• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) ( Completed )

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,267
38,658
258
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF STELLARS KE TEENO WHIZZ AUR WHIZZDERS EK NAYE SPELL KE BAARE ME PURI CLASS KO BATATE HAIN WAHIN DUSRI TARAF RAAZ AUR BAAKI SABHI SAVENTS KE AURA KE MISHRAN SE EK NAYI ENERGY PAIDA HOTI HAI JISKA RAAZ JAAN VIDEOUS KO JHATKA LAGTA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-109



PLANET-ELYSIAN


PLACE-CHOSENS






SUBAH SUBAH GHAANS ME CHALNE SE AANKHEN TEZ HOTI HAI,YE TOH SUNA THA,PAR GHOOR GHOOR KAR DEKHNE SE BHI AISA HOTA HAI,YE NAHI PATA THA MUJHE....


maine kahi thi ye baat jisse aur ALFREEN aur zoron shoron se mujhe ghoorne lagi thi.

abhi early morning hai..suraj ki halki halki laamima aakash me dikhne hai aur mai har din ki tarah is waqt apne ABODE ke aage bane garden me khada hun aur mere saamne apne kamar par haath rakh mujhe ghoore jaa rahi hai ALFREEN...

waise uska aisa karna kuch galat nahi hai...

reason...

darasal EXERTION ke baad se hi ALFREEN mere aur khaas kar ACCHUTA, SLUNDER aur BRAWNY ke improvement ka RAAZ jaanane ke liye bekaraar thi..

ab apna personal secret toh woh teeno bata nahi sakte the isiliye unhone bas usse itna bataya tha ki RAAZ ne matlab ki maine personally unki kaabiliyat nikharne me mehnet ki thi aur is baat ko sun woh mujhe usse nourish karne ke liye bhi kayi baar keh chuki thi jisse sun mai bas muskura deta tha..

is beech kal ACCHUTA ke through ALFREEN ko pata chala ki mai har subah yahan garden me aakar apne CEREBRATION process ko pause kar naye naye techniques ki practice karta hun aur isiliye hi wph mere piche piche hi yahan pahunch chuki thi aur is baat par ki ek toh mai har subah yahan aata hun jo ki baaju me rehne ke baad bhi usse pata nahi tha aur dusra ki uske lagatar bolne ke baad bhi ab tak maine uski baat ko yaa phir ye kahun ki sikhne ki request ko seriously nahi liya,naaraz thi ALFREEN..

khair,mere mazak ko sun..


ALFREEN-saaf saaf batao,tum mujhe sikhaoge ki nahi...

MAI-progress rate toh thik hai tumhari... 6 percent AMPLIFICATION aur 2 REFINERS touch kar chuki ho tum...phir extra effort kisliye...???

ALFREEN-ye tum puch rahe ho jo abhi se kisi bhi PHASE 3 SAVENT se zyada strong ho chuka hai aur apne saath ACCHUTA, SLUNDER aur BRAWNY ko bhi kisi bhi PHASE 3 SAVENT se zyada strong bana diya hai...

MAI-maine apni yaa un teeno ki nahi,tumhara reason pucha hai.. tum kyun alag se sikhna chahti ho...???


ALFREEN-

dar jab haar se lage toh JEET pakki..

par jo jeet se hi dar lagne lage toh HAAR pakki...


in do lines me hi mere sikhne ka reason hai RAAZ..

pehli line earth waali ALFREEN ka sach tha par second line ELYSIAN waali ALFREEN ki haqiqat banane lagi hai jo har guzarte waqt ke saath aur strong hote jaa rahi hai..

aur ye strongness mujhe weak bana rahi hai jo mai nahi chahti..so will you help me out....!!!??

MAI-desperation with calmness...i like it...aur tumhara jawab, reason bhi mujhe acha laga....

idhar aao,saamne khade ho jaao mere...


mere bolte hi ALFREEN mere thik saamne aakar khadi ho gayi jispar..


MAI-tumhari madad ka zariya tum tak bohot pehle pahunch chuka tha ALFREEN,bas tumne us zariye par ab tak gour nahi kiya...???

ALFREEN-mai samjhi nahi...

MAI-paused CEREBRATION state me kyun jaate hain hum...???

ALFREEN-kyun jaate hai matlab..???ye ek doorway hai saare METAPHYSICAL activities ka...

MAI-ye aadha sach hai...paused CEREBRATION jiska simple swaroop joki EARTH par practice kiya jaata hai, meditation,ye tarika woh key hai jisse humare brain ke woh hisse jinme extraordinary hunaron ko samete hue hote hain,woh khul jaate hain.

aur jab woh hisse khulte hain toh ek modified aur upgraded tarike ke saath woh hamare talents ko nikharte hain..

aisa hi ek talent,ek zariya chuppa hai tumhare brain ke kisi hisse me jo complete upgradation ke saath khulne aur bahar aane ke liye taiyar baitha hai...

ALFREEN-aisa kaun sa talent aur zariya chuppa hai mera mere andar jo mujhe bhi naji pata.....????

MAI-KAPU KUIALUA....naam se kuch yaad aaya...????

(NOTE:-fighting technique hai ye, update 2 me bataya gaya hai iske baare me)


mere mooh se KAPU KUIALUA naam sun chownki ALFREEN ayr phir..


ALFREEN-KAPU KUIALUA toh ek ancient fighting technique hai jisme pops expert hain..par iske baare me tumhe...


apni baat bolte bolte hi ALFREEN rook gayi kyunki usse yaad aaya ki mai toh uske pops ke orphanage se hi hun jisme woh is technique ko sikhaya karte the... anyways,ye yaad aate hi usne apna sawal badla aur..


ALFREEN-par ye fighting technique mere growth ka kaise zariya ho sakta hai...???

MAI- tum bhool rahi ho ki KAPU KUIALUA koi normal fighting technique nahi hai..ye ek ancient aur behadh deadly combat tenchnique hai jisme har koi expert nahi ban sakta..

hard se hard practice ke baawjud is technique me 50 percent tak bhi kaamiyab hona aam bande ke liye next to impossible hai par tumhare dad ne is technique ko nearly perfect kar liya tha aur tum unse bhi aage nikal chuki thi...

aksar tumhare dad tumhare baare me aur tumhare fighting techniques ko sikhne ke levels ke baare me apne students ko bataya karte the aur agar unki baat sach thi toh tumne is tenchnique ko 100 percent perfect kar liya tha...right..!!!


ALFREEN-yaa sort off..par sawal ab bhi wahi hai....us baat ka mere yahan par growth se kya link hai..???

ek baat aur batao,maine KAPU KUIALUA ke saath PANKRATION,BOKATOR aur aise hi bohot se combat techniques sikhe the par tumhe specifically KAPU KUIALUA ka hi naam kyun liya..???

MAI-dono sawalon ka jawab common aur ek hi hai...acha ye batao,KAPU KUIALUA ka main daav kya hai..??

ALFREEN-preasure points manupalation...

MAI-exactly.. pressure points ki sabse khaas baat ye hoti hai ki ye points sirf hamare BODY se nahi judi hoti balki BRAIN aur BRAIN functioning ki wajah se BLOOD ke saath bhi interlinked hoti hai,in short hamare teeno AMPLIFICATION modes ke saath ye judi hoti hai...

ab ek baat aur batao,KAPU KUIALUA ke perfection ke liye yaa phir to be precise, pressure points manupalation karne ke liye jis super hard concentration ki zaroorat padti hai,woh kaise kiya jaata hai...???

ALFREEN-meditation se...

MAI-right..the normal version of paused CEREBRATION...

woh version jisme insaan anjaane me hi sahi,par apne SOUL se khudko connect kar leta hai...

ALFREEN-oh shit.iska matlab hai ki KAPU KUIALUA technique ko sikhne ke liye chaaron AMPLIFICATION modes ki zaroorat hoti hai..

means,yahan aane se pehle hi mai anjaane me hi sahi,apne chaaron AMPLIFICATION modes ko access karne ki practice kar rahi thi..!!!


meri baat ko aage badhate hue kahi ye baat ALFREEN ne jispar maine usse ek smile diya aur...


MAI-yup..par yahan aane ke baad jab tumne wakayi me paused CEREBRATION process sikha aur AMPLIFICATION modes ke power ko trigger karne lagi toh tumhara woh tenchnique tumhare already triggered AMPLIFICATION modes ke powers ke saath tumhare BRAIN ke kisi locker me chhup gaya aur ab tumhe bas wahi bahar nikalna hai..

tumhari growth rate multiplication speed se badhne lagegi...


meri baat sun super excited dikhne lagi thi ALFREEN aur ussi excitement me...


ALFREEN-par mujhe exactly karna kya hoga...???

MAI-simple hai yaar...paused CEREBRATION me baitho, aur aisa kar KAPU KUIALUA technique ke har daav ko apne BRAIN me play karo..

jab tum aisa karogi toh tumhare BRAIN ka woh bhaag jisme woh technique chuppi hui hai,woh part vibrate karne lagega aur jab tum aisa kuch feel karo,toh apne paused CEREBRATION me behne waali urja ko us vibration waali jagah par mod dena..woh jagah unlock ho jaayegi...

haan,par ek warning bhi hai..

jab tum apne locked potentials ko bahar laane ki koshish karogi, toh ho sakta hai ki tumhara BRAIN tumhe negetive kare...

negetive vibes ke beech tumhe shivering feel hogi..hadh se zyada thand lagega tumhe..agar tum us thand ko bardasht nahi kar paayi toh bas apna haath aage kar dena aur man hi man apne REFINER power ko activate kar pure dil ke saath GRAVATEH SPELL jiska matlab SHARE hai, uccharit karna..

mai tumhara haath pakad lunga jisse tumhari aadhi taklif mujhme transfer ho jaayegi aur tumhara aage ka process thoda asaan ho jaayega..

ALFREEN-why,no..??jab baat mere progress ki hai toh bhala tum kyun suffer karoge...??

MAI-what are friends for ALFREEN..???aur waise bhi maine AGAR kaha hai..agar tum woh thand aur negetive vibes ka pressure naa jhel paayi toh SPELL bolte hue apna haath badhana..

agar jhel paao tum toh fir no tention....ab zyada socho mat aur shuru ho jaao...


meri baat sun khushi aur pure josh ke saath ALFREEN jahan khadi thi, wahin baith gayi aur jaisa maine kaha tha,waise usne kiya..

aur paused CEREBRATION me baithe usse kuch hi der hua tha ki tabhi ek saath so chizen hui..

pehli....

usse halka sa jhatka laga jisse dekh mai samajh gaya ki uske BRAIN ka woh bhaag jisme uski unutilized hidden potential hai,woh unlock hone lagi hai..

dusri..

jhatka lagne ke agle hi second ALFREEN ke pure body se ek WHITE AURA bahar nikalne laga jisse dekh mere chehre par smile aa gayi...

reason..

kuch der pehle maine ALFREEN se ek aadha sach aur aadha jhooth bola tha..

sach ye ki is process ke dauran usse thand lagegi jo ab usse wakayi lagne lagi thi...

aur jhooth ye ki ye thand usse sirf us brain locked area ko unlock karne se lagne waala tha par asal baat kuch aur thi..

darasal ALFREEN ka GOD GIFTED CAPABILITY bhi ussi lock ke andar kaid tha jo us unlock procedure me uske potential trigger hone ke saath bahar aane laga tha aur issi wajah se usse thand lag rahi thi...

saath hi is waqt ALFREEN ke face par ek dar saaf dikhne laga tha jo ki ussi negetive vibe ki wajah se thi jiske baare me maine usse bataya tha.

us vibe ki wajah se uska woh thand aur badhne laga tha aur saath hi saath uska heart beat bhi bohot zyada tez ho chuka tha..

us dar ka aalam ye tha ki minus degrees me lagni waali thand se hone waali kampkampi ke beech bhi ALFREEN ke maathe par pasina aane laga tha....

aur jab uski haalat uske liye unbearable ho gayi toh ALFREEN ke haath apne aap hi meri taraf uth gaye aur aisa kar usne man hi man uccharit kiya, GRAVATEH....

wahin uske meri taraf haath badhane par muskurate hue maine uska haath thaam liya aur mere aisa karte hi uski GOD GIFT shaktiyan mere andar chuppe SWORD me,uske negetive vibes mere brain me aur uski aadhi thand mere body me transfer hone lagi..

thand toh uski mere body me transfer hote hi mere EMOTIONS power ki wajah se khatm ho gayi par jab uske negetive vibes mere brain ne read kiye toh mujhe hui hairani..

us vibe ne mujhe soch me daal diya tha par aisa mai zyada der tak kar nahi paaya....

reason....

maine feel kiya ki ALFREEN ka process pura hone waala hi aur isiliye


RUHAVADEH

RECTIFY

mere man me soche is SPELL se ek urja create hui jo mere haathon se hote hue ALFREEN ke haathon me chali gayi aur wahan se woh urja apni manzil joki uske brain ka woh bhaag tha,jahan se woh negetive vibes nikal rahi thi,wahan pahunchi aur aisa hote hi woh vibes naa sirf us bhaag se nikalna band ho gayi balki us urja roopi ray ne ALFREEN ke mastishk se us vibe ke drishya aur yaad ko bhi mita diya...

khair, kuch der baad ALFREEN ki aankhen khul gayi aur aisa hote hi maine uska haath chhod diya...

is waqt ALFREEN ke face par sawal dikh rahe the aur isiliye...


ALFREEN-abhi kya hua tha mujhe...???kuch ajeeb sa feel kiya tha maine..!!!

kuch negetive par phir achanak se sab dhuan dhuan sa hone laga mere brain me aur phir mera CEREBRATION process wapas shuru ho gaya aur ab mujhe us ajeeb feeling ke baare me kuch yaad nahi...

MAI-saalon se band brain lock khula hai tumhara...bas ussi ka side effect hua tha tumhe aur yaad tumhe isiliye nahi kyunki woh feeling artificial thi jo us brain part opening ki wajah se aayi thi...

simple maths hai,zyada soch mat....

ALFREEN-oh,hang on, matlab mera woh closed brain part jisse meri ability nikharti, woh open ho gayi..!!!

MAI-haan..

ALFREEN-toh mujhe kuch alag feel kyun nahi ho raha..koi energy flow toh mehsoos nahi kar rahi hai mai..???

MAI-khaana khaaya hai kya jo khaane ke baad pet bhara hua lagega..

power booster hai,sahi waqt par apna asar dikhayegi,aur ab chalen.. institution bhi jaana hai..

ALFREEN-haan chalo...


meri baat sun kaafi khushi aur excitement se bhar kahi ye baat ALFREEN ne aur phir aage badh gayi is baat se bekhabar ki anjaane me hi sahi,usne apni GOD GIFT SHAKTIYAN mujhse share kar li thi....






PLACE-CHOSENS





BRILLIANT ALFREEN.... SIMPLY UNIMAGINABLY MAGNIFICENT....




behadh khushi aur hairani ke mishran ke saath kahi thi ye baat HIDA ne...

aur sirf HIDA ki nahi,balki unke saath is waqt REGIS, SAPIUS ke saath puri STELLARS hi hairan thi..

reason...

aaj yaa phir ye kahun ki just abhi ALFREEN ne ek saath apne second REFINER ke complete power ko activate karte hue apni third REFINER ke average power ko bhi ACTIVATE kar liya tha aur aisa hona CHOSENS jaise extraordinary institution me bhi rare baat thi...

par hairan hone ke saath saath ALFREEN ke saare friends uske is achievement se khush bhi bohot the aur isiliye HIDA ki baat sun woh sabhi uske paas pahunch usse congratulate karne lage the..

anyways class ka time khatm ho chuka tha aur isiliye teeno WHIZZES aur WHIZZDERS class se nikal gaye aur aisa hote hi ALFREEN turant meri taraf badhi aur usne mujhe thanks kehte hue gale laga liya jisse dekh MAHI aur baaki sabhi ko hairani hui jisse maine bhi dekh liya tha aur isiliye..


MQI-detailing nahi...


ALFREEN ke kaan me dheere se kaha maine jisse sun woh mujhse alag ho mujhe sawal bhari nazaron se dekhne lagi par phir mere ishara karne par jab uski nazar piche khade apne saare friends par gayi toh woh meri baat ka matlab samajh gayi..


wahin jab ALFREEN mujhse alag hui toh...


MABEL-RAAZ ko kis baat ke liye thanks bola jaa raha hai..!!!???

ALFREEN-wo actually RAAZ mujhe mere metaphisycal capabilities ko nourish karne me help kar raha hai aur aaj jo hua,woh ussi help ki wajah se possible ho paaya hai..


MABEL-hain..!!!! RAAZ teri help kar raha hai..phir humne kya paap kiya hai prabhu jo aapki chatrchaaya se abhi tak vanchit hain hum....???


meri taraf haath jodte hue natakiya tarike se ye baat kahi MABEL ne jispar sabhi muskura diye..


MAI- dil lagane se fursat mile toh focus sikhne me shift hoga naa madam...!!!


jahan meri baat sun jahan MABEL halki jhemp di gayi wahin ALFREEN has padi thi...

ACCHUTA bhi meri baat ka matlab samajh halka sad ho gaya tha aur is baat ko SLUNDER bhi samajh gaya tha isiliye usne ACCHUTA ke kandhe par haath rakh usse normal rehne ko kaha....

but in sabke beech MAHI meri baat ka matlab samajh nahi paayi aur ALFREEN ko haste dekh usne usse is baare me pucha jispar ALFREEN usse kuch jawab de paati ki tabhi...


CONGRATS ALFREEN...AAJ TOH WAKAYI KAMAAL KAR DIYA TUMNE....


ye awaaz thi VIDEOUS ki jo mere shoulder ko rub off karte hue aage badha aur ALFREEN ke saamne pahunch apni baat kahi jispar smile karte hue MABEL se thanks kaha jiske baad koi kuch kehta ki tabhi...


HIE MABEL...HIE EVERYONE....


MABEL ke piche se aayi thi ye awaaz jisse sun MABEL turant piche palti aur aisa karte hi uske face par ek dekhne waali muskaan naach uthi..

reason.....

class ke entrance ke paas VALDIS khada tha jiske face par kamzori aur halka pain saaf dikh raha tha..

darasal EXERTION me ACCHUTA ne jo uski gath ki thi,uski wajah se hi VALDIS ki ye haalat thi..

hosh me aane ke baad bhi uspar physically aur mentally,dono hi thakaan aur pain haawi the jiski jaankari usse allotted ELUSORY ne institution me de di thi aur hamare WHIZZDERS ne humko..

but VALDIS ko saamne dekh MABEL naa sirf behadh khush dikhne lagi balki ussi khushi me woh aage badhi aur VALDIS ke paas pahunch uske gale lag gayi jispar jahan ek taraf VALDIS ki aankhen chamak si gayi wahin baaki sab toh nahi par MAHI joki kaafi waqt se apne friends se alag thi, woh chownki jisse dekh..


ALFREEN-RAAZ issi baare me baat kar raha tha...

MAHI-matlab...!!

MAHI-arre duffer tune gour nahi kiya kya..!!!kal se hi MABEL halki sad thi jisse woh hamare saamne chuppane ki koshish kar rahi thi..

woh sadness VALDIS ke absence ki wajah se thi.. actually MABEL likes VALDIS....

MAHI-what...!!!really....


ALFREEN ke revalation se usse aur phir palat kar MABEL aur VALDIS ko joki ab bhi hug kiye hue the, dekhne lagi MAHI...

wahin VALDIS joki ALFREEN ke saamne hi khada tha,usne ALFREEN ki baat joki usne MAHI se kaafi dheere se hi kahi thi,sun li aur woh baat sun uske face par ek smile naach uthi aur...


VIDEOUS-wooohhh..yahan toh love is in the air...


halke zor se kahi ye baat VALDIS ne jispar ACCHUTA ka toh mooh hi chota ho gaya par MABEL ko ek dum se realize hua ki woh filhal class me hai aur woh turant VALDIS se alag ho gayi par face uska laal hone laga tha par VIDEOUS ki kahi baat par kuch kehna bhi tha usse aur isiliye...


MABEL-aisa kuch nahi hai...we are just friends aur ek ache friends ki tarah hi maine hug kiya hai...


MABEL ka chehra uski baaton ko saaf jhutla raha tha jisse sun jahan ALFREEN aur MAHI bas muskura rahe the wahin VIDEOUS jisne ACCHUTA ke face par taklif saaf mehsoos ki thi, usne us taklif ko aur badhane ki sochi aur..


VIDEOUS-oh common MABEL... your feelings are all over ur face...

aur jis tarah tumne VALDIS ko tightly hug kiya,aisa hug jisse tum dono ke beech hawa tak paas nahi ho paa rahi thi,waisa hug friends ke beech nahi, lovers ke beech hota hai...


jahan VIDEOUS ki baatein VALDIS ko khush aur MABEL ko aur zyada sharmaane par majboor kar rahi thi,wahin yahi baatein ACCHUTA ki taklif ko lagatar badhaye jaa rahi thi jisse dekh liya maine aur VIDEOUS kya karna chah raha tha,ye bhi jaan liya aur isiliye...


MAI-oho... SAVENT VIDEOUS has turned into LOVE GURU VIDEOUS... fantastico...

aur lovers ki paribhasha, defination toh kamal ki di hai aapne...

SLUNDER note le...

opposite genders tight hug equals love feeling....


KHMM..KHMMM....

ek dabi si hasi nikal gayi meri baat sunkar MAHI aut ALFREEN ke mooh se jisse dekh...


VIDEOUS-arre bhai,tu taarif kar raha hai yaa taunt maar raha hai.. waise maine kuch galat toh nahi kaha..

jo dikh raha hai, wahi bataya...

aur waise bhi,dekhne bhar se hi VALDIS and MABEL look great with each other....

aur in dono ka hug was like ice on the cherry with the sign of there love approval....

simple maths hai mere bhai,iske liye love guru hone ki zaroorat nahi hai..


jahan VIDEOUS ki baat ko sun ACCHUTA ki taklif badh gayi thi wahin ek smile ke saath mai aage badha aur ACCHUTA ke paas jaakar khada ho gaya...

mujhe apne paas dekh ACCHUTA ne apne chehre ke pain waale bhaav chhupa liye the...

khair,uske paas pahunch maine uske kandhe par haath rakha aur mere aisa karte hi jaise achanak uska jalta hue dil par thanda paani padne laga tha...

asliyat abhi bhi pehle jaise hi thi par mera uske paas hona ACCHUTA ke liye jaise dard par rahat bhari marham thi..

yahi wajah thi ki itne der me pehli baar uske face par halki si smile thi...


wahin in sabke beech MAHI ko ye feel hone laga tha ki jo bhi baat mai kar raha hun,uske piche koi aur hi reason hai aur tab jab achanak se usne ACCHUTA ko aur uske face par dikh rahe dard ko dekha,toh woh hairan ho gayi thi..

aur jab mai ACCHUTA ke paas jaane laga aur uske face par dikh rahe dard kam hone lage toh ye dekh usse itna samajh aane lag gaya tha ki meri baatein ACCHUTA se related hain....

yahi wajah thi ki woh meri baaton ko aur ACCHUTA ke haav bhaav ko bade gaur se dekhne lagi thi...

khair, ACCHUTA ko dekh maine saamne VIDEOUS ko dekha aur...


MAI-dimag ke saare chakshayu kholkar dhyan se sun ki...



jo dikhne waali chizen hi sach hai,toh adrishya hawa se bada koi JHOOTH NAHI....

jo jala de woh AAG hai, suraj se milne waali DHOOP NAHI.....

dil par asar dil ka hi hota hai,sharir ka nahi,

jo jism se lipatna hi mohobbat hai,toh phir AJGAR ke bada koi MEHBOOB NAHI.....















AAJ KE LIYE ITNA HI.....

















AAPKA APNA V...J.......
Zabardast update dost
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,267
38,658
258
Nice update 🤠🤠🤠
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF RAAZ ALFREEN SE BINA USSE PATA LAGNE DIYE USKI GOD GIFT SHAKTIYAN HAASIL KAR LETA HAI WAHIN DUSRI TARAF MABEL VALDIS KO DEKHKAR BEHADH KHUSH HO JAATI HAI.

AB AAGE:-



CHAPTER-2

(UNEARTH THE IMMORTALS)


UPDATE-110


PLANET-ELYSIAN

PLACE-GAFFERS ABODE






HAIL GAFFER....(gaffer-person in charge)



apne ghutno par aate hue kahi ye baat teeno DEVOTEES ne par jiske aage ye teeno jhuke the,woh VIDEOUS nahi KOI AUR THA....

anyways, DEVOTEES ke greet karne ke baad..


GAFFER-khade ho jaao...


apni hi soch me goom woh unknown banda joki teeno DEVOTEES ka GAFFER tha,usne kahi ye baat jispar woh teeno apni jagah par khade ho gaye aur..


1ST DEVOTEE-GAFFER,woh hume.....

GAFFER-kuch bhi pata nahi chala us PLANET me...


us DEVOTEE ki baat puri ki us unknown GAFFER ne jispar..


1ST-yes GAFFER....

GAFFER-hmm..laga hi tha mujhe...

2ND-GAFFER,kya mai kuch puch sakta hun...???

GAFFER-jo chahta hun mai,woh toh ho hi raha hai,phir ye manzil par pahunchne ke naye routes kyun dhoond raha hun mai???yahin puchna chahte ho naa..!!!!

2ND-yes GAFFER...

GAFFER-har sawal ka ek hi toh jawab hai,RAAZ....aisa toh ho nahi sakta ki jo mai chahta hun,usse anjaan ho woh...

par phir bhi uska ATTITUDE us taraf anjaana aur carefree sa hai..kyun...???

koi bhala BRAMHAASTRA lene se kaise mana kar sakta hai...????

1ST-ho sakta hai ki usse uski zaroorat mehsoos naa hi rahi ho...??

GAFFER-mere bacche,taakat paise ki tarah hoti hai,kabhi puri nahi padti...

aur agar maan bhi lun ki usse zaroorat nahi hai,lekin mujhe toh hai...

isiliye mai chahta hun ki dhaage ka koi sira meri nazar se bacha naa rahe...

3RD-hamare liye koi aadesh...!!!!


abhi us third DEVOTEE ne ye baat kahi hi thi,ki tabhi uske aur baaki dono saathiyon ke brains me un sab ko aage kya karna hai, uske instructions gunj uthe jiske baad ek baar phir apne GAFFER ke aage sir jhukate woh teeno gayab ho gaye aur unke gayab hote hi...


GAFFOR-RAAZ, bhale hi chunouti ki baarish tere aur LORD ke beech baras rahi hai,par sukoon ke kuch boonde mere hisse bhi chhitke hain jinhe mai samet kar hi rahunga....





3 MONTHS LATER:-





PLACE-CHOSENS


I AM VERY PROUD TO SAY THAT THIS BATCH IS BY FAR THE BEST BATCH OF CHOSENS....

bohot khushi aur josh se bhar kahi ye baat REGIS ne...

reason....

is session ke ab tak guzre 5 mahino ke safar me aisa pehli baar hua tha ki 5 SAVENTS joki mai, VIDEOUS, ACCHUTA, SLUNDER aur BRAWNY the,hum paanchon ke paanchon REFINERS completely open ho chuke the aur saath hi hum paanchon ke AMPLIFICATION power 15 percent par the joki humare dono WHIZZDERS se 1 percent zyada the....

khair,ye toh hui hamari baat..par hum paanchon ke saath ALFREEN, MAHI, MABEL aur VALDIS ne bhi bohot progress kar liya tha..

jahan ALFREEN ne ab tak apne 4 REFINERS ko complete power tak activate kar liya tha aur paanchwe aur aakhri refiner ke averege power tak bhi woh pahunch chuki thi aur uska AMPLIFICATION power 12 percent par tha,wahin MAHI,MABEL aur VALDIS ne ab tak apne apne teen REFINERS ko complete power tak activate kar liya tha..

par AMPLIFICATION power ke maamle me MAHI aur MABEL saath saath 11 percent par khade the aur VALDIS un dono se ek percent piche chal raha tha..

baaki ki class ki bhi performance achi hi thi jisme sabse bada shrey session ke pehle mahine ke aakhir me bitaye FORBIDDEN FOREST ka tha...

anyways, REGIS ki baat sun jahan puri class kaafi khus dikh rahi thi wahin sabse ulat MAHI ke face par halki si udaasi thi..

reason...

RAAZ matlab mai....

baat darasal ye thi ki 3 mahine pehle jab ALFREEN ne ek saath do REFINERS ko full aur average power tak activate karne waala kaarnaama kiya tha aur uska reason mujhe bataya tha,tab MAHI ne mujhe uske saath practice karne ki request ki thi,saath hi apni ability nikharne ke tips bhi maange the jispar maine usse mana kar diya tha...

itna hi nahi, MAI,ACCHUTA, SLUNDER, BRAWNY, ALFREEN, MAHI,MABEL jiske saath VALDIS bhi hota tha,hum sab zyadatar saath hi hangout karte the jahan mai baaki sabse toh normal way me hi sahi par thik se baat kar hi leta tha siway MAHI ke...

MAHI ko mai zyadatar ignore hi karta tha jisse woh bohot achi tarah samajhti thi..

ek aur wajah bhi thi aur us wajah ka naam tha MORANA...

EXERTION me behosh hone ke kareeb 15 din naad usse hosh aaya tha aur tabse abtak kayi baar woh mere aaju baaju mandra chuki hai..


mere baahar hangout karte waqt bhi kayi baar woh mujhse takrayi hai aur har baar sabke saamne usne mujhse closeness dikhayi hai...

waise toh usse dekh yaa phir ye kahun ki mujhse chipakte dekh MABEL aur ALFREEN ko bhi acha nahi laga hai par MAHI ko sirf bura hi nahi laga balki taklif bhi hui hai...

yahi saari wajah thi uski udaasi ki jisse waise toh woh sabse chhupati hi rehti thi par dil ki taklif chehre par pura parda rehne kahan deti hain isiliye kabhi kabhi woh udaasi,woh taklif uske face par dikh hi jaati thi thik jaise abhi dikh rahi thi...

anyways, REGIS ki baat ko aage badhate hue....


SAPIUS-waise toh aapke pure batch ka ab tak ka performance kaafi acha hai par is baat ko jhhutlaya nahi jaa sakta ki aapme se kuch SAVENTS baaki puri class se bohot aage nikal chuke hain..

aur mera manana hai ki woh success hi kya jisse dusron ko bhi faayda naa mile...

aur issi tark par aaj hum kuch bohot hi alag aur interesting task karne waale hain jiska naam hai...


REGIS/SAPIUS-REAL DECEPTION


jahan REGIS aur SAPIUS ki baat sun puri class is naye task ko lekar excited dikhne lagi thi wahin halki hairani ke saath HIDA SAPIUS aur REGIS ki taraf dekha..

reason..

is task ke baare me un dono ne HIDA se kuch nahi kaha tha aur isiliye jaise hi SAPIUS aur REGIS ne class se aaj hone waale task ka naa bataya toh..


HIDA-REAL DECEPTION...really..!!tumhe pata hai naa ki ye task PHASE 3 SAVENTS perform karte hain and before that,tumne mujhe kyun nahi bataya is baare me....???


REGIS-HIDA,look around..is PHASE me ab aise SAVENTS hain jinke aage PHASE 3 SAVENTS bhi bacche lagenge...

aur bataya tumhe humne isiliye nahi kyunki pehle hum dono khud is task ki roop rekha ready karna chahte the,uske baad tumhe batana chahte the aur kal raat hi saare maths aur measures hume clear hua...


SAPIUS-aur aisa hote hi hum tumhe batana chahte the par phir socha ki kyun naa tumhe bhi class ke saath saath batakar surprise karen...


HIDA-roop rekha ready kar rahe the matlab...!!!

REGIS-haan HIDA, roop rekha...kyunki hume maalum hai ki sirf kuch extraordinary SAVENTS ki wajah se original REAL DECEPTION joki PHASE 3 me practice kiya jaata hai,hum yahan usse implify nahi kar sakte the,its too risky, isiliye humne thoda alag aur aisa easy way out socha jisse is task me kisi bhi SAVENT ko koi pysical nuksaan naa ho...

HIDA-kaise,explain....!!!

SAPIUS-well,its quite simple actually...jahan PHASE 3 me practice kiye jaane waale me REAL aur DECEPETION,in do words me REAL waala part dangerous hota hai,wahin yahan aisa kuch nahi hoga..

dono hi parts normal honge...

HIDA-par aisa me toh SAVENTS ko koi faayda hi nahi hoga...REAL DECEPTION task ka motto hi yahi hai ki chaaron AMPLIFICATION modes me dar waale element ko trigger kiya jaaye kyunki dar me jab performance acha hota hai toh AMPLIFICATION aur REFINER powers ko extra boost milta hai jisse unki progress badh jaati hai...

par agar REAL aur DECEPTION,dono hi parts me risk nahi raha toh SAVENTS ko dar bhi nahi lagega aur naa hi unke AMPLIFICATION aur REFINER powers ke growth chances banenge....

SAPIUS-HIDA,tumne meri baat dhyan se suni nahi...maine kaha ki task normal rahega,ye nahi kaha ki easy rahega...

risk honge,bilkul honge par aise nahi ki serious injury ho,haan par lagega aisa hi ki agar task ke kisi REAL part me fail hue toh injury zyada ho sakti hai...

aur ye baat hum batayenge nahi SAVENTS ko jinse unka dar bana rahega...

HIDA-ohh.matlab REAL part ko bhi half deceptive banaya hai tum dono ne..

SAPIUS/REGIS-exactly.. isiliye hi toh waqt lag gaya...

HIDA-brilliant, let's do this...


ab HIDA bhi satisfied lag rahi thi aur isiliye woh bhi kaafi josh me apne dono colleagues ke saath SAVENTS ki taraf palti aur sabko ground me aane ke liye bol TRUE DECEPTION task ki taiyari khud dekhne ke liye classroom se bahar nikal gayi is baat se anjaan ki uski, SAPIUS aur REGIS ki baat se anjaan ki unka socha normal way hard way me badalne waala hai....





REAL DECEPTION TASK:-




REGIS-aap sab soch rahe honge ki ye REAL DECEPTION TASK asal me hai kya???

aur bhala kis tarah se ye task aap sabko progress karwa sakta hai....!!!!

SAPIUS-REAL DECEPTION..jaise ye do words hain waise hi isme hone waala task bhi do hisso me bata hua hai..

pehla bhaag REAL matlab sach hoga aur dusra bhaag DECEPTION matlab dhoka hoga...

is task me aapke saamne do tarah ke challenge aayenge,jinme se ek challenge sach hoga jisse aapko yaa toh bachna hai yaa phir us attack ko nasht karna hai aur dusra challenge joki DECEPTION hai,dhoka hai, us DECPETION ko samajhkar aapko us attack me kuch bhi nahi karna hai..

us attack ko aapko embrace karna hai..agar aapne ek bhi DECEPTION attack ko samajh usse embrace kar khud ko bacha liya toh aap task jeet jaayenge...

yaad rahe, chaahe real attacks aap jitne bhi dogde karen,task aap tabhi JEETENGE tab aap DECEPTION attack ko samajh usse embrace karenge...


REGIS-aur ab suniye isme aapko hone waala faayda...

toh baat ye hai ki is task ke dono hi attacks me bhale hi woh real ho yaa phir DECEPTION,usme ek energy AURA hoga..

aur aapke successful hone par woh AURA aapke andar samakar aapke AMPLIFICATION modes aur REFINER powers ke saath merge ho jaayega jisse in dono hi power boosters ke trigger points tez ho jaayenge....

got it...

yes WHIZZDER...


kaafi josh aur excitement se bhar kahi ye baat saare SAVENTS ne jiske baad...


HIDA-and lastly, RAAZ, VIDEOUS, ACCHUTA SLUNDER,BRAWNY...kyunki aap paanchon pehle se hi baaki sabhi se bohot zyada aage hain toh isiliye is task me aap sab participate nahi karenge..

aap paanchon bhi hum teeno hi ki tarah bas darshak hi honge... allright..!!!


HIDA ki baat par haan me sir hilaya hum paanchon ne aur unke side me jaakar khade ho gaye...

aur aisa hone ke baad....


HIDA-ye task kul teen groups me divided hoga...


ALFREEN,MABEL,MAHI aur VALDIS... kyunki aap chaaron bhi apne baaki sabhi PHASEMATES se kaafi aage hain, isiliye aap chaaron 2,2 ke group me participate karenge..

aur teesre group me baaki sabhi SAVENTS honge...

shuruat ALFREEN, MABEL, MAHI, VALDIS aap chaaron me se koi 2 ke through hogi...

uske baad sabhi SAVENTS is task ko perform karenge aur aakhir me baaki ke bache do SAVENTS ka number aayega...

so, MAHI, VALDIS,aap dono sabse pehle taiyar ho jaayiye....task aap dono shuru karenge...

VALDIS-WHIZZ mai MAHI ke saath...i mean kya mai..

HIDA-kyun dar lag raha ha..dont worry, MAHI khayal rakhegi tumhara..

hahahaha...


HIDA ki baat par SAVENTS hasne lag gaye jisse dekh VALDIS ki aage kehne waali baat uske man me hi reh gayi...


VALDIS MABEL ke saath perform karna chahta tha par HIDA ki baat ke baad uski ye khwahish toh ab puri hone se rahi aur isiliye..


VALDIS-no WHIZZ,i am good....


bhaari man se kahi ye baat VALDIS ne jiske baad...


SAPIUS-great then...

wahan aage dekhiye,red sand se ek circle bana hua hai..woh circle task trigger point hai..

aap dono ko wahan jaakar khada hona hai..

jaise hi aap dono us circle me pahunchenge, aap dono ka challenge start ho jaayega....


SAPIUS ki baat sun ALFREEN aur MABEL ne un dono ko all the best kaha jiske baad MAHI aur VALDIS chalte hue aage badhe aur ground ke beech me jaakar jahan woh red circle bana hua tha,wahan jaakar khade ho gaye aur aisa hote hi....


DDRRRRR...DRRRR....DRRRRR.....


jahan woh dono khade the,us jagah aur aas paas ki bhi zameen hilne lagi jisse un dono ka bhi balance dagmagane laga..

kisi tarah woh dono apni jagah par tike hue hi the ki tabhi un dono ko apne pair ke neeche se kuch upar aata feel hua aur ye feel kar woh dono neeche dekhte ki tabhi...


SOOBH....SOOBH.......

MAHI aur VALDIS ke dono hi taraf se do bade gigantic aag ke gole unki taraf aane lage the jisse dekh ek pal ke liye dono ki hi aankhen badi ho gayi par phir...


VALDIS-ye REAL hai yaa phir DECEPTION...!!!


yahan VALDIS sawal kar raha tha,aur wahan MAHI ki aankhen band ho chuki thi.

reason...

woh un dono hi aag ke golon ki heat intensity ko feel karne lagi thi aur ek pal ke 10we hisse me hi usse samajh aa gaya tha ki ye aag ke gole DECEPTION nahi balki REAL the...


MAHI-ye real hain...


MAHI ne un golon ka sach bata diya tha..

par ek sach ye bhi tha ki in sabke beech woh dono aag ke gole unke behad kareeb aa chuke the jiska matlab tha ki ab woh dono upar akaash ne nahi kud sakte the aur isiliye..


MAHI-VALDIS,neeche let jaao...


MAHI ki baat khatm hote hi woh aur VALDIS,dono hi neeche zamin par let chuke the aur thik tabhi..

BOOM.....

dono taraf se aa rahe aag ke gole ek dusre se takrakar khatm ho gaye...

jahan ye dono baal baal bache the wahin ye sab sabhi SAVENTS bade excitement ke saath dekh rahe the..

khair,abhi MAHI aur VALDIS us first real humle se bache hi the ki tabhi...


BHAKKKK....

jahan woh lete the,wahan ki zamin se do bade bade patthar ek jhatke se bahar nikle par kyunki woh dono zamin se lag kar lete hue the, isiliye unhe un pattharon se koi haani toh nahi pahunchi par un pattharon ne un dono ko upar akaash me ucchal diya..

behadh tez gati se un dono ka hi sharir hawa me upar uthne laga tha aur tabhi...


KADKADKADKAD...


un dono ke ke thik upar aasman me bijli banane lagi jisse dekh ek pal ke liye un dono ki aankhen badi ho gayi thi par phir VALDIS aur MAHI dono ne hi khudko sambhala aur ek saath...


KAWACHAM PRAKATAM....


ek saath uccharit kiya un dono ne is SPELL ko aur ye wahi waqt tha jab unke upar ban rahi bijli ne unpar attack kiya...

jab bijli ban rahi thi,toh hawa ke dabav ko feel kar dono hi samajh gaye the ki abhi hone waala attack bhi DECEPTION nahi balki REAL hai aur isiliye hi un dono ne usse EMBRACE nahi kiya tha..

khair, SHIELD ki wajah se woh bijli un dono ka kuch bigaad nahi paayi par haan, lightning ke lagne se MAHI aur VALDIS,dono ke hi girne ki raftar kaafi speed ho gayi thi aur aisa hone par jab un dono ki nazar neeche ki taraf gayi toh unhone dekha ki woh dono neeche ubhare chattan numa pattharon se takrane waale hain aur ya dekh VALDIS ne apne flying capability ko use karne ki sochi par tabhi..


MAHI-ye pathar DECEPTION hain..hume inhe embrace karna hoga...

VALDIS-what..!!!are you sure...agar ye bhi real hue toh hamari chatni ban jaayegi..

MAHI-aisa kuch nahi hoga..dekho dhyan se.. patharon ka upri layer behte paani ki tarah hil raha hai...


ab tak kaafi neeche aa chuke the woh dono aur isiliye VALDIS ko bhi pattharon par movement saaf dikhne lagi aur isiliye usne MAHI ki baat maan ki jiske agle hi pal...


CHAPAAKKKHHH....


woh dono un pattharon par joki asal me pattharon ke roop me ek pool tha,usme gir gaye aur aisa hote hi woh patthar roopi mayavi pool gayab ho gaya jiske baad woh dono zamin par khade the aur ye dekh..


HIDA-absolutely brilliant MAHI and VALDIS..bohot hi behatarin performance diya hai aap dono ne...


kaam pura MAHI ne kiya tha,par credit uske saath VALDIS ko bhi mila tha jisse badi shaan ke saath accept karte hue..


VALDIS-thanks WHIZZ...

HIDA-acha ek baat batao,is aakhri DECEPTION ke waqt kuch feel kiya tum dono ne...

VALDIS-yes WHIZZ..ek ajeeb sa sensation feel hua puri body me...

HIDA-ye ussi ENERGY AURA ki wajah se hua jo task me successful hote hi tum dono ko as a gift mil gaya aur ab tumhare body me flow kar raha hai..


jahan HIDA ki baat sun bohot khush ho gaye the VALDIS aur MAHI wahin apni baat ko aage badhate hue...


HIDA-toh dekha aap sabne..yahi hai REAL DECEPTION TASK...aur ab baari hai aap sabhi STELLARS ki...

jaayiye,aap sab bhi us red circle ke baach khade ho jaaiye..all the best...


HIDA ki baat sun thanks bol sabhi STELLARS aage badhe aur us circle ke beech jaakar khade ho gaye jiske agle hi pal....


SHHHHHH...SHHHHHH....

samandar ki tez lehren im sabke chaaron taraf prakat hote hue unki taraf tezi se aage badhi..

ab ye REAL tha yaa phir DECEPTION,iska bhedh karne se pehle hi woh lehren saare SAVENTS tak pahunch chuki thi jiske agle hi pal woh sabhi un lehre ke beech hichkoule khaane lage the aur aisa hone par unhe ehsaas hua ki woh paani ki leher asli thi...

khair,isse nipatne ke baare me woh sab soch hi rahe the ki tabhi un sabse thodi door paani me hi chakra banane laga aur aisa hone par woh sab us chakra ki taraf apne aap badhne lage...

par is baar woh sab samajh gaye the ki ye chakra REAL hai aur isiliye sabne hawa me hi adrishya khute ke sahara lete hue ek rassi prakat ki aur uske sahare khudke forward movement ko rok liya...

un sabne aisa kiya hi tha ki tabhi unse aage bane chakra ke beech me hulchul hone lagi aur agle hi pal us jagah se ek bohot bada sa crocodile bahar nikla aur un sabki taraf badhne laga jisse dekh un sabki haalat kharab ho gayi...


par jahan zyadatar SAVENTS dare hue the, wahin un sabme kuch SAVENTS ne dhairya se kaam liya aur dhyan se us aage badhte hue crocodile ko dekhne lage aur aisa karte hi un sabki aankhen chamak gayi...


reason..

crocodile ki upari khaal jahan hadh se zyada sakht hoti hai,wahin is crocodile ki upari khaal lachili aur soft lag rahi thi jisse dekh woh sab samajh gaye ki ye crocodile DECEPTION hai aur un sabne is baat ko baaki sabko bhi bataya aur khud apni pakdi rassi chhod us crocodile ki taraf badh gaye..

wahin is DECEPTION ke baare me sun baaki sabne bhi apni apni rassi chhod di jiske baad wih sab us crocodile ke paas pahunch gaye..

aur jaise jaise SAVENTS us crocodile ko chhune lage,waise waise woh sab gayab hokar teeno WHIZZES aur WHIZZDERS ke paas pahunchne lage..

kuch hi der me saare SAVENTS teeno WHIZZES aur WHIZZDERS ke saamne the jiske baad us paani ki maaya ka bhi anth ho gaya...


DECEPTION task ko successfully complete karne ki wajah se un sabhi ko apne apne andar ek nayi urja feel hi rahi thi jisse mehsoos kar sabhi SAVENTS kaafi khush nazar aa rahe the..

teeno WHIZZES aur WHIZZDERS ko bhi ye baat pata thi aur isiliye..


SAPIUS-congrats SAVENTS... bohot acha perform kiya aap sabne aur aap sabke face ki smile bata rahi hai ki ENERGY AURA aap sabke dhamniyon me pahunch chuka hai... great...


REGIS-MABEL, ALFREEN...now your turn....


apne sir ko haan me hilate hue ALFREEN aur MABEL aage badh chali aur sidhe jaakar us circle me khadi ho gayi aur aisa hote hi....


SSSSSWWWWWW......


ALFREEN aur MABEL ke saamne andhera chhaane laga aur saath hi tez hawa chalne lagi....

us hawa ki awaaz itni tez thi ki apne apne kaano me un dono ko us awaaz ke ilawa kuch aur sunayi hi nahi de raha tha...

jahan is situation ko dekh MABEL halki ghabra gayi thi wahin ALFREEN ke antarnam me gunj rahi thi ye baat...


SABSE BADA SHOR KHAMOSHI KA HOTA HAI...AGAR THEEK SE DHYAN DIYA JAAYE TOH ANTARMAN KI KHAMOSHI ME US SHOR KO SUNA JAA SAKTA HAI JO US WAQT KE LIYE KAAM KI HOTI HAI...


ye meri kahi baat thi jo gyan ke roop me intake kiye tha ALFREEN ne aur is waqt yahi gyan uske kaam aane waala tha..


is tez shor ke saath behti hawa ke beech apne man ko shant kar uski taraf concentrate karna shuru kiya ALFREEN ne aur uske aisa karte hi usse ek nayi awaaz apni taraf aate mehsoos hui aur aisa feel karte hi...


ALFREEN-watch out MABEL...


MABEL ko apne saath lete hue ek taraf jump laga gayi ALFREEN...

aur tabhi,

TANNN...

do taraf se aate hue bhaale ek dusre se takrakar gayab ho gaye aur unke ek dusre se takraane par hue awaaz ko sun unki asliyat jaan gayi MABEL aur..


MABEL-yaar,ye task toh deadly hai..agar tujhe un bhaalon ka nahi pata chalta toh woh hume pierce kar dete...

ALFREEN-nahi aisa nahi hai..woh bhaale hume touch karte hi gayab ho jaate.

par haan,hum task zaroor haar jaate...

MABEL-hamari baari me task thoda zyada kathin nahi lag raha..!!!

ALFREEN-sense ki kala zaroori hoti hai MABEL...har musibat darwaza khatkata kar nahi aati...


ALFREEN ki baat abhi khatm hi hui thi ki tabhi....


MABEL-ye zamin soft kaise ho gayi..??


MABEL ka sawal abhi pura hi hua tha ki tabhi usse jawab bhi mil gaya..

kyunki zamin ke soft hote hi andhera bhi chhatne laga aur jaise hi roshni hui toh usne dekha ki un dono ke neeche ab ground ki zamin nahi balki reth hi reth thi...

abhi woh dono is change ko dekh hi rahe the ki tabhi....


SWWOOHHH....

is ajeeb se awaaz ko sun woh dono satark ho gaye...

us faili hui reth ke chaaron taraf un dono ne is awaaz ke saath tez hulchul feel ki jiske agle hi pal us reth se apna fun uthakar bahar aaye dher saare kaale deadly saamp jinke fufkaar ki garmi saaf mehsoos kar rahe the ALFREEN aur MABEL...

aur usse feel kar woh dono samajh gaye ki ye sab DECEPTION nahi balki REAL hai aur isiliye un saare saanpo ko maarne ke liye woh dono SPELLS bolne hi waale the ki tabhi...


ALFREEN-ek second MABEL...hume saare saanpo ko nahi maarna hai...


ALFREEN ki baat sun hairani se bhar uthi MABEL aur...


MABEL-arre ye sab DECEPTION nahi,REAL hai....

ALFREEN-haan,par puri tarah se nahi...

MABEL-matlab..!!!

ALFREEN-woh dekh..saare saanp pure kaale hain par woh us taraf woh aakhri waala saanp halka WHITE hai aur saath hi woh behadh shaant hai...


apne right ki taraf point karte hue kahi ye baat ALFREEN ne jahan dekhte hi MABEL ne bhi wahi gour kiya jo abhi abhi ALFREEN ne kaha tha aur isiliye...


MABEL-haan yar,ye toh kaafi alag hai..

ALFREEN-wo saanp DECEPTION hai..hume bas baaki saanpo ko maarna hai aur usse chhod dena hai..


ALFREEN ki baat khatm hote hi uske aur MABEL ke haathon me agni dikhne lagi jisse un dono ne apne targeted saanpo ki taraf chhod diya jiske agle hi pal woh saare saanp jalkar mar chuke the..

bacha sirf wahi saanp jo DECEPTION tha aur aisa hote hi woh saanp bhi gayab ho gaya jiska matlab tha ki TASK COMPLETED...


teeno WHIZZ, WHIZZDERS aur unke saath sabhi SAVENTS bhi is task ko bade gour se dekh rahe the aur jab MABEL aur ALFREEN ne apne final REAL aur DECEPTION task ko pura kiya toh smile karte hue SAPIUS ne apna haath aage kiya taaki MABEL aur ALFREEN ke paas ka retila mouhal normal ho jaaye par tabhi....


ek invisible ray unke paas se hi aage badhte hue us reth me chali gayi jiske agle hi pal....

SSSSSSS......

ek tez vibration hone lagi us reth me jisse aur toh koi nahi par mai zaroor pehchaan gaya tha aur isiliye...


MAI-ALFREEN, MABEL,watch out..


zor se bola maine jiske agle hi pal MABEL aur khaaskar ALFREEN bohot zyada satark ho gayi aur thik tabhi...


SSSSWOOOOOO....


un dono ke pairon ke theek neeche se kuch bahar aaya jisse dekh teeno WHIZZES WHIZZDERS aur SAVENTS ke mooh se ek saath nikla...


WYVERN....


kuch yaad aaya..wahi 8 feet uncha,20 feet lamba two legged carnivorous creature jo thoda thoda dragon jaisa dikhta hai..

EXERTION ke second challenge SURVIVAL me WEAKLINGS ke hisse me aaya creature joki reth ke andar se bahar nikal humla karta hai...

ye wahi creature tha jo ALFREEN aur MABEL ke neeche ki reth se apna bada sa mooh jisme woh dono araam se sama jaati,bahar nikla tha aur jisse dekh teeno WHIZZ aur WHIZZDERS hairan reh gaye...


HIDA-what the FU**ye WYVERN yahan kaise..??kya ye additional DECEPTION bhi plant kiya hai tum dono ne...


mooh faade us WYVERN ko dekh rahe SAPIUS aur REGIS ne jab HIDA ki baat suni toh...


SAPIUS-ye humne nahi kiya..

REGIS-aur ye WYVERN DECEPTION nahi, asli hai...

HIDA-what..???oh shit...


hadh se zyada hairan hote hue HIDA ne apne haath aage kiye taaki is naye musibat se chhutkara paaya jaa sake aur...


JEEVAAH VINASHAKAM

CREATURE DESTROY


is SPELL ko man hi man socha HIDA ne par ye kya....???

CHRRR.....


do feet aage badhne ke baad is awaaz ke saath HIDA ke bole SPELL se nikli urja ek adrishya shield se takrakar gayab ho gayi aur aisa hote dekh HIDA ki hairani ka thikana naa raha...

aur ye hairani sirf HIDA tak hi simit nahi reh gayi thi...uske aage bane shield ki hi tarah wahan moujud har kisike aage ek shield ban gayi thi jisse bhed naa toh SPELL bola jaa sakta tha aur naahi khud aage badha jaa sakta tha...

wahin dusri taraf jaise hi WYVERN reth se bahar nikla, toh ALFREEN ne naa sirf MABEL ko saath lete hue upar jump laga diya balki behatarin sujh bujh dikhate hue ek magic door apne neeche khol diya taaki woh WYVERN us door se hote hue uske dusri taraf joki wapas neeche pada reth hi tha,wahan pahunch jaaye jiske baad ye silsala chalta rahe...

par ALFREEN ki hairani tab badhi jab uske banaye MAGIC DOOR ke just upar ek aur MAGIC DOOR ban gaya jisse WYVERN bahar nikal wapas un dono ki taraf lapka..

aisa hote dekh ALFREEN hadbada zaroor gayi par khudko turant sambhalte hue usne phirse ek naya MAGIC DOOR apne neeche create kiya par is baar bhi wahi hua jo last time hue tha..

us magic door ke upar ek naya door ban gaya jisse nikal us WYVERN ne un dono par humla kiya..

ab ALFREEN ke paas sirf khudko aur MABEL ko jitni der tak ho sake,bachane ke alawa koi raasta nahi bacha tha aur isiliye woh MABEL ko pakde hue upar hawa me lagatar zig zag raasta lete hue uthne lagi..

wahin in sab ke beech MABEL ko toh kuch samajh me hi nahi aa raha tha..woh hadh se zyada dar gayi thi...

aur in sabse alag tha ACCHUTA jo pehle WYVERN ko dekh,uske baad apne aage SHIELD ko dekh aur ab MABEL ki dari hui surat ko dekh behadh ghusse me aa gaya tha..

waise ghussa toh BRAWNY, SLUNDER aur MAHI ko bhi bohot aa raha tha..

par jahan MAHI itni shashakth nahi thi ki apne saamne lagi SHIELD ko tod sake wahin BRAWNY aur SLUNDER aisa karne ki koshish karne lage par woh kaamiyab nahi ho paaye...

khair,itni negetive situation me agar kisi ke chehre par halki si smile thi toh woh thi VIDEOUS ki jisse dekh mai samajh gaya ki ye sab issi saale ka kiya dhara hai..

ek baat aur jo gaur ki thi maine woh ye thi ki jahan baaki sabke saamne hadh se syada strong shield lagi hui thi,wahin isse ulat VALDIS ke aage lagi sheild maamuli thi jisse feel kar mai samajh gaya ki 3 mahine pehle meri kahi gayi baat ko galat saabit karne ke liye VIDEOUS ne ye kiya hai...


MAI-bewakuf...

itna bhi nahi samajhta ki jab tark RAAZ ka ho,toh kisi bhi chaal ke through usse jhhutlaya nahi jaa sakta...



jo haalaton ke aage majboor ho jaaye,

WOH KAISA ISHQ...!!!

jo rokne bhar se rook jaaye,

WOH KAISA ISHQ...!!!

mehboob ke aage jhukaav toh laazmi hai,

par mohobbat par aayi musibat ko dekh bhi jo jhuk jaaye,

WOH KAISA ISHQ...!!!!


meri kahi ye lines gunj uthi ACCHUTA ke dimag me jisse sun khoon light se bhi tez gati se ghumne laga uske pure sharir me aur...


AAMMMMMMMM....


ek gurrahat si nikli uske mooh se jiske baad uske pure sharir se ek behadh hi strong AURA bahar nikal saamne lage SHIELD par pada aur aisa hote hi woh SHIELD ek jhatke me toot gaya...

ye wahi waqt tha jab VALDIS apne aage lage kamzor shield ko tod aage badhne laga tha..

khair,apne aage lage SHIELD ko tod jab ACCHUTA aage badh gaya toh VIDEOUS ko laga jhatka...

reason....

woh SHIELD jisse ACCHUTA ne toda tha,woh uske teeno DEVOTEES aur BLACK ENERGY ki taakat se bana tha..

par ACCHUTA ne tod diya tha us SHIELD ko...

khair,jahan ek taraf ACCHUTA ne SHIELD ko tod diya tha,wahin dusri taraf jiske liye usne is SHIELD ko toda tha, MABEL aur uske saath hawa me uth rahi ALFREEN,un dono ki haalat behadh kharab ho chuki thi...

ALFREEN ke saath ab MABEL bhi lagatar MAGIC DOORS banate hue upar uth rahi thi aur aisa karna uske liye aur saath hi ALFREEN ke liye bhi bohot zyada energy consuming tha..

yahi wajah thi ki jahan ek taraf un dono ki senses weak padti jaa rahi thi wahin dusri taraf WYVERN aur un dono ke beech doori kam hoti jaa rahi thi..

WYVERN aur un dono ke beech ab bas kuch feets ki hi doori bachi thi jisse door se dekhte sabhi SAVENTS aur teeno WHIZZ aur WHIZZDERS ki haalat kharab ho chuki thi...

aur tabhi un sabne dekha ki VALDIS ne apne aage lagi sheild ko tod diya hai aur hawa me uth MABEL aur ALFREEN ki taraf ud chala hai.

par is positive ke baawjud woh sab kaafi nervous aur ghabraye hue the kyunki WYVERN aur un dono ke beech ki doori kaafi kam thi aur itne kam waqt me VALDIS ka wahan tak pahunchna bohot mushkil tha..

ghabrahat ke saath woh sabhi ALFREEN aur MABEL ke liye pray kar hi rahe the ki tabhi..

SOOBHHH.....

VALDIS ke baaju se ek behadh hi strong energy force guzra jisse feel kar woh andar tak hil gaya tha...

aur jab usne khudko sambhal saamne dekha toh uski aankhen badi ho gayi..


VALDIS ki hi kya,saare SAVENTS aur teeno WHIZZ aur WHIZZDERS ka bhi same haal tha..

aur woh isiliye kyunki ACCHUTA hawa se bhi tez raftaar ikhtiyaar kiye WYVERN ke paas pahunch chuka tha..

itna hi nahi, ACCHUTA ke sharir se behta urja ka prabhav ab bhi moujud tha aur jaise hi us urja ne WYVERN ko chhua,
WYVERN blast ho gaya...


ye wahi pal tha jab complete power exhaust hone ki wajah se MABEL aur ALFREEN ke senses hadh se zyada weak pad gaye aur woh neeche girne lage par jahan ALFREEN neeche ki taraf girti chali gayi wahin MABEL ko ACCHUTA ne apne haathon me pakad liya tha..

aisa kar uski nazar neeche girti ALFREEN par padi par woh scene dekh kar bhi usne kuch kiya nahi ulta uske face par ek smile aa gayi..

reason..

neeche zamin par mai khada tha aur ALFREEN ka girta sharir sidha mere haathon me aakar rook gaya tha..

wahin jaise hi WYVERN mara toh WHIZZ, WHIZZDERS aur SAVENTS ke aage lagi SHIELD hath gayi aur woh sab bhaagte hue meri taraf aane lage..

dusri taraf ACCHUTA bhi MABEL ko pakde neeche zamin par aa chuka tha aur is scene ko dekh VALDIS ki buri tarah sulag chuki thi..

woh MABEL ko ACCHUTA ke baahon me bardaasht nahi kar paa raha tha aur isiliye woh bhi turant ACCHUTA ki taraf badh chala..


MABEL....

thartharate haathon se MABEL ke gaalon ko thapthapate hue kahi ye baat ACCHUTA ne jispar dheere se MABEL ne apni aankhen kholi aur aisa hote hi uski aankhen ACCHUTA ki aankhon me jaise rook si gayi..

reason..

aaiye,khud jaan lijiye...


MABEL-tumhari aankhen neeli hain...


apne aap hi nikal gaye ye shabd MABEL ke mooh se jisse sun ACCHUTA bhi halka hairan ho gaya tha aur woh isiliye KYUNKI uski aankhen kaali thi..

khair, filhal toh ACCHUTA ke liye MABEL ka uske itne kareeb hona kisi hasin khwab ki tarah tha aur isiliye woh chup chaap bas MABEL ko dekhta raha..

aur shayad ye silsila abhi aur badhta par tabhi...


VALDIS-MABEL....


VALDIS ki is awaaz se naa sirf ACCHUTA hosh me aaya balki MABEL ko bhi ehsaas hua ki woh abhi ACCHUTA ke haathon ke giraft me hai isiliye woh bhi ACCHUTA se
alag hote hue khadi ho gayi aur aisa hote hi..


VALDIS-thank god that you are safe MABEL..mai toh dar hi gaya tha..


chehre par zamane bhar ki taklif laate hue kahi ye baat usne aur phir ACCHUTA ko dikhane ke liye ki woh MABEL se kitna close hai, VALDIS usse hug karne ke liye aage badha par tabhi..


MAHI tezi se uske baaju se hote hue aage aayi aur sidhe MABEL ke gale lag gayi..

jahan ek taraf MABEL bhi pure dil se apni friend ke gale lagi hui thi, dusri taraf VALDIS MAHI ke yun beech me aane se jhunjla kar reh gaya tha wahin teesri taraf ACCHUTA VALDIS ke jhunjlahat par muskura raha tha aur us muskurahat ko dekh VALDIS ki aur sulagne lagi thi.

is beech MAHI MABEL ka haal puchte hue usse lekar baaki SAVENTS ke taraf joki ALFREEN ko ghere khade the,us aur badh gayi..

wahin ACCHUTA bade pyar se MABEL ko piche se jaate hue dekhne laga tha aur us nazar ko samajhte hue VALDIS ACCHUTA ke saamne aakar khada ho gaya..


EXERTION me ACCHUTA ne jo uska haal kiya tha,us wajah se VALDIS usse darta zaroor tha par in do mahino me woh ye jaan gaya tha ki MABEL ki wajah se ACCHUTA usse kuch karega nahi aur isiliye uska confidence kaafi badh gaya tha..

ussi confidence yaa phir ye kahun ki overconfidence ke saath woh ACCHUTA ke saamne aaya aur...


VALDIS-taakat bohot hai tujhme...



par tujhe kya laga,teri taakat se mai DARKAR RAHUNGA...

jo ghaav tune mujhe diye,unhe mai tere dilli zakhom se BHARKAR RAHUNGA....

didaar hi bas kar sakta hai tu,

MABEL meri hai,aur usse mai apna KARKAR RAHUNGA....



SOOBHHH...



VALDIS ki baat khatm hote hi ACCHUTA ka haath tezi se uske gaal ki taraf badh gaya jiske force ko feel karte hue hi haalat kharab ho gayi thi VALDIS ki par jab usne dekha ki ACCHUTA ka haath uske gaal ke paas aakar rook gaya hai tab jaakar uski jaan me jaan aayi..

wahin VALDIS ke gaal ke paas apne haath ko rok ACCHUTA ne dheere se uske gaalon ko thapthapaya aur...


ACCHUTA-fikr mat kar mere lounde,aaj tera ye baap bohot khush hai, isiliye maarunga nahi tujhe....



kyunki aaj maine apni jaan ki jaan ko BACHAAYA HAI...

lag raha hai jaise ek farz tha,jo aaj maine NIBHAYA HAI....

tu kya alag karega mujhe meri aankhon ke noor se,

MABEL sirf naam nahi,woh rooh hai, jo mere jism se hote hue mere dil me SAMAYA HAI....















AAJ KE LIYE ITNA HI.....
















AAPKA APNA V...J......
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,267
38,658
258
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF TEENO DEVOTEES APNE UNKNOWN GAFFER SE ORDER LETE HAIN WAHIN DUSRI TARAF REAL DECEPTION TASK ME ACCHUTA MABEL KO GIRNE SE BACHATA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-111



PLANET-ELYSIAN


PLACE-CHOSENS


THE GREAT HALL






STELLARS, GROOMERS...


AAP SAB SOCH RAHE HONGE KI AAJ AAPKO APNE APNE CATAGORIES KE ACCORDING RESPECTIVE CLASSES JAANE KE BAJAYE YAHAN THE GREAT HALL ME KYUN ASSEMBLE KIYA GAYA HAI...???

TOH ISKA REASON HAI KI AAJ AAP DONO HI CATAGORIES KE CLASS NAHI LAGENGE PAR HAAN,AAP SABKO SAATH ME EK TASK ZAROOR KARNA HAI....


EDWINA ki is baat par jahan ek taraf uske baaju me khade dono hi catagories ke saare WHIZZES aur WHIZZDERS muskura uthe wahin uske ulat saare SAVENTS chehre par sawal liye EDWINA ki taraf dekhne lage jispar...


EDWINA-saath task karne ka reason aapko task batane par apne aap pata chal jaayega..

waise task behadh simple hai jisse aap sabhi execute karne par bas kuch hi palon me successfully complete bhi kar lenge...


EDWINA ki is baat ke baad HIDA ne apna haath aage ki taraf lehraya aur uske aisa karte hi un sabke aur SAVENTS ke beech ek bada sa SMOKE pragat hua..


par ye smoke thoda alag tarah ka tha..aur woh aise ki ye smoke do hisso me bata hua tha aur uske beech ka bhaag khaali tha...

chehre par ab bhi sawal liye saare SAVENTS us ajeebogarib SMOKE ko jiske dono bhaag halka halka lehra rahe the,dekh rahe the jispar...


HIDA-ye ek DUAD hai...ek couple maker....

PROM GALA..ye naam toh suna hi hoga aapne... pichle 25 thousand years se ye delightful event CHOSENS ki pratha rahi hai...

ye DUAD ussi PROM GALA ka trigger point hai...


PROM GALA ka naam sunkar SAVENTS ke face par dikh rahe question waale expressions jaise gayab hi ho gaye the aur ab wahan khushi dikhne lagi thi..

LIBRARY me THE TRADITION naam ki book me sabhi is event ke baare me padh chuke the aur isiliye hi un sake face par khushi dikh rahi thi...

PROM GALA...ek bohot hi khubsoorat shaam ki gawahi hai ye naam..

is GALA me saare SAVENTS apne apne chosen couple ke saath is event me participate karte hain aur phir kisi ek bande aur bandi ko MR & MRS CHOSENS ke khitab se nawaza jaata hai...

khair,PROM GALA ka naam lene ke baad HIDA ki baat ko aage badhate hue...


REGIS-PROM GALA me har SAVENT ko apne pair ke saath aana padta hai..bina is qualification ke koi bhi SAVENT MR aur MRS CHOSENS ke khitab ko nahi paa sakta..

aur jo DUAD aap sab apne saamne dekh rahe hain,ye aapko apne PROM GALA ke partner ko talashne me madad karta hai...

aur yahi process aaj aap sabka task bhi hai....kaise,ye apko SAPIUS batayenge....

SAPIUS-aaj se thik 1 mahine baad is session ka PROM GALA HAI...

PROM GALA me aane ke do tarike hain hain..pehla tarika hai ki aap khud apne partner ko approch karen aur uski sehmati milne ke baad as partners us event me shirkat len..

aur dusra tarike is DUAD ke through hai...toh karna ye hai ki GIRLS,BOYS...gender wise aap sab is DUAD ke dono taraf khade honge
aur ek ek kar iske paas aakar apni taraf ke smoke ke beech haath rakhenge...

aisa kar aapko man hi man SAMPURN SNEHAM joki aapka LOVE REFINER hai,usse uccharit karna hain....

aapke aisa karte hi aapke taraf ka smoke compatibility ke according aapke liye partner chunega aur is DUAD ke beech ke khaali bhaag me match ke hisaab se aapke aur aapke match ka naam prakat hoga..

GOT IT....


SAPIUS ki baat sun double excitement bhar uthi thi saare SAVENTS me...

aur reason bhi obvious tha..baat ye thi ki CHOSENS ki padhayi,yahan ke task itne tough hote hain ki SAVENTS ka pura concentration har waqt ussi par focused rehta hai..

aisa nahi hai ki SAVENTS hain toh attraction ka ganit yahan kaam nahi karta..

attraction toh in sabko bhi hota hai par waqt ki kami aur task ke level itne hard hote hain ki love game khelne ka waqt hi nahi milta kisiko..

toh aise me khudke dum par partners ready karna PROM GALA ke liye in sabke liye EXERTION challenge se kam badi baat nahi thi jisse unke saamne dikh rahe DUAD task ne asaan kar diya tha..

wahin sabke beech ek aisa banda bhi tha jo is DUAD ke through partner dhundne waale task se khush nahi tha aur woh tha VALDIS...

usse is baat ka andaza tha ki agar usne aur MABEL ne DUAD par haath rakha toh iske chances bohot kam hain ki woh aur MABEL partners select hon..

par dusri taraf SAPIUS ke bataye first option ko sun jisme apne partners khud se chunane ki baat batayi gayi thi,usse jaan woh khush bhi tha..

is beech usne ye bhi gour kiya ki ACCHUTA ki nazar MABEL par hi tiki hui hai aur uske baaju me khada SLUNDER usse kuch bol raha hai aur uske batane ke haav bhaav ko dekh VALDIS ko laga ki zaroor SLUNDER ACCHUTA se MABEL ko GALA partner ke liye puchne ke liye motivate kar raha hai ..

waise toh VALDIS ko pata tha ki MABEL ACCHUTA jaise below average look waale bande me kabhi bhi interest nahi legi par woh ye bhi jaanta tha ki prom gala me jaane ke liye pyar aur attraction hone ki zaroorat nahi hai..

ACCHUTA ke puchne par ek friend ke haisiyat se bhi MABEL usse haan keh sakti hai aur issi baat se woh halka nervous bhi dikhne laga tha...

wahin ACCHUTA ki taraf chalen toh SLUNDER wakayi me usse MABEL ko approch karne ke liye motivate kar raha tha jisse sun ACCHUTA ne bhi decide kar liye tha ki woh abhi hi jab saare WHIZZES aur WHIZZDERS disperse honge,toh MABEL ko approch karega...

khair,yahan alag alag speculations aur mathematics chal rahe the aur wahan SAPIUS ki baat ko aage badhate hue yaa phir ye kahun ki saari baaton ko khatm karte hue...


HIDA-toh boys and girls...DUAD ke is task ko pura karne ke liye aaj ka pura din hai aap sabke paas...

pura din isiliye taaki is pure din ke beech jo bhi apne wish ke according apna partner chunana chahta hai toh woh ye kar sake.

aur baaki sab is DUAD par haath rakh jaise bataya gaya hai,us procedure ko follow karte hue partner choosing ke liye apni compatibility submit kar sakte hain...

all the best...


jahan HIDA ki baat ke baad sabhi WHIZZES aur WHIZZDERS ek ek kar THE GREAT HALL se bahar ki taraf nikal gaye wahin unke jaane ke baad woh sabhi bande aur bandiyan jo DUAD ke through hi apna partner chunana chaahte the,woh line bana ek ek kar DUAD ke paas aakar apna haath us DUAD se touch kar SAMPURN SNEHAM spell ko man hi man uccharit karne lage...

wahin is dauran jahan ek taraf mai ek kona pakadkar baith gaya tha wahin dusri taraf MAHI ki nazar mujhpar hi thi...

woh mujhe apna partner banane ke liye approch karna chahti thi par ek baat thi,jiski wajah se woh aisa nahi kar rahi thi..

ab woh baat kya thi,woh issi scene me clear ho jaana hai...

khair,jab saare ladke aur ladkiyon alag alag line form kar DUAD ke paas aa rahe the,tab ACCHUTA ne khudko MABEL ke paas jaane ke liye taiyar kar liya tha aur halke nervousness ke saath woh uski taraf badh bhi gaya aur MABEL ke kareeb pahunch joki MAHI aur ALFREEN ke saath hi khadi thi,jaise hi ACCHUTA uska naam pukarne ko hua ki tabhi...


MABEL....

ye naam ACCHUTA ne nahi balki VALDIS ne pukara tha jisse sun aur situation dekh ACCHUTA ka dil dhak karkar hi reh gaya...

reason...

is waqt VALDIS MABEL ke saamne khada nahi,balki apne ghutno par baitha hua tha jisse halki sharm aur dher saari khushi ke saath dekh rahi thi MABEL...

khair,abhi toh bas ACCHUTA ka dil dhak hua tha,tootna toh abhi baaki tha..


VALDIS-MABEL..will you be my PARTNER.. sirf PROM GALA ke liye nahi,balki puri zindagi ke liye...

I LOVE YOU MABEL...


apna haath uski taraf badhate hue kahi ye baat VALDIS ne jisse dekh aur uski baat ko sun ek saath bohot se reactions hue..

jahan ek taraf DUAD ke paas jaa rahe saare SAVENTS ek dum se rook gaye aur VALDIS ki taraf dekhne lage,dusri taraf MABEL ke baaju me khade MAHI aur ALFREEN thode shocked ho gaye,teesri taraf SLUNDER ko bura lag raha tha,chowthi taraf mujhe ye sab pakaau lag raha tha,wahin paanchwi taraf ACCHUTA ka dil aadha toot gaya tha aur aage jo hua,usse baaki ka bacha dil bhi toot gaya...


MABEL-I LOVE YOU TOO VALDIS....


VALDIS ke haath ko thaamte hue usse khada kar kahi ye baat MABEL ne jisse sun jispar saare SAVENTS clapping aur hooting karne lage aur VALDIS,woh toh khushi se bhar utha aur jhat se aage badhte hue usne MABEL ko hug kar liya...

par jahan VALDIS ki baahon me sama MABEL ko roohani sukoon mil raha tha wahin dusri taraf VALDIS bas uske jism ko feel karta hua ACCHUTA ko,jo MABEL ke piche hi khada tha aur jiski is waqt aankhen bhar aayi thi,usse ek devil smile dete hue dekhne laga..

smile ke saath uske ACCHUTA ko dekh apni aankhen wink kar di jisse SLUNDER ne bhi dekh liye aur ghusse se bhar woh VALDIS ki bajane aage badha par jaise hi woh ACCHUTA ko cross karne laga toh ACCHUTA ne uska haath pakad apna sir naa me hilaya...

is waqt saare SAVENTS joki line formation me khade the,woh MABEL aur VALDIS ke paas pahunch un dono ko congratulate kar rahe the aur ye sab dekh ACCHUTA wapas ghuma aur apne rooke hue aansuon ko jhalkaate hue the GREAT HALL se bahar nikal gaya aur uske saath hi SLUNDER bhi bahar chala gaya tha...

wahin mai jo apni jagah par shaant baitha hua tha ki tabhi mere kaano par padi woh awaaz jisse mai expect hi kar raha tha...


EK TARAF CELEBRATION,DUSRI TARAF MAATAM....

KISI TARAF TOH SHAAMIL HO JAA, AAKHIR DONO HI GROUPS TERE JIGRI DOSTON KE HAIN....


mere paas aakar khade hote hue VIDEOUS ne ek baar saamne MABEL and group aur dusri taraf HALL se bahar jaate ACCHUTA aur SLUNDER ki taraf dekhte hue kahi thi ye baat jispar mai muskura bhar diya..

wahin apni baat ko aage badhate hue...


VIDEOUS-waise HUMAN toh hun nahi mai par maine jaana hai ki HUMANS ka dil tootna mout se zyada dardnaak hota hai unke liye..

aur is tark ke hisaab se toh tujhe ACCHUTA ke paas jaana chahiye..

bechara,VALDIS ke haathon jeete jee mar gaya aaj....

MAI-sahi kaha tune..kyunki tu HUMAN nahi hai, isiliye tune sirf jaana hai,human hota toh jaanane ki jagah samajhta ki

"ishq ki baazi jisse bhi KHELNI HAI,mohobbat se pehle dard bhi milega,jo usse JHELNI HAI..."


aur ACCHUTA ki fikr mat kar tu,

"uske aanuson se zyada garam uska RAKHT hai...

taklif me beshak hai,par tutega nahi,lounda apna SAKHT hai...


ye bol mai bhi apni jagah se utha aur hall ke bahar chal pada....

wahin dusri taraf MABEL aur VALDIS ki khushi me khush hone ke baad jahan ek taraf baaki saare SAVENTS wapas DUAD ki taraf chal pade, VALDIS bhi apne friends ke saath ek taraf khada hokar baat karne laga wahin MAHI aur ALFREEN ki nazar har taraf daudne lagi jisse MABEL ne bhi dekh liya aur..


MABEL-tum dono kisse dhund rahe ho..??

ALFREEN/MAHI-RAAZ ko....


ek saath nikla RAAZ ka naam un dono ke mooh se jisse sun jahan ek taraf ALFREEN shock hote hue MAHI ki taraf dekhne lagi,dusri taraf MAHI jisne flow flow me RAAZ naam le liya tha,uske face par halka dar dikhne laga wahin teesri taraf MABEL ne apne sir par haath maar liya..

khair, MABEL aur MAHI toh chup hi rahe par ALFREEN,jiske face par abhi tak shocking expressions hi the,uske labh hile aur...


ALFREEN-tu kyun RAAZ ko dhund rahi hai...???

MABEL-jis liye tu dhund rahi hai..

ALFREEN-mai toh usse prom gala me partner banane ke liye puchungi, isiliye dhund rahi hun...

MABEL-aur MAHI bhi...


MABEL ki baat par ALFREEN kuch react karti ki tabhi..


MAHI-i am sorry ALFREEN.. mujhe RAAZ ka naam nahi lena chahiye tha...aur tu fikr mat kar,naa mai usse gala me jaane ke liye puchungi aur naahi tum dono ke beech aaungi...

ALFREEN-hum dono ke beech nahi aaungi matlab..!!!hang on a sec, tujhe aisa toh nahi lagta ki i like RAAZ...???

MAHI-dont u...???

ALFREEN-no...hell no..i mean i do,but just as a good friend..like buddies...

koi pyar yaa attraction waali feeling nahi hai,but ek minute...do you have feelings for RAAZ...!!!

MABEL-tujhe pata nahi hai..jaise ye RAAZ ki taraf dekhti hai naa,iska bas chale toh apne aankhon ke through hi usse hamesha ke liye kaid kar le...

ALFREEN-really,phir tu wait kiska kar rahi hai...!!you should propose him naa..!!

agar tu uske pehel karne ka wait kar rahi hai,toh bhul jaa..woh khadus kuch nahi bolega..


ALFREEN ki baat sun aur ye jaan ki uske man me RAAZ ke liye feelings nahi hai,MAHI bohot khush ho gayi thi..

usne toh ab tak bas isiliye hi khudko rok kar rakha tha kyunki usse lagta tha ki ALFREEN ke man me RAAZ ke liye feelings hain aur woh apni best friend ko hurt nahi karna chahti thi par aisa kuch nahi tha,ye jaankar uski khushi ka thikana naa raha..

usne kas kar ALFREEN ko hug kiya hua tha.. ALFREEN bhi MAHI ki khushi ka reason samajh rahi thi aur isiliye usne bhi apni friend ko hug kiya par phir jab woh dono alag hue toh..


MABEL-MAHI,ab toh line clear hai tera..jaa,aur jaldi se RAAZ ko propose kar de...

MAHI-aise kaise yaar..aur mujhe toh ye bhi nahi pata ki uske man me mere liye koi feeling hai bhi yaa nahi...

har waqt toh straight face hi rakhta hai woh,kuch hint hi nahi deta..

ALFREEN-haan toh propose mat kar par kamsekam GALA ke liye toh puch usse...

MABEL-haan yaar,iske liye delay mat kar...waise bhi tere RAAZ ke piche aadhe se zyada CHOSENS ki ladkiyan padi hui hain..

PHASE 3 ki bandiyan bhi usse dekhne ke liye idhar hamare PHASE me chakkar lagate rehti hain..

aur uske upar woh MORANA...saali jab dekho, RAAZ se chipki rehti hai...

ALFREEN-haan aur pata nahi woh duffer RAAZ bhi usse kyun jhelta hai..??mujhe toh usse dekhte hi ulti aati hai...

MAHI-maybe RAAZ likes her...

ALFREEN-aisa..!!fir toh equation easy ho gaya naa.tu bhul jaa RAAZ ko...

MAHI-never...


achanak halke zor se kahi ye baat MAHI ne aur phir bina ruke,woh bhi hall se bahar jaane lagi aur uske desperation ko dekh muskurate hue uske piche ALFREEN aur MABEL bhi ho liye...





OUT SIDE THE GREAT HALL...




NAHI YAAR...JO HUA ACHA HI HUA..WAISE BHI,.MAI KAHAN ZE MABEL KE LAAYAK HUN..

SHAKAL DEKH MERI...MUJHSE TOH KOI AVERAGE BANDI NAA PATE,PHIR MABEL TOH ANGEL HAI YAAR....

BHALE HI STRONG HUN MAI PAR MABEL KE BAAJU ME USKA SAATHI,USKA PYAR BANKAR KHADE REHNE KE LAAYAK NAHI HUN MAI...


kaafi der tak aansu bahate hue man hi man tadapte rehne ke baad kahi ye baat ACCHUTA ne jispar SLUNDER kuch kehte ki tabhi...


REAL DECEPTION TASK KE BAAD KHUDME KUCH FARK FEEL NAHI KIYA TUNE...!!!!


ACCHUTA aur SLUNDER ke piche se aayi ye awaaz joki meri thi jisse sun ACCHUTA ne jhat se apne aansu poche aur SLUNDER ke saath piche jahan mai khada tha,palat gaya aur..


ACCHUTA-fark matlab...!!!

MAI-apni aankhon par gour nahi kiya tune...

ACCHUTA-haan,colour change hua hai meri aankhon ka..

SLUNDER-abbe sirf colour hi change nahi hua,balki pehle jahan teri dono aankhen left right thi,wahin ab sahi ho gayi hai...

MAI-50 percent tak apne GOD GIFT power ko trigger karne ke baad tum sabki woh trigger growth bohot zyada kam ho gayi thi...

par REAL DECEPTION task me MABEL ko saath jo hua,usse tera adrenaline rush bohot badh gaya jisse anjaane me hi sahi,par tere GOD GIFT power ka 10 percent ek saath trigger ho gaya aur teri aankhon me aaya change ussi wajah se hua hai....

tere aur SLUNDER tere bhi us power ki ek khaasiyat ye bhi hai ki 50 percent power tak pahunchne ke baad jaise jaise tumhare powers aur aage trigger honge,waise waise tum dono ke face aur body me changes aane lagenge...

aur 75 percent power trigger hote hi tum dono ke face aur body ka pura geography change ho jaayega....

saare face aur body features behadh sharp ho jaayenge tum dono ke...

bottom line,in future,MABEL teri hogi ACCHUTA...


itne der se jo maayusi aur dard ACCHUTA ke face par dikh rahi thi,mere is naye revelation ko sun woh sab jaise gayab hi ho gaya tha...

woh jhat se meri aur badha aur mere gale lag gaya jispar kuch der baad maine usse khud se alag kiya aur...


MAI-ab ek sawal mera hai...!!!is it worthy...???

ACCHUTA-matlab....!!!

MAI-"husn ka kya kaam mohobbat me,ishq me rang saawla bhi ho toh yaar kaatil lagta hai"....


ye bol mai rooka nahi aur ek disha ki taraf badh gaya...wahin mujhe jaate dekhte hue ACCHUTA kisi soch me goom hi tha ki tabhi...


HEY GUYZ,WHERES RAAZ...???


MAHI ki awaaz ko sun ACCHUTA apni soch se bahar aaya wahin MAHI ke sawal par...


SLUNDER-just abhi abhi us taraf gaya hai..by the way MABEL,congrats yaar...aaj officially committed ho gayi tum...


MABEL bhi SLUNDER ki friend thi aur isiliye hi usne MABEL ki khushi ke liye usse congrats kiya par man hi man SLUNDER tab hairan hua jab....


ACCHUTA-haan yaar MABEL.. congrats.. hum sabme sabse pehle tu hi committed hui hai...

MABEL-thanks guyz...


thanks toh dono ko hi kaha tha MABEL ne par ACCHUTA ki aankhon me dekhte waqt usse un aankhon me ek sunaapan aur pain dikha jisse dekh uske andar ek ajeeb si feeling aayi jisse woh samajh nahi paayi...

khair, MABEL ki baat sun....


ACCHUTA-waise tum sabne DUAD me apna haath rakh liya yaa MABEL ki tarah khudse hi apna partners chun rahi ho...???

ALFREEN-isiliye hi toh RAAZ ko dhund rahe hain...

ACCHUTA-matlab..!!!

ALFREEN-arre MAHI madam RAAZ se GALA me partner banane ke liye
puchna chahti hain...

ACCHUTA-sirf GALA ke liye..!!!!


ACCHUTA ke is sawal par MAHI chownki jispar ACCHUTA muskuraya aur...


ACCHUTA-i know MAHI,you have feelings for RAAZ...

ALFREEN-hain,tujhe kaise maalum...!!!

ACCHUTA-mohobbat ka izhar zubaan baad me karti hain,aankhen dil ka haal pehle hi bata deti hai...


ek second ke liye MABEL ko dekh wapas MAHI aur ALFREEN ko dekhte hue kahi ye baat ACCHUTA ne jispar...


ALFREEN-kamal hai..sab samajh gaye the,bas mai hi nahi samajh paayi...

anyways,tu kaise jaayega GALA me...kisiko puchega yaa phir DUAD option lega...!!!???

ACCHUTA-pehle socha tha puchunga,par ab toh DUAD try karne ka man hai...

ALFREEN-aur tu SLUNDER.???

SLUNDER-socha nahi hai abhi tak...

ALFREEN-great..phir hum dono saath chalte hain,what say...!!!

MABEL-wow,like dates...!!!

ALFREEN-waah, date bankar hi jaaya jaa sakta hai kya..???friends nahi jaa sakte ek saath...!!aur waise bhi,mujhe ye dating shaiting pasand nahi hai...

apan single hi sahi hain..

SLUNDER-kahan thi tu pagli ab tak...tere jaise hi kisiki talash thi mujhe gala me jaane ke liye...

warna toh kahani me agar banda hai aur bandi hai toh sabko lagta hai ki love angle hona must hai...

true,pure friendship ki toh saala koi value hi nahi hai..

ALFREEN-exactly....ye sab faaltu ke pachde hain jisse hum door hi ache... toh phir apna set...

SLUNDER-done...

ACCHUTA-badhiya...tum dono apni friendship nibhao,chalo MAHI hum tumhari love ki gaadi sambhalte hain..


RAAZ ka bharosa nahi,kab institution se gayab ho jaaye,aisa ho,isse pehle usse dhund kar puch lo gala ke liye...

waise bhi,jab WHIZZES aur WHIZZDERS gala ke baare me bata rahe the,toh kaafi ladkiyan RAAZ ko hi dekh rahi thi..

isse pehle ki unme se koi chance par dance kar le,tum puch lo usse...

ALFREEN-arre,hum yahan kya karenge..hum bhi saath chalte hain..


ALFREEN ki baat khatm hote hi woh sab jis direction me RAAZ gaya tha,us taraf chal pade par abhi woh sab kuch door hi gaye the ki tabhi unhe ladkiyon ki ek bheed dikhi jisse dekh..


MABEL-yaar,ye toh PHASE 3 ki WICKEDS aur MORALS,dono ki ladkiyan hain naa,ye yahan kya kar rahi hain...??

ALFREEN-arre jo bhi kar rahi hain,hume kya...!!hum RAAZ ko dhundte hain naa...

SLUNDER-i think hume wahan jaana chahiye...pata nahi kyun par mujhe lag raha hai ki RAAZ wahin hai,us bheed ki dusri taraf...


SLUNDER apni baat kehte hue hi us disha ki taraf jahan PHASE 3 ki ladkiyon ka hujum khada tha,badh gaya,aur baaki sab bhi uske piche ho liye...

kareeb 15 ladkiyan circle kiye khadi thi us jagah par aur ek jagah halki khaali thi jahan se dusri taraf ka nazara saaf dekha jaa sakta tha aur jaise hi us point par pahunch SLUNDER aur baaki sabki nazar un ladkiyon ke banaye circle ke andar padi toh un sabki aankhen badi ho gayi..

reason...

MORANA aur RAAZ ek dusre ko hug kiye hue khade the par phir MORANA RAAZ se alag hui aur..


MORANA-mai jaanti thi ki tum mere saath GALA me jaane ke liye mana nahi karoge..I LOVE YOU so much..


ye bol sabke saamne hi ALFREEN ne RAAZ ko uske hontho par halka aa kiss kar liya..

aur ye dekh aansu ke kuch bund chhalak gaye MAHI ke aankhon se..

woh wahan rook nahi paayi aur turant moodte hue ek direction ki taraf chal padi aur baaki sab bhi uske dil ka haal samajhte hue chupchaap uske piche ho liye...

kuch der chalne ke baad ek khaali spot lar jahan koi nahi tha,rooki MAHI aur bin awaaz sunya ko ghurte hue aansu bahati rahi..

wahin kuch der tak usse yunhi akela chhodne ke baad baaki sab uske paas pahunche...

sab ek dusre ko dekh rahe the maano puch rahe hon ki aage kya karen...!!!

aur phir un sabme ALFREEN aage badhi aur usne MAHI ke kandhe par haath rakha jispar MAHI turant palti aur ALFREEN ke gale lag subakne lagi..


kuch der tak ALFREEN ne MAHI ko yunhi rone diya par phir...


ALFREEN-tu fikr mat kar MAHI..mai baat karungi us duffer RAAZ se...uski himmat kaise hui meri friend ko chhod kisi aur ko chunane ki..


ALFREEN ki baat sun usse alag hui
MAHI aur apne aansuon ko poch usne ALFREEN ko dekha aur..


MAHI-pyar me fariyaad zaroor hota hai,par sifarish nahi...jitna sach ye hai ki mai usse pyar karti hun, utna hi sach ye bhi hai ki RAAZ ke man me mere liye koi feelings nahi hai..

aur feelings syllabus ka part nahi jo samjhaya jaaye..ye saans lene jaise natural hai,aa gaya toh aa gaya..

SLUNDER-i think you should forget RAAZ MAHI...bhul jaao usse,tumhare sukoon ke liye acha hoga...

MAHI-bhul jaaun....!!!!jo mujhme mujhse zyada bas gaya hai,usse khudse nikalun kaise,aur bin nikale usse bhul jaaun kaise...!!!

MABEL-par aise me teri taklif badhti chali jaayegi MAHI....just look around,may be RAAZ se better option mil jaaye tujhe...

MAHI-option...!!!!



dard de sakti hun khudko,apne ehsaas ke saath kar sakti DAGABAAZI NAHI...

ek naa mila toh dusra sahi,mai itni bhi PYAASI NAHI....

haan dard hai, par jhel lenge....

aakhir MOHOBBAT ki hai,koi AIYAASHI NAHI....















AAJ KE LIYE ITNA HI....
















AAPKA APNA V...J.....
Zabardast killer update 🤠🤠🤠
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,267
38,658
258
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF VALDIS MABEL KO PROPOSE KARTA HAI JISSE WOH ACCEPT KAR LETI HAI WAHIN DUSRI TARAF JAB MAHI RAAZ KO PROM GALA ME APNA PARTNER BANANE KE LIYE PUCHNE JAATI HAI TOH MORANA KO RAAZ KE GALE LAGA DEKH AUR PHIR USSE KISS KAR I LOVE YOU BOLTA DEKH USKA DIL TOOT JAATA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-112



PLANET-ELYSIAN


PLACE-CHOSENS





HEY GUYZ,WHATS UP...???KYA HUA AAJ APNE APNE ABODES NAHI JAANA HAI KYA...????


MAHI, ALFREEN, MABEL aur VALDIS joki is waqt THE GREAT HALL ke bahar bane garden me baithe the,unke paas pahunch kahi maine ye baat....

reason...

aaj ke classes khatm ho chuke the aur aisa hone ke bad normally ye sabhi apne apne ABODES nikal jaate the par aaj aisa nahi hua tha..

sabhi yahan garden par baithe ek dusre se baat kar rahe the..

khair, meri baat sun..


ALFREEN-kuch nahi yaar..woh PROM GALA ko ek sirf ek hafta bacha hai naa, isiliye hum us event me pehenane ke liye dress par discuss kar rahe hain..

MAI-discuss... really....kapde choose karna koi discuss karne waali cheez hai..!!jo man kare le lo aur pehen lo,whats there to discuss about it...???

VALDIS-arre bhai, ladkiyan apke dresses ko lekar bohot particular hoti hain,tu nahi samjhega...???

MAI-par tu samajh gaya...waah,ladkiyon ki khub samajh hai tujhe... sirf samajh hi hai naa ladkiyon ki,body parts toh bando ke hi hain naa...!!

HMMPP...

jahan meri baat sun MAHI aur ALFREEN halka sa has di, VALDIS andar hi andar chidh gaya wahin hasi toh MABEL ko bhi aayi thi,par apne boyfriend ka paksh lete hue..


MABEL-how mean RAAZ...!!

MAI-kya karen,ab mai ACCHUTA toh hun nahi...

MABEL-matlab...!!!

MAI-sahi waqt se pehle samjha nahi jaa sakta...

MABEL-kya..???

MAI-matlab....

ALFREEN-kya gol gol bol raha hai tu...!!aur waise ye ACCHUTA aur SLUNDER kahan hain...ek hafte se gayab hain dono..un dono ke ABODES bhi gaye the hum par dono hi gaayab hain...

VALDIS-ACCHUTA ko DUAD ke through bhi bandi nahi mili hogi isiliye gayab ho gaya hoga aur SLUNDER apni dosti nibhate hue usse company de raha hoga...

hahahaha....


apni hi baat ko bol hasne laga VALDIS jispar teeno hi girls ne usse ghur kar dekha aur unke aisa karte hi VALDIS ki hasi gayab ho gayi aur..


VALDIS-i was just kidding...

MABEL-that was not funny....

MAI-bilkul funny tha...aur VALDIS, remember the joke and the thought....fun abhi aur badhega...

MABEL-matlab..!!!

MAI-bataya naa,sahi waqt se pehle samjhaya nahi jaa sakta...

MABEL-kya..??

MAI-matlab...

ALFREEN-ufff RAAZ..yaar tera naam tujhe wakayi suit karta hai...teri har dusri baat RAAZ hi hoti hai....

MAHI-waise RAAZ, what are you wearing at the GALA...!!!!????

MAI-kapde....

ALFREEN-waah,kya unique jawab hai..hume toh laga tha ki tu GALA me nanga hi aayega....


KAASH AISA HOTA...ISSI BAHANE ISSI COMPLETELY FEEL TOH KAR PAATI MAI...


piche se mujhe baahon me lete hue kahi thi ye baat MORANA ne..

wahin jahan ek taraf MORANA ko dekh MABEL aur ALFREEN ka mooh ban gaya wahin dusri taraf MORANA ko mujhe yun hold karte dekh MAHI ke man me ek tees si uthi jiske dard ko bohot mushkil se apne face par aane se chhupaya usne...

khair, MORANA ki baat ko sun...


ALFREEN-waise tum dono kya sirf PROM GALA me hi partner ho yaa phir officially ek dusre ko date kar rahe ho...!!!

MORANA-ofcousre official..i love RAAZ....


mere right hand ko tightly hug karte hue kahi ye baat MORANA ne jispar..


ALFREEN-aur tum RAAZ tum...???do you also....

RAAZ- definitely, without a doubt i too love....... myself....


jahan i too love sun khush ho gayi thi MORANA wahin ek pause lete hue jab maine myself kaha toh mooh fool gaya uska aur...


MORANA-how mean RAAZ....!!!!


MORANA ki baat par smile kar kuch kehne hi waala tha mai ki tabhi...


RAAZ,CAN I HAVE A WORD....!!!


hamare peeche se aayi thi ye awaaz joki HIDA ki thi jisse sun mai piche palta aur...


MAI-i will be back..


jahan ye bol mai HIDA ki taraf badh gaya wahin ek pal mujhe dekh MORANA ne jab wapas apna sir ghuamaya toh uski nazar MAHI par padi jo bade hi pyaar se mujhe jaate hue dekh rahi thi aur ye dekh...


MORANA-kya dekh rahi ho MAHI...!!!!???

MAHI-apne wajood ko...


bekhayali me nikal gaye ye shabd MAHI ke mooh se jiske baad woh khud bhi hadbada gayi aur..


MAHI-mera matlab tha ki...

MORANA-oh come on MAHI..keep all the lies to yourself...mujhe pata hai,you like RAAZ...


MORANA ki baat sun MAHI toh normal hi rahi par ALFREEN aur MABEL chownk gayi..


MABEL-really,you know it..!!!how..???

MORANA-oh common on girls...kaafi dino se notice kar rahi hun mai..

jaise ye dekhti hai naa RAAZ ko,koi baccha bhi bata dega iske dil ka haal...

but let me tell you MAHI, RAAZ is out of your league....RAAZ woh secret hai jiski ek bhi layer,ek bhi parat tum unfold nahi kar paaogi...kabhi nahi...


MORANA ki baat sun MABEL aur ALFREEN toh ghussa ho gayi par MAHI ke face par ek muskaan naach gayi aur...


MAHI-really MORANA...layers....!!!

baat RAAZ ki nahi ishq ki hai,aur ishq me PARTHEN NAHI HOTI...

pyar ke badle hi pyar kiya jaaye, mohobbat me aisi SHARTEN NAHI HOTI....


RAAZ ke dil me mere liye koi feelings ho yaa naa ho,

"par mere pure dil me RAAZ ka hi basera hai, aur jab tak aisa hai,mere liye har andhera savera hai"....

MORANA-kitna hi pyaar kar lo tum MAHI,haasil kuch nahi hona... RAAZ tumhare kareeb kabhi nahi hoga...

MAHI-tumhare toh kareeb hai naa woh,phir bhi kya haasil kar paayi ho tum usse...!!!

jism ki nazdiki rooh ko nahi milati MORANA... aur jo ishq jism par hi khatm ho jaaye,waisa ishq tumhe hi murabak...

tum laakh samet lo usse apni baahon me,mujhe fark nahi padega..

mujhe toh bas ek baar,sirf ek baar uske aankhon me apne aks ko dekhkar unme doob jaana hai....

uske dil ki jagah khud ko rakhkar usme dhadakna hai...

uske lahu ki garmi se apne thande pad rahe sharir ko taap dena hai....

apni har pal badhti bechaini ko uske rooh se milaakar sukoon pahunchana hai...

bas ek baar,sirf ek baar.....


khudke khuli aankhon ke saamne RAAZ ke chehre ko yaad karte hue kahi thi ye baat MAHI ne jisse sun jahan ek taraf aankhen faade usse dekh rahe the ALFREEN, MABEL aur VALDIS wahin dusri taraf MAHI ki baatein sun ek ajeeb si bechaini aur ghussa uth chuka tha MORANA ke dil me...

reason...

MAHI ki baatein sach bhi thi aur uske RAAZ ke prati nischal prem ki sacchi gawahi bhi...

woh sacchayi,woh nishchal prem jo MORANA RAAZ ke kareeb rehkar bhi mehsoos nahi kar paayi thi...

khair,kuch der tak aankhen faade is modern time ki RADHA ko dekhte tehne ke baad...


MABEL-insane lines MAHI...

ALFREEN-yaar MAHI....tu toh RAAZ ko ishq ki aakhri hadh tak chaahne lagi hai..

MORANA-wakayi aakhri hadh....par haasil kya hua aur aage bhi kya ho jaana hai...??is aakhri hadh ne tere dard ko zakhm me badal diya hai MAHI aur woh waqt bhi kareeb hai jab ye zakhm naasoor me badal jaayega....

wait for it....??its just a matter of time...


WAIT FOR WHAT...??& WHAT'S JUST A MATTER OF TIME...


HIDA ke paas se wapas louththe hue MORANA ke kahe ye shabd sun liye the maine aur isiliye puchi maine ye baat jispar ek baar firse meri baanh ko pakadte hue..


MORANA-wait for you jo ab pura hua...woh actually MAHI mujhe PAIN SUSTAIN game ke liye challenge kar rahi thi jisse maine accept kar liya hai isiliye mai usse keh rahi thi ki i will beat you in that game,and it's just a matter of time...


jahan MORANA ki is nayi baat ko sunkar bhi MAHI shant hi rahi wahin ALFREEN aur MABEL ko laga jhatka..

aur woh isiliye kyunki MORANA ne MAHI ko jis game ke through fasaya tha,woh dono hi us game ke baare me joki asal me kahin se bhi game tha hi nahi,acche se jaanti thi, aur isiliye...


ALFREEN-MAHI,she is tricking you..dont fall for it...

MABEL-haan MAHI..ye jis game ki baat kar rahi hai naa, PAIN SUSTAIN,ye ek bohot hi painful game hai jo PHASE 3 ke WICKEDS SAVENTS aur MORALS ke beech apni efficiency dikhane ke liye kheli yaa phir ye kahun ki jheli jaati hai..

you dont have to do it... MORANA filhal tujhse zyada strong hai..woh jaanti hai ki tu is game me uske aage tik nahi paayegi aur aise me tune jo abhi baatein kahi hai naa,woh uska tujhse revenge le legi woh bhi khudko completely authentic dikhate hue...

VALDIS-arre par hamari MAHI bhi kisise kam thodi naa hai..woh har hurdle ko paar karne ke laayak hai...


VALDIS ki baat par ALFREEN ne pehle usse ghur kar dekha par phir MABEL ki taraf palati uski aankhen jinme bhi VALDIS ki baat ko napasand karne ke bhaav the aur isiliye..


MABEL-bolne se pehle soch liya karo VALDIS..this is not at all funny....


MABEL ki awaaz bhale hi dabi hui thi,par usme ghussa saaf chalak raha tha jisse mehsoos kar...


VALDIS-sorry guyzz.maine toh bas aise hi MAHI ko motivate karne ke liye bol diya tha...


yahan ye teeno ye baat kar rahe the ki tabhi...


MORANA-kya hua..??khud hi challenge kiya aur ab khud hi chup ho...back off kar liya kya...???

aur waise bhi, har challenge ko accept kar usme hissa lena aur jeetna,har kisi ke bas ka nahi hota hai..

it's a champion thing,just like MY RAAZ....


mere seene me apna haath firaate hue kahi ye baat MORANA ne..

wahin MORANA ke is naye josh ko trigger karne waale statement ko sun ALFREEN aur MABEL MAHI se phir se kuch bolne ko hui par tabhi..


MAHI-kahan khelna hai ye game....???


MAHI ki baat sun yaa phir ye kahun ki uske yun indirect tarike se challenge accept karne ko jaan ALFREEN aur MABEL ne apna sir peet liya...

khair, MAHI ki baat ko sun ek devil smile naach uthi MORANA ke face par aur..


MORANA-the GREAT HALL..10 minute me..be on time...


jahan ye bol mere gaal par kiss kar ek disha ki taraf badh gayi MORANA wahin uske jaane ke baad meri nazar MAHI par thehri joki mujhe hi dekh rahi thi aur...


MAI-tum jaanti ho naa ki tum kya kar rahi ho...???

MAHI-kya tum jaante hi ki tum kya kar rahe ho..???

MAI-matlab...???

MAHI-waqt waqt ki baat hai... hope ki tumhe pata chal jaaye...!!!

MAI-kya pata chal jaaye...???

MAHI-wahi,MATLAB....


jo maine MABEL se kaha tha, MAHI ne usse ghumakar mujhpar hi daal diya tha.. impressive,haan....

anyways, MAHI ki baat sun ek pal usse dekh mai bhi ek disha ki taraf badh gaya aur mere jaate hi...


ALFREEN-are you out of your mind MAHI... MORANA ne bhadkaya aur tu bhadak gayi... idiot....

MAHI-maine jo bhi kiya,woh MORANA ke liye nahi,balki RAAZ ke liye kiya hai...???

ALFREEN-matlab....???

MABEL-aur please yaar...waqt aane par pata chal jaayega,kya, matlab....ye dialogue mat chipkana..

pehle hi is MATLAB ko figure out karne me dimag ghum gaya hai...


MABEL ki baat sun ek smile diya MAHI ne aur phir...


MAHI-tu figure out kar hi kyun rahi hai..???sahi waqt par automatically pata chal hi jaana hai tujhe..

ALFREEN-arre woh sab chhod, RAAZ ke liye kiya,iska kya matlab hai..???

MAHI-agar is challenge me mujhe haarta dekha,taklif me dekh RAAZ ko thodi si bhi taklif hui,toh woh haar woh taklif mere liye meri life ki sabse badi jeet aur pain killer hoga...

MABEL-aur agar aisa nahi hua toh...!! RAAZ ko tere pain se fark nahi pada toh...!!!

MAHI-phir toh woh dard zindagi bhar jhelna hai..shuruat aaj se hi sahi...


ye bol MAHI uthi aur THE GREAT HALL ki taraf chal padi aur usse jaate dekh ek baar usse aur phir ek baar ek dusre ko dekh ALFREEN aur MABEL VALDIS ke saath MAHI ke piche ho li....




THE GREAT HALL....


(NOTE:-PAIN SUSTAIN GAME-is game me dono opponents ek dusre par total teen baar ek ek kar alag alag level ke PAIN SPELLS bolte hain jisse saamne waale ko jhelna hota hai...aur jo bhi opponent third aur last SPELL ko jhelte hue apne senses ko jagaye rakh paata hai,woh is game me jeet jaata hai)



PAIN SUSTAIN GAME:-



YE ITNI BHEED KAISE HO GAYI...!?!?!



THE GREAT HALL me ghuste hi aankhon me hairani ke bhaav liye chaaron taraf dekhte hue kahi thi ye baat ALFREEN ne...


reason...

is waqt the GREAT HALL ke beech bane bade se manch me jahan MAHI aur MORANA ke beech challenge hona tha,uske ird gird kaafi saare SAVENTS khade the...

ab institution timing ke khatm hone ke baad bhi itni bheed dekhkar hairani toh honi hi thi...

khair, ALFREEN ki baat sun...


MABEL-udhar dekh.... zaroor is MORANA ne hi in sabko bulaya hai taaki MAHI ko haarte aur tamasha bante sab dekhen...

MORANA,joki manch ke paas me hi khadi muskurate hue MAHI ko joki ab stage par jo abhi uske liye challenge ring hone waali thi khadi thi,usse dekh rahi thi..


ALFREEN-saali kameeni...agar isne MAHI ko zyada pain diya toh iska hisaab phir mai karungi...

VALDIS-arre ye challenge un dono ke beech hai..isme tum interfere nahi kar sakti..


VALDIS ki baat sun ALFREEN aur MABEL ne usse ghur kar dekha jispar...


VALDIS-what..!!!kuch galat kaha kya maine... MAHI ne khud accept kiya hai MORANA ka challenge,toh aise me agar tumne is challenge ke beech interfere kiya toh MAHI ki aur zyada insult hogi....


VALDIS ke is tark par un dono me se kisi ko kuch kehte nahi bana aur woh dono VALDIS ke saath stage ke paas pahunch gayi..

thik ussi waqt stage ke dusre bhaag se thoda khada tha ki mai ki tabhi...


"ISHQ NE NIKAMMA KAR DIYA GAALIBH WARNA AADMI HUM BHI KAAM KE THE"....

JIS KISI MANUSHYA NE BHI YE MUHAVARA BOLA HAI,SACH HI BOLA HAI...

AAJ MAHI KA FAISLA IS MUHAVARE KO BILKUL SACH KAR RAHA HAI...


mere paas aakar khade hote hue kahi ye baat VIDEOUS ne jispar mai bas smile kar kar reh gaya...


VIDEOUS-tumne roka nahi MAHI ko is challenge me participate karne ke liye..tumhe maaulm hai naa ki isme bohot taklif hone waali hai usse..

kya tumhe isse fark nahi padta...!!!!

MAI-nahi...

VIDEOUS-acha..!!!phir MAHI ke brain se BLACK ENERGY ke kano ko nikalne me kyun madad ki tumne uski...!!!!


VIDEOUS ke is baat par maine uski taraf dekha jispar uske face par ek smile aa gayi aur...


VIDEOUS-RAAZ,RAAZ,RAAZ....tujhe wakayi lagta hai ki tu mujhse koi RAAZ zyada waqt tak rakh sakta hai...

kabhi nahi....

mere DEVOTEES ke insert kiye BLACK ENERGY ke kan the woh,mujhe toh pata chalna hi tha..

haan,ek RAAZ ab bhi parde me hai..aur woh ye ki kaise extract kiya tune un BLACK ENERGY ke kano ko MAHI ke brain se, but ye RAAZ koi bohot badi cheez nahi hai jiske unfold naa hone se mera koi nuksaan ho jaaye..

jo jaanana tha,woh jaan chuka hun mai..

MAI-really..!!!aur kya jaana hai tune..???

VIDEOUS-itni bhi kya jaldi hai...sahi waqt par pata chal hi jaana hai tujhe..

but the bottom line is ki tera MAHI ko un BLACK ENERGY ke kano se bachana,ye saabit karta hai ki you care for her..

MAI-galat..i dont care for anyone..

VIDEOUS-really...!!!phir bachaya kyun tune usse...????

MAI-kyunki waar tera tha...aur maksad mera hamesha yahi hota hai ki waar agar tera ho,toh us waar se har kisiko bachane waala haath mera ho....


ye bol ek baar VIDEOUS ki taraf dekh mai stage ke paas jaane laga kyunki MAHI aur MORANA ab aamne saamne aa chuke the...

wahin mere jaane ke baad....


VIDEOUS-naam tera bhale hi RAAZ hai,par ab tak apne hi sabse bade RAAZ se anjaan hai tu....anyways,

i don't care for anyone....dekhte hain,kitna sach hai ye statement...

kyunki bohot jald woh waqt aane waala hai jab ye chapter khatm hoga..

par khatm hote hote ye adhyaya tere is care free nature aur i don't give a damn ATTITUDE ka sabse bada imtihaan lega..

ek aisa imtihaan jisme tu kuch bhi kar le,kuch bhi,but haarna tujhe hi hai.....

aur ye haar teri sukoon bhi le jaayegi aur phir,teri jaan bhi....




TAIYAAR HO MAHI.....!!!



MORANA ke is sawal par ek baar mujhe dekh MAHI ne apni nazaren wapas MORANA par tikayi aur...


MAHI-haan...

MORANA-basic rules toh pata hi honge tumhe...teen PAIN SPELLS jhelne ka challenge hai ye...

MAHI-i know the drill..but aaj is drill me ek halka sa change karte hain..

aur woh ye ki mai koi SPELL bolungi hi nahi..PAIN SPELLS sirf tum bologi,mai sirf receive karungi..

agar tumhare teeno SPELLS ko jhel gayi mai toh mai jeeti aur naa jhel paayi toh tum jeeti...

ALFREEN-MAHI,ye tu kya kar rahi hai..???


ALFREEN ki is uttejana se bhari awaaz par apna haath badha uske taraf shant rehna ka ishara kiya MAHI ne jiske baad bebasi se chup reh gayi ALFREEN aur uske baaju me khadi MABEL...

wahin MAHI ki baat sun jahan ek taraf MORANA ke face par badi si muskaan naach gayi wahin wahan moujud har SAVENT kaafi hairan ho gaye aur MAHI ki baat par ek dusre se gossip karne lage..

khair,MAHI ki baat ko sun....


MORANA-i accept...ready..!!!!

MAHI-always....

MORANA-VYATHAYATI....


pain ke extreme level SPELLS me se ek tha ye SPELL jisse MORANA ne uccharit kiya tha aur uske aisa karte hi..


AAAHHHHHH....

ek kaala ray MORANA ke haath se nikal sidhe MAHI se takraya jisse puri tarah kaamp uthi MAHI aur uske mooh se ek dard bhari aah nikal gayi....

kaafi zor se hil raha tha MAHI ka body par jabde bheenche woh us pain ko sehne ki koshish kar rahi thi aur ye sab dekh ALFREEN aur MABEL ki aakhen bhar aayi thi...

khair,kareeb ek minute tak yunhi dard jhelte rehne ke baad dheere dheere MAHI ka pain kam hone laga par jaate jaate bhi ye pain MAHI ko kaafi kamzor kar gaya tha..

uski aankhen halki halki bhaari hone lagi thi jinse usne meri taraf dekha..

par meri aankhon me yaa face par koi bhi expression naa dekh uske seene me dard sa utha aur ye dard kuch der pehle mile PAIN SPELL ke dard se zyada tha..

par,kisi tarah khudko normal kiya usne aur samne MORANA ko dekhne lagi jispar...


MORANA-not bad MAHI..really well done...second attempt ke liye ready...!!!


MORANA ki baat par MAHI ne kuch kaha nahi bad shaant khadi rahi jisse uski mook swikriti maan...


MORANA-ZALYAYATI....


ek aur extreme PAIN SPELL nikla MORANA ke mooh se jiske baad ek baar phir se MAHI ki puri body zor se kaampne lagi aur saath hi uske pair jawab de gaye jiski wajah se woh apne ghutno par aa gayi...

MORANA ka haath ab bhi aage hi tha jisse ek badi si black ray nikal lagatar MAHI par padh rahi thi jisse MAHI ko asahaniya pain ho raha tha jisse woh chupchaap bardasht kar rahi thi...

is beech ek baar phirse uski nazar mujhpar gayi par ye dekh ki mai usse nahi balki MORANA ko dekh raha hun,uski taklif aur badh gayi...

khair,is baar kuch 2 min tak chala MAHI ka ye pain bhara safar aur phir MORANA ne apna haath wapas kheench liya...

MAHI ki aankhen ab hadh se zyada bhaari ho chali thi...pain toh halka kam ho gaya tha par uske asar se uska pura sharir ab bhi halka halka kaamp raha tha..

MORANA ke dono SPELLS ki wajah se MAHI ke chaaron AMPLIFICATION modes weak padh gaye the...

MAHI ne filhal itni bhi taakat nahi bachi thi ki woh wapas khadi ho paaye..

woh yunhi baithe baithe hi MORANA ke aakhri waar,last SPELL ka wait karne lagi jiske liye usse zyada wait karna pada bhi nahi...

MORANA ne is baar apne last SPELL ko uccharit karne se pehle apni aankhen band kar li thi aur apne REFINERS ki power ko apne PAIN SPELL ke saath merge kar usne apna haath aae kiya aur...


MORANA-ABHITAPATI....


ek behadh taakatwar PAIN SPELL ko uccharit kiya MORANA ne jiske baad ek gaadha BLACK ray nikla uske haathon se aur sidhe MAHI ke seene ke upar jaakar laga aur aisa hote hi ek nayi cheez hui...

jahan pehle ke dono SPELLS lagne par MAHI ki puri body kaamp jaati thi wahin is baar uske ulat ray ke lagte hi uski body jadh si hokar statue numa haalat me pahunch gayi...

ekdum sthir haalat me ghutno ke bal baithe MAHI aisi lag rahi thi jaise koi putla ho..

ye sab toh external tha par MAHI ka internal part kuch alag hi daastan bayan kar raha tha..

first do SPELLS ke prabhav se uske chaaron AMPLIFICATION modes waise bhi kamzor ho chuke the aur is last double power SPELL ki wajah se woh chaaron modes completely faint ho gaye..

wahin kyunki MORANA ne apne REFINER power ke through is aakhri SPELL ko bola tha,aur MAHI bhi abhi bohot zyada emotional thi, isiliye ye waar aur ray ne sidhe MAHI ke SOUL aur emotion ka ghar matlab ki HEART joki THE FIFTH AMPLIFICATION MODE hota hai,uspar impact maara aur jab aisa hua toh ek saath do chizen hui...

pehli toh wahi jo sab dekh rahe the... MAHI jadh si ho gayi thi..

dusri cheez ye hui ki MAHI ke heart se ek invisible ray nikal MORANA ke us kaali ray ke andar se hota hua MORANA ke haath par padne laga aur jab aisa hua toh...

MORANA ko laga aisa jhatka jisse woh bhi MAHI ki tarah jadh si ho gayi...

dekhne waalon ko toh kuch bhi pata nahi chal raha tha par MORANA ki haalat kaafi kharab hone lagi thi...

uski ray ke andar behta MAHI ke heart se nikla ray hadh se zyada shaktishaali tha...

par kyunki ye ray MAHI ke knowledge aur marzi ke bina bahar aaya tha, isiliye uska impact control me tha...

khair,aur kisiko toh nahi par mujhe MORANA ko MAHI ko ek si condition me dekh andaza ho gaya tha ki is baar kuch alag hua hai..

aur isiliye...


PARIJANATI...

FIND OUT.....


mere man me js SPELL ke gunjte hi mujhse ek invisible ray nikal MORANA ke ray par jaakar padi aur aisa hote hi mujhe saara ganit clear ho gaya..

mujhe ye bhi pata chal gaya ki agar kuch seconds aur ye energy flow chalta tha toh usse nikalta AURA bahar aa jaana hai joki achi baat nahi thi aur isiliye...


MAI-bas bohot hua....


ye bol maine apna haath aage kiya aur ek baar lehraya aur mere aisa karte hi MORANA aur MAHI jis ray se bandh si chuki thi,woh toot gayi aur jab aisa hua toh...

ek taraf MORANA aur dusri taraf MAHI lehrati hui neeche girne lagi... aur ye dekh...


ALFREEN/MABEL-MAHI...


MAHI ka naam zor se lete hue uski taraf doudi ALFREEN aur MABEL...ab tak MAHI ka sense baaki tha par woh kisi bhi pal behosh hone waali thi..


last SPELL aur uske process ke dauran ankhen uski lagbhag band ho hi chuki thi par is beech jab usne meri awaaz suni aur phir ray ko khudse alag hote mehsoos kiya toh bohot khush hui woh..

usse laga ki mujhe uski fikr hai aur phir jab ray ke gayab hone ke baad ALFREEN aur MABEL ne uska naam pukara aur phir uske paas pahunch jab ALFREEN ne uske sir ko apni godh me rakha toh bohot mushkil se apni band ho rahi aankhon ko halka sa khol usne saamne dekha aur saamne dekhte hi uski aankhon ke side se aansuon ki ek patli si dhaar nikal gayi...

reason..

mai MORANA ke paas khada tha joki kaafi kamzor lag rahi thi aur phir maine usse sahara dekar khada kiya hua tha aur aakhir me dekhte hi dekhte maine usse apni godh me utha liya aur sidhe stage se utar bahar ki taraf badh gaya..

is pure douran maine ek baar bhi MAHI ki taraf nahi dekha tha aur ye dekh MAHI ki palken,jo ab tak teen teen asahaniya PAIN SPELLS se bhi nahi chalki thi, woh ab chhalak chuki thi...

chehre par dard aur seene me har pal uththe tees ko mehsoos kar behosh hote hote gunje MAHI ke dil me ye shabd.....


MAHI-


sach hi kaha hai kisine,
mohobbat bhi ek JUAAN HAI...

kisike liye tohfa,toh kisike liye
BADHDUA HAI.....

ae zaalim,kamsekam haal hi puch leta...!!!!!

haar aur chot se zyada dard aaj hume tere yun mooh ferne se HUA HAI...














AAJ KE LIYE ITNA HI.....
















AAPKA APNA V....J......
Nice update
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,267
38,658
258
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MAHI AUR MORANA KE BEECH PAIN SUSTAIN NAAM KA CHALLENGE HOTA HAI WAHIN DUSRI TARAF US CHALLENGE KE DAURAN KHUDKE LIYE RAAZ KI BERUKHI DEKH MAHI KA DIL TOOT JAATA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-113



PLANET-ELYSIAN


PLACE-CHOSENS




THE PROM GALA NIGHT.......






GUYZ & GIRLS OF TEEN AGES,PEOPLE OF DIFFERENT PLANETS AND EXTREME PLACES,ROCK THIS NIGHT WITH ALL YOUR CHARM,& DANCE WITH YOUR PARTNER WITH TIGHT LACES....

BOTTOM LINE.... WELCOME EVERY BODY TO PROM GALA........


kaafi excitement se bhare hue ek professional host ki tarah swagat kiya THE GREAT HALL ke beech stage par khade hue REGIS ne sabhi SAVENTS aur WHIZZES, WHIZZDERS ka jispar zordar clapping aur hooting ke beech apni excitement dikhayi saare SAVENTS ne....

aaj har SAVENT,ladka ho yaa ladki kaafi ache lag rahe the..

kuch DUAD ke through aur kuch khud chun apne apne partners ke saath yahan prom gala ki shaam me shirkat karne aaye hue the...

sabhi is hasin shaam me khudko puri tarah doobone ke liye bohot zyada excited dikh rahe the wahin apni baat ko aage badhate hue...


REGIS-well SAVENTS... waise toh PHASE 2 aur as seniors, PHASE 3 ke bhi lagbhag sabhi SAVENTS yahan par pahunch chuke hain,par CHOSENS ke old tradition ke mutabik is tenure ke,is saal ke best SAVENTS apne partners ke saath sabse aakhir me entry karte hain aur un entries ka waqt ab ho chuka hai..

so sabse pehle with a huge round of applause,welcome MABEL & VALDIS....


REGIS ki baat khatm hote hi ek tez SPOT LIGHT padi THE GREAT HALL ke entrance me jahan is waqt ek bohot hi khubsoorat couple khada tha...

blue colour ki long GOWN aur BLACK COLOUR ki TUXEDO me bohot hi janch rahe the MABEL aur VALDIS...

waise GOWN aur BLACK TUXEDO hi aaj ka dress code tha...

khair,looks ke hisaab se ek beautiful couple lag rahe the MABEL aur VALDIS jinhe ek saath entrance me dekh THE GREAT HALL me moujud har shaksh ke aankhon me taarif dikhne lagi thi...

VALDIS ke right hand me apne left haath ko lapeththe hue thi MABEL aur issi tarah woh dono us spot light ke beech aage badhe aur stage ke paas jaakar woh dono khade ho gaye...

aur aisa hote hi unke upar pad rahi spot light ne apna rookh ek baar phirse dheere dheere wapas entrance ki taraf karna shuru kiya jahan ab baari thi ALFREEN aur SLUNDER ki entry ki...

par jahan is baat ko lekar ek taraf kaafi SAVENTS excited the, dusri taraf VALDIS jaise kuch SAVENTS ye soch kar man hi man has rahe the ki ALFREEN jaisi hoor SLUNDER jaise below average look waale bande ke saath kitni ajeeb dikhegi wahin teasri taraf ALFREEN joki entrance par lage parde ke piche hi khadi thi,woh kaafi nervous dikh rahi thi...

reason..

pichle ek mahine se SLUNDER aur ACCHUTA institution aaye hi nahi the..

pichle hafte MAHI ka jo dil PAIN SUSTAIN challenge ke waqt RAAZ ki berukhi ki se toota tha,uski wajah se ye pura hafta ALFREEN ne apni best friend ko moral support karte hue nikal diya tha aur phir aaj subah hi jab GALA ka time ho chuka tha,usse SLUNDER ke gayab hone ki yaad aayi thi par ab kyunki kaafi late ho chuka tha, isiliye naye partner ke liye woh kuch kar sakti thi nahi..

aur abhi bhi jab spot light entrance ki taraf badh chala tha aur SLUNDER ka koi ataa pata nahi tha,toh aise me uska nervous hona laazmi hi tha...

waise is nervousness ne usse uske pehne GREY GOWN me aur bhi zyada khubsoorat bana diya tha...

khair, SLUNDER ke absense ki wajah se ALFREEN ne wapas apne ABODE jaane ka faisla kiya aur ye faisla kar woh palatne ko hui hi thi ki tabhi...


SHALL WE....!!!!


ALFREEN ke saamne pahunch apne baanh ko uski taraf karte hue kahi ye baat SLUNDER ne jispar jab ALFREEN ki nazar SLUNDER ke face par padi toh uski aankhen hairat se faile gayi....

ek dabe rang ka patla sa below average look waala banda THA SLUNDER..."THA"...

kyunki abhi present me jo banda yaa phir ye kahun ki SLUNDER ALFREEN ke saamne khada tha,woh toh koi aur hi tha..

44 plus chest size, above average hight, tuxedo me completely tight hote hue apni muscularity dikhata uska body,zyada nahi par haan,bright face jo ek perfect jawline ki wajah se kaafi akarshak lag raha tha,aur us aakarshan ko aur badha raha tha uska pehna BLACK TUXEDO, in saare positive pysical appearance ke saath ALFREEN ke saamne muskurate hue khada tha ye new brand SLUNDER.....

aankhen faade SLUNDER ke is completely changed look ko dekh rahi thi ALFREEN jispar uske face ke aage ek chutki bajayi SLUNDER ne jisse woh jaise achanak se hosh me aayi aur....


ALFREEN-who are you....???


taarif bhari nazaron se dekhte hue kahi ye baat ALFREEN ne jispar...


SLUNDER-aaj ke liye aapka partner....

ALFREEN-that i know....jo nahi pata woh bata...ye drastic change!!!how...????

SLUNDER-tujhe kya lagta hai,ek mahine se kahan tha mai,aur kya kar raha tha..???

ALFREEN-plastic surgery karwane gaya tha tu..???


SLUNDER ke face ko touch kar skin ke difference ko check karte hue kahi baat ALFREEN ne jispar...


SLUNDER-oye, there's no plastic over my skin.. anyways,tu bas itna samajh ki kuch magical practices aise hote hain jo skin aur body structure ko bhi nourish kar dete hain..

mai aur ACCHUTA wahi practices me lage hue the pichle ek month se...


ALFREEN-toh ACCHUTA kahan hain...???

SLUNDER-arre,woh apni baari me aa jaayega naa maate...tu saamne dekh.. spot light entrance ke paas pahunchne hi waala hai... isiliye zyada soch mat aur chal...

ye bol SLUNDER ne apna haath halka modte hue tedha kiya jisse thaamte hue ALFREEN uske saath entrance ki taraf ho li aur jaise hi woh dono entrance par pahunche toh spot light bhi apna safar pura karte hue us jagah par pahunch gayi aur jab aisa hua toh ALFREEN aur SLUNDER us spot light ke roshni me naha gaye jinhe yaa phir ye kahun ki is naye badle aur enhanced SLUNDER ko dekh VALDIS, MABEL aur baaki sabka mooh khula ka khula reh gaya...

wahin in saare surprised expressions ke beech SLUNDER ALFREEN ke saath kisi professional model ki tarah chalte hue aage badhta chala gaya aur sidhe jaakar MABEL, VALDIS ke paas jaakar khada ho gaya..

par kyunki ab tak SLUNDER ke is change ko hazam nahi kar paaya tha VALDIS aur saath hi behadh shock ke saath usse dekh rahi thi MABEL, isiliye unke paas khade hone ke baawjud woh dono hi SLUNDER se kuch puch nahi paaye the par phir kuch der baad jab woh dono hi is naye mile shock se ubhre toh MABEL SLUNDER se kuch puchne ko hui par tabhi..


OH MY GOD.....


ek saath sabhi SAVENTS yaa phir to be specific,saari female SAVENTS ke mooh se jab ye chant ek saath nikla toh MABEL ki nazar pehle saari girls par aur phir jahan woh sab dekh rahi thi,joki tha ENTRACE par,us taraf mood gayi aur jab aisa hua toh...


MABEL-KYA YE...????

SLUNDER-ACCHUTA HAI....


entrance me ek ladki ke saath joki aaj ki raat ACCHUTA ki GALA partner thi,dekh,hairat se bhari MABEL ke mooh se nikle sawal ko pura kiya SLUNDER ne jispar MABEL ko aur uske baaju me khade VALDIS ko tez jhatka laga...

ACCHUTA....

BLACK TUXEDO ke piche chuppa uska body structure aur face cut puri tarah change ho chuka tha..

aankhen me badlaw toh ek mahine pehle hi aa chuka tha aur ab un blue ankhon ke ird gird bana uska face naa sirf kaafi fair ho chuka tha balki hadh se zyada aakarshak bhi...

SLUNDER ki hi taraf ek pefect body structure ke saath bohot handsome lag raha tha ACCHUTA jo pure confidence ke saath apni aaj ki partner ke saath entrance se hota hua aage badha...

ACCHUTA ki partner ussi ki phase ki ek random bandi thi jo DUAD ke through ACCHUTA ki partner bani thi...

ek mahine pehle jab DUAD ke through usse pata chala tha ki ACCHUTA uska GALA partner hai toh woh aadhi khush thi aur aadhi udaas..

khush is baat par ki kyunki uska partner apne PHASE ke best SAVENTS me se ek hai, isiliye ACCHUTA ke saath usse bhi khaas treatment milne waali thi aur udaas ACCHUTA ke look li wajah se..

par aaj ACCHUTA ke is badle hue swaroop ko dekh uski woh udaasi bhi hadh se zyada khushi me badal gayi thi..

khair,apni partner ke saath aage badhte hue ACCHUTA ki nazar ek baar MABEL ki taraf bhi gayi jo usse aankhen faade dekh rahi thi...

saath hi saath ACCHUTA ke saath us ladki ko dekh MABEL ke man me ek ajeeb si baichani ne janm le liye tha jisse woh chaah kar bhi khtam nahi kar paa rahi thi...

khair, chalte hue ACCHUTA aur uski partner bhi SLUNDER ke baaju me jaakar khade ho gaye aur aisa hote hi jab ALFREEN ne MABEL aur VALDIS ke surprised face ko dekha toh usne turant un dono ko woh sab bata diya jo SLUNDER ne usse apne aur ACCHUTA ke ek mahine se gayab hone ke reason ke baare me bataya tha..

ALFREEN ke baat sun VALDIS toh sabse apne ghusse ko chuppa mooh halka sa banate hue saamne dekhne laga par MABEL chor nazaron se ACCHUTA ko dekhne lagi..

ye baat ACCHUTA ne bhi gour kiya tha par usne apni nazarein entrance ki taraf hi rakhi jahan hi waqt do naye chehre dikhne lage the..


MAHI aur VIDEOUS..

jahan MAHI LIGHT RED GOWN me apni beinteha khubsoorti se HALL me moujud har bande ki dil ki dhadkan badha rahi thi wahin VIDEOUS bhi apne BLACK TUXEDO me hadh se zyada handsome lag raha tha....

MAHI aur VIDEOUS abhi tak ke sabse compatible aur khubsoorat couple lag rahe the jo apne har badhte kadam ke saath sabhi ko apne superior hone ka ehsaas dila rahe the...

aur jab woh dono bhi ACCHUTA ke paas jaakar khade hue toh sabhi ne un dono ki jam kar taarif ki...

wahin ACCHUTA aur SLUNDER ko dekh MAHI bhi hairan hui par saath behadh khush bhi...

khair,ab tak is phase ke lagbhagh saare extraordinary SAVENTS aa chuke the,bacha tha sirf ek pair..


RAAZ aur MORANA...

aur phir....

AAAAHHHHHH....

ek sisak aur aah si nikli saare ladki aur ladke ke mooh se..

reason..

entrance me khade the mai aur MORANA...

har bande ki tarah maine bhi BLACK TUXEDO pehna hua tha jisme mera bright face aur muscular pyscique aur nikhar kar saamne aa raha tha..

aur MAHI ki hi tarah MORANA ne bhi red gown hi pehna tha par MAHI ne light red gown pehna tha wahin MORANA dark red gown me thi...

mujhe aur MORANA ko dekh saare SAVENTS kuch naa kuch keh rahe the par in sabke beech thi MAHI jiski nazar aur zindagi dono hi jaise mere chehre par aakar khatm ho gayi thi..

jahan saari bandiyan mere exterior roop ko nihar rahi thi,mujhe paane ki hasrat liye mere face ko dekh rahi thi,wahin bas ek MAHI ki hi aankhen thi jo mere ankhon ke through mere rooh tak pahunchne ki koshish me thi..

par meri nazar uske face ki taraf gayi hi nahi..mai chalta hua aage badhta chala gaya aur MORANA ke saath VIDEOUS ke paas jakar khada ho gaya aur mere aisa karte hi..


MAHI-VIDEOUS...kya mai us taraf khadi ho sakti hun...???

VIDEOUS-sure...


MAHI ki baat sun ek smile aa gayi thi VIDEOUS ke face par jiske baad halka piche ho usne MAHI ko khudse guzrane ke liye jagah di..

wahin VIDEOUS se hote hue MAHI mere baaju me aakar khadi ho gayi aur ek tak mujhe dekhne lagi...

waise nazar sirf MAHI ki hi mujhpar nahi thi,balki pura hall dekh raha tha ki is waqt mai CHOSENS ki do sabse beautiful girls ke beech khada tha aur jaisi chaap maine ab tak ke apne CHOSENS ke safar par chhodi thi,sabko meri ye position worthy lag rahi thi....

par in sabke beech jahan mere dusri taraf khadi MORANA ne jab MAHI ko mujhe pyar se niharte dekha toh usne mere baazu ko aur zor se pakad liya wahin meri nazar MAHI par gayi hi nahi...

mai saamne stage ki taraf hi dekhta raha jispar...


MAHI man me-


teri is berukhi se haan mai tujhse NARAAZ HUN...

par khushi bhi hai dil me,ki saath naa sahi par kamsekam tere PAAS HUN....


KHONNN..KHONNN....


behadh halke se khaansa maine do baar aur aisa karte waqt mera ek haath mere face ki taraf gaya aur mera face MAHI ki taraf ho gaya aur jab aisa hua toh..

MAHI ko laga jhatka..

reason...

meri aankhon me kamzori ke saath ek dard tha, beinteha dard jo MAHI ne dekh liya tha aur usse dekh uske face par saaf tention dikhne lagi,par woh kuch kehti ki tabhi....


REGIS- so finally, it's the GALA time SAVENTS... toh aaj ki raat ko shuruat hogi THE WALTZ dance ke saath jiski shuruat karenge spot light ke saath enter kiye sabhi best SAVENTS aur unke partners aur phir baaki ke sabhi SAVENTS apne apne partners ke saath floor ko hit karenge...

(note-THE WALTZ ke bohot hi purana, traditional, beautiful aur iconic dance form hai..)


REGIS-kuch der tak WALTZ moves ke saath apne apne partners ke saath enjoy karne ke baad shuru hoga woh daur jisse is saal ka MR & MISS CHOSENS chuna jaayega...

kul do chote par kaafi chunoutipurn aur mazedar challenges se tay hoga us khitab ka hakdar...

so firstly,are you all ready to groove with your partners...???

SAVENTS-yes....

REGIS-so what are we waiting for..??? it's time... ACCHUTA, SLUNDER, MAHI, VIDEOUS, VALDIS, MABEL RAAZ...

with your partners,come to the floor and start the night...

REGIS ke is josh bhari awaaz aur baaton se MAHI ka mere liye sawal uske man me hi reh gaya...

jaise hi REGIS ne hum sab ka naam pukara,hum sab apne apne partners ke saath hall ke beech me jahan is waqt pura floor alag alag colours se chamak raha tha,chal pade..

floor par pahunch hum sab apne apne partners ke saamne khaade hue jiske baad ek bohot hi ear soothing romantic music play hua jispar hum sab thirakne lage...

is dance ke beech sirf meri, MORANA, SLUNDER, ALFREEN aur ACCHUTA ke partner ki hi nazar apne apne partner par hi rahi..

par ACCHUTA ki nazar reh reh kar VALDIS ki baahon me thirakti MABEL par chali jaa rahi thi, MABEL bhi beech beech me ACCHUTA ko dekh rahi thi, aur iska ehsaas VALDIS ko bhi ho chuka tha, isiliye woh bhi halke ghusse se kabhi MABEL ko toh kabhi ACCHUTA ko ghoor raha tha...

MAHI ki nazar toh zyadatar mujhpar hi thi aur issi wajah se uska partner joki VIDEOUS tha,apne face par smile liye MAHI aur beech beech me mujhe dekh raha tha...

khair, hamare baad baaki sabhi SAVENTS bhi apne apne partners ke saath floor par aa gaye aur woh sab bhi WALTZ dance form ke saath music par thirakne lage...

kareeb 10 minute tak ye sab chalta raha aur phir music band ho gaya jiske baad sabhi SAVENTS ne ek dusre ke liye aur GALA ki first activity ke pure hone par clapping kiya..

aur phir...


HIDA-aur ab un do activities,do challenges ki baari aa chuki hai jinme jeetne waale SAVENTS banenge aaj ki shaam ke MR aur MISS CHOSENS....

par usse pehle aap sabko ye apne apne wrist me pehenana hoga..


ek chamakti band jaisi chiz ko dikhate hue kahi ye baat HIDA ne jiske baad..


REGIS-ye band ek POWER NEUTRALIZER hai...

isse pehenene ke baad aap sabke AMPLIFICATION aur REFINER powers temporarily inactive ho jaayenge..

aap sab aam insaan ban jaayenge...aur ye sab isiliye kyunki aaj ke dono challenges kaafi mortal hain..

humanly hard hain par ek SAVENT ke hisaab se easy hain aur aaj ke liye aapke SAVENT powers ki zaroorat nahi hai...

so, bottom line ye hai ki aap sabko is band ko apne apne wrist me pehenena hai...

REGIS ki baat khatm hote hi teen ELUSORY hum sabke beech prakat hue jinke haath me ek ek bada sa tray tha jisme bohot se banda rakhe hue the..

woh teeno ELUSORIES hum sabki taraf badhe jiske baad hum sabne ek ek band us tray se utha apne apne wrist par baandh liya..

is beech..


ALFREEN-arre ye BRAWNY kahan hain..???

SLUNDER-woh nahi aaya..??usse is GALA me interest nahi tha..usne WHIZZ HIDA ko request kiya tha aaj naa aane ke liye liye..

aur kyunki naa toh usne khud apne liye partner chuni thi aur naahi DUAD ke through try kiya tha, isiliye
WHIZZ ne uski request maan li..

ALFREEN-ohhh..yaar mujhe bhi aisa hi karna tha..mai bhi bor hi ho rahi hun yahan....

SLUNDER-same yaar..pehle woh sada sa WALTZ dance aur ab normal human challenges..

mera toh mood hi off ho gaya hai...


ALFREEN aur SLUNDER ki baaton ke beech hi saare banda bat chuke the aur hum sabne usse pehen bhi liya tha jiske baad...


REGIS-so now,time for the first challenge..par usse pehle ek baat jaan lijiye...

bhale hi aap sabne khud apne partners chune hain yaa phir DUAD ke through aapko apne partners mile hain,par iska ye matlab hargiz nahi hai ki aap apne partners ke saath hi MR & MISS CHOSENS ka khitaab jitenge...

aap aur aapke partners sirf is first dance tak hi ek dusre ko compliment kar rahe the,par hone waale dono challenges me yaa phir ye kahun ki abhi hone waale first challenge me partners ka maths aur khitaab jeetne ka tarika badalne waala hai...

kaise,ye jaanane se pehle first task ko jaan lijiye...

toh first challenge me hoga ye ki saare ladke aur ladkiyon ko alag alag rows me aankhon me patti baandh khada kar diya jaayega..

uske baad girls,boys ek ek kar aage badhenge aur saamne waale ke face ko touch kar usse pehenchaanane ki koshish karenge...

apne saamne waale ko touch karne ke baad girls,boys, jinke haathon me ek note aur pen hoga uspar woh guess kar naam likhenge jinhe ELUSORIES collect kar apne paas rakhenge..

challenge ke aakhir me ELUSORIES hue batayenge ki kitno ka guess zyada sateek baitha hai..

agar kisi ladke aur ladki dono ne hi ek dusre ko touch kar naam sahi guess kiya toh dono ko hi extra mark bhi milenge....

ek baat aur,is first challenge ke sirf 2 hi random pair, matlab do boys aur do girls hi second aur final challenge ke liye select kiye jaayenge...

aur ye random pair tay bhi is first challenge me ho jaayega...

first challenge me mile marks ke mutabikh hi second challenge me aap sabke partners tay honge...

matlab MR and MISS CHOSENS ke khitab ke liye final round me sirf do pairs ke beech hi competition hoga...

got it....!!!

SAVENTS-YES WHIZZDER...

HIDA-alright then, shuru karte hain...


HIDA ke aisa bolte hi ELUSORIES ne ek ek kar sabhi SAVENTS ke aankhon ke upar kaali patti baandh di...

band ki wajah se ab saare SAVENTS ki extra sense ability bhi jaa chuki thi jiski wajah se ye simple challenge bhi un sabke liye kaafi hard tha aur isiliye hi sabhi thode nervous bhi the...

par in sabke beech do aise bhi log the jinke liye ye challenge without SAVENTS power bhi zyada mushkil nahi tha...

aur ye dono the MAHI aur RAAZ...

reason...

dono ne hi earth me BLIND SENSE naam ki book me likhi theories jinme chhu kar kisi bhi cheez ya insaan ko pehenchaanane ke baare me likha gaya tha,usse kaafi practice kiya hua tha..

khair,saare SAVENTS ke aankhon me patti bandhi jaa chuki thi aur un sabki jagah ko bhi badal ka girls boys ko ek dusre ke saamne khada kar diya gaya tha jiske baad woh sab ek ek kar khisakte hue apne saamne waale bande aur bandi ke face ko touch kar rahe the aur anumaan lagate hue note par saamne waale ka naam likh rahe the jisse teeno hi ELUSORIES collect kar check kar rahe the..

aur aisa karte karte aaya woh lamha jab ACCHUTA MABEL ke saamne aur RAAZ MAHI ke saamne aaya..

aur aisa hone par jahan ek taraf jaise hi MABEL aur ACCHUTA ne ek dusre ke face ko feel kiya toh un dono ka hi dil dhakk karkar reh gaya jiske baad dono ke hi haath apne note par gaye aur dono ne ek dusre ka naam likh diya...

wahin dusri taraf jab maine MAHI ke face ko chhua toh mujhe saamne kaun hai,ye pata chal chuka tha, aur isiliye MAHI ka naam likh mai aage badhne ko hua par mai aisa kar nahi paaya..

reason...

MAHI ab bhi mere face ko pakad usse alag alag tarah se chhu rahi thi jaise ki woh mujhe feel karna chahti ho..

khair,kuch der baad jab uska haath mere chehre par chalna band hua toh mai aur woh dono hi khisakte hue side ki taraf badh gaye..

aur is tarah first challenge pura hua jiske baad hum sabne apni apni apni aankhon par lagi patti hata di...

wahin jab ELUSORIES ne results REGIS ke saamne rakhe toh...


REGIS-UNBELIEAVABLE....

RAAZ,MAHI...aap dono ne hi saare SAVENTS ke naam ekdum sahi likhe hain....how...???


jahan REGIS ki baat sun sabhi SAVENTS shocked ho gaye wahin mere aur MAHI ke face par ek smile aa gayi jiske baad..


MAI/MAHI-BLIND SENSE....


hum dono ke hi mooh se hamari padhi us common book ka naam ek saath nikla jiske baad ek dusre ko k second dekh humne REGIS ko us book ke baare me bataya jisse sun..


REGIS-kabhi kabhi aam hona hi sabse khaas hota hai... normal humans se ye seekh milti hai hume..

dekhiye,aaj issi normal human way ne RAAZ aur MAHI ko is first challenge me sabse aage kar diya jiska matlab hai ki second aur final challenge me ab ye dono ek dusre ke partners honge..


REGIS ki baat sunkar jahan mai normal hi raha,MAHI ke face par khushi dikhne lagi, ALFREEN,MABEL, SLUNDER aur ACCHUTA MAHI ke liye khush ho gaye wahin MORANA ne ek ajeeb sa look diya MAHI ko..

khair,apni baat ko aage badhate hue....


REGIS-kyunki MAHI aur RAAZ ne sabhi SAVENTS ke naam sahi likhe hain,jiska matlab hai ki saare SAVENTS ko MAHI aur RAAZ ki wajah se do bonus points mile hain par aap sabme MAHI aur RAAZ ko chhodkar sirf do hi SAVENTS aise hain jinhone ek dusre ka naam bilkul sahi likha hai aur woh do SAVENTS hain ACCHUTA aur MABEL....


jahan is baat ko sun SLUNDER, ALFREEN,MAHI teeno hi kaafi khush dikhne lage the wahin VALDIS ki hadh se zyada sulag chuki thi aur us jale par namak chiddka MABEL ke face par dikh rahi smile ne jisse dekh khud par se halka sa control kho diya VALDIS ne aur uske paas pahunch...


VALDIS-kya baat hai..bohot khush dikh rahi ho...pasand aane laga hai kya woh losser tumhe...


halka sa gurrate hue dabi awaaz me kahi ye baat VALDIS ne jislar pehle toh MABEL halki chownki par phir..


MABEL-ye kaisi baat kar rahe ho tum mujhse VALDIS...aur tumne ACCHUTA ko looser kis base par bol diya...??

woh tumse aur mujhse bohot aage hai hamare PHASE me...

VALDIS-ohho..tarafdaari.sirf gala me partner badla aur tumhare soor hi badal gaye...

mat bhulo ki tum meri girlfriend ho..

MABEL-girl friend hun...tumhari private property nahi...


MABEL ki baat sun VALDIS achanak se hadh se zyada ghusse me uske aur nazdik aaya jisse dekh ek pal ke liye dar si gayi thi MABEL par phir kisi tarah khudko normal kar jab VALDIS ek disha ki taraf badh gaya toh normal ho gayi MABEL par normal sirf uska apperance tha,uska man hadh se zyada ashaant ho chuka tha...

pata nahi kab tak uska man yunhi ashaant rehta ki tabhi....


REGIS-so,final challenge ke liye MAHI,RAAZ, ACCHUTA aur MABEL,aap chaaron beech me aayiye...


REGIS ki baat sun hum chaaron hall ke beech me aa gaye jahan is waqt do tables lage hue the jiske dono taraf ek ek chair rakha hua tha...

dono hi tables ke beech ek mani jaisi cheez rakhi hui thi jisse do light beams nikal table ke dono taraf chairs par padh rahi thi..

saath hi tables ke dono ends par do do buzzor jaise button rakhe hue the..

ek buzzor normal plain tha par dusre buzzor ke upar QUIT likha hua tha...


REGIS-agle aur aakhri challenge ka naam hai PAIN SPLIT jo aap yahan in dono tables par pura karoge..

challenge ye hai ki aap sab apne pair ke saath ek ek table par aamne saamne baithoge...

aapke baiththe hi ye jo do beam aap dekh rahe hain,woh aapke seene ke beech me padenge...

aisa hote hi aap aur aapke partners me se kisi ek ke andar emotions ka tufaan aayega...

aur woh saare emotions negetive honge...

bramhaand me hone waale saari negetive chizon se jo pain bahar aata hai,uska bhaag aapke heart par padega jisse aapko apne andar ke positiveness ke through jhelna hai...

par ye asaan nahi hoga kyunki ek toh filhal aapki SAVENTS power neutralized hai aur dusri jo negetivity aap feel karenge,usse aapke dil ke saath saath aapka brain bhi feel karega jisse aap mentally kamzor hone lagenge...

khair,jaisa ki maine bataya ki beams ke padte hi dono partners me se kisi ek par negetive emotions ka pravah hoga toh aise me jab bhi dusre partner ko ye lage ki uska partner us emotional waar ko jhel nahi paa raha hai,toh apne saamne rakhe buzzor ko woh push karega aur aisa karte hi woh pain jo uska partner feel kar raha tha,usse woh feel karne lagega..

isiliye hi is challenge ka naam PAIN SPLIT hai kyunki isme aap apne partner ko pain baaththe hain..

aur fir yahi process aap dono ek ek kar tab tak continue karenge jab tak dusre table par baithe aapke opponents apne emotional pain ko naa jhel paakar dusri taraf bana quit BUZZOR naa daba den...

got it...


REGIS ki baat par haan me apna sir hilate hue hum chaaron hi ek ek table par baith gaye...

mere saamne MAHI baithi thi aur dusre table par ACCHUTA aur MABEL baithe hue the..

baaki saare SAVENTS humse thode door me ek ghera banaye khade bade hi excitement ke saath hume dekh rahe the...


ALFREEN/SLUNDER-all the best GUYZZ...jeete koi bhi,trophy aur party toh apne hi group me aane waali hai...


ALFREEN aur SLUNDER ki baat sun hum chaaron ne hi smile kiya aur apne apne partner ko dekhne lage..

ajeeb baat thi,is final challenge me ek dusre ke partners hone ke baad bhi hum chaaron me se kisine bhi ab tak ek dusre se kuch nahi kaha tha..

khair,humare chairs par baiththe hi hum par beams padne lagi jiske agle hi pal...

AHHHH....

AHHHH.....

mere table par MAHI ki aur dusre table par MABEL ke sir me ek ajeeb sa pain utha jiske achanak uthne se
dono ke mooh se ek aahh nikal gayi par phir dono shaant hote hue us ajeeb se emotional stress ko jhelne me lag gayi..

wahin MAHI ki dard bhari aah ko sun mai toh shaant raha par ACCHUTA MABEL ki tadap sehen nahi kar paaya aur usne turant PAIN SPLIT waale buzzor ko daba diya aur uske aisa karte hi MABEL ka pain uski taraf transfer ho gaya...

achanak se apne emotional pain ko jaata dekh MABEL thodi hairan hui par jab usne ACCHUTA ke face par halki si shikan dekhi toh woh samajh gayi ki ACCHUTA ne us hone waale pain ko khud ke hisse me kar liya hai...

is tarah waqt beetne laga aur jab maine MAHI ke body me halka shake dekha toh mai samajh gaya ki usse hone waala pain uske liye unbearable hone laga hai aur isiliye maine PAIN SPLIT waala buzzor daba diya aur khud us emotional pain ko jhelne laga..

par ACCHUTA,MAHI aur MABEL ke mukaabale is naye pain ka prabhav mujhpar kuch zyada hi hone laga tha..

aur iska sabse bada saboot tha ye ki dil se dimag par haavi hone waale is pain ki wajah se mere naak ke kinare halka khoon dikhne laga jisse maine apni ungli se saaf kiya..

par MAHI ne ye dekh liya tha aur woh mere nikalne waale khoon ko dekh hairan bhi hui aur dar bhi gayi..

mai kitna strong hun,iska andaza tha MAHI ko aur aise me agar mere naak se khoon nikalne laga tha,toh isse mere pain ka level samajh gayi woh aur isiliye usne turant PAIN SPLIT waala buzzor daba diya aur khud us emotional pain ko jhelne lagi..

pain ke jaate hi kamzori ne jakad liya tha mujhe...

saansein meri chhad chuki thi jisse mai aankhen band kiye control karne ki koshish kar raha tha...

wahin hamare side waali table par ab ACCHUTA ki haalat bohot kharab ho chuki thi par apne face ko normal rakhe hue woh baitha hua tha taaki MABEL split buzzor push kar pain naa jhele par kuch der baad MABEL ACCHUTA ke naa dikhane waale pain ko jaise bhaamp si gayi aur usne apna haath buzzor ki taraf badhaya par tabhi..

ACCHUTA ne turant MABEL ke haath ko beech me hi thaam liya aur naa me sir hilane laga..

sapat chehra tha is waqt ACCHUTA ka par uske aankhon me dard saaf dekh rahi thi MABEL bpar us dard ke saath ek aur chiz bhi thi jisse MABEL ne saaf feel kiya tha...

aur woh cheez thi fikr... ACCHUTA ki aankhon me MABEL ne apne liye beshumar fikr mehsoos ki...

aankhon hi aankhon me jaise ACCHUTA ne bata diya MABEL ko ki

"teri kahani me hamare bhi KISSE HAIN...

"tu khush reh,tere saare dard sirf hamare hi HISSE HAIN"....


in lines ko,jasbaat ko padh liya tha jaise MABEL ne ACCHUTA ki aankhon me jiske baad uska haath ACCHUTA ke haath me hi reh gaya aur woh yunhi uske haathon me apne haathon ko rakhe hue uski aankhon me dekhne lagi....

wahin MABEL ka yun usse dekhna ACCHUTA ke liye jaise painkiller saabit hua..

har negetiveness jo uske dil aur dimag me us beam ne create kiya tha,woh chhatne laga..

aur ek rahat ke ehsaas ko apne ragon me doudta feel karte hue woh bhi MABEL ki aankhon me ek tak dekhne laga..

wahin meri taraf is waqt jab meri mental thakan kuch kam hui toh meri nazar gayi MAHI ke face par jahan is waqt hadh se zyada pain dikhne laga tha aur ye dekh maine turant buzzor daba diya...

aankhen band kiye lambi lambi saans bharte hue MAHI kuch der tak sir neeche kar baithi rahi par phir kuch der baad jab usne sir uthaya toh hairan aur dar,dono gayi...

reason..

is baar mere face par naak ke saath saath kaan ke side se bhi khoon nikalne laga tha jisse dekh usne apna haath buzzor ki taraf karne ki sochi par phir usse ehsaas hua ki agar usne aisa kiya aur process ko jaari rakha toh next time jab mai wapas split buzzor ko push karunga toh meri haalat hadh se zyada kharab ho jaayegi..

haar toh mai kisi bhi condition me maanunga nahi,ye bhi jaanti thi MAHI isiliye ek faisla liya usne aur agle hi pal..


CLLLRRRR.....

QUIT BUZZOR ko push kiya usne jiske baad ek ajeeb si awaaz gunj uthi pure hall me jisse sun jahan ek taraf kaafi log ACCHUTA aur MABEL ke jeetne ki khushi me clapping aur hooting karne lage aur kaafi aise bhi the jinhe yakin nahi ho raha tha ki RAAZ haar gaya hai...

khair, MAHI ke quit buzzor dabate hi ek baar uski taraf dekha maine aur phir turant apni jagah se uth apne chaaron taraf ikattha bheed se hote hue bahar nikal gaya..

MAHI bhi mere piche piche hi aa gayi thi..

SLUNDER aur ALFREEN bhi ACCHUTA aur MABEL ke jeetne se khush the par challenge ke dauran un dono ne bhi mere chehre par khoon aur pain dekha tha isiliye woh dono bhi MAHI ke saath mere piche ho liya the..

wahin MAHI ke buzzor dabane ke baad sabke hooting aur clapping ko sun ek dusre ke aankhon me dube ACCHUTA aur MABEL ki jaise achanak se tandra tooti aur woh dono present me wapas aa gaye..

saare SAVENTS aur WHIZZES, WHIZZDERS un dono ko unki jeet par aur MR & MRS CHOSENS banane par congratulate karne lage jispar sabko thanks kehte hue woh beech beech me ek dusre ko apni kankhiyon se dekh rahe the..

kuch der baad dono hi stage par as MR & MISS CHOSENS khade the jispar jahan ek taraf baaki sab clapping kar rahe the wahin unke beech khada tha VALDIS apne kuch likewise negetive minded bando ke saath jo uske seene me lage aag par ghee daalne ka kaam kar rahe the..


1st-dekh bhai,itne time mehnat ki tune is bandi par,lekin aaj ek ghante me hi is ACCHUTA ne baazi aur ladki apne naam kar li..

2nd-haan yaar,mujhe toh lagta hai tu dekhta hi reh jaayega aur ye ACCHUTA teri bandi ko le bhi jaayega aur uska ras bhi pee jaayega...


Us second bande ki baat sun ghusse se bhare hue VALDIS ka dimag hi kharab ho gaya aur usne un ladko ko uske gardan ke sahare upar hawa me utha liya...


VALDIS-apni zuban ko apne aukaad ke daayre me rakh...

MABEL meri hai aur uske jism par sirf mera hakh hai samjha....


ye bol usse chhod diya VALDIS ne jiske baad aankhon me dar liye woh apne gale ko masalte hue chupchaap khada ho gaya...

aur uske saath baaki bande bhi bilkul chup ho chuke the jiske baad...


VALDIS-socha tha jo karunga,pyar se karunga...par saali ye pyar bhi badi kutti chiz hai, zabardasti karne par hi line par aati hai...

koi nahi,pyaar se naa sahi,par aaj ki raat MABEL mere bed par meri aagosh me hokar hi rahegi jahan mai bade itminaan se iski nath utaarunga...

oye sun,us CHIZ ko sambhalkar rakha hai naa...!!!

1st-haan yaar, mere ABODE me hi hai...

VALDIS-badhiya..jaa lekar aa...


VALDIS ki baat uska dost HALL se bahar nikal gaya aur uske jaate hi..


VALDIS-ye raat badi lambi hone waali hai MABEL...is raat ke baad teri akad aur teri virginity,dono hi toot jaayegi.....


wahan VALDIS apni planning kar chuka tha aur yahan mai apne dono haathon ko apne ghutno me rakhe hue sir ko neeche kar lambi lambi saansein le raha tha...

aur mere saamne khade the ALFREEN, SLUNDER aur MAHI...

kuch der tak apni jagah khade rehne ke baad MAHI mere paas aayi aur mere kandhe par haath rakh..


MAHI-are you allright RAAZ....???

UGGHHHGHHH...


itne hi clear shabd nikal paaye MAHI ke mooh se kyunki uske baad mai jhat se sidha hua aur maine uski gardan daboch li jisse woh chhatpatane lagi aur ye dekh pehle toh ALFREEN aur SLUNDER hadbada gaye par phir..


ALFREEN-RAAZ...kya kar raha hai..??chhod usse..mai kehti hun leave her..dekh uska mooh laal ho raha hai... RAAZ chhod usse...


ALFREEN ki baat sunane ke baad bhi kuch pal aur yunhi MAHI ke gardan ko daboche rakhne ke baad maine chhod diya usse jiske baad zoron se saans lete hue aur saath hi khaanste hue woh apne gale ko pakad kuch der tak sir neeche kar khadi rahi aur phir relax hone ke baad jab usne apna sir upar uthaya toh..


ALFREEN-are you ok...???

MAHI-haan...

ALFREEN-are you out of your mind RAAZ...??kya kar raha tha tu...???aur kis baat ka ghussa hai tu...???

MAHI ne quit BUZZOR apne liye nahi tere liye bajaya tha...teri bigadti haalat ko dekh kar hi usne woh kadam uthaya...

isse teri fikr thi aur ek tu hai jo isse dushmano ki tarah treat kar raha hai...

MAI-maine kaha tha meri fikr karne ke liye.. maine kaha tha BUZZOR dabane ke liye....

hai kaun ye mere behalf me faisle lene waali...ek baat kaan aur baaki sab khol kar sun lo tum sab,mere liye chote se chota challenge bhi jisme mai participate karta hun,meri jaan se upar hai....

aur mere liye har faisla,sahi ho yaa galat,usse lene ka hakh sirf mera hai.. sirf mera...

agli baar agar mere maamle me zyada dimag lagaya naa toh is baar sirf gala dabaya tha,agli baar ukhad dunga...

yaad rakhna, RAAZ dhamki nahi deta,future ka aayne dikhata hai jisse hone se kisika baap bhi nahi rok sakta...

apne haath aur apna ehsaan apne tak hi rakh, zinda rahegi....


MAHI ko ghoorte hue kahi ye baat maine aur phir palat kar HALL se bahar nikal gaya...

wahin meri baat aur us baat ki intensity ko feel kar jahan ek taraf SLUNDER aur saath hi ALFREEN ki haalat kharab ho gayi thi wahin meri kahi lagbhagh saari baatein sun kar ansuna kar diya tha MAHI ne par meri aakhir me kahi ehsaan waali baat uske dil par teer ki tarah chubh gayi aur phir...


MAHI-ehsaan nahi kar rahi thi RAAZ...pyar kar rahi thi...kyunki...




jo mere dil ko sukoon deta hai,
woh GEET, SIRF TUM HO......

jo mere saanson ke saath aur uske baad bhi chalegi,woh REET, SIRF TUM HO......

haan haare hai hum par is haar ka mujhe gum nahi...

kyunki jiske liye mai sab kuch haar sakti hun,woh JEET,SIRF TUM HO.....
















AAJ KE LIYE ITNA HI....
















AAPKA APNA V...J....




(THE NIGHT CONTINOUS)
Excellent update bro 🤠🤠🤠
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,267
38,658
258
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF ACCHUTA AUR MABEL MR AUR MISS CHOSENS BAN JAATE HAIN WAHIN DUSRI TARAF CHALLENGE HAARNE PAR RAAZ MAHI KE UPAR BHADAK JAATA HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-114



PLANET-ELYSIAN


PLACE-ALFREEN'S ABODE





HAHAHAHA....IS PIC KO DEKHKAR KAUN KEH SAKTA HAI KI ISME KHADA LADKA WAHI RAAZ HAI JO AB SABKE SAAMNE HAI...!!!!


ek badi si photo album ko jisse pakad sofe par baithe the FLORIN aur MARIA,usme se RAAZ ke bachpan ki ek pic jisme woh dubla patla sa tha,dekh kar haste hue kahi ye baat MARIA ne jispar FLORIN bhi muskurane lage aur...


FLORIN-waqt kahan se kahan pahunch gaya,hum kahan se kahan pahunch gaye,pata hi nahi chala...

pata hai MARIA,jab ALFREEN humse door ho gayi thi, hume laga tha ki hum usse kabhi nahi dekh paayenge toh uske baad se hi life se man ub gaya tha...

par phir humne orphanage khola,wahan baccho ke beech rehkar bhi woh khaalipan jo hamari beti ke jaane se mai feel karta tha,woh bhara nahi...

lekin phir ye RAAZ hamare orphanage me aaya..sabse alag,sahi shabd kahun toh sabse ajeeb....

naa toh kisise has ke baat karna aur naahi kisi se dosti rakhna...

khudko ek shell me band karke rakha is ladke ne har waqt...

humse bhi kabhi sidhe mooh baat nahi ki...par itne negetiveness ke baad bhi apne hi tarah ek ajeeb tarike se ek paheli ban kar mere dil ke khaalipan ko thoda thoda bhar diya usne....

MARIA-bilkul sach ye hai..aur dekhiye naa,aakhirkar RAAZ hi woh zariya bana jisse hum apni beti se dobara mil paaye...

FLORIN-hmm..pata hai,uska hamesha dikhane waale cold behavior ke baawjud mujhe uspar kabhi ghussa nahi aaya tha...

MARIA-mujhe bhi..par haan,mai hamesha se chahti thi ki ek baar,sirf ek baar usse muskurate hue dekhun joki finally yahan CHOSENS me possible ho paaya...

FLORIN-aakhir yahi toh uski destination thi... shayad isiliye yahan pahunchne ke baad usme saare changes bhi aane lage...

MARIA-hmm... chehra,sharir pura badal gaya RAAZ ka,par aaankhen nahi badli..

aur naahi badla uska woh bhaav..
uski aankhon me aaj bhi ek khaalipan dikhta hai...

pata nahi kis cheez ki talash hai usse...??par jab bhi mai us khaalipan ko dekhti hun,mujhe bohot taklif hoti hai...

FLORIN-ye toh maine bhi gour kiya hai..par pata nahi kyun lekin mujhe lagta hai ki shayad RAAZ khud bhi apne aankhon ke khaalipan se anjaan hai...

kyunki anjaane me hi sahi,uske face par kabhi udaasi nahi dekhi maine...


KISKI UDAASI KI BAAT KAR RAHE HO POPS....???


saamne se aati hui ALFREEN ne kahi ye baat jiske baad woh sidhe apne mom dad ke beech me jaakar baith gayi...

apni beti ko dekh MARIA ne bhi apne haathon me rakha photo album band kar diya tha..


MARIA-tu itni jaldi aa gayi...GALA night khatm ho gaya..!!!

ALFREEN-nahi, chalu hai..par mujhe bor lag raha tha,mood bhi off ho gaya tha isiliye mai wapas aa gayi...

FLORIN-arre,hamari beti ka mood kaise off ho gaya bhala...???

ALFREEN-chhodo naa pops.. friendz stuff...aap batao, kiski udaasi ki baat kar rahe the aap...???

FLORIN-RAAZ ki...

ALFREEN-RAAZ, aur udaas..!!!woh khud udaas nahi hota,haan,baaki sabko zaroor karta rehta hai...

MARIA-ab kya kar diya usne...???

ALFREEN-usne MAHI ko ka gala daba diya tha..us bechari ka pura face red ho gaya tha...idiot, stupid...completely insensitive & mean...

FLORIN-toh ye reason hai hamari princess ke moof off hone ka..

acha,what was the reason....!!!

ALFEEN-reason..!!!aapko lagta hai ki RAAZ ko kuch bhi karne ke liye kisi reason ki zaroorat hai..!!!

MARIA-hume lagta nahi hai,hum jaante hain...and mind you,hum dono RAAZ ko sabse better jaante hain..

isiliye uski burayi karne se pehle reason batao...


MARIA ke is baat par ALFREEN ne last challenge me jo hua aur uske baad RAAZ ne no kiya woh sab kuch bata diya jispar...


FLORIN- cristy yaad hai tumhe AL...wahi ladki jisse tumne bachpan me slap kiya tha...

ALFREEN-haan yaad hai,par uske baare me abhi kyun baat ho rahi hai..???

FLORIN-batata hun..par pehle ye tum batao ki kyun slap kiya tha tumne usse aur woh bhi itni zor se ki uske lips ke side areas fath gaye the..

ALFREEN-reason toh pata hi hai aapko pops...hum relay partners the...aur sirf uske casual approach ki wajah se first time mai kisi race me second aayi thi..

FLORIN-thik waise hi jaise aaj MAHI ki wajah se RAAZ second ho gaya...

aise me frustrate hona,ghussa hona toh normal hai naa...

ALFREEN-par dad MAHI ne jo kiya,ye uske bhale ke liye hi kiya.. challenge ke waqt maine khud dekha tha, RAAZ was not all looking good...

woh emotional pain jo us challenge me woh feel kar raha tha,agar waise chalte rehta toh usse uski haalat bohot zyada kharab ho jaati..

MAHI was just trying to help....

FLORIN-help karne se pehle ye jaanana zaroori hota hai ki ki kya saamne waale ko us help ki zaroorat hai...

aur jahan tak baat RAAZ ki hai,toh ab tak itna toh tumhe uske baare me maalum ho jaana chahiye ki uske faisla koi aur le,ye usse pasand nahi..

beta, RAAZ un logon me se hai jinke liye jeet unki life se zyada important hoti hai..

yahi wajah hai ki woh tumhare PHASE me sabse aage hai...beta choice koi universal word nahi, individual hai...

kisse kya karna hai,ye koi dusra tay nahi kar sakta..jitna ye sach hai ki MAHI ne jo kiya,woh RAAZ ke physical behatri ke liye kiya,utna hi sach ye bhi hai ki uski harkat ne RAAZ ko mentally taklif de di aur woh taklif uske physical pain se zyada thi...

aur outcome tha woh action jo RAAZ ne MAHI ke saath kiya... it's all about perception....

ALFREEN-RAAZ un logon me se hai jinke liye jeet unki life se zyada important hoti hai..pops, aisa hi kuch RAAZ ne bhi kaha tha..

aap toh wakayi RAAZ ko kaafi ache se jaante hain..

MARIA-tum bhi jaan sakti ho beta,bas apne choices uspar thopne ki koshish mat karna...

he is harmless untill some one pokes him...

but once you POKE, than he will make sure that you CHOKE...

ALFREEN-but what about MAHI...???woh kaafi sad ho gayi hai...

MARIA-she will get over it...woh samajhdaar hai,teri tarah hot headed nahi...

ALFREEN-how mean mom....!!!

FLORIN-acha ab woh sab chhod aur ye bata ki MR & MISS CHOSENS kaun bana...!!!

ALFREEN-MABEL aur ACCHUTA..aur pata hai POPS, ACCHUTA aur SLUNDER ka bhi RAAZ ki hi tarah complete transformation ho gaya hai....

they both have turned into damn handsome hunks..

FLORIN-ohho.. is my daughter interested in any of them.!!!

ALFREEN-hell no...i am not at all interested in this love shit....aapki beti ka focus sirf khudko better karne me hai..

FLORIN-ye hamari hi beti hai naa...!!!goon toh aadhe hi aaye hain...

ALFREEN-hahaha,very funny...

MARIA-kya funny, dekh MABEL ne bhi apne liye ladka dhundh liya hai..kya naam tha uska,haan, VALDIS....

woh toh bohot khush hoga aaj,uski gf MISS CHOSENS ban gayi..

ALFREEN-pata nahi par aaj bohot ajeeb behave kar raha tha woh..

maine door se dekha,MABEL se shayad halka rough hokar kuch kaha shayad usne..

kyunki MABEL ka face utar gaya tha...

FLORIN-arre,jab MABEL sad thi toh tu usse chhodkar kyun chali aayi... you should have been by her side...

ALFREEN-RAAZ ki wajah se...

MARIA-RAAZ ki wajah se, matlab....!!!

ALFREEN-exactly toh nahi pata,kal pata chalega... actually mujhe SLUNDER ne kaha ki RAAZ ne kaha hai ki aaj MABEL ko akela chhodna hai...

reason toh nahi bataya,bas itna kaha ki MABEL ke liye ye important hai...

MARIA-aaah,ek taraf tu RAAZ ko insensitive keh rahi thi aur dusri taraf uski baat jo usne directly tujhse nahi ki balki SLUNDER ke through apni baat pahunchwayi,usse ek baar me maan liya...

ALFREEN-mom,jo bhi ho,i know a thing for a fact ki RAAZ kuch bhi yunhi naa kehta hai,naa karta hai..

infact sometimes i feel ki uski thinking is beyond anybody's imaginations...

toh aise me kya doubt karun uske kisi baat par... waise bhi,kal toh pata chal hi jaana hai....

MARIA-jo baat abhi abhi tune humse kahi naa,woh hamesha khud yaad rakha kar..khush rahegi....

ALFREEN-kuch zyada hi tarafdaari nahi karte aap dono RAAZ ka...

khaaskar tabse ye taarif zyada hi badh gayi hai jabse SOVES se request kar ye ORPHANAGE ki photo album EARTH se aapne mangwayi hai...

anyways, aap dekhiye apni album..mai chali fresh hone...


jahan ye bol ALFREEN sofe se uth apne room ki taraf badh gayi wahin uski baat sun MARIA aur FLORIN muskuraye aur wapas album ko khol uske panne paltaane lage....






PLACE-CHOSENS


THE GREAT HALL




LAAYA..!!!!


VALDIS ke is sawal par uske dost ne bina kuch kahe ek hare colour ka churn joki ek polithin ke andar rakha hua tha,uske aage kar diya jisse haathon me pakad face par ek devilish muskaan liye...


VALDIS-VASHIBHOOTAM POUDHE KA CHURN....

aaj yahi churn meri nayya paar lagayega....


VASHIBHOOTAM POUDA FORBIDDEN FOREST me paaye jaane waala poudha hai jiske patton ka churn bana agar koi bhi dravya ke saath milakar kisiko bhi pila diya jaaye toh aisa hone ke baad ke kuch minutes baad hi jiske dwara bhi woh churn mishrit dravya pilaya gaya hai,peene waala uske sammohan ka shikar ban jaata hai aur ye sammohan kareeb 12 ghanton tak us shaksh par haawi rehta hai..

is dauran usse is churn ko pilane waala,jo chaahe karwa sakta hai jisse woh sammohit vyakti apni khushi se karta hai...

haan,is sammohan aur normal sammhonan me fark ye hota hai ki jahan normal summohan me vyakti robot jaisa behave karta hai,wahin is churn ko nigalne par hone waale sammohan me vyakti normal behave karta hai...

dekhne par kisi ko bhi pata nahi chalta ki saamne waala vyakti sammohan me hai..

khair,agar kabhi pyar waala paitra fail hota nazar aane lage,toh is BRAMHAASTRA ka jugaad rakha hua tha VALDIS ne jo aaj uske kaam aane waala tha....

haathon me pakde us churn ko apne poket me daal VALDIS chal pada MABEL ke paas jo is waqt apne partner MR CHOSENS ACCHUTA ke saath khadi thi aur SAVENTS usse aur ACCHUTA ko congratulate kar rahe the...

par ab ye congratulate karne ka daur apne aakhri charam par tha...lagbhagh sabhi ne un dono ko MR & MISS CHOSENS banane ke liye badhayi de di thi...

is pure douran ACCHUTA ko apne kareeb paakar MABEL ke man me ek ajeeb se gudgudi ho rahi thi...

woh lagatar apni kankhiyon se ACCHUTA ko dekhe jaa rahi thi...

waise haal toh ACCHUTA ka bhi MABEL se alag nahi tha par apne chehre ko sapat rakha hua tha usne....

khair,ab tak lagbhag sabhi SAVENTS ne un dono ko badhayi de di thi,par un dono ne ek dusre ko hi congrats nahi kaha tha aur isiliye...


MABEL-congrats ACCHUTA...

ACCHUTA-congrats to you too MABEL...anyways,tum toh hamesha se hi MISS CHOSENS banane ki daawedaar thi...

thankfully,aaj luck ne mujhe is is khitaab ke kaabil bana diya...

MABEL-haan,aur tum deserving bhi toh ho....


MABEL ki baat par halke se has diya ACCHUTA jisse naa samajh..


MABEL-hans kyun rahe ho...???

ACCHUTA-apne is naye appearence par....

MABEL-arre,par isme hasne waali kya baat hai..ye badla look toh kaafi jach raha hai tumpar...

ACCHUTA-jaanta hun...aur asar aur result dono hi aaj mile khitaab se dekh liya maine..

hasi bas is baat par aa rahi hai ki mai aaj bhi wahi hun jo pehle tha..

badla sirf roop hai..par sirf is ek badlwaav se logon ka mujhe dekhne ka tarika badal gaya..

auro se jo mujhe jaante hi nahi,unki kya baat karun,par jo mujhe kareeb se jaante hai,woh bhi achanak mujhse zyada impress dikhne lage hain...

unki nazar mujhpar theherne lagi hai... outer appearance se aaye itne drastic badlwaav se hairan bhi hun mai aur mujhe hasi bhi aa rahi hai...


ACCHUTA ki hasi naa khushi waali thi aur naahi dukh waali..ek theraav tha uski hasi me jisse samajh nahi paa rahi thi MABEL..

aur isiliye woh usse kuch kehne ko hui par tabhi...


VALDIS-MABEL,can we talk...!!!


VALDIS ki awaaz sun MABEL ki nazar uspar gayi jo uske saamne hi ek maasum surat banaye khada tha par VALDIS ko dekhte hi MABEL ko uski kahi baatein yaad aa gayi aur uska mood off hone laga..

woh usse baad me baat karne ke liye kehne waali thi par woh kuch kehti usse pehle...


ACCHUTA-excuse me guyzz...


ye bol ACCHUTA SLUNDER ki taraf joki ek ladki ke saath joki WALTZ dance me ACCHUTA ki partner thi,uske saath baitha hua tha,uski taraf badh gaya..

MABEL ka yun ACCHUTA ka jaana acha nahi laga tha par kyunki ab ACCHUTA wahan se nikal chuka tha, isiliye uski nazar VALDIS par padi aur aisa hote hi woh halki chownki...

reason...

VALDIS apne dono kaano ko pakde uthak baithak kar raha tha aur jab MABEL ki nazar uspar padi toh aisa karte hue hi..


VALDIS-sorry MABEL...i behaved like a total jerk... aur us baat ke liye mai tumhe dil se sorry kehta hun... please maaf kar do mujhe...


VALDIS ki baat sun apne sir ko haan me halka hilate hue uski apology ko accept kiya MABEL ne jisse dekh apni uthak baithak ko rokte hue behadh khushi se aage badha VALDIS aur MABEL ke gale lag gaya..

aaj pehli baar tha jab MABEL VALDIS ko aadhe man se hug kar rahi thi aur saath hi aisa karte waqt jab uski nazar ACCHUTA ki taraf padi joki SLUNDER ke saath baitha uski GALA ki first partner ke saath has has kar baat kar raha tha, toh uske dil me ek ajeeb si bechani ne ghar kar liya..

khair,kuch der MABEL ko hug karne ke baad alag hua VALDIS aur..


VALDIS-kaisa b.f hun mai..aaj meri gf MISS CHOSENS bani hai aur naa toh maine usse wish kiya hai aur naahi celebrate karna shuru kiya hai...

koi naa,chalo,DRINKS corner me jaate hain,wahin baith kar tumhare jeet ko celebrate karenge...

MABEL-aaj nahi VALDIS..mera mood nahi hai..phir kabhi celebrate karte hain..waise bhi hamare saare friends toh yahan hai hi nahi..

sabke saath milkar celebrate karenge..

VALDIS-arre woh toh karenge hi..par abhi ke liye ek chota sa celebration toh kar hi sakte hai naa..

chalo naa please..nahi toh mai samjhunga ki tumne mujhe maaf nahi kiya...


MABEL ka mood toh tha nahi par VALDIS ka dil rakhne ke liye...


MABEL-thik hai..par zyada der nahi rukenge... mujhe ghar jaane ka man hai..

VALDIS-now that's my girl..aur sirf ek drink woh bhi bas isiliye taaki hum hamara patch up aur tumhari aaj ki jeet celebrate karen..

that's it....


ye bol MABEL ke haath ko thaamte hue VALDIS wahin side me bane ek BAR counter ki taraf jahan bohot se MOCKTAILS aur COCKTAILS ka bhandar tha,badh gaya aur wahan pahunch MABEL ko ek couch me baithne ko bol woh counter ke dusri taraf khade ek ELUSORY ko joki aaj wahan ka bartender tha,mukhatib hua aur...


VALDIS-one
sparkling berry with pomegranate and one lemon lavender....


sparkling berry with pomegranate MABEL ka favourite drink tha jisse VALDIS ne uske liye order kiya tha....

order kar VALDIS ne ek baar palat kar MABEL ko dekha jo saamne couch par baithi hui thi aur uski nazar thode door par baithe ACCHUTA aur uski aajki first partner par thi aur ye dekh VALDIS je face par ek devil smile naach uthi aur..


VALDIS-jitna dekhna hai dekh le usse MABEL..kuch der aur phir mai bhi tujhe dekhunga aur woh bhi badi tassali ke saath..


ye bol ACCHUTA ne ek baar apni nazar pure hall par ghumayi,ye check karne ke liye ki koi uske raaste ka roda toh wahan moujud nahi hai par aisa koi naa dekh chain ki saans li usne aur wapas saamne palta jahan is waqt woh dono hi drinks jo usne order kiye the,rakhe hue the..

ye dekh badi hoshiyari se aur sawdhaani se usne woh VASHIBHOOTAM POUDHE ka churn nikala aur MABEL ke drink me usse mila diya aur aisa kar woh wapas palta par aisa karte hi woh halka hadbada gaya..

reason...

MABEL usse hi dekh rahi thi.. VALDIS ye soch kar ghabra gaya ki kahin MABEL ne usse us churn ko uski drink me milate hue dekh toh nahi liya par jab MABEL ne usse dekhkar smile kiya,tab jaakar kahin VALDIS ne chain ki saans li...

MABEL ki smile dekh VALDIS bhi muskurate hue aage badha aur MABEL ke saamne sparkling berry with pomegranate drink ko pesh kiya jispar usse thanks kehte hue MABEL ne us drink ko thaam liya jiske baad...


VALDIS-chears.....hamare patchup ke naam...


MABEL ke glass se apne glass ko takrate hue kahi ye baat VALDIS ne jiske baad ek dusre ki aankhon me dekhte hue un dono ne apni apni drink pi li aur jab aisa hua toh...

DMMMMM.....


MABEL ke dimag ko ek jhatka sa laga jiske baad uski aankhen kuch palon ke liye band ho gayi aur ye dekh VALDIS ki aankhen chamak uthi...

wahin kuch der tak aankhen band rakhne ke baad jab MABEL ki aankhen khuli toh uski aankhon me laal dore tairne lage the jisse dekh...


VALDIS-chalen..

MABEL-haan....


MABEL ki razamandi milte hi VALDIS khada hua aur ek taraf badh gaya aur MABEL uske saath ho ki...




KUCH DER BAAD:-


AHHHHH..AHHHHHH......


MABEL ki tez tez siskariyan padh rahi thi VALDIS ke kaano me jinhe aur badhate hue MABEL ke labon ko zoron se chuste aur kaaththe hue hue VALDIS uske boobs ko squeeze karta jaa raha tha...

aisa karte hue VALDIS ke haath MABEL ke boobs se hote hue neeche jaane lage par phir neeche ek jagah par uske haath atak se gaye...

atakne par VALDIS ne halka zor lagaya par jab uske baad bhi uske haath aage nahi badh paaye toh usse halki jhunjhlahat hone lagi isiliye..


VALDIS-ye kya ho raha hai yaar....!!!!


jhunjhlate hue kahi ye baat VALDIS ne aur aisa bol woh aage kuch kehta yaa karta ki tabhi...

CHHAPAKKK......


uske face aur puri body par khoob saara paani pada jiske baad uska sir ghumne lag gaya aur uski aankhen band ho gayi par tabhi...



HAHAHAHAHAHA...

UMMMMMMMMM.......


VALDIS ke kaano me dher saare logon ke hasne ki aur kisi ek ke dheere dheere rone,dono ki awaaz ek saath aane lagi jiske baad jab usne aankhen kholi toh usse laga ek tez jhatka....

woh is waqt THE GREAT HALL me hi neeche baitha hua tha aur uske saamne bohot se SAVENTS usse dekh has rahe the..

un sabko haste dekh VALDIS ko hairani hui aur woh hairani tab hadh se zyada badh gayi jab usne un SAVENTS yaa phir ye kahun SLUNDER aur ACCHUTA ke beech khadi MABEL ko dekha jo aankhon me angaare liye usse dekh rahi thi...


VALDIS man me-MABEL saamne hai toh phir mere saath kaun hai...??

ye sawal khudse karte hue VALDIS ek jhatke se wapas mooda aur aisa karte hi jab uski nazar uske neeche pade shaksh par gayi toh uska dimag hi ghum gaya...

uske neeche is waqt uska wahi dost rote hue leta hua tha jisne usse kuch der pehle VASHIBHOOTAM POUDHE ke churn diya tha...

is waqt us bande ka tuxedo gayab tha,shirt fata hua tha aur saath hi uske hothon se halka halka khoon rees raha tha aur ye sab dekh kuch naa samajh paate hue...


VALDIS-tu yahan mere neeche kya kar raha hai..??aur woh bhi is haalat me...teri shirt fati hui hai, honth se khoon nikal raha hai,saala ye ho kya raha hai...???

kisne maara hai tujhe...!!!

SLUNDER-hum bataate hain beta....


SLUNDER ki baat sun VALDIS wapas uski taraf palta aur jab aisa hua toh....


SLUNDER-sabse pehle ye jaan le ki tere is dost ko kisine maara nahi hai..

iska ye fata haal,iske honth se behta khoon tere aur iske beech abhi abhi hue us pyar bhari ladhayi ki nishani hai jiske gawah hum sab hain...


SLUNDER ka itna kehna tha ki wahan moujud sabhi SAVENTS zoron se hasne lage jisse dekh aur SLUNDER ki baat sun dimag hi fuse ho gaya tha VALDIS ka...


VALDIS-ye kya bakwas kar raha hai tu...!!! maine aisa kuch bhi nahi kiya hai...

SLUNDER-bilkul kiya hai beta,chaahe toh itne log hain yahan,in sabse puch le,yaa phir ussi se puch le,jiski izzat par haath daala hai tune...


SLUNDER ki baat sun VALDIS ki nazar wapas apne dost par gayi jo abhi bhi halka halka subak raha tha..

uski waisi condition dekh VALDIS ko usse kuch puchte hi nahi bana aur isiliye woh chup hi raha jispar..


SLUNDER-chal mai hi bata deta hun...woh jo khun nikal raha hai naa tere dost ke honthon se,woh tere usse zabardasti kiss karte hue kaatne ki wajah se hua hai aur woh shirt,tune jo breast ko chest samajhkar zoron se squeeze kiya hai,uski wajah se fata hai..

SLUNDER ki baat sun jahan ek taraf VALDIS hadh se zyada embarrass ho gaya, wahan moujud ladke SAVENTS zor se hasne lage wahin girl SAVENTS halki sharma gayi jisse dekh..


SLUNDER-sorry girls but in bhai saahab ko,oh sorry,gay sahab ko sach toh batana hi tha..


VALDIS-mai koi gay nahi hun...


cheekh sa utha VALDIS jispar usse bhi tez awaaz me..


ACCHUTA-maalum hai kitna bada mard hai tu...saale,yahin,issi waqt teri saari mardaangi nikal dunga mai,aur tu kya tere baap ko,tere pure khaadaan ko bina lund ke mooh se mootne par majboor kar dunga mai...


ye bol ghusse se bhara khada hua ACCHUTA aage badha aur neeche baithe VALDIS ko uske gale se pakad kisi takiye ki tarah upar hawa me utha diya...

aur ye dekh aur ACCHUTA ke awaaz me bani intensity ko sun aur mehsoos kar jahan ek taraf ab tak jo sab SAVENTS has rahe the,woh ekdum chup ho gaye, SLUNDER muskura utha wahin MABEL jo ab tak behadh ghusse me thi, ACCHUTA ki baat sun itne der me pehli baar uske face par halki si smile aa gayi..

khair, VALDIS ko hawa me uthaye hue hi ek baar phirse dahada ACCHUTA...


ACCHUTA-saale,kya laga tha tujhe...tu MABEL ke saath kuch bhi karne ka sochega aur hum aisa hone denge...

mai toh kab ka teri haalat bigaad chuka hota, bacha tu sirf isiliye tha kyunki MABEL ko pasand tha tu..

aur usse tera asli chehra nahi pata tha aur bina saboot mai uske saamne tujhe nanga nahi karna chahta tha..

par mujhe pata tha ki tere jaise saanp ko jitna bhi doodh pila do,mouka milte hi tu dasne se baaz nahi aayega....

aur isiliye hi har waqt meri nazar tujhpar aur teri harkaton par thi....

FORBIDDEN FOREST ke us do din ke camp ke waqt jab tu puri class se alag hokar apne chamcho ke saath ek disha ki taraf badha tha naa,tab maine peecha kiya tha tera...

aur tab jab tune VASHIBHOOTAM POUDHE ke patton ko toda aur uska churn banane ka instruction apne is dost ko diya,tab hi mai samajh gaya tha ki tu zaroor iska iska istamal MABEL par karne waala hai..

par uske liye tujhe iske kareeb jaana zaroori tha aur tu gaya...

par mai jaanta tha ki pehle tu iske jism ko pyar se haasil karne ki koshish karega aur jab naakamiyab hoga,tab is churn ka paitra aazmayega...

har baar jab bhi tu MABEL ke kareeb hota tha,toh SENSE SPELL ke through meri nazar har baar tujhpar hi rehti thi,aur aaj bhi thi...

tera plan,tere is dost ka apne ABODE se churn laana,sab jaanta tha mai...

man toh kiya ki tujhe aur tere doston ko ussi waqt jaan se maar dun,par pehle tere asli chehre ka pardafash hona zaroori tha....

SLUNDER-abbe chhod usse..dekh, chehra laal ho gaya hai iska..behosh hone ke kagaar par hai ye...


ACCHUTA ke uske gala dabane ki wajah se VALDIS ke sir par khoon ki awaa jaahi kam hone lagi thi aur uski aankhen band hone lagi thi jisse dekh ye baat kahi thi SLUNDER ne jiske baad ACCHUTA ne usse khudse door fekh diya..


KHOONN...KHONNNNN.....

neeche girre hi zor zor se khaanste hue kuch der tak baithe raha VALDIS par phir lambi lambi saansein leta hua woh ACCHUTA aur SLUNDER ki taraf dekhne laga aur uske dekhne ke tarike se uske man me uth raha sawal taad gaya SLUNDER aur isiliye...


SLUNDER-aaj,infact jo bhi hua,woh kaise hua,yahi jaanana chahata hai naa..!!

is episode ki kahani mai tujhe batata hun...par usse pehle,isse pehchaanta hai..!!!

2 alag alag patto ko haath me pakda hua tha SLUNDER ne jinhe dikhate hue pucha ye sawal usne VALDIS se jispar naa me sir hilaya VALDIS ne..


SLUNDER-kahan se pehchaanega..!!!ye tere kaam ki chiz thodi naa hai...

par humare kaam ki chiz aur tere kaam ke chiz ka kaat zaroor hain ye patte...

nahi samjha..samjhata hun..ye jo pehla patta hai,ye jis poudhe me paaya jaata hai,uska naam hai VASHKAATAM POUDHA...

is patte ke churn se us shasksh ko joki VASHIBHOOTAM POUDHE ke churn ki wajah se hypnotize hua hota hai,us state se turant bahar nikala jaa sakta hai...

aur ye jo dusra patta hai,ye MAYACHHALAM poudhe me milta hai...

aur is patte ka churn banakar agar kisiko khilaya jaaye,toh isse khaane waale ke dimag me woh jeevit taswir aur drishya banane lagta hai jiski usko sabse zyada talab hoti hai..

saamne koi bhi ho, mahoul kaisa bhi ho,usse sirf wahi dikhta hai jiski usse talab aur khwahish hoti hai..

sirf paani daalne par hi is maaya se bahar aaya jaa sakta hai jaise tu aaya tha...

jahan se tune VASHIBHOOTAM POUDHE ke patte liye the,unhi ke paas ye dono POUDHE bhi paaye jaate hain jinke paathen humne bhi tere wahan se jaane ke baad le liye the..

par hum shaant hi rahe the aaj tak kyunki aaj se pehle tak tu bas MABEL ke dil laga raha tha.par aaj jab tune dimag lagaya toh humne bhi apne paitre aazma liye...

aur woh aise mere laal ki jab tune ELUSORY se drink order kiya,aur uske baad jab tu piche ki taraf ghum sabko checkout kar raha tha,us waqt ELUSORY ne tera dono drink table par rakh diya tha jisme maine dheere se apne paas rakhe dono churn mila diye...

MABEL ke glass me VASHIKAATAM patte ka churn aur tere drink me MAYACHHALAM churn..

aur phir jab tune MABEL ke drink me apna laaya churn milaya toh us churn ko mere daale churn ne kaat diya..

aur drink peete hi MABEL ko jo halka jhatka laga aur uski aankhen band hui,woh ussi kaat ka side effect tha...

wahin tere drink peete hi us drink me mile churn ne apna kaam kar diya..

tere man me jo khayal us waqt tha,us churn ne us soch,us khwahish ko tera sach bana diya.

aur thik ussi waqt maine tere dost ko jisse tu MABEL samajh kiss kar raha tha,usse kaha ki tu usse bula raha hai..

us waqt woh tere piche ki taraf tha...

woh teri taraf badha aur jaise hi woh tere kareeb pahuncha aur usne tujhe touch kiya,maine MABEL ko piche kar diya...

uske touch karne par tu piche palta par tab tak us churn ne tere dimag par apna kabza kar liya tha...

isiliye piche palaththe hi jab tune apne friend ko dekha,toh usme tujhe MABEL dikhi aur saath hi ye hall tujhe tere ABODE ka room lagne laga..

phir kya tha,chadh gaye aap apne is naye bane mard MABEL par...

MABEL-aur jab tu mujhpar mitane waale hawas ko apne is dost ke upar mita raha tha,tab SLUNDER ne mujhe teri asliyat aur tera plan bataya...

chhi...mujhe toh khudpar ghinn aati ki maine tere jaise neech insaan ko pasand kiya...


ACCHUTA-"jo imtihaan na le,woh CHAAHAT NAHI....

log dhoka dete hain,MOHOBBAT NAHI...


isiliye khudko ruswa mat karo...ruswa toh ab ye neech hoga...

CHOSENS me ek STELLAR dusre STELLAR ki jaan nahi leta,aur naahi usse sharirik roop me hadh se zyada tod sakta hai,sirf isiliye tera ye sharir salamat rahega...


ACCHUTA ki baat sun jaise itni der me pehli baar raahat ki saans li VALDIS ne warna usse toh laga tha ki aaj yaa toh ACCHUTA usse maar dega yaa phir uski aisi haalat kar dega jisse usse mout asaan lagegi..

wahin MABEL ne jab ACCHUTA ki baat suni toh woh udaas ho gayi lekin VALDIS aur MABEL,dono hi nahi jaante the ki unki soch galat hai..

halka sa pause lene ke baad phir hile ACCHUTA ke honth aur...


ACCHUTA-par,jo tune aaj karne ki koshish ki,ek ladki ki sabse keemti cheez,uski izzat par daag lagane ki jo tune jurrat ki,iski saza tujhe zaroor milegi...

us saza se sharirik taur par dard bilkul nahi hoga tujhe,par maansik tour par tujhe ehsaas zaroor hoga ki ek ladki ke liye yaa phir kisike liye bhi uski izzat kya maayne rakhti hai.


SLUNDER....


ye bol ACCHUTA ne apne haath me pehna band jo is waqt uski jeb me tha,usse nikalkar SLUNDER ko de diya jisse apne ek haath me thaam SLUNDER VALDIS ki taraf badha..

wahin SLUNDER ko apni taraf aata dekh bhaagne ke uddeshya ae VALDIS ne gayab hone ki koshish ki par woh ho nahi paaya...

reason..

MABEL ko fasane ke chakkar me VALDIS ne apne haathon me pehne band ko utarna bhul gaya tha..

aur ye jaan aur apne band ko dekh VALDIS ne turant usse utarne ke liye apna dusra haath band waale wrist ki taraf badhaya par tabhi..

SLUNDER ne uska woh haath beech me hi pakad liya...

itna hi nahi,ek pal me hi bijli ki speed ikhtiyaar karte hue SLUNDER move hua aur aisa karte hue usne naa sirf VALDIS ke dono haathon ko modte hue piche kar diya balki uske dusre wrist par bhi usne ACCHUTA waale neutralizer band ko baandh diya aur aisa kar SLUNDER ne VALDIS ke dono haathon ko ek dusre ke paas laakar chipkaate hue man hi man ek spell budbudaya aur uske aisa karte hi ek behadh hi lachili par atrong grip waali rope se VALDIS ke dono haath piche ki taraf bandh gaye...

VALDIS ne apna pura zor lagaya par neutralizer band ki wajah se bina AMPLIFICATION aur REFINER powers ke woh kuch kar nahi paaya..

wahin uske bandhate hi ACCHUTA aage badha aur theek VALDIS ke saamne jaakar khada ho gaya....

apne right haath ke index finger ko lehrate hue usne VALDIS ke tuxedo ke upar rakha aur...


VASTRAM JWALAM.....

CLOTHES BURN.....


ACCHUTA ke SPELL uccharit karte hi uske us index finger se ek chingari nikli aur VALDIS ke tuxedo par chaddh gayi aur jab aisa hua toh..

us chingari ne aag ka roop le liya jisne aahista aahista se pehle VALDIS ki tuxedo ko,phir andar ke upper layers ko,phir neeche pant ko ,juto ke upar pehne socks ko aur aakhir me VALDIS ke underwear tak ko jalakar raakh kar diya...

ek minute ke andar VALDIS janmjaat awashta me sir jhukaaye khada tha aur usse yun nude dekh wahan moujud saare SAVENTS ne ab tak ko sabse zordaar thahaka lagaya...

wahin SLUNDER bhi pehle zoron se hasa aur phir...


SLUNDER-yaar logon ki toh izzat utarti hI,teri toh izzat jal gayi....


ye bol hasta hua woh ACCHUTA ke paas pahunchkar khada ho gaya...

saare SAVENTS abhi bhi zoron se has rahe the aur woh hasi VALDIS ke kaano ne garam lohe ki tarah pighalte hue ghus rahi thi..

khair,kuch pal VALDIS ko dekhne ke baad...


ACCHUTA-chal ab nikal aur dobara phir se apni fazzihat karwane ka shouk chaddhe,toh kuch naya try kar lena...


ACCHUTA ki baat sun ab tak jo sir jhuka hua tha VALDIS ka,woh dheere se upar utha..

is waqt VALDIS ki aankhen aisi lag rahi thi jaise kisine unme laal rang bhar diya ho..

halka sa ghusse se kaampta hua VALDIS kuch pal dekhta raha ACCHUTA, SLUNDER aur MABEL ko par uske baad..


VALDIS-is raat ko yaad rakhna ACCHUTA....ye raat teri hui,par aise hi ek aur raat aayegi,jo meri hogi...

SLUNDER-saale,rassi jal gayi par bal nahi gaya.teri toh mai..


ye bol VALDIS ko maarne ke liye aage badha SLUNDER par usse kandhe se thaam aage badhne se rok diya ACCHUTA ne aur...


ACCHUTA-mujhe intezar rahega...


ek baar phirse ACCHUTA, SLUNDER aur MABEL ko dekh VALDIS wahan se nikal gaya..

wahin uske jaate hi MABEL ACCHUTA ke saamne aayi aur....


MABEL-thanks ACCHUTA...


ye bol MABEL aage badhi aur ACCHUTA ke gale lag gayi aur yunhi gale lage hue...


MABEL-aaj ek bohot bada ehsaan kiya hai tumne mujhpar...


ACCHUTA jo MABEL ke gale lagne par us ehsaas ko jee raha tha, uske mooh se ehsaan waali baat sun woh dheere dheere MABEL se alag hua aur..


ACCHUTA-jaa SLUNDER.. MABEL ko ghar chhod aa...

SLUNDER-mai..!!!

MI-haan tu...

jaa ab...


aankh dikhate hue kahi ye baat ACCHUTA ne jispar kandhe uchka MABEL ko chalne ke liye kaha SLUNDER ne jispar...


MABEL-tum ghar nahi jaaoge...

ACCHUTA-nahi..abhi mai yahin hun..thodi der baad jaaunga...


ACCHUTA ki baat sun ek baar bharpoor nazar se usse dekhne ke baad MABEL SLUNDER ke saath palatkar nikal gayi...

jaate jaate kayi baar palti woh aur ACCHUTA ko dekha usne..

ACCHUTA bhi usse hi dekh raha tha aur jab MABEL baar baar palatkar usse dekhne lagi toh...


ACCHUTA-yun mat dekh MABEL mujhe.....


tere layak nahi hun mai,bohot mushkil se apne dil ko ye SAMJHAAYA HAI...

ehsaan nahi kiya tujhpar,bas tere liye apna farz maine NIBHAAYA HAI...

ajeeb hai,sahi salamat tu hai,par aisa lag raha hai,

ki tujhe nahi,balki apne aap ko aaj maine BACHAAYA HAI......

















AAJ KE LIYE ITNA HI......

















AAPKA APNA V...J....
Nice update bro
 
Top