• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) ( Completed )

Vk248517

I love Fantasy and Sci-fiction story.
5,705
17,758
189
Supper fantsatic update
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,267
38,658
258
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF STELLARS APNI CLASS KA FIRST TASK KARNA SHURU KARTE HAIN WAHIN DUSRI TARAF ACCHUTA,SLUNDER AUR BRAWNY KO VALDIS WICKEDS KI MADAD SE BOHOT MAARTA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-1


(ENEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-64



PLANET-ELYSIAN


PLACE-WEAKLINGS STAY





TIMER LAGAYE HO KYA...???? HAR DUS SECOND ME EK BAAR MUJHE DEKH RAHE HO....


ACCHUTA aur SLUNDER ko dekhte hue maine ye baat kahi jispar dono kuch palon ke liye sehem se gaye..

subah ka waqt hai... ACCHUTA, SLUNDER aur BRAWNY ki kal raat ki behoshi abhi kuch der pehle hi tooti thi..

aur jab aisa hua toh unhone dekha ki wo sab mere quater me the..

kyunki BRAWNY toh ASRAVA spell se hi behosh ho gaya tha isiliye hosh me aane ke baad usne zyada sawal nahi kiya aur ye jaankar ki wo kal raat apne quater me nahi tha,apne mom dad ke baare me soch wo bina kuch aur soche sidhe apne quater ke liye nikal gaya....

par ACCHUTA aur SLUNDER,in dono ko hi apni kal hui haalat ke baare me ache se yaad tha...

waise toh unke soojh chuke chehron ko maine thik kar diya tha aur abhi unhe koi pyscical dard bhi nahi ho raha tha par jo mental ghaaw un dono ko kal ki maar se mila tha,wo puri tarah taaza tha aur isiliye hi wo mujhse kuch baat karna chahte the par jhijhak rahe the..

par ab jab maine hi baat shuru kar di thi toh...


ACCHUTA-wo kal raat us STELLAR SAVENT VALDIS ne WICKEDS ki madad se hume maara tha...

MAI-puch raha hai yaa bata raha hai... waise tum dono us ground me behosh hue the par uthe yahan apne quater me ho..

toh itna toh dimag tum dono laga hi sakte ho ki khud toh udte hue yahan aaye nahi hoge...maine hi laaya hoga tum teeno ko yahan...

SLUNDER-thank you bhai par...

MAI-par kya..??

ACCHUTA-bhai wo chaar the aur hum teen.. unhone magic ke through hame jakad liya tha..hum kuch kar nahi sakte the...aapne toh sab dekha hi hoga par aapne ek baar bhi interfere nahi kiya...???


atakte atakte ACCHUTA ne ye baat kahi jispar...


MAI-pehli baat..agar wo chaar nahi
bhi hote,unme se sirf koi ek bhi hota naa,toh bhi tum dono kuch nahi kar paate...

dusri baat...mai tum dono ka body guard toh hun nahi jo tum logon ko bachata firun..

teesri aur sabse important baat....ek baat batao...ek percent aur, fir jaise hi tum dono ka AMPLIFICATION 2 percent touch karega,tumhari catagory upgrade ho jaayegi...

WEAKLINGS se GROOMERS ban jaaoge tum dono...reward me ek fully furnished flat milega,bike milegi....

toh kya tum dono,wo rewards nahi loge... GROOMERS hone ke baad bhi yahin rahoge...

ACCHUTA-kyun nahi lenge..!!!i mean,haan lenge...


jhat se kaha sentence ke pehle line ko ACCHUTA ne par fir khudko slow kar dusri line kahi usne jispar..


MAI-kamal hai... achievement par rewards toh chahiye par kamzor hone par punishment nahi...

kya ye ek biased ATTITUDE nahi hai...jo khoon tum dono ka nikla tha,wo tumhari kamzori, tumhara backwardness bata rahi thi .

tumhare sharir jo jakde hue the,wo tumhari bebasi bayan kar rahi thi...

in short,tumne kal khudko loosers saabit kiya...aur mai loosers ka saath nahi deta....


jahan ye sab bol mai apne quater se CHOSENS ke liye nikal gaya wahin meri baaton ko sir jhukaye sunte ACCHUTA aur SLUNDER bhi mere piche ho liye the...






PLACE-CHOSEN'S




WEAKLING CLASS:-






ACCHUTA, SLUNDER... KYUNKI AAP DONO NE HI APNE SOUL KE FIRST PERCENT KO AMPLIFY KAR LIYA HAI, ISILIYE AAJ SE AAP DONO AMPLIFICATION PROCESS KE SAATH PHASE 2 KE APNE TASK BHI TRY KARENGE...


class ko shuru karte hue WHIZZ HIDA ne ye baat kahi jisse sun ACCHUTA aur SLUNDER, dono hi behad khush hi gaye...

par saath hi dono ne is baat par bhi gaur kiya tha ki aaj HIDA ki voice pehle ke mukabale naa sirf halki unchi thi balki saaf bhi thi..

warna toh unki awaaz hamesha dabi hui aur hickichat se bhari hui rehti thi...


ACCHUTA-lagta hai aaj WHIZZ ne apne vocal cords ko dhoya hai..dekh naa aaj unhone puri baat one go me bina atke bol di...

SLUNDER-toh accha hi hai naa....warna AMPLIFICATION se zyada mushkil toh unki baat samajhna lagta tha....

ACCHUTA-arre waah..tu bhi sahi taar chhedne lag gaya... very good beta...


ACCHUTA ki baat par SLUNDER kuch kehta ki tabhi....


HIDA-kya hua..?? kya kal kiye aapke AMPLIFICATION ki wajah se aap dono ke bodies ab bhi weak hain...

agar aisa hai toh aap dono aaj rest le sakte hain...????


HIDA ne abhi tak jo 2 baar khudke SOUL ko AMPLIFY kiya tha,usse karne ke baad usse kuch dino tak apne body me kamzori feel hoti thi..

aur jab usne un dono ko phusphusate hue baat karte dekh HIDA ko laga ki shayad un dono ko bhi waisa hi kuch feel ho raha hai par batane se wo sankoch kar rahe hain aur isiliye usne ye baat kahi jispar ACCHUTA ya SLUNDER kuch kehte,usse pehle hi...


MAI-kamzori maut ke dastak ki pehli nishani hoti hai WHIZZ...

ACCHUTA aur SLUNDER filhal is dastak se door hain....haina guyzzz...!!!


ACCHUTA aur SLUNDER,un dono ki taraf dekh maine jab ye kaha toh unhe aisa laga jaise unhe kalki tarah fir maara jaa raha hai par is baar wo maar unhe mujhse mil raha hai aur ye khayal aate hi jaisa hota aaya hai,haalat kharab ho gayi unki...

wahin meri kamzori waali baat sunkar HIDA samajh gayi thi ki wo baat maine unke liye hi kahi thi par jahan har negetive comment ke baad unka man udaas hojaaya karta tha,aaj aisa nahi tha..

aaj unka man shaant tha...


SLUNDER-WHIZZ ,we are alright...hum task karna chahte hain....


SLUNDER ki baat sun...


HIDA-okay...toh fir ye lo...ye hain tumhare is PHASE ki SPELL book...


ye bol HIDA ne SLUNDER aur ACCHUTA ko do patli patli choti si booklet jaisi book pakda di jisse dekh...


ACCHUTA-itni patli books..but WHIZZ,last PHASE me toh hume SPELLS ke liye bohot moti book provide ki gayi thi..

HIDA-last PHASE me aap sabhi ek jaise SAVENTS the..par is baar baat alag hai...is saal catagorically books mile hain...


HIDA ki baat sun ACCHUTA aur SLUNDER ko suddenly ehsaas hua ki wo ek WEAKLING hain matlab sabse piche jisse feel kar wo dono halke sad ho gaye the jisse HIDA ne bhi mehsoos kar liya tha aur isiliye...


HIDA-waise bhale hi ye book patli hai,isme SPELLS kam hain par fir bhi isme likhe SPELLS aapke pichle PHASE ke mote book ke sabhi SPELLS se zyada asardaar hain...

iske baad HIDA ne bhi MABBA ki tarah pichle PHASE aur is PHASE me bole jaane waale SPELLS ka difference bataya jisse sun ACCHUTA aur SLUNDER ki sadness bhi jaati rahi....

spells ke differentiation ko explain karne ke baad...


HIDA-ab ye dekhiye....isse kehte hai SPELLAR...


haathon me SPELLAR liye ye baat kahi thi HIDA ne...

SPELLAR...par jo SPELLAR is waqt HIDA ke haath me tha,wo us SPELLAR se alag tha jo STELLAR'S use karte the...

jahan STELLARS ko provided SPELLAR me kul teen pipes hote the wahin HIDA ke haath me jo SPELLAR tha,usme sirf 2 pipes the....

SPELLAR ko dikha HIDA ne uska use bataya ACCHUTA aur SLUNDER ko aur saath hi SPELL ke asar ko badhane ke liye REFINER ke baare me bhi bataya par yahan bhi baat STELLARS se thodi alag thi...

jahan STELLARS ko paanch REFINERS practice karne the wahin WEAKLINGS ko unki efficiency ko dhyan me rakhte hue sirf ek,

aur wo ek tha HAPPY....

jahan ACCHUTA aur SLUNDER ko saari baatein samjha HIDA ne unhe practice karne ko kaha wahin BRAWNY hamesha ki tarah apne SOUL ko trigger karne me lag gaya tha...

par in sabse alag mai apni aankhen band kiye kuch khoj raha tha aur yunhi kaafi waqt beet gaya...

ACCHUTA aur SLUNDER,dono ne hi kul do baar REFINER ko apne SOUL se merge karne ki koshish ki jisme wo naakamiyab rahe...

apne soul ko AMPLIFY karne ki bhi koshish ki un dono ne but aaj wo kaamiyab nahi ho paaye...

BRAWNY hamesha ki tarah aaj bhi naakamiyab raha aur saath hi apni khoj me naakamiyab hua tha mai...

khair,class ka waqt over ho chuka tha aur isiliye HIDA ne class dismiss kiya aur jab hum palat kar jaane lage toh is baar HIDA ne mujhe roka nahi par unka man ab bhi mujhse hi baatein kar raha tha...


HIDA man me-tumhari wajah se itne saalon me pehli baar mujhe apne dar se ladhne ka man kiya hai...

tumne kal jo kaha uska matlab mujhe abhi toh samajh nahi aaya hai...

mere baare me aisa kya hai jo mujhe hi nahi maalum,ye bhale hi ab tak mujhe nahi pata chala hai par i promise ki mai pata laga kar rahungi...


HIDA ki man me boli gayi ye baat mere kaano me bilkul saaf sunayi padh rahi thi aur isiliye....


MAI-pata toh tumhe karna hi padega HIDA... kyunki sawal tumhari zindagi ka nahi hai,meri zindagi ka hai...

ek baar mujhe jo chahiye,wo dedo, fir agar tum chaaho toh mai tumhe tumhari saari taklifon ko tumhari zindagi ke saath is duniya se rukhsat kar dunga...





STELLAR'S CLASS:-




SAMPURN AANANDITAM.....




ATTACH MODE ke tahat apne SOUL se jodte hue sabhi STELLARS ne is SPELL ko uccharit kiya jiske baad wahi hua jo kal hua tha...

STELLARS ki zordar hasi gunj uthi pure class me aur yunhi haste hue bhi sabhi apne CEREBRATION process ko paused rakhne ki koshish karne lage the...

par ye tough tha, bohot tough....kal ke mukable kuch extra seconds zaroor control kiye SAVENTS ne par uske baad un sabka control khudpar se hath gaya...

result....

sabki CEREBRATION wapas chalu ho gayi aur unki aankhen khul gayi...

par task toh un sabka filhal yahi tha isiliye wo sabhi lagatar yahi process dohrate rahe aur issi tarah class ka waqt bhi khatm hone laga...

filhal STELLARS ke aaj ka last attempt chal raha tha apne REFINER ko SOUL me mould karne ka par ek baar firse sabhi fail ho gaye....

jahan lagatar kayi der se try karne ki wajah se continuously hasne ke kaaran sabhi SAVENTS apne ped ko pakde lambi lambi saansen le rahe the wahin MABBA, REGIS aur SAPIUS ki nigahen ek jagah tiki hui thi..

itna hi nahi,filhal unki aankhon me hairat aur khushi,ye dono hi bhaav dikh rahe the ..

reason...

VIDEOUS...jahan baaki sabhi SAVENTS apne apne CEREBRATION se bahar aa chuke the,wahin VIDEOUS ka CEREBRATION abhi bhi paused tha...

uske chehre par hasi toh dikh rahi thi par usne apne jabde ko bheencha sa hua tha taaki wo apni hasi ko uncontrol hone se rok sake...(acting)

aur ye sab dekh....


REGIS-SAVENTS look... VIDEOUS ka CEREBRATION abhi bhi paused hai...


REGIS ki baat sun sabhi SAVENTS ki nazar bhi VIDEOUS ko padi aur aisa hote hi sabhi ko shocked laga...

par is shock ka reason thoda alag tha...

aur wo ye ki aaj aisa pehli baar ho raha tha ki MAHI ke hote hue koi aur kisi task me sabse zyada excel kar raha tha...

wahin in saari baaton se alag VIDEOUS ab bhi apne CEREBRATION ko paused rakhe hue tha aur dekhte hi dekhte uske paused CEREBRATION ke pure hue 2 minute aur jab aisa hua toh...


VIDEOUS ki ankhen khul gayi..


aankh khulte hi VIDEOUS ne dekha ki sabhi usse hi dekh rahe hain aur isiliye...


VIDEOUS-kya hua..???kuch laga hai kya mere chehre par...?? tum sab mujhe kyun dekh rahe ho...???

MABBA-kyunki REFINER spell uccharit karne ke baad tumne pure 2 minute tak apne CEREBRATION process ko pause rakha hai....

aur aisa karne waale tum first ho is class me...

REGIS-VIDEOUS,kya tumhe apne andar koi ray nazar aayi thi...

VIDEOUS-haan,just aankh khulne se pehle hi maine ek ujala sa mehsoos kiya tha..

SAPIUS-fantastic..iska matlab tumne SPELLS ki average power ko haasil kar liya hai...

MABBA-chalo, test karkar dekh lete hain...


apni baat keh MABBA ne saamne desk par SPELLAR rakh diya aur...


MABBA-VIDEOUS,koi bhi aisi yaad jisse mehsoos kar tumhe Khushi milti hai,usse yaad kar SPELLAR ki taraf point kar ASRAVA spell ko uccharit karo..


MABBA ne jaisa kaha, VIDEOUS ne waisa hi kiya..haath aage kar usne man hi man ASRAVA SPELL ko uccharit kiya jiske baad uske haathon se ek ray nikal sidhe saamne rakhe SPELLAR se takrayi aur aisa hote hi...

SPELLARS ke teeno tubes orange colour se fill ho gaye aur tabhi....

VIDEOUS ke kaano me taali ki gadgadahat gunji jo uske PHASEMATES ne uski is achievement ke liye bajayi thi...

ye sab dekh uske chehre par ek smile aa gayi aur jisse dekh girls SAVENTS aahen bharkar reh gayi...


MABBA-well done VIDEOUS......maine nahi socha tha ki tum banoge is PHASE ke wo SAVENT jo apne pehle task me first hoga..you have surprised me....

VIDEOUS-i will surprise you again WHIZZ... it's just a matter of time...


jis confidence se VIDEOUS ne ye baat kahi thi, MABBA ke saath baaki dono WHIZZDERS bhi usse kaafi impressed ho gaye the...


MABBA-MAHI...8 percent AMPLIFICATION ki holder ho tum...par iske baawjud aaj VIDEOUS ne tumhe beat kar diya hai..

mujhe lagta hai ki you should buckle up...ye PHASE 2 hai...isse THE HOUSE OF UNCERTAINTY bhi kehte hain...

asaan nahi hone waala tumhare liye..competition tough hone waala hai tumhara is baar...

MAHI-asaan chahiye bhi nahi WHIZZ..i like competition.. infact,i crave it..and i promise,i will not let myself and you down..

MABBA-we will see...class dismiss...


ye bol MABBA aur unke saath REGIS aur SAPIUS bhi class se chale gaye...

wahin teeno WHIZZ aur WHIZZDERS ke nikalte hi sabhi SAVENTS ne VIDEOUS ko congratulate kiya aur tab...


ALFREEN-congrats yaar...maine bhi ye nahi socha tha ki MAHI se pehle koi aur is task ko pura karega...

but you did it...


ALFREEN ke baad MABEL ne bhi VIDEOUS ko badhayi si jispar...


VIDEOUS-kahin is task ko pehle pura karke mai miss MAHI ke bad book me toh nahi aa gaya...


ek smile ke saath VIDEOUS ne MAHI ko dekh ye baat kahi jispar...


MAHI-bad book me toh nahi,par haan, meri respect aur motivation book me zaroor naam aa gaya hai tumhara....

really dude,ye task wakayi tough hai...mujhe nahi lag raha tha ki near future me ye task complete ho paayega par tumne itni jaldi isse pura kiya hai ki it has boosted my confidence level...


VIDEOUS-abhi pura hua kahan hain..5 minute waala challenge abhi baaki hai...

MAHI-sidhiyan ek ke baad ek hi chadhi jaati hain...2 minutes ka ho gaya hai toh 5 ka bhi ho hi jaayega....

VIDEOUS-isiliye mujhe stairs nahi,lift pasand hai...direct wahan pahunchati hai jahan pahunchna hota hai...

MAHI-par usme bhi floors ke option toh hote hi hain...

VIDEOUS-yup..but the key word is options...ab mera option top floor ka hai..beech mai naa mai rookunga aur naahi lift...

MAHI-aur agar mai beech me aa gayi toh...

VIDEOUS-lift toh tab bhi nahi rukegi but haan,space us lift me itna toh hoga ki tum mere saath upar pahunch jaao...

MAHI-top par sirf ek hi ke liye jagah hoti hai...

VIDEOUS-ye rule kisne banaya...???anyways agar kisine banaya bhi hai toh ab baat VIDEOUS ki hai...rules ko badalna hoga...


VIDEOUS ne ye baat itne confident par saath hi charming way me kahi thi ki ALFREEN aur MABEL ke saath MAHI bhi muskura uthi..

wahin is sabse thoda piche khade VALDIS ne jab MABEL ko smile karte dekha toh usse laga ki kahin VIDEOUS ke charm se MABEL naa impress ho jaaye aur isiliye...


VALDIS-hey VIDEOUS.....congrats man...but yaaron,hum PHASE 2 me hain.. STELLARS hain toh tumhe nahi lagta ki hume VIDEOUS ki is achievement ko celebrate karna chahiye...

what say MABEL...???


kyunki VALDIS last PHASE se hi kaafi bright SAVENT raha tha isiliye MABEL ke saath saath ALFREEN aur MAHI bhi usse as a friend hi treat karti thi aur ab jab wo sab wakayi ek group ki tarah saath hokar jam kar sakte the toh isiliye un sabko VALDIS ki baat sahi lagi...


MABEL-yaar plan toh accha hai...par is task ne body ki haalat itni kharab kar di hai ki aaj aur kuch karne ka dil nahi kar raha...

ALFREEN-haan yaar..aur kal bhi same chiz hi karni hai jiska matlab hai ki kal bhi haalat kharab hone waali hai...

MAHI-hmm.toh fir parso weekend hai...parso kuch karte hain..what say....??

VIDEOUS-perfect..... POISON kaisa rahega...???


POSION ek bohot bada pub tha jiska naam sun...


MABEL-fantastic selection yaar...maine bhi kaafi suna hai us pub ke baare me..wahin chalte hai...

MAHI-cool then... wahin chalenge...but filhal ghar chalen...


VALDIS aur VIDEOUS se haath milakar bye bol MAHI, MABEL aur ALFREEN class se nikal gaye aur unke piche piche chal pada VALDIS....

wahin insab ke dauran VIDEOUS jo man hi man kuch soch raha tha, uske chehre par ek smile aa gayi aur..


VIDEOUS-

jisse jo karna hai kare,
hoga toh wahi jo mai CHAHUNGA...

kuch toh hai jo dikh nahi raha,
par VIDEOUS hun mai,

har parde ko hata kar RAHUNGA....









AAJ KE LIYE ITNA HI....









AAPKA APNA V..J.....
Nice update bro
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,171
52,927
173
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF GRIFFIN MAHI KO BATATI HAI KI AAJ RAAZ KI JAAN KHATRE ME HAI WAHIN DUSRI TARAF RAAZ KO PATA CHALTA HAI KI WOH FLORIN AUR MARIA KA BETA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



MEGA DARK UPDATE-120


PART-1



PLANET-ELYSIAN


PLACE-RAAZ ABODE






TU FLORIN AUR MARIA KA WOH PUTR HAI JISKA KABHI JANM NAHI HUA....!!!!!!



UNEARTH THE IMMORTALS BOOK me mere baare me likhe is aakhri pankti ke asar se mai bahar aa hi nahi paa raha tha...

mere dhamniyon me behte rakht ka pravah itna tez ho chuka tha ki mai apne har katre khoon ki raftaar ko mehsoos kar paa raha tha...

ek ajeeb si anthin bechaini ne mere andar janm le liya tha jiske ganit ko mai samajh nahi paa raha tha yaa phir ye kahun ki samajhna hi nahi chahata tha....

aankhon me jo paani tha,woh mere human hone ki baat par mohar laga raha tha...

jahan aaj tak apne lakshya ke siwa kuch socha nahi tha maine,wahin aaj,abhi mere dimag me sirf aur sirf do logon ki chavi ghoom rahi thi..

FLORIN aur MARIA joki mere maata pitah the....bachpan se aaj tak unke saath guzra har pal mere dimag me ghumne laga tha aur un palon me jo kuch bhi hua tha,uspar emotions ka tadka mera dil laga raha tha...

achanak se hi mere dono haath kisiko aalingan dete waqt jaise khul kar phir judte hain,us mudra me chale gaye...

reason...

mere aankhon ke aage yahan CHOSENS me apne mom dad ko life me pehli baar hug karna yaad jo aa gaya tha..

par us waqt gale milte samay bhi mujhe koi feeling nahi aayi thi,par abhi jab mai sirf us hug ko yaad bhar kar raha tha,toh mere andar emotions ka sailab sa uthne laga tha..

mere dimag me woh pal bhi dikhne laga tha jab urja se ek navjaat shishu me badalne ke baad mujhe teeno SOVEREIGN'S ne mere hi mom dad ke ORPHANAGE ke bahar chhod diya tha jiske baad jab MARIA ne mujhe dekha aur mujhe apni godh me uthaya tha,tab mere chehre ko kitne pyar se dekh rahi thi unki aankhen..

bachpan me mera akdu behaviour,mera lake ke saamne jaakar baithna aur mujhe kam baat karta dekh yaa apni aankhon se ojhal paa MARIA ka tention me aana, FLORIN ka mujhe har jagah dhundna,woh saare scenes mere dimag me automatically create ho rahe the...

ye sab yaad kar hamesha straight face rakhne waala mai,kab muskurane lag gaya tha,mujhe khud pata nahi chala....

apni asliyat jaante waqt maine woh scene bhi dekha jab mere jaisa hi ek clone body ko mari haalat me paida karne ke baad jaise hi MARIA aur FLORIN ko pata chala tha ki unhe ek mara hua baccha paida hua hai,toh kitne zyada toot gaye the woh dono....

mai unka pehla baccha hone waala tha,laakhon sapne dekhe the un dono ne mujhe lekar jo us mare hue clone body ko dekh toot gaye the..

ye soch kar meri khushi ka thikana nahi tha ki jab un dono ko ye pata chalega ki jo mara baccha MARIA se nikla tha,woh sirf ek clone tha,unka asli bacha,unka khoon mai hun toh kitne khush ho jaayenge woh dono..

jisse hamesha apna bacha hi samjha tha un dono ne,woh wakayi unka hi baccha hai,ye jaankar unhe jo feeling aayegi,mai jeena chahta tha us ehsaas ko.

khushi ki bhaavna kaisi hoti hai,ye aaj pehli baar feel kar raha tha mai par saath is mai is baat se anjaan bhi tha ki mere ye khushi bhare ehsaas temporary hai jo kuch hi pal me ek aise pain me badalne waale hain,jisse sehna mere liye bhi naamumkin hone waala hai...

kyunki khudke revelation ko jaankar do ehem baaton se dhyan hath gaya tha mera....

pehla tha woh SPECULATION SPELL jo VIDEOUS ne is book ke upar chant kiya tha aur jo is waqt mere man ke bhaavon ko achi tarah padh raha tha...

aur dusra tha woh ehsaas jo mujhme aaj aaye sapne ki wajah se jaaga tha aur jiski wajah hi mere HEART aur SOUL ki pure energy channi thi...

us positive chiz ki wajah se ek negetive chiz bhi hui thi aur woh ye ki mere HEART me banti REFINERS powers unstable ho chuki thi..

jo kisi bhi dual thinking se trigger ho jaane waali thi...

khair,apni asliyat un dono ko, apne mata pitah ko batane ke liye betaab ho gaya tha mai isiliye apne haathon me pakde us kitab ko jo filhal khuli hui thi,band kar moodne ko hua mai par........

woh book band hui hi nahi...book ke dono ends tak ek nayi urja joki asal me VIDEOUS ki speculation spell ki shakti thi,faili hui thi aur ussine book ko band hone se roka hua tha...

wahin jab meri nazar us urja par padi toh ek tez vibration hua us urja me jiske baad mere kaano me us urja ke through gunji VIDEOUS ki awaaz....


VIDEOUS-sharth waali baat bhul gaya tu RAAZ...koi naa,mai nahi bhula,aur ab jo hoga,woh tu bhi kabhi nahi bhul paayega...

dhyan se sun aur sharth par amal kar, kyunki iske awala tere paas aur koi chara bhi nahi hai...



meri baat ke baad hi band ye KITAAB HOGI...

ek waada kiya tha tune,jisse nibha kar tere dil ki chita puri RAAKH HOGI.....

apne hi MATA PITAH ko abhi jaakar khud MAAREGA tu,

jo waada toda,tab bhi marenge woh,par tab woh mout behadh DARDNAAKH HOGI......



pathrayi aakhen, saanson ka chalna naa chalna ek saa lagna,dil ki dhadkan ka rook sa jaana,agar ye kahun toh galat nahi hoga ki jeete jee mar jaana kya hota hai,is kahawat ka matlab aaj jaana tha maine...

VIDEOUS ke speculation spell ki urja kaali hokar gayab ho chuki thi jiska matlab tha ki agar maine uski baat nahi maani toh mere mom dad par death curse lag jaayega jisse unki mout hadh se zyada dardnaak ho jaayegi...

ek aisa sach jisse badla nahi jaa sakta tha...

GOD'S GIFT...jo kabhi galat nahi ho sakti..ussi GIFT ke through future death level danger ko sense karne ki abilities mili thi ALFREEN ko aur uski powers ko jab maine garden me uski bina jaankari ke share kiya tha,tab uske dimag me panpe issi dar ko bhi feel kiya tha maine jisse jaan us waqt toh sirf hairan hua tha mai..

seriously nahi kiya tha maine us dar ko aur yahin galat ho gaya mai...

kaise bhul gaya mai ki is bramhaand me sab kuch jhooth ho sakta hai,par jo GOD ke through mila hai,woh kabhi asatya nahi ho sakta...

apne faayde ke liye churaya ALFREEN ka woh GOD GIFT mere liye aaj GOD CURSE me badal chuka tha..


DHAMMMM.............

apne ghutno par aa gaya mai...aansu beh rahe the mere..dard kuch yun tha ki pura sharir sunn padte hue jam sa gaya tha...

dimag ne toh kaam karna band hi kar diya tha par is naye uthe vedna bhare bhaav ki wajah se mere REFINER powers ne khudko trigger kar liya tha...

yahi reason tha ki bina mere ijaazat ke hi mere REFINER powers ne mujhe gayab karte hue ek nayi jagah par prakat kiya jisse dekh meri bhar chuki aankhon ke aansu jhalak se uthe...

is waqt mai ek ABODE ke bahar baitha hua tha aur ye ABODE FLORIN aur MARIA ka matlab mere mom dad ka ghar tha....






PLACE-ALFREEN'S ABODE





RAAZ.....aaj subah breakfast par nahi aaye tum...???FLORIN gaye the tumhare ABODE par tumhare ELUSORY ne bataya ki tum institution nikal gaye ho..

AL bhi isiliye abhi thodi der hi pehle institution nikal gayi...


waise toh har kaam yahan ABODES me magic ke through ho jaata tha,par kuch decorations,rakh rakhav ab bhi MARIA apne haathon se manually hi karna pasand karti thi aur abhi bhi woh hall me yahi sab kar rahi thi ki tabhi main door par uski nazar padi jahan mai khada tha..

par dhyan se nahi dekha tha mujhe MARIA ne isiliye bas meri ek jhalak dekhne ke baad wapas kuch pillows ko sofa par thik se rakhte hue kahi thi unhone ye saari baatein par iske baad bhi jab meri taraf se khamoshi hi rahi toh woh meri taraf palti aur unke aisa karte hi jab unki nazar mere aansuon se bheege chehre aur jhuke hue kandhon par gayi toh woh kuch palon ke liye sann si reh gayi...

ek statue ki tarah khadi woh mujhe aaj life me pehli baar rote hue dekh rahi thi...

unhe yaad tha ki bachpan me vaccination milte waqt bhi mai eklouta aisa baccha hua karta tha jo rota nahi tha..

badi se badi durghatna par bhi mere straight face ko dekhne ki aadat thi unhe par aaj bina kuch kahe meri aankhon ko yun bhara hua aur face par chhaaye aseem dard ko dekh unki bechaini har beetathe pal ke saath badhti chali jaa rahi thi...

mujhe rota dekh MARIA ka dil bhi rone laga tha aur isiliye kuch pal jadh si rehne ke baad woh bhaagi meri taraf aur pehle mere chehre ko pakad mere aansuon ko saaf karte hue mujhe naa rone ka ishara kiya unhone par aisa karte hue woh khud bhi rone lagi thi...

unhe samajh nahi aa raha tha ki bhala kyun mere aansu unke dil tak ko bhi cheer rahe the...

kuch pal mere aansuon ko saaf karte rehne ke baad MARIA ne jhat se mujhe apni baahon me bhar liya..

haan mere lambe chowde sharir ke saath aisa karne me woh puri tarah kaamiyab nahi hui par jitni bhi hui,utna mere liye kaafi tha...

kehte hain,maa ke pairon ke jannat hoti hai,mujhe toh apni maa ki baahon me woh swarg naseeb ho gayi thi...

isse bada gift,vardaan kuch bhi naa tha mere liye...

aansu toh ab bhi lagatar chhalak rahe the meri aankhon se,par apni maa ke dil se lag mere jalte hue dil par paani padh gaya tha jaise...

mai is behatarin pal ko apni aankhen band kar puri shiddat se jee hi raha tha ki tabhi...


ARRE,KYA BAAT HAI,AAJ RAAZ PAR BADA PYAAR AA RAHA HAI HAMARI BEGUM KO...!!!


mere kaano me padi ye dusri awaaz...

woh awaaz jinki wajah se mera aadha astitva bana tha...mere pitah FLORIN....

wahin FLORIN ki baat sun MARIA mujhse alag hui aur unki taraf palti aur unke aisa karte hi FLORIN ko unki aur saath hi meri aansuon se bhari aankhen dikhi aur ye dekhunke face par jo smile thi,woh ussi waqt gayab ho gayi aur woh turant hamari taraf badhe..

par hairani ki baat ye hui ki apni biwi ke bajaaye unhohe mera chehra pakda aur mere aansuon ko saaf karte hue..


FLORIN-kya hua beta...???ro kyun raha hai..??kisne rulaya tujhe...bata mujhe...???zinda nahi chhodunga usse mai...


awaaz nahi,ek gurrahat nikli thi FLORIN ke mooh se..mai dekh raha tha woh insaan,jo hamesha hi shaant rehta hai,uske chehre par mere chehre ki taklif dekhkar dard aur beintaha ghhussa chha gaya tha..

unka ATTITUDE completely change ho gaya tha jiska pata unhe tak nahi tha...

wahin unke puchne ke baad bhi jab mai kuch nahi bola toh..


FLORIN-arre tu chup kyun hai..??bata kya hua hai...???

MARIA-beta,AL ne toh kuch nahi kaha tujhe...???


MARIA ki baat sun unki taraf dekha maine..aur mere aisa karne par MARIA aur FLORIN ko laga ki shayad mere rone aur sad hone ke piche ka reason unki beti hai..

aur ye feel karte hi unke face ke expressions badal gaye...

mai dekh taha tha ki dono ke hi aankhon me unki beti ke liye ghussa dikhne laga tha...

us ladke ke liye jo ab tak toh unke liye begaana hi tha,uske liye unki aankhon me apni beti se zyada pyar dikh raha tha mujhe...

wahin aankhon me ghussa liye MARIA apni beti ko confront karne ke baare me sochne lagi par tabhi unhe apne haathon par mere haathon ka ehsaas hua jispar jab unhone meri taraf dekha toh...


MAI-its not ALFREEN...???

MARIA-then what is it son..???


MARIA ki baat par kuch kaha nahi maine balki unke saath FLORIN ka bhi haath pakad un dono ko sofe ke paas le gaya..

woh dono bhi bina kisi hil hujjut ke mere saath chal pade the..sofe ke paas pahunch maine unhe baithne ka ishara kiya aur un dono ke baithne ke baad mai un dono ke pairon ke paas ghutno ke bal baith gaya...

FLORIN aur MARIA,dono hi dekh rahe the mere face ke har pal badalte hue expressions par ab woh bilkul shaant hokar baith chuke the...

wahin kuch der tak khudse ladhte rehne ke baad maine ek lambi saans li aur...


MAI-ALFREEN is not your first child, right..??? usse pehle bhi aapko ek baccha hua tha par woh baccha mara hua paida hua tha...

meri is baat ko sun hadh se zyada shocked ho gaye the MARIA aur FLORIN...

itni purani baat aur saath hi woh RAAZ jo unhone apni beti tak ko nahi bataya tha taaki usse kharab naa lage,maine unke saamne disclose kiya tha...

par saath hi jis condition me mai ye baat kar raha tha,woh bhi sandeh se bhara hua tha aur isiliye...


MARIA-tumhe kaise pata ye baat..??aur us baat ka tumhare rone se kya connection hai beta...???


MARIA mujhse sawal kar rahi thi par us sawal se meri ye ummid ki jo bhi maine dekha,woh jhut ho sakta hai, VIDEOUS ka failaya maayajaal ho sakta hai,toot chuka tha..

ek baar phirse aansuon ki tez pravah nikal padi mere aankhon se jisse dekh FLORIN aur MARIA, dono ka hi dil baithne laga tha par woh ab chup hi the...

wahin kuch der baad khud ko normal kar...


MAI-jo mara hua baccha aapko hua tha,woh bacha aapka nahi tha..woh bas ek cloned child tha jisse aapke garbh me aapke asli bache ki jagah implant kar diya gaya tha..


DHHOOOOMMMMM.....

ek dhamaka sa hua tha MARIA aur FLORIN ke dimag me meri baaton ko sunkar..

pehle toh meri baat ko sun unhe mujhpar behadh ghussa aaya par phir mere aansuon se bheege chehre aur mere ATTITUDE ko joki mazak karne ka tha hi nahi,uska dhyan karte hue un dono ka hi ghussa shaant ho chuka tha..

ghussa bhale hi shaant ho gaya tha un dono ka,par meri baat sun man zaroor puri tarah vyathit ho chuka tha..

kis aur mahoul me,normal world me toh un dono ne meri kahi baat ko fake maan hawa me uda diya hota par ALFREEN ke saath jo hua tha,aur jis duniya me woh the,usse dhyan me rakh woh jaante the ki yahan kuch bhi possible hai...

bechain toh bohot ho gaye the dono par kisi tarah khudko normal rakh..


FLORIN-ye sab kya bol rahe ho RAAZ...???hamare bache ke badle ek cloned bache ko MARIA ke garbh me implant kar diya gaya tha...

par kyun...??aur phir hamare bacche ka kya hua...??


FLORIN ki baat sun maine kuch kaha nahi bas apne dono haathon ko aage kar un dono ke sir par rakh diya aur mere aisa karte hi un dono ke sir par ek roshni chamki jisse unki aankhein band hoti chali gayi..

band aankhon ke beech unhe woh sab kuch dikhne laga jo kuch der pehle maine bhi dekha tha..

saath hi mai kaun hun,mere janm ka uddeshya kya hai,ye bhi un dono ko pata lag chuka tha...

par mai yahin par nahi ruka... UNEARTH THE IMMORTALS books me VIDEOUS ne jo chhal kiya tha, jiski wajah se meri aankhen aur dil,dono hi bhare hue the,woh drishya bhi maine un dono ko dikha diya...

jab woh drishya,woh sach woh dono aankhen band kiye dekh rahe the,tab meri nazar un dono ke face par thi...

par tabhi,vedna se bhare mere chehre par achanak se hi ek pal ke liye hairani ke bhaav dikhne lage...

reason....

VIDEOUS ki sharth ke baare me jaankar jahan un dono ke face par dar dikhna chahiye tha,ye jaankar ki unke apne bete ke haathon marna unki niyati hai,unhe dard hona chahiye tha,aisa kuch bhi nahi hua tha...

balki isse ulat un dono ke face par ek smile naach uthi thi...

aur yunhi smile karte hue kuch der baad jab unhone mujhe dekha toh maine un dono ke hi aankhon me apne liye beintahan mohobbat dikhi...

MARIA ne toh turant wapas mere chehre ko apne haathon ke beech liya aur mere pure chehre ko chumne lagi...

wahin FLORIN ke aankhon me mere prati ek garv tha aur ussi garv ke saath woh mujhe dekh rahe the..

kuch der mere chehre ko chum jab MARIA mujhse alag hui toh...


MARIA-tu mera baccha hai...mera apna baccha..itne saalon se mere hi saamne bada hua tu aur mai tujhe pehchaan bhi naa saki...

RAAZ...mera RAAZ...

FLORIN-hamara....


FLORIN ki baat sun aansu se bhare MARIA ki aankhen chalki aur woh muskura uthi...

wahin apni baat bol FLORIN ne apna ek haath mere sir par rakha yaa phir ye kahun ki firaya aur...


FLORIN-kyun hai tere aankhon me aansu mere bacche.. isiliye kyunki tujhe hum dono ko,apne maata pitah ko maarna padega...

tu hame maarega nahi RAAZ..tere haathon hume moksh milega...hum azaad ho jaayenge..

MARIA-aur hamare jaane ke baad ye ek pal ke liye bhi nahi sochna ki tune hume maara hai aur tu layak beta nahi hai...

jis SHRAAP ko,SHAITAN ko mitane ke liye khud PARMESHWAR PUTRON ne apni URJA ko banaya hai,woh URJA meri kokh se nikla hamara ANSH hai..

isse badi baat humare liye kuch ho hi nahi sakti thi beta...tune toh hamara ye manushya jeevan saarthak bana diya hai...

is CHOSENS ko,yahan rehne waale jaaduyi aur khaas logon ko dekhkar hamesha mai sochti thi ki hum pati patni in khaas logon ke beech me kitne aam hai...

par aaj pata chala ki ye saare khaas mil bhi jaaye naa,toh bhi hamare saamne aam hai..

aur aisa sirf teri wajah se hua hai...jo hua woh niyati thi,jo ho raha hai,woh bhi niyati hai,aur jo aage hoga,woh bhi niyati hi hogi..

FLORIN-mere bachhe, niyati se toh GOD bhi nahi bhaag sakte,hum bhala kya cheez hain...!!!!

isiliye jo hona hi hai, uske viprit sochna samajhdaari nahi...

aur mere bete se zyada toh koi samajhdaar hai hi nahi...


mere sir par phirse apna haath ferte hue kahi ye baat FLORIN ne...

wahin un dono ki baatein sunkar mere aansu behne toh band ho chuke the,par ab bhi meri aankhen bhari hui hi thi,bas unhone aansuon ko chhalakne ki ijazat dena band kar diya tha...

mai ek tak un dono ko dekh raha tha jispar bade pyar se mujhe dekhte hue...


MARIA-jo waada kiya hai,usse nibhao RAAZ...par usse pehle hamari ek KHWAHISH hai..

puri karoge..!!!!


MARIA ki baat par maina kaha toh kuch nahi bas haan me apna sir hila diya jispar...


MARIA/FLORIN-hum chaahte hain ki jab tum apna waada nibhao,hume is duniya se vida karo,toh aisa karne se thik pehle hume mom,dad kehkar bulao...

bas itna kar de,marte waqt hume zara sa bhi dard nahi hoga...

MAI-dard toh mai waise bhi hone bhi nahi dunga...par kya ALFREEN se nahi milna chahte aap dono....???

FLORIN-chahte toh hain..par woh naasamajh hai,jasbaat me sahi galat me fark karna nahi aata usse...

isiliye jaane de...kuch jhatkon ka ehsaas unke lagne ke thodi der baad pata chale toh hi thik hota hai...

tu apna kaam shuru kar...par haan, pehle hume woh kehkar bula jo hum tere lagte hain...


FLORIN ki baat sun maine apne dono haathon ko ek baar phirse un dono ke sir ki taraf badhaya...

par aisa karte waqt mere dono haath buri tarah kaamp rahe the...

wahin meri haalat se bilkul ulat FLORIN aur MARIA bilkul shaant aur khush dikh rahe the...

apna haath un dono ke sir par rakh maine ek baar un dono ke face ko dekha aur phir nikle mere mooh se woh do shabd jo FLORIN aur MARIA sunana chahte the...


MAI-MOM,DAD.....i am sorry....

MARIA/FLORIN-dont be son....we are proud of you...

MAI- V.....E....L.....A..........H........

PAINLESS DEATH....


ladkhadati awaaz me apni aankhen band kar is SPELL ko bola tha maine....

ye ek khaas kism ka DEATH SPELL tha...iski khubi ye thi ki is SPELL se jo marta tha,uska sharir turant jal kar raakh ho jaata tha,par is process ke dauran usse bilkul bhi dard nahi hota tha par iska ulat jo is SPELL ko uccharit karta tha,uske haath bhi is SPELL ke asar se jal jaate the,aur saath hi saath jo jalan marne waale ko honi chahiye,woh jalan jalaane waale ko apne haathon me feel hoti thi....

aur abhi bhi wahi hua...mere SPELL bolte hi mere mom dad ke sir se lekar pair tak unka pura sharir jalne laga aur unke saath unke sir par rakha mera haath bhi jalne laga..

par jahan ek taraf pure sir se lekar pair tak aag lagne ke baawjud mere mom dad ko halka sa bhi pain nahi hua,wahin mera haath buri tarah jalne laga aur mujhe asahaniya pain feel hone laga jisse apne mom dad ke muskurate hue face ko dekhte hue mai zabt kar hi raha tha ki tabhi...


NAHI...................

ek zordaar cheekh padi mere kaano me jo front door se aayi thi jahan is waqt MAHI aur ALFREEN khade the..

ye cheekh ALFREEN ke mooh se nikli thi jo cheekhte hue apne mom dad ko jalte dekh pehle toh jadh si ho gayi par phir jo hua,us chiz ko jaise hi uske dimag ne thik se read kiya toh usse laga ek tagda jhatka jiski wajah se woh behosh hokar niche gir padi thi...

wahin uske baaju me khadi MAHI bhi ekdum jadh si hokar reh gayi thi...

GRIFFIN ke kehne par woh lagatar mujhe sense kar rahi thi..aur aisa karte waqt jab usne mujhe ALFREEN ke ghar par sense liya toh uska man hua ki woh yahan aakar mujhe saamne se dekhe..

aur tabhi ALFREEN mujhe dhundte hue wahan garden me uske saamne aa gayi..

aur jab usne mere baare me pucha toh MAHI ne usse bataya ki mai ussike ghar par hun aur phir ussike saath yahan aa gayi..

par usse kahan maalum tha ki yahan aate hi usse kuch aisa dekhne ko milega...

ALFREEN neeche behosh padi thi par MAHI waise hi sthir hokar statue ki tarah khadi hui thi...

uska toh sab kuch blank ho gaya tha....aur shayad aage bhi woh ussi condition me bani rehti ki tabhi....



AHHHHHHHHHHHHHHHHHH.................



apne aawaz ki aakhri hadh ke saath cheekh pada tha mai jisse sun MAHI ki bhi jaise tandra si tooti thi...

bhari hui aankhon ke saath usne dekha ki mai saamne sofe par pade raakh joki mere mom dad ke the,usse apne dono haathon se pakadte hue apne chehre aur pure sharir par mal raha hun....

do jeete jaaagte insaano ko jalakar raakh maine hi banaya tha,aur ab ek dard se bhari cheekh ke baad un jale hue do logon ki raakh ko khudke upar mal apni taklif bayan kar raha tha mai,ye sab dekh MAHI ki sochne samajhne ki shakti jaise khatm hi ho gayi thi ki tabhi....



ISHQ PE MAREN,YAA ISHQ ME MAREN....

AGAR ISHQ SAATH HAI,TOH BHALA HUM KYUN DAREN....


GRIFFIN aur MAHI ki institution ke garden me hui mulakat ke waqt jab RAAZ ke liye MAHI ne ye baat kahi aur jaane ko hui toh GRIFFIN ne bhi usse kul teen baatein kahi thi jinme se jo pehli baat usne kahi thi,wahi baat is waqt MAHI ke dimag me achanak se gunj uthi..


GRIFFIN-tumhare prem ki pariksha hai aaj MAHI..RAAZ ke liye tumhare man me jitna bhi prem hai,prem ke un saare kano ko nichodte hue apne ragon ke har dhamniyon me aaj lagatar bahate rehna hai tumhe...




chaahe lag rahe uspar kitne hi TOHMAT HO,aaj RAAZ KA SAATH MAT CHHODNA...

uske khaatir agar tumhari bhi ZALAALAT HO,aaj RAAZ KA SAATH MAT CHHODNA...

ilzam lagenge uspar.....

aur agar woh wakayi GALAT HO,tab bhi,...aaj RAAZ KA SAATH MAT CHHODNA.....
















AAJ KE LIYE ITNA HI......
















AAPKA APNA V...J....
mata pita v putr ki bhavpuran vaytha pardarshit karta update charo aur se puran hai
aur ek bhavbheeni shridhanjli
niyti ke khel nirale
laajwaab hai bhai
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,267
38,658
258
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF HIDA WEAKLINGS KO SPELLAR AUR REFINER KE BAARE ME BATATI HAI WAHIN DUSRI TARAF VIDEOUS MAHI, ALFREEN AUR MABEL SE FRIENDLY HOKAR BAAT KARTA HAI.

AB AAGE:-



CHAPTER-2


( UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-65



PLANET-SPIRAM


PLACE-RIVER BANK







WELL,WELL,WELL.....LOOK WHO WE FOUND....A SUSPECT....



subah ka waqt hai.nadi kinare baithi ek ladki,jiske siway aankh aur honth waale area ke baaki ka pura chehra dhaka hua tha. skin tight stretchable dark red outfit pehne wo ladki neeche baith kar nadi se paani pee rahi thi,tabhi uske piche se ye awaaz aayi thi jisse sun wo turant palti aur dekha ki uske saamne hawa me 2 log khade usse dekh rahe the aur dheere dheere niche zamin par utar rahe the.....

waise toh wo dono shaksh us ladki ke liye anjaan the,par unka usse suspect kehne se usse anuman ho gaya tha ki wo dono kaun ho sakte hain isiliye...


LADKI-chale jaao yahan se....acha rahega tum dono ke liye...

ladki ke jawab ko sun wo dono shaksh man hi man chownke the..

pehli baar ho raha tha un dono ka us ladki se aamna saamna,par aise me bhi wo ladki naa toh ghabrayi thi aur naahi usne un dono ke baare me janane ki koi icha jatayi..

aur aisa hona ajeeb bhi tha asadharan bhi...

1ST-hume dekhkar dari nahi tum...is grah par jeeven ko panpe kuch hi waqt beeta hai,jahan filhal human existence shuru bhi nahi hui hai,wahan khadi ho tum.

in sabse pata chalta hai ki sadharn toh bilkul nahi ho sakti tum...aur yahan is jagah par tumhara pahunchna,ye batata hai ki METAPHYSICAL capabilities bhi hai tumme...

aur agar tum sadharan nahi ho,toh tumhe hamare AURA toh sense ho hi rahe honge jisse tum hamari shakti ka ek halka sa hi sahi,aakalan toh kar paa hi rahi hogi...

kya tumhe nahi lagta ki hume yahan se jaane ki dhamki dena tumhare liya khatarnaak ho sakta hai...

us shaksh ki baat sun us ladki ke chehre par muskaan aa gayi jisse dhake hone ki wajah se wo dono shaksh nahi dekh paaye the...


LADKI-yahan khatarnaak sirf mai hun...toh darne ki zaroorat mujhe nahi,tum dono ko hai...

khair,tumhari baaton se ek baat ti clear ho hi gayi hai ki bina pite tum dono jaaoge nahi..

toh isse pehle ki khel shuru karen,ek baat ka jawab do....kaun hai wo jo dhund raha hai mujhe...

mai suspect hun,ye kaise tay kar liya tum dono ne..

2ND-tum hume maarogi....achi galatfehmi hai...khair, pehle tumhare sawalon ke jawab de dete hain kyunki fir tum us haalat me rahogi nahi ki kuch bhi sun yaa samajh paao...

1ST-arre manners bhul gaya kya..?? conversation shuru karne se pehle introduction zaroori hota hai.. toh pehle wo kar len...???

2nd-ye baat bhi sahi hai...toh lady,myself DORIAN....

1ST-aur mai GASTON hun...

DORIAN-well,humne toh apna intro de diya...ab agar naam batane se aapki is chuppi hui personality ka RAAZ nahi khul jaayega,toh kya hum aapka naam jaan sakte hain...

LADKI-FALLON......

DORIAN-FALLON....nice..toh FALLON,baat kuch aisi hai ki humare LORD ne hume kisiki talash karne ko kaha hai...

ab wo kaun hai,iske baare me toh hume pata nahi hai par uski urja ki shakti ko hamare LORD ne hume mehsoos karwaya tha taaki hum uske zariye usse detect kar saken...

unhone hume ye bhi bataya tha ki aisa ho sakta hai ki jinki talash unhe hai,wo hume directly naa mile toh aise me agar hum kisi aur me usse milte julte urja ke prabhaav ko mehsoos karen,toh iska arth hoga ki wo shaksh unka saathi hai,jiski LORD ko talash hai...

and guess what...itne dino ki lagatar khoj ke baad aakhirkhaar hume ek aisa shaksh mil hi gaya jiski body se hume us WANTED shaksh jaisi urja feel hui hai...

toh hui naa tum hamari suspect....

FALLON-kya naam hai tumhare LORD ka...???

DORIAN- jab hum tumhe unke paas lekar chalenge,toh tum khud hi unse puch lena...

FALLON-milna toh mai chahti hun tumhare LORD se par unfortunately abhi iska waqt nahi aaya hai....

par yahan se mere jaane ka waqt ab zaroor aa gaya hai... isiliye,khel shuru karte hain...

agar khudki jaan bacha paaye,toh tum dono bhi chale jaana..


FALLON ka chehra nahi dikh raha tha par uski awaaz me jo confidence tha,wo DORIAN aur GASTON bohot ache se feel kar paa rahe the...

unhe apni taakat par pura bharosa tha par ek anjaan dushman ko kam aankna,ye bewakufi wo nahi kar sakte the aur isiliye...

GASTON turant gayab hua aur FALLON ke piche aa gaya...

ab DORIAN aur GASTON,dono hi FALLON ke dono taraf the jiska matlab ki wo uspar dono taraf se ek saath waar karne waale the...

FALLON bhi un dono ki ran neeti se anjaan nahi thi....

usne pehle apne saamne khade DORIAN ko dekha aur fir palaththe hue uski nazar GASTON par padi aur tabhi....

FALLON ke chehre ko piche ki taraf ghumta dekha DORIAN ke haathon se ek CURRENT ROPE nikal FALLON ki taraf badhi....

par FALLON jaise pehle se hi jaanti thi ki aisa kuch hone waala hai aur isiliye hi usne hawa me ek ulta cart wheel maara aur DORIAN ke chhode CURRENT ROPE ke upar se guzarti hui jaane lagi...

ye action kaafi speed tha par DORIAN aur GASTON jaise A + SORCERERS ki aankhon ke liye normal hi tha aur isiliye FALLON ke hawa me rehte hue hi GASTON ne apni taraf se ek dusri CURRENT RAY feki uske taraf par tabhi...

FALLON ka right hand uske waist ki taraf jahan usne ek red belt pehni hui thi,uspar gayi...

abhi hawa me hi thi FALLON...par ussi akward aur moving position me usne us belt ko apne waist se naa sirf kheencha,balki agle nano second se bhi kam waqt par wo belt uske haath me the...

belt ko haath me lete hi usne usse ek jhatka diya aur aisa hote hi hui do cheezen...

pehli....belt saamp ki tarah lehra gayi aur agle ho pal us belt ki length 10 feet ki ho chuki thi...

dusri....belt ke lehrate hi usse do behad strong shock waves nikli jisme se ek sidhi padi DORIAN ke CURRENT ROPE par aur dusri padi GASTON ke chhode CURRENT ROPE par aur aisa hote hi wo dono ROPES dhuen me badal gayab ho gaye...

wahan wo ropes gayab hue aur yahan FALLON ka pair zameen par aaya...

abhi abhi jo hua tha,usse dekh ek pal ke liye aankhen hairat se badi hi gayi thi DORIAN aur GASTON ki...

unhone dekha ki FALLON ke haathon me jo chaabul numa badi si belt hai,uske dono side se halki halki urja nikal rahi thi jiska matlab tha ki wo belt ek maayavi astr thi aur usse bohot se metaphisycal activities ko anjaam diya jaa sakta tha....

jahan wo dono ye sab soch rahe the wahin FALLON ab un dono ko mouka nahi dena chahti thi aur isiliye....

jaise hi uske pair zameen ko chhue toh uske agle hi pal usne ek baar fir apne lambe se belt jo kisi chaabuk se kam nahi thi,usse zor se jhatakte hue zamin par maara aur aisa hote hi....

ek saath do chizen hui...

pehli....

us belt ke zamin se takrate hi aas paas ki puri zamin asthir ho gayi aur us zamin ke har hisse me vibrations hone lagi...

dusri....

zamin se takrane par us belt me bhi ek strong impact pada jiske baad uske dono ends se anginat lambe lambe keel nikalne lage...

ye keel us belt ki shakti urja se bane the aur isiliye wo sab jaan leva bhi the...

ek taraf zamin par ho rahe vibrations aur dusri taraf wo anginat keel...

ek saath is dohre hamle se hadbada gaye the DORIAN aur GASTON....

wo khudko zamin par stable bhi nahi kar paa rahe the aur aise me unhe un keelo se bhi bachna tha...

par DORIAN aur GASTON bhi koi kacche khiladi toh the nahi...

zamin ke hilte hi wo dono halke hawa me uth chuke the...wahin hawa me uth un dono ne apne saamne ek ek NON LIVING WORLD DOOR khol diye jiske khulte hi wo keel unme samane lage...

jab FALLON ne apne daanw ko khaali jaate hue dekha toh usne apne belt ko ek baar punah hawa me lehraya aur aisa hote hi ek baar firse us belt se keel nikalne lage par is baar unki disha straight nahi thi...

ek nishchit doori tak pahunchne ke baad wo keel apni disha badalte hue chaaron taraf se ghum ghum kar GASTON aur DORIAN ki taraf badh chale...

ye sab hote dekh ek pal ke liye DORIAN aur GASTON ke chehre par chinta ki lakire ubhri...

kyunki ye wakayi ek ajeeb problem thi...DORIAN aur GASTON ek saath bohot se world doors nahi khol sakte the...

waqt kam tha aur problem badi.. kuch pal aur,uske baad wo saare keel in dono ko cheer dene waale the...

par GASTON aur DORIAN aisa kaise hone de sakte the aur isiliye...

dono ne mind to mind ek dusre se baat ki aur agle hi pal...

dono ke saamne bane WORLD DOOR gayab ho gaye...

aur fir....

DORIAN aur GASTON,dono hi apni apni jagah par gol ghumne lage...un dono ki raftar behad tez thi...

wahin wo saari keelen chaaron taraf se hoti hui un dono ke paas pahuncha chuki thi par isse pehle ki wo unhe chhu paati...

GASTON aur DORIAN,dono ke hi shariron ke ghumne se unke bodies ke charaon taraf ek SHIELD numa AURA banane lagi jisse takrakar wo saari keelen gayab hone lagi...

GASTON aur DORIAN ki yukti se apne naye waar ko bekaar hote dekh ek pal ke liye FALLON hairan hui par fir wo dobara ek naya waar karne ki waali thi lekin tabhi....


WAPAS AA JAAO FALLON....


uske kaano me ye awaaz gunj uthi...


wahin jab DORIAN aur GASTON ko un keelon ki ENERGY mehsoos honi band ho gayi toh unhone ghumna band kar diya..

par ghumna band karne se pehle hi un dono ne apne waar kar diye the...

un dono ke hi bodies se do ray numa bhala nikal FALLON ki taraf badh gaya tha par waar karne ke baad jab GASTON aur DORIAN ki body ruki aur unki nazar saamne gayi tih dono hairan ar ghussa dono ho gaye...

reason....

FALLON gayab ho chuki thi.....





PLANET-ELYSIAN



PLACE-CHOSENS






CONGRATS ACCHUTA & SLUNDER....aapne aaj apne SOUL ko 2 percent tak AMPLIFY kar liya hai...

aur itni jaldi aisa karne waale aap dono pehle WEAKLINGS bane hain...

aapki is uplabdhi par mai aap dono ke liye bohot khush hun...

chehre par khushi ke bhaav liye HIDA ne ACCHUTA aur SLUNDER se ye baat kahi jisse sun un dono ki baachein hi khil gayi thi...

gourav aur khushi...jab ye dono bhaav ek saath ek hi waqt par mehsoos ho toh us feeling ki baat hi kuch aur hoti hai...

aur yahi dono feelings is waqt ACCHUTA aur SLUNDER mehsoos kar rahe the...

aaj class shuru hone ke baad in dono ne REFINER ki practice nahi ki thi aur wo isiliye kyunki us process me bhi kaafi energy release hoti hai jisse SOUL AMPLIFICATION process me problem hoti hai...

one at a time..is quote ko aadhar banakar ACCHUTA aur SLUNDER ne aaj sirf apne SOUL ko AMPLIFY karne ki sochi thi aur unki ye soch kaargar bhi sidh hui...

lagatar 3 baar fail hone ke baad finally chowthe attempt me ye dono apne SOUL ko AMPLIFY karne me kaamiyab ho hi gaye...

wahin in sabke beech tha BRAWNY jisse ek taraf toh apne dono group mates ke liye khushi toh ho hi rahi thi wahin dusri taraf apne nirantar haar ke liye sharm bhi mehsoos ho rahi thi..

waise toh usse hamesha se hi apne underperformance se taklif hoti thi par aaj jab usne ACCHUTA aur SLUNDER ko dobara apne apne SOUL ko AMPLIFY karte hue dekha toh wo taklif kaafi badh gayi thi...

apne disability par BRAWNY koft kar hi raha tha ki tabhi HIDA ne apni baat aage badhayi...


HIDA-well..ab aap dono ne achievements haasil kiye hain toh aap dono ko prize bhi milega...

aur prize hai catagory upgradation....kal se aap dono is class me nahi balki GROOMERS ki class me baithenge...

itna hi nahi,har GROOMER ki hi tarah aap dono ki bhi life style hogi...

shaam ko aapke quarter me aapki bikes pahunch jaayegi jiske gps me aapke naye apartments ka location set hoga...

ab se aap dono ko is WEAKLINGS ki dress ko 24/7 pehenane ki zaroorat hai...infact kabhi bhi pehenane ki zaroorat nahi hai....

aapke apartments me aapke pahunchne se pehle hi aapki GROOMERS ki uniform aur kuch casual dresses rakhwa di jaayengi aur saath hi har wo cheez jo ek GROOMER ko milti hai...

so congrats again...aaj ki class yahi khatm hoti hai...


jahan ye bol HIDA hall se nikal gayi wahin BRAWNY bhi unke piche piche hi nikal pada...

uske yun nikalne ka kaaran ACCHUTA aur SLUNDER achi tarah samajh rahe the aur unhe uske liye bura bhiag raha tha par wo kar bhi kya sakte the...

wo dono BRAWNY ko hi dekh rahe the ki tabhi un dono ke kaano me padi meri awaaz...


MAI-bohot bura lag raha hai BRAWNY ke liye...


apni khushi me wo dono kuch palon ke liye meri moujudgi ko bhul se gaye the par meri awaaz sun naa sirf unhe mere unke paas hone ka ehsaas hua par saath hi wo dono turant piche palte aur jo hamesha hota aaya hai wahi hua..

dono ke chehron par dar dikhne laga...


MAI-dar kyun rahe ho...aaj toh tum dono ke liye khushi ka din hai.... WEAKLINGS ki pathetic life style se finally azaadi mil hi gayi tum dono ko...

i am very happy for you....


meri aakhri line sun un dono ko hi shock laga...i was happy for them...ye sunkar unhe hairani bhi hui aur khushi bhi...


ACCHUTA/SLUNDER-thanks RAAZ...

MAI-hmm...chalo, aakhri baar apne quater ko dekh lo..shaam ko toh usse alvida kehna hi hai...


is waqt mera chehra bilkul shaant tha...

aur jab is tarah se maine apni baat kahi toh un dono ke cheharon par smile aa gayi aur wo wapas palat aage badh gaye wahin mai bhi unke piche ho liya....

par isse pehle ki hum teeno hall se bahar nikalte....


WELL WELL WELL ... DEKHO TOH KAUN AA RAHA HAI....THE THREE LOOSERS...


ye awaaz thi VALDIS ki jo ki ACCHUTA ki taraf hi aa raha tha..

darasal STELLARS ki class khatm hone ke baad jab saare SAVENTS bahar nikalne lage tab VALDIS ki nazar hall ke beech khade hum teeno par padi aur hume dekh wo rook gaya tha aur ab jab hum ussi ki taraf aa rahe the tab usne ye saari baatein kahin jispar ACCHUTA aur SLUNDER, pehle toh ek raat pehle hue dhulayi ko yaad kar halke ghabraye par fir jab unhone VALDIS ko mujhe looser bolte suna toh unhe aa gaya ghussa....


ACCHUTA-abbe bakwaas band kar...warna LU***D phek kar maarunga,GA**D se pregnant ho jayega tu...

SLUNDER-saale chaman chutiye...apne grahakon ko apni GAA**D ki rishwat dekar unse ghirwakar hume maarta hai aur khudko taakatwar samajhta hai...

saale MALE RAA***D hai tu...


ACCHUTA aur SLUNDER ki baat sun behad ghusse se bhar unki taraf badha VALDIS aur jab aisa hua tab ACCHUTA aur SLUNDER ko realize hua ki ghusse me kuch zyada hi bol gaye hain wo dono...

VALDIS ek 4 percent AMPLIFICATION waala banda tha upar se STELLAR bhi jinka influence CHOSENS me sabse zyada hota hai toh aise me ye situation unke liye sahi nahi thi...

par zuban se nikli baat aur usse hone waale consequences se bhaaga toh jaa sakta tha nahi isiliye wo dono bhi VALDIS se bhidne ke liye ready ho gaye the..

wahin tezi se badhtha hua VALDIS ACCHUTA ke saamne pahunch gaya...

ACCHUTA ke saamne pahunch apne SOUL AMPLIFICATION ki taakat se VALDIS ne usse dhakka dene ke liye haath aage badhaya par tabhi...

behad tezi se mai ACCHUTA aur VALDIS ke beech aa gaya jisse VALDIS ka haath ACCHUTA ke chaati se naa lag meri chaati ko laga aur jab aisa hua toh...

VALDIS ki push ka asar kuch hua nahi...mai apni jagah par hi khada raha..

pehle mujhe yun tezi se ACCHUTA ke saamne aata dekh VALDIS chownka par fir uske SOUL power ki use ke saath diye gaye push se bhi jab ek inch bhi mujhe naa hilte dekha usne toh uski hairani badh gayi...

usse ACCHUTA ki mere baare me kahi gayi kal ki baat yaad aane lagi thi...

wahin apni chhati me uske haath ko dekh maine apne dono haath aage badhaye aur VALDIS ke haathon ko pakad liya....


HMMPHHH..HAMMPHHHH


mere aisa karte hi VALDIS ne apne haathon ko mere haathon se chhudane ke liye pehle normal,fir halki awaaz ke saath average aur aakhir me tez awaaz ke saath apni puri taakat laga di par uska haath mere haathon se chhuta nahi...

jahan aisa hote dekh VALDIS behad chownka tha wahin ACCHUTA aur SLUNDER ki hasi nikal gayi aur...


ACCHUTA-kyun re lau*e.... bohot dum hai naa tere me.... laga le fir..ga**d se tatti nikal jaayegi par RAAZ ke haath se tera haath nahi nikal paayega...

VALDIS-haath chhod RAAZ.. warna acha nahi hoga...


bebasi me bhi akad ka darwaza pakde gurraya VALDIS jispar...


MAI-abhi maine sirf tera haath pakda hai...agar dabana shuru kar dun toh tere haathon ke zariye teri rooh fana ho jaayegi...

taakat dikhane ka bada shouk hai naa tujhe....ye mouka bhi tujhe milega...par jab tak wo mouka nahi aata,apne haathon ko, apni aukad ko apne dayre me rakh...salamat rahega...

ab nikal....


ye bol maine VALDIS ke haathon ko chhod diya jiske baad apne kalaayion ko masalte hue usne ek baar mujhe aur ek baar ACCHUTA aur SLUNDER ko ghura par fir chupchaap nikal gaya...


ACCHUTA-thanks RAAZ...


mujhe yun beech me ghus un dono ko defend karta dekh ACCHUTA aur SLUNDER,dono ke hi aankhon me mere liye khushi respect thi,jo ACCHUTA ke thanks kehne par aur saaf dikhne lagi thi..


MAI-no need dude..what are friends for...???!!!


meri baat sun aur mujhe unhe as friends bolne par ACCHUTA aur SLUNDER dono shock bhi hue aur bhaavuk bhi...

SLUNDER toh ab bhi thoda hichkicha raha tha par ACCHUTA,wo turant aage badha aur mere gale lag gaya aur usse aisa karte dekh SLUNDER ne bhi waisa hi kiya....

apni khushi ko dikha ye dono mere gale lage hi the ki tabhi....


KAAM HO GAYA MASTER.....



ek awaaz gunj uthi mere dimag me jisse sun mere chehre par aa gayi muskaan...

toh chaliye,is scene ko khatm karne se pehle us scene ki taraf chalte hain jiski wajah se mere dimag me ye awaaz gunji thi..





PLANET-MASSOR


PLACE-THE JUNGLE





OH..MY... GOD.......KA...KYA HAI YE..???


kampti hue awaaz me ek aadmi ne ye baat kahi jispar uske jeep ke saamne khade vikral aur ajeeb body ke jaanwar ne pehle apne sir ko jo ki aadha tiger aur adha wolf ka bana tha,halka jhatka diya aur...


ANIMAL-WOOGER HUN MAI....


ek jaanwar ke mooh se insano ki bhasha sunkar wo aadmi jo aur koi nahi balki ACCHUTA ke father the,hairan ho gaye the...

waise hairan toh unke baaju me baithe SLUNDER ke pitah aur jeep ki pichli seat par baithi un dono ki patniyan bhi ho gayi thi....

ACCHUTA ke pitah jinhone SLUNDER ke parents ko apne is naye planet me invite kiya tha aur filhal woh chaaron ek bohot hi advanced hunt jeep me MASSOR ke ek jungle me shikar karne aaye the,unhone apne wildest dream me bhi nahi socha tha ki jungle ke beech unka saamna ek daiytyakaar jaanwar se hoga jo human language me baat kar sakta tha...

wahin dono royal families ki suraksha ke liye jo kuch sipahi aaye the aur unke jeep ke piche dusri gaadiyon me follow kar rahe the,us jaanwar ko dekh un sabki haalat bhi kharab ho gayi thi....

ACCHUTA aur SLUNDER ke pitah,jo kuch der pehle tak ek hiran ko dekh uske shikar ke liye uske piche gaadi douda rahe the,ab khud ek shikar ki tarah us WOOGER naam ke jaanwar ke saamne khade the..

khair, jaise hi WOOGER ne apna naam bataya toh...


SLUNDER FATHER-ho kaun tum...???aur is tarah hamare saamne aane ka kaaran kya hai...???


apni puri himmat jama kar kahi thi ye baat SLUNDER ke father ne jispar....


WOOGER-mai kaun hun,ye chhodo bas itna jaan lo ki mai tum chaaron ko tumhari zindagi se azaad karne aaya hun...


bohot normally kahi thi ye baat WOOGER ne par uski baat sun un sabki haalat aur kharab ho gayi thi...


ACCHUTA MOTHER-par kyun maarna chahte ho tum hume.. humne tumhara kya bigada hai..???

WOOGER-bigada toh us hiran ne bhi tumhara kuch nahi hai jiske shikar ke liye tum sab nikle ho...


WOOGER ki baat sun un sabko laga ki hiran ki wajah se WOOGER un sabko maarna chahata tha isiliye..


SLUNDER MOTHER-hum nahi karenge us hiran ka shikar...infact,hum kisi bhi jaanwar ka shikar nahi karenge..hum wapas chale jaate hain..


SLUNDER ki mom ki baat puri hui hi thi ki uske agle hi pal unki aur unke saath baaki sabhi ki aankhen badi ho gayi..

reason...

jis hiran ki baat abhi ho rahi thi,wo hiran hawa me udte hue unki taraf aaya aur thik WOOGER ke saamne aakar rook gaya jiske agle hi pal wo hiran WOOGER ke mooh me chala gaya tha...

hiran ko nigalne ke baad..


WOOGER-hiran ho yaa manushya.. kamzoron ko mar hi jaana chahiye...

ek kamzor toh mar gaya..ab tum sabhi ki baari hai...

ACCHUTA FATHER-dekh kya rahe ho..maar daalo isse...

piche apne sipahiyon ko dekhte hue chilla uthe ACCHUTA ke father aur unke aisa karte hi jaise ek sammohan se jaage the saare sainik...

apne king ki awaaz sun wo sabhi turant apni jeep se utre..un sabhi ke haathon me lezer beam guns thi jiska ek shot kisi haathi ko bhi raakh kar sakta tha..

jeep se niche utar position lete hue un sabhi siphahiyon ne WOOGER par gun taan di aur aisa karte hi...

sabne trigger daba diya tha jiske baad guns se nikli lazer beams sidhe WOOGER ki taraf lapki par ye kya...!!!???


WOOGER se ek feet door wo saari beams hawa me hi rook gayi..is karishme ko dekh sabhi hairan ho hi rahe the ki tabhi...

un beams ne apna rookh moda aur wapas us disha ki taraf badh chali jahan se wo aayi thi..

aur aisa hone par ek pal bhi nahi laga un saare sipahiyon ko raakh hone ke liye...

jahan apne sipahiyon ka haal dekh ab chaaron royals thar thar kaampne lage the wahin WOOGER dheere dheere chalte hue un chaaron ki taraf aaya aur....


WOOGER-do option hai tum chaaron ke paas...

pehli...jis gun se tumhare siphahi mujhe maarne waale the,ussi se khudko shoot kar lo...

dusri...mai tum chaaron ko zinda chaba jaata hun...

maroge toh tum chaaron dono hi suraton me bas fark itna hoga ki agar tum chaaron ne khudko shoot kiya toh sirf tum chaaron ki hi jaan jaayegi par agar mujhe tum logon ko maarna pada toh tum chaaron ke baad mai tum dono ke hi grah ke har baashinde ko maar dunga...

aur aakhir me tumhare bete bhi maare jaayenge....

sab tumpar hai...jaldi faisla karo....


WOOGER ki baat sun un chaaron ki hi aankhon me aansu aa gaye the..

marne se darte nahi the wo chaaron par is tarah marna unhe gawara nahi tha...

par option bhi nahi tha unke paas..unki praja aur unke bacchon ki bali wo kaise de sakte the aur isiliye....

kaampte hue haathon se un chaaron ne ek ek gun uthai aur apne sir par rakh di...

aankh band ho gaye the un chaaron ke...unki band aankhon ke saamne unke grah CARAPACE aur ARROW ghum gaye..unki praja aur unka prem dikhne laga unhe.

aur aakhir me dikhe unhe unke bacche.. ACCHUTA aur SLUNDER jinke chehron ko yaad kar ek baar fir un chaaron ke aansu chalak uthe...

ane bacchon ke chehron ko aakhri baad yaad kar....


SCCHHH......


chaar halki halki awaaz nikli un chaaron gun se jiske agle hi pal ACCHUTA aur SLUNDER ke parents ke sir unke dhad se alag hokar raakh ho chuke the...

aur ye hote hi nikle WOOGER ke mooh se wo shabd jo gunje the RAAZ ke kaano me....


WOOGER-KAAM HO GAYA MASTER....




BACK TO RAAZ:-



QUATER JAO TUM DONO....


khudse alag karte hue kahi maine ye baat ACCHUTA aur SLUNDER se...

wahin alag hone par jab un dono ne mujhe muskurate hue dekha toh unhe laga ki shayad mai unhe dost kehne aur unke mujhe gale lagne ki wajah se hi muskura raha hun...

unhe kahan maalum tha ki ye muskaan un dono ke parents ki zabardasti karwayi gayi khudkhushi ki wajah se aayi thi..

khair,meri baat sun.....


ACCHUTA-tum nahi aa rahe ho...!!!

MAI-mai baad me aata hun...


meri baat sun un dono ne fir aage kuch kaha nahi aur palatthe hue aage badh gaye par fir wo dono hi wapas meri taraf palte aur...


ACCHUTA-thanks RAAZ,humare liye ladhne ke liye...

SLUNDER-and thanks hume dost maanane ke liye....


jahan ye bol wo dono wapas palat chale gaye wahin unki baat sun...



MAI-log kehte hain,


dosti ki hai toh
NIBHANI HOGI......

par RAAZ se dosti me,
jaan GAWAANI HOGI.......

jeena hai toh meri nazar
ko apni ehmiyat DIKHANI HOGI.....

ye meri duniya hai.....

isme meri,bas meri,sirf meri hi
MANMAANI HOGI..










AAJ KE LIYE ITNA HI......









AAPKA APNA V...J.......
Nice update bro
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,267
38,658
258
AB TAK APNE PADHA KI JAHAN EK TARAF RAAZ ACCHUTA AUR SLUNDER KO APNA DOST KEHTA HAI WAHIN DUSRI TARAF WOOGER ACCHUTA AUR SLUNDER KE MAATA PITAH KO MAAR DETA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE RAAZ)



UPDATE-66




PLACE-ASTER






CHEHRA SHAANT PAR MAN VYAKUL.....KUCH AADATEIN KABHI NAHI BADALTI,HAINA FALLON...!!!


FALLON ke saamne muskurate hue khade ek shaksh ne ye baat kahi jispar...


FALLON-man toh vyakul hoga hi naa MASTER....najane kitne dino ke baad mujhe mere takkar ke do log mile the...

par isse pehle ki hamara dwandh apne natije par pahunchta,aapne mujhe wapas bula liya..


shikayati tone ke saath kahi ye baat
FALLON ne aur aisa kehte hi uske haathon me chamak raha arrow upar utha jiske agle hi pal FALLON ne us arrow ke string ko zor se khinch chhod diya...

uske aisa karte hi pehle toh uske saamne khade uske master muskuraye par fir...

unke kaano ne saamne se aa rahi invisible bows ko sense kar liya..

aur aisa hote hi unke haathon me chamak rahi talwar upar uthi aur har invisible bow ke aage ek shield ki tarah position leti chali gayi aur jab aisa hua toh...


TANNNN.....TANNNN.....TANNNN.....


wo saari invisible bows MASTER ke talwar se takra niche girti chali gayi....

abhyas.....yahi ek tarika tha FALLON ki vyakulta ko shaant karne ka aur MASTER abhi wahi kar rahe the...

aur abhyas ke saath saath wo FALLON ko uske sawalon ke jawab bhi de rahe the...


MASTER-tumhe wapas bulane ke do kaaran the...

pehla....


wo yudh bhale hi tum teeno ke beach ho raha tha,par tumpar nazar uski bhi thi jisne unhe bheja tha aur jisne un dono ko bheja tha,agar usne tumhara yudh koushal thodi aur der tak dekha hota toh tumhe uske saamne jaana hi padta aur aisa hone se koi bhi usse rok nahi sakta tha....


apne MASTER ki baat sun FALLON ko kaafi hairani hui thi...kyunki jo baat abhi abhi uske MASTER ne kahi thi,uske aadhar par uske MASTER jo ki hadh se zyada shaktishaali the,wo bhi is anjaan shaksh ko nahi rok sakte the...

wo is baare me MASTER se puchna chahti thi par usse pehle FALLON wo dusra kaaran jaanana chahti thi jiske kaaran usse wapas bula liya gaya tha...

wo dusra kaaran janane ka wo wait kar hi rahi thi ki tabhi....

aage bolne se pehle MASTER ne apni SWORD ko zor se ghumaya aur aisa karte hi SWORD se ek wave bahar nikli....

FALLON satark thi aur usse maalum tha ki MASTER ke haathon se nikli wave ek energy force ka roop lekar usse ghayal kar degi aur isiliye wo dhyan se un waves ki energy ko aur uski disha ko feel karne me lag gayi thi par aisa karte hi usse hairani hui...

reason....

us wave se nikalne waali energy gayab ho chuki thi...

usse kuch bhi feel nahi ho raha tha...kuch pal beete aur jab uske baad bhi kuch nahi hua toh FALLON thoda relax hone ko hui par tabhi.....

usse achanak apne piche se ek bohot hi strong energy feel hui aur aisa feel hote hi wo tezi se apne left ki taraf kudi....

ye last micro second jump tha par kyunki FALLON ki furti hadh se zyada thi isiliye wo us energy se takrane se bach toh gayi par puri tarah se nahi.....

us energy se nikalte power ka aakhri hissa FALLON se takra gaya jiski wajah se wo straight jump jo FALLON ne maari thi,wo circles me badal gayi...

gol ghumte hua FALLON ka body ek DHAMM ki awaaz ke saath niche gir pada..

itna hi nahi,us energy ki one forth power jo ki FALLON se takrayi thi,usme bhi itni taakat thi ki uske impact se giri padi FALLON turant uth bhi nahi paayi....

ek tez dard uske pure sharir me uth pada jisse jabde bheenche wo zabt karne me lag gayi...

wahin FALLON ke girte hi uske MASTER chalte hue uske saamne aaye aur...


MASTER-dusre reason ka example tha ye....


MASTER ki baat sun dard me bhi aankhon me sawal tair utha FALLON ka jispar...


MASTER-jin do logon se tum ladh rahi thi,unki shakti tumse zyada nahi thi par wo dono tumse kam bhi nahi the...

unme se kisi ek se toh tum fir bhi ladhke shayad jeet bhi sakti thi par un dono se ek saath jitne ki kaabiliyat ab bhi tumme nahi hai...

isiliye apni abhyas ka,apno pratibha ka daayra aur badhao..

tumhara un dono se mulakat ka matlab hai ki ab wo ghadi zyada door nahi jab hum sabke chuppe hue wajud ujagar hone waale hain...


filhal MASTER aur FALLON jis jagah par khade the,uske thoda aage ki zamin gayab thi...

apni baat keh MASTER aage badhe aur us jagah ke aakhri chhor par pahunch unki nazar neeche gayi...

jahan kareeb 100 feet neeche is waqt kaafi saare log alag alag metaphysical activities ki practice kar rahe the.....

wahin ab tak neeche padi FALLON ka dard bhi kuch kam ho chuka tha aur isiliye wo khadi hui aur MASTER ke piche jaakar khadi ho gayi...


FALLON-jisne DORIAN aur GASTON ko bheja tha,kya wo aapse bhi zyada shaktishaali hain MASTER....

MASTER-haan.....


bas itna hi nikla MASTER ke mokh se jisse sun...


FALLON-toh fir aise me woh toh aaj nahi toh kal hamara ye thikana bhi dhund kar nikal hi lega....

MASTER-maine kaha wo mujhse zyada shaktishaali hai...

par jisne ye jagah banayi hai aur hume yahan rehne ki ijazat aur aashirwad diya hai,uski shakti ka koi saani hai...

aur jab tak LORD OF ANGELS nahi chahenge,is jagah ko koi bhi dhund nahi sakta...


LORD OF ANGEL...is naam ko jab bhi FALLON sunti thi,khush ho jaati thi.....

mili nahi thi wo kabhi unse par fir bhi is naam ke uccharit hote hi usse acha lagta tha...

khair, MASTER ki baat sun....


FALLON-waise agar LORD OF ANGEL beech me nahi bhi aaye toh bhi mujhe nahi lagta ki is jagah ko dhunda bhi jaa sakta hai...

yaa fir ye kahun ki aisi bhi koi jagah ho sakti hai,aisa socha bhi jaa sakta hai....

chaaron taraf nazar ghuma FALLON ne ye baat kahi jispar...


MASTER-jab kaam LORD OF ANGEL ka ho,toh aisi cheezen sambhav hoti hain jinki kalpana bhi nahi ki jaa sakti....

jis yudh ko bramhaand ke shaktishaali yodhaon ki sena bhi nahi jeet sakti, us yudh ko wo sirf apne dimag se jeet sakte hain....

shakti aur buddhi ka aisa shroth hain wo jiska har koi kayal bhi hai aur jiske aage sab bebas bhi...


chehre par gourav,prassanatta aur izzat liye ye saari baatein kahi MASTER ne jisse ek tak chup chaap sunti chali gayi FALLON...

wahin apni baat keh jab MASTER ki nazar FALLON par gayi toh uske expressions dekhkar unke chehre par bhi smile aa gayi...


MASTER-baatein bohot hui FALLON...ab jaao,aur jis abhyas ke baare me maine tumhe kuch din pehle bataya tha,usse aarambh karo....


MASTER ki baat sun naa sirf FALLON apne trance se bahar aayi balki apne sir ko ek baar MASTER ke samman me jhuka apne abhyas ke liye nikal gayi...

wahin usse piche se jaata dekh...


FALLON-LORD OF ANGEL ki buddhi ka ek jeeta jaagta namuna tum khud ho FALLON....

aur wo samay nikat hai jab tumhe pata chal jaayega tumhare astiv ka RAAZ......





PLANET-ELYSIAN


PLACE-POISEN




WOW GUYZZZZ..THIS PLACE IS SO HAPPENING...

POISON CLUB me ghuste hi MABEL ke mooh se ye baat apne aap nikal gayi thi....

POISON CLUB..as MABEL said,one of the most happening clubs of PHASE 2...a definate young crowd puller....

is club me universe ke har artistic developed planet ki music numbers bajte hain.....

itna hi nahi, variety variety ke mocktails aur cocktails,dono yahan serve hote hain....

baith kar chill karne ke liye lounges aur couches,dono hi available hain yahan...

aur jaisa ki VIDEOUS ke sujhav par weekend par yahan aana fix hua tha,toh isiliye aaj ye sabhi STELLARS POISON aa chuke the...

khair, MABEL ki baat sun usse ittefaq rakhte hue...


VALDIS-yup... this place is awesome man...mujhe toh ye samajh nahi aa raha ki isse checkout karne me humne itni der kaise laga di...

ALFREEN-baat toh sahi hai yaar par ab jab finally hum yahan aa hi gaye hain,toh fir what are we waiting for...

let's burn the dance floor...


MAHI aur MABEL ka haath lakad unhe kheenchti hui si shor machate hue dance floor ki taraf chal padi ALFREEN wahin VIDEOUS unhe bas piche se jaata hua dekhta raha....

filhal ye sabhi party dresses me the..

jahan ek taraf MABEL aur ALFREEN ne BODYCON DRESS with HIGH HEELS pehne hue the wahin inse ulat MAHI ne ek simple WHITE BLUE JEANS aur WHITE TANK TOP pehna hua tha.

wahin dusri taraf jahan VALDIS ne ek bohot hi bhadkila VELVET JUMPSUIT pehna hua tha par isse ulat VIDEOUS ne MAHI ki hi tarah ek simple blue jeans aur skin tight half sleeve black tshirt pehna hua tha...

aur us tshirt ke upar usne ek half maroon jacket daali hui thi jiski wajah se uske bisceps aur tricips,dono hi bohot achi tarah numaya ho rahe the..

yahi kaaran tha jis moment se VIDEOUS ne club me enter kiya tha,
tabhi se har bandi ki nazar uspar hi drool ho rahi thi....

aur is baat se VALDIS bhi anjaan nahi tha...waise baaki bandiyon ke VIDEOUS ko checkout karne se VALDIS ko koi fark nahi padta tha par bandiyon me MABEL bhi aati thi aur jab usne VIDEOUS ki nazar ko MAHI, ALFREEN aur khaaskar MABEL ko piche se checkout karte dekha toh...


VALDIS-dude....teeno hi bandiyon hot hai naa...!!!khaas kar MABEL...!!


VIDEOUS ke view point ko jaanane ke liye VALDIS ne ye baat kahi thi aur aisa toh ho nahi sakta tha ki is baare me VIDEOUS ko pata jaa ho aur isiliye...


VIDEOUS-very hot...dil karta hai khana hi bana dun in teeno ke upar...inki hotness se pak toh jaayega hi...


VIDEOUS ki baat sun ek baar uski taraf dekh...

HAHAHAHA....

zor se has diya VALDIS wahin VIDEOUS bhi halka sa muskura diya....


VALDIS-par on a serious note dude....bata naa,in teeno me.se tera preference kaun hai...???

VIDEOUS-MABEL bolunga toh tu bura toh nahi maan jaayega....


VIDEOUS ki baat sun hadbada gaya VALDIS par fir...


VALDIS-matlab...???

VIDEOUS-abbe SAVENT hai tu...choti choti baaton ko lamba kheencha suit nahi karta tujhe..

agar feelings hain tere man me MABEL ke liye toh just admit it...


VIDEOUS ki baat sun ek smile aa gayi VALDIS ke chehre aur fir....


VALDIS-tujhe kaise pata ki mujhme MABEL ke liye feelings hai..???

VIDEOUS-zuban ki khamoshi aankhon ki haqiqat ko nahi chhupa sakti...

aur filhal meri aankhen ek aise sach ko dekh rahi hai jo shayad tujhe pasand naa aaye....


saamne dance floor ki taraf dekhte
hue ye baat kahi VIDEOUS ne jisse sun jab VALDIS ki nazar saamne gayi toh usne dekha ki ek dusra STELLAR MABEL ke karib jaakar dance karte hue usse checkout kar raha hai aur ye dekh...


VALDIS-iski MAAKA..meri maal par DAAKA...


ye bol VALDIS turant dance floor ki taraf chal diya aur VIDEOUS chal pada side me bane ek lounge ki taraf....

wahin in sabke beech MAHI, ALFREEN aur MABEL apni dhun me thirak rahi thi....

VALDIS ab tak dance floor par pahunch chuka tha aur wahan pahunchte hi usne us STELLAR aur MABEL ke beech jagah banayi aur naachne lag gaya....

wahin jab MAHI ne VALDIS ko dekha par VIDEOUS ko nahi toh usne alni nazarein har taraf ghumayi aur aisa karte hi usse VIDEOUS ek side bane lounge me akela baitha hua dikha...

first time aise crowded jagah par aayi thi MAHI..usse laga tha ki usse ye pasand aayega par aisa kych hua nahi aur isiliye usne bhi dance floor se jaane ki sochi...

ALFREEN ko bata yaa fir ye kahun ki usse convince kar MAHI dance floor se utar us taraf badh gayi jahan VIDEOUS baitha tha..


MAHI-kya baat hai...is jagah ke baare me tumne hi recommend kiya tha aur ab jab hum yahan hain toh enjoy karna chhod tum yun side me chupchaap baithe ho...!!!!


MAHI ke sawal par VIDEOUS bas muskuraya aur...

VIDEOUS-come,sit....


VIDEOUS ke thik saamne waale lounge par baith...


MAHI-tumne mere sawal ka jawab nahi diya...

VIDEOUS-mujhe shor me khamoshi sunana pasand hai...


VIDEOUS ka jawab sun hairan hui MAHI aur..


MAHI-shor me bhala kaisi khamoshi sunayi de sakti hai...???

VIDEOUS-har shor ke beech ek halka sa pause hota hai aur us pause ki khamoshi behad sukoon bhari hoti hai...

try karkar dekho...meri baat samajh
bhi jaaogi aur uspar yakin bhi ho haayega...

MAHI-ok...toh ab try karne ka tarika bhi bata do..???

VIDEOUS-acha ye batao ki jitna loud ye music hai,agar itni hi zor se tumhare kaan ke paas aakar koi chillaye toh kaise lagega tumhe .??

MAHI-disturbing.... uncomfortable..

VIDEOUS-kyun???

MAHI-kyun matlab..??agar koi itne zor se kaan ke paas aakar chillaye toh irritation toh lagegi hi naa,???

VIDEOUS-galat...its all about adaptation..

jo baj raha hai,wo bhi shor hi hai..bas humare brain ne is shor ko music ka darja de diya hai..isse usne humare sukoon dene waale senses ke saath merge kar diya hai..

aur yahi kaaran hai ki tumhe ye shor irritating nahi lag raha....


VIDEOUS ki baat aur us baat ke logics aur science ko samajh MAHI kaafi impress lag rahi thi..

jo VIDEOUS ne kaha tha,wo sahi tha par us tarah se usne bhi kabhi socha nahi tha...

wahin apni baat ko aage badhata hue...


VIDEOUS-toh ab aate hai main point par...jaise SOUL AMPLIFICATION process me hum apne andar jhaank apne SOUL ko dhundte hain,thik waisa hi kuch tumhe is shor ke beech ki khamoshi ko dhundne ke liye karna hoga...

aakhen band karo apni aur mehsoos karo is shor ko..doob jao iske tarango me aur har dhwani jin hazaron nayi dwaniyon ko paida kar rahi hai,unhe sunane ki koshish karo...

un dwaniyon ke beech ek gap hai, aur wahi gap tumhari manzil hai...

yahan VIDEOUS ye saari baatein ya fir ye kahun ki process bata raha tha and at the same time, MAHI bhi un saari baaton par anusaran karte hue jaisa VIDEOUS bol raha tha,waisa hi kiye jaa rahi thi....

wo music jo is waqt POISON me baj raha tha,us music ki har chhanak ko sun aur mehsoos kar uski gehrayi me utarti jaa rahi thi MAHI...

aur jaise jaise wo is music ke depth me jaa rahi thi,waise waise uske kaano me us music ka shor bhi kam hota chala jaa raha tha..

kuch waqt beeta aur ab MAHI music ke har tarang ko uske base ke saath mehsoos karne lagi thi aur jab aisa hua toh usse un channkaron ke beech ek gap dikha..

aisa gap jisme sirf shaanti thi... MAHI apne aap hi us gap me samati chali gayi aur jab aisa hua toh...

usse aisa laga maano kisine uske garm dimag ko barf se sekh diya ho....

aisa sukoon mila usse,jo usne pehle kabhi bhi mehsoos nahi kiya tha...par tabhi...


YAAR TUM DONO YAHAN BAITHE HO.AUR MAHI,TU AANKH BAND KIYE MUSKURA KYUN RAHI HAI....???


MABEL aur ALFREEN ke saath VIDEOUS aur MAHI ke paas pahunchi ALFREEN ke mooh se ye shabd nikle jisse sun jahan VIDEOUS bas muskura diya wahin MAHI jisse khud pata nahi tha ki wo muskura rahi hai,waisi hi bani rahi jisse dekh..


ALFREEN-MAHI....kya hua tujhe....??


uske shoulder se pakad hila diya ALFREEN ne jiske turant baad hadbadati hue MAHI ki aankhen khul gayi...

aankh khulte hi MAHI ko aisa laga jaise kisine usse uske sabse khubsoorat khwab ko dekhne ke beech hi utha diya hai aur isiliye....


MAHI-tujhe 2 minute bhi chain nahi hai naa...thodi der toh shaanti se baith jaaya kar....


halki chidh se boli thi ye baat MAHI ne jisse sun pehle kuch pal toh halki chownki ALFREEN kyunki is tarah se MAHI ne pehle kabhi usse baat nahi ki thi par fir usne apne dimag ko jhatka aur....


ALFREEN-nahi hai chain mujhe..aur tu ek baat bata, hum yahan enjoy karne ke liye aaye hain,par tu yahan bhi chupchaap baith gayi hai...

aur ye tu aankhen band kiye hue muskura kyun rahi thi...???

MAHI-arre VIDEOUS ne mind relaxing aur focus ke liye ek badhiya trick batayi hai..ek kaam kar,tu bhi try kar...

ALFREEN-yahan bhi padhyai...???hume baksh de maate...hum sadharan log hai,aam janta,har kaam uske sahi waqt par hi kar sakte hain...

MABEL-haan yaar,ye focus aur mind relaxing tenchniques sikhna institution me hi thik hai..

VALDIS-exactly..khair,dance toh ho gaya,toh ab kyun naa kuch drinks order kiya jaaye..i am damn thirsty..

what say MABEL...????

MABEL-why not...kuch piya jaaye...

ALFREEN-sirf kuch nahi,kuch hard piya jaaye.. bohot din ho gaye yaar cocktail ka maza liye..chalo,aaj peete hain...

MAHI-mai nahi peene waali koi hard drink..i am ok with mocktails....

ALFREEN-oh, common MAHI...kuch nahi hota..ek baar try toh kar..dekhna,maza aa jaayega...

VALDIS-haan yaar MAHI,be a sport...

MAHI-ye sport hona bhi institution me hi suit karta hai....


MAHI ko cocktail ke liye convince karne ke liye koi kuch aur kehta ki usse pehle..


VIDEOUS-guyzzz.drinks ke liye kisiko force nahi karte..let her be...haan,agar tum sabko cocktail hi pina hai toh yahan bohot si varieties hain par mere hisaab se best hai BARLEY BEER....


(google it guyzzz..B.C ki beer hai ye aur bohot rare hai)


maine suna hai ki isme nasha bhi hai aur saath hi ye kaafi smooth bhi hai..

MABEL-tumne try ki hai...???

VIDEOUS-maine kaha maine suna hai...piya hota hai toh suna hai nahi kehta...

VALDIS-koi naa..aaj humare saath tu bhi try karle...

VIDEOUS-no thanks man... mera mood already smooth hai..mai mocktail hi lunga...

NEGRONI MOCKTAIL....


jaisa ABODES ka system tha,yahan bhi waisa hi karna tha..bas order karo,aur order ki hui chiz haazir ho jaayegi...

aur hua bhi aisa hi... VIDEOUS ke bolte hi NEGRONI MOCKTAIL uske saamne haazir ho gaya jisse dekh..

MAHI-ye kya hai...???

VIDEOUS- corriendar,cardamon pods ,grape juice aur grape fruit ke syrup se bana mocktail hai ye and its tasty....


VIDEOUS ke batate hi MAHI ne bhi ussi mocktail ko apne liye order kiya wahin baaki baaki teeno ne VIDEOUS dwara batayi cocktail BARLEY BEER ko apne liye order kiya..

aur jaise hi un teeno ne beer ki pehli sip li toh....


ALFREEN-wow yaar..u were right...its damn smooth...lag hi nahi raha ki ye hard drink hai..

MABEL-yaa man,its really good...


VIDEOUS ki choice ki taarif kar rahe thi ALFREEN par usse ye nahi pata tha ki jo drink wo pee rahi hai,uska ek effect ye bhi hai ki wo drink peene waale ke senses par turant affect daata hai...

yahi wajah thi ki sirf kuch sips me hi high hone lag gaye the wo teeno aur jab beer ka asar apne shabab par pahuncha toh...


VIDEOUS-acha ALFREEN..ek baat batao....maine kuch din pehle apne colony ke gate ke bahar tumhe do logon ke saath joki i think tumhare parents the, apne CHARIOT se utarte dekha tha...

wahan gate ke baahar ek WEAKLING SAVENT khada tha jisse tumhare parents ne hug kiya tha aur aisa karte waqt wo dono kaafi emotional bhi lag rahe the....

aur kuch dino pehle bhi maine yahin PHASE me ek jagah firse ussi SAVENT ke saath tumhare parents ko kaafi friendly hokar milte hue dekha tha...

kya wo SAVENT tum logon ka kuch lagta hai. i mean,dont get me wrong,par kya hai naa ki itna kuch suna hai maine abtak CHOSENS ke itihas ke baare me par usme kahin bhi kisi STELLAR SAVENT ya uske parents ka kisi WEAKLING ke saath connection ke baare me nahi suna..

toh isiliye just out of curiosity puch raha hun ye sab...


ALFREEN jo ab tak halki halki jhumne lagi thi,usne jaise hi VIDEOUS ke sawal ko suna toh uske dimag me RAAZ ka chehra flash hua aur...


ALFREEN RAAZ ke baare me aur apne parent's ki uske prati pyar aur care ke baare me batati chali gayi jisse sun...


VIDEOUS-oh..iska matlab kaafi pasand hai tumhare PARENTS ko RAAZ...

ALFREEN-bohot zyada....

VIDEOUS-hmm..fir toh RAAZ bhi tumhare parents ko bohot like karta hoga..???

ALFREEN-shayad....pehle mujhe aisa nahi lagta tha... pehle mujhe wo bas ek arrogant sa banda lagta tha jisse kisiki bhi feelings se koi matlab nahi tha...

par ab lagta hai ki bhale hi wo upar se khudko tough aur carefree dikhata hai par andar se kaafi alag hai wo...

aur kisike baare me toh nahi maalum par i think mere mom dad ko woh kaafi pasand karta hai...


jahan ALFREEN ki baat sun VIDEOUS ke chehre par ek choti si smile aa gayi thi wahin kyunki ab kaafi late ho chuka tha isiliye....


MAHI-chalo guys....kaafi late ho chuka hai..hume chalna chahiye....


MAHI ki baat sun sabhi ne haami bhari jiske baad club se nikal apne apne CHARIOT me baith MAHI, ALFREEN, MABEL aur VALDIS nikal gaye...

waise nikal toh VIDEOUS bhi gaya tha par naa wo apne CHARIOT me gaya tha aur naahi apne ABODE...

sabke jaane ke baad antardhyan ho gaya VIDEOUS aur sidhe pahuncha....





PLACE-WEAKLINGS STAY





KITNI AJEEB BAAT HAI NAA...ANDHERA TUMHE BHI PASAND HAI AUR ANDHERA MUJHE BHI PASAND HAI...

BAAWJUD ISKE TUMHARI UTAPPTI USSI ANDHERE KE PRATIK KO MITANE KE LIYE HUI HAI....


ACCHUTA aur SLUNDER ke jaane ke baad ab mai apne quater me akela tha aur filhal raat ke is pahar apne khatiya me leta kuch soch hi raha tha ki tabhi mere kaano me ye awaaz padi thi joki mere saamne khade VIDEOUS ki thi jisse sun...


MAI-tujhe apni tanhayiyon se dar lagta hai ya mere akelepan se ghabrahat jo baar baar mere saamne aakar khada ho jaata hai...

VIDEOUS-ab kya karun yaar....???bheed hazaron ki bhale hi kyun naa ho,nazar wahin theherti hai jisme aks khudka dikhta hai...

aur tere alawa mere jaisa bhala hai
kaun...???

MAI-kya baat hai..mujhe apne barabar aakne laga hai tu....khudke liye paali teri galatfehmi door hui hai yaa meri taakat ko naapne ka hunar sikh gaya hai tu...???

VIDEOUS-pura bramhand naap sakta hun mai...taakat naapna kaun si badi baat hai....

par filhal aisa kuch nahi hai...uthi ek baat zehen me,socha discuss kar lun tujhse...agar sahi lage tujhe toh us baat ko kaam banakar anjaam de denge....

MAI-sun raha hun.. bolta jaa....

VIDEOUS-ye CHOSENS, SAVENTS,unki shakti ko badhane ka tarika,aur yahan hone waala lagbhag sabkuch mere dimag ki upaj hai...

par ab jab wo waqt aa gaya hai jab mai khud bhi yahan ka ek SAVENT hun,mera dushman matlab tu bhi ek SAVENT hai toh aise me mujhe lag raha raha hai jaise mai yahan ke baaki SAVENTS ke saath anyay kar raha hun...

MAI-waah....itni fikar SAVENTS ki...!!

VIDEOUS-baat SAVENTS ki nahi hai,us starting line ki hai jahan se doud shuru hoti hai...

jiske starting par toh baaki sabhi SAVENTS khade hi hain par hum dono,pehle hi doud ke aakhri padhav jitne aage khade hain...

ab aise me bhala humse koi jeet sakta hai kya..???jeetna chhodo,yahan toh pratispraddha ki bhi gunjaayish nahi hai....

isiliye taaki competition barabar ka ho,sirf hum dono ke liye hi nahi,balki sabhi ke liye,maine kuch socha hai...

MAI-tu chahta hai ki humari shaktiyon par bandhan lag jaaye jisse hum baakiyon ki tarah ho jaayen....

humari taakat ke daayre aur unhe badhane ka proccess bhi waise hi ho jaaye jaisa SAVENTS ka hota hai...


VIDEOUS ke plan ko bhaamp maine ye baat kahi jisse sun...


VIDEOUS-dekha...maine kaha tha naa ki mere jaisa bas ek tu hi toh hai...kitni asaani se tune mere vichar,mere plan ko jaan liya...

haan,mai yahi chahta hun ki hum dono ki shaktiyan bhi baaki SAVENTS ki hi tarah ho jaayen...

humara BRAIN,humari BODY,humara BLOOD aur SOUL..in chaaron ki wo shaktiyan jo hume SAVENTS se alag karti hain,unhe hum dono ek surakshit sthaan par rakh denge...

aur fir baakiyon ki hi tarah hum bhi apni mehnat aur focus se aage badhenge....

aur ye sab isiliye kyunki mai dekhna chahta hun ki bina un capabilities ke jo hume IMMORTALS banate hain,hum dono me zyada saksham kaun hai...???

MAI-thik hai...agar safar yun aage badhana hai toh yunhi sahi...

VIDEOUS-toh fir aaj se teen din baad FORBIDDEN FOREST ke west me bane mountain me milenge hum aur wahin apni apni IMMORTAL POWERS ko seal karenge....

DEAL.....???


ye kehkar haath aage badhaya VIDEOUS ne jispar kuch pal maine usse dekha aur fir...


MAI-DEAL....


haath mila liya maine usse....

haath hamare mil chuke the jiska matlab tha ki is conversation ki aakhri lafz nikal chuke the humre mooh se...

par in sabke beech hamare man ki aakhri baat abhi nikalni baaki thi aur isiliye..



MAI man me-



jo asli baat hai,
woh tu BATAYEGA NAHI...

par saamne tere RAAZ hai,jo tere
jhaanse me kabhi AAYEGA NAHI...

tere hi khel me,kuch aisa fasega tu,
ki apne paitron ke bojh me dab,

baahar tu kabhi nikal PAAYEGA NAHI.....





VIDEOUS man me-




mujhe pata hai ki tujhe
meri baaton par YAKEEN NAHI...

par VIDEOUS ko samjhe,
itna zyada tu ZAHEEN NAHI...

jab tak tu samjhega,
baazi palat chuki hogi...

tu wo namak ban jaayega,
jiska zayka NAMKEEN NAHI....









AAJ KE LIYE ITNA HI.....









AAPKA APNA V...J.......
Awesome update bro
 
Top