• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) ( Completed )

johnsamuri

Active Member
1,295
3,067
158
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF GRIFFIN MAHI KO BATATI HAI KI AAJ RAAZ KI JAAN KHATRE ME HAI WAHIN DUSRI TARAF RAAZ KO PATA CHALTA HAI KI WOH FLORIN AUR MARIA KA BETA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



MEGA DARK UPDATE-120


PART-1



PLANET-ELYSIAN


PLACE-RAAZ ABODE






TU FLORIN AUR MARIA KA WOH PUTR HAI JISKA KABHI JANM NAHI HUA....!!!!!!



UNEARTH THE IMMORTALS BOOK me mere baare me likhe is aakhri pankti ke asar se mai bahar aa hi nahi paa raha tha...

mere dhamniyon me behte rakht ka pravah itna tez ho chuka tha ki mai apne har katre khoon ki raftaar ko mehsoos kar paa raha tha...

ek ajeeb si anthin bechaini ne mere andar janm le liya tha jiske ganit ko mai samajh nahi paa raha tha yaa phir ye kahun ki samajhna hi nahi chahata tha....

aankhon me jo paani tha,woh mere human hone ki baat par mohar laga raha tha...

jahan aaj tak apne lakshya ke siwa kuch socha nahi tha maine,wahin aaj,abhi mere dimag me sirf aur sirf do logon ki chavi ghoom rahi thi..

FLORIN aur MARIA joki mere maata pitah the....bachpan se aaj tak unke saath guzra har pal mere dimag me ghumne laga tha aur un palon me jo kuch bhi hua tha,uspar emotions ka tadka mera dil laga raha tha...

achanak se hi mere dono haath kisiko aalingan dete waqt jaise khul kar phir judte hain,us mudra me chale gaye...

reason...

mere aankhon ke aage yahan CHOSENS me apne mom dad ko life me pehli baar hug karna yaad jo aa gaya tha..

par us waqt gale milte samay bhi mujhe koi feeling nahi aayi thi,par abhi jab mai sirf us hug ko yaad bhar kar raha tha,toh mere andar emotions ka sailab sa uthne laga tha..

mere dimag me woh pal bhi dikhne laga tha jab urja se ek navjaat shishu me badalne ke baad mujhe teeno SOVEREIGN'S ne mere hi mom dad ke ORPHANAGE ke bahar chhod diya tha jiske baad jab MARIA ne mujhe dekha aur mujhe apni godh me uthaya tha,tab mere chehre ko kitne pyar se dekh rahi thi unki aankhen..

bachpan me mera akdu behaviour,mera lake ke saamne jaakar baithna aur mujhe kam baat karta dekh yaa apni aankhon se ojhal paa MARIA ka tention me aana, FLORIN ka mujhe har jagah dhundna,woh saare scenes mere dimag me automatically create ho rahe the...

ye sab yaad kar hamesha straight face rakhne waala mai,kab muskurane lag gaya tha,mujhe khud pata nahi chala....

apni asliyat jaante waqt maine woh scene bhi dekha jab mere jaisa hi ek clone body ko mari haalat me paida karne ke baad jaise hi MARIA aur FLORIN ko pata chala tha ki unhe ek mara hua baccha paida hua hai,toh kitne zyada toot gaye the woh dono....

mai unka pehla baccha hone waala tha,laakhon sapne dekhe the un dono ne mujhe lekar jo us mare hue clone body ko dekh toot gaye the..

ye soch kar meri khushi ka thikana nahi tha ki jab un dono ko ye pata chalega ki jo mara baccha MARIA se nikla tha,woh sirf ek clone tha,unka asli bacha,unka khoon mai hun toh kitne khush ho jaayenge woh dono..

jisse hamesha apna bacha hi samjha tha un dono ne,woh wakayi unka hi baccha hai,ye jaankar unhe jo feeling aayegi,mai jeena chahta tha us ehsaas ko.

khushi ki bhaavna kaisi hoti hai,ye aaj pehli baar feel kar raha tha mai par saath is mai is baat se anjaan bhi tha ki mere ye khushi bhare ehsaas temporary hai jo kuch hi pal me ek aise pain me badalne waale hain,jisse sehna mere liye bhi naamumkin hone waala hai...

kyunki khudke revelation ko jaankar do ehem baaton se dhyan hath gaya tha mera....

pehla tha woh SPECULATION SPELL jo VIDEOUS ne is book ke upar chant kiya tha aur jo is waqt mere man ke bhaavon ko achi tarah padh raha tha...

aur dusra tha woh ehsaas jo mujhme aaj aaye sapne ki wajah se jaaga tha aur jiski wajah hi mere HEART aur SOUL ki pure energy channi thi...

us positive chiz ki wajah se ek negetive chiz bhi hui thi aur woh ye ki mere HEART me banti REFINERS powers unstable ho chuki thi..

jo kisi bhi dual thinking se trigger ho jaane waali thi...

khair,apni asliyat un dono ko, apne mata pitah ko batane ke liye betaab ho gaya tha mai isiliye apne haathon me pakde us kitab ko jo filhal khuli hui thi,band kar moodne ko hua mai par........

woh book band hui hi nahi...book ke dono ends tak ek nayi urja joki asal me VIDEOUS ki speculation spell ki shakti thi,faili hui thi aur ussine book ko band hone se roka hua tha...

wahin jab meri nazar us urja par padi toh ek tez vibration hua us urja me jiske baad mere kaano me us urja ke through gunji VIDEOUS ki awaaz....


VIDEOUS-sharth waali baat bhul gaya tu RAAZ...koi naa,mai nahi bhula,aur ab jo hoga,woh tu bhi kabhi nahi bhul paayega...

dhyan se sun aur sharth par amal kar, kyunki iske awala tere paas aur koi chara bhi nahi hai...



meri baat ke baad hi band ye KITAAB HOGI...

ek waada kiya tha tune,jisse nibha kar tere dil ki chita puri RAAKH HOGI.....

apne hi MATA PITAH ko abhi jaakar khud MAAREGA tu,

jo waada toda,tab bhi marenge woh,par tab woh mout behadh DARDNAAKH HOGI......



pathrayi aakhen, saanson ka chalna naa chalna ek saa lagna,dil ki dhadkan ka rook sa jaana,agar ye kahun toh galat nahi hoga ki jeete jee mar jaana kya hota hai,is kahawat ka matlab aaj jaana tha maine...

VIDEOUS ke speculation spell ki urja kaali hokar gayab ho chuki thi jiska matlab tha ki agar maine uski baat nahi maani toh mere mom dad par death curse lag jaayega jisse unki mout hadh se zyada dardnaak ho jaayegi...

ek aisa sach jisse badla nahi jaa sakta tha...

GOD'S GIFT...jo kabhi galat nahi ho sakti..ussi GIFT ke through future death level danger ko sense karne ki abilities mili thi ALFREEN ko aur uski powers ko jab maine garden me uski bina jaankari ke share kiya tha,tab uske dimag me panpe issi dar ko bhi feel kiya tha maine jisse jaan us waqt toh sirf hairan hua tha mai..

seriously nahi kiya tha maine us dar ko aur yahin galat ho gaya mai...

kaise bhul gaya mai ki is bramhaand me sab kuch jhooth ho sakta hai,par jo GOD ke through mila hai,woh kabhi asatya nahi ho sakta...

apne faayde ke liye churaya ALFREEN ka woh GOD GIFT mere liye aaj GOD CURSE me badal chuka tha..


DHAMMMM.............

apne ghutno par aa gaya mai...aansu beh rahe the mere..dard kuch yun tha ki pura sharir sunn padte hue jam sa gaya tha...

dimag ne toh kaam karna band hi kar diya tha par is naye uthe vedna bhare bhaav ki wajah se mere REFINER powers ne khudko trigger kar liya tha...

yahi reason tha ki bina mere ijaazat ke hi mere REFINER powers ne mujhe gayab karte hue ek nayi jagah par prakat kiya jisse dekh meri bhar chuki aankhon ke aansu jhalak se uthe...

is waqt mai ek ABODE ke bahar baitha hua tha aur ye ABODE FLORIN aur MARIA ka matlab mere mom dad ka ghar tha....






PLACE-ALFREEN'S ABODE





RAAZ.....aaj subah breakfast par nahi aaye tum...???FLORIN gaye the tumhare ABODE par tumhare ELUSORY ne bataya ki tum institution nikal gaye ho..

AL bhi isiliye abhi thodi der hi pehle institution nikal gayi...


waise toh har kaam yahan ABODES me magic ke through ho jaata tha,par kuch decorations,rakh rakhav ab bhi MARIA apne haathon se manually hi karna pasand karti thi aur abhi bhi woh hall me yahi sab kar rahi thi ki tabhi main door par uski nazar padi jahan mai khada tha..

par dhyan se nahi dekha tha mujhe MARIA ne isiliye bas meri ek jhalak dekhne ke baad wapas kuch pillows ko sofa par thik se rakhte hue kahi thi unhone ye saari baatein par iske baad bhi jab meri taraf se khamoshi hi rahi toh woh meri taraf palti aur unke aisa karte hi jab unki nazar mere aansuon se bheege chehre aur jhuke hue kandhon par gayi toh woh kuch palon ke liye sann si reh gayi...

ek statue ki tarah khadi woh mujhe aaj life me pehli baar rote hue dekh rahi thi...

unhe yaad tha ki bachpan me vaccination milte waqt bhi mai eklouta aisa baccha hua karta tha jo rota nahi tha..

badi se badi durghatna par bhi mere straight face ko dekhne ki aadat thi unhe par aaj bina kuch kahe meri aankhon ko yun bhara hua aur face par chhaaye aseem dard ko dekh unki bechaini har beetathe pal ke saath badhti chali jaa rahi thi...

mujhe rota dekh MARIA ka dil bhi rone laga tha aur isiliye kuch pal jadh si rehne ke baad woh bhaagi meri taraf aur pehle mere chehre ko pakad mere aansuon ko saaf karte hue mujhe naa rone ka ishara kiya unhone par aisa karte hue woh khud bhi rone lagi thi...

unhe samajh nahi aa raha tha ki bhala kyun mere aansu unke dil tak ko bhi cheer rahe the...

kuch pal mere aansuon ko saaf karte rehne ke baad MARIA ne jhat se mujhe apni baahon me bhar liya..

haan mere lambe chowde sharir ke saath aisa karne me woh puri tarah kaamiyab nahi hui par jitni bhi hui,utna mere liye kaafi tha...

kehte hain,maa ke pairon ke jannat hoti hai,mujhe toh apni maa ki baahon me woh swarg naseeb ho gayi thi...

isse bada gift,vardaan kuch bhi naa tha mere liye...

aansu toh ab bhi lagatar chhalak rahe the meri aankhon se,par apni maa ke dil se lag mere jalte hue dil par paani padh gaya tha jaise...

mai is behatarin pal ko apni aankhen band kar puri shiddat se jee hi raha tha ki tabhi...


ARRE,KYA BAAT HAI,AAJ RAAZ PAR BADA PYAAR AA RAHA HAI HAMARI BEGUM KO...!!!


mere kaano me padi ye dusri awaaz...

woh awaaz jinki wajah se mera aadha astitva bana tha...mere pitah FLORIN....

wahin FLORIN ki baat sun MARIA mujhse alag hui aur unki taraf palti aur unke aisa karte hi FLORIN ko unki aur saath hi meri aansuon se bhari aankhen dikhi aur ye dekhunke face par jo smile thi,woh ussi waqt gayab ho gayi aur woh turant hamari taraf badhe..

par hairani ki baat ye hui ki apni biwi ke bajaaye unhohe mera chehra pakda aur mere aansuon ko saaf karte hue..


FLORIN-kya hua beta...???ro kyun raha hai..??kisne rulaya tujhe...bata mujhe...???zinda nahi chhodunga usse mai...


awaaz nahi,ek gurrahat nikli thi FLORIN ke mooh se..mai dekh raha tha woh insaan,jo hamesha hi shaant rehta hai,uske chehre par mere chehre ki taklif dekhkar dard aur beintaha ghhussa chha gaya tha..

unka ATTITUDE completely change ho gaya tha jiska pata unhe tak nahi tha...

wahin unke puchne ke baad bhi jab mai kuch nahi bola toh..


FLORIN-arre tu chup kyun hai..??bata kya hua hai...???

MARIA-beta,AL ne toh kuch nahi kaha tujhe...???


MARIA ki baat sun unki taraf dekha maine..aur mere aisa karne par MARIA aur FLORIN ko laga ki shayad mere rone aur sad hone ke piche ka reason unki beti hai..

aur ye feel karte hi unke face ke expressions badal gaye...

mai dekh taha tha ki dono ke hi aankhon me unki beti ke liye ghussa dikhne laga tha...

us ladke ke liye jo ab tak toh unke liye begaana hi tha,uske liye unki aankhon me apni beti se zyada pyar dikh raha tha mujhe...

wahin aankhon me ghussa liye MARIA apni beti ko confront karne ke baare me sochne lagi par tabhi unhe apne haathon par mere haathon ka ehsaas hua jispar jab unhone meri taraf dekha toh...


MAI-its not ALFREEN...???

MARIA-then what is it son..???


MARIA ki baat par kuch kaha nahi maine balki unke saath FLORIN ka bhi haath pakad un dono ko sofe ke paas le gaya..

woh dono bhi bina kisi hil hujjut ke mere saath chal pade the..sofe ke paas pahunch maine unhe baithne ka ishara kiya aur un dono ke baithne ke baad mai un dono ke pairon ke paas ghutno ke bal baith gaya...

FLORIN aur MARIA,dono hi dekh rahe the mere face ke har pal badalte hue expressions par ab woh bilkul shaant hokar baith chuke the...

wahin kuch der tak khudse ladhte rehne ke baad maine ek lambi saans li aur...


MAI-ALFREEN is not your first child, right..??? usse pehle bhi aapko ek baccha hua tha par woh baccha mara hua paida hua tha...

meri is baat ko sun hadh se zyada shocked ho gaye the MARIA aur FLORIN...

itni purani baat aur saath hi woh RAAZ jo unhone apni beti tak ko nahi bataya tha taaki usse kharab naa lage,maine unke saamne disclose kiya tha...

par saath hi jis condition me mai ye baat kar raha tha,woh bhi sandeh se bhara hua tha aur isiliye...


MARIA-tumhe kaise pata ye baat..??aur us baat ka tumhare rone se kya connection hai beta...???


MARIA mujhse sawal kar rahi thi par us sawal se meri ye ummid ki jo bhi maine dekha,woh jhut ho sakta hai, VIDEOUS ka failaya maayajaal ho sakta hai,toot chuka tha..

ek baar phirse aansuon ki tez pravah nikal padi mere aankhon se jisse dekh FLORIN aur MARIA, dono ka hi dil baithne laga tha par woh ab chup hi the...

wahin kuch der baad khud ko normal kar...


MAI-jo mara hua baccha aapko hua tha,woh bacha aapka nahi tha..woh bas ek cloned child tha jisse aapke garbh me aapke asli bache ki jagah implant kar diya gaya tha..


DHHOOOOMMMMM.....

ek dhamaka sa hua tha MARIA aur FLORIN ke dimag me meri baaton ko sunkar..

pehle toh meri baat ko sun unhe mujhpar behadh ghussa aaya par phir mere aansuon se bheege chehre aur mere ATTITUDE ko joki mazak karne ka tha hi nahi,uska dhyan karte hue un dono ka hi ghussa shaant ho chuka tha..

ghussa bhale hi shaant ho gaya tha un dono ka,par meri baat sun man zaroor puri tarah vyathit ho chuka tha..

kis aur mahoul me,normal world me toh un dono ne meri kahi baat ko fake maan hawa me uda diya hota par ALFREEN ke saath jo hua tha,aur jis duniya me woh the,usse dhyan me rakh woh jaante the ki yahan kuch bhi possible hai...

bechain toh bohot ho gaye the dono par kisi tarah khudko normal rakh..


FLORIN-ye sab kya bol rahe ho RAAZ...???hamare bache ke badle ek cloned bache ko MARIA ke garbh me implant kar diya gaya tha...

par kyun...??aur phir hamare bacche ka kya hua...??


FLORIN ki baat sun maine kuch kaha nahi bas apne dono haathon ko aage kar un dono ke sir par rakh diya aur mere aisa karte hi un dono ke sir par ek roshni chamki jisse unki aankhein band hoti chali gayi..

band aankhon ke beech unhe woh sab kuch dikhne laga jo kuch der pehle maine bhi dekha tha..

saath hi mai kaun hun,mere janm ka uddeshya kya hai,ye bhi un dono ko pata lag chuka tha...

par mai yahin par nahi ruka... UNEARTH THE IMMORTALS books me VIDEOUS ne jo chhal kiya tha, jiski wajah se meri aankhen aur dil,dono hi bhare hue the,woh drishya bhi maine un dono ko dikha diya...

jab woh drishya,woh sach woh dono aankhen band kiye dekh rahe the,tab meri nazar un dono ke face par thi...

par tabhi,vedna se bhare mere chehre par achanak se hi ek pal ke liye hairani ke bhaav dikhne lage...

reason....

VIDEOUS ki sharth ke baare me jaankar jahan un dono ke face par dar dikhna chahiye tha,ye jaankar ki unke apne bete ke haathon marna unki niyati hai,unhe dard hona chahiye tha,aisa kuch bhi nahi hua tha...

balki isse ulat un dono ke face par ek smile naach uthi thi...

aur yunhi smile karte hue kuch der baad jab unhone mujhe dekha toh maine un dono ke hi aankhon me apne liye beintahan mohobbat dikhi...

MARIA ne toh turant wapas mere chehre ko apne haathon ke beech liya aur mere pure chehre ko chumne lagi...

wahin FLORIN ke aankhon me mere prati ek garv tha aur ussi garv ke saath woh mujhe dekh rahe the..

kuch der mere chehre ko chum jab MARIA mujhse alag hui toh...


MARIA-tu mera baccha hai...mera apna baccha..itne saalon se mere hi saamne bada hua tu aur mai tujhe pehchaan bhi naa saki...

RAAZ...mera RAAZ...

FLORIN-hamara....


FLORIN ki baat sun aansu se bhare MARIA ki aankhen chalki aur woh muskura uthi...

wahin apni baat bol FLORIN ne apna ek haath mere sir par rakha yaa phir ye kahun ki firaya aur...


FLORIN-kyun hai tere aankhon me aansu mere bacche.. isiliye kyunki tujhe hum dono ko,apne maata pitah ko maarna padega...

tu hame maarega nahi RAAZ..tere haathon hume moksh milega...hum azaad ho jaayenge..

MARIA-aur hamare jaane ke baad ye ek pal ke liye bhi nahi sochna ki tune hume maara hai aur tu layak beta nahi hai...

jis SHRAAP ko,SHAITAN ko mitane ke liye khud PARMESHWAR PUTRON ne apni URJA ko banaya hai,woh URJA meri kokh se nikla hamara ANSH hai..

isse badi baat humare liye kuch ho hi nahi sakti thi beta...tune toh hamara ye manushya jeevan saarthak bana diya hai...

is CHOSENS ko,yahan rehne waale jaaduyi aur khaas logon ko dekhkar hamesha mai sochti thi ki hum pati patni in khaas logon ke beech me kitne aam hai...

par aaj pata chala ki ye saare khaas mil bhi jaaye naa,toh bhi hamare saamne aam hai..

aur aisa sirf teri wajah se hua hai...jo hua woh niyati thi,jo ho raha hai,woh bhi niyati hai,aur jo aage hoga,woh bhi niyati hi hogi..

FLORIN-mere bachhe, niyati se toh GOD bhi nahi bhaag sakte,hum bhala kya cheez hain...!!!!

isiliye jo hona hi hai, uske viprit sochna samajhdaari nahi...

aur mere bete se zyada toh koi samajhdaar hai hi nahi...


mere sir par phirse apna haath ferte hue kahi ye baat FLORIN ne...

wahin un dono ki baatein sunkar mere aansu behne toh band ho chuke the,par ab bhi meri aankhen bhari hui hi thi,bas unhone aansuon ko chhalakne ki ijazat dena band kar diya tha...

mai ek tak un dono ko dekh raha tha jispar bade pyar se mujhe dekhte hue...


MARIA-jo waada kiya hai,usse nibhao RAAZ...par usse pehle hamari ek KHWAHISH hai..

puri karoge..!!!!


MARIA ki baat par maina kaha toh kuch nahi bas haan me apna sir hila diya jispar...


MARIA/FLORIN-hum chaahte hain ki jab tum apna waada nibhao,hume is duniya se vida karo,toh aisa karne se thik pehle hume mom,dad kehkar bulao...

bas itna kar de,marte waqt hume zara sa bhi dard nahi hoga...

MAI-dard toh mai waise bhi hone bhi nahi dunga...par kya ALFREEN se nahi milna chahte aap dono....???

FLORIN-chahte toh hain..par woh naasamajh hai,jasbaat me sahi galat me fark karna nahi aata usse...

isiliye jaane de...kuch jhatkon ka ehsaas unke lagne ke thodi der baad pata chale toh hi thik hota hai...

tu apna kaam shuru kar...par haan, pehle hume woh kehkar bula jo hum tere lagte hain...


FLORIN ki baat sun maine apne dono haathon ko ek baar phirse un dono ke sir ki taraf badhaya...

par aisa karte waqt mere dono haath buri tarah kaamp rahe the...

wahin meri haalat se bilkul ulat FLORIN aur MARIA bilkul shaant aur khush dikh rahe the...

apna haath un dono ke sir par rakh maine ek baar un dono ke face ko dekha aur phir nikle mere mooh se woh do shabd jo FLORIN aur MARIA sunana chahte the...


MAI-MOM,DAD.....i am sorry....

MARIA/FLORIN-dont be son....we are proud of you...

MAI- V.....E....L.....A..........H........

PAINLESS DEATH....


ladkhadati awaaz me apni aankhen band kar is SPELL ko bola tha maine....

ye ek khaas kism ka DEATH SPELL tha...iski khubi ye thi ki is SPELL se jo marta tha,uska sharir turant jal kar raakh ho jaata tha,par is process ke dauran usse bilkul bhi dard nahi hota tha par iska ulat jo is SPELL ko uccharit karta tha,uske haath bhi is SPELL ke asar se jal jaate the,aur saath hi saath jo jalan marne waale ko honi chahiye,woh jalan jalaane waale ko apne haathon me feel hoti thi....

aur abhi bhi wahi hua...mere SPELL bolte hi mere mom dad ke sir se lekar pair tak unka pura sharir jalne laga aur unke saath unke sir par rakha mera haath bhi jalne laga..

par jahan ek taraf pure sir se lekar pair tak aag lagne ke baawjud mere mom dad ko halka sa bhi pain nahi hua,wahin mera haath buri tarah jalne laga aur mujhe asahaniya pain feel hone laga jisse apne mom dad ke muskurate hue face ko dekhte hue mai zabt kar hi raha tha ki tabhi...


NAHI...................

ek zordaar cheekh padi mere kaano me jo front door se aayi thi jahan is waqt MAHI aur ALFREEN khade the..

ye cheekh ALFREEN ke mooh se nikli thi jo cheekhte hue apne mom dad ko jalte dekh pehle toh jadh si ho gayi par phir jo hua,us chiz ko jaise hi uske dimag ne thik se read kiya toh usse laga ek tagda jhatka jiski wajah se woh behosh hokar niche gir padi thi...

wahin uske baaju me khadi MAHI bhi ekdum jadh si hokar reh gayi thi...

GRIFFIN ke kehne par woh lagatar mujhe sense kar rahi thi..aur aisa karte waqt jab usne mujhe ALFREEN ke ghar par sense liya toh uska man hua ki woh yahan aakar mujhe saamne se dekhe..

aur tabhi ALFREEN mujhe dhundte hue wahan garden me uske saamne aa gayi..

aur jab usne mere baare me pucha toh MAHI ne usse bataya ki mai ussike ghar par hun aur phir ussike saath yahan aa gayi..

par usse kahan maalum tha ki yahan aate hi usse kuch aisa dekhne ko milega...

ALFREEN neeche behosh padi thi par MAHI waise hi sthir hokar statue ki tarah khadi hui thi...

uska toh sab kuch blank ho gaya tha....aur shayad aage bhi woh ussi condition me bani rehti ki tabhi....



AHHHHHHHHHHHHHHHHHH.................



apne aawaz ki aakhri hadh ke saath cheekh pada tha mai jisse sun MAHI ki bhi jaise tandra si tooti thi...

bhari hui aankhon ke saath usne dekha ki mai saamne sofe par pade raakh joki mere mom dad ke the,usse apne dono haathon se pakadte hue apne chehre aur pure sharir par mal raha hun....

do jeete jaaagte insaano ko jalakar raakh maine hi banaya tha,aur ab ek dard se bhari cheekh ke baad un jale hue do logon ki raakh ko khudke upar mal apni taklif bayan kar raha tha mai,ye sab dekh MAHI ki sochne samajhne ki shakti jaise khatm hi ho gayi thi ki tabhi....



ISHQ PE MAREN,YAA ISHQ ME MAREN....

AGAR ISHQ SAATH HAI,TOH BHALA HUM KYUN DAREN....


GRIFFIN aur MAHI ki institution ke garden me hui mulakat ke waqt jab RAAZ ke liye MAHI ne ye baat kahi aur jaane ko hui toh GRIFFIN ne bhi usse kul teen baatein kahi thi jinme se jo pehli baat usne kahi thi,wahi baat is waqt MAHI ke dimag me achanak se gunj uthi..


GRIFFIN-tumhare prem ki pariksha hai aaj MAHI..RAAZ ke liye tumhare man me jitna bhi prem hai,prem ke un saare kano ko nichodte hue apne ragon ke har dhamniyon me aaj lagatar bahate rehna hai tumhe...




chaahe lag rahe uspar kitne hi TOHMAT HO,aaj RAAZ KA SAATH MAT CHHODNA...

uske khaatir agar tumhari bhi ZALAALAT HO,aaj RAAZ KA SAATH MAT CHHODNA...

ilzam lagenge uspar.....

aur agar woh wakayi GALAT HO,tab bhi,...aaj RAAZ KA SAATH MAT CHHODNA.....
















AAJ KE LIYE ITNA HI......
















AAPKA APNA V...J....
Bhai first part mai bhi esi situation thi is mai bhi but that's how character you designed but hopefully you justify this I know this story is about raaz and videous but the creator is same
We know you are the best,.....
 

Black water

Vasudhaiv Kutumbakam
5,873
21,052
188
Florin aur Maria ko apne antim samay pe pata chala ki Raaz unka putra hai. Aur iske sath hi Videous Ki chal ne RAAZ ko sab dosto ke samne gunehgaar sabit kardiya. Ab Mahi ko Griffin Ki kahe anusaar apne pyarr ko bachane keliye agniparkshya deni hogi....Ab ye dekhna hai ki Mahi kya apne pyarr yani Raaz ko bacha sakta hai...
Marvelous update Bhai superb
 

jitutripathi00

Active Member
813
3,192
123
बहुत ही दर्दनाक अपडेट है भाई, इतना दर्द कि कुछ समय पहले माता पिता का पता चला हो ,उनका प्यार भी नसीब न हुआ हो और दूसरे पल खुद के हाथों से अपने ही माता पिता को मारना पड़े.... बेइंतहा दर्द
रुला ही दिया भाई आपने
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,267
38,658
258
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MABEL BATATI HAI KI EK WEEK ME PHASE 2 SHURU HO JAAYEGA, DUSRI TARAF RAAZ ITNA HI WAQT DETA HAI ACCHUTA AUR SLUNDER KE DADS KO UNKE PLANETS KHAALI KARNE KE LIYE WAHIN TEESRI TARAF VIDEOUS BHI PHASE 2 KI DUNIYA ME PAHUNCH CHUKA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



MEGA UPDATE-57




PLANET-ELYSIAN


PLACE-THE GREAT HALL






WOOO.THIS PLACE IS HUGE MAN......



THE GREAT HALL me enter karti hui ALFREEN ne ye baat kahi thi jispar MAHI aur MABEL ne bhi haami bhari....

THE GREAT HALL....jahan aaj naye session ke pehle din PHASE 2 aur PHASE 3 ke SAVENTS ikattha hone waale the.....

500 metres se bhi thoda lamba aur utna hi chowda hai THE GREAT HALL....

wahin is HALL ke end me kareeb 50 se zyada doors the jinke dusri taraf MAGICAL ROOMS the aur saath hi METAPHYSICAL ACTIVITIES ko trigger karne waali mayavi equipments bhi thi par ye kuch khaas rooms me hi moujud thi...

PHASE 2 aur 3 ke zyadatar practice sessions yahin issi HALL me hote hain....

hall ke chaaron taraf dekhti hui MAHI, MABEL aur ALFREEN HALL ke centre ki taraf jahan sitting arrangements ki gayi thi,badh rahi thi...

wahan pehle se hi bohot se SAVENTS aa gaye the jo apne apne groups me khade yaa fir jahan unke CATAGORIES ka naam likha tha,wahan baithe hue the...

wahin jahan SAVENTS ki sitting arrangements hui thi,uske theek aage hall ke beech me ek bada sa stage bana hua tha jahan filhal bohot se WHIZZ, WHIZZDERS aur saath hi the THREE SOVEREIGN'S bhi baithe hue the...

aage badhti hui MABEL ki nazar jab GROOMERS ke uniform par gayi toh...


MABEL-yaar,wo dekho, categorically uniforms me bhi differentiation hain...


saamne ek taraf jahan GROOMERS ka section tha,wahan khade SAVENTS ko dekh kar MABEL ne ye baat kahi thi....

reason....


PHASE 2 me teeno catagories ke SAVENTS ke uniform bhi alag alag the....


jahan is waqt MAHI, MABEL aur ALFREEN jo ki STELLARS the,unhone WHITE ROBE pehna hua tha wahin GROOMERS bhi robes hi pehente the par us ROBE ka colour pure white naa hokar muddy white tha saath hi unke uniform me use hone waale kapde ki quality bhi average thi jo dekhte hi samajh me aa rahi thi wahin WEAKLINGS catagory ke SAVENTS robes nahi balki normal MUDDY colour ki shirt aur faded black pant pehente the jisse dekhkar aisa lagta tha maano kisi ne barso use kiye jaa chuke second hand kapde pehne ho...

khair, GROOMERS ko ek baar dekhte hue wo teeno aage badh rahi thi ki tabhi ALFREEN ki nazar hall me right wing ki taraf gayi jahan khade the ANWIR aur MORANA...


ALFREEN-yaar dekho ye ANWIR aur MORANA ne WICKEDS se milte julte kapde pehne hue hain...


ALFREEN ki baat sun jab MAHI aur ALFREEN ne uski point ki hui jagah ki taraf dekha toh unhe ANWIR aur MORANA unke group ke saath dikhe...


saath hi unse kuch door ek dusra bada sa group bhi tha jinhone MORALS ke jaise kapde pehne hue the...


MAHI-hoga PHASE 3 ka kuch..

MABEL-ye dono pakka is saal hamare liye problems create karenge...

MAHI-wo hamare liye karenge toh hum unke liye karenge...


MAHI ki baat sun ALFREEN aur MABEL muskura diye aur yunhi baat karte hue wo teeno pahunchne apne catagory STELLARS waali jagah par jahan unke liye LUXURIOUS COUCHES rakhe hue the aur filhal un couches par already 3 SAVENTS baithe hue the jinme se ek VALDIS bhi tha...

MAHI, ALFREEN aur MABEL,ye teeno bhi jaakar COUCHES me baith gaye..

32 SAVENTS the kul FIRST PHASE me jinme se sirf 6 logon ne hi STELLARS catagory ke liye qualify kiya tha aur wahi 6 is waqt couches me baithe hue the...



wahin couch par baith MAHI ne dekha ki GROOMERS ke liye couches nahi balki normal chairs rakhe gaye the aur bachi WEAKLING catagory...

unhe yahan baithna tak allowed nahi tha..is catagory ke SAVENTS ko jo ki filhal sirf BRAWNY tha,is hall me khada hi rehna tha aur isiliye BRAWNY filhal apna sir neeche kiye hue ek jagah par khada hua tha jisse MAHI ne dekh liya tha..


MAHI-ek educational institution bhi itna biased ho sakta hai,kabhi socha nahi tha...


MAHI ki baat MABEL aur ALFREEN ne sun ki thi ayr isiliye...


ALFREEN-yaar us SAVENT ko waise dekhkar bura toh mujhe bhi lag raha hai par ab kar bhi kya sakte hain...???

is baare me toh pehle hi clear kiya jaa chuka tha...yahan par agar acche se survive karna hai toh performance is must...

ab wo aisa nahi kar paaya isiliye wahan us position ke liye bounded hai...


ALFREEN ki baat par koi kuch kehta ki usse pehle...



GOOD MORNING SAVENTS....AAP SABKO PHASE 2 AUR PHASE 3 ME PAHUNCHNE KI BOHOT SAARI SHUBKAAMNAAYEN...



stage ke beech me khadi hui SHAILA ne kahi ye baat jiske baad sabhi SAVENTS ka dhyan unki taraf ghum gaya...


SHAILA-sabse pehle PHASE 2 ke SAVENTS...aap sabhi apni apni catagory ke WHIZZ aur WHIZZDER ko jaan lijiye....

sabse pehle STELLARS....aap sabki class ke WHIZZES aur WHIZZDERS hain MABBA,SAPIUS aur REGIS...


SHAILA ke aisa bolte hi unke side me MABBA, SAPIUS aur REGIS aakar khade ho gaye....


MABBA-STELLARS sirf ek catagory nahi hai,balki ek bohot badi zimmedari bhi hai....

zimmedari khud ke talent ko ek nayi unchayi par lejaane ki jisse STELLARS group ki garima bani reh...

aap sabse pehle jitne bhi batches is catagory se paas out hue hain,un sabne ye zimmedari bakhubi nibhayi hai,aur mujhe aap sabse bhi yahi ummid hai...


apne chir parichit ghamand se bhare awaaz ke saath MABBA ne ye baat kahi jispar SAPIUS aur REGIS bas muskura diye....


AKSHAANT-now GROOMERS...ye hain aapke WHIZZES aur WHIZZDER...

EDWINA,ROVEL and PETRA...


AKSHAANT ke bolte hi stage ke dusri side do WHIZZ jinme se ek EDWINA aur dusri PETRA thi,wo khadi ho gayi aur unke baaju me khade the WHIZZDER ROVEL....

but unlike MABBA, apne intro ke baad bhi ye teeno muskurakar apne group GROOMERS ko dekhte hue bilkul shaant khade rahe....


MOKALSAR-and lastly WEAKLINGS catagory ki WHIZZ hain HIDA.....


MOKALSAR ke is naam ko pukarte hi ROVEL ke baaji me ek patli si choti kad ki lady jo ki WEAKLINGS catagory ki WHIZZ HIDA thi,aakar khadi ho gayi aur jab aisa hua toh...



HAHAHAHAHAHAHA.....


HIDA ko dekhte hi ANWIR & MORANA ka group zoron se hasne lag gaya jisse dekh jahan ek taraf PHASE 2 ke sabhi SAVENTS halke hairan hue wahin WHIZZ HIDA jo pehle hi dekhne par kaafi under confident lag rahi thi,unka chehra sharm se aur neeche ho gaya...


HIDA..... pichle 15 PHASES se WEAKLINGS ki eklouti WHIZZ jiski har naye session me us session ke STELLARS catagory ke kaafi SAVENTS ke through lagatar beizzati hoti chali aa rahi hai...

aur beizzati karne me ab tak sabse aage rahe the MORANA or ANWIR ka group jinhone pichle PHASE me lagatar laghbhag har din WHIZZ HIDA ki alag alag tarike se khichayi ki thi aur yahi wajah se thi ki HIDA ka naam anounce hote hi ANWIR ka group HIDA ki khilli udaane waali hasi hasne laga tha...

khair,HIDA ka intro ho chuka tha aur isiliye baat ko aage badhate hue...


SHAILA-aapke is PHASE ki classes kaise lagengi,aap sabke apne PHASES aur catagories ki complete activities,saath hi wo ACCESS CARDS jinki madad se aap PHASE 2 ke sabhi luxuries ka apne catagory ke hisaab se lutf utha paayenge,unke baare me aap sabko aapke appointed WHIZZES aur WHIZZDERS ke through pata chal jaayega...

and for PHASE 3 SAVENTS...chune hue har WICKEDS aur MORALS ko hamari shubkaamnayen...

par jin SAVENTS ka chunaav in do groups me nahi ho paaya hai,wo PHASE 2 ke STELLARS catagory ke saath dobara khud ko nourish karenge...

hum ummid karte hain ki is session ke PHASE 2 aur PHASE 3 ke SAVENTS khudko ab tak ke CHOSENS ke itihas ke best SAVENTS saabit karenge.....


SAVENTS ke fresh allots se SOVEREIGN'S ki baat ho chuki thi aur isiliye sabhi SAVENTS ko ye laga ki ab essembly conclude hone waali hai par aisa tha nahi...

kyunki ab waqt tha aaj ke ya fir ye kahun ki ab tak ke sabse bade aur ehem announcements ki aur isiliye....


AKSHAANT-well humare paas teen news hai jo hum aap sabke saath share karna chahte hain...

pehli....aap sabko ye baat toh pata hi hai ki CHOSENS se kuch kilometers door ek FOREST hai... FORBIDDEN FORREST....

wo forest aisi bohot si cheezon se bhara hua hai jinse aap sabko apni metaphysical capabilities ko nikharne me madad mil sakti hai aur saath hi naye aur exciting adventures karne ke liye bhi us forest me kaafi spots hai...

aur kyunki wo forest ek empenitrable SHIELD se covered raha hai isiliye wahan koi kabhi jaa nahi paaya hai..

par ye jaankar aap sabko behad khushi hogi ki ab aisa nahi hai...us FOREST ke chaaron taraf lagi SHIELD hata di gayi hai aur isiliye aap sab ab wahan jaakar us FOREST ko explore kar paayenge but with supervision...

khudse wahan jaana khatre se bhara ho sakta hai isiliye aisa karna allowed nahi hai....


AKSHAANT ki baat sunkar sabhi SAVENTS bohot excited ho gaye the aur hona bhi chahiye....

jis jagah ke baare me un sabne sirf padha tha,us jagah ko,us FOREST ko ab wo sab explore kar sakte the aur ye koi choti baat nahi thi...

sabhi SAVENTS iske baare me ek dusre se baat kar hi rahe the ki tabhi....



MOKALSAR-shaant ho jaaiye....


gunj si uthi MOKALSAR ki awaaz us HALL me jiske turant baad pure hall me pin drop silence ho gaya tha...


MOKALSAR-dusri news ye hai ki jaisa ki aap sabko pata hai ki har saal pure universe ke alag alag planets se yahan CHOSENS me SAVENTS laaye jaate hain jo yahan metaphysical activities ki study karte hain...

pichle saal bhi ye kriya dohrayi gayi thi jiska natija yahan moujud PHASE 2 ke SAVENTS hain...

but aap sabhi ki tarah ek SAVENT aur tha jisse pichle session me CHOSENS join karna tha par kuch serious problems ki wajah se wo aisa kar nahi paaya...

wo SAVENT bhale hi yahan nahi aa paaya par humne usse uske hi PLANET me PHASE 1 ki study karwayi thi jisme usne acha perform karte hue apne soul ko 2 percent tak AMPLIFY kar liya tha...


jiska matlab hai ki us SAVENT ne PHASE 2 ke STELLARS catagory me khudko qualify karwa liya hai...

aur isiliye is session me wo yahan PHASE 2 ke STELLARS catagory ka hissa hoga...


MOKALSAR ki baat sun sabhi SAVENTS shocked ho gaye...kyunki aisa kuch pehli baar ho raha tha...

wahin ye sab sun MAHI, MABEL aur ALFREEN us naye SAVENT se jo ki ab unke hi catagory ka hissa tha,milne ke liye excited ho gaye the...

khair,ye toh thi dusri news par ab baari thi new number 3 ki aur isiliye.....



SHAILA-PHASE 2 SAVENTS...aap sabko yaad hoga ki aapke pichle PHASE me SWEEP-STAKE COMPETITION ke waqt aapke teen PHASE MATES,RAAZ, ACCHUTA aur SLUNDER laapata ho gaye the...

achi khabar ye hai ki wo teeno bilkul thik hain aur is PHASE me wo teeno aap sabko join karne waale hain...

infact,wo abhi thodi der me aap sabke saamne honge...


SHAILA ki baat sun sabhi PHASE 2 ke sabhi SAVENTS suprise bhi hue aur khush bhi...

ALFREEN ke man me bhi RAAZ par waar karne ka jo ek bojh sa tha,wo bhi ab kam hone laga tha...

MAHI bhi SHAILA ki baat sun behad khush thi par uski khushi ka reason kuch alag tha...

aur wo reason the MARIA aur FLORIN... MAHI ko pata tha ki wo dono RAAZ ke gumshuda hone ki wajah se sabse zyada dukhi hue the aur ab jab RAAZ wapas aa gaya hai,toh wo dono bhi kaafi khush hone waale the...

khair,baat ko aage badhate hue...


SHAILA-ye thi wo teen news...


aur ab sabse pehle aap sab apne us PHASE MATE se mil lijiye jo CHOSENS me sidhe PHASE 2 ke STELLARS catagory me enter karne waala hai...

VIDEOUS....


saamne ki taraf point karte hue halke zor se SHAILA ne ye naam pukara jisse sun...



MAHI-VIDEOUS....wierd name....


dheere se kaha MAHI ne ye aur uske baad uska aur uske saath sabhi ka chehra piche ki taraf jahan SHAILA ne point kiya tha,ghum gaya aur tabhi....


OH....MY...GOD.....



ek saath nikle ye shabd kayi ladkiyon ke mooh se...

reason....


VIDEOUS......naam hi kaafi hai...


STELLARS ki uniform pehne ek gora,muscular banda jiske chehre par itna tej tha ki pata nahi nahi chal raha tha ki zyada kya chamak raha hai...

wo white robe jo usne pehna hua tha ya fir uska confidence aur ATTITUDE se bhara handsome chehra...

aankhon me chamak,chehre par halki si muskaan aur chaal me zabardast confidence liye aage badhta chala aa raha tha VIDEOUS...

aur yunhi chalte hue jaise hi wo MAHI, ALFREEN aur MABEL ke couch ke paas pahuncha toh....

uski nazar un teeno ki taraf yaa fir ye kahun ki MAHI ki taraf ghumi...

wahin MAHI jo ussiko dekh rahi thi,jab VIDEOUS ne usse dekha toh usne apni nazar sidhi kar li.....

ek pal ke liye hi dekha VIDEOUS ne MAHI ko aur fir nazar sidhi kar aage badh chala...


VIDEOUS ki personality se impress sirf girl SAVENTS hi nahi hui thi balki stage par khadi MABBA, EDWINA,PETRA aur yahan tak ki WHIZZ HIDA bhi hui thi jo ektak VIDEOUS ko dekhe jaa rahi thi....

stage par pahunch ek baar sabhi WHIZZ, WHIZZDER aur SOVEREIGN'S ko dekh VIDEOUS SAVENTS ki taraf face karkar khada ho gaya...


AKSHAANT-kuch kehna chahoge VIDEOUS....


AKSHAANT ki baat sun ek baar uski taraf dekh muskuraya VIDEOUS aur fir...


VIDEOUS-SHAKTI,is bramhaand ki sabse badi shiksha bhi hai aur ek maatra SACH bhi...

aur CHOSENS is shiksha aur sach ka ek jeeta jaagta swaroop hai...


mujhe khushi hai ki mai yahan hun..aur jin logon ki soch mere jaisi hai,woh aaj toh khush hain hi,aage bhi rehne waale hain......

ek karkashta thi VIDEOUS ki awaaz me jo naa sirf wahan moujud har kisike kaano me padh rahi thi balki kaano se utarti hui uski awaaz sabke dil tak ko jhanjhor rahi thi...

VIDEOUS ne jo kaha,usse koi aur khush ho naa ho par MABBA jiski soch bhi waisi hi thi jaisa VIDEOUS ne bola tha,bohot khush hui thi...

wahin VIDEOUS ki baat sun teeno SOVEREIGN'S muskura uthe....


MOKALSAR-ab baari hai aap sabki apne unhi teen missing PHASE MATES se milne ki...





PLACE-OUTSIDE THE INSTITUTION




WOW........




PHASE 2 ke pure area se guzarte hue finally institution ke sarhad par pahunchne tak bas ye WOW shabd hi nikalta raha ACCHUTA aur SLUNDER ke mooh se...


subah ka waqt hai aur finally wo din aa hi gaya jab PHASE 2 shuru hone waala tha aur isiliye ACCHUTA aur SLUNDER yahan CHOSENS me pahunch chuke the aur filhal institution ke PHASE 2 block ke gate ke baahar khade the...

ACCHUTA aur SLUNDER ke grah jis SOLAR SYSTEM me hai, wahan waise toh baaki sabhi grah in dono ke grah ki izzat karte the,par in sabke beech 2 aise Planets bhi hain jo CARAPACE aur ARROW ke sabse bade samarthak bhi hain aur us SOLAR SYSTEM ke area wise sabse bade PLANETS bhi...

ACCHUTA aur SLUNDER ke FATHER'S ne unhi do PLANETS se khudke aur khudke Planet ke logon ki survival ke liye refuge maangi thi jisse un dono PLANETS ke KINGS ne saharsh maan liya tha aur isiliye hi aaj subah hi RAAZ ke dwara khole gaye asankhya WORLD DOORS ki madad se CARAPACE aur ARROW ke pure log apne naye PLANET aur aashiyane me shift ho gaye the...

wahin in sab se alag ACCHUTA aur SLUNDER ke saamne jo WORLE DOOR khula tha,wo yahan ELYSIAN ka tha jiske dusri taraf tha PHASE 2 jahan pahunch chalte chalte PHASE 2 ki khubsoorat duniya ka deedar karte hue ACCHUTA aur SLUNDER yahan institution ke gate ke baahar pahunche the...


ACCHUTA-bhai,aakhir pahunch hi gaye...

SLUNDER-haan,par ek baat samajh nahi aati ki RAAZ ne kaha tha ki wo bhi hamare saath hi yahan padhenge fir wo hamare saath kyun nahi aaye....???

ACCHUTA-toh yahan tak ka raasta tere phupha ne bataya hai kya...???


ACCHUTA ki baat sun SLUNDER ne usse ghur kar dekha par iska ACCHUTA par koi fark nahi pada...


ACCHUTA-RAAZ ne hi toh hamare brain se judkar hume yahan tak ka raasta bataya hai..wo yahin hai bas saamne nahi aaya hai ab tak....


SLUNDER-hmm..chal hum toh andar chalte hi hain....

is gate se hote hue SLUNDER aur ACCHUTA dono hi institution ke gate se hote hue andar daakhil ho gaye....

wahin kuch door chalne ke baad un dono ko ek giant size ka hall dikha aur aisa hote hi unke dimag me unhe ussi hall ke andar jaane ka sanket diya....

ye sanket RAAZ ke through hi unhe mila tha jisse jaankar un dono ne apne kadam us HALL ke taraf hi badha diye..

par abhi un dono ne apna apna ek kadam hi aage badhaya tha ki tabhi....


SLUNDER-arre,ye kya ho raha hai...???ye kaise kapde aa gaye hakn mere sharir par...???

ACCHUTA-sirf tere nahi humare...???

saala ye kaise kapde hain..???kichad ki colour ka crushed shirt aur ye ghisi hui kaali pant...aisa lag raha hai jaise kisi bhikari ne 15 saal pehenane ke baad apne kapde daan diye hue hon...

SLUNDER-aur inka size bhi humare size se kaafi bada hai...


hall ke andar ghus age badhte hue dono ke mooh se ye baatein nikli thi par isse aage wo kuch kehte ki tabhi padi un dono ke kaan me ek awaaz jisme....



MOKALSAR-RAAZ ACCHUTA, SLUNDER,.....



RAAZ ke saath un dono ka naam bhi anounce ho chuka tha jisse sun dono ka hi dhyan saamne ki taraf gaya jahan is waqt bohot se bacche jo ko unke hi age ke lag rahe the,baithe hue the aur un sabke aage ek bada sa stage laga hua tha jahan bohot se log khade hue the aur unhike beech se unke naam pukare gaye the...

aur isiliye halki hickichahat ke saath wo dono aage stage ki taraf badh gaye...

wahin naam anounce hote hi sabhi SAVENTS aur khaas kar ALFREEN aur MAHI ne turant apni nazar puche ghumayi jahan unhe dikhai diye SLUNDER aur ACCHUTA par unhone dekha ki filhal RAAZ abhi nadarad tha...

wahin in sabse alag sabse zyada utsukta dikh rahi thi stage ke ek side me khade VIDEOUS ki jo obviously RAAZ ko dekhne liye hi thi par jab usne RAAZ ko ACCHUTA aur SLUNDER ke saath nahi dekha toh uske maathe par sochne ke bal padhne lage the...

in sabke beech ab tak ACCHUTA aur SLUNDER stage ke paas pahunch gaye the par isse pehle ki wo dono stage par chadhte....


JISSE DEKHKAR TUM DONO KE ANDAR MUJHE DEKHNE SE HONI WAALI GHABRAHAT MEHSOOS HO,JAWAB USSI KO DEKHKAR DENA...


RAAZ ki awaaz gunj uthi un dono ke dimag me jispar ek pal ke liye toh wo dono thithak se gaye par fir ek baar ek dusre ko dekh wo dono aage badh gaye...

stage ki sidhiyan chadhte waqt un dono ki nazar upar khade har shaskh par gayi aur aisa hote hote jab unki nazar VIDEOUS par gayi jo unhe hi dekh raha tha toh un dono ko laga wahi dar jo unhe RAAZ ki aankhon me dekhkar lagta tha...

halki halki ghabrahat ke beech wo dono MOKALSAR ke saamne pahunch gaye...


MOKALSAR-RAAZ kahan hai..???wo toh tumhare hi saath tha naa???

MOKALSAR ki baat sun ek baar ek dusre ko dekh un dono ne apni gardan ghumadi VIDEOUS ki taraf jo unke answer ki hi pratiksha kar raha tha...

ACCHUTA/SLUNDER-RAAZ ne kaha hai ki wo aa raha hai...tab tak intazar kijiye...

halki zor ki awaaz me kahi ye baat ACCHUTA aur SLUNDER ne jisse sun ek saath alag alag reactions saamne aaye...

jahan ek taraf teeno SOVEREIGN'S aur unke saath VIDEOUS ke chehte par bhi muskaan aa gayi wahin stage par khade baaki sabhi WHIZZ aur WHIZZDER hairan reh gaye par unke beech khadi MABBA ko aa gaya krodh...


ek SAVENT ne jo ki ek WEAKLING tha,usne un sab ko wait karne ke liye kaha tha,ye jaankar MABBA ko krodh toh aana hi tha...


MABBA-tum dono jaante bhi ho ki kya keh rahe ho aur kisse keh rahe ho...???

daanton ko bheenche hue halki halki gurrate hue MABBA ne ye kahi jisse sun ACCHUTA aur SLUNDER dono hi thode sehem gaye...

SLUNDER kuch kehne ko hua par tabhi ACCHUTA ki nazar saamne gayi aur....


ACCHUTA-HE IS HERE...RAAZ aa gaya....


haath aage point kar kahi thi ye baat ACCHUTA ne...


par sehme hue hone ki wajah se zara zyada zor se bol gaya ACCHUTA jis wajah se wahan moujud sabhi ko uski baat sunayi de gayi aur isiliye sabhi ki gardan ek baar firse piche ki taraf palti aur jab aisa hua toh....



BLOODY HELL.....WOW.........



nazar rook si gayi sabki wahan jahan is waqt khada tha...................MAI.................

aur jo shabd mujhe dekh nikle the,waise toh wo shabd wahan moujud har bandi aur shayad har bande ke dil me bhi gunja hoga par mooh se ye shabd nikle the MORANA ke jisse sun uske baaju me khade ANWIR ne usse ek look diya par MORANA mujhe dekhne me kuch aisi khoyi hui thi ki uska dhyan kahin aur gaya hi nahi....

wahin ek pal khade rehne ke baad mai badha aage...

filhal hum ek hall me the jahan par environment ko magic se cool banaye rakhne ke liye halki halki hawa chal rahi thi aur us hawa me lehra rahe the mere halke lambe baal...

jaw line meri perfect thi jisse mera fair chehra aur behtar bana raha tha...

gore chehre ke beech meri gehri kaali aankhen itni deep thi ki door se dekhne par bhi iski gehrayi saafi nazar aa sakti thi aur filhal wahan moujud lagbhag har bandi ki aankhen meri inhi kaali aankhon me jhaank rahi thi....

wahi muddy shirt pehni hui thi maine jo mere chowde biceps aur piche ki taraf cuts bana kar nikalte hue triceps me chipak kar ek alag hi look dene lagi thi.....

neeche ki meri faded pant narrow thi jo mere thighs se chipakne ki wajah se alag hi dikh rahi thi...

kuch pal khade rehne ke baad maine apne kadam aage badha diye aur badh chala mai stage ki taraf...


HAAYEEEE.........


har row jisse hote hue mai aage badh raha tha,wahan baithi bandiyon ke mooh se ek thandi aah nikal rahi thi par un sab bewajah ke human compliments ko ignore karte hue mai aage badh raha tha..

wahin insab ke beech sabse alag reactions the MAHI aur ALFREEN ke chehre par...

unhe yakin hi nahi ho raha tha ki jo ladka unke saamne se chala aa raha hai,ye wahi RAAZ hai jisse wo jaanti thi...

kahan wo dabbu sa,saanwla aur patla RAAZ aur kahan dusri taraf mai jo hatta katta tha aur jiski height 6 feet se bhi upar nikal rahi thi....

jiski naa toh hieght,naahi baaki koi personality us RAAZ se match khaati thi jisse wo dono jaanti thi...

kuch hi palon me mai unke row tak pahunch chuka tha par wahan pahunchne ke baad bhi maine un dono ki taraf ek second ke liye bhi apni nazarein nahi ghumayi aur sidhe stage ki taraf badh chala...

jab side se guzarte hue bhi maine MAHI ki tarar nahi dekha toh usse behad ajeeb feel hua tha...

wahin stage par khade har shaksh ki aankhen bhi mujhpar hi tiki hui thi....

jahan SOVEREIGN'S mere wajood ke pura hone ke baad pehli baar mujhe dekh khush ho rahe the,wahin WHIZZ aur WHIZZDERS toh bas ek tak mujhe dekh hi rahe the..

un sabka dimag jaise mere presence me atak sa gaya tha....

MABBA jo mere aane se pehle ACCHUTA ki baat sun uspar aur mujhpar naaraz thi,wo bhi jaise apna wo ghussa bhul si gayi thi...

ACCHUTA aur SLUNDER ne toh mujhe dekhte hi apni nazarein neechi kar li thi...

aur in sabse alag khada tha VIDEOUS...jo behad chaaw aur excitement ke saath mujhe hi dekh raha tha...

wahin VIDEOUS se ulat maine uski taraf dekha tak nahi aur stage par chaddh gaya....


SHAILA-welcome back RAAZ..apne PHASE MATES se kuch kehna chahoge...????


SHAILA ki taraf ek baar dekh maine saamne dekha jahan sabki nazar mujhpar hi thi...


MAI-SHAKTI.....is bramhaand ka sabse bada JHOOTH hai ye shabd....

ye woh shabd hai jisse kaayar apni kaayarta chuppane ke liye istemaal karte hain...

universe ka ek maatra sach hai DAR....kyunki ek dar hi hai jo zinda hone ka pura ehsaas dilata hai....

mujhe khushi hai ki mai CHOSENS dobara aaya hun,aur jin logon ki soch mere jaisi hai ,wo filhal khush ho yaa naa hon,par bhavishya me wo khush rehne waale hain...


jab mai bol raha tha tab wahan moujud har SAVENT ko aur yahan tak ki mere baaju me khade WHIZZ aur WHIZZDERS tak ko apne andar ek halka sa kampan mehoos ho raha tha par wo us feeling ko samajh nahi paa rahe the...

wahin VIDEOUS ne jo kaha tha,maine theek uska ulat bola jisse sun ek taraf mere sabhi PHASEMATES shocked the kyunki gayab hone se pehle jahan maine kabhi normal conversation bhi kabhi nahi ki thi par aaj maine ek mini speech de di thi,dusri taraf VIDEOUS jisne meri baatein jo uske ulat thi,usse sun wo halke se has diya tha aur teesri taraf MABBA jo VIDEOUS ki baat se itifaaq rakhti thi aur aise me jab maine ek alag hi baat kahi thi toh isiliye wo ghussa jo unka mujhpar mere aane se pehle tha,wo wapas jaag gaya tha aur isiliye...


MABBA-ek WEAKLING hokar itni badi badi baatein karna tumhe suit nahi karta ladke....


mujhe ghurti hui MABBA ne ye baat kahi jispar...


MAI- SOVEREIGN'S...kya ye aurat WEAKLINGS ko padhayengi....!!!

MABBA-mind your tounge young man...mai yahan ek respectable WHIZZ hun aur tum mujhe aurat keh rahe ho....

MAI-thik waise hi jaise mai yahan ek SAVENT hun aur aap mujhe ladka keh rahi hain...


meri baat sun MABBA ka ghussa aur badh gaya tha...wo fir se kuch kehne ko hui par...


MAI- SOVEREIGN'S...yahan WEAKLINGS ki WHIZZ kaun hai..???


MABBA ko point karte hue maine ye baat kahi jispar...


AKSHAANT-..HIDA..ye hain aapki WHIZZ...


HIDA WHIZZ ki taraf point karte kaha AKSHAANT ne...


MAI-then why is this WHIZZ talking to me...???


MABBA ki taraf dekh maine ye baat kahi aur fir bina kuch sune mai stage se utar us taraf badh chala jahan BROWNY khada tha...

wahin meri baat sun aur meri unhe yun ignore kar chale jaane se man hi man fat si padi thi MABBA par SOVEREIGN'S ke saamne hone ki wajah se wo kuch kar sakti nahi thi isiliye filhal ke liye unhone khudko shaant kar liya...

wahin kyunki ab saari announcements ho chuki thi isiliye....


AKSHAANT-so SAVENTS..we wish all of you a great PHASE ahead...

baaki ki baatein aapke appointed WHIZZ aur WHIZZDERS aapse apne CATAGORY aur group ke hisaab se karenge....


ek baar VIDEOUS aur ek baar meri taraf dekh teeno SOVEREIGN'S stage se utarkar chale gaye....

wahin SOVEREIGN'S ke jaate hi sabhi WHIZZES aur WHIZZDERS apne apne groups ke paas jaane lage....


MABBA-aayiye VIDEOUS...aap hamare saath apne catagory ke PHASE MATES ke paas chaliye...

jahan ye bol MABBA, SAPIUS aur REGIS STELLARS ki taraf chal pade
wahin unke jaate hi VIDEOUS ek dusri taraf chal pada...


WEAKLINGS catagory jahan filhal WHIZZ HIDA ke saath ACCHUTA, SLUNDER aur BRAWNY khade the,unke baaju se hota hua VIDEOUS thoda aage chal diya jahan apni peeth karke akele khada hua tha MAI...

aur mai yahan khada bhi isiliye hi hua tha kyunki mujhe maalum tha ki sabse pehle VIDEOUS mere paas hi aayega aur wo hi gaya...


VIDEOUS-ye bohot galat baat hai...jiske astitv ki wajah se tujhe tera astitv mila, usse ab tak milna toh door dekha bhi nahi tune....

MAI-tere astitv ki wajah se nahi,balki tere astitv ko mitane ki wajah se mila hai mujhe mera astitv..

aur jab ek din tujhe gayab hi ho jaana hai, toh fir tujhe dekhne ka,tujhse milne ka kya faayda...!!!


VIDEOUS ki taraf palaththe hue uski aankhon me jhaank maine ye baat kahi jisse sun...


VIDEOUS-manushya sadharan ho yaa fir asadharan..ek baat toh sabme common hoti hi hai...khwab dekhna...tu bhi dekh le...isme koi burayi nahi...

MAI-dhyan se dekh mujhe...naa toh mai soya hua hun aur naahi meri aankhen band hai...

aur jaagte hue sapne dekhne ki mujhe aadat nahi....

aankh teri band thi hazaron saalon se,toh khwab aur us khwab me khudke liye galatfehmi paalna,tera kaam hai,mera nahi....

VIDEOUS-jinki rooh,jinka dimag apne hisaab se kaam karta hai,unhe aate hai khwab...

tere saamne the last level GENIUS KHADA HAI,

VIDEOUS khada hai.....

jiska dimag aur rooh dono hi uske hisaab se chalte hain...mere khwab dikhte baad me hain,pure pehle ho jaate hain....

MAI-ye baat tab tak sach thi jab tak MAI nahi tha...ab tere khwab pure ho naa hon,par tere din zaroor pure ho chuke hain....

bohot shouk hai naa tujhe competition ka,dekh tere saamne khada hai RAAZ...

wo naam jo agar kisi competition me likha hai,toh uska matlab hai,FIRST PLACE RESERVED...

VIDEOUS-tu sirf ek khiladi hai RAAZ....par mai koi khiladi nahi balki pura KHEL hun...

mujhme khela jaata hai,mujhse khela nahi jaa sakta...

MAI-har khel me khiladi hote hain... par kabhi na kabhi koi aisa khiladi zaroor aata hai jiske baad wo khel us khiladi ke naam se jaana jaata hai...

mai wahi khiladi hun VIDEOUS...is khel ke rules tune banaye hain,maidan bhi tune chuna hai(CHOSENS)...


ab dekh,tere hi saamne,
tere hi rules ke saath
tere hi KHEL ka,

NAKSHA BADAL DUNGA MAI....


tere har daav,tere har paitre
teri har chaal ko tujh par
hi palat ek din,

TUJHKO BHI MASAL DUNGA MAI...










AAJ KE LIYE ITNA HI.....










AAPKA APNA V...J.....
Nice update bro
 
Top