• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) ( Completed )

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,267
38,658
258
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF CHAARON WHIZZES AUR WHIZZDERS SAVENTS AUR PARENTS KO NEXT PHASE KE BAARE ME JAANKARI DETE HAIN WAHIN DUSRI TARAF VIDEOUS NE APNI CHAAL CHAL DI HAI.


AB AAGE:-


CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)




MEGA UPDATE-51




PLACE-THE DARK UNIVERSE



FLASHBACK CONTINUOUS.....






MANUSHYA JAATI KA ANTH...



saathon angels ke mooh se ek saath ye shabd nikle jisse sun...


VIDEOUS-HAHAHAHAHAHA.....

bilkul sahi..aur ab aisa hokar hi rahega....jis BRAMHAAND me VIDEOUS nahi,us bramhaand ke hone naa hone ka kya mol...???

VIKRAM-apne betuke tark apne paas rakho VIDEOUS...agar tumhe aisa karna hi hota toh tum ab tak ye kar chuke hote....

tum aur tumhare zariye tumhare andar chhupi BLACK ENERGY bas mujhe aur ASMODEUS ko chota dikhana chahte ho..

hume harana chahte ho...jab tak tum dono ye nahi kar lete,tum is bramhaand ko koi nuksaan nahi pahunchaoge...

VIDEOUS-adbhudh FATHER.. adbhudh..bina mere mastishk ko padhe bhi aap mere aur mere andar chuppe BLACK ENERGY ki chahat,khawahish ke baare me jaante hain...

isiliye hi toh mujhe garv hai ki mai aapka putr hun...

ASMODEUS-mudde ki baat karo VIDEOUS...chahate kya ho tum..???

VIDEOUS-wahi jo FATHER ne kaha...mai aap dono ko harana chahta hun......


jaise BLACK ENERGY ke aapke andar hone ke baad bhi aapne ek khel racha,aur us khel me jagah jagah apne bhai ke liye hints chodde taaki wo aapko BLACK ENERGY se azaad kara sake,aur fir unhone us asmabhav dikhne waale kaarya ko bhi sambhav kar hi diya..

aur aisa kar aapne apni sammilit buddhi ko pure bramhaand me shreshth saabit kiya,thik waise hi,

ab mai ye saabit karna chahta hun ki BRAMHAAND me sarvshresta aap dono nahi,mai hun....

aur jaise hi ye mai saabit karunga,aap dono ka varchasv, aapka rutba aur sabse mahatvpurn,aapka maan samman,sab apne aap niche gir jaayega...

aur yahi mera aur mere andar vaas kar rahe BLACK ENERGY ka maksad hai...


VIDEOUS ki baat sun saathon angels aur khaas kar RONIT aur ANJALI ka dimag ghum gaya..

kyunki VIKRAM unke liye LORD OF ANGELS baad me tha par sabse pehle wo unka dost tha..unka sabse pyara dost jiske liye wo haste haste apni jaan de sakte the..

sadiyan beet chuki thi unhe apne maanav sharir ko chhode,saari bhaavnaaye waqt ke saath kartavyon ke marg par neeche dab gayi par VIKRAM ke liye unka pyar,unka samman ab bhi utna hi tha yaa fir ye kahun ki ab wo samman aur badh chuka tha aur isiliye VIDEOUS ki baat khatm hote hi wo dono kuch kehne ko hue par VIKRAM ne unhe man hi man shaant kara diya....

wahin apni baat ko aage badhata hua...


VIDEOUS-par mujhe pata hai ki sidhe tour par ye mumkin nahi hai...aur isiliye.....

agar aap dono apne pyare bramhaand ko bachana chahte hain toh aisa hone dene ke liye meri kuch shartein hain...

ASMODEUS-bolte jaao,hum sun rahe hain...

VIDEOUS-meri pehli shart...

mai ek khel rachunga..us khel ka har niyam mere hisaab se hoga aur aap dono ko mere khel me mere niyamo ke hisaab se chalkar mujhe harana hoga...

manzoor hai...???

ASMODEUS/VIKRAM-manzoor hai...

VIDEOUS-aapke(ASMODEUS) BLACK ENERGY ko tyagne ki wajah se bramhand me BLACK ENERGY ko failane waale sabhi DEVIL'S bhi khatm ho gaye...

wo samuh ab fir banega par ek alag andaz me....

sabse pehle aap dono sabhi angels ko white energy ki shakti ko balance me rakhne ke unke daayitv se unhe azaad karenge...


VIDEOUS ki baat sun saathon ANGELS chownke aur kuch kehne ko hue par VIKRAM ne ek baar phir man hi man un sab ko shaant rehne ko kaha...

wahin apni baat ko aage badhate hue....


VIDEOUS-toh khel kuch yun hoga ki aap dono ek institution banwayenge..

ek educational institution jahan bramhaand ke har living PLANET me paida hone waale sabse aala dimag ke bacche padhenge...

in baccho ki rachna aap yaa aapke pitah apne hisaab se kar sakte hain....

uske baad.....


(writers note-fir VIDEOUS ne us school me kis tarah se magic ko padhaya jaayega ,uske PHASES aur unme use hone waale niyamon ke baare me bataya....

wahi niyam jo last update me aap padh chuke hain aur baaki ke niyam aur cheezen aap sab baad me padhenge...)


VIDEOUS-us institution ka mool uddeshya hoga bramhaand me BLACK ENERGY aur WHITE ENERGY ke us balance ko kaayam rakhna jo filhal aapke paksh me jhuka hua hai....

RONIT-par jis roop rekha ko tumne taiyar kiya hai,us hisaab se toh iska paksh tumhari taraf jhuk jaayega...

VIDEOUS-maine ye bhi kaha tha ki khel ke niyam mai tay karunga aur aapko mere hisaab se usse khelna hoga aur mujhe harana hoga...


VIDEOUS ki baat ke baad kisike paas bolne ke liye kuch nahi tha...


VIDEOUS-is institution par aap kaam kabse shuru karte hain,ye mai aap par chhodta hun...

par jab bhi ye kaam shuru ho,toh iske saare bhaag mere hisaab se hi hone chahiye...

koi bhi mamuli sa parivartan bhi hamari sandhi ko tod dega....

manzoor hai....???


ASMODEUS/VIKRAM-manzoor hai....


haan bol VIKRAM ne apni talwar ko nikalne ke liye haath aage kiya par tabhi...


VIDEOUS-arre ye kya kar rahe hain aap..???ya fir ye kahun ki ye kyun kar rahe hain aap...???


muskurate hue VIKRAM ko dekhte hue VIDEOUS ne ye baat kahi jispar...


VIKRAM-kuch aur bhi chahte ho tum...???


jahan VIKRAM ki baat sun VIDEOUS ki muskurahat aur gehri ho gayi wahin baaki saathon ANGELS ko kuch samajh me nahi aaya aur isiliye....


VIDEOUS-maine sharte kaha tha,shart nahi...

aap kab se baarik shabdon me chuppe arth ko samajhne me asamarth hone lage....

khair, mujhe pata hai ki aap apni talwar ko chunne ki koshish kyun rahe the...???par aisa hoga nahi aur yahi meri dusri shart bhi hai aur is talwar ne jo mujhe haani pahunchayi hai,uska dand bhi...

RONIT-kaisi haani..???zinda toh ho tum...???aur VIKRAM toh apne talwar ko tumhare sharir se nikal tumhe dard se nijaat hi dila raha hai isme tumhara ahit hi kya hai..???


HAHAHAHAHA.....


RONIT ki baat sun VIDEOUS pehle zoron se hasa aur fir...


VIDEOUS-itne sadiyon se mere FATHER ke dost rah chuke ho tum,toh thodi dhurtatha toh tumme bhi aana laazmi hi hain....

puri nahi toh kamsekam aadhi baat toh pata hi hogi tumhe...jis pal ye SWORD mere andar ghussa tha,us pal tak sirf meri aadhi urja hi BLACK ENERGY ke saath milkar pure BRAMHAAND me faili thi par jaise hi mere sharir par is SWORD ka sparsh hua,tab isne meri aadhi urja ko khud me sokh liya...

aur ab jaise hi FATHER is SWORD ko nikalenge,toh ye apne saath saath meri wo aadhi urja jiske sayammit hone me hi itna waqt laga tha, nikal lega aur yahan tak ki usme mili BLACK ENERGY ko bhi khudme kheench kar kaid kar lega jiske baad tumhare pitah jaisa chahenge,waisa us BLACK ENERGY ko maanana hoga aur in sab ke madhya mera astitv khatm ho jaayega....


VIDEOUS ki saari baat sach thi jiske baad kisike bhi paas kuch kehne ko tha nahi aur isiliye...


VIDEOUS-par jaante ho sabse mahatvpurn baat kya hai...???

jaise hi FATHER is SWORD ko chhuenge,unhe mere khel ka jiske baare me maine kuch shan pehle bataya tha, uska wo bhaag jo sirf mai jaanta hun,wo pata chal jaayega..

aur aisa mai kaise hone de sakta hun....???

us chuppe hue bhaag ke baare me pata toh inhe chalega hi par sirf tab jab mai chahunga....


aur issi baat ke aadhar par mera dusra shart ye hai ki ab se ye SWORD aapki nahi hai....aapko isse abhi issi waqt azaad karna hoga....


VIDEOUS ke shart ko sunkar ek baar firse saathon ANGELS behad hairan hue...

aur hona bhi laazmi tha..sirf isiliye nahi kyunki VIDEOUS ne VIKRAM ko uski SWORD ko mukt karne ke liye kaha tha balki isiliye kyunki aisa karne ke baad bhi VIDEOUS khud us talwar ka maalik nahi ban sakta tha aur wo isiliye kyunki wo us talwar ke liye deserving nahi tha....

par unhe kahan maalum tha ki VIDEOUS ka plan kuch aisa hai jaisa wo sab kabhi nahi soch sakte the...

khair, VIDEOUS ki shart sun VIKRAM ne apni aankhen band ki aur uske agle hi pal...


AHHHH.....


ek baar firse VIDEOUS ki cheekh se pura mahoul gunj utha....

reason..

aakhen band kar VIKRAM ne khudse SWORD ko detach kiya aur aisa hoti VIKRAM ki wo urja,uska wo AURA jo uski SWORD se hamesha connected rehta tha,wo usse nikalkar VIKRAM me sama gayi aur aisa hote waqt us SWORD me tezi se vibrations paida hue jinke force se VIDEOUS ko bohot zyada taklif hui aur uske mooh se cheekh nikal gayi par cheekhne ke baad ek baar firse uske chehre par vijayi muskaan tair gayi kyunki jo usne chaha,aur jis maksad ke liye aisa chaha,wo ho chuka tha...


VIKRAM-aur kuch.....

VIDEOUS- ek aakhri shart baaki hai...darasal meri aadhi urja saare living PLANETS me chali gayi hai aur aadhi is SWORD me...

waise toh urja kabhi khatm nahi hoti par jin do chizon me (planets, sword) me meri urja kharch hui hai,uske baad meri puri Shakti ke wapas mere paas aane me waqt lagega..

bohot waqt....


DEFENDER-isiliye tumne kaha tha ki institution par kaam karne ka waqt tum hum par chhodte ho...


DEFENDER ki baat sun muskuraya VIDEOUS aur...


VIDEOUS-zahir si baat hai..meri har baat me faayda toh mai sabse pehle apna hi dekhunga naa...

par mere fayde me mere FATHERS ka bhi kam faayda nahi hai..

kyunki ye jo waqt hai,mujhe maalum ki is beech ye dono mujhse chhuttkara paane ka,mujhe samapt karne ka koi na koi tarika toh dhundenge hi..

kyun FATHER'S....


VIKRAM aur ASMODEUS ko taraf dekh VIDEOUS ne ye baat kahi par dono filhal shaant hi rahe isiliye...


VIDEOUS-aur kyunki aap dono meri har shart puri kar rahe hain,toh aap dono ko itni chhut toh mujhe deni hi chahiye....

isiliye aapko jo plan karna hai kijiye par usse pehle meri teesri shart puri kijiye....

waise meri agli shart aapke planning se judi hui hai...

nahi samjhe,samjhata hun...toh meri teesri shart ye hai ki...

is SWORD se kuch waqt pehle tak judi aapki wo urja,wo AURA jo ab aapke paas hai,us urja aur AURA ki shakti se aap mere liye ek BANISHMENT banayenge...



ek aisi chaardiwari jike andar mai rahunga aur jisme koi bhi ghus naa sakeka.....aap dono bhi nahi....

us BANISHMENT me mai apni do bhaago me vibhajit urja ko wapas khudme sametunga...

aur jis din mai puri tarah aisa karne me kaaimiyab ho jaaunga,us din ye talwar mujhse alag hogi aur...


ASMODEUS-tab bhi tum us BANISHMENT se bahar nahi jaa sakoge...

aur wo isiliye kyunki tumhari urja humse hai aur agar hum koi aisa BANISHMENT banayenge,jisme hum bhi nahi ghus sakte toh fir usse tum bhi khudse baahar nahi nikal paaoge...

kyunki jaisa ki tumne kaha ki tumhe wo BANISHMENT us urja aur AURA ki shakti se chahiye jisse ye SWORD mujhse judi hui thi,toh aise me wo SWORD toh us BANISHMENT se baahar aa jayegi par tum usse sirf tab hi nikal paaoge jab us SWORD ka koi dhaarak banega...

kyunki jis kisiko bhi SWORD apna dhaarak chunegi,tumhari BANISHMENT jis urja se banegi, wo urja bhi us dhaarak ke andar chali jaayegi aur aisa hone par hi tumhara BANISHMENT khatm hoga....


ASMODEUS ki baat aun VIDEOUS kuch kehne ko hua par tabhi...


VIKRAM-isiliye hi isne kaha tha ki humari jo counter planning hogi,wo iske third shart se judi hogi....

kyunki isse pata hai ki hum sidhe ispar waar nahi karenge..iske khel ko kaatne ke liye hum iska pratidwandi taiyar karenge aur wahi pratidwandi hi SWORD ko uthane laayak hoga aur jab aisa hoga toh ye bhi azaad ho jaayega..

aur yahi iska asli khel hai..humare taiyar kiye gaye pratidwandi ko harakar humse jeetna...



VIDEOUS-ab ye hui naa mere FATHER wali baat..sach me FATHER,kitna kuch sikha hai maine aapse aur ummid hai ki aage bhi sikhunga...

VIKRAM-jaisa BANISHMENT tum chahte ho,wo yahan nahi ban sakti.. uske liye sirf PECULIAR SPACE hi sahi hoga...


(WRITERS NOTE-kuch yaad aaya doston.. PECULIAR SPACE...VIPERIOUS BANISHMENT...5TH UPDTATE ME IS JAGAH KE BAAREME BATAYA GAYA HAIN JAHAN KOI UPARANDHATI ATTIPRASAGGAYATE UPARANDHATI ATTIPRASAGGAYATE aur CINTAYATI AZRITA
CINTAYATI AZRITA naam ke do spell lagatar bole jaa raha tha..

ye KOI VIDEOUS hi tha jiske pehle spell ka matlab tha COMPLETE CONNECTION aur uske dusre spell ka matlab tha REFINING POWERS jisse wo apne Shakti aur AURA ko lagatar nikharte rehta tha..)



BACK TO STORY:-



VIDEOUS-thik hai..wahi sahi....yahi hai meri aakhri shart...isse pura kijiye aur lag jaayiye meri chunouti ke kaat ko taiyar karne me....

waqt ki kaminahi hogi...naa aapke paas aur nahi mere paas....



VIDEOUS ki baat puri hote hi VIKRAM ki aankhen ek baar firse band ho gayi aur aisa hone ke agle hi pal uske sharir se ek roshni nikli jisne wahan moujud sabhi ko apne ghere me le liya aur fir...

wo sabhi gayab ho chuke the..gayab hone ke agle hi pal wo sab pahunche us jagah par jiska zikr VIKRAM ne kuch der pehle kiya tha..

wo jagah jo ab se kaafi samay tak VIDEOUS ka ghar hone waala tha....

PECULIAR SPACE....

bramhaand ka wo hissa jo universe ka bhag hokar bhi nahi tha.. ek cursed jagah thi ye space jahan is waqt wo sabhi khade the...

wahin jaise hi sab is jagah par pahunche toh un sabke saamne ek BANISHMENT CELL pehle hi taiyar ho chuka tha jisse dekh...


VIDEOUS-meri vidayi ki itni bhi kya jaldi thi FATHER ki humare yahan aane se pehle hi meri bandish ka intazam kar chuke the aap...??

VIKRAM-apni haisiyat se zyada waqt le chuke ho tum hamara VIDEOUS... isiliye ye bewajah ke tarkon par samay barbaad kiye bina apne naye ghar me pravesh karo...

VIDEOUS-meri haisiyat...!!iski ek jhalak toh aap meri utpatti hote hi dekh chuke hain,dusri bohot jald dekhenge aur teesri aur aakhri baar meri haisiyat aap dono ke aur pure bramhaand ke saamne us din ke bad se lagatar aayegi jis din mai is BANISHMENT ae baahar niklunga..


ye bolte bolte VIDEOUS aage badha aur is BANISHMENT ke andar bina kisi vyavadhan ke pahunch gaya aur ye hua us SWORD ki wajah se jo is waqt uske sharir me dhasa hua tha...

jaisa ki VIKRAM ne kaha tha,ki us SWORD ko us BANISHMENT ae guzarne me koi takleef nahi hogi aur wahi hua...

wahin BANISHMENT ke andar pahunch VIDEOUS palta aur filhal ke liye apne dono pitah se kahe usne apne kuch aakhri shabd....


VIDEOUS-ye sword jo filhal mere andar hai,ek naa ek din mujhe chhodkar bahar niklega aur uske baad jis din bhi isse iska dharak mila,ye uske haath me aaya toh mai yahan se azaad ho jaunga..

aur us din se shuru hogi spraddha..uske aur mere beech...agar wo jeeta toh aap dono jeete par agar mai jeeta toh aap dono sab kuch haar jaayenge...


isiliye itni hi darkhwasth hai aapse ki jo bhi competition aap mere saamne rakhen,wo wakayi meri takkar ka ho...

VIKRAM/ASMODEUS-aisa hi hoga.....


ye baat bolte hi VIKRAM, ASMODEUS aur saathon angels gayab ho gaye jiske baad


VIDEOUS-par ye aap logon ke liye aasan bhi nahi hoga...

hahahahahahaha....


zoron se hasa VIDEOUS aur fir....



ZAMENTATOSTARI SHAKTIYEM

OBSERVE THE POWER...


SWORD se apni urja ko sokhne ke liye lagatar kayi hazar saalon tak is spell ka uccharan kiya VIDEOUS ne...

aur fir wo pal bhi aaya jab uski urja ka wo pura bhaag jo SWORD me chala gaya tha, usse usne wapas kheench liya aur aisa hote hi...

wo SWORD VIDEOUS ke sharir se aur us BANISHMENT se nikal baahar chali gayi aur sidhe jaakar rooki ZEAL PLANET par...

wahin jaise hi SWORD VIDEOUS ke sharir se bahar nikli toh ek pal ke liye wo chup raha aur fir....



UPARANDHATI ATTIPRASAGGAYATE

UPARANDHATI ATTIPRASAGGAYATE


CINTAYATI AZRITA

CINTAYATI AZRITA


ye do spell uccharit hone lage VIDEOUS ke mooh se jiske baad uski aankhen band ho gayi...

wahan uski aankhen aur scene band hua aur yahan...

meri aankhen khul gayi....

SWORD ke handle ko pakda mai usse dekh hi raha tha ki tabhi...

ek current sa douda us SWORD me jiske baad meri aankhen ek baar firse band ho gayi aur is baar meri band aankhon se saamne tha ek naya FLASHBACK jisme mujhe dikha VIKRAM....

ZEAL ka VIKRAM.....

mai dekh raha tha ki kaise VIKRAM ne apni aur ASMODEUS k urja ke mishran se banaya ZEAL waale VIKRAM ko par fir mere saamne ek baar firse wahi scene chalne laga jab us VIKRAM ne is SWORD ko chhua aur aisa hone ke baad uske saamne ek situation aayi jispar usse ek faisla lena tha aur jab usne wo faisla liya toh uske agle hi pal uske saath pura Planet hi nestonaabut ho gaya...

yahi tha apni haisiyat dikhane ka wo dusra mouka jiske baare me VIDEOUS ne VIKRAM aur ASMODEUS se kaha tha...

khair,is flashback ko dekhte waqt hi mere andar mere SOUL ne bhi mujhe ek naya scene dikhaya...

ek naya FLASHBACK back yaa fir ye kahun ki mere liye sabse important flashback....

kyunki ye flashback meri utpatti ka tha...kaise mere chaaron organs ko chaar dead PLANETS par bichaya gaya..

par most importantly,aisa kyun karna pada,ye bhi mujhe pata chal gaya...

in sabke beech ek nayi cheez ho rahi thi aur wo ye ki bhale hi mujhe mera brain,body, blood aur SOUL mil chuke the par fir bhi ab tak mai andar se khaali khaali hi mehsoos karta raha tha par jaise jaise meri utpatti ka kaaran mere ankhon ke saamne aa raha tha,mere chaaron bhaagon ko unke maayne milte jaa rahe the.

meri soch,us soch ka sach aur sabse important,mere hone ki wajah ko jaise mera mind,meri body,mera blood aur mera soul khudme bharte chale jaa rahe the..

aur jaise hi mujhe meri utpatti ka tarika aur kaaran clear hua toh mai bhi jaise pura ho gaya....

bijli si doudi mere haathon me aur aisa hote hi...

meri band aankhon ke saamne ek drishya aa gaya...yaa fir ye kahun ki VIKRAM ki hi tarah mere saamne bhi ek practical sawal tha jisse clear karne ke baad hi mujhe ye SWORD milti aur agar mai aisa nahi kar paata,toh VIKRAM ki hi tarah,mera marna bhi fixed tha..

khair, jaisa ki maine bataya ki ye ek practical scene tha jiska matlab hai ki mai khud is scene ka hissa tha...

DRISHYAM:-


is waqt mai ek sunsaan viran si jagah par khada tha...mere aage wo cave waali SWORD rakhi hui thi jisse mai dekh hi raha tha ki tabhi...


KAISE HO RAAZ...!!!!!


mere saamne se ye awaaz aayi jispar jab maine saamne dekha toh
mujhse thodi door khada tha VIDEOUS ka pratibimbh jo mujhe dekh muskura raha tha...

par mai bas usse ek tak dekhe jaa raha tha aur tabhi...


VIDEOUS-SWORD chahiye....le lo..bas ek chota sa kaam karo aur ye SWORD tumhari hai...

isse lo aur inhe maar do...


VIDEOUS ke aisa kehte hi mere saamne kuch chote se bacche aa gaye jo mujhe hi dekh rahe the...

par khaas baat ye thi ki ye bacche mere wo fellowmates the jo mere saath mere hostel me raha karte the..

ye bacche unke baalya kaal ka roop the....


VIDEOUS-inhe maar do aur ye SWORD tumhara....


VIDEOUS jo ki mujhe maalum tha ki bas ek fake resemblance se zyada kuch nahi hai aur jisse sirf is test ke liye rakha gaya hai,uski bat sun maine zamin me gadi SWORD uthayi aur aage badha...

un chand bacchon ke paas pahunch maine apni talwar uthayi hi thi ki..


VIDEOUS-ek baat batana reh gaya...tumhe lag raha hoga ki kyunki ye ek illusion hai,toh isiliye in bacchon ko jo ki ek mithya hi hai,maarna kaun si galat baat hogi par aisa hai nahi...

jab tum in bacchon ko maar rahe hoge,tab us waqt tumhare brain,body, blood aur SOUL..in chaaron ka tumhare is kaarya me swikriti dena zaroori hai...

kehne ka matlab hai ki inhe maarte waqt tumhe aur tumhare har ang ko inhe sach me maarne ki khawahish honi chahiye...

aisa hone par hi ye SWORD is baat par yakin karegi ki tumhare liye iski ehmiyat kisi bekasoor ki jaan se bhi zyada zaroori hai..

aur issi yakin ke adhar par hi tumhe ye SWORD mil sakta hai...

ek line me kahun toh....


MOUT BHALE HI NAKLI HO PAR MAARNE KE JASBAAT ASLI HONE CHAHIYE...


VIDEOUS ke pratibimbh ki baat sunane ke baad ek pal ke liye mai rooka,apni aankhen band ki aur khudke andar jhaanka maano khudse hi jawab maang raha hun aur fir agle hi pal...


SOOOOOBBBBB....


meri aakhen khuli par usse pehle hi meri SWORD chal chuki thi jiske baad mere saamne line me baithe sabhi bacchon ke sir unke dhad se alag ho chuke the....

wahin jab aisa hua toh....

mere DRISHYAM me ek tez roshni fail gayi jiske agle hi pal meri aankhen jo drishyam dekhne ki wajah se band thi,khul gayi aur...

ek jhatke me SWORD ya fir ye kahun ki MERI SWORD mere haath me thi aur aisa hote hi mere lab hile...


MAI-

dhoop nikli hai,par fir bhi
baadal CHAA GAYA HAI...

khouf faili hui hai,
mere naam ka jo HAWA GAYA HAI....

tujhe competition chahiye tha,
dekh mai tere saamne hun....

VIDEOUS ko mitane aakhir,
RAAZ AA GAYA HAI.....




THIK USSI WAQT...




PECULIAR SPACE


PLACE-VIPERIOUS BANISHMENT




BOOM.............



ek tez dhamaka hua us BANISHMENT me jiske baad wo pura BANISHMENT gayab ho gaya...

beech universe me hone ke baawajud bhi us puri jagah me dhuan dhuan ho chuka tha par wo dhuan bohot tezi se chhat bhi gaya yaa fir ye kahun ki gayab ho gaya aur jab aisa hua toh....

paalthi maare aankh band kiye baithe VIDEOUS ki aankh khul gayi...

chehre par ek behtarin muskurat liye uske lab hile aur...

VIDEOUS-


jo ek dhaage ko dusre se baandhe,
mai wo SUTR HUN....

mai tera mitr,mai hi tera shatru,
par sarvpratham, mai tera PUTR hun....



jisse peekar pyas bujhe nahi aur
badhe,MAI WO PAANI HUN...

mai kahani ka koi paatr nahi,
balki khud PURI KAHANI HUN...



buddhi ki shuruat jahan se hui,
mai wo GENIUS HUN...

mai hi ALPHA,mai hi OMEGA
MAI.........VIDEOUS HUN.........








AAJ KE LIYE ITNA HI....







AAPKA APNA V...J.....













Nice update bro 🤠🤠🤠
 

ashish_1982_in

Well-Known Member
5,579
18,876
188
AB TAK AAPNE PADHA KI VIDEOUS APNE DEVOTEES KE SAATH MILKAR ACCHUTA, SLUNDER,HIDA AUR BRAWNY KO RAAZ KE KHILAAF KAR DETA HAI JISKI WAJAH SE WOH CHAARON HI RAAZ KO MAARNE KA FAISLA KARTE HAIN.

AB AAGE:-



CHAPTER-2


( UNEARTH THE IMMORTALS)



MEGA UPDATE-119



PLACE-HEAVEN



RAAZ AUR MAHI,DONO KA WAQT AA CHUKA HAI....

RAAZ AISI HAALAT ME NAHI RAHEGA KI APNA VIVEK SAMBHAL SAKE, ISILIYE AAGE KYA KARNA HAI,YE TUMPAR HAI..

AUR TUM ACHI TARAH SE JAANTI HO KI TUMHE KYA KARNA HAI....


LORD OF ANGELS ke aage jhuki hui thi is waqt griffin jisse kahi usne ye baat jispar..


GRIFFIN-agar LORD ki ijazat ho toh kya mai ek sawal puch sakti hun...???

VIKRAM-pucho....!!!??

GRIFFIN-kya is baat ki sambhavana nahi hai ki VIDEOUS ke waar se RAAZ aur MAHI ka hi anth ho jaaye...!!!

VIKRAM-bilkul hai...asal me aisa hone ki sambhavna zyada hai...

par is khel ko iske sabse ehem aur antim charan tak agar pahunchana
hai toh ye jokhim uthana hi padega...

agar RAAZ aur MAHI bach gaye toh ye kahani chalti rahegi par agar khatm ho gaye toh ye kahani aur hamara varchasva,dono hi saath me khatm honge...


bohot badi baat keh di thi VIKRAM ne,par GRIFFIN dekh rahi thi ki itni badi baat bolte waqt bhi VIKRAM ke face par halki si bhi shikan nahi thi..

naa koi doubt,naa pareshani...bilkul shaant aur chamakta hua chehra jiske piche aashiyana banaye hue tha bramhaand ka har RAAZ....





PLACE-UNKNOWN






YE KAISI JAGAH HAI,AUR MAI YAHAN KAISE PAHUNCH GAYA....!!!!


halki dhundh se ghiri jagah ko chaaron taraf nazaren ghuma kar dekhte hue kahi thi ye baat maine...

ek behadh khaali jagah jahan door door tak chaaye dhundh ko chhod naa toh kuch nazar aa raha tha,aur naahi kisi bhi chiz ki awaaz sunayi de rahi thi,wahan khada tha mai..

kaafi der tak is nayi aur ajeebogarib situation ko samajhne ki koshish karta raha mai par phir jab kuch bhi samajh me nahi aaya toh maine aage badhne ki sochi aur apne kadam saamne ki taraf badha diye....

par tabhi....

kadam aage badhate hi mere dil me ek ajeeb si harkat hui jiske agle hi pal mere dimag me ek disha ki taraf badhne ki baat uth gayi aur mere kadam apne aap hi dimag dwara bataye us raaste ki taraf badh gaye...

jaise jaise mere kadam aage badh rahe the,waise waise mujhe aisa lag raha tha jaise mai apne anjaane manzil ke kareeb pahunch raha hun aur phir achanak se mere pair rook gaye...

reason.....

dhundh ke beech mujhse kuch door ek round sa gate dikh raha tha jaise koi bada sa safe..

ek pal us safe jaise gate ko dekh mai uski taraf badh gaya aur thik uske aage pahunch khada ho gaya..

us safe numa gate me koi handle yaa koi opening substance nahi tha isiliye usse kholne ke iraade se maine apna haath aage badhaya aur us gate ko push karne ke liye usse touch kiya aur mere aisa karte hi mujhe laga ek jhatka..

ye jhatka bhi mujhe mere heart se hi laga tha...woh haath jisse mai us gate numa safe ko push karne waala tha,usse apne heart ke upar jahan is waqt jhunjhuni si ho rahi thi,wahan dekhte hue halka rub kiya maine aur phir jab meri nazar wapas saamne us round gate ki taraf gayi toh man hi man mai chownka...

reason....

us round gate ke jiss hisse ko touch kiya tha maine,wahan kuch akshar ubhar aaye the jo the....


"THE PAN-OUT VAULT"


ab ye kya nayi bala hai,ye toh nahi jaanta tha mai,par ye jo bhi hai,mere safar ka hissa hai,iska andaza tha mujhe aur isiliye taaki ye vault khul jaaye,yaa phir ye kahun toot jaaye aur mai iske andar jaa sakun,maine apne moothi bhinche aur apne AMPLIFICATION taakat ke pure zor ko apne moothi me laate hue ek zor ka punch maara maine us vault ko par, result kuch bhi nahi nikla...

tootna toh door ki baat hai,woh vault aur uska woh hissa jisme punch maara tha maine,woh shake tak nahi hua aur ye dekh maine apne emotions ki shakti se punch karne ki sochi..

aur jaise hi apne emotions ki shakti ke ek bade bhaag ko apne moothi me laate hue maine us vault ko punch maara toh...

AHHHH.....

ek tez jhatka laga mujhe aur meri neend toot gayi....

mai jhat se apne bed par uth kar baith gaya aur lambi lambi saansein lene laga..

aur kuch der baad jab mai halka sa normal hua toh ek saath do chizen ghumi mere dimag me..

pehli...

jo bhi maine dekha,woh ek sapna tha..

dusri...

bhale hi mere dekha drishya sapna tha,par jo bhi maine dekha tha,woh bilkul sach tha aur iska suboot tha mera heart jahan mujhe lage jhatke ki wajah se abhi bhi sensetion ho rahi thi..

aur is dusre sach ki jaan mere jabde bheench gaye aur woh isiliye kyunki meri kaam ki chiz jo dekhi thi maine aur bina us cheez ke RAAZ ko jaane khwab toot gaya tha mera...

maine ek baar phirse us jagah par jaane ki sochi... bhale bhi jo bhi maine dekha tha woh ek sapna tha,par us jagah ki chavi abhi mere dimag me puri clear thi jiske zariye mai us jagah par dobara jaa sakta tha aur isiliye apni aankh band kar maine us jagah ka dhyan lagana shuru kiya par tabhi...


ROOK JAAO RAAZ, TUM US VAULT KE ANDAR AKELE NAHI JAA SAKTE,AUR NAAHI ABHI WAHAN JAANE KA WAQT AAYA HAI....

UTHO, INSTITUTION JI TARAF JAO,AAJ BOHOT BADA DIN HAI TUMHARE LIYE...


ek awaaz gunj uthi mere HEART se jisse sun naa sirf aankhen khul gayi meri par saath hi badi bhi ho gayi...

MAI-ab ye kaisi maya hai...???

ye awaazein suni hui hain meri par halki kam khanak ke saath...

kuch toh hai jo saamne hai par dikh nahi raha..parde ke piche bhi parda hai aur parde ke aage bhi....

kaafi der tak alag alag ganit lagane ke baad mai bed se uth gaya aur fresh hone bathroom ki taraf nikal pada bina is taraf dhyan diye ki us AWAAZ ko sun naa sirf mere HEART me ho rahi sensetion turant gayab ho gayi thi,balki aisa pehli baar hua tha ki maine sirf ek AWAAZ ko sun uski kahi baat bina kisi hil hujut ke maan bhi li thi...

ek aur chiz bhi hui thi us awaaz ko sun mere andar jispar filhal toh dhyan nahi gaya tha mera par bohot jald jaane waala tha....



(NOTE:-ACCHUTA, SLUNDER KO VIDEOUS KE THROUGH APNE MOM DAD KE BAARE ME PATA CHALNA,HIDA AUR BRAWNY KE SAATH JO HUA,ABHI RAAZ KO AAYA SAPNA,YE SAB EK HI WAQT ME GHATNE WAALI GHATNA HAI..)






PLACE-CHOSENS





SHAKTISHAALI LOGON PAR WAAR AKSAR US WAQT AUR UN LOGON KE DWARA HOTA HAI JISKI UMMID BILKUL BHI NAHI HOTI....


institution ke garden me ek khaali bench par baithi MAHI ke man me SOVES SHAILA ki kahi bas ek yahi baat lagatar gunj rahi thi..

aur ye sirf abhi ka haal nahi tha.. balki us din THE GREAT HALL me injured hokar behosh hone ke baad jab MAHI ko healing room me hosh aaya toh....





A SMALL FLASHBACK:-




SHAILA-how can a girl with your caliber can act so stupid MAHI..!!!


ek jhidkan si di SHAILA ne MAHI ko jisse sun pehle toh MAHI ka sir neeche ho gaya aur phir....


MAHI-woh actually SOVES...woh challenge ke waqt RAAZ ki taraf...

SHAILA-invisible weapons aa rahe the aur tum lage laga ki woh weapons RAAZ ko hit kar denge...

common MAHI...you say you love RAAZ..aur uski potential ka zara bhi andaza nahi hai tumhe...!!!!

tumhe sach me lagta hai ki aise normal waaron se,attack se RAAZ ko khatra ho sakta hai aur woh bhi life ka...

MAHI,protective hona galat nahi hai par over react karna kahi se bhi sahi nahi hai..you will endup being embarrassed infront of everyone and most importantly RAAZ...


MAHI ki baat ko beech me kaaththe hue kahi apni baat SHAILA ne jispar ek pal khaamosh rehne ke baad....


MAHI-toh mai kya karun WHIZZ...???sach jaankar bhi mai yunhi haath par haath rakh baithe toh nahi reh sakti naa...!!!

SHAILA-iske awala koi chara bhi nahi hai tumhare paas...

MAHI-please SOVES..aap toh itne powerful hain...aapko baaton se pata chalta hai ki RAAZ ke us RAAZ ke baare me aap pehle se jaanti thi...

kya aap RAAZ ki madad nahi kar sakti...!!???

SHAILA-kahani sirf utni hi nahi hoti MAHI jitni nazaron ke saamne dikhti hai...asli kahani woh hoti hai jo parde ke piche chalti hai...

RAAZ ki kahani bhi aisi hi hai..jo dikh raha hai,usse kahin zyada gehri aur chuppi hui...

us kahani me mai kuch nahi kar sakti...


SHAILA ki baat sun chehra bilkul murjha sa gaya MAHI ka...us dil me har pal badh raha dard bhi saaf dikhne laga tha uske face par jisse SHAILA bhi achi tarah samajh rahi thi aur isiliye....


SHAILA-ek choti si help kar sakti hun mai tumhari...meri ek baat ko dhyan se suno,isse RAAZ ko tum bacha sakogi yaa nahi,ye toh certain kiya nahi jaa sakta par haan,jab bhi RAAZ wakayi khatre me hoga,toh us khatre me uske saath khadi zaroor reh paogi tum...


MAHI-itna hi kaafi hai WHIZZ....


MAHI ke murjhaye chehre par SHAILA ki baat sun achanak hi ummid se bhari khushi dikhne lagi thi jisse dekh....


SHAILA-SHAKTISHAALI LOGON PAR WAAR AKSAR US WAQT AUR UN LOGON KE DWARA HOTA HAI JISKI UMMID BILKUL BHI NAHI HOTI....





FLASHBACK ENDS:-




MAHI-aisa kaun hoga jisse RAAZ ko khudpar waar karne ki ummid bilkul nahi hogi.....

HEY GUYZZ,WHATS UP...????


abhi MAHI apne sochon me goom hi thi ki tabhi uske kaano me ye awaaz padi jisse sun jab usne us aayi awaaz ki disha me dekha jahan is waqt do girl WICKED SAVENTS khade the jinhe abhi abhi MORANA ne join kiya tha aur ussine woh baat kahi thi..

jahan MORANA aur uske friends aapsi baaton me busy ho gaye wahin ek baar MORANA ko dekh MAHI wapas apni soch me goom hone ko hui par tabhi MORANA ki ek friend ke mooh se kuch sun MAHI ka dhyan wapas unki taraf divert ho gaya....


WICKED 1-yaar MORANA,ek baat toh bata...tu us RAAZ ke liye serious hai kya...????

WICKED 2-waise banda hai toh serious hone laayak yaar..

MORANA,yaar no offense but mujhe toh usse dekhte hi kayi baar orgasm ho chuka hai...


us WICKED bandi ki baat sun jahan uski friend has padi wahin MORANA ne bas smile kiya aur....

MORANA-usme offense kya yaar..???natural feeling hai,aa gayi toh aa gayi...


MORANA ki baat sun uske dono friends toh has diye par unki baat sun MAHI ka para chadh gaya tha...

beete dino me MAHI ne kayi baar MORANA aur RAAZ ko saath me dekha tha aur us waqt kuch aise moments bhi aaye jab MORANA ka RAAZ ko lekar concern dekh MAHI ko laga ki woh wakayi RAAZ ke liye serious hai...

par abhi MORANA ke friends ki baat sun aur us baat par MORANA ka reaction dekh uska dimag ghum gaya..

saath hi MORANA ne pyar waale sawal ko bhi dodge kar diya tha..

ab ye maana jaata hai ki kuch baatein ladkiyan jo apne b.f se bhi nahi bol paati,woh secrets unke friends ke beech open kar deti hain par MORANA ne puchne par bhi aisa nahi kiya aur isiliye SHAILA ne jo baat kahi thi,uska ek sira ab MAHI ki MORANA ki taraf jaate dikha aur isiliye woh turant uthi aur uski taraf chal padi aur uske paas pahunch..


MAHI-MORANA...


apne peeche se aayi awaaz ko sun MORANA palti aur apne saamne MAHI ko dekh usse ignore kar woh wapas palatne ko hui par tabhi..


MAHI-tumne apni friend ko jawab nahi diya MORANA...do you really love RAAZ....???

MORANA-and why do you care ki mai RAAZ se pyar karti hun yaa nahi...????

MAHI-just answer the bloody question MORANA...

MORANA-and you just mind your fucking business MAHI....

mai RAAZ se pyar karun yaa usse dhoka dun, isse tumhe koi lena dena nahi hona chahiye..


DHOKA....jaise hi ye shabd nikla MORANA ke mooh se toh MAHI ka dimag jhanjhana utha aur uski puri body ghusse se kaampne lagi..

issi mode par tezi se aage badhi MAHI..is waqt uske dimag aur puri body uske control me nahi thi..

ek strong AURA nikal raha tha uske saare sharir se jisse uske paas aate hi MORANA ne bhi feel kar liya aur woh tezi se piche moodi par tab tak naa sirf MAHI uske behadh kareeb pahunch gayi thi balki uska ek haath jisme is waqt hadh se zyada urja ka prabhav beh raha tha,woh bhi MORANA ke gale se bas ek inch door tak pahunch gaya tha...

MORANA ne feel kar liya tha ki MAHI ke body aur uske haath se joki usse chhune hi waala tha, uske touch hote hi uski haalat kharab hone waali hai aur aisa ho bhi jaata ki tabhi...


AHHHH.....DHAAPP...

ye dard bhari karah MORANA ke nahi balki MAHI ke mooh se nikli..

reason....

MAHI ka haath MORANA ke gale ko touch hota ki tabhi bilji se tez speed ikhtiyaar karte hue ek dusra haath aage badha aur MAHI ke badhte hue haath ko pakad peeche kheenchte hue usse dhakel diya jisse MAHI piche ki taraf jaakar giri...

neeche girte hi woh turant wapas uthi aur ghusse se saamne ki taraf palti par aisa hote hi uska ghussa bilkul shaant ho gaya...

reason...

saamne mai jo khada tha...maine hi usse piche dhakela tha...

khair, jaise hi MAHI wapas khadi hui aur mujhe dekha toh...


MAI-MAHI..jo advice MORANA ne di,uspar dhyan do aur amal karo..

just mind your own fucking business.....

MAHI-but RAAZ ye...

MAI-enough MAHI....just go away....


MAHI ki baat kaat apni baat kahi maine jisse uski aankhon me dard aur hatasha,saath me dikhne lagi aur apne kandhe jhukate hue woh piche palti aur ek disha ki taraf badh gayi....

wahin is beech jabse maine MAHI ke haathon ko pakadkar kheecha tha,tabse subah us anjaani awaaz ko sun jo feeling mere man me jaagi thi,us feeling ne ek nayi urja ka roop le liya tha aur is waqt woh urja mere andar do alag alag hisso me yaa phir ye kahun ki do AMPLIFICATION modes me jaakar rook gayi thi....

ek mode tha mera HEART aur dusra mode tha mera SOUL...aur aisa hote hi mere ye dono modes me ek whiteness joki purity ka chinh thi,failne lagi thi...

par ye change temporary tha jo mai jaan chuka tha par mere liye itna hi kaafi bhi tha aur faaydemand bhi...

reason...


"shabdon ka spashtikaran DIL aur AATMA ki SHAKTI se hi hoga"....

UNEARTH THE IMMORTALS ki book ke dusre bhaag jisme mere baare me ENOCHIAN code language me likha hua tha,usse samajhne ke liye yahi sharth thi..

aur us sharth ko pura karne ke liye mujhe apne HEART aur SOUL ka pure AURA un aksharon par daalna tha aur jo temporary change abhi mere andar aaya tha, usse aisa ho sakta tha par waqt kam tha aur isiliye..


MAI-kaam hai mujhe....gotta go....


MORANA ko dekh ye baat kahi maine jiske agle hi pal mai gayab ho chuka tha....

wahin wapas mood MAHI jo aage badhi toh garden ke dusre hisse me ek ped ke neeche pahunchkar rook gayi...

meri baaton se dukhi toh thi MAHI par saath hi mere liye uski fikr kam bilkul nahi hui thi...

woh aage kya kare,ye soch hi rahi thi ki tabhi...


KAISI HO MAHI....!!!???


is jaani pechaani awaaz ko sun MAHI ka jhuka hua sir ek jhatke me uth gaya aur aisa karte hi uske saamne jo khadi thi,usse dekh itne waqt ke baad MAHI ka dil khush ho gaya...


MAHI- GRIFFIN.....


ye bol MAHI turant aage badhi aur GRIFFIN ke lambe gale me apni baahein daalne ko hui par aisa karte waqt uske haath aar paar ho gaye...

GRIFFIN spirit mode me yahan aayi thi jispar aakhon me sawal liye jab dekha MAHI ne GRIFFIN ko toh..


GRIFFIN-mai solid form me yahan nahi aa sakti thi MAHI...is jagah par aise bohot se negetive energies hain jo mere solid form ko sense kar sakte hain aur unka aisa karna naa toh mere liye acha hoga aur naahi tumhare liye....

MAHI-khatra aur mujhe..!!!par maine kisika kya bigada hai jo mujhpar yahan khatra hoga..

aur tum toh yahan first time aa rahi ho....!!!fir tumhari kisise kya dushmani bhala..???

GRIFFIN-kuch logon ka astitva matra hi dusro ke liye khatra hota hai MAHI..

khair,abhi detailing ka waqt nahi hai par bohot jald meri kahi baaton ke RAAZ se parda hat jaayega..


RAAZ...ek yahi toh shabd tha,naam tha jisse MAHI sirf sunti nahi thi,balki feel karti thi..

aur abhi bhi wahi hua... GRIFFIN ki baaton me jaise hi RAAZ shabd aaya,toh GRIFFIN ko apne saamne dekh jo ab tak khush dikh rahi thi MAHI,wahin ab uske sundar chehre par udaasi ke kaali ghata ek baar phir se chaane lagi jisse dekh...


GRIFFIN-kya baat hai..???maine RAAZ kaha,aur tum udaas ho gayi...

kya ye naam itna impact karta hai tumpar...!!!!

MAHI-asal sawal hai kyun...???kyun ye shabd RAAZ itna impact karta hai mujhpar..???

jis shaksh ka ye naam hai,usse toh parwah hi nahi meri...parwah toh door ki baat hai,usse toh mere existence se hi jaise koi matlab nahi hai..

har baar insult karta hai meri..aur mai phir bhi pata nahi kyun,uski taraf kheenchi chali jaati hun...!!!

uski har problem apni lagti hai mujhe...pata hai GRIFFIN,uspar jaan ka khatra hai aur ye baat ussike through pata chali hai mujhe,aur jabse woh baat pata chali hai,tabse aisa lagta hai jaise uski nahi,balki meri jaan khatre me hain...

pata nahi koi baat jo usse judi ho, itna asar kyun karta hai mujhpar..!!!

sabse ajeeb bast ye hai ki woh hamare PHASE ka sabse strong SAVENT hai.. har cheez me number one...

khatarnaak se khatarnaak hamle sense kar leta hai..

hard se hard attack bhi araam se dodge kar leta hai..

aise me bhi jab usse lagta hai ki woh nahi bachega toh phir mai usse kaise bacha sakti hun...!!!

GRIFFIN-woh isiliye MAHI kyunki tumne pehle bhi RAAZ ki jaan bachayi hai...infact agar aaj RAAZ zinda hai toh usme sabse bada haath tumhara hai....


ab ye ek naya revelation hua tha MAHI ke saamne jisse sun uske hairani ki seema nahi rahi...


MAHI-meri wajah se RAAZ zinda hai..???ye kya bol rahi ho tum....???

GRIFFIN-bohot si baatein hai jo filhal parde me hai MAHI...par jaisa ki maine bataya ki bohot jald woh chuppe RAAZ tumhare saame unfold honge...

filhal ke liye ye samajh lo ki RAAZ agar aaj tak zinda hai toh uski kaaran tum ho...

MAHI-toh kya jis mout ke baare me RAAZ jaanta hai,usse bhi mai rok sakti hun...!!!

GRIFFIN-rok toh nahi sakti par haan,taal zaroor sakti ho...aur isiliye hi mai yahan aayi hun...

MAHI-mai samjhi nahi...???

GRIFFIN-aaj RAAZ ke upar mout ka saaya mandra raha hai MAHI jisse bachna uske liye next to impossible hai...


GRIFFIN ki baat sun MAHI ka dimag hi ghum gaya..ek pal me hi uske chehre ke aage RAAZ ka chehra aa chuka tha jisse mehsoos kar uska haal behaal ho gaya tha...

wahin apni baat ko aage badhate hue...


GRIFFIN-par tum RAAZ ke taraf badhti mout ko kamsekam aaj ke liye toh taal hi sakti ho..sirf tum....

MAHI-RAAZ ko bachane ke liye mai kuch bhi karungi....please batao mujhe,kya hone waala hai aaj,aur mujhe kya karna hoga...!!!???

GRIFFIN-kya hone waala hai,ye toh tumhe us chiz ke hote waqt hi pata chalega...

isiliye aaj tumhe har pal RAAZ par nazar rakhni hai..par haan,saamne se nahi,door se..

kyunki tumhe bhi pata hai ki agar RAAZ ne tumhe apne aas paas dekha toh woh wahan se gayab ho jaayega...

STAVAH SPELL ke istamal se tum ye badi asaani se kar sakti ho...

par let me warn you MAHI,RAAZ ko bachana asaan nahi hoga...

aisa bhi ho sakta hai,infact chances is baat ke zyada hain ki RAAZ ko bachane ke chakkar me uske saath tumhari bhi jaan chali jaaye...


GRIFFIN ki baat par yaa phir ye kahun ki uski warning ko sun ek smile aa gayi MAHI ke face par aur....


MAHI-"ishq pe MAREN,ya ishq me MAREN...

ishq agar saath hai,toh bhala hum kyun DAREN...!!!





PLACE-RAAZ ABODE






PUSTAK PRAKATAM....



mere is SPELL ko uccharit karte hi mere book shelf ke ek khaali jagah par roshni hui jiske agle hi pal woh UNEARTH THE IMMORTALS book us roshni ke beech prakat hui....

is book ko is tarah hi chhupaya tha maine jo ab mere saamne prakat ho chuki thi...

book ko pakad usse khola maine aur woh bhaag jisme mere baare me likha hua tha,us jagah ko open kar us page jahan ENOCHIAN code likha hua tha,uske upar apna haath rakha maine aur...



HRIDAYAM AATMAM AURAVA SAMEVASHE.....

HEART SOUL AURA MIX ENERGY....



aankh band kar apne HEART aur SOUL ke AURA ko joki MAHI ke touch se naa sirf hilne lagi thi,par saath hi in dono hi AURA'S me ek purity aa chuki thi, SPELL bola maine..

khair,apni aankhen band kar jaise hi maine SPELL ko uccharit kiya toh mere andar se mere HEART aur SOUL ke pure AURA'S tezi se mere hatheli ki taraf aaye jiske agle hi pal meri hatheli aur book ke beech ek tez roshni chamki aur jab aisa hua toh mere hatheli me ek jhatka laga jiski wajah se maine apna haath wapas kheench liya..

wahin roshni joki mere HEART aur SOUL ki AURA thi,uske prabhav se woh ENOCHIAN language me likhe code hilne lage aur dekhte hi dekhte us page ki puri banawat badal gayi....

jahan kuch der pehle tak ENOCHIAN language me code bhare pade the,wahin ab us pure page me chamakte hue kewal do words likhe hue the..


TOUCH ME....


yahi likha hua tha us page me jisse padh maine apna haath us likhawat ke upar rakh diya aur mere aisa karte hi...

mere chaaron taraf ek tez roshni faile gayi jiski wajah se meri aakhen band ho gayi...

par kuch der baad jab maine apni aankhen kholi toh hairan reh gaya..

reason...

is waqt mai ek ajeeb se jagah par tha aur tez raftaar se aage badh raha tha..

par sabse shocking baat ye thi ki mai is waqt human form me nahi balki ek dot ki shape liye hue tha...

aur mere aaju baaju anginat white dots the jo mere saath tezi se aage badh rahe the..

par dheere dheere un anginat dots ki raftar aur shayad unki life khatm hone lagi thi....

kuch hi waqt me mere aas paas bas kuch ho dota bache the par dheere dheere in sabki bhi raftar aur life khatm ho gayi....

ab sirf mai tezi se aage badh raha tha aur phir kuch der baad mujhe laal colour ki sperical chiz dikhi jisse mai takra gaya...

mera khud par filhal koi control nahi tha..

mai bas dekh paa raha tha ki us sperical chiz se takrane ke baad meri movement rooki zaroor par puri tarah nahi..

mai joki abhi ek dot ki tarah tha,usne us sperical chiz ko push kiya jiska natija ye nikla hi us sperical cheez se hote hue mai uske dusri taraf pahunch gaya jahan sirf laal hi laal dikh raha tha..

us laal jagah par aakar mai float karne laga tha...

meri samajh me toh kuch aa nahi raha tha par maine sab waqt par chhodna hi behtar samjha..

aur tabhi....

mujhe aisa laga jaise mai us ande ke andurni satah ke saath milkar ek ho raha hun...

abhi ye attachment hue kuch hi der hua tha ki tabhi mujhe laga jhatka..

reason....

maine khudme ek badlwaav feel kiya tha..achanak se hi mere aankh,kaan naak,mooh pair,aur ungliyan banane lagi thi...

abhi ye ho hi raha tha ki tabhi mujhe apni heart beat sunayi di aur saath hi mujhe aisa laga jaise mere naye naye fefde ban rahe hain jiski wajah se mai saans lene laga tha...

aur phir hui ek nayi cheez...ek aisi cheez jiski wajah se mujhe saara ganit clear hone laga..

aur woh nayi cheez thi mere brain ke banana aur jab aisa hua toh mere sochne samajhne ki shakti jaise achanak se hi wapas aa gayi aur aisa hote hi jo abhi tak ho raha tha,woh process meri samajh me bhi aa gaya aur mere naye bane dimag me us process ka naam bhi gunj utha..


FERTILIZATION....


mai is waqt kisike GARBH me tha aur sperm se bache banane ki vidhi mere saath ghat rahi thi jisse mai feel kar raha tha...

yahan ye baat mere dimag me clear hui aur wahan mera us garbh me ek purn bacche ke banane ka process chaalu tha...

mera sharir pura banane laga tha,aur phir meri swaans ki nali aur baaki organs bhi banane lage the...

chehra,kidney aur brain mera pura viksit ho chuka tha...

aur phir aaya woh waqt jab mera sir janm lene waali nali ki taraf ghum gaya..

aisa hone par mai samajh gaya ki janm ka waqt ho chuka hai par tabhi...

ek ejeeb chiz hui...

us kokh ke andar jahan mai tha,ek tez roshni faili jiske baad mai wahan se gayab hone laga..

aur thik ussi waqt jahan mai tha,wahan us kokh me meri hi jagah ek dusra baccha prakat hua par woh baccha mara hua tha...

wahin mai us garbh se gayab hokar jab bahar aaya toh mera sharir ek urja me badal gaya aur jiske baad us urja ke bhi chaar hisse ho gaye aur woh chaar hisse chaar alag alag PLANETS me jaakar rook gaye..

ye planets wahi the jahan se mai purn hua tha...

RENAISS,ANGIS,ANNJAYA aur ZEAL...

in short...RAAZ.....

aur jaise hi ye hua toh us UNEARTH THE IMMORTALS BOOK me ek baar phirse roshni hui jiske baad mai usse nikal kar bahar aa gaya...

par ab mai pure pasine se bheega hua tha... zindagi me pehli baar haath mere kaanp rahe the...

dimag mera uncertain tha,dil mera aise dhadak raha tha jaise mai milo doud kar aaya hun..

aur in sabke beech gunja mere dimag me woh sawal jo is situation me gunjna chahiye tha..


MAI-kya tha ye sab..!!!mai toh sirf ek urja hun..phir mai kisike GARBH me kaise pal sakta hun...???

abhi mere dimag me ye sawal gunja hi tha ki tabhi mere haath me pakde book ke ek page me chalchitra chalne laga..

ye chalchitra wahi vidhi thi jo maine abhi abhi dekhi thi.. sperm ka ande me jaana,phir us sperm aur ande ke milan se fertilization process shuru hona...

aur aisa hote hote jab woh baccha joki mai tha,us garbh me puri tarah ban gaya toh woh chalchitra us garbh se nikal bahar ki taraf jaane laga..

aisa hote waqt dusre page par kuch lines bhi banane lage the..

pasine se bheega mai is waqt un dono hi pages ko ek saath dekh raha tha..

ek page me is waqt do logon ke chehre the aur dusre page par mera un do logon ke saath connection jisse padh zindagi me pehli baar mere dono aankhon ke kinaaron se aansu nikalne lage aur apni bhari hui aankhon se mai un lines ko baar baar,lagatar padhta chala gaya jahan likha hua tha ki...



maana ki tu bhavnaon ke samandar me bhi kabhi NARM NAHI HUA...

aag me kitni hi tapish kyun naa ho,tu kabhi usme jalkar BHASM NAHI HUA....

par naa toh tu bhaavna hin urja hai, naahi koi anaath....

tu FLORIN aur MARIA ka woh PUTR hai, jiska kabhi JANM NAHI HUA.....















AAJ KE LIYE ITNA HI....
















AAPKA APNA V...J.....
Totally speechless update bhai maza aa gya
 

Vipul

Well-Known Member
2,242
7,300
143
AB TAK AAPNE PADHA KI VIDEOUS APNE DEVOTEES KE SAATH MILKAR ACCHUTA, SLUNDER,HIDA AUR BRAWNY KO RAAZ KE KHILAAF KAR DETA HAI JISKI WAJAH SE WOH CHAARON HI RAAZ KO MAARNE KA FAISLA KARTE HAIN.

AB AAGE:-



CHAPTER-2


( UNEARTH THE IMMORTALS)



MEGA UPDATE-119



PLACE-HEAVEN



RAAZ AUR MAHI,DONO KA WAQT AA CHUKA HAI....

RAAZ AISI HAALAT ME NAHI RAHEGA KI APNA VIVEK SAMBHAL SAKE, ISILIYE AAGE KYA KARNA HAI,YE TUMPAR HAI..

AUR TUM ACHI TARAH SE JAANTI HO KI TUMHE KYA KARNA HAI....


LORD OF ANGELS ke aage jhuki hui thi is waqt griffin jisse kahi usne ye baat jispar..


GRIFFIN-agar LORD ki ijazat ho toh kya mai ek sawal puch sakti hun...???

VIKRAM-pucho....!!!??

GRIFFIN-kya is baat ki sambhavana nahi hai ki VIDEOUS ke waar se RAAZ aur MAHI ka hi anth ho jaaye...!!!

VIKRAM-bilkul hai...asal me aisa hone ki sambhavna zyada hai...

par is khel ko iske sabse ehem aur antim charan tak agar pahunchana
hai toh ye jokhim uthana hi padega...

agar RAAZ aur MAHI bach gaye toh ye kahani chalti rahegi par agar khatm ho gaye toh ye kahani aur hamara varchasva,dono hi saath me khatm honge...


bohot badi baat keh di thi VIKRAM ne,par GRIFFIN dekh rahi thi ki itni badi baat bolte waqt bhi VIKRAM ke face par halki si bhi shikan nahi thi..

naa koi doubt,naa pareshani...bilkul shaant aur chamakta hua chehra jiske piche aashiyana banaye hue tha bramhaand ka har RAAZ....





PLACE-UNKNOWN






YE KAISI JAGAH HAI,AUR MAI YAHAN KAISE PAHUNCH GAYA....!!!!


halki dhundh se ghiri jagah ko chaaron taraf nazaren ghuma kar dekhte hue kahi thi ye baat maine...

ek behadh khaali jagah jahan door door tak chaaye dhundh ko chhod naa toh kuch nazar aa raha tha,aur naahi kisi bhi chiz ki awaaz sunayi de rahi thi,wahan khada tha mai..

kaafi der tak is nayi aur ajeebogarib situation ko samajhne ki koshish karta raha mai par phir jab kuch bhi samajh me nahi aaya toh maine aage badhne ki sochi aur apne kadam saamne ki taraf badha diye....

par tabhi....

kadam aage badhate hi mere dil me ek ajeeb si harkat hui jiske agle hi pal mere dimag me ek disha ki taraf badhne ki baat uth gayi aur mere kadam apne aap hi dimag dwara bataye us raaste ki taraf badh gaye...

jaise jaise mere kadam aage badh rahe the,waise waise mujhe aisa lag raha tha jaise mai apne anjaane manzil ke kareeb pahunch raha hun aur phir achanak se mere pair rook gaye...

reason.....

dhundh ke beech mujhse kuch door ek round sa gate dikh raha tha jaise koi bada sa safe..

ek pal us safe jaise gate ko dekh mai uski taraf badh gaya aur thik uske aage pahunch khada ho gaya..

us safe numa gate me koi handle yaa koi opening substance nahi tha isiliye usse kholne ke iraade se maine apna haath aage badhaya aur us gate ko push karne ke liye usse touch kiya aur mere aisa karte hi mujhe laga ek jhatka..

ye jhatka bhi mujhe mere heart se hi laga tha...woh haath jisse mai us gate numa safe ko push karne waala tha,usse apne heart ke upar jahan is waqt jhunjhuni si ho rahi thi,wahan dekhte hue halka rub kiya maine aur phir jab meri nazar wapas saamne us round gate ki taraf gayi toh man hi man mai chownka...

reason....

us round gate ke jiss hisse ko touch kiya tha maine,wahan kuch akshar ubhar aaye the jo the....


"THE PAN-OUT VAULT"


ab ye kya nayi bala hai,ye toh nahi jaanta tha mai,par ye jo bhi hai,mere safar ka hissa hai,iska andaza tha mujhe aur isiliye taaki ye vault khul jaaye,yaa phir ye kahun toot jaaye aur mai iske andar jaa sakun,maine apne moothi bhinche aur apne AMPLIFICATION taakat ke pure zor ko apne moothi me laate hue ek zor ka punch maara maine us vault ko par, result kuch bhi nahi nikla...

tootna toh door ki baat hai,woh vault aur uska woh hissa jisme punch maara tha maine,woh shake tak nahi hua aur ye dekh maine apne emotions ki shakti se punch karne ki sochi..

aur jaise hi apne emotions ki shakti ke ek bade bhaag ko apne moothi me laate hue maine us vault ko punch maara toh...

AHHHH.....

ek tez jhatka laga mujhe aur meri neend toot gayi....

mai jhat se apne bed par uth kar baith gaya aur lambi lambi saansein lene laga..

aur kuch der baad jab mai halka sa normal hua toh ek saath do chizen ghumi mere dimag me..

pehli...

jo bhi maine dekha,woh ek sapna tha..

dusri...

bhale hi mere dekha drishya sapna tha,par jo bhi maine dekha tha,woh bilkul sach tha aur iska suboot tha mera heart jahan mujhe lage jhatke ki wajah se abhi bhi sensetion ho rahi thi..

aur is dusre sach ki jaan mere jabde bheench gaye aur woh isiliye kyunki meri kaam ki chiz jo dekhi thi maine aur bina us cheez ke RAAZ ko jaane khwab toot gaya tha mera...

maine ek baar phirse us jagah par jaane ki sochi... bhale bhi jo bhi maine dekha tha woh ek sapna tha,par us jagah ki chavi abhi mere dimag me puri clear thi jiske zariye mai us jagah par dobara jaa sakta tha aur isiliye apni aankh band kar maine us jagah ka dhyan lagana shuru kiya par tabhi...


ROOK JAAO RAAZ, TUM US VAULT KE ANDAR AKELE NAHI JAA SAKTE,AUR NAAHI ABHI WAHAN JAANE KA WAQT AAYA HAI....

UTHO, INSTITUTION JI TARAF JAO,AAJ BOHOT BADA DIN HAI TUMHARE LIYE...


ek awaaz gunj uthi mere HEART se jisse sun naa sirf aankhen khul gayi meri par saath hi badi bhi ho gayi...

MAI-ab ye kaisi maya hai...???

ye awaazein suni hui hain meri par halki kam khanak ke saath...

kuch toh hai jo saamne hai par dikh nahi raha..parde ke piche bhi parda hai aur parde ke aage bhi....

kaafi der tak alag alag ganit lagane ke baad mai bed se uth gaya aur fresh hone bathroom ki taraf nikal pada bina is taraf dhyan diye ki us AWAAZ ko sun naa sirf mere HEART me ho rahi sensetion turant gayab ho gayi thi,balki aisa pehli baar hua tha ki maine sirf ek AWAAZ ko sun uski kahi baat bina kisi hil hujut ke maan bhi li thi...

ek aur chiz bhi hui thi us awaaz ko sun mere andar jispar filhal toh dhyan nahi gaya tha mera par bohot jald jaane waala tha....



(NOTE:-ACCHUTA, SLUNDER KO VIDEOUS KE THROUGH APNE MOM DAD KE BAARE ME PATA CHALNA,HIDA AUR BRAWNY KE SAATH JO HUA,ABHI RAAZ KO AAYA SAPNA,YE SAB EK HI WAQT ME GHATNE WAALI GHATNA HAI..)






PLACE-CHOSENS





SHAKTISHAALI LOGON PAR WAAR AKSAR US WAQT AUR UN LOGON KE DWARA HOTA HAI JISKI UMMID BILKUL BHI NAHI HOTI....


institution ke garden me ek khaali bench par baithi MAHI ke man me SOVES SHAILA ki kahi bas ek yahi baat lagatar gunj rahi thi..

aur ye sirf abhi ka haal nahi tha.. balki us din THE GREAT HALL me injured hokar behosh hone ke baad jab MAHI ko healing room me hosh aaya toh....





A SMALL FLASHBACK:-




SHAILA-how can a girl with your caliber can act so stupid MAHI..!!!


ek jhidkan si di SHAILA ne MAHI ko jisse sun pehle toh MAHI ka sir neeche ho gaya aur phir....


MAHI-woh actually SOVES...woh challenge ke waqt RAAZ ki taraf...

SHAILA-invisible weapons aa rahe the aur tum lage laga ki woh weapons RAAZ ko hit kar denge...

common MAHI...you say you love RAAZ..aur uski potential ka zara bhi andaza nahi hai tumhe...!!!!

tumhe sach me lagta hai ki aise normal waaron se,attack se RAAZ ko khatra ho sakta hai aur woh bhi life ka...

MAHI,protective hona galat nahi hai par over react karna kahi se bhi sahi nahi hai..you will endup being embarrassed infront of everyone and most importantly RAAZ...


MAHI ki baat ko beech me kaaththe hue kahi apni baat SHAILA ne jispar ek pal khaamosh rehne ke baad....


MAHI-toh mai kya karun WHIZZ...???sach jaankar bhi mai yunhi haath par haath rakh baithe toh nahi reh sakti naa...!!!

SHAILA-iske awala koi chara bhi nahi hai tumhare paas...

MAHI-please SOVES..aap toh itne powerful hain...aapko baaton se pata chalta hai ki RAAZ ke us RAAZ ke baare me aap pehle se jaanti thi...

kya aap RAAZ ki madad nahi kar sakti...!!???

SHAILA-kahani sirf utni hi nahi hoti MAHI jitni nazaron ke saamne dikhti hai...asli kahani woh hoti hai jo parde ke piche chalti hai...

RAAZ ki kahani bhi aisi hi hai..jo dikh raha hai,usse kahin zyada gehri aur chuppi hui...

us kahani me mai kuch nahi kar sakti...


SHAILA ki baat sun chehra bilkul murjha sa gaya MAHI ka...us dil me har pal badh raha dard bhi saaf dikhne laga tha uske face par jisse SHAILA bhi achi tarah samajh rahi thi aur isiliye....


SHAILA-ek choti si help kar sakti hun mai tumhari...meri ek baat ko dhyan se suno,isse RAAZ ko tum bacha sakogi yaa nahi,ye toh certain kiya nahi jaa sakta par haan,jab bhi RAAZ wakayi khatre me hoga,toh us khatre me uske saath khadi zaroor reh paogi tum...


MAHI-itna hi kaafi hai WHIZZ....


MAHI ke murjhaye chehre par SHAILA ki baat sun achanak hi ummid se bhari khushi dikhne lagi thi jisse dekh....


SHAILA-SHAKTISHAALI LOGON PAR WAAR AKSAR US WAQT AUR UN LOGON KE DWARA HOTA HAI JISKI UMMID BILKUL BHI NAHI HOTI....





FLASHBACK ENDS:-




MAHI-aisa kaun hoga jisse RAAZ ko khudpar waar karne ki ummid bilkul nahi hogi.....

HEY GUYZZ,WHATS UP...????


abhi MAHI apne sochon me goom hi thi ki tabhi uske kaano me ye awaaz padi jisse sun jab usne us aayi awaaz ki disha me dekha jahan is waqt do girl WICKED SAVENTS khade the jinhe abhi abhi MORANA ne join kiya tha aur ussine woh baat kahi thi..

jahan MORANA aur uske friends aapsi baaton me busy ho gaye wahin ek baar MORANA ko dekh MAHI wapas apni soch me goom hone ko hui par tabhi MORANA ki ek friend ke mooh se kuch sun MAHI ka dhyan wapas unki taraf divert ho gaya....


WICKED 1-yaar MORANA,ek baat toh bata...tu us RAAZ ke liye serious hai kya...????

WICKED 2-waise banda hai toh serious hone laayak yaar..

MORANA,yaar no offense but mujhe toh usse dekhte hi kayi baar orgasm ho chuka hai...


us WICKED bandi ki baat sun jahan uski friend has padi wahin MORANA ne bas smile kiya aur....

MORANA-usme offense kya yaar..???natural feeling hai,aa gayi toh aa gayi...


MORANA ki baat sun uske dono friends toh has diye par unki baat sun MAHI ka para chadh gaya tha...

beete dino me MAHI ne kayi baar MORANA aur RAAZ ko saath me dekha tha aur us waqt kuch aise moments bhi aaye jab MORANA ka RAAZ ko lekar concern dekh MAHI ko laga ki woh wakayi RAAZ ke liye serious hai...

par abhi MORANA ke friends ki baat sun aur us baat par MORANA ka reaction dekh uska dimag ghum gaya..

saath hi MORANA ne pyar waale sawal ko bhi dodge kar diya tha..

ab ye maana jaata hai ki kuch baatein ladkiyan jo apne b.f se bhi nahi bol paati,woh secrets unke friends ke beech open kar deti hain par MORANA ne puchne par bhi aisa nahi kiya aur isiliye SHAILA ne jo baat kahi thi,uska ek sira ab MAHI ki MORANA ki taraf jaate dikha aur isiliye woh turant uthi aur uski taraf chal padi aur uske paas pahunch..


MAHI-MORANA...


apne peeche se aayi awaaz ko sun MORANA palti aur apne saamne MAHI ko dekh usse ignore kar woh wapas palatne ko hui par tabhi..


MAHI-tumne apni friend ko jawab nahi diya MORANA...do you really love RAAZ....???

MORANA-and why do you care ki mai RAAZ se pyar karti hun yaa nahi...????

MAHI-just answer the bloody question MORANA...

MORANA-and you just mind your fucking business MAHI....

mai RAAZ se pyar karun yaa usse dhoka dun, isse tumhe koi lena dena nahi hona chahiye..


DHOKA....jaise hi ye shabd nikla MORANA ke mooh se toh MAHI ka dimag jhanjhana utha aur uski puri body ghusse se kaampne lagi..

issi mode par tezi se aage badhi MAHI..is waqt uske dimag aur puri body uske control me nahi thi..

ek strong AURA nikal raha tha uske saare sharir se jisse uske paas aate hi MORANA ne bhi feel kar liya aur woh tezi se piche moodi par tab tak naa sirf MAHI uske behadh kareeb pahunch gayi thi balki uska ek haath jisme is waqt hadh se zyada urja ka prabhav beh raha tha,woh bhi MORANA ke gale se bas ek inch door tak pahunch gaya tha...

MORANA ne feel kar liya tha ki MAHI ke body aur uske haath se joki usse chhune hi waala tha, uske touch hote hi uski haalat kharab hone waali hai aur aisa ho bhi jaata ki tabhi...


AHHHH.....DHAAPP...

ye dard bhari karah MORANA ke nahi balki MAHI ke mooh se nikli..

reason....

MAHI ka haath MORANA ke gale ko touch hota ki tabhi bilji se tez speed ikhtiyaar karte hue ek dusra haath aage badha aur MAHI ke badhte hue haath ko pakad peeche kheenchte hue usse dhakel diya jisse MAHI piche ki taraf jaakar giri...

neeche girte hi woh turant wapas uthi aur ghusse se saamne ki taraf palti par aisa hote hi uska ghussa bilkul shaant ho gaya...

reason...

saamne mai jo khada tha...maine hi usse piche dhakela tha...

khair, jaise hi MAHI wapas khadi hui aur mujhe dekha toh...


MAI-MAHI..jo advice MORANA ne di,uspar dhyan do aur amal karo..

just mind your own fucking business.....

MAHI-but RAAZ ye...

MAI-enough MAHI....just go away....


MAHI ki baat kaat apni baat kahi maine jisse uski aankhon me dard aur hatasha,saath me dikhne lagi aur apne kandhe jhukate hue woh piche palti aur ek disha ki taraf badh gayi....

wahin is beech jabse maine MAHI ke haathon ko pakadkar kheecha tha,tabse subah us anjaani awaaz ko sun jo feeling mere man me jaagi thi,us feeling ne ek nayi urja ka roop le liya tha aur is waqt woh urja mere andar do alag alag hisso me yaa phir ye kahun ki do AMPLIFICATION modes me jaakar rook gayi thi....

ek mode tha mera HEART aur dusra mode tha mera SOUL...aur aisa hote hi mere ye dono modes me ek whiteness joki purity ka chinh thi,failne lagi thi...

par ye change temporary tha jo mai jaan chuka tha par mere liye itna hi kaafi bhi tha aur faaydemand bhi...

reason...


"shabdon ka spashtikaran DIL aur AATMA ki SHAKTI se hi hoga"....

UNEARTH THE IMMORTALS ki book ke dusre bhaag jisme mere baare me ENOCHIAN code language me likha hua tha,usse samajhne ke liye yahi sharth thi..

aur us sharth ko pura karne ke liye mujhe apne HEART aur SOUL ka pure AURA un aksharon par daalna tha aur jo temporary change abhi mere andar aaya tha, usse aisa ho sakta tha par waqt kam tha aur isiliye..


MAI-kaam hai mujhe....gotta go....


MORANA ko dekh ye baat kahi maine jiske agle hi pal mai gayab ho chuka tha....

wahin wapas mood MAHI jo aage badhi toh garden ke dusre hisse me ek ped ke neeche pahunchkar rook gayi...

meri baaton se dukhi toh thi MAHI par saath hi mere liye uski fikr kam bilkul nahi hui thi...

woh aage kya kare,ye soch hi rahi thi ki tabhi...


KAISI HO MAHI....!!!???


is jaani pechaani awaaz ko sun MAHI ka jhuka hua sir ek jhatke me uth gaya aur aisa karte hi uske saamne jo khadi thi,usse dekh itne waqt ke baad MAHI ka dil khush ho gaya...


MAHI- GRIFFIN.....


ye bol MAHI turant aage badhi aur GRIFFIN ke lambe gale me apni baahein daalne ko hui par aisa karte waqt uske haath aar paar ho gaye...

GRIFFIN spirit mode me yahan aayi thi jispar aakhon me sawal liye jab dekha MAHI ne GRIFFIN ko toh..


GRIFFIN-mai solid form me yahan nahi aa sakti thi MAHI...is jagah par aise bohot se negetive energies hain jo mere solid form ko sense kar sakte hain aur unka aisa karna naa toh mere liye acha hoga aur naahi tumhare liye....

MAHI-khatra aur mujhe..!!!par maine kisika kya bigada hai jo mujhpar yahan khatra hoga..

aur tum toh yahan first time aa rahi ho....!!!fir tumhari kisise kya dushmani bhala..???

GRIFFIN-kuch logon ka astitva matra hi dusro ke liye khatra hota hai MAHI..

khair,abhi detailing ka waqt nahi hai par bohot jald meri kahi baaton ke RAAZ se parda hat jaayega..


RAAZ...ek yahi toh shabd tha,naam tha jisse MAHI sirf sunti nahi thi,balki feel karti thi..

aur abhi bhi wahi hua... GRIFFIN ki baaton me jaise hi RAAZ shabd aaya,toh GRIFFIN ko apne saamne dekh jo ab tak khush dikh rahi thi MAHI,wahin ab uske sundar chehre par udaasi ke kaali ghata ek baar phir se chaane lagi jisse dekh...


GRIFFIN-kya baat hai..???maine RAAZ kaha,aur tum udaas ho gayi...

kya ye naam itna impact karta hai tumpar...!!!!

MAHI-asal sawal hai kyun...???kyun ye shabd RAAZ itna impact karta hai mujhpar..???

jis shaksh ka ye naam hai,usse toh parwah hi nahi meri...parwah toh door ki baat hai,usse toh mere existence se hi jaise koi matlab nahi hai..

har baar insult karta hai meri..aur mai phir bhi pata nahi kyun,uski taraf kheenchi chali jaati hun...!!!

uski har problem apni lagti hai mujhe...pata hai GRIFFIN,uspar jaan ka khatra hai aur ye baat ussike through pata chali hai mujhe,aur jabse woh baat pata chali hai,tabse aisa lagta hai jaise uski nahi,balki meri jaan khatre me hain...

pata nahi koi baat jo usse judi ho, itna asar kyun karta hai mujhpar..!!!

sabse ajeeb bast ye hai ki woh hamare PHASE ka sabse strong SAVENT hai.. har cheez me number one...

khatarnaak se khatarnaak hamle sense kar leta hai..

hard se hard attack bhi araam se dodge kar leta hai..

aise me bhi jab usse lagta hai ki woh nahi bachega toh phir mai usse kaise bacha sakti hun...!!!

GRIFFIN-woh isiliye MAHI kyunki tumne pehle bhi RAAZ ki jaan bachayi hai...infact agar aaj RAAZ zinda hai toh usme sabse bada haath tumhara hai....


ab ye ek naya revelation hua tha MAHI ke saamne jisse sun uske hairani ki seema nahi rahi...


MAHI-meri wajah se RAAZ zinda hai..???ye kya bol rahi ho tum....???

GRIFFIN-bohot si baatein hai jo filhal parde me hai MAHI...par jaisa ki maine bataya ki bohot jald woh chuppe RAAZ tumhare saame unfold honge...

filhal ke liye ye samajh lo ki RAAZ agar aaj tak zinda hai toh uski kaaran tum ho...

MAHI-toh kya jis mout ke baare me RAAZ jaanta hai,usse bhi mai rok sakti hun...!!!

GRIFFIN-rok toh nahi sakti par haan,taal zaroor sakti ho...aur isiliye hi mai yahan aayi hun...

MAHI-mai samjhi nahi...???

GRIFFIN-aaj RAAZ ke upar mout ka saaya mandra raha hai MAHI jisse bachna uske liye next to impossible hai...


GRIFFIN ki baat sun MAHI ka dimag hi ghum gaya..ek pal me hi uske chehre ke aage RAAZ ka chehra aa chuka tha jisse mehsoos kar uska haal behaal ho gaya tha...

wahin apni baat ko aage badhate hue...


GRIFFIN-par tum RAAZ ke taraf badhti mout ko kamsekam aaj ke liye toh taal hi sakti ho..sirf tum....

MAHI-RAAZ ko bachane ke liye mai kuch bhi karungi....please batao mujhe,kya hone waala hai aaj,aur mujhe kya karna hoga...!!!???

GRIFFIN-kya hone waala hai,ye toh tumhe us chiz ke hote waqt hi pata chalega...

isiliye aaj tumhe har pal RAAZ par nazar rakhni hai..par haan,saamne se nahi,door se..

kyunki tumhe bhi pata hai ki agar RAAZ ne tumhe apne aas paas dekha toh woh wahan se gayab ho jaayega...

STAVAH SPELL ke istamal se tum ye badi asaani se kar sakti ho...

par let me warn you MAHI,RAAZ ko bachana asaan nahi hoga...

aisa bhi ho sakta hai,infact chances is baat ke zyada hain ki RAAZ ko bachane ke chakkar me uske saath tumhari bhi jaan chali jaaye...


GRIFFIN ki baat par yaa phir ye kahun ki uski warning ko sun ek smile aa gayi MAHI ke face par aur....


MAHI-"ishq pe MAREN,ya ishq me MAREN...

ishq agar saath hai,toh bhala hum kyun DAREN...!!!





PLACE-RAAZ ABODE






PUSTAK PRAKATAM....



mere is SPELL ko uccharit karte hi mere book shelf ke ek khaali jagah par roshni hui jiske agle hi pal woh UNEARTH THE IMMORTALS book us roshni ke beech prakat hui....

is book ko is tarah hi chhupaya tha maine jo ab mere saamne prakat ho chuki thi...

book ko pakad usse khola maine aur woh bhaag jisme mere baare me likha hua tha,us jagah ko open kar us page jahan ENOCHIAN code likha hua tha,uske upar apna haath rakha maine aur...



HRIDAYAM AATMAM AURAVA SAMEVASHE.....

HEART SOUL AURA MIX ENERGY....



aankh band kar apne HEART aur SOUL ke AURA ko joki MAHI ke touch se naa sirf hilne lagi thi,par saath hi in dono hi AURA'S me ek purity aa chuki thi, SPELL bola maine..

khair,apni aankhen band kar jaise hi maine SPELL ko uccharit kiya toh mere andar se mere HEART aur SOUL ke pure AURA'S tezi se mere hatheli ki taraf aaye jiske agle hi pal meri hatheli aur book ke beech ek tez roshni chamki aur jab aisa hua toh mere hatheli me ek jhatka laga jiski wajah se maine apna haath wapas kheench liya..

wahin roshni joki mere HEART aur SOUL ki AURA thi,uske prabhav se woh ENOCHIAN language me likhe code hilne lage aur dekhte hi dekhte us page ki puri banawat badal gayi....

jahan kuch der pehle tak ENOCHIAN language me code bhare pade the,wahin ab us pure page me chamakte hue kewal do words likhe hue the..


TOUCH ME....


yahi likha hua tha us page me jisse padh maine apna haath us likhawat ke upar rakh diya aur mere aisa karte hi...

mere chaaron taraf ek tez roshni faile gayi jiski wajah se meri aakhen band ho gayi...

par kuch der baad jab maine apni aankhen kholi toh hairan reh gaya..

reason...

is waqt mai ek ajeeb se jagah par tha aur tez raftaar se aage badh raha tha..

par sabse shocking baat ye thi ki mai is waqt human form me nahi balki ek dot ki shape liye hue tha...

aur mere aaju baaju anginat white dots the jo mere saath tezi se aage badh rahe the..

par dheere dheere un anginat dots ki raftar aur shayad unki life khatm hone lagi thi....

kuch hi waqt me mere aas paas bas kuch ho dota bache the par dheere dheere in sabki bhi raftar aur life khatm ho gayi....

ab sirf mai tezi se aage badh raha tha aur phir kuch der baad mujhe laal colour ki sperical chiz dikhi jisse mai takra gaya...

mera khud par filhal koi control nahi tha..

mai bas dekh paa raha tha ki us sperical chiz se takrane ke baad meri movement rooki zaroor par puri tarah nahi..

mai joki abhi ek dot ki tarah tha,usne us sperical chiz ko push kiya jiska natija ye nikla hi us sperical cheez se hote hue mai uske dusri taraf pahunch gaya jahan sirf laal hi laal dikh raha tha..

us laal jagah par aakar mai float karne laga tha...

meri samajh me toh kuch aa nahi raha tha par maine sab waqt par chhodna hi behtar samjha..

aur tabhi....

mujhe aisa laga jaise mai us ande ke andurni satah ke saath milkar ek ho raha hun...

abhi ye attachment hue kuch hi der hua tha ki tabhi mujhe laga jhatka..

reason....

maine khudme ek badlwaav feel kiya tha..achanak se hi mere aankh,kaan naak,mooh pair,aur ungliyan banane lagi thi...

abhi ye ho hi raha tha ki tabhi mujhe apni heart beat sunayi di aur saath hi mujhe aisa laga jaise mere naye naye fefde ban rahe hain jiski wajah se mai saans lene laga tha...

aur phir hui ek nayi cheez...ek aisi cheez jiski wajah se mujhe saara ganit clear hone laga..

aur woh nayi cheez thi mere brain ke banana aur jab aisa hua toh mere sochne samajhne ki shakti jaise achanak se hi wapas aa gayi aur aisa hote hi jo abhi tak ho raha tha,woh process meri samajh me bhi aa gaya aur mere naye bane dimag me us process ka naam bhi gunj utha..


FERTILIZATION....


mai is waqt kisike GARBH me tha aur sperm se bache banane ki vidhi mere saath ghat rahi thi jisse mai feel kar raha tha...

yahan ye baat mere dimag me clear hui aur wahan mera us garbh me ek purn bacche ke banane ka process chaalu tha...

mera sharir pura banane laga tha,aur phir meri swaans ki nali aur baaki organs bhi banane lage the...

chehra,kidney aur brain mera pura viksit ho chuka tha...

aur phir aaya woh waqt jab mera sir janm lene waali nali ki taraf ghum gaya..

aisa hone par mai samajh gaya ki janm ka waqt ho chuka hai par tabhi...

ek ejeeb chiz hui...

us kokh ke andar jahan mai tha,ek tez roshni faili jiske baad mai wahan se gayab hone laga..

aur thik ussi waqt jahan mai tha,wahan us kokh me meri hi jagah ek dusra baccha prakat hua par woh baccha mara hua tha...

wahin mai us garbh se gayab hokar jab bahar aaya toh mera sharir ek urja me badal gaya aur jiske baad us urja ke bhi chaar hisse ho gaye aur woh chaar hisse chaar alag alag PLANETS me jaakar rook gaye..

ye planets wahi the jahan se mai purn hua tha...

RENAISS,ANGIS,ANNJAYA aur ZEAL...

in short...RAAZ.....

aur jaise hi ye hua toh us UNEARTH THE IMMORTALS BOOK me ek baar phirse roshni hui jiske baad mai usse nikal kar bahar aa gaya...

par ab mai pure pasine se bheega hua tha... zindagi me pehli baar haath mere kaanp rahe the...

dimag mera uncertain tha,dil mera aise dhadak raha tha jaise mai milo doud kar aaya hun..

aur in sabke beech gunja mere dimag me woh sawal jo is situation me gunjna chahiye tha..


MAI-kya tha ye sab..!!!mai toh sirf ek urja hun..phir mai kisike GARBH me kaise pal sakta hun...???

abhi mere dimag me ye sawal gunja hi tha ki tabhi mere haath me pakde book ke ek page me chalchitra chalne laga..

ye chalchitra wahi vidhi thi jo maine abhi abhi dekhi thi.. sperm ka ande me jaana,phir us sperm aur ande ke milan se fertilization process shuru hona...

aur aisa hote hote jab woh baccha joki mai tha,us garbh me puri tarah ban gaya toh woh chalchitra us garbh se nikal bahar ki taraf jaane laga..

aisa hote waqt dusre page par kuch lines bhi banane lage the..

pasine se bheega mai is waqt un dono hi pages ko ek saath dekh raha tha..

ek page me is waqt do logon ke chehre the aur dusre page par mera un do logon ke saath connection jisse padh zindagi me pehli baar mere dono aankhon ke kinaaron se aansu nikalne lage aur apni bhari hui aankhon se mai un lines ko baar baar,lagatar padhta chala gaya jahan likha hua tha ki...



maana ki tu bhavnaon ke samandar me bhi kabhi NARM NAHI HUA...

aag me kitni hi tapish kyun naa ho,tu kabhi usme jalkar BHASM NAHI HUA....

par naa toh tu bhaavna hin urja hai, naahi koi anaath....

tu FLORIN aur MARIA ka woh PUTR hai, jiska kabhi JANM NAHI HUA.....















AAJ KE LIYE ITNA HI....















AAPKA APNA V...J.....
Wow bhai yeh kya tha sala sabar bada jhatka laga hain aisa lag raha hain indradev dev ne apana vajra chala diya ho waiting for new update
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,267
38,658
258
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF FIRST PHASE KHATM HO CHUKA HAI WAHIN DUSRI TARAF RAAZ NE SWORD HAASIL KAR LI HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-52



PLANET-CHOSENS


PLACE-PHASE 2





WELCOME MASTERS & MISTRESS....



ek saath teen logon ke mooh se ye greetings nikli thi...

reason....

MAHI, ALFREEN,MABEL aur unke PARENTS is waqt CHOSENS ke PHASE 2 gate ke gallery me khade the...

first PHASE khatm hue aaj ek hafta ho chuka tha aur aaj wo din tha jab pichle saal ke FIRST PHASE ke SAVENTS aur unke parents ko second PHASE me shift hona tha aur issi liye wo sab yahan pahunche hue the....

luggage transference ka tention toh tha nahi kyunki pichle saal aaye wo sabhi without luggage hi the aur unki saari zarooraton aur luxury ka saaman unhe wahin unke ABODES me available kara diya gaya tha aur is saal kyunki ye teeno SAVENTS STELLARS the, isiliye is baar bhi unke saath kuch aisa hi hone waala tha,infact pichle PHASE se bhi behtar stay hone waali thi un sab ki is PHASE me...

khair,jin teen logon ne in sab ko greet kiya tha,unhe ye sab halke shock me dekh rahe the aur iski wajah thi un teeno ka appearence...

lagbhag 4 feet lambe the wo teeno..

chehra halka patla,naak andar dabi hui, aankhen kaafi badi aur honth utne hi patle..lambi gardan aur sabse weird tha un teeno ka face complexion jo ki halka halka hara tha..

filhal wo teeno hi smile paas kar rahe the jisse unke daanth dikh rahe the jo ki behad sharp lag rahe the.....

dekh kar bataya nahi jaa sakta tha ki ye teeno male catagory me aate the yaa fir female....

body teeno ki ekdum same thi..naa moti naa thin...aur us body par ek purple lambi si dress thi jo unke shoulders se lekar niche pairon tak jaati thi..

dekh kar lag raha tha jaise ki ye unka uniform tha....

aisa kuch unsab ne pehle kabhi nahi dekha tha toh aise me hairani toh banti hi thi..

khair,un sab ka khudko yun ghurte hue pakar bhi un teeno ki smile gayab nahi hui infact kuch der rook kar un teeno ne ek baar firse sabhi ko greet kiya jisse sun....

FLORIN-hello....aap log kaun hain.???

ALFREEN-arre pops ye pucho ki aap log kya hain...???


ALFREEN ki baat sun MARIA ne usse aankh dikhayi maano keh rahi ho ki aise nahi bolte par tabhi...


UNKNOWN-hum ELUSORIES hain aur aap teeno families ke SLAVES....

MAHI-ELUSORIES...!!!matlab MAYAVI JEEV.....

ELUSORY-jee..hum pichle 25 thousand saal se PHASE 2 ke STELLAR group ke families ki dekhbhaal kar rahe hain...


smile ke saath ek ELUSORY ne apni baat kahi jisse sun sabhi hairan ho gaye....

FLORIN-25 thousand saal se...!!!

ELUSORY-jee....

MAHI-arre ye mayavi jeev hain.. isiliye they dont age...

ELUSORY-kya aap log apne apne ABODES me chalne ke liye ready hain....

SAB-yaa....


sabke sehmati milte hi teeno ELUSORIES ne apne apne haath aage kiye aur unke aisa karte hi us gallery me ek ke baad ek line se teen transparent plastic ki bani lambi vehicles prakat hui....

in vehicles me chakke nahi the aur ye zamin se kuch inch hawa me rooke hue the...

4 seaters ki jagah liye dikhne me bhi kaafi khubsoorat the ye vehicles....


1st ELUSORY-inhe yahan CHARIOTS kehte hain...ye aapki transportation hai....aayiye,baithiye....

waise mai MISS MAHI ki SLAVE hun aur ye left corner ki CHARIOT aapki hai..

2nd ELUSORY-mai MISS ALFREEN and family ki SLAVE hun aur ye beech waali CHARIOT aapki hai...

3rd ELUSORY-mai miss MABEL aur unke parents MR & MRS FELLAR ki SLAVE hun aur ye right corner ki CHARIOT aapki hai...


MR & MRS FELLAR.....alag alag bolun toh MR FELLAR aur unki patni MRS GRACE jo ki MABEL ke parents the....

ye family thi ENERWET naam ke planet se aur ye bhi wahan ki royal families me se ek thi...

FLORIN aur MARIA se inki mulakat SWEEP-STAKE competition ke waqt ho chuki thi...

intro abhi isiliye hua kyunki inka role ab hoga...


khair, ELUSORIES ke batane ke mutabik sabhi apne apne CHARIOTS me baith gaye aur aisa hote hi wo teeno CHARIOTS ek normal speed me aage badh gaye...

CHARIOTS ke aage badhte hi teeno ELUSORIES bhi un CHARIOTS ki hi tarah halke hawa me uthe hue unke piche ho liye the....

jaisa ki scene ke start me bataya gaya tha ki filhal wo sabhi ek gallery me the....

ye ek 20 feet chowdi gallery thi jo ki kareeb 100 metres tak lambi thi..

ye tha wo raasta jo PHASE 2 se connect hota tha...maamuli speed se badhte hue teeno CHARIOTS kuch hi der me us gallery ko cross kar gaye aur jab aisa hua toh..


AMAZING....


ye shabd sabhi ke mooh se ek saath nikla tha..

reason...


sabhi PHASE 2 ki duniya ke andar jo aa gaye the jiska nazara wakayi amazing tha...

jahan kuch waqt pehle gallery me sirf wo sab hi the wahin ab jahan wo the wahan unhe door door tak kaafi saare log dikh rahe the....

saath hi jaisa ki WHIZZ ne bataya tha,ye puri jagah apne aap me hi ek shahar ki tarah thi...

dheere dheere aage badhti hui sabhi ki chariots se jhaankte hue sab dekh rahe the,bohot hi khubsoorat aur different varieties ki buildings, BRIGHT ASPHALT jaisi lagne waali material se bani hui road jo kisi chamakdar marble floor se kam nahi lag rahi thi...

un buildings ke upar uski pehchaan bhi likhi hui thi jisse dekh sabhi hairan bhi the aur khush bhi..


FASHIONABLE PUBS, PREMIUM AIR ROOFTOP BAR,COOL HAPPENING CLUBS AND DISCOS, BANQUET HALLS,MALLS,FOOD COURTS,HOTELS JINHE 5 ya fir 7 STAR kehna unki bezzaiti hogi,in sabse aur inke saath aur bhi behatarin jagahon se bhara hua tha PHASE 2.....

ALFREEN, MABEL ki family aur MAHI dekh rahe the ki unke jaisi hi vehicle ya fir ye kahen ki chariot jaisi hi aur bhi kayi gaadiyan jinki ginti saikdon me thi,us pure area me ghoom rahi thi...


ALFREEN-jab WHIZZ ne PHASE 2 aur uske look,design ke baare me bataya tha tab bhi maine is jagah ko aise imagine nahi kiya tha...

this place looks crazy man....

FLORIN-haan wo toh hai par mujhe ye samajh me nahi aa raha hai ki achanak itne saare log kaise aa gaye...

i mean PHASE one me toh kuch 22 SAVENTS ke aaspaas ki strength thi,aur mujhe lagta hai ki tumse pehle waali batch ki bhi strength tumse bohot zyada nahi hogi toh fir itne saare log kahan se aa gaye...???


jis vehicle me ye sab baithe the,wo transparent toh thi hi par saath hi uske chalne se awaaz bhi behad kam hi aa rahi thi aur isiliye FLORIN ki baat baaki dono vehicles me baithe MABEL,uske parents aur MAHI ne bhi suni jinke man bhi same sawal chal raha tha aur tabhi...


ELUSORY 1-logon ki taadad isiliye zyada hai kyunki is jagah par sirf current SAVENTS aur unke parents nahi rehte balki pichle kayi batches me padhe hue SAVENTS ke parents rehte hain...

ELUSORY 2-aur wo purane SAVENTS jinhe un groups me nahi chuna gaya jo PHASE 3 ke baad activate hota hai,wo bhi yahin rehte hain...

ELUSORY 3-PHASE 3 me aise kayi SAVENTS hote hain jinki performance up to tha mark nahi hoti...aise me agar wo SAVENT chahe toh wo PHASE repeat kar sakta hai..

itna hi nahi,agar ek PHASE 2 ya 3 ka SAVENT chahe toh apne base ko jo ki PHASE 2 me hi hota hai,usse aur strong karne ke liye wo
dobara PHASE 2 me padh sakta hai...

aur wo bhi jitni baar chaahe,ye procedure wo repeat kar sakta hai...

ye jitne bhi malls,clubs,pubs aur baaki ki royal places aap dekh rahe hain,ye unki hai jinhone kabhi apne PHASE me acha perform kiya tha....

is nayi baat ya fir ye kahun ki is naye khulase ko sunkar sabhi bohot hairan hue...

aur yunhi saari jagahon ko check out karte karte sabhi ek poshe colony ek andar daakhil hue jiske entrace me laga gate automatic tha jo ki teeno ELUSORY ko sense karte hi khul gaya tha aur aisa hote hi teeno CHARIOTS us gate se hote hue andar daakhil hue aur jab aisa hua toh...

WOW.....

sabhi ke mooh se ye shabd ek saath nikla...

reason.....

view hi kuch aisa tha...

do hisso me bata hua tha us colony ka road jiske beech ek MAGICAL FOUNTAIN beh rahi thi....

is fountain ka paani sirf upar ki taraf hi nahi ucchal raha tha balki ek moti si parat banaye hue us paani ne ek water divider ka shape liya hua tha jo bina kisi daayre ke baawjud apni seema me lagatar flow kar rahi thi...

itna hi nahi,wo pura colony behatarin bunglows se ghira hua tha jinka daayra bhi kaafi bada tha....

ek se ek rang birange show plants jinki hieght kisi bade se ped jitni thi,wo us pure area me lagi hui thi..

apne apne CHARIOTS me aage badhte hue hamare kahani ke kirdar dekh rahe the ek circle ke roop me bada sa garden jisme alag alag activities karne ke liye equipments bhi lage hue the...

inhe saari chizon wo sab check out kar hi rahe the ki tabhi un sabki CHARIOTS ek jagah par aakar rook gayi jiske baad....


ELUSORY 1- we have reached aur destination....agle do saalon ke liye aap sabke ABODES ye rahenge...

apne saamne aur baaki sabke right me point karte hue us ELUSORY ne ye baat kahi jisse sun jab sabhi point kiye hue jagah ki taraf mude toh ek baar firse happily surprised ho gaye....

reason...

unke saamne ek ke baad ek teen bunglows the....

har bunglow ka daayra lagbhag 1 acre ka tha....

in bunglows ki bhi gate entry automatic thi....

ek triplex buglow jisme 12 rooms 3 halls,ek party lounge,50 cars storage jitna bada garage, swimming pools jisme se ek outdoor tha aur dusra bana tha bunglow ke andar second floor par jo ki indoor heated swimming pool tha....

aur bhi bohot kuch tha un bunglows me jo ki ab in sabke agle do PHASE ka thikana hone waala tha...

ek dusre se ek baar mil sabhi apne apne CHARIOT me baith chal pade apne naye ashiyane ke andar is baat se anjaan ki jis PHASE aur jis nayi zindagi ko dekh wo sab excited ho rahe the,wo zindagi bohot kuch badalne waali thi...





PLANET-ZEAL


PLACE-CAVERN




FLASHBACK:-(WHY RAAZ???)



YE MAI KAHAN AA GAYA...!!!!AUR THODI DER PEHLE KYA HUA THA MERE SAATH...????

MAI TOH US GUFA ME THA AUR US ROSHNI KI TARAF HAATH BADHAYA THA MAINE JISPAR MERE HAATHON PAR KISI CHIZ KA SPARSH HUA THA...(SWORD)

AUR FIR ACHANAK MERE DIMAG ME EK SAATH HI DO DO CHALCHITRA CHALNE LAGE THE....

EK TOH MERI HI ZINDAGI KE PAL THE PAR WO DUSRA CHACHITRA KYA THA...!!!!

AUR USSE DEKHTE WAQT MUJHE AISA KYUN LAGA JAISE MAI US DRISHYA SE JUDA HUA HUN....!!!!

AUR AB ACHANAK YE ANDHERI JAGAH....YE KAHAN SE AA GAYI....!!YE HO KYA RAHA HAI MERE SAATH...!!!!


apne aap me budbudata hua VIKRAM us ghane andhere me chaaron taraf apni nazaren ghuma raha tha par us kaale syah andhere me toh usse khud ka haath tak nahi dikh raha tha toh aisa me kuch aur dekh paana naamukin hi tha....

khair,jab kuch samajh me hi nahi aaya toh VIKRAM ne andhere me hi apne pair aage badhane ke baare me socha aur is soch ko liye usne apna ek pair aage badhaya hi tha ki tabhi....

VIKRAM ke just samne ek roshni ne janm liya aur dekhte hi dekhte us roshni ki prachandta itni badh gayi ki wo pura area chamak utha...

roshni ke yun achanak tez hone se kuch palo ke liye VIKRAM ki aankhen band ho gayi par jab uski aankhen khuli toh wo hairan ho gaya...

reason....

uske thik saamne ek bohot hi khubsurat SWORD zamin par dhasi hui thi aur ussi sword se ye roshni nikal rahi thi jisse pura drishya dikhne laga tha...

kuch palon ta SWORD ko dekhte rehne ke baad VIKRAM ki nazar sab taraf ghumi aur tab usne dekha ki wo ek bade se maidan jaisi jagah par hai jiska koi anth tak nahi dikh raha tha....

wo ye sab dekh hi raha tha ki tabhi....


SWAGAT HAI VIKRAM...PAR KEHNA PADEGA,TUMHARE RAICHAITAON NE BOHOT INTAZAR KARWAYA MUJHE....


ek awaaz gunji VIKRAM ke kaano me jo uske saamne se aayi thi jispar jab uski nazar saamne gayi toh usne dekha ki wahan ek aakruti banane lagi thi aur dekhte hi dekhte us aakruti ne ek shadow form le liya tha jisse dekh...


VIKRAM-tum????aakhir ho kaun tum..abhi kuch der pehle mere mastishk me tumhari koi kahani ghum rahi thi...

maine tumhe pehle kabhi nahi dekha hai,par pata nahi kyun,tumhe dekhte hi mujhe krodh aa raha hai..

aisa lag raha hai jaise tum mere shatru ho....!!!!!

UNKNOWN-VIDEOUS...VIDEOUS kehte hain mujhe...aur mai tumhara shatru hun nahi,par haan agar tum us laayak hue,toh ban zaroor jaaunga...

VIKRAM-mai samjh nahi....

VIDEOUS-sab samajh jaaoge par sab samajhne ke liye pehle tumhe apni kaabiliyat dikhani hogi...

ye jo SWORD tumhare saamne gadi hui hai,tumhe isse uthana hai aur fir iske zariye jo dikhaya jaaye, wo kaam karna hai..

agar tumne kar diya,toh tumhe mere baare me,apne baare me,sab kuch pata chal jaayega..


VIDEOUS ki baat sun VIKRAM ne thodi der tak socha aur fir...

VIKRAM-mai taiyar hun...


ye bol usne haath aage badhaya aur apne saamne gade SWORD ko utha liya...

uske aisa karte hi SWORD me halki vibrations hui jisse VIKRAM bhi halka tharthara gaya....


VIDEOUS-bohot ache...apne daayen dekho...


VIDEOUS ki baat sun jab VIKRAM ne apni gardan apne daayen taraf ghumayi toh usse ek baar fir jhatka laga...

reason....

is waqt uske saamne uske pitah,maata,wo bhai jisse usne kuch der pehle hi maara tha,wo aur saath hi wo ladki baithi hui thi jiski kuch der pehle uske bhai ne badsuluki kar hatya kar di thi...

VIKRAM bade aascharya se un sabko dekh hi raha tha ki tabhi...


VIDEOUS-toh tumhe karna ye hai ki jo talwar tumne pakdi hai,usse tumhe in sabko maar dena hai...

VIKRAM-kya!!!!ye sambhav nahi hai....!!!mai aisa kabhi nahi karunga...


ye bol VIKRAM ne talwar phenkne ki koshish ki par ye kya,talwar uske hathon me jaise chipak si gayi thi....


VIDEOUS-tum piche nahi hath sakte..jis waqt tumne gufa me kadam rakha,tum is pariksha ko dene ke liye baadhya ho chuke the...

waise mai tumhe bata dun ki ye log asli nahi ha,mayavi hain...aur jo karne ko kaha gaya hai,wo tumhari pariksha hai..

tumhari yogyata ki pratiksha...inhe maaro aur mera aur apna sach jaan lo...

ek baat aur hai....

pehli...bhale hi ye log mayavi hain,nakli hain par inhe maarte waqt tumhari bhaavnaaye asli honi chahiye..

tumhe apne man se inpar waar karna hai... kyunki agar aisa nahi hua toh tum is pariksha me viphal ho jaaoge aur agar aisa hua toh tumhe marna padega aur tumhare saath maregi tunhari ye duniya...


VIDEOUS ki baat sun VIKRAM bohot chownka..

man se waar karna wo bhi apne parivaar par aur saath hi us ladki par jisse usse prem tha,uske liye asambhav tha aur agar wo ye nahi karega toh uske saath saath uski puri duniya khatm ho jaane waali thi......

wo gehre asamanjas ki sthithi me fasa ye sab soch hi raha tha ki....


VIDEOUS-itna bhi mushkil nahi hai jitna tum soch rahe ho...tumhe bas kuch palon ke liye ek nakatarmak charitra ki chaadar ko odhna hai..bas..

waise bhi,tumhare ghar walon ne sabke saath galat hi kiya hai,toh un galtiyon aur gunahon ko yaad tum apne krodh ko hawa de sakte ho..

aur rahi baat is ladki ki, toh bas kuch shan ke liye uske prati nakaratmak hona kaun si badi baat hai...

VIDEOUS ki baat sun VIKRAM ne kuch pal socha...waise bhi uske paas aur koi option toh tha nahi aur isiliye usne apni aakhen band kar apne dimag aur dil ko apne parivaar aur us ladki ke prati nakaratmak karna shuru kiya...

VIKRAM ki iccha shakti gazab ki thi...wo kisi bhi paristhithi me khud ko dhaalna bohot achi tarah se jaanta tha aur isiliye is pariskha ke zaroorat me aane waali sthithi me bhi wo kuch hi palon me dhal gaya aur isiliye....

nakaratmakta se paripurn VIKRAM ne apni aankhen kholi aur


SOOBH....

line me sabse pehle VIKRAM ke pitah the...

unke hi gardan par VIKRAM ne talwar chalayi par talwar ki dhaar itni zyada thi ki wo ek ke baad ek wahan baithe sabhi logon ki gardan ko makhan ki tarah kaatthe hue nikal gayi...

aur aisa hoti hi...

VIKRAM ke SWORD me tez vibrations hone lage..sirf SWORD me hi nahi balki,jahan wo khada tha,wahan aur saath saath pura ZEAL PLANET hilne laga jisse dekh...


VIKRAM-ye kya ho raha hai...???

VIDEOUS-murkh...waar karne se pehle tune apne dimag ko aur hriday ko toh mana liya par teri aatma ka kya...???

wo toh apni hi karegi naa...uspar tera zor nahi..uski soch aur uska faisla ghatnaon ke hisaab se nahi badalta...

tera faisla aur teri SOUL ka faisla alag nikla aur isiliye tu ye chunouti haar gaya ya fir ye kahun ki...


VIDEOUS ne upar aasman ki taraf dekha aur.....

VIDEOUS-aap dono apni pehli kohish me haar gaye aur mai jeet gaya....

VIDEOUS ke itna kehte hi SWORD se ek ray nikli aur sidhe VIKRAM par padi jiske baad VIKRAM ek pal me hi jal kar raakh ho gaya wahin ZEAL ki vibrations bhi ab bohot tez ho gaye the jiske baad dekhte hi dekhte pura PLANET us quake me dab kar khatm ho gaya....

bacha sirf CAVERN aur us CAVERN ke andar moujud SWORD ki AURA jo ab us pure dead PLANET me fail chuka tha....

wahin kuch der pehle jab VIKRAM jal kar raakh hua toh uski raakh se ek jyoti nikal upar aasman me uththi chali gayi aur pahunchi...




PLACE-HEAVEN



YE SAB KYA THA...???KAISE HO GAYA YE....!!!!AAP DONO KA ANSH ITNI ASAANI SE HAAR GAYA...

HAARA TOH HAARA,APNE SAATH SAATH USNE USKE PURE PLANET KO BHI KHATM KAR DIYA....

AUR AAP DONO,BAS CHUPCHAAP YE TABAHI DEKHTE RAHE....


VIKRAM aur ZEAL ke saath jo hua,usse hazam nahi kar paa rahe the AVANTIKA aur ALESENDRA...

aur hazam karna asaan tha bhi nahi...ye dusri baar tha jab VIDEOUS unke husbands se jeeta tha...

aur is jeet ne najaane kitne begunaahon ki jaan le li thi..

aur isiliye hi ek ke baad ek kayi sawal puch daale AVANTIKA ne VIKRAM aur ASMODEUS se jo bas chupchaap ek jagah par baithe hue the aur tabhi....

ZEAL ke VIKRAM ki jyot heaven me pravesh kar gayi aur aage badhte hue us jyot ka ek bhaag VIKRAM me aur dusra ASMODEUS ke andar chala gaya..

par ab bhi VIKRAM aur ASMODEUS chup hi the jisse dekh...


AVANTIKA-aapse kuch pucha hai humne...???

VIKRAM-jo hua,usme naa toh hamara ansh kuch kar sakta tha aur naahi hum dono....

kyunki VIDEOUS ne jo kuch bhi kiya,wo SWORD ke zariye kiya jisse mai tab tak samajh nahi sakta tha jab tak VIKRAM us SWORD ka sparsh naa karle...

par jab VIKRAM ne us SWORD ka sparsh kiya toh us waqt SWORD se ek barrier nikal pure ZEAL planet me fail gayi jisse agar mai bhed bhi leta toh bhi pura Planet khatm ho jaata....


VIKRAM ki baat wahan moujud sabhi sun rahe the..

sabhi ka matlab hai ALESENDRA aur AVANTIKA toh the hi par saath hi RONIT, ANJALI, DEFENDER, BEELZEBUB, AKSHAANT, SHAILA, MOKALSAR wahan moujud the...

aur jaise hi VIKRAM ne apni baat puri ki toh...


RONIT-mujhe ek baat samajh me nahi aa rahi ki VIDEOUS ki us ajeeb si chunouti ka matlab kya tha...???

waisi chunouti dekar aakhir wo saabit kya karna chahta hai....???

ASMODEUS-wo hume ek messege dena chahta tha aur usne wo de diya..

SAB-messege...!!! kaisa messege....????

VIKRAM-yahi ki jo hum dono bhaiyon ki shakti hai,jo hamara kartavya hai,ya fir sahi shabd ko chunu toh jo hum dono ka ATTITUDE hai,uski wajah se is baar ki hi tarah hum hamesha haarenge....


VIKRAM ki baat sun sabhi behad hairan hue...unhe uski baat samajh me toh nahi aayi par itna andaza ho
unhe ho chuka tha ki baat bohot gehri hai...


ANJALI-hum samjhe nahi V.J...!!!

VIKRAM- itne varshon tak VIDEOUS ne SWORD se bas apni urja hi nahi nikali thi,balki SWORD ke jis bhaag par uski URJA ghussi thi,us bhaag me usne ek alag hi magic use kiya aur ussi magic ke asar ki wajah jo VIKRAM maara gaya...

BEELZEBUB-alag MAGIC...???wo kya Lord...???

VIKRAM-VIPRAYI NAMYATE....


ye ek bohot hi taakatwar spell hai jisse har koi istemal nahi kar sakta..aur agar kar bhi le toh bhi isse puri tarah use me nahi laaya ja sakta aur isiliye hi is SPELL ke baare me kisi SPELL BOOK me likha nahi gaya...

ALESENDRA-par is SPELL me hota kya hai...???aur isme aisa kya hai jiski wajah se iske baare me likha nahi gaya hai....

ASMODEUS-ye SPELL ATTITUDE aur CHARACTER ko change karne ke liye use me laaya jaata hai..

ATTITUDE aur CHARACTER..do aise bhaav jo har kisi ke maansik jasbaaton se jude hote hain..

ek tarah se ye dono hi bhaav kisi bhi vyakti ki aatma se SOUL se mile hue hote hain...

par is SPELL se in dono bhaavon me parivartan laaya jaa sakta hai..

par kyunki ye dono bhaavna SOUL se judi hoti hai,wo SOUL jo immortal hota hai, isiliye usse twist karna,ghumana,alter karna lagbhag naamumkin hota hai...

ye kaam tyag mangta hai..khudka tyag...saath hi isse istemal karne waala bohot zyada shaktishaali hona chahiye..

agar koi shaktishaali shaksh is spell ko kisi aur par istamal karna chahta ho toh usse apne SOUL ki kurbaani deni padti hai...

issi tyag se ye spell activate hota hai.. isiliye hi is SPELL ke use ko varjit kar diya gaya tha..

VIKRAM-par VIDEOUS ke liye is SPELL ko use me laana aur is naamukin kaam ko anjaam dena aur wo bhi bina kurbaani diye, bohot asaan ho gaya tha...

aur wo isiliye kyunki SWORD ke uske andar ghusse rehne ki wajah se uska SOUL aur uski zindagi uski hokar bhi uski nahi thi balki SWORD ki thi..

aur ye situation uske liye us spell ko use me laane ke liye best thi..

RONIT-acha.... isiliye usne us din us SWORD ko nikalne se mana kar diya tha..taaki wo apne aage ka kaam kar sake...

VIKRAM-hmm.... kyunki us SWORD ne VIDEOUS ko pehle hi haani pahuncha di thi isiliye wo SWORD uska kabhi nahi ho sakta tha...

usse ye bhi maalum tha ki bhavishya me bhale hi wo kitna hi taakatwar yun naa ban jaaye par tab bhi agar koi usse haani pahuncha sakta hai toh wo wahi SWORD haj jiska der sawer koi naa koi naya dhaarak toh banega hi..

usse ye bhi pata tha ki wo dhaarak hum dono bhaaiyon ka hi ansh hoga jisme sirf humari shaktiyon hi nahi hongi balki hamare gun bhi honge aur yahin wo khel khel gaya..

usne SWORD me aise alterations kare jisse humare jaisa koi bhi uska dhaarak banane ke laayak rahe hi nahi...

aur isiliye hi VIKRAM bach nahi paaya....

ALESENDRA-ye VIDEOUS ki soch toh wakayi aap dono ke jaisi hi hai...kitne aage ki planning kar rakhi thi isne...

ASMODEUS-thi nahi hai...isne aage ke liye bhi naa sirf yojna bana rakhi hai balki usne us yojna par kaam bhi kar liya hai...

AVANTIKA-ab aur kya kar diya hai usne...????

ASMODEUS-ye toh aap sabko pata hai ki har living PLANET ek dusre se ek invisible branch ke sahare jude hue hote hain..

aur is judaw ka mukhya kendra EARTH hai...

(first part me iske baare me bataya gaya hai...)

VIDEOUS ne apne urja ko ussi invisible branch ke saath milkar khudko is BRAMHAAND ke jar living planet ke root ke saath,uske zamin ke saath jod liya hai...

taaki jab kabhi bhi bhavishya me uska koi pratidwandi janm le toh wo uske baare me naa sirf pehle se jaan sake balki usne paida hote hi wo usse maar de...


(yahi tha wo reason jiski wajah se RAAZ ke janm ke waqt uski body tab tak hawa me hi rahi jab tak uski saari urja,uski shakti usse alag nahi ho gayi..aur isiliye hi WOOGER ne RAAZ ke CONSCIOUS brain ko uske CHOSENS ki dharti par pair rakhne se pehle hi wahan ke environment me faila diya tha kyunki VIDEOUS ki khaas nazar CHOSENS ke har SAVENT aur unki gatividhiyon par hamesha hi rahi hai)


aadhi baat toh sab samajh gaye the par thodi aur sabse important baat jo ki is kahani ka future decide karne waali thi,wo bachi thi aur ussike baare me janane ke liye...


ALESENDRA-par us SWORD ko toh sirf aap dono ka hi ansh utha sakta hai....???fir aise me aage kya hoga..??

kya VIDEOUS kabhi khatm nahi hoga...????


ALESENDRA ki baat sun VIKRAM aur ASMODEUS ne ek dusre ko dekha aur muskura diye aur jaise hi ye muskurahat un dono ke chehron par aayi,wahan khade sabhike aankhen badi ho gayi...

reason...

kyunki sabhi jaante the ki wo smile jo us waqt un dono bhaiyon ke chehron par thi,wo smile aage hone waali puri kahani ki roop rekha thi...

aur isiliye...


ASMODEUS-aapne hamari baat dhyan se nahi suni....humne kaha ki us spell ke prabhav se hamare jaisa koi uska dhaarak nahi ban sakta...

par ye zaroori toh nahi ki hamara ansh hamare jaisa hi ho...!!!

SAB-matlab...???

VIKRAM-HERO....ek aisa shabd jisse jude bande ke dil me manushya jaati aur baaki living beings ke liye hamdardi hoti hai...

pyar hota hai....bhaavnaayen hoti hain..jo sahi ke saath sahi aur galat ke saath galat karne ki jurrat aur taakat rakhta hai..

in short,hum dono bhaiyon ka pratibimbh....

samajhne waali baat ye hai ki har kahani me ek HERO hota hai ya fir ek ANTI HERO jo us kahani ko uske anjaam tak le jaata hai...

par ye kahani alag hai.. bohot alag..kyunki is kahani me "HERO" ya "ANTI HERO".....

in do shabdon ki koi jagah hi nahi hai...

is kahani ko kisi aise ki zaroorat hai jiske liye uske lakshya se zyada aur kuch bhi important naa ho...

bhale hi us lakshya ko haasil karne ke liye usse maasumo aur begunaahon ki bali hi kyun naa deni pade,usse us baat se koi fark naa pade..

rehemdili,pyar jaise shabdon aur inke bhaavon se usse koi matlab naa ho...

bhale hi wo chalaki ke maamle me VIDEOUS jitna hi shaatir ho,par matlabparasti aur kaminepan me wo VIDEOUS ka bhi baap ho....


aur isiliye aisa pehli baar hoga jab kisi kahani ko uske ANJAAM tak pahunchane waala banda koi HERO nahi hoga,wo hoga....


EK VILLAIN......
(RAAZ)









AAJ KE LIYE ITNA HI.....








AAPKA APNA V...J.....
Awesome update bro
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,267
38,658
258
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MAHI, MABEL, ALFREEN AUR UNKE PARENTS PHASE 2 KE APNE NAYE GHAR NE ENTER KARTE HAIN WAHIN DUSRI TARAF VIKRAM AUR ASMODEUS HEAVEN ME SABKO VIDEOUS KI PLANNING KE BAARE ME BATATE HAIN.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)





UPDATE-53



PLACE-HEAVEN





TOH AAKHIR WO WAQT AA HI GAYA JAB IS KAHANI KE VILLAIN KE BANAYE KHEL ME AAP DONO KA BANAYA VILLAIN UTARNE WAALA HAI....


muskurate hue AVANTIKA ne ye baat kahi jisse sun VIKRAM aur ASMODEUS ke chehre par bhi muskaan aa gayi....


VIKRAM-is khel me RAAZ utar toh bohot pehle hi gaya tha par haan,uske khelne ki baari ab aayi hai...

ASMODEUS-waise hamare waale villain ko villain banane ka pura shray mujhe jaata hai...

kyunki ye janab us WAQT darshak hi the....


VIKRAM ko dekhte hue ASMODEUS ne ye baat kahi jispar...


VIKRAM-bilkul BHAI...jo bhi ho paaya hai,ye aapki wajah se hi ho paaya hai....

us kriya ko karte waqt aapne apni immortality daav par lagayi thi...aise me mai koi shray le bhi kaise sakta hun...!!!!????


VIKRAM ne ASMODEUS ki baat par puri tarah sehmati dikhayi jispar...


ASMODEUS-yaar kabhi toh aisa vyavahar dikha jaise ek PARMESHWAR PUTR ko dikhana chahiye....

mujhse bhi bohot upar hai tu mere BHAI...teri pratispraddha,tera COMPETITION kisi se ho hi nahi sakta bhai aur iska ek jeevant udaharan wahi kriya hai jisse hum apni yojna ko anjaam de paaye hain...

log apni galtiyon se sikhte hain,par tu dusron tak ki jeet ko unke zariye apni jeet me badalne ki nazar aur hunar rakhta hai...

maana maine apni immortality daaw par lagayi thi,par tune naa sirf us daaw ka kaaran dhund nikala tha balki meri immorality par koi aanch naa aaye,iske liye bhi tu ready tha....

aur mujhe maalum hai ki humne jaisa socha tha,agar us planning me halki si aur gadbad hui hoti toh tu mujhe bachane ke liye khudko daaw par laga deta...

par sabse mahatvpurn baat...tu ye kaise bhul jaata ki hum dono jude hue hain...

teri har soch se mai bhali bhaati parichit rehta hun..aur mujhe maalum hai ki tune meri badhayi isiliye ki taaki mai khudse tujhe sarvshresta maanu....haina..!!???


ASMODEUS ki baat par VIKRAM ke saath saath AVANTIKA aur ALESENDRA bhi has pade par fir...


ALESENDRA-atahas bohot hua...ab aap dono ke us kaam ka waqt ho gaya hai jisse KAHANI ke agle padaw ka raasta banega...

ASMODEUS-acha..!!!kya hum jaan sakte hain ki aap kis kaam ko baat kar rahi hain...???

AVANTIKA-aapke mitra aur CHOSENS ke teeno SOVEREIGN'S ko unki neend se jagane ka aur FORBIDDEN FOREST ke SHIELD ki wajah se unki bhuli yuhi yaadasht unhe wapas dene ka kaam....

VIKRAM-wakayi waqt ke saath aap dono kaafi akalmand ho gayi hain...


VIKRAM ki baat par wo dono bas muskura di jiske baad....

VIKRAM ne apna right hand aage kiya aur uske aisa karte hi teeno SOVEREIGN'S ki behosh body hawa me prakat hui aur wahin rook gayi.....

aisa hone ke baad VIKRAM ke left hand se teen CHETNA URJA nikal aage badhe aur AKSHAANT, SHAILA aur MOKALSAR ke sir me sama gaye jiske kuch pal baad teeno ki hi aankhen dheere dheere khul gayi aur jab aisa hua toh unki body sidhi hoti hui zamin par aa gayi...

kaafi samay ke baad teeno SOVEREIGN'S ek mout jaisi neend se jaage the jiski wajah se unhe normal hone me kuch waqt laga par jab wo normal hue toh apne saamne LORD OF ANGELS aur CREATURE OF JUDGEMENT ko dekh turant apne ghutno par aa gaye....

ghutno par aate hi unke dimag me wo saare drishya ghum gaye jiski wajah se wo teeno behosh hue the aur wo sab yaad kar unke man me ek baar fir RAAZ ko lekar jigyasa ne janm liya par wo teeno chup hi rahe...


VIKRAM-khade ho jaaiye....


VIKRAM ke aisa bolte hi teeno khade ho gaye jiske baad...


VIKRAM-kuch sawal chal rahe hain ap teeno ke man me...!!!!puchna nahi chahenge unhe...!!!

AKSHAANT-LORD...aapse kya chuppa hua hai...???aapko toh sab pata hai....


waise toh AKSHAANT ya fir baaki ke dono VIKRAM ko normally naam se hi bulate the par jab bhi ASMODEUS saamne hota tha,tab ye teeno VIKRAM ko bhi as a friend nahi balki uske ohde ke hisaab se hi baat karte the...


SHAILA-kya aaj aap hume RAAZ ke baare me batayenge....??

VIKRAM-nahi....


VIKRAM ki naa sun teeno man hi man nirash ho gaye par tabhi...


VIKRAM-ab hume tum teeno ko kuch bhi batane ki zaroorat nahi hai...kyunki apni jis shakti ke bhaag ko aur ussi tyag ke saath apni yaadasht ke jis bhaag ko dekar tum teeno ne FORBIDDEN FOREST ke kawach ko banaya tha,ab tumhari wo shakti tumhe wapas milne waali hai....

aur jab aisa hoga,tab tum teeno ko sirf RAAZ ke baare me hi nahi,balki puri kahani hi yaad aa jaayegi...


VIKRAM ki baat sun teeno SOVEREIGN'S hairan ho gaye.. kyunki bhale hi unhe apni Shakti ke sabse bade bhaag ke tyag ki wajah se hi jo kuch bhi ho raha hai,uski jaankari nahi thi par unhe ye zaroor bata diya gaya tha ki kisi bohot hi mahatvpurn CHEEZ ki raksha ke liye hi unki shakti roopi kawach ki rachna hui thi aur ab jab VIKRAM keh raha hai ki unki wo shakti unhe wapas milne waali hai toh iska matlab tha ki wo khaas CHEEZ ab beparda ho sakti hai....

(writers note:-toh baat ye hai ki jab AKSHAANT, SHAILA aur MOKALSAR CHOSENS ke SOVEREIGN'S bane tab VIKRAM aur ASMODEUS ne unki shakti ko ek shield ne badla aur FORBIDDEN FOREST ke saamne lagaya par iske saath un dono ne in teeno ki yaadasht bhi le li aur wo isiliye kyunki agar wo aisa nahi karte toh RAAZ ko banane ki planning VIDEOUS ko pata chal jaati,saath hi FORBIDDEN FOREST me SHIELD lagte waqt ek aur chiz hui thi,uske baare me bhi usse pata chal jaata par ab jab RAAZ saamne aa chuka hai toh aise me SHIELD shakti ke through yaadasht ko lautane me koi harz nahi hai)



SOVEREIGN'S ki soch ko VIKRAM aur ASMODEUS dono hi samajh rahe the aur isiliye....


ASMODEUS-zyada mat socho.. jaise hi tum teeno ko tumhari shakti wapas milegi tab tumhe apne aap hi tumhare sawalon ke jawab mil jaayenge....


jaise hi ASMODEUS ki baat khatm hui,VIKRAM ne apna haath aage kiya jiske baad uske haathon se ek saath teen rays nikli...

ye teen rays FORBIDDEN FOREST ki wahi kawach thi jo RAAZ ke BARRIER lagane se pehle pichle 25 thousand years se us FOREST ka kawach bani hui thi....

dekhte hi dekhte wo shakti numa rays apne asli maalik THE THREE SOVEREIGN'S ke body me samati chali gayi jisse feel kar un teeno ki aankhen band ho gayi....

is prakriya ke douran naa sirf un teeno ko apni khoyi hui shakti wapas mil rahi thi,balki saath hi unki bhul chuki yaadasht bhi unhe wapas milti jaa rahi thi...


VIDEOUS ka janm,uski demands,ZEAL ke VIKRAM ki utpatti,uska aur pure ZEAL ka vinash aur uske baad RAAZ ki utpatti ka idea, CHOSENS ka banana aur uske baad wo khaas CHIZ jiski suraksha ke liye unhe apni shakti ka 75 pratishat bhaag aur apni yaadasht ko kurbaan karna pada,wo sab yaad aa gaya...

itna hi nahi,unke behosh hone ke baad CHOSENS me kya kya hua tha,wo sab bhi unhe pata chal gaya aur aise unhe ASMODEUS ki baat ka matlab samajh aaya jisme usne kaha tha ki unke saare sawalon ke jawab unhe unki shakti milne par apne aap pata chal jaayenge....

kuch waqt laga,is shakti ke adaan pradaan ki kriya ko pura hone me par jab aisa hua toh AKSHAANT, SHAILA aur MOKALSAR ke sharir me ek baar firse ANGELS ke kapde aa gaye...

aur aisa hote hi wo teeno ek baar firse ASMODEUS aur VIKRAM ke saamne jhukne ko hue par...


VIKRAM-jhukne ki zaroorat nahi hai doston...aapko bas wahi mila hai jo pehle se aapka tha...

aur ab jab aapko saari kahani dobara yaad aa gayi hai toh ye batane ki zaroorat nahi hai ki aapko apne diye padh aur kartavya par wapas loutna hai aur is khel ke agle padhav ka raasta banana hai...

AKSHAANT-aisa hi hoga LORD....

ASMODEUS-hume pata hai ki aap teeno apni bhaawnao ko sayyamit rakhenge par is khel ka wo chuppa hua bhaag,jo ab apko yaad aa chuka hai,usse VIDEOUS se chupana atti aawashyak hai aur isiliye....


ASMODEUS ke haathon se ek GODS BARRIER ray nikli aur aage badhte hue teeno SOVEREIGN'S ke dimag ke us hisse me fit ho gayi jisme wo jaankari thi jisse VIDEOUS se chuppana tha...

aur jab ASMODEUS ne apna kaam kar diya toh...


ASMODEUS-ab aap teeno jaa sakte hain...


ek baar un dono ke saamne jhuk aur fir ALESENDRA aur AVANTIKA ko smile dekar wo teeno gayab ho gaye....


ALESENDRA-abhi tak kisi naa kisi tarah aap dono ka is kahani me hastakshep raha hai par ab aakhir wo waqt aa hi gaya jab aap dono bhi sirf ek darshak banane waale ho....

ASMODEUS-iska bhi apna ek maza hai.....

AVANTIKA-par kya aapko ye soch kar dar nahi lagta, ghabrahat nahi hoti ki jaisa RAAZ hai,usse kahin puri baazi ulti naa padh jaaye....

aur uske upar VIDEOUS jisne itne varshon me apni shakti aur badha bhi li hai aur sthir bhi kar liya hai...

VIKRAM-dar,ghabrahat soch ke hi hisse hote hain...aur soch faisla lene se pehle li gayi cheez hai,baad ki nahi...

aur faisla toh hum pehle hi le chuke hain... toh ab darne ya ghabrane ka koi arth nahi...

VIDEOUS ne jo chaha,wo usne kar diya hai...RAAZ jo chahega,wo karega...

laskhya uska fixed hai,dekhna ye hai ki us lakshya tak pahunchne ke liye uska raasta kya hota hai..???

waise shuruat toh achi hai...


neeche ZEAL ki taraf dekhte hue VIKRAM ne ye baat kahi jiske baad sabhi ki nazar wahan chali gayi jahan is waqt paalthi maarkar baitha hua tha RAAZ....

KYUN???aayiye khud jaan lijiye...





PLANET-ZEAL


PLACE-THE CAVERN





AMAGNA VIRYAVATTA


is waqt paalthi maar baitha hua tha mai aur mere saamne hawa me rooki hui thi meri talwar...

aur lagatar baar baar ye SPELL nikal raha tha mere mooh se jiski wajah se mere sir se lekar pair tak,har jagah se ek gaadhi ray nikalkar mere SWORD me sama rahi thi....

par hai kya ye SPELL aur mere iske uccharan karne ki wajah kya hai!!!


toh baat ye hai ki mera jo pehla padaaw tha aur jo ki mera agla padhav bhi tha,THE CHOSEN'S,wahan jaane ke liye is spell ko kaam me laana zaroori tha...


AMAGNA VIRYAVATTA...


jiska matlab hai SUBMERGE MY POWERS...


aur iske asar se is waqt mere BRAIN,BLOOD, BODY ke aur khaas kar SOUL ki lagbhag puri shakti nikalkar mere SWORD me sama rahi thi....

mere aisa karne ka kaaran ye tha ki mai apni shaktiyon ke saath CHOSENS me as a SAVENT nahi ghus sakta tha...

aur wo isiliye kyunki CHOSENS me SOUL AMPLIFICATION ke jis kriya ke dwara shakti ko naapa jaata hai,mera SOUL is AMPLIFICATION ke daayre se baahar tha....

meri shakti ko naapa nahi jaa sakta tha...par fir bhi agar jigyasa purv isse measure kiya bhi jaaye toh meri SOUL ki shakti ka 1 percent bhi kisi 20 percent SOUL AMPLIFICATION waale SAVENT se zyada powerful tha....

aise me apni SOUL ki power ko chuppana hi sahi tha warna agar ye halka sa bhi kaam me aa jaata toh pura hi CHOSENS hil jaane tha...

ye toh hui SOUL ki baat.....ab agar baat karen baaki teen power sources ki matlab BRAIN, BODY, aur BLOOD ki toh mere sharir ka ye bhaag bhi kuch zyada hi shaktishaali tha...

sidhi bhaasha me kahun toh mera BRAIN,meri BODY aur mera BLOOD itne AMPLIFIED the ki wo kisi bhi COMPLETE 100 % SOUL AMPLIFIED SAVENT ko bhi araam se hara sakta tha....

aur isiliye hi mai apni shaktiyon ke bohot bade bhaag ko ek ghere me,ek kawach me bhar kar apne SWORD ke andar daal raha tha kyunki ek meri sword hi aisi chiz thi jo naa sirf mere shaktiyon ke kendron ko sambhal sakti thi,balki unhe khudme chuppakar khudko aur un shaktiyon ko invisible bhi kar sakti thi....

kyunki mai iska DHAARAK tha, isiliye mujhe chhod isse koi detect bhi nahi kar sakta tha....VIDEOUS bhi nahi....

par ye kriya time taking thi aur isiliye....


AMAGNA VIRYAVATTA....


yahan mera spell uccharit karna chalu hi raha aur wahan....





PLANET-ELYSIAN


PLACE-FORBIDDEN FOREST




AMAGNA VIRYAVATTA....


RAAZ dwara ki jaa rahi enchantment ki awaaz FORBIDDEN FOREST ke andar bhi gunj rahi thi aur wo isiliye kyunki yahan 2 behosh nirjeev se pade shariron ke saamne khada tha WOOGER....

aur ussike dimag me gunj rahi thi ye enchantment jisse sun...


WOOGER-MASTER ne apni kriya shuru kar di jiska arth hai ki mere kaam ka waqt aa gaya....

apni baat bol WOOGER ne ek disha me dekha aur uske aisa karte hi kuch door par bane ek poudhe me halki hulchul hui aur fir....

tezi se kuch phool jo ki asal me CHETNA BUTI the,wo us poudhe se toot kar udte hue aaye aur WOOGER me sama gaye aur kyunki WOOGER RAAZ ka hi hissa tha, isiliye usme samate hi wo buti RAAZ ke paas pahunch chuke the....

jab ye kaam pura hua toh WOOGER wapas un do behosh logon ki taraf jo ki ACCHUTA aur SLUNDER the,palta aur....


WOOGER-bohot khushnaseeb ho tum dono kyunki tum dono mere MASTER ke kaam aane waale ho...

kuch din ki neend aur le lo,fir aankh toh khul hi jaayegi...

haan,par kitne waqt ke liye khuli reh paayengi tum dono ki aankhen,kitna jeeven shesh bacha hai tumhara,ye toh MASTER hi decide karenge...

filhal toh ghar waapsi ka waqt ho chala hai tum dono ka...


WOOGER ke aisa kehte hi uske right aur left,dono side ek ek WORLD DOOR khul gaye...

ek taraf tha CARAPACE matlab SLUNDER ka world aur dusri taraf tha ARROW jo ki ACCHUTA ki duniya thi...

aisa hone ke baad ACHHUTA aur SLUNDER ka sharir hawa me uth gaya aur agle hi pal dono ka sharir apne apne WORLD ke DOOR se hota hua dusri taraf chala gaya...

dono hi doors ke dusri taraf tha wahi room jiske aalishan beds par dono Planets ke rulers jo ko ACHHUTA aur SLUNDER ke parents the,unke VEGITATIVE STATE waale bodies ko rakha gaya tha...

ACCHUTA aur SLUNDER ke bodies bhi unke PARENTS ke side me jaakar sthir ho gaye aur aisa hone par WORLD DOOR band ho gaya...

wahin yahan ka apna kaam khtam hote hi WOOGER bhi gaayab ho gaya par akele nahi,apne saath le gaya WOOGER wo SHIELD jo ki FORBIDDEN FOREST ke saamne lagi hui thi.....

jiska matlab tha ki ab FORBIDDEN FOREST me bina rok tok sabhi ka swagat hai....






PLACE-INSIDE THE CONCEAL




TUMHE AISA KYUN LAGTA HAI VIDEOUS KI TUM HUME UN DONO KI NAZRON SE CHHUPA SAKTE HO....!!!!


ye baat do logon ne ek saath kahi thi jisse sun....


VIDEOUS-mujhe lagta nahi hai..mai jaanta hun ki mere FATHERS VIKRAM aur ASMODEUS tumhe tab tak nahi dekh sakte jab tak tum yahan par ho...

ye jagah meri hai..sirf meri jo ki meri shaktiyon ke kawach se bani hai...isse bheda nahi jaa sakta...

haan,agar tum chaaho tob yahan se nikalkar apne aakaon se meri shikayat kar sakte ho...

mai rokunga nahi tumhe..bas jo maine pucha hai,mere us sawal ka jawab de do...


UNKNOWN-arre,tum toh hamare LORDS ki urja se bane ho..mind read karna toh tumhare gifts me se ek hai...

padh lo dimag aur jaan lo sach....

VIDEOUS-sarcastic,haan...!!!!


tumhare dimag ke information wala bhaag blocked hai jisse filhal mai bhed nahi paa raha hun...

ye blockage tabhi hatega jab tum dono dil se aisa chahoge par mai jaanta hun ki tum dono aisa karoge nahi.

koi naa, alternative toh har kisi ka hota hai....is problem ka bhi hai....


VIDEOUS ne ye baat kahi hi thi ki tabhi usse FORBIDDEN FOREST ki SHIELD ke hatne ka sense hua jisse mehsoos kar uske chehre par smile aa gayi aur....


VIDEOUS-ab tum dono ki mujhe zaroorat nahi...

afsos ki IMMORTAL ho tum dono..maar mai tum dono ko sakta nahi par.....

mout se milti julti haalat me toh pahuncha hi sakta hun naa...


SARVATOMUKHA UPPARUNADHI

LOCK THE SOUL


ye spell bhi ABANDON tha.iska prayag nishedh tha...


reason...is spell ko asar me sirf isse bolne waale ki SOUL hi laa sakti hai...aur isiliye isse bolne waale ke SOUL ko bohot powerful aur negetive hona hi chahiye...

jispar bhi ye SPELL uccharit hota hai,uska SOUL uski body ke andar ek jail me kaid ho jaata hai..

ek aisi jail jisme SOUL ke saath saath us SOUL ke maalik ka sharir bhi bhale hi wo kisi bhi form me ho,nirjeev sa ho jaata hai aur abhi yahi hua....

VIDEOUS ke spell uccharit karte hi uske SOUL se hota hua ek ray saamne baithe un dono shaksh ke body se takraya aur us body ko bhedte hue wo ray unke andar gaya jiske agle hi pal un dono ka sharir dheela padh gaya aur neeche gir pade...

BEELZEBUB aur DEFENDER....










AAJ KE LIYE ITNA HI.....







AAPKA APNA V..J...
Mast update bro
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,267
38,658
258
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF TEENO SOVEREIGN'S KO HOSH AA JAATA HAI,DUSRI TARAF RAAZ APNE POWERS KO LIMIT KARNE KE LIYE EK SPELL BOL RAHA HAI,TEESRI TARAF WOOGER NE ACCHUTA AUR SLUNDER KO UNKE PLANETS ME WAPAS BHEJ DIYA HAI WAHIN CHOWTHI TARAF VIDEOUS NE BEELZEBUB AUR DEFENDER KI SOUL KO KAID KAR UNHE MURCHIT KAR DIYA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-54



PLANET-ELYSIAN


PLACE-FORBIDDEN FOREST





YE SAB ACHANAK KAISE HO GAYA??? IS FORBIDDEN FOREST KI SHIELD AISE HI GAYAB HO GAYI, YUNHI....

KAUN HO SAKTA HAI JISNE IS NAYI SHIELD KO YAHAN LAGAYA AUR FIR BADE AARAM SE ISSE HATA BHI DIYA...BINA SAAMNE AAYE....


FORBIDDEN FOREST ki SHIELD ke haththe hi uske pressure ke absense ko feel kiya tha chattan ke andar khudko chupaye hue DORIAN ne aur aisa feel hote hi wo us chattan se baahar aaya aur jab us saamne dekha toh SHIELD ko gayab dekh hairan ho gaya...

usse samajh me nahi aa raha tha ki ye anhoni aakhir hui kaise par jab kaafi der baad bhi uske dimag me uske sawal ka koi jawab nahi aaya toh usne apne dimag ko jhatka aur FORBIDDEN FOREST ki dehliz ko paar kar uske andar pahuncha...

A+ level ka banda tha DORIAN...nidar,takatwar aur aatm vishwas se bharpoor par aaj jab uske FORBIDDEN FOREST ke andar ghusne ka barso purana sapna pura ho raha tha,usko jo daayitv mila tha,wo usse pura karne waala tha,toh uske man me ek ajeeb si ghabrahat ,bechaini aur khushi,teeno ne janm le liya tha...

fihal raat ka waqt tha,har taraf andhera hi andhera tha,par apne chamakdaar vision ke sahare DORIAN aage badhta chala jaa raha tha...

chalte hue uski nazaren har taraf ghum rahi thi aur wo un saari cheezon ko dekh raha tha,jisse usne aaj se pehle sirf FORBIDDEN FOREST ki book me padhi thi...

usse is baat ki bohot khushi thi ki aisa karne waala wo pehla banda ban chuka tha par saath hi usse CHOSENS ke current SAVENTS par halka koft bhi ho raha tha aur wo isiliye kyunki yahan aisi aisi cheezen thi,jisse current SAVENTS explore kar khudko aur nikharne waale the...

khair, FORBIDDEN FOREST ke un saare hisson ko jo ki uske yahan ke manzil par pahunchne se pehle aane waali thi,un sabko checkout karte hue finally wo us jagah par pahunch hi gaya jahan usse pahunchna tha...


ASPRIT CRYSTAL....


wo chiz jiske liye wo yahan aaya tha... ASPRIT CRYSTAL ek trikon shape liye BLUE CRYSTEL tha par filhal DORIAN ke saamne uska desired CRYSTEL nahi balki ek PED tha jiska naam tha CUPOLA jiska ek matlab VAULT bhi hota hai...

ek pal us ped ko dekh DORIAN aage badha aur usne us ped ke saamne pahunch usse khudme aise lapeta jaise usse gale laga raha ho aur...


APRADHATA SAKRAYATE SHAKTIYEM

RELEASE THE COMPLETE POWER


ped ko upar uthane ki koshish karte hue DORIAN ne is SPELL ko uccharit kiya jiske baad uski sharirik shakti chaar guna badh gayi aur aisa hote hi....

CRCRCRCR.......

ek ajeeb si awaaz ke saath us ped ka jad ukhadne laga....

is waqt chaaron PRIMES ki shakti moujud thi DORIAN ke andar par uske baad bhi usse kaafi masakkat karni padh rahi thi us ped ko ukhadne me par dheere dheere hi sahi, CUPOLA naam ke us ped ka root aakhir ukhad hi gaya par aisa hote hi jahan CUPOLA ka jad tha,wahan se ek tez prakash baahar aaya jiske prabhav se DORIAN ki aankhen kuch palon ke liye band ho gayi....

us prakash ki teevrata se aaspaas ka saara drishya bhi ab saaf dikhne laga tha...

kuch der tak aakhen band rakhne ke baad DORIAN ne apni aakhen kholi...

tej toh ab bhi utna hi tha par us roshni se DORIAN ki ankhon me koi taklif nahi ho rahi thi aur isiliye DORIAN ne neeche jhuk haath aage kiya aur agle hi pal CUPOLA ped ki jad se usne baahar nikala THE ASPRIT CRYSTAL jo ki ek dues ball ke size ka triangular shaped CRYSTEL tha...

apni is uplabdhi ko kuch pal tak mehsoos karta raha DORIAN aur fir wo us ASPRIT CRYSTAL ke saath gayab ho gaya...




PLACE-CHOSENS




IMPOSSIBLE...????MUJHE FORBIDDEN FOREST KI SHIELD MEHSOOS KYUN NAHI HO RAHI HAI....????


soyi hui thi MARILIZA WHIZZ par phir achanak unhe unke lagaye sensors se jo ki missing SAVENTS ke maamle ke baad unhone sirf CHOSENS me hi nahi balki pure ELYSIAN me laga diya tha,FORBIDDEN FOREST ki SHIELD mehsoos hona band ho gaya jiski wajah se unki aankhen khul gayi...

ab ye koi choti baat toh thi nahi..pehle bhi ek baar SHIELD badal chuki thi aur jab aisa hua tha toh unke INSTITUTION ke teen SAVENTS lapata ho gaye the aur ab toh SHIELD hi gayab ho chuki thi jiske baad pata nahi kya hone waala tha....

yahi sab soch MARILIZA turant apne bed se utri aur wo FORBIDDEN FOREST ke saamne jaane ke liye antardhyan hone hi waali thi ki tabhi....


KAHIN JAANE KI ZAROORAT NAHI HAI MARILIZA....


WHIZZ MARILIZA ke saamne ek saath teen tez roshniyan prakat hui jisme se ye awaaz aayi thi

wahin kuch wo teen roshniyan dheere dheere maanav aakruti me badalne lagi aur jab wo aakruti puri tarah se human form me aayi toh WHIZZ MARILIZA hairan bhi hui aur khush bhi...

teeno SOVEREIGN'S uske saamne the toh aise me hairan aur khush hona toh laazmi hi tha par fir achanak se hi MARILIZA ke chehre ke bhaav badle aur wo nirash ho gayi jisse dekh teeno SOVEREIGN'S muskura uthe...


SHAILA-kya baat hai MARILIZA...???kya aap hume dekhkar khush nahi hui...???

MARILIZA-aisa kabhi nahi ho sakta SOVEREIGN....!!!!par mai aapke saamne aane ke laayak nahi hun...

aap teeno ne is INSTITUTION ki zimmedari mujhe di thi par unfortunately me fail ho gayi..

CHOSENS ke 25 thousand years ke itihaas me aisa pehli baar hua jab yahan se SAVENTS gayab ho gaye aur ye hua mere incharge hone ke baad...


sir ko neeche rakh MARILIZA ne ye baat kahi jispar...


AKSHAANT-isme aapki koi galti nahi hai MARILIZA...???jo hua,wo bas ek sanjog tha....



AKSHAANT ki baat samajh me nahi aayi MARILIZA ko...


MARILIZA-mai samjhi nahi...

ab sach toh bata nahi sakte the SOVEREIGN'S aur kya batana hai,ye toh unhone pehle hi soch liya tha aur isiliye....


MOKALSAR-ye toh aapko pata hi hai ki us FOREST ki SHIELD humari shaktiyon se bani thi...

par ab us SHIELD ki zaroorat nahi hai...

par usse ek jhatke me hataya nahi jaa sakta tha kyunki wo SHIELD sirf zamin ke upar hi nahi balki uske andar is grah ke core tak dhasi hui thi...

aur isiliye hume pehle usse uske jad se hilana tha,usse kamzor karna tha aur wahi humne kiya...

par jab humne ye kiya, toh durbhagyapurn vash ye wahi waqt tha jab us SHIELD ke paas wo teeno SAVENTS moujud the...

humare pehli koshish me wo SHIELD kamzor hui aur dusri koshish ke baad SHIELD hat gayi par aisa hote waqt us SHIELD se ek gravitational pull ENERGY ke form me baahar nikla aur un teen SAVENTS se takraya jiski wajah se wo teeno FORBIDDEN FOREST ke andar kheencha gaye...

MARILIZA-oh..par jab SHIELD hatane ka waqt aa gaya tha toh fir wahan pichle kuch samay tak ek dusri SHIELD lagi hui thi...aisa kyun hua aur wo SHIELD kisiki thi...???

AKSHAANT-humse upar bhi shaktiyan hain MARILIZA aur wo SHIELD unhi shaktiyon me se ek ki thi...

aur wo laga isiliye tha kyunki jaisa ki MOKALSAR ne bataya ki hamari SHIELD ka asar is PLANET ke core tak tha toh isiliye jab humara SHIELD hata toh uska asar yahan ke core me bhi hua aur usse thik karne ke kiye hi naya SHIELD lagaya gaya aur ab jab core ne khudko stable kar liya hai toh aise me us SHIELD ki koi zaroorat nahi thi isiliye wo SHIELD bhi hat gaya...

MARILIZA-aur un missing SAVENTS ka kya hua.???sabse important sawal toh ye hai ki CHOSENS se itni door wo gaye kaise...???

aur kya abhi bhi wo wahin hain...??i hope they are alright now...???


ek saath kayi sawal kar diye MARILIZA ne jispar...


SHAILA-nahi wo teeno ab wahan nahi hain..darasal FORBIDDEN FOREST ke andar pull hone se pehle hi wo teeno behosh ho chuke the aur wo sab kaafi injured bhi the...

aur jab unhe us force se FOREST ke andar kheencha gaya toh unki haalat aur kharab ho gayi..

isiliye humne unhe ek dusri jagah par shift kar diya tha jahan unka upchaar ho sakta tha... filhal toh wo teeno behosh hi hain par bohot jald unhe hosh aa jaayega aur wo wapas aa jaayenge...

aur rahi baat ki wo teeno wahan FOREST ke paas pahunche kaise toh ye tum khud hi dekh lo...


SHAILA ke aisa bolte hi uske haathon se wk ray nikal MARILIZA ke saamne hawa me rook gayi...

ye ray ek chalchitra thi par khaas baat ye thi ki ye ek fake, jhutti chalchitra thi jisse MARILIZA ke man ko shaant karne ke liye banaya gaya tha..

khair, chalchitra shuru ho chuka tha aur aisa hote hi MARILIZA hairan ho gayi...

reason....

chalchitra me scene ye tha ki ek taraf RAAZ, ACCHUTA aur SLUNDER khade the aur dusri taraf MORANA aur ANWIR khade the jinhone apne puri SOUL AMPLIFICATION ki shakti ka istemal karte hue un teeno par ray chhoda jiske prabhav se RAAZ, ACCHUTA aur SLUNDER,teeno hi hawa me piche ki taraf ud gaye aur ussi condition me zakhmi aur behosh hokar unki bodies FORBIDDEN FOREST ke saamne jakar giri...

scene ke yahan pahunchte hi chalchitra band hi gaya...


MARILIZA- ANWIR aur MORANA toh PHASE 2 me the aur ye teeno PHASE 1 me...aise me inki kya dushmani ho sakti hai....???

AKSHAANT-ye CHOSENS hai MARILIZA..yahan taakatwar kamzor ke saath kuch bhi kar sakta hai...

aur jahan tak mujhe maalum hai, RAAZ, ACCHUTA aur SLUNDER PHASE 1 ke sabse kamzor SAVENTS the aur ANWIR aur MORANA kamzoron ko kaise treat karte hain,ye chuppi baat toh hai nahi...

unke khudke PHASE me unhone najaane kitne SAVENTS ko takleef pahuchayi hai...

MARILIZA-par ye niyam second PHASE se lagu hota hai..aur ye teeno first PHASE ke the...

inke saath kuch galat karne ki permission PHASE 2 ya 3 ke SAVENTS ko nahi thi...

AKSHAANT-par jis jagah wo teeno khade the,wo PHASE 3 ki thi..unhe secure rakhne ke liye har waqt kisi strong SAVENT ka yaa fir WHIZZ aur WHIZZDER ka unke saath hona zaroori tha par aisa hua nahi...

aur waise bhi,ye sab purani baatein hain,isiliye is baare me soch kar koi faayda nahi...

important hai aage jo hone waala hai, uske baare me sochna...

aur issi baare me baat karne ke liye hum yahan aaye hain....


iske baad SHAILA ne MARILIZA ko kuch baatein batayi jisse sun...


MARILIZA-par SOVEREIGN,ye kaise possible hai..??

AKSHAANT-kiske liye...???


AKSHAANT ki baat sun MARILIZA chup ho gayi...

reason....

MARILIZA flow flow me ye bhul gayi thi ki uske saamne wo teen shaksh khade hain jinhone is institution ki rachna ki hai toh aise me jo bhi hoga,unke hisaab se hi hoga...

wahin jab SOVEREIGN'S ko laga ki MARILIZA saari baatein samajh gayi hain toh wo teeno bhi baat ko lamba naa kheenchte hue gayab ho gaye...





PLANET-THE PAGAN



PLACE-OUTSIDE THE CONCEAL





FINALLY!!!!HUME ASPRIT CRYSTAL MIL HI GAYA.....


DORIAN ASPRIT CRYSTAL haasil kar sidhe yahan CONCEAL ke saamne pahuncha tha...

uske haathon me ASPRIT CRYSTAL chamak raha tha jisse dekh behad khushi ke saath GASTON ne ye baat kahi thi jispar...


TRISTEN-wo sab toh thik hai par us nayi SHIELD ke yun achanak gayab hone ke baare me kuch pata chala...


DORIAN ko dekh TRISTEN ne ye sawal kiya....


DORIAN-nahi...jo bhi hua,wo itne achanak aur gupt tarike se hue ki kuch pata hi nahi chala....

UBEL-par ye ache sanket nahi hain... kyunki jis shield ko hum chaaron ki samast shakti bhi milkar tod nahi paayi,usse banane waala humare liye kitna khatarnaak saabit ho sakta hai,iska hum andaza bhi nahi laga sakte...

TRISTEN-bilkul satya kaha tumne...hume kisi bhi tarah us SHIELD aur usse lagane waale ke baare me pata lagana padega....


KAAM TUM SABKO BAS WAHI KARNA HAI JISKA TUMHE AADESH MILE...AUR KUCH NAHI....


ek nayi awaaz padi un chaaron ke kaano par jisse sun us awaaz ki disha me ghum gaya chaaron ka sir aur jab aisa hua toh un chaaron ki aankhen badi ho gayi...

reason...

jis CONCEAL numa shakti ke baahar wo chaaron khade the,us CONCEAL ke beech ka area khul gaya tha aur uske beech ek kaafi young but handsome aur lamba chowda ladka khada un chaaron kl dekh raha tha...

us ladke ke chehre me,uski personality me ek aisi vibe thi jisse mehsoos kar un chaaron ko apne andar ek ajeeb sa dar mehsoos hua jisse wo samajh nahi paa rahe the...

wahin apni baat keh woh ladka aage badha aur theek un chaaron ke beech DORIAN ke saamne jaakar khada ho gaya aur aisa karne me baad usne DORIAN ki taraf apna haath aage badhaya..

pata nahi kya tha us bande me ki uske aisa karte hi DORIAN ne bina kuch kahe uske haathon me ASPRIT CRYSTAL rakh diya....

ASPRIT CRYSTAL ko haath me lekar wo ladka ek baar muskuraya aur fir...


UNKNOWN-VIDEOUS naam hai mera...aur mai wahin hun jisse tum chaaron ka astitv hai..

jisse tum sabko shakti bhi milti hai aur aadesh bhi....


bina koi bhumika baandhe VIDEOUS ne apne baare me bata diya jiske baad kuch pal ke liye wo chaaron shocked ho gaye par fir wo sab turant apne ghutno par aane ko hue jispar...


VIDEOUS-kya mujhe dekhkar,mere saamne khade hokar tum chaaron ko dar lag raha hai....???


VIDEOUS ki baat sun un chaaron ne ek baar ek dusre ko dekha aur fir...


SAB-ji....

VIDEOUS-toh fir jhukne ki zaroorat nahi hai..meri moujudgi se man me paida hone waala dar hi mujhe diya jaane waala samman hai....

aur kisi samman ki mujhe zaroorat nahi hai....


ye bol VIDEOUS firse ASPRIT CRYSTAL ko dekhne laga...wahin is ASPRIT CRYSTAL ke baare me jaanane ki tivr icha hui uske saamne khade un chaaron ke andar jisse VIDEOUS jaan chuka tha aur isiliye...


VIDEOUS-ELYSIAN, CHOSENS aur FORBIDDEN FOREST....

in teeno ka nirman ek hi waqt par hua tha..

saath hi un chizon ka bhi jo FORBIDDEN FOREST ke andar hain siway is ASPRIT CRYSTAL ke....

iski utappati ka waqt thik uske baad ka hai jab FORBIDDEN FOREST ke aage uski SHIELD lag rahi thi..

parat dar parat FORBIDDEN FOREST ki SHIELD lagi thi aur jab baari aayi thi us aakhri parat ki jiske baad FORBIDDEN FOREST impenetrable hone waala tha,tab maine ek alag si urja mehsoos ki thi...

jo SHIELD ke us aakhri hisse ke lagne se pehle FOREST ke andar ghussi thi...

ussi urja ke kuch kan us jungle ke ek bhaag me gire the...

aur unhi kano se bana tha ye ASPRIT CRYSTAL....

DORIAN-oh.. toh iske zariye aap us anjaan urja ke baare me pata laga paayenge...

VIDEOUS-hmm... khair,tum chaaron ke jaane ka waqt ho chuka hai...


VIDEOUS ke aisa kehte hi un chaaron ke dimag me unke aage ka kaam,unka daayitv ek circular ki tarah ghum gaya jiske baad ek baar apna apna sir VIDEOUS ke aage jhuka wo chaaron gayab ho gaye...

ab us jagah par akela bacha tha VIDEOUS aur isiliye....

VIDEOUS ne apne right hand ke index finger ko us CRYSTEL ke upar rakha aur...


GATHIYAME RAHASYAM

UNFOLD THE HIDDEN TRUTH


SPELL ke uccharit hote hi VIDEOUS ki ungli se wo ray nikli jisme uski WHITE ENERGY ki shakti thi aur aisa hote hi ek kamal ke phool ki tarah wo CRYSTEL khul gaya aur jab aisa hua toh....

ek AURA nikli uske andar se aur VIDEOUS ke ussi index finger ke tip me sama gayi jisse VIDEOUS ki aankhen band ho gayi...

is waqt VIDEOUS ka dimag us AURA ke through us crystal ke RAAZ ko jaanane ki koshish me lag gaya par usse isme koi safalta nahi mili...

uske baad VIDEOUS ka dimag us crystal ka central point matlab uske origin ko dhundne me lag gaya aur is baar usse mili safalta aur aisa hote hi jhatt se khul gayi VIDEOUS ki aankhen....


VIDEOUS-toh aap dono hain iske piche RONIT aur ANJALI....

hahahahaha.....

koi baat nahi,koi baat nahi.....




SANKET banaye hain aapne..
mai unhe ULJHAUNGA...

raaste aapke hain,aapke hi rahenge,

mai toh bas un raaston me
KAATEIN BICHAUNGA.....








AAJ KE LIYE ITNA HI....







AAPKA APNA V...J...
Nice update bro
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,267
38,658
258
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SOVEREIGN'S MARILIZA KO RAAZ, ACCHUTA AUR SLUNDER KE GAYAB HONE KI EK JHUTI KAHANI BATATE HAIN WAHIN DUSRI TARAF VIDEOUS KO ASPRIT CRYSTAL KE BAARE ME AADHI HI JAANKARI MILTI HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-55



PLANET-ARROW


PLACE-THE KING'S BEDROOM





AAHHHH........


ek halki si karah ke saath aankh khuli ACCHUTA ki...

par sir me uth rahe bhaaripan ki wajah se usne turant apni aankh band kar li aur us bhaaripan aur pain ko zabt karne laga....

wahin in sab ke beech ek shaksh ACCHUTA ke thik saamne khada usse hi dekh raha tha...

ye shaksh aur koi nahi MAI tha....

apni shaktiyon ko apne SWORD ke andar daal mai apne agle padhav ki pehli sidhi ARROW planet pahuncha tha aur CHETNA BUTI ki madad se maine ACCHUTA ke senses usse wapas louta di thi...

par itne waqt tak us VEGITATIVE STATE ne rehne ki wajah se uske dimag ko thik se kaam karne me thoda waqt lagna tha aur filhal wahi lag raha tha...

aankhen band kiye ACCHUTA ka dimag filhal toh khaali tha par ye khaalipan bhi bas kuch pal ka hi mehmaan tha aur hua bhi wahi...

aaankhen band kiye ACCHUTA ke dimag me achanak uske saath hue aakhri drishya ghum gaye....

wahi drishya jisme ek shaksh ke haath se ek badi gaadhi ray nikal uske dimag me padi thi jiske baad uska sir bhaari hone laga tha aur fir wo chakkar khaate hue gir gaya tha...

is scene ke yaad aate hi ACCHUTA ko apne sir ke bhaaripan ka kaaran pata chal gaya par tabhi....

ACCHUTA ke dimag me wo drishya bhi ghum gaya jisme ussi shaksh ne usse pehle uske maata pitah ko bhi VEGITATIVE STATE me bheja tha aur ye yaad aate hi jhat se ACCHUTA ki aankhen khul gayi par aisa hote hi wo ekdum se hadbada bhi gaya...

reason....

apni gehri kaali aankho se jhaankta hua mai uske thik saamne khada usse hi dekh raha tha...

chehra mera sthir tha par us sthir chehre par bhi ek ajeeb si kathorta aur dridhta thi jisse dekh ACCHUTA chah kar bhi bol nahi paa raha tha par bolna toh tha hi aur isiliye...

ACHHUTA-kaun ho tum???aur yahan ROYAL CHAMBER me kya kar rahe ho...???

MAI-RAAZ naam hai mera....apne left dekho...


pehla sawal hi appropriate tha uska isiliye maine bas uska hi jawab diya...

wahin mere kehne par jaise hi ACCHUTA ne apne left ki taraf dekha toh uske agle hi pal wo hairan aur pareshan dono ho gaya....

reason...

uske baaju me uske mom aur dad ussi VEGITATIVE STATE me pade hue the jisme kuch der pehle tak wo bhi tha...

apne mom dad ko yun besudh pada dekh ACCHUTA ki aankhon me aansu aa gaye....

MOM,DAD kehte hue wo un dono se lipat kar rone laga....

kuch der tak yunhi rote rehne ke baad usse yaad aaya ki ek aur shaksh bhi is kamre me moujud hai...

usse lagne laga tha ki mai un do logon ka saathi hun jinhone uske mom dad ko us haal me pahunchaya tha...

is khayal ke uske man me uththe hi usse mujhpar behad krodh aaya par fir usse wo scene yaad aaya jab bina kisi prahar kiye un do logon ne uske mom dad ko is condition me pahuncha diya tha aur aise me agar mai unka saathi tha toh wo yaa fir uski sena bhi mera kuch bigad nahi paayegi...

is soch ke uske dimag me ubharte hi pehle usne khud ko shaant kiya aur wo wapas meri taraf palta....


ACCHUTA-kya tum bhi un dono ke saathi ho jisne mere MAATA PITAH ko is haal me pahunchaya tha...???

MAI-dusri taraf dekho....


meri baat ko sun pehle toh usne mujhe hi ajeeb nazar se dekha par fir jaise hi uski gardan uske right taraf mudi,usse laga jhatka....

reason...

uske right ki taraf jahan us bade se CHAMBER ka diwar hona chahiye tha,wahan is waqt ek bade se sqaure shape me khaali space bani hui thi jiski dusri taraf ek alag CHAMBER dikh raha tha par us CHAMBER ki banawat ACCHUTA ke mahal me bane CHAMBERS se bilkul alag thi...

wahin apni baat keh mai us diwar waali jagah jahan is waqt maine WORLD DOOR banaya hua tha,uski taraf badha aur...


MAI-mere piche aao....


apni baat keh mai aage badha aur us DOOR ke beech pahunch gaya...

wahin ACCHUTA ab bhi apni jagah par hi baitha mujhe dekhe jaa raha tha aur isiliye mai palta aur...


MAI-mujhe baatein dohrane ki aadat nahi hai ACCHUTA....


meri awaaz ko sun andar tak sihar sa utha ACHHUTA aur aisa hote hi uski body apne aap hi harkat me aayi jiski wajah se wo turant khada hua aur meri taraf badhne laga...

wahin mai bhi wapas palta aur WORLD DOOR se hota hua dusri taraf pahunch gaya jahan thik ACHHUTA ke hi parents ki tarah teen log besudh ek bed par pade hue the...

wahin mere piche piche world DOOR se hota hua jab ACCHUTA us room me enter hua toh saamne ka scene yaa fir ye kahun ki bed par lete logon ko dekhkar wo chownk pada....

reason....

SLUNDER aur uske mom dad jo ki is waqt saamne bed par lete hue the, ACHHUTA jaanta tha unhe...

(DORIAN AUR GASTON NE JAB WO ACCHUTA AUR SLUNDER KE BHESH ME THE,TAB UNHONE APNI KAHANI BATATE WAQT IS BAARE ME BATAYA THA KI ACCHUTA AUR SLUNDER UNKE SOLAR SYSTEM KE VARSHIK VYAPAR SAMMELAN KE DAURAN MILE THE)


SLUNDER aur uske mom dad ko dekhna ACCHUTA ne bilkil bhi expect nahi kiya tha aur isiliye....


ACCHUTA-ye teeno toh CARAPACE PLANET ki royal family se hain...ye yahan ARROW me kya kar rahe hain...???

MAI-ye teeno ARROW me nahi,tum is waqt CARAPACE me ho..


meri baat aun ACCHUTA behad chownka par isse pehle ki wo kuch kehta...


MAI-ye jo beech me ek nayi jagah si bani hui hai,ye ek WORLD DOOR hai jiske ek taraf tumhara PLANET aur tumhara CHAMBER hai aur dusri taraf hai ye jagah jo ki CARAPACE PLANET hai aur is waqt tum yahan ke ROYAL CHAMBER me ho....

jahan meri baat sun ACCHUTA ki aankhen hairani se badi ho gayi wahin apni baat keh maine apna haath aage kiya jiske baad mere haath se 1 Jyoti jo ki asal me CHETNA BUTI thi, bahar nikli aur aage badhte hue bed lar lete SLUNDER ke dimag me ghus gayi aur aisa hone ke kuch pal baad hi dheere dheere SLUNDER ki aankhen khulne lagi...

ACCHUTA ko toh kuch samajh me hi nahi aa raha tha isiliye aakhon me aascharya aur dher saare sawal liye wo bas mujhe dekhe jaa raha tha...

wahin jaisa aankh khulne ke baad ACCHUTA ke saath hua tha,wahi SLUNDER ke saath bhi hua...

sir ke behad bhaari lagne ki wajah se wo kuch der tak apni aakhen band kar baitha raha par fir jab uski aankhen khuli aur usne apne saamne ek anjaan shaksh yaani ki mujhe dekha toh wo behad haran hua par sabse zyada hairani usse tab hui jab usne mujhse thodi door khade ACCHUTA ko dekha aur isiliye...


SLUNDER-tum toh PLANET ARROW
ke prince ho naa...!!!tum yahan kaise...???

kahin tumne hi toh us shaksh ko nahi bheja tha jisne hamare saath hamare MAATA PITAH ko....


aage ki baat SLUNDER ke mooh ke andar hi reh gayi kyunki baaton baaton me jab uske mooh se MAATA PITAH nikla toh usse wo beeta hua scene yaad aa gaya jo uske aur uske parents ke saath ghata tha aur isiliye usne jhat se pehle apne right aur fir left ki tarar jahan uske mom dad behosh pade hue the,apni nazar ghumayi..

apne mom dad ko us haalat me dekh uski aankhon me bhi aansu aa gaye....

kuch der tak yunhi rote rehne ke baad...


SLUNDER-tumne karwaya hai naa PRINCE OF ARROW ye sab???


SLUNDER ki baat ka ACCHUTA koi jawab de,usse pehle hi....


MAI-tum aur tumhare mom dad ke saath jo hua tha wahi cheez is ACCHUTA par aur iske mom dad ke saath bhi hui thi...

aur ye kiya tha DORIAN aur GASTON naam ke do logon ne...

SLUNDER-par kyun...???kyun kiya un dono ne aisa humare saath...???

MAI-kuch chahiye tha unhe jisse sirf tum dono ki families ke through hi wo haasil kar sakte the..

unhe laga ki tum sab ko us PERSITANT VEGITATIVE STATE ki haalat me pahuncha kar unka kaam ho jaayega...


meri baat suanane ke baad SLUNDER toh khamosh hi raha par ACCHUTA jo khud toh usse di gayi mout si neend se jaag hi chuka tha par saath hi jisne mujhe SLUNDER ko bhi thik karte hue dekha tha,uski aankhen chamak gayi...

usse yakin ho chala tha ki uske aur SLUNDER ki hi tarah mai un dono ke mom dad ko bhi thik kar sakta hun aur isiliye....


ACCHUTA-tumne hum dono ko us mout ki neend se jagaya hai...iska arth hai ki tum hamare mom dad ko bhi thik kar sakte ho, haina..???


ACCHUTA ki baat sun SLUNDER ki ankhen bhi chamak uthi aur wo bhi mujhe ummid bhari nazaron se dekhne laga..

wahin un dono ki baat sun maine kuch kaha nahi bas apna right hand aage kar diya jiske baad mere hatheli ke upar chaar roshniyan chamakne lagi jo ki asal me CHETNA BUTI hi thi...


MAI-ye chaar jyot,roshniyan tum dono ke mom dad ko jaga dengi...


meri baat sun un dono ki aankhon ki chamak aur badh gayi thi...


SLUNDER-toh der kis baat ki..mere mom dad ko jaldi se thik kar do...mai tumhara ye ehsaan kabhi nahi bhulunga...

ACCHUTA-haan...mere MAATA PITAH ke ilaaj ki roshniyan mujhe de do.. mai turant usse apne MAATA PITAH ko hosh me le aaunga...


ACCHUTA ki baat sun SLUNDER hairan bhi hua aur saath hi ACCHUTA ke piche ka scene matlab WORLD DOOR dekhkar usse jo pehle se hi hairani hi rahi thi,wo bhi badh gayi aur isiliye..


SLUNDER-turant kaise hosh me laaoge...???aur ye tumhare piche khaali sthaan jaisa kya hai..??wahan toh is room ki deewar thi naa...???

ACCHUTA-ye khali sthan nahi hai..ye ek PLANET DOOR jaisi koi chiz hai jiske dusri taraf mera PLANET hai jahan mere mom dad bhi tere mom dad ki sthithi me pade hue hain..


ACCHUTA ki baat sun SLUNDER ki hairani aur badhi jiske baad wo kuch kehne ko hua par in dono ki aukaad se zyada mai inhe explain kar chuka tha aur isiliye mere chest se jahan meri SWORD aur uske saath meri chuppi hui shakti thi,wahan se do rays nikal tezi se aage badhi aur sidhe un dono ke dimag me sama gayi aur jab aisa hua toh....

un dono ki aankhen ek baar firse band ho gayi....

aur uske baad un dono ke dimag me unke PERSISTENT VEGITATIVE STATE me jaane ke baad kya kya hua,wo sab unhe dikhne laga....

DORIAN aur GASTON ka unka roop lena, AKSHAANT aur SHAILA ka un dono ke PLANETS me aana aur unka roop dhare GASTON aur DORIAN ko unke mom dad ke saath kya hua hai,uske baare me batana, CHOSENS ke baare me janana,wahan un dono ke behroopiyon ka padhna,sab kuch jo un dono behroopiyon ne unka bhesh dhar sikhne ki acting ki,wo unhe dikhne laga...

saath hi yahan unke PLANETS me unke SAMRAT,unki wife aur bacche ko us marne jaisi haalat me dekh yahan ke logon ne unhe thik karne ke liye kiye gaye prayas bhi unhe dikhe...

itna hi nahi,is drishyam ke dauran un dono ka dimag ek baar firse bhaari ho gaya tha aur saath hi un dono ko apne sharirik aur aantarik jagahon par behad tez dard feel hone laga tha par in sabke beech un dono par is waqt ek sammohan tha...

mera sammohan jiski wajah se us tez dard ke bawjud un dono ki naa toh aankhen khuli aur naahi unhe dikhne waala drishyam gayab hua...

mai kaun hun aur mere saath DORIAN aur GASTON ne kya kiya tha,is cheez ko chhod un dono se related drishya un dono ko dikhne lage....

saare drishya aur unse judi baatein jaanane ke baad ACCHUTA aur SLUNDER ki aankhen khul gayi jisme is waqt dard aur hairani dono hi dikh rahi thi par waqt ke saath dard toh chala hi gaya par unki harani ab bhi wahin thi aur isiliye...


ACCHUTA-hum pichle 18 mahino se behosh the aur is dauran itna kuch ho chuka hai...

SLUNDER-par ek baat samajh me nahi aayi ki wo dono jinhone hume aur hamare mom dad ko behosh kiya tha,wo dono hamara bhesh dhar CHOSENS me kyun gaye...???

MAI-kya is baare me drishyam me kuch dikhaya gaya tha...???

SLUNDER-nahi...

MAI-iska matlab hai ki wo baat tumhare kaam ki nahi hai...aur matlab unhi chizon se rakhna chahiye jo tumhare kaam ki ho..

isse zinda rehne ke chances bane rehte hain..


SLUNDER ki aankhon me dekh maine ye baat kahi jisse uske puri body me ek sihran si doud gayi...

usse aisa laga jaise mout uski aankhon se jhaankti hui uski rooh ko dekh rahi hai aur wo feeling dar ki aakhri hadh thi jisse SLUNDER aur uske saath hi is waqt ACCHUTA bhi feel karne laga tha...


MAI-is waqt tum dono ke hi kaam ki do chizen hain...

pehli....jo dard tum dono ke BRAIN BODY aur BLOOD ne feel kiya tha,wo dard asal me tum dono liye ek gift thi...

ACCHUTA-gift wo bhi dard...!!!hum samjhe nahi...???

MAI-CHOSENS ke first PHASE me BRAIN,BODY aur BLOOD ko AMPLIFY karne ke liye har din jis dard se guzarna padta hai,ye wahi dard tha..

aur ab tum dono ke hi brain, BODY aur BLOOD AMPLIFY ho chuke hain...


DRISHYAM me dikhaye scenes ki wajah se ACCHUTA aur SLUNDER dono hi CHOSENS ke first PHASE ke saare classes aur unme sikhane waali chizen aur vidhi,in sabhi ke baare me jaan chuke the aur ab jab unhe ye pata chala ki 4 me se 3 classes me hone waali AMPLIFICATION me ab wo dono bhi paarangat ho chuke hain toh woh dono kaafi khush ho gaye the...


MAI-dusri kaam ki chiz hai ye RAYS jinme tumhare mom dad ke senses hain....


apna wo haath jisme wo do roshniyan chamak rahi thi,unhe aage karte hue maine ye baat kahi jisse sun un dono ki aankhon me ek baar firse chamak aa gayi aur isiliye...


ACCHUTA-please inhe jaldi se istemal kar hamare mom dad ko hosh me laa do...

MAI-bilkul...par ek choti si problem hai...!!!

SLUNDER-problem...???kaisi problem..???hume batao,shayad hum kuch madad kar paayen...


aakhri baat bolte waqt SLUNDER ki zuban ladhkhada si gayi thi aur wo isiliye kyunki usne mujhe madad karne ki baat kahi thi jo usse lagne laga tha ki uske haisiyat se baahar ki chiz hai par...


MAI-shayad nahi, sirf tum dono hi ho jo meri madad kar sakte ho...

ACCHUTA-agar aisa hai toh bolo..apne mom dad ke liye mai apni jaan bhi de sakta hun...

SLUNDER-mai bhi..

MAI-wahi toh chahiye....


meri baat sun hadbada se gaye wo dono aur...


SLUNDER-hum samjhe nahi...kya hume marna hoga...????

MAI-maut bohot sasti chiz hai..keemat zindagi ki hoti hai...

ACCHUTA-matlab???

MAI-jaise ek insaan me,jaanwar me,ped poudhon me zindagi hoti hai thik waisi hi zindagi us PLANET me bhi hoti hai,jahan ye sab rehte hain...

mujhe wahi zindagi chahiye...mujhe ARROW aur CARAPACE,ye dono hi PLANETS chahiye...


aankhen hi fat gayi ACCHUTA aur SLUNDER ki meri baat sunkar....unhe samajh me hi nahi aa raha tha ki wo kaise react karen...???


ACCHUTA-tumhe hamare PLANETS chahiye....ye PLANETS hain,koi chiz nahi jo hum utha kar tumhe de denge...

MAI-mere liye ye PLANETS chiz hi hain...agar chahun toh inhe zabardasti le sakta hun... aur yakin maano,agar maine aisa karna chaha toh aisa koi nahi hai jo mujhe rok sakta hai...


ye bol maine ek baar fir jhaanka un dono ki ankhon me aur mere aisa karte hi meri taakat ka ek chota sa ansh un dono ko feel hua par itna kaafi tha unki haalat kharab karne ke liye...

mooh me jaise lakwa maar gaya un dono ka... aur isiliye maine apni baat ko age badhaya....


MAI-par mai aisa karna nahi chahta...tum dono apne apne planets ke heir ho,yuvraj ho, isiliye mai chahta hun ki ye faisla tum dono ki razamandi se ho.....


ACCHUTA-hum yuvraj hain,SAMRAT nahi..wo padh hamare PITAJI ka hai...toh faisle bhi wahi karenge naa...!!!

MAI-faisla mai karta hun ACCHUTA aur log us faisle ko follow karte hain....

aur jo nahi karte, unka patan nishchit hai...

rahi baat tum dono ke yuvraj hone ki toh mere liye itna hi kaafi hai...jis tarah se mai chahun,tum dono mujhe us tarah se vachan doge aur jab aisa hoga,toh yakin maano,apne mata pitah ko convince karna tum dono ke liye asaan ho jaayega...


meri baat sun dono hi gehri soch me padh gaye aur...


SLUNDER-ek baat batao...tumhe hamare PLANETS chahiye...iska kya matlab hai...???

kya tum hamare PLANETS ke naye SAMRAT banana chahte ho...???

MAI-nahi...mai chahta hun ki tum dono apne apne planets ko evacuate karwa lo....mujhe ye dono PLANETS khaali chahiye...

SLUNDER-par fir humare log kahan jaayenge...???

MAI-ye bhi mai hi bataun...??11 living PLANETS hain tumhare aur ACCHUTA ke PLANETS ko chhod kar is SOLAR SYSTEM me..

unme se kisi bhi planet me reh sakte hain tumhare log..waise bhi, ARROW aur CARAPACE is SOLAR SYSTEM ke sabse powerful PLANETS hain...

sadiyon se baaki ke 11 PLANETS in dono PLANETS par hi dependent rahe hain..toh ab ek return favour ke tahat itna toh wo sab kar hi sakte hain...


meri baaton ko sun SLUNDER aur ACCHUTA,dono hi tention me a gaye the...


MAI-zyada sochne se bhi koi faayda hoga nahi...agar mai chahun toh yahan rehne waale har shaksh ko maar kar in PLANETS ko khaali kara sakta hun par mai aisa chahta nahi...

toh ho sake toh mujhe aisa chahne par majboor mat karo...


meri baat sun un dono ne ek dusre ko dekha...bebasi aur dar..ye dono hi bhaav un dono ke chehron par saaf dikh rahe the...

par wo jaante the ki wo kuch nahi kar sakte the aur isiliye un dono ne kuch der tak dimagi manthan kiya aur fir....


ACCHUTA/SLUNDER-hum taiyar hain...

MAI-moukhik manzoori nahi chahiye mujhe...aantarik razamandi chahiye...

SLUNDER-aantarik razamandi..!!!iska kya arth hai....???

MAI-mere saamne aakar khade ho jaao....


meri baat sun kuch pal toh wo dono hichkichaye par fir wo mere saamne aakar khade ho gaye...

aisa hone par maine dono ke chest par haath rakha aur....


MAI-apni aakhen band karo aur man hi man dil se jo maine chaha hun,usse razamandi do....


jahan meri baat sun dono ne apni aankhen band ki aur meri khwahish par razamandi dene lage wahin un dono ke aisa karte waqt..


ANNJAVI SAMUDEYA BINJAVATI


maine ek DARK SPELL bola jiske uccharit hote hi ACCHUTA aur SLUNDER ki soul ka ek bhaag unke rakht ke saath milkar bahar nikla aur mere andar sama gaya...

is kriya ke douran un dono ne apne andar halka sa pain aur saath hi ek ajeeb sa khaalipan mehsoos kiya tha...

unhe lag raha tha jaise unka kisi chiz se wireless connection tha par ab wo connection toot raha tha...

wahin kuch hi palon me meri kriya samapt ho chuki thi aur isiliye maine apna haath un dono ke chest se hata liya aur mere aisa karte hi un dono ko aisa laga jaise unke andar se koi bohot hi ehem aur keemti cheez baahar nikal gayi thi...

is ehsaas ne ek baar phirse unke sir me bhaaripan paida kiya jiske asar se wo dono niche girte hue phir se behosh ho gaye....



MAI-jahan HADH ki SARHAD hai,
mai uske bhi paar JAA RAHA HUN..

tera KHEL tere saath KHELNE,
mai tere paas AA RAHA HUN....







AAJ KE LIYE ITNA HI....








AAPKA APNA V...j....
Excellent update bro
 

Killerpanditji(pandit)

Well-Known Member
10,267
38,658
258
AB TAK AAPNE PADHA KI RAAZ ACCHUTA AUR SLUNDER SE UNKE PARENTS KO HOSH ME LAANE KE BADLE UNHE UNKE PLANETS KHAALI KARNE KE LIYE KEHTA HAI JISSE WO DONO MAAN JAATE HAIN.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)




UPDATE-56





PLANET-ELYSIAN


PLACE-ALFREENS ABODE





EK BAAT BATAYIYE MR FELLAR....???AAPKE PLANET ME 1 KING RULE HAI TOH AISE ME KYA EK PURE PLANET KO MANAGE KARNE ME PROBLEM NAHI HOTI HOGI...!!!!????


FELLAR-problem..!!!!bilkul nahi...haan,thodi bohot siyasati mushkilen aati rehti hain par wo toh har kingdom me common baat hai par aaj tak kabhi koi major problem nahi aayi hai...

FLORIN-wow, that's commendable....

FELLAR-waise aapne bataya ki aapke planet me KINGS rule nahi karte...???toh kya wahan KINGDOMS,RIYASATEN nahi hoti...

aur law and order ko kaise manage kiya jaata hai...???

FLORIN-well,hamare PLANETS me bhi KINGDOMS hoti hain par wahan unhe COUNTRIES kehkar bulaya jaata hai...

aur rahi baat unhe chalane ki toh jaise aapke planets me KINGS RULE chalta hai,waise hi hamare yahan P.M ya fir PRESIDENT rule chalta hai...

law and order kaayam rakhne ke liye har country ke apne apne laws hote hain...

har countries me bohot se state hote hain aur un states ko sambhalne ke liye bhi bohot se log appoint kiye jaate hain..


FLORIN ki baat ko samajhte hue FELLAR ne apne sir ko halki jumbish di...


subah ka waqt hai....MR & MRS FELLAR dono hi ALFREEN ke abode me aaye hue hain..

pichle PHASE ke waqt toh sabke ABODES ek dusre se kaafi door the aur socializing ka bhi mouka wahan milta nahi tha par kyunki second PHASE first ke complete opposite tha isiliye ab sabhi PHASE 2 ke PARENTS according to there wards catagory,ek dusre se jam karne waale the...

pichle kuch dino me FLORIN,MARIA,FELLAR aur unki wife GRACE ek dusre ke ache friends ban gaye the aur lagbhag har din ye chaaron ek dusre ke ghar gather hua karte the jaisa ki abhi hi raha tha..

khair, FLORIN aur FELLAR apni baat aage badhate ki tabhi...


AAP DONO KI POLITICAL TOPICS PAR BAATEIN KABHI KHATM HONE WAALI TOH HAI NAHI..

ISILIYE PEHLE BREAKFAST KAR LETE HAIN,FIR AAP LOG APNI BAATEIN KARTE RAHIYEGA...


jahan hall me enter hote hue MARIA ne ye baat kahi wahin unke saath aati hui GRACE....


GRACE-ELUSORY......jao...bacchiyon ko breakfast ke liye bula lao...

ELUSORY-right away MA'AM....


GRACE ki baat sun kuch door khadi ELUSORY ne apne sir ko jhukate hue ye baat kahi aur baahar bane pool ki taraf jahan is waqt MABEL, ALFREEN aur MAHI swimming kar rahi thi,chal padi aur kuch hi der me wo un teeno ko lekar hall me aa chuki thi...

wahin baccho ko dekh....


MARIA-tum teeno din bhar us pool me hi rehti ho,kahin tabiyat kharab ho gayi toh...!!!!

ALFREEN-oh common mom...humari kabhi tabiyat kharab nahi ho sakti..we are damn tough,right girls....

MAHI/MABEL-right....

MAHI-aur waise bhi aunty.... entertainment ke liye ye pool aur bahar garden ko chhod filhal hamare paas aur hai hi kya...???

GRACE-what are you saying...???itna khubsoorat, advanced aur happening PHASE hai ye... regularly checkout kiya karo...

MABEL-yaa right....check out???kya check out karen...yahan CLUBS hain,PUBS hain,MALLS hain,PARTY PALACES hain,PLAY ZONES hain,aur bhi bohot kuch hai par filhal hume kisi bhi jagah ke andar jaana allowed hai nahi..

matlab jo bhi dekhenge,wo baahar se hi dekh paayenge...toh kya faayda hua....???

MAHI-haan toh ELUSORIES ne bataya toh hai naa ki jab tak tum sabka ye PHASE shuru nahi ho jaata,tab tak har poshe aur entertainment wali jagah par hum nahi jaa sakte...

entry ke liye special cards hote hain jo hume PHASE 2 ke first day par allot kar diye jaayenge..

uske baad toh hume har jagah explore karni hi hai....

FLORIN-bilkul...waise hum bhi kaafi exited hain yahan ki har jagah ko check out karne ke liye...

waise bhi ab tum logon ke PHASE 2 start hone me zyada waqt bacha hi kahan hai....???

MABEL-just a WEEK uncle..aaj se thik saath din baad next session shuru...

which means in a week,we would be the official TRIO STELLAR of PHASE 2....






PLANET-CARAPACE/ARROW


PLACE-THE ROYAL CHAMBERS





KYA KIYA THA TUMNE HAMARE SAATH...???HUM BEHOSH KYUN HO GAYE THE...????


kuch der ki hi behoshi chaayi thi ACCHUTA aur SLUNDER par...

kuch der baad jab dono hi hosh me aaye toh ek baar firse un dono ne mujhe apne saamne paaya jiske baad SLUNDER ne mujhse ye sawal kiya jispar...


MAI-piche dekho...


SLUNDER ke sawal ko darkinaar kar maine apni baat kahi jisse sun un dono ne pehle toh ek pal mujhe hi ghoora par phir jab wo dono piche palte toh ek baar fir un dono ki aankhen chamak uthi...

reason....

mere haathon se chaar jyoth jo ki CHETNA BUTI thi nikal kar aage badh chuki thi jinme se do baaju ke room jahan ACCHUTA ke PARENTS the,wahan chali gayi thi aur baaki do yahin is room me SLUNDER ke mom dad ke paas jaa rahi thi jisse dekh wo dono samajh chuke the ki unke mom dad bhi ab hosh me aane waale hain....

is baat ka ehsaas hote hi dono ye bhi bhul gaye ki kuch der pehle wo behosh hue the...

aabhar vyakt karne ke liye wo dono turant wapas meri taraf palte par tabhi...


MAI-ye lo.....


mere aisa kehte hi mere saamne hawa me ek ray ban kar rook gayi..


ACCHUTA-ye kya hai..???

MAI-jo dene ka vachan tum dono ne hi mujhe diya hai,uski pushti toh tumhare MAATA PITAH hi karenge naa...

un chaaron ke hosh me aate hi tum meri baat unke saamne rakhoge aur tab agar meri khawahish se tumhare mom dad iteffaq naa rakhen toh un chaaron ko is ray ko chunne ko keh dena...

aisa karte hi unhe tumhari baat samajh aa jaayegi...

unke haan kehte hi mai wapas aa jaaunga....


jo baatein maine ACCHUTA aur SLUNDER ko batayi thi,wahi baat mai un dono ke parents ke saamne repeat nahi karna chahta tha aur isiliye hi apni baat keh mai gayab ho chuka tha...

wahin ab tak CHETNA BUTI ne apna kaam kar diya tha... ACCHUTA aur SLUNDER ke parents hosh me aa chuke the...

aur aisa hote hi SLUNDER apne mom dad aur ACCHUTA apne parents ke paas pahunch unke gale log ro rahe the...

kyunki DORIAN aur GASTON dono ne hi in sabko sote hue hi us STATE me pahunchaya tha, isiliye un chaaron ko toh bas aisa lag raha tha jaise wo so kar uthe hain...

aur aise me jab unke bacche unke gale lag rone lage toh unhe kuch samajh me nahi aaya aur isiliye unhone is sudden emotion
ka kaaran pucha aur fir....

us taraf ACHHUTA aur is taraf SLUNDER apne apne mom dad ko unke saath ab tak kya kya ghat chuka hai,wo sab batate chale gaye jisse sun dono hi taraf ke KING aur QUEEN ki aankhen hairat se badi hoti chali gayi.....

un sab ko yakin hi nahi hua ki abhi abhi wo sab jis neend se jaage hain,wo neend 19 months lambi thi...

khair,abhi toh un sabko aur hairan hona tha...

jab unke bacchon ne bataya ki unke room ke beech se dusri duniya jo ki unka rival PLANET tha,wahan ka raasta bana hua tha,toh un sabki aakhen badi ho gayi...

unhe is baat par yakin nahi hua tha aur isiliye wo sab us raaste ki disha me badh chale...

ACCHUTA aur SLUNDER,dono ke hi parents ek hi time par us WORLD DOOR ke saamne pahunche aur jab un sabne ek dusre ko dekha tab jaakar unhe apne bacchon ki har wo baat jo ab tak unhe batayi gayi thi,uspar unhe yakin hone laga...


ACCHUTA FATHER-hume toh ab bhi ye sab ek bure sapne ki tarah lag raha hai...

SLUNDER FATHER-sach kaha...par jab hume us mout ki neend me sula diya gaya tha toh fir hum hosh me kaise aaye aur aap dono ko itna sab pata kaise chala...???


SLUNDER ke father ki baat sun ACCHUTA aur SLUNDER ne RAAZ ne jo unhe bataya tha,wo sab bata diya...

ye jaankar ki RAAZ naam ke ladke ne un sabko unki chetna loutayi hai,wo sab uske liye aabhar mehsoos karne lage par fir jab ACCHUTA aur SLUNDER ne unhe bataya ki kis shart ke tahat RAAZ ne ye sab kiya hai,wo jaankar un dono ke hi maata pitah ko krodh aa gaya aur...


SLUNDER FATHER-uska itna dushaas...hamare PLANETS ke badle usne hume hamari chetna loutayi hai....hume ye souda manzoor nahi....

ACCHUTA FATHER-sahi kaha..aur aap dono jo ki apne apne PLANETS ke yuvraaj hain,aapne uski baat par samarthan kiya kaise...???

aapke liye sabse mahatvpurn aapka PLANET aur yahan ke log hone chahiye naa ki hum...

uske prastaav ko sunte hi aapko usse mana kar dena chahiye tha...

ACCHUTA-wo prastaav nahi tha,uska aadesh tha...aur humne bhi uski baat isiliye nahi maani kyunki hume aap sabko CHETNA loutani thi,balki isiliye maani kyunki hum nahi chahte the ki hamare faisle ki wajah se hamare log maare jaayen..

hum chahen ya naa chahen, PLANETS toh hume usse dene hi hain toh aise me hum kyun vyarth me apne logon ki bali den....

ACCHUTA FATHER-aap kaisi baatein kar rahe hain...

usne aap dono ko dhamkaya aur aap dono dar gaye...

itna toh sochiye ki baat 2 PLANETS ki ho rahi hai,do raajyon ki nahi...wo hoga shaktishali,par hamari sainya shakti bhi kisise kam nahi....

agar usne zabardasti ki toh usse iska moohtod jawab milega....


krodh se bhar ACCHUTA ke FATHER ne ye baat kahi thi..

wahin ACCHUTA aur SLUNDER jinhone RAAZ ki shakti ke ek maamuli se bhaag ko mehsoos kiya tha,jisse mehsoos kar wo jaan gaye the ki ladhna toh door,un dono ke PLANETS ki puri sena milkar bhi uske saamne khade tak nahi ho paayenge aur isiliye....


ACCHUTA-aapko kya lagta hai ki humne is baat par vichar nahi kiya hoga...??

par yakin maaniye,hum dono PLANETS ki samast sena,yahan tak ki hamare SOLAR SYSTEM ke pure 13 PLANETS ki taakat bhi agar mila di jaaye toh bhi hum us RAAZ ka kuch bigad nahi paayenge....

SLUNDER-haan PITASHRI...aur is baat ka ek jeeta jaagta pramaan hum sabhi hain..

humne aapko bataya naa ki CHOSENS naam ke ek institution me jahan maayavi sikhsha di jaati hai,wahan hum dono ka selection ho gaya tha aur jahan humara bhes dhar hume is mout si neend me sulane waale dono vyakti chale gaye the...

us CHOSENS ko jinhone banaya tha,jinme apaar shakti hai fir bhi wo hum sabko us neend se jagane me asamarth the par us RAAZ ne hum sabko ek jhatke me theek kar diya..

zara soch ke dekhiye ki wo kitna taakatwar hoga...


ACCHUTA aur SLUNDER ki baat sunane ke baad bhi unke parents RAAZ ki shart ko nahi maan rahe the aur isiliye ab ACCHUTA aur SLUNDER ke paas bas ek aakhri raasta hi bacha tha...

raasta tha wo ray jo RAAZ ne aise hi waqt ke liye wahan chhodi thi aur jo ab bhi apni jagah par rooki hui thi..

dono ki hi nazar us ray ki tataf ghum gayi aur fir...


SLUNDER-jisse ladhne ke baare me aap sab soch rahe hain,uske paas ALOUKIK shaktiyan hain..aisi shaktiyan jinse lada nahi jaa sakta...

khair,agar aapko fir bhi lagta hai ki aap log usse yudh kar sakte hain toh usse pehle ek baar wo jo ray dikh rahi hai,usse touch kar lijiye..


us ray ki taraf ishara karte hue SLUNDER ne ye baat kahi....


ACHHUTA-wo ray ussi ne wahan rakhi hai aur kaha hai ki agar aap sab uski baat se sehmat naa hon toh ek baar us ray ko chhu kar dekh len...


ACCHUTA FATHER-aisa kya hai us ray me???

ACCHUTA-khud check kar lijiye...


halke dar aur ghabrahat ke beech SLUNDER aur ACCHUTA ke FATHERS aage badhe aur us ray ke saamne jaakar khade ho gaye...

ek pal sochne ke baad un dono ne hi us ray ko chhu liya par tabhi....


SATYA DARPAN....


yahi naam tha us ray ka...jisse chhute hi.....


BOOM.........


dono ke kaano me ye awaaz gunj uthi jisse un dono ko ek tez jhatka laga...


reason.....

RAAZ us PLANET ke saath kya kya kar sakta hai,us ray ko chhute hi ye dikhne laga tha un dono ko..

unhone dekha ki sirf ek waar se RAAZ is pure PLANET ko uske core sahit nasht kar raha hai jisse hua tha wo dhamaka...

dono hi PLANETS ke log us waar ki wajah se jalkar raakh ho gaye....pal bhar me hi do livings PLANETS chote chote meteors ka roop dhar pure bramhaand me fail gaye the....

ye sab scene dekh dono ke haath pair kaampne lag gaye....jo ladhne ka jasba un dono ke andar jaaga tha,wo ek second me gayab ho gaya...

jaise hi SATYA DARPAN ke scenes khatm hue aur wo ray gayab hua toh....


ACCHUTA FATHER-thik hai....jaisa wo chahta hai,waisa hi hoga....

SLUNDER FATHER-haan..par sabse pehle hume hamare sahiyogi PLANETS ko ye suchit karna hoga ki hum aur hamare PLANETS ke log wahan basne waale hain...

baat pure PLANET ke logon ki evacuation ki hai..isme waqt lagega....

hamare paas jitne bhi SPACE SHIPS hain,unme hamare PLANETS ke har baashinde ko bhar kar kahin aur shift karane me bhi kaafi waqt lagega...

hume ummid hai ki wo hame is kaarya ke liye ucchit waqt denge...


ab bhi halke halke kaampte hue dono hi SAMRATON ne ye baat kahi jispar unki patniyan shocked hui par isse pehle ki wo kuch kahen...


MAI-ek hafta hai aap logon ke paas, apne logon ko yahan se rukhsati ke liye mana lijiye...


ek gehra kaala dhuan jiske beech ek white ray chamak rahi thi,wo ubhri un sabke saamne jiske andar se ye awaaz aayi thi...

wahin kuch hi palon me us dhuen ne human form le liya jiska matlab tha ki un sabke saamne MAI khada tha....

mujhe dekhkar jaisi feeling SLUNDER aur ACCHUTA ko aayi thi,thik waisi hi sarsarahat un dono ke MAATA PITAH ko bhi mujhe dekhte waqt hui..

meri aankhon me dekhte waqt uski khamoshi ko un sabne apne andar ek virani me badalte hue mehsoos kiya jiski wajah se un sabme ek ajeeb sa ghabrahat bharne laga tha..

haalat bolne waali nahi bachi thi un sabki par prakat hote hote jo baat maine kahi thi,us baare me toh unhe baat karna hi tha aur isiliye...


SLUNDERS FATHER-ek hafta..??par ek hafte me evacuation kaise possible hai...???

ACCHUTAS FATHER-itne waqt me hum apne apne logon ko yahan se nikalne ke liye convince zaroor kar sakte hain,par yahan se lejaane ke process me toh waqt lagega hi...


MAI-aap sab sirf apne apne planets ke logon ko yahan se lejaane ke liye ready kijiye..

unhe bhejne kaise hai,iski chinta karne ki aapko zaroorat nahi hai...

ek hafte ke andar jab bhi aap dono ke PLANETS ke baashinde maan jaayen toh ...

jis bhi Planet me aap aur aapke log jana chahenge,wahan ke liye thik is DOOR ki hi tarah jitni zaroorat hogi,utne WORLD DOORS khul jaayenge jisse hote hue sab apne naye ghar me jaa sakenge....


meri awaaz un sabko sirf sunayi hi nahi de rahi thi,balki ye awaaz un sabko apne andar gunjti hui si mehsoos ho rahi thi..


aur is wajah se un sabko apne andar ek ajeeb sa dar feel hua tha aur mujhe ye DAR ACHA LAGA...


meri baat sun un sabke mooh se kuch nikla nahi..un sabne bas haan me apna sir hilaya jispar...


MAI-ACCHUTA,SLUNDER...do options hain tumhare paas...

pehli...apne family aur logon ke saath raho...

dusri....wo shiksha jo tumhare bhesh me ab tak tumhare behroopiyon ne li hai,usse ab tum aage badhao ..

waise bhi,jo shiksha un do behroopiyon ne li thi,usse maine tumhare andar daal diya hai...


meri baat sun ACCHUTA aur SLUNDER ke PITAH kuch bolne ko hue jispar...


MAI-aap dono jo chaah rahe hain,wo ho nahi paayega...


meri baat un dono ko hi samajh me nahi aayi aur isiliye...


ACCHUTAS FATHER-hum samjhe nahi....

MAI-mere options dete waqt aap dono ye soch rahe the ki aapke putron ko aapke saath hi rehna chahiye taaki jab aap sab nayi jagah par basen, tab aapke putr jo ki aapke sourya mandal me sabse goonvaan the,wo sabki madad kar saken..


meri baat sun ACCHUTA aur SLUNDER ke dads ki aankhen badi ho gayi thi...

ek aisa vyakti jo unke man me chal rahe vichar tak padh sakta tha,ye jaankar unka mere prati dar aur badh gaya tha...

wahin apni baat ko aage badhate hue....


MAI-aapki is soch se koi faayda nahi hoga...

kyuki agar ye dono CHOSENS nahi gaye,toh inka extra tez dimag inse chinn liya jaayega...


meri baat sun wo sab behad shocked ho gaye the wahin apni baat ko aage badhate hue,


MAI-ACCHUTA aur SLUNDER,in dono ke hi dimag sirf isiliye hi tez hain kyunki ek din inhe CHOSENS me padhna tha...

jiski shuruat ek tarike se ho bhi chuki hai...ye dono bhale hi wahan ab tak nahi gaye hain,par inke behroopiyen toh wahan first PHASE me ek bada bhaag bita hi chuke hain...

aur ab ye dono wahan PHASE 2 me jaane waale hain..

aur us PHASE 2 ka ek niyam ye bhi hai ki agar koi wahan pahunchne ke baad backout karta hai toh usse uska extra tez chalne waala dimag aur hunar wapas le liya jaata hai...

ye dono yahan reh sakte hain par sirf ek common bande ki tarah jaise ki baaki sab hain...


jahan meri baat sun chaaron parents gehre soch me chale gaye the wahin ACCHUTA aur SLUNDER jinhone ab tak ki puri zindagi ek genius ke tag ke saath bitayi thi,wo soch rahe the ki bina us tag ke wo kaise survive karenge..!!!

ek aur chiz thi jo un dono ke man me chal rahi thi aur wo thi CHOSEN'S aur wahan ki exciting activities aur life...

wo life jo un jaison ke liye hi bani thi toh aise me bhala wo dono kaise wahan jaane se khud ko rok sakte the aur isiliye...


ACCHUTA-mom dad...mai CHOSENS jaana chahta hun.. wahi meri asli jagah hai...

SLUNDER-mai bhi...aur sochiye,yahan toh hum sirf science ke through ki achievement haasil kar paayenge par wahan ki studies se humare andar supernatural capabilities bhi jaagengi jisse hum humare naye thikane me kitna kuch kar sakenge...


SLUNDER ki baat me dum tha aur isiliye...


SLUNDERS/ACCHUTA FATHER-thik hai...jaise hi hum hamare logon ke saath yahan apne Planet se shift honge,tum CHOSENS chale jaana...

MAI-ek hafta...is ek hafte me aap sab CARAPACE aur ARROW khaali karenge aur tum dono,

BRAIN,BODY aur BLOOD..tumhare in teen bhaagon ko maine AMPLIFY toh kar diya hai par in bhaagon se milne waali shakti filhal tumhare andar unstable hain...

isiliye is ek hafte me jitna waqt use me laa sakte ho,lao aur apne AMPLIFIED powers ko stabelize karo...


uske baad tum dono chaloge mere saath......CHOSENS.....





PLANET-ELYSIAN


PLACE-PHASE 2




WELCOME TO PHASE 2....MAI EK ELUSORY HUN AUR AGLE DONO PHASE KE LIYE MAI AAPKI SLAVE HUN...


saamne khade ek shaksh ko dekhte hue ELUSORY ne ye baat kahi jispar wo shaksh bas muskura diya...

wahin apni baat kehne ke baad us ELUSORY ne u shaksh ke liye CHARIOT prakat ki aur...

ELUSORY-aayiye,aapke DESTINATION ki taraf chalte hain...

ELUSORY ki baat sun aur CHARIOT ko apne saamne dekh wo shaksh aage badha aur usme baith gaya..

uske baiththe hi CHARIOT aage badhta chala gaya.. gallery se hota hua wo CHARIOT PHASE 2 ki duniya me enter hua jahan ke nazare ko dekh us bande ke chehre par smile aa gayi...

wo yunhi har chiz ko checkout karta hua aage badhta chala jaa raha tha...

aage badhta hua uska CHARIOT us poshe colony me enter hua jahan usse jaana tha aur tabhi...

ELUSORY- welcome home..... MASTER VIDEOUS......








AAJ KE LIYE ITNA HI......








AAPKA APNA V...J......
Fantastic update bro
 
Top