uske liye negetive thi,par andar hi andar tumhe uske liye ek khichaav feel hota tha...

class me tum usse tirchi aankhon se dekha karti thi..

ALFREEN ke mom dad ke through uske baare me zyada se zyada jaanane ki koshish karti thi..

aur phir jab RAAZ achanak se gayab ho gaya tha,toh apne ABODE me baithe baithe uske baare me sochte hue tumhari aankhon se apne aap aansu nikalne lage the...

yahi raha hai naa tumhara RAAZ ke prati attraction se love tak ka safar..am i right or am i right...!!!


SHAILA ki baatein joki completely sahi thi,unhe sun aankhen faade dekhne lagi unhe MAHI jispar bade pyar se uske maathe par haath fera SHAILA ne aur..


SHAILA-itna hairan hone ki zaroorat nahi hai baccha..bhulo mat ki tum meri hi banayi duniya me ho..

mujhse yahan kuch nahi chhupta, but yahan important baat ye hai ki RAAZ se bhi tumhari feelings yaa phir ye kahun ki future me joki ab tumhara present hai,aane waali feelings nahi chhupi thi aur isiliye hi woh tumse odd behave karta hai...

MAHI-but kyun..!!!kyun kar raha hai woh aisa...!!!

SHAILA-now thats the main question..aur isiliye hi hum yahan hain...

reason tumhe sirf RAAZ hi bata sakta hai,mai tumhe RAAZ ka tumhe avoid karna,yaa fir ye kahen ki tumse jude RAAZ ko jaanane ka tarika bata sakti hun...

wanna know..!!!

MAHI-please...

SHAILA-soch lo MAHI..kuch jawab waqt ke saath hi mile toh hi thik rehta hai...

MAHI-pata nahi kab aayega woh waqt..tab tak jaan hi naa nikal jaaye meri...

SHAILA-thik hai phir...ye lo..


apni baat kehte hue haath aage kiya SHAILA ne aur uske aisa karte hi uske haathon me mitti ke kan aa gaye jinhe apne aankhon me sawal liye dekhne lagi MAHI jispar...


SHAILA-tumhe in mitti ke kano me apne khoon ka ek katra milana hai phir in kano ko gol shape dekar ek polithin paper me wrap karke rakh dena hai..

RAAZ se milkar uske drink me tumhe in kano ko daal dena hai..

ye kan us drink me puri tarah dissolve ho jaayega..taste me bhi bilkul fark nahi aayega..

kehne ka matlab hai ki RAAZ ko shak nahi hoga..aisa hone ke baad jaise hi RAAZ us drink ko piyega,uske kareeb aadhe se ek ghante ke beech uske senses dull ho jaayenge...

woh ek antoxicating neend me chala jaayega..us waqt woh kisi naa kisi tarike se apne aap tumse juda RAAZ disclose karega.

tumhe bas woh tarika samajhna hai..aisa kar liya toh tumhe tumhare sawalon ke jawab mil jaayenge...


SHAILA ki baat sun bohot khush ho gayi MAHI..usne un mitti ke kano ko SHAILA se liya aur sambhal kar apne paas rakh liya..


MAHI-thanks SOVES...


ye bol MAHI apne aap aage badhi aur SHAILA ke gale lag gayi aur aisa hone par SHAILA bhi kaafi emotional ho gayi thi par MAHI ke alag hone se pehle hi usne khudko normal kar liya tha...

khair,kuch der baad jab SHAILA se alag hui MAHI toh..


MAHI-mai aaj hi try karungi RAAZ se sach nikalwane ki...

SHAILA-sambhalke...he is very sharp...

MAHI-jaanti hun..par hum bhi kam nahi..


pure confidence se kahi ye baat MAHI ne aur phir uthkar bahar nikal gayi aur uske jaate hi..


SHAILA-tum wakayi kisise kam nahi ho MAHI..bas sahi waqt aane ki der hai...uske baad jitni hi ye kahani RAAZ aur VIDEOUS ki hai,utni tumhari bhi hogi,infact un dono se zyada tumhari hogi ye kahani,ye ATTITUDE...





PLACE-RAAZ ABODE



KNOCK KNOCK KNOCK....



RAAZ KO DEKHNA HAI..!!!TU BHI NAA MAHI,RAAZ KO TERE DEKHNE KE CHAKKAR ME KAHIN WOH HAMARE GAAL NE SEKH DE....


RAAZ ke ABODE ke front door ko knock karte hue kahi ye baat ALFREEN ne...

raat ka waqt hai...

kuch der pehle hi MAHI ALFREEN ke ghar gayi aur usse yahan RAAZ ke ghar jaane ke liye force kiya jispar ALFREEN ne MABEL ko bhi lapet liya aur is tarah woh teeno is waqt RAAZ ke ghar ke main door ke saamne khade the..

khair, ALFREEN ki baat par MAHI kuch kehti ki tabhi door open hua aur darwaza kholne waale shaksh ko dekh MAHI, ALFREEN aur sabse zyada MABEL shocked hui aur..


MABEL-ACCHUTA,tum RAAZ ke ABODE me kya kar rahe ho....???

ACCHUTA-hum toh hamesha yahin pade rehte hain..sawal toh ye hai ki itni raat ko tum teeno yahan kya kar rahi ho...???

ALFREEN-arre in madam ko RAAZ ko dekhne ka man hua aur inhone apne is didaare talab me hume bhi lapet liya..

ACCHUTA-hahaha...sahi hai,sahi hai...aao,andar aao...


ye bol ACCHUTA door se haththe hue andar ki taraf badh gaya aur uske piche teeno girls bhi ho liye...


ALFREEN-waise RAAZ sir ka mood toh sahi hai naa...!!!

ACCHUTA-arre first class..aur waise bhi,tere saath bhi toh woh hamesha cool hi rehta hai..

infact sabse zyada woh tujhe hi chhedta rehta hai..

MABEL-woh sabke saath ache se rehta hai,siway hamari MAHI ke.. pata nahi usse MAHI se kya problem hai...??

MAHI-chhod naa..mujhe toh usse dekhna acha lagta hai naa....


MAHI ki is baat ke khatm hote hote woh sab hall me pahunch chuke the jahan is waqt mai aur SLUNDER baithe kuch baat kar rahe the..

wahin baat karte hue jab meri nazar MAHI par gayi toh mere jabde bheench gaye the par uske saath ALFREEN aur MABEL ko dekh mai shaant hi raha..


ALFREEN-hey guyzzz...kya discussion kar rahe ho tum dono...??aur ek baat bata,jab tum teeno raat ko yahan jam karte ho,toh hume kyun nahi bulate..!!!

aaj bhi hum achanak aa gaye toh hume pata chala warna hume toh pata hi nahi chalta ki tum teeno ki mehfil yahan jamti hai..

MAI-woh kya hai naa ki raat ko teri shakal dekh kar sounga toh sapne bhayanak aayenge..bas isiliye avoid kar deta hun tujhe bulana..


meri baat sun jahan ek taraf ACCHUTA, SLUNDER, MABEL aur MAHI has diye wahi ALFREEN ne ghur kar dekha mujhe aur..


ALFREEN-meri shakal ki baat karne se pehle kabhi apni surat dekhi hai...

MAI-dekhi hai,bohot achi hai.. khubsoorat se khubsoorat ladkiyan marti hai mujhpar...

ALFEEN-achi surat aur teri..!!kahan se...aur mai toh nahi mari tujhpar...

MAI-maine khubsoorat ladkiyan bola..

HAHAHAHA...


zoron se has diye sab meri baat sun aur ALFREEN,woh ghusse se mujhe ghurti hui meri taraf badhi aur mujhe maarne ke liye apna haath ghumaya meri taraf par tabhi....

maine uska woh haath beech me hi pakad liya aur usse kheenchte hue apne hi bean bag me apne side baitha liya aur ek buddy ki tarah uske kandhe par apna haath rakhte hue usse khudse sata liya..

ye sab dekh jahan baaki sab muskura uthe wahin MAHI ne ek thandi saans bhari....

MAHI jaanti thi ki ALFREEN ko mai as a buddy treat karta hun,par taklif usse mere uski taraf nazarandaazi se thi jo mai is waqt bhi kar raha tha..

par aaj ye nazarandaazi uske liye benificial thi..

wahin mere baaju mai baiththe hi..


ALFREEN-arre,teri ELUSORY kahan hai...??? usse kuch drink toh manga...

MAI-ACCHUTA,dekh usse,bol sabke liye drink le aaye..

ACCHUTA-tu tera regular hi piyega naa...!!

MAI-haan..

ALFREEN-regular..kaun sa,wahi KAFFIR COLLINS...yuk...kitna kadwa taste hota hai us drink ka..

pata nahi kaise peeta hai tu usse...

MABEL-haan yaar,mocktail hai par taste cocktail jaisa hai, infact usse bhi bitter...

MAI-it energizes the whole body..par tum jaise ledaron aur sweeth tooth waalon ko samajh nahi aayega...


meri baaton par koi kuch kehta ki tabhi..


MAHI-mai wash room se aati hun...


ye bol MAHI ek direction me badh gayi..ab har ABODE ka design ek jaisa hi hota tha, isiliye MAHI ko directions ki zaroorat nahi thi..

par jaate waqt uske face par ek smile thi...

reason...

kul do reasons the....

pehla toh ye ki ABODE me ek general washroom bhi tha jahan se straight raasta kitchen ki taraf jaata tha jahan abhi abhi ACCHUTA ke batane par ELUSORY gaya tha...

dusra..

RAAZ ne MAHI ka kaam khud hi asaan kar diya tha..aur woh aise ki kyunki sirf RAAZ hi tha jo sabse alag drink peene waala tha,toh isiliye uske drink me MAHI ko uske rakht ranjit mitti ke kano ko milana badi baat nahi reh gayi thi..

aur rahi sahi obstacle khud ELUSORY ne door kar di....

aur woh aise ki jab washroom se hote hue MAHI chupke chupke kitchen pahunchi toh usne dekha ki ELUSORY ne RAAZ ka drink alag se banakar rakh diya hai aur filhal woh ek saath baaki sabka drink bana rahi hai aur ye dekh MAHI dabe paanv aage badhti chali gayi aur agle kuch hi seconds me usne us mitti ke churn ko jisme ab uska khoon bhi mixed tha,RAAZ ke drink me mila diya tha aur wapas dabe paanv lout bhi chuki thi...

is baar sach me wash room use kar woh apne friends ke paas pahunch gayi jahan abhi bhi mai lagatar ALFREEN ko tang kiye jaa raha tha jispar woh chidhe jaa rahi thi aur baaki sab hamari nok jhonk enjoy kar rahe the...

khair,kuch der me ELUSORY sabke drinks lekar aa gayi thi jiske baad apni apni choice ke hisaab se sabhi ne apni drinks utha li...

RAAZ ke haathon me uska KAFFIR COLLINS tha jisse dekh MAHI ka dil zoron se dhadak raha tha par usne badi saawdhaani baraththe hue khudko normal rakha hua tha..

MAHI jaanti thi ki uska halka sa bhi alag action ya ravvaiya usse RAAZ ke shak ke ghere me laa khada karega..

woh ye bhi jaanti thi ki RAAZ bhale usse nahi dekh raha tha,par nazar uski har taraf rehti hai aur isiliye woh normal behave karti hui MABEL aur SLUNDER se baat kar rahi thi..

is beech maine apna drink peena shuru kar diya tha aur kuch hi der baad woh drink khatm bhi ho gaya...

kareeb aadhe ghante hum sab gossip me lage rahe par uske baad achanak mere senses dull hone lage...

dikhne me toh mai normal lag raha tha,par dekhne aur samajhne ki shakti meri kam hone lagi...

aur isiliye...


MAI-guyzz..neend aa rahi hai mujhe..mai sone jaa raha hun...


ye bol mai bina kuch sune utha aur sidhe apne bedroom ki taraf badh gaya...

wahin mujhe yun achanak se uthkar jaate dekh..


MABEL-ab ye kya tha..naa good night kiya naa hume darwaaze tak chhoda..

neend aa rahi hai bolkar sidha kat liya...


ALFREEN-arre woh toh aisa hi hai...but guyzz,i think hume bhi chalna chahiye..waise bhi kaafi late ho gaya hai...


ALFREEN ki baat par sabhi sehmat the aur sabhi jaane ko bhi hue par tabhi...


MAHI-guyzz,mai ek baar RAAZ ko dekhkar aa jaaun....!!!


sabhi MAHI ke dil ka haal jaante the,isiliye uski baat sun sab halka sa muskura diya aur..


SLUNDER-jaa dekh le.. par door se hi dekhiyo,paas gayi toh kahin bhadak naa jaaye...


SLUNDER ki baat par smile dete hue MAHI RAAZ ke kamre ki taraf badh gayi aur door par pahunch usne andar dekha jahan is waqt RAAZ ne door ko open hi chhod diya tha aur is waqt bed par leta hua tha..

aankhen uski khuli hui thi par bina palke jhapkaaye woh upar ceiling ki taraf dekh raha tha..

uski condition ko theek se samajhne ke liye MAHI room ke andar gayi aur uske paas pahunch RAAZ ke face ke aage usne apna haath lehraya par jab RAAZ ne koi reaction nahi diya toh woh samajh gayi ki RAAZ behoshi ki haalat me jiske baare me SHAILA ne bataya tha,jaa chuka hai..

khair,kuch pal RAAZ ko ektak dekhne ke baad acahanak se MAHI ki nazar RAAZ ke right hand par padi jisse dekh pehle toh usse ajeeb laga par phir uske mind ki baati jali aur uske face par smile aa gayi..

darasal is waqt RAAZ ke haathon me kuch bhi nahi tha,par phir bhi woh apne haath ko aise ghuma raha tha jaise usne pen pakda hua hai aur kuch likh raha ho aur ye dekh MAHI samajh gayi ki ye wahi TARIKA hai jiske baare me SHAILA ne usse bataya tha jisse usse pata lagana tha aur usne pata laga liya tha..

ab bas result ki,apne liye us RAAZ ko janane ki baari thi jisse RAAZ apne dil ke gehraiyon me dabaye hue tha..

aur isiliye MAHI ne apna haath aage kiya aur..


LEKHANPRATHI

PATRAM


ek ke baad ek so SPELLS bole MAHI ne jiske baad uske haath me ek pen aur ek page aa gaya jiske baad woh aage badhi aur usne woh pen kisi tarah RAAZ ke ungliyon ke beech fasa diya..

aisa kar usne woh page jo uske haathon me tha,usse RAAZ ke haathon me jo pen usne fasaya tha,uski nok ke paas rakh diya aur jab aisa hua toh..

RAAZ jo ab tak khaali haathon se kuch likhe jaa raha tha,woh ab us pen ke through us kagaz me kuch likhta chala gaya aur yunhi likhte likhte kuch der baad RAAZ ke haathon se woh pen neeche gir gaya...

aisa hote dekh MAHI wapas pen uthane ko hui par tabhi uski nazar RAAZ ke haathon par gayi jo ab chal nahi rahi thi,balki shaant ho chuki thi..

ye dekh MAHI samajh gayi ki jo bhi RAAZ,RAAZ ke dil me tha,woh us kaagaz ke through bahar aa chuka hai aur isiliye ab uske haath rook chuke hain..

phir bhi apne pen ko uthaya MAHI ne aur aisa karte hue uska face RAAZ ke chehre ke paas aa gaya jisse dekh halki madhosh ho gayi MAHI..

uske honth khudbakhud RAAZ ke face ki taraf chal pada aur theek uske honthon ke paas aakar rook gaye MAHI ke honth..

kuch seconds RAAZ ke honthon ko dekhne ke baad...


MAHI-dil toh kar raha hai ki in honthon par apne honthon se apna naam hamesha ke liye likh dun,par aisa karna meri sacchi mohobbat ke liye tohmat hogi..

isiliye filhal issi se kaam chala lete hain..


ye bol MAHI aage badhi aur usne RAAZ ke pehle maathe aur phir gaal ko chum liya aur aisa kar woh piche hati aur us page ko apne ABODE me padhne ka soch usse apni jeans ki pocket me daal room se bahar nikal gayi..

wahin kaafi der se MAHI ka wait kar rahe uske saare friends ne jab usse finally aate hue dekha toh..


MABEL-oye tu itni der tak kar kya rahi thi..???

ALFREEN-kahin RAAZ ki izzat toh nahi loot li tune...

MAHI-shut up guyzz..woh toh so chuka tha..ab maine socha,waise toh usse thik se dekh paati hun nahi, isiliye uske paas baith usse dekh rahi thi...

MABEL-waah..itni der didaar-e-saajan me hi nikaal diya..sahi hai...

ab chalen,yaa aur dekhna hai usse..

MAHI-dekh toh mai usse saadi zindagi lun..par filhal chalte hain..

ALFREEN-meherbaani ma'am...ab toh mujhe bhi neend aa rahi hai..


yunhi ek dusre se baat karte hue woh sab RAAZ ke ghar se nikal pade..

MAHI toh andar hi andar us page me likhi baaton ko padhne ke liye kuch zyada hi excited thi is baat we anjaan ki SHAILA ne usse sach hi kaha tha ki kuch baatein sahi waqt par hi pata chale toh thik rehta hai..

apni curiousity me us waqt ko nazdeek le aayi thi MAHI...

khair, kuch hi der me apne ABODE me thi MAHI jiske baad woh jaldi se apne room me gayi aur apne bed par baiththe hue usne turant apne pocket se woh page nikala aur usse unfold kar padhne lagi..

kuch lines likhi thi us page par RAAZ ne jisse jaise jaise MAHI padhti gayi, uski aankhen badi hoti gayi aur jab usne aakhri line padhi toh woh paper uske haathon se chhut gaya...

haath kaamp rahe the uske,aankhen pathra gayi thi,dimag blank ho chuka tha par us blank brain me bhi us paper par likhi woh baat,woh reason jiski wajah se RAAZ uske saath berukhi se behave karta tha,woh gunj raha tha....

woh baat,woh RAAZ jo MAHI ke rakht ranjit churn ne RAAZ se likhwaya tha,jisse padh MAHI ek jeeti jaagti booth me tabdil ho gayi thi,woh kuch yun tha......




jitna ho sakega,MAHI ke andar khudke liye NAFRAT BHAREGA.....

usse khudse door karne ke liye ye ladka kuch bhi KAREGA.....

aakhir kaise sahegi MAHI is safar ke anjaam ko jaan,

kyunki kuch bhi ho jaaye,ye tay hai ki is kahani me, RAAZ ZAROOR MAREGA.....















AAJ KE LIYE ITNA HI......
















AAPKA APNA V....J....
Mast update bro
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,267
38,658
258
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SHAILA MAHI KO RAAZ KI USKE PRATI BERUKHI KE SECRET JAANANE KA TARIKA BATATI HAIN WAHIN DUSRI TARAF JAB MAHI KO US SECRET KE BAARE ME BATA CHALTA HAI TOH USKI HAALAT KHARAB HO JAATI HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-116



PLANET-ELYSIAN


PLACE-CHOSENS




KAL HUA KYA THA TUJHE...ACHANAK SE BOLA KI NEEND AA RAHI HAI AUR PHIR TURANT SONE CHALE BHI GAYA..

DRINK ME NEEND KI GOLI TOH NAHI MILAYA THA TUNE...!!!


mujhe ghurte hue kahi thi ye baat ALFREEN ne jispar....


MAI-naya kaam chalu kiya aur bataya bhi nahi...

ALFREEN-naya kaam..!!?kya bol raha hai tu...??? maine koi naya kaam shuru nahi kiya...

MAI-toh fokat me detective giri karke kya milega tujhe...!! mujhe neend aayi,mai sone chala gaya,ye bhi koi discussion ka toioc hai kya...???


jahan meri baat sun ACCHUTA, SLUNDER aur BRAWNY has pade, ALFREEN ne apna mooh bichkaya liya wahin hasi toh MABEL bhi par phir jab uski nazar MAHI par padi toh...


MABEL-ab tujhe kya hua..??mooh kyun utaara hua hai tune...??aur ye teri aankhon ko kya hua hai...??? halki suji lag rahi hai aur laal bhi...


MABEL ki baat sun sabhi ki nazar MAHI par gayi jisse pehle toh andar hi andar hadbadayi MAHI par apne chehre ko normal hi rakha usne aur...


MAHI-arre kuch nahi yaar...woh raat ko theek se neend nahi aayi isiliye aankhen thodi jal rahi hai...

shayad isiliye sujan aur laalipan aa gaya hai...


ALFREEN-lai,ajeeb hai..in mahanubhav ko kal turant neend aa jaati hai aur iske ulat tujhe bilkul nahi aati...

ye kaisa contrasting raasta jaa raha hai yaar tum dono ka...

MAI-tujhe koi kaam vaam nahi hai kya...???kisko kitni neend aa rahi hai,issi par agar p.h.d karni thi toh yahan aayi hi kyun tu..??


meri baat par ALFREEN kuch kehti ki tabhi...


SILENCE EVERYBODY....


HIDA ki awaaz par naa sirf hum aur baaki saare SAVENTS ki aapsi baatien rook gayi balki hum sabki nazar saamne hamare teeno WHIZZ aur WHIZZDERS par tik gayi jiske baad...


HIDA-INVISIBLE WEAPON COMBAT....

aaj hum issi topic ke baare me baat karenge...

naam sun kar aap sabko andaza ho hi gaya hoga ki aaj kya hone waala hai..???

woh shashtra jo hum dekh sakte hain,unhe toh asaani se combat kiya jaa sakta hai par woh shashtra jisse gayab kar ke humpar chhoda jaaye,usse bachna aur ladhna behadh mushkil hota hai....

aur aaj hum ussi invisible fight tenchnique ke baare me aapko batayenge aur usse use me laana sikhayenge....

REGIS-apne shashtron ko apne sharir me gayab karke chuppana aur phir usse use me laana koi badi baat nahi hai...

COMBAT SPELL BOOK me aisa karne ke liye kayi SPELLS bataye gaye hain jinhe aapko bas memorize karke use me laana hai...

asal mudda hai khudko un invisible weapons se bachana...

haan, agar weapon ek hai aur bhaari hai toh usse nikalne waali tarange bhi itni heavy hoti hai jinhe mehsoos kar bacha jaa sakta hai,par agar light weapons jinka aakar chota ho,yaa phir magic se chota kar diya gaya ho toh unhe sense karna bohot mushkil hota hai..

aur mushkil tab aur badh jaati hai jab aap par koi ek weapon nahi balki bohot se adrishya weapons ke through ek saath humla ho jaaye..

aise me bachna next to impossible ho jaata hai aur aaj aap issi next to impossible task ko possible banane ka tarika sikhne waale hain..

SAPIUS-aur us tarike ka naam hai SAMOGAMA SHASHTRAM....

SAMOGAMA SHASHTRAM ek aisa SPELL hai jo BODY AMPLIFICATION ke antargat aata hai...

is SPELL ko agar apne BODY AMPLIFICATION ke saath merge kar liya jaaye toh aapka sharir adrisya humlon ko sense karne ke kaabil ho jaata hai...

HIDA-BODY AMPLIFICATION ke saath is spell ko thik se merge karne ke baad ek step aage badhte hue is SPELL ko apne SOUL AMPLIFICATION ke saath bhi merge kiya jaa sakta hai but aisa successfully kar paana kaafi time taking bhi hai aur hard bhi....

par woh baat ki baat hai.. pehla step toh BODY AMPLIFICATION ke saath SAMOGAMA SHASHTRAM SPELL ko merge karna hai aur aajse thik ek hafte tak aap sab yahi karenge...

ek hafte ke baad jab ye SPELL aap sabke bodies ke saath merge completely ho jaayega,tab hum aapko iske use ka live demo dikhayenge...

HIDA-waise live demo hum abhi bhi dikha sakte hain...


HIDA ke is acahanak kiye gaye baat par REGIS aur SAPIUS chownke aur....


REGIS-abhi,par kaise..???

HIDA-RAAZ.... usne merge kiya hua hai SAMOGAMA SHASHTRAM SPELL ko apne body ke saath..

SAPIUS-really...!!!


hairani se mujhe dekhte hue kahi ye baat SAPIUS ne jispar...


HIDA-yup..and he is really good...aur waise bhi,agar ek SAVENT ke through hum abhi ek demo de den,toh isse saare SAVENTS kaafi zyada motivate ho jaayenge...

REGIS-woh sab toh thik hai but are you sure about this...!!!ye vidhya asaan nahi hai...aur iske demo me bhi high risk hota hai..

do you really think RAAZ can do it...???

MAI-i am ready.. let's start the demo...


REGIS ke sawal ka jawab HIDA ne nahi,maine diya jisse sun jahan ek taraf HIDA aur mere baaki sabhi friends ke face par smile aa gayi,wahin in sabke beech thi MAHI,jisse mere demo me participate karne par tention ho gayi thi aur isiliye....


MAHI-RAAZ,you dont have to do it....

MAI-and who decides that..!!!you...!!!


ghurte hue kahi ye baat maine MAHI se jisse sun MAHI ko toh kuch fark nahi pada par uske yun beech me bolne se aur khaaskar mujhe interfere karne se mere saare dost hadbada gaye the..

unhe maalum tha ki MAHI ko meri fikr hai but woh ye bhi jaante the ki mujhe mere faislon me dakhal andaazi pasand nahi...

aur jab un sabne mujhe MAHI ko ghurte paaya toh ye soch ki mai zyada bhadakte hue sabke saamne MAHI ki fazzihat na kar dun...


ALFREEN-kya kar rahi hai MAHI..pagal ho gayi hai kya..!?sirf demo hai,aur woh RAAZ hai..

he is the best SAVENT of this PHASE...woh koi faisla yunhi nahi leta...agar usne demo ke liye haan kaha hai toh iska matlab hai ki he is ready...

isiliye beech me interfere karna band kar nahi toh teri love story shuru hone se pehle hi khatm ho jaani hai..


kheench kar baithate hue kahi ye baat ALFREEN ne MAHI se jispar MAHI baith toh gayi par ALFREEN ki baat sun..


MAHI man me-love story toh tab banegi naa jab RAAZ ki sansein chalengi...pata nahi kyun isse lagta hai ki isse kuch ho jaayega...

par unsure hokar toh kuch kehta hi nahi hai ye...par kya ho sakti hai woh cheez jisse isse lagta hai ki iski...!!!

nahi nahi..ye mai kya soch rahi hun..mai kuch nahi hone dungi apne RAAZ ko...uski taraf badhti hui mout ko mujhse hokar guzarna padega...

REGIS-ok then..toh demo mere saath perform karega phir RAAZ...


MAHI ye sab soch hi rahi thi ki tabhi REGIS ke awaaz se jaise present me jhatke se waapas aayi woh..

wahin REGIS ki baat par SAPIUS ya HIDA kuch kehte ki tabhi..


VALDIS-WHIZZDER,i have a request...agar demo me part ek SAVENT le raha hai toh uske saamne bhi ek SAVENT ko hi hona chahiye..

isse hum sab SAVENTS me excitement aur confidence, dono
hi badh jaayega...

jahan VALDIS ki baat par uske friends ne haan me haan milayi, wahin teeno WHIZZES aur WHIZZDERS ko bhi uski baat janchi but is suggestion par ek sawal bhi tha aur isiliye...


REGIS-idea acha hai VALDIS but ye possible nahi hai..haan, RAAZ ko is combat technique ke baare me maalum hai but uske alawa aur koi SAVENT iske baare me nahi jaanta..


MUJHE PATA HAI INVISIBLE WEAPONS COMBAT KE BAARE ME..I WILL PERFORM...


piche baithe VIDEOUS ne khade hote hue kahi ye baat jispar sabki nazar uspar padi aur...


HIDA-are you sure VIDEOUS....!!!

WOOOOO.....

HIDA ne sawal kiya hi tha ki tabhi uske aur baaki dono WHIZZDERS ne apni taraf aate hue kuch adrishya weapons ko feel kiya par isse pehle ki woh un weapons ko rokte,woh weapons wapas lout gaye the aur issi cheez par react kiya tha un sabne...

wahin is achanak hue action ke baad ab un teeno ke face par hairani thi aur issi hairani ke saath woh VIDEOUS ko dekh rahe the...

reason..

un teeno ko hi pata tha ki abhi abhi jo hua,woh VIDEOUS ne kiya tha par hairan woh is baat ko lekar the ki VIDEOUS ne abhi abhi jo invisible weapons use me laaye the,waisa karne ke liye usne SPELL uccharit nahi kiya tha balki bas budbudaya tha..

aur aisa sirf wahi kar sakta tha jisne SAMOGAMA SHASHTRAM SPELL ko apne body ke saath nahi balki apne SOUL ke saath merge kar liya tha.

aur ye ek PHASE 3 level ka hunar tha jisse VIDEOUS ne naa sirf seekh liya th balki perfect bhi kar liya tha aur yahi sab dekh aur jaan woh teeno kaafi hairan hue the..

wahin saare SAVENTS ne bhi kuch invisible par behadh powerful chiz hawa me mehsoos ki thi jisse feel kar woh sab bhi hairan the..

par in sabke beech ACCHUTA, SLUNDER aur BRAWNY bhi the jinhone naa sirf un invisible weapons ko feel kiya tha balki un weapons ki movement aur displacement tak se woh teeno waakif the..

unhe pata tha ki VIDEOUS ne aaj sikhaye jaane waali kala ka aur apne worthy hona ka first demo de diya aur ye jaan woh halke halke smile kar rahe the...

khair, VIDEOUS ke is presentation ke baad ab jahan HIDA relaxed thi,wahin REGIS aur SAPIUS ko ab VIDEOUS ki jagah RAAZ ki fikr ho rahi thi..

jis level ka demo abhi VIDEOUS ne dikhaya tha,usse dekh unhe RAAZ ke injured hone ka dar tha par woh dono ye bhi jaante the ki RAAZ kitna stubborn hai..

aur jab baat challenge ki aati hai toh backoff karna usse aata hi nahi isiliye ek thandi saans bharte hue..


SAPIUS-lets walk to the GREAT HALL...


ye bol jahan SAPIUS, REGIS aur HIDA aage badh gaye wahin sabhi SAVENTS bhi un teeno ke piche ho liye...

is beech MAHI ne ek baar phirse mujhse baat karne ki koshish ki par ACCHUTA aur baaki sabne usse aisa nahi karne diya....

woh sab nahi chahte the ki mujhe samjhane ke chakkar me MAHI ki insult ho...

anyways,apne man ko maarti hui MAHI bhi baaki sabke saath THE GREAT HALL ki taraf badh gayi....




THE GREAT HALL:-



HIDA-toh equation simple hai SAVENTS....

aap dono hi ek dusre par ek ke baad kuch INVISIBLE WEAPONS se attack karenge..

chaahe toh direct matlab straight kijiye aur chaahe toh zigzag pattern me...

jiska bhi hit saamne waale ko lag gaye,woh jeet jaayega...

lekin ek baat ka dhyan rahe, weapons chaahe aap jo bhi chune,ek chune yaa phir multiple,un weapons ki sharpness bohot kam honi chahiye taaki us weapon ke lagne ke baad bhi saamne waala injured naa ho jaaye...

ye sirf ek demo hai,isse demo bi rakhiyega..

got it...!!!

MAI/VIDEOUS-yes....


ek dusre kse kareeb 30 feet door aamne saamne khade the mai aur VIDEOUS..

jahan mai normal hi tha wahin VIDEOUS ki aankhon me ek chamak thi..

ek negetive chamak..waise ye negetive chamak bhi normal hi thi...

ab bande ka ATTITUDE hi negetive hai toh aankhon me positiveness toh aane se rahi....!!!

anyways, HIDA ne apni baat keh di thi jiska matlab tha ki ab hum jab chaahe,demo dena start kar sakte the...

wahin saare SAVENTS aankhon me excitement liye hum dono ko dekh hi rahe the ki tabhi....


VIDEOUS-taiyaar hai RAAZ..!!!!


SSSSSSWWWWSWWWWSSWWW


VIDEOUS ka sawal pura hua hi tha ki tabhi uske chaaron taraf ek ajeeb si awaaz uthne lagi jisse naa toh SAVENTS samajh paaye aur naahi turant teeno WHIZZ aur WHIZZDERS ke palle kuch pada tha..


par phir pehle HIDA ke aur phir dono WHIZZDERS ko un awaazon se nikalne waale intensity se sab samajh aa gaya aur aisa hote hi jahan ek taraf HIDA bas hairan thi ki itna intense waar maine kyun chuna hai woh bhi sirf ek demo me wahin SAPIUS aur REGIS ke toh dimag hi fuse ho chuke the..

kyunki woh dono hi ye jaan gaye the ki maine ek saath 100 se zyada alag alag ke astra aur shastra joki gayab awastha me the,unka awahan kar bulaya hua hai aur ye koi choti baat toh thi nahi..

bina SPELL bole maine ye kiya tha aur saath hi badi dakshata se un saare invisible astron ko sanchalit bhi kar raha tha..

ab itna kuch mere kar lene se un dono ka hairan hona toh banta hi tha..

wahin in sabke beech VIDEOUS bohot shaanti se khada tha...

aur kuch pal baad jab mere awahan kiye saare astra shashtra uski taraf badhe tab bhi woh shaant hi raha par haan,uske aankhon me halki si movements hui aur aisa hote hi..

TAN..TAN..TAN...TAN...TAN...TAN.....

ek ke baad ek kayi saare astra VIDEOUS ki taraf waise hi invisible mode me prakat hue the jinhone mere awahan kiye hue astron se takrana shuru kar diya tha...

us takrav se sirf awaaz hi nahi aa rahi thi,balki saath hi unke takrane se ek shockwave paida ho raha tha jisse teeno WHIZZES aur WHIZZDERS ke saath sabhi SAVENTS bhi feel kar paa rahe the...

us wave ko feel kar jahan ek taraf HIDA jaan gayi thi ki VIDEOUS bhi meri hi tarah ek exceptional case hai wahin SAVENTS ke beech khadi MAHI ka mere liye dar aur badh gaya tha..

saath hi VIDEOUS ke prati uska ghussa bhi kaafi badh gaya tha..

uska bas chalta toh abhi nichod deti VIDEOUS ko woh..

par filhal woh kuch kar toh sakti thi nahi isiliye bebas si khadi rahi woh apni jagah par...

khair,kuch der tak yunhi mere aur VIDEOUS ke astra shashtra takrate rahe par phir woh sab nirastra hokar gayab ho gaye aur aisa hote hi..


VIDEOUS-ab meri baari...

PHDDDDDDPHDDDDDD.....


VIDEOUS ke kapde ajeeb tarah se aur behadh tezi se phadphadaye aud aisa hote hi uske kapdo se ek behadh strong energy force nikla jisse mehsoos kar teeno hi WHIZZ aur WHIZZDERS ki aankhen badi ho gayi aur un teeno ke mooh se ek saath nikla...


TEENO-VASTRA AGHATAM....


ek behadh hi khatarnaak invisible weapon waar tha ye SPELL joki obviously ATTACH MODE ke tahat SOUL AMPLIFICATION ke under aata tha..

is SPELL ko practice kar use me laana bohot hi mushkil kaam tha par jis tarah se VIDEOUS ke kapde fadfadaye the,usse woh teeno hi samajh gaye ki VIDEOUS ne is SPELL par mastery kar li hai..

par ek dar bhi tha un teeno ko aur woh dua kar rahe the ki unka dar sach me naa badle..

aur woh dar tha VIDEOUS ke bole SPELL ke extreme level ke hone ka..

kyunki agar aisa hua toh uske kapdon me jo fadfadahat hui thi,jaise hi us fadfadahat se release hui hawa dusre kapdon ko touch karti,toh un saare kapdon me bhi halki si fadfadahat hoti jiske agle hi pal unme se bhi invisible astra shashtra bahar nikal jaate jiska matlab tha ki yahan moujud har SAVENT khatre me aa jaata..

teeno WHIZZ aur WHIZZDERS aisa naa ho,ye dua kar rahe the par jab saamne VIDEOUS ho toh dua kaam me aane ke chances kam hi hote hain aur yahan bhi ye hua...

VIDEOUS ke kapdon se release hui hawa jaise hi saare SAVENTS se takrayi,un sabke kapdon me bhi halki kampan hui jiske agle hi pal..

SRRRRRR.....

ek ajeeb si awaaz ke saath kuch invisible but nukile shastra saare SAVENTS ke saamne invisible mode me prakat hokar wahin un sabke aage aur piche tezi se ghumne lage jisse mehsoos karte hi..


HIDA-SAVENTS...dont move an inch... aap sabke saamne invisible astra ghum rahe hain..

agar aap aage yaa piche hue toh woh shashtra aapko chot pahuncha sakte hain...

jahan HIDA ki baat sun majority of the SAVENTS dar se gaye aur apni jagah par jadh hokar khade ho gaye wahin ACCHUTA, SLUNDER aur BRAWNY ko toh waise in shashtron se koi dar ya khatra nahi tha par phir bhi woh teeno bhi shaanti se apni jagah par khade rahe...

khair,in sabke beech tha mai jiski taraf tezi se bohot saare astra shashtra joki VIDEOUS ke kapdon se nikle the,woh badh chuke the par isse pehle ki woh shashtra mere radar ko chhu bhi paate,maine apna haath aage ki taraf tezi se lehraya aur mere aisa karte hi VIDEOUS ki hi tarah ek energy force mere saamne bhi ban gaya jiske bante hi VIDEOUS ke saare shashtra ek hi jagah par rook gaye..

VIDEOUS ke shashtra roopi waar ko toh rok diya tha maine,par jo dimagi waar joki uska asli waar tha,usse pehchaan nahi paaya mai aur jo woh chaahta tha,woh ho gaya...

hua ye ki light speed se meri aur badh rahe uske adrishya shashtron ko rokne ke liye mujhe apna pura concentration saamne rakhna pada aur isiliye jo energy force meri body se nikla tha,uski wajah se mere force aur VIDEOUS ke shashtron ke beech ek tadga impact hua jiski wajah se sirf ek nano second ke liye hi sahi,par VIDEOUS ke mere upar chhode saare shashtra visible ho gaye...

jahan SAVENTS aur teeno WHIZZ aur WHIZZDERS apne aage piche hawa me ghum rahe shahstron par concentrate kar rahe the wahin MAHI hi ek aisi shaksh thi jiska dhyan abhi bhi khudpar nahi balki mujhpar tha aur yahi wajah thi ki woh nano second ke liye dikhne waale shashtra uski aankhon se nahi chhup paaye..

un shashtron ki sankhya aur mere retaliation waale force ki wajah se unme aayi tez kampan ko dekh MAHI hadh se zyada dar gayi thi...

aur tabhi uska dar ek level tak aur tab badh gaya jab usne mere piche bhi kuch halke visible shashtron ko prakat hote aur phir meri taraf badhte dekha aur jab aisa hua toh uski zubaan toh jaise sil hi ho gayi par uske kadam khudbakhud aage badh gaye is baat ko completely bhulte hue ki uske aage aur piche bhi do adrishya shahstra ghum rahe the...

wahin jaise hi VIDEOUS ne mere piche bhi shashtra create kar mujhpar humla kiya toh mujhe is baat ka pata chal chuka tha aur isiliye isse pehle ki mere piche se meri taraf aate shastra mujhe chhu bhi paate,maine apne piche bhi ek energy force create kar diya tha jisse takrate hi woh saare shashtra aage nahi badh paaye par tabhi..


AHHHH....AHHHHHHH....

ek ke baad ek do baar cheekh sunayi di mujhe aur mere saath baaki sabko bhi jisse sun ALFREEN ki cheekh nikal gayi..

MAHI........

ye cheekh MAHI ki thi jo mujhe bachane ke chakkar me khud ko laparwaah kar baithi thi aur phir jab woh aage badhi toh pehle woh shahstra jo uske saamne tha joki ek GADE ke akaar ka solid crusher tha aur tezi se apni jagah par gol ghum raha tha,woh sidhe MAHI ke sir ko hit hua aur aisa hote hi pehli cheekh ke saath MAHI piche ki tarah ghumte hue halki si udi par tabhi MAHI ke piche ka shahstra joki ek bhala tha aur woh bhi ghum hi raha tha,MAHI ke kareeb aate hi us bhaale ka nok MAHI ke peeth ko cheerta hua nikal gaya jisse uske mooh se dusri cheekh nikli aur MAHI side ki taraf dham karkar gir gayi..

first hit joki uske sir par hua tha, uski wajah se behosh hone lagi thi MAHI..is beech apne peeth par gilepan ka ehsaas bhi hua usse jisse feel kar woh samajh gayi ki usse tez bleeding ho rahi hai...

ye feel karte hue woh puri behosh ho chuki thi..

wahin MAHI ki cheekh sun ek saath do chizen hui...


pehli..

ACCHUTA, BRAWNY aur SLUNDER,teeno ne hi turant apne haath hawa me ghumaye aur unke aisa karte hi unke aur baaki saare SAVENTS ke aage hawa me ghum rahe shashtra nishkriya hokar gayab ho gaye..

teeno WHIZZ aur WHIZZDERS ne bhi yahi kiya tha..

dusri..

ek baar MAHI ke behosh sharir ko dekh meri nazar saamne khade VIDEOUS par padi jo is waqt mujhe dekhkar muskura raha tha jaise bol raha ho ki uska plan kaamiyab hua..

aur ye dekh mera usse dekhna ghurne me badal gaya aur...


MAI-ye nahi karna chahiye tha tujhe....!!!

SAMPURN KANAM AAGHATAM...


apne dono haathon ko har taraf lehrate hue man me socha maine is SPELL ko aur mere aisa karte hi VIDEOUS jahan khada tha,uske chaaron taraf halki kampan ke saath hazaron ki sankhya me invisible weapons prakat hue..

saare shahstra ek dusre se jude hue the aur un sabne VIDEOUS ko halka sa bhi gap nahi diya tha jisse ki woh ud kar bache yaa phir gayab bhi ho sake..

kyunki gayab hone ke liye bhi ek halki si hi sahi par khuli jagah chahiye jiske through apne body ko invisible karne ke baad nikala jaa sake par woh space VIDEOUS ke paas nahi tha...

aur ye dekh us slight space ko create karne ke liye VIDEOUS ne apna haath aage lehrane ki sochi jisse uske haath se nikle energy se shashtra halke hi sahi hile jisse usse jagah mil sake par woh aisa karta ki tabhi...

maine apna haath aage kiya aur mere aisa karte hi VIDEOUS ka haath aage ki taraf lehrana toh door ki baat hai,hil bhi nahi paaya..

reason...

SPRADHAM VARJITE

MOVEMENT BLOCK...

is SPELL ke through apni jagah par khade khade hi maine VIDEOUS ke har movement ko block kar diya tha..

woh jo bhi karta,ek combat ki hi tarah uske har waar ko yaa harkat ko block kar sakta tha mai...

wahin apne haathon ko yun jakadte dekh VIDEOUS ne meri taraf halke ghusse de dekha aur phir shuru kiya usne lagana apna dum taaki meri grip usse chhut sake par apni aloukik shaktiyon ke bina ye karna uske liye asambhav tha...

par mai abhi jo chaahe kar sakta tha aur isiliye apne wrist ko ghumaya maine aur mere aisa karte hi VIDEOUS ko aisa laga jaise maine uski dono kalayi pakad li hai par isse pehle ki woh mere hatheli ko jhatakne ki koshish karta,

maine usse uski kalayiyon ke through hawa me ucchal diya aur jab aisa hua toh...


DHAABBBB....DHABBBB...DHABBBB.....


VIDEOUS ka sharir hawa me udta hua sidhe saamne ki taraf jahan shashtra ghum rahe the,unse takraya aur aisa hote hi un shashtron ne VIDEOUS ko hit karte hue dusri taraf fek diya jahan uske swagat me dusre shashtra ready hokar ghum rahe the aur isiliye jaise hi VIDEOUS ki body un shashtron ke range me aayi toh un shashtron ne bhi usse hit karte hue dusri taraf ucchal diya aur iske baad VIDEOUS ka body ek badminton ke CORK ki tarah ek disha se dusri disha ki taraf udne laga jisse dekh..


REGIS-RAAZ stop it...VIDEOUS ko chhodo...bhul gaye kya ki ye sirf ek demonstration hai,aur kuch nahi...

HIDA-haan RAAZ..aur MAHI ke saath jo hua,woh uski laparwaahi ki wajah se hua..agar woh apni hi jagah par rehti toh usse kuch bhi nahi hota...


jahan REGIS aur HIDA ki baat sun sabki nazar VIDEOUS aur uski CORK jaisi haalat par padi aur woh dar gaye wahin HIDA ki baat sun maine apna sir uski naasamjhi par halka sa left right hilaya...

waise uski bhi kya galti...!!!HIDA ko kahan maalum tha ki jo hua,ye is VIDEOUS ka hi kiya dhara tha..

khair,HIDA ki baat par maine apna haath ek baar phir se lehraya aur mere aisa karte hi mere create kiye gaye saare shashtra gayab ho gaye aur VIDEOUS neeche gir gaya..

aur jab aisa hua toh...


HIDA-REGIS,aap MAHI ko lekar HEALING section me jaaiye..mai VIDEOUS ko dekhti hun..

HIDA ki baat sun REGIS ne MAHI ko apni godh me uthaya aur aage badh gaye...

saare SAVENTS bhi unke saath ho liye the..HIDA bhi kuch aage tak gayi thi un sabke saath..

wahin is beech meri nazar VIDEOUS par thi jo abhi apni jagah par baitha apne upari kapdo ko jhaadte hue mujhe hi dekh raha tha..

usse kuch physical cut nahi aaya tha..aata bhi kaise..??saale ne hazaron talented WICKED SAVENTS ka AURA jo lapeta hua tha..

aur isiliye uske body ko pierce karna aam weapons ke bas ki baat nahi thi...

khair mujhe apni taraf dekhta dekh uske face par ek smile aa gayi aur usne mujh dekhte hue ek wink kiya...

wahin ek aur pal VIDEOUS ko dekh mai bhi THE GREAT HALL se bahar ki taraf nikal gaya..

is beech HIDA bhi VIDEOUS ke paas pahunch chuki thi aur jab usne VIDEOUS ko apne kapde jhaadte hue araam se khade hue dekha toh..


HIDA-thank god tumhe kuch nahi hua VIDEOUS...

VIDEOUS-VIDEOUS ko kuch ho sakta bhi nahi WHIZZ..aap MAHI ko dekhiye..make sure she lives...

HIDA-woh theek ho jaayegi..cut gehra zaroor hai but it can be taken care of...so,you dont worry...she will live..

VIDEOUS-she has to...aisi maut me maza kahan...????zindagi ki shuruat jab kisike saath hui hai,toh maut bhi uske saath hi honi chahiye...

HIDA-matlab..!!!

VIDEOUS-aa jaayega samajh..sahi waqt toh aane dijiye...


ye bol VIDEOUS ruka nahi,bahar nikal gaya wahin HIDA usse jaate dekhti rahi aur uski baaton ke matlab ko samajhne ki koshish karti rahi par jab uske palle kuch nahi pada toh..

HIDA-kabhi kabhi ye bhi mujhe RAAZ ka xerox hi lagta hai..kab kya bolta hai,pata hi nahi chalta...!!!






PLACE-HEALING ROOM



I WILL TAKE IT FROM HERE....


MAHI,ek bed par leti hui thi aur REGIS kuch jadibutiyon ka ras mix kar hi rahe the ki tabhi unke piche se aayi thi ye awaaz jisse sun jaise hi woh piche palte toh apne saamne khade sakshiyat ko dekh halka hadbada gaye..

unke saamne SOVES SHAILA khadi thi..ab SHAILA toh PHASE 2 kya PHASE 3 ke WHIZZES aur WHIZZDERS se bhi personally khud jaakar nahi milti thi,toh aise me unhe apne saamne dekhkar REGIS ka hadbadana toh laazmi hi tha..

khair,ab jab khud SHAILA MAHI ka checkup kar usse completely heal karne waali thi,ye janane ke baad REGIS ka wahan rookne ka koi matlab hi nahi tha...

aur isiliye..


REGIS-i will take your leave than SOVES...


apni baat keh sir jhukaaye hue hi REGIS healing room se bahar nikal gaye aur unke baahar nikal hi ACCHUTA,MABEL, ALFREEN SLUNDER aur BRAWNY jo wahin bahar hi khade MAHI ka theek hone ka wait kar rahe the, woh sab REGIS ke saamne aa gaye aur...


ALFREEN-how is MAHI WHIZZDER..??

MABEL-woh theek oh ho jaayegi naa..!!

SLUNDER-is he awake now...!!!

REGIS-relax SAVENTS.. sirf physical cut hua hai uski body me...aur sir par jo hit hua hai MAHI ke,jisse woh behosh ho gayi thi,usme bhi koi darne waali baat nahi thi...

filhal toh behosh hi hai woh but bohot jald usse hosh bhi aa jaayega aur uske cuts bhi pure heal ho jaayenge...

waise bhi,aap sabne SOVES SHAILA ko andar jaate dekha hoga,toh aise me agar kuch serious bhi hua hota,tab bhi MAHI ko theek ho jaana tha..

haan,usse hosh me aane ke liye kamsekam 2 ghanta toh lagega hi,toh agar aap sab chaahen toh apne apne ABODES jaa sakte hain..

2 ghante baad aa jaaiyega yaa phir MAHI se uske ABODE me hi mil lijiyega...

ALREEEN-no WHIZZDER,we will wait here.. hum usse saath lekar hi jaayenge..


ALFREEN ki baat par smile karte hue aage badh gaye REGIS aur unke jaate hi..


MABEL-ye sab us VIDEOUS ki wajah se hua hai..mai chhodungi nahi usse...

ACCHUTA-aisa sochna bhi mat..RAAZ ke hum strictly kaha tha ki VIDEOUS se hume khud involve nahi hona hai...

aur tum jaanti ho ki RAAZ kabhi kuch bhi yunhi nahi kehta isiliye koi usse kuch nahi kahega..

SLUNDER-waise bhi , WHIZZ HIDA ne kaha tha naa ki MAHI apni galti ki wajah se behosh hui hai.. isiliye chhodo is baat ko...


SLUNDER ki baat par koi kuch kehta ki tabhi un sabko mai saamne se aata dikha jiske baad unke discussion ka full stop lag gaya..

wahin jab mai unsabse guzarkar HEALING ROOM ke door ko kholne ko hua toh..


SLUNDER-RAAZ...andar SOVES SHAILA hai..

MAI-toh..


ye bol maine door khola aur andar chala gaya jisse dekh jahan ek taraf SLUNDER, ACCHUTA aur BRAWNY has diye wahin ALFREEN aur MABEL ka mooh ban gaya aur..


ALFREEN-ye SOVES ko bhi kuch nahi samajhta kya..???

ACCHUTA-RAAZ hawa ki tarah hai ALFREEN...jagah dekhkar nahi behti..apne hisaab se chalti hai...




INSIDE HEALING ROOM:-



SHAILA-kya dekh rahe ho RAAZ...!!???

MAI-behoshi me utni bewakuf lagti nahi hai jitni asal me hai...


MAHI ke behosh chehre ko dekhkar kahi ye baat maine jispar pehle toh SHAILA muskurayi aur phir....


SHAILA-waise aaj ke iski bewakufi ka reason toh tum the RAAZ....

apna woh RAAZ jo ab tak sirf tum tak tha,tumne mere through isse disclose karwa diya jiska natija aaj ki iski harkat hai...


SHAILA ki baat sun maine kuch kaha nahi jispar..


SHAILA-ek baat puchun..??aakhir kyun...???kya zaroorat thi tumhe apne RAAZ ko isse share karne ki...??

MAI-do wajah hain,ek ka toh pata hi hai aapko...

SHAILA-haan,par us wajah ke liye isse apni mout ke baare me batane ki kya zaroorat padh gayi tumhe...???

woh wajah toh waise bhi puri hogi aur kaise hogi,iske liye tumhe sir khapaane ki zaroorat hai hi nahi..

MAI-hmm...par meri kismat me mout hai,ye jaankar iski nazar har waqt mujhpar rahegi jisse us wajah ke anjaam tak pahunchne me asaani hogi...

SHAILA-aur dusri wajah...!!!

MAI-ek baat bataiye,aur sidhe sidhe bataiye,kya mera khatm hona kisi bhi tarah tal sakta hai...???


mere is sawal par kuch pal dekha SHAILA ne mujhe aur phir..

SHAILA-nahi...tumhari aur VIDEOUS ki ladhayi me yaa toh tum khatm ho jaaoge,aur agar kisi tarah tumne VIDEOUS ko khatm kar bhi diya toh uski keemat tumhari puri urja hogi...

aur kyunki tum aur VIDEOUS ek hi urja se bane ho, isiliye khatm hote hote bhi VIDEOUS ki urja tumhari urja ko bhi khudme sokh kar tumhaare har swaroop ko nigal jaayegi....

MAI-woh ant jo nishtit hai,uske baare me usse kyun chuppaya jaaye jo meri hi tarah is kahani ka mukhya kendra hai..

MAHI ke aankhon me mere liye junoon har guzarte din ke saath badhta chala jaa raha hai..

kohish karkar dekh li maine,par iske junoon ko mera rukhapan rok nahi paa raha tha..

pa mera bhavishaya jaan shayad ye khud ko mere bina soch sakegi...

haan,aaj ka iska action zaroor negetive tha par saath hi aisa hona normal bhi tha..

aag jab nayi nayi jalti hai toh uski law hadh se zyada fadfadati hai par phir woh khudko vatavaran ke anukul kar hi leti hai..

MAHI ke dil me bhi abhi nayi nayi aag lagi hai..jab ye sach ko accept kar legi,shaant ho jaayegi...


ye bol mai palat kar jaane laga par tabhi SHAILA ki awaaz aur baat ko sun mere kadam rook gaye...


SHAILA-ek baat ka jawab doge..sidhe sidhe..do u also have feelings for MAHI...???do you love her...???

MAI-jis pyar ki tum baat kar rahi ho,woh insaanso aur living creatures ke liye hoti hai..

aur mai ek robot hun SHAILA...jiski uttpatti ka sirf ek uddeshya hai...VIDEOUS ka khaatma..

ek yahi folder stored hai mere system me....aur kuch nahi...


ye bol mai rooka nahi aur room se bahar nikal gaya..

wahin meri baat sun mere jaane ke baad ek lambi aur thandi saans chhodi SHAILA ne aur....


SHAILA-yahin toh galat ho tum RAAZ....but taklif ye hai ki tumhe khud apne galat hone ka andaza tak nahi....par kar bhi kya sakte hain...????

woh waqt bohot nazdik hai jab tumhe apne robot hone ki galatfehmi ke baare me pata chalega....

...WAQT...!!!



aakhir,kisne socha tha ki waqt ek aisa khel RACHEGA....

sahi ho yaa galat,har taraf ek kohraam MACHEHGA....

woh waqt nazdik hai jab tu hoga apne wajood se rubaroo,aur tab,

mujhe dar hai ki ye sansaar VIDEOUS se nahi,tujhse kaise BACHEGA....!!!!!














AAJ KE LIYE ITNA HI.....














AAPKA APNA V....J.....
Nice update bro
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,267
38,658
258
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF VIDEOUS AUR RAAZ EK BAAR PHIRSE EK DEMONSTRATION ME AAMNE SAAMNE AATE HAIN WAHIN DUSRI TARAF US DEMONSTRATION KE BEECH MAHI INJURED HO JAATI HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-117


"A FUTURE GLIMPSE".....



PLANET-GALEN


PLACE-ERRAPEL'S COTTAGE





BHAADDDD..........


main door kuch zyada hi zor se khula aur uske beech se HORUS lambi lambi saansein leta hua hall me enter hua jahan is waqt ERRAPEL thik waise hi nirjeev sa behosh pade RAAZ ka haath pakde baithi hui thi..

HORUS jabse gaye the,tabse ERRAPEL ki aankhen ro rokar laal si ho gayi thi,chehre par dar aur dard, dono hi bhaav ek saath tairte aa rahe the,par ab apne BABA ko wapas apne saamne dekh itni der me pehli baar naa sirf usne chain ki saans li balki uske face me chhaye woh dar aur dard ke bhaav jaise ek jhatke me chhat se gaye the aur ab unki jagah khushi ne le li thi...

aur ussi khushi ko apne alfaazon me darshate hue..


ERRAPEL-aap aa gaye baba...mera dil kehta tha ki chaahe kuch bhi ho jaaye,aap zaroor wapas lout aayenge..


apni beti ki baat par muskurate hue
HORUS aage badhe aur thik ERRAPEL ke paas pahunch unhone apne haath aage kar diye jahan is waqt kuch peeli colour ki pattiyan thi jinhe dekh ERRAPEL samajh gayi ki yahi woh COGNIZANT LEAF hai jinhe lene uske baba gaye hue the...

ek pal un leafs ko dekh ERRAPEL ne unhe apne baba ke haath se le liya aur tabhi....


AHHHH....HAMMM....


ek dard bhari karah ke saath HORUS apne ghutno par aa gaye jisse dekh ERRAPEL hadbada bhi gayi aur dar bhi...

par woh kuch keh paati ki tabhi kuch aisa hua ki uski aankhen dar,dard aur khouf ki wajah se aur badi ho gayi...

HORUS ke sharir ka pura kapda khoon se naha sa gaya...

aisa lag raha tha maano HORUS ke body pores phat se gaye hain aur unse khoon ris raha ho...

ye dekh darte hue ERRAPEL apne baba ko chhune ko hui par tabhi..


HORUS-nahi beta...mujhe chhuna mat..verna meri jaisi haalat teri bhi ho jaayegi...

dard se bhari awaaz me ye baatein kisi tarah bol HORUS ne apne upari vastron ko jo khoon ke risne ki wajah se laal hone ke saath hi kamzor bhi ho gaye the,unhe pakad kar halka sa kheencha aur unke aisa karte hi chrrr ki awaaz ke saath woh kapda jo kisi kurte ki tarah tha par sweater ki tarah mota,wo faththe hue unke sharir se alag ho gaya aur jab aisa hua toh ERRAPEL ki aankhen badi ho gayi...

reason..

is waqt HORUS ke chest aur shoulder areas me bade bade keede lage hue the jo waise toh peele the par is waqt HORUS ke khoon se laal ho gaye the...

aur saath hi chest aur shoulders ke jis jis bhaag me woh keede chipke hue the,wahan se halka halka dhuan bhi nikal raha tha..

ye sab dekh dimag hi boukhla gaya tha ERRAPEL ka aur...


ERRAPEL-ye sab kya hai baba...???ye kaise kide hain...??inhe nikaliye naa...


ye bol ERRAPEL ne apna haath apne baba ke chest ki taraf badhaya par tabhi apni puri takat laga jo waise kam hi bachi thi, HORUS thoda piche hue aur...


HORUS-nahi ERRAPEL...inhe chhune ki galti kabhi mat karna..khaas kar tab jab tumne pehle hi COGNIZANT leaf ko chuu liya hai...

in keedo ka naam COGNIZANT WORMS hai..ye wahi shraap hain jo COGNIZANT LEAF ko todne waale ko lagte hain....

COGNIZANT LEAF ko chhune aur haasil karne ka mool hain ye keede jo ab mujhe lag chuke hain jo meri mout ke baad hi ab mujhse alag honge..

aur waise bhi,ye jo dhuan dekh rahi ho,ye inka zeher hai jo ab mere saare sharir me fail chuka hai,mai ab bas chand saanson ka hi mehmaan hun meri bacchi..

aakhri shabd kehte hue neeche zamin par gir chuke the HORUS....

unke sharir ki kampan unka dard aur taklif saaf bayan kar rahi thi aur us dard se hone waali aatmik taklif ko khudme samete hue baithkar ro rahi thi ERRAPEL..

jo hua hai,woh hona hi tha,ye pata tha usse par apne baba ko apni aankhon ke saamne marta hua dekh taklif toh honi hi thi usse...

khair,apni beti ko rota dekh..


HORUS-apni niyati se koi nahi bhaag sakta beti...aur meri haalat par rone ke bajaye tumhe toh garv hona chahiye ki tumhare baba ko saunpa daayitv unhone pura kiya...

ERRAPEL-garv aur dard kabhi kabhi ek saath dil me jagah bana lete hai baba....har mousam me hone waala badlav pehle hi maalum hota hai par jab woh mausam sach me aata hai aur us badlaw ko sharir chhuta hai,toh us kriya ki pratikriya hoti hi hai...


apni beti ki baat sun us beinteha dard ke beech bhi halka sa muskura uthe HORUS aur..


HORUS-waqt kam bacha hai ERRAPEL..meri saasein band hone se pehle agar in COGNIZANT LEAFS ko ras me badal RAAZ ko nahi pilaya tumne,toh mere sharir me lipte hue worms us leaf ki sugandh sungh tum par chhad jaayenge aur inse bacha nahi jaa sakta...

isiliye jaldi karo.. waise bhi antim baar apni aankhon ko band karne se pehle ek baar mai inhe hosh me dekhna chahta hun....

woh tumhare saamne pade flask ko sidha karo aur ek ek kar in saare leafs ko uske upar rakh ragdo...ye leafs ras me badalkar us flask me ikkatha jo jaayenge...

aankhen abhi bhi num thi ERRAPEL ki par aise waqt me bhi jab uske baba apni amtim saans le rahe the,apne kartavya se mooh nahi mod sakti thi woh..

aur isiliye flask ko jo uske side me hi rakha hua tha,apne saamne rakh ek ek kar un COGNIZANT LEAFS ko ragadne lagi ERRAPEL....

ek haath me RAAZ ka haath jisse uske hosh me aane tak usse thaame rakhna tha, dusre haath me COGNIZANT LEAF jisse ragad apne kartavya ko nibhana tha, aur aankhon me apne baba ko unki maut ke darwaze par pahunchte dekhna tha,ek saath in teen alag alag situations ko ek saath handle kar rahi thi ERRAPEL...

wahin ab HORUS ki haalat kaafi kharab ho chuki thi..kisi bhi waqt unki saanson ki dor rook sakti thi par aise waqt me bhi unke face par ek sukoon tha..

aur ussi sukoon ke saath ERRAPEL ko dekhte hue..


HORUS-meri life me aane ke liye thanks beti...tune meri zindagi aur aur ab mout ko bhi saarthak banaya hai...


apne baba ki baat chupchaap aansu bahate hue suni ERRAPEL ne aur is beech usne saare leafs ko ras me badal flask me daal diya tha aur aisa hote hi usne turant us flask ko uthaya aur RAAZ ke dono gaalon ko pakad usse pichkaya jisse uska mooh halka sa khul gaya aur aisa hote hi ERRAPEL ne us flask ko uske mooh me sata dheere dheere ulta diya..

pura COGNIZANT LEAFS ke ras ko RAAZ ke mooh me udelne ke baad ERRAPEL usse alag hui aur itne der me pehli baar usne RAAZ ke haath ko chhoda aur apne baba ke paas pahunch kar khadi ho gayi..

wahin apni mout ke antim padhav par pahunchne ke baad bhi is waqt HORUS ke chehre par excitement saaf dikhne lagi thi...

unka dil jo ab tak khoon ke adhik beh jaane se kaafi dheere dheere beat kar raha tha,uski speed bhi achanak badh gayi thi...

is beech jaise hi RAAZ ke mooh se hota hua woh COGNIZANT LEAFS ka ras uske pure sharir aur mainly uske soul me pahuncha toh wahan ek vibration honi shuru hui...

ab tak andhere me dooba uske soul me achanak ek halki si roshni ne janm liya jo har guzarte second ke saath badhti chali gayi aur phir jaise hi woh roshni puri tarah se us ghar me joki RAAZ ka SOUL tha,bhar gayi toh...

ek jhatke me khuli uski aankhen aur woh uthkar baith gaya..

pathrayi aakhon se kuch pal sunya ko ghurne ke baad jaise achanak se dimag me jhanaka hua RAAZ ka aur woh apne present me wapas aaya..

present me wapas aate hi usne dekha ki woh abhi ek hall jaise kamre me hai....

par ye drishya yaa phir ye kahun ki ye hall uske liye anjana tha..

infact abhi toh RAAZ ke liye sabkuch hi anjaana sa tha..

aankhon me sawal liye RAAZ ka sir us taraf ghuma jahan neeche khun se latpath HORUS pade hue the aur unke hi paas ek khubsoorat si ladki khadi thi..

woh dono mujhe hi dekh rahe the jispar..


RAAZ-kaun hain aap dono...aur.........

MAI.... KAUN.....HUN.....!!!!!!...







PLANET-ELYSIAN


PLACE-CHOSENS




3 MONTHS LATER:-




AHHHHH...AHHHHH...AHHHH...AHHHHH....AHHHHH....AHHHH........


kaale labadon se dhake teen shaksh joki aur koi nahi balki THE THREE DEVOTEES the,un sabne ek ke baad ek alag alag jagahon par jaakar apne haathon ko ghumaya aur unke aisa karte hi kuch dard bhari cheekhen fizaaon me gunji aur phir mahoul pehle ki tarah completely shaant ho gaya....




NEXT DAY:-


PLACE-THE GREAT HALL





AAJ AAP SABKO YAHAN EK DUKHAD SUCHNA DENE AUR EK ANOUNCEMENT KARNE KE LIYE BULAYA GAYA HAI...


stage par aakar kahi thi ye baat AKSHAANT ne jisse sun saare SAVENTS shocked ho gaye the...

waise ek aur baat bhi thi jiski wajah se sabhi SAVENTS pehle hi hairan the aur woh ye ki aaj unke pure batch as in dono catagories ko milakar lagbhag 75 percent SAVENTS unke beech moujud nahi the...

PHASE 2 ki strength aaj sirf 25 percent thi..aur usme bhi STELLARS ke hi aadhe SAVENTS wahan moujud the,GROOMERS me toh sirf 2 hi SAVENTS dikh rahe the,baaki saare gayab the aur aisa pehle kabhi hua nahi tha toh aise me sabka hairan hona toh laazmi hi tha...

khair, AKSHAANT ki baat ko aage badhate hue...


MOKALSAR-jaisa ki aap sab dekh rahe hain ki aaj aapke PHASE ki strength aadhe se bhi kam hai..

aur ye koi sanjog nahi hai..

jo SAVENTS abhi yahan moujud nahi hain,woh saare SAVENTS kal raat se hi behosh ho chuke hain...


MOKALSAR ki baat sun bohot zyada shocked ho gaye the saare SAVENTS...

MOKALSAR ki baat par kaise react karen,ye bhi samajh me nahi aa raha tha kisiko...!!!

wahin apni baat ko jaari rakhte hue...


MOKALSAR-aur aisa sirf aapke PHASE ke saath hi nahi,balki PHASE 3 ke saath bhi hua hai....

PHASE 3 ke saare MORALS apni chetna kho chuke hain...


ye ek naya bomb tha jo phoda tha MOKALSAR ne jisse sun SAVENTS ka brain fuse hi hone laga tha..


ALFREEN-guyzz,suna tumne,MORALS behosh ho gaye par WICKEDS nahi...

kahin ye ab unki hi toh karastani nahi hai...!!!

SLUNDER-kuch bhi bolti hai yaar..maana WICKEDS me kaafi strong SAVENTS hain,par hain toh woh sab bhi SAVENTS hi...

unme naa toh itna hunar hai aur nahi itni audacity ki aisa kuch kar paayen..


SLUNDER ki baat par koi kuch kehta ki tabhi..


SHAILA-wo saare SAVENTS joki kal raat se behosh hain,woh sab filhal HEALING ROOM me shift kiye jaa chuke hain...

unki behoshi ki jaanch bhi ho chuki hai...jaanch me ye pata chala hai ki un sabke brain me ek DHUAN faila hua hai jisne un sabke senses ko dull kar diya hai..

woh dhuan ek bohot hi strong energy se bana hai...dukh ki baat ye hai ki us dhuen ko SAVENTS ke brain se extract nahi kiya jaa sakta kyunki woh dhuan un sabke brain cells se connect ho chuka hai aur jab tak woh dhuan un sabke brain se nikal nahi jaata,tab tak woh sab wapas hosh me nahi aa sakte...

par ek achi baat bhi hai...darasal woh dhuan dheere dheere hi sahi par khud hi gayab hote chala jaa raha hai..

par kyunki uske gayab hone ki raftar bohot zyada kam hai, isiliye uski maatra aur gayab hone ki speed ko dhyan me rakhte hue hamara anumaan hai ki usse SAVENTS ke brain se gayab hone me kareeb 3 mahine lag jayenge...

aur aisa hote hi SAVENTS wapas hosh me aa jaayenge....

par kyunki ye pura procedure teen mahine lamba hai isiliye humne ek faisla kiya hai...

jaisa ki aap sab jaante hain ki filhal aap sabke is PHASE ka half term khatm ho chuka hai...

jaisa ki har term me hota aaya hai,mid term ke baad PHASE 2 ke sabhi SAVENTS kisi naye tourist planet me ek lambe tour ke liye jaate hain jahan un sabko bramhaand se judi aur bhi kayi nayi baatein aur chizen sikhne ko milti hai...

par kal raat hue unfortunate incident ki wajah se is tour ko cancel kar diya gaya hai..

itna hi nahi,kyunki ab behosh hue SAVENTS jinki sankhya aapke pure batch ki 75 percent se bhi zyada hai,woh sab ab sidhe 3 mahine ke baad hi hosh waale hain aur saath hi kyunki hume ye nahi pata ki itne lambe waqt ke baad aur us dhuen ke impact ki wajah se hosh me aane ke baad kya woh sab SAVENTS classes resume karne ki condition me honge bhi ki nahi, isiliye humne tay ki kiya hai ki behosh hue saare SAVENTS ke hosh me aate hi PHASE 2 ke is saal ke tenure ko khatm kar diya jaayega..

un sabke hosh me aane aur completely fit hone ke baad aap sabke PHASE 3 ke liye selections shuru kar diye jaayenge..

worth ke according aap sabko WICKEDS aur MORALS me select kiya jaayega...

tab tak ke liye PHASE 2 officially off kiya jaata hai...haan,agar aap sab chaahen toh ab tak jo bhi aapne sikha hai,usse yahan aakar akele yaa phir ek dusre ke saath practice kar sakte hain...

aapke WHIZZES aur WHIZZDERS bhi aapke request par unofficially aap sabki help kar sakte hain...

but officially, from now onwards PHASE 2 is closed....

you all can leave now....


teeno SOVEREIGN'S ki anouncement sunkar saare moujud SAVENTS kuch zyada hi hairan the..

haan,ye sach tha ki ab tak ke unke is half term duration me un sabne apne is PHASE ke lagbhag 75 percent se zyada learning ko practice kar liya tha aur baaki ka bacha bhaag bhi theoretically un sabko pata tha jisse khudse bhi practice kar woh sab practically kaam me laana sikh sakte the but phir bhi institution me officially kuch sikhna aur unofficially khudse sikhna,in dono hi tarikon me kaafi fark hota hai...

par sabse zyada shock sabko apne PHASEMATES ki haalat ko jaankar hua tha..

agle teen mahine woh sab unconscious hi rehne waale the,aur ye koi choti baat nahi thi...

aisa kya hua hoga un sabke saath,woh dhuan kya hai jo un saare behosh pade SAVENTS ke dimag me ghusa hua hai,ye saare sawal un sabke man me ghum rahe the par jawab naa toh unke paas abhi tha aur naahi near future me unhe milne waala tha..

par in sabke beech mai ye saari baatein sunkar bhi bilkul shaant tha..bahar se bhi aur andar se bhi...

khair, anouncement ho chuki jiske baad yun achanak ghati is ajeeb ghatna ke baare me sochte hue sabhi SAVENTS mude aur ek dusre se baat karte hue jaane lage aur tabhi....


SHAILA-VIDEOUS...one moment...


SHAILA ki baat sun VIDEOUS joki baaki sabhi SAVENTS ke saath mudkar jaa raha tha,jab uske kaano me SHAILA ki ye awaaz padi toh uske face par ek smile aa gayi aur woh wapas moodkar teeno SOVEREIGN'S ke paas pahunch gaya....


SHAILA-puch sakti hun ki ye sab kyun...???mind divert toh waise bhi tumhare teeno DEVOTEES hameshaa SAVENTS ka karte hi hain phir is baar SAVENTS ko yun direct BLACK ENERGY ki chapet me daalne ke piche kya reason hai....???

VIDEOUS-common SHAILA..itne bhi naasamajh nahi hain aap...jis wajah ke liye is CHOSENS naam ke maidan me maine khel racha tha,uska antim padhav aane hi waala hai..

toh agle padhav ki taiyaari bhi toh zaroori hai...

bramhaand ke har jeeven deyi grah par base har manushya ka hriday parivartan ka waqt sameep hai,toh aise me shuruat ki neev CHOSENS se hi toh hogi....

jeetne bhi SAVENTS behosh hue hain,ye woh SAVENTS hain jinki pratibha baakiyon se zyada hai par afsos manupalation process ke baad bhi un murkhon ne acchayi ka rasta nahi chhoda...

par jo dhuan un sabke mastishk me ghar kar chuka hai,woh un sabke is lambi behoshi ke dauran un sabka ATTITUDE puri tarah change kar dega...

aur waise bhi,woh samay atyant nazdik hai jab se har manushya chaahe woh aam ho ya SAVENT ki tarah khaas,woh do bhaago me batenge..

pehle bhaag me woh honge jo VIDEOUS ke aur kaali shaktiyon ke aage saharsh jhukenge aur dusre bhaag me honge woh bewakuf log jo kaali shaktiyon ko apna sirtaaj maanane se mana karenge,aur aise logon ka faisla do tariko se hoga.

pehle tarike me ye log KAALI SHAKTIYON ke upasakon ke gulaam bankar jiyenge aur dusre tarike me aayenge woh jo aisa karne se mana karenge,unhe badi khushi ke saath mout ki neend me sula diya jaayega...

AKSHAANT-is institution ke sabse kaabil SAVENTS woh hain jo thodi der pehle tumhare aas paas khade the..

par woh sab toh behosh nahi hue...kya hum ye samjhe ki tumhare teeno DEVOTEES aur khud tum bhi chand WHITE ENERGY ke dhaarakon ko badalne yaa behosh karne me asamarth ho...!!!

VIDEOUS-hahaha...meri ye ungliyan dekh rahe ho...iske halke jhatakne bhar se raakh me badal jaayenge tumhare woh WHITE ENERGY ke dhaarak...

baat bas itni si hai ki kyunki un sabko khaas banakar bheja hai mere dono FATHERS ne...

toh aise me unka anjaam bhi toh khaas hi hoga naa...

isiliye filhal ke liye unhe baksh diya hai maine...

par tumhe un sabki fikr karne ki zaroorat nahi hai..

fikr tum apni karo aur apne saath apne LORDS ki jinpar bharosa karte hain THE ALMIGHTY...

par RAAZ ke anth ke saath woh bharosa,woh vishwash tootne waala hai...

woh waqt bohot nazdik hai jab.....




KHUDA se nahi balki VIDEOUS se pura BRAMHAAND DAREGA....

is baar paap ka nahi balki punya ka ghada BHAREGA....

ek naya daur shuru hone ke kagaar par hai.....

RAAZ ke anth ke saath swarg aur har dharti par VIDEOUS raj KAREGA....















AAJ KE LIYE ITNA HI....
















AAPKA APNA V....J...
Mast update bro
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,267
38,658
258
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF TEENO SOVES PHASE 2 KO OFFICIALLY OFF DECLARE KARTE HAIN WAHIN DUSRI TARAF VIDEOUS TEENO SOVES KO BATATA HAI KI RAAZ KE ANTH AUR USKE RAJ KA WAQT AA CHUKA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-118



PLANET-ELYSIAN


PLACE-BRAWNY'S ABODE





DAD......YE SAB KYA...!!! KISNE KIYA YE HAAL AAPKA....!!!


apne ABODE me tezi se jaise hi ghussa BRAWNY,toh apne pitah ko hall me hi neeche zamin par gira paaya..

is waqt unke sir aur honthon se halka halka khun ris raha tha aur woh dard se karah rahe the....

aur yahi sab dekh BRAWNY ko hairani aur ghussa, dono ek saath aaya tha..

waise uske man ke bhaav abhi abhi hi nahi jaage the..

balki kuch der pehle jab woh ACCHUTA aur SLUNDER ke ABODE ki taraf jaa raha tha,tab achanak hi uski danger sensing ability joki khaas kar us waqt jab koi apna musibat me ho,toh kuch zyada hi trigger ho jaati hai,us ability ne BRAWNY ke dimag me ek alarm bheja tha jiski wajah se woh turant wapas apne ABODE lout aaya tha aur yahan aate hi usse apne dimag me baje alarm ka reason samajh me aa gaya tha..

khair,sawal puchte puchte hi sahara dekar uthaya BRAWNY ne apne pitah ko jispar..


SHALTON-beta, apni mom ko bachao..woh RAAZ mujhe maarkar tumhari mom ko zabardasti wahan room lekar gaya hai...


apne pitah ki baat sun aakhon me awishwas ke samandar ko liye BRAWNY turant ghuma aur tezi se apne mom dad ke bedroom ki taraf joki is waqt band tha,badha aur door ke paas pahunch...


BHADAAKKKKHHH...

ek laath me hi woh darwaza toot gaya tha jiske baad BRAWNY turant andar gaya aur aisa kar jab uski aankhen bed par padi toh uske face par hairani,ghussa,dard sab ek saath dikhne laga tha...


BRAWNY-RAAZ..........


cheekh pada BRAWNY RAAZ ka naam lekar joki is waqt saamne bed par BRAWNY ki mom ke upar chaddha hua tha...

NAOMI ke pure sharir me is waqt kapde ke naam par ek resha bhi nahi tha aur RAAZ lagatar uske sharir se khele jaa raha tha aur issi drishya ko awishwas bhari aakhon se dekhne ke baad cheekh utha tha BRAWNY..

wahin BRAWNY ki awaaz ko sun RAAZ ne bade itminaan se palat kar uski taraf dekha aur BRAWNY ko dekh woh ghabraya ya embarrass nahi hua balki uske face par ek smile naach uthi...

woh bade araam ke saath bed se niche utra aur saath hi NAOMI ka haath pakad usse bhi apne baaju me sataye khada hokar haste hue BRAWNY ko dekhne laga..

par apni mom ko nude kaise dekh sakta tha BRAWNY aur isiliye uski aankhe neeche ho gayi thi...

aur in sabke beech thi NAOMI jiska ab tak ro ro kar bura haal ho chuka tha aur ab apne bete ke saamne yun nude rehkar khada hona,usse pal pal maar raha tha...

aur apni mom ki haalat aur feelings,dono se hi waakif tha BRAWNY aur isiliye.....


BRAWNY-meri mom ka haath chhod RAAZ...teri himmat kaise hui meri mom ke baare me galat sochne ki bhi...

MAI-teri ye nayi zindagi jisse tu looser se champion ban gaya,ye zindagi tujhe meri wajah se mili hai....

dekha jaaye toh ek tarah se woh tera baap hun mai jisne tujhe behtar banaya hai...

ab agar mai tera baap hun toh ye NAOMI meri biwi hui naa..haan second hand hain,par itna toh adjust kar hi sakta hun mai...


RAAZ ki baat sun BRAWNY ka dimag
pura out ho chuka tha par itna sab hone ke baad bhi usse situation par thoda doubt ho raha tha aur isiliye usne bina kuch kahe chupchaap apne SENSE AURA ko release kar diya taaki woh pehchaan sake ki saamne khada shaksh kya wakayi RAAZ hai yaa phir koi imposter....

wahin jab kuch seconds baad BRAWNY ke SENSE AURA ne saamne khade RAAZ ko sense kiya toh BRAWNY ki hairani aur taklif ka thikana naa raha...

saamne khade shaksh ki authenticity saabit ho chuki thi aur isiliye....

BRAWNY ke haathon me current rays joki mass destruction jitne strong the, dikhne lage aur phir..

SWWOOHHHH...

BRAWNY ne apna woh haath jinme woh current rays bane hue the, RAAZ ki taraf nishana kar chhod diya jisse badi asaani se apna haath aage karte hue RAAZ ne absorb kar liya...

par jab woh aisa kar raha tha,toh uske body se halki heat release hui...

waise toh ye heat kaafi kam thi,par uske saath lag kar khadi hui NAOMI ke liye kuch zyada hi thi isiliye jaise hi RAAZ ke through woh heat NAOMI ke nange sharir ko touch hua,ek cheekh ke saath NAOMI behosh ho gayi aur aisa hote dekh RAAZ ne bhi uski body ko chhod diya aur woh baaju me rakhe bed par gir padi..

aur ye dekh...


BRAWNY-MOM.....


aise chillata hua BRAWNY aage badha aur sabse pehle usne ek chaadar mom ke body par lapeti aur unhe examine karne laga..

par ye jaan ki NAOMI sirf behosh thi,woh thoda relax hua par tabhi uske kandhe par ek haath aakar laga joki RAAZ ka tha aur..


MAI-kya yaar...abhi tak maine kuch kiya bhi nahi tha aur tune apni maa ko behosh kar diya...

ab jab ye uthegi,tab bhi kaafi time tak weak rahegi...

aise me isse ragadane me maza nahi aayega..koi baat nahi, there's always a next time....

jo aaj nahi hua, agli baar ho jaayega..waise bhi,mujhe rok sake,aisa hai hi kaun....!!!


jab RAAZ baat kar raha tha,us waqt BRAWNY ka right hand joki neeche tha,usme dheere dheere ek sword prakat ho raha tha,aur jaise hi RAAZ ki baat khatm hui toh..


SWOOOOBBBB...

uske haath ko apne kandhe se jhatatkte hue tezi se dusre haath me pakde sword ko RAAZ ke gale ka aim lekar ghuamaya BRAWNY ne par woh waar khaali jaate hue aar paar ho gaya...

reason....

RAAZ dhuen me badal gayab ho chuka tha....

aur ye dekh ek baar apni mom ko joki behosh padi hui thi,unhe dekh apni aankhon me utre khoon numa aanuson ko saaf karte hue...


AHHHHHHH.....

zor se cheekha BRAWNY aur...


BRAWNY-mai tujhe zinda nahi chhodunga RAAZ...I AM GONNA KILL YOU....





PLACE-REGIS ABODE





AHHHH...AHHHHH......AHHHHHH....

YE ACHANAK SHURU HUI TAANKA JHAANKI AUR MOHOBBAT KE KEEDE KO AISE ACHANAK SE HI KHATM BHI KAR DIJIYE WHIZZDER,AAPKE LIYE ACHA HI HOGA...


BRAWNY ke powers activation process me apne AURA ko usse jod kar jo madad ki thi HIDA ne uski,uski wajah se ek BRAWNY ki danger sensing ability ka ek chota sa bhaag usme bhi transfer ho gaya tha..

aur woh bhaag sidhe jaakar HIDA ke REFINER POWERS se attach ho gaya tha jiski wajah se jo bhi HIDA ke dil ke sabse nazdik hoga,usse HIDA har waqt sense kar sakti thi..

yahi wajah thi ki aaj jab HIDA apne ABODE me baithi thi,tab uske man me achanak se hi ek dar paida hua joki uske dil ke sabse kareebi shaksh par chaaye khatre ki ghanti se awgat kara raha tha...

aur wlh shaksh tha REGIS..

ji haan REGIS.. REGIS jinse HIDA man hi man beintaha pyar karne lagi thi...

waise same feelings REGIS ke man me bhi HIDA ke prati thi par abhi tak dono me se kisine bhi ek dusre ko propose nahi kiya tha...

khair, coming to the origin of the scene, jaise hi HIDA ne REGIS par chaaye khatre ko feel kiya toh woh turant gayab hote hue REGIS ke ABODE ke andar uske hall me prakat hui aur prakat hone ke baad jaise hi woh REGIS ke bedroom ki taraf badhi toh darwaaze par hi usse andar se awaaz sunayi di jisse sun woh wahin rook bhi gayi aur saath hi hadh se zyada hairan bhi ho gayi....

reason..

jo awaaz uske kaano me padi thi,woh aur kisiki nahi balki RAAZ ki thi..

aur apni baat kehte hue usne REGIS ko teen baar lagatar bijli ke jhatke diye the jinpar REGIS ke mooh se dard bhari karah nikli thi...

khair,apni hairani ko control me kar usne RAAZ ki baat sunane ka faisla kiya...

wahin RAAZ ke dwara punishment aur phir uski baat ko sun...


REGIS-are you out of your mind RAAZ..ye kya kar rahe ho tum...??mat bhulo ki mai tumhara WHIZZDER hun....

MAI-institution me..yahan nahi...aur mai aisa kuch karta nahi,par tune HIDA ke nazdeek jaakar mujhe majboor kar diya yahan aane par...

HIDA se door reh...tere liye acha rahega...


RAAZ ki baat ghussa toh bohot aaya REGIS ko par woh kuch kar paata,usse pehle hi RAAZ ne usse ek power NEUTRALIZER electric rope me baandh diya jiski wajah se uski puri power lock ho gayi aur isiliye...


REGIS-par tumhe mere aur HIDA ke relationship se kya problem hai..???and more importantly, how's that even your business...???

MAI-HIDA aaj jo bhi hai,jis mukaam par hai,meri wajah se hai..uspar sirf mera hakh hai..

REGIS-tum kya bol rahe ho,mujhe kuch samajh me nahi aa raha hai...??aur hakh matlab kya..??do you love her...??

MAI-i lust her..uska jism sirf mere liye hai...only i can play with her...isiliye,keep yourself away from her...

haan,ek baar mai usse acchi tarah bhog lun,dil bharne tak usse use kar lun,phir agar us second hand maal ko rakhna chaaho,toh tum usse rakh sakte ho...


jahan meri baat sun door ke bahar khadi HIDA ka bhi bura haal ho gaya tha par BRAWNY ki hi tarah usne bhi sense ray se mere AURA ko test kiya aur mere sharir se meri authenticity jaan uska shak bhi door ho gaya...

wahin REGIS joki man hi man HIDA ko apna sab kuch maanta tha,uska dimag kharab ho gaya aur isiliye...


REGIS-RAAZ....

AHHHH.......


chillate hue liye mera naam REGIS ne par uske agle hi pal uske body se chipka rope chamka jisse ek behadh tez electric current paas hua aur aisa hote hi ek dardnaak cheekh nikal gayi REGIS ke mooh se aur woh neeche gir kar tadapne laga aur ye dekh..


MAI-isbaar sirf sharir tadpi hai,agar dobara tu HIDA ke kareeb gaya toh teri aatma tak ko challni kar dunga mai,yaad rakhna..

HIDA aur uska jism sirf mera hai... sirf mera...


RAAZ ki baat sun HIDA se aur rooka nahi gaya aur haathon me ek current ray ko paida kar woh room ke andar aayi aur phir mujhe piche se dekh aur meri baaton ko sun ghusse me usne woh ray mujhpar chhod diya par woh rays mujhe lagti,usse pehle hi mai REGIS ko warn kar gayab ho chuka tha...

mujhe gayab hota dekh HIDA turant aage badhi aur REGIS ke paas pahunchi jo is waqt un ropes se lagatar nikalne waale electric powers ki wajah se tadapte hue behosh hone ke kagar par tha..

uski aankhen bojhil ho chuki thi jiska matlab tha ki woh kisi bhi waqt behosh hone waala tha...

ye sab dekh HIDA ne turant apne haath us electric rope ke upar ghuamaye aur uske aisa karte hi woh rope gayab ho gaya...

rope ke gayab hote hi jahan ek taraf REGIS ko us asahaniya pain se relief mil gaya wahin ab tak jo pain iske sharir ne jhel liya tha, uski wajah se ab woh bas behosh hone hi waala tha..

khair,HIDA ne REGIS ke sir ko apni godh me rakh liya aur pyar,dard se mishrit bhaavon ko apne aakhon me liye usse dekhne lagi..

REGIS bhi apni aadhi khuli aur aadhi band ho rahi aankhon se HIDA ko dekhne laga aur..


REGIS-kabhi kaha nahi HIDA..but i love you...aur ye pyar abhi se nahi hai,tab se hai jab tum WEAKLINGS me thi....

par himmat hi nahi hui kabhi tumse apne dil ki baat kehne ki...


REGIS ki baat sun khush toh bohot ho gayi HIDA par situation jisme abhi woh dono the, uski wajah se woh kuch keh nahi paayi aur bas aansu bahati rahi...

wahin HIDA ko khamosh dekh...


REGIS-agar tum mujhse pyar nahi karti toh koi baat nahi HIDA par please,apna partner dhyan se chunana..

aur us RAAZ se door hi rehna..uski niyat tumhare liye achi nahi hai...

ye aakhri baat thi jo REGIS ne kahi thi kyunki iske baad woh behosh ho gaya...

wahin REGIS ki baat ko sun aur phir usse behosh hota dekh HIDA ka rona kaafi badh gaya par phir jab kuch der baad usne khud ko thoda sambhala toh woh neeche jhuki aur usne REGIS ke maathe ko chum liya aur...


HIDA-i love you REGIS...mai,mera sharir aur meri aatma,sab tumhari hai..sirf tumhari...ispar kisi aur ka hakh toh door shadow bhi nahi pad sakta...

aur RAAZ...tumne bohot madad ki hai meri par iska ye matlab nahi ki tum mere pyaar ko hurt karo aur most importantly,mai koi cheez nahi hun jiske jism par hakh samajhte ho tum apna.

mere pyar par haath utha tumne mujhpar kiye ehsaan ki keemat pehle hi wasool li thi par meri asmat par nazar rakh tune apni hade paar kar li....

mai tujhe zinda nahi chhodungi RAAZ..I AM GONNA KILL YOU....






PLACE-ACCHUTA'S ABODE




TUM.......!!!!!!



SLUNDER aur ACCHUTA dono ke hi mooh se ek saath hairani se bhara ye shabd ek saath nikla tha...

reason...

kuch der pehle ACCHUTA ke ELUSORY ne un dono ko bataya tha ki unse milne koi aaya hua hai jiske baad jab woh dono hall me pahunche toh wahan couch par baithe shaksh ko dekhte hi surprise ho gaye woh dono kyunki unka mehman jo is waqt couch par baitha hua tha,woh aur koi nahi VIDEOUS tha...

surprise hone ke saath saath woh dono halke nervous bhi ho gaye the aur woh isiliye kyunki ek toh VIDEOUS pehli baar unke paas khud aaya tha,aur dusri ye ki un dono ko VIDEOUS se bhi wahi vibe aati thi jo RAAZ se aati thi..

bina usse compete kiye hi woh ye jaante the ki VIDEOUS unse kahin aage hai..

khair, ACCHUTA aur SLUNDER ko yun surprised dekh pehle toh VIDEOUS muskuraya aur phir apni jagah par khade hote hue...


VIDEOUS-surprised..!!mai bhi hun... VIDEOUS kabhi bhi khud kisike paas nahi jaata par dekho,aaj mai yahan tumhare paas khud aaya hun...

waise mera yahan aana justified bhi hai...aakhir tum dono RAAZ ke sabse KHAAS jo ho....


KHAAS..is shabd ko bolte waqt ek vyang feel kiya tha ACCHUTA aur SLUNDER ne par us feeling ko dimag se jhatak...


ACCHUTA-puch sakta hun tum yahan kyun aaye ho..!!!???

VIDEOUS-puch toh liya...khair,ek baat batao mujhe ki itni khaas dosti hai tum dono ki RAAZ ke saath par itne waqt me kya jaante ho tum dono uske baare me...!!!

SLUNDER-hume ye maalum hai ki woh hamara dost hai..aur kuch jaanane ki hame zaroorat nahi..

VIDEOUS-kya wakayi.....!!!

ACCHUTA-dekho,agar tum yahan RAAZ ke baare me hume bhadkaane aaye ho toh bhool jaao.. it's never gonna happen...

VIDEOUS-every damn thing that VIDEOUS wants,is bound to happen....

aur waise bhi,sach ka aayna dikhana bhadkana nahi hota...

ACCHUTA-apna aayna apne paas rakho..hume naa RAAZ ke baare me tumse kuch sunana hai aur naa janana hai...

chal SLUNDER...


ye bol wapas room ki taraf mood gaye ACCHUTA aur SLUNDER par woh kuch kadam hi aage badhe the ki tabhi...


VIDEOUS-and what about your parents...???unke baare me bhi nahi janana chaahte tum dono...


badhte kadam wahin rook gaye ACCHUTA aur SLUNDER ke jaise hi unhone VIDEOUS ke mooh se apne parents ke baare me suna aur saath hi woh dono ek jhatke me wapas VIDEOUS ki taraf palte aur..


ACCHUTA-humare parents se tumhe kya lena dena..?? kahin tumne unke saath kuch galat toh nahi kiya..???


aakhri baat bolte waqt ek ghussa dikhne laga tha ACCHUTA aur uske saath khade SLUNDER ke face par bhi...

wahin ACCHUTA ki baat par ek muskaan naach uthi VIDEOUS ke face par aur...


VIDEOUS-sach kahun toh mai chahta toh tha ki tum dono ke parents ki kuch sewa karna par chah kar bhi mai aisa kar nahi sakta..

kyunki sewa zinda logon ki kari jaati hai,mare hue logon ki nahi...


kaan me kisine garm pighla hua loha daal diya ho jaise,aisa feel hua ACCHUTA aur SLUNDER ko VIDEOUS ki baat ko sunkar aur saath hi unka ghussa apni charam par pahunch gaya..

woh dono hi ghusse se VIDEOUS ki taraf badhe aur uske paas pahunch dono ne hi apne hatheli ka mukka bana swing kiya VIDEOUS ke mooh ki taraf par unka waar hawa me hi ghum gaya kyunki VIDEOUS apni jagah se gayab hokar wahan prakat hua jahan kuch seconds pehle ACCHUTA aur SLUNDER khade hue the...

aur iska abhaas ACCHUTA aur SLUNDER ko bhi ho gaya aur isiliye woh dono wapas palte par is baar woh dono aage nahi badhe balki un dono ke hi haath me ek ek chamchamati talwar aa gayi jisse dekh..


VIDEOUS-arre,tum dono mujhpar aise attack kar rahe ho jaise maine tum dono ke mom dad ko maara hai...!!!

ACCHUTA-hamare mom dad ko kuch nahi hua hai...aur hum tujhpar isiliye waar kar rahe hain kyunki tune apni gandi zubaan se hamare mom dad ki mare hue hone ki afwah udaayi...


VIDEOUS-hahahaha......


jahan ACCHUTA ki baat sun zoron se has diya VIDEOUS wahin apni baat keh ACCHUTA aur saath hi SLUNDER bhi ek baar phirse aage badhe aur apne apne hathon me pakdi talwar ko VIDEOUS ke gardan par nishana bana ghuma diya jiske agle hi pal..


TANNNN...

VIDEOUS se naa takrate hue woh dono talwar ek dusre se hi takra gaye...

VIDEOUS is baar gayab nahi hua tha balki usne khudko spirit form me badal liya jis wajah se aisa hua..

wahin apne waar ko khaali jaata dekh aur VIDEOUS ko spirit form me badalta dekh ab ACCHUTA aur SLUNDER ne magic ke through VIDEOUS ko punish karne ki sochi par tabhi...


VIDEOUS-shaant ho jaao aur pehle meri puri baat suno..

sabse pehle ye jaan lo ki maine jo bhi bola hai, woh purnataha sach hai...

par us sach ke saath ek sach aur bhi hai aur woh ye ki tumhare mom dad ki hatya tumahare chahete mitr RAAZ ne ki hai...


VIDEOUS ko uske spirit form me punish karne ke liye SPELL budbudane hi waale the ACCHUTA aur SLUNDER par tabhi jo VIDEOUS ne kaha,usse sun unka dimag hi hil gaya...

kuch palon ke liye jaise blank se ho gaye woh dono...unhe VIDEOUS ki kahi kisi baat par bharosa nahi tha phir bhi ek anjaane dar ne ghar kar liya tha un dono ke man me...

wahin VIDEOUS bhi achi tarah ACCHUTA aur SLUNDER ke man me uth rahe bhavon ko samajh raha tha aur isiliye..


VIDEOUS-mujhe maalum hai ki jo bhi maine kaha hai, uspar yakin nahi hai tum dono par..

par ek batao,apne apne grah ke yuvraaj the tum..itna toh malum hi hoga naa ki jab koi kuch baat kehta hai,toh woh baat sach hai yaa phir jhuth,sabse pehle iski pushti karni aniwaarya hai, uske paschat hi koi nirnay liya jaa sakta hai..

toh jo maine kaha hai,uski jaanch kar lete hain,agar mai galat hua toh mai bhi yahi hun aur tum dono bhi..apna apna zor laga lenge...


apni baat kehte hue hi VIDEOUS ne apna haath aage kar gol ghumaya aur uske aisa karte hi ACCHUTA aur SLUNDER ke theek piche ek WORLD DOOR khul gaya jiska abhaas un dono ko bhi ho gaya tha aur isiliye woh dono bhi piche palte..

aisa karte hi un dono ko apne saamne ek WORLD DOOR dikha jisme un dono ke beech se hote hue VIDEOUS aage badha aur us DOOR ke dusri taraf chala gaya..

aisa kar woh piche palta aur..


VIDEOUS-aajao.. meri baat ki pushti yahin hogi...


jahan apni baat keh VIDEOUS aage badh gaya wahin ek pal tak apni jagah par hi khade rehne ke baad ACCHUTA aur SLUNDER,dono hi us WORLD DOOR ke dusri taraf pahunch gaye aur aisa kar unhe pata chala ki woh is waqt ek jungle ne hain..

kuch seconds chaaron taraf dekh woh dono VIDEOUS ke piche chal diye...


(NOTE:-ye wahi planet aur wahi jungle hai guyz jahan ACCHUTA aur SLUNDER ko WOOGER ne maara tha..)


khair, VIDEOUS ke piche chalte hue un dono ne dekha ki kuch door aage KAALE LABADE me dhaka ek lamba chowda shaksh khada hai aur ussike paas VIDEOUS jaa raha tha..

VIDEOUS ke paas pahunchte hi woh shaksh joki uska DEVOTEE tha,uske aage jhuk gaya..

wahin ACCHUTA aur SLUNDER bhi ab VIDEOUS aur uske DEVOTEE ke paas pahunch chuke the..

aur aisa hote hi VIDEOUS ne ishara kiya apne DEVOTEE ko jiske baad usne ek shishi VIDEOUS ko jiske andar laal par jama hua dravya joki sukha hua khoon tha,de diya...

us sukhe dravya se bhare shishi ko pakad VIDEOUS ACCHUTA aur SLUNDER ki taraf palta aur...


VIDEOUS-is shishi me jo ye sukha hua dravya hai,woh tum dono ke maata pitah ka khoon hai...


VIDEOUS ke is revelation se andar tak jam gaye the ACCHUTA aur SLUNDER...

unhe samajh me hi nahi aa raha tha ki woh kaise react karen....??

wahin apni baat ko aage badhate hue...


VIDEOUS-kya hua tha tumhare mata pitah ke saath,woh is khoon ki madad se pata chal jaayega tum dono ko..


apni baat keh VIDEOUS ne us shishi ke upar haath rakha aur....


VIDEOUS-SATYAM DRISHYAM PRAKATAM

TRUTH SCENE REVEAL


VIDEOUS ke SPELL uccharit karte hi uske haathon se ek ray nikal us shishi ke andar rakhe khoon par padi aur jab aisa hua toh....

ua shishi me kampan hona shuru ho gaya jiske baad woh shishi VIDEOUS ke haathon se nikal thodi door jaakar hawa me sthir ho gayi....

shishi ke sthir hote hi uske andar chipka hua sa woh sukha khoon kisi saanp ki tarah upar ki tarah utha aur shishi ke bahar nikal gaya..

shishi se bahar nikalte hi un khoon ki bundo ne expansion hone laga aur dekhte hi dekhte...


BOOMMMMM.....

ek dhamaka sa hua us expand hue khoon ke theek beech me jisse woh khoon jhitakte hue neeche zamin par gir gaya aur jab aisa hua toh...

ACCHUTA aur SLUNDER ke saamne ussi din ka wahi drishya dikhne laga jis din un dono ke hi mom dad yahan is jagah par shikar ke liye aaye the...

dekhte hi dekhte woh scene bhi aaya jab un sabke saamne WOOGER prakat hua aur phir usne un sabko maarne ki baat kahi..

ye drishya dekh aur WOOGER ki baatein sun ACCHUTA aur SLUNDER ke aankhon se ashru pravah tez ho chuke the aur tabhi..


VIDEOUS-jaante ho ye jaanwar jo tum dono ke mom dad ko khudko maarne ke liye keh raha hai,woh kaun hai...

us jaanwar ka naam hai WOOGER joki tumhare priya mitr RAAZ ka ansh hai aur ussike kehne par woh ye sab kar raha hai...


ACCHUTA aur SLUNDER ke dimag me toh drishya ko dekh aur VIDEOUS ki baaton ko sun dhamake par dhamake ho rahe the..

unhe samajh me nahi aa raha tha ki woh kaise react karen...??

aur is dauran woh waqt bhi aaya jab un dono ke parents ne khudko shoot kar liya aur aisa hote dekh...


MAAAAA.PITAAJI.......


ye cheekhte hue ACCHUTA aur SLUNDER turant us drishyam ke beech apne mom dad ki taraf bhaage par unke paas pahunch jab un dono ne unhe gale lagane ki koshish ki toh unke haath aar paar ho gaye...

ab bhala ek drishyam ki chavi ko woh kaise sparsh kar sakte the..???

apne haathon ko hawa me ghumta dekh woh dono wahin apne mom dad ke dikh rahe drishya ke paas neeche baith gaye aur zoron se rone lage..

wahin peeche khade VIDEOUS ka kaam ho chuka tha...aur ab uska yahan rookne ka koi matlab tha mahi aur isiliye...


VIDEOUS-jo drishya dekha hai abhi tum dono ne,woh purnataha sach hai....

agar ab bhi doubt hai toh apne priya SOVEREIGN'S se puch lena...aur aakhir me apne us dost se bhi jisne dosti ki aad me tumse tumahari sabse badi khushi cheen li...

par filhal jab rona band ho jaaye toh piche WORLD DOOR khula chhoda hai...chale jaana...


ye bol VIDEOUS apne DEVOTEE ke saath gayab ho gaya....

wahin uske jaane ke baad kaafi der tak rote rahe ACCHUTA aur SLUNDER par phir dheere dheere unka rona subakne me badla aur aur phir shaant ho gaye..

sirf upar se shaant hue the dono,par andar toh bhuchaal macha hua tha dono ke...

aankhon ne dard aur angaare, dono hi naach rahe the is waqt ACCHUTA aur SLUNDER ke aur issi bhaav ke saath dekha un dono ne ek dusre ki taraf aur...


SLUNDER-hume SOVEREIGN'S se baat karni padegi...

ACCHUTA-aur agar VIDEOUS ki baat sach nikli toh....

ACCHUTA/SLUNDER-mai tujhe zinda nahi chhodunga RAAZ...I AM GONNA KILL YOU....





PLACE-VIDEOUS ABODE...



KAAM HO GAYA LORD...

VIDEOUS-hmm..


VIDEOUS ke saamne khade do RAAZ ne ek saath ye baat kahi jispar VIDEOUS ne bas apni gardan hilate hue hmm kaha tha.....

jab VIDEOUS ACCHUTA aur SLUNDER ke paas se wapas apne ABODE pahuncha tab in do RAAZ ko apne saamne paaya...

wahin apni baat kehne ke baad un dono ka swaroop badalne laga aur dekhte hi dekhte woh dono apne asli DEVOTEE ke roop me aa gaye the..

aisa hote hi un dono ke sharir se do rays nikal VIDEOUS ke paas chali gayi...

ye rays asal me RAAZ ke woh AURA the jisse VIDEOUS ne kayi baar jo unki bhindat hui thi,usse haasil kiye the aur aaj issi AURA ki madad se BRAWNY aur HIDA RAAZ ke nakli hone ki baat ko nahi pehchaan paaye the...

khair, VIDEOUS ki haami ke baad...


1ST DEVOTEE-kuch puchne ki ijazat chahta hun LORD....???

VIDEOUS-ye pura khel hi jis anjaam par tika hai,woh anjaam kisi aur ke hawale kyun kiya hai maine...???

RAAZ ko khatm kar dono FATHER'S ko harana,yahi toh maksad hai mera,phir is maksad ki dor BRAWNY, HIDA,ACCHUTA aur SLUNDER ko kyun pakda di maine,yahi janana chahate ho naa tum...!!!!

IST DEVOTEE-yes LORD....

VIDEOUS-do logon ke beech kisi bhi pratispardha me bhale naam sirf un dono khiladiyon ka hi hota hai,par us khel ko roop dene ka kaam un dono hi khiladiyon ke kheme me moujud logon ka bhi hota hai...

mere kheme me tum log ho jinhe maine niyukt kiya hai par RAAZ ke kheme ke logon ko khud mere FATHERS ne aur GOD ne niyukt kiya hai..

toh aise me agar wahi log jo RAAZ ki madad ke liye hain,wahi usse nuksaan pahuncha de,toh isse sharmsaar baat mere FATHERS aur GOD ke liye kya hogi....!!!

haan,RAAZ ko aur uske saath MAHI ko unke anth tak mai hi pahunchaunga par usse pehle uske saathi uski haalat kharab karenge..

unka har waar jab RAAZ ke sharir par padega toh dard mere FATHERS bhi mehsoos karenge...

VIDEOUS ke peeth piche ye jo master planning ki thi unhone,usse backfire hote dekhna hai unhe...

2ND DEVOTEE-par LORD,kya woh sab milkar bhi RAAZ ko haani pahunchane ke kaabil hain...???

VIDEOUS-normal situation me bilkul bhi nahi... par jo ab hone waala hai,woh RAAZ ke liye kahin se bhi normal nahi hai....

sharirik aur magical ability,dono me hi RAAZ bina apne aloukik shaktiyon ke bhi kaafi shaktishaali hai par sharirik aur jaaduyi shakti se bhi upar ek aur shakti hoti hai...

maansik shakti....

maansik shakti woh shakti hai jo baaki har ability ko shakti pradaan karti hai..agar kisime maansik theraav hai,toh uski har yogyata nikharti hai par agar kisika maansik santulan hil jaaye,uspar aghaath pahunche toh phir uski koi shakti uske kaam ki nahi hoti....

aur aisa hi kuch RAAZ ke saath hone waala hai...

isiliye us waqt uske dost uspar bhaari padenge...

woh waqt aa gaya hai jab RAAZ ko khudke hi sabse bade RAAZ ke baare me pata chalega aur jab aisa hoga toh woh apni sudh budh kho baithega...

us waqt pehle uske woh chune hue saathi uski haalat kharab karenge aur phir mai usse khatm kar uski vyatha ko bhi uske saath samapt kar dunga...

RAAZ,RAAZ,RAAZ.........



waqt ka kaanta,beech mazdaar me JHULNE WAALA HAI....

jo kuch bhi yaad hai tujhe,woh sab kuch tu BHULNE WAALA HAI....

jaane kayi rahasya hai tune par ab....

RAAZ,tere khudka sabse bada RAAZ ab KHULNE WAALA HAI.....














AAJ KE LIYE ITNA HI......















AAPKA APNA V...J.....
Nice update bro
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,267
38,658
258
AB TAK AAPNE PADHA KI VIDEOUS APNE DEVOTEES KE SAATH MILKAR ACCHUTA, SLUNDER,HIDA AUR BRAWNY KO RAAZ KE KHILAAF KAR DETA HAI JISKI WAJAH SE WOH CHAARON HI RAAZ KO MAARNE KA FAISLA KARTE HAIN.

AB AAGE:-



CHAPTER-2


( UNEARTH THE IMMORTALS)



MEGA UPDATE-119



PLACE-HEAVEN



RAAZ AUR MAHI,DONO KA WAQT AA CHUKA HAI....

RAAZ AISI HAALAT ME NAHI RAHEGA KI APNA VIVEK SAMBHAL SAKE, ISILIYE AAGE KYA KARNA HAI,YE TUMPAR HAI..

AUR TUM ACHI TARAH SE JAANTI HO KI TUMHE KYA KARNA HAI....


LORD OF ANGELS ke aage jhuki hui thi is waqt griffin jisse kahi usne ye baat jispar..


GRIFFIN-agar LORD ki ijazat ho toh kya mai ek sawal puch sakti hun...???

VIKRAM-pucho....!!!??

GRIFFIN-kya is baat ki sambhavana nahi hai ki VIDEOUS ke waar se RAAZ aur MAHI ka hi anth ho jaaye...!!!

VIKRAM-bilkul hai...asal me aisa hone ki sambhavna zyada hai...

par is khel ko iske sabse ehem aur antim charan tak agar pahunchana
hai toh ye jokhim uthana hi padega...

agar RAAZ aur MAHI bach gaye toh ye kahani chalti rahegi par agar khatm ho gaye toh ye kahani aur hamara varchasva,dono hi saath me khatm honge...


bohot badi baat keh di thi VIKRAM ne,par GRIFFIN dekh rahi thi ki itni badi baat bolte waqt bhi VIKRAM ke face par halki si bhi shikan nahi thi..

naa koi doubt,naa pareshani...bilkul shaant aur chamakta hua chehra jiske piche aashiyana banaye hue tha bramhaand ka har RAAZ....





PLACE-UNKNOWN






YE KAISI JAGAH HAI,AUR MAI YAHAN KAISE PAHUNCH GAYA....!!!!


halki dhundh se ghiri jagah ko chaaron taraf nazaren ghuma kar dekhte hue kahi thi ye baat maine...

ek behadh khaali jagah jahan door door tak chaaye dhundh ko chhod naa toh kuch nazar aa raha tha,aur naahi kisi bhi chiz ki awaaz sunayi de rahi thi,wahan khada tha mai..

kaafi der tak is nayi aur ajeebogarib situation ko samajhne ki koshish karta raha mai par phir jab kuch bhi samajh me nahi aaya toh maine aage badhne ki sochi aur apne kadam saamne ki taraf badha diye....

par tabhi....

kadam aage badhate hi mere dil me ek ajeeb si harkat hui jiske agle hi pal mere dimag me ek disha ki taraf badhne ki baat uth gayi aur mere kadam apne aap hi dimag dwara bataye us raaste ki taraf badh gaye...

jaise jaise mere kadam aage badh rahe the,waise waise mujhe aisa lag raha tha jaise mai apne anjaane manzil ke kareeb pahunch raha hun aur phir achanak se mere pair rook gaye...

reason.....

dhundh ke beech mujhse kuch door ek round sa gate dikh raha tha jaise koi bada sa safe..

ek pal us safe jaise gate ko dekh mai uski taraf badh gaya aur thik uske aage pahunch khada ho gaya..

us safe numa gate me koi handle yaa koi opening substance nahi tha isiliye usse kholne ke iraade se maine apna haath aage badhaya aur us gate ko push karne ke liye usse touch kiya aur mere aisa karte hi mujhe laga ek jhatka..

ye jhatka bhi mujhe mere heart se hi laga tha...woh haath jisse mai us gate numa safe ko push karne waala tha,usse apne heart ke upar jahan is waqt jhunjhuni si ho rahi thi,wahan dekhte hue halka rub kiya maine aur phir jab meri nazar wapas saamne us round gate ki taraf gayi toh man hi man mai chownka...

reason....

us round gate ke jiss hisse ko touch kiya tha maine,wahan kuch akshar ubhar aaye the jo the....


"THE PAN-OUT VAULT"


ab ye kya nayi bala hai,ye toh nahi jaanta tha mai,par ye jo bhi hai,mere safar ka hissa hai,iska andaza tha mujhe aur isiliye taaki ye vault khul jaaye,yaa phir ye kahun toot jaaye aur mai iske andar jaa sakun,maine apne moothi bhinche aur apne AMPLIFICATION taakat ke pure zor ko apne moothi me laate hue ek zor ka punch maara maine us vault ko par, result kuch bhi nahi nikla...

tootna toh door ki baat hai,woh vault aur uska woh hissa jisme punch maara tha maine,woh shake tak nahi hua aur ye dekh maine apne emotions ki shakti se punch karne ki sochi..

aur jaise hi apne emotions ki shakti ke ek bade bhaag ko apne moothi me laate hue maine us vault ko punch maara toh...

AHHHH.....

ek tez jhatka laga mujhe aur meri neend toot gayi....

mai jhat se apne bed par uth kar baith gaya aur lambi lambi saansein lene laga..

aur kuch der baad jab mai halka sa normal hua toh ek saath do chizen ghumi mere dimag me..

pehli...

jo bhi maine dekha,woh ek sapna tha..

dusri...

bhale hi mere dekha drishya sapna tha,par jo bhi maine dekha tha,woh bilkul sach tha aur iska suboot tha mera heart jahan mujhe lage jhatke ki wajah se abhi bhi sensetion ho rahi thi..

aur is dusre sach ki jaan mere jabde bheench gaye aur woh isiliye kyunki meri kaam ki chiz jo dekhi thi maine aur bina us cheez ke RAAZ ko jaane khwab toot gaya tha mera...

maine ek baar phirse us jagah par jaane ki sochi... bhale bhi jo bhi maine dekha tha woh ek sapna tha,par us jagah ki chavi abhi mere dimag me puri clear thi jiske zariye mai us jagah par dobara jaa sakta tha aur isiliye apni aankh band kar maine us jagah ka dhyan lagana shuru kiya par tabhi...


ROOK JAAO RAAZ, TUM US VAULT KE ANDAR AKELE NAHI JAA SAKTE,AUR NAAHI ABHI WAHAN JAANE KA WAQT AAYA HAI....

UTHO, INSTITUTION JI TARAF JAO,AAJ BOHOT BADA DIN HAI TUMHARE LIYE...


ek awaaz gunj uthi mere HEART se jisse sun naa sirf aankhen khul gayi meri par saath hi badi bhi ho gayi...

MAI-ab ye kaisi maya hai...???

ye awaazein suni hui hain meri par halki kam khanak ke saath...

kuch toh hai jo saamne hai par dikh nahi raha..parde ke piche bhi parda hai aur parde ke aage bhi....

kaafi der tak alag alag ganit lagane ke baad mai bed se uth gaya aur fresh hone bathroom ki taraf nikal pada bina is taraf dhyan diye ki us AWAAZ ko sun naa sirf mere HEART me ho rahi sensetion turant gayab ho gayi thi,balki aisa pehli baar hua tha ki maine sirf ek AWAAZ ko sun uski kahi baat bina kisi hil hujut ke maan bhi li thi...

ek aur chiz bhi hui thi us awaaz ko sun mere andar jispar filhal toh dhyan nahi gaya tha mera par bohot jald jaane waala tha....



(NOTE:-ACCHUTA, SLUNDER KO VIDEOUS KE THROUGH APNE MOM DAD KE BAARE ME PATA CHALNA,HIDA AUR BRAWNY KE SAATH JO HUA,ABHI RAAZ KO AAYA SAPNA,YE SAB EK HI WAQT ME GHATNE WAALI GHATNA HAI..)






PLACE-CHOSENS





SHAKTISHAALI LOGON PAR WAAR AKSAR US WAQT AUR UN LOGON KE DWARA HOTA HAI JISKI UMMID BILKUL BHI NAHI HOTI....


institution ke garden me ek khaali bench par baithi MAHI ke man me SOVES SHAILA ki kahi bas ek yahi baat lagatar gunj rahi thi..

aur ye sirf abhi ka haal nahi tha.. balki us din THE GREAT HALL me injured hokar behosh hone ke baad jab MAHI ko healing room me hosh aaya toh....





A SMALL FLASHBACK:-




SHAILA-how can a girl with your caliber can act so stupid MAHI..!!!


ek jhidkan si di SHAILA ne MAHI ko jisse sun pehle toh MAHI ka sir neeche ho gaya aur phir....


MAHI-woh actually SOVES...woh challenge ke waqt RAAZ ki taraf...

SHAILA-invisible weapons aa rahe the aur tum lage laga ki woh weapons RAAZ ko hit kar denge...

common MAHI...you say you love RAAZ..aur uski potential ka zara bhi andaza nahi hai tumhe...!!!!

tumhe sach me lagta hai ki aise normal waaron se,attack se RAAZ ko khatra ho sakta hai aur woh bhi life ka...

MAHI,protective hona galat nahi hai par over react karna kahi se bhi sahi nahi hai..you will endup being embarrassed infront of everyone and most importantly RAAZ...


MAHI ki baat ko beech me kaaththe hue kahi apni baat SHAILA ne jispar ek pal khaamosh rehne ke baad....


MAHI-toh mai kya karun WHIZZ...???sach jaankar bhi mai yunhi haath par haath rakh baithe toh nahi reh sakti naa...!!!

SHAILA-iske awala koi chara bhi nahi hai tumhare paas...

MAHI-please SOVES..aap toh itne powerful hain...aapko baaton se pata chalta hai ki RAAZ ke us RAAZ ke baare me aap pehle se jaanti thi...

kya aap RAAZ ki madad nahi kar sakti...!!???

SHAILA-kahani sirf utni hi nahi hoti MAHI jitni nazaron ke saamne dikhti hai...asli kahani woh hoti hai jo parde ke piche chalti hai...

RAAZ ki kahani bhi aisi hi hai..jo dikh raha hai,usse kahin zyada gehri aur chuppi hui...

us kahani me mai kuch nahi kar sakti...


SHAILA ki baat sun chehra bilkul murjha sa gaya MAHI ka...us dil me har pal badh raha dard bhi saaf dikhne laga tha uske face par jisse SHAILA bhi achi tarah samajh rahi thi aur isiliye....


SHAILA-ek choti si help kar sakti hun mai tumhari...meri ek baat ko dhyan se suno,isse RAAZ ko tum bacha sakogi yaa nahi,ye toh certain kiya nahi jaa sakta par haan,jab bhi RAAZ wakayi khatre me hoga,toh us khatre me uske saath khadi zaroor reh paogi tum...


MAHI-itna hi kaafi hai WHIZZ....


MAHI ke murjhaye chehre par SHAILA ki baat sun achanak hi ummid se bhari khushi dikhne lagi thi jisse dekh....


SHAILA-SHAKTISHAALI LOGON PAR WAAR AKSAR US WAQT AUR UN LOGON KE DWARA HOTA HAI JISKI UMMID BILKUL BHI NAHI HOTI....





FLASHBACK ENDS:-




MAHI-aisa kaun hoga jisse RAAZ ko khudpar waar karne ki ummid bilkul nahi hogi.....

HEY GUYZZ,WHATS UP...????


abhi MAHI apne sochon me goom hi thi ki tabhi uske kaano me ye awaaz padi jisse sun jab usne us aayi awaaz ki disha me dekha jahan is waqt do girl WICKED SAVENTS khade the jinhe abhi abhi MORANA ne join kiya tha aur ussine woh baat kahi thi..

jahan MORANA aur uske friends aapsi baaton me busy ho gaye wahin ek baar MORANA ko dekh MAHI wapas apni soch me goom hone ko hui par tabhi MORANA ki ek friend ke mooh se kuch sun MAHI ka dhyan wapas unki taraf divert ho gaya....


WICKED 1-yaar MORANA,ek baat toh bata...tu us RAAZ ke liye serious hai kya...????

WICKED 2-waise banda hai toh serious hone laayak yaar..

MORANA,yaar no offense but mujhe toh usse dekhte hi kayi baar orgasm ho chuka hai...


us WICKED bandi ki baat sun jahan uski friend has padi wahin MORANA ne bas smile kiya aur....

MORANA-usme offense kya yaar..???natural feeling hai,aa gayi toh aa gayi...


MORANA ki baat sun uske dono friends toh has diye par unki baat sun MAHI ka para chadh gaya tha...

beete dino me MAHI ne kayi baar MORANA aur RAAZ ko saath me dekha tha aur us waqt kuch aise moments bhi aaye jab MORANA ka RAAZ ko lekar concern dekh MAHI ko laga ki woh wakayi RAAZ ke liye serious hai...

par abhi MORANA ke friends ki baat sun aur us baat par MORANA ka reaction dekh uska dimag ghum gaya..

saath hi MORANA ne pyar waale sawal ko bhi dodge kar diya tha..

ab ye maana jaata hai ki kuch baatein ladkiyan jo apne b.f se bhi nahi bol paati,woh secrets unke friends ke beech open kar deti hain par MORANA ne puchne par bhi aisa nahi kiya aur isiliye SHAILA ne jo baat kahi thi,uska ek sira ab MAHI ki MORANA ki taraf jaate dikha aur isiliye woh turant uthi aur uski taraf chal padi aur uske paas pahunch..


MAHI-MORANA...


apne peeche se aayi awaaz ko sun MORANA palti aur apne saamne MAHI ko dekh usse ignore kar woh wapas palatne ko hui par tabhi..


MAHI-tumne apni friend ko jawab nahi diya MORANA...do you really love RAAZ....???

MORANA-and why do you care ki mai RAAZ se pyar karti hun yaa nahi...????

MAHI-just answer the bloody question MORANA...

MORANA-and you just mind your fucking business MAHI....

mai RAAZ se pyar karun yaa usse dhoka dun, isse tumhe koi lena dena nahi hona chahiye..


DHOKA....jaise hi ye shabd nikla MORANA ke mooh se toh MAHI ka dimag jhanjhana utha aur uski puri body ghusse se kaampne lagi..

issi mode par tezi se aage badhi MAHI..is waqt uske dimag aur puri body uske control me nahi thi..

ek strong AURA nikal raha tha uske saare sharir se jisse uske paas aate hi MORANA ne bhi feel kar liya aur woh tezi se piche moodi par tab tak naa sirf MAHI uske behadh kareeb pahunch gayi thi balki uska ek haath jisme is waqt hadh se zyada urja ka prabhav beh raha tha,woh bhi MORANA ke gale se bas ek inch door tak pahunch gaya tha...

MORANA ne feel kar liya tha ki MAHI ke body aur uske haath se joki usse chhune hi waala tha, uske touch hote hi uski haalat kharab hone waali hai aur aisa ho bhi jaata ki tabhi...


AHHHH.....DHAAPP...

ye dard bhari karah MORANA ke nahi balki MAHI ke mooh se nikli..

reason....

MAHI ka haath MORANA ke gale ko touch hota ki tabhi bilji se tez speed ikhtiyaar karte hue ek dusra haath aage badha aur MAHI ke badhte hue haath ko pakad peeche kheenchte hue usse dhakel diya jisse MAHI piche ki taraf jaakar giri...

neeche girte hi woh turant wapas uthi aur ghusse se saamne ki taraf palti par aisa hote hi uska ghussa bilkul shaant ho gaya...

reason...

saamne mai jo khada tha...maine hi usse piche dhakela tha...

khair, jaise hi MAHI wapas khadi hui aur mujhe dekha toh...


MAI-MAHI..jo advice MORANA ne di,uspar dhyan do aur amal karo..

just mind your own fucking business.....

MAHI-but RAAZ ye...

MAI-enough MAHI....just go away....


MAHI ki baat kaat apni baat kahi maine jisse uski aankhon me dard aur hatasha,saath me dikhne lagi aur apne kandhe jhukate hue woh piche palti aur ek disha ki taraf badh gayi....

wahin is beech jabse maine MAHI ke haathon ko pakadkar kheecha tha,tabse subah us anjaani awaaz ko sun jo feeling mere man me jaagi thi,us feeling ne ek nayi urja ka roop le liya tha aur is waqt woh urja mere andar do alag alag hisso me yaa phir ye kahun ki do AMPLIFICATION modes me jaakar rook gayi thi....

ek mode tha mera HEART aur dusra mode tha mera SOUL...aur aisa hote hi mere ye dono modes me ek whiteness joki purity ka chinh thi,failne lagi thi...

par ye change temporary tha jo mai jaan chuka tha par mere liye itna hi kaafi bhi tha aur faaydemand bhi...

reason...


"shabdon ka spashtikaran DIL aur AATMA ki SHAKTI se hi hoga"....

UNEARTH THE IMMORTALS ki book ke dusre bhaag jisme mere baare me ENOCHIAN code language me likha hua tha,usse samajhne ke liye yahi sharth thi..

aur us sharth ko pura karne ke liye mujhe apne HEART aur SOUL ka pure AURA un aksharon par daalna tha aur jo temporary change abhi mere andar aaya tha, usse aisa ho sakta tha par waqt kam tha aur isiliye..


MAI-kaam hai mujhe....gotta go....


MORANA ko dekh ye baat kahi maine jiske agle hi pal mai gayab ho chuka tha....

wahin wapas mood MAHI jo aage badhi toh garden ke dusre hisse me ek ped ke neeche pahunchkar rook gayi...

meri baaton se dukhi toh thi MAHI par saath hi mere liye uski fikr kam bilkul nahi hui thi...

woh aage kya kare,ye soch hi rahi thi ki tabhi...


KAISI HO MAHI....!!!???


is jaani pechaani awaaz ko sun MAHI ka jhuka hua sir ek jhatke me uth gaya aur aisa karte hi uske saamne jo khadi thi,usse dekh itne waqt ke baad MAHI ka dil khush ho gaya...


MAHI- GRIFFIN.....


ye bol MAHI turant aage badhi aur GRIFFIN ke lambe gale me apni baahein daalne ko hui par aisa karte waqt uske haath aar paar ho gaye...

GRIFFIN spirit mode me yahan aayi thi jispar aakhon me sawal liye jab dekha MAHI ne GRIFFIN ko toh..


GRIFFIN-mai solid form me yahan nahi aa sakti thi MAHI...is jagah par aise bohot se negetive energies hain jo mere solid form ko sense kar sakte hain aur unka aisa karna naa toh mere liye acha hoga aur naahi tumhare liye....

MAHI-khatra aur mujhe..!!!par maine kisika kya bigada hai jo mujhpar yahan khatra hoga..

aur tum toh yahan first time aa rahi ho....!!!fir tumhari kisise kya dushmani bhala..???

GRIFFIN-kuch logon ka astitva matra hi dusro ke liye khatra hota hai MAHI..

khair,abhi detailing ka waqt nahi hai par bohot jald meri kahi baaton ke RAAZ se parda hat jaayega..


RAAZ...ek yahi toh shabd tha,naam tha jisse MAHI sirf sunti nahi thi,balki feel karti thi..

aur abhi bhi wahi hua... GRIFFIN ki baaton me jaise hi RAAZ shabd aaya,toh GRIFFIN ko apne saamne dekh jo ab tak khush dikh rahi thi MAHI,wahin ab uske sundar chehre par udaasi ke kaali ghata ek baar phir se chaane lagi jisse dekh...


GRIFFIN-kya baat hai..???maine RAAZ kaha,aur tum udaas ho gayi...

kya ye naam itna impact karta hai tumpar...!!!!

MAHI-asal sawal hai kyun...???kyun ye shabd RAAZ itna impact karta hai mujhpar..???

jis shaksh ka ye naam hai,usse toh parwah hi nahi meri...parwah toh door ki baat hai,usse toh mere existence se hi jaise koi matlab nahi hai..

har baar insult karta hai meri..aur mai phir bhi pata nahi kyun,uski taraf kheenchi chali jaati hun...!!!

uski har problem apni lagti hai mujhe...pata hai GRIFFIN,uspar jaan ka khatra hai aur ye baat ussike through pata chali hai mujhe,aur jabse woh baat pata chali hai,tabse aisa lagta hai jaise uski nahi,balki meri jaan khatre me hain...

pata nahi koi baat jo usse judi ho, itna asar kyun karta hai mujhpar..!!!

sabse ajeeb bast ye hai ki woh hamare PHASE ka sabse strong SAVENT hai.. har cheez me number one...

khatarnaak se khatarnaak hamle sense kar leta hai..

hard se hard attack bhi araam se dodge kar leta hai..

aise me bhi jab usse lagta hai ki woh nahi bachega toh phir mai usse kaise bacha sakti hun...!!!

GRIFFIN-woh isiliye MAHI kyunki tumne pehle bhi RAAZ ki jaan bachayi hai...infact agar aaj RAAZ zinda hai toh usme sabse bada haath tumhara hai....


ab ye ek naya revelation hua tha MAHI ke saamne jisse sun uske hairani ki seema nahi rahi...


MAHI-meri wajah se RAAZ zinda hai..???ye kya bol rahi ho tum....???

GRIFFIN-bohot si baatein hai jo filhal parde me hai MAHI...par jaisa ki maine bataya ki bohot jald woh chuppe RAAZ tumhare saame unfold honge...

filhal ke liye ye samajh lo ki RAAZ agar aaj tak zinda hai toh uski kaaran tum ho...

MAHI-toh kya jis mout ke baare me RAAZ jaanta hai,usse bhi mai rok sakti hun...!!!

GRIFFIN-rok toh nahi sakti par haan,taal zaroor sakti ho...aur isiliye hi mai yahan aayi hun...

MAHI-mai samjhi nahi...???

GRIFFIN-aaj RAAZ ke upar mout ka saaya mandra raha hai MAHI jisse bachna uske liye next to impossible hai...


GRIFFIN ki baat sun MAHI ka dimag hi ghum gaya..ek pal me hi uske chehre ke aage RAAZ ka chehra aa chuka tha jisse mehsoos kar uska haal behaal ho gaya tha...

wahin apni baat ko aage badhate hue...


GRIFFIN-par tum RAAZ ke taraf badhti mout ko kamsekam aaj ke liye toh taal hi sakti ho..sirf tum....

MAHI-RAAZ ko bachane ke liye mai kuch bhi karungi....please batao mujhe,kya hone waala hai aaj,aur mujhe kya karna hoga...!!!???

GRIFFIN-kya hone waala hai,ye toh tumhe us chiz ke hote waqt hi pata chalega...

isiliye aaj tumhe har pal RAAZ par nazar rakhni hai..par haan,saamne se nahi,door se..

kyunki tumhe bhi pata hai ki agar RAAZ ne tumhe apne aas paas dekha toh woh wahan se gayab ho jaayega...

STAVAH SPELL ke istamal se tum ye badi asaani se kar sakti ho...

par let me warn you MAHI,RAAZ ko bachana asaan nahi hoga...

aisa bhi ho sakta hai,infact chances is baat ke zyada hain ki RAAZ ko bachane ke chakkar me uske saath tumhari bhi jaan chali jaaye...


GRIFFIN ki baat par yaa phir ye kahun ki uski warning ko sun ek smile aa gayi MAHI ke face par aur....


MAHI-"ishq pe MAREN,ya ishq me MAREN...

ishq agar saath hai,toh bhala hum kyun DAREN...!!!





PLACE-RAAZ ABODE






PUSTAK PRAKATAM....



mere is SPELL ko uccharit karte hi mere book shelf ke ek khaali jagah par roshni hui jiske agle hi pal woh UNEARTH THE IMMORTALS book us roshni ke beech prakat hui....

is book ko is tarah hi chhupaya tha maine jo ab mere saamne prakat ho chuki thi...

book ko pakad usse khola maine aur woh bhaag jisme mere baare me likha hua tha,us jagah ko open kar us page jahan ENOCHIAN code likha hua tha,uske upar apna haath rakha maine aur...



HRIDAYAM AATMAM AURAVA SAMEVASHE.....

HEART SOUL AURA MIX ENERGY....



aankh band kar apne HEART aur SOUL ke AURA ko joki MAHI ke touch se naa sirf hilne lagi thi,par saath hi in dono hi AURA'S me ek purity aa chuki thi, SPELL bola maine..

khair,apni aankhen band kar jaise hi maine SPELL ko uccharit kiya toh mere andar se mere HEART aur SOUL ke pure AURA'S tezi se mere hatheli ki taraf aaye jiske agle hi pal meri hatheli aur book ke beech ek tez roshni chamki aur jab aisa hua toh mere hatheli me ek jhatka laga jiski wajah se maine apna haath wapas kheench liya..

wahin roshni joki mere HEART aur SOUL ki AURA thi,uske prabhav se woh ENOCHIAN language me likhe code hilne lage aur dekhte hi dekhte us page ki puri banawat badal gayi....

jahan kuch der pehle tak ENOCHIAN language me code bhare pade the,wahin ab us pure page me chamakte hue kewal do words likhe hue the..


TOUCH ME....


yahi likha hua tha us page me jisse padh maine apna haath us likhawat ke upar rakh diya aur mere aisa karte hi...

mere chaaron taraf ek tez roshni faile gayi jiski wajah se meri aakhen band ho gayi...

par kuch der baad jab maine apni aankhen kholi toh hairan reh gaya..

reason...

is waqt mai ek ajeeb se jagah par tha aur tez raftaar se aage badh raha tha..

par sabse shocking baat ye thi ki mai is waqt human form me nahi balki ek dot ki shape liye hue tha...

aur mere aaju baaju anginat white dots the jo mere saath tezi se aage badh rahe the..

par dheere dheere un anginat dots ki raftar aur shayad unki life khatm hone lagi thi....

kuch hi waqt me mere aas paas bas kuch ho dota bache the par dheere dheere in sabki bhi raftar aur life khatm ho gayi....

ab sirf mai tezi se aage badh raha tha aur phir kuch der baad mujhe laal colour ki sperical chiz dikhi jisse mai takra gaya...

mera khud par filhal koi control nahi tha..

mai bas dekh paa raha tha ki us sperical chiz se takrane ke baad meri movement rooki zaroor par puri tarah nahi..

mai joki abhi ek dot ki tarah tha,usne us sperical chiz ko push kiya jiska natija ye nikla hi us sperical cheez se hote hue mai uske dusri taraf pahunch gaya jahan sirf laal hi laal dikh raha tha..

us laal jagah par aakar mai float karne laga tha...

meri samajh me toh kuch aa nahi raha tha par maine sab waqt par chhodna hi behtar samjha..

aur tabhi....

mujhe aisa laga jaise mai us ande ke andurni satah ke saath milkar ek ho raha hun...

abhi ye attachment hue kuch hi der hua tha ki tabhi mujhe laga jhatka..

reason....

maine khudme ek badlwaav feel kiya tha..achanak se hi mere aankh,kaan naak,mooh pair,aur ungliyan banane lagi thi...

abhi ye ho hi raha tha ki tabhi mujhe apni heart beat sunayi di aur saath hi mujhe aisa laga jaise mere naye naye fefde ban rahe hain jiski wajah se mai saans lene laga tha...

aur phir hui ek nayi cheez...ek aisi cheez jiski wajah se mujhe saara ganit clear hone laga..

aur woh nayi cheez thi mere brain ke banana aur jab aisa hua toh mere sochne samajhne ki shakti jaise achanak se hi wapas aa gayi aur aisa hote hi jo abhi tak ho raha tha,woh process meri samajh me bhi aa gaya aur mere naye bane dimag me us process ka naam bhi gunj utha..


FERTILIZATION....


mai is waqt kisike GARBH me tha aur sperm se bache banane ki vidhi mere saath ghat rahi thi jisse mai feel kar raha tha...

yahan ye baat mere dimag me clear hui aur wahan mera us garbh me ek purn bacche ke banane ka process chaalu tha...

mera sharir pura banane laga tha,aur phir meri swaans ki nali aur baaki organs bhi banane lage the...

chehra,kidney aur brain mera pura viksit ho chuka tha...

aur phir aaya woh waqt jab mera sir janm lene waali nali ki taraf ghum gaya..

aisa hone par mai samajh gaya ki janm ka waqt ho chuka hai par tabhi...

ek ejeeb chiz hui...

us kokh ke andar jahan mai tha,ek tez roshni faili jiske baad mai wahan se gayab hone laga..

aur thik ussi waqt jahan mai tha,wahan us kokh me meri hi jagah ek dusra baccha prakat hua par woh baccha mara hua tha...

wahin mai us garbh se gayab hokar jab bahar aaya toh mera sharir ek urja me badal gaya aur jiske baad us urja ke bhi chaar hisse ho gaye aur woh chaar hisse chaar alag alag PLANETS me jaakar rook gaye..

ye planets wahi the jahan se mai purn hua tha...

RENAISS,ANGIS,ANNJAYA aur ZEAL...

in short...RAAZ.....

aur jaise hi ye hua toh us UNEARTH THE IMMORTALS BOOK me ek baar phirse roshni hui jiske baad mai usse nikal kar bahar aa gaya...

par ab mai pure pasine se bheega hua tha... zindagi me pehli baar haath mere kaanp rahe the...

dimag mera uncertain tha,dil mera aise dhadak raha tha jaise mai milo doud kar aaya hun..

aur in sabke beech gunja mere dimag me woh sawal jo is situation me gunjna chahiye tha..


MAI-kya tha ye sab..!!!mai toh sirf ek urja hun..phir mai kisike GARBH me kaise pal sakta hun...???

abhi mere dimag me ye sawal gunja hi tha ki tabhi mere haath me pakde book ke ek page me chalchitra chalne laga..

ye chalchitra wahi vidhi thi jo maine abhi abhi dekhi thi.. sperm ka ande me jaana,phir us sperm aur ande ke milan se fertilization process shuru hona...

aur aisa hote hote jab woh baccha joki mai tha,us garbh me puri tarah ban gaya toh woh chalchitra us garbh se nikal bahar ki taraf jaane laga..

aisa hote waqt dusre page par kuch lines bhi banane lage the..

pasine se bheega mai is waqt un dono hi pages ko ek saath dekh raha tha..

ek page me is waqt do logon ke chehre the aur dusre page par mera un do logon ke saath connection jisse padh zindagi me pehli baar mere dono aankhon ke kinaaron se aansu nikalne lage aur apni bhari hui aankhon se mai un lines ko baar baar,lagatar padhta chala gaya jahan likha hua tha ki...



maana ki tu bhavnaon ke samandar me bhi kabhi NARM NAHI HUA...

aag me kitni hi tapish kyun naa ho,tu kabhi usme jalkar BHASM NAHI HUA....

par naa toh tu bhaavna hin urja hai, naahi koi anaath....

tu FLORIN aur MARIA ka woh PUTR hai, jiska kabhi JANM NAHI HUA.....















AAJ KE LIYE ITNA HI....
















AAPKA APNA V...J.....
Nice update bro
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,267
38,658
258
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF GRIFFIN MAHI KO BATATI HAI KI AAJ RAAZ KI JAAN KHATRE ME HAI WAHIN DUSRI TARAF RAAZ KO PATA CHALTA HAI KI WOH FLORIN AUR MARIA KA BETA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



MEGA DARK UPDATE-120


PART-1



PLANET-ELYSIAN


PLACE-RAAZ ABODE






TU FLORIN AUR MARIA KA WOH PUTR HAI JISKA KABHI JANM NAHI HUA....!!!!!!



UNEARTH THE IMMORTALS BOOK me mere baare me likhe is aakhri pankti ke asar se mai bahar aa hi nahi paa raha tha...

mere dhamniyon me behte rakht ka pravah itna tez ho chuka tha ki mai apne har katre khoon ki raftaar ko mehsoos kar paa raha tha...

ek ajeeb si anthin bechaini ne mere andar janm le liya tha jiske ganit ko mai samajh nahi paa raha tha yaa phir ye kahun ki samajhna hi nahi chahata tha....

aankhon me jo paani tha,woh mere human hone ki baat par mohar laga raha tha...

jahan aaj tak apne lakshya ke siwa kuch socha nahi tha maine,wahin aaj,abhi mere dimag me sirf aur sirf do logon ki chavi ghoom rahi thi..

FLORIN aur MARIA joki mere maata pitah the....bachpan se aaj tak unke saath guzra har pal mere dimag me ghumne laga tha aur un palon me jo kuch bhi hua tha,uspar emotions ka tadka mera dil laga raha tha...

achanak se hi mere dono haath kisiko aalingan dete waqt jaise khul kar phir judte hain,us mudra me chale gaye...

reason...

mere aankhon ke aage yahan CHOSENS me apne mom dad ko life me pehli baar hug karna yaad jo aa gaya tha..

par us waqt gale milte samay bhi mujhe koi feeling nahi aayi thi,par abhi jab mai sirf us hug ko yaad bhar kar raha tha,toh mere andar emotions ka sailab sa uthne laga tha..

mere dimag me woh pal bhi dikhne laga tha jab urja se ek navjaat shishu me badalne ke baad mujhe teeno SOVEREIGN'S ne mere hi mom dad ke ORPHANAGE ke bahar chhod diya tha jiske baad jab MARIA ne mujhe dekha aur mujhe apni godh me uthaya tha,tab mere chehre ko kitne pyar se dekh rahi thi unki aankhen..

bachpan me mera akdu behaviour,mera lake ke saamne jaakar baithna aur mujhe kam baat karta dekh yaa apni aankhon se ojhal paa MARIA ka tention me aana, FLORIN ka mujhe har jagah dhundna,woh saare scenes mere dimag me automatically create ho rahe the...

ye sab yaad kar hamesha straight face rakhne waala mai,kab muskurane lag gaya tha,mujhe khud pata nahi chala....

apni asliyat jaante waqt maine woh scene bhi dekha jab mere jaisa hi ek clone body ko mari haalat me paida karne ke baad jaise hi MARIA aur FLORIN ko pata chala tha ki unhe ek mara hua baccha paida hua hai,toh kitne zyada toot gaye the woh dono....

mai unka pehla baccha hone waala tha,laakhon sapne dekhe the un dono ne mujhe lekar jo us mare hue clone body ko dekh toot gaye the..

ye soch kar meri khushi ka thikana nahi tha ki jab un dono ko ye pata chalega ki jo mara baccha MARIA se nikla tha,woh sirf ek clone tha,unka asli bacha,unka khoon mai hun toh kitne khush ho jaayenge woh dono..

jisse hamesha apna bacha hi samjha tha un dono ne,woh wakayi unka hi baccha hai,ye jaankar unhe jo feeling aayegi,mai jeena chahta tha us ehsaas ko.

khushi ki bhaavna kaisi hoti hai,ye aaj pehli baar feel kar raha tha mai par saath is mai is baat se anjaan bhi tha ki mere ye khushi bhare ehsaas temporary hai jo kuch hi pal me ek aise pain me badalne waale hain,jisse sehna mere liye bhi naamumkin hone waala hai...

kyunki khudke revelation ko jaankar do ehem baaton se dhyan hath gaya tha mera....

pehla tha woh SPECULATION SPELL jo VIDEOUS ne is book ke upar chant kiya tha aur jo is waqt mere man ke bhaavon ko achi tarah padh raha tha...

aur dusra tha woh ehsaas jo mujhme aaj aaye sapne ki wajah se jaaga tha aur jiski wajah hi mere HEART aur SOUL ki pure energy channi thi...

us positive chiz ki wajah se ek negetive chiz bhi hui thi aur woh ye ki mere HEART me banti REFINERS powers unstable ho chuki thi..

jo kisi bhi dual thinking se trigger ho jaane waali thi...

khair,apni asliyat un dono ko, apne mata pitah ko batane ke liye betaab ho gaya tha mai isiliye apne haathon me pakde us kitab ko jo filhal khuli hui thi,band kar moodne ko hua mai par........

woh book band hui hi nahi...book ke dono ends tak ek nayi urja joki asal me VIDEOUS ki speculation spell ki shakti thi,faili hui thi aur ussine book ko band hone se roka hua tha...

wahin jab meri nazar us urja par padi toh ek tez vibration hua us urja me jiske baad mere kaano me us urja ke through gunji VIDEOUS ki awaaz....


VIDEOUS-sharth waali baat bhul gaya tu RAAZ...koi naa,mai nahi bhula,aur ab jo hoga,woh tu bhi kabhi nahi bhul paayega...

dhyan se sun aur sharth par amal kar, kyunki iske awala tere paas aur koi chara bhi nahi hai...



meri baat ke baad hi band ye KITAAB HOGI...

ek waada kiya tha tune,jisse nibha kar tere dil ki chita puri RAAKH HOGI.....

apne hi MATA PITAH ko abhi jaakar khud MAAREGA tu,

jo waada toda,tab bhi marenge woh,par tab woh mout behadh DARDNAAKH HOGI......



pathrayi aakhen, saanson ka chalna naa chalna ek saa lagna,dil ki dhadkan ka rook sa jaana,agar ye kahun toh galat nahi hoga ki jeete jee mar jaana kya hota hai,is kahawat ka matlab aaj jaana tha maine...

VIDEOUS ke speculation spell ki urja kaali hokar gayab ho chuki thi jiska matlab tha ki agar maine uski baat nahi maani toh mere mom dad par death curse lag jaayega jisse unki mout hadh se zyada dardnaak ho jaayegi...

ek aisa sach jisse badla nahi jaa sakta tha...

GOD'S GIFT...jo kabhi galat nahi ho sakti..ussi GIFT ke through future death level danger ko sense karne ki abilities mili thi ALFREEN ko aur uski powers ko jab maine garden me uski bina jaankari ke share kiya tha,tab uske dimag me panpe issi dar ko bhi feel kiya tha maine jisse jaan us waqt toh sirf hairan hua tha mai..

seriously nahi kiya tha maine us dar ko aur yahin galat ho gaya mai...

kaise bhul gaya mai ki is bramhaand me sab kuch jhooth ho sakta hai,par jo GOD ke through mila hai,woh kabhi asatya nahi ho sakta...

apne faayde ke liye churaya ALFREEN ka woh GOD GIFT mere liye aaj GOD CURSE me badal chuka tha..


DHAMMMM.............

apne ghutno par aa gaya mai...aansu beh rahe the mere..dard kuch yun tha ki pura sharir sunn padte hue jam sa gaya tha...

dimag ne toh kaam karna band hi kar diya tha par is naye uthe vedna bhare bhaav ki wajah se mere REFINER powers ne khudko trigger kar liya tha...

yahi reason tha ki bina mere ijaazat ke hi mere REFINER powers ne mujhe gayab karte hue ek nayi jagah par prakat kiya jisse dekh meri bhar chuki aankhon ke aansu jhalak se uthe...

is waqt mai ek ABODE ke bahar baitha hua tha aur ye ABODE FLORIN aur MARIA ka matlab mere mom dad ka ghar tha....






PLACE-ALFREEN'S ABODE





RAAZ.....aaj subah breakfast par nahi aaye tum...???FLORIN gaye the tumhare ABODE par tumhare ELUSORY ne bataya ki tum institution nikal gaye ho..

AL bhi isiliye abhi thodi der hi pehle institution nikal gayi...


waise toh har kaam yahan ABODES me magic ke through ho jaata tha,par kuch decorations,rakh rakhav ab bhi MARIA apne haathon se manually hi karna pasand karti thi aur abhi bhi woh hall me yahi sab kar rahi thi ki tabhi main door par uski nazar padi jahan mai khada tha..

par dhyan se nahi dekha tha mujhe MARIA ne isiliye bas meri ek jhalak dekhne ke baad wapas kuch pillows ko sofa par thik se rakhte hue kahi thi unhone ye saari baatein par iske baad bhi jab meri taraf se khamoshi hi rahi toh woh meri taraf palti aur unke aisa karte hi jab unki nazar mere aansuon se bheege chehre aur jhuke hue kandhon par gayi toh woh kuch palon ke liye sann si reh gayi...

ek statue ki tarah khadi woh mujhe aaj life me pehli baar rote hue dekh rahi thi...

unhe yaad tha ki bachpan me vaccination milte waqt bhi mai eklouta aisa baccha hua karta tha jo rota nahi tha..

badi se badi durghatna par bhi mere straight face ko dekhne ki aadat thi unhe par aaj bina kuch kahe meri aankhon ko yun bhara hua aur face par chhaaye aseem dard ko dekh unki bechaini har beetathe pal ke saath badhti chali jaa rahi thi...

mujhe rota dekh MARIA ka dil bhi rone laga tha aur isiliye kuch pal jadh si rehne ke baad woh bhaagi meri taraf aur pehle mere chehre ko pakad mere aansuon ko saaf karte hue mujhe naa rone ka ishara kiya unhone par aisa karte hue woh khud bhi rone lagi thi...

unhe samajh nahi aa raha tha ki bhala kyun mere aansu unke dil tak ko bhi cheer rahe the...

kuch pal mere aansuon ko saaf karte rehne ke baad MARIA ne jhat se mujhe apni baahon me bhar liya..

haan mere lambe chowde sharir ke saath aisa karne me woh puri tarah kaamiyab nahi hui par jitni bhi hui,utna mere liye kaafi tha...

kehte hain,maa ke pairon ke jannat hoti hai,mujhe toh apni maa ki baahon me woh swarg naseeb ho gayi thi...

isse bada gift,vardaan kuch bhi naa tha mere liye...

aansu toh ab bhi lagatar chhalak rahe the meri aankhon se,par apni maa ke dil se lag mere jalte hue dil par paani padh gaya tha jaise...

mai is behatarin pal ko apni aankhen band kar puri shiddat se jee hi raha tha ki tabhi...


ARRE,KYA BAAT HAI,AAJ RAAZ PAR BADA PYAAR AA RAHA HAI HAMARI BEGUM KO...!!!


mere kaano me padi ye dusri awaaz...

woh awaaz jinki wajah se mera aadha astitva bana tha...mere pitah FLORIN....

wahin FLORIN ki baat sun MARIA mujhse alag hui aur unki taraf palti aur unke aisa karte hi FLORIN ko unki aur saath hi meri aansuon se bhari aankhen dikhi aur ye dekhunke face par jo smile thi,woh ussi waqt gayab ho gayi aur woh turant hamari taraf badhe..

par hairani ki baat ye hui ki apni biwi ke bajaaye unhohe mera chehra pakda aur mere aansuon ko saaf karte hue..


FLORIN-kya hua beta...???ro kyun raha hai..??kisne rulaya tujhe...bata mujhe...???zinda nahi chhodunga usse mai...


awaaz nahi,ek gurrahat nikli thi FLORIN ke mooh se..mai dekh raha tha woh insaan,jo hamesha hi shaant rehta hai,uske chehre par mere chehre ki taklif dekhkar dard aur beintaha ghhussa chha gaya tha..

unka ATTITUDE completely change ho gaya tha jiska pata unhe tak nahi tha...

wahin unke puchne ke baad bhi jab mai kuch nahi bola toh..


FLORIN-arre tu chup kyun hai..??bata kya hua hai...???

MARIA-beta,AL ne toh kuch nahi kaha tujhe...???


MARIA ki baat sun unki taraf dekha maine..aur mere aisa karne par MARIA aur FLORIN ko laga ki shayad mere rone aur sad hone ke piche ka reason unki beti hai..

aur ye feel karte hi unke face ke expressions badal gaye...

mai dekh taha tha ki dono ke hi aankhon me unki beti ke liye ghussa dikhne laga tha...

us ladke ke liye jo ab tak toh unke liye begaana hi tha,uske liye unki aankhon me apni beti se zyada pyar dikh raha tha mujhe...

wahin aankhon me ghussa liye MARIA apni beti ko confront karne ke baare me sochne lagi par tabhi unhe apne haathon par mere haathon ka ehsaas hua jispar jab unhone meri taraf dekha toh...


MAI-its not ALFREEN...???

MARIA-then what is it son..???


MARIA ki baat par kuch kaha nahi maine balki unke saath FLORIN ka bhi haath pakad un dono ko sofe ke paas le gaya..

woh dono bhi bina kisi hil hujjut ke mere saath chal pade the..sofe ke paas pahunch maine unhe baithne ka ishara kiya aur un dono ke baithne ke baad mai un dono ke pairon ke paas ghutno ke bal baith gaya...

FLORIN aur MARIA,dono hi dekh rahe the mere face ke har pal badalte hue expressions par ab woh bilkul shaant hokar baith chuke the...

wahin kuch der tak khudse ladhte rehne ke baad maine ek lambi saans li aur...


MAI-ALFREEN is not your first child, right..??? usse pehle bhi aapko ek baccha hua tha par woh baccha mara hua paida hua tha...

meri is baat ko sun hadh se zyada shocked ho gaye the MARIA aur FLORIN...

itni purani baat aur saath hi woh RAAZ jo unhone apni beti tak ko nahi bataya tha taaki usse kharab naa lage,maine unke saamne disclose kiya tha...

par saath hi jis condition me mai ye baat kar raha tha,woh bhi sandeh se bhara hua tha aur isiliye...


MARIA-tumhe kaise pata ye baat..??aur us baat ka tumhare rone se kya connection hai beta...???


MARIA mujhse sawal kar rahi thi par us sawal se meri ye ummid ki jo bhi maine dekha,woh jhut ho sakta hai, VIDEOUS ka failaya maayajaal ho sakta hai,toot chuka tha..

ek baar phirse aansuon ki tez pravah nikal padi mere aankhon se jisse dekh FLORIN aur MARIA, dono ka hi dil baithne laga tha par woh ab chup hi the...

wahin kuch der baad khud ko normal kar...


MAI-jo mara hua baccha aapko hua tha,woh bacha aapka nahi tha..woh bas ek cloned child tha jisse aapke garbh me aapke asli bache ki jagah implant kar diya gaya tha..


DHHOOOOMMMMM.....

ek dhamaka sa hua tha MARIA aur FLORIN ke dimag me meri baaton ko sunkar..

pehle toh meri baat ko sun unhe mujhpar behadh ghussa aaya par phir mere aansuon se bheege chehre aur mere ATTITUDE ko joki mazak karne ka tha hi nahi,uska dhyan karte hue un dono ka hi ghussa shaant ho chuka tha..

ghussa bhale hi shaant ho gaya tha un dono ka,par meri baat sun man zaroor puri tarah vyathit ho chuka tha..

kis aur mahoul me,normal world me toh un dono ne meri kahi baat ko fake maan hawa me uda diya hota par ALFREEN ke saath jo hua tha,aur jis duniya me woh the,usse dhyan me rakh woh jaante the ki yahan kuch bhi possible hai...

bechain toh bohot ho gaye the dono par kisi tarah khudko normal rakh..


FLORIN-ye sab kya bol rahe ho RAAZ...???hamare bache ke badle ek cloned bache ko MARIA ke garbh me implant kar diya gaya tha...

par kyun...??aur phir hamare bacche ka kya hua...??


FLORIN ki baat sun maine kuch kaha nahi bas apne dono haathon ko aage kar un dono ke sir par rakh diya aur mere aisa karte hi un dono ke sir par ek roshni chamki jisse unki aankhein band hoti chali gayi..

band aankhon ke beech unhe woh sab kuch dikhne laga jo kuch der pehle maine bhi dekha tha..

saath hi mai kaun hun,mere janm ka uddeshya kya hai,ye bhi un dono ko pata lag chuka tha...

par mai yahin par nahi ruka... UNEARTH THE IMMORTALS books me VIDEOUS ne jo chhal kiya tha, jiski wajah se meri aankhen aur dil,dono hi bhare hue the,woh drishya bhi maine un dono ko dikha diya...

jab woh drishya,woh sach woh dono aankhen band kiye dekh rahe the,tab meri nazar un dono ke face par thi...

par tabhi,vedna se bhare mere chehre par achanak se hi ek pal ke liye hairani ke bhaav dikhne lage...

reason....

VIDEOUS ki sharth ke baare me jaankar jahan un dono ke face par dar dikhna chahiye tha,ye jaankar ki unke apne bete ke haathon marna unki niyati hai,unhe dard hona chahiye tha,aisa kuch bhi nahi hua tha...

balki isse ulat un dono ke face par ek smile naach uthi thi...

aur yunhi smile karte hue kuch der baad jab unhone mujhe dekha toh maine un dono ke hi aankhon me apne liye beintahan mohobbat dikhi...

MARIA ne toh turant wapas mere chehre ko apne haathon ke beech liya aur mere pure chehre ko chumne lagi...

wahin FLORIN ke aankhon me mere prati ek garv tha aur ussi garv ke saath woh mujhe dekh rahe the..

kuch der mere chehre ko chum jab MARIA mujhse alag hui toh...


MARIA-tu mera baccha hai...mera apna baccha..itne saalon se mere hi saamne bada hua tu aur mai tujhe pehchaan bhi naa saki...

RAAZ...mera RAAZ...

FLORIN-hamara....


FLORIN ki baat sun aansu se bhare MARIA ki aankhen chalki aur woh muskura uthi...

wahin apni baat bol FLORIN ne apna ek haath mere sir par rakha yaa phir ye kahun ki firaya aur...


FLORIN-kyun hai tere aankhon me aansu mere bacche.. isiliye kyunki tujhe hum dono ko,apne maata pitah ko maarna padega...

tu hame maarega nahi RAAZ..tere haathon hume moksh milega...hum azaad ho jaayenge..

MARIA-aur hamare jaane ke baad ye ek pal ke liye bhi nahi sochna ki tune hume maara hai aur tu layak beta nahi hai...

jis SHRAAP ko,SHAITAN ko mitane ke liye khud PARMESHWAR PUTRON ne apni URJA ko banaya hai,woh URJA meri kokh se nikla hamara ANSH hai..

isse badi baat humare liye kuch ho hi nahi sakti thi beta...tune toh hamara ye manushya jeevan saarthak bana diya hai...

is CHOSENS ko,yahan rehne waale jaaduyi aur khaas logon ko dekhkar hamesha mai sochti thi ki hum pati patni in khaas logon ke beech me kitne aam hai...

par aaj pata chala ki ye saare khaas mil bhi jaaye naa,toh bhi hamare saamne aam hai..

aur aisa sirf teri wajah se hua hai...jo hua woh niyati thi,jo ho raha hai,woh bhi niyati hai,aur jo aage hoga,woh bhi niyati hi hogi..

FLORIN-mere bachhe, niyati se toh GOD bhi nahi bhaag sakte,hum bhala kya cheez hain...!!!!

isiliye jo hona hi hai, uske viprit sochna samajhdaari nahi...

aur mere bete se zyada toh koi samajhdaar hai hi nahi...


mere sir par phirse apna haath ferte hue kahi ye baat FLORIN ne...

wahin un dono ki baatein sunkar mere aansu behne toh band ho chuke the,par ab bhi meri aankhen bhari hui hi thi,bas unhone aansuon ko chhalakne ki ijazat dena band kar diya tha...

mai ek tak un dono ko dekh raha tha jispar bade pyar se mujhe dekhte hue...


MARIA-jo waada kiya hai,usse nibhao RAAZ...par usse pehle hamari ek KHWAHISH hai..

puri karoge..!!!!


MARIA ki baat par maina kaha toh kuch nahi bas haan me apna sir hila diya jispar...


MARIA/FLORIN-hum chaahte hain ki jab tum apna waada nibhao,hume is duniya se vida karo,toh aisa karne se thik pehle hume mom,dad kehkar bulao...

bas itna kar de,marte waqt hume zara sa bhi dard nahi hoga...

MAI-dard toh mai waise bhi hone bhi nahi dunga...par kya ALFREEN se nahi milna chahte aap dono....???

FLORIN-chahte toh hain..par woh naasamajh hai,jasbaat me sahi galat me fark karna nahi aata usse...

isiliye jaane de...kuch jhatkon ka ehsaas unke lagne ke thodi der baad pata chale toh hi thik hota hai...

tu apna kaam shuru kar...par haan, pehle hume woh kehkar bula jo hum tere lagte hain...


FLORIN ki baat sun maine apne dono haathon ko ek baar phirse un dono ke sir ki taraf badhaya...

par aisa karte waqt mere dono haath buri tarah kaamp rahe the...

wahin meri haalat se bilkul ulat FLORIN aur MARIA bilkul shaant aur khush dikh rahe the...

apna haath un dono ke sir par rakh maine ek baar un dono ke face ko dekha aur phir nikle mere mooh se woh do shabd jo FLORIN aur MARIA sunana chahte the...


MAI-MOM,DAD.....i am sorry....

MARIA/FLORIN-dont be son....we are proud of you...

MAI- V.....E....L.....A..........H........

PAINLESS DEATH....


ladkhadati awaaz me apni aankhen band kar is SPELL ko bola tha maine....

ye ek khaas kism ka DEATH SPELL tha...iski khubi ye thi ki is SPELL se jo marta tha,uska sharir turant jal kar raakh ho jaata tha,par is process ke dauran usse bilkul bhi dard nahi hota tha par iska ulat jo is SPELL ko uccharit karta tha,uske haath bhi is SPELL ke asar se jal jaate the,aur saath hi saath jo jalan marne waale ko honi chahiye,woh jalan jalaane waale ko apne haathon me feel hoti thi....

aur abhi bhi wahi hua...mere SPELL bolte hi mere mom dad ke sir se lekar pair tak unka pura sharir jalne laga aur unke saath unke sir par rakha mera haath bhi jalne laga..

par jahan ek taraf pure sir se lekar pair tak aag lagne ke baawjud mere mom dad ko halka sa bhi pain nahi hua,wahin mera haath buri tarah jalne laga aur mujhe asahaniya pain feel hone laga jisse apne mom dad ke muskurate hue face ko dekhte hue mai zabt kar hi raha tha ki tabhi...


NAHI...................

ek zordaar cheekh padi mere kaano me jo front door se aayi thi jahan is waqt MAHI aur ALFREEN khade the..

ye cheekh ALFREEN ke mooh se nikli thi jo cheekhte hue apne mom dad ko jalte dekh pehle toh jadh si ho gayi par phir jo hua,us chiz ko jaise hi uske dimag ne thik se read kiya toh usse laga ek tagda jhatka jiski wajah se woh behosh hokar niche gir padi thi...

wahin uske baaju me khadi MAHI bhi ekdum jadh si hokar reh gayi thi...

GRIFFIN ke kehne par woh lagatar mujhe sense kar rahi thi..aur aisa karte waqt jab usne mujhe ALFREEN ke ghar par sense liya toh uska man hua ki woh yahan aakar mujhe saamne se dekhe..

aur tabhi ALFREEN mujhe dhundte hue wahan garden me uske saamne aa gayi..

aur jab usne mere baare me pucha toh MAHI ne usse bataya ki mai ussike ghar par hun aur phir ussike saath yahan aa gayi..

par usse kahan maalum tha ki yahan aate hi usse kuch aisa dekhne ko milega...

ALFREEN neeche behosh padi thi par MAHI waise hi sthir hokar statue ki tarah khadi hui thi...

uska toh sab kuch blank ho gaya tha....aur shayad aage bhi woh ussi condition me bani rehti ki tabhi....



AHHHHHHHHHHHHHHHHHH.................



apne aawaz ki aakhri hadh ke saath cheekh pada tha mai jisse sun MAHI ki bhi jaise tandra si tooti thi...

bhari hui aankhon ke saath usne dekha ki mai saamne sofe par pade raakh joki mere mom dad ke the,usse apne dono haathon se pakadte hue apne chehre aur pure sharir par mal raha hun....

do jeete jaaagte insaano ko jalakar raakh maine hi banaya tha,aur ab ek dard se bhari cheekh ke baad un jale hue do logon ki raakh ko khudke upar mal apni taklif bayan kar raha tha mai,ye sab dekh MAHI ki sochne samajhne ki shakti jaise khatm hi ho gayi thi ki tabhi....



ISHQ PE MAREN,YAA ISHQ ME MAREN....

AGAR ISHQ SAATH HAI,TOH BHALA HUM KYUN DAREN....


GRIFFIN aur MAHI ki institution ke garden me hui mulakat ke waqt jab RAAZ ke liye MAHI ne ye baat kahi aur jaane ko hui toh GRIFFIN ne bhi usse kul teen baatein kahi thi jinme se jo pehli baat usne kahi thi,wahi baat is waqt MAHI ke dimag me achanak se gunj uthi..


GRIFFIN-tumhare prem ki pariksha hai aaj MAHI..RAAZ ke liye tumhare man me jitna bhi prem hai,prem ke un saare kano ko nichodte hue apne ragon ke har dhamniyon me aaj lagatar bahate rehna hai tumhe...




chaahe lag rahe uspar kitne hi TOHMAT HO,aaj RAAZ KA SAATH MAT CHHODNA...

uske khaatir agar tumhari bhi ZALAALAT HO,aaj RAAZ KA SAATH MAT CHHODNA...

ilzam lagenge uspar.....

aur agar woh wakayi GALAT HO,tab bhi,...aaj RAAZ KA SAATH MAT CHHODNA.....
















AAJ KE LIYE ITNA HI......
















AAPKA APNA V...J....
Nice update bro
 
Top