• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) ( Completed )

23n24

Member
432
1,544
138
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF RAAZ VIDEOUS KE SHARTH KI WAJAH SE APNE MOM DAD KO MAAR DETA HAI WAHIN DUSRI TARAF ACCHUTA, SLUNDER, HIDA AUR BRAWNY RAAZ KO MAARNE KI KOSHISH KAR RAHE HAIN JISME MAHI RAAZ KA SAATH DE RAHI HAI..


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



MEGA DARK UPDATE-121


PART-2



PLANET-ELYSIAN


PLACE-STELLARS GARDEN





chaahe lag rahe uspar kitne hi TOHMAT HO,aaj RAAZ KA SAATH MAT CHHODNA...

uske khaatir agar tumhari bhi ZALAALAT HO,aaj RAAZ KA SAATH MAT CHHODNA...

ilzam lagenge uspar,ho sakta hai woh sab sach bhi nikle...

aur agar woh wakayi GALATH HO,tab bhi aaj RAAZ KA SAATH MAT CHHODNA.....



GRIFFIN ki kahi ye pehli baat jaise achanak hi ghum si gayi thi MAHI ke dimag me jiske baad jab usne saamne dekha toh chownk gayi..

reason...

is waqt meri body hawa me uthi hui thi aur mere seene ke beeche se ek talwar nikal mere upar ghum rahi thi..

us talwar ke beech se ek behadh hi shaktishaali urja nikal upar akaash me jaa rahi thi..

us urja me MAHI ne woh taakat mehsoos ki jo ab se pehle usne kabhi nahi ki thi..

usne ye bhi feel kiya ki sword ne us urja ko khudke daayre me sameta hua tha..agar woh aisa nahi karti toh woh urja sab kuch khatm kar deti...


(NOTE:-GRIFFIN aur WOOGER ke beech ka pact toh yaad hi hoga aapko guyzz...ye urja RAAZ ki aloukik shaktiyan thi jo ab FLORIN aur MARIA ko maarkar woh kho chuka tha)


anyways,jab woh saari urja mujhse nikal gayi toh ek baar tezi se chamki woh SWORD aur mai neeche gir gaya..

sword ke chamakne se MAHI ki aankhein kuch pal ke liye band ho gayi thi par phir jab usne aankhein kholi toh hairan ho gayi...

reason...

RAAZ sofe ke paas nahi tha...woh is waqt ussike paas khada ALFREEN ko dekh raha tha...

naa udaasi,naa khushi,naa dard,naa talash..ek ajeeb si khamoshi dikh rahi thi MAHI ko RAAZ ki aankhon me..

ek aisi khamoshi jo tufaan roopi sarvanash ke aane se pehle hoti hai...

kuch pal unhi khamosh aankhon se ALFREEN ko dekhte rehne ke baad RAAZ aage badh gaya...

pehli baar MAHI ne RAAZ ke kandho ko chalte waqt jhuka hua dekha tha..

aisa lag raha tha jaise woh apna sab kuch khokar,barbaad hokar ek anjaan safar par nikal gaya ho...

aur aisa hi toh tha...pathrayi aur bojhil aakhon ke sahare mere kadam yunhi kisi anjaan thikaane ki taraf chal pade the...

zinda hone ka ehsaas toh apne mom dad ke chita ke saath hi jala diya tha maine aur unki raakh ko khudme mal khudko bhi ek zinda murda maan liya tha...

bas,taange thi jo bina jawab diye chali jaa rahi thi,aur mere mare hue aatma ke wazan ko dhote hue mere sharir ko bhi apne saath chalaye jaa rahi thi..

mera lakshya,meri utpatti ka kaaran, uddeshya,sab kuch puri tarah se bhool chuka tha mai...

mujhe ab bramhaand ke rehne naa rehne, manushya jaati par VIDEOUS naam ke khatre,kisi se koi matlab nahi reh gaya tha..

infact,dil ke kisi kone me ab mai khud ye chahne laga tha ki ye bramhaand barbaad ho jaaye...

har jeevit prani,ussi dard se guzre jisse abhi mai guzar raha tha...

nirdosh logon ke khoon se nahane ki talab uth gayi thi meri aatma ko..

ek madhoshi ki haalat me netro wale andhe ki tarah mai aage badhta hi jaa raha tha ki tabhi....


DHAAKHHHH....

ek behadh strong energy aakar lagi mere peeth par jisse mai udte hue mooh ke bal thode aage jaakar gira....

par girne ke agle hi pal kisi sharabi ki tarah ladkhadate hue wapas khada bhi ho chuka tha mai..

par aisa hone ke baad mai wapas jis direction me gira tha,ussi taraf badh gaya bina palat kar dekhe ki kisne maara tha mujhe..

wahin mujhe jaata dekh jisne mujhpar waar kiya tha,woh apni jagah se gayab hokar mere saamne prakat hua yaa phir ye kahun ki prakat hue....

ye aur koi nahi balki ACCHUTA, SLUNDER,HIDA aur BRAWNY the jo apni jalti hui aankhon se mujhe dekh rahe the...

toh hua yun ki jab ACCHUTA aur SLUNDER
wapas CHOSENS pahunche toh apne dil me jalte aag ko liye woh sidhe mere ABODE me aaye jahan pehle se hi BRAWNY aur HIDA moujud the...

ACCHUTA aur SLUNDER ko dekh un dono ne maine unke saath kya kiya hai, woh bata diya aur same cheez ACCHUTA aur SLUNDER ne bhi ki jiske baad woh chaaron STAVAH SPELL ke help se mujhe dhoondte hue yahan pahunche the..

khair,kuch pal mujhe yunhi ghurte rehne ke baad..


ACCHUTA/SLUNDER-sirf ek baat bata..??kya wakayi tune hum dono ke mom dad ko maara hai..????

BRAWNY-meri mom ki izzat se khelne waala kya wakayi tu hi tha..???

HIDA-REGIS ke saath jo hua,jo usse kaha gaya,kya woh tune hi kiya aur kaha tha...

MAI-mujhe jo bhi karna tha,maine kar diya..sawal toh ye hai ki tum chaaron kya karna chahte ho...???

maarna chahte ho mujhe...maar do... but just make sure ki mai mar hi jaaun...


meri baaton se ghussa badh gaya tha un chaaron ka...apne ghusse aur aap beeti me woh chaaron hi meri aankhon me dikh raha dard nahi dekh paaye...

yahi wajah thi ki meri baat khtam hote hi un chaaron ke haathon me ek ek behadh strong energy rays dikhne lagi thi jisse un chaaron ne mere chest par waar kiya aur mai ek baar phirse kayi feet piche hawa me udta hua jaakar gira par girne ke baad wapas lehrate hue khada bhi ho gaya..

mujhe yun araam se khada hota dekh un chaaron ne ek ke baad ek kayi khataranak pain aur body break SPELLS bole jinke rays ne mujhe hit toh kiya par nuksaan zyada pahuncha nahi paaye..

ab baat ye thi ki bhale hi ab mere paas apni aloukik shaktiyan nahi thi,par SAVENT power toh thi..

aur mere AMPLIFICATION aur REFINER powers hadh se zyada strong bhi the aur un chaaron ke mukable zyada nurtured bhi...

yahi wajah thi ki un chaaron ke waar mere kapdon ko toh jala rahe the,mere body me halke halke cuts bhi padhte jaa rahe the par naa toh mere mooh se woh dard bhari cheekhen nikal rahi thi jo woh chaaron nikalna chaah rahe the aur naahi woh mujhe zyada der tak neeche gira paa rahe the...

aur isiliye un chaaron ne mujhpar apni shaktiyon ko ek kar hamla karne ki sochi par woh ye process shuru karte ki tabhi...


ARE YOU OUT OF YOUR MIND GUYZZ...KYA KAR RAHE HO TUM CHAARON...????


MAHI jo mere ghar se nikalne ke baad bhi kuch pal tak statue bani rahi thi,jab woh sense me aayi toh usse yaad aaya ki aaj meri jaan khatre me hain...

usne behosh ALFREEN ko room me letaya aur phir meri talash me mere piche aayi par yahan ka nazara dekh uska dimag hi ghum gaya jispar kahi thi usne un chaaron se ye baat jispar....


ACCHUTA-stay away MAHI..tum nahi jaanti ki ye kitna ghatiya insaan hai..

isne mere aur SLUNDER je mom dad ko jaan se maar diya..


jahan ye kehte waqt ACCHUTA ke aur uske saath SLUNDER ke aankhon se aansu chhalak gaye wahin MAHI ke liye ye ek naya jhatka tha jisse puri tarah hil gayi woh...

par kisi tarah khudko sambhal...


MAHI-ye kya bol rahe ho ACCHUTA...!!! i am sure ki tumhe galat fehmi hui hai..

SLUNDER-galat fehmi hui hai nahi thi..ye galat fehmi ki ye ghatiya insaan hume apna dost maanta hai..

par aisa kabhi bhi tha hi nahi..hum iske liye bas istemaal waali vastu hain aur kuch nahi...

humne apni aankhon se woh drishya dekha hai jisme iske kehne par iske ansh ne hamare mom dad ko khudhi ko shoot karne ke liye bebas kar diya tha...

BRAWNY-ye sirf apne baare me sochne waala neech hai MAHI..aaj isne meri mom ki asmat lootne ki koshish ki...

HIDA-iski nazar toh mere sharir par bhi hai..ye mujhe apni property samajhta hai jisse ye jab chaahe,jaise chaahe bhog sakta hai..


SLUNDER,ACCHUTA aur phir HIDA, BRAWNY...in chaaron ki hi baaton ko sun aur un baaton me chhalak rahi sacchayi ko mehsoos kar honth hi sil gaye the MAHI ke par phir bhi is waqt uske dimag me GRIFFIN ki aakhir me kahi gayi un teen baaton me se pehli baat gunj rahi thi..

RAAZ sahi ho yaa galat,aaj tumhe har haal me sirf RAAZ ka hi saath dena hai...

GRIFFIN ki kahi is baat ko yaad karte hi MAHI ne baaki saari sochon ko apne dimag se nikala aur turant RAAZ ke paas pahunch gayi jo is waqt bhi apne me nahi tha..

sunya ko ghurta hua woh kisi zinda murde ki tarah khada tha..

khair,RAAZ ke saamne khadi ho gayi MAHI aur...


MAHI-hum is baare me baad me baat karenge guyzz..filhal,leave...

halke kadak awaaz me kahi ye baat MAHI ne jisse sun pehle se ghuma un chaaron ka dimag aur ghum gaya aur..


ACCHUTA-sahi hai..humne iske gunah tere saamne rakh diye, phir bhi tu issiki side le rahi hai..

fine...hum toh isse khatm kiye bina nahi jaa rahe..aur ab tere paas do options hain..

ek..yaa toh chupchaap yahan se chali jaa...

dusra...tujhe bhi RAAZ ke saath marna hoga...

MAHI-RAAZ ko toh mai chhodungi nahi...haan,iske liye marne ko mai taiyar hun...


MAHI ki baat sun ek baar usse ghusse se ghoor ACCHUTA, SLUNDER, HIDA aur BRAWNY ne ek dusre ka haath pakda aur aisa kar woh chaaron apni shaktiyon ko ek karne lage..

MAHI bhi is baat se anjaan nahi thi par uske iraade adig the..woh apni jagah par hi khadi rahi...

wahin jaise hi un chaaron ki distructive powers ikatthit hui toh...


GINADHAVUHE....

RELEASE...

apna apna haath aage kar un chaaron ne hi apni energies ek saath release kar di jo sidhe jaakar RAAZ ke saamne khadi MAHI se takrayi...

aur aisa hote hi ek dardnaak cheekh ke saath MAHI ka sharir piche ki taraf ghisatne laga par phir bhi MAHI ne khudko un rays ke radar se door nahi kiya...

haddiyon tak pain feel kar rahi thi MAHI is waqt jiske kaaran uska pura sharir kaanp raha tha...

aankhon se lagatar aansu chhalakne lage uske aur un padh rahe rays ki garmahat se usse apna khoon tak jalta hua sa mehsoos hone laga..

MAHI ko apna anth dikhne laga tha..usse laga ki woh ab nahi bachegi par tabhi....

jaise hi un rays ki jalan MAHI ke khoon se hote hue uske dil ko touch hui toh wahan ek tez sensation ne janm liya..

aur us sensation ke paida hote hi MAHI ke dhamniyon me ek urja ne janm liya jo ek jhakte me uske sharir se bahar aayi aur un rays se jo uski body ko hit kar rahe the,unko touch ho gayi aur jab aisa hua toh..

AHHHHHHH.....

ek,do yaa teen nahi,balki chaar cheekhen ek saath hawa me gunj uthi joki ACCHUTA,SLUNDER,HIDA aur BRAWNY ki thi...

MAHI ke sharir se nikli energy ne bas un chaaron ki energies ko chhua tha, aur aisa hote hi woh chaaron andar tak kaamp gaye aur agle hi pal woh sab behosh ho chuke the...

par unke behosh hone ke baad bhi MAHI ke sharir ke andar se nikli energy unke paas jaane ko hui par ye baat MAHI ke unconscious brain ne read kar li aur saath hi us energy ko aisa naa karne ka hukm diya jiske baad woh energy wapas MAHI ke andar chali gayi...

jo bhi hua,MAHI ko uske baare me kuch bhi pata nahi chala..woh toh bas apne body me ho rahe aseem pain se nijaat paakar thodi relaxed ho gayi thi..

aur aisa hote hi pehle usne saamne dekha jahan uske chaaron friends behosh pade hue the..

unhe ek baar dekh MAHI ki nazar piche ki taraf gayi jahan RAAZ tha par wahan nazar jaate hi usse shock laga..

reason....

uske chaaron friends ki hi tarah RAAZ bhi behosh pada tha aur iska reason bhi MAHI ki woh energy thi jiske AURA ke impact se ye hua tha...

MAHI jhat se RAAZ ki taraf badhi aur uske paas pahunch uske sir ko apni godh me lekar uske gaalon ko thapthapate hue..


MAHI-RAAZ...RAAZ..please aakhein kholo...


halke bharraye awaaz me MAHI ne kahi ye baat jispar RAAZ ki toh aakhen nahi khuli par ek nayi awaaz ne MAHI ka dhyan apni taraf zaroor mod diya....


YE KAISE GOD GIFTED LOG HAIN JO KHUD ATTACK KARTE HAIN AUR KHUDHI BEHOSH HO JAATE HAIN...!!!!


VIDEOUS ki thi ye awaaz jo is waqt ACCHUTA, SLUNDER, BRAWNY aur HIDA ke paas khada tha aur usne un chaaron par nazar ghumate hue is baat ko kahi thi..

par uske saamne RAAZ ke sir ko apni godh me liye baithi MAHI ko toh samajh hi nahi aa raha tha ki VIDEOUS yahan kya karne aaya hai aur woh kya baatein kar raha hai..???

khair,apni baat ko aage badhate hue...


VIDEOUS-waise,isme inka bhi kya kasoor..ab SERAPHIM ANGELS ke ansh ko nuksaan pahunchane ki koshish karenge toh nateeja toh bhugatna hi padega...


VIDEOUS ki baat sun aankhon me sawal liye usse dekhne lagi MAHI jispar...

VIDEOUS-zyada mat socho MAHI.. jinka zikr kiya hai maine, tumhari aur is RAAZ ki soul bohot jald unke paas pahunchne waali hai..

tab araam se saara sach jaan lena..filhal bas itna jaan lo ki jo kuch bhi ho raha hai,uska ek maatr kaaran mai hun.

aur jis shaksh ka sir tumhari godh me hai,uski uttpatti mujhe khatm karne ke liye hui hai aur mera ek maatra lakshya hai,isse khatm karna...

jo ab mai karne waala hun... aur haan, unfortunately tum bhi ussi radar me ho..tumhe bhi RAAZ ke saath marna hoga....


VIDEOUS kya bol raha tha,MAHI ko kuch bhi samajh me nahi aa raha tha,par itna toh woh bilkul samajh rahi thi ki VIDEOUS jhuth nahi bol raha...

aur isiliye woh andar hi andar kaafi tensed ho chuki thi..

wahin apni baat ko aage badhate hue....


VIDEOUS-anyways,isse yunhi behoshi me maarkar iski aur apni insult nahi kar sakta mai...

RAAZ......uth jaa mere bhai..???dekh,tera bhai tujhse milne aaya hai....


apni baat kehte hue VIDEOUS ne apna haath lehraya aur uske aisa karte hi uske haathon se ek ray nikal mere sir me sama gayi aur aisa hote hi mere sharir ko ek jhatka laga aur meri aankhen khul gayi..

aankh khulte hi jab maine khudko MAHI ki godh me paaya toh usko dekh phirse ek pal ke liye apni aankhen band kar li...

par is beech itne waqt me pehli baar mere sense ne kaam kiya tha jiska reason ye tha ki maine VIDEOUS ko apne paas feel kiya aur isiliye...

maine apna ek haath zameen par maara aur mere aisa karte hi meri body bilkul ek sidhi lakdi ki tarah uththi chali gayi aur agli hi pal mai VIDEOUS ko dekh raha tha..

wahin mujhe khudko ghurta dekh..


VIDEOUS-tutututututu.....ye kya ho gaya RAAZ...!!!!ye kya ho gaya..!!!!meri tarah acha khaasa urja tha tu,par dekh,kuch hi palon me tere astitva ki haqiqat hi badal gayi....

insan hone ke ehsaas bhar se tere emotions jaag gaye,aur jinki wajah se jaage,tujhe unhe apne haathon se maarna pada...

khair, VIDEOUS se takkar lene ki saza itni toh honi hi chahiye thi...


VIDEOUS ki baat khatm hote hi mai ek jhatke se uski taraf aage badha..

meri speed light jitni tez thi..agar VIDEOUS kuch der pehle ki tarah tak sirf apne SAVENTS power ke saath mere saamne hota toh mujhe dekh tak nahi paata,par ab aisa tha nahi..

mere saamne khada VIDEOUS ab apne purane form me tha..apne aloukik shaktiyon se bhara hua..

aur aise me usse dodge dena impossible tha..yahi wajah thi ki mere aage badhte hi usne apna ek haath aage kiya aur uske aisa karte hi mai apni jagah par jadh sa ho gaya..

ek adrishya impenetrable shield,ek diwar mere saamne khadi ho gayi thi jisse takrakar mai apni jagah par hi reh gaya...

wahin us adrishya shield se mere takraate hi VIDEOUS ke haath me bhi ek tez kampan hui jisse feel kar...


VIDEOUS man me-damn....this guy is really tough...bina apni aloukik shaktiyon ke bhi kaafi strong hai ye...

i am impressed....


apne man me is baat ko sochne ke baad...


VIDEOUS-ek aur try RAAZ...

us adrishya diwaar se takrakar mera pura sharir jhanjhana gaya tha..

waise bhi mai is waqt pyscically aur mentally,dono hi tarah se unstable tha aur isiliye...


MAI-bina bakwas kiye khtam kar mujhe VIDEOUS aur saath hi is khel ko...

VIDEOUS-kya baat hai..jisne tujhse tere hi maa baap ko marwa diya,usse maarne ki jagah uske haathon marne ki baat kar raha hai tu...???


VIDEOUS ki is baat ko sun RAAZ ke peeche khadi MAHI ki aankhen badi ho gayi...

FLORIN aur MARIA mere mom dad hain aur unki mout ke piche VIDEOUS ka haath hai,ye uske liye ab tak ka sabse bada shock tha..

par kisi bhi revelation ke piche ka logic aur reason woh jaanti thi nahi, isiliye uski koi bhi soch kisi nateeje par pahunch nahi sakti thi..

woh bas mujhe aur VIDEOUS ko bolte sun sakti thi,aur woh wahi kar rahi thi..

khair, VIDEOUS ki baat sun...


MAI-tune mere hi haathon mere mom dad ko zaroor marwaya,par ye mouka tujhe kisne diya..???

usne jisne mujhe banaya hai...meri utpatti ka kaaran tujhe khatm karna tha..

par iske liye woh do BHAI itna gir gaye ki baaki kisiki jaan ki parwah hi nahi ki..

apni jeet ke liye un dono ne ek aisa rasta chuna jisse mai paida hone se pehle hi apne mom dad se alag ho gaya,phir manushya se urja ban gaya aur phir jab is jhooth ke saath ki mai sirf urja hun,jisse sirf ek maksad ke liye banaya gaya hai,jee raha tha mai,ek book ke through mera sach mere saamne aaya..

aur aisa hote hi mujhe hi unhe maarna pada...

tujhe khatm karne ke chakkar me un dono ne mujhe hi jeete jee khatm kar diya..

aur ab mai chahta hun ki jo aaj mai mehsoos kar raha hun,waisa hi woh dono bhi karen...

un dono ne jo kiya,uske liye unka ek maatra tark ye hoga ki pure bramhand ke bhavishya ke liye do jaan ka souda galat nahi..

par ek tark mera bhi hai...aur woh ye ki mere mom dad ke balidaan ki keemat agar pure bramhaand ko khatm hokar chukana pade,toh ye souda bura nahi...


VIDEOUS cheekhte hue-hahahahahaha...........suna aap dono ne....aapka banaya woh hathiyar jiska nishana mai tha,uska rookh badal gaya...

meri gardan par chalne waala talwar, uske hi gardan par chal gaya...

aap dono ne lagatar chaalen chali,aur un chaalon ke badle maine sirf ek chali,aur us chaal se mai ye jung jeet gaya.....

VIDEOUS....THE LAST LEVEL GENIUS.....

RAAZ yaar...aaj dil khush kar diya tune...aur isiliye,idea thoda change..

socha tha ki bohot dardnaak mout dunga tujhe..par ab nahi..jo pehle hi mar chuka hi,usse kaise tadpaun...

bohot asaan mout dunga mai tujhe..tujhe pata bhi nahi chalega,aur teri aatma tere sharir se hamesha ke liye alag ho jaayegi...


VIDEOUS ki baat khatm hote hote uske haathon me chingari dikhne lagi thi jisse dekh mai toh shaant hi khada raha par MAHI jo VIDEOUS aur meri baaton ko samajhne ki asambhav koshish kar rahi thi,woh turant harkat me aayi...

MAHI aage badhte hue mere aage aakar khadi ho gayi aur..


MAHI-to reach RAAZ....you gotta go through me...

VIDEOUS-ofcourse i will honey...RAAZ ke saath tumhe bhi marna hoga..yahi tumhari niyati hai MAHI...


apni baat bolte bolte VIDEOUS ne apne dono haathon ko aage kiya hi tha ki tabhi....


DHAPPP........

IN DONO SE PEHLE,YOU HAVE TO GO THROUGH ME....


mere aur MAHI ke beech hawa se neeche utre shaksh ne kahi ye baat jisse dekh MAHI ka dimag chakra gaya tha...

aur reason bhi obvious hi tha...uske,mere aur saamne khade VIDEOUS ke beech MORANA jo khadi thi....

RAAZ ke liye toh samajh bhi aata hai,par MORANA ne in dono se pehle kaha tha, matlab sirf RAAZ nahi balki woh yahan MAHI ke liye bhi aayi thi,ab is baat se MAHI ko jhakta lagna toh laazmi tha hi...

khair,jaise him MORANA humare beech aayi toh usse dekh aur uski baat sun...


VIDEOUS-MORANA... meri bacchi..ye kya kar rahi hai tu...!!!mai koi SAVENT nahi hun jisse takkar lene tu beech me kood padi hai...

ek naye bramhaand ka nirman hone waala hai..aur tu us bramhand ke bhagwan ke saamne khadi hai...

MORANA,meri bacchi,tere is SAVENT carrier ke growth se mai wakayi bohot khush hun...

apne PHASE ke BLACK ENERGY ki flag bearer hai tu...meri duniya me mai tujhe ek bohot hi uncha ohda dene waala hun..

par us duniya ki shuruat ke liye, VIDEOUS ke chaanv me palne waale bramhaand ke liye,jo yahan abhi ho raha hai,uska hona anivaarya hai...

isiliye anjaane me hi sai,murkhta mat karo.. aur jaao yahan se..ek bohot ujwal bhavishya tumhara intazar kar raha hai..

aur mai, VIDEOUS,tum aur tumhari tarah KAALI SHAKTIYON ke samast upasakon aur dharakon ke liye us ujwal bhavishya ka nirman karne jaa raha hun...

jao yahan se...

MORANA-bakwas ho gayi ho toh ladh len... jaise tere paas zyada waqt nahi hai,mere paas bhi nahi hai...

VIDEOUS-ladh len...!!!! VIDEOUS ke saamne khadi hai tu ladki ...ladh le shabd bolkar tu mera anadar kar rahi...


VIDEOUS hai bole,usse pehle hi MORANA ne uspar ek behadh hi strong energy blast kar diya par woh blast ray VIDEOUS ko chhune se pehle hi mood gaya aur sidhe jaakar wapas MORANA ko hi pada....

apni kaafi energy sametkar kiya tha waar MORANA ne VIDEOUS par,yahi wajah thi ki jab uska waar ussipar wapas aakar laga toh ek tez cheekh ke saath woh piche ki taraf udti hui gayi aur MAHI se takrayi aur us collision se MAHI sidhe mujhse aakar lagi..

wahin mujhse hue collision ki wajah se MAHI ka sharir mujhse lipat gaya tha par isse pehle ki woh mujhse alag ho paati..


MORANA-TRUST ME.... IT'S TIME...


neeche giri hui MORANA ne MAHI ki taraf sir ghuma ye is baat ko fusfusaya tha jisse sun shocked ho gayi MAHI..

REASON...


GRIFFIN-jab RAAZ ka antim waqt aayega aur meri di gayi pehli hidayat ke tahat agar tum uske saath rahi toh,jo bhi tumse TRUST ME,ITS TIME kahe,toh uspar bharosa karte hue tumhe RAAZ ke sharir ko khudse lagaye rakhna hai...

you should me attached...

un teen instructions me se dusra instruction tha ye jisse sun MAHI mujhse alag toh hui par usne mera haath thaame rakha aur jab ye MORANA ne dekha toh uske face par ek smile naach uthi aur agle hi pal woh khadi ho gayi jisse dekh..


VIDEOUS-you should have stayed down MORANA... upar se tumne mera kaafi waqt bhi zaaya kar diya hai,that you are not worthy of...

isiliye, you too are going to die...


apni baat kehte hue VIDEOUS ke haathon me ek killing ray dikhne lagi jisse dekh MORANA ne ek baar palat kar mujhe dekha toh..


MORANA-khel khel me sach me tujhse pyar ho gaya tha RAAZ... anyways,abhi tu hosh me nahi hai,par jab hoga,toh apne lakshya prapti ke saath mere anth ka hisaab le lena...


ye bol MORANA ne ek baar MAHI ko dekha aur uske aisa karte hi MAHI ke aankhon me aansu aa gaye...

reason..


GRIFFIN-tumhare aur RAAZ ko bachane ke liye jab tumhare aur tumhe maarne waale ke beech khada shaksh tumhe ek baar dekhega toh samajh jaana ki uska antim waqt aa chuka hai....

ye us aakhri hidayat ki aadhi baat thi jisse yaad kar MAHI ki aankhen bheegi thi..

wahin dusri taraf killing ray ko apne hatheli par create karne ke baad us hatheli ko saamne ki taraf halka sa jhatka diya ray ne aur uske aisa karte hi...

AHHHHH.....


MORANA ke pure sharir me aag lag chuki thi...aag me jhulaste MORANA ke sharir ko nam aankhon se MAHI dekh hi rahi thi ki tabhi usse MORANA ke sharir se ek patli si layar piche ki taraf se jahan woh aur mai khade the,nikalti dikhayi di jo sidhe hum dono ke paas aate hue humare sharir se chipak invisible ho gayi...


GRIFFIN-uske marne ke dauran kuch feel karogi tum....aur jab tum dono ko maarne ke liye tumhara dushman SPELL bole tab tumhe bhi ek SPELL bola hai...

"MAARGAM BHAAGYAM"

ROAD TO DESTINY....


ye us aakhri hidayat ka bacha bhaag tha jo MAHI ke dimag me ghum gaya tha..

aur is dauran MORANA ka sharir jal kar raakh ho chuka tha aur aisa hote hi...


VIDEOUS-alvida kehne se pehle kuch aur baatein karne ka bhi dil tha mera par unfortunately MORANA ne tum dono ka woh waqt absorb kar liya..

so,that means,we have reached the end of the line..bye guyzz...its was really nice playing with you...


ANSHAM........ URJAHAM........SAMPURN VINASHAKAM....


apne dono haathon ko meri aur MAHI ki taraf kar uccharit kiya VIDEOUS ne is SPELL ko aur uske aisa karte hi uske dono haathon se uski puri taakat ki complete energy joki uske khudke urja aur BLACK ENERGY ki taakat ka mishran thi,bahar nikal hum dono par padi aur aisa hote hi...

pura ELYSIAN ek tez roshni me naha gaya..

infact, ELYSIAN ka core aur upar uske atmosphere ki aakhri hadh tak hilne lagi....

baat choti toh thi nahi... GOD'S SON ki urja ko khatm kar raha tha VIDEOUS...aur aisa karne ke liye usse apna sab kuch jhonk dena tha aur woh yahi kar raha tha...

lagatar apne dono hathon ko hum dono ki taraf kar woh apni puri shakti se hume pal pal khatm kar raha tha..

kuch pal beete aur phir uske haathon se nikalne waale urja ki shakti jab badhne lagi aur uska pressure jaise jaise kam hone laga toh VIDEOUS samajh gaya ki hum dono khatm ho rahe hain...

dekhte hi dekhte kuch hi pal me uske haathon ki urja se nikalne waali roshni surya ke tej ke saaman badh chuki thi aur phir achanak...

BOOMMMM.........

ek zordar awaaz ke saath woh urja wapas VIDEOUS ke andar chali gayi...

aisa hote hi VIDEOUS jisne apni puri shakti drain kar di thi,apne ghutno par aa gaya..

lambi lambi saansein le raha tha woh is waqt par saath hi uske face par ek vijayi smile bhi chamak rahi thi..

reason....

jahan mai aur MAHI the,wahan ab hum dono ke sharir se bana raakh jisse ab bhi hamari urja halki halki nikal rahi thi,hawa me dheere dheere vilin ho rahi thi....

aur jaise hi woh raakh puri tarah vilin hui toh....

ek saath do chizen hui...

pehli... VIDEOUS jiski ENERGY restore ho chuki thi,woh apni jagah par wapas khada ho gaya...

aur dusri...

GADGADGADGAD.....

pure ELYSIAN ke aasman me kaale baadal chaa gaye, tez bijli kadakne lagi jiske agle hi pal pura ELYSIAN tez paani ke bundo me nahane laga...

aur is baarish ko VIDEOUS apni baahein pasare mehsoos karne laga..

is beech uske teeno DEVOTEES,DORIAN aur GASTON jinke saath VIDEOUS ke dono primes bhi the,saath hi woh anjaan GAFFER,ye sab apne apne kaale labadon me prakat hue aur VIDEOUS ke aage jhuk gaye...

waise ek aur chiz bhi hui thi..aur woh ye ki tez baarish ke bundo ki wajah se wahin behosh pade ACCHUTA, SLUNDER, HIDA aur BRAWNY bhi hosh me aa gaye..

hosh me aate hi woh chaaron yahan wahan dekhne lage par RAAZ aur MAHI ko talash rahi unki aankhon ke aage kuch nakabposh log aur unke beech khade VIDEOUS ke alawa aur koi naa tha...

tez musladhar baarish ke beech MAHI ki energy rays ke takrane ki wajah se kamzor ho chuki aankhen aur aadhe khuli aankhon se woh chaaron situation ko samajhne ki koshish kar hi rahe the ki..


VIDEOUS-zyada sochon mat...bas itna jaan lo ki jis maksad ke tahat tum chaaron yahan aaye the,woh maine pura kar diya hai..

RAAZ aur MAHI,dono hi ab nahi rahe....


VIDEOUS ki kahi baat par woh chaaron kaise react karen,ye unhe samajh me hi nahi aaya..

haan,ye sach tha ki woh chaaron khud RAAZ ko maarna chahte the,par ab jab aisa ho chuka tha tab bhi woh sab andar se khush nahi the..

aur us ajeeb si feeling ko MAHI ke khatm hone ki khabar ne udaasi aur pain me bhi badal diya tha..

khair,apni baat ko aage badhate hue..


VIDEOUS-GOD GIFTS SAVENTS....tum chaaron ko mila ye vardaan ab tum sabke liye avishap me badalne waala hai...

do options hain...

kyunki tum sabke shaktiyon me GOD ki urja ka AURA hai,jiski wajah se tumhare dilo ko,maansikta ko, ATTITUDE ko badla nahi jaa sakta, isiliye tum chaaron ko maar diya jaaye..

par ye option boring hai, isiliye tum chaaron par dusra option laagu kiya jaayega...


apni baat khatm karte hue VIDEOUS ne un charon ki taraf apna haath kiya aur uske aisa karte hi..

AHHHHHHHHH....

un charon ke hi mooh se ek saath tez cheekh nikal gayi...

reason...

VIDEOUS ne un charaon ke GOD GIFTS AURA ko unke hi andar seal kar diya tha jisse unke ragon me behti unki extra shaktiyan jo un charon ko baakiyon se alag aur aage karti thi,unme vikaar aa gaya jisse un sabko hadh se zyada taklif hui aur woh chaaron ek baar phirse behosh ho gaye...


VIDEOUS-sabko pesh karo...


VIDEOUS ki baat khatm hote hi unke saamne moujud uske saare disciples gayab ho gaye aur kuch hi palon me woh sab CHOSENS me basne waale har shaksh ko saath liye VIDEOUS ke saamne haazir ho chuke the..

TEENO SOVEREIGN'S bhi in sabme moujud the aur is waqt sabse aage khade the...

wahin khudko achanak se hi ek nayi jagah par dekh saare CHOSENS waasi kaafi hairan the par saath hi un sabko VIDEOUS ki aseemit urja jisse ab usne khula chhod diya tha,woh bhi feel ho rahi thi aur isiliye usse halki ghabrahat ke saath sabhi dekh rahe the..

SEBIL jaisi powerful WHIZZ joki teeno SOVEREIGN'S ke left me hi khadi thi,woh bhi is waqt VIDEOUS ke sharir se nikalte unidentified but hadh se zyada strong urja ko feel ghabrane lagi thi..

khair,sabko apne saamne dekh VIDEOUS ne apni ungli teeno SOVEREIGN'S ki taraf ki aur...


VIDEOUS-your services are no longer required...you three are terminated...


VIDEOUS ki baat khatm hote hi teeno SOVEREIGN'S bina kuch kahe gayab ho gaye jisse dekh wahan moujud sabki hairani aur badh chuki thi..

waise wahan moujud saare log kaale dil waale WICKEDS aur unki tarah ke ATTITUDE waale hi the,jinhe waise bhi teeno SOVEREIGN'S jinse pure WHITE ENERGY feel hoti thi,pasand nahi the,isiliye woh un teeno ke aise, chupchap chale jaane se man hi man kaafi khush bhi the..

khair,teeno SOVEREIGN'S ke jaate hi VIDEOUS ne apna woh AURA jisme uski haqiqat thi, release kar di jisne jaise hi wahan moujud har shaksh ko touch kiya toh unhe VIDEOUS ki sacchayi pata chali aur aisa hote hi woh sab ek jhatke me apne pairon par aa gaye...

waise apne baare me sabko jaankari dete waqt VIDEOUS ne RAAZ ke baare me kisiko kuch pata chalne nahi diya kyunki RAAZ ke ab jaane ke baad woh nahi chaahta ki usse koi yaad bhi kare..

apne saamne sabko ghutno par dekh..


VIDEOUS-mere baccho....

bramhand ke har kone me sirf VIDEOUS aur burayi ka WAAS HOGA...

acchayi,aur acche log jahan bhi honge,abse unka sirf NAASH HOGA....


mere bacchon... CHOSENS banane ka mera sabse ehem maksad tha,mai ye chahta tha ki yahan se burayi ke aise shaktishaali SAVENTS nikle jinhe mai apne is bramhaand rupi riyasat me alag alag daayitv de sakun...

woh din gaye jab universe me basne waale log apni problems ke liye GOD ki taraf rookh karte the,ab se sirf unhi ka hi uddhar hoga,jo VIDEOUS ko apna GOD maanega...

aur aisa karne par sabko majboor karoge tum sab...isiliye, apni apni shaktiyon ke charam ko chhuo,aur mere raj me raj karo....

tumme se jis kisiko koi bhi taklif kyun naa ho,us taklif ko mera naam lekar yaad karna,taklif door ho jaayegi....


VIDEOUS ka aisa bolna tha ki tabhi SEBIL ne man hi man VIDEOUS ka naam liya aur apni behen ko yaad kiya aur uske aisa karte hi usse ek ajeeb si feeling aayi..

darasal MABBA ke saath EXERTION me jo hua tha,uski jo condition thi,us wajah se SEBIL uske AURA ko MABBA ke AURA se jode rakhti thi aur ab jab usne VIDEOUS ke kahe according kaam kiya toh usne MABBA ke AURA me ek spark dikha..

ye spark uski disability khatm karne waali urja thi jiska matlab tha ki MABBA ki body heal ho rahi thi aur is baat ka ehsaas hote hi SEBIL ki nazar VIDEOUS par gayi jo muskurate hue usse hi dekh raha tha...

VIDEOUS ke is ehsaan par SEBIL uske paas jaakar uska shukriya ada karna chahti thi par uski itni himmat nahi thi ki jiski wajah se uska astitv hai,jiski shaktiyon se un sabme shakti ka sanchaar hota hai,uske saamne woh khadi ho sake...

khair, VIDEOUS apni baat keh chuka tha aur ab baari thi uski apni jeet ko unke saamne celebrate karne ki,jisse uska asli mukabla tha jo uske mutabik aaj haar chuke the jiska matlab tha ki ab VIKRAM aur ASMODEUS dono ko apna ohda aur HEAVEN,dono hi VIDEOUS ke hawale karne the aur isiliye VIDEOUS CHOSENS se gayab ho gaya....







PLACE-OUTSIDE HEAVENS GATE.....








FINALLY........ FATHER'S,DEKHIYE, AAPKA LAYAK LADKA AAKHIRKAAR JUNG JEETKAR AAPKE PAAS LOUT HI AAYA....


HEAVENS GATE ke bahar pahuchte hi gunj uthi VIDEOUS ki awaaz chaaron taraf jiske baad HEAVEN ka gate dheere dheere khula aur uske andar se bahar aaye VIKRAM, ASMODEUS, AVANTIKA aur ALESANDRA jinhe dekh...


VIDEOUS-kitna arsa beet gaya aap logon ke yun samaksh hue...

kuch bhi kahiye,aap chaaron ko dekhkar mera dil khush ho gaya...

manushya lok me kaha jaata hai ki ek PITAH apne PUTR ko khudse aage nikalte dekh bohot prassan hota hai...

is tark ke adhaar par toh aaj aap dono ke liye sabse zyada khushi ka din hoga..haina FATHERS....!!!!

toh kya hua agar us khushi ki keemet ab ye pura BRAMHAAND hai jo abse aapke is putr ki milkiyat hai...

HAHAHAHAHAHAHAHAHA......





aapne nahi sambhala,par dekho,aapka ye beta khudhi SAMBHAL GAYA....

jo dekha tha sapna aapne RAAZ ki aankhon se,aaj ussike saath woh sapna bhi JAL GAYA......

aap dono maha buddhijeevi bhi aaj haar hi gaye,

shuru kiya tha aap dono ne jis kahani ko, aaj VIDEOUS ke haathon woh ATTITUDE BADAL GAYA.....















AAJ KE LIYE ITNA HI......

















AAPKA APNA V...J.....
Extraordinary speechless amazing wonderfull fantabulous update.part one ki hi tarah ish part me bih kuch kuch same raha bhai.part 1 main Vj bih pure duniya se kat kar alag chala gaya tha.par ish bar situation kuch jayada hi alag hai.vj ko malum tha kya karna hai aur asmodeus ke sath milkar dono ne khel khela tha.par ish bar Videous hai.

👏 :claps: :applause: :applause:
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,267
38,658
258
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF RAAZ EX SAVENTS KE SOULS KO FREE KAR DETA HAI WAHIN DUSRI TARAF ACCHUTA, SLUNDER,HIDA AUR BRAWNY KE HIDDEN GOD GIFT POWERS UNLOCK HO JAATE HAIN.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-97



PLANET-ELYSIAN


PLACE-CHOSENS



STELLARS CLASS:-









SO SAVENTS,JAISA KI KAL ANOUNCEMENT ME BATAYA GAYA KI EXERTION COMPETITION SIRF EK MAHINE ME HI HONE WAALA HAI, JISKA MATLAB HAI KI AAP SABKE PAAS ZYADA WAQT NAHI HAI TAIYARI KE LIYE, ISILIYE HUMNE SOCHA HAI KI AAP SABKE TRAINING PROCCESS KO ZYADA TOUGH AUR SPEED KIYA JAAYE..

AAJ SE COMPETITION TAK AAP SAB SIRF 30 MINUTES HI APNE REFINERS KO ACTIVATE KARNE KI KOSHISH KARENGE,BAAKI KA PURA WAQT AB AAP SABKI METAPHYSICAL CAPABILITIES KI NURTURING HOGI JO KI KAAM AANE WAALI HAI US COMPETITION ME....


class me ghuste hi SAPIUS ne ye baat kahi thi...aaj yahan bas woh aur REGIS hi moujud the, MABBA gayab thi...

khair, SAPIUS ki baat ko aage badhate hue...


REGIS-waise humne aap sabke metaphysical capabilities ko nikharne ke liye ek bohot hi interesting aur competitive tarika dhunda hai jisse ki aap sab lagatar motivate hote hue pure focus ke saath training lenge..

par usse pehle,jaisa ki SAPIUS ne bola,pehla aadha ghanta aap sabhi apne apne REFINER activation me lagayenge isiliye without wasting time,shuru ho jaaiye...


REGIS ki baat khatm hote hi hum sabhi apni apni jagah par baith apne CEREBRATION process ko pause kar lag gaye REFINER activate karne me...

par jahan baaki sabhi ka tarika wahi purana tha,wahin main kuch aur hi kar raha tha..

darasal kal PROHIBITED SPACE se loutne ke baad bhi mai rest karne ke bajaye jab apne ABODE me bane training room me us nayi urja ko jo mujhe aaj mili thi,apne emotions power ke saath merge karne me laga hua tha tab mere andar moujud DHANUR jinhe institution ki padhayi aur us padhayi ka tarika maulum tha,unhone mujhe apne REFINERS ke baare me joki mere emotions ke through hi activate hote hain,unhe use me laane ka aur saath hi aur sashakt banane ka ek naya tarika bataya tha aur filhal mai wahi try kar raha tha...

aankhen band karne ke baad apne CEREBRATION process ko pause kar maine apne apne stable ho chuke emotions ki power me jhaankte hue third REFINER ANGRY ko activate karne ke liye spell nahi bola balki jo do REFINERS mere already activate ho chuke the, HAPPY aur SAD,unke SPELLS ko ek ke baad ek uccharit kiya...

aisa karte hi mere andar mere activated REFINERS chamakne lage...

aur jab aisa hua toh....


DHAMANE...

CAUSE CHANGE.....


apne stabled EMOTIONS power ko dekh is SPELL ko uccharit kiya maine aur mere aisa karte hi mere dono activated REFINERS mere stabled EMOTIONS power ke andar samate chale gaye..

us stabled power me us urja ke bhi kuch ansh the jo kal mujhe mile the par ab woh urja bhi mere us power ka hi hissa the.

khair,jaise hi REFINERS emotions ke andar gaye toh uske kuch pal baad mere andar halki vibrations hone lagi aur jab aisa hua toh...


SAMPURN KRODHAM


mere man me ye SPELL uccharit hua aur aisa hote hi ek nayi kiran ne mere andar janm liya joki mere is naye ANGRY REFINER ki shakti thi aur jaise hi woh jagmagahat hui toh emotions ke andar ho rahi vibrations se ek AURA nikal us roshni ki kiran par pada aur....

mera THIRD REFINER "ANGRY" bhi activate ho chuka tha aur woh bhi complete power tak jisse mai ab mujhe aur shaktishaali banana tha...

khair,ye tha mere EMOTIONS ki shakti ka ek chota sa example jisme kuch hi palon me mera third REFINER complete power tak ACTIVATE ho gaya tha par jaisa ki us SAVENT ke SOUL ne kaha tha ki meri power utni hi pata chalegi jitna mai chahunga, isiliye mere is naye achievement ke baare me maine kisiko bhi bhanak tak nahi lagi..

khair,mai chahta toh abhi ke abhi apne bache baaki ke dono REFINERS ko bhi activate kar sakta tha par naa toh ye koi time taking cheez hai aur naahi filhal zyada important isiliye kuch pal ke liye aankhen khol taaki sabko lage ki REFINER ACTIVATION ka mera prayas asafal raha,maine dobara apni aankhen band ki aur....

woh ishwariya jyoti,jiske through mujhe mere emotions mile the,unki urja ko jo kahin naa kahin ab bhi mere andar moujud thi,usse dhundne laga..

yahi tarika bataya tha mujhe DHANUR ne mere EMOTIONS ko stable karne ke liye..

DHANUR ne bataya tha ki woh jyoti bohot chanchal hai jo mere saath hide and seek khelegi..

mujhme hone ke baad bhi woh asaani se mujhe dikhegi nahi par jab bhi us jyoti ki ek jhalak bhi mujhe naseeb hogi toh mere emotions ek percent tak stable ho jaayenge....

aur unstable emotions aur unke saath mile hue urja ki shakti ka jo bhaar mujhe mere andar mehsoos hota hai,25 percent stability aate aate woh bhi kaafi kam ho jayega aur 50 percent stability par woh bhaar khatm ho jaayega aur saath hi itne me mujhe mili urja bhi mere emotions ke saath merge hokar ek ho jaayegi...

yahi kaaran tha ki kal PROHIBITED SPACE se aane ke baad bhi maine kareeb 5 ghante us ishwariya jyoti ko dhundne me lagaye the jisme mai sirf 1 baar safal bhi raha tha aur isiliye filhal mere emotions ka stability level 16 percent par tha...

khair,abhi bhi aankhen band kar mai ussi koshish me laga hua tha par yahan problem ye thi ki har 1 minute ke baad mujhe aankhen kholni padti thi taaki kisiko koi shak naa ho.

par aise me toh mai thoda sa bhi kaamiyab hone se raha aur hua bhi nahi..

kab aadha ghanta khatm hua, pata hi nahi chala aur jaise hi waqt beeta toh...


SAPIUS-ok guyzz,REFINERS ACTIVATION ka time up....aur ab waqt hai aap sabke metaphisycal capabilities ko sikhne aur nourish karne ka aur jaisa ki REGIS ne class ki shuruat me bataya tha ki humne ek interesting aur competitive tarika dhunda hai taaki sikhne ka aapka focus aur excitement level bana rahe...

toh woh interesting, competitive aur motivation se bhara tarika ye hai ki aap sabhi ke beach 1 on 1 friendly combat hoga jisme aap sabhi aamne saamne aayenge aur ek dusre par apne metaphisycal capabilities ke daav azmaayenge..

shuruat hum maamuli offensive aur defensive SPELLS se karenge jisse aap sabko naa toh chot lagegi naa koi sharirik nuksaan hoga par haan, confidence up yaa fir low zaroor hoga according to your performances...

so ready...!!!

SAVENTS-yes WHIZZDER...


behadh excitement se bhar kahi ye baat SAVENTS ne jiske baad...


REGIS-fine...ek demo dekh lijiye.... MAHI, RAAZ, VIDEOUS...

aap teeno me se koi bhi 2 saamne aayiye....aap teeno ka apne REFINER power me control baakiyon se zyada hai isiliye shuruat aap se hi karte hain...

MAHI,in dono ke beech aap akeli ladki hain isiliye aap bataiye ki kiske saath demo dena chahengi aap....???


REGIS ki baat par ek baar MAHI ne VIDEOUS ko aur ek baar mujhe dekha aur..


MAHI-VIDEOUS....


MAHI ki choice par REGIS ya SAPIUS un dono ko aage aane ko kehte ki tabhi...


ACCHUTA-with all due respect WHIZZDERS.....VIDEOUS se zyada hum RAAZ ke DEMONSTRATION se sikh sakte hain...

abhi tak bina protection ya precaution ke bhi isne har demo me aisa presentation diya hai ki har baar humara confidence badha hi hai...

no doubt VIDEOUS is a good choice aur AMPLIFICATION aur REFINER activated power ke maamle me woh aur RAAZ filhal equal hain par having said that,ye sab ek theory based comparison hai...

par EXERTION me hume practically apne metaphisycal capabilities ko use me laana hai..

waqt zyada bacha nahi hai toh aise me jitna improve hume karna chahiye,woh hum kar paayenge nahi...

aur limited shaktiyon se bhi impossible lagne waale task ko kaise successfully handle karna chahiye,ye RAAZ ne baar baar hume karke dikhaya hai....


ACCHUTA ki statement se bohot se SAVENTS ittefaq rakhte the isiliye un sabhi SAVENTS ne uski baat ka support kiya jisse sun ek pal ke liye REGIS aur SAPIUS bhi sochne lag gaye aur is beech...


ACCHUTA-le bhai...kar diya tera kaam....par ho sake toh bata diyo iska reason..

MAI-dekhte hain...


ye bol muskurane laga tha mai...

jee haan doston, ACCHUTA ne jo kaha,waisa hi kuch kehne aur is demo ko meri taraf modne ke liye maine hi kaha tha...

reason....

kuch der pehle paused CEREBRATION ke waqt jab maine apne third REFINER ko ACTIVATE kiya tha tab mere emotions me chuppi WHITE ENERGY ne apni si hi ENERGY ko mehsoos kiya tha par woh energy ek kaali urja ke cage me chhatpatathi dikhi unhe aur jab aisa hua toh DHANUR ko bhi iska pata chal gaya aur tab apne invisible WHITE ENERGY se bani detect force ray ko bahar nikala unhone aur VIDEOUS ko chhod baaki sabhi SAVENTS ko check kiya us ray ne aur aisa karte waqt sirf MAHI hi aisi thi jiske andar kuch alag forced unwanted energy feel ki us ray ne par exactly woh energy hai kya aur aayi kahan se hai,ye pata nahi chala DHANUR ko isiliye DHANUR ne mujhe kaha ki kisi tarah khudpar MAHI se koi metaphysical activity ka prayog karwane..

aisa karne se jo energy usse release hogi,usse shayad kuch extra pata chal sakta tha..

aur jab REGIS aur SAPIUS ne demo ki baat ki mera kaam asaan ho gaya par kyunki MAHI ne VIDEOUS ko chuna tha isiliye ye tikdam bhidani padi mujhe..

khair,kuch seconds ek dusre se baat kar..


SAPIUS-sujhaav acha hai ACCHUTA... MAHI,tum RAAZ ke saath hi demo dogi...

baaki sab,left right khade ho jaaiye aur beech me kamsekam 20 feet ki jagah chhod dijiye....

MAHI, RAAZ 20 feet hi doori rakh aap dono aamne saamne khade ho jaaiye....


SAPIUS ne jo kaha tha,agle ek minute ke andar waisa ho gaya tha...

jahan mai aur MAHI ek dusre se 20 feet door aamne saamne the wahin baaki STELLARS hamare left aur right me apne apne group banakar khade the...


SAPIUS-jaisa ki maine bataya tha ki ye on two one combat low level par hoga..

ye combat do charan me pura hoga....

pehle charan ke demo combat me aap dono baari baari sirf do spells kaa use karenge..

ek SPELL attack ka hoga aur dusra defense ka...

attack SPELL hai ATUDATI,jiska arth gai PUSH....

aap dono me se koi ek is SPELL ko uccharit karega...

pehle aapko ye SPELL sirf apne AMPLIFICATION power ke tahat command mode se use me laana hai...

uske baad dheere dheere aap apne SPELL ki taakat ko spne REFINER power ke saath merge karkar badhayenge...

ye koi ghaatak SPELL nahi hai..iske istemaal se aap bas ek dusre ko piche ki taraf dhakka denge...

defense SPELL hai KHANDAM,jiska arth hai block...

is spell ko hamesha yaad rakhiyega kyunki har attacking SPELL ko issi spell ke through hi block kiya jaata hai...

iska istamaal bhi aap dono pehle apne AMPLIFICATION power se,aur uske baad apne REFINER power ke through karenge...

demo ka dusra charan is bataye pehle charan ke successfully operate karne me baad aap dono ko bataya jaayega...

toh ready...????

HUM DONO-READY...

SAPIUS-great... MAHI,tum attack SPELL se shuruat karo,aur RAAZ tum defense karo...

apni ekaagrata barkarar rakha..jitna zyada focused rahoge, SPELL ki taakat bhi utni hi zyada impactful hogi...

shuru karo....

MAHI-ATUDATI.....


MAHI ne turant hi is SPELL ko uccharit kiya tha jisse ki mai taiyar naa ho paaun..


uske SPELL uccharit karte hi hawa ka ek tez presure bijli si tez gati liye meri taraf badha aur tabhi..


MAI-KHANDAM....


maine bohot dheere se is SPELL ko uccharit kiya...

par maze ki baat ye thi ki jaisa SAPIUS ne kaha tha,pehle apne AMPLIFICATION power ko use me laa is SPELL ko bolne ke liye,aisa maine nahi kiya tha..

maine aise without any backup power,is SPELL ko bola...

reason....

jaise jaise mere emotions power stable aur strong ho rahe the,mere normal SAVENT status me bhi AMPLIFICATION power jitni shakti aane lagi thi aur isiliye hi maine bina kisi backup power ke SPELL uccharit kiya aur mere aisa karte hi mujhse thik 1 metre aage ek invisible BLOCK ban gaya jisse takrakar MAHI ka attack SPELL beasar ho gaya aur ye dekh...


SAPIUS-bohot acche RAAZ,and well done MAHI...maine tum dono ke hi SPELLS ki urja mehsoos ki thi joki kaafi achi thi....

RAAZ,attack SPELL ki ab tumhari baari....


SAPIUS ki baat khatm hone se pehle hi maine ATUDATI SPELL uccharit kar diya tha jiske ek pal ke andar hi MAHI ne bhi KHANDAM SPELL bola par tab tak mere SPELL se nikli energy MAHI tak pahunch chuki thi..

MAHI ke SPELL se nikli block toh waise lag chuki thi par uske sharir se nikal woh block aage badhe,usse pehle hi mere SPELL ne apna kaam kar diya jispar block ke lagne ke baawjud MAHI mere bole SPELL ke force se piche ki taraf ladhkhada gayi aur jab aisa hua toh...


MAHI-WHIZZDER,isne cheating ki hai...time se pehle hi isne apne SPELL ko uccharit kar kiya tha..

MAI-time wahi sahi hota hai jab aapka opponent taiyar nahi rehta.. isiliye chote bache ki tarah rona chhodo aur focus strong rakho..

ladhayi me tumhe koi ye bolkar ki MAHIJI agar aap ready ho gayi toh kya mai attack kar lun,humla nahi karne waala...


jahan meri baat sun kaafi SAVENTS has diye, wahin MAHI ko ghussa aa gaya tha...

khair,meri baat sun...


SAPIUS-RAAZ is right MAHI...focus humesha strong hona chahiye...abse dhyan rakhna...

aur ab MAHI tumhe apne first REFINER ke average power se attack karna hai aur RAAZ,ussi power se defense karo tum...


SAPIUS ki baat sun ek pal mujhe ghoor MAHI ne ek baar phirse ATUDATI SPELL uccharit kiya par jahan SAPIUS ne usse aisa apne REFINER ke average power ke saath karne ke liye kaha tha,wahin usne ye full power ke saath kiya taaki jab mai isse naa sambhal paaun toh mera diya gyan mujhe wapas de sake...

par jab usne is SPELL ko bola toh maine bas apne AMPLIFICATION power ke aadhe bhaag ko hi use me laa KHANDAM SPELL ko uccharit kiya aur mere aisa karte hi MAHI ka SPELL beasar ho gaya jisse dekh woh halki si chidh gayi thi...

par tabhi....

DHAKKKK.....

MAHI ek baar phirse piche ki taraf ladkhada gayi...

reason...

MAHI ke attack SPELL ke nishkriya hone waale pal me hi us SPELL ki khatm hoti urja ki beech maine apne attack SPELL ko uccharit kar diya tha aur ek baar phirse MAHI ka BLOCK uske sharir se aage nahi nikal paaya tha..

wahin mere attack and most importantly,us attack ki timing dekh halke hairan ho gaye SAPIUS aur REGIS isiliye..


REGIS-brilliant RAAZ..defense karte hue hi ussi pal me tumne attack kar diya...well done my boy...


jahan REGIS ki baat sun mai muskura bhar diya wahin MAHI ka dimag garam hone laga tha jisse mai bhi dekh raha tha aur mere andar moujud DHANUR bhi aur yahi toh hamara plan tha..

jo bhi forced shakti MAHI ke andar thi,wo mere attacks se MAHI ke andar unstable hoti jaa rahi thi aur ab bas deri ki uske power ko mehsoos karne ki..

kyunki frustrate hokar jab uske andar se woh forced energy apni power se mujhpar waar karti,toh DHANUR ko us ENERGY ka sach pata chal jaata...

mai haste hue ye sab soch hi raha tha ki tabhi REGIS ne jo kaha, usse mai aur DHANUR jo chahte the,wo ho jaane waala tha...


REGIS-ab shuru karte hain is combat training ka dusra charan...


HOAX HIT toh yaad hi hoga aapko..ek saath ek hi baar me 2 yaa do se zyada SPELLS uccharit karna..

toh karna aap dono ko ye hai ki pehle attack SPELL ko bolne ke agle hi pal ATTACH MODE ke tahat man hi man aapko apne AMPLIFICATION power aur REFINER power,dono ko merge karte hue dusra SPELL AAHATAM matlab HIT bolna hai....

aur defensive bande ko KHANDAM bolne ke agle hi pal dusre attack se pehle apne ATTACH MODE ke tahat ek baar phirse KHANDAM bolna hai taaki second attack se bacha jaa sake...

is demo me koi halt nahi hoga.. attack karne waale ki baari ke baad defense waala attack karega aur ye process tab tak continoue hoga jab
tak aapme se koi saamne waale ko
AAHATAM SPELL ke through gira naa de....

jisne gira diya,woh winner....so ready...!!!


REGIS ki baat khatm hote hi bina kuch kahe MAHI ne pehle ATUDATI SPELL uccharit kiya aur phir agle hi pal apne ATTACH MODE ke tahat second SPELL AAHATAM uccharit kar diya..

wahin in sabke dauran maine apne stabled power ki shakti ko apne BODY se jod diya tha jiska matlab tha ki ab mujhe khudko safe rakhne ke liye koi SPELL bolne ki zaroorat nahi thi....

par dikhane ke liye maine apne honth budbuda bhar diye aur tabhi.

back to back do hits lagi mere sharir ke aage jo mere sharir ke lage BLOCKS se takrakar khatm ho gayi....

aisa hote dekh MAHI maayus ho gayi aur mai muskurane laga..

par jab kuch der baad bhi maine koi attack nahi kiya toh uski maayusi hairani me badal gayi aur saath hi WHIZZDERS ki bhi aur isiliye...


SAPIUS-kya baat hai RAAZ..tumhari baari hai attack karne ki...

MAI-usse lagta hai ki mai unfair game khelta hun isiliye mai isse 3 mouke aur deta hun...mai sirf defense karunga aur ye attack..shayad aage nikal jaaye ye mujhse...

SAPIUS-RAAZ..defense me attack se zyada energy waste hoti hai..

jis spells ko body jhelti hai,usse rokne ke baad uske power ke according defensively body par asar bhi hota hai..

aur filhal MAHI HOAX HIT try kar rahi hai jisme woh ek nahi balki do SPELLS tumpar ek hi time me use karegi...

aise me tumhae body ki urja shakti kaafi kam ho jaayegi....


SPELLS ko use me laane ke kriya me tum abhi naye ho...zyada pressure shayad jhel naa sako...

MAI-theory padhi hai maine iski...par phir bhi,ek try toh banta hai...

VALDIS-oh bhai, overconfidence kahin duba naa de tujhe...


VALDIS ki baat sun jahan uske baaju me khadi MABEL ne usse aankh dikhaya wahin ACCHUTA ka dimag phirse satak gaya aur...


ACCHUTA-tu khada hoja uske saamne....over aur confidence ke beech ka fark pata chal jaayega tujhe....

apni vishesh tippani unke aage de jo tere barabar hon yaa tujhse neeche...

jiske aage pitaji bhi namam karen,unhe dadaji kehte hain aur dadaji ko jeeven ke falsafe sikhaye nahi jaate...


ACCHUTA ki baat sun lagbhag sabhi has diye the aur VALDIS usse ghoor kar dekhne laga jispar ACCHUTA phir kuch kehne waala tha par SLUNDER ne uske kandhe par haath rakh usse chup rehne ko kaha...


VALDIS man me-kaun baap hai aur kaun beta,te toh tujhe EXERTION me dikhata hun beta..

GROOMERS ki taraf se participate kar tune khudhi apni kabar khod li hai jisme aakhri mitti mai hi daalunga...


wahan VALDIS khayali pakwan paka raha tha aur yahan meri baat sun ghusse me mujhe ghurti MAHI ne apna haath aage kiya aur....


ATUDATI....

AAHATAM....

ek ke baad ek do SPELLS uccharit koye usne...

par dusra SPELL joki ATTACH MODE ke antargat bola gaya,usse jab MAHI ne uccharit kiya toh spell ko extra power dete hue MAHI ke brain me vaas karte teeno DEVOTEES ki BLACK ENERGY ke kuch kan bhi release hue taaki mujhe acha khaas damage ho jaaye..

aur jaise hi woh kan release hue, DHANUR ne unhe sense kar liya aur..


DHANUR-take the second hit...


DHANUR ki baat maan pehle SPELL ko beasar kar second SPELL ko apne body me le liya maine jisse piche ki taraf dhakka laga mujhe..

waise toh mujhe us energy ki taakat se gir jaana chahiye tha par jaisa ki kal mujhe bhi pata chala tha ki mere emotions power ki ek khaas baat ye bhi hai ki woh har energy ko khudme merge kar leti hai aur jo hissa use ka nahi hota,usse dissolve kar deti hai,toh wahi cheez yahan bhi hui...

mere sharir par chadhe emotions power ki parat ne mere piche hote hi un energy kano ke shakti bhaag ko sokh liya aur baaki ke useless part ko hata diya tha aur isiliye kuch kadam piche haththe hue mai normal ho gaya...

is waqt sabhi ki nigah mujhpar hi thi aur isiliye kisine ye nahi dekha ki
second SPELL bolne ke baad MAHI ko halka chakkar aa gaya tha..

reason...

second SPELL hit ek average attacking SPELL tha par BLACK ENERGY ke kano ki wajah se woh devastating level tak pahunch gaya tha jo MAHI ka pure SOUL nahi chahta tha...

MAHI ke chaaron AMPLIFICATION modes is chiz ka virodh kar rahe the jisse push karte hue BLACK ENERGY ke kano ne mujhpar waar kiya tha aur isiliye us jhadap me MAHI ko chakkar bhi aa gaya aur woh pysically kamzor bhi ho gayi thi..

aur in sabke beech DHANUR ko saara ganit samajh me aa gaya tha... MAHI ke andar chuppe forced BLACK ENERGY ka bhi aur saath hi dusre muddon ka bhi isiliye...


DHANUR-jo janana tha jaan chuka hun mai..par filhal iski condition thik nahi hai.. pyscically aur mentally weak hai ye..

aise me ispar kisi chiz ka (BLACK ENERGY) haavi hona bohot asaan hoga..

isse turant behosh karo..aur haan, apne emotions ke AURA ka use karna...

MAI-kya hua MAHI..teen hits ka mouka diya tha maine..first HIT me hi haalat kharab ho gayi tumhari...

khair,ab jab jaan hi nahi bachi tumme toh time waste nahi karte.. let's end it..

AAHATAM......

DHAKKK.....


meri baat sun SAVENTS aur dono WHIZZDERS ki nazar gayi MAHI par...

MAHI ke face me dikh rahe weakness ko dekh unhe laga ki extra power use karne ki wajah se MAHI internally thak gayi hai...

ye soch woh mujhe attack SPELL bolne se rokne hi waale the par isse pehle ki woh aisa kar paate,apne emotions ke AURA ke saath merge kar HIT SPELL bol diya maine aur aisa hote hi ek behadh strong force lagi MAHI se aur woh udte hue piche ki taraf jaa giri aur ussi pal behosh ho gayi...

ek normal attack SPELL me itni power dekh shocked hue dono WHIZZDERS...unhe laga ki maine apne pehle REFINER ke saath second REFINER ke average power ko bhi use kiya hai aur isiliye...


SAPIUS-ye kya kiya RAAZ...???second REFINER ke saath HIT karne ki kya zaroorat thi...

ye MAHI ke liye dangerous ho sakta hai....uske internal parts bhi damage ho sakte hain..


jahan ghusse se ye baat bol wo aur REGIS MAHI ki taraf tezi se badhe wahin SAPIUS ki baat sun ALFREEN ko mujhpar ghussa aaya aur woh turant mere paas aayi..


ALFREEN-are you out of your mind RAAZ....tum pehle se hi strong ho... HOAX HIT ko use karne ka tarika ache se jaante ho..

hard se hard demonstration me bhi tumne excel kiya hai..

phir kya zaroorat thi,yahan showoff ki... kya jeetne je liye kisi ki life ko bhi khatre me daal doge tum...???

MAI-kabhi apne ego satisfaction ke liye mujhpar electric balls se humla kiya tha tumne aur MAHI ne...

waisa karte waqt kya jo sawal tumne abhi mujhse pucha hai,khudse pucha tha...???

waise badla lene ke liye ye nahi kiya maine... competition ke waqt mera focus opponent ki haalat par nahi hota...sirf competition par hota hai...

phir bhi normally hi bola tha SPELL par shayad woh weak ho chuki thi...jhel nahi paayi...

jaao,jab tak aankhen band hai uski,dosti nibhao..care karlo uski...dekh lo usse jee bhar ke,kyunki aankh khulne ke baad toh ek dusre se aankhen churani hi hain...


jahan ye bol mai rooka nahi aur class se nikal gaya wahin meri baat se dimag puri tarah shaant ho chuka tha ALFREEN ka aur phir jab mai wahan se nikla toh woh bhi turant mud MAHI ki taraf chal padi...


MAI-toh kya pata chala....???


class se bahar aate hi pucha maine ye DHANUR se jispar...


DHANUR-kitna jaante ho is ladki ke baare me...???

MAI-mind game nahi DHANUR...aur mujhse toh bilkul bhi nahi...mudde par aayiye,aur problem bataiye....


kuch pal shaanti se beete aur phir....


DHANUR-iske BRAIN ko BLACK ENERGY ke behad strong kano ne ghera hua hai aur woh bhi kaafi waqt se...

itne waqt me agar koi aur hota toh kabka KAALI shaktiyon ke upasak me badal jaata par is ladki ka heart pure hai...

complete positive energy se bhari hai ye ladki aur will power asadharan hai isiliye wo kan ispar puri tarah se kabza nahi kar paaye hai par phir bhi unki dakhal kaafi hai iske har kriya me...

isse pata bhi nahi ki iske andar ki positivity lagatar un BLACK ENERGY ke kano se ladh rahi hai par jab jab aisa hota hai toh isse sir me dard bhi hota hai aur iske chaaron AMPLIFICATION modes kamzor bhi ho jaate hain...

BLACK ENERGY ne bhale hi isse puri tarah se naa jeeta ho par usne iske positivity ko takkar dekar jhukaya zaroor hai...

agar isne apne chaaron REFINERS ko activate kar liya hota aur iske AMPLIFICATION 12 percent se upar hote toh iske emotions power un BLACK ENERGY ke kano ko hara kar khatm kar dete par unfortunately aisa hua nahi hai aur ab jab tak MAHI ke chaaron AMPLIFICATION modes BLACK ENERGY ko grahan nahi kar lete,woh aisa hone bhi nahi denge...

iski growth ruk jaayegi...

MAI-solution....

DHANUR-manzil par pahunchaun ya us manzil tak le jaane waale raaste par chhod dun....????


DHANUR ki baat sun smile aa gayi mere chehre par....unke is tark ko samajh gaya tha mai...

actually DHANUR mujhe indirectly challenge dena chaah rahe the taaki mai khud solution ka pata lagaun aur jo challenges se bhaage,wo RAAZ nahi isiliye...


MAI-raaste par chhod dijiye...manzil tak mai khud pahunch jaaunga...

DHANUR-dhyan se suno.....



nivaran aas paas hi hai,bas tumhe
dhund kar DIKHANA HAI....

jo dhund bhi liya,toh bin saamne aaye dawa ko rogi tak PAHUNCHANA HAI....

bas itna kar,baaki khudbakhud ho jaayega....

pata chalne se pehle hi taklif ko door HO JAANA HAI....












AAJ KE LIYE ITNA HI.......













AAPKA APNA V...J......
Mast update bro
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,267
38,658
258
AB TAK AAPNE PADHA KI FRIENDLY COMBAT KE DAURAN DHANUR RAAZ KO BATATA HAI KI MAHI KE ANDAR BLACK ENERGY SAMAYI HUI HAI...


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-98



PLANET-ELYSIAN


PLACE-THE FORBIDDEN SPACE




20 DAYS LEFT FOR EXERTION...








AHHHH....AHHHHH.....AHHHHH.....AHHHH.......

ek ke baad ek chaar baar cheekh nikli ACCHUTA, SLUNDER, HIDA aur BRAWNY ki jiske baad woh sabhi apne apne paused CEREBRATION se bahar aa gaye...

dopahar ka waqt hai...pichle 10 dino se lagatar institution se aane ke baad ye chaaron mere saath yahan PROHIBITED SPACE me aakar apni shamata ko viksit karne ka prayas kar rahe hain aur har baar thodi thodi der me in sabke CEREBRATION process ke tootne se inhe yunhi dard hota aa raha hai...

khair,cheekh ke saath hi chaaron apni apni jagah se uth gaye aur..


HIDA-RAAZ,aur kab tak hume yahi process repeat karte rehna hai....???

pichle 10 dino se hum yahi kar rahe hain par dard ke siwa hume aur kuch bhi haasil nahi hua hai...

ACCHUTA-haan bhai..wahan class me toh sabhi alag alag metaphysical activities kar rahe hain..

HOAX hit ke naye naye techniques sikh rahe hain par tune wahan bhi hume bas sikhne ki acting karne ko kaha hai..

aise me toh competition me lag jaani hai humari....


chaaron ke chehre par nirasha saaf dikh rahi thi aur jitna unhe maaum hai yaa phir ye kahun ki maine bataya hai,uske hisaab se ye maayusi galat bhi nahi hai...

darasal 19 din pehle abhyas ke pehle din maine inhe ye kaha tha yaa phir ye kahun ki DHANUR ke according ye bataya tha ki inhe sirf ek hi chiz karni hai,aur woh ye ki CEREBRATION process ko paused kar apne chaaron AMPLIFICATION modes ki urja ko apne apne GOD GIFTS shaktiyon par joki unke heart ke ird gird jami hui thi, uspar modte hue focus banaye rakhna hai..

aisa karte waqt jab bhi unke heart me kampan ho, vibration ho toh unhe us kampan ko count karna tha...

bas itna hi kaam tha in chaaron ka par ye proccess AMPLIFICATION modes ke attach hone ki wajah se bohot zyada painful bhi tha aur lagatar ek hi chiz karne ki wajah se boring bhi...

in 10 dino me 20 se zyada baar ek hi proccess ko lagatar karte rehne ki shikayat kar chuke the ye chaaron mujhse par mai bas unhe proccess repeat karne ke liye kehta aaya tha...

par is baar jab HIDA aur ACCHUTA ne ek baar phirse same complaint ki toh....


MAI-vibration counting kaha tak pahunchi hai...???


har baar un chaaron ki shikayat par yahi sawal rehta tha mera aur ab bhi jab maine same baat kahi toh....


ACCHUTA-25 ho gaye hain bhai...

MAI-repeat....


meri baat sun halki udaasi dikhne lagi chaaron me kyunki har baar unke sawal ke baad mai unhe wapas proccess repeat karne ke liye bolta tha aur isiliye is baar bhi mere bolne ke baad ACCHUTA aur baaki teeno bhi proccess repeat karne ke liye baithne hi waale the ki tabhi...


MAI-25 vibrations aur haasil karne hai tum sabko..


ye pehli alag baat thi jo kahi thi maine un sabko jisse sun woh sabhi halke excited ho gaye aur...


ACCHUTA-25 aur matlab...!!!??uske baad kya hum bhi alag alag SPELLS practice karna sikhenge...

MAI-sirf practice karoge..sikhne ki zaroorat nahi padegi..

jo proccess tum chaaron kar rahe ho,aur isme jo vibrations feel ho rahi hai tum sabko,woh tumhare chaaron AMPLIFICATION modes ke tum sabke GOD GIFTS shaktiyon ke saath 1,1 percent merge hone par ho rahi hai...

aur jab ye pratishat 50 par pahunchega,toh jitne bhi SPELLS aur METAPHYSICAL activities ke books tum chaaron ne padhe hain yaa dekhe hain,woh sab automatically tumhare andar feed ho jaayege jisse practice ke saath tum chaaron nikharoge....


mere is khulase se behadh khush ho gaye the woh chaaron aur saath hi ek nahi urja bhar si gayi thi un sabke andar....


ACCHUTA-toh bhai,ye pehle nahi bata sakta tha tu...???abhi tak toh kisi bhi condition me 50 percent tak apne apne AMPLIFICATION modes ko apni shaktiyon ke saath merge kar chuke hote hum...

MAI-nahi kar sakte the...jitna waqt lag raha hai,is proccess me utna hi lagega...

HIDA-toh kya ye merger aadha hi hota hai,pura nahi..???

MAI-koi merger kabhi aadha nahi hota HIDA...par 50 percent merger ke baad tum sab har metaphysical activity jo is institution me sikhayi jaati hai,usse karne ke liye qualify ho jaaoge aur jab woh merger 100 percent par pahunchega,toh tum woh sab bhi kar paaoge joh ab tak koi SAVENT nahi kar paaya hai...

50 percent merger ke baad tum aadha waqt metaphysical activities ki practice me lagaoge aur aadha waqt issi process ko repeat karne me...

baatein bohot hui,shuru karo...

meri baat khatm hote hi un chaaron ka CEREBRATION process paused ho chuka tha....




10 DAYS LEFT FOR EXERTION:-





RAVADHAKOTINAM...

TIE WITH THE WIND.....



SLUNDER ne bola tha ye SPELL aur receiving end me tha ACCHUTA..

ye ek behad hi khatarnaak SPELL tha jiske maamuli asar se bhi ek behad strong wind force generate hoti thi aur apne opponent ko apne bhawar me fasa kar behosh kar deti thi...

aut hua bhi kuch aisa hi... SLUNDER ke uccharit SPELL se 20 feet badi turnoid ban ACCHUTA ki taraf badh gayi par aisa hote dekh ACCHUTA nervous nahi hua balki uske face par smile aa gayi aur...


GURUTWAKARSHANAM GARBHATE...

MAGNETIC FIELD ACTIVATE....


ACCHUTA ke uccharit SPELL se jo turnoid bani thi,uske theek neeche ek arificial magnetic field ban gayi jisme woh turnoid kheenchate hue khatm ho gaya...

apne apne SPELL bol woh dono ek dusre ke paas aaye aur....


ACCHUTA-yaar, tere SPELL ka power zyada lag raha tha..saale, practice kar rahe hain,issi me maarne ka irada hai kya...???


ACCHUTA ke shikayat me bhi SLUNDER ke liye taarif hi thi jisse sun...


SLUNDER-abbe normal level par SPELL bola tha par haan,thoda strong socha tha aur woh bhi isiliye kyunki mujhe maaulum tha ki isse kam power ki toh tu bina SPELL bole hi dodge de dega...

waise magnetic field ka idea kaafi acha tha...


SLUNDER ki baat par ACCHUTA kuch kehta ki tabhi...


BHUMIKEYA AGNIYEM...

SOUL HEAT....

BRAWNY ne bola ye SPELL jiske uccharit hote hi soil ka ek bawandar bana uske aage jiske baad us soil ke bawandar ka jo bhi bhaag saamne hota,usme garmi badhne lagi aur phir...

us garm bhaag se ret ka bana ek lamba bhaala jaisa hathiyar joki agni saa garam tha,HIDA ki taraf tezi se badha aur jab aisa hua toh...


SHEETALAM VARJATE

WATER WITH COOL BREEZE


HIDA ke uccharit SPELL se uske aage pehle ek paani ka chaadar bana jo hawa me chaadar jaisa lehra gaya aur kab aisa hua toh usse ek behad hi thandi par strong power waali hawa nikli jo paas aate
garm reth ke hathiyar par padi aur aisa hote hi...

CSSSHHHHHHH....

ek ajeeb si awaaz kar woh hathiyar us thandi hawa ki leher me jaise goom ho gaya aur aisa hone ke turant baad HIDA ne apna haath aage kiya jisse woh paani ka chaadar jo uske aage hawa me bana hua tha,woh behad tezi se aage gaya aur BRAWNY ke banaye reth ke bawandar se takra gaya aur jab aisa hua toh woh reth ka bawandar bhi gayab ho gaya...

SPELL ke is takrav ke khatm hote hi HIDA aur BRAWNY ke face par wahi smile aa gayi jo kuch der pehle SLUNDER aur ACCHUTA ke face par thi...

woh chaaron hi ek dusrebke paas aaye aur apne apne SPELLS aur dusre METAPHYSICAL activities ke baare me baat karne lage...

wahin in sabse alag un chaaron se kaafi door baitha thabmai apni aankhen band kar khudko nikharne me....

waise in chaaron ki hi tarah, DHANUR ke class me meri bhi training aur practice dono chaalu the,mai bhi apne shaktiyon ko,apne emotions ko refine aur stable karne me lagatar laga hua tha....

jo GODS RAY mere andar thi aur mujhe dhundni thi,usse lagatar dhundte aa raha tha mai par isme mai kitna kaamiyab hua tha,is baat ko filhal mere naam ki hi tarah rakhte hai..."RAAZ".....







PLACE-PHASE 2, MALL






HEY GUYZZZ, TUM LOG YAHAN....!!!!


mujhe, ACCHUTA aur SLUNDER ko dekh kahi ye baat MABEL ne...

shaam ka waqt hai,hum teeno training ke dauran use me aane waali kuch strecheble outfits dekhne yahan mall aaye the ki tabhi first floor par hi humse MABEL aur uske saath ALFREEN,aur VALDIS bhi takra gaye the... khair, MABEL ki bat sun...


MAI-khubsurti ka thikana dhundh raha tha,phir khayal tumhara aaya,aur kadam is taraf ho liye....


meri baat sun jahan ek taraf ALFREEN ke chehre par smile aa gayi,dusri taraf VALDIS ki sulag gayi wahin apni taarif sun khush ho gayi MABEL aur...


MABEL-ohho..kya baat hai...???aaj toh aap ka mood shayarana lag raha hai...

MAI-waise ye line ACCHUTA ki thi,bas maine sahi waqt dekh keh di....

MABEL-wow ACCHUTA,tum bhi shayri karte ho..


MABEL ke sawal par ACCHUTA se kuch kehte hi nahi bana..woh toh mere yun achanak usse involve karne se hi hadbada gaya tha..


MABEL ki baat sun woh bas halka sa muskura diya...

wahin MABEL ki baat sun...


ALFREEN-waise kya shopping ki ab tak...??


ye bol mere haath se khudhi mere shopping bags chhinte hue ALFREEN check karne lagi thi..


ALFREEN-arre what a coincidence...hum teeno bhi apne liye kuch strecheble layers hi lene aaye the...

tum teeno ki shopping ho gayi hai toh chalen,food court,kuch pet puja ki jaaye...


MAI-kuch shopping bachi hai abhi,phir chalte hain...

MABEL-arre duffer,humari bhi toh bachi hai..


ye bol uske kaan me kuch kaha MABEL ne jisse sun ALFREEN ne bhi haan me apna sir hilaya...

awaaz toh unko nahi sunayi di par itna toh hum sabhi samajh gaye the ki zaroor innerwears ki baat ho rahi thi..

khair, MABEL ke batane ke baad....


ALFREEN-guyzz...hume bhi 10,15 minutes lagenge,phir sidhe food court me milte hain...


VALDIS tum bhi inke saath hi raho aur kuch shopping bachi hai toh kar lo...


ye bol ALFREEN aur MABEL ek disha ki taraf badh gaye aur VALDIS bade dhyan se MABEL ko piche ki taraf se jaate hue dekhne laga jispar abhi ek pratikriya hone ki waali thi ki tabhi...


MAI-kya baat hai VALDIS...nazaren theher hi gayi hai teri toh...waise maanana padega...jodi sahi hai teri aur MABEL ki....


mere sentence ke pehle bhaag ko sun ghoora tha VALDIS se mujhe par aakhri bhaag ko sun ek proud smile aa gayi uske face par...

lekin isse pehle ki woh kuch kehta...


MAI-bilkul sage bhai behen lagte ho tum dono...upar waala tum dono ka ye pavitra bandhan aur pyar banaye rakhe...


HAHAHAHAHAHA....


jahan meri baat sun SLUNDER aur ACCHUTA zoron se hasne lage wahin ghusse se aag babula ho gaya VALDIS aur woh tezi se meri taraf badhne ko hua par uske aage badhte hi mai bhi ek jhatke me aage badha..

aur aisa karte waqt apne AURA ko halka sa release kar diya maine jiske bas chhune bhar se dard ke maare kaamp gaya VALDIS...

mai bilkul shaant mudra me thik uske saamne khada tha aur ek pal ke liye VALDIS ki ankhon ne dar dikha tha mujhe jisse dekh muskura utha mai..

wahin ab tak hase hi jaa rahe the ACCHUTA aur SLUNDER jinhe dekh pehle toh khudko shaant kiya VALDIS ne,phir ek kadam side hote hue piche hata aur....


VALDIS-bohot hasi aa rahi hai naa tum dono ko...sirf iske dum par bache hue ho dono par koi baat nahi...

EXERTION me toh catagory khud hi alag alag rakh li hai tum teeno ne...

RAAZ teri toh WHIZZ MABBA bajayengi aur tum dono ki mai faadunga...

ACCHUTA-abbe bol kya raha hai tu....???MABBA ke paas ladko ka hathiyar hai kya jo iski bajayengi aur tu saale gay...hamari faadne ki baat kar raha hai..

chutiye jab ladko me hi interest hai toh MABEL aur ALFREEN ke saath kyun ghumta rehta hai...!!!


ACCHUTA ki baat sun SLUNDER ki hasi aur badh gayi jisse dekh ek baar aur hum teeno ko hi ghusse me ghoor VALDIS nikal gaya..


VALDIS ke jaate hi mai ACCHUTA ki taraf mooda jo SLUNDER ke saath mil abhi bhi has raha tha..


MAI-maza aaya....

ACCHUTA-bohot bhai...

MAI-MABEL ke back ko jab VALDIS checkout kar raha tha,toh ghussa kyun hua tha...???usse maarne ke liye badh raha tha tu...!!!


meri baat sun SLUNDER toh ab bhi smile karta raha par ACCHUTA ki hasi ek second me hi gayab ho gayi aur...


ACCHUTA-nahi bhai..aaiisaa tthoh kuuchh bhii nnahiii hhhai..


halke haklate hue ye sentence kaha ACCHUTA ne jispar...


MAI-izhaare mohobbat me ajeeb hi haal hai,aakhen razamand hai,par labh khaamosh....


meri is shayri ko sun buri tarah hadbada gaya tha ACCHUTA jisse dekh pehle toh mai muskuraya aur phir...


MAI-relax..chalo,bachi shopping karte hain...


ye bol mai aage badhne hi waala tha ki tabhi...


RAAZ...ONE SEC....


ye awaaz mere piche se aayi thi jisse sun halka sa muskuraya mai aur piche palta jahan is waqt MAHI khadi mujhe hi dekh rahi thi...

piche palat maine kuch kaha nahi, bas aankhon me sawal liye usse dekhne laga jispar...


MAHI-i want to talk...can we...!!!

MAI-store jaao tum dono..aata hun mai...


meri baat sun bina kuch kahe ACCHUTA aur SLUNDER ek taraf badh gaye aur mai chal pada MAHI ki taraf....


MAHI-actually kuch puchna tha mujhe tumse....???

MAI-sawal ek hai yaa zyada....!!!


uske sawal ke upar mere bhi sawal puchne par ek pal usne mujhe dekha par mai shaanti se usse hi dekh raha tha...


MAHI-ek se zyada hua toh kya jawab nahi doge....???

MAI-agar jawab pata raha,toh sawal ek ho ya 100,jawab deta jaaunga, par mere syllabus se bahar ke questions ki zimmedari meri nahi....


MAHI-
izhaare mohobbat me ajeeb hi haal hai,aakhen razamand hai,par labh khaamosh....

itni deep shayri tumahare mooh se...ho kaun tum....????asliyat kya hai tumhari....????

aur sach kya hai..???kyunki dikhe chahe kitne hi roop,par sirf ek roop hi wakayi me sach hota hai...

BRAWNY aur uske parents ke saath jo tumne kiya,yaa toh woh tumhara sach hai yaa phir abhi ek sache dost ki tarah apne dost ke man ko padhna,woh sach...

SAVENT OF THE DAY competitive jeetne ke liye RADHA KRISHNA ke jis kahani ke bhaag aur tark ka istemal kiya tha tumne,usse kaun sa sach juda hai tumhara....????

MAI-AAG jhulsaati bhi hai aur ussi aag ke taap se thand me rahat bhi milta hai...

toh ye batao ki aag ka sach kya hai..???woh acha hai bura...???

baat sirf nazariye ki... aankhon ko utna hi dikhta hai jitna saamne hota hai...

deewar ke dusri taraf dekhne ka hunar har kisike paas nahi hota..

khair,mera sach WHITE ho BLACK,tum yaa koi aur mujhe kaise judge karte ho,isse mujhe fark nahi padta...

par filhal tum mere saamne mere character analysis ke liye toh nahi aayi ho...

ghaav jab khudke pair par ho toh dusre ke sharir me zakhm nahi dhundte MAHI...

isiliye,fizul ki baatein chhod kar mudde par aao aur batao,aisi kya taklif hai tumhe jiska tumhe lagta hai,ki ilaaj mere paas mil sakta hai....


meri kahi har baat se man hi man ittefaq rakh rahi thi MAHI aur ab jo baat maine kahi,usse sun woh halki hairan bhi hui aur...


MAHI-tumhe aisa kyun laga ki mujhe koi taklif hai aur ussi se related baat karna hai mujhe tumse...???

MAI-jaanti ho zyadatar competitions kyun jeete hain maine..???

kyunki calculations aur andaze bohot kam galat hote hain mere...

tumhare sapat chehre par bechain aankhen tumhari taklif bhi dikha rahi hai aur us taklif ko naa samajh paane par tumhe ho rahi jhunjlahat bhi...

aur waise bhi,kuch der pehle maine kaha tha naa ki deewar ke dusri taraf dekhne ka hunar har kisike paas nahi hota..

mujhe ye hunar GOD GIFT ke taur hi mil gaya hai..now,stop wasting your and my time MAHI,and speak up.....


meri baatein sun ek pal mujhe dekha MAHI ne aur...


MAHI-kaafi time se mujhe apne sir me bhaaripan mehsoos hone laga..

ek ajeeb sa pain jo institution ki activity ke waqt aur kabhi kabhi personal time me hadh se zyada badh jaata...

mera behavior bhi halka negetively provoking hone laga..

aisa lagne laga jaise mai khudse hi ladh rahi hun...

aur us din class me one on one combat ke waqt jab tum mere SPELLS ko kaat rahe the aur tumhara SPELL mujhe hit kar raha tha,toh mujhe ye thought aaya ki i should kill you...

aisa thought mujhe pehle kabhi kisike liye nahi aaya par woh thought jaise koi order tha jo mera brain mujhe hi de raha tha par uske baad jab mere SPELL ko firse block kar tumne apne SPELL se mujhe hit kiya toh us hit se mere pure sharir me ek jhatka sa laga..

us hit se mai behosh toh zaroor ho gayi thi par saath hi us hit se mile dard me bhi ek sukoon feel kiya tha maine...

ek aisa sukoon jo kaafi time se jaise gayab ho chuka tha mujhse...

aur hosh me aane ke baad se woh bhaaripan jisse regularly feel karti aa rahi thi mai,uska asar bhi kaafi kam ho gaya...

pain aur andar se ek pinch toh mujhe ab bhi feel hota hai par bohot kam...

sawal mera ye hai ki us task me aakhri me jo hum dono ne hi SPELL bola tha,woh ek hi tha...

par mere SPELL se shakti ka jo AURA nikla tha,tumhare SPELL se nikla shakti AURA usse behad alag aur powerful tha...

aisa kyun..???kya tumne apne SPELL me kuch additional power ko mix kiya tha...????

MAI- AUXILIARY POWER...


muskurate hue kahe maine ye shabd jisse sun halki si hairan hui MAHI par phir...


MAHI-tumne bhi ye book padhi hai...???aur kya issika use kiya tha tumne us din...

mujhe laga hi tha....mai najaane kitne dino se us book me batayi techniques try kar rahi hun par abhi tak successful nahi hui.....


(NOTE:-AUXILIARY BOOK ME HAR SPELL KE BEECH DUSRE KISI SPELL KE ASAR KO MIX KAR USE ME LAANE KE TECHNIQUES BATAYE GAYE HAIN..)


MAI-naam bataya toh matlab padha lena hota hai kya..????mai us book ke baare me bas jaanta hun,padha nahi hai maine usse...

waise bhi,kuch bhi sikhne se pehle us seekh ke shroth ki jaankari lene ki aadat hai mujhe....

aur jis book ki baat tum kar rahi ho,woh PHASE 3 me WICKEDS ko padhaya jaata hai aur woh bhi sirf un SAVENTS ko jinki negetive vibes baakiyon se zyada hoti hai..

waise SAVENTS hi is book me batayi techniques ko naturally use me laane ke liye saksham hote hain...

aur ab baat karte hain tumharo problem ki toh agar tum ye book yaa aisi hi aur books padh rahi ho toh ye tumhari bewakufi bhi hai aur tumhare liye dangerous bhi..

kyunki isse padhkar tumpar negetive impact padh rahe hain aur woh isiliye kyunki shayad tumhare andar positive energy hai jo WICKEDS ke opposite hai..

tumhare energy ka source aur us book ki vibe match nahi kar rahi aur agar tum usse aur padhti rahi toh khudko toh nuksaan pahunchaogi hi,par saath hi shayad us aur us jaise books ke impact se dusro ko bhi nuksaan pahuncha do,infact shayad anjane ke kisiko maar hi do....

aur agar mera ganit sahi hai joki hota hi hai toh mere SPELL se nikla positive AURA jab tumse takraya toh anjaane me hi sahi,tumne jo negetive energy khudme sammilit kar li hai,woh so gayi yaa phir kamzor ho gayi aur isiliye ab tumhari condition thik hai...

maine jo bataya tha,usse bohot bada shock laga tha MAHI ko...usse andaza bhi nahi tha ki woh anjaane me khudke saath kitna khatarnaak khel khel baithi hai..

halka sa dar uske face par dikhne laga tha par phir kuch yaad aate hi..


MAHI-par wo book aur waise hi kayi books mujhe VIDEOUS ne suggest kiye the...iska matlab usne bhi un books ko padha hoga toh shayad uspar bhi waisa hi negetive effect aaya hoga...???

MAI-mujhe nahi lagta... kyunki tumhare negetive symptoms dikhte aa rahe hain par uske nahi..

aur aisa sirf isiliye hi ho sakta hai kyunki us book ke negetive energy ne uske AMPLIFICATION modes se khudko merge kar liya hai...

jiska matlab hai ki VIDEOUS ek future WICKED hai par filhal usse ye khud pata nahi hai...

aur haan,usse un books aur apni problems ke baare me batana bhi mat kyunki bhale hi un books ki energy ne usse accept kar liya hai,par woh isse anjaan hai aur agar sacchayi jaankar usne ab un books ko padhna band kiya toh woh energy usse naraz ho jaaayengi aur usse nuksaan pahuncha baithengi...


meri baat sun samajhne waale andaz me MAHI ne sir hilaya aur...


MAHI-socha nahi tha ki anjaane me hi sahi,par tum meri madad karoge....

MAI-haadse aur surprise,dono hi sochkar nahi milte....

MAHI-aur ye haadsa hai yaa surprise...!!!

MAI-tumhare liye surprise aur tumhare andar moujud negetive energy ke liye haadsa....

meri baat sun muskura uthi MAHI aur....


MAHI-ye bhi nahi socha nahi tha ki kabhi tumse ye kahungi,thank you....

pehle anjaane me aur ab itna info dekar bohot badi help ki hai tumne meri...

MAI-aage bhi mat sochna,shayad phir se help kar dun tumhari....

MAHI-KYA HUM DOST BAN SAKTE HAIN...???

MAI-kaayde se dekhe toh abhi toh hum mile hain,sirf jaana hai tumne mujhe,pehchaana nahi,jo pehchaan bhi gayi toh dosti bhi kar lenge,tab tak,hum anjaan hi acche....


jahan ye bol mai muskurata hua palat kar aage badh gaya wahin meri baat sun MAHI ko bura nahi laga balki woh bhi muskura uthi aur uske mooh se bas ek hi shabd nikla...


MAHI-ATTITUDE.....


ye bol woh bhi palat apne raaste nikal gayi.....

khair, jaise hi mai palta toh..


DHANUR-maan gaye RAAZ....kitni asaani se shabdon ka jaal bun tumne usse aadha hi sahi par sach bhi bata diya,bina kasoorwaar thehraye ye bhi bata diya ki iske piche VIDEOUS hai aur saath saath ye bhi confirm kara liya ki MAHI VIDEOUS ko kuch bhi naa bataye taaki jaisa chal raha hai,waisa chalta rahe...

kaafi dino se MAHI tumse us din ke baare me baat karna chahti thi, aur kahin naa kahin tumhe bhi paheli suljhane ke liye usse baat kar puri sacchayi janana zaroori tha...

par dhairya rakha tumne.. tumhe maalum tha ki MAHI khud tumse baat karegi aur khud apni condition tumse saanjha bhi karegi...

aaj bhi usne tumhe yahan dekh liya tha aur tumhe maalum tha ki woh aaj tumse baat karegi hi aur wakayi me aisa ho bhi gaya...

tum wakayi dono LORDS ki urja ka pratik ho...aaj maine tumme dono LORDS ki chaturayi dekh li...

aur pata nahi kyun mujhe aisa lag raha hai is ek hi mulakat me jaise jo paheli numa raasta maine tumhe bataya tha,uska jawab numa manzil dhundh chuke ho tum...


MAI-haan...abhi MAHI ne jo bataya,usse ek picture chali mere dimag me aur us picture se ek aur picture dikhi mujhe aur aisa hote hi MANZIL ka pata lag gaya....

DHANUR-kya wakayi....???phir jaldi se theek kardo MAHI ko par usse pehle kya mai jaan sakta hun ki manzil dikhi kaise tumhe....???

MAI-MAHI ko yunhi theek nahi kar sakta mai....VIDEOUS ki aankhen filhal shaant hai aur ye sirf isiliye hai kyunki game uske hisaab se chal rahi hai...

agar abhi kuch kiya toh woh aankhen badi hone lagengi jiska matlab hai kuch naya aur bada hona jo filhal mai afford nahi kar sakta...

ab jo hoga woh EXERTION ki aad me hoga aur aise hoga ki murder bhi suicide lage...

aur waise bhi,aapke batayi paheli ka ek bhaag bhi aisa hi kuch hai,right...????

DHANUR-kya baat hai...par abhi bhi tumne bataya nahi ki manzil kaise dikhi tumhe....???


MAI-

taakat se zyada ladhne ke liye JIGAR HONA CHAHIYE....

baat sidhe dil par lage,har lavz me aisa ASAR HONA CHAHIYE.....

jo saamne hai,woh toh dikhta hi hai,

par jo chhupa hai, woh bhi dikh jaaye,aisa NAZAR HONA CHAHIYE....













AAJ KE LIYE ITNA HI.....















AAPKA APNA V...J....
Excellent update
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,267
38,658
258
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF ACCHUTA, SLUNDER, HIDA AUR BRAWNY KAAFI STRONG HO CHUKE HAIN WAHIN DUSRI TARAF MALL ME MAHI RAAZ KO USKI HELP KARNE KE LIYE THANKS KEHTI HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-99



PLANET-BLACK SPACE


PLACE-THE LAKE OF OBLIVION







SAMASTAM BHADIKARAHAM

COMPLETE SURRENDER






kaale labade me dhaka ek aks apne chaaron AMPLIFICATION modes me dhyan kendrit kar is SPELL ko lagatar uccharit kar raha tha..

aur ye uccharan uske mooh se pichle 1 mahine se lagatar nikal raa tha...

bina khaaye piye pure devotion ke saath paalthi maar baithe us aks ke aas paas ka pura mahoul andhakar se dhaka hua tha....

THE LACKE OF OBLIVION....

antariksh ke ek aise bhaag me bana ek badi si ujaad jagah jahan surya ki halki si kiran tak nahi pahunch sakti..

infact surya hi kya,is andheri jagah ke upar bane space me koi taara tak nahi jagmaga raha tha...

kaali shaktiyon se bhare patharon ki anginat shrinkhala se bani thi ye ujaad jaga..

is puri jagah ke theek beech ek behad bada sa lake tha aur jiska naam OBLIVION tha aur issi lake par naam pada tha is puri jagah ka...

un asankhya kaale patharon se bani is duniya ke theek beech me kaajal se bhi kaale paani se bhari thi ye lake jiske upar hamesha ek kohra numa SHIELD lagi rehti thi aur us kohre ka colour bhi kaala hi tha...

ussi lake ke kirane tha wo aks jiske mooh se mantra uccharan ho rahe the...

sir us aks ka neeche jhuka hua tha jiske upar wo kaala labada jaise uske chehre ki asliyat par parda daale hue tha....

ek mahine se lagatar enchant ho rahe SPELL ki wajah se us aks ke pure sharir se ek invisible energy ray nikal saamne lake ki taraf jaa rahi thi jisse uske sarhad par hi roke hue the woh kohre...

aur is wajah se ek ajeeb sa jakdan bhi feel ho raha tha us aksh ko apne sharir me par phir bhi pure man se bina ho rahi taklif ko beech me laa uske mooh se SPELL uccharit ho hi raha tha...

aur uske is focus ko woh jheel aur uske aage laga kohra dekh bhi raha tha aur shayad test bhi kar raha tha..

pichle ek mahine se bina result milne par bhi lagatar mantra uccharan kar rahe us aks se behad khush ho chuki thi woh jheel aur usme samayi behisaab kaali shaktiyan....

aur isiliye....

achanak se hi us kohre numa shield ne us aks ke invisible energy rays ke liye raasta de diya aur aisa hote hi woh energy rays aage badhi aur agle hi pal uska sangam ho gaya us kaali jheel ke paani se aur jab aisa hua toh....

ek saath do chizen hui..

pehli...

halke halke vibrations hone lagi us jheel ne maano woh us energy rays ke through us aks ki taakat ko jaanch raha ho....

dusri...

jaise hi energy rays ne un kohre numa shield ko penetrate kiya,toh us aks ke mooh se nikal raha mantra uccharan rook gaya..

reason....

uska maksad pura ho chuka tha...uske dedication se khush ho chuki thi OBLIVION aur isiliye aaj ek mahine baad SPELL uccharan band kar wo aks apne CEREBRATION process se bahar aaya aur uski aankhen khul gayi..

aankh khol usne apne sir par laga labada hataya aur jab aisa hua toh us andhakar se doobi duniye me pehla halka prakash dikha joki us aks ke chehre ke gorepan ka tha..

chehra saamne aa chuka tha aur ye chehre jaana pehchaanana tha...ye aks thi MABBA....

ji haan doston MABBA....jo yahan pichle 1 mahine se apne shakti ko ek alag level par pahunchane ke liye lagatar tapasya kar rahi thi...

aur isiliye hi ye pichle ek mahine se CHOSENS me nahi thi..

aur aisa ye kar rahi thi SEBIL ke kehne par jo pehle hi yahan aa chuki thi aur khudko yahan ki kaali shaktiyon ko samarpit kar shakti haasil kar chuki thi..

darasal pehle un paanch WICKEDS ki buri haalat jo ki toh waise RAAZ ne thi par credit le gayi thi nakabposh urf HIDA,aur phir MABBA ka paala paltu snake jo ki kaali shaktiyon ke ek chota par behadh shaktishaali symbol tha,aur jisse khud SEBIL ne hi apni chhoti behen ko gift kiya tha,jab uske patan ke baare me SEBIL ko pata chala toh MABBA ke ulat usne josh nahi balki hosh se kaam sambhala...

jahan MABBA bas RAAZ aur uske doston se badla lene ka soch rahi thi wahin SEBIL chahti thi ki takraav hone se pehle MABBA ki shakti badhayi jaaye...

shatru ko kam nahi aankna chahiye,ye samajhti thi SEBIL aur isiliye hi usne MABBA ko yahan bheja tha taaki EXERTION we pehle MABBA ki shakti aur badh jaaye...

aur MABBA kabhi bhi apni big sister ki baat nahi kaaththi thi aur isiliye woh yahan pahunchi..

bhale MABBA jaisi bhi thi,par is sach ko jhultaya nahi jaa sakta ki PHASE 2 ki sabse shaktishaali WHIZZ thi woh aur jiska matlab tha ki lagan aur focus ki kami nahi thi MABBA me aur ek mahine tak lagatar yahan ke retual aur proccess ko follow kar is baat ko saabit bhi kar diya tha usne..

khair, jaise hi MABBA ne apna labada hataya aur uska face saamne aaya toh uski haalat uske tapasya ko bayan karne lagi..

bhare hue chehre ki maalkin MABBA ka filhal face dull aur pura sukh gaya tha...

aankhen andar dhas chuki thi jinme zamane bhar ki thakan bhi dikh rahi thi...

kaale labade me dhaka sharir bhi kaafi patla lag raha tha..

paused CEREBRATION me rehne ki wajah se MABBA ko apne external haalat ka andaza nahi tha par ab jab uski aankhen khul chuki thi toh woh khudko behad kamzor feel karne lagi thi..

par itne negetives ke baad bhi uski kamzor aankhon ke beech ek chamak thi..

challenge pura karne ko chamak..

aur ussi chamak ke saath woh saamne jheel ke us bhaag ki taraf dekh rahi thi jahan halke halke vibrations ho rahe the aur tabhi...

BOOM......

un vibrations ke beech ek dhamaka hua us jagah par jiske baad ussi jagah se ek behadh gaadhi paani se bani BLACK RAY nikal MABBA ki taraf badhi aur agle hi pal...

AAAHHHHH.......

MABBA ki tez cheekh se gunj utha woh shaant mohoul....

woh ray MABEL ke seeene waali jagah se takra sidhe uske sharir ke andar jaane laga tha..

wahin us ray ke force se MABBA piche palat neeche girne ko hui par woh giri nahi...

talwar ki tarah MABBA ke seene ko bhedthe hue woh paani se bani ray uske aar paar nikal piche patthar par gadh chuke the aur MABBA cheekhne ke baad aadhe baithe,aadhe lete position me marne si haalat me padi hui thi...

ye tha external view..par iske saath hi ek internal view jo bhi maine cheez thi,woh bhi ho rahi thi...

darasal woh paani numa ray MABBA ke sharir ke andar ghus pehle uske khoon ko aur phir baaki teeno AMPLIFICATION modes ko apne surrender me le rahi thi aur usko aisa karne se chaaron hi AMPLIFICATION modes rok nahi rahe the..

reason...

spell toh yaad hi hoga.. COMPLETE SURRENDER....

MABBA ke chaaron AMPLIFICATION modes ne pehle hi un paani numa shakti ke aage surrender kar diya tha...

kuch hi pal me MABBA ke chaaron AMPLIFICATION modes par kabza ho chuka tha BLACK ENERGY ka jiska matlab tha ki ab MABBA human hote hue bhi ban chuki thi ek DEVIL....

process pura hote hi woh BLACK ENERGY ke rays gayab ho gaye aur aisa hote hi MABBA ki aankhen bhi khul gayi..

aankh khulne ke agle hi pal ek jhatke me khadi ho chuki thi MABBA woh bhi apne purane yaa phir ye kahun ki pehle se bhi zyada aakarshak swaroop me..

aankhon ki putliyan puri kaali ho chuki thi jiske andar chhuppi beshumar shaktiyon ko ek baar khudh hi mehsoos kar ek pal ke liye apni aankhen band ki usne aur jab wapas kholi thi woh normal ho chuki thi..

sirf dikh sab normal raha tha par is waqt uske sharir ka har bhaag abnormal aur taakat se bhar chuka tha..

ek baar apni shaktiyon ko phirse mehsoos kar MABBA ke aankhon ke aage RAAZ ka chehra ghuma jisse uski aankhon me darindagi dikhne lagi aur phir is naye MABBA ke hile honth..


MABBA-

jo chot tune di, woh bharne ki jagah gehra ZAKHM HO GAYI....

zindagi apni jee li tune, MOUT ki di hui tujhe mohollat ab KHATM HO GAYI.....






PLANET-ELYSIAN


PLACE-FORBIDDEN FOREST







MADIPARITO SHAKTIYEM

AMASS POWERS



raat ke aakhri pahar FORBIDDEN FOREST ke antim daayre me jahan yahan ke sabse bade aur ghane pedon ka jhund laga hua hai,uske beecho beecho baith tha ek shaksh aur lagatar uccharit karta jaa raha ta is SPELL ko...

us shaksh ke chaaron taraf kaali chaadaron ka ghera tha joki asal me ek aisa diwar tha jisse koi bhi laangh nahi sakta tha...

aankhen band kiye ekaagrata ke peak par pahunch woh shaksh jab bhi SPELL uccharit karta toh kahin door se wo kaali par chamakdaar urja aakar uske sharir me sama jaati...

pichle 3 ghanton se yunhi baitha SPELL uccharan kar raha tha VIDEOUS...

jee haan doston,ye VIDEOUS hi tha aur jo kaali shaktiyon ki abhedya diwar uske chaaron taraf bani hui thi,woh uske teeno DEVOTEES ne banayi thi jisse SOVEREIGN'S tak dekh toh sakte the,par tod nahi sakte the...

aur baat karen VIDEOUS dwara uccharit hone waale SPELL ki aur uske uccharit hote hi us kaali chamakdaar urja ki jo VIDEOUS ke sharir me lagatar samaye jaa rahi thi toh darasal chosens
ke pure itihaas me jitne bhi layak SAVENTS rahe the yaa fir to bhi precise,jitne bhi laayak WICKEDS rahe the, VIDEOUS ne un sabhi SAVENTS ki shaktiyon ki urja ko copy kar ek jagah par sanjo kar rakha tha..

kisi aise waqt ke liye jab agar usse uske rachaye khel me apni aloukik shaktiyon ko chhupana pade,tab bhi shaktiyon ki kami naa rahe uske paas....

par abhi tak toh iski zaroorat padi nahi thi VIDEOUS ko par subah shuru hone EXERTION me padne waali thi...

aur khaaskar tab jab VIDEOUS ne ye gour kiya tha ki RAAZ kaafi tezi se growth kar raha hai..

aur woh growth ek talented SAVENT ke liye bhi aascharya janak hai par jo bhi ho,ab tak toh bhale hi uska aur RAAZ ka shakti pradarshan ke liye aamna saamna hua nahi tha par kal aisa hone waala tha...

aur apne ek maatra pratidwandi se bhala kaise peeche reh sakta tha VIDEOUS aur isiliye sadiyon se sanjoye in shaktiyon ko apne chaaron AMPLIFICATION modes me transfer kar raha tha VIDEOUS....

teen ghanton ke lagatar enchantment ke baad aahirkar saare chuppaye WICKED SAVENTS urja VIDEOUS ke chaaron AMPLIFICATION modes ke saath merge ho chuki thi aur jab aisa hua toh VIDEOUS ki aankhen khul gayi...

jabse apni aloukik shaktiyon ka temporary tyag kiya tha VIDEOUS ne,uske baad aaj pehli baar woh khudme taakat ka sanchar mehsoos kar raha tha..

haan,ye toh sach hai ki uske aloukik shaktiyon ke aage in shakityon ki koi haisiyat nahi thi par ek sach ye bhi hai ki ek SAVENT ke hisaab se ye shaktiyan GOD LEVEL ki thi jinhe 1000 se bhi zyada kaabil aur shaktishaali SAVENT milkar bhi hara nahi sakte the...

aur clearly bataun toh is waqt VIDEOUS ke andar ek normal level ke ke ANGEL jitni powers aa chuki thi....

khair,aankhen kholne ke baad ek chamak dikhne lagi thi VIDEOUS ki aankhen me..

RAAZ se apne nirnayak takraav se pehle ek practice match ke jaise is SAVENT waale avatar me takrane ki chamak...

ek baad phirse aankhen band kar in nayi shaktiyon ko dobara mehsoos kar usne aankhen kholi aur...


VIDEOUS-


shikar karne se pehle chalo apne shikar ke saath zara KHEL LE.....

mout jab dunga,tab dunga par pehle, tu us mout ke dard ko JHEL LE....







PLACE-THE PROHIBITED SPACE






ANTARMANAM DRISHYAM

INSIGHT VIEW



SPELL uccharan ke saath hi mai apne hi andar pahunch chuka tha...

behad tez prakash ke beech meri urja mere sharir ke har bhaag me ghum rahi thi....

ye tez prakash asal me woh emotions stable power thi jisse pichle ek mahine ke lagatar mehnat aur focus se maine haasil kiya tha......

is prakashit safar me tezi se meri urja har taraf dekhti hui aage badh rahi thi ki tabhi achanak...

ek jagah pahunch woh ruk gayi aur aisa hote hi mujhe khushi bhi toh hui par usse zyada hairani hui..

reason....

mere heart ke paas ek aisi jagah thi jahan ab tak bilkul bhi roshni nahi hui thi jiska matlab tha ki woh bhaag abhi stable nahi hua tha..

ussi jagah par woh divya roshni chamak rahi thi jisse dhund raha tha mai...

aur isiliye hi mujhe khushi hui thi...

par hairani ki baat ye thi ki baaki ke woh sabhi bhaag jo pehle unstable the,unme chippi asimit urja hamesha se hi mehsoos ki thi maine par aaj jab is bhaag par mai pahuncha toh paaya aur mehsoos kiya ki is khaali bhaag me urja bhi gayab thi...

bilkil khaali sthan tha ye jagah...khair, jaise hi us khaali sthan par chamak rahe GODLY urja ki kiran ko dekha maine toh ek pal ke liye woh urja aur tez chamki aur phir gayab ho gayi...

par gayab hone se pehle woh mere paanchon AMPLIFICATION modes joki abhi ek dusre se jude hue tha,unhe taakat ki khuraak de chuki thi aur isiliye us ray ke gayab hote hi meri aankh bhi khul gayi...

aur aisa hote hi mere chehre par smile aa gayi....

reason...

mere filhal chaaron humraaz HIDA, BRAWNY, ACCHUTA aur SLUNDER ek jagah par khade the jiska matlab tha ki EXERTION se pehle ki unki antim practice complete ho chuki thi...

ek saath khade woh chaaron unke saamne rakhe chiz ko joki SPELLER tha,usse ghur rahe the aur apne apne sir ko khuja us alag se dikhne waale SPELLAR ko samajhne ko koshish bhi kar rahe the...

alag kyun,aayiye khud hi jaan lijiye...


MAI-jo jawab saamne se hi mil jaana hai,usse jaanane ke liye sir kyun khapana..???


un chaaron ke paas pahunch maine apni baat kahi jispar...


ACCHUTA-bhai, karamat hi tune aisi ki hai ki dimag khapana laazmi si baat hai...


HIDA-tumne apne, ACCHUTA aur SLUNDER,teeno ke hi SPELLER ko mila kar ek SPELLAR banaya hai naa,kyun....????

MAI-tum chaaron ke powers kaafi nourish ho chuke hain..

agar aise me ek hi SPELLER ko tum chaaron ko powers examine karne ke liye rakha jaaye toh power measure karne waala liquid RED se bhar aayega joki POWERFUL shaktiyon ka smarak hai par waisi power toh yahan ke WICKEDS aur MORALS ke paas bhi hoti hai..

par ab jab maine teen SPELLARS ko ek kiya hai toh aise me YELLOW aur ORANGE liquid joki weak aur average power dikhate hain,woh bahar aayenge hi nahi..

is three in one SPELLAR ke tubes me sirf red liquid hi dikhega aur upar uththe hue tum chaaron ki shaktiyon ko check karega aur naapega..

ACCHUTA-yaar,ye toh badhiya idea hai...par kya iska ye matlab hai ki agar is modified SPELLAR ki jagah normal SPELLAR hota toh usme hamari shaktiyon se GREY liquid joki invisible strength ka prateek hai,usse bhar jaata..


ACCHUTA ki baat par mai halke se muskura diya aur..


MAI-INVINSIBLE STRENTH sirf powerful METAPHYSICAL capabilities se nahi mil sakti ACCHUTA...

uske liye paanchon AMPLIFICATION modes ka ek hokar pure AMPLIFICATION form me aana zaroori hai..

aisa hote hi WHITE aur BLACK ENERGY ka mishran banta hai sharir me jisse shakti 1000 guna tak badh jaati hai...

aur aisa gift SAVENTS ko nahi mila hai ab tak...

isiliye filhal us strength ko bhul jaao aur jitni taakat haasil ki hai,usse aazmao...

waise HIDA, BRAWNY ko SPELLAR aur uske kaam karne ke tarike ke baare me bata diya hai naa tumne...

HIDA-haan,bata diya hai...

MAI- SHATIYEM PARVUJAKTE....

yahi SPELL hai jisse apni apni shakti naapi jaati hai..ek ek karke saamne aao aur SPELLAR ki taraf haath kar SPELL bolo...

apni baat karte hue hi mai thoda aage badh gaya aur kareeb 10 metre un chaaron door pahunch maine SPELLAR ko hawa me hi latka diya aur uske baaju me hi khada ho gaya..

wahin meri baat sun SLUNDER ne sabse pehle apne haath aage kiye aur.....


SHAKTIYEM PARVUJAKTE.....

SPELL uccharit hote hi uske haathon se uske chaaron AMPLIFICATION ki power uske haath me merge hokar prakat hui jiske agle hi pal...

ek gaadhi WHITE ray uske haathon se nikal sidhe SPELLAR par padi jiske baad SPELLAR ke nichle tath par RED LIQUID dikhne laga jo dheere dheere upar uth raha tha...

pure SPELLAR par percentage ke hisaab se marking bhi thi jisse dheere dheere wo red liquid cross karta hua upar uthne laga tha..

wahin SLUNDER ke jabde aapas me fase hue the jiska arth tha ki usne apni shakti ka pura zor lagaya hua hai..

woh liquid upar uththa hua ab tak 75 percent tak pahunch chuka tha par uske baad uske growth rook gayi aur isiliye maine apna haath upar kiya jiske baad SLUNDER ne apna haath niche kar liya...


MAI-not bad SLUNDER...growth rate kaafi achi hai tumhari....

agar ye normal SPELLAR hota toh sirf 5 second me hi red liquid pura bhar chuka hota aur aisa filhal koi WICKED ya MORAL bhi nahi kar sakta....

meri baat sun khush ho gaya tha SLUNDER...

khair, SLUNDER ke baad ACCHUTA,uske baad HIDA aur last me BRAWNY ne bhi apni apni shakti ke limit ko examine kiya jiska result utna hi raha jitna ki SLUNDER ka tha..

is extra power consuming SPELLAR ko bhi in sabne 75 percent tak bhar diya tha aur aisa karna kahin se bhi sadharan baat nahi thi...

ye chaaron wakayi kaafi shaktishaali ho chuke the aur us taakat ka namuna kal EXERTION me pura CHOSENS dekhne waala tha...

khair,woh chaaron ne hi apne apne power test kar liye the aur isiliye SPELLAR ko wapas rakhne ke liye maine uski taraf haath badhaya hi tha ki tabhi...


ACCHUTA-bhai yaar ek request hai.. tune toh hum sabki power dekhi bhi hai aur parkhi bhi hai..

hum chaaron bhi ek baar teri GROWTH dekhna chahte hain...


ACCHUTA ne jo kaha,wahi request baaki teeno ke bhi aankh me dikha mujhe aur isiliye mai bhi muskurate hue unke paas aaya,wapas muda aur apne haath SPELLAR ki taraf kar diye jisse dekh woh chaaron khush ho gaye...


SHATIYEM PARVUJAKTE...


mere mooh se SPELL uccharit hua jiske baad jab meri shakti ka ray mere haathon se nikal SPELLAR par pada toh woh chaaron hi turant SPELLAR ke paas pahunch gaye..

un chaaron ki hi tarah meri shakti se bhi us SPELLAR ke andar red liquid bharne laga jo upar uththe hue lagbhag 80 percent par rook gaya aur aisa hote hi maine apna haath niche kar liya..


SLUNDER-waah yaar..tera normal power bhi humse zyada hi hai..

ACCHUTA-haan par sirf 5 percent.. RAAZ,dekhna,hum chaaron bhi bohot jald tere power level tak pahunch hi jaayenge...

MAI-mujhe intezar rahega us pal ka...chalo ab niklo tum sab. time ho gaya hai...

ACCHUTA-tu nahi aayega saath..

MAI-filhal yahan aur training ki zaroorat nahi hai tum chaaron ko..

isiliye is jagah ko bhi ab yahan hone ki zaroorat nahi hai..mai isse shrink karke aaunga...


ab aur yahan training nahi hogi,ye sun woh chaaron ek pal ke liye udaas hue,par phir khudko normal kar bahar exit ki taraf badh gaye..

par phir BRAWNY achanak palta aur mere sane aakar khada hua aur..


BRAWNY-thanks RAAZ...tarika bhale kuch bhi raha ho,help tumne meri bohot ki hai...tumhari wajah se hi looser ka tag hat paaya hai mujhse...

MAI-hata nahi hai abhi woh tag..kal sabke saamne including tumhare mom dad,tum hataoge us tag ko...

jo zindagi tum khudke aur apne parents ke liye chahte the,kal ke baad woh mil jaayega tumhe...

bas apna focus mat khona...


meri baat sun jasbaati hi gaya tha BRAWNY par isse pehle ki woh kuch aur kahe...


MAI-jao BRAWNY aur apni bhaavnaaon ko niyantran me rakhna bhi sikho...

hunar aur nikhar jaayega...

meri taraf ek baar aur thanks waali nazar se dekh BRAWNY palat SPACE se bahar nikal gaya..

aur uske jaate hi..


DHANUR-apne doston ko toh apni shakti ki limit dikha di,ek baar mujhe bhi dikha do par asli limit...

woh jhuti limit nahi jisse dekha aur sach samjha hai un chaaron ne..


DHANUR ki baat par ek baar muskuraya mai aur....


MAI- SHAKTIYEM PARVUJAKTE...


ek bar phirse SPELL uccharit hua mere mooh se jiske sirf 5 second baad hi SPELLAR pura 100 percent tak red liquid se bhar gaya tha aur uske baad shuru hua SPELLAR me kampan jisse dekh aur mehsoos kar..


DHANUR-adbhudh....


DHANUR ke aisa kehte hi maine apne haath ko niche kar liya jiske baad..


DHANUR-tum lagbhag taiyar ho RAAZ...mera kaam khatm hua par mai EXERTION dekhna chahta hun isiliye kal competition ke baad mai tumse aur karm lok se hamesha ke liye vida lunga...


MAI-zaroor....waise EXERTION ka wait toh mujhe bhi hai...

KHEL rach khudko sarvashreshta toh ghoshit kar diya hai VIDEOUS ne par ab....




dekhna usse bhi hai jo kaam mere KIRDAAR KA HAI.....

ye khel ab takkar ka hoga,pata mera bhi ab TAAKAT ke BAZAAR KA HAI....


jeetne ka maza bhi aana hi hai,khaas kar tab......


jab intezar logon ko,meri HAAR KA HAI.....















AAJ KE LIYE ITNA HI...........
















AAPKA APNA V.....J
Mast update bro
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,267
38,658
258
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MABBA DEVILISH SHAKTIYON KE SAATH AUR TAAKATWAR HO CHUKI HAI,DUSRI TARAF VIDEOUS NE BHI SADIYON SE SANJOYE SHAKTIYON KI MADAD SE KHUDKO BOHOT TAAKATWAR BANA LIYA HAI WAHIN TEESRI TARAF ACCHUTA, SLUNDER,HIDA AUR RAAZ NE BHI KHUDKI SHAKTIYON KO NIKHAR LIYA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



MEGA UPDATE-100



PLANET-ELYSIAN


PLACE-CHOSENS


EXERTION-PART 1







GOOD MORNING SAVENTS.....SO FINALLY WOH DIN AA HI GAYA JISKE LIYE PICHLE EK MAHINE SE AAP SABHI KADI MEHNET KARTE AA RAHE HAIN...

EXERTION.....


behadh josh aur khushi ke saath SHAILA ne kahi thi ye baat....

Subah ka waqt hai aur filhal PHASE 2 ke sabhi SAVENTS ussi stadium me moujud hain jahan SWEEPSTAKE competition aayojit hota hai...

EXERTION bhi yahin conduct ho raha tha..

jahan SWEEPSTAKE competition ko sabhi SAVENTS ne stands me baith ya khade hokar dekha tha,wahin aaj woh sabhi WICKEDS aur MORALS ki tarah ground ke beech me khade the aur ye feeling bhi sabke liye kamal ki thi..

teeno SOVES aur kuch faculty ground ke theek beech me khade the..is faculty me MABBA bhi thi jo aaj ek mahihe ke baad louti thi..

uski chamakdaar aakhen RAAZ ko hi ghur rahi thi....

saare SAVENTS apne apne catagory ke hisaab se ek gola banaye hue khade the..

par stands aaj bhi khaali nahi tha balki wahan PHASE 2 ke sabhi SAVENTS ke parents baithe hue the...

khair, SHAILA ki baat ko aage badhte hue....


AKSHAANT-CHOSENS ke pure itahas ka sabse khaas aur hopefully yaadgar hone waala hai ye EXERTION....

kyunki bohot si aisi cheezen hain jo pehli baar hone waali hai is competition me....

pehli baar is competition me STELLARS lead nahi karenge balki PHASE 2 ke teeno hi catagories ko isme barabar ka mouka milega...

saath hi aisa pehli baar hone waala hai jab STELLARS ke kuch SAVENTS apne catagory se participate naa kar baaki ke do catagories se participate karne waale hain...

and lastly,ek aur change hua hai is competition me jo pehle kabhi nahi hua...

aur woh ye ki jo teen STELLARS dusri catagories se participate karne waale hain,unki jagah ko bharne ke liye aur balance rakhne ke liye PHASE 3 ke 2 SAVENTS STELLARS ki taraf se participate karenge....


aur ye tha aaj ka pehla jhatka sabke liye... ghante ka balance...

WICKEDS,joki waise hi kaafi powerful hote hain,woh STELLARS ki taraf se participate karne waale the,is baat se equality ka parameter toh khatm ho hi gaya tha..

PHASE 2 ke SAVENTS abhi bhi magic ki duniya me amatuer hi the aur WICKEDS experienced,toh aise me STELLARS ka palda competition shuru hone se pehle hi bhaari ho chuka tha..

AKSHAANT ke is revelation se saare SAVENTS ke beech gossip shuru ho gayi thi par tabhi...


MOKALSAR-silence.....saare parents ka bhi hum dhanyawaad karte hain jo apne bachon ka housla badhane ke liye yahan moujud hain..

aap sabki moujudgi se hum khush hain par saath hi we hope ki aapke bachon ne aapko bata diya hoga ki EXERTION is no ordinary or safe competition..

its a deadly COMBAT competition with very few rules...

is competition me hone waale metaphysical activities aur uccharit kiye jaane waale SPELL dangerous hote hain jisme participants ke gambhir tarah se chotil hone ke pure chances hote hain..


MOKALSAR ki baat sun sabhi parents joki pehle se hi kaafi nervous the,woh aur ghabra chuke the...

un sabko apne apne bachhon ki behad chinta ho rahi thi par saath hi woh ye bhi jaante the ki kuch ho toh sakta hai nahi..

ye CHOSENS hai aur yahan ka har challenge khatarnaak toh hona hi hai..

wahin in sabke beech sabse zyada dare hue dikh rahe the BRAWNY ke PARENTS joki is waqt baaki parents ke stands se door ussi stand me khade hokar saari baatein sun rahe the jahan SWEEPSTAKE ke waqt BRAWNY, ACCHUTA, SLUNDER aur RAAZ ko rakha gaya tha..

WEEKLINGS parents side effect...

khair, MOKALSAR ki baaton ko sun apne bache ke liye kaafi dare hue the woh dono par baaki parents ki hi tarah woh dono bhi majboor hi the...


SHAILA-RAAZ, ACCHUTA, SLUNDER....aap teeno dusre catagories se participate karne waale hain..

so you can go and stand with your respected catagories..


SHAILA ki baat sun MARIA aur FLORIN kaafi hairan ho gaye..is baare me unhe kuch hi pata nahi tha aur woh isiliye kyunki ALFREEN ne unhe is baare me kuch bataya nahi tha yaa fir ye kahun ki maine hi usse batane se mana kiya tha taaki woh dono stress naa len...

khair, SHAILA ki baat sun mai, ACCHUTA aur SLUNDER GROOMERS aur WEAKLINGS ki taraf badhe hi the ki tabhi...


ALFREEN-ek minute RAAZ....


mujhe rok ALFREEN thoda aage badhi aur...


ALFREEN- SOVEREIGN'S....with all due respect,mai bhi is competition me STELLARS ki taraf se nahi balki WEAKLINGS ki taraf se participate karna chahti hun...


ALFREEN ki baat sun sabhi ko jhatka laga tha...

usne is faisle ke baare me MABEL tak ko nahi bataya tha par ab jab usne sabke saamne ye sab bol diya tha toh koi kuch kar bhi nahi sakta tha...

SOVEREIGN'S ke peeche khadi MABBA ke chehre par bhi ALFREEN ki baat sun ek pal ke liye ghussa aaya jisse usne dhak diya...

khair, ALFREEN ki baat sun..


SHAILA-are you sure...???

ALFREEN-yes SOVES...

SHAILA-ok then..you can participate as a WEAKLING...

ALFREEN-thanks SOVES....


muskurate hue thanks keh ALFREEN palti aur mere saamne aakar khadi ho gayi...

mai kuch kahun usse pehle hi..


ALFREEN-RAAZ..agar mujhe back off karne ke liye kehne waale toh please mat kaho..

tumne mujhe mom,pops ko tumhare faisle ke baare me batane ke liye mana kiya tha and i did that..

ab tum bhi mere faisle ki respect karo...i am with you in this...


MAI-chalo...


itna hi kaha maine jispar khush hote hue ALFREEN mere saath WEAKLINGS ki taraf chal padi..

jahan ek taraf ALFREEN ke paas aate hi MABEL usse jhaadne waali thi,par uski mujhse kahi baaton ko sun chup reh gayi woh wahin stands par baithe FLORIN aur MARIA ne jab pehle ALFREEN ko SOVES se kuch kehte dekha aur phir mere saath dusri catagory ki taraf badhte dekha toh woh dono samajh gaye ki unki beti RAAZ ke saath dusri catagory se participate karne waali hai..

ye jaan woh dono nervous toh hue hi par saath hi ALFREEN ka RAAZ ke saath milkar competition me participate karna dekh khush bhi the..

par hairan sirf MARIA aur FLORIN hi nahi the,balki dusre stand par khade NAOMI aur SHALTON ne bhi jab ye dekha ki mai unke bete ke catagory ki taraf se participate karne waala hun, toh unki hairani ka thikana hi naa raha....

khair,hum chaaron ke catagory switch karte hi....


SHAILA- ANWIR,MORANA...join your team, STELLARS...


SHAILA ke aisa bolte hi upar akash me ek magic door khula aur usse niche koode ANWIR aur MORANA....

aisi entry se sabhi SAVENTS surprised bhi the aur kaafi SAVENTS impressed bhi...

zamin par aa woh dono aage badhe aur STELLARS ke saamne khade ho gaye..

wahin un dono ko dekh MAHI aur MABEL,dono ka hi dimag kharab ho gaya tha par VALDIS bohot khush tha...

khair,basic anouncement ho chuki thi aur ab baari thi main anouncement joki competition par tha,uske baare me bolne ki aur isiliye..


SHAILA-itna toh aap sabko pata hi hai ki EXERTION kul teen CHALLENGES me divided hai..

aur ye teen CHALLENGES hain...

1-EVALUATOR

2-SURVIVAL

3-KNOCK OUT


toh ye hain woh teeno hi challenges ke naam jinka aaj aap sabko saamna karna hai..

ab ye challenges asal me hain kya,ye toh challenge ke waqt hi pata chalega par filhal itna jaan lijiye ki first challenge,EVALUATOR in teeno hi challenges me ek maarta aisa challenge hai jisme aap sabko kisi bhi tarah ka khatra nahi hai...

ye challenge aapki physical aur AMPLIFICATION shakti ko jaanchne ka competition hai jisme aap sabko exel karna hai...

par kyunki ye ek group challenge hai isiliye sirf individual performances kaam nahi aayenge...

har catagory ke SAVENTS ka ek collective score count kiya jaayega...

har competition 100 points ka hoga jisme collective performance ke hisaab se score diya jaayega...

i hope,jitni baatein batayi gayi hai,utna samajh gaye honge aap sab...

aage ki baatein challenges ke waqt batayi jaayegi...

pehla challenge EVALUATOR thik 15 minute baad start hoga...warm up your bodies SAVENTS and give your best and show everybody,that you are the best....


last line SHAILA ne mujhe dekh kar kahi thi...

khair, SHAILA ki baat khatm hote hi sabhi catagory apni baaton ke lag gaye the..

wahin ALFREEN ko bhi WEAKLINGS me khada dekh..


HIDA-humare catagory se participate karne ke liye thanks ALFREEN....


HIDA ki baat par ALFREEN muskurayi aur phir woh kuch kehne hi waali thi ki tabhi...


TUMHE HARANA ACHA NAHI LAGEGA MUJHE...


mere piche se ye awaaz aayi jisse sun jahan ek taraf mai muskurate hue mooda wahin ALFREEN ka muskurata hua chehra ghusse se bhar gaya..

reason...

ye awaaz MORANA ki jo thi jo gehri nigahon se mujhe dekh rahi thi...

khair, mai kuch kahun usse pehle hi..


ALFREEN-fuck off MORANA....


ALFREEN ki baat sun ek pal ke liye ghussa dikha MORANA ke face par lekin uske baad wapas smile dete hue...


MORANA- bohot taklif hone waali hai tujhe ALFREEN aaj..taiyar rehna...

MAI-dard toh har kisko hota hai MORANA...agar isse ho sakta hai toh tumhe bhi ho sakta hai...

MORANA-wooooh......kya baat hai,tum protection kar rahe ho iski....???dil toh nahi aa gaya ispe...???

aisa kuch hai toh rok lo khudko..??

i have seen and felt ur capabilities RAAZ...i know you but dont know me..

tumhe bhi pata hai ki aaj is competition me kitna khatra hai tumpar par agar kisi tarah tum survive kar gaye toh you are mine..

just mine....

MAI-naam mera RAAZ ek kaaran se hai MORANA...the more you dig me,the more deeper i get...

fir bhi,tum mujhe jaanti ho,is galatfehmi ko aaj door kar dunga mai and i more thing...

tumne mujhe ek offer diya hai,ab ek meri suno...

mera survival chhodo,jin logon ki wajah se tumhe lagta hai ki mai khatre me hun,agar aaj woh log survive kar gaye toh i am all yours...


meri baat sun aur us baat ko bol mere chehre ke thehraav ko dekh halki hairan hui MORANA par phir woh ek baar phirse gehri nazar se mujhe checkout kar nikal gayi aur uske jaate hi...


ALFREEN-ye kis khatre ki baat kar rahi thi aur iski bakwas sunane ko jagah tumne iska mooh kyun nahi toda...???

MAI-EXERTION ye hai..normal sports nahi,khatra toh hoga hi aur kis baat ke liye mooh todu uska..

for lusting me..!!!i like it...

HIDA/ALFREEN-what...???

MAI-you heard me...ab ye sab chhodo aur focus karo..


ALFREEN,baaki dono catagories me zyada SAVENTS hain.. first challenge me toh ye drawback hai unke liye par final two challenge me ye humara drawback hoga..

isiliye pehle challenge par pura zor lagana hai tum sabko...

ALFREEN-tum sabko matlab??tu zor nahi lagayega...

MAI-focus ALFREEN... first challenge zaroor pysical energy ke upar hai...apne AMPLIFICATION modes ki taakat ko apne body me jodna karna shuru karo tum sab...

ye 15 minute SOVES ne isiliye hi diye hain...


yahan jaise hum first challenge ke liye ganit laga rahe the,waisa hi kuch baaki ke dono catagories me bhi ho raha tha aur aisa karte hue SOVES ke diye 15 pure ho gaye jiska matlab tha...



EXERTION STARTS NOW.......

FIRST CHALLENGE......….………

EVALUATOR:-





EVALUATOR..... AAP SABKE PYSICAL FORCE KO NAAPNE KA CHALLENGE HAI...


ye baat boli thi REGIS ne joki aaj EXERTION ke ek tarah se sutradhaar bhi the aur referee bhi...

teeno hi catagories me SAVENTS ke saath koi ek WHIZZ yaa WHIZZDER participate karne waala tha..

STELLARS ki taraf se MABBA thi, GROOMERS ki taraf se EDWINA aur WEAKLINGS ki taraf se HIDA..

matlab teeno hi catagories me women power ko aage rakha gaya tha..

khair, apni baat ko aage badhate hue...


REGIS-jaisa ki aap sab dekh rahe hain ki STELLARS aur GROOMERS ke saamne WEAKLINGS me kam participants hain..

isiliye fair game khelne ke liye individual performances ko ek ratio me daal pure catagory ke performance ke according divide karte hue points diye jaayenge...

pehle dono challenges me kul 100 points honge aur final challenge me honge 300 points....

kul 500 points me jo catagory sabse zyada score karegi,winner wahi hogi....


challenge kaise justify hoga,is tarike ko sun SAVENTS ke saath stands par baithe sabhi parents nervous bhi ho rahe the aur excited bhi...

wahin apni baat bol REGIS ne apna haath aage ki taraf kar man hi man ek SPELL uccharit kiya jiske baad unse kuch door line se ek ke baad ek 10 pedh prakat hue jisse dekh hairan hote hue sabhi SAVENTS ke mooh se ek saath nikla...


QUEBRACHO......


QUEBRACHO forbidden forest me paaye jaana waala hardest tree hai jisse uske trunk se kaatna kaafi mushkil hota hai...


(NOTE-FORBIDDEN FOREST WAALI BAAT BAS FAKE HAI GUYZZ.. QUEBRACHO WAKAYI ME HAMARE WORLD KE HARDEST TREES ME SE EK HAI.. GOOGLE KAR LIYO)


SAVENTS ke mooh se tree ka naam sun ek smile aa gayi REGIS ke face par aur phir....


REGIS- right... QUEBRACHO...the hardest tree of FORBIDDEN FOREST...

aur saath hi aaj aap logon ke first challenge ka hurdle bhi...


ye bol REGIS ne apna haath aage ki taraf lehraya aur unke aisa karte hi unke saamne ek table aa gaya jiske upar left me ek bada sa SPEAR aur
right me ek BOW ARROW rakha hua tha....

in chizon ko prakat kar....


REGIS-pehle challenge me aap sabka task ye hai ki in do hathiyaron me se ek chun aapko saamne dikh rahe QUEBRACHO tree ke trunk par apne pysical aur AMPLIFICATION powers ke saath throw karna hai....

jaisa ki aap sab dekh rahe hain ki aapke saamne kul line se10 trees hain... aapko apne power se apne chune hathiyar ke through in trees ke trunks ko pierce karna hai..

jitne tree aapka hathiyar pierce karega,aapko aur aapki team ko utne points mil jaayenge...

GOT IT..!!!!!

SAB-yes WHIZZDER...


sabne yes toh bol diya tha,par challenge ke baare me jaan sabhi halke nervous the..

haan ye sach tha ki ab saare SAVENTS me bohot zyada physical aur AMPLIFICATION powers aa chuki thi par ek sach ye bhi tha ki saamne dikh rahe QUEBRACHO tree ke trunks ko bhedhe me woh sab kitne saksham the,isme doubt tha sabko...

khair, challenge toh ab yahi tha isiliye sabhi khudko is challenge ke liye mentally prepare karne lage aur issi beech..


REGIS-STELLARS...shuruat aapke hi group se hogi...start kijiye...


ye bol REGIS ek taraf hat gaye jiske baad sabse pehle aage badha ANWIR...

aage badhte hue usne ek baar apne right ki taraf nazar ki jahan mai khada tha..

mujhe ek angry look de woh us table ke piche khada ho gaya jahan woh bada sa bhaala aur teer dhanush rakhe hue the...

ek baar dono hi hathiyaron ko dekh ANWIR ne BOW ARROW ko chunte hue usse utha liya...

agle hi second woh bow par arrow dwara pratyancha chadh chuka tha..

pratyancha chaddha saamne apne lakshya ke pehle bhaag matlab first tree ko dekh uspe nishana saadha ANWIR ne aur pratyancha ko apne kaano tak kheench liya .

apne pure sharirik aur AMPLIFICATION power ko apne haathon me laaya ANWIR ne aur agle hi pal...

SOOBHHHH.......

behad tezi se ARROW chhod diya usne jiske baad tezi se aage badhta wo ARROW pehle tree ke trunk ke theek beech waale area ko bhedata hua paar ho gaya...

kul 2 second bhi shayad hi lage honge jab us arrow ne 9 trees ko bhed diya tha aur aakhri ped ke trunk ke jaa dhasi woh teer par usse paar nahi kar paayi...

ANWIR ke performance ko dekh behad shocked ho gaye the sabhi..

itne hard ped ke 9 trunks ko ek vaar me hi bhedh dena bohot badi baat thi jisse dekh MABBA tak khush ho gayi thi aur isiliye jab apni baari khatm kar ANWIR wapas STELLARS ke paas aaya toh...


MABBA-not bad ANWIR.. PHASE 2 me tum 5 trees ko hi bhedh paaye the par is baar 9 paar kar diye tumne...

improvement achi hai tumhari....

ANWIR-thanks WHIZZ...aap hi toh kehti hain naa ki champ dikhne me aur wakayi champ hone me bohot fark hota hai...

wahi samjhaya hai kuch logon ko..


ek baar MAHI, MABEL aur phir dusri disha me meri taraf dekhte hue kahi ye baat ANWIR ne jisse sun MABBA ke chehre par smile aa gayi...

khair,pehla performance ho chuka tha aur start sidhe blockbuster se hui thi jisse stakes bohot badh chuke the is challenge ki....

ANWIR ke baad aage badha VALDIS...

usne bhi ANWIR ki hi tarah BOW ARROW hi chuna..

aur jaise hi pratyancha chadha usne teer chhoda toh...

woh teer pehle pedh ko asaani se bhedhte hue dusre pedh ki taraf gaya aur issi tarah us teer ne kul 3 trees ko bhedh diya tha aur finally fourth tree par jaakar teer dhas gaya...


ANWIR ki performance ki wajah se apne performance ko dekh halka sharminda dikhne laga VALDIS par tabhi...


REGIS- well done VALDIS... pehle attempt me bas 20 percent SAVENTS hi aise hote hain jo is challenge me 3 trees ko bhedh paate hain...


REGIS ki baat sun behadh khush ho gaya VALDIS.. MABEL ke saath uske PHASEMATES ne bhi usse uske performance ke liye congrats kiya...

khair, VALDIS ke baad MABEL aage badhi aur ANWIR, VALDIS ki hi tarah usne bhi apne challenge ke liye BOW ARROW shashtra ka hi chunaav kiya..

pratyancha chadha jab usne teer chhoda toh VALDIS ki hi tarah uske chhode teer ne bhi 3 QUABRACHO tree ko bhedh diya..

jispar VALDIS ki performance ki tarah uske performance ki bhi khub taarif hui...

MABEL ke baad baari aayi MAHI ki...

sadhe kadmo se aage badhti hui MAHI ne bhi BOW ARROW shashtra ka hi chunaav kiya..

ek lambi saans chhod apne haathon me pyscical aur AMPLIFICATION power ko laate hue usne bhi pratyancha kheenchte hue teer chhod diya jispar....

SOOBH.....

behadh tezi se aage badhta teer ek ke ek baad 5 tress ko araam se bedhata hua 6th ped ki taraf gaya aur phir us teer ki gati aur taakat me slowness aa gayi par uska safar pedh me ghusne ke baad khatm nahi hua balki 6th ped ko cheer kar paar hone ke turant baad woh teer neeche hari ghaans me gir gaya...


REGIS-unbelieavable MAHI... PHASE 2 ke itihas me tum dusri aisi SAVENT ho jisne apne first attempt me 6 QUEBRACHO trees ko bheda hai.... brilliant...


jahan REGIS ke anouncement sun SAVENTS MAHI ke liye hooting karne lage wahin ANWIR ki man hi man sulag gayi thi...

wahin dusri SAVENT sun...


MAHI-first kaun hai WHIZZDER...???

REGIS-MORANA...


REGIS ki baat sun MAHI ne MORANA ki taraf dekha jiske chehre par first hone ka ghamand saaf dikh raha tha par usse MAHI ko bura laga nahi..

task khatm kar woh apni jagah par jaakar khadi hi gayi...

khair,MAHI ke baad baaki sabhi PHASE 2 STELLARS ek ke baad ek kar aage aaye aur sabhi ne QUEBRACHO trees ke samuh ko bhedne ko koshish ki par VALDIS aur MABEL ke baad koi bhi STELLAR 3 trees ko nahi bhedh paaya...

aur dekhne ki baat ye thi ki kisi ne bhi apne task ke liye SPEAR ka chunaav nahi kiya tha aur kaaran bhi jayaaz hi tha..

kyunki BOW ARROW ko use karna easy bhi tha aur zyada asardaar bhi...

jahan ARROW ko BOW me laga kheenchne ki wajah se ARROW khud extra energy create karta hai jisse SAVENT ka pyscical aur AMPLIFICATION power badh jaata hai wahin SPEAR ko use karne se ye extra edge nahi milta..

STELLARS me baaki sabka performance ho chuka tha siway VIDEOUS ke aur isiliye ab aage woh badha aur table ke piche pahunch usne uthaya SPEAR....

usse aisa karte dekh sabhi hairan reh gaye...kaiyon ko ye bhi laga ki alag karne ke chakkar me sabse kharab performance issika hone waala hai...

wahin SPEAR ko pakad ek baar saamne pedon ki shrinkhala ko dekh VIDEOUS ne SPEAR ko upar uthaya,uspar apni pakad mazboot ki aur....

SOOBH....


teer se doguna tez nikla SPEAR uske haathon se jiske agle hi pal ek ke baad ek pedon ko beech se kaathta hua woh SPEAR 10th ped tak aise pahuncha maano woh kisise takraya hi naa ho..

aur dekhte hi dekhte 10th tree ko bhi araam se kaaththe hue woh SPEAR aage badha kuch 20 metre ka safar aur tay kar neeche zamin par gir gaya...

apne performance par smile karte hue VIDEOUS wapas palta toh saamne ka drishya dekh uski smile aur badh gayi..

sabhi mooh khole usse kisi ajube ki tarah dekh rahe the...

sabko ussi expressions ke saath chhod woh aage badha aur wapas apni jagah par khada ho gaya aur tab....

MABBA ne clapping se sabki tandra tooti aur sabhi ne MABBA ka anusaran karte hue VIDEOUS ke performance par clapping shuru kar di...


MABBA-first SAVENT ho tum VIDEOUS jisne aisa performance diya hai...aur aisa kar tumne saabit bhi kar diya ki you are a true champion..

dusron ki tarah limelight me khudko rakhne waale fake champion nahi...


WEAKLINGS ki taraf mujhe dekhte hue kahi ye baat MABBA ne...

khair, VIDEOUS ke baad MORANA aage badhi aur BOW ARROW ko chun pratyancha chadha jab usne teer chhoda toh pure 10 trees ko bhedne ke baad hi us teer ne dum toda jisse dekh ek baar phirse pura stadium taaliyon se gunj utha...

STELLARS ki taraf se participate karne waale sabhi SAVENTS ka performance ho chuka tha aur ab baari thi MABBA ki jo pure ATTITUDE ke saath aage badhi,BOW ARROW ko utha pratyancha chadhaya usne aur..

SOOBH.....

hawa ka cheerte hue aage badhte us teer se kuch zyada hi awaaz nikli thi aur itne tez speed se aage badhne ki wajah se us teer me kampan bhi hone lagi thi aur aise hi kaampte hue us teer ne .20 nano second me hi saare pedon ko kaat diya aur uske baad bhi woh teer rooki nahi balki ground ko paar kar pedon ki sidh me bane khaali stand ki taraf badh gayi aur stand ke aakhir ke bane STEEL ki parat chadhe diwal se takra neeche gir gayi.....

aise performance se ek baar phirse pin drop silence ho chuka tha pure stadium me...

REGIS joki referee the,aur SAPIUS joki SOVES stand me teeno SOVEREIGN'S ke baaju me baithe the,woh bhi MABBA ki taakat ko dekh stunned the...

wahin apna performance de,ek baar phirse mujhe ghoor MABBA apni jagah par jaakar khadi ho gayi...

khair, STELLARS ki baari hi chuki thi aur isiliye...


REGIS-welldone STELLARS...kaabile taarif performance diya hai aapki catagory ne...

success ratio ke hisaab se apne pure catagory ke performance ko calculate karne ke baad aapko is first challenge me 100 points me se 90 points milte hain...

and thats really huge... congratulations...

aur ab baari hai GROOMERS ki,so GROOMERS,all the best...

start your performance...


REGIS ke aisa bolte hi ACCHUTA joki ek transfered SAVENT tha is catagory me,EDWINA ne usse pehle bheja taaki uske performance ko dekh GROOMERS thode motivate ho jaayen..

woh khud bhi hope kar rahi thi ki ACCHUTA zyada nahi toh kamsekam VALDIS aur MABEL ke jitna acha bhi agar perform karde toh ye ek acha moral boost hoga uske catagory ke liye..

khair,aage badhta hua ACCHUTA table ke piche khada hua aur usne BOW ko thaam liya....

aur uske aisa karte hi uske andar moujud uska GOD GIFT joki divya ARROW tha,woh bhi jagmaga utha..

ek pal liye uske man me aaya ki saamne pade arrow ki jagah apne andar moujud us divya arrow se lakshya saadha jaaye par usse malum tha ki agar woh aisa karega toh saamne dikh rahe pedh kya,pura stadium hi kat jaayega..

ACCHUTA ne khudko shaant kiya aur saamne waale ARROW ko utha liya par tabhi...


TAAKAT UTNI HI DIKHANA,JITNI ZAROORAT HAI....


ye meri awaaz thi jo ACCHUTA ke dimag me gunji thi jisse sun woh bas muskura diya...

khair,meri baat sun usne pratyancha chadhaya aur...

SOOBH.....

haal toh sabhi ka ek sa tha,par sabse zyada mooh GROOMERS me khadi EDWINA aur usse bhi thoda zyada STELLARS me khadi MABBA ka khul gaya tha...

ACCHUTA ke chhode bow ne pure 10 pedon ke trunks ko beech se chir diya tha aur aisa kar BOW ARROW ko unki jagah par rakh ACCHUTA palta aur..


TANANANANANANANANANANA...

ek dhun gungunate hue halka halka naachte hue woh apne group ki taraf chal pada jisse sabke hairani se bhare chehron par hasi aa gayi thi..

apne shock se recover karte hue EDWINA ne zor shor se taali bajani shuru ki jiska anusaran kiya baaki sabhi ne...

un taaliyon me bhi lagne waala shock araam se feel kiya jaa sakta tha...

ACCHUTA ne jo karke dikhaya tha,woh kisiko bhi yakin nahi ho raha tha par jo dekha tha,usse jhhutlaya bhi toh nahi jaa sakta tha..

waise hairan toh REGIS bhi bohot the aur isiliye hi woh ACCHUTA ke is chamatkarik performance ke baad usse badhayi dena tak bhul gaye the...

yahan sab hairan hi rahe the aur wahan ACCHUTA ko uske performance par gale lag badhayi deta SLUNDER aage badh gaya aur table ke piche jaakar khada ho gaya..

ACCHUTA ke performance se sabhi ki ummiden SLUNDER se bhi kaafi badh gayi thi...

wahin jab SLUNDER ne BOW ARROW uthaya toh uske dimag me bhi meri wahi baat gunji jo ACCHUTA ke dimag me gunji thi jisse sun woh bhi halka sa muskuraya aur phir pratyancha kheench ARROW release kar diya...

aur aisa hone ke agle hi pal.....

PERFECT TEN.......

ACCHUTA ki hi tarah jab SLUNDER ke chhode teer ne bhi dason pedon ko cheer diya toh ek baar phirse sabhike mooh khul gaye the wahin apna performance de SLUNDER bhi ACCHUTA ki tarah wapas moodte hi...


TANANANANANANANANA....


halka halka naachte hue aage badhne laga woh jisse dekh ACCHUTA bhi waise hi naachte hue uske paas aaya..

jahan baaki sabhi SLUNDER ke performance par clap kar rahe the wahin ye dono dost ek dusre ke gale lage aur uske baad woh dono hi mude STELLARS ki taraf yaa phir ye kahun MABBA ki taraf aur aisa kar MABBA ko dekhte hue dono ne NAAGIN dance shuru kar diya..

unhe aisa karte dekh baaki sab toh zoron se has diye par MABBA ki aankhen ghusse se laal ho gayi thi par filhal kar toh woh kuch sakti thi nahi..

khair,kuch der tak yunhi masti karne ke baad woh dono apni jagah par jaakar khade ho gaye jahan sabhi GROOMERS ne haath milaate hue aur EDWINA ne dono ki peeth thapthapate hue shaabashi di..


REGIS-brillaint ACCHUTA and SLUNDER.. pehli baar me perfect ten haasil karne waale aap dono 2nd aur 3rd SAVENT ban gaye ho...

REGIS ki taarif ke baad ek ek kar baaki sabhi GROOMERS aage badhe aur apna performance diya par unfortunately koi bhi SAVENT ne 2 se zyada tree ko bhed nahi paaya..

khair, SAVENTS ke baad baari aayi EDWINA ki jisne ACCHUTA aur SLUNDER ki hi tarah perfect ten haasil kiya aur aisa kar usne saabit kiya ki GROOMERS ki WHIZZ woh bas by choice hai...

EDWINA ki performance ko dekh ek baar phirse pura stadium taaliyon se gunj utha tha...

khair, GROOMERS ka bhi performance pura ho chuka tha aur isiliye...


REGIS-STELLARS me kul teen perfect 10 score hue the aur GROOMERS me bhi teen logon ne perfect 10 haasil kiya..

haan baaki performances ke hissab se GROOMERS STELLARS se piche the par top performances ke hisaab se dekhe toh STELLARS aur GROOMERS filhal barabar hi hain..

isiliye first challenge me GROOMERS ko 100 points me kul 85 points milte hain....

bhale hi piche the par margin zyada nahi tha isiliye GROOMERS apne points ko jaankar khush the....

khair, GROOMERS ke baad ab baari thi WEAKLINGS ki aur isiliye...


MABBA-RAAZ,ab pata chalegi tujhe teri aukaad....tu toh phir bhi thoda bohot thik thaak perform kar lega aur shayad woh ALFREEN bhi.

par baaki dono do pure loosers hain...trees ko penetrate ka toh door ki baat hai,pehle tree ke chhilke ko bhi agar ye dono ukhad paaye toh woh hi bohot hoga...

marna toh tujhe hai hi par usse pehle tere ghamandi sir ko jhukte hue dekhne ka maza hi kuch aur hoga...


MABBA ki is khwahish ka kya hasr hone hone waala hai,ye toh thodi der me pata chal hi jaana tha....

anyways, GROOMERS ko unke points bata....


REGIS-WEAKILINGS...your turn..all the best....

MAI-ALFREEN...you go first...

ALFREEN-kya mai...shit...arre yaar, nervous feel ho raha hai..

MAI-good,iska matlab hai ki tum taiyar ho..ab dhyan se suno meri baat...

bow uthathe waqt apne body aur AMPLIFICATION power ko release mat karna...

bow uthakar uspar ARROW lagakar pehle nishana le lena aur phir aakhri me jab pratyancha kheenchne ka waqt aayega,tab apne dono powers ko apne haath me transfer karna...

result behtar aayega...


meri baat sun ALFREEN ne sir haan me hilaya aur tabhi..


HIDA/BRAWNY-all the best ALFREEN....


HIDA aur BRAWNY ki baat sun unhe thanks bol ek lambi saans chhodi ALFREEN ne aur phir aage badh gayi..

table ke saamne pahunch usne BOW ARROW uthaya..

BOW ko saamne kar usme ARROW ko laga saamne dikh rahe first tree ki taraf nishana lagaya ALFREEN ne aur phir ek saath do kaam kiye..


mere bataye tarike ke hisaab se hi ab usne apne AMPLIFICATION aur pyscical power ko apne haathon me transfer karna shuru kiya aur aisa karte hue usne pratyancha piche ki taraf kheencha aur usse uski limit tak kheenchne ke baad...


SOOBHHHH....

ARROW release kar diya ALFREEN ne jo bohot tezi se aage badha aur dekhte hi dekhte us bow ne ek ke baad ek 4 trees ko bhedthe hue 5th tree me jaakar dhas gaya...

ALFREEN,MABEL aur VALDIS ka physical aur AMPLIFICATION power ek sa tha par ALFREEN ne un dono se behtar perform kar ke dikha diya tha..

apne performance se behadh khush ho gayi thi ALFREEN aur usse zyada khush thi MABEL...

wahin VALDIS ALFREEN ke usse behtar perform karne se halka chidh gaya tha..

khair,bow ko wapas rakh ALFREEN doudti hui hamare paas wapas aayi aur mere gale lag gayi...


ALFREEN-maine 4 trees nail kar diye...

MAI-waah..humne toh dekha hi nahi...

ALFREEN-shut up and thanks...mere aur MABEL ke AMPLIFICATION powers ek jaise hain par phir bhi meri performance behtar hui..

aur mujhe pata hai ki ye sirf tumhare bataye tenchnique ki wajah se hua hai...

MAI-party baad me de diyo..but filhal sirf tera performance pura hua hai,hum teeno ka baaki hai toh ispar focus karen...

BRAWNY,you are next...

ALFREEN-BRAWNY,bilkul relax rehna.. performance kaisa bhi ho, tention mat lena...


ALFREEN ki baat sun halka sa muskuraya BRAWNY aur...


BRAWNY-thanks for the support ALFREEN...


ye bol woh HIDA ki taraf palta aur uske respect me uske aage halka sa jhuk woh meri taraf palta..

mujhe dekh ek halka sa smile phir se de woh aage badh gaya...

jaise jaise BRAWNY apne performance point ki taraf badh raha tha, STELLARS ke kuch SAVENTS halka halka uspar has rahe the..

wahin WEAKLINGS stand par khade SHALTON aur NAOMI bhi apne bachhe ko performance point ki taraf badhte dekh nervous ho gaye...

unhe bas is baat ka dar tha ki agar unke bete ka performance acha nahi hua,jiske chances unki nazar me zyada hi the toh usse bura lagega..

aur woh apne bache ko sad bhala kaise dekh sakte the..par woh kuch kar bhi nahi sakte the bajawe pray karne ke...

in sab ke beech BRAWNY us table ke saamne pahunch chuka tha jahan se woh sabko ab tak ka sabse bada shock dene waala tha...

BOW ARROW ko haath me le ARROW ko pratyancha me laga ek baar saamne waale pedh ko dekha BRAWNY ne aur phir nishana saadh pratyancha ko apne kaan se thoda piche tak kheench...

SOOBH....

halki kampan ke saath aage badhta chala gaya ARROW aur agle second teer neeche hari ghaans par gir chuka tha...

par girne se pehle us ARROW ne pure 10 QUEBRACHO trees ke trunks ko beech se cheerte hue paar kar liya tha jiska matlab tha PERFECT TEN....


BRAWNY ke performance ko dekh khamoshi ki tez awaaz gunj uthi thi pure stadium me..

pin drop silence..is sentence ka practical roop dikh raha tha abhi har taraf...

aur is khamoshi me ek dard aur insult bhi tha jo feel kar rahe the woh STELLARS jo kuch der pehle BRAWNY ke upar has rahe the..

par sabse zyada jadvath haalat me khadi thi MABBA jo abhi bhi BRAWNY ne jo kiya,usse digest nahi kar paa rahi thi..

REGIS bhi jaise bhul hi gaye the ki woh referee ke saath saath sutradhaar bhi hain jinhe BRAWNY ke perfect ten shot ko anounce karna hai...

ALFREEN jo kuch der pehle BRAWNY ko hausla de rahi thi,woh bhi behad stunned thi par saath hi khush bhi...

ek baar saare statue numa SAVENTS aur WHIZZDERS ko dekh BRAWNY ki nazar WEAKLINGS stand ki taraf gayi jahan ka mahoul bhi kuch kuch same hi tha..

SHALTON aur NAOMI hairani se bhare apne bete ko dekh rahe the par is hairani ke saath unke face par khushi aur aankhon me ussi khushi se nikla aansu bhi tha..

aur tabhi...

pehli awaaz jo ki taaliyon ki thi,SOVES stands ki taraf se baji joki teeno SOVEREIGN'S apni jagah par khade hokar baja rahe the..

aur unke aisa karte hi jaise ek trance se bahar aaye sabhi aur dekhte hi dekhte pura stadium taaliyon ke shor se gunj utha..

ye kehna galat nahi hoga ki ye gunj ab tak ki sabse zyada tez shor thi..

kuch khushi se baja rahe the toh kuch man maarkar...

aur is beech ACCHUTA aur SLUNDER dono BRAWNY ke paas aaye aur usse congratulate karte hue usse apne kandhon par utha liya jisse dekh sabke chehre par smile aa gayi thi..

SHALTON ke chehre par bhi ab sirf Khushi ke bhaav the...is beech teeno SOVEREIGN'S ki nazar SHALTON aur NAOMI par gayi aur aisa hote hi unhone paas baithe SAPIUS se kuch kaha jisse sun woh bhi khush hote hue turant uthe aur agle hi pal woh WEAKLINGS stand ke saamne khade the..

achanak SAPIUS ko apne saamne dekh halke hadbada gaye woh dono jisse muskurakar dekhte hu SAPIUS ne apna haath saamne ki taraf karte hue lehraya aur unke aisa karte hi stand ke aage laga barricade gayab ho gaya..

aisa kar...


SAPIUS- aap is stand me isiliye the kyunki aapka beta WEAKLING tha.. par uska aaj ka performance STELLARS level se bhi upar tha...

aur isiliye jaise har champion ke saath yahan hota hai,har champion ke parents CHOSENS ki best sevayen,respect aur seats deserve karte hain...

is competition me jo hoga,woh hoga,par abse aapka beta ek STELLAR hai aur uske saath aapko bhi wahi facilities milengi jo ek STELLAR ke parents ko milti hain..

aayiye, STELLARS stand aapka wait kar raha hai...


SAPIUS ki baat sun ek baar phirse aankhen num ho chali thi SHALTON aur NAOMI ki..

jis izzat ke liye zindagi bhar tarse the woh,aaj,woh samaan unke bete ne unhe dila hi diya tha....

pehli baar garv se apna sir upar kar SAPIUS ke saath STELLARS stand ki taraf chal diye SHALTON aur NAOMI..

SAPIUS ne unhe MARIA aur FLORIN ke side ki khaali seat par baithaya...

MARIA aur FLORIN ne bhi bohot garm joshi se haath milate hue un dono ka swagat bhi kiya aur unke layak bete ki taarif bhi ki...

ye sab ACCHUTA aur SLUNDER ke kandhe par baitha BRAWNY bhi dekh raha tha aur uske face par bhi apne mom dad ko khush dekh chamak aa gayi thi..

kandho se neeche utar usne ACCHUTA aur SLUNDER ko gale lagaya aur phir apne catagory ki taraf chal pada jahan ALFREEN ke congratulate karne par thanks bol pehle HIDA ke aage ek baar aur jhuka BRAWNY aur phir agle hi pal woh upar uth mere gale lag gaya..

kaafi der se rooke aansu behne lage the uske aankhon se jisse mehsoos kar...


MAI-relax BRAWNY..kaha tha naa maine, apne emotions par control rakhna seekh..

BRAWNY-beh jaane de yaar...bohot waqt se rok rakha tha inhe...


ye bol kuch der tak tunhi gale lag rote rehne ke baad woh mujhse alag hua aur..


BRAWNY-thanks nahi bolunga yaar tujhe...kyunki isse ehsaan khatm ho jaayega...

aur tera ehsaan mai chuka hi nahi sakta...

MAI-bilkul chuka sakta hai..kaise,ye waqt aane par bataunga mai...

BRAWNY-jaan haazir hai BHAI..jab bhi dil kare,maang liyo bas..


BRAWNY ki baat sun ek baar muskuraya mai aur phir apne performance ke liye aage badhne ko hua par tabhi...


HIDA-RAAZ...pehle mai jaati hun...

MAI-tum WHIZZ ho yahan..aur WHIZZ aakhri me jaate hain...


meri baat sun mere kaan ke paas apne chehre ko laa...


HIDA-WHIZZ guru ko kehte hain aur yahan guru mai nahi tum ho..

MAI-apna cover mat hatana..jitni zaroorat hai,taakat utna hi dikhana...bhadas nikalne ka mouka final challenge me milega...

HIDA-jaanti hun....


ye bol aage badhi HIDA...table ke paas pahunch BOW ARROW utha pratyancha chadha usne saamne dekha aur...

SOOBH.......

underperform karne ki wajah se HIDA bhi hamesha hi mazak ka paatra banti aayi thi..

par kuch der pehle BRAWNY ke performance dekhne ke baad sabhi HIDA ke performance ke liye bhi excited the...

sabke dimag me ye sawal tha ki kya BRAWNY ki hi tarah HIDA bhi sabko surprise karne waali hai aur hua bhi aisa hi...

HIDA ka chhoda teer perfect ten score karta hua aage badhta chala gaya aur MABBA ki hi tarah stadium ke end wall par lage steel parat par takrakar neeche gir gaya....

aisa hote dekh shock toh sabko hi laga tha per sabse zyada shock laga tha MABBA ko....

HIDA ne bilkul uske hi tarah performance diya tha jisse dekh hairan toh usse hona hi tha..

haan ye sach hai ki MABBA ne apne shakti ka bas 20 pratishat hi use kiya tha apne performance ke waqt par phir bhi,jo HIDA ne kiya tha,woh yahan koi aur WHIZZ ya WHIZZDER tak nahi kar sakte the toh aise me hairan hona toh laazmi hi tha MABBA ka...

sabko hairan pareshan chhod HIDA wapas apne catagory ki taraf chal padi..

wahin sabhi hosh me aaye ACCHUTA aur SLUNDER ke zordar clapping sunkar jo pure josh me taali baja rahe tha aur unki dekha dekhi ek baar phir pura stadium taaliyon ki gadgadahat se gunj utha....

kuch der tak ye shor hota raha par phir achanak se mohoul pura shaant ho gaya...

reason...

aakhri performance baaki tha joki mera tha aur jaise hi mere kadam aage badhe,sabki nazar mujhpar theher gayi...

kaafi jhatke lag chuke the aaj sabko aur aise me mai jisne humesha har task me aisa perform kiya tha jisse sabhi hairan hi hue the,toh aise me mere performance se bhi sabko aisi hi kuch ummiden thi....

khair,is waqt mai table ke ke piche khada ho chuka tha aur table par rakhe dono hi shashtron ko dekh raha tha par phir kuch sochkar mere face par smile aa gayi..

sabse pehle maine bow uthaya par uske baad ARROW ki jagah maine SPEAR utha liya..

aur ye dekh sabhi shocked ho gaye the..kisiko bhi samajh me nahi aa raha tha ki mai kya karne waala hun...

wahin right hand me SPEAR ko pakad apne index finger ke through me usse gol ghumane laga tha...

kuch der yunhi kar maine left hand jisme BOW tha,usse sidha kiya aur right hand me ghumte SPEAR ko rok ARROW ki hi tarah usse BOW ke pratyanche me laga liya maine aur mujhe aisa karta dekh sabhi ki aankhen badi ho gayi...

wahin SPEAR pratyanche par laga maine bow sidha kiya aur agle hi pal pratyancha kheenchne laga..

mere kaan ko paar karte hue woh pratyancha piche ki taraf jaata chala gaya aur fir..


SOOBHHH..DHAADHHHH......

ek saath do awaaz hui..

dusri awaaz thi mere zyada hi kheenchne ku wajah se pratyancha ke tootne ki par aisa hone se ek nano second pehle hi maine SPEAR release kar diya tha jo vidhyut gati se aage badhta hua pehle ped ke trunk se takraya...

bas itna hi mehsoos hua wahan moujud har kisiko...

agli chiz jo sabne dekhi woh ye thi ki mera chhoda SPEAR pure 10 QUEBRACHO ko bhedne ke baad saamne stadium ke anth me lage silver parath ki diwar ko bhi bhed kar bahar nikal chuka tha....

khatarnaak ROOP... AUDIENCE CHUP.....


aisa hi kuch mahoul tha filhal wahan moujud sabhi ka..

par meri aakhen tiki thi VIDEOUS aur MABBA par jo halki hairani ke saath mujhe hi dekh rahe the...

jaisa hota aaya hai,waisa is baar bhi hua..kuch der tak shocked rehne ke baad pura stadium taaliyon ki gadgadahat se gunj utha...


ACCHUTA, SLUNDER, BRAWNY, HIDA aur ALFREEN bhi mere paas aa mujhe congratulate kar rahe the...

khair,kuch der baad jab sabki excitement level kam hui toh..


REGIS-unbelieavable... simply outstanding...


aisa bhi kuch hoga aaj,i am sure kisi ne bhi nahi socha hoga...jahan pehle lag raha tha ki STELLARS EXERTION araam se jeet jaayenge,wahin ab takkar kaante ki lagne lagi hai...

STELLARS aur GROOMERS ki hi tarah WEAKLINGS me bhi teen logon ne perfect ten haasil kiya hai aur fourth SAVENT ka performance bhi kaafi acha raha hai aur isiliye WEAKLINGS ka ratio is first challenge me sabse behtar hai..

pehle challenge ke baad jahan STELLARS 90 points par hain, GROOMERS 85 points par hain wahin teeno hi groups me sabse behatarin performance karte hue WEAKLINGS 95 points ke saath filhal sabse aage chal rahe hain...


REGIS ki baat sun jahan ek baar phirse pura stadium taaliyon se gunj utha wahin in taaliyon ke shor ke beech khamoshi se bhare nazaron ke teer chala rahe the mujhe VIDEOUS aur MABBA...

wahin nazar meri bhi unpar thi aur band zuban ke andar se bhi challenge de raha tha mai un dono ko ki....



hairani ka aalam abhi aur BADHEGA....

bhaagoge kaise jab ek nas par dusra nas CHADHEGA.....

takraane ka shouk aaj pura kar hi lo,

ki ghutno par laate tak tumse ye RAAZ LADHEGA......













AAJ KE LIYE ITNA HI......













AAPKA APNA V......J.....
Excellent update
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,267
38,658
258
AB TAK AAPNE PADHA KI EXERTION START HO CHUKA HAI JISME PEHLE VIDEOUS AUR USKE BAAD ACCHUTA, SLUNDER, BRAWNY,HIDA AUR AAKHRI ME RAAZ KE PERFORMANCE KO DEKH KAR SABKO SHOCK LAGTA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



MEGA UPDATE-101



PLANET-ELYSIAN


PLACE-STADIUM


EXERTION

PART-2







BACK TO YOUR RESPECTIVE CATAGORIES SAVENTS...ITS TIME FOR THE SECOND CHALLENGE....


REGIS ki awaaz pure stadium me gunj uthi jiske baad sabhi SAVENTS turant pehle ki tarah apne apne catagory me jaakar khade ho gaye...

par isse pehle ki REGIS aage kuch bolte...


MABBA-meri taraf se second challenge me ANIWR aur MORANA participate nahi karenge....


jahan MABBA ke interuption aur phir faisle ko sun REGIS aur bohot se log chownke wahin mere face par ek smile aa gayi..

reason...

mai jaanta tha MABBA ke is faisle ke piche ka kaaran..

darasal jo performance maine aur mere doston ne dikhaya tha,usse dekhkar MABBA sirf hairan hi nahi hui thi,balki chownkanni bhi ho chuki thi...

second challenge SURVIVAL ka tha jisme ladhne jaisa kuch tha nahi isiliye MABBA chahti thi ki ANWIR aur MORANA final challenge ke waqt pyscically strong rahe taaki unka performance yaa fir ye kahun ki unka mujhpar attack ka impact acha khaasa ho...

stratergy toh achi hai, dekhte hain kitni kaam aati hai...

khair, MABBA ki baat sun....


REGIS-bieng a STELLAR, tumhe activity me choice ki freedom hai MABBA par dobara soch lo...

aisa karne se shayad tumhari catagory weak pad jaaye kyunki first challenge me ANWIR aur MORANA ke performance kaafi acche the aur tumhari jo moujuda points hain,unhe haasil karne me in dono ka pramukh yogdaan tha...

MABBA-STELLARS me sheron ki kami nahi..isiliye tum fikr mat karo..geedadon ki fauj ke liye toh ek sher bhi kaafi hota hai....


humari taraf dekhte hue ye baat kahi MABBA ne..

wahin REGIS ki nazar teeno SOVEREIGN'S par padi jinhone sir hilakar apni sehmati de di jiske baad...


REGIS-allright MABBA... team tumhari hai isiliye jaisa tum chaaho...


MABBA ko approval dene ke baad REGIS hum sabki taraf mukhatibh hue aur....


REGIS-SURVIVAL....aapke second challenge ka naam...

naam sun kar hi aap sabko andaza ho chuka hoga ki is challenge ka mukhya bindu SURVIVE hai...

par kisse...????

agle kuch minutes me aapka next challenge shuru hoga jisme aap sab ek JUNGLE me honge...

waise toh woh jungle elusion se bana hoga,par jab aap wahan pahunchenge,tab woh jagah aapki reality hogi...

aur woh reality aap sabke liye behadh khatarnaak hone waali hai...

us jungle ki khaasiyat ye hai ki jaise hi aap sab uske zameen par kadam rakhenge, toh aap sab wahan basne waale teen khatarnaak creatures ke liye target ho jaayenge..

aap sabki existence, metaphysical aur REFINER shaktiyan un creatures ko pata chal jaayegi...

saath hi aapka location bhi...1 hour......jungle me kadam rakhne ke baad ek ghante tak aap sabko un teen jeevon ke beech SURVIVE karna hai...

aur yakin maaniye,aisa kar paana bohot tough hone waala hai....

un SAVENTS aur saath hi WHIZZES ke liye bhi jinhone first task me sabse zyada excel kiya tha...

reason...

us jungle me moujud woh teeno creatures maayavi hai jinke paas ability copy karne ki taakat hogi....

agar aap unse lade yaa phir unhe maar bhi giraye toh woh naa sirf punar jeevit ho jaayenge balki saath hi jitni taakat release kar aapne unhe maara tha, utne taakatwar bhi ho jaayenge....

infact aapka bola koi bhi aakramak SPELL aapko hi haani pahunchayega...

isiliye maarne se behtar unse bachna aapka kaam hona chahiye...

ye challenge bhi aap sabhi apne apne catagory ke saath milkar karenge..

SURVIVE karne ki doud me jab bhi koi SAVENT kisi jeev ka shikar hua toh woh gayab hokar yahan pahunch jaayega...

1 ghante tak chalne waale is challenge me jis catagory ke ratio wise sabse zyada SAVENTS bache honge,woh catagory jeet jaayegi...

but haan,in sabke beech ek tarika hai is defensive challenge ko offensive banate hue khelne ka...

ek aisa tarika jisse agar aap samjh gaye toh bina hathiyar uthaye yaa saamne aaye hi apne opponent catagories ko maat de sakte hain aur saath hi bina bache bhi un creatures se bach sakte hain..

ab woh tarika,woh catch kya hai,ye aap sabko pata lagate hue usse use me laana hai....

so ready....!!!!


REGIS ke aisa bolne ke baad bhi kisi SAVENT ke mooh se kuch nahi nikla..

kyunki challenge ke baare me sunkar hi sabki haalat kharab ho chuki thi..

aisi hi kuch haalat stands me baithe parents ki bhi thi..

khair,ab kiya toh kuch jaa sakta tha nahi isiliye dheere se hi sahi,sabne YES kaha..

is beech mere,aur STELLARS me khade MABBA aur VIDEOUS ke dimag me is challenge ko lekar strategy banana shuru ho chuki thi...

MABBA bhale pehle se hi EXERTION me participate karti aa rahi thi,par SURVIVAL challenge me har baar task alag hi hota tha aur is baar bhi aisa hi hua tha aur isiliye woh bhi baakiyon ki hi tarah raw thi...

khair,yahan hum sab ye sab soch rahe the aur wahan REGIS ke saari cheezen samjhane ke baad AKSHAANT apni jagah par khade hue aur apna haath humari taraf kar diya aur jab aisa hua toh...

hum sabhi ke aage teen WORLD DOORS khul gaye the jinke dusri taraf ek behad ghana jungle dikh raha tha...

ye teeno doors us jungle ke teen alag alag parts ke the jiska matlab tha ki teeno hi catagories ko alag alag disha me jaana tha....

khair, jab aisa hua toh...


REGIS-waqt ho gaya hai SAVENTS...catagorically apne saamme bane DOOR ki taraf badhiye....


REGIS ki baat sun hum sabne ek baar ek dusre ko dekha aur phir aage badh gaye...

kuch hi palon me hum sab un teen doors se hote hue JUNGLE me pravesh kar chuke the aur aisa kar humne palat kar door ke dusri taraf stands par baithe parents ki taraf dekha jahan sabhi parents ki aankhon me apne apne bache ke liye halka halka dar dikh raha tha..

khair, aisa zyada der tak nahi hua kyunki humare door ke dusri taraf pahunchte hi door band ho gaya..

apne bachon ko saamne naa dekh parents halke baichain hone lage the par ye bechaini bhi bas kuch hi palon ke liye thi kyunki door band hone ke kuch der baad hi stadium ka drishya change ho gaya tha...

stadium ki jagah saare parents ke saamne wahi jungle tha jahan unke bache abhi moujud the..

parents ko aisa view mil raha tha jisme woh teeno hi catagories ko ek saath dekh paa rahe the..

stand par baithe har shaksh ke liye dikh raha view kisi cinema hall ke parde par chal rahe 3d movie ki tarah tha jisse woh kisi polarized glass goggles ke bina bhi ussi effect ke saath experience kar rahe the...


ye toh hui parents ki baat,ab chalte hain SAVENTS ki taraf jo apne second challenge SURVIVOR ke ran bhumi me pahunch chuke the....





SURVIVOR CHALLENGE:-


STELLARS:-






WOOOOHHH...THIS PLACE IS INSANE.....CHILLED BHI HAI AUR DARAWANI BHI...


chaaron taraf nazar ghumate hue kahi thi ye baat MABEL ne jispar sabhi ne haami bhari thi...

behadh halki suraj ki roshni ke sahare sabhi STELLARS dekh rahe the apne chaaron taraf ka view....

deep hare rang ke bade bade patton se bhare hue gigantic ped joki ek dusre se chipke khade the..

pairon ke neeche jo ghaans thi,uska size kuch 6 inch se bhi zyada tha jo un sabke eddi ko bhi cross kar raha tha...

kisi bhi disha me koi clear raasta nahi tha...

ek bhul bhulaiya sa ghane forest ka bhaag tha woh jagah jahan is waqt STELLARS khade the....

halke andhere aur halke ujale ke beech ki woh jagah behadh bhavaha lag rahi thi...

khair,puri jagah ko checkout karne ke baad..


MABBA-guys, relax...ye jagah bas ek illusion hai aur kuch nahi..isse ek sapne ki hi tarah samjho...

but haan,ye bhi yaad rakho ki agar ye sapna toota toh challenge se bahar ho jaaoge...

isiliye khud ko shaaant rakho..sirf ek ghante ki baat hai..hum sabko ek dusre ko back karte hue ye ghanta kisi tarah nikalna hai...

understood....

KHOOOORRRRRRRHHHH......


MABBA ki baat par SAVENTS yes bolte,usse pehle hi ek ajeeb si awaaz yaa phir ye kahun ki dahad gunj uthi chaaron taraf jisse sun naa sirf woh sabhi satark ho gaye,balki kaafi SAVENTS ki fath bhi gayi thi...

us awaaz me ek kampan thi jisse saaf mehsoos ki thi sabhi STELLARS ne...

par MABBA aur VIDEOUS ne us kampan me ek alag hi chiz bhi mehsoos ki thi,jisse feel kar un dono ki ankhen sochne waale andaz me choti hi gayi thi..

par ye soch zyada der tak nahi chal paayi kyunki achanak unse kareeb 100 metres door...

DHAPPPPP.....


is awaaz ke saath jiske hote hi aas paas ki zameen hil gayi thi,ghaans par kooda ek bohot bada aur khatarnaak dikhne waala creature jisse dekh mooh sil sa gaya tha STELLARS ka..

wahin jab MABBA ki nazar us jaanwar numa CREATURE par padi,toh uske mooh se nikla...


CHUPACABRA...


kareeb 15 feet uncha ek jaanwar jiske saamne ka shape halka halka chuhe se resemble kar raha tha jiske horns bhi the,aur fangs bhi....


(NOTE:-khudse nahi banaya hai is CREATURE ko guyzz...bas apne hissab se size bada kar diya hai...maana jaata hai ki CHUPACABRA ek grotesque creature hai joki livestock blood peeta hai aur ye bhi bataya jaata hai ki ye creature abhi bhi North aur south america me moujud hai..google kar liyo..)


khair,us creature ka naam batane ke baad...


MABBA-guyzzz....bilkul shaant raho......dar se heart beat badhega jo ye creature sense kar leta hai...

ye ek CHUPACABRA hai...bohot hi fast aur deadly creature hai ye...

iske saamne jo daath dikh rahe hain,woh asal me fangs hain jinme death poison hota hai...

iski ek bite khel khatm kar degi...


VALDIS-but WHIZZ...yeh sab toh bas ek illusion hi hai naa.hum sach me toh nahi marne waale hain,right..???

MABBA-mout nakli hogi,par woh dard jo iske kaatne aur venom release hone se hoga,woh asli hoga...

par usse bhi important baat ye hai ki agar koi bhi iske hatthe chadha toh woh is challenge se out ho jaayega jisse hamare points katenge jo mai afford nahi kar sakti...

isiliye firse keh rahi hun, don't panick...i will handle it....





GROOMERS:-





BHAI,AISA JUNGLE TOH DEKHA NAHI MAINE KABHI....

ITNE BADE BADE GHAANS KE UPAR CHATTAN JAISE PATHAR...

STRANGE...!!!!


ACCHUTA ne kahi ye baat...

reason....

GROOMERS is waqt jungle ke jis bhaag me the,woh wakayi kaafi ajeeb thi....

20 feet bade chattan numa kayi patthar pade the har jagah...

pedh kaafi bade the par ek dusre se door the aur ye silsila wahan tak jaa raha tha jahan tak nazar jaa rahi thi....

pedon ke ek dusre se door hone ke baad bhi jungle ke is bhaag me bhi bas thoda sa hi ujala tha...

khair, ACCHUTA ki baat sun...


SLUNDER-haan bhai,jagah toh ajeeb hai par woh jeev kahan hain jinke baare me WHIZZDER REGIS ne bataya tha...

unhone toh kaha tha ki woh jeev humare yahan pair rakhte hi hume sense kar lenge par aisa kuch hua nahi...


SLUNDER ki baat par koi kuch kahe ki tabhi...


DRRRHHHDRRHHHH...


ek ajeeb si awaaz ne saare GROOMERS ko aakarshit kiya joki un sabke piche se aayi thi aur jisse sun jab woh piche palte toh dekha ki...

unse kareeb 50 metre door ek bade se chattan numa patthar me movements ho rahi thi...

ye patthar baaki pattharon se thoda zyada bada tha jo filhal left right hil raha tha...

kuch der tak aisa hota raha par phir...


DHAAKKKH....


ek zordar dhakka laga us bade se patthar ko jiske woh udta hua GROOMERS ki taraf aaya aur thik unke piche jaakar gira...

itne bade patthar ko 50 metre se bhi door tak udkar girne ki wajah se woh jagah jahan woh gira tha,usme gaddha ko gaya jisme woh patthar dhas chuka tha.

wahin us patthar ko yun udkar girta dekh sabhi GROOMERS hairan ho gaye the..


ACCHUTA-abbe yahan ke patthar udte bhi hain kya...????kahin ye patthar hi toh yahan ke jeev toh nahi....!!!

SLUNDER-saamne dekh...pathar ke udne ka reason pata chal jaayega..


SLUNDER ki baat sun ACCHUTA aur baaki ke sabhi SAVENTS aur WHIZZ EDWINA ne SLUNDER ko dekha jo aakhen faade jahan se udkar woh patthar unke piche gira tha,us taraf dekh raha tha..

aur jab un sabki nazaron ne SLUNDER ki nazar ka picha kiya toh.


SAB-what the FU****


ek saath sabhi SAVENTS chilla uthe the ye baat par phir EDWINA ka khayal kar aage kuch keh nahi paaye..

par halka dar un sabki aankhon me saaf dikh raha tha..

wahin EDWINA ki nazar bhi saamne hi thi jahan par patthar ke udne ka asli kaaran khada saare GROOMERS ko ghur raha tha jisse pehchan EDWINA ke labh hile..


EDWINA-SNALLYGASTER......


SNALLYGASTER naam tha us jeev ka jisne us patthar ko udaate hue GROOMERS ki taraf pheka tha aur jo abhi un sabko ghoor raha tha...

SNALLYGASTER naam ka ye jeev bhi kareeb 15 feet uncha tha joki aadha reptile ki tarah aur aadha pakshi ki tarah dikh raha tha....


(NOTE:-maryland ke rural area se hai ye mythological nocturnal creature...waise isse puri tarah se mythological nahi kaha jaa sakta kyunki THE NEWS naam ke newspaper me nov.28 1932 me bataya gaya tha ki ek aadmi ne ye claim kiya tha ki usne ek SNALLYGASTER ko dekha hai.. GOOGLE BABA KI JAY)


khair, creature ka naam lene ke baad..


EDWINA-SAVENTS,ye ek man eating reptile hai...ye ud bhi sakti hai aur iske udne aur rengne ki speed,dono hi lightning hoti hai isiliye dont move an inch..

agar kisine halka sa bhi move kiya toh ye humla kar degi...

iske attacks deadly honge aur jo bhi iske chapet me aaya,woh yahan markar sidhe stadium pahunch jaayega...

hume kisi bhi tarah survive karna hai pure 1 ghante.. isiliye hume har step soch samajh kar lena hoga...





WEAKLINGS:-




BHAI YE WHIZZDER NE JUNGLE HI BOLA THA YAA REGISTAAN.....

door door tak reth reth dekh kahi ye baat BRAWNY ne...

is waqt WEAKLINGS ek registaan me khade the aur yahan bhi ujala nahi tha,infact,yahan is waqt raat ka koi peher chal raha tha..

upar ek artificial aasman tha jisme taare toh nahi the,par ek bada sa nakli chaand zaroor jagmaga raha tha jiski roshni se thoda bohot ujala aas paas ke pure area me faila hua tha..

khair, BRAWNY ki baat sun....


ALFREEN-haan,ye jungle ka scene toh nahi lag raha...

MAI-ye jungle hi hai bas nazara alag hai...aur ye nazara is jagah ko sabse khatarnaak bhi bana raha hai...

BRAWNY-khatarnaak...!!! woh kaise..???

MAI-simple equation hai..baaki dono catagories jungle me hain jahan unhe jeevon se chhupne ke liye kaafi dhaki jagah milegi..

par hum open me hain..jis jeev ka saamna hume karna hai,usse bachne ke liye humare paas koi hideout nahi hai..

HIDA-RAAZ sahi hai..par sawal ye hai ki woh jeev jisne ki REGIS ke according ab tak toh hume sense bhi kar liya hoga,woh hain kahan...???

MAI-watch out guys...


ye bolte bolte hi maine ALFREEN, BRAWNY aur HIDA teeno ko joki ek dusre ke close hi the, khudme lapeththe hue ek lambi challang maar di aur agle hi pal hum chaaron apne purv jagah se kareeb 20 metre door pahunch chuke the..

mai toh ab bhi khada hi tha par woh teeno is nayi jagah par pahunchte hi gir gaye the par woh sab turant uthe aur uthne ke baad woh mujhe kuch puchte ki tabhi in sabki nazar us jagah par gayi jagah woh kuch der pehle khade the aur wahan nazar padte hi un teeno ki nazar hairat se badi ho gayi aur ussi hairani ke beech nikla HIDA ke mooh se...


HIDA-WYVERN


lagbhag 8 feet uncha aur 20 feet lamba ek 2-legged carnivorous creature jo thoda thoda dragon jaisa dikhta hai...

(NOTE:-lage haath isse bhi google kar liyo)


khair,creature ka naam lene ke baad...


HIRA-ye ek mayavi hai creature hai....khudko reth ke andar kisi chote se kide ki tarah mix kar apne shikar ko taraf badhta hai ye...

thank god ki sahi time par tumne isse sense kar liya RAAZ..

warna second ke duswe hisse me hi ye hum chaaron ko ek saath nigal kar is second challenge se bahar karwa deta....

us ajeebogarib par dangerous creature ko dekhne ke baad waise toh BRAWNY aur HIDA bhi pehle halke dare the par unki capabilities ki wajah se woh dono jaldi hi sthir ho gaye the..


par ALFREEN us WYVERN ko dekh abhi bhi behadh dari hui thi aur isiliye..


MAI-relax ALFREEN...ye sirf ek ILLUSIONARY world hai....

ALFREEN-par iske attack toh asli hi honge naa aur pain bhi...

MAI-bilkul.. but phir bhi relax... tumpar attack karne ke liye isse mujhe cross karna hoga...

aur mujhe sirf mai hi cross kar sakta hun,iski itni aukaad nahi...

meri awaaz me chhupe confidence ne jaise wakayi kaafi relax kar diya tha ALFREEN ko...

uske chehre ki tention kaml hone lagi thi aur aisa hote hi uske mind me ek dusra thought aaya..


ALFREEN-i hope itna deadly opponent hamare baaki friends ko naa mila ho...


ALFREEN ki baat sun mujhe baaki dono catagories ka khayal aaya...

waise mujhe maalum tha ki ACCHUTA aur SLUNDER itne kaabil hain ki 1 kya,anginat ghante is maayajaal me bina ek kharoch khaaye guzar sakte hain par yahan baat sirf individual performance ki nahi balki pure group ki thi...

GROOMERS filhal third par the aur ye conditions unhe ussi position me rakhne ke liye best tha...

upar se MABBA jo sirf khud jeetne me nahi balki saamne waale ko kisi bhi tarah harane me believe rakhti hai aur mujhe pura yakin tha ki aisa hi kuch woh is challenge me zaroor karegi...

saamne se woh mere doston se jeete naa jeete,par chhal kar bina saamne aaye woh unki haar ka jaal zaroor bicha sakti hai...


aur isiliye...


SAMPURN DRISHYAM KAROTI....

COMPLETE VIEW....


is SPELL ko uccharit nahi kiya maine,bas socha aur mere aisa karte hi sirf ek second ke andar is jungle numa maayajaal ke har kone ki jhalak dikhne lagi thi mujhe...

wahin is beech hum chaaron ko lagatar ghurta raha woh WYVERN aur phir achanak woh wapas reth ke andar chala gaya jiske agle hi pal....





BACK TO STELLARS:-





YE WHIZZ GHAANS KE ANDAR KYA DHOOND RAHI HAI...???


VALDIS ka pucha ye sawal toh sabhi ke man me chal raha tha siway VIDEOUS ke joki MABBA ko neeche baith ghaans ke neeche ki zamin ko feel karte hue dekh bhi raha tha,aur uski mansha samajh bhi raha tha...

aapko yaad hoga ki is mayavi jungle me CHUPACABRA ke aagman se pehle ek kampan ho rahi thi jisse mehsoos kar MABBA aur VIDEOUS ki aankhen sochne waale andaz me chhoti ho gayi thi..

darasal baat ye hai ki us kampan me unhe jaani pehchani energy feel ho rahi thi joki neeche zamin se uth rahi thi aur isiliye hi us energy ko pehchaanane ke liye is waqt MABBA niche jhuki hui thi aur kuch hi seconds me usse us energy ko pehchan liya jiske baad uske face par bhi ek smile aa gayi...


MABBA man me-toh ye baat hai....REGIS issi tarike ki baat kar raha tha.is jungle ki dharti ko ELYSIAN ki dharti ke kano se banaya gaya hai...

isiliye isme uth rahe kampan se bhi wahi BLACK ENERGY ke power ray feel ho rahe the jo CHOSENS me feel hote hain...

ye toh badhiya hi ho gaya...ab hume is challenge me jeetne se koi nahi rok sakta..

and RAAZ, ACCHUTA, SLUNDER,HIDA...ab dekho kya haal karti hun mai tumhara aur tumhari puri catagory ka...

mar toh sakte nahi ho tum sab yahan,par dar toh mout jaisa mil hi sakta hai naa... toh wahi sahi...


man me ye sab soch khadi hui MABBA aur phir pehle usne apni aankhon ko band kar GROOMERS aur WEAKLINGS ki position dekhi aur uske baad usne apne kadam aage badha liye par uske aisa karte hi....


KHOOOORRRRRRRHHHH....


ek baar phirse gurraya CHUPACABRA aur khudko halka sa piche kar usne MABBA ki taraf challang laga diya..

jahan creature ko apni taraf challang lagate dekh MABBA se thode piche khade SAVENTS ghabra gaye the wahin MABBA ko koi fark hi nahi pada tha...

woh aage badhti chali gayi par jaise hi woh creature uske sir par pahuncha toh...

second ke daswe hisse se bhi kam waqt me ek taraf roll kar gayi MABBA aur itna hi nahi,jahan ek pal pehle woh khadi thi,wahan BLACK ENERGY ka ek ghera bhi ban chuka tha..

aur jaise hi woh creature us ghere par land hua,BLACK ENERGY ke kano ne usse baandh liya...

par jaisa ki REGIS ne bataya tha ki kisi bhi creature par kiya gaya kisi bhi waar ki taakat ko woh copy karne ka hunar rakhta hai, toh waisa hi kuch yahan bhi hua tha....

un energy kano ne jaise hi us creature ko bandha,toh uske kuch hi seconds ke andar CHUPACABRA ne uski taakat ko copy kar liya jiska matlab tha ki agle hi pal woh us bandhan se azaad hone waala tha...

par MABBA ka jo maksad tha us CHUPACABRA ko baandhne ka,woh waise bhi pura hi chuka tha...

kyunki usse baandhte hi us ghere ke andar ek hulchul hone lagi thi aur har beethete pal ke saath woh hulchul ek naya roop le rahi thi..

ek MAGIC DOOR ka roop aur aisa hote hi CHUPACABRA fisalne laga tha aur kuch hi palon me jab woh DOOR pura khula toh CHUPACABRA STELLARS ke saamne se gayab ho chuka tha...


BAS YAHI NAHI KARNA CHAHIYE THA TUJHE MABBA....

KHUDKI JEET SE ZYAADA TUNE HUMARI HAAR KI KHAWISH RAKH KHUDKI HAAR PAKKI KAR LI HAI....

AB DEKH,TERA KHEL MODIFICATIONS KE SAATH KAISE TUJHPAR BHAARI PADTA HAI...


ye thi meri awaaz yaa fir kahun meri soch jo MABBA ki harkat jispar nigah thi meri,usse dekhkar nikli thi...




BACK TO GROOMERS:-




ABBE AB YE KYA BALA HAI....!!!! AUR YE HAWA SE KAISE GIRA...???

WHIZZDERS REGIS NE TOH KAHA THA KI HAR CATAGORY KA SAAMNA EK CREATURE SE HOGA...

PAR YAHAN TOH DO AA GAYE....


ACCHUTA ki is baat se sabhi GROOMERS aur EDWINA sehmat bhi the aur hairan bhi...

is waqt unke saamne SNALLYGASTER ke saath saath ek aur jeev bhi tha jo kuch seconds pehle hi SNALLYGASTER ke baaju me upar se tapka tha...

aur filhal woh dono hi jeev ek dusre ko aamne saamne dekh gurra rahe the...


EDWINA-ye ek CHUPACABRA hai.. equally dangerous as SNALLYGASTER...par ye yahan kaise...???


MABBA KA TOUFA HAI TUMHARE LIYE....???


ye meri awaaz thi jo ACCHUTA aur SLUNDER ke dimag me gunji thi jisse sun pehle toh woh dono chownke par phir woh dono bhi man hi man MABBA ko gaali dene lage aur phir..


SLUNDER-hum in dono hi creatures ko khtam kar MABBA ko as a gift parcel kar dete hain....

MAI-dimag bhi stadium me hi chhod aaya hai kya..???mayavi immortals ko kaise maarega tu..??

upar se tere waar se teri abilities ko copy kar lenge ye dono creatures aur agar aisa hua toh inke mooh me jaane se bacha nahi paayega khudko..

ACCHUTA-toh ab kya karen..???

MAI-simple job hai tum dono ka... SLUNDER,its time to uncover your SHIELD strength...

par sirf .50 percent.... itni power ki SHIELD ko pure GROOMERS ke upar laga...

aur ACCHUTA,tu control me le sabka dimag aur bhaga unhe..


SAVENTS hain toh 1 ghanta araam se doud sakte hain...

illusion paida kar har kisi ke dimag me ki creatures unke piche hi hai aur haan dhyan rahe,har banda alag alag disha me bhaagna chahiye taaki kisiko dusre ke illusion ki khabar naa ho...

aur haan, dikhane ke liye bhaagna tum dono ko bhi hai...

dekho, dono creatures ke beech sandhi ho chuki hai...dono tumhe hi dekh rahe hain....jaldi karo jo kaha hai....


jahan is baat ke baad meri awaaz aana band ho gayi wahin meri baat sun jab ACCHUTA aur SLUNDER ne saamne dekha toh paaya ki laar bahate woh dono daityakar creatures unhe hi dekh rahe the aur isiliye....


SLUNDER-SWATONIHATE KAWACHAM

ACTIVATE SHIELD....


saare GROOMERS ko mehsoos kar apne man me SHIELD ki limit tay kar is SPELL ko uccharit kiya SLUNDER ne jiske baad sabhi GROOMERS including EDWINA ke chaaron taraf ek adrishya shield ban gayi..

wahin same time me..


ACCHUTA-BHAAPAME VIYATARE

SENSE THE DANGER


ACCHUTA ke bole SPELL ke asar se sahhi GROOMERS ko khudse 50 metre door khade dono creatures 2 feet door khade dikhne lage aur aisa hote hi sabhi piche mood bhaag khade hue..

ACCHUTA aur SLUNDER ne bhi aisa hi kiya par is beech ACCHUTA ne un sabke mind ko control kar ye sunischit kiya ki sabhi alag alag disha me bhaagen...

wahin apne shikar ko bhaagta dekh
CHUPACABRA aur SNALLYGASTER bhi GROOMERS ke piche vidyut gati se bhaage...

par jaise hi dono creatures me se koi bhi kisi GROOMER ke sir pahunch uske sir ko chabane ke liye apne mooh aage karta toh us GROOMER ke chaaron taraf lage SHIELD ki wajah se woh us GROOMER ko chhu nahi paata....

ab ye SHIELD creatures par humla karne ke liye toh thi nahi, GROOMERS ki safety ke liye thi isiliye woh dono creatures us ability ko copy nahi kar sakte the...

wahin stadium me baithe sabhi parents, WHIZZES aur WHIZZDERS ko aisa dikh raha tha jaise un creatures ke mooh SAVENTS ke sharir se kuch inch door tak hi pahunch paa rahe the...

dhadakte dil se is jaanleva lagne waale challenge ko dekh rahe the saare parents..





BACK TO WEAKLINGS:-






ISKI TOH MAI.....SAALE KI JEEBH HI KAAT DETA HUN....


BRAWNY ke bol the ye...

reason...

WYVERN jaise hi reth ke neeche gaya, uske do second baad hi woh apna mooh faade us jagah se bahar nikla jahan hum khade the yaa phir ye kahun ki BRAWNY khada tha par us WYVERN ke bahar niklane se ek seond pehle hi hum chaaron hawa me uth chuke the...

upar uththe hue WYVERN ki laplapati jeebh dekh kar kahi thi woh baat BRAWNY ne jispar....


MAI-faayda usse kuch hoga nahi...jeebh toh wapas aa hi jaani hai...

ALFREEN-toh karen kya...????aise hi hawa me khade rahe..???



HABHHHH.....

ALFREEN ki baat puri hui hi thi ki WYVERN ek baar phir reth se nikla..

is baar uska shikar mai tha aur uski challang mai jahan khada tha, utni upar thi par mai satark tha...

isiliye uske mere paas pahunchne se pehle hi mai side hath gaya tha...

mooh faade upar uththe WYVERN ne jab mooh band kiya toh woh waar khaali hi gaya...

khair,uske wapas reth me ghuste hi...


MAI-upar aasman ki hadh me bhi agar khade ho jaayen tab bhi ye wahan pahunch jaayega...

HIDA-toh ab kya karen....???

MAI-ussi catch ka faayda lete hain jiske baare me REGIS ne bataya tha...

HIDA-tumhe pata hai us catch ke baare me...???


HAABHHH...


HIDA ke baat khatm hote hi WYVERN ek baar phir reth se bahar nikla aur is baar uska nishana HIDA thi par meri hi tarah woh bhi satark thi isiliye woh turant apne right move kar gayi aur tabhi...


MAI-neeche dekho...


WYVERN,joki khaali waar ke baad neeche reth ki taraf jaa raha tha,uski taraf point kar maine ye baat kahi jisse sun baaki teeno ki nazar bhi neeche ki taraf gayi jahan is waqt woh reth ka bhaag jahan se WYVERN bahar aaya tha,wahan ki reth hati hui thi aur ek sakth zamin nazar aa rahi thi..

us zamin par is waqt ek MAGICAL DOOR khulne laga tha aur WYVERN ke neeche pahunchte tak woh pura khul chuka tha jis wajah se woh us door se hota hua uske dusri taraf pahunch gaya...





BACK TO STELLARS:-






MABEL-arre,woh creature kahan gaya...???

MABBA-GROOMERS ke paas....


MABBA ki baat sun STELLARS aakhon me sawal liye uski taraf dekhne lage jispar...


MABBA-relax SAVENTS,aur ab chill karo..agla ek ghanta bas yahi karna hai hume...

kyunki REGIS ne jis catch ki baat ki thi,woh wahi magic door tha jo yahan ki zamin par banaya jaa sakta kyunki yahan ki zamin ELYSIAN ki mitti se bani hai..

sirf yahi magical stratergy yahan kaam aa sakti thi jo maine kaam me le li...

maine humpar appointed CREATURE ko GROOMERS ke paas bhej diya hai jahan wo dusre creature ke saath milkar unke pure catagory ka khel khtam kar dega..

sense toh teeno hi creatures ne hum sabhi CHOSENS waasiyoh ko kiya hua hai isiliye GROOMERS ka kaam khatm kar yaa toh woh dono yahan aayenge yaa fir sidhe WEAKLINGS ke paas jaayenge..

agar yahan aaye toh mai unhe WEAKLINGS ke paas pahuncha dungi aur agar sidhe WEAKLINGS ke paas woh dono pahunche toh pehle se WEAKLINGS ke liye oppointed creature ke saath milkar teeno creatures un chaaron loosers ka khel khatm kar denge,hence STELLARS will be the lone survivors and winners of this challenge....


MABBA ki baat sun jahan bohot se STELLARS khush hue wahin kuch kuch STELLARS ko uski baat achi nahi lagi thi aur in kuch me mahiibhi shamil thi...


par ab jab usse maaulum tha ki uske brain me negetive energy ke kan, isiliye kisi bhi negetive baat par woh oppose nahi karti thi kyunki usse pata tha ki agar usne aisa kiya,toh wo negetive energy ke kan jo filhal shaant hain,woh phirse unstable ho jayenge jisse ki usse hi taklif hogi...

par kuch toh kehna hi tha isiliye...

MAHI-par WHIZZ...aapki hi tarah un do catagories me bhi toh REGIS WHIZZDER ke catch ko samajh usse implify kar sakta hai...???

MABBA-naahi yeh maamuli ARROW BOW waala challenge hai aur naahi us catch ko samajhna un loosers ke bas ki baat hai.. isiliye relax,aisa kuch nahi hoga..


abhi bade PROUDLY MABBA ne apni baat kahi hi thi ki.....

DHAPPPPP......


uske kuch piche se ye awaaz aayi jisse sun jab woh piche palti toh uski aankhen badi ho gayi...

reason...

uske saamne ek naya creature tha jiske baare me woh jaanti hi thi isiliye...

WYVERN.....


us creature ka naam lete hue hi MABBA hairan hone ke saath behadh satark bhi ho gayi thi kyunki woh jaanti thi ki ye creature lightning speed se doudta hai...

aur isiliye jaise hi WYVERN ne un sabko dekh halki si movement ki toh uske agle hi pal MABBA ne uske aage ek magic door khol diya jiski wajah se tezi se aage badhte hua WYVERN khudko rok nahi paaya aur us door se hota hua uske dusri taraf joki GROOMERS ki jagah thi,wahan pahunch gaya..


HAASH.....

DHAAPPP.....


MABBA ne WYVERN ko wapas bhej chain ki ek hi saans ki thi ki tabhi ek aur magic door khula jisse hokar WYVERN wapas uske saamne aakar gira....


VARDHADIT DWARANAM...

CONTINOUS DOORS....


yahi SPELL bola tha RAAZ ne jiske asar se ab woh creature kisi bhi door se jaane ke baad ek naye door ki madad se wapas STELLARS ke paas hi aana tha...

ye ek khatarnaak MAGIC DOOR SPELL tha jisse kaata nahi jaa sakta tha...

khair, WYVERN ko wapas saamne dekh hadbada gayi thi MABBA..

aur is hadbadi ke do reasons the..

pehla toh yahi tha ki WYVERN ko usne apne saamne dobara aur woh bhi itni jaldi expect nahi kiya tha aur dusra,is baar wo creature MABBA se bas 10 metre door hi aakar gira tha aur girte hi usne aage doudne ka stance le liya tha..

aur isse pehle ki MABBA wapas zamin par MAGIC DOOR banati,usne WYVERN me ek movement dekhi jisse sense kar woh ek taraf kood gayi aur aisa hone ke agle hi pal...


AHHHHHH.....

ek dard bhari awaaz har taraf gunj uthi...

awaaz sun jab MABBA ne palat kar dekha toh paaya ki is waqt ek STELLAR joki VALDIS ke left me hi khada tha,usse aadha se zyada khaa chuka tha WYVERN...

is drishya ko dekh STELLARS ki aisi fati ki sab kuch bhool kar woh ab idhar udhar bhaagne lage the...

ab waise hi SAVENTS ki speed kaafi zyada hoti hai aur isiliye MABBA ke kuch kehne se pehle hi kaafi SAVENTS nou do gyarah ho chuke the..

sirf VIDEOUS us creature se kuch door par satark mudra me khada tha aur MAHI usse thodi door khadi dhyan se us creature ki movement ko dekh rahi thi....

wahin us STELLAR ko pura khaane ke baad WYVERN VIDEOUS ki taraf mooda par isse pehle ki woh aage badhta,uske aage hi VIDEOUS ne ek MAGIC DOOR khol diya tha jisse hokar woh dusri taraf chala gaya par fir agle hi pal woh VIDEOUS se kuch door dusri taraf se wapas bhi aa gaya...

is baar uska rookh MAHI ki taraf tha...

wahin creature ke yun automatically wapas aa jaane se VIDEOUS samajh chuka tha ki ispar
CONTINOUS DOORS ka magic kiya gaya hai jisse kaata nahi jaa sakta..

par,us magic ka raasta badla toh jaa hi sakta hai....is thought ke dimag me aate hi VIDEOUS ke chehre par ek smile naach uthi...

usne saamne dekha toh paaya ki ab us creature ne challang laga di thi par MAHI joki behadh satark thi, usne creature ke khudpar challang lagane se pehle hi khudko ek jhatka diya tha aur us creature se thoda upar uth chuki thi..

aur jab woh creature wapas zamin par aaya toh MAHI ne hawa me hi kalabaazi khaate hue ek MAGIC DOOR uske neeche hi khol diya tha jisse hote hue woh pehle dusri taraf gaya aur phir dusre MAGIC DOOR se hote hue wapas MABBA ke saamne prakat hua....

par ab VIDEOUS is khel ka rookh badalna chahta tha aur isiliye usne apna haath aage kiya par tabhi...


AHHHH....AHHHHH....AHHHH......


ek ke baad ek kayi saari cheekhen gunj uthi chaaron taraf se uske, MABBA aur MAHI ke kaano me jisse sun VIDEOUS ki tez nazar us adhure ujale aur andhere ke beech bane ghane jungle ke har naa dikhne bhaag ko bhi bhedeti hui har taraf jaane lagi aur jab aisa hua toh uske saamne jo drishya aaya,usse dekh woh halka hairan hua...

is waqt har bhaagte yaa chuppe hue STELLAR ke paas magic door khul raha tha jisse baaki dono catagories ke creatures bahar nikal rahe the aur agle hi pal unke saamne waala unke pet me pahunch jaa raha tha...

is drishya ko MABBA ki tez nazaron ne bhi dekha tha jisse dekh uski bhi aankhen hairani se badi ho chuki thi..

ussike chaal ko 3 guna tak zyada effect ke saath kisine joki usse yakin tha ki RAAZ hi hai,uspar palat diya tha...

jahan aisa hota dekh MABBA ghusse se bhunbhuna rahi thi,wahin VIDEOUS ka dimag shaant tha...

ab uske MABBA aur MAHI ko chhod sirf 2 STELLARS hi bache the...


MABEL aur VALDIS....


aur un dono par hi nazar thi is waqt VIDEOUS ki...

wahin MABBA ko toh WYVERN mouka hi nahi de raha tha bilkul...uske MAGIC DOOR se wapas aane ki speed bhi kaafi badh gayi thi jis wajah se woh bas uspar hi focus banaye hue the..

MAHI ki nazar bhi MABBA aur us creature par hi thi taaki agar MABBA se koi chuk ho toh woh morcha sambhal sake...

khair,kuch palon ke wait ke baad jaise hi VALDIS aur MABEL ke piche ek MAGIC door khula toh VIDEOUS ke aankhon ki putliyan naach uthi aur aisa hote hi un khuke MAGIC DOORS se do inch door hi ek dusra DOOR khul gaya jisme first door se nikalne ke baad woh dono creatures sama gaye aur agle hi pal....


AHHHH....AHHHH....AHHHH......

ek ke baad ek kayi cheekhen gunj uthi par is cheekh ko MABBA ne nahi suna par haan, VIDEOUS ne mehsoos zaroor kiya aur aisa kar woh muskura diya....

reason...

abki baar ki ye cheekhen GROOMERS ki thi jinhe lagatar alag alag MAGIC DOORS ko khol dono creatures ke through VIDEOUS khatm kar raha tha...

kuch hi seconds me ACCHUTA aur SLUNDER ko chhod koi bhi GROOMER nahi bacha tha..

yahan tak ki EDWINA bhi challenge se bahar ho chuki thi..

haan,usse bahar karne ke liye VIDEOUS ko ek saath dono creatures ke through uspar attack karwana pada tha ....

GROOMERS lagbhagh khatm ho chuke the aur jo do bache the,unhe khatm karne se pehle VIDEOUS ek baar WEAKLINGS me bhi bhagdadh machana chahta tha aur isiliye usne RAAZ and party ki taraf rookh karne ka socha...

BRAWNY aur HIDA ke saamne do MAGIC DOORS khule jisme se CHUPACABRA aur SNALLYGASTER bahar nikal unki taraf koode aur phir....


AHHHH...AHHHHH....

do cheekh nikli jisse sun khush hone ke bajaye halka ghussa dikha VIDEOUS ke chehre par....

reason....

ye cheekh HIDA aur BRAWNY ki nahi balki VALDIS aur MABEL ki thi...

toh hua ye ki jaise hi BRAWNY aur HIDA ke saamne MAGIC DOOR khula aur usse dono creatures nikle toh ussi pal do aur doors khule jisme pehle toh BRAWNY aur HIDA samaye aur uske baad woh dono creatures par door ke andar samate hi BRAWNY aur HIDA apne left ki taraf kood gaye..

ye naya door STELLARS ke area ka tha jiske dusri taraf VALDIS aur MABEL the aur BRAWNY, HIDA ke achanak prakat hone aur hatne ki wajah se woh thode hadbada gaye par isse pehle ki woh kuch samajh paate, DOOR se nikalte dono creatures ke mooh me woh sama chuke the...

wahin VALDIS aur MABEL ka khel khatm karne ke baad HIDA aur BRAWNY wapas apne allotted jagah par MAGIC DOOR ke through chale gaye...


CHAAL CHALTE WAQT KHAYAL RAKHNA ZAROORI HAI KI KAHIN CHAAL ULTI NAA PADH JAAYE...


VIDEOUS ke piche se aayi thi ye awaaz jisse sun woh piche palta nahi kyunki woh jaanta tha ki is awaaz ka maalik kaun hai....???

RAAZZZ......


wahin apni baat keh mai aage badhte hue VIDEOUS ke baaju me jaakar khada ho gaya...


VIDEOUS-apne team ko chhod kar yahan nahi aana chahiye tha tujhe.....????

MAI-1 ghante khatm hone me sirf 1 hi minute baaki hai....itni der toh khudko sambhal hi legi meri team...

tu apni dekh,second challenge bhi haar rahi hai teri catagory...


VIDEOUS-faisla faisle ki ghadi se ek second pehle tak bhi nahi kiya jaata..

phir abhi ek minute baaki hai RAAZ.....


meri aankhon me dekh kahi thi ye baat VIDEOUS ne jahan is waqt behadh halki movements lagatar ho rahi thi..

aur thik waise hi movements meri aankhon me bhi ho rahi thi...

reason...

baat karte hue bhi hum dono ke SPELLS aur us SPELL ke kaam chalu the...

jahan ek taraf VIDEOUS lagatar dono creatures CHUPACABRA aur SNALLYGASTER ko MAGIC DOORS ke through meri caragory WEAKLINGS ke paas bhej raha tha,wahin mai bhi lagatar MAGIC DOOR bana un teeno ko dono creatures se bachaye jaa raha tha....

har guzarte waqt ke saath hum dono ki hi MAGIC DOORS banane ki speed badh rahi thi jisse use me laane ka bakhubhi saath de rahe the VIDEOUS ki taraf se woh dono creatures aur meri taraf se mere friends...

is beech MABBA aur MAHI ke saamne waale creature ki MAGIC DOOR se wapas aane ki speed bhi kaafi badh gayi thi jisse woh doni bohot mushkil se sambhal rahe the...

CHUPACABRA aur SNALLYGASTER ke liye VIDEOUS bhi do MAGIC DOORS bana raha tha aur apne friends aur WYVERN ke liye mai bhi do MAGIC DOORS bana raha tha jiski wajah se DOORS banane ki speed hum dono ko same hi thi...

par ab sirf 20 second hi reh gaye the challenge khatm hone me jiska matlab tha ki agar abhi jaisa hi 20 second aur chalta raha toh mai ek baar phir STELLARS aur VIDEOUS ko hara dunga aur isiliye VIDEOUS andar se halka restless hone laga tha par tabhi.....

AAHHHHHHH........

ek halki cheekh nikli jisse sun ek smile naach utha VIDEOUS ke chehre par....

reason....

achanak se hi VIDEOUS ke MAGIC DOOR banane ke speed tez ho gayi jiski wajah se kuch pehle hi nikal aaye uske andar se CHUPACABRA aur SNALLYGASTER..

ye woh waqt tha jab meri MAGIC DOOR bas bani hi thi jisme HIDA aur BRAWNY toh ghus gaye the par ALFREEN nahi ghus paayi thi aur tabhi CHUPACABRA ustak pahunch gaya aur ek baar me hi usne ALFREEN ko nigal liya...

halke cheekh ke beech bina pata lage hi ALFREEN challenge se out ho chuki thi aur isiliye hi VIDEOUS ke chehre par smile thi...

wahin kuch pal shaant rehne ke baad jab mahaz 5 seconds bache reh gaye the challenge over hone ke toh VIDEOUS si hi par halki gehri smile mere chehre par bhi aa gayi jisse dekh VIDEOUS chownka par isse pehle ki woh kuch samjhe aur react kare....

AHHHH.AHHHH....


do halki cheekh ko feel kiya usne jiske agle hi second challenge khatm ho gaya aur saath hi pura scene bhi.....

hum dono wapas stadium me the jahan is waqt har koi apni jagah par khada yaa toh mera naam pukar raha tha yaa phir taali baja raha tha jisse dekh pehle toh VIDEOUS halka chownka par phir uske mind ne nano seconds me hi pura ganit solve kar diya aur aisa hote hi..

SHITTTT.........

halka gurrate hue kahi ye baat VIDEOUS ne...

wahin jahan ek taraf meri catagory ke teeno members has rahe the jisme ACCHUTA aur SLUNDER bhi unka saath de rahe the wahin dusri taraf MAHI toh normal hi thi par MABBA ke mooh par baara baja hua tha aur woh isiliye kyunki usse bhi ab tak jo game hua tha,uske baare me pata chal chuka tha...


JUNG JEETNE KE LIYE KABHI KABHI BAAZI HAARNI PADTI HAI...


issi tark ko sach kar dikhaya tha maine aaj...

kaise..??? aayiye,aap bhi jaan lijiye..


toh baat ye hai ki VIDEOUS ki MAGIC DOORS banane ki speed ka badhna,mere DOOR banane ki speed ka kam hona, ALFREEN ko us creature ka khaana,ye sab mera plan tha...

VIDEOUS ke saamne aane se pehle hi maine ALFREEN ko bata diya tha ko usse ek bait ko tarah khudko istemal hone dena hai..

is baat se ghabrayi zaroor thi ALFREEN par woh jaanti thi ki HIDA aur BRAWNY filhal usse zyada strong hai aur strong bando ko bait nahi banaya jaata...

saath hi last challenge me baaki teeno ke saamne khudko kamzor feel kiya tha usne isiliye is challenge me woh ek sahi yogdan dena chahti thi apni team ke liye jo usse mil raha tha...

wahin dusri taraf VIDEOUS joki un creatures ke through meri team ka kuch bigad nahi paa raha tha, isiliye usme frustration aane lagi thi....

uska thoda focus MABBA ke taraf bhi tha jis wajah se woh mujhse zyada tezi ke saath MAGIC DOORS nahi bana paa raha tha aur isiliye usne ek pal ke liye apna pura focus meri team par shift kiya aur yahi toh mera plan tha..

uske focus shift karte hi uske MAGIC DOORS banane ko speed badhi aur tab maine apna plan exicute kar diya...

ek taraf maine khudke MAGIC DOORS banane ki speed kam ki aur aisa hote hi ALFREEN ne bhi khudko aur slow kiya aur apni khushi se sidhe CHUPACABRA ke mooh me chali gayi..

par iske saath maine WYVERN waali MAGIC DOOR ki speed hadh se zyada badha di jiske chalte MABBA aur MAHI hadbada gaye aur unka pura focus sirf bachne me lag gaya aur aisa hote hi maine ek saath do MAGIC DOORS banaye..

pehle MAGIC DOOR me kadam rakha MABBA aur MAHI ne jo unhe le gaya WEAKLINGS zone ki taraf jahan par pehle se hi do creatures khade hue the...


ALFREEN ko unme se ek khaa chuka tha aur ab MABBA,MAHI ko dekh SNALLYGASTER unki taraf badha jiske liye MABBA ne turant ek DOOR banaya par tabhi....


WYVERN ki khaasiyat toh yaad hi hogi aap sabko...pehle MABBA ke piche prakat hua woh woh par phir reth ke andar se bahar nikal ek dusre ke aas paas khadi MABBA aur MAHI dono ko ek baar me hi apna bada sa muh khol nigal gaya wo..

hence,plan successful....


REGIS-brilliant RAAZ... absolutely brilliant...MAGIC DOORS ka aisa use aaj se pehle kabhi nahi dekha gaya hai..

infact WICKEDS aur MORALS bhi aisi rachna nahi kar sakte jaisa tumne kiya hai...

VIDEOUS,MABBA,bhale hi RAAZ tum dono par bhaari raha hai par phir bhi tumhara performance kamal ka tha...

RAAZ tumpar bhaari raha hai,in shabdon ke baad toh kuch sunai hi nahi diya tha MABBA aur khaas kar VIDEOUS ko..

woh ek pal bhi wahan nahi rooka aur khudko shaant karne ke liye ek disha ki taraf badh gaya...

taaliyon ki gunj abhi bhi barkarar thi aur issike beech...


REGIS-well,is second challenge me STELLARS se sirf ek SAVENT, VIDEOUS hi SURVIVE kar paaya hai, isiliye unhe total 50 points milte hain..

wahin GROOMERS se ACCHUTA aur SLUNDER,do SAVENTS ne survive kiya hai, isiliye unhe 60 points milte hain...

and finally, WEAKLINGS se sirf ek SAVENT hi bahar hua, isiliye unhe 90 points milte hain....

toh issike saath teeno catagories ka total score kuch is prakar hai...


STELLARS-90+50=140 points ke saath third position par hain...


GROOMERS-85+60=145 points ke saath second position par chal rahe hain...


aur WEAKLINGS-95+90=185 points ke saath sabko chonkate hue first position par kaayam hain...

congratulations WEAKLINGS..we are proud of you.....


REGIS ki anouncement se zyadatar log khush hi the aur is beech ALFREEN aur mere baaki friends mere paas aakar apni apni khushi jatane lage par tabhi.....


U ARE SO DEAD RAAZ.......


ek gurrati hui awaaz mere aur mere aas paas ke sabhi logon ke kaano par padi joki MABBA ki thi jo ki is waqt thik mere piche apni laal ho chuki aakhon se ghoor rahi thi mujhe..

wahin jahan mai chehre par muskaan liye MABBA ki taraf palta wahin ALFREEN MABBA ke haaw bhaav dekh halki ghabra gayi thi...

khair,mere smile ko dekh...


MABBA-has le.. bohot kam waqt bacha hai waise bhi tere paas.....aur ab tere saath tere in doston ko bhi aisi saza milegi jisse rooh kaamp jaayegi inki....


MABBA ki baat sun HIDA kuch kehne hi waali thi ki rok diya maine usse aur khud MABBA ke saamne jaakar khada ho gaya..


mere aisa karte hi MABBA ne apni nayi paayi hui devilish shakti ka halka sa AURA mujhpar chhoda taaki mai us power se intimidate ho jaaun....

par mere chehre ki smile aur badh gayi thi uske aisa karne se..

khair,kuch der tak usse dekhne ke baad..


MAI-pehle bataiye,gidad kaun aur sher kaun....???


meri baat sun MABBA ko ussike challenge se pehle kahe shabd yaad aa gaye the par woh chupchaap mujhe ghurti rahi jispar...


MAI-tark wahi sahi jo karm me parivartit ho sake... haisiyat jab kutiya ki ho toh example sherni ka nahi diya jaata...


meri baat sun apni jhulasti aankhon se mujhe kuch kehne ko hui MABBA par tabhi...


MAI-SSSHHHHHH...awaaz nahi...warna haalat se pehle aapki awaaz bigaad dunga mai...

waise waqt waali baat sahi ki thi aapne..bas halka correction hai...

waqt aapka kam bacha hai...saans lene ke ehsaas ko ji lo in aakhri lamho me....

marengi nahi aap,par zinda lagengi bhi nahi aap...lines yaad rakhiyega.....





aapki bekhouf aankhon ko aakhir
me do DARNA HI HAI...

chadha lo jab tak waqt hai,baad me toh saari charbi ko UTARNA HI HAI.

woh lamha nazdik hai jab tutega saara bhram......

aisi zindagi milne waali hai jisse dekh sab kahenge ki isse acha toh MARNA HI HAI....













AAJ KE LIYE ITNA HI.....













AAPKA APNA V....J.....
Zabardast killer update 🤠🤠🤠
 

Rudrathakur

Active Member
586
3,384
123
thanks brother... brother, VIDEOUS ke character ko samjhiye...

ATTITUDE,first part padha hai aapne, VIKRAM aur ASMODEUS ke dimag ko samjha hai...

VIDEOUS unhi dono se bana urja hai...ye kahani bhale hi uske aur Raaz ke beech ki fight aur pratidwandita dikha rahi hai,par uski asli fight toh VIKRAM aur ASMODEUS se hi hai..

VIDEOUS woh hai jisse harane ke liye laakhon saalon tak planning ki hai in dono ne..

aisa banda sab kuch ho sakta hai,par overconfident nahi...

haan,jhatke lag sakte hain usse par un jhatkon ke badle woh jo jhatke dega, uska ek namuna aap RAAZ se uske hi parents ko marwane waale scene me dekh chuke hain...

VIDEOUS.. last level GENIUS,yunhi nhi kaha h...!!!

abhi kahani bas madhyantar tak pahunchi hai.next aur final chapter pehle dono chapters ko mila bhi den,tab bhi zyada interesting hone waala hai...

challenges aur competition se bhara hone waala hai ye part..

ab tak VIDEOUS aur RAAZ compete kar rahe the,par ab sirf RAAZ karega,us khel me jo uske potential ke last limit tak ko hila degi...

VIDEOUS ke level tak pahunchne ke liye bohot papad belne hain RAAZ ko...dekhiye,kya gul khilata hai aane waala samay...
Haan ye bhi h ki hm videous ko thoda sa miss judge kr dete h raaz ke sath competition me aur iska kaaran bhi h raaz aur uske beech hui savents ki roop me bhidant me raaz uspr bhaari hi dikha h pure chosens me aur last time me bhi jb raaz ke paas uski sirf savents power thi aur videous ke paas uski aloukik shaktiyan aa chuki thi tb jo ek takrav hua tha dono ke beech usme videous ne bhi mana tha ki he is really a tuff guy aur filhal raaz ko teleport kr diya gya h kahin jo videous ki jankari se dur h abhi...haan videous ke attitude ko dekhkr aur uski asli ldai vikram aur asmodeus se h jinki buddhi ka loha wo manta bhi h aur ye game bhi power ka nhi buddhi ka hi h ..jaha videous ne apne deemag ke dum pr un dono genious se panga liya h aur abhi tak ke game me videous hi jeeta h aur unse aage h pr abhi bhi vikram aur asmodeus ki planning bahut bdi h jisko bnane ke liye unhone lakho saalo tk apna ek ek sainik baithaya h bahut si gupt jagahon pr jo waqt aane pr samne aayegi jaise jaise game bdhega to kya srf filhal raaz ke smapt hone pr wo dono haar gye h kyuki i think shart to ye bhi thi ki videous ka jo bhi opponent hoga wo dono tbhi ek dusre ko khtm krenge jb dono apni aloukik shaktiyon ke sath honge aur abhi jo raaz ke sath hua usme uske paas to koi aloukik shaktiyaan thi hi nhi na to abhi wo jeeta kaise uppr se uska manshik santulan bhi hila hua tha aur ye baat devotees ne bhi boli thi jb raaz videous ko exertion me khtm krne ja rha tha ki abhi videous ko raaz nhi maar skta h na videous raaz ko sayd yhi tha na agr main glt nhi hu to may be thoda bhul rha hou kyuki iss beech kaafi din ho gye h...aur waise bhi future ki jhalkiyon me raaz jinda h to videous to abhi jeeta hi nhi h na aur yaha pr filhal genious vikram aur asmodeus h jinhone videous ko pta bhi nhi lgne diya aur raaz aur mahi ko waha se replace bhi kr diya haan agr baat raaz ki aloukik shaktiyon ke usko tyagne ki h aur un dono ke uppr se bharosha uthne ki to iss baat me videous jeet gya h filhal kyuki usne apne opponent ko hi unke khilaf kr diya tha agr vikram aur asmodeus uss waqt uske samne hote to raaz unpr bhi hmla kr skta tha...
Ab brother main to yhi samjh paya hu filhal tk baki to aap smjha hi denge ki kahan me cheeze miss kr rha hu to missing cheezr bhi next chapter aur tumhare reply ke sath clear ho jayengi hi..haan ye to h ki raaz ko last limit tk jana pdega apni potential tk ke videous ko hrane ke liye par abhi chosens me raaz videous se kuchh waqt ke liye bahut si cheeze hide rkhne me safal bhi hua tha aur deemag ke maamle me to usse 8-10 kadam aage bhi rhna pdega ye hi baat to h videous me...

Aur ye last me jitna bhi jeeta jeeta nhi wali cheeze h unho bhul jana flow flow me nikl gya sab vikram asmodeus aur raaz ke liye bhavnayein si baahar aagyi thi...hehehe
:respekt::respekt:
 
Last edited:

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,267
38,658
258
Nice update bro
AB TAK AAPNE PADHA KI SECOND CHALLENGE SURVIVAL ME BHI WEAKLINGS RAAZ KI WAJAH SE FIRST POSITION PAR AATE HAI..


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



PLANET-ELYSIAN


PLACE-THE STADIUM



MEGA UPDATE-102



EXERTION:-

FINAL PART.....(FIRST SEGMENT)






KNOCK OUT.....EXERTION KA AAKHRI CHALLENGE....


REGIS ki jagah is baar khud SOVES SHAILA hume EXERTION ke aakhri challenge ke baare me bata rahi thi....

second challenge ke baad turant baad hi third challenge ki anouncement shuru ho chuki thi..

waise toh pyscically SAVENTS asaani se thakte hain nahi par SURVIVAL challange me un teen creatures se bhidne,marne aur bachne ki wajhse halki halki thakan SAVENTS feel kar rahe the par is cheez ko darkinar kar third challenge ab start hone hi waala tha..

khair, apni baat ko aage badha....


SHAILA-is third challenge ko KNOCK OUT ki jagah BLACK OUT bhi kaha jaa sakta hai..

iske do reasons hain..

pehla,abhi tak ke aapke dono challenges hum sabne dekhe hain,par is aakhri challenge ke hum darshak nahi honge....

humari aankhon ke liye ye competition completely BLACK OUT hoga...

dusra reason hai is challenge me hone waali takkar jiske aakhir me sirf ek hi catagory ke SAVENTS yaa fir koi ek SAVENT hi bacha hoga,baaki sab KNOCK OUT yaa fir BLACK OUT ho chuke honge...

ab baat karte hai is challenge ke baare me..

KNOCK OUT CHALLENGE me naa koi time limit hai aur naahi kisi bhi tarah ki bandish hai...

kuch der baad aap sabko ek naye bhulbhulaiya me alag alag dishaon me bhej diya jaayega..

aisa hone ke baad hum sabka aap SAVENTS se contact puri tarah se khatm ho jaayega....

us bhulbhulaiya me apni catagory ke saath milkar yaa phir individually aapko apne opponent catagory ke SAVENTS ko dhund dhund kar unse ladhna hai...

ye ek POWER CONTACT challenge hai jisme aapko apne pratidwandi ko apni shakti pradarshan se yaa toh behosh karna hai yaa phir waisi hi kisi state me pahunchana hai jisse ki uski senses band ho jaaye...

dhyan rahe,is challenge me shakti pradarshan ki aur apne pratidwandi ko nuksaan pahunchane ki koi limit nahi hai...

agar aapko lage ki yudh me aapki haalat kharab ho chuki hai toh aapko swayam chillate hue SURRENDER shabd uccharit karna hoga jiske baad aapka challenge samapt ho jaayega aur aap yahan stadium me apne aap hi pahunch jaayenge...

haarne ki kagaar par pahunchne ke baad bhi agar aapne haar nahi maani aur ladhte rahe toh aapki jo bhi haalat hogi,uske aap swayam zimmedar honge....

WEAKLINGS,filhal aap points table par sabse aage chal rahe hain..

isme aapke behatarin performance ke saath saath points baatne ke ratio ki bhi ek ehem bhumika rahi hai...

us ratio ka pehle dono hi challenges me aapko faayda mila hai par is third challenge me yahi ratio aapke khilaaf hai...

STELLARS me kul 25 participants hain aur GROOMERS me 16...

par aapke catagory me sirf 4 participants hain...

ratio ke hisaab se dekhen toh GROOMERS ke 4 SAVENTS ke saamne aapme se sirf 1 SAVENT is challenge numa yudh me khada hoga jisse usse ladhna hoga...

raah aapki bohot kathin hone waali hai par hume ummid hai ki jaise aapne pichle dono challenges me adhbhudh perform kar sabko chakit kiya hai,is baar bhi kuch waisa hi hoga....

ab agar baat karen result milne ke tarike ki toh ye bohot simple hai..

kul do tarike hain...

pehla...

aakhir me jaise hi teen me se do catagories ke saare SAVENTS KNOCK OUT HO JAAYENGE toh bachi catagory winner ban jaayegi...

jitne SAVENTS us catagory me bache honge,uske according us catagory ko points milenge....

dusra tarika hai sandhi...

agar aap chahen toh apne pratidwandi catagory ke SAVENTS se sandhi bhi kar sakte hain..

apne targets ko KNOCK OUT karne ke baad dusre catagory ke SAVENTS ke saath sandhi kar aapko ek dusre kaa haath pakad MIDDLE GROUND uccharit karna hai..

par dhyan rahe,aisa karne se pehle ye confirm hona zaroori hai ki baaki ke bache pratidwandi KNOCK OUT ho chuke hain..

uske bina sandhi possible nahi hogi...

any questions....???

SAB-NO SOVES...

SHAILA-best of luck...


SHAILA ki baat sun halke dar ke saath sabhi SAVENTS ki nazar stands me baithe unke parents ki taraf gayi jahan parents ki aankhon me zyada hi dar dikh raha tha..

par naa toh woh kuch kar sakte the aur naahi SAVENTS...

khair,abhi SAVENTS ko apne parents ko dekhte hue 5 seconds bhi nahi hue the ki woh sabhi chownk gaye....

reason...

unke saamne ka pura scene badal chuka tha...ab woh stadium me nahi the balki apni apni catagory ke members ke saath ek nayi jagah par khade the...

ped, poudhe,aur chaaron taraf prakrutik nazaare ke beech bane ek MAZE me...ek BHULBHULAIYA me....




KNOCK OUT CHALLENGE:-





SWABHIDHAM

SEARCH


MABBA ke man me uccharit hua tha ye SPELL jisse jiske agle hi pal naa sirf uske sharir se sense ray nikal aage badh gaye balki ussi second ke beetne se pehle hi MABBA ko GROOMERS aur WEAKLINGS ka exact position pata bhi chal chuka tha...

wahin MABBA se thodi door khada VIDEOUS bhi yahi karne waala tha par jab usne MABBA ke sense ray ko feel kiya tha toh ussi ray se MABBA tak ko pata lage bina khudko jod liya usne jiski wajah se MABBA ke saath usse bhi baaki dono catagories ke location mil chuke the....

khair,aisa hone ke turant baad...


VAJRAM

ATTACK


MABBA ne budbudaya ye SPELL jiske agle hi pal uske sharir se bohot saare invisible rays nikal GROOMERS aur WEAKLINGS ki taraf badh gaye....




GROOMERS & WEAKLINGS

DHAPPP..........


attack ray ko sense kar liya tha GROOMERS me ACCHUTA, SLUNDER aur yahan tak ki EDWINA ne bhi par un rays ki speed itni tez thi ki jahan ek taraf EDWINA sirf khudko bacha paayi wahin dusri taraf ACCHUTA aur SLUNDER ne jaanbujh kar sirf khudko hi safe rakha kyunki woh jaante the ki unke catagory ke baaki SAVENTS waise bhi is challenge me tik nahi sakte aur isiliye woh teeno ek taraf jump laga gaye wahin dusri taraf same cheez WEAKLINGS me HIDA aur BRAWNY ne bhi ki....

mai bas apni jagah se halka sa side hua aur saath hi ALFREEN ko bhi apne saath kheench liya....


AHHHHHH.AHHHH....AHHHHH....

ek baad ek kayi cheekh nikli un GROOMERS ke mooh se jinhe wo ray lag gayi jiske baad woh sabhi ek ke baad ek behosh hone lage jiska matlab tha ki woh sab KNOCK OUT hokar challenge se baahar ho chuke the....




BACK TO STELLARS:-




MUJHE LAGA HI THA KI PEHLE WAAR SE BACH JAAOGE TUM LOG PAR CHAHTI BHI TOH MAI YAHI THI....

BAAKI SABKO IS KHEL SE BAHAR KARNA ZAROORI THA KYUNKI TUM SAB SIRF IS CHALLENGE SE HI NAHI BALKI DUNIYA SE KNOCK OUT HONE WAALE HO....


GROOMERS ke 90 percent SAVENTS ko KNOCK OUT kar man hi man badbadaya MABBA ne aur phir woh apne SAVENTS ko kuch kehne ke liye unki taraf mudi hi thi ki tabhi....


AHHH....AHHHH.....AHHHH......


GROOMERS aur WEAKLINGS ki hi tarah ek invisible unki taraf bhi aayi jiski speed itni zyada thi ki usse bas kisi tarah sense kar liya MABBA, VIDEOUS,ANWIR aur MORANA ne aur ek taraf challang laga gaye..

wahin MAHI VIDEOUS ke just baaju me hi khadi thi isiliye chhalang lagate waqt VIDEOUS ka galti se usse bhi dhakka laga aur isiliye woh bhi ek taraf gir gayi aur luckily un rays ki chapet me aane se bach bhi gayi....

par in sabke saath ek aur bhi SAVENT tha jisse us ray ne nahi chhua aur woh tha VALDIS....

khair, jab tak woh challang lagane ke baad palte,tab tak VALDIS ko chhod baaki sabhi STELLARS zamin par gir behosh ho chuke the jisse dekh....


ANWIR-shit...un dono catagories me se kisine hume sense kar liya hai...

MABBA-kisine nahi, us RAAZ ne...

MORANA-waise ek baat aur hai...hume un rays se bachne ki zaroorat thi nahi kyunki woh rays hamare liye aayi hi nahi thi..

ye ek selective waar tha..un rays ka nishana wahi STELLARS the jinhe usne KNOCK OUT kiya hai...

aur iska matlab hai...

MABBA-open challenge...in sabko raaste se hata usne hume khuli chunouti di hai..

saamne se ladhna chahta hai woh humse...


jahan halke ghusse se gurrate hue kahi ye baat MABBA ne wahin jo abhi abhi hua,usse dekh fath ke chaar hi chuki thi VALDIS ki...

RAAZ ne bina saamne aaye itna saare STELLARS ko KNOCK OUT kar diya tha jinme se ek MABEL bhi thi joki uske hi jitni powerful thi,ye jaan fatni toh uski thi hi..

aur is dar ko MABBA ki kahi baat ne aur badha diya tha...

ye sochkar uski hawa tight ho chuki thi ki woh un STELLARS me se tha jinse woh saamne se ladhna chahta tha...

ye sab soch halki kampkapati awaaz ke saath...


VALDIS-abb kkya kare WHIZZ...???


VALDIS ki dari hui awaaz ko sun ek pal usse bhi ghusse me dekha MABBA ne par phir....


MABBA-tumhe kuch bhi karne ki zaroorat nahi hai...aas paas ki jagahon ko check out karo,bas...

baaki ka kaam humara hai...

ANWIR,MORANA....shikar karne ka waqt aa gaya....


MABBA ki baat sun ANWIR aur MORANA kaale dhuen me badalkar ud gaye...


MABBA-VALDIS ko jo kaha, same goes for you MAHI and VIDEOUS...jagah explore karo,par agar tumhe bhi challange me participate karna hai,toh you are on your own...


ye bol MABBA ek disha ki taraf badh gayi...

wahin unke jaane ke baad VIDEOUS bhi dusri disha me nikal chuka tha...

MAHI bhi is challenge me akele hi participate karna chahti thi isiliye usne VIDEOUS ko jaate waqt kuch nahi kaha aur phir woh bhi pure MAZE ko dekh ek taraf badh gayi...

aur ab reh gaya VALDIS jo MABBA ke ensure karne ke baad thoda relax ho chuka tha aur isiliye woh wahin aas paas ghumne laga....





BACK TO WEAKLINGS:-




ARRE,PUSH KYUN KIYA .???


neeche giri ALFREEN ne wapas uththe hue sawal kiya mujhse jispar...


HIDA-STELLARS ne ATTACK RAY chhoda tha..agar lag jaata toh behosh ho challenge se bahar ho jaati tum..


meri jagah HIDA ne jawab diya jispar.


ALFREEN-hain,mujhe toh pata hi nahi chala...

HIDA-challenge ke waqt focus hamesha 100 percent hona chahiye ALFREEN..khair chhodo aur chalo..


ye bol ALFREEN ko pakad ek taraf le gayi HIDA aur ek bade se ped ke paas pahunch uske trunk par haath fera usne aur uske aisa karte hi woh bada sa trunk do hisson me bath gaya aur uske beech ek khaali jagah dikhne lagi..


ye sab dekh hairan ho hi rahi thi ALFREEN ki tabhi...


HIDA-bina sawal puche andar jaao...


trunk ko yun beech se khulte dekh sawal toh utha hi tha ALFREEN ke man me par HIDA ki baat sun bina kuch kahe,woh us trunk ke andar chali gayi...aur jab aisa hua toh..


HIDA-kuch hi der me hume sense kar STELLARS ke powerful SAVENTS yahan aayenge jinse tum ladh nahi paaogi...

isiliye kamsekam agle dus minute issi ke andar rehna hai tumhe..

mai isse wapas band kar rahi hun...

yahan naa toh tumhe koi sense kar paayega aur naahi is trunk ko bahar se khola jaa sakta hai..

10 minute ke baad tum isse bahar aa jaana.. tumhare sochne maatra se ye wapas khul jaayega...


itna bol bina kuch sune HIDA ne trunk ko pehle jaisa kar diya aur wapas hamare paas aa gayi aur tab...


MAI-ladhna toh sabse hai par kab,ye samajh lo...


meri baat khatm hote hi aage ka saara ganit un dono ke dimag me feed ho gaya jisse jaan un dono ke face par smile aa gayi....


BRAWNY-toh mai jaata hun...woh dono wahan pahunchne hi waale honge..


BRAWNY ki baat par haan me sir hilaya maine jiske baad woh gayab ho gaya aur uske jaate hi...


HIDA-kya mai sidhe attack nahi kar sakti....???

MAI-pehle khushi,phir shock aur aakhri me dar...ye kram zyada mazedar hoga....


meri baat sun HIDA ke face par ek smile aa gayi jiske agle hi pal woh bhi gayab ho chuki thi....

wahin ab tak aage ka ganit maine ACCHUTA aur SLUNDER ko bhi bata diya tha aur aisa kar mai bhi araam se ek disha ki taraf badh gaya....




BACK TO GROOMERS:-




brilliant ACCHUTA, SLUNDER... tum chowkanne the isiliye attack rays ko feel paaye..

but unfortunately ab hum bas teen hi bache hain is challenge me, isiliye hume zyada satark rehna padega..


abhi EDWINA ki baat khatm hui bhi nahi thi ki usse ek disha ki taraf kisike hone ka abhas hua jisse mehsoos kar pehle toh woh chownki par phir...


EDWINA-i sensed someone...tum dono yahin raho aur ek dusre ko back karo..mai us taraf jaa rahi hun..

agar wakayi koi hamare aas paas hai toh usse pehle mujhe uspar attack karna hi behtar hoga..

we cant give anybody chance...


jahan ye bol EDWINA ek disha ki taraf badh gayi wahin uske jaate hi ACCHUTA aur SLUNDER ke face par smile aa gayi..

reason...

koi unke aas paas hai,ye half illusion ACCHUTA ne hi EDWINA ke brain me paida kiya tha..

half isiliye kyunki filhal toh jis taraf EDWINA gayi thi,wahan koi nahi tha par bohot jald hone waala tha..


khair, EDWINA ke jaate hi....


ACCHUTA-woh dono aa rahe hain....

SLUNDER-oh yehhhh.....


SLUNDER ke aakhri alfaaz khatm hue hi the ki unse thode aage hawa ko cheerte hue do kaale dhuen aaye aur rook gaye..

aur rookne ke agle hi pal un dono dhuon ne human form le liya jisse dekh...


ACCHUTA/SLUNDER-wellcome ANWIR, MORANA....


jis tarah smile karte hue ACCHUTA aur SLUNDER ne ANWIR aur MORANA ka welcome kiya,usse dekh woh dono hairan ho gaye par phir..


ANWIR-lagta hai apni mout jo dekh dimag kharab ho gaya hai tum dono ka...

SLUNDER-mujhe samajh nahi aata ki har chutiya naye chutiyape se pehle aisa hi koi out dated DIALOGUE kyun maarta hai...??

tujhe andaza hai bhai..!!!

ACCHUTA-no idea...par thik hai naa, zuban apni marzi se aakhri baar khol raha hai,toh bhownk lene de...

par yaar,afsos mujhe is baat ka hai ki in dono ki durgati mai dekh nahi paaunga..

SLUNDER-afsos....saale,apne shikar ke paas jaa raha hai,man me toh laddu phut rahe honge tere...

par sun oye,dhyan se...jaan se nahi maarna hai...

ACCHUTA-pata hai be...waise bhi,uske dil ke chalne se problem nahi hai mujhe.. uske mooh ke chalne se hai...

ussi par lagam lagani hai...

mout naa sahi,mout ka dar toh dikha hi sakta hun usse..


apne jaise dangerous SAVENTS ko saamne dekh kar bhi undekha kar apne me hi ACCHUTA aur SLUNDER ko lage dekh ANWIR aur MORANA dono ko hi hairani bhi ho rahi thi aur ghussa bhi aa raha tha aur isiliye un dono ke hi haathon me BLACK ENERGY ka devastation GOLA dikhne laga jisse ek pal rook un dono ne ACCHUTA aur SLUNDER ki taraf phek diya aur jab aisa hua toh...


FFFFHHHHHHH....


ek behadh tez hawa chali ANWIR, MORANA aut SLUNDER, ACCHUTA ke beech jiska pravah itna zyada tha ki woh do devastation GOLON ne beech raaste me hi dum tod diya aur us hawa me gayab ho gaye...

ANWIR, MORANA ne bhi us tez hawa ko naa sirf feel kiya tha balki uske impact ki wajah se unhe tez dhakka bhi mehsoos ho raha tha par kisi tarah woh dono apni jagah par khade rahe..

wahin woh tez hawa ka bawandar kuch pal un chaaron ke beech yunhi gol ghumta raha par phir woh ACCHUTA ki taraf badha aur uske side me jaakar dheere hone laga aur jaise hi wo bawandar khatm hua toh ANWIR aur MORANA ki aankhen badi hi gayi..

reason...

ACCHUTA ke baaju me khada tha BRAWNY....

wahin BRAWNY ko dekh..


ACCHUTA-chal bhai.. sambhal ab tu morcha...mai chala...


ye bol ACCHUTA aage badha aur..


ACCHUTA-excuse me guyz...


ye bol woh MORANA aur ANWIR ke beech se hote hue aage badh gaya..

ANWIR aur MORANA,jo pehle se hi jo ho raha tha,usse dekh itne hairan the ki unhe ACCHUTA ko jaate dekh kuch kehte hi nahi bana...

khair,kuch seconds me ACCHUTA sabki nazaron se door jaa chuka tha aur tab...


SLUNDER-khel shuru karen guyzzz.....


SLUNDER ke awaaz se naa sirf ANWIR aur MORANA ne apne apne dimag ko jhatka balki unki aankhon me ek baar phirse ghussa bhi dikhne laga......




EDWINA VS MABBA:-



AHHHH.......


ek cheekh ke saath door chitak kar giri EDWINA..

wahin waar kar apne kamar me haath rakh muskurate hue apni jagah par khadi rahi MABBA....

jis disha me EDWINA aage badhi thi,kuch door aage jaane ke baad isse saamne se MABBA aati hui dikhi..

MABBA ne bhi usse dekh liya tha aur EDWINA ko dekh uske face par bhi ek muskaan naach uthi thi....

wahin MABBA jo ki filhal EDWINA ke liye ek opponent thi,usse dekhte hi ek ATTACK RAY chhoda usne jisse badi asaani se block kar ek dusri ray chhod di uspar MABBA ne aur us ray ki speed itni zyada thi ki jab tak EDWINA us waar ko samajhti,woh ray usse lag chuki thi jiske pressure se woh udte hue ek taraf giri thi...

khair,kuch pal tak apni jagah par khade rehne ke baad...


MABBA-come on EDWINA..agar ek waar me hi aur woh bhi maamuli pressure force waali push ray se hi pasth ho gayi tum toh khud ki nazar me hi kya izzat reh jaayegi tumhari.....

khadi ho jaao EDWINA..ek chance deti hun,proove your worth...


DHARTIYEM VAJRAPATHAM

EARTHLY THUNDER


MABBA ki baat sun waise lete lete hi EDWINA ne ek bohot hi ghaatak SPELL bola..

is SPELL se aasman aur dharti ke beech ek connection hota hai jiske baad dono hi jagahon se bijli kadak apne target ko lagti hi...

aur abhi bhi waisa hi hua... EDWINA ke SPELL uccharit karte hi aasman se aur dharti se dotarfa bijli prakat hui aur ek height par aakar mili jiske agle hi pal us spot se ek extra aur zyada powerful electric ray nikal MABBA ki taraf badhi par hairani ki baat ye thi ki ye sab dekhte hue bhi MABBA ne apne defense me kuch bhi nahi kiya,infact usne apni dono baahein us ray ke swagat me khol di jiske baad woh ray sidhe MABBA ke seene se takrayi..

us ray ka impact itna zyada tha ki MABBA se takrate hi uske chaaron taraf dhuan chhaa gaya par jab kuch der baad woh dhuan chhata toh..


EDWINA-impossible..


aankhon me hairani liye EDWINA MABBA ki taraf dekhne lagi jo bilkul sakushal apni jagah par khadi usse dekh muskura rahi thi...


MABBA-bohot accha waar tha EDWINA..nissandeh tum mere catagory ke dono WHIZZDERS REGIS aur SAPIUS se zyada taakatwar ho par afsos,tumhare andar ki acchayi ne tumhe shakti ke us mukaam tak pahunchne se rok diya jahan tum pahunch sakti thi..

khair,tumse thodi aur der khelne ka toh bohot man hai mera par apne targets ke paas pahunchne aur unhe unke anjaam tak pahunchane ki vyakulta usse zyada hai...

isiliye,phir kabhi..

TADHHHH....AAHHHH....


apni baat bolte bolte hi MABBA ne haath upar kar tezi se neeche kiya jiske baad upar aasman se aur neeche dharti se ek energy se bana dotarfa paash nikla aur usne EDWINA ko jakad liya..

ye paash bohot strong tha aur saath hi energy consumer bhi jiske asar ne naa hi sirf EDWINA ko baandh kar rakha balki saath hi uski energy ko sokhne bhi lagi aur isiliye kuch hi palon me energy drainage hone ki wajah se EDWINA behosh ho gayi aur aisa hote hi woh gayab ho gayi jiska matlab tha ki uska is aakhri challenge me safar khatm hua...

khair, EDWINA ke gayab hote hi SHAILA ne apne kadam aage badhaye hi the ki tabhi...


SAAAYENNNNN..........


ek behadh tez hawa ka jhonka uske chaaron aur se hote hue guzra jisme bohot zyada energy thi jisse mehsoos kar chownk gayi MABBA aur..


MABBA-kaun hai..saamne aa....

SAAMNE HI HUN MAI MABBA....


MABBA ke chehre ke thik saamne se ye awaaz aayi thi jisse sun hadbadate hue halki piche ho gayi MABBA aur saath hi uski hairani hadh se zyada badh bhi gayi..

reason...

us awaaz ko pehchanti thi MABBA...


MABBA-HIDA,ye tum ho...???


MABBA ke aisa bolte hi HIDA uske saamne prakat hui par solid form me nahi balki transparent form me jisse dekh ek baar phir se hairan hi gayi MABBA...

uski hairani ka ek kaaran ye bhi tha ki saamne hone ke baawjud woh HIDA ko sense bhi nahi kar paa rahi thi..

khair, HIDA ko saamne dekh..


MABBA-acha hua tu apni mout ke paas khud hi chali aayi HIDA...dekh tera mai..

HIDA-jo karna tha,jitna karna tha,kar chuki hai tu...ab aur kuch nahi kar paayegi tu...

aaj tere ghamand se bhare safar ke aage fullstop lag jaayega...

MABBA-acha,aur kaun lagayega woh fullstop,tu... isiliye dar ke maare transparent bani hui hai taaki zinda bachi reh...

HIDA-hahahaha....kuch pal aur is galatfehmi ke saath jee le MABBA..

jisse khatm karne ke junoon ne tujhe THE LAKE OF OBLIVION tak pahuncha diya,pehle usse do do haath kar apne shaktishali hone ki galatfehmi door kar le tu...


kisi atom bomb ko tarah dhamaka hua tha MABBA ke andar HIDA ki baat sunkar..

THR LAKE OF OBLIVION ki baat HIDA ko pata thi,aur uski baaton ke hisaab se RAAZ bhi ye sach jaanta tha aur uske baad bhi ye dono hi usse dar nahi rahe the,ye thoughts andar tak hila de rahe the MABBA ko...

wahin usse aisa surprised dekh...


HIDA-kuch hi pal me teri hairani behisaab humiliation aur dard me badalne waali hai MABBA..

taiyar hojaa apne anth se pehle ke anth ke liye...


jahan ye bol HIDA ek baar phirse gayab ho gayi wahin kaafi der tak sunya ko ghurti rahi MABBA par kehte hain naa,vinashkaalaye viprit buddhi...

apne taakat ke overconfidence me dimag ko jhatak aage badh chali gayi MABBA....



ACCHUTA VS VALDIS



LE BHAI, AA GAYA MAI...EXERTION ME MERI HAALAT KHARAB KARNA CHAHTA THA NAA TU...TRY KAR LE....


VALDIS joki badi saavdhani se chaaron taraf ka dhyan rakh idhar udhar ghum raha tha, achanak se hi piche se uske kaano me ye awaaz gunj uthi jisse sun kab woh piche palta toh pehle toh ACCHUTA ko apne saamne dekh halka hairan hua par phir FORBIDDEN FOREST me aur mall me jo uski beizzaati usne ki thi,usse yaad kar ghusse se bhar utha VALDIS aur isiliye..


VALDIS-dekh tere saath mai..AAHHHHHH.....AHHHHH...
.AHHHHH.......


VALDIS aadhi dhamki bhi nahi de paaya...

reason....

ACCHUTA ne apna haath aage kiya jiske baad uske haathon se ek electrical rope tezi se bahar nikla aur aage badh usne VALDIS ko lapet liya jiske baad ACCHUTA ne us rope ko khudki taraf jhatka diya..

uske aisa karne se rope ke saath bandha hua VALDIS bhi tezi se uski taraf aaya aur uske kareeb aate hi ACCHUTA ne ek maamuli pyscical power ka punch uske mooh par maara jiske impact se cheekhta hua woh wapas piche ki taraf gaya par aisa hote hi ACCHUTA ne ek baad ek do baar aur rope ko apni taraf kheench do aur punches maare VALDIS ko jiske baad uska chehra kaafi jagahon se fath gaya..

VALDIS ka sir ghumne laga tha gaya aur third punch ke baad jab ACCHUTA ne usse us rope se release kiya toh zamin par gir uski aankhen band hone lagi jiska matlab tha ki woh behosh hone waala hai par aisa hota usse pehle hi...


DHAASSHHHH...


kamsekam do bucket jitna paani daal diya uspar ACCHUTA ne jiske baad uski senses wapas aa gayi par aisa hone ke agle hi pal..



ANGAM VIDUTEIM

BODY CURRENT

AAHHHH............



man hi man is SPELL ko uccharit kiya tha ACCHUTA ne jiske prabhav se pehle toh VALDIS ki body akad kar hawa me kuch feet uth gayi aur uske baad uske kapdon ke andar se hi uske pure sharir me tez bijli ke jhatke padne lage...

in jhatkon ka asar behadh zyada tha jisse mout toh nahi hoti thi par asar praanghaatak hi hota tha...

SPELL ke asar se naa sirf VALDIS ka andruni sharir tapne laga balki saath hi uske pehne kapde bhi jagah jagah se jal kar phatne lage..

VALDIS ki aankhon se lagatar aansu nikalne lage the jo usse ho rahe asahaniya pida ki dastaan bayan kar rahe the...

jabde aisa jakad gaye the VALDIS ke maano uska mooh andar se hi kheenchte hue sil gaya ho....

aur is beech VALDIS ki aankhon me dar aur maafi ki guhaar dekhi ACCHUTA ne jiske baad usne apna haath hawa me lehraya aur uske aisa karte hi VALDIS free hokar neeche gir gaya..

in kuch palon me VALDIS ne mout mehsoos kar li thi,yahi wajah thi ki neeche girte hi woh apni puri jaan lagakar rengte hue aage badha aur ACCHUTA ke pair pakad liye...


VALDIS-MAAFFFFF KKKARRRR DDDE BBBHAAAIII....


ledekar itna hi nikal paaya tha VALDIS ke mooh se..uski haalat aisi ho chuki thi ki kabhi bhi woh behosh hone waala tha aur is baat ko samajh ACCHUTA neeche baitha,uske piche ke baalon ko kheench uske face ko sidha kiya aur..


ACCHUTA-maaf karne laayak tu banda nahi hai VALDIS...par teri kismat wakayi acchi hai...

kyunki jiski wajah se tujhe is haalat me pahunchaya hai,ussiki wajah se chhod bhi raha hun tujhe....


ACCHUTA ki itni hi baat sunane ke liye sense bache the VALDIS me kyunki uske baad uski aankhen puri tarah band ho gayi aur woh behosh ho gaya jiska matlab tha ki VALDIS bhi KNOCK OUT ho challenge se bahar ho chuka tha...

KNOCK OUT hote hi VALDIS gayab ho chuka tha jiske baad ACCHUTA kuch der waise hi ek feeki muskaan ke saath khada raha aur phir palat kar ek disha ki taraf badh gaya....





ANWIR/MORANA VS SLUNDER/BRAWNY




RAKTHAM BHAJMAM

BLOOD BOIL


sharir ke andar blood ko automatically boil karne ka SPELL bola ANWIR ne BRAWNY ko dekhkar jiske baad ek invisible hawa ka jhonka BRAWNY ki taraf badh chala aur tabhi....


GALETHON URJAHAM

ICE RAYS


man hi man socha bhar is SPELL ko BRAWNY ne jiske baad jaise hi woh hawa ka jhonka joki asal me ANWIR ka bola SPELL curse tha,uske sharir ko chhu andar ghuste hi BRAWNY ke sharir se snow colour me urja rupi ray nikalne lagi jisse dekh hairan ho gaya ANWIR....

hairan toh MORANA bhi thi BRAWNY ke defense SPELL ko dekh par turant khud ko normal kar usne apne dono haath failaye aur...


URJA GRAHANAM...

ENERGY MERGER....


MORANA ke is SPELL se aas paas ki puri energy ray me badal uske dono haathon me ikattha hone lagi jisse dekh...


SLUNDER-not bad...


EURJA KHANDAM....

ENERGY DISSOLVE.....


jaise hi SLUNDER ne SPELL socha,woh saari energy jo MORANA ke dono haathon me ban rahi thi,woh turant gayab ho gayi aur aisa hote dekh bohot zyada chownki thi MORANA aur uske saath ANWIR bhi....

par ye waqt chownkne ka toh tha nahi isiliye....


VAJRA GHATAM

LIGHTNING STRIKE


ek baar phir se SPELL uccharit hua MORANA ke mooh se jiske baad uske sharir se hi ek ke baad ek bohot se lightning ray nikal saamne khade BRAWNY aur SLUNDER ke sharir ko jaa lage aur aisa hote hi woh dono hawa me piche ki taraf ud door jaa gire aur aisa hota dekh ek smile naach uthi MORANA aur ANWIR ke face par lekin tabhi...


TRY HARD MORANA...


un dono ke piche se aayi thi ye awaaz jisse sun ek jhatke me woh dono jab piche palte toh unki hairani ka thikana naa raha..

reason...

unke piche BRAWNY aur SLUNDER khade the aur jo aage ki taraf ud kar gire the,woh bas ek chalava the jisse un dono ne create kiya tha aur jo ab gayab ho chuke the...

khair,ab tak jo bhi SLUNDER aur BRAWNY ne kiya tha,usse saaf pata chal raha tha ki woh bas ANWIR aur MORANA se khel rahe the aur ye feel kar MORANA ko ab wakayi me ghussa aane laga tha aur isiliye...


MORANA-bas bohot hua.....


ye bol MORANA ne apne dono haath ek baar phir se failaye aur uske aisa karte hi uske baal jo ki ek knot se bandhe the, khul gaye,uska bright face aur safed ho gaya aur uske body ka shape halka bada aur strong dikhne laga aur ye sab dekh ek pal ke liye BRAWNY aur SLUNDER bhi hairan ho gaye the...

wahin MORANA ko uski shakti unwind karte dekh ANWIR ke face par ek smile aa gayi aur..


ANWIR-ab aayega maza.....





MABBA VS RAAZ




ITNI SHIDDAT SE MERI MOUT KI KHWAHISH KI HAI TUNE KI DIL KARTA HAI,TERE US JAZBE KE LIYE HI MAR JAAUN....


ek safedh dhuan jo MABBA se thodi door hi banane lage,usse nikli ye awaaz jisse sun MABBA naa sirf apni jagah thithak gayi balki ek baar phir se woh hairan ho gayi....

reason...

us dhuen me se meri awaaz nikli thi jo usne saaf pehchaan liya tha par saath hi WHITE ENERGY ka itna solid AURA jo us dhuen se generate ho raha tha,usse feel kar behadh hairan hui thi MABBA..

aur issi beech mai us dhuen ke beech prakat ho chuka tha aur usse dekh muskura raha tha..

khair, MABBA toh ab bhi thodi hairan hi dikh rahi thi isiliye maine hi apni baat ko aage badhaya...


MAI-hairangi me bhi tere chehre par guroor ka barkarar rehna mujhe acha laga...

bas dekhna ye hai ki kya kuch der baad bhi ye guroor kayam reh paata hai...???!!!


meri baaton ko sun MABBA ne gaur kiya ki ab mai usse aap nahi balki tu kehkar baat kar raha hun aur saath hi meri baaton me uski moujudgi ko dekh dar toh door ki baat hai,uski importance tak nahi thi aur ye mehsoos kar MABBA ka chehra ghusse se tamtama gaya...


MABBA-apni mout ke saamne khada hokar akad tu dikha raha hai bacche..par koi naa,zindagi jaane se pehle teri akad jaane waali hai...

MAI-BACCHE..!!!umr me chota zaroor hun par taakat me maamle me baap hun mai tera MABBA...

khair,kuch der me ye baat aur tera fake ATTITUDE tere magaj aur pichwaade me apne aap hi ghus jaayega...


"chal,pehle tu puri kar le apni KHWAHISH....

shuru kar apni tuchi taakat ki NUMAAISH"...



meri baaton ne MABBA ke jalte dil par petrol chhidakne ka kaam kiya tha aur isiliye...


VANDHAM BHANGAM...

BREAK THR BONES...


meri taraf haath kar man me is SPELL ko uccharit kiya MABBA ne..

woh mere haadiyon ko tod mujhe andruni tez dard dete hue sabse pehle apahij banana chahti thi..

khair,uske uccharit SPELL ke asar se ek body penetrating ray uske haathon se nikal meri taraf badhi aur jaise hi woh ray mere kareeb pahunchi,maine apne right hand se usse aise chhitka jaise kisi kide ko apne saamne se hata raha hun..

mere aisa karte hi wo ray mere left side jaate hue hi khatm ho gayi jisse dekh MABBA man hi man chownki par agle hi pal apne hairani ko control kar...


DEHAM BHASMAM

SKIN ASH


woh mere sharir ke baahri skin ko jala kar jhulsa dene chahti thi isiliye
apne haathon ko mere body structure ke hisaab se lehrate hue man hi man is SPELL ko uccharit kiya MABBA ne..

aur uske aisa karte hi uske haathon se 5000 celcius ki heat generate ho meri taraf badhi jisse mehsoos kar mere face par halki si smile aa gayi...


RABTAM....

ABSORB


SPELL sochte hi mere sharir ka upari satah minus 20000 degree ho gaya jisse jaise hi woh heat waves takraayi toh..


CHISSSSSSHHHHH....


is awaaz ke saath mere chaaron taraf bhaap hi bhaap ban gaya jo kuch der tak yunhi bana raha par jab woh bhaap chatta toh mujhe sakushal dekh MABBA ki hairani aur ghussa,dono hi badh gaya.

2 behadh khatarnaak waar beasar ho chuke the MABBA ke jisse dekh ab MABBA ne apni woh kaali shakti jo usne THE LAKE OF OBLIVION se haasil ki thi,uss istemal karne ka socha...


MABBA-KITADHANAM SHAKTIYEM

UNLEASH THE HIDDEN POWER


man hi man jaise hi MABBA ne is SPELL ko bola,toh uski prapt hui kaali shaktiyan uske pure sharir me bharne lagi jisse maine bhi mehsoos kar liya..

chahata toh thoda aur khel sakta tha MABBA se mai par us jaisi ko waise bhi kaafi waqt de chuka tha mai isiliye jaise hi kaali shaktiyan uske pure sharir me faile gayi toh uske agle hi pal maine apna haath aage kiya aur...


SWATHCHAM AURAVAN..

PURE AURA...


mere emotions power ke kuch bhaag AURA ko maine release kar diya aur mere aisa karte hi mere haathon se tez kampan ke beech meri pure WHITE ENERGY ka AURA aage badha..

aage badhte hi us AURA ne saamne khadi MABBA ke pure sharir ke lambai aur chowdayi ko scan kar khudke roop ko bhi utna lamba aur chowda kar liya tha..

wahin ab MABBA bhi apne naye naye mile BLACK ENERGY ki shakti ke saath taiyar ho chuki thi jiske baad ek baar meri taraf ghusse se dekh woh mantra uccharan karne hi waali thi ki tabhi..


AAHHHHHHHHH...AHHHHH.........

mere WHITE ENERGY ka AURA usse takrate hue uske andar sama gaya aur aisa hote hi usne MABBA ke pure sharir me faile BLACK ENERGY ko sokhna shuru kar diya..

aisa hote hi MABBA ki aankhen dard,vismay aur dar,in teeno se hi badi ho gayi thi..

usse aisa lag raha tha maano kisine uske chaaron AMPLIFICATION modes ko sokhna shuru kar diya hai aur woh feeling beyond scary thi..

mout bhi agar nishchit ho aur saamne khadi ho,toh jo dar dil me ghar karta hai,usse 10 guna zyada ghabra gayi thi MABBA...

us dar aur ghabrahat ke beech uske mooh se cheekhen aur body me tez kampan nikal rahi thi...

khair ye sab bas 10 second ke aas paas hi chala kyunki uske baad maine apna haath wapas kheenchne ke andaz me kiya aur mere aisa karte hi ek saat do chizen hui..

pehli..

MABBA ke andar se mera AURA bahar nikal aaya par woh akela bahar nahi aaya tha,balki saath hi usne MABBA ke prapt kiye gaye BLACK ENERGY ki shakti ko bhi khudme jakad liya aur usse bhi kheenchte hue uske sharir se bahar nikal mere haathon me ek ball ka shape liye aa gaya..

BLACK ENERGY ki wajah se us WHITE ENERGY ke ball ke kuch bhaag BLACK bhi dikh rahe the..

dusri...

BLACK ENERGY ki shaktiyan joki ab MABBA ki aatma ka bhi hissa thi,unke yun sharir se nikalne se ek behadh dardnaak cheekh nikli thi MABBA ke mooh se jiske baad woh neeche zamin par ghutno ke bal kamzor si hokar baith gayi...

behoshi kisi bhi waqt usse khudme lapet sakti thi par abhi uski ek ladhayi yaa phir ye kahun ki ek chunouti baaki thi isiliye,

maine apna haath uske aage lehraya aur mere aisa karte hi uske sensen ko ek jhatka laga aur uski behoshi jaise gayab si ho gayi..

dard toh usse ab bhi ho raha tha par hairani us dard se zyada thi jiss apni aankhon me liye woh mujhe hi dekh rahi thi..

wahin apne haathon me pakde mere AURA ke gole ko dekha maine jisne MABBA ki BLACK ENERGY ki shakti ko sokh liya tha aur isiliye maine usse wapas apne andar sama liya aur aisa kar jab maine MABBA ko dekha toh...


MABBA-kaun ho tum..???

MAI-mai woh hun jiske saamne khade rehne ki aukaad nahi hai teri aur isiliye hi tu abhi apne ghutno par hai...

mai woh hun jo sirf apne nazaron ke ishare se hi maar sakta hun tujhe par maarna hi toh nahi hai tujhe...

teri haal hi me haasil ki gayi BLACK ENERGY ki shaktiyan le chuka hun mai wapas..

ab tu phirse wahi hai jo THE LAKE OF OBLIVION me jaane se pehle thi...

chal uth MABBA,waqt ho chala hai tere aakhri chunouti ka...

apne jin shaktiyon ke dum par kamzoron par waar karti aayi hai tu,unhe ek aakhri baar aazmaane ka...

dekhen zara,jisse hamesha se kamzor maan lagatar zyaadti karti aayi hai tu,ab uske aage kitni der tikti hai tu...


meri baaton ke beech MABBA ki hairani ek baar phir se badhi thi..

naye challenge ke baare me sunkar nahi balki isiliye kyunki jaise hi maine MABBA ko uthne ko kaha tha,thik ussi waqt usse aisa laga jaise uski sharirik shakti aur sfutri usse wapas milne lagi hai aur meri baat khatm hote hote woh puri tarah se fresh aur fit ho chuki thi jiski wajah se woh turant uth kar khadi ho gayi aur mujhe hairani vash dekhne lagi jispar..


MAI-tune kabhi shakti pradarshan barabari ke tarazu me toul nahi kiya par ye mukabla barabari ka hona chahiye MABBA...

jaise tera sharirik bal wapas aa gaya hai,thik waise hi ek aakhri baar apne guroor ko bhi wapas bula le...

taakat aur guroor ke sangam ke saath ladh aur apne anjaam tak pahunch...

saamne aao HIDA....


mere naam lete hi mere thik piche ek safedh dhuan utha jiske agle hi pal us dhuen se HIDA prakat hui..

prakat ho woh mere side me aayi aur mere aage jhuk gayi jisse dekh mai halka muskuraya aur...


MAI-maut bhale hi naa mile,taklif mout se zyada honi chahiye..


ye aakhri shabd the mere jiske baad mai ek disha ki taraf badh gaya..

wahin MABBA joki ab bhi jo kuch hua,usse dekh hairan thi,uski tandra tooti HIDA ke awaaz se...


HIDA-




itni hairan mat ho MABBA ki aakhon ki putliyan hi PALAT JAAYEN...

mouke bohot mile tujhe taaki tu teri jagah SAMAJH JAAYE...

par tu addi rahi teri BEWAKUFI me,

natija,aisi zindagi dungi tujhe ke tu dua karegi ki kaash......tu MAR JAAYE......














AAJ KE LIYE ITNA HI......















AAPKA APNA V...J....
 
Top